Adultery Bepanaah Ishq By Devil The Kiñg

Well-known member
3,317
5,026
143
Update 8
Aarav: Achha hua main nhi gaya. Warna yeh toh mere haath aur pairon ko todd deti.

Samar: Sahi kaha bhai aapne. Dekho pura mall utha laayi aur mere haath pair ka band baja diya.

Shruti: Chinta mat kar beta. Shaadi ki shopping baaki hai. Tab chaloge tum.

Aarav: Dekhte hai.

Phir yehlog sabko apni shopping dikhane lagte hai.

Smita: Rajj ki sherwani toh bahott achhi hui hai. Kisne select ki.

Aarav: Sahi kaha Mummy. Bhaiya ki sherwani sach mein sabse best hai.

Nandini: Choti mummy yeh Sonal ne select ki hai. Sirf Raj ki nhi Karan aur iski bhi isne hi select ki hai.

Aarav: Mere liye. Kaha hai dikhaiye. Maine toh pehle hi le li thi par koi nhi.

Nandini: Yeh rahi.

Aarav: Kyaa baat hai Sonal di. Bahott achhi choice hai aapki. Mujhe bahot pasand aaya. Thank you.

Smita: Sach mein beta. Bahot achhi choice hai tumhari. Humhe bhi bahot pasand aayi yeh sherwani.

Sonal: Khush hoke. Thank You.

Ragini: Nandini innteeno ne kuch nhi liyaa.

Nandini: Liya hai Mummy. Yeh log toh bahot mana kar rahi thi. Par humne jabardasti dilaya.

Smita: Bahot achha kiya.

Meera: Aree humari shopping toh Jaipur mein hi hogyi thi. Bekaar mein dilaya.

Ragini: Koi bekaar mein nhi hai. Aree yeh humare bachhe hai.

Savitri: Chalo ab tumlog jao aaram karo.

Phir yehlog apne apne kamre mein aajate hai.

Sonal room mein aate hi dance karne lagti hai khushi mein.

Sonal: Jab se bhabhi ne bola hai Rajjj single hai tabse mujhe naachne ka mann kar raha tha. Aaj main bahot khush hu. Bahotttt.

Ab toh main Rajjj se aur bhi jyaada pyaar karne lagi hui. Bahot jald unko bhi mujhse pyaar hojayega. Main apni taraf se puri koshish karungi. Inn 2 saalo mein mujhe har koshish karni hogi.


Idher Jaipur mein Vicky roj Sonal ke ghar ka chakkar lagata par waha ghar band milta.

Vicky: Yehlog kaha chale gaye. Sonal ko call karta hu toh busy hi aata hai.(Kyoki Sonal ne Vicky ka number block kardiya thaa). Tabhi waha se unka padosi jaaraha hota hai.

Vicky: Hello Uncle. Main Samar ka dost hu. Uske saath college mein padhta hu. Kyaa aap bata sakte hai wohlog kaha gaye hai.

Aadmi: Aree wohlog toh mumbai gaye hai kisi relative ke yaha.

Vicky: Ooo. Kab tak aayenge.

Aadmi: Yeh toh nhi pata. Phir woh aadmi waha se chala jaata hai.

Vicky: Ooo. Toh yehlog ghumne gaye hai. Dekhte hai kab tak aate hai. Inke aate hi gharwalo se baat karta hu rishte ki.

Aise hi din gujarne lagee dekhte dekhte Sagai ka din aagaya.

Uske ek din pehle Nandini ke ghar wale bhi aagaye. Jisme uski maa papa aur uski behen Payal thi.

Nandini: Mummy Papa Payal kaise hai aaplog.

Nandini Mummy: Hum achhe hai meri bachhi. Tu kaisi hai. Khush toh hai naa.

Nandini: Main yaha bahot khush hu mummy. Mujhe lagta hi nhi hai ke yeh mera sasuraal hai. Mujhe lagta hai main maayke mein hi hu. Yaha sab mujhse bahot pyaar karte hai. Harchiz ko pyaar se samjhane wali dadi hai. 2 maa papa jaise saas sasur behen jaisi nanad hai bhai jaise devar hai.

Nandini mummy: Khushi toh tere chehre se hi jhalak rahi hai. Tu khush hai toh hum bhi khush hai.

Ragini: Aaiye aaiye Samdhi ji Samdhan ji. Kaise hai aap.
Nandini Mummy: Hum achhe hai aap kaisi hai.

Ragini: Hum bhi achhe hai. Jab se yeh pagal yaha aayi hai koi kaam karne hi nhi deti. Sirf aaram karwati hai. Payal kaisi ho tum.

Payal: Achhi hu Aunty. Shruti didi kaha hai.

Nandini: Choti woh toh apne room mein hai chal wahi chalte hai. Mummy Papa aaplog baate kariye.

Yeh bol Nandini Payal ko leke waha se nikal jaati hai.

Nandini ke maa baap usko khush dekh kar bahot khush the aur unke aankho mein khushi ke aansu aagaye.

Nandini Payal ko leke shruti ke paas aati hai jaha pehle se hi sab baithe hue the.

Shruti: Payal tum aagayi. Kaisii hooo.

Payal: Achhi hu. Didi. Aap kaisi hai. Btw congratss. Aakhir aapko aapka pyaar mil raha hai. Yeh baat usne kisi ko dekh kar boli thi. Warna kuch log toh aise hote hai jo itna darte hai ke ghar mein bol hi nhi sakte.

Aarav: Ab unki bhi koi majburi hogi. Jiske wajah se wah darte honge.

Shruti: Areee Payal aisi baat kyo kar rahi ho. Koi pasand aagaya hai kyaa.

Payal: Nhii didi. Mujhe toh aisa koi naa dikha ab tak.

Shruti: Aao baitho. Aur inse milo. Yeh hai Swati yeh Sonal aur yeh Samar. Jaipur se aaye hai.

Payal: Hello.

Teeno: Hiii.

Shruti: Aur yeh hai Payal. Nandini bhabhi ki behen. Aur batao Payal kyaa kar rahi ho aajkal.

Payal: Bas B. Tech final year chal raha hai didi.
Shruti: Waahh. Kaunsi college se.

Payal: Emperial College. Ishu ko pata hai toh.

Nandini: Areee waah. Chalo yeh achha hua. Lo Sonal tumko ek aur saathi mil gayi. Payal Sonal usi college se Interior designing ke upar masters kar rahi hai.

Payal: Ooo. Achhi baat hai.

Nandini: Toh tumko aur Ishu ko iske saath rehna hoga. College mein isko koi problem nhi honi chahiye.

Payal: Don’t worry didi. Hum pura khayal rakhenge.

Aarav: Chaliye bahot kaam hai. Kal sagai hai. Baate karne se kaam nhi hoga.

Payal: Aap jao naa. Aapko kisne roka hai. Jo kaam karne ka hota hai woh toh hota nhi aur badi badi baate.

Nandini: Tum dono aate hi start hogye. Jao tum jaake fresh hojao. Phir baate karna.

Phir Payal chali jaati hai fresh hone.

Phir sagai ka din aajata hai sablog kisi na kisi taiyaari mein lage hue theee.

Beauticians ko ghar hi bula liya gaya tha sabko ready karwane ke liye.

Savitri: Aree abhi tak sagai ki angoothi nhi aayi.

Ragini: Aree haa maa ji. Sabse jaruri chiz hi nhi aayi. Ab kyaa karee.

Savitri: Rajjjj.

Raj: Ji dadi.

Savitri: Raj beta Sagai ki angoothi abhi tak nhi aayi. Tu jaake le aayega.

Raj: Jii dadi. Main abhi le aata hu. Kaunsi shop pe jaana hai.

Ragini: Yeh toh Nandini ko pata hai. Nandini yaha aana.

Nandini: Ji mummy.

Ragini: Beta abhi tak sagai ki angoothi nhi aayi. Tum Raj ko jaldi se address de do. Woh le aayega.

Nandini: Aree mummy angoothi thodi der pehle hi aagayi hai. Mere paas hi hai.

Raj: Lo hogyaa phir toh.

Ragini: Areee. Achhaa huaa. Warna bekaar mein Raj ko jaana hota.

Thodi der baad Ishant Yash aur Ishita aajate hai.

Ishant ko stage pe baithaya jaata hai Ishita upar ladkiyon ke paas chali jaati hai. Yash Raj ke paas aajata hai.

Raj: Aur thoda late se aajata.

Yash: Bhai bhul mat. Main ladke walo ki taraf se hu. Bhaiya ke saath hi naa aunga. Aur dulhe ka bhai hu so give respect. Yeh bol hasne lagta hai.

Raj: Ha ha pata hai. Aur Respect usse di jaati hai jo uske layak ho. Yeh bol Raj hasne lagta hai aur Yash muh bana leta hai.

Thodi der mein saari ladkiyan Shruti ko leke aajati hai.

Guests mein jitne bhi bachelor ladke the sab ladkiyon ko hi dekh rahe theee. Sabki nazre inpe hi tiki hui thi.

Ishant ki nazar Shruti se hatt hi nhi rahi thi. Woh muh khole usko hi dekh raha tha.

Tabhi bagal se Ishita bolti hai.

Ishita: Bhaiya aise kyaa dekh rahe ho. Aapki hi hai.

Ishita ke aise bolne se Ishant jhepp jaata hai aur Shruti sharma jaati hai.

Idher Raj ki nazar jab Sonal pe girti hai toh woh bhi usko hi dekhte rehta hai. Raj toh ek pal ke liye palke jhapkana hi bhul jaata hai.

Sonal lag bhi bahot khubsoorat rahi thi. Silver White colour ka lehengha pehna tha. Ek toh woh pehle se hi gori thi aur upar se ab beauticians ke haath se makeup. Jo uski khubsoorati mein chaar chand laga raha tha.

Sonal jabse neeche aayi thi tabse uski nazar Raj pe hi thi. Jab woh dekhti hai Raj usko hi dekhe jaaraha hai toh woh sharmaa jaati hai.

Usko aisa lag raha tha usko Raj ki nazre chuu rahi hai isiliye woh sharma ke Samar ke pichhe chup jaati hai.
Idher Samar Ishita ko hi dekhe jaa raha tha. Usne bhi yeh notice kiya par kuch bola nhi.

Raj ke nazar se jab Sonal gayab hui tab usko khayal aaya woh abhi kya kar raha tha. Jo Raj ko kaafi ajeeb lagta hai. Isiliye woh waha se apni nazar hata leta hai par Sonal ki nazar Raj ke upar hi thi.

Idher Swati aur Yash ki nazar ekdusre ke upar hi thi. Dono hi jaante the dono ekdusre ko dekh rahe hai. Swati toh sharma ki apni nazre neeche karleti hai par chor nazro se woh Yash ko hi dekh rahi thi. Aur Yash toh bas usko hi ghurr hi raha tha.

Aarav aur Payal ka bhi yehi haal tha. Par Payal ne usko completely ignore kiya hua tha.

Aise hi thodi der mein Sagai ki rashm start hoti hai. Ishant aur Shruti ekdusre ko angoothi pehnaate hai. Aur unko stage pe hi baitha diya jaata hai.

Shruti: Karan bhaiya Raj Yash Aarav. Aaj meri sagai hai. Aaplog dance nhi karenge. Bhabhi Swati Sonal Samar Ishita jao aaplog bhi.

Yash: Aree jarur karenge. Kyo Raj Aarav Samar.

Raj: Nhi mere se nhi hoga. Tumlog karo.

Shruti: Rajj mere liyee. College mein tu kitna achha dance karta tha aur gaata tha. Kya mera bhai mere liye yeh nhi karega.

Aarav: Chaliye naa bhaiyaa.

Raj: Thikkk hai.

Phir yehlog dance karte hai. Raj gaana gaata hai. Swati ne Shruti aur Ishant ko bhi join karwaya.

Smita Raj ko naachta gaata dekh bahot khush thi.

Sirf Smita hi nhi Yash Karan Nandini Shruti Ishant sab Raj ko aise enjoy karte dekh bahot khush thee. Sonal bhi Raj ko hi dekhe jaa rahi thi. Aur usko aise dance aur gaate dekh woh bhi bahot khush thi.

Dekhte dekhte sham khatam hoti hai. Saare guest Shruti aur Ishant ko congratulate kar chale jaate hai.

Ab sirf ghar ke members hi reh gaye the.

Yash: Aaj bahot maza aaya hai naa Rajj.

Raj: Haaa bahot maza aaya. Bahot waqt ke baad itna enjoy kiya hai.

Nandini: Isiliye toh kehti hu Raj. Aise hi apni life enjoy karo.

Raj: Jii bhabhi. Koshish karunga ab aise rehne ki.

Ishant: Achha Papa ab hum chalte hai.

Ashok: Thikk hai beta. Sambhal ke jaana.

Phir Yash Ishant aur Ishita sabka aashirwaad leke nikal jaate hai.

Ragini: Chalo ab tumlog bhi change karlo aur sone jao. Saara din bahot thakawat hui hai.

Phir sab apne apne kamre mein jaake change karke sojaate hai.

Par kuch jan ko neend nhi aayi thi.

Sonal apne bed mein lete hue Raj ke baare mein hi soch rahi thi.

Sonal: Aaj Raj mujhe kaise dekh rahe the. Kitni sharm aarahi thi mujhe. Mera yeh sajna sawarna success raha. Main toh Raj ke liye hi itna ready hui thi taaki woh mujhe dekhe. Aur mera ready hona success raha. Mujhe toh aisa lag raha hai jaise abhi bhi Raj ki nazar mujhe dekh rahi hai.

Yeh sochte hue woh sharma jaati hai. Aur aankhe band karleti hai. Par apni jab apni aankhe band karti hai toh usse Raj dikhai deta hai.

Sonal: Yeh Raj toh mujhe sone hi nhi de rahe hai. Aankhe band karne se hi unka chehra dikh raha hai. Ufff Rajjjj yeh kyaa kardiyaa aapnee.

Phir woh aankhe band karke sone ki koshish karti hai. Thodi der baad usko neend aajati hai.

Idher Raj bhi apni apne bed mein lete hue soch raha tha.

Raj: Yeh aaj kya hua thaa. Main aaj Sonal ko iss tarah kyo dekh raha tha. Kyaa soch rahi hogi woh mere baare mein. Mujhe khud kitna ajeeb lag raha hai. Maine aajtak kisi aur aisa nhi dekha sivaay uske. Phir aaj Sonal ko main aise kyoo dekh raha tha. Nhii yeh galat hai. Mujhe aisa nhi karna chahiye thaa. Raj bhi yehi aab sochte hue so jaata hai.

Idher Shruti toh sogayi thi par uske bagal mein leti Swati ki neend udhh chuki thi.

Swati: Kaisee ghurrr tha woh mujheee. Aur main bhi toh usko hi dekh rahi thi. Dikh bhi toh kitna smart and handsome raha tha. Aur ussdin gaadi mein bhi mujhe hi dekh raha tha. Pehli baar kisi ko dekh kar dil mein aisi feeling aayi hai. Par jo bhi kaho ladka hai bada smart.
Swati bhi Yash ko sochte hue so jaati hai.

Idher 4 jan apni socho mein gumm the.

Ishita: Kaisee ghurr raha thaa woh mujhe. Jab se aayi hu tabse hi mere pichhe hai baat karne ke sirf bahane khoj raha hai. Par kitna cute dikh raha tha.

Payal: Kaise baat karne ke liye pagal hua jaaraha hai. Par main koi baat mhi karungi.

Samar: Yaar kitni sundar thi woh. Aur kitni nautanki karti hai. Baat baat mein masti. Jaise main karta hu. Usko toh dekhte hi dil de baitha. Ab toh usko aur kareeb se janna hai.

Aarav: Abhi bhi bilkul waisi hai jaisa last time dekha tha. Bilkul bhi nhi badli. Jab pehli baar dekha tha tabhi mujhe ghayal kargayi thi. Aur aaj toh jaise maar hi diya aur jabse aayi hai ignore hi kiye jaarahi hai. Ab usko kaun samjhaye. Jab tak Raj bhaiya aur shruti didi ka clear nhi hota main kuch nhi karsakta. Pata nhi kab samjhegi.

Yeh chaar apne socho mein ghumm rehte hue hi so jaate hai.
 
Well-known member
3,317
5,026
143
Update 9
Agle din breakfast table mein sab baithe hue the. Sonal bhi Rajj ko dekh rahi thi jo aaj normal dikh raha tha sabse baat kar raha tha has raha tha.

Raj ek baar Sonal ko dekhta hai phir khaane lagta hai.

Deepak: Maaa ab humhe bhi jaana hoga. Jyaada din kaam nhi chorr saktaa.

Meera: Haaa Maa ji. Samar ka college bhi start hochuka hai. Ab humhe jaana chahiye.

Savitri: Thikk hai waise bhi 1 mahine baad Shaadi hai tab toh tumsab ko aana hi hai. Par Sonal nhi jayegi. Woh yehi rahegi.

Deepak: Jaisa aap kahe maa.

Savitri: Toh kabki flight hai.

Deepak: Aaj sham ki hai maa.

Savitri: Thikk hai Raj Airport chorne jayegaa. Rajjj.

Raj: Thikk hai dadi.

Phir Deepak Meera Swati aur Samar apni packing mein lag jaate hai.

Swati: Sonal tu ab yaha 2 saal rahegi. Koshish karna Raj ke dil mein tere liye jagah banjaaye. Inn 2 saal ka achhe se use karna. Aur Roj call karna.

Sonal: Jiii diii. Aap bhi apna mummy papa aur Samar ka khayal rakhna.

Sham ko yehlog jaane ke liye ready the.

Meera: Sonal apna dhyaan rakhna. Aur jyaada pareshan mat karna. Aur mann laga ke apni padhai karna. Thikk hai naa.

Sonal: Jiii Mummy. Aap bhi apna aur baaki sabka dhyaan rakhna. Main Roj phone karungi.

Deepak: Apna khayal rakhna Sonal. Vijay bhaiya Ashok bolna toh nhi chahiye par iska dhyaan rakhiyega.

Ashok: Kaise baate kar rahe ho Deepak yeh humari beti hai.

Meera: Smita Ragini didi. Agar isse koi galti hojaaye toh maaf kardena.

Smita: Tum bilkuk chinta mat karo. Humari Sonal bahot samajdar hai. Aur yeh lo isme raat ka khaana hai. Tum ghar pahonch ke khane ki tension nhi hogi.

Meera: Iski kya jarurat thi.

Ragini: Bilkul jarurat thi. Tum kya jaake khana banati. Bilkul nhi.

Sonal: Rajjj. Kya main bhi aapke saath Airport chalu.

Raj: Kyo nhi. Chalo.

Phir Raj Sonal Swati Samar Deepak aur Meera Airport nikal jaate hai.

Swati(Mann mein): Kaash ekbaar usse milsakti. Par usko toh shayad pata bhi nhi hoga. Koi naa shaadi mein mil lenge.

Thodi der mein yehlog Airport aajate hai. Jaha Yash ke saath Ishita pehle se hi khade the.

Swati Yash ko dekh kar bahot khush hoti hai. Toh Samar Ishita ko dekh kar.

Deepak: Aree Yash beta Ishita beti tum yaha.

Yash: Haa uncle. Rajj ne bataya aaplog jaa rahe hai. Bhaiya toh kisi kaam ke wajah se aa nahi paaye. Isiliye hum aagaye.

