Thriller DARK GIRL ~The vampire~(COMPLETED)

Member
312
78
28
Chatpter 14 - The Unexpected

"Main abhi bhi keh raha hoon ke mujhe ye kuchh theek nahi lag raha"Khan ne meri taraf mudte hue kaha.
"Would you just relax?"Maine jeb se ek cigarette nikal kar jalayi"Sirf baat karni hai usse"
"Nahi, tune baat karni hoti toh phone par karta, yahan na aata aur apne saath mujhe bhi na ghasit-ta"
Ham dono Mumbai port ke paas ek sunsan si jetty par bethe hue the. Raat ke 9 baj rahe the isliye hamare aas paas us jagah par koi nahi tha. Hamse thodi door hi port par ek ship mein kuchh load kiya ja raha tha aur kaafi chehal pehal thi. Roshni se poora ilaaka nahaya hua tha aur har 5 min mein kisi ship ke horn se ham dono ke kaan baj uthte the. Jis jagah ham dono intezaar kar rahe the yahan bhi din mein kaafi logon ka aana jana rehta hoga par shayad shaam hote hote sab nikal jaate the isliye us waqt vahan sirf ham 2 hi maujood the. Main vahin ek taraf rakhe lakdi ke box par betha hua tha aur Khan mere saamne pareshaan sa chehal kadmi kar raha tha.
"Yaar phir cigarette?"Maine cigarette jalayi toh usne phir mujhe ghoorte hue puchha.
"Chhod na yaar"Maine uski baat ansuni kar di"Mujhe samajh nahi aa raha ke tu itna pareshaan kyun hai? Teri kabse itni jaldi hawa khisakne lagi?"
"Nahi khisakti"Vo ruka aur mere paas aakar beth gaya"Par jabse tune mujhe apna ye plan bataya hai tabse jaane kyun ek anjaan sa darr sa dil mein betha hua hai, khaas taur se abhi jab main ghar se nikal raha tha. Jaane kyun dil hi dil mein aisa lag raha tha ke mujhe nahi jana chahiye"
"Abe chal phattu"Maine haste hue kaha"Chinta na kar, i wont let them rape you"
"Yeah right"Vo meri hasi se kheejta hua bola"Aur ye cigarette band kar, munh pe dhuan chhod raha hai mere. Saans lena mushkil kar raha hai"
"Abe kya kar raha hai"Usne mere haath par apne haath se thappad mara aur cigarette chhut kar neeche giri.
"Bujha de ise"Vo dhuen ki vajah se khaansta hua bola"Aur ye sala Sharafat hai kahan?"
Kya Saloni wala Pratap ya Raghu aur Pratap Raghuvanshi ek hi aadmi the ya alag alag, is baat ki gawahi sirf ek hi aadmi de sakta tha aur vo tha Sharafat Bhai. Maine kaafi socha par is baat ko saabit karne ka aur koi tarika mere dimag mein nahi aaya. Is waqt meri halat kuchh aisi thi ke Saanwli ko dhoondhne ke saath saath mujhe apni bhi jaan bachani thi, apne sar se ek murder case talna tha. Agar zara bhi is baat mein sachchai thi ke Geetanjali isliye mari kyunki vo Saanwli ke baare mein kuchh jaanti thi toh iska sidha sidha matlab ye tha ke khud meri bhi jaan khatre mein thi. Vo toh sirf Saanwli ke baare mein mujhe kuchh batane ki koshish kar rahi thi jabki main toh khud use dhoondhta phir raha tha. Is sabke pichhe jo koi bhi tha, agar usne Geetanjali jaisi pahunchi hui hasti ko maarne mein koi hichkichahat nahi dikhayi toh meri toh aukaat hi kya tha.
Kaafi soch vichar ke baad maine Sharafat ko phone ghumaya aur usse kaha ke main kuchh baat karna chahta hoon. Vo fauran samajh gaya ke main ho na ho, Saanwli ko lekar hi kuchh puchhna chaunga. Jab maine dekha ke vo samajh gaya hai toh maine bhi baat ko chhupane ki koi zaroorat nahi samjhi aur sach bol diya.
Main ummeed kar raha tha ke shayad vo mujhe apne Bar ya kahin aur kisi adde par bulana chahega par usne mujhe yahan port ke paas ek jetty par bulaya. Pehle toh main akela hi aa raha tha par phir Khan ko bhi phone karke bula liya.
"Itni takleef hai toh aaya hi kyun tha?"Main chidta hua bola. Vo meri aakhri cigarette thi jo usne bujha di thi.
"Kyunki bulaya tha tune isliye, varna mujhe koi shauk nahi hai kisi aur ke pachdon mein taang adata phirun"
"Kaisa policewala hai tu?"
"Sharafat se apni zindagi jeene aur maze karne wala. Mujhe koi bukhar nahi chadha hua samaj se gandgi hatane ya achhe kaam karne ka. Apne ko bas thoda idhar udhar raub dikhane ka, rishwat ki kamai par aish karne ka aur ghar aake so jaane ka, itna hi chahiye police ki naukri se"
"Darpok sala"Maine cigarette ka khaali packet hawa mein uchhalte hue kaha.
"Haan tere toh pichhwade mein bada bahaduri ka piston laga hua hai na. Aa jata akele, mujhe kyun bulaya?"
"Bada ehsaan qureshi maar diya tune yahan aake mere pe. Ja chala ja"
"Zyda na bol, chala bhi jaoonga. Phir vo Sharafat banayega tera tandoori murga"
"Haan toh ja chala ja na, tere hone se bada usne darke pajama geela kar dena hai"
Usne ek baar meri taraf ghoor kar dekha aur uthkar ek taraf chal diya.
