Ab aage
Me nind ki aaghosh me tha k mujhe laga koi mujhe hila raha hai mene aankhe khol kar dekha to komal mujhe jaga rahi thi
Komal: uth jai aap raat se aise hi soofe par sorahe hai
Me : nhi me 6 bje soya tha yaha aakar abhi kiya time hoa hai
Komal: abhi to 9 baj rahe hai sorry mene apko distarb kardiya
Me : no sorry acha hoa tumne jaga diya mujhe baki sab kaha hai
Komal : wo sab to sorahe hai
Me : me uthte hoe ) tea pio gi
Komal : ha subha tea zarori hai
Me : ok chalo kitchen me wahi baate bhi karege or tea bhi pi le ge
Komal: ap fresh hojao tea me banati ho
Me : ok me bas 10 minut me fresh hokar aata ho sab saman tea ka kitchen me saamne hi rakha hoga
Komal: ok me dekhlogi ap fresh holo
Me washroom gaya fresh hokar aaya to komal chai bana rahi thi
Me : ban gai tea
Komal: bas ban gai 2 minut or wait
Me : no problem wese kiya dala hai chai me tumne itni achi khusbu aarahi hai
Komal : kuch nhi jo sab chizi dalti hai wohi daali hai or to kuch nhi
Me : wow aisi smell aaj tak mujhe nhi mili chai ki
Phir osne tea cup me daali or table par le kar aagai hum dono aamne saamne bethe the
Me : such me komal is ki khushbu itni zabardast hai to test kesa hoga
Komal : khana pakane me har chiz ka hisab sahi or barabar rakha jai to test khud acha hojata hai
Me : tum to expert lag rahi ho
Phir mene chai ka ek sip liya
Me: wow yar amazing itni achi chai mene aaj tak nhi pi tumhe to chef hona chaiye tha
Komal: thanks ap meri ammi k hath ka khana khale ge to ungliya bhi kha jaige
Phir wo thora sad hogai
Me : komal me tumse baat karna chah raha tha tum plz thora relex ho or sad na ho
Komal : g ap bole me relex ho
Me : tum mujhe kesa insan samjhti ho kiya tum mujh par trust karsakti ho
Komal: aaj tak jitne mard mile sab ki aankho me hawas nazar aai but aap ko dekh kar yakin hoa k dunya me ache log bhi hai me ap ko acha insan samjhti ho trust hogaya hai mujhe ap par ap kisi ka bora nhi soch sakte
Me : thanks
Me: ab sono me tumhe azadi dilwana chahta ho tumhara malik kon hai oska number mujhe do or tum phir jaha tumhara dil kare rehsakti ho or tum ammi k pas bhi jasakti ho me khud lekar jaoga tumhe batao kon hai malik
Komal: rote hoe such me ap mujhe azadi dilwaige mujhe meri ammi k pas lekar jaige bole such me ap meri help karege
Me : ha komal tum buhat achi larki ho tumhare sath acha nhi hoa or ab me or bura nhi hone doga tumhare sath batao kon hai malik
Komal : malik se bas ek bar mili ho wo bhi jab osne mujhe kharida tha oske bad nhi mili buhat khatarnak hai wo sari larkiya buhat darti hai osse oska naam pta nhi sab johny bolte hai osse or baki detail to sidra ko maloom hogi ya oski ammi ko jo naika hai hamari