Phir Yash aur Ishita Deepak aur Meera ke pairr chute hai.
Meera ko Yash ka behaviour bahot pasand aaya.

Swati Yash ko hi dekhe jaa rahi thi. Woh Yash ko yaha dekh kar bahot khush hui thi uski mann ki murad jo puri hui thi.

Phir Yash Samar ke paas jaake usse haath milata hai.

Ishita bhi Samar ke paas aake usse haath milati hai. Samar bhi usse haath milate waqt uski aankho mein dekh raha tha. Ishita ki aankhe bhi ekbaar Samar ki aankho se ladh gayi Par dono ne hi kuch naa bola.

Yash aakhir mein Swati ke paas jaata hai.

Yash: Byeee.

Swati: Byeeee.

Yash: Shaadi ka intezaar rahega.

Swati: Mujhee bhiii. Jiiii.

Yash: Mera matlab hai bhaiya ki shaadi mein phir se mulakat hogi.

Swati: Jiiii.

Phir dono haath milate hai toh Yash ek kagaj Swati ko chupke se pakda deta hai. Swati bhi chup chap woh le leti hai.

Raj: Uncle flight ka time hogya hai. Check in start hogya hai.

Phir sab Sonal se gale milte hai aur Airport ke andar chale jaate hai. Sonal ki aankhe thodi num thi. Kyoki pehli baar woh apne family se durr rehne wali thi.

Swati aur Samar baar baar pichhe mudd ke dekh rahe the. Sonal ko laga usko dekh rahe hai.

Phir wohlog nikal chale jaate hai.

Raj: Tu nikal. Main bhi nikalta hu. Kal office mein milte hai.

Yash: Thikk hai. Byee Sonal.

Sonal: Byeee. Yash Ishita

Ishita: Byee.

Raj: Sonal chalee.

Sonal: Jiii.

Phir dono car mein baith jaate hai aur ghar ki taraf aane lagte hai.

Raj: Aur batao Sonal aage kya karne ka socha hai.

Sonal: Bas apni padhai complete karke ghar ka interior aur fashion design karne ka soch rahi hu.

Raj: Ooo. Acchi baat hai. Par tum toh interior designing kar rahi ho naa phir fashion designing.

Sonal: Jiii. Woh mujhe fashion designing ka bhi thoda shock hai.

Raj: Achha hai. Aah by the way congrats tumne apni college mein top kiya hai naa.

Sonal: Thank You.

Thodi der dono ke beech shanti rehti hai. Phir iss shanti ko Sonal hi todti hai.

Sonal: Ek baat puchu.

Raj: Hmm bolo.

Sonal: Aap itna chup chup kyo rehte hai. Jaha tak mujhe yaad aaraha hai Bachpan mein toh aise nhi the aap.

Raj: Bachpan ki baat alag thi. Par ab mujhe akele rehne mein jyaada achha lagta hai.

Sonal: Aisa kyo.

Raj: Yeh toh mujhe bhi nhi pata. Bas jaise jaise time bitta gaya mujhe akele rehne mein achha lagne laga.

Sonal: Ek baat kahu.

Raj: Hmm.

Raj: Aap haste hue achhe lagte hai. Sagai mein jaise enjoy kiya waise enjoy karte hue bahot achhe lagte hai. Meri maane toh aapko waise hi rehne chahiye. Yeh chup rehna akele rehna. Aapki personality ko suit nhi karta.

Raj bas ek tak Sonal ko dekhte rehta hai.

Sonal: Kyaa hua. Maine kuch galat kaha kyaa. Agar bura laga ho toh Sorry.

Raj: Nhi nhi. Aisi koi baat nhi hai. Koshish karunga waise rehne ki.

Sonal: Thank You.

Yehlog raaste mein hi the tabhi Sonal bolti hai.

Sonal: Raj please gaadi rokiyeee.

Raj car ko side mein rokhta hai aur puchta hai.

Raj: Kyaa huaa.

Sonal: Woh mujhe naa khulfi khaani hai.

Raj ko khulfi sunke kuch yaad aajata hai toh ekpal ke liye woh usme khoo jata hai.

Sonal: Rajjj.

Raj: Haaa. Par abhi kaha milegi khulfi.

Sonal: Woh dekhiye waha khulfi wala khada hai. Aapko pata hai mujhe khulfi bahot pasand hai. Chaliye naa Raj.

Raj: Nhi Sonal tum jao. Mujhe nhi jaaana.

Sonal: Toh phir rehne dijiye. Mujhe bhi nhi khana.

Raj: Aree tumhe mann hai toh khaa lo.

Sonal: Aap nhi khayenge aur main khaa lu. Not possible. Aapko pata hai thand ke mausam mein khulfi khaane ka ek alag hi maza aata hai. Thanda mausam aur saath thandi thandi khulfi.

Raj Sonal ka chehra dekhne lagta hai. Sonal bhi khulfi ko leke bilkul waisa hi behave kar rahi thi.

Raj: Chalo.

Sonal khush hoke nichhe utar jati hai aur daud ke khulfi wale ke paas aati hai. Raj bhi Sonal ke paas aata hai.
Dono khulfi lete hai aur khaane lagte hai.

Raj toh khulfi ko kaat ke khane lagta hai.

Sonal: Aree aree yeh kya kar rahe hai. Aisa khulfi kaun khaata hai.

Raj: Toh aur kaise khaate hai.

Sonal: Khulfi ko maze se dheere dheere chus ke khaane chahiye. Phir woh Raj ko dikhati hai. Dekhiye aisee.

Raj Sonal ko khulfi khaate hue dekhne lagta hai. Jaise waha Sonal naa hoke koi aur ho.

Sonal: Aise kya dekh rahe hai.

Raj: Tumhe aise khulfi khaata dekh kisi ki yaad aagayi. Woh bhi aise hi khulfi ke liye pagal thi aur aise hi khulfi khaati thi. Yeh bolte Raj ki aankho mein dukh bhar jaata hai. Jo Sonal dekh leti hai.

Sonal: Kaun hai woh.

Raj: Choro. Chalo ab chalte hai.

Sonal ko janna toh tha par usne force nhi kiya.

Phir dono car mein baith ke ghar ki taraf aajate hai.
Raat ko dinner ke waqt Ashok Sonal se puchta hai.

Ashok: Sonal beta tumhe achha toh lag raha hai naa. Koi bhi pareshani ho toh Nandini ya Shruti se bolnaa.

Sonal: Jiii.

Ashok: Tumhara college kabse hai.

Sonal: Jii Kalse hai. Mujhe kal join karna hai.

Ashok: Ookkk. Toh pata hai kaise jaana hai.

Sonal: Nhiiii. Mujhe issbaare mein hi baat karni thi.

Ashok: Chinta mat karo. Raj iska college toh humare office ke raaste mein hi padhta hai. Tum kalse roj drop karoge.

Sonal: Nhii nhii Chacha ji. Iski koi jarurat nhi hai. Bas kal raasta dikha denge toh phir main chali jaungi.

Savitri: Bilkul bhi nhiii. Raj tune suna na tere papa ne kya kaha.

Raj: Ji dadi. Main drop kardiya karunga.

Sonal: Par Dadi.

Savitri: Maine bola naa. Aur tumhare wapas aane ka intezaam bhi kardiya jayega. Tumhara kaam kab khatam hoga.

Sonal: Jii 2 baje.

Savitri: Yeh toh problem hogyi.

Sonal: Par main akele karlungi.

Savitri: Maine kaha naa.

Shruti: No Problem main le aaungi. Mera bhi bahar nikala hojayega.

Aarav: Dheere se. Aur Jija ji se milna bhi hojayega.

Aarav ne jo kaha woh kisi aur ne toh nhi par Sonal aur Shruti ne sun liya tha kyoki woh uske bagal mein hi baithe thee.

Shruti ghurr ke Aarav ko dekhti hai toh woh jhepp jaata hai.

Shruti: Lo Sonal hogya.

Sonal: Thank Youuu.

Shruti: Isme Thank You kaisa.

Aarav: Areee didi aap kyo pareshan horahi hai. Main toh saara din free hi rehta hu toh main le aaya karungaa. Sirf le hi kya main chorr bhi aaunga.

Aarav ke aisa bolne se Shruti Nandini Smita Karan aur Ragini usko hi ghurr ke dekhte hai.

Aarav: Kyaaa huaa sab aise kyo ghurr rahe hai.

Smita: Nandini jaldi jao aur iski nazar utaro. Pata nhi kisne ispar jadu tona kiya hai.

Aarav: Kyaa bol rahi ho aap.

Shruti: Mummy thikk bol rahi hai. Humara toh ek kaam tu nhi kartaa aur yaha itna bada kaam karne ke liye tu ready hogya aur woh bhi apne aap.

Aarav: Mann mein. Ab aapko kaise batau. Sonal di ko chorne aur laane ke chakar mein usse jo milna hogaa. Aur milne ka ek solid bahana bhi mil jayegaa.

Nandini: Kyaa baat hai kis soch mein dubb gayee.

Aarav: Aree nhii bhabhi. Aisaa kuch nhi hai. Woh toh Raj bhaiya busy rehte hai. Isiliye unka kaam maine le liyaa.

Shruti: Bhabhi kuch toh garbar hai. Ispe nazar rakhni padegi.

Aarav: Koi garbar nhi hai. Sonal di aapko kal lene aajunga. Good Night. Yeh bol apne room mein chala jaata hai.

Phir sab dinner karke apne room mein chale jaate hai.
 
Well-known member
3,317
5,026
143
Update 10
Sonal apne room mein aake Swati ko call karti hai aur apne gharwalo se baat karti hai. Thodi der unse baat karne ke baad woh so jaati hai.

Idher Swati jab apne room mein akele hoti hai toh woh Yash ka diya hua kagaj dekhti hai toh usme Yash ka number tha.

Number dekh kar Swati ke chehre mein ek muskurahat aajati hai.

Swati: Yeh toh bade tezz nikle. Sidha apna number pakda diya. Kya karu abhi call karu ya nhiii. Kar hi leti hu.

Phir Swati Yash ko call lagati hai. 2 ring hone ke baad call uthta hai.

Swati kuch bolti uske pehle hi udher se ladki ki awaaz aati hai.

Swati(Mann mein): Yeh ladki kaun hai jo is waqt iske paas hai. Jarur Ishita hogi.

Udher se Ishita Hello Hello karti rehti hai.

Yash: Kiska call hai Ishu.

Ishita: Pata nhi bhai. Koi bol hi nhi raha hai.

Yash: Dikhaa mujhe.

Phir Ishita phone deke waha se chali jaati hai.

Yash: Hello.

Swati: Hello.

Yash: Kaun.

Swati: Kisko kisko apna number diya hai jo pehchan bhi nhi paaye.

Yash Swati ke aise bolne se pehchan jaata hai.

Yash: Ooo. Hiiiiii. Sorry phone mein pehli baar awaaz suni na isiliye pehchan nhi paaya.

Swati: Thikkk hai.

Yash: Pahonch gayi tum.

Swati: Haaaaa.

Yash: Okkk.

Swati: Apna number kisliye diya thaa.

Yash: Woh toh aise hi de diya thaa. Bura laga.

Swati: Agar bura lagta toh call karti.

Yash: Kyaa kar rahi ho.

Swati: Kuch nhi bas sone jaa rahi hu. Okk Good Night.

Yash: Itni jaldi bhi kyaa hai.

Swati: Sorry mujhe neend aarahi hai. Byeee.

Yash kuch bolta uske pehle hi Swati call cut kardeti hai aur hasne lagti hai.

Udher Yash apna thaga sa chehra leke baith jaata hai par phir achanak uske chehre mein muskurahat aajati hai.

Woh ek Good Night ka msg kardeta hai. Jiska reply bhi sang sang aajata hai.

Agle din Sonal subah jaldi ready hoke nichhe aajati hai.

Usne ek white suit pehna tha jo uspe bahot hi jyaada achha lag raha tha.

Smita: Toh aaj pehla din hai college ka. Achhe se jaana thik hai. Aur koi problem ho toh Ishita Payal ko boldena woh dekh lengi.

Sonal: Jiii.

Thodi der mein Raj bhi aajata hai. Woh ek nazar Sonal ko dekhta hai phir bolta hai.

Raj: Sonal tum ready hona.

Sonal: Jii. Aap breakfast karlijiye phir chalte hai.

Raj: Okkk.

Phir sab breakfast karne lagte hai. Thodi der mein unka breakfast khatam hojaata hai.

Ashok: Raj Sonal ko dhyaan se le jaana.

Raj: Jiii papa. Chalee.

Sonal: Jiii.

Phir Raj aur Sonal car mein baithke jaane lagte hai.

Raj: Apne documents scholorship letter admission letter leliya naa.

Sonal: Jiii. Aapse kuch bolna thaa.

Raj: Bolo.

Sonal: Kya mujhe leke mandir chalenge. Aaj first day hai naa toh mandir mein bhagwan ke darshan karlu.

Raj: Thikk hai chalo.

Phir Raj Sonal ko leke ek mandir mein jaata hai.

Sonal: Aap nhi chalenge.

Raj: Nhii tum ho aao.

Sonal: Chaliye naa. Mandir mein aake bhagwan ke darshan naa karna bura hota hai.

Raj: Thikk hai chalo.

Phir dono Mandir mein jaate hai.

Sonal darshan karti hai aur Raj bas haath jor leta hai.

Raj: Hogyaaa.

Sonal: Jiii chaliye.

Phir dono Emperial College aajaate hai. College ke bahar hi Ishita aur Payal khadi thi.

Ishita aur Payal: Good Morning Raj Bhaiya. Good Morning Sonal di.

Raj: Good Morning Ishu Payal.

Sonal: Good Morning.

Raj: Sonal main chalta hu. Tum dono isko principal office lejao.

Sonal: Andar chaliye naa.

Raj: Tum jao naa. Koi problem ho toh call karlena.

Sonal: Jiii.

Phir Raj waha se chala jaata hai apne office aur yaha Sonal College ke bahar khadi rehti hai.

Ishita: Chale Sonal di.

Sonal: Haa chalo. Pehle mujhe principal ke office le chalo.

Payal: Chaliyee.

Phir teeno principal ke office aate hai.

Sonal: May I come in Sir.

Principal: Yess.

Sonal andar aati hai toh saamne ek 50+ aged aadmi baithi thi.

Sonal: Good Morning Sir. I am Sonal Singh from Jaipur.

Principal: Oo. The college topper. Tumhare previous college ke principal ka call aaya thaa she is my college friend. Unhone tumhari bahot tareef ki hai. Umeed hai jo performance tumne waha kiya hai woh yaha bhi dikhaogi.

Sonal: I will try my best sir.

Principal: Good. Toh tumhare paas scholorship letter hai.

Sonal: Yes Sir. Phir Sonal apna letter principal ko deti hai toh woh peon ko bulata hai.

Principal: Yeh lejao aur inka admission interior designing ke masters wale course mein kardo.

Peon: Yes Sir. Peon waha se chala jaata hai.

Principal: So Sonal. Tum yaha kisi flat PG ya hostel mein rehti ho.

Sonal: No Sir. Actually mere relatives yaha rehte hai so unke saath. Shayad aapne Kapoor Group of Companies ka naam suna hai.

Principal: Yes Yes. Toh kya woh tumhare relatives hai.

Sonal: Yes Sir.

Principal: Great. Main personally toh nhi jaanta par bahot suna hai unke baare mein. Anyways Best of luck for your new journey.

Sonal: Thank You sir. Phir Sonal waha se bahar aajati hai jaha pehle se hi Ishita aur Payal baithe hue the.

Dono: Hogyaaa.

Sonal: Haaaa. Kya mujhe mera class dikha dogi.

Payal: Di. Abhi class mein time hai. Chaliye tab tak aapko college ghuma dete hai. Usme aapka class bhi aajayega.

Sonal: Okk.

Phir Sonal unndono ke saath college ghumti hai jisme unndono ki aur 2 friends bhi join karti hai.

Idher Raj jab office jaata hai toh Yash waha pehle se baitha hua thaa.

Raj: Tu kaun hai aur yaha kya kar raha hai. Aur Yash kaha hai.

Yash: Subah subah nasha kiya hai yaa neend puri nhi hui hai. Tere saamne hi toh baitha hua hu.

Raj: Tu Yash nhi hosakta. Kyoki jo time pe yaa time se pehle kahi pe aajaye woh Yash nhi hosakta. Yeh bol hasne lagta hai.

Yash: Hasle beta hasle. Par abse roj time pe aaungaa.
Raj: Aur itni meharbaani ka karan.

Yash: Ab kalko shaadi hogi meri. Agar time pe sab naa kiya toh biwi naraz hojayegi. Isiliye abhi se practice kar raha hu.

Raj: Waahh kyaa baat hai. Aur achanak yeh khayal kyo aaya.

Yash: Bass ab bhaiya ki sagai hogyi. 1 mahine baad shaadi hai uske baad toh mera hi number hai na.

Raj: Ladki kaun hai.

Yash: Kya bol raha hai. Kaisi ladki kaunsi ladki.

Raj: Wahi ladki jiske pichhe tu yeh sab kar raha hai. Tujhe achhe se jaanta hu. Chal bata.

Yash: Hadbada ke. Nhiii bhaiii aisi koi baat nhi hai. Agar koi hogi toh sabse pehle tujhe hi bataunga promiseee. Waisee Workaholic Raj Kapoor aa late kaise.

Raj: Wohhh Sonal ko uske college chorne gaya tha usi mein late hogyaa.

Yash: Kyaa baat hai. The Raj Kapoor ek driver ki duty kar raha hai.

Raj: Koi driver ki duty nhi hai. Woh yaha pe nayi hai. Isiliye dadi ne order diya hai usko college chorne kaa.

Yash: Isko ek tarah se driver hi bolte hai. Lage raho. Achhi baat hai. Waise sirf chorne ke liye bola laane ke liye nhi.

Raj: Hogyaa teraa. Ab kaam karle thoda. Aur laane ke liye Aarav ke haa bola hai.

Yash: Jii driver ji. Chaliye. Yeh bol hasne lagta hai. Raj bhi has deta hai.

Yash ko Raj ka yeh change bahot achha lag raha tha woh bahot khush thaa.
 
Well-known member
3,317
5,026
143
Update 11
Dopaher ko Aarav time se pehle se college aajata hai aur parking mein hi wait karne lagta hai.

Thodi der baad college ki chutti hoti hai toh wohlog bahar aate hai.

Payal: Sonal di. Aap kaise jayengi.

Sonal: Woh Aarav ne bola tha woh aayega lene.

Payal: Kyaa aapne usske baato mein vishwaas karliya. Woh ek number ka jhootha hai.

Ishita: Nhii Payal aisa nhi hai pata nhi tum kyo unhe galat samajti ho.

Payal: Bekhayali mein. Ek time tha jab main bhi sahi samajti thi. Abhi bhi chahti hu bas unhe jo kaam diya hai woh kardee.

Ishita: Kyaa bole jaa rahi ho.

Payal: Nhi kuch nhi. Aap usko call karo dekho woh kaha hai.

Sonal Aarav ko call karti hai.

Aarav: Jii Sonal di boliye.

Sonal: Aarav mera college over hogya hai. Tum aane wale the naa.

Aarav: Jii di main toh kabse parking mein hi aapka wait kar raha hu. Aap aajaaiye.