"Aur sun, jaate jaate ek cigarette ka packet pakdata jana"Maine pichhe se aawaz lagayi.
Vo uthkar chand kadam hi gaya tha ke ek boat ke horn se ham dono ke kaan khade ho gaye. Meri nazar saamne samundar ki taraf uth gayi aur Khan bhi ruk kar usi aur dekhne laga jahan se ek boat hamari taraf aa rahi thi. Horn ke kuchh pal baad hi ek flash light jali aur ham dono par focus ho gayi. Khan ulte kadam meri taraf badha aur mere saath aakar khada ho gaya.
Jaise jaise boat nazdeek aayi mujhe uske deck par khada Sharafat dikhai diya aur uske aas paas khade kam se kam 6-7 aadmi. Ye ek vaisi hi boat thi jaisi ke hamare desh ke local machhuare istemaal karte hain aur jaisi ke purani Amitabh Bachchan ki filmon mein bhi dikhai dete the. Scene bhi kuchh aisa hi tha, purani Don type films jaisa. Kinare par khada hero, door se raat ko dheere dheere nazadeek aa rahi boat aur uski flash light ki chamchamati roshni.
"Ab toh mujhe bhi kuchh theek nahi lag raha"Maine kaha"Chal nikalte hain yahan se"
"Too late for that"Khan ne bina meri taraf gardan ghumaye kaha"Ab okhli mein sar de diya toh moosal se kya darna"
Thodi der baad Boat Jetty se aa lagi. Deck par Sharafat khada tha aur uske saath uske kuchh aadmi.
"Aa jaiye"Usne hamein boat par aane ka ishara kiya.
"Ham yahan bhi toh baat kar sakte hain"Maine jhijhak dikhlayi.
"Mausam achha hai, aaiye raat ke waqt aapko samundar ki sair bhi kara laayenge. Main aksar raat ka khana apni boat par hi khata hoon, samundar ke beech"
"Kya bolta hai?"Maine dheere se Khan se puchha.
"Chal"Vo bola aur boat ki taraf badh chala.
Thodi hi der baad Boat ham dono ko liye ek baar phir ghoom kar Samundar mein badh chali.
"Aapke yahan hone ki ummeed nahi thi mujhe Khan Sahab"Sharafat Khan se bola"Assalam Alaikum"
"Matlab pata hai?"Khan use ghoorte hue bola.
"Ji?"Sharafat na samajhte hue bola.
"Assalam Alaikun, Is line ka matlab pata hai?"
"Hmmmmm"Sharafat ne pal bhar ke liye socha aur phir inkaar mein gardan hilayi"Nahi"
"Toh bol kyun raha hai jab matlab nahi pata toh?"
"Kamal hain"Sharafat muskurate hue bola"Main tameez ka tokra apne sar par uthaye khada hoon aur aap sidha tu tadak par aa gaye"
"Tune meri bad-tameezi abhi dekhi kahan hai"Khan ne tewar dikhate hue kaha"Kabhi fursat mein milna, achhe se sample deke dikhaoonga"
"Khana taiyyar hai"Sharafat ab bhi vahi sharafat ka chola pehne khada tha"Aaiye"
Boat ke ek hisse par khule mein ek table aur kuchh chairs lagi hui thi jispar uske aadmi khana laga rahe the. Vo ek kursi par ja betha aur ham dono uske saamne lagi 2 kursiyon par ja bethe.
"Aaj mutton banaya hai. Aap non-veg toh khaate hain na Sharma ji"
Usne puchha toh main haan mein sar hila diya.
"Aap kuchh baat karna chahte the?"
"Ji haan"
"Kariye"
"Saanwli mein aapki kya dilchaspi hai?"Main sidha matlab ki baat par aa gaya.
"Isi liye aap Khan Sahab ko saath laaye hain?"Vo apni plate mein khana nikalte hue bola"Taaki aap mere munh se baat nikalva saken?"
"Main kisi ke munh se kuchh nahi nikalvana chahta"Maine bhi khana apni plate mein dalna shuru kiya"Main sirf itna jaanna chahta hoon ke aap mujhe Saanwli ko dhoondhne se rok kyun rahe the?"
"Ye baat aapne mujhse us din toh nahi puchhi jab main aapke ghar aaya tha"Vo daant dikhata hua bola"Us din toh aap bas meri haan mein haan mila rahe the"
"Main puchhta toh aap bata dete?"
"Kise pata, shayad bata bhi deta"
"Toh ab bata dijiye"
"Arrey aap Khana lijiye na Khan Sahab"Vo meri baat nazar andaaz karta hua Khan se bola.
"Bhookh nahi hai mujhe"Khan ne inkaar mein sar hila diya.
"Khane ko kabhi mana nahi karta, rizq hai, le lijiye. Thoda chakh hi lijiye. Varna jisne 2 waqt ki roti ata ki hai vo bura maan jaayega"
Uski baat Khan ne maan li aur apni plate mein khana daalne laga.
"Toh ab bata dijiye ke kyun rok rahe the mujhe?"Maine sawal phir dohraya.
"Akele mujhse milne aane mein dar lag raha tha aapko isliye policewale ka raub dikhane ke liye inhen saath le aaye?"Usne phir meri baat ansuni kar di.
"Aapne meri baat ka jawab nahi diya"Maine kaha.
"Mood nahi hai mera"Vo kandhe uchkata hua bola.
"Khud rokne aaye the ya kisi ke kehne par?"
"Kya matlab?"
"Raghuvanshi ke kehne par dhamkane aaye the na mujhe?"Mere andar jaane kahan se ek ajeeb si himmat paida ho gayi thi"Vo khud saamne nahi aaya, aapko bhej diya"
"Kaun Raghuvanshi?"
