Romance EK ADHURI KAHANI《Short Stort By QUASAR》

D A R I N D A
85
8
8
Ek Adhuri Kahani


(Ek 22 Saal ka Ladka apni cycle bhagate hua college ja raha tha...Iska naam hai Aarush...vo aaj wapis late ho gaya tha cycle ko Parking mein laga kar vo sidha apni class ki aur bagha.. class ke door par pahunch kar...)


Aarush- May I Come In Sir..!!

Sir- ohh Mr. Letu a gaye tum...?


(Sir ki baat se puri class hasne lagi…)


Aarush- sorry Sir vo aaj thora kaam jada tha toh Late ho gaya...kal se jaldi ayunga…

Sir- assa karta kya hai tu...koi bahut bada business sambhal raha hai kya sath mein...tere kapdo ko dekh toh assa nahi lagta...chal beth jaa…


(Class ke kuch Ladke uska mazak banate hue dhire se bole..)


Ladka.1- yaar mujhe lagta hai bhai ki Bike traffic mein fas gayi hogi isliye bhai late ho gaya aane mein…

Ladka.2- lakin bhai ke pass toh bike hi nahi hai...bhai ke pass toh bicycle hai…

Ladka.1- oohh...bicycle...yeh toh ab kahi dikhti hi nahi hai..lakin bhai ke pass kaise ayi..?

Ladka.2- shayad bhai ne kisi kabad wale ke yaha se saste mein li hogi...

Ladka.1- hmmmm...yeh bhi ho sakta hai lakin bhai ke pass toh itne paise hi nahi hai, toh fhir kaise li..?

Ladka.2- (hasta hua)..shayad bhai ne apni pichli marwa ke li hogi...hahaahhaha…


(Uske sath jitne bhi ass-pass students the sab uski baat sun hasne lage...kuch ladkiyan bhi thi jo uss par has rahi thi…)


Ladka.1- hahahahhaha...ekdum sach bola tu...toh Aarush bhai yeh bata kitne dhako mein tune li apni cycle...hahaha…


(Jitne students ne uski baat suni sab hasne lage, lakin thori si duri par bethi ek Ladki sab sun rahi thi usse unn Ladko ki baato par bahut gussa a raha tha, vo wait kar rahi thi ki kab Aarush kuch bolega lakin Aarush kuch nahi bola aur sidha apni seat par jakar beth gaya, yeh dekh vo Ladki aur bhi gusse mein a gayi, vo utthi aur Sir se boli…)


Ladki- Excuse me Sir…

Sir- haan bolo TRISHA…

Trisha- (unn Ladko ki aur ishara kar)..Sir yeh teeno Ladke Aarush ko pareshan kar rahe hai, uska majak bana rahe hai…

Sir- Raj, Kamal, Deepak...khade ho jao tum teeno...


(Teeno Ladke muh latkaye khade ho jate hai…)


Sir- kya yeh sach hai...

Raj- hamne kuch nahi kiya Sir...(Trisha ko gusse se dekh)..Trisha jhuth bol rahi hai...chahe toh Aarush se puch lo…

Sir- Aarush kya tumhe inhone pareshan kiya, kuch bola kya…


(Raj usse gusse bhari najro se dekh raha tha…)


Aarush- nahi Sir...Raj ne aur kisi ne bhi mujhe kuch nahi bola…


(Raj uski baat sun muskura deta hai, lakin Trisha uski baat se herain ho jati hai, aur muh faade usse dekhti hai…)


Sir- thik hai betho sabhi...(Trisha ko dekh)..Trisha yeh kya mazak hai...tum idher padhne aati ho ya yeh sab ghatiya mazak karne…

Trisha- (muh latkaye)..Sorry Sir…

Sir- Sit Down…


(College khatam hone ke baad Aarush apna bag liye Parking ki aur gaya apni cycle li aur college ke gate ki taraf jane laga ki piche se Trisha usko awaj lagati hui a rahi thi, lakin Aarush usse ignore karte hue sidha chalta gaya…)


Trisha- Aarush...Aarush..! Mujhe tumse kuch baat karni hai...ruko…(ekdum uske cycle ke samne hath phela ke khadi hoti hui)..behre ho kya tum..? Kab se bula rahi hu tumhe...sunte kyu nahi ho meri…

Arushi- bolo kya kaam hai…

Trisha- (uske cycle ke handle pe apne dono hath rakhti hui)..main waha tumhare liye unn Ladko ke khilaf bol rahi thi toh tumne unka sath kyu diya...bas haan hi toh bolna tha tumhe...tabhi vo class ke bahar hote aur aage se tumhe kabhi pareshan nahi karte...tab mujhe bahut gussa a raha tha tumpar, assa kyu kiya tumhne..?

Aarush- bas mera man kiya...aur mujhe unn Ladko ki baato se farak nahi padta…


(Trisha kuch nahi boli wahi apni kamar pe dono hath rakh uske cycle ke samne khadi rahi…)


Aarush- ab kya...hato ab samne se mujhe jane do…

Trisha- yeh mere sawal ka jawab nahi tha...aur tumhe farak nahi padta matlab, koi tumhe kuch bhi bole tum sun loge..?

Aarush- Okay...toh suno main Raj ko puri umer ka rona dena chahta hu…

Trisha- What...kya matlab hai tumhara..?