Sonal: Ookk okk. Phir call cut hojaata hai.

Payal: Kyaa huaa nhi aaya naa.

Sonal: Nhiii woh kabse parking mein wait kar raha hai.

Ishita: Dekhaa maine kaha tha naa.

Payal ko yeh sunke achha lagta hai ke Aarav aaya hai.

Phir teeno waha se parking mein jaate hai. Jaha Aarav Car ke bonet pe baitha hua thaa.

Ishita: Hii bhaiyaa.

Aarav: Hii Ishu.

Ishita: Bhaiya aapko pata hai yeh Payal kabse bole jaarahi thi aap nhi aaoge. Aapko koi kaam bolna bekaar hai.

Aarav ekbaar Payal ko dekhta hai toh woh dusri taraf chehra kiye hue thi par uska dhyaan pura Aarav ke upar hi thaa. Aur woh yeh dekh kar halka sa has deta hai.

Aarav: Lekin ab aisa nhi hai. Mujhe jo bhi kaam diya hai woh pura karta hu. Aur jo pending hai usko jald se jald pura karne wala hu. Yeh usne Payal ko hi bola thaa.

Payal: Dheere se. Dekhte hai kitni himmat hai.

Aarav: Di chale.

Sonal: Chalo. Byee Payal Ishita.

Dono: Byee di.

Aarav: Byee Ishu.

Ishita: Byee bhaiyaa.

Aarav Payal ko bina kuch bole car mein baith jaata hai Payal ko bura lagta hai. Par woh kuch nhi bolti. Par tabhi uske mobile mein ek msg aata hai. Jisko dekhne ke baad uske chehre mein ek smile aajati hai aur woh Aarav ki taraf dekhti hai.

Msg Aarav ka hi tha aur usne likha thaa. Aaj bahot pyaari dikh rahi ho. I love you.

Payal koi reply toh nhi karti par Aarav ki taraf dekh kar ekbaar halka ka smile karti hai.

Phir Aarav Sonal ko leke nikal jaata hai.

Ishita: Yeh Aarav bhaiya ne tujhe byee nhi kaha.

Payal: Mann mein. Ab usko jo kehna tha usne toh woh keh hi diya hai. Phir jor se bolti hai. Chorr naa. Chal chalte hai.

Phir dono ghar ki taraf nikal jaate hai.

Idher Car mein Aarav Sonal se puchta hai.

Aarav: Kaisa raha hai aaj ka din. College mein koi problem toh nhi hui naa.

Sonal: Aajka din achha raha aur koi problem nhi hui. Btw Thank You.

Aarav: Yeh kisliye.

Sonal: Mujhe lene aane ke liye.

Aarav: Aree isme Thank You kaisaa.

Sonal: Tum mujhe apni behen maante ho naa.

Aarav: Aree behen bhi aur dost bhi. Par aisa kyo pucha.

Sonal: Agar behen bhi aur dost bhi maante ho toh ekbaat puchungi uska sach sach jawab doge.

Aarav: Puchiye naa.

Sonal: Tumhare aur Payal ke beech kuch hua hai kyaa.

Aarav yeh sunte hi jhatt se break marta hai.

Aarav: Hadbada ke. Yehh aap kyaa keh rahi hai. Aisaa kuch nhi haii.

Sonal: Toh tum itna ghabra kyo rahe ho. Jaise koi chori pakdi gayi ho.

Aarav: Nhiii aisaa kuchh nhi hai.

Sonal: Toh woh tumse aise kyo baat karti hai. Jaise kuch sunna rahi ho. I means jaise taunt mar rahi ho.

Aarav: Wohh wohh toh uski aadat hai.

Sonal: Main jyaada toh nhi jaanti par usko kisi se bhi waise baat karte nhi dekha jaise tumse dekha hai. Agar nhi batana chahte toh koi baat nhi.

Aarav: Aree nhi nhi di. Aisi baat nhi hai. Thikk hai aapko batata hu. Par promise karee kisi se bhi yeh baat nhi karengi. Kisi se bhi nhi matlab kisi se bhi nhiii.

Sonal: Aisi kyaa baat hai Aarav.

Aarav: Pehle aap promise kijiyee.

Sonal: Achha thikk hai promise.

Aarav: Wohhh actually main aur Payal actually hum ekdusre se pyaar karte hai aur shaadi karna chahte hai.

Sonal: Shock aur hairani se. Whattttttt.

Aarav: Haaa didi. Aur yeh aaj ya kal se nhi hai tab se hai jab se shayad bhaiya aur bhabhi bhi ekdusre ko nhi jaante. Actually hum ekhi school mein the aur wahi se hum ekdusre ko pasand karte hai. Phir jab bhaiya aur bhabhi ekdusre ko pasand karne lage toh hum bahot khush hue kyoki isse humara rasta clear hota gaya. Phir jab bhaiya aur bhabhi ki shaadi hogyi. Toh usne mujhse bola main apne ghar mein humare rishte ko leke baat karu. Par main darta hu iss mamle mein baat karne se. Aur maine usse bola meri shaadi mein time hai pehle didi aur Raj bhaiya ki hojayegi tabhi baat karunga. Par woh issbaat se gussa hogyi aur waisa behave karne lagi. Par aaj bhi bahot pyaar karti hai aur bas yeh shaitaani karti rehti hai.

Sonal: Oooo toh yeh baat hai. Toh tum ghar mein baat kyo nhi kar rahe ho. Shaadi baat mein hogi par baat toh karke rakho. Aur shayad isiliye tumne mujhe chorne aur laane ki baat ki taaki usse mil sako.

Aarav: Wahi toh darta hu didi pata nhi ghar mein sab kya sochenge aur kyaa bolenge aur jab tak didi aur bhaiya ki shaadi nhi hojati tab tak ke liye hi ruka hua hu. Didi ki toh samjho hogyi. Tension bas Bhaiya ka hai. Unka kuch samaj nhi aata. Jabse college complete hua hai unko toh jaise sirf business hi dikhta hai. Kai ladkiyon ne propose kiya. Par woh mana kardete hai. Pata nhi kya chahte hai woh. Aur yeh baat woh pagal samajna hi nhi chahti. Aur koi toh bahana chahiye naa. Aur bahana aapne saamne se laa diyaa. Yeh bol has deta hai.

Sonal jab sunti hai kai ladkiyon ne Raj ko propose kiya toh ekbaar toh usko bahot gussa aaya par baad mein shant bhi hogyaa.

Sonal: Dekho woh bas masti kar rahi hai. Ek kaam karo usko kahi milne bulao aur saath time spend karo. Dekhna shaitaani band hojayegi.

Aarav: Dekhte hai. Usdin ghar aayi thi kitni koshish ki baat karne ki par bahot bhao khaati hai.

Sonal: Yeh toh hum ladkiyon ki adaa hai. Isko toh jhelna hi padega. Yeh bol hasne lagti hai. Aur tum main baat kya hai jaante ho. Woh darti hai tumhe khone se. Usko darr hai kahi tumhari yaa uski shaadi kahi aur fix naa hojaaye isiliye woh tumhe baat karne ko kehti hai. Tum naa ek kaam karo bhabhi se bolke rakho toh woh sab sambhal lengi. Ab unki behen humesha unke paas rahegi isse jyaada khushi kisko hogi.

Aarav: Haaa yeh aapne thikk kaha. Main jald hi bhabhi se karungaa.

Phir dono ghar aate hai.

Nandini: Kyaa baat hai itna late kaise hogye. Yeh time se nhi pahoncha tha kyaa.

Sonal: Aree nhii bhabhi Aarav toh time se pehle hi aagaya tha woh raaste mein traffic milgaya tha isiliye late hogyi.

Nandini: Kyaa baat hai Aarav. Sudhar rahe ho.

Aarav: Main toh sudhra hua hi tha par kisi ko dikha hi nhi. Chaliye ab mujhe khana dijiye bahot bhukk lagi hai.

Nandini: Haa jaao fresh hojao lunch ready hai.

Phir dono apne apne kamre mein chale jaate hai aur fresh hoke lunch kar lete hai

Aarav: Bhabhi aapse kuch baat karni thi.

Nandini: Haa bolo.

Aarav: Aah abhi nhi baad mein. Main boldunga.

Nandini: Thikk hai.

Sonal lunch karke apne room mein aake rest karne lagti hai.

Raat ko Dinner table pe sab saath mein baith ke dinner kar rahe the.

Smita Raj ko serve karne aati hai toh woh mana kar deta hai.

Smita: Thoda sa le lo Raj. Maine khaash tumhare liye banaya hai.

Raj: Sorry mann nhi hai. Yeh bol woh apna khaana khane lagta hai.

Sonal yeh dekhti hai toh usko bahot ajeeb lagta hai. Itne din mein usko yeh toh pata chal chuka tha Raj apni maa se thik se baat nhi karta. Unko ignore karta hai. Par kyo yeh nhi pata tha.

Smita namm aankho se usko dekhti hai phir dusro ko serve karne lagti hai.

Smita jab khaane baithti hai toh woh sab leti hai par woh chiz nhi leti jo Raj ne nhi chuaa tha. Yeh roj ka tha. Raj jo jo khaata Smita bhi wahi sab khaati.

Thodi der mein sabka khaana hojaata hai. Phir sab apne apne room mein chale jaate hai.

Sonal: Yeh Raj apni mummy se aise kyo behave karte hai. Baaki sab se toh woh achhe se baat karte hai par unke saath hi aisa behave karte hai. Unko ignore karte hai. Aur maine dekha hai jab tak Raj naa khaa le woh nhi khaati. Aur jo jo chize Raj khaate hai woh bhi wahi sab chize khaati hai. Aakhir aisi kya baat hai jo Raj apni mummy se aisa behave karte hai. Pata lagana hoga.

Phir woh apne ghar call karti hai.

Meera: Sonal beta kaisi ho tum. Khaana khaaya naa thik se. Tumhe waha achha toh lag raha hai naa.

Sonal: Haa mummy main thik hu. Khaana bhi thik se khaaya hai aur mujhe yaha bahot achha lag raha hai. Yeh mujhe bilkul apni beti ki tarah pyaar karte hai. Aap tension mat lijiye.

Meera: Kaise tension naa lu. Pehli baar tumhe khud se durr kiya hai. Ek maa ke dil ka haal tum nhi samjhogi.

Sonal: Mummy agar aap aisa karengi toh main kal hi aajaungi.

Meera: Nhii Sonal. Tum apni padhai achhe se karke aana.

Sonal: Achha bataiye. Baaki sab kaise hai. Aap kaisi hai.

Meera: Main bhi achhi hu aur baaki sab bhi achhe hai. Bas tu jaldi se apni padhai khatam kar mere paas wapas aaja.

Sonal: Jii mummy. Achha mummy ab rakhti hu. Good night.

Meera: Good Night beta.

Phir call cut hojaata hai. Sonal ko neend nhi aarahi thi isiliye woh terrace pe chali jaati hai.

Kab Sonal terrace pe aati hai toh waha Raj pehle se tha.

Sonal: Hii Raj.

Raj: Oo. Hii Sonal. Soyi nhi abhi tak.

Sonal: Neend nhi aarahi thi. Isiliye socha thoda terrace pe ghum lu. Aapko bhi neend nhi aarahi hai.

Raj: Keh sakti ho. Aur batao kaisa gaya 1st day.

Sonal: Achha thaa. Aaj toh bas introduction hi hua. Padhai shayad kal se ho.

Raj: Hmmm achha hai.

Sonal: Raj jaipur chorne ke baad kya ekbaar bhi aapko meri I mean humari yaad nhi aayi.

Raj: Pehle pehle aati thi. Phir jaise jaise bade hote gaye waise waise apni life mein busy hote gaye aur yaad aani bhi kam hogyi.

Sonal: Waise aap kaafi badal gaye hai.

Raj: Aur aisa kyo laga.

Sonal: Bachpan mein aap hasi mazaak karte the par ab toh woh sab aap mein durr durr tak nhi dikhta.

Sonal: Kehte hai humhe humara bachpan kabhi nhi bhulna chahiye. Kyoki wohi ek pal sabse sachha aur achha hota hai.

Raj: Bahot gyaan bhari baate karna shikk gayi ho.

Sonal: Aap hi ne kaha naa jaise jaise bade hote hai sab kuch badalta hai.

Raj: Achhaa toh meri baat mujhpe hi.

Sonal has deti hai. Raj bhi thoda has deta hai.

Sonal: Aise hi haste raha kijiye Raj. Aap achhe dikhte hai haste hue.

Raj: Hmmm. Chalo ab so jaao. Phir kal subah nikalna hai.

Sonal: Jiii. Good night Raj.

Raj: Good Night.

Phir dono apne apne kamre mein aake sojaate hai.
 
Well-known member
3,317
5,026
143
Update 12
Idher Jaipur mein Vicky ko pata chala Sonal ki family wapas aagayi hai. Woh dusre din hi waha jaata hai.

Vicky: Good Morning aunty.

Meera: Aree Vicky aao. Good Morning. Aaj subah subah yaha kaiseee.

Vicky: Bas Sonal se milne aagaya. Waise aaplog kahi gaye the kyaa. Main aaya tha toh ghar band thaa.

Meera: Haa woh hum mumbai gaye the humare relatives ke yaha function tha. Aur Sonal toh nhi hai.

Vicky: Kahi bahar gayi hai. Thik hai main wait karta hu.

Meera: Thikk hai phir baitho 2 saal tak.

Vicky: Kyaa 2 saal.

Meera: Haaa. Kyo tumhe nhi pata. Sonal 2 saal ke liye mumbai chali gayi hai.

Vicky ko yeh sunke bahot bada jhatka laga. Usko nhi pata tha aisa bhi hosakta hai.

Vicky: Kyaaaa. Kisliyee.

Meera: Tum college mein jaate bhi ho yaa nhi aree usko scholorship mila tha aage ki padhai ke liye isiliye woh chali gayi.

Vicky: Par mujhe issbaare mein kuch nhi pata aur naahi Sonal ne bataya.

Meera: Shayad bhul gayi hogi.

Vicky ko yeh sunke bahot gussa aata hai woh sochta hai Sonal aise kaise jaa sakti hai ekbaar bhi mujhe nhi bataya. Kaha main usse shaadi ke sapne dekh raha tha aur kaha woh yaha se chali gayi. Phir woh kuch sochta hai aur waha se nikal jaata hai. Meera ko awaaz dete rehgayi.

Meera: Ajeeb ladka hai. Bina kuch bole hi chala gaya.

Tabhi pichhe se Samar aata hai. Kyaa baat hai mom kaun bina bole chala gaya.

Meera: Aree woh Vicky aaya tha jab usko pata chala Sonal mumbai chali gayi toh bina kuch bole hi chala gaya.

Samar: Kyaa aapne usse bata diyaa.

Meera: Toh kyaa hogya. Sonal ka dost hai usse pata hona chahiye. Chal jaldi se nashta karle phir college ke liye nikal. Yeh bol Meera waha se chali jaati hai.

Idher Samar apne aap se bolne lagta hai.

Samar: Aree yaar yeh toh achha nhi hua. Didi ko bolta hu. Phir woh Sonal ko call karta hai.

Sonal: Good Morning bhai.

Samar: Good Morning didi.

Sonal: Kyaa baat hai aaj subah subah meri yaad kaise aagayi.

Samar: Didi woh actually aapka aashiq aaya tha toh mummy ne usse bata diya aap mumbai chali gayi.

Sonal: Gusse se. Aashiq my foot. Boldiya toh boldiya. Mujhe kyaa. Woh waha jaipur aur main yaha mumbai.

Samar: Dekhlo di.

Sonal: Koii naa. Aur bata kaisa hai tu.

Samar: Main mast hu. Aur ab toh aapka kamre mein mera raj hai. Waise Raj se yaad aaya Raj bhaiya kaise hai. Aapka kuch hua kya unke saath. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal: Tu naa mere kamre se durr hi rehna. Main humesha ke liye yaha nhi aayi hu. Agar mere kamre ko kuch bhi hua naa toh tujhe chorungi nhi. Aur Raj ke saath kya hona hai.

Samar: Aree bhul gayi. Maine bola tha naa Raj bhaiya aur aapki jodi.

Sonal yeh sunn sharma jaati hai. Par phir dikhawa karke bolti hai. Tunaa bahot pitega mere se. Chal phone rakh college ke liye late horaha hai. Apna aur sabka khayal rakhna.

Samar: Aap bhi apna khayal rakhna aur I missed my Shinchan.

Sonal: Me too my Kazama.

Phir call cut hojata hai.

Aise hi time guzarta gaya. Raj aur Sonal achhe dost ban gaye the. Raj Sonal ko kabhi kabhi apne office lejaata tha. Waha bhi sab Sonal se impressed hue the.

Raj ab dukhi nhi hota tha. Woh hasta tha. Family mein sabke saath baithta tha. Yeh kehna galat nhi hoga yeh sab Sonal ki wajah se hua tha. Sonal ki wajah se dukhi aur gumsum rehne wala Raj badal raha tha. Aur yeh change Nandini Shruti Yash Karan Ishant ko bahot achha lag raha tha. Unhone bhi dekha tha Sonal ke saath Raj khush rehta tha.

Sonal ka pyaar ab Raj ke liye aur badh jaata hai. Woh subah utne ke baad sabse pehle Raj ka chehra dekhti hai uske baad hi kuch aur karti hai.

Yash aur Swati ki gaadi bhi aage badh chuki thi. Dono call mein ghanto baate karte. Ek dusre ki pasand naa pasand jaante. Dono hi jaante the woh ekdusre se pyaar karte hai par kisi ne ekdusre se bola nhi tha.

Aarav ne Nandini se Payal ko leke baat karli thi jisse woh bahot khush hui. Usne bhi Aarav ko boldiya tension free raho Payal humesha ke liye Kapoor House hi aayegi uski choti devrani banke.

Samar aur Ishita ke beech baat toh hoti thi par bahot kam sirf social media pe. Ishita ko Samar ke saath aisa karne mein bahot maza aaraha tha.

Shruti ki shaadi ke liye Deepak and family wapas mumbai aajate hai jiske liye Yash kuch jyaada hi khush tha. Saath mein Ishita bhi.

Yash aaj Raj ke saath uske ghar aaya tha reason tha Swati ko dekhna.

Yash aur Swati ki nazar jab ekdusre se milti hai dono bahot khush hote hai. Dono akele time bitana chahte the par family ke beech kuch kar nhi paaye.

Dusre din Shruti ki mehendi aur Sangeet tha.

Smita: Yash kal mehendi aur Sangeet hai. Toh subah hi tumsab ko yaha aajana hai yaad hai naa.

Yash: Jii Aunty yaad hai. Hum teeno subah hi aajayenge.

Meera Yash ko dekh rahi thi uska behaviour uske baat karne ka salikha sab notice kar rahi thi.

Yash: Thik hai Aunty toh ab main chalta hu. Kal subah milta hu.

Smita: Thik hai.

Phir Yash sabke pairr chuke waha se nikal jaata hai.

Raat ko khaane ke baad Swati aur Sonal ek kamre mein baithe the.

Swati: Aur bata Sonal kitna durr pahoncha tera pyaar.