"Pratap Raghuvanshi"Khan ne khana khaate khaate beech mein bola.
"Vo kaun hai?"Sharafat uski taraf mudte hue bola.
"Tera baap. Usi ki najayaz aulad hai na tu? Usi ke liye kaam karta hai?"
"Aap mere mehmaan hain, mere yahan meri table par khana kha rahe hain, is baat ka galat fayda na uthayen"
"Pratap Raghuvanshi ka kya interest hai Saanwli mein?"Is baar sawal maine kiya.
"Mujhe kaise pata Pratap Raghuvanshi se hi puchhiye"
"Kahan milega vo?"
"Ye aap khud pata kijiye. Main uske baare mein kuchh nahi janta"
"Kamal hain. Jiske kehne par aap kutte ki tarah dum hilate ghoomte hain usi ka pata nahi jaante?"Main tana maarte hue bola.
AUr iske baad jo hua uska maine bilkul andaza nahi lagaya tha. Vo Sharafat jise maine ab tak sirf muskura kar aap aap se baat karte hue suna achanak gusse mein bhadak utha. Vo ek kaafi lamba chauda insaan tha, achanak utha, ham teeno ke beech rakhi table ko utha kar ek taraf uchhala aur meri gardan pakad li.
"Apni aukaat mat bhool saale" Uske lambe chaude haath mein meri gardan poori sama gayi. Maine Khan ki taraf dekha. Vo Sharafat ke is achanak hue hamle se chaunk kar pichhe ko ja gira tha par fauran uth khada hua aur apne shirt ke andar se apni service revolver nikal kar Sharafat ki taraf uthayi. Tabhi kahin se ek goli ki aawaz goonji, nishana Khan tha. Goli uski kanpati par lagi aur aur uska chehra pal bhar mein khoon se san gaya. Uske haath se gun chhot kar niche gir padi, shareer ladkhada kar boat ke chaaro tarf bani lakdi ki deewar se takraya aur neeche aa gira.
Mere sar par pichhe se kisi ne ek bhaari cheez se vaar kiya aur main bhi apne hosh khota neeche gir pada. Aakhri kuchh lamhon mein mujhe boat ke doosri taraf se Sharafat ke aadmi bhaag kar aate hue dikhayi diye. Khan ke jismse jaan nikal chuki thi aur sar se bhaari matra mein khoon beh kar nikal raha tha.
"Yeh laash pani mein uthake phenko"Mujhe Sharafat ki aawaz sunai di aur main hosh kho betha.
 
Member
312
78
28
Mujhe hosh aaya toh main ek chhote se kamre mein bed par pada tha. Mera sar dard ke maare phata ja raha tha. Main aankhen malta hua bed par uth betha aur apne sar par haath phera. jis jagah par mere sar pe kisi cheez se vaar kiya gaya tha, vahan soojkar ek gola sa ban gaya tha aur haath lagane bhar se hi ehsaas bhi ho gaya ke us jagah khoon sookh kar jam chuka hai. Maine ek nazar apne aas paas ghumayi aur phir jhatke ke saath ek ek karke saari baatein yaad aane lagin, vo sab jo mere behosh hone se pehle hua tha.
Mumbai port, Jetty, Boat, sharafat, table, khana, jhagda, Goli ki aawaz, Khan Khan"Jaise mere dimag ne zor se chilla kar kaha.
Main fauran bistar se uth khada hua par ekdam se chakkar aaye aur main phir bed ke kinare par beth gaya.
Khan ko goli lagi thi, kahan hai vo"Mere dimag mein sirf yahi ek khyaal chal raha tha. Maine phir bistar se uthne ki koshish ki ke tabhi darwaza khula aur sharafat apne 2 aad miyon ke saath kamre mein daakhil hua.
"Assalam Alaikum"Usne apne vahi purane andaaz mein müskurate hue poori sharafat ke saath salam kiya"Hosh aa Gaya janab ko?"
"Khan Kahan hai?"Maine sidha sawal kiya.
" Is baat ke 2 jawab hain"Kehta hua vo kamre mein rakhi ek kursi par beth gaya aur uske dono aadmi darwaze ke paas khade ho gaye"Agar aapka matlab Khan ke jism se hai toh vo samundar ki gehraiyon mein hai aur agar aapka matlab uski rooh se hai toh vo toh Allah Miyan ke paas hai"
Mera khoon khol utha. Aisa laga jaise kisi ne mere halaq mein haath daal kar mera dil bahar khinch liya ho. Dimag kundh sa padne laga aur mera dil chaha ke aage badhkar Sharafat ka girebaan pakad loon. Par main janta tha ke iska nateeja ya toh ye hoga ke majhe phir pakad kar bistar par betha diya jaayega, ya Sharafat aur uske aadmi milkar meri thukai karenge aur ye bhi mumkin hai ke saari takleef ganwara na karte hue vo sidha mujhe bhi goli hi maar de.
"Nahi koi baat nahi"Sharafat mera chehra padhte hue bola"Dil hi dil mein gaali dekar kyun zehar apne andar zabt kar rahe hain? Main samajh sakta
hoon. Gussa nikal lijiye par khyaal rahe ke istemaal sirf zubaan ka ho, haath paon ka nahi"
"Kyun?"Main sirf itna hi keh paya.
"Pata nahi?"Sharafat ka jawab tha.
"Kya matlab?"
"Matlab ke mujhe nahi pata"
"Tune mere Bhai ko maar diya meri aankhon ke saamne aur Tujhe pata nahi ke kyun?"