Aarush- yeh sab tumhare matlab ki baate nahi hai...(uske kandhe se pakad side hatata hua)...hato abhi mujhe jane do, mujhe der ho rahi hai…


(Trisha waise hi usse jate hue dekh rahi thi...thori si herain bhi thi ki isne assa kyu bola ki vo Raj ko puri umer ka rona dena chahta hai...)


|Back To Aarush|

(Aarush ka iss Duniya mein apni Maa aur apni badi behan ke siwa koi nahi tha...Aarush ka ek chota sa ghar tha, Din Raat majdoori karke aur ek-ek rupe jodkar usne apni behan ki shaadi ek ache Ladke se karwayi thi, Lakin vo khud abhi padhna chahta tha taaki vo apni aur apni Maa ki zindagi behtar bana sake...apne College ki fees bhi vo roj din-raat majdori karke bharta tha...usse kabhi bhi kaam milta chahe vo khud kitna hi bimar kyu na ho lakin vo kaam ko kabhi naah nahi kehta...usse sirf apni padhai se matlab tha, koi kitna hi usse sunaye usse farak nahi padta tha, kyuki gali-galoch aur dhaka-mukki jab bhi vo majdoori karne jata toh sunta aur jhelta tha, usse ab aadat ho chukki thi, lakin ek aur wajhe thi ki vo Raj ko kuch nahi kehta tha...)


(Aaj subhe Aarush majdoori karne jaldi gaya tha, uski Maa aaj bimar thi, kuch paise jod kar usne apni Maa ke liye dawai li aur kuch paiso ka ghar ka rashan...ghar aakar usne apni Maa ko khud khana bana kar khilaya aur fhir usse dawai khilakar sone ko kaha...lakin uski Maa janti thi ki majdoori ki kamayi kitni hoti aur aaj toh uski dawai bhi ayi hai, toh paise bahut kam bache honge aur itne paiso mein bas itna hi rashan aya hoga ki ek admi ki bhukh mit sake, toh aaj uska beta bhuka hi college gaya hai…)


(Aarush apne ghar pahunch chuka tha...garmi mein cycle chala kar vo bilkul pasine se bhiga hua tha...cycle ko side mein laga kar usne darwaje ko kat-kataya…)

(Takk Takk Takk)


(Kuch der baad uski Maa ne aakar darwaja khola jo Aarush ko dekh kar khush ho gayi...lakin jaise hi usse yaad aya ki vo toh aaj bhukha hi ghar se chala gaya toh usse bada dukh hua aur aankho mein aasuon a gaye…)


Maa- (uske face par pyar se hath pherti hui)...a gaya beta...aaja…!

Aarush- (andar jata hua Maa ko side se gale laga ke)...kaisi ha Maa abhi apki tabiyat...Dawai li thi apne time par...

Maa- haan beta, main thik hu abhi, aur Dawai bhi maine time pe leli thi...(apne dupate se uske chehre par a raha pasina saaf karti hui)...kitna pasina a rakha.. beth tu main khana lekar aati hu…

Aarush- (herani se)...Maa khana..? Lakin rashan toh khatam ho gaya tha subhe hi, jo apne aur maine khana khaya...toh fhir abhi Rashan kaha se aya Maa..?

Maa- (muskurati hui)...teri Maa hu main, janti hu ki tune subhe bhi khana nahi khaya tha, yeh main kaise kar sakti ki mera beta bhukha hi ghar se jaye aur jab laut kar aye tab bhi mera pas tujhe khilane ko kuch na ho...hmm..? ab tu jada sawal-jawab mat kar aur Khana kha le main lekar aati hu…


(Aarush kuch soch raha tha ki jarur uski Maa ne kuch na kuch bech kar hi paiso ka intzam kiya hoga, vo soch raha tha ki aakhir uski Maa kya bech sakti hai...fhir kuch soch kar usne apna mobile nikala aur Apni Maa ke phone par Call lagaya...jiske jawab mein phone switch off aane laga, usne utth kar aas-pass dekha lakin usse uski Maa ka mobile kahi nahi mila toh vo samaj gaya ki uski Maa ne mobile bech kar paise jode the aur rashan layi thi, utne mein uski Maa bhi a gayi khana lekar aur usne Aarush ko pareshan sa dekha toh khud pareshan ho gayi…)


Maa- kya hua beta...tu pareshan kyu lag raha hai..?

Aarush- Maa apne mera diya hua toofha bech diya...Maa aap mobile se Didi se baat kar liya karti thi, aap ghar mein akeli gum-shum bethi rehti thi isliye maine vo mobile apko diya tha, Didi bhi apse baat karke kitna khush ho jati thi...assa kyu kiya apne…


Maa- beta...koi baat nahi...teri bhukh se jaruri nahi tha vo mobile, aur meri aur teri Didi ki baate bhi jaruri nahi hai...chal ab jada nahi bol aur khana kha le…


(Aarush bhi jada apni Maa ko tang nahi karta aur khana khane beth jata hai...Aarush khana kha raha tha aur uski Maa pankhi se usse hawa de rahi thi, jisse Aarush ko ek alag hi sakoon mil raha tha...Khana khane ke baad Aarush roj ki tarah apne kaam pe nikal gaya...)


|Agle Din College Mein|

(Aarush aaj waqt par college pahunch gaya tha, Parking mein vo apni cycle park karne ja raha tha ki raste mein usse Trisha mil gayi, uske sath uski dost ADITI bhi thi…)


Trisha- (usse dekh khush hoti hui) Hi...Aarush…

Aarush- Hello…

Trisha- kaise ho tum…

Aarush- main thik hu…

Trisha- Okay…

Aarush- (cycle ko stand laga uski aur dekhta hua)...hanji, main bilkul thik hu aur kuch…

Trisha- aur toh kuch nahi,...(ekdum se)...haan.. mujhe puchna tha ki apne kaha tha……

Aarush- (bich mein)..apne..?

