Incest Ek bechara (एक बेचारा)

Kya kahani close kar dun


  • Total voters
    10
  • Poll closed .
परमकाल का परमभक्त... आशक्त, शशक्त!
281
1,233
125
Update 48


Ab tak ham ne jana ki kishan ke uppar ghaat lagaye rockey aur uske dosto ka hamla hota hai, jisme kishan ko bhi bahut chonte aati hai, aur rockey ke dosto me se adhikash ko kishan maar dalta hai. Rockey ki bhi halat bahut kharab ho jaati hai jise wahin jungle me chhodkar kishan, rj aur sheetal bahar aa jate hai, wahin trimathpur me Neha ko jai singh ji bhi mil jaate hai ।
.

Ab aage...
.
.
Khoon se sana hua ek ladka, ek ped ne neeche besudh sa aundhe muh pada hua tha. Haalat aisi jaise kisi ne achhi tarah se dhobi ghaat ke kutte ki tarah dhulayi huyi ho.

"Aaaahhhh"

Achanak se uske shareer me halchal hoti hai aur wo ek cheekh se sath hosh me aajata hai.
Behoshi ki sthiti me to usse apne dard ka abhash nhi tha. Lekin hosh me aate hi uske badan me mauzud saari asthiyo me dard ki lahar si daud gayi...

Ladhkhadata huaa, paas ke nazdeeki ped ke sahare wo uthne ki koshish karta hai . Lekin uske pair uska saath nhi de rahe the. Waise hi khud ko ghasitata hua wo ladka paas me hi bah rahi ek jheel ke paas jaata hai. Aur kisi tarah apna chehra uss jheel ke pani se saaf karta hai.

Uss jheel ke sheetal pani se usee kuchh sukoon to milta hai, lekin jheel ke saaf paani me jaise hi wo apna chehra dekhta hai, usse wo sab yaad aane lagta hai jo abhi abhi kuchh der pahle uske sath hua tha.

Wo apni himmat jod ek ek baar fir peechhe dekhta hai jahan wo kuchh der pahle besudh gira hua tha. Uski nazar uske dosto pe jaati hai. Jinki halat marnashan jaisi thi. Wo ladkhadate huye hue apne dosto ke paas jata hai unhe uthane. Par afshosh uske adhikansh dost ape karmo ka fal yaani ki maut ke muh me jaa chuke the. Kuchh dost the jo ki abhi bhi sansh le rahe the. Par wo bhi antim hi the.

Ye yuvak aur koi nhi, balki Rockey hi tha. Jiska haal behadh hi dainiye tha.

Apne dosto ki laash ko itna chhat vichhat avashtha me dekh kar rockey wohin ghutno ke bal baith kar rone laga. Rone ke siba aakhir karta bhi kya. Uski haalat hi aisi ho rakhi thi.

Kuchh der aise hi wo baith kar rota rha.

Tabhi usse kisi ke chalne ki aahat sunayi dene lagi. Usse laga ki ye aahat kishan aur rj ki hai, wo iss samay bahut dara hua tha. Aur in pairo ki aahat ko sun kar wo ek ped ke peechhe jakar chhup gaya.

Tabhi usse jungle ke andar se do khatarnak siyar aate huye dikha, jo shayad unn laasho ke khoon ko sunghte huye udhar aagaya tha. Siyar pahle to sabhi lasho ko soongh soongh kar dekhta hai, aur fi lag jata hai un mrit shareero se apni bhookh mitaane.

Manzar kuchh aisa ho rakha tha ki agar koi aam inshan usse dekh le to ussi pal sadme me chal jaaye.

Rockey to pahle se hi dara hua tha. Aur siyar dwara uske dosto ke mrit shariro ko noch noch ke khate huye dekhna. Usse poora pagal bana chuka tha.

Usse womating si aane lagi thi wahan ki halat ko dekh kar. Par wo khud ko kisi tarh roke huye tha.

Siyar wahan mauzud sabhi lasho ko cheer faad daala. Unme se kuchh ki to uss vaqt sans bhi chal rahi thi jab siyar usse khane gaya tha. Par ab....
.
Khair...
Rockey bahut der tak khud ko rok nahi paya aur, wohin pe ulti karne laga.

Jiske karan un siyaro ki nazar uss pe chali gayi.

Dono siyar, un lasho ko chhodkar, apne khoon se aane danto ko dikhate huye, gurrate huye rockey ke taraf jaane lage.

Rockey ne jab ye dekha to wo bina ye dekhe ki wo kis taraf ja raha hai. Wahan se bhagne laga.

Usse wapas gao taraf bhagni chahiye thi, pa wo uss jungle ke taraf bhagne laga jisse ridrapur ke log shrapit aur tilashmayi kahte the.