"Bhai?"Usne maathe par shikan padi"Oh aapka matlab aapke Bhai jaisa dost. Dekhiye janab maine toh aapki gardan pakdi thi. Khan Sahab ko ticket toh kisi aur ne kata"
"Kisne?"Maine fauran sawal kiya.
Iske jawab mein Sharafat sirf halke se haste hua apni jagah se utha aur mere paas aakar mera gaal aise thapthapane laga jaise main koi chhota bachcha hoon.
"Aap sawal bahut puchhte hai Sharma ji par koi baat nahi, sawal puchhna achhi baat hai aur phir ye toh aapka pesha bhi hai. Par aapko pata hona chahiye ke kaun sa sawal, kis waqt aur kisse puchhna chahiye"
"Yeh meri baat ka jawab nahi tha"
"Main aapki baat ka jawab de bhi nahi raha sirf kuchh samjhane ki koshish kar raha hoon. Afsos ki baat hai ke hamein bachpan se ye taaleem di jaati hai, sikhaya padhaya jata hai ke kab bolna hai, kya bolna hai, kaise bolna hai par ye nahi sikhaya jata ke kab chup ho jana hai. Yahi aapko seekhna hai. Sawal puchhiye par is baat ko dimag mein rakh kar ke waqt padne par apna munh band karke chuppi saadh leni chahiye. Seekhiye ke kab ghoor kar dekhna hai aur kab nazar pher leni hai. Isi mein aapki bhalai hai"
"Kisne mara use?"Maine phir apna sawal dohraya.
"Ziddi ho bhai, bahut ziddi'Kehkar vo darwaze ki taraf badh chala"Aap jaane ke liye aazad hain. Jab chahen uth kar ja sakte hain"
"Bach nahi paoge, ek policewale ko mara hai tumne"
"Nahi'vo phir palta"Maine kisi ko nahi mara aur jo mara uski maut ko saabit bhi kaise karenge aap? Kaun sunega aapki, aap toh khud ek khoon ke ilzaam mein bachte phir rahe hain. Aur meri maaniye toh munh na hi kholiyega varna kahin aisa na ho ke ye bhi aapke hi sar pad jaaye. Phir 2 murder cases se bhaagte phirenge"
"Mujhe kyun chhod diya"
"Ek baar phir, na maine kisi ko mara aur na main kisi ko chhod raha hoon"Kehte hue usne darwaza khola.
"Mere saamne tumne ek policewale ko mara hai, main chashm-deed gawah hoon"
vo sirf meri taraf dekh kar hasa aur phir apni aadmiyon ki taraf muda.
"Jaane dena ise"Kehkar vo darwaza khol kar bahar nikal gaya.
Mujhe ek pal ke liye samajh nahi aaya ke kya karun. Bachpan se main Khan ko janta tha, saath saath pale badhe the, ek doosre ke har dukh dard mein shareeq the. Kareebi dost ki naam par ek vahi tha bas meri zindagi mein. Jab bhi koi museebat hoti, koi zaroorat padti ya koi khushi ka waqt hota toh mujhe sabse pehle usi ki yaad aati thi.
Is waqt bhi shayad main use hi phoon ghuma raha hota par aur ab vo nahi tha, ja chuka tha meri vajah se. "Yaar mujhe kuchh theek nahi lag raha. Aaj ghar se nikalte hue mera dil keh raha tha ke mujhe nahi jana chahiye"Mujhe uski kal raat ki kahi baat yaad Aayi. Kitna sach keh raha tha vo. Uski gut feeling theek thi. Agar vo ghar se na nikalta toh aaj zinda hota.
Mera sar ka dard kam hone ka naam nahi le raha tha. Main uthkar khada hua aur apne kapde sahi kiye toh ehsaas hua ke sar se khoon behkar pichhe se meri shirt ko bhi bhigo chuka tha. kismat se Maine kaale rang ki shirt pehni hui thi isliye khoon ka rang nazar nahi aa raha tha.
Ladkhadata hua main dheere dheere kamre se bahar nikla toh ehsaas hua ke main Sharafat Bar mein hoon Ye neeche basement mein bane vo kamre the jahan jism-faroshi ka dhandha hota tha. Mujhe kamre se bahar aaya dekh Sharafat ke aadmi meri taraf ek pal ke liye ghoome par phir mujhe andekha karke apni baaton mein lag gaye.
Sidhiyan chadhkar main Bar mein aaya. Bar poori tarah bhara hua tha aur tab mujhe waqt ka andaza hua. Confirmbkarne ke liye apna cell nikal kar time dekha toh sach mein raat ke 8 baj rahe the isi liye Bar poori tarah sharabiyon se bhara hua tha aur dance floor par Bar girls dance karne ka natak karti hui apna jism halke halke hila rahi thi. Yaani main aaj poora din hi behosh raha tha. Dheere dheere chalta hua main Bar se bahar nikla, ek auto ko haath dikha kar roka aur Dharavi ki taraf chalne ko kaha.
 
Member
312
78
28
Dharavi main phir usi lodge pahuncha jahan main pichhle ek hafta se ruka hua tha. Neeche betha ladka meri halat dekh kar hi samajh gaya ke kuchh gadbad hai.
"Kidhar lafda karke aaye kya?"Vo mujhe dekh kar mere kareeb aata hua bola.
Uski baat ka koi jawab diye bina main sidhiyan chadh kar apne kamre mein pahuncha.
"Ye pichhe sar pe kaun mara? Bahut khoon nikla lagta hai, poori kameez par khoon laga hai"Vo mere pichhe pichhe mere kamre tak aa gaya.
"Aap theek ho?"Maine koi jawab nahi diya toh usne phir puchha"Main doctor ko leke aaoon?"
