Thriller Bungalow No.....

😈😈😈ENDLESS 😈😈😈
1,241
1,712
143
Update 1
Main Peshe se ek wakeel hoon. Naam Ishaan Ahmed, umar 27 saal, kad 6 foot, rang gora. Law college mein har koi kehta tha ke main kaafi handsome hoon. Kaise ye mujhe ab tak samajh nahi aaya kyunki meri zindagi mein ab tak kabhi koi ladki nahi aayi. Main shehar ke us ilaake mein rehta hoon jahan sabse zyada ameer log hi baste hain. Nahi ghar mera nahi hai. Kiraye par bhi nahi hai. Bas yun samajh lijiye ke mere yahan rehne se us ghar ki dekhbhaal ho jaati hai isliye main yahan rehta hoon.
Meri maali halat kuchh zyada theek nahi hai. Badi mushkil se law college ki fees bhar paaya tha. Jaise taise karke apne law ki padhai poori ki aur practice ke liye sheher chala aaya. 3 saal se yahan hoon par ab tak koi khaas kaamyabi haath nahi aayi par main mayus nahi hoon. Abhi to poori zindagi padi hai.Par ek din main kamyaab zaroor kehlaoonga, ye bharosa poora hai mujhe apne uper.
Jis ilaake mein main rehta hoon yahan shuru se aakhir tak vahi log baste hain jinke paas andha paisa hai. Itna paisa hai ke vo saari zindagi bethkar khaayen to khatam na ho. Bade bade ghar, unke saamne bane shandaar gardens, saaf suthri sadak. Colony ke theek beech mein ek park bana hua tha jiske chaaron taraf takreeban 6 foot ki iron ki fence bani hui thi.
Par is saari khoobsurati mein ek daag tha. Bungalow No 13. Us poore ghar par uper se neeche tak dhool chadhi hui thi. Khidkiyan gandi ho chuki thi jinpar maine aaj tak koi parda nahi dekha tha. Ghar ke saamne garden to kya ek flower pot tak nahi tha. Paint utar chuka tha. Ghar ke saamne jaane kabse safai nahi hui thi aur kaafi kachra jama ho gaya tha. Ghar ka darwaza dekhne se aisa lagta tha ke bas abhi gir hi jaayega. Ghar ka haal aisa tha ke hamare desh ke mash-hoor bikhaari bhi us ghar mein bheekh mangne nahi jaate the.
Us ghar ke baare mein kahaniyan kuchh aisi thi ke koi bhi usmen rehne ke khyaal se hi kaanp uthta tha. Us ghar ke baare mein log baaten bhi itni khamoshi se karte the ke jaise kisi ne sun liya to unpar museebat aa jaayegi. Kaha jaata tha ke us ghar par kaala saaya hai aur koi bhatakti aatma us ghar mein niwas karti hai aur isi vajah se pichhle 20 saal se us ghar mein koi reh nahi paaya tha. Kuchh in kahaniyon ki vajah se, kuchh akelepan, kuchh purani khasta halat ki vajah se us bungalow ko bhoot bungalow ke naam se jaana jaane laga tha. Iske kisi ek kamre mein bahut pehle ek khoon hua tha aur kaha jaatha ke usi din se is bungalow mein usi ki aatma bhatakti hai jiska khoon hua tha. Dekhne walo ka kehna tha ke unhone aksar raat ke waqt ek roshni ko bungalow ke ek kamre se doosre kamre mein jaate dekha tha aur kayi baar kisi ke karahne ki aawaz bhi suni thi. Safed saree mein lipti hui ek aurat ko us ghar mein bhatakte hue dekhne ka dawa bahut saare log karte the.
In kahaniyon mein kitna sach tha ye keh pana bahut mushkil tha par jabki vo ghar bahut hi kam kiraye par mil raha tha koi bhi insaan usmen rehne ko raazi nahi tha. Vo ghar poore sheher mein dheere dheere mash-hoor ho gaya tha. Jo us ghar mein rahega vo maara jaayega aisi baat har kisi ke dimag mein beth chuki thi. Aur ek saal garmi ke mausam mein ye saara bhram us din khatam ho gaya jab Mr. Bhairav Manchanda us ghar mein rehne aaye. Vo koi 70 saal ke dikhne mein ek sidhe saade se aadmi lagte the. Koi nahi janta tha ke vo kahan se aaye the par Bungalow No 13 unhone kiraye par liya aur us ghar ki hi tarah khud bhi ek akelepan se bhari zindagi vahan jeene lage.

Shuru shuru mein to baat yahi chalti rahi ke bhoot bungalow mein rehne wala insaan ek hafte se zyada nahi tik paayega par jab dheere dheere ek hafta 6 mahine mein badal gaya aur Mr Manchanda ne vahan se nahi gaye to logon ne bhoot bungalow ke bhoot ko chhodke unke baare mein hi baaten shuru kar di. Bahut thode waqt mein bungalow aur bhoot ki tarah unke baare mein bhi kai tarah ki ajeeb ajeeb kahaniyan sunayi jaane lagi.
Aisi kayi kahaniyan maine apne ghar ke malik ki biwi se suni jo aksar mujhse milne aaya karti thi ya yun kahun ke ye dekhne aati thi ke main ghar se kuchh churakar kahin bhaag to nahi gaya. Vo mujhe bataya karti thi ke kaise Mr Manchanda us ghar mein akele pade rehte hain, kaise vo kisi se baat nahi karte, kaise unhen dekhne se ye lagta hai ke unke paas bhi bahut sa paisa hai, kaise vo aksar raat ko sharab ke nashe mein ghar aate dekhe gaye hain aur kaise vo kaam wali bai jo aksar din ke waqt bhoot bungalow mein jaakar kabhi kabhi safai kar deti thi ab vahan nahi jaati kyunki use lagta hai ke Mr Manchanda ke saath kuchh gadbad hai.
In sab baaton par maine kabhi koi dhyaan nahi diya. Mera saara dhyaan to bas is baat par rehta tha ke main kaise apni zindagi mein kaamyabhi hasil karun. Aur isi sab ke beech ek din meri Mr Manchanda se mulaqat hui. Vo mulaqat bhi badi ajeeb thi.


To be continued....
 

Top