Trisha- mera, mera matlab tune kaha tha ki Raj ko puri umer ka rona dena hai...

Aarush- haan maine kaha tha…

Trisha- lakin kyu...kya matlab hua iska...

Aarush- hhaasshh...tum aakhir chahti kya ho mujhse…

Aditi- (dhire se, muskurati hui)...tumhe chahti hai..!!

Aarush- kya..!!!

Trisha- (Aditi ke pair pe pair marti hui)...kuch nahi...(Aditi se)...tu ja na apni class mein, kyu mujhe pareshan kar rahi hai…


(Aditi waha se apna muh latkaye chali jati hai…)


Trisha- toh ab batao na…

Aarush- dekho aaj main bahut dino baad time pe college aya hu toh main nahi chahta ki aaj wapis teri wajhe se late ho jayu…

Trisha- toh college ke baad...kisi cafe mein..?

Aarush- (sochta hua)...aaahhh laki…..

Trisha- (uska hath pakad milati hui)...Okay done…


(Aur itna bol Trisha waha se bhag gayi...Aarush bhi kuch der sochta raha aur fhir apna bag pakad class mein chala gaya…)


(Sham 4 baje, Aarush aur Trisha dono ek café mein aamne-samne bethe the...Aarush toh pehli baar hi café mein aya tha…)


Trisha- toh batao abhi…

Aarush- bahut ziddi ho, mujhe yaha le hi ayi...toh suno ek din main ground mein betha book read kar raha tha ki waha Raj aur uske dost a gaye...meri thori hi duri par bethe mera mazak udhane lage...maine unhe kuch nahi kaha, lakin vo meri sharafat ka fyada uthane lage, aakhir unhe vo kar diya jo unhe nahi karna chahiye the...

Trisha- kya kiya unhone..?


|Few Days Back|

Raj- acha ek aur baat batata hu…

Kamal- kya baat bhai…

Raj- yeh jo hamare samne Ladka betha haina…

Deepak- kon yeh Aarush kya bhai…?

Raj- haan...iski Maa silayi ka kaam karti hai, aur pata hai maine suna hai iski Baap nahi hai toh Aurat ke ander ek khujli toh rehti hi haina, kyu mante hona…

Kamal- haan bhai yeh baat toh sahi kahi…

Raj- wahi toh ab jab iska Baap hi nahi hai toh bechari apni khujli door karne kisi na kisi ke pass toh jati hogi naa…hahahhahah…

Deepak- hahahahha, haan sahi kaha bhai...lakin iski Maa silayi ka kaam karti isse iska kya lena dena hua fhir…

Raj- jab iski Maa ki chut jada faad jati hai toh silayi hi kaam aati haina…hahahhahahhahahha…

Kamal- hahahahha...kya baat kahi bhai...hahahhahahhahahha…

Deepak- bhai kahi aap mat chale jana khujli shant karne warna silayi kahi kaam nahi ayegi...hahahahh...aaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhh aahhh...mar gaya ohh behanchod…


(Yeh Aarush tha jo kab se apni Maa ke bare mein kitchad jaise word sun raha tha ab uska gussa asman faad ho chuka tha, usne pass mein pada ek pathar liya aur sidha Deepak ke sar pe de mara…)

Raj- utth ke uski taraf aata hua, oye sale yeh janta hai tune kya kiya...(achanak darta hua)...piche, piche phek usse, dekh lag jayegi…

Aarush- (apne hath mein pathar liye uske aage aata hua)...kya bola tu, meri Maa ke bare mein assa bolega, sale teri jaan le lunga aaj…


|Back To Aarush|

Trisha- (uska hath pakad hilati hui)...fhir, fhir kya hua Aarush..?

Aarush- fhir hamare bich kaafi ladai hui, maine unhe kaafi zakhmi kar diya tha lakin mujhe bhi kaafi lagi thi...Lakin uski agli subha....


|Next Morning|

(Raj ka Baap Gopal ek Police wala tha vo apne 4-5 hawaldaro ke sath Aarush ke ghar pahuncha...)


Gopal- (Aarush ki Maa se)...eeh Sali beta kaha hai tera, jaldi bata…

Aarush's Mom- kya hua sahab…

Gopal- jada jubaan mat chala, apne bete ko bula jaldi..