"Nahi. Aur sun, mujhe ab bilkul disturb nahi karna"Kehte hue maine darwaza band kar diya aur bistar par ja gira.
Mujhe aisa lag raha tha jaise meri duniya khatam ho rahi ho. Dimag sunn ho gaya tha, sochne samajhne ki taqat khatam ho chuki thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya karun aur kya na karun. Yahin reh kar is kahani ko aakhir tak le jaoon ya sab chhod kar Mumbai se niklun aur kahin aur ja basun. Is sabse bahut door. Jo asal mein ek ladki ki sidhi saadi talash honi thi vo khud mere hi ji ka janjal ban gayi thi.
Khan ka khyaal mere dimag se ja hi nahi raha tha. Baar baar uski shakal meri aankhon ke saamne ghoom rahi thi. Vo pal jab use goli lagi thi, chehre par vo takleef ke nishan jo ek pal mein hi jaan nikalne ke saath saath gayab ho gaye the, boat par vo murda pada uska jism, sar se behta hoon, uski bejaan ho chuki aankhen jinhen main apne haath se band tak nahi kar paya.
"Oh god what have i done?"Maine be-ikhtiyaar hokar uth betha aur pehli baar meri aankhon se aansoon beh chale.
"I am sorry yaar"Maine Khan se aise baat karne laga jaise vo mere saath betha ho"Mujhe nahi pata tha ke aisa hoga, pata hota toh tujhe kabhi na bulata"
Koi ghante bar main yun hi kamre mein betha raha. Kabhi aankhon se aansoo nikal padte, kabhi bethkar sochne lagta ke ab kya karun aur kabhi kamre mein yun hi bechain chehal kadmi karne laga. Thodi der baad pareshan hokar main bathroom mein ghusa, shirt utaar kar phenki aur apne shareer se khoon dhoya. Bahar aakar maine vo baaqi bachi cough-syrup ki bottle uthayi aur poori ki poori ek hi baat mein gatak gaya. Nateeja, maine aadhe ghante ke andar andar gehri neend mein ja chuka tha.
Phone ki ghanti se meri neend khuli. Maine phone. utha kar time dekha, subah ke 10 baj rahe the. Call Nisha ki thi.
"Hello"Maine call receive ki.
"TV hai kamre mein? Hai toh on karo Doosri taraf se uski baukhlayi hui aawaz aayi.
Main uthkar TV ka remote dhoondhne laga.
"Tere paas ye number kahan se aaya?"
"Baad mein bataoongi par aap TV on karo filhal"
"Haan kar raha hoon"
Remote dhoondhkar maine TV on kiya.
"Kya dikha rahi hai?
"On ho gaya?"
"Haan"
"Star News par jao"
Main channel badalata hua Star News par pahuncha aur pal mein samajh aa gaya ke vo kyun aise baukhlayi hui thi. TV par ek news reader Khan ki maut ki news suna rahi thi aur uski left side mein Khan ki ek photo dikhayi ja rahi thi.
"Ye kaise hua?"Nisha ne sawal kiya par main jawab diye bina chup chap TV ki aur dekhne laga.
Vo news reader bata rahi thi ke Khan parson se lapata tha aur aaj subah Mumbai ke ek beach par uski laash paayi gayi. Aur iske saath hi beach ki ek footage dikhayi ja rahi thi. Samundar kinare bahut saare policewale khade the jo Khan ki body ko ek ambulance mein daal rahte the.
Vo news reader bata rahi thi ke Khan ke sar mein goli maari gayi thi aur ye mumkin tha ke uski laash ko samundar ke beech kahin phenka gaya tha jo ab 2 din baad behkar kinare par aa gayi. Mujhse aur bardasht nahi hua aur maine TV off kar diya.
"Kaise hua ye?"Doosri taraf se phir Nisha ki aawaz aayi.
"Meri galti thi yaar"Kehte hue mera gala bhar aaya aur maine use 2 din pehle ki saari kahani suna di.
"Oh god"Maine baat khatam ki toh vo boli"Ab kya karoge?"
"Nahi janta. Tujhe mera ye number kahan se mila?"
"Arrey aap hi ne toh diya tha, bhool gaye kya?"
"Tu ghar se phone kar rahi hai?
"Haan par number mera nahi hai. Mera ek cousin aaya hua hai London se meri shaadi ke silsile mein, uska cell hai. Policewale agar mere ghar ke phone track kar bhi rahe hon toh ye number nahi ho sakta unke paas. London ka number hai ye"
"Okay"
"Main toh kal se soch rahi thi ke number milaoon par ghar se phone kar nahi sakti thi aur ghar se bahar nikalne ka mauka mil nahi pa raha tha. Aaj subah hi ye cousin aaya mera toh phone kiya"
"Ye news kal se TV par aa rahi hai?"
"Nahi ye toh abhi aayi hai. Subah hi body mili hai policewalo ko par mujhe toh kal se pata tha ke Khan Bhai gayab hain" Vo Khan ko hamesha Khan Bhai kehkar bulaya karti thi.
"Tujhe kaise pata?"
"Unke Mom Dad ki call aayi thi mere paas. Khan Bhai ghar nahi pahunche, unka phone bhi nahi mil raha tha toh unke Mom Dad ne aapka phone milaya. jab aapka number bhi nahi mila toh unki call mere paas aa gayi"
"Tera number kahan se aa gaya unke paas?"
"Mera number nahi office ka number. Agar office ke number par phone na uthaye koi toh call forward ho jaati hai mere paas, bhool gaye kya?"
"Accha haan"Mujhe yaad aaya.
"TV ki taraf dekho phir se"Vo phir boli toh maine TV on kiya.