Sonal: Sab achha chal raha hai di. Main aur Raj ab achhe dost hai. Hum pehle din se hi saath office aur college jaate hai. Raj kabhi kabhi mujhe apne office bhi le jaate hai. Par abhi tak pata nhi chal raha hai unke dil mein mere liye kya feelings hai. Mujhe toh lagta hai woh bas mujhe ek achha dost hi maante hai.

Swati: Tumlog ajnabee se achhe dost banee ho. Toh achhe dost se aage bhi badh jaoge. Himmat mat haro.

Sonal: Jiii dii. Waise aapne mere liye koi jiju khoja yaa nhi. Kyoki aapke pehle toh mera kuch nhi hosakta.

Swati: Kya Sonal tum bhi. Aisa kuch bhi nhi hai.

Sonal: Toh aap sharma kyo rahi hai.

Swati: Ab tum aise puchogi toh sharm toh aayegi hi naa.

Sonal: Achha.

Swati: Achha chal ab so jaa. Main bhi bahot thakki hui hu. Good night.

Sonal: Good night di.

Phir Swati jaldi se apne room mein bhagg jaati hai.

Agle din Subah subah hi Yash Ishant aur Ishita aagaye the. Ab unke parents toh the nhi isiliye Vijay aur Ragini inke parents banke sab kar rahe the.

Shruti ko ek jagah baitha ke mehendi lagayi jaati hai. Sonal bhi Shruti ko mehendi laga rahi thi.

Thodi der baad Shruti ko mehendi laga dete hai. Phir baaki sab bhi mehendi lagane lagte hai.

Sonal mehendi lagwane ke baad ek jagah baithi hui thi. Par uske baal baar baar uske face pe aarahe the jisse woh pareshan ho rahi thi. Tabhi waha Raj aata hai.

Sonal: Rajjjj.

Raj: Haa Sonal.

Sonal: Rajj meri ek help kardenge. Pleaseeee.

Raj: Haa bolo.

Sonal: Sharma ke. Woh Raj actually mere haatho mein mehendi lagi hai aur mere baal baar baar mere chehre pe aarahe hai aur mujhe bahot pareshani horahi hai toh kya aap mere baal ko thik kardenge.

Raj: Yeahh Sureee.

Phir Raj Sonal ke bagal mein baithke apne haatho Sonal ke baal ektaraf kardeta hai. Sonal Raj ke aisa karna se sharma rahi thi.

Sonal: Thank you Raj.

Raj ek smile karke waha se chala jaata hai. Par Sonal ko lagraha tha jaise Raj abhi bhi uske baalon se khel raha hai.

Sham ko Sangeet ke liye sab ready hoke nichhe aate hai.

Ragini: Nandini Karan Raj Sonal Yash Swati Aarav Payal Ishita Samar aaj tumhari behen ki sangeet hai. Dhamaal machao naacho gaao.

Shruti: Haaa Badi mummy. Maine aisa rukha sukha Sangeet aaj tak nhi dekha. Bhabhi kyaa mera sangeet aisa rukha sukha hogaa.

Nandini: Aree mere hote hue aisa hosakta hai. Karan chaliye start kijiye.

Karan: Ab biwi ka order hai start toh karna padega. Yash Samar chal aaja.

Aarav: Bhaiyaa aap bhi chaliye naa.

Shruti: Rajj kyaa apni didi ke liye aaj nhi gaaye gaa.

Phir Raj gaane lagta hai. Sonal toh bas uski awaaz mein hi kho gayi thi. Usko dhyaan hi nhi raha kab Raj ne apna gaana khatam kardiya.

Swati: Sonal tu bhi kuch gaa naa. Tu bhi toh kitna achha gaati hai.

Sonal: Nhii dii. Kya aap kuch bhi bol rahi hai.

Shruti: Gaao naa Sonal.

Sonal: Nhii di.

Raj: Gaa bhi do Sonal. Yaha sab apne hai.

Ab Raj ka kaha hua jo naa kare woh Sonal nhi.

Sonal bhi gaane lagti hai. Raj bhi usko gaate hue dekhta hai. Thodi der mein Sonal ka gaana bhi hojaata hai.

Phir Karan Nandini Aarav Samar Yash Ishita Payal yehlog dance karte hai. Shruti aur Ishant ko bhi join karwaya gaya.

Phir ceremony khatam hoti hai saare mehmaan apne apne ghar chale jaate hai. Ishant Yash aur Ishita ko wahi rok liya jaata hai.

Yash ke waha rukne se Swati khush thi.

Thodi der baad sab dinner karke apne apne kamre mein chale jaate hai. Yash Raj ke kamre mein chala jaata hai toh Ishant ko alag kamra diya jaata hai Aarav ke kamre mein hai Samar hota hai.

Agle din haldi aur shaadi thi. Subah sab jaldi uth ke apne apne kaamo mein lag jaate hai.

Sabse pehle Ishant ko haldi lagayi jaati hai phir wahi haldi Shruti ko lagayi jaati hai. Phir dono ko nehlaya jaata hai.
Dekhte dekhte shaadi ka time hojaata hai.

Sab log taiyaar hoke bahar garden mein aajate hai jaha shaadi ka mandap tha.

Pandit mantra padh raha tha Ishant Mandap mein baitha tha. Smita Ashok Vijay Ragini Savitri Karan Raj Aarav Samar Yash sab wahi khade the. Ladkiyan Shruti ke saath thi usko taiyaar kar rahi thi.

Thodi der baad ladkiyan Shruti ko leke aate hai. Ishant toh Shruti ko dekhta hi reh jaata hai. Uski nazar hi nhi hat rahi thi.

Yash: Dheere se. Bhaiyaa aisa kya dekh rahe ho. Aaj se woh aapki hi hai.

Ishant Yash ki baat se jhepp jaata hai. Shruti ne ek golden red colour ka shaadi ka joda pehna tha. Jo uske gore rang pe bahott jyaada suit kar raha tha. Chehre pe achhe se makeup kiya hua tha. Uski shaadi mein usse jyaada khubsoorat aur koi nhi lag raha tha.

Ladkiyan Shruti ko laake Ishant ke bagal mein baitha deti hai. Phir sab apni apni jagah jaake khade hojaate hai.
Nandini jaake Karan ke bagal mein khadi hojaati hai. Swati bhi Yash ke bagal mein khadi hojaati hai. Samar aur Ishita eksaath khade rehte hai. Aur humari Sonal woh toh Raj ke bagal mein hi khadi hoti hai.

Sonal jab Raj ke bagal mein khadi hoti hai toh Raj usko dekhta hai. Uski nazar uspe hi thi. Blue colour ka lehenga pehna tha uspe makeup jo uske gore rang pe chaar chand laga raha tha.

Sonal: Aise kyaa dekh rahe hai.

Raj: Bahot achhi dikh rahi ho.

Sonal: Sharmake. Thanks. Aap bhi achhe dikh rahe hai.

Raj: Shukriya.

Phir shaadi ki rashm start hoti hai. Smita aur Ashok Shruti ka kanyadaan karte hai. Kanyadaan karte waqt Smita ki aankho mein aansu aajate hai. Phir fhere hote hai. Phir Ishant Shruti ko mangalsootra aur Sindoor pehanata hai.
Phir yeh khade hoke sabka aashirwaad lete hai.

Dekhte dekhte bidai ka waqt aajata hai. Shruti apni dono maa aur dadi ke gale lagke khub roti hai. Smita aur Ragini ki aankho mein bhi aansu the woh bhi ro rhe hai. Unko aise rote dekh baaki sabki aankho mein bhi aansu the.

Phir Shruti Ashok aur Vijay ke gale lagke roti hai.

Phir apni bhabhi bhaiya aur apne sabhi bhai ke gale lagke roti hai.

Raj: Apna khayal rakhiyega di.

Shruti: Tu bhi apna khayal rakhna. Aur dukhi mat honaa. Tu samaj raha hai naa.

Raj apni gardan haa mein hilata hai.

Phir Shruti Sonal Swati Samar se milti hai.

Shruti: Sonal Thank youu. Tumhari wajah se mera bhai hasta hai akelepan se durr rehta hai.

Sonal Shruti ke gale lag jaati hai.

Phir Shruti Ashok aur Vijay ke paas aati hai.

Shruti: Papa Bade papa chalti hu. Kuch galti hui ho toh maaf kardijiyegaa.

Dono wapas usse gale laga lete hai.

Shruti: Aarav.

Aarav: Jii didi.

Shruti: Sabka khayal rakhna aur apna bhi.

Aarav: Aap bhi apna khayal rakhiyegaa.

Phir Shruti Ishant ke saath gaadi mein baithke apne ghar chali jaati hai. Yash aur Ishita bhi unke piche dusri gaadi mein chale jaate hai.

Phir sab ghar ke andar aate hai. Kisi ka khaane ka mann nhi tha. Par Meera Swati aur Sonal ne sabko thoda bahot khila diya.

Phir sab apne apne kamre mein sone chale gayee.

Par Raj terrace pe aagaya tha. Thodi der baad Sonal bhi terrace pe jaati hai.

Sonal: Neend nhi aarahi hai kyaa.

Raj: Bas di ki yaad aarahi hai. Tum yaha kaise. Tumhe neend nhi aarahi hai.

Sonal: Nhii. Aur aap chinta mat kijiye woh bahot khush hai.

Raj: Pata hai. Jab aapko aapka pyaar milta hai toh aapse khushkismat koi nhi hota.

Sonal: Sahi kaha. Aur sabko sabka pyaar milna hi chahiye.

Raj: Sabko sabka pyaar nhi milta Sonal. Kuch logo ki kahani adhuri hi reh jaati hai.

Sonal: Main samjhi nhi. Kiski kahani adhuri reh gayi.

Raj: Aah kuch nhi. Choro chalo sone. Good night.

Yeh bol Raj waha se apne room mein aajata hai. Par Sonal wahi khadi rehti hai aur Raj ki kahi hui baat ko sochne lagti hai.

Sonal: Yeh Raj ne aisa kyo kaha. Aur jis serious tone mein kaha tha usse yeh toh pata hai yeh sach thaa. Naaki koi kahawat thi. Aise hi kuch der sochne ke baad Sonal apne room mein chali jaati hai.
 
Well-known member
3,317
5,026
143
Update 13
Agle din Shurti pag fhere ki rashm ke liye Kapoor House aati hai. Woh bahot khush nazar aati hai. Shruti ko khush dekh kar baaki sab bhi bahot khush the.

Deepak: Maa. Sham ko humhe bhi jaana hai.

Savitri: Itni jaldi kya hai Deepak.

Deepak: Nhii Maa. Kaam chor ke aaye hai aur Samar bhi apni college ko chor ke aaya hai.

Savitri: Thikk hai. Par agli baar jyaada din ka samay leke aana.

Deepak: Jarur.

Jaane ki baat sunke Yash aur Swati ekdusre ko dekhte hai. Unka chehra utar chuka tha. Par woh kuch nhi kar paate hai. Unke dil mein toh ekdusre ke saath akele time spend karna tha par kaise kare yeh nhi pata tha.

Swati: Papa humhe sham ko jaana hai naa.

Deepak: Haaa.

Swati: Toh main mumbai ke famous SiddhiVinayak mandir ke darshan kar aau. Pata nhi phir kab aana ho.

Deepak: Haa haa kyo nhi. Jao. Par tum jaogi kaise. Tumhe toh raasta pata nhi hai.

Tabhi Yash jhapak se bolta hai.

Yash: Agar aaplogo ko problem naa ho toh main le jau.

Raj durr khada Yash ki taraf hi dekh raha tha. Woh samaj raha tha sab kuch. Woh Sonal ko ishara karke apne paas bulata hai.

Sonal: Kya hua Raj.

Raj: Ek jhooth bologi.

Sonal: Kyaa.

Raj: Maine kaha ek jhooth bologi.

Sonal: Maine sabko sach bologi aisa bolte suna hai. Aap pehle aise hai jo jhooth bologi bolrahe hai.

Raj: Ab main thoda alag hu. Bolo bologi.

Sonal: Aap bole aur Sonal naa kare aisa kabhi nhi hosakta. Boliye kya bolna hai.

Raj: Swati abhi Mandir jaana chahti hai aur Yash usko le jaraha hai.

Sonal: Haa.

Raj: Toh tum ekbaar bolo tumhe bhi jaana hai phir baad mein bolna nhi jaa sakti ek kaam yaad aagaya.

Sonal: Aisa kisliye bolu. Main bhi sang jaati hu naa unke.

Raj: Aree main tumhe baad mein personally le jaunga. Abhi jo bola hai woh kardo.

Sonal: Sachhh.

Raj: Tumhe vishwaas nhi hai.

Sonal: Khud se jyaada hai. Par baad mein reason bhi bolenge aap.

Raj: Thik hai. Ab jaldi jaao.

Sonal waha se sabke paas aati hai. Tab tak Yash ko permission mil chuki thi Swati ke saath akele jaane ki.

Sonal: Dii chaliye main bhi chalti hu. Main bhi darshan karlungi.

Sonal ke aisa bolne se dono ka chehra utar jaata hai. Aaj pehli baar Swati ko Sonal ke upar gussa aaraha thaa.

Swati(Mann mein): Khud toh harwaqt apne pyaar ke paas rehti hai. Aur ab mujhe ek mauka mila hai mere pyaar ke saath thoda time spend karne ka toh kabab mein haddi kyo ban rahi hai. Kisi ne sach hi kaha hai jab ghar mein hi dushman bhade pade ho toh bahar walo ki kya jarurat.

Yash(Mann mein): Aree yaar aaj pehli baar toh time mil raha tha akele time spend karne ka toh usme bhi Sonal aagayi beech mein. Lagta hai mere naseeb mein hai hi nhi Swati ke saath akele rehna.

Raj waha aata hai aur dekhta hai Swati aur Yash dono ka chehra hi utra hua hai.

Meera: Haa thik hai chali jao. Swati ko kya problem hogi.

Swati: Bemann se. Haa haa chalo mujhe kyaa.

Sonal Raj ki taraf dekhti hai toh woh ishare se bolta hai bolo nhi jaana hai.

Sonal: Oohoo nhi jaa sakti. Mujhe abhi yaad aaya mujhe college ka ek jaruri kaam karna hai. Shaadi ke kaam mein bhul hi gayi thi.

Swati aur Yash yeh sunke khush hojate hai. Ab woh aur risk nhi lena chahte the.

Yash: Swati chalo. Phir tumhe wapas bhi jaana hai naa.

Swati: Haa chaliye.

Dono jaldi se waha se nikal jaate hai. Unki aisi halat dekh Raj thoda has deta hai.

Sonal Raj ko dekhti hai toh woh bolta hai bahar garden mein aao.

Thodi der baad dono garden mein jaate hai.

Sonal: Ab boliye aapne mujhse aisa kyo karwaya.

Raj: Aree bolta hu bolta hu. But aaj main bahot khush hu.

Sonal Raj ko khush dekh kar bahot khush hoti hai.

Raj: Aur yeh khushi tumhari help se bhi aayi hai Thank You.

Sonal: Khush hoke. Aapke liye kuch bhi Raj. Ab boliye na aapne aisa kyo karwaya.

Raj: Mera bhai Yash. Aaj tak kabhi bhi ladki ki taraf dekhta nhi tha usko pyaar hogya hai. Bas yehi confirm karne ke liye hi aisa karwaya.

Sonal: Sachhh. Aapko kaise pata aur kisse hua hai.

Raj: Tumne dekha nhi Shaadi mein aur uski rashmo mein Yash kisi taraf baar baar dekh raha tha aur ghurr raha thaa.

Sonal ab kya bolti woh toh khud hi Raj ko hi dekh rahi thi usko aur kisi ki koi khabar hi nhi thi.

Sonal: Haa maine notice kiya thaa.

Raj: Aur aaj jab Swati ne bola usko mandir jaana hai aur Yash ne jhatt se bola woh le jayega. Phir jab tumne bola tum bhi jaana chahti ho toh uska chehra kaise utar gaya tha. Aur jab tumne mana kiya toh kaise uska chehra khill gaya tha.

Sonal: Haaa sahi kaha aapne. Par pyaar kisse hua.

Raj: Tum abhi bhi nhi samjhi.

Sonal: Shock hoke. Kya jo main samaj rahi hu wohi hai kyaa.

Raj: Haaaa. Wohi hai.

Sonal khushi ke maare jhatt se Raj ke gale lag jaati hai. Usko khushi ke maare hosh hi nhi tha usne kya kiya hai. Raj bas uske iss action se sambhalne ki koshish karta hai.

Sonal: Gale lage hue hi. I Am so happy. Main bahot khush hu unke liye.

Raj: Aah Sonal.

Sonal: Jiii.

Raj: Woh tum excitement mein....

Sonal jab Raj ke words ko aur apne halat ko follow karti hai toh jhatt se alag hoti hai aur sharma ke.

Sonal: Haklate hue. I am sorry. Woh khushi mein....

Raj: Its okk. Samaj sakta hu.

Sonal ab aage kuch nhi bol paati kyoki usko bahot sharam aarahi thi. Woh bas kuch der pehle hue incident ko hi soch rahi thi.

Raj: Abhi Swati aur Raj ke baare mein kisi ko kuch mat batana aur unko mat batana humhe unke baare mein pata hai. Unko apne pyaar ko enjoy karne do.

Sonal: Najre jhuka ke. Jiii.

Raj: Andar chalee.

Sonal: Jiii.

Phir dono andar aate hai. Sonal sidhe apne kamre mein chali jaati hai aur bed mein let jaati hai aur apni saanson ko sambhalne lagti hai.

Idher Yash aur Swati bhi car mein baithe the.

Yash: Swati.

Swati: Hmm.

Yash: Kaha chalna hai.

Swati: Sharma ke. Jaha aap chahe.

Yash: Chalo pehle tumhe SiddhiVinayak mandir hi le chalta hu. Phir kahi aur chalenge.

Swati: Jaisa aap thik samjhe.

Phir dono thodi der baad mandir aajate hai aur darshan karlete hai.

Swati: Aapko pata hai meri bahot ichha thi yaha ke darshan karne ki. Thank You Yash.

Yash: Isme Thank You kaisa. Tumne pehli baar koi wish ki usko pura karna mera farz tha.

Swati kuch nhi bolti bas sharma jaati hai.

Yash: Phone mein toh bahot baate ki. Par milke kyaa baate karu samaj nhi aaraha hai.

Swati: Mujhe bhi.

Yash: Coffee piyee.

Swati: Thikk hai.

Phir Yash Swati ko leke CCD jaata hai aur ek corner table mein baith jaata hai.

Yash: Phir kab aaogi.

Swati: Ab toh wapas aane ka koi reason hi nhi hai. Pehle sagai thi phir shaadi. Aur ab toh woh bhi hogyi.

Yash: Udaas hoke. Hmmm. Sahi kaha.

Thodi der mein coffee aajati hai dono pi ke waha se nikal jaate hai aur ek beach mein chalne lagte hai haath mein haath dhaal ke. Dono ko ek dusre ka saath bahot achha lagraha tha. Unko toh time ka pata hi nhi thaa.

Tabhi Yash ka call aata hai. Woh dekhta hai Raj ka thaa.

Yash: Yeh saala khud toh pyaar karega aur mujhe bhi nhi karne degaa.

Swati hasne lagti hai.

Yash: Haa bhai bol.

Raj: Bhai ke bachhe kidhar hai be. Bhul gaya kya Swati ko jaana bhi hai. Jaldi aa usse leke.