(Aarush ki Maa jaldi se Aarush bula ke bahar le aati hai…)


Gopal- toh tu sale vo jisne mere bete par hath uthaya usse mara…

Aarush’s Mom- (herani se)...yeh aap kya keh rahe ho Sahab, mera beta assa kabhi nahi kar sakta…

Gopal- eeh rand tu chap kar...aaj dekh main tere……aaaahhhh behanchod…


(Yeh Aarush ne Gopal ke muh par thappar mara tha jab usne uski Maa ko ganda shabad kaha…)


Aarush- tere bete ko bhi isliye mara tha, meri Maa ke bare mein kuch ulta-sidha bolega toh jaan le lunga teri…

Gopal- (gusse mein)...sale tu lega meri jaan, ruk abhi…


(aur Gopal ne apni lathi pakad itni jor se Aarush ki tango par mari ki Aarush ek jordar cheekh ke sath niche gir gaya…)


Gopal- sale mujhe thappar marne ki teri himmat bhi kaise hui...aur teri Maa ko toh aaj main chode bina nahi jayunga...dekhta hu kya kar lega tu...Hawaldar pakdo iss haramzade ko kas ke…)


(2 Hawaldaro ne Aarush ko pakad ke diwar ke sath laga liya…)


Aarush’s Mom- nahi sahab assa mat karo, mere bete ko chhod do…


(Gopal uski taraf dhayan na deta hua sidha Aarush ke samne aakar khada ho jata hai…)


Gopal- tu lega meri jaan...(aur ek aur kass kar laathi Aarush ki dusri tang par mardi….)...Haan bol tu lega meri jaan…

Aarush- (dard se tadapta hua)...ooooooaaahhhhhhhh Maaaaa…

Aarush’s Mom- (Gopal ke samne jakar haath jodti hui)...usse maaf kardo sahab, aage se vo apke bete ko hath bhi nahi lagayega…

Aarush- hath mat jodo Maa iss kutte admi ke samne...isko jaan se maar dunga, yeh wada hai mera…

Gopal- jaan se toh tab marega na jab tere mein jaan bachegi…


(Aur itna bol Gopal ne apni laathi ka war Aarush ke muh par kar diya, jisse uski gaal par gehra nishan aur kaan se khoon nikal gaya...Aarush bura tarah tadaph uttha...Gopal ne Aarush ko agle 10 minute tak bura tarah se mara.. uske sharer ke har hisse se khoon beh raha tha...Uski Maa ka roo-roo kar bura haal tha...vo Gopal ke pau pakad usse rok rahi thi lakin vo uski ek nahi sun raha tha…)


Aarush’s Mom- please Inspector shahab mera beta mar jayega...chhod dijiye usse…

Gopal- (usko uper se niche tak ghurta hua)...Sali maal hai tu toh abhi bhi...chal main tere bete ko chhod deta hu, lakin tujhe mera bistar garam karna padega…

Aarush- (gusse se apni ladkharati juban se bolta hua)...Nahi Maa...aahhh assa kuch mat karna...yeh, dekhta hu yeh behanchod mujhe kitni der mar lega …

Aarush’s Mom- (herani se Gopal ko dekh)...yeh aap kya keh rahe ho Sahab, main assa nahi kar sakti…


(Gopal ne gusse se aage badh apni laathi Aarush ke muh mein ghussa di…)


Gopal- (gusse se chilata hua)...behanchod Sali, ab bol, aukaat kya teri mere samne, Sali ko ek mokka de raha hu apne bete ko bachane ka lakin nahi, yeh le fhir uska mara hua muh dekh…


(Itna bol Gopal ne laathi ka jor Aarush ke muh mein dal diya, Aarush ki halat kharab ho chuki thi, Gopal thora aur jor lagata toh Aarush ki jaan chali jati…)


Aarush’s Mom- (roti hui Gopal ke pairo mein gir kar)...nahi nahi, chhod do usse chhod do, main main taiyar hu...aap jo chahe karlo mere sath.. (hath jod) mere bete ko chhod do, mar jayega vo...mar jayega…


Gopal- (hasta hua)...hahahahaha, yeh hui na baat...chal tu kamre mein, aata hu main…


(Aarush ki Maa apna muh latka ke apne bete ki aur dekhti hai toh vo usse najre nahi mili pa rahi thi...uska beta usse chilla-chilla kar rukne ke liye bol raha tha lakin vo nahi ruki aur roti hui apne kamre mein chali gayi...Aarush ko bahut jada gussa aya vo zakhmi halat mein hi uttha aur Daud kar Gopal ke uper chalang mardi, Gopal niche gir gaya aur Aarush uski chhati par beth usse ghusse marne laga, Itne mein ek hawaldar ne Aarush ke sar ke piche Laathi mardi jisse 2 pal mein hi Aarush sar ke bal piche gir gaya aur behosh ho gaya…)


Gopal- (apni naak se beh raha khoon saaf karta hua) behanchod kitna harami ladka hai...bahut hero ban raha hai, halat nahi dekh raha apni.. pade rehne do sale ko asse hi, agar hile toh ek aur lagana…


(Itna bol Gopal Aarush ki Maa ke kamre mein chala gaya…)


|Back To Aarush|

(Aarush batata-batata ruk gaya tha...uski aankho se aansoo jhad-jhad beh rahe the...aur udher Trisha ki halat bhi same hi thi, Aarush aur uski Maa ke bare mein sun usse Gussa aur aankho se aansoo ek-sath a rahe the...vo utth kar Aarush ke side wali chair par beth gayi aur uski aankho mein a rahe aansoo apne hath se saaf karne lagi…)


Trisha- mat roo Aarush, hum uss Inspector ko saja dilwakar rahenge...aage kya hua bataoge…

Aarush- Aage..? Aage kya sunna chahti ho tum...haan..? maine ussi din khud se wada kiya tha...(gusse se)...ki uss Gopal ko main jinda jala dunga...tabhi meri man ko shanti milegi...samjhi tum…

Trisha- (dar kar)...thh thik hai, lakin tum mujhpar gussa kyu ho rahe ho...maine kya kiya hai…

Aarush- (ek lambi saas lekar)...haaashhh, hmm sorry...mujhe thora gussa a gaya tha…

Trisha- koi baat nahi...lakin tum aage kya karna chahte ho...I mean tum uss Gopal ka kya karoge..?