News reader vahi thi par is baar Khan ke photo ki jagah uske leftside mein meri ek photo thi. Vo news reader keh rahi thi ke Khan mera gehra dost tha, yaani Aditya Sharma ka jo khud Geetanjali Thakkar ki maut ke silsile mein suspect hai aur filhal farar hai. Aur jaisa ke aajkal hamare news channel wale karte hain, vo tukke lagate hue Khan ki maut ko mere case se juda hone ke chances ginva rahi thi.
"Man this is getting uglier day by day Nisha boli.
"I know"
"Achha listen main filhal zyada baat nahi kar sakti. Shaadi ki taiyyari full zoron par chal rahi hain"
"Shaadi? I thought tu keh rahi thi ke pehle teri engagement honi hai?"
"Arrey haan right, ye toh maine aapko bataya hi nahi na. Ladkewalon ko shaadi ki jaldi hai, keh rahe hain ke ladka engagement ke chakakr mein na padke sidha shaadi karna chahta hai. Uske paas bahar ka koi job offer hai, Canada se aur
vo sidha shaadi karke mere saath Canada mein settle hona chahta hai"
"Kab hai shaadi?"
"10 din baad"
"Itni jaldi? Wow. Congrats yaar?"
"Meri chhodo. Aap theek ho? Kuchh le aaoon main aapke liye? Vo fikar bhar andaaz mein boli.
"Nahi i am fine. Kuchh hoga toh bata doonga"
"Achha ab main rakhti hoon. Baad mein phone karungi"
Uske phone rakhne ke baad mujhe laga ke mujhe Khan ke Mom Dad ko phone karna chahiye par phir irada badal diya. Ye waqt sahi nahi tha. Unka eklauta jawan beta abhi abhi mara hai aur uski maut ko mere saath joda ja raha tha. Ye mumkin tha ke vo mujhe hi uski maut ke liye zimmedar maan rahe hon.
 
Member
312
78
28
Chapter 15 - Bijli

Main poore 2 din waste kar chuka tha. Khan ki maut ke baad ek din toh poora Sharafat Bar mein behosh pada raha aur vahan se aakar bhi yahan hotel ke kamre se ab tak nikla nahi tha. Maine ghadi par nazar daali. Subah ke 11 baj rahe the. Sidhiyan utar kar main neeche Lodge ke reception par aaya. Mujhe dekh vo ladka uth khada hua.
"Kaisa hai abhi aap?"Usne muskurate hue puchha.
"Theek hoon"Kehte hue maine apne sar ke pichhe hisse par haath phera. Jis jagah mere sar par vaar kiya gaya tha vahan ab bhi gol ubhaar tha aur dard kar raha tha. Sar phatne ki vajah se zakhm bhi ban gaya tha.
"Ek kaam kar, kuchh khaane ko la de mere kamre mein"
"Aap chalo, main leke aata hoon"
Main vaapis apne kamre mein aaya aur sheeshe mein apne aapko dekha. Mere chehre par hi manhoosiyat baras rahi thi. Ajeeb baat hai ke jab insaan khush hota hai toh chehre par apne aap hi ek raunak aa jaati hai aur jab pareshan hota hai, toh chehra apne aap is baat ki gawahi de deta hai. Shayad isi liye kehte hain ke aapka chehra hi aapki rooh ka aaina hota hai.
Ghoom kar maine apne sar ke pichhe ki taraf dekha. Zakhm ka nishan saaf zahir tha. Ek pal ke liye maine socha ke sar par patti baandh loon par aisa karna shayad khatarnaak hota. Kisi ke sar par safed patti bandhi ho toh har kisi ka dhyaan apne aap hi uski taraf jata. Is tarah ganje sar par patti bandh kar ghoomna bekaar har kisi ki tavajjoh apni taraf khinchne jaisa tha.
Sharafat ke mutaabik Khan ko usne nahi mara tha, iska matlab hazar baar sochne ke baad bhi main sirf ek hi nikal paya ke Khan ko goli kisi aur ke kehne par maari gayi thi ya khud kisi aur ne maari thi. Maine aankhen band karke ek baar phir Boat wala vo scene yaad karne ki koshish ki jab Khan goli kha kar neeche gira tha aur mere sar par vaar kiya gaya tha. Mujhe achhi tarah se yaad tha ke dinner table par khana lagane ke baad Sharafat ke saare aadmi Boat ke doosre hisse ki taraf chale gaye the aur jab goli chali toh behosh hone se pehle maine sabko bhaag kar aate hue dekha tha. Iska matlab goli unmein se kisi ne nahi chalayi thi aur Boat par koi aur bhi maujood tha jisse hamarai tab tak mulaqat nahi hui thi.
Ek hi naam ghoom phir kar mere dimag mein aaya, Raghuvanshi. Koi aur ho bhi nahi sakta tha. Sharafat uske liye kaam karta tha aur khud Sharfat ka hi kehna tha ke Khan ko usne nahi mara. Sahi bhi tha, goli kisi aur ne chalayi thi, Raghuvanshi ne.
Par sawal ab bhi ek baaqi tha ke mujhe zinda kyun chhoda gaya. Khatra toh use mujhse tha, Saanwli ki talash main karta phir raha tha, Raghuvanshi naam ke pichhe chhipe chehre ko main dhoondh raha tha toh phir Khan kyun? Us bechare ka toh is sabse koi lena dena hi nahi tha.
Aur phir jis tarah se dimag ek hi sawal baar baar dohra raha tha, jawab bhi dimag ne apne aap hi dhoondh liya. Mujhe subah ki news yaad aayi jismein vo news reader Khan aur meri dosti ka zikr karte hue uski maut ko mere aur Geentanjali ke case se jod rahi thi. Yahi toh maqsad bhi tha mujhe zinda chhodne ka. I was the scape-goat, bali ka bakra.