Kahte hai na, ki bhale hi kitna bhi chot kyun na ho, jab mushibat peechhe padegi na tab bina kisi ke parvaah kiye tum sarpat daud laga doge.

Yahi haal iss vaqt rockey ka tha. Dar ke vajah se uske andar jaan bachane ke liye ek alag hi urja dekhne ko mili. Jiske madhyam se wo bahut tezi se jungle ke andar bhage ja rha tha.

Wo dono siyaar bhi uska pichha kar rahe the,
Lekin kuchh aisa bhi tha uss jungle me jo unn siyaro ko aage badhne se rok raha tha.

Wo siyaar lalayit nazro se rockey ko dekh to zarur rahe the, aur pichh bhi kar rahe the.

Parantu, achanak kabhi kabhi wo siyaar ruk jaate the, jaise unhe koi aage badhne se rok raha ho.

Darasal baat ye thi, rockey daudte daudte jungle ke beech ke behad nazdeek aachuka tha. Aur wo mandir ke ekdam kareeb pahunchne bala tha. Ghane jungle ke karan usse mandir dikhayi nahi de rahe the.

Ki tabhi audte daudte uska pair kisi patthar se ja laga aur wo wahin gir gaya.

Usne ek baar peechhe dekha to usse siyar kahi dikhayi nhi diya.

Wo ekbaar fir wapas uth kar jungle ke andar jaane laga...

Kuchh door andar jaane ke baad....
Usse wo nazar aaya....
Aur uske muh se nikla wo shabd....
Wowwwwwwwww.......
.
.
.
Rudrapur ( haveli)
.


" Ye kya hua tumhe, ye patti ...? Kya hua hai sach sach batao mujhe, kiski itni zurrat ho gayi ki thakuro pe haath uthane ki zurrat kar de... "


Ye the hamare hyper rghav thakur ji, jinhone jaise hi kishan ko jakhmi halat me , sar pe patti lagaye huye, haath me bhi bandaje, aur ladkhada kar Rj ke sahare chalte huye dekha, waise hi unke gusse ka paara ekdam upar ja pahuncha aur wo lage dahadne.

" Kya chacha ji aap bhi, bhala kiski itni zurrat ki thakur raghav singh ke bhateeze pe haath utha le, wo to meri bullet se accident ho gayi thi. Abhi abhi hi nimi ke ghar se first aid kara kar aarha hun, jyada chot nhi hai. Aur bike bhi banba diya hai"

Kishan baat ko samhalte huye bolta hai. Jise sunkar raghav ji kuchh nishchint hote hai aur bolte hai

" Are bete, bike to hazar aayengi, lekin tere jaisa bhateeza to ek hi haina mere paas, are nahi nahi... Ek nahi do hai mere paas... Rj bhi to hai... Tu na gaadi aaram se chalaya kar, ye na kisi ka sagi nahi huyi hai. Izzat se chalaoge to ye bhi izzat karegi, aur zahan iske raftaar ko chhedoge to ye tumhare zindgi ko chhedne lagegi. Samjhe "
.

Raghav chacha ne kishan ko samjhate huye ye saari baate kahi. Jisse sunne ke baad kishan ko bhi achha laga. Aaj pahli baar usse ek chacha, ya for ye bol sakte hai ki pita ka care kya hota hai ye pata chala tha. Par abhi wo emotional hokar scene ko kharab nahi kar sakta tha.
Wahin door kitchen ke darvaaje se radhika chachi bhi inndono ki baate sun rahi thi. Kishan ki halat dekh kar usse bhi bura lag rha tha.
Kishan ne bhi unhe dekh liya tha .

" Ji chacha ji... Khair rj bol raha tha ki dada mujhe bula rahe the. "


" Haaaa... Par ab khane ka samay ho gaya hai. pahle tum dono khana kha lo. Ham abhi aate hai bahar se . "

Raghav ji itna bol kar bahar jaane ko huye hi the ki kishan bol pada

" Aap nhi khayenge chacha ji, jahan tak mujhe pata hai ki aapke khane ka bhi samay ho hi gaya hai. To fir kha kar hi bahar jaiyega na. "

" Are nahi beta, abhi kahan.... Mai... Mai kheto me hi mazdooro ke sath khana kha lunga.
Tum sab khao.... "

Raghav ji itna bolne ko to bol diye, par unke bolne se radhika ke ankho se do bund aashu zaroor gir pade, darasal jab se ghar me wo kand hua tha, tab se raghav shirf subah aur sham ka nashta ghar pe karta tha. wo bhi apne pita ke kahne par. Ya fir apni beti pinki ki khushi ke liye. Wo aksar dopahar ka khana bahar hi kiya karta tha.