Aarush- pata nahi...lakin abhi main bas shant hone ka dikhawa kar raha hu uss Raj ke samne, jis din mokka mila main uske baap Gopal ko thokk dunga…


(Kuch der tak dono chup rahe...thori der baad waha ek waiter aya aur bola..)


Waiter- Sir, Madam, aap kuch lenge nahi kya...bahut der se aap asse hi bethe hai...kuch lekar aayu apke liye…

Trisha- 2 cold coffee…

Aarush- par main toh coffee……

Trisha- (uske hath par hath rakh rokti hui)...2 cold coffee please…

Waiter- Sure Madam…


(Trisha ne apna hath abhi bhi Aarush ke hath ke uper rakha hua tha, Aarush usse dekhta hai aur fhir Trisha ko dekhta hai...)


Trisha- kya hua…

Aarush- abhi tum hata sakti ho apna hath…

Trisha- (muskurati hui) kyu jada bhari hai kya…

Aarush- nahi, bhari toh nahi hai lakin…..

Trisha- (bich mein)...lakin kya...(uska hath kas ke pakadti hui)...agar main tumhara hath asse kas ke pakad bhi lu toh kya ho jayega...


(Aarush usse muskura ke dekhne laga toh Trisha ko samaj aya ki vo kya kar rahi hai...usne jhat se uska hath chhod diya...thori der mein coffee a gayi dono coffee pine lage...issi bich dono ek-dusre ko najre chura-chura kar dekh rahe the...Trisha ko toh pata tha ki usse Aarush ko asse dekhna kitna pasand hai lakin Aarush ko samaj nahi a raha tha ki usse Trisha ko dekhna ka man baar-baar kyu ho raha hai...)


(Fhir Dono ek Sath bole)


Aarush, Trisha- acha tumhara Number kya hai…


(Aur dono ek sath hass pade...fhir dono ne Number exchange kiye aur dono apne-apne ghar chale gaye…)


(Agle din dono college ki parking mein dubara mile…)


Trisha- kaise ho tum…

Aarush- thik hu...

Trisha- acha kal se main tumhe lene a jaya karu...apni scooty par..?

Aarush- kyu main apne cycle par ayunga...roj aata hu…

Trisha- lakin tum iske sath late bhi toh hote ho...please mana mat karo, ab toh hum dost haina…

Aarush- (muskurata hua)...hmm yeh toh bilkul thik kaha, aaj dost ne pehli baar kuch manga hai mujhse toh…

Trisha- (muskurati hui)...toh dost ki baat man.ni chahye…

Aarush- haan bilkul man.ni chahiye...aap aa jana mujhe pick karne...ab toh khush ho…

Trisha- haan bahut...heheh…


(Asse hi wahi khade-khade dono mein baate hoti rahi, Aarush usse baat kam kar raha usse dekh jada raha tha...uska vo khil-khilta chehra uske sare dukh usse bhula raha tha...)


Trisha- haan ek aur jaruri baat...(usko yuu khud ko ghurte dekh, muskurati hui)...hello, Aarush sun rahe ho meri baat.. Aarush..!!

Aarush- (apne khayalo se bahar nikal)...haa haan, kya bola tumne, tumhe kuch jaruri kaam hai..? thik hai baad mein baat karte…

Trisha- (apni kamar par hath rakh)...maine kaha ki ek jaruri baat hai, jaruri kaam nahi...kaha khoye ho tum…

Aarush- nahi kahi nahi, batao tum kya baat hai jaruri…

Trisha- parso mera Birthday hai...aur uski party mere ghar par hai...toh….

Aarush- toh kya..?

Trisha- toh kya matlab, tumhe aana hai mere Birthday pe aur kya…

Aarush- Ohh...Birthday hai apka…

Trisha- Hanji...full taiyar-waiyar hokar anna…

Aarush- (sochta hua)...Okay…


(Class ka time ho gaya tha fhir dono jaldi se class mein chale gaye...college ke baad Trisha Aarush ke sath-sath uske ghar tak a gayi...uska chota sa ghar tha...Maa bahar lage phoolo mein pani dal rahi thi…)


Aarush- kya hua...aayo na…

Trisha- (muskurati hui)...haan chalo…

Aarush- Maa isse milo, yeh meri dost Trisha hai…

Maa- (khush hoti hui)...kaisi ho beti…


(Trisha ne jab uski Maa ko dekha toh Aarush ki kahi hui baate yaad anne lagi...Uski aankhen wapis gili ho gayi usne bhag ke uski Maa ko gale laga liya…)


Aarush’s Mom- kaisi ho beta tum…

Trisha- main thik hu Aunty, aap batao kaisi ho…

Aarush’s Mom- (uski gaal par pyar se hath pher)...main bhi bilkul thik hu…

Aarush- Maa, Trisha tum log ander chalo main bas thori der mein aata hu…

Aarush’s Mom- thik hai beta...chalo ayo beta tumhe apna gareeb khana dikhati hu…

Trisha- nahi Aunty assa mat boliye...apka ghar bahut sundar hai…

Aarush’s Mom- hmm jo bhi hai jaisa bhi hai isse Aarush ne apni mehnat se khada kiya hai…