Khan ek policewala tha aur policewale ko maarne ka matlab poore Mumbai Police Department se panga lena, har policewale ko apne pichhe aane ka nyota dena. Ye baat toh poora Mumbai underworld janta hai aur jaise ek kanoon bhi hai ke koi kisi policewale ko nahi thokega. Kyunki iska matlab vo bakhoobi jaante the. Ek Policewale ki maut matlab poore involved gang ka safaya.
Aur yahi yahan kiya bhi ja raha tha. Mujhe poora yakeen tha ke agle kuchh dino mein hi police ke haath kuchh aisa lagne wala tha jisse is murder ke liye bhi zimmedar mujhe hi thehraya jaane wala tha. Kahani jahan tha mera khyaal tha yahi hone wali thi ke Geetanjali ke case mein Khan ne mujhe samjhane aur arrest karne ki koshish ki aur maine gusse mein use maar diya.
Mere gale par museebat ka phanda kasta ja raha tha aur mujhe agar apni jaan bachani thi toh kuchh na kuchh aur jaldi hi karna tha.
Darwaze par knock kiya gaya aur vo ladka khana lekar aa gaya.
"Hua kya tha?"Usne phir mujhse sawal kiya"Policewalo ne pakad liya tha kya?"
"Vo chhod"Maine ek baar phie uska sawal nazar-andaaz kiya"Mera ek kaam karega?"
"Haan bolo"Usne fauran haan mein sar hilaya.
"Ek toh mujhe ek muffler ya scarf lakar de?"
"Garmi mein?"Usne munh banate hue puchha.
"Haan sar par baandhne ke liye"Maine zakhm ki taraf ishara kiya.
"Patti bandhoge toh sab aapki taraf dekhenge isliye?"Vo fauran mera ishara samajh gaya."Theek hai. Idhar neeche hi ek dukaan hai kapde ka, vahan se kuchh le aaoonga"
"Doosra"Maine apni jeb se pen nikal kar ek paper par apna address likha"Ye mere ghar ka pata hai, tujhe yahan jana hai"
"Police nahi hoyenga idhar?"Vo darte hue bola.
"Nahi ab koi nahi hoga"Maine andaze se kaha"Ghar ke 2 darwaze hain, main door policewalo ne tod diya hoga aur shayad vahan ka lock bhi badal diya hoga par ghar ke pichhe ki taraf se sidhi chadhke jaayega toh udhar bhi ek chhota darwaza pichhe ko khulta hai, ye uski chaabi hai"
"Udhar ka bhi lock badla hue hoyenga toh?"Usne chaabhi mujhse lete hue puchha.
"Toh chup chap vaapis aa jana"
"Karna kya hai udar jaake?"
"Mere kitchen mein jana. Udhar uper ke slab par ek kaale rang ka dabba rakha hoga plastic ka. Usmein vinegar hoga. vinegar samajhta hai na?"
Usne inkaar mein sar hilaya.
"Sirka, sirka samajhta hai?"
"Vo jismein achar banate hain?"
"Haan vahi"
"Sirka leke aana hai? Vo toh idhar hi mil jaayega"
"Arrey nahi. Us Sirke ke andar haath daalega toh ek polythene mein wrapped pistol hogi, ghoda. Vo le aana"
"Sirke mein ghoda, sahi hai"Vo muskurate hue bola.
Main jaante tha ke main use ek bahut khatarnaak kaam karne ko de raha tha par is waqt mere paas aur koi chara bhi nahi tha. Mere paas 2 guns thi, ek mera licensed revolver jo mujhe poora yakeen tha ke ab tak policewalon ne meri almari se nikal kar zabt kar liya hoga. Aur ek doosri non-licensed small sized pocket-pistol jo maine ek case ke dauran kharidi thi. Pistol smuggled thi aur mujhse saste daam mein mil gayi thi. Non-licensed hone ki vajah se use main chhupa kar rakhta tha aur is waqt ummeed kar raha tha ke vo policewalo ke haath nahi lagi hogi.
"Ye le"Jeb se maine use 500 ke 2 note nikal kar diye"Abhi nikal ja, aur jaldi lekar aa"
Uske jaane ke baad main Chipku ko phone milaya.
 
Member
312
78
28
Adi Bhai"Chipku phone uthate hi shuru ho gaya"Ye Khan Bhai ke baare mein news suna, kaise? Kaun kiya?"
Vo janta tha ke Khan aur main achhe dost the.
"Lambi kahani hai, baad mein bataoonga kabhi"Maine baat taalni chahi.
"Bahut afsos hua sunke"Usne sahanubhuti jatayi.
"Thanks yaar"
"Jis tarah se ye news wale baatein bana rahe hain, ye Khan Bhai wala murder bhi aapke sar pe daalenge"Jo vo keh raha tha ye baat main khud bhi janta tha.
"Haan janta hoon , achha ek baat bata, jo kaam main bola tha tere ko uska kuchh hua?"
"Vo Bijli wala?"
"Haan"
"Haan kiya na Bhai. Uspe nazar rakha apun pan aisa kuchh alag dikhaich nahi apun ko. Vo vahich Bar ya apne ghar ke aas paas ich rehti hai aur jin logon ke saath uska zyada uthna bethna hai vo bhi idhar Bar ke log hi hain. Ye maanke chalo ke uski duniya yahin Bar ke aas paas hi hai"
Main isse zyada ummeed kar bhi nahi raha tha. Sach toh ye tha ke jab maine use Bijli ke pichhe jaane ko kaha toh main khud bhi nahi janta tha ke exactly dekhna kya hai toh Chipku se kya ummeed karta.