" Jaante ho chacha ji, mujhe achhe tarah se yaad hai jab mai chhota tha, aur mere apne hi ghar me mere sath kaidiyo jaisi sulook kiya jata tha , tab mai gusse aur narazgi me kabhi kabhi khane se muh mod liya karta tha.
Uss samay mere dada mujhse ek baat kiya karte the.
Ki narazgi bhale hi kisi bhi vajah se , kisi pe bhi ho...
Usse apne bhojan pe kabhi bhi mat nikalna.
Jis anaz ko bas kisi ke narazgi ke khatir ham thukra rahe hai, uska mil uss se poochna chahiye jiske ghar me ek samay chulha jalta hai., issliye chaliye aap bhi sath me khana khane "


Kishan ki baat ko sunkar, raghav ko bahot achha laga, usse aisa laga jaise kishan ke roop me wo swayam shambhu pratap ji ko dekh rha hai.


" Theek hai,.... Chal mai bhi kha leta hun... Waise fufa ji ki bahut saare gun tumne liye hai. I m proud of you. "


" Achha, aap apne fufa yani ke mere dada ji bahut izzat kiya karte the. Matlb, unki saari bato ko bhi maan lete the kya? "


"Haaa, isme bhi koi shak... Fufa ji mere pita saman the, unki baate hamare liye pathar ki lakeer hua karti thi"


"Agar mai kuchh kahu karne ki to aap katenge?"


"Aazmaa kar dekh lo, mai tumhare andar bhi wahin apne fufa ka roop dekhta hun. '


" Tab.... Aap ek baar chachi ji ko maaf kar dijiye na plz... Mai nhi chahta ki aap aur chachi ji zindagi bhar aise azanviyo ki tarah zindagi bitaye. Plzz chacha ji. Ek baar mere liye chachi ko maaf kar dijiye. Maine unhe pashchatap ki agni me jalte huye dekha hai, wo waisi nahi hai, jaisi apni bahan ke bahkave me aakar wo ban gayi thi. Hamse behtar to aao unhe jaante hai chacha ji. Kya uss din se pahle kabhi bhi chachi ji ne koi aisi harkat ki hai jis se aapke ya fir iss haveli ke aatm samman pe kabhi koi sawal aaya ho. Nahi na... Wo sab ek chal thi chacha ji.... Sab ek chal thi.... "



Raghav - ( sochte huye) ye itna bhi aasan nhi hai bete , par tumhari baate bhi sahi hai. Radhika kabhi bhi waisi nhi thi jaisa usse chitra bhabhi ne bana diya tha. Ham koshish karenge... Ek nayi suruaat karne ki... Ab khush....

Kishan - haaaaaa, .. Bahut khush....
Go suruaat aaj se hi... Khane me aap zara pyaar se chachi se kuchh mangana.... Dekhtte jak chachi ka reaction kaisa rhta hai kyu rj

Rj - haan bhai, bahot din ho gaye hai... Chachi ke chehre pe hasi dekhe huye.. Jis din hamsab aaye then, bas ussi din chachi ko haste dekha tha. Uske baad to jaise.......


Raghav - are... Theek hai, theek hai.... Jaisa tum log ka ho....
.
.
.
.
Shahar ( R.T GROUP)
.

Tina - ham kaha ja rahe hai rohan?

Rohan - guumne meri zaan!

Tina - haa, mai wahi poonchh rahi hun ki kahan ghumne ja rhe hai ham?

Rohan - ham ja rahe hai... Rudrapur... Wahan ek mandir hai... Suna hai usme shradha se mannat mangne se bhagvaan unki mannat poori karte hai. To socha mai bhi wahan ja kar apni zaan ke liye dher saari khushiya mannat me maang lunn.

Tina - wowww..... Aur mai bhi aapke liye bahut saari acheivement mannat me mangugi... Ummmahh

Rohan - theek hai, aisa karo aap apni packing kar lo, ham takreeban 1 hafte wahan rukne baale hai. Thoda mind bhi fresh ho jayega gao ke batavaran me. Aap packing kar lo apni mai jara gaadi dekh leta hun, usme sab sahi hai ya nhi.

Tina - okk babu, aap chek kar lijiye, waise bhi ek hafte ki liye bahut sari packing karni padegi. Jisme bahot time lagne baali.

Rohan - theek hai bye, par sham tak ready rhna hann.. Bye... Love you..

Tina - hi hi hi.....ready rahungi... Bye.. Love you..


Uske baad rohan, tima ke room se bahar nikal jaata hai, aur fir apne caar me baith kar gaadi ko aage badhane lagta hai. Aaj fir uski manzil ussi jungle ke taraf thi. Jahan uska guru... Wo tantrik usse shaitna ka gulam banaya tha.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi, deri ke liye maafi.
Update pasand aaye to like
Agle pe kaam zaari...
 
expectations
23,454
15,436
143
Ek baar fir rockey bach gaya matlab abhi usse ek baar aur ladai hogi chahe jo bhi ho wo bada himmat wala aadmi lagta hai.
 

Top