Trisha- Aarush bahut mehnat karta haina…

Aarush’s Mom- haan beti...meri bhukh-pyass, dawa-daru ki hamesha chinta rehta hai, lakin khud ki koi chinta nahi karta chahe pura din bhuke pet nikal de...abhi bhi tu aayi haina toh kisi na kisi tarah paiso ka intzam karne gaya hoga, taaki tum hamare ghar se bina kuch kahaye na chali jayo…

Trisha- kya..!! Are Aunty apne mujhe yeh pehle kyu nahi bataya...main yaha khane thori aayi thi, bas apka ghar dekhne aur apse milne aayi thi...(darwaje ki aur dekh)...yeh dekho a gaya…

Aarush- kya hua…

Trisha- kaha gaye the tum…?

Aarush- vo, kuch kahne ko lane gaya tha...tum pehli baar mere ghar toh socha….

Trisha- socha iska pet bada karke yaha se bheju.. haina...?


(Aur itna bol Trisha ne Aarush ko side se gale laga liya...uske halke aansoo beh rahe the.. Aarush aur Uski Maa khamoshi se usse dekh rahe the, kuch der koi kuch nahi bola…)


Aarush- kya hua Trisha…

Trisha- kyu karte ho tum asse…

Aarush- are khane-pine ke hi toh cheeze laya hu.. isme kya badi baat hai…

Trisha- (usse alag hokar) lakin tum bahut mehnat se paise kamate ho.. Aunty bata rahi thi abhi tum log badi mushkil se apna pet bharte ho toh mere……

Aarush- (uske hontho par apni ungli rakh) ssssssshhhhh.. kuch mat bolo, pehli baar ghar aayi ho asse kaise jane du tumhe, haan.. (Khane ka saman apni Maa ko pakadta hua) Maa yeh lo banakar lao kuch Acha sa…

Aarush’s Mom- (muskurati hui) haan vo toh thik hai lakin tum dono itna chipak-chipak kar kyu khade ho.. kuch baat toh nahi chal rahi tum dono mein…?

Trisha- (sharmati hui) vo Aunty nahi assa kuch nahi hai…

Aarush- haan Maa, hum dost hai bas…

Aarush’s Mom- (hasti hui) acha thik hai…


(Fhir Trisha ne khana-wana khaya aur thori der baad apne ghar chali gayi.. kuch der baad Aarush bhi majdoori karne nikal gaya…)


|Raat 3 Baje|

(Aarush thori der pehle hi ghar aaya tha.. vo apne karme mein aaya hi tha ki usna mobile ring hone laga…)


Aarush- Hello Trisha…

Trisha- Hello Kaise ho…

Aarush- main thik, kya hua itni raat ko call, sab thik toh hai…

Trisha- haan sab thik hai baba, maine toh asse hi call kiya tha, kyu nahi kar sakti kya….

Aarush- nahi, kar sakti ho...

Trisha- (muskurati hui) hmmm.. acha main kehne wali thi ki mere Birthday pe koi gift mat lana.. Okay...

Aarush- kyu.. mere hath ka gift nahi chahiye apko...

Trisha- assa nahi hai main bas chahti hu ki…..

Aarush- (bich mein bolta hua) yeh gareeb Ladka mujhe kya hi acha gift de payega, isse acha bol du rehne do.. haina..?

Trisha- (gusse se) Aarrushh..!! Main assa soch bhi nahi sakti.. asse kaise keh diya apne yeh.. main bas chahti thi ki inn bekar ke gift aur dikhawe par paise kharch mat karo.. aap bas mere Birthday par a jao wahi mera sabse bada gift hoga.. lakin aap toh mujhe galat samaj rahe ulta mujhe hi suna rahe...

Aarush- ohh are sorry.. sorry sachme mujhe bura lag raha, assa nahi kehna chahiye tha mujhe…

Trisha- (Chup)

Aarush- Hello…

Trisha- (Chup)

Aarush- Hello Trisha..? kuch toh bolo.. acha naraj ho gayi ho.. hmmm.. maine suna hai Ladkiyan Chocolates se jaldi mann jati hai.. lekar ayunga apke liye dheer sari Chocolates.. thik hai…

Trisha- nahi mujhe nahi khani Chocolates…

Aarush- kyu apko nahi Pasand Chocolates…?

Trisha- Nahi Pasand…

Aarush- hmm lagta bachpan mein Chocolate kha-kha kar dant sadd kar toot gaye honge, ussi ka dar hoga.. hahaha…

Trisha- aap mera mazak udha rahe…

Aarush- nahi main toh apki tariff kar raha tha.. hahah.. acha sorry.. (pareshan karta hua) waise main puch raha tha ki apke dant kaise toote the..?