"Koi nahi yaar. Thanks for help anyway. Tera paisa main baad mein milke deta hoon"
"Kaisi baat kar rahe hain aap Adi Bhai. Paise ke liye thode kiya ye apun, aapke vaaste kiya. Aur koi mere layak kaam ho toh batao. Aapke liye jaan hazir hai"
"Thanks yaar. Kaam pada kuchh toh phone karunga"
"Theek hai Bhai. Vaise socha hai kuchh ke is sab pachde se nikalna kaise hai?"
"Nahi yaar, koshish kar raha hoon. Haath paon maar raha hoon."
"Meri maano toh aap nikal jao idhar se"
"Matlab?"
"Matlab kahin bahar gaon chale jao, apun kar dega intezaam. Aapko Dubai nikalne ka bandobast main kar dega, vahan pe farji identity ka kaam bhi ho jaayega. Phir vahan tikna ho toh vahin tik jana nahi toh aage kahin nikal jana"
"Nahi yaar, filhal bhaagne wala option maine sabse aakhir mein rakha hai. Aise kab tak bhaagta phirunga. Haan agar kuchh aur scene nahi ban paya toh phir yahi karna padega"
"Dekh lo Bhai. Aapka jab mood bane aap bol dena, apun 2 din mein jugaad kar dega aapka idhar se kalti hone ka"
"Theek hai. Kuchh zaroorat padi toh phone karta hoon main tujhe"
"Theek hai Bhai"
"Vaise ek minute ruk, ek kaam hai filhal abhi bhi"
"Haan batao"
"Ghoda hai tere paas?"
"Haan hai, aapko mangta hai?"
"Nahi. Kal raat kya kar raha hai?"
"Kuchh khaas nahi"
"Vo Geetanjali Thakkar ka ghar pata hai tere ko?"
"Vo jiske murder case mein aapko phasa rele hain?"
"Haan"
"Malum hai ke kidhar rehti thi par sahi ghar kahan hai ye nahi pata"
"Theek hai, address likh"
Maine use Geetanjali ke ghar ka address bataya aur kaise pahunchna hai directions diye.
"Karna kya hai?"Usne puchha.
"Raat ko mil mere ko idhar"
"Iske ghar pe?"
"Ghar ke aas paas kahin"
"Aaj raat?"
"Nahi aaj nahi, kal"
"Kitne baje?"
"1 se 2 ke beech"
"Plan kya hai? Andar ghusne ka soch rahe ho?"
"Haan"
"Khatarnaak nahi hoga aisa karna?"
"Kya kar sakte hain. Majboori hai"
"Theek hai. Milta hoon main aapko. Ghoda leke aana hai?"
"Haan lete hi aana safety ke liye. Vaise bhi aajkal mera time kharab hi chal raha hai toh keh nahi sakta ke kuchh gadbad nahi hogi"
"Theek hai bhai"
Geetanjali ke ghar jana ek aur andhere mein teer chalane jaisa kaam tha. Uska bahut bada ghar tha aur mujhe pata tak nahi tha ka vahan jakar dekhna kya hai. Bas dimag mein ye tha ke vo agar Saanwli ke baare mein kuchh jaanti thi toh shayad vahan kuchh aisa mile jo is poore jhamele main kahin fit ho jaaye, andhe kuen mein thodi roshni jalaye.
Maine phone dobara uthaya. Kuchh baatein mujhe Bijli ke saath bhi saaf karni thi. Maine uska number dial kar hi raha tha ke mera phone khud hi baj utha. Call ek baar phir Nisha ki thi.
"Haan bol"
"Mere paas abhi Saloni ka phone aaya tha"
"Ok. Tera number kahan se aaya uske paas?"
"Arrey vahi office call kiya hoga toh call mere number pe route ho gayi"
"Achha haan. Kya boli?"
"Keh rahi thi ke Saanwli ke hostel walo ne use call kiya tha. Uski kuchh mails vagerah aayi hui hai, kuchh bank statements aur credit card bills vagerah toh vo forward karne ke liye aur shayad uska kuchh aur saman bhi tha hostel mein jo ham bhool aaye the"
"I thought saman tum log saara utha laaye the"
"Haan apparently vo pehle kisi aur room mein rehti thi aur baad mein usne room change kiya tha toh uske purane wale kamre mein unhein uska kuchh saman mil gaya"
"Ok"
"Saanwli keh rahi thi ke agar aap vo saman lana chaho aur jakar dekhna chaho toh shayad case ke silsile mein koi information mil jaaye"
"Main kaise ja sakta hoon vahan"
"Main chali jaati hoon"
"Tu?"
"Haan aur koi problem bhi nahi hogi. Last time bhi jab saman lana tha toh maine Saloni ke saath gayi thi toh uske hostel walon ne mujhe dekha hua bhi hai. Aaram se jakar la sakti hoon"
"Time hoga tere paas itna?"
"Haan aaj shaam ko vaise bhi hone wale patidev ne chori chupke bahar milne ko kaha hai dinner ke liye. Toh unko saath liye chali jaoongi, saman leti aaoongi"
"Tera hone wala patidev janta hai mere baare mein?"
"Haan"
"Use problem nahi hai koi?"
"Nahi he is fine. He is a nice guy. Maine sab bata rakha hai use"
"All right, dekh le jaise banta hai but make sure tu khud kisi museebat mein na pade"
"Theek hai"
Usse baat karke maine ek baar phir Bijli ka number milaya.
"Baat karni hai tumse kuchh. Mil sakti ho?"Usne phone uthaya toh maine kaha.
 

Top