Yash: Haa haa aata hu. Yeh bol call cut hojaata hai. Saala kabab mein haddi.

Swati: Kyaaa huaa.

Yash: Tumhara bulawa aagaya hai. Chalo.

Swati: Hmm.

Phir dono ghar wapas aate hai.

Raj: Kidhar tha be bahot late kardiya aane mein.

Yash: Woh woh actually woh haa woh traffic bahot thaa naa. Isiliye jaane aane mein late hogya.

Raj muskurane lagta hai.

Swati toh waha se bhagg jaati hai apne kamre mein.

Raj abhi aur kuch bolta usse pehle hi Yash waha se nika leta hai.

Thodi der baad Sonal ki family jaane ke liye ready thi.

Swati ka chehra toh utra hua tha aur saath mein Yash ka bhi.

Deepak: Achha Maa chalta hu.

Savitri: Agli baar jyaada time leke aana.

Deepak: Jii Maa.

Savitri: Rajj inhe Airport chorr dee.

Raj: Jii Dadi.

Sonal: Raj kyaa main bhi chal sakti hu.

Raj: Par car mein issbaar itni jagah nhi hogi.

Sonal: Ooo. Thikk hai koi baat nhi.

Tabhi Yash jhatt se bolta hai.

Yash: Agar tumhe jaana hai toh chalo main le chalta hu.

Sonal: Khush hoke. Thank you Yash.

Phir yehlog car mein baithne lagte hai tabhi Sonal bolti hai.

Sonal: Diii. Kya main Mummy Papa ke saath baith jau.

Swati: Khush hoke. Haa haa kyooo nhiii. Tum yaha baith jao. Main Yash ke saath baith jaati hu.

Raj yeh sunke muskura deta hai saath mein Sonal bhi.

Phir Raj baakisab ko leke nikal jaata hai. Toh Yash Swati ke saath nikalta hai.

Yash: Jaana jaruri hai.

Swati: Haaa. Kuch din baad humari ek important meeting hai. Isiliye jaana padh raha hai.

Yash: Phir kab aaogi.

Swati: Kuch keh nhi sakti. Shayad Sonal ko milne par kab nhi pata.

Yash: Matlab koi thikk nhii.

Swati: Hmmmm.

Yash: Pahonch ke call kardenaa.

Swati: Jiii.

Thodi der baad yehlog Airport pahonch jaate hai.

Swati ka jaane ka mann toh bilkul bhi nhi thaa par majburi thi isiliye jaa rahi thi.

Yash bas usko hi dekh raha thaa. Aur Raj inndono ko.
Meera: Sonal apna dhyaan rakhnaa.

Sonal: Jii Mummy.

Phir yehlog Airport ke andar chale jaate hai.

Raj: Tu kaha jayegaa. Humare ghar yaa apne ghar.

Yash: Apne ghar. Kyoki thodi der mein hi bhaiya bhabhi aur Ishu aajayenge.

Raj: Thikk hai. Chale Sonal.

Sonal: Jiiii.

Phir Yash apne raaste nikal jaata hai toh Raj Sonal ke saath.

Sonal: Raj aap thik hai naaa. .


Raj: Haaa mujhe kya hogaa.

Sonal: Nhi woh kal aap pareshan the naa.

Raj: Wohh toh didi ke liye thoda dukhii thaa par ab thik hu. Aur haa Thank You once again for help.

Sonal: Aap aise Thank You naa bolee.

Phir yehlog ghar aajate hai. Thodi der baad Ishant aur Shruti bhi apne ghar chale jaate hai. Payal wahi ruki thi. Woh kal college ke baad ghar jaane wali thi. Uske rukhne se Aarav bahot khush thaa.

Sonal: Kyaa baat hai Aarav bahot khush nazar aarahe ho. Koi mann ki murad puri hogyi kyaa.

Aarav: Ab aapse kya chupana aap toh sab jaanti hai. Bas samaj lijiye mann ki murad hi puri hogyi.

Sonal hasne lagti hai. Phir apne kamre mein aajati hai.

Raat ko dinner ke waqt Aarav Payal ke saamne hi baitha tha toh woh table ke neeche se apne pairon ko Payal ke pairon ko chedd raha tha.

Payal gusse se ek nazar Aarav ko dekhti hai toh woh sabki nazre bachake Payal ko aankh maar deta hai. Woh ab minnate bhari nazro se Aarav ko dekhti hai jaise bol rahi ho pairr hata lo. Par Aarav kaha sunne wala tha.

Payal ko bahot sharm aarahi thi. Par kahi na kahi usko achha bhi lag raha tha. Par ek darr tha kahi koi pakad naa le.

Thodi der baad sabka dinner khatam hota hai toh sab apne kamre mein jaane lagte hai. Payal Sonal ke saath uske kamre mein hi ruki thi. Jab Payal apne kamre mein jaa rahi thi toh mauka dekh kar Aarav uska haath khinch kar apne kamre mein bula leta hai.

Payal achanak hue iss humle se ghabra jaati hai woh chikhne wali hoti hai tabhi Aarav uska muh mein apna haath rakh leta hai.

Aarav: Chillana mat warna ghar wale maar denge.

Payal thoda shant hoti hai phir bolti hai. Tumhe toh maar hi dena chahiye.

Aarav: Agar main marr gaya.... Abhi Aarav ne itna hi bola tha ke Payal ne uske muh mein haath rakhta diya.

Payal: Khabardaar jo aajke baad aisa kuch bola toh. Aur tum choro mujhe. Koi dekh lega.

Aarav: Main toh nhi chorr raha hu. Bahot tadpa hu.

Payal: Mujhe kyo bol rahe ho. Mujhe koi matlab nhi hai. Tum ek kaayar aur fattu insaan ho. Aur mujhe fattu insaan se koi matlab nhi.

Aarav: Achha main Kaayar aur fattu hu. Toh tum kyaa ho.

Payal: Tumhari tarah nhi hu.

Aarav: Tum mujhe bolti ho kya tumne apne ghar mein baat ki. Tumhare ghar mein Bhabhi ke baad toh tumhara hi number hai. Par mere case mein aisa nhi hai. Bhaiya ke baad didi ka tha jo nipat gaya. Par sabse bada problem bacha hai Raj bhaiya. Unko toh koi pasand hi nhi aati. Ab jab tak woh nhi maante main aage kaise badhu. Par tum toh samajti hi nhi ho.

Payal: Aur tum samajte ho. Agar mummy papa ne kahi aur mere liye dekhliya toh mera kyaa hogaa. Tumhe mera darr samaj nhi aata. Tunhe sirf apne darr ki padhi hai. Yeh bolte waqt uski aankho mein aansu aajate hai.

Aarav: Tum aise mat ro. Tumhe pata hai naa tumhari aankho mein aansu mujhe bardaast nhi.

Payal: Toh mera yeh darr khatam kardo naa Aarav. Main yeh nhi keh rahi ke abhi shaadi karlo. Tumhari jab marzi hogi tabhi karenge. Chahe mujhe saari zindagi wait karna padee. Par kam se kam mujhe yeh toh shanti rahegi ke mere jeevan mein sirf aur sirf tum rahoge.

Aarav: Tumhe mujhse koi alag nhi kar sakta. Tum sirf aur sirf meri ho. Aur rahi tumhare darr ki baat toh uska solution maine kuch dino pehle hi kardiya tha.

Payal: Kyaaaa. Matlab tumne baat karli uncle aunty se.

Aarav: Kaahe mujhe maarna chahti ho. Agar abhi unhe bola naa toh yehi mujhe maar dalenge.

Payal: Toh kyaa solution nikala.

Aarav: Tum future mein humesha ke liye yehi aaogi yeh final karwa diya. Aur unse karwaya hai jiski baat naa tumhare ghar mein koi talega aur naa hunare ghar mein.

Payal: Matlab.

Aarav: Matlab maine bhabhi ko sab bata diya hai aur unhone yeh assure kiya hai tum yehi aaogi.

Payal: Shock se. Kyaaaaaa. Tumne didi ko sab bata diyaa. Ab woh mere baare mein kyaa soch rahi hongi. Tumhe na bilkul bhi akal nhi hai.

Aarav: Achha ji. Ab mujh mein akal nhi hai. Bhabhi ko bataya toh yeh haal hai agar mummy papa ko batata toh kyaa hota. Jiske liye tum mujhse baat tak nhi kar rahi thi ab jab maine woh kardiya toh mujh mein akal nhi hai. Kisi ne sach kaha hai ladkiyon ko aajtak koi naa samaj paaya.

Yeh bol usko chor deta hai aur bed mein baith jaata hai.

Payal jab Aarav ki kahi hui baato ko samajti hai tab usko aihsaas hota hai usne kyaa kiya tha pichle 3 mahino mein. Woh Aarav ke paas aati hai aur uska haath pakad ke uska paas baith jaati hai.

Payal: I am sorry. Mujhe maaf kardo. Maine apne darr mein tumhare saath galat kiyaa. Tum sahi the. Par main hi pagal thi.

Aarav: Thi nhi ho. Tum puri pagal ho.

Payal: Mujhe maaf kardo. Ab tumhara jab mann kare tum tab baat karlena. Main koi force nhi karungi.

Aarav: Tumse naraz toh main ho hi nhi sakta. Aur rahi baat karne ki toh woh maine bhabhi se karli hai aur woh bahot khush hai. Tum chinta mat karo.

Payal: Tum naa bahot achhe ho.

Aarav: Achha ji ab main achha hogya. Warna main toh fattu kaayar aur bhi naa jaane kya kya tha.

Payal: Haste hue. Kisne kahi yeh baat jara mujhe batana toh.

Aarav: Hai ek pagal jungli billi. Par mujhe bahot pasand hai.

Payal: Haste hue. Sambhal ke rehna kahi jungli billi panja naa marde.

Aarav: Mujhe jungli billi ko handle karna aata hai bahot saal se kar raha hu.

Tabhi Sonal andar aati hai. Agar jungli billi ki kahani khatam hogyi ho toh kyaa sonee chalee.

Payal Sonal ko dekhte hi jhatt se alag hojaati hai. Aur ghabra ke bolti hai. Di aap. Main toh yaha bas

Aarav toh aaram se baitha tha par Payal ki toh halat hi kharab hogyi thi.

Sonal: Bas bas koi explanation nhi chahiye. Sab pata hai mujhe. Chalo ab sone chalo. Kal college bhi jaana hai.

Payal pehle toh hairaan hojaati hai phir eknazar Aarav ko dekhti hai toh woh has raha hota hai.

Aarav: Inki wajah se maine bhabhi se baat ki thi. Inhone hi mujhe idea aur himmat di thi. Inko sab pata hai.

Payal: Aur kisko kisko bataya hai aaplog bata do. Kam se kam main savdhaan rahungi. Warna kisi din heart fail hojayega jo shock de rahe ho.

Aarav aur Sonal hasne lagte hai.

Aarav: Bas inhe aur bhabhi ko hi pata hai.

Sonal: Ab chale. Yaa raat bhar yehi rukhna hai.

Payal: Good Night bolke waha se bhagg jaati hai. Sonal hasne lagti hai. Phir woh bhi good night bolke kamre mein aati hai.

Sonal: Toh future Mrs. Kapoor. Ab kya humlog sojaaye.

Payal: Di. Aisa naa boliye. Mujhe sharm aarahi hai.

Sonal: Achha ji ab sharm aarahi hai. Thodi der pehle jo apne hone wale room mein thi tab sharm nhi aayi.

Payal: Main toh yehi aarahi thi woh toh usne mera haath pakad ke khinch liya tha.

Sonal: Aur tumne surrender kardiya.

Payal: Woh baate hi kar rahe the ke aap aagayi.

Sonal: Galat waqt pe aagayi naa.

Payal: Haaaa. Nhiiiiii. Main toh bas aahi rahi thi.

Sonal: Bas bas pata hai. Chalo ab so jao. Aur ab toh koi darr nhi hai naa.

Payal: Mere darr ne mujhe pagal kardiya tha didi. Par aaj samaj aaya meri jidd galat thi. Aur usi jidd mein maine Aarav ko hurt kiya. Aur woh haste hue sehta raha.

Sonal: Woh isiliye kyoki usko pata hai tum usse kitna pyaar karti ho aur tumhara darr bhi yehi tha kahi tum usko khoo naa do. Aur woh bhi toh tumse kitna pyaar karta hai. Isiliye toh tumhari shaitaani bhi haste hue sehta raha. Par ab aisa kuch naa karna.

Payal: Kabhi nhiii didi. Aarav se waisa behave kar takleef mujhe bhi hoti thi. Par mera darr mere uss takleef ko dhakk de raha tha. Par ab sab thikk hai. Aur mujhe pata hai aapko chorne aur lene aane ka toh sirf ek bahana hai.

Sonal: Hmmm. Chalo bahot raat hogyi hai. Phir kalse college continue karna hai.

Payal: Good Night.

Sonal: Good Night.

Phir dono so jaate hai. Iss baat se anjaan ke kal Sonal ko ek jhatkaa milne wala hai.
 
Well-known member
3,317
5,026
143
Update 14
Agle din dono college jaate hai. Aaj bhi Raj hi dono ko chorta hai.

Ishita: Good Morning.

Sonal aur Payal: Good Morning.

Ishita: Chaliye chalte hai.

Teeno apni apni class mein aajate hai. Sonal class mein aake apni seat mein baith jaati hai. Thodi der mein class mein professor aate hai.

Professor: Good Morning students.

Sab: Good Morning Sir.

Professor: Today I have a announcements for you guys.

Sab: Kyaa Sir.

Professor: Today a new student has taken admission. I know he is 1 month late. But he had sone personal problem that’s why he has taken late admission. But now he is with us. So please welcome Vicky Khanna from Jaipur.

Abhi professor ne itna hi bola tha ke Vicky class mein aata hai. Sonal toh uska naam sunke hi shockk hogayi thi par jab class mein usko dekhti hai toh usko yakeen nhi hota. Woh ek bar apni aankhe rub karti hai apne aap ko hi pinch karti hai tab jaake usko yakeen hua. Woh bas hairaani se usko hi dekhe jaa rahi thi.

Vicky: Good Morning everyone. I am Vicky. Vicky Khanna from Jaipur Rajasthan.

Professor: Sonal.

Sonal apna naam sunke khadi hoti hai toh Vicky Sonal ko hi dekh raha thaa jiske chehre mein hi ek kameeni hasi thi.

Sonal: Yes Sir.

Professor: You are also from Jaipur rightt.

Sonal: Yess Sir.

Professor: So you know each other?

Abhi Sonal kuch bolti uske pehle hi Vicky bol padhta hai.

Vicky: Yes Sir. We are from same college same class. We are friends.

Professor: Nice. Sit down Sonal. And Vicky go and take your seat. And you are 1 month late so takes the notes.

Vicky: Thank Sir.

Vicky jaake Sonal ke pichhe baith jaata hai. Kyoki Sonal ke paas dusri ladki baithi hui thi.

Sonal Vicky ko ignore kar rahi thi. Kyoki usko pata tha Vicky kyo aaya hai. Vicky Sonal se baat karne ki koshish kar raha tha par Sonal apni padhai mein hi busy thi.

Recess tak class hoti rehti hai jisme Vicky bas Sonal ko hi dekhe jaa raha tha aur uski nazar mein kameena pan saaf nazar aaraha tha.

Recess mein Sonal sidha Payal aur Ishita ke paas jaati hai. Vicky bhi uske pichhe aata hai but Sonal aage nikalke uski nazro se gayab hojaati hai.

Sonal jaake unke saath canteen mein baith jaati hai. Uske chehre pe pareshani saaf nazar aarahi thi.

Payal: Kyaa baat hai Sonal di. Aap pareshan dikh rahi ho. Subah toh aisi nhi thi.

Ishita: Haa didi kyaa huaa. Class mein kuch hua yaa kisi ne kuch kaha hai.

Abhi Sonal kuch bolti tabhi Vicky waha aajata hai.

Vicky: Hii girls hi Sonal.

Ishita: Excuse me. Who are you?

Vicky: Ohh. I am Vicky. Vicky Khanna. From Jaipur. Sonal’s college friend.

Payal: From Jaipur. Matlab tum inke previous college se ho.

Vicky: Haaa. Hum school time se friends hai. Maine bhi yehi admission liya hai. Aaj 1st day hai.

Ishita: Oo.

Vicky: Kyaa baat hai Sonal. Tum sidha Mumbai aagayi. Aur dekho coincidence yaha bhi hum same college mein hai.

Sonal: Tum yaha kaiseee.

Vicky: Maine yaha apply kiya tha aur admission hogya tha. Par thodi problem hogyi thi isiliye joining mein late hogya tha. Par tum bhi isi college mein milogi yeh expect nhi kiya thaa.

Sonal: Maine bhi.

Vicky: Btw tum kaha reh rahi ho.

Sonal: Matlab.

Vicky: Matlab tum yaha mumbai mein kaha reh rahi ho Hostel PG ya kisi Flat mein.

Sonal: Main inke saath room share karke reh rahi hu. Yeh mere room mates hai. Sonal yeh bolne ke baad unko ishare se haa bolne ko bolti hai.

Vicky: Oo. Great. Par itne bade business man ki beti room share.

Sonal: So whattt. Business man ki beti hu iska matlab yeh nhi ke paiso ko bewajah kharch karu. Aur waise bhi yeh bhi businessmans ki hi betiyan hai. Aur hum achhe friends hai so eksaath rehte hai.

Vicky: Areee meraa woh matlab nhi thaa.

Sonal: Payal Tumne ne humhe yaha baitha liya. Humhe library jaana tha.

Ishita: Haa sahi kaha.

Payal: Aree mujhe bhi wahi jaana tha. Socha ek saath chalenge. Chalo ab chalte hai.

Sonal: Byeee. Yeh bol teeno waha se nikal jaate hai.

Vicky bas unko jaate hue dekhte rehta hai. Aur apne aap se bolta hai. Tumhare kiye extra donation dekar iss college mein tumhare hi class mein jabardasti admission liya hai. Taaki tumhare saath rahu. Ab dekhta hu tum kaha bhaagti ho. Yeh bol ek hasne lagta hai.

Idher Sonal Ishita aur Payal ke saath washroom aajati hai.

Ishita: Di woh kyaa tha. Aur aapne jhooth kyo bolaa apne dost se.

Sonal: Jabardasti ka dost. Pata nhi woh yaha kaise aagaya.

Payal: Baat kyaa hai di. Kyaa aap isi wajah se pareshan thi.

Sonal: Haaa. Yeh Vicky hai. Jaipur mein rehta hai. School mein yeh dost bana tha. Papa ke business friend ka beta hai. Toh ghar aana jaana rehta hai. School time se mere pichhe padha hai. Main jaha bhi jaati hu mere pichhe aajata hai. College mein gayi toh waha bhi mere pichhe pichhe aagaya. Harwaqt mujhe touch karne ki firaak mein rehta. Mere jism ko ghurta rehta hai. Ekbaar mall mein pichhe se meri aankho ko dhakk diya tha toh maine iski naak todd ke ek thappad lagaya tha. Laga tha sudhar jayega. Par nhi sudhraa. Socha tha mumbai aayi hu toh 2 saal isse durrr rahungi toh pichha chutt jayega.

Par Shruti didi ke sagai ke baad yeh mere ghar gaya tha jaha mummy ne isko bata diya main yaha hu. And I am sure yeh yaha mere pichhe hi aaya hai.