Trisha- vo toh chuha le jata Dant…

Aarush- acha Dant chuha le jata, assa bhi hota hai…

Trisha- haan apko nahi sikhaya apki Mumma ne.. jab mere Dant toot jate the toh meri Mumma kehti thi ab chuha ayega aur isse le jayega…

Aarush- waah.. nahi chuha apke itne bade Dant ka kya karega…

Trisha- vo mujhe kya pata.. vo lekar gaya usse pata…

Aarush- kya bolti ho.. kuch bhi matlab…

Trisha- hihihihi…

Aarush- chalo soo jao, bahut raat ho gayi hai…

Trisha- thik hai bye.. acha ek minute mujhe kuch kehna hai…

Aarush- haan kaho…

Trisha- Main Apni Yeh Zindgi Teri Giraft Mein Kaat Lu Toh Chalega Kya..
Tumhe Tumse Maang Lu Toh Chalega Kya..
Tumhare Dard Aadhe Baant Lu Toh Chalega Kya..
Bheed Mein Tumhe Apna Keh Kar Tumhe Chum Lu Chhaant Lu Toh Chalega Kya..
Tumhe Tumse Maang Lu Toh Chalega Kya…

OKAY BYE GOODNIGHT.. hihihihi…


(Aarush uski yeh baate sun muskurata hua kuch sochne laga...)


|NEXT DAY|

(Trisha ka kal Birthday tha Aarush aaj college nahi gaya tha usse Trisha ke liya mehnat kar ek acha sa gift lena tha.. subhe jaldi utth kar Aarush majdoori karne nikal gaya, sham tak pasina baha-baha kar usne 5,6 hazaar Rupee ekatha kar liya the, uski khud ki savings jo karib 10 hazar thi, jisse usne khud kabhi badi se badi jarurat padne par Use nahi kiya tha aaj usne vo paise Trisha ke liye nikal liye.. inn paiso se Aarush ne Trisha ke liye ek Gold Ring li.. jiske ander chota karte likha hua tha I LOVE YOU TRISHA…)


|NEXT DAY|

(Aarush aaj Trisha ki Birthday Party mein jane ke liye ready ho chuka tha, aaj vo bahut khush lag raha tha, vo ek baar apni Maa ke gale mila aur fhir kuch der baad vo Trisha ke ghar ke samne khada tha.. kaafi bada ghar Trisha ka.. Trisha ne dorr se Aarush ko dekha toh vo wahi se bhag ke uske pass aa gayi…)


Trisha- (muskurati hui) hmm.. toh a gaye Mr.

Aarush- haan anna hi tha, kisi ne itne pyar se bulaya tha toh naah kaise kar sakta tha…

Trisha- acha, toh gale nahi lagayoge…


(Aarush aage bagha aur Trisha ko gale laga liya..)


Aarush- Happy Birthday Trisha…

Trisha- (usse aur kasti hui) ThankYou.. (aur usne Aarush ki gal par ek kiss kar diya)

Aarush- yeh kiss kis liye…

Trisha- yeh main ThankYou asse hi bolti hu…


(Aarush muskuraya aur usne Trisha ko kamar se pakad side diwar se chipka liya, dono ek-dusre ki aankho mein dekh rahe the…)


Aarush- (uske samne gift ka box karta hua)...yeh apka Birthday Gift…

Trisha- Gift...lakin maine kaha tha na ki mere...liye…..

Aarush- (apna face uske aur najdek lakar)...ssssssshhhhh, yeh Gift shayad main na lata agar uss raat aap hume vo shayari na sunati toh…

Trisha- (Gift pakad ke, muskurati hui)...acha…


(Trisha apne honth Aarush ko hontho ki aur badha rahi thi ki ek Ladki waha aa gayi…)


Ladki- Didi...aap yaha kya kar rahi ho, Papa bula rahe apko…

Trisha- (hadbada ke)...haan choti tu chal main ayi abhi…

Ladki- Okay Didi…

Trisha- (Aarush ko dekh muskurati hui) chale.. waise yeh meri choti behan hai...Vanya..


(Dono asse hi baate karte hue ghar ke ander pahunch gaye, yaha ek bahut bada jhatka Aarush ka intzar kar raha tha...ander pahunchte hi Aarush ko thori duri par khada Gopal apne hawaldaro ke sath dikh gaya…)


Aarush- (gusse se)...tumne Isse bhi bula rakha hai, yeh kya kar raha hai yaha…

Trisha- (ghabhrati hui)...kya hua Aarush, kise bula rakha maine…

Aarush- Gopal ko,...(ishara kar)...wahi hai Gopal…

Trisha- (chonkti hui) what...kya yeh vo Gopal hai.. dekho Aarush tum gussa mat ho, maine isse nahi bulaya, yeh Papa ke khass dost hai.. mujhe nahi pata tha ki yahi vo Gopal hai, warna main isse ghar mein pair bhi nahi rakhne deti…

Aarush- (apna gussa control karta hua)...iske chehre ki muskan mujhse bardash nahi ho rahi...fikar mat karo party barbad nahi karunga main…


(Fhir kuch der baad Gopal ki najar bhi Aarush par padi, Aarush akela ek side mein drink pe raha tha, Gopal apne Hawaldaro ke sath muskurata hua uske pass aakar khada ho gaya..)


Gopal- Are Patel…

Patel- haan sir…

Gopal- yeh toh wahi haina, jiski Maa ki gehrai naapi thi uss din…

Patel- haan sir wahi hai...hahhahaha…


(Aarush ko bahut gussa aya uski iss baat par, usne bahut koshish ki, ki koi hungama na ho lakin…..)