Dono: Toh aap uncle ko boliye naa.

Sonal: Agar Papa ko bola toh unka aur iske papa ka jo achha relation hai woh kharab hojayega. Jo mujhe achha nhi lagega. Uncle aur aunty bahot achhe hai. Mere mummy papa ke achhe friends hai.

Ab yeh yaha aagaya hai mujhe pareshan karne ke liye. Mujhe toh kabhi kabhi darr lagta hai yeh mere ghar naa jaaye apne parents ko lekar.

Payal: Dii aapne bola aap humdono ke saath room share karke rehti ho. Par aap Aarav ke saath jaati jo aur Raj bhaiya ke saath aati ho. Aaj nhi toh kal usko sach pata chal hi jayegaa. Tab kyaa karogi.

Sonal: Kitni khush thi main yaha aakar. Par meri khushiyon ko grahan lagane aagaya hai.

Ishita: Admission toh kabke close hochuke hai. Toh usko admission kaise mila.

Payal: Aree simple hai. Extra donation deke admission liya hai.

Ishita: Di ab aap kya karengi. Kyoki woh toh aapke class mein hi hai.

Sonal: Pata nhi. Agar ghar mein kisi ko iske baare mein pata chal gaya toh pata nhi kya sochenge. Phir mann mein sochti hai. Agar Raj ko pata chal gaya toh pata nhi woh mere baare mein kyaa sochenge.

Sonal: Payal ek kaam karogi.

Payal: Haa di boliye naa.

Sonal: Thoda Aarav ko bula dogi. Mujhe ghar le chale. Mera sir dukhh raha hai.

Payal: Haa di abhi call karti hu. Yeh bol woh Aarav ko call karti hai.

Aarav: Good Afternoon Sweetheart. Kya kar rahi ho.

Payal: Kaha ho tum.

Aarav: Tumhare khayalo mein.

Payal: Mazaak nhi. I am serious.

Aarav: Ghar mein hu. Kyaa baat hai Payal.

Payal: College aasakte ho abhi.

Aarav: College iss waqt. Abhi toh recess hai naa. Kyaa huaa. Sab thikk hai naa.

Payal: Woh Sonal di ka sir dukh raha hai toh woh ghar jaana chahti hai. Toh kyaa tum aasakte ho.

Aarav: Main abhi aata hu. Tab tak tumlog unka khayal rakho. Yeh bol Aarav call cut kardeta hai aur bhagg ke neeche aata hai aur bahar jaane lagta hai.

Nandini: Aarav kidher jaa raha hai.

Aarav: Bhabhi woh Payal ka call aaya tha.

Nandini: Ooo. Date pe jaarahe ho. Woh bhi uska college bunk karwake.

Aarav: Aree nhi bhabhi. Sonal di ka sir dukh raha hai toh unse aur classes nhi honge. Isiliye unko laane jaa raha hu.

Nandini: Aree achanak kyaa hogyaa. Subah toh thikk thi. Tu jaldi jaa aur usee lekar aa.

Aarav phir car ke paas jaake college ke liye nikal jaata hai.

Payal: Di woh aaraha hai aap bahar chaliye aur khuli hawa mein baithiye aapko achha lagega.

Phir teeno bahar Canteen mein aate hai.

Vicky abhi bhi wahi baitha hua thaa. Sonal ko usko dekh kar aur sir dard karne lagta hai.

Vicky: Hogyaa library ka kaam.

Ishita: Haa hogyaa.

Abhi koi kuch bolta tabhi recess khatam hone ki bell baj jaati hai.

Vicky: Chalo Sonal class mein chalte hai.

Payal: Aahh tum jao. Abhi humhe thoda kaam hai.

Vicky: Kya kaam hai.

Ishita: Excuse me. Don’t mind. Tum inke dost ho. Humare nhi. Ab humhe kya kaam hai yeh hum tumse toh discuss nhi karenge naa. Please kyaa humhe akela rehne denge.

Vicky ko Ishita ki baat pe gussa toh bahot aata hai par uske chehre ko dekh kar pata nhi chal raha hota hai.

Vicky: Chilll chill. Maine toh casually puch liyaa. Thikkk hai main jaata hu. Yeh bol woh waha se nikal jaata hai.

Sonal: Tumlog please isse muh mat lago. Yeh bahot gira hua insaan hai.

Payal: Don’t worry di.

Ishita: Haa di. Aap yeh sab mat sochiye. Aap ghar jaake rest karee. Aur ab humare bhi class karne ka mood nhi hai. Hum bhi ghar hi jayenge.

Tabhi Aarav ka call aata hai.

Payal: Haa aagaye. Okk wait humlog aate hai. Chaliye di Aarav aagaya.

Phir sablog parking mein aate hai. Vicky bhi chupp ke inko dekhta hai par inki baate nhi sunn sakta tha. Jab woh inko jaate hue dekhta hai toh inka pichha karta hai.

Aarav: Kyaa huaa di. Aap thikk hai naa.

Sonal: Haa Aarav. Bas sir mein bahot dard horaha hai isiliye ghar jaana chahti hu. Thank You.

Aarav: Aap thank you naa bole. Aap meri Di ho friend ho. Chaliye chalte hai. Tumdono kyaa karogi.

Payal: Hum bhi ghar jayenge. Tum dhyaan se inko le jaana.

Aarav: Okk. Ghar pahoch call kardena.

Payal: Okkk.

Vicky: Yeh ladka kaun hai jiske saath Sonal jaa rahi hai. Aur woh dono bhi usko chorr de rahi hai. Pata lagana hogaa.
Idher Aarav car mein baithta hai toh woh bolta hai.

Aarav: Di. Aap pichhe aaram se baith jaaiye. Agar chahe toh thoda late jaiyee.

Sonal: Nhi Aarav thik hai.

Phir dono ghar ki taraf nikal jaate hai. Ishita aur Payal bhi ghar ki taraf chali jaati hai. Aur Vicky apni bike mein Sonal ka pichha karne lagta hai.

Thodi durr hi usne pichha kiya tha ke traffic ki wajah se woh aur pichha naa kar paaya.

Vicky: Areee yeh kaha chali gayi. Yehi ek problem hai mumbai ki. Iss traffic ki wajah se gayab hogyi. Koi nhi pata chal hi jayega. Par woh ladka kaun tha. Jo bhi ho Sonal ki taraf nazar dega toh jaan se jayegaa.

Thodi der mein Aarav Sonal ko leke ghar aata hai.

Nandini: Sonal kyaaa huaa.

Sonal: Bhabhi pata nhi achanak bahot sir dard kar raha hai. Isiliye ghar aagayi.

Nandini: Achha kiyaa. Tum apne kamre mein jao. Main abhi medicine aur kuch khaane ke liye laati hu.

Sonal waha se apne kamre mein chali jaati hai. Uska sir sach mein bahot dukhh raha tha aur usme ab himmat nhi thi ke change karsake. Isiliye woh college ke kapdo mein hi bed mein let gayi.

Tabhi Nandini ek tray mein thoda khaana aur medicine leke aati hai.

Nandini: Sonal lo thoda khaa lo aur dawai leke sojaao.
Sonal: Bhabhi himmat nhi horahi hai. Sir bahot dukhh raha hai.

Nandini: Ruko main balm laga deti hu. Tum thoda khaa leti toh dawai de sakti thi tumhe. Isse tumhe aaram milta.
Sonal himmat karke uthti hai toh Nandini usko apne haatho se thoda sa khilati hai phir dawai deti aur uske sir mein balm laga deti hai phir Sonal so jaati hai.

Phir Nandini niche aati hai.

Smita: Kya hua Nandini.

Nandini: Choti mummy woh Sonal ka sir bahot dukh raha tha toh usko thoda khila ke dawai deke balm lagake aarahi hu. Abhi so rahi hai.

Smita: Aree achanak sir kyo dukhh raha hai. Thikk hai naa woh.

Nandini: Abhi so rahi hai choti mummy. Shayad weather and climate change ki wajah se hua hai. Mumbai aur Jaipur ke climate difference ke wajah se hua ho.

Smita: Hosakta hai. Aaj uska dinner uske kamre mein hi dena. Aaj usko aaram karne do.

Nandini: Jiii.

Raat ko dinner ke time sab nichhe the sirf Sonal ko chorke.

Karan: Nandini Sonal kaha hai. Usko dinner nhi karnaa.

Nandini: Karan woh uska sir bahot dukhh raha tha aaj college se bhi isiliye jaldi aagayi toh uska dinner aaj uske kamre mein hi dedungi.

Karan: Achanak kaise sir dard start hogyaa. Abhi thik hai woh.

Nandini: Jii abhi thikk hai. Aaplog dinner karle phir usko room mein de aaungi.

Thodi der baad sab khaana khaa ke apne kamre mein aate hai par uske pehle sab ekbaar Sonal se mil ke aate hai. Par Raj nhi jaata. Sonal ko umeed thi Raj bhi usse milne aayega. Par jab woh nhi aaya toh uska dil toot gaya.

Dinner khatam karne ke baad jab Raj apne kamre mein jaa raha tha toh Nandini usko rokhti hai.

Nandini: Raj meri ek help karogee.

Raj: Haa bhabhi boliye naa.

Nandini: Agar tum Sonal ka dinner uske room mein de aao toh main yaha baaki ka kaam karlu.

Raj: Haa bhabhi dijiye naa.

Phir Nandini ek tray mein Sonal ke liye dinner aur uske liye dawai rakh deti hai.

Nandini: Dinner karle toh yeh medicine usko de dena.

Raj: Jiii.

Phir Raj woh tray leke Sonal ki room mein chala jaata hai. Woh uske room mein jaake knock karta hai.

Sonal: Khula hai. Andar aajaiyee.

Raj andar aata hai. Sonal Raj ko dekh kar bahot khush hoti hai.

Raj: Ab kaisi tabyat hai tumhari.

Sonal toh Raj ko dekh kar hi maano thikk hogayi thi.

Sonal: Ab thikk hai.

Raj: Lo dinner karlo.

Sonal: Aree aapne kyo takleef ki. Main ab thik hu. Bhabhi ne jabardasti yaha baitha diya hai.

Raj: Aree isme takleef kaisi. Main apne room mein aaraha tha toh bhabhi ne bola tumhare room mein pahoncha du. Taaki woh dusre kaam bhi complete karle. Aur agar ekdin room mein dinner karliya toh kya hogyaa.

Sonal: Mujhe yeh sab pasand nhi.

Raj: Choro yeh sab aur dinner karlo. Aur yeh dawai le lo.

Sonal: Aap baithye naa.

Raj bhi saamne rakhe sofa mein baith jaata hai. Aur Sonal dinner karne lagti hai.

Sonal: Aapne dinner kiyaa.

Raj: Haaa maine karliyaa.

Sonal: Sach mein kiyaa naa.

Raj: Aree haa baba sach mein kiyaa. Waise achanak tumhara sir dard kaise start huaa. Subah toh thikk thi.

Sonal: Mann mein. Ab inko kaise batau mera sir dard kyo start hua. Mere sir dard ka kaaran toh ab roj mujhe college mein dikhega.

Raj: Sonal.

Sonal: Haa haa Raj.

Raj: Maine pucha achanak tumhara sir dard kaise start hogyaa.

Sonal: Woh woh actually haa hosakta hai weather aur climate change ki wajah se hua ho.

Raj: Hmmm.

Thodi der baad Sonal ne dinner karliya aur medicine bhi ke li.

Raj: Ghar walo se baat ki.

Sonal: Bas abhi karne hi wali hu.

Raj: Okkk. Baat karke so jaao. Good Night.

Sonal: Good Night.

Raj apne room mein jaa raha hota hai tabhi Sonal awaaz deti hai.

Sonal: Rajjj.

Raj: Hmmm.

Sonal: Thank You.

Raj: Kisliye.

Sonal: Wohh mera dinner laane ke liye aur mere saath time spend karne ke liyee.

Raj bas smile kardeta hai aur apne room mein aajata hai.
Sonal toh Raj ki smile pe hi marr miti

Sonal: Haayee kitni pyaari hai Raj ki smile. Inki smile dekh ke mera saare din ki pareshani khatam hogyi. Yeh bol sharma jaati hai.

Tabhi Sonal ka phone bajta hai. Woh dekhti hai Payal ka call hai.

Payal: Hello didi ab kaisi hai aap.

Sonal: Main ab thikk hu Payal. Shayad weather aur climate change ki wajah se hua hogaa.

Payal: Hmmm. Kal aap kya karogi didi.

Sonal: Wahi soch rahi hu. Ghar mein kisi ko bata bhi nhi sakti. Warna sab kya sochenge.

Payal: Aap Aarav ya didi ko bata dijiye. Woh jarur koi help karenge.

Sonal: Nhi Payal. Achha nhi lagta.

Payal: Come on didi. Aap aisa mat sochiyee.

Sonal: Kuch din dekhte hai. Agar mere se handle nhi hua toh bata dungi.

Payal: Dekhiye jaisa aapko thik lage. Achha main rakhti hu ab aap aaram kijiyee.

Phir call cut hojaata hai. Aur Sonal Jaipur phone karti hai.
Swati: Hii Sonal. Kaisi ho tum.

Sonal: Main thikk hu didi. Aap kaisi ho. Ghar mein sab kaise hai.

Swati: Ghar mein sab thikk hai. Main bhi achhi hu. Achha lo mummy se baat karo.

Meera: Kaisi ho Sonal. Tabyat thik hai naa.

Sonal: Main achhi hu mummy. Aur tabyat bhi thik hai. Aap kaisi hai.

Meera: Tumse baat hogyi naa ab achhi hu.

Sonal: Mummy Samar kaha hai. Usse phone dijiye.

Samar: Hii didi. Kaisi ho aap.

Sonal: Bahot tension mein hu. Waha kuch mat bolnaa. Akele mein baat kar.

Samar akele mein aata hai aur bolta hai kyaa huaa didi kaisi tension hai.

Sonal: Vickyyy.

Samar: Vickyyyy. Isko kya huaa.

Sonal: Woh mere pichhe yaha aagaya hai. Mere college mein mere class mein.

Samar: Whattttttt. Kaisee kab aaya.

Sonal: Haaaa. Aaj hi aaya hai. Aur aate hi mere pichhe padh gaya. Agar yaha kisi ko pata chal gaya toh sab kyaa sochengee.

Samar: Ab aap kyaa karengi. Aaj nhi toh kal pata chal hi jayegaa. Aur aap jaise bolti ho Raj bhaiya aapko chorne jaate hai toh Aarav Bhaiya lene. Unko toh pata chal hi jayegaa.

Sonal: Wahi toh soch rahi hu. Maine toh usse jhoot bhi boldiya main Payal aur Ishita ke saath room share karke rehti hu. Kal ko jab woh mujhe Raj aur Aarav ke saath dekhega toh main kyaa karungi.

Samar: Yeh toh problem hogyi hai di. Meri maane toh aap waha pe bata de. Jisse unhe baad mein pata naa chalee.
Sonal: Mann mein. Agar bata diya toh Raj mere baare mein kyaa sochenge.

Samar: Hello hello di. Aap sunn rahi hai.

Sonal: Haa haa main sunn rahi hu. Sochti hu kuch din wait karu. Agar normally handle hogya toh thik warna boldungi.

Samar: Di jab itne saal yaha pe handle nhi hua toh waha kya hogaa. Yeh Vicky jaise log aasani se nhi sudhartee.

Sonal: Dekhte hai. Agar baat haath se aage nikal rahi hogi toh phir jiske liye main kuch nhi bol rahi thi woh karna hogaa.

Samar: Hmmm.

Sonal: Achha main rakhti hu Good Night.

Samar: Good Night.

Phir Sonal phone rakh kar so jaati hai.
 
Well-known member
3,317
5,026
143
Update 15
Agle din Sonal time se uth kar ready hoke nichhe aajati hai.

Smita: Ab kaisi tabiyat hai beta.

Sonal: Ab thik hai.

Smita: Achha hai. Chalo nashta karlo.

Phir sab nashta karne baith jaate hai.

Raj: Aarav mera ek kaam kardegaa.

Aarav: Aap order kara kijiye bhaiya. Request nhi.

Raj: Sonal ko college drop kardega. Mujhe opposite direction mein jaana hai aaj.

Sonal yeh sunti hai toh ekpal ke liye woh udaas hojaati hai. Kyoki aajtak woh Raj ke saath hi college jaa rahi thi.

Aarav: Thikk hai bhaiyaa.

Thodi der baad sab nashta karke apne apne kaam mein jaane ke liye ready thee.

Raj: Sonal aaj Aarav ke saath chali jao. Mujhe thoda kaam hai.

Sonal: Koi baat nhi Rajjj.

Phir Raj apne raaste nikal jaata hai aur Sonal Aarav ke saath college.

Vicky pehle se hi college aaya hua tha aur parking mein hi baitha hua thaa. Ishita aur Payal jab college aate hai toh usko dekh lete hai.

Payal: Ishu yeh toh yehi pe baitha hua hai.

Ishita: Sahi kaha Payal. Bada dhitt hai. Sonal di bhi aane wali hongi. Agar isne Raj bhaiya ke saath dekhliya toh pata chal jayegaa unhone jhoot bola thaa. Rukh unko call karti hu.

Abhi Ishita call karti tabhi Sonal aajati hai.

Payal: Yeh toh Aarav ki car hai. Matlab yeh Aarav ke saath aayi hai Raj bhaiya ke saath nhi.

Dono waha jaate hai. Vicky bhi yeh dekh leta hai.

Vicky: Kal jaldi iss ladke ke saath gayi. Aur aaj aayi bhi iss ladke ke saath. Saala chakar kya hai. Jaipur mein toh kisi ladke ko dekhti tak nhi thi par yaha toh iski kaaya hi palat gayi. Yeh bol woh bhi waha aajata hai.

Payal: Kyaa baat hai di aaj Aarav ke saath.

Sonal: Haaa unko koi kaam tha isiliye iske saath.

Vicky: Hiii Sonal.

Sonal: Mann mein. Lo aagaya tension. Aur isne toh mujhe Aarav se saath hi dekhliyaa. Ab kyaa karu.

Sonal: Hiii.

Sonal: Aarav tum ghar jaoge yaa kahi aur.

Aarav: Ab ghar jaake kya karungaa. Kuch waqt baad wapas yehi aana honaa. Isiliye dosto ke paas chala jaungaa.

Payal: Kaunse dost.

Aarav: College ke. Tum toh jaanti ho.

Payal: Hmmm. Jaldi aajana.

Vicky: Sonal yeh kaun hai.

Aarav: Tum kaun ho aur inko kaise jaante ho.

Vicky: Main Vicky. Vicky Khanna. Sonal ka dost.

Aarav ek nazar Sonal ko dekhta hai toh nazre nichhi karleti hai.

Aarav: Mann mein. Yeh Sonal di ne apni nazre nichhi kyo karli. Ishu aur Payal bhi pareshan dikh rahi hai. Kuch toh garbar hai.

Vicky: Tumne bataya nhi Sonal yeh kaun hai.

Sonal eknazar Aarav ko dekhti hai toh bas samaj jaata hai kuch problem hai. Tabhi Sonal ko ek idea aata hai.

Sonal: Aarav. Mera ek kaam karoge.

Aarav: Haa boliye naa.