Gopal- iske ghar mein aakar iski Maa chod ke chale gaye, aur bechare ko pata bhi toh agli subha laga hoga...haan beta ek aur baat teri Maa ne shayad tujhe nahi batai hogi, sharma rahi hogi na bechari kaise batati, chalo main batata hu vo baat yeh hai ki tere behosh hone ke baad yeh charo Hawaldar bhi teri Maa ke kamre mein aye the...aur teri Maa ke maze lekar gaye the...hahahhahhaha...kyu laga jhatka...hahahhaahhahahahaha…


(Gopal aur uske Hawaldar jor-jor se has rahe the baaki sab bhi unki aur dekh rahe the ki kya hua hai waha...lakin Aarush jo gusse se phat chuka tha uski baat sun usne apne hath mein padki beer ki botle ko gusse se itni jor se dabaya ki bottle aadhi uske hath mein toot gayi, Aarush piche Gopal ki taraf ghuma jo abhi dant faad ke hass raha tha...Ekdum se Aarush 2 kadam aage badha Gopal ki coller pakdi aur apne hath mein pakdi aadhi tooti bottle ko sidha Gopal ki garden mein ghusa diya…)

Aarush- (bottle uski garden mein aur ander ghussa ke ghumata hua)...Kyu laga jhatka...haan...


(Gopal mar chuka tha, Aarush ke hath main ab sirf uski lash thi, uski garden kisi jharne ki tarah khoon baha rahi thi...Aarush ki iss harkat ne ghar mein ekdum se mahol shant kar diya, sab Aarush ki aur herani se dekh rahe the, kuch ghabra chuke the, lakin sabse jada toh Trisha ki halat kharab thi, usne jaise hi yeh scene dekha vo apne ghutno par beth gayi, usse jaise koi hosh hi nahi tha...lakin ek aur awaj thi jisse sun sab uski aur dekhne lage…)


Raj- (chikhta hua)...Daaaaadddddd…


(Yeh Raj tha Gopal ka beta, jo abhi-abhi aaya tha aur aate hi usne dekha ki Aarush uske Dad ki garden mein bottle ghussa ke betha hai...vo rota hua uski aur gaya aur Aarush ko gale laga liya…)


Raj- (aansoo bahata hua)...tumhe mere Dad ko mar diya, Aarush tumne mere Dad ko mar diya...(gusse se)...tumne mere Dad ko maarr diyaaa Aarrrruusshhhh…


(Itni bol Raj ne apne piche se gun nikali aur Aarush ke pet pe rakh...Thhhhhaaarrrrrr, Thhhhhaaarrrrrr, Thhhhhaaarrrrrr, Thhhhhaaarrrrrr, Thhhhhaaarrrrrr...back to back 5 baar trigger daba diya…)


|BACK TO PRESENT|


Ladki- (Trisha ka hath hilati hui)...fhir kya hua Mumma…

Trisha- (apne aansoo ponch)...fhir kuch nahi beta, The End...yahi story ap likhana writing contest mein, Okay...jao abhi soo jao bahut raat ho chuki hai…

Ladki- (Trisha ko kiss karti hui)...Okay Mumma...Good Night…


(Vo Ladki apne room mein chali gayi, Pas bethi Vanya Trisha ke pass ayi uske aansoo saaf kiya aur usse gale se laga liya…)


Vanya- Didi...ab aur kitna yaad karogi usse, vo mar chuka hai abhi apki bhi ek life hai, uspar dhayan do, jitna usse yaad karogi utna hi apko aur dard hoga...bhul jao usse, ab toh itne saal ho gaye aur kitna royogi, abhi Bas Kriti par dhayan do aap...(uske sar par hath pherti hui, chonk ke)...apko toh bukhar hai Didi, let jao aap main medicine lekar aati hu…


(Vayna usse wahi bed par leta deti hai, Trisha apne hath mein pehani hui Aarush ki ring ko utar ke usme likhe I Love You dekh rahi thi aur apne mann mein soch rahi thi ki...pagal sa kuch dino mein hi mere dil mein bass gaya, itna pyar karne laga tha tu mujhe kuch hi din ki mulakaat mein..? yeh ring tere liye kharid pana bahut mushikl tha lakin fhir bhi lekar aya mere mana karne ke bavjood bhi.. teri Maa toh tere jane ke agle din hi tere pass a gayi, (ek diary se Aarush ki Tasveer nikal, usse dekhti hui) main bewafa nahi hu Aarush, maine bahut koshish ki tere pass aane ki lakin har baar mujhe koi na koi bacha leta, fhir meri jabardasti shaadi karwadi, aaj kitne saal ho gaye tujhe mujhe chhode, Kriti ne wapis aaj mujhe teri yaad diladi, badi ho chuki hai ab, kaafi samajdar bhi.. ab Kriti hi meri zindagi hai Aarush.. Log Kehte hai hamari Ek Adhuri Kahani Thi, Lakin Hamari kahani toh shuru bhi nahi hui thi na, toh Adhuri kaisi Hui... (Usne Aarush ki Tasveer ko apne sine se lagaya aur jor-jor se rone lagi...)


THE END
 
Member
183
142
43
Sir 10 reders se jayda hi hai is apke story ka site pr
unko unke purane 10 readers chahiye jo unki story par comment karte the lekin mujhe lagta hai agar waisa hua bhi to bhi wo ab sayad story likhne ka time na nikal pahen kyunki ab wo admin hain forum ke
 

Top