Sonal: Tumhare bhaiyaa aaj tiffin nhi le gaye hai. Mujhse bol rahe thee abhi thodi der pehle unka hi call aaya tha. Tum yeh tiffin unko de doge.

Aarav Sonal ko aise dekhta hai jaise koi ajooba dekh liya ho. Woh Samajne ki koshish karta hai aakhir mamla kyaa hai.

Sonal: Aankho ke ishare se usko shant rehne ko bolti hai. Bolo karoge apni BHABHI ka kaam. Sonal ne yeh bhabhi word pe jyaada jorr diya thaa.

Aarav ko yeh sunke toh ekpal jhatkaa lagta hai. Par woh Sonal ki nazre dekh kar samaj jaata hai.

Idher Sonal ke bhabhi word se waha khadee sabhi ko jhatkaa lagta hai sabse jyaada jhatkaa toh Vicky ko lagta hai. Woh bas shock hokee Sonal ko hi dekhta hai.

Aarav: Thikk hai Sonal Bhabhiiii. Mainn de dungaa. Main aapko lene aajaungaa.

Phir Sonal apna tiffin Aarav ko de deti hai aur Aarav bhi waha se chala jaata hai.

Payal Ishita aur Vicky abhi bhi usko shock se hi dekh rahe thee.

Sonal: Haa Vicky tum kuch puch rahe theee.

Vicky: Yeh kyaa thaaa. Bhabhiiiii. Tum uski bhabhiiii. Kyoo matlab kaisee kabbb. Tumhe aaj tak kabhi kisi ladke se milte nhi dekha naa baat karte dekha. Phir yeh kyaa thaa.

Sonal: Bas meri kismat. Chalo Payal Ishita.

Dono bas usko hi dekhte hue nikal lete hai.

Canteen mein baith jaate hai ek corner table leke.

Payal: Bhabhiiii. Yeh kab huaa kaisee huaa. Raj Bhaiyaa ne kabbb kaiseee. Aarav ne bataya bhi nhiii.

Ishita: Naaa Yash bhaiyaa ne bataya. Naa Bhabhi ne bataya. Yeh kabbb huaaa. Kaisee huaaa.

Sonal: Areee shant hojaooo. Itni jorr se mat bolo. Deewaro ke bhi kaan hote hai. Aur maine jo bola woh jhoot thaa. Aisaa kuch nhi hai. Woh toh Aarav ko dekh kar uss Vicky ne puch kiya kaun tha. Main kyaa bolti. Agar dost bolti toh aur char sawaal aate. Boyfriend bol nhi sakti thi. Bhai bolti toh uske saath kyo nhi rehti yeh sawaal aata. Isiliye Devar bana diyaa. Isse shayad mera pichha chutt jaaye.

Ishita: Isiliyeee. Tabhi main sochuuu. Aisaa kab huaa. Warna Raj bhaiya toh kisi ladki taraf dekhte hi nhi.

Payal: Aarav ko toh sabse bada jhatka laga hogaa. Kyoki usko pata hi nhi aur uski bhabhi aagayi. Yeh bol hasne lagti hai.

Sonal: Ab bas karo. Issbaare mein kuch naa bolnaa. Ek tarah se yehi best idea thaa.

Dono: Bilkul Sonal Bhabhiiiii. Yeh bol hasne lagti hai.

Sonal pehle toh sharma jaati hai phir hasne lagti hai.

Ishita: Waise jodi achhi rahegi. Raj aur Sonal. Naam bhi eksaath kitna achha lag raha hai.

Payal: Bilkul jaise ekdusre ke liye hi bane ho.

Sonal: Ab bas karooo. Kyaa tumlog ekhi baat leke baith gayi. Chalo class ka time horaha hai.

Dono: Jiii Bhabhiiiii. Yeh bol phir hasne lagti hai.

Idher Vicky ko shock laga tha usse abhi tak woh ubhra nhi thaa. Woh apni socho mein hi gumm thaa.

Vicky: Saala 1 mahine mein yeh kyaa hogyaa. Jo ladki kisi ladke ko dekhti tak nhi thi woh yaha pe aake itna badal gayi. Kaiseeee. Jo bhi ho Sonal sirf aur sirf meri hogi. Aur agar koi beech mein aaya toh woh jaan se jayegaa.

Idher Aarav ko bhi shock laga thaa. Usko samaj nhi aaraha tha ke thodi der pehle kyaa hua tha.

Aarav: Woh sab kyaa tha. Sonal di meri bhabhi. Matlab woh aur Raj bhaiyaa. Kab kaiseee. Bhaiya ne kisi ko bataya tak nhi. Aur woh ladka unka dost. Kyaa usko sunane ke liye di ne aisa bola. Par kyo. Bahot confusion hai. Iske baare mein unse baat karni hogi.

Idher Sonal class mein aake baith jaati hai. Woh reh reh ke muskura rahi thi. Usne aaj mazaak mazaak mein hi apne dil ki baat boldi thi. Par uski yeh muskurahat kuch der ke liye hi thi. Kyoki uske saamne Vicky khada thaa. Woh bina kuch bola uske bagal mein baithne wala tha.

Sonal: Yeh kyaa hai.

Vicky: Matlab. Main yaha baith raha hu.

Sonal: Kahi aur jaake baith jao.

Vicky: Hum dost hai. Toh tumhare paas baith hi sakta hu.

Sonal: Mujhe kisi ladke ke saath baithna pasand nhi.

Vicky: Lekin ladke ke saath car mein ghumna woh thik hai.

Sonal: Gusse mein. What do you mean? Aur tum hote kaun ho yeh sab bolne wale.

Vicky: Main tumhara dost hu. Woh bhi bachpan ka. Itna toh haq hai ke main tumhare baare mein yeh jaan saku.

Sonal: Dost ho toh dost ki limit mein raho. Aur maine tumhe koi haq nhi diya hai ke tum meri personal life mein kya chal raha hai yeh jaan sako. And for your kind information woh ladka koi gairr nhi mera hone wala devar hai. Main mere hone wale pati ki permission se uske saath car mein ghum rahi hu. Aur ab main class mein koi hungama karna nhi chahti. Isiliye tum kahi aur baitho.

Vicky ko bahot gussa aaraha tha. Uska mann kar raha tha abhi ke abhi uss ladko ko jaan se maarde aur Sonal ko uski aukat dikhaye. Par usne gusse ko apne andar daba diya. Aur uth kar dusri jagah baith gaya par woh Sonal ko hi dekh raha tha par pure gusse mein.

Thodi der mein professor aate hai aur woh padhane lagte hai. Sonal ka pura dhyaan apni padhai mein tha. Par Vicky toh mumbai padhne ke liye nhi apni chichori harqat ke liye aaya tha jo woh kar raha tha.

Recess ke baad Sonal canteen mein aati hai jaha Ishita aur Payal baithe thee.

Dono: Aaiye aaiye bhabhi. Aapka hi intezaar horaha hai.

Sonal: Ab bas bhi karo. Kab tak woh baat leke baithi rahogi.

Dono hasne lagti hai.

Ishita: Yeh lijiye didi aaj humare tiffin mein se khaa lijiye. Aapka toh aapka devar i mean natak wala devar le gaya.

Sonal: Tumdono nhi sudhrogi. Yeh bol woh bhi hasne lagti hai.

Payal: Waise class mein kuch hua nhi naa.

Sonal: Meri kundli mein Shani ka prakop chal raha hai apna asar toh dikhayega hi.

Dono: Matlab.

Phir Sonal undono ko class mein hui harbaat batati hai.

Dono: Achha kiya didi aapne. Hum rehte toh 2 thappad bhi laga dete.

Sonal: Mann toh mera bhi tha par class mein hungama karna achha nhi laga.

Payal: Didi ek baat puchu.

Sonal: Aree permission kyo le rahi ho. Hum friends hai. Bindaas pucho.

Payal: Agar usne yeh jhoot aapke ghar phone karke bataya diya yaa iske baare mein kuch puch liya toh. Aur agar yeh jhoot Raj Bhaiya ke kaano mein gaya toh panga hojayegaa.

Sonal: Mann mein. Aree baap re. Maine toh yeh socha hi nhi. Agar isne ghar mein bata diya aur agar Raj ko pata chal gaya aur unko bura laga aur woh mujhse naraz hogye toh mera kyaa hogya. Pyaar hone ke pehle hi dooriyan aajayengi. Phir pata nhi unko kaise face karungi.

Ishita: Didi kyaa sochne lagi.

Sonal: Agar Raj ko pata chal gaya toh unko face kaise karungi. Woh mere baare mein kyaa sochenge.

Payal: Ab aap kya karengi.

Sonal: Mera dimaag kaam nhi kar raha hai. Kuch socho jaldi.

Ishita: Aap apne ghar phone karke boldijiye. Aapne aisa kuch kiya hai. Aur unko samjha dijiye.

Sonal: Nhii naa Ishita. Aisa nhi kar sakti. Phir unko bolna padega aisa kyo kiya. Vicky se kya problem hai. Sab bolna padega. Par tumhara idea achha hai. Main ghar mein aise insaan ko bolungi jo sab sambhal sakta hai.

Ishita: Kaun.

Sonal: Samar. Woh thik sab manage karlega. Sonal jhatt se call lagati hai.

Samar: Hiii didi.

Sonal: Kazama mujhe help chahiye.

Samar: Kya baat hai meri Shinchan. Ab kya kiyaa uss Vicky ne.

Sonal phir usko saari baat batati hai.

Samar: Didi maine toh mazaak mein bola tha aapne sach mein Raj Bhaiya se rishta jodd liyaa. Not bad.

Sonal: Tu phir suru hogyaa. Abhi filhal meri madad kar.

Samar: Don’t worry. Main ek kaam karta hu. Uska number ghar mein har jagah se block kardeta hu. Aur phir bhi woh contact karleta hai toh uske liye main mummy se boldeta hu aapne uss Vicky se yeh mazaak kiya hai aur iska sach usse naa bataye.

Sonal: Aur agar mummy ne pucha aisa mazaak kisliye toh.

Samar: Ab dost hai mazaak karliyaa.

Sonal: Tune meri saari tension mitaa di.

Samar: Koi naa. Aap enjoy karo. Aur haa jo mazaak kiya hai hosake toh sach kardo.

Sonal: Youuuuuu. Phone rakh tu. Harwaqt masti.

Samar bhi haste hue call cut kardeta hai.

Sonal: Mera bhai best hai. Meri saari problem solve kardi.

Ishita: Aisa kyaa kiya. Aur yeh Kazama kyaa thaa.

Sonal: Aree hum bachpan mein shinchan bahot dekhte the. Infact abhi bhi kabhi kabhi dekh lete the. Isiliye main uski Shinchan aur woh mera Kazama. Kyoki humlog humesha ekdusre se jhagarte rehte hai. Par pyaar usse bhi jyaada karte hai.

Ishita: Interesting. Toh kya idea diya aapke Kazama ne.

Sonal phir unko puri baat batati hai. Woh mazaak wala chorkee.

Dono: Waahh achhi baat hai. Ab aapka problem solve.

Sonal: Jhoot solve hua. Jiske wajah se bola woh nhi. Woh dekho idher hi aaraha hai.

Vicky: I Am sorry Sonal. Mujhe uss tarah baat nhi karni chahiye thi. Actually main shock mein tha woh sunke.

Sonal: Next time apni limit mein rehnaa.

Vicky: Haaa. Waise yeh sab kab hua. Tumko yaha aaye 1 month hi hua hai. Aur iss 1 month mein itna kuch hogya.

Sonal: Hone ko toh kabhi bhi kuch hosakta hai. Ab yeh hona meri kismat mein tha toh hogyaa.

Vicky: Kyaa tumhari marzi se hua hai. Tum khush ho.

Sonal: Hadd se jyaada. Agar woh mere husband bante hai toh mujhe bahot khushi hogi.

Vicky: Chehre mein hasi aur mann mein gussa liyee. Achhi baat hai. Par Swati didi ke pehle.

Sonal: Unke liye hi parents ne wait kiya hai. Warna meri shaadi hochuki hoti.

Vicky: Oooo. Yaani uncle aunty ko sab pata hai.

Sonal: Nhiii unhe iske baare mein kuch nhi pata. Yeh abhi sirf humdono ke beech ka hi hai. Aur bas unke bhai ko pata hai.

Vicky kuch sochta hai aur ek kameeni smile ke saath Ok bolta hai.

Sonal yeh smile ka raaz samaj jaati hai. Aur woh chahti thi Vicky uske ghar call kare.

Ishita aur Payal bas Sonal ko jhoot bolte hue dekh rahe the. Unko lag hi nhi raha tha woh jhoot bolrahi hai. Ab unko kya pata Sonal yeh apne dil ki baat bolrahi hai. Jis chiz ke woh sapne dekhti aarahi hai pichle 1 mahine se wohi bol rahi hai.

Phir recess khatam hota hai aur wohlog wapas class aate hai aur chutti tak class karte hai.

Chutti ke baad Sonal Ishita aur Payal parking mein aata hai. Vicky bhi pichhe hi tha. Aarav aaya nhi tha.

Vicky: Chalo Sonal aaj main chorr deta hu.

Sonal: No Thanks. Main chali jaungi Aarav ke saath.

Vicky: Aarav???

Sonal: Mera Devar.

Vicky: Par woh toh aaya nhi.

Sonal: Aajayegaa.

Tabhi waha Aarav aajata hai. Woh dekhta hai Vicky wahi khada hai. Isiliye woh Sonal ko bhabhi bolta hai.

Aarav: Chale Sonal bhabhi.

Sonal Aarav ke bhabhi bolne pe ekbaar toh ghurr ke par baad me samaj jaati hai.

Sonal: Haa chalo. Tum dono jaao. Main room mein milti hu.

Aarav: Byeee. Ishu Payal.

Payal: Byee Aarav.

Ishita: Byee bhaiya.

Phir Sonal car mein baith ke nikal jaati hai. Vicky aaj bhi uska pichha kar raha thaa.

Aarav: Ab aap batayengi. Yeh sab kyaa hai. Woh ladka kaun hai. Aur sabse important baat. Bhabhiii. Yeh kab huaa. Mera sir ghumm raha hai.

Sonal: Sab batati hu. Par promise karo. Kisiko nhi bataoge.

Aarav: Aisi kya baat hai.

Sonal: Pehle promise karo.

Aarav: Achha promise.

Sonal: Maine jo bhi tumse college mein kaha tha woh majburi mein kaha tha.

Aarav: Matlab.

Sonal: Woh ladka Vicky. Mere saath Jaipur mein school se sang hai. Uski family aur meri family achhe business friends hai. Isiliye ek tarah se woh mera friend hai.

Par woh ladka achha nhi hai. Harwaqt mujhe touch karne ki koshish karta hai. Mujhe ghurta rehta hai. Mere jism ko ghurta rehta hai. Main Jaipur se mumbai aai toh socha usse pichha chutt jayega. Par woh yaha bhi mere pichhe aagaya. Ghar mein nhi bolsakti. Kyoki isse dono families ke relation mein darar aasakti hai jo mujhe achha nhi lagega. Mujhe shakk tha kahi kisi din apne parents ko leke mere ghar naa aajaye. Isiliye isko permanently durr karne ke liye mujhe kuch sochna tha. Kal isse jhoot bola tha main Payal aur Ishita ke saath room share karke rehti hu. Aur aaj isne mujhe tumhare saath dekhliya. Agar tumhe dost bolti toh galat matlab nikalta. Bhai bolti toh sawal karta bhai ke hote hue room share kyo. Isiliye woh jhoot bolaaa. I Am Sorry. Maine apne swarth ke liye itna bada jhoot bola.
Aarav bas shanti se sunn raha tha aur car chala raha tha.
Aarav: Aapne tiffin mujhe de diya tha. Iska matlab aapne kuch nhi khaya hai. Pichhe aapka tiffin rakha hai woh khaa lijiye. Bhukk lagi hogi.

Sonal ek nazar Aarav ko dekhti hai toh woh muskura deta hai.

Aarav: Aap sorry mat boliye. Aapne bas apne aap ko bachane ke liye aisa bola hai. Aapne jo kiya thikk kiyaa. Par meri maane toh aapko apne ghar mein iske baare mein bata dena chahiye. Kyoki inn jaise ladko ka koi bharosa nhi hota.

Sonal: Maine bhi yeh socha tha. Par isse dono families ka relation kharab hosakta hai. Jo main nhi chahti. Par shayad mere iss jhoot se woh mera pichha chorr degaa.

Aarav: Agar aap mujhe college mein hi bata deti toh uska saari aashiqui wahi nikal deta. Meri bhabhi pe nazar. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal: Ab tum bhi start mat hojaana. Aise hi tumhari mehbooba aur behen ne subah se pareshan kiya hua hai yeh bhabhi bhabhi bolke.

Aarav: Haste hue. Waise idea bura nhi hai. Aapse achhi bhabhi mujhe aur kaha milegi.

Sonal: Tumlog bahot buree ho. Sirf mujhe pareshan kar rahe ho.

Aarav hasne lagta hai.

Sonal: Aarav please yeh baat ghar mein kisi ko naa batana. Khaash kar Raj ko bilkul bhi nhi. Warna main unko face nhi kar paungi. Aur college mein bhi uske saamne kuch react mat karna.

Aarav: Aap tension naa lo. Aapka yeh secret kisiko pata nhi chalegaa. Aur yeh jhoot college mein jaisa chal raha hai chalta rahegaa.

Sonal: Thank You Aarav.

Aarav: Ab aapne bhi toh meri madad ki thi bhabhi ko Payal ke baare mein batane ke liye. Waise ekbaat kahu.

Sonal: Hmm bolo.

Aarav: Woh ladka bada dhitt hai. Jabse college se nikle hai humara pichha kar raha hai.

Sonal: Whatttt.

Aarav: Haaa. Woh dekhiye. Apni bike mein humara pichha kar raha hai.

Sonal rear view mirror se dekhti hai toh woh shock hojaati hai.

Sonal: Ab kyaa karee.

Aarav: Don’t worry. Chaliye isko mumbai ke sadko mein ghumate hai. Yeh bol Aarav Car ki speed bada deta hai toh Vicky bhi apni bike ki speed bada deta hai.

Aarav car ko lekar alag alag raasto mein ghuma raha tha. Vicky bas uss car ka pichha kar raha tha woh yeh bhi nhi dekh raha tha kis raaste se nikal raha hai yaa kis raaste mein ghuss raha hai. Thodi der baad Vicky samundar ke aage khada tha par Aarav ki car waha nhi thi. Aarav usko chakma dekar uljha kar nikal gaya.

Vicky: Areee yeh kaha aagaya. Aur woh kaha gayee. Saale ne mujhe achha ghumaya. Aur chakma deke nikal gaya. Ab ghar kaise jau. Raasta bhi thik se nhi dekha. Par koi naa Google Baba zindabad. Phir woh google mein apne flat ka location deta hai aur nikal jaata hai.

Sonal: Kyaaa baat hai Aarav. Kyaa uljhaya hai. Maza aagaya.

Aarav: Ab humara pichha karega toh fhasegaa naa.

Phir yehlog ghar aajate hai.
 
Well-known member
3,317
5,026
143
Update 16
Idher Vicky apne flat mein aake gusse mein idher udher ghum raha tha.

Vicky: Iss Sonal ko toh main chorunga nhi. Woh sirf meri hai. Uski himmat kaise hui kisi aur ko pasand karne ki. Uss ladke ko toh main jaan se maardunga. Par pehle mujhe uska pata lagana hogaa.

Par uske pehle Sonal ke ghar yeh news toh deni hogi ke unki beti yaha mumbai aake kya kya gull khila rahi hai. Jisko unhone padhne bheja tha woh yaha aake kyaa kar rahi hai.

Yeh bol woh Meera ko call lagata hai. Par Samar ne khud ke phone se aur Meera ke phone se Vicky ko block kardiya tha.

Vicky: Yeh aunty ka phone itna busy kyo aaraha hai. Koi naa Swati di ko call karta hu.

Swati: Hello.

Vicky: Hello Swati Singh se baat horahi hai.

Swati: Yes. Aap kaun.

Vicky: Main kaun yeh choriye. Par itna jaan lijiye. Aapki behen jinko aaplogo ne mumbai padhne ko bheja hai woh yaha ladko ke saath ghum rahi hai. Aur ek ladke ko pasand bhi karti hai aur usse shaadi karne wali hai.

Swati: Whatt rubbish. Who are you. Tum Sonal ko kaise jaante ho.

Vicky: Yeh rubbish nhi hai. Sach hai. Main kaun hu yeh choriye aur apni behen ko sambhaliye. Yeh bol phone kaat deta hai. Aur jor jor se hasne lagta hai.

Vicky: Sonalll ab tum dekho tumhare ghar wale kyaa karte hai.

Idher Swati sang sang Sonal ko call karti hai.

Sonal: Good Afternoon di. Kaisi hai aap.

Swati: Good Afternoon. Main thik hu. Mujhe tujhse kuch janna hai. Tu sach sach batayegi.

Sonal: Kyaa baat hai di.

Swati: Kya tu sach mein Raj se pyaar karti hai yaa tere life mein koi aur hai.

Sonal: Diiiii. Aaj toh aapne yeh kehdiya. Aage se phir kabhi yeh naa kehna. Meri life mein Raj ke siva aur koi nhi aasakta. Yeh Sonal sirf aur sirf Raj ki hai.

Swati: Mujhe mere sawaal ka jawaab milgaya.

Sonal: Aapne achanak yeh sawaal kyo puchha di. Jab aapko pata hai. Maine aaj tak Raj ke alawa kabhi kisi ladke ko aankh utha ke nhi dekha.

Swati: Sonal abhi mere paas ek call aaya tha aur mujhe bola gaya tu ladke saath ghumm rahi hai aur kisi ko pasand karti hai aur shaadi karne wali hai.

Sonal samaj jaati hai yeh kaam kiska hai.

Swati: Isiliye maine tujhe call kiya. Aur tu yeh mat samajna mujhe tujhpe yakeen nhi. Mujhe tujhpe khud se jyaada yakeen hai. Main nhi chahti kalko iss baat ko leke koi issue ho aur Tere aur Raj ke beech future mein misunderstanding ho.

Sonal: Main jaanti hu di. Aap mujhe kabhi galat nhi samjhengi.

Swati: Toh phir yeh call kyaaa thaa.

Sonal: Mujhe laga nhi tha itni jaldi Jaipur call aajayega. Par uss call mein jo bola hai woh sab sach hai di.

Swati: Whattttttt.

Sonal: Pehle puri baat sunnlijiyee.

Swati: Bolo.

Sonal: Main jiss ladke ke saath ghum rahi hu woh Aarav hai jo mujhe college se ghar lene aur kabhi kabhi dene jaata hai. Aur dusre ladke jisse shaadi ki baat uthi hai woh Raj ke baare mein hi baat horahi hai.

Swati: Mujhe kuch samaj nhi aaraha hai Sonal. Tu saaf saaf bol.

Sonal: Di aapko phone Vicky ne kiyaa thaa.

Swati: Whattttt. Vicky. Matlab Vicky khanna.

Sonal: Yes Di.

Swati: Par woh aisa kyo karega.

Phir Sonal Swati ko sab kuch bata deti hai. Jisse sunke Swati ko bahot gussa aata hai.

Swati: Uski itni himmat. Main abhi papa ko bolti hu.

Sonal: Nhii di. Main nhi chahti dono families ke beech relation kharab ho. Warna main hi sab bol deti. Aur ab shayad mere iss jhoot se woh mera pichha chorr de.

Swati: Yeh toh achha hua usne mujhe call kiya. Agar Papa ko call karta toh kya hota. Main abhi papa ke phone mein uska number block kardeti hu.

Sonal: Please di. Jaldi kariye.

Swati: Chal main rakhti hu. Tu aaram kar. Aur tension matlena. Koi problem ho toh call karlena.

Sonal: Jiii.

Phir call cut hojaata hai.

Sonal: Yeh Vicky sach mein kameena nikla. Achha hai di ko sab malum hai warna kyaa hota. Aur agar usne pehle papa ko call kardiya hota toh kyaa hota. Par koi bhi jhoot jyaada din nhi chalta. Agar galti se bhi Raj ko pata chal gaya toh kyaa hoga. Woh toh mujhse naraz hojayenge. Aur shayad kabhi baat bhi naa karee. Nhi nhi. Mujhe Raj ko yeh pata chalne se rokhna hoga.

Sonal apne aap se hi baate kiye jaa rahi thi issbaat se anjaan ke uski aur Swati ki saari baatein kisi ne sunnli hai. Par usne sunnke koi react nhi kiya.

Raat ko dinner ke waqt sab dinner kar rahe the par kisi ka Sonal ko dekhne ka nazariya badal gaya tha. Usne Sonal ko ab kisi aur tarike se dekhna start kardiya thaa.

Dinner ke baad sab hall mein baithe baate kar rahe the. Sonal bhi wahi baithi thi.

Savitri: Sonal beta tumhe yaha achha toh lag raha hai naa. Koi pareshani toh nhi horahi naa.

Sonal: Nahi Dadi. Mujhe yaha bahot achha lag raha hai. Aisa lag raha hai main jaipur mein hi hu.

Savitri: College mein koi pareshani toh nhi hai naa.
Sonal yeh sunke ekpal sochti hai phir bolti hai.

Sonal: Nhi dadi. Koi pareshani nhi hai. Payal aur Ishita harwaqt mere saath rehte hai.

Savitri: Achhi baat hai. Agar koi pareshani ho toh Aarav ko yaa Raj ko boldena.

Sonal: Jiii.

Ashok: Raj uss contract ka kya hua jiska presentation tumne diya thaa.

Raj: Abhi tak kuch nhi pata chala Papa. Unki taraf se koi response nhi aaya hai. Yash ne baat ki thi toh pata chala thoda time lagegaa.

Ashok: Thikk hai.

Phir thodi der sab baat karke sone chale jaate hai.

Agle din Sonal Raj ke saath college ke liye ravana hoti hai.

Sonal: Rajj.

Raj: Hmmm.

Sonal: Aapse kuch puchna thaa.

Raj: Pehle ekbaat bolo. Tum harbaar puchne ke pehle permission kyo leti ho.

Sonal: Bas aiseee hi.

Raj: Tum meri kyaa ho.

Sonal: Dhadkte dil ke saath. Matlab.

Raj: Matlab tumse mera kya rishta hai.

Sonal: Mann mein. Yeh Raj kyaa puch rahe hai. Kahi inko mere dil mein kya hai pata toh nhi chal gaya.

Raj: Sonallll. Kyaa sochne lagi bolo.

Sonal: Nazre churate hue. Hum dost hai.

Raj: Galat.

Sonal hairaani se Raj ki aankho mein dekhti hai.

Raj: Hum sirf dost nhi hai. Hum achhe dost hai. Iss waqt Yash ke baad sirf tum ho jisse main dost kehta hu. Jiske saath mujhe baat karne mein acha lagta hai.

Sonal yeh sunnke bahott khushh hoti hai. Usko aisa lagta hai jaise woh Raj ki taraf ek step aur aage badh gayi hai.

Sonal: Khushi se. Sachhh Raj.

Raj: Bilkull.

Sonal: Thank Youuu.

Raj: So abse kuch bhi puchna ho toh permission lene ki jarurat nhi hai. Tumko jo marzi jab marzi puch sakti hai.

Sonal: Toh kal Sunday hai. Kyaa aap kal free hai.

Raj: Subah ek chotta sa kaam hai uske baad saara din free hu.

Sonal: Aapko yaad hai aapne mujhse ek promise kiya thaa.

Raj: Tumhe mandir lejaane ka right.

Sonal: Aapko yaad hai.

Raj: Haaa. Mujhe mere kiye hue promises humesha yaad rehte hai. Aur main puri koshish karta hu unhe pura karne ki.

Sonal: Toh kya kal aap mujhe le chalengee. Pleaseeee.

Raj: Isme Please kaisaa. Tum kal subah mere saath hi chalna mera kaam karke hum waha chalengee.

Sonal: Thank You Raj.

Raj bas smile kardeta hai.

Sonal bahot khush hoti hai. Usne kal raat ko hi yeh plan kiya thaa.

Raj: Lo tumhara college aagaya. Aaj andar nhi jaa raha.
Sonal: No Problem Raj and Thank You. Yeh bol woh car se utar jaati hai.

Sonal: Rajjj.

Raj: Hmm.

Sonal: Byeee. Aur dhyaan se jaaiyegaa.

Raj: Byeee. Apna khyaal rakhnaa.

Yeh bol Raj waha se nikal jaata hai. Sonal wahi khadi Raj ko jaate hue dekhti hai jab tak woh uski nazar se gayab naa hogaya.

Sonal khushi khushi College ke andar jaane lagti hai par tabhi saamne se Vicky aajata hai. Uske aise achanak saamne aane se woh ghabraa jaati hai.

Vicky: Good Morning.

Sonal: Mann mein. Tumhare rehte morning good kaise hosakti hai. Phir jor se bolti hai. Good Morning.

Vicky: Kyaa baat hai bahot khush lag rahi ho.

Sonal: Kyo nhi hona chahiyee.

Vicky: Aisi baat nhi hai. Par aaj kuch jyaada hi khush lag rahi ho.

Sonal: Bas aajka din achha hai. Yeh bol Sonal waha se nikal jaati hai.

Vicky: Yeh kyaa thaa. Mujhe laga iske ghar mein iske baare mein bataunga toh iske chehre mein tension hoga. Par yaha toh sab kuch ulta hogyaa. Kyaa Swati didi ne koi action nhi liyaa. Par aise kaise hosakta hai woh toh bahot strict hai innsab mamle mein.

Idher Sonal jhumti hui Canteen mein aati hai. Uske chehre se jaise khushi rukh hi nhi rahi thi.

Payal: Kyaa baat hai didi aaj bahot khush lag rahi ho.

Sonal: Bas aise hi aaj ka din achha hai.

Ishita: Aisa kyaa hogya di.

Sonal: Kuch nhi hua. Aur khush rehne ke liye kya kuch hona jaruri hai.

Dono: Baat toh sahi hai.

Payal: Di maine suna hai usne kal aapka pichha kiya thaa.

Sonal: Haa sahi sunna. Woh kal humara pichha kar raha tha. Par Aarav ne aisa ghumaya ke woh pichha kar hi nhi paaya.

Payal: Innsab mamle mein uska dimaag bahot chalta hai.

Sonal: Kuch jyaada hi tareef horahi hai.

Payal: Sharma ke. Aisa kuch nhi hai di.

Ishita: Toh Kaisa hai. Aarav bhaiya ki tareef hui nhi ke inki khushi ka thikana nhi.

Payal bas sharma rahi thi.

Sonal: Achha sunno. Woh shayad mera address khojne ke liye hosakta hai tumdono ka bhi pichha karee. Toh alert rehna.

Dono: Bilkull. Lo shaitaan aagaya.

Ishita: Ek baat batao. Tumhe koi dusra kaam dhanda nhi hai. 2 din se dekh rahi hu jab dekho humare taraf hi chakar katte rehte ho.

Vicky: Main yaha anjaan hu. Sonal ke alawa kisi ko nhi jaanta. Isiliye Sonal ke aaspaas rehta hu.

Payal: Sonal di bhi yaha nayi thi. Unhone humse dosti ki tabhi woh humare saath hai. Warna woh akele rehti thi kisi ke paas aise ghumti nhi thi. Tum anjaan ho toh jaan pehchan banao. Jab dekho humare paas hi bhatakte rehte ho. Maante hai Sonal di tumhari dost hai. Par agar har waqt inke aas paas bhatkoge toh dusre dost nhi banenge.

Vicky: Tum dono dost banjao.

Dono: Humhe ladko se dosti karna pasand nhi.

Vicky: I think Aarav bhi ladka hai.

Payal: Tumhari problem kya hai. Tum Aarav ko kyo beech mein laa rahe ho. Tum jaante ho usse nhii woh jaanta hai tumhe nhi. Hum jaante hai tumhe nhi. Toh tum usse kyo beech mein laa rahe ho. Aur hum kisse dosti karenge yeh humari marzi hai.

Vicky: Tumdono naraz kyo horahi ho. Aur main yeh dekh raha hu tumlog ka behaviour mere prati bahot rude hai. Maine aisa kya kardiya hai.

Sonal: Choro naa Vicky. Aur Jaipur ki baat alag thi. Yaha ki baat alag hai. Mujhe waha bhi dosti karna pasand nhi tha aur yaha bhi nhi. Yeh mere roommates hai isiliye inse dosti ki hai.

Vicky kuch bolta usse pehle hi class ki bell baj jaati hai.

Sonal: Chalo time hogyaa. Phir woh teeno waha se nikal jaate hai.

Vicky: Yeh inndono ne achha nhi kiya. Inko meri beizaati nhi karni chahiye thi. Sirf uss Sonal ke wajah se sunnliya. Ekbaar yeh Sonal ko maza chakha du. Phir inko bhi dekhlunga.

Idher Raj office aata hai toh Yash pehle se baitha hua tha aur phone mein laga hua thaa.

Raj: Aajkal dekh raha hu tu harwaqt phone pe laga hua hai. Maajra kya hai.

Yash: Koi maajra nhi hai. Ab phone aata hai toh baat karna padhta hai.

Raj: Pehle toh itne phone nhi aate the. Aajkal kuch jyaada hi phone aate hai.

Yash: Aisa kuch nhi hai. Tujhe kaam nhi karna Kyaa jo baato mein time waste kar raha hai. Aajkal tu bahot badal gaya hai.

Raj: Achha main badal gaya hu. Aur tu nhi badla. Mujhse baate chipaane laga hai aajkal.

Yash: Hadbada ke. Nhii bhai. Aisi koi baat nhi hai. Aur main kyo tujhse kuch chipaunga. Chal chal bahot kaam hai. Yeh bol Yash waha se nikal jaata hai.

Pichhe Raj hasne lagta hai.

Idher College mein chutti ke baad Aarav aajata hai Sonal ko lene. Sonal ko aane mein thoda time tha par Payal pehle hi aagayi thi.

Payal: Kyaa baat hai Mr. Driver. Aaj time se pehle.

Aarav: Bas aagaya. Tum yaha kya kar rahi ho. Class nhi hai.

Payal: Nhi. Lecture off hai. Waise manna padega. Sonal di ki wajah se koi jimmedaar ban gaya hai.

Aarav: Ab jimmedaar toh banna padega kal ko shaadi hogi toh jimmedaariyan badegi isiliye abhi se practice kar raha hu.

Payal: Achhaa. Abhi se shaadi ki soch. Ladki mil gayi.

Aarav: Haa milgayi.

Payal: Kaun hai woh badsurat.

Aarav: Mind your language. Jo meri jaan ko badsurat kaha toh. Aree usse jyaada khubsoorat toh koi ho hi nhi sakta. Ekdum chaand sa chehra. Jheel si gehri aankhe. Uske jaisa koi nhi. Tum dekhogi naa toh jal jaogi uski khubsoorati dekh.

Payal: Sharma ke. Jalegi meri jooti. Mujhe nhi lagta jitna tum bol rahe ho woh utni khubsoorat hai.

Aarav: Aree tum kyaa jaano woh kitni khubsoorat hai. Meri nazar se dekho tab pata chale. Waise tumne kisi ko pasand kiya hai.

Payal: Haa kiya hai. Hai ek handsome smart dashing. Jisko dekhte hi dil ki dhadkan badh jaaye.

Aarav: Matlab dil ki beemari aajaaye.

Payal: Apni hadd mein raho. Tum kyaa jaano meri jaan ke baare mein.

Aarav: Mujhe janna bhi nhi hai.

Payal: Jal jaoge uski smartness dekh kar.

Aarav: In your dreams.

Tabhi waha Ishita aati hai.

Ishita: Aur love birds kyaa baate horahi hai.

Aarav: Tujhe kyo janna hai. Kabaab mein haddi.

Ishita: Achha main kabaab mein haddi. Ruko aaj toh aapdono ke baare mein bhaiya bhabhi ko bata ke rahungi.

Aarav: Aree meri behen toh gussa hogyi. Main toh mazaak kar raha tha kyo Payal.

Payal: Haa Ishu. Yeh toh mazaak kar raha tha. Hum toh bas aise hi casual baate kar rahe the. Nothing else.

Ishita: No maskaa. Mujhe sab pata hai jao jao maaf kiya. Aap bhi kya yaad rakhoge kis bade dilwali se paala padha hai.

Aarav: Thank Youuu. Waise di nhi aayi abhi tak.

Payal: Aati hi hongi. Aur pichhe pichhe woh joker bhi. Aur di nhi bhabhi. Bhul gaye woh college mein bhabhi hai.

Aarav: Yaa yaa right. Par uss joker ka kuch karna padegaa.

Payal: Choro naa aise logo ke muh nhi lagte.

Ishita: Haa bhaiya. Payal sahi keh rahi hai. Woh gira hua insaan hai.

Aarav: Hmmm.

Thodi der mein Sonal aajaati hai aur as always Vicky pichhe hi thaa.

Sonal: Vicky tum yeh harwaqt mere pichhe aana chordo. Mujhe achha nhi lagta. Dusre log galat matlab nikaal sakte hai. Jaipur mein the baat alag thi. Par yeh mumbai hai. Aur main nhi chahti yaha aisa kuch ho.

Vicky: Par hum dost hai.

Sonal: Dost hai iska matlab yeh nhi harwaqt mere pichhe pade raho. Tum yaha padhne aaye ho toh usme interest do naa. Harwaqt mere pichhe mat pado. Yeh bol Sonal car mein baithke waha se chali jaati hai.

Vicky wahi apna thagga sa chehra liye baitha rehta hai.

Aarav: Kyaa baat hai di. Aaj toh aapne usse achha sunaya.

Sonal: Pareshan hogyi hu Aarav. Roj roj ek hi chiz.

Aarav: Koi naa. Kal toh Sunday hai. Aapko iss tension se chutti milegi.

Sonal: Haaa.

Thodi der baad dono ghar aajate hai.

Sonal ke sunane ke baad Vicky ne aaj kisi ka pichha nhi kiya. Kyoki usne kuch aur socha tha. Isiliye usne kisi so phone milaya aur kuch baat ki jabardasti uss baat ki manwaya.

Vicky: Ab dekhta hu Sonal tum kyaa karti ho. Aaj raat tumko ek aisa jhatka milega jiske baad tum mere alawa kisi aur ko dekhogi tak nhi.
 

Top