update : 2
mai kasrat karne ke liye chhat pe ja hi rha tha ki bahar se kisi gadi ki aawaz aayi , mai balcony me ja kar dekha to dadi aagyi thi aur unke sath koi mujhse bhi lamba aur chauda pehalwan sath aaya huaa tha .
mai turant bhag kar apne room aaya to dekha abhi rajnish bathroom me hi hai .
maine jitna jaldi ho saka utni tezi se room me bikhri padi chizo ko sahi karne lga , waise mera room 4th flr pe tha to dadi ke upar aane ke pahle hi maine sare bikhre saman sahi kar liye .
tabhi darwaja knock huaa aur maine gate khola , aur dadi ke pao chhu kar parnam kiya .
dadi : kaisa hai mera lalla ( dadi mujhe pyar se lalla bulate hai)
me : thik hu dadi aap kaise hai ?
dadi : mera kya mai to thik hu re , ye le mai tere liye tera pasandida kheer bana kar layi hu , aur ye tera iss mahine ka khurak ( 1 dabba laddu ka hath me dete huye) ab se apne sehat pe aur dhyan diya kr dekh to kitna dubla ho gya hai .
me : achha thik hai dadi ma ab se mai aur dhyan dunga apne fitness pe ,
tabhi kamre me wahi aadmi aaya jo dadi ke sath car se nikla tha . inki height mere se bhi 2 ungali jyada thi.
maine unke bhi pao chhue aur unhone bhi mere sar pe hath rakh kar aashirwad diya .
dadi : lalla ye bhi tera dada hi lagega ,
inka name bijendra singh hai aur ye mera chhota bhai hai , tere bap ka chhota mama , ye ghar pe apni beti ke shadi ka nimantran dene aaya tha but tumhe waha nhi dekha to yaha chala aya .
bijndr dada : kaise ho kishan bete . padhayi kaisi chal rahi hai .
me : thik hu dada ji aur padhayi bhi thik hi chal rahi hai .
bijndr dada : sharir to bahut achhe banaye ho , suna hai tum sports me bhi ruchi rakhte ho .kon sa khel khelte ho.
me : kabaddi khelta hu dada ji , aur ye sharir to dadi ke khurak aur morning me exercise karne ke wajah se aisi bani.
dadi : wo alsi kaha gya idhar dikh nhi rha hai.
rajnish bathroom se bahar nikalte huye : yahi hu dadi ..... wo socha pahle naha lu fir aap sab se mila jaye
fir rajnish ne bhi dono ko parnam kiya .
dadi : lalla bijendar tum dono ko shadi ka nimantaran dene aya hai .
bijndr dada : haa bete waha ghar pe to maine sab ko bol diya hai shadi me aane par tumhe special bol raha hu tumhe shadi me jarur aana hai aur tumhe bhi rajnish bete .
me : koshish karunga dada ji par jab ghar se sab ja hi rahe hai to mera jana jaruri hai kya . aur mujhe collage me practicle jama karna hai to shayad mai na aa pauu.
dadi samajh gayi ki mai mana kyu kar raha hu.
dadi : lalla bijendar ke yaha uski madad karne ke liye koi nahi hai issliye ye tumhe waha bula raha hai , tu apne dada ki madad nahi karega? ,
aur rahi bat tere ma bap ki to wo tujhe kuchh bhi nahi bolenge mai unse bat kar lungi .
me : wolog mujhse kya bolenge dadi unke liye to mai mar gaya hu na to mare huye se kon bat karta hai , hann jaleel jarur krenge , par agar dada ji ko meri madad ki jarurat hai to mai jarur jaunga . kab jana hai ?
dadi : hamlog ghar se kal waha jarhe hai aur issi hafte shadi hai . par tujhe waha aaj hi jana hoga. shadi gao pe hi ho rahi hai ,
me : thik hai dadi mai aur rajnish sham tak waha gao pe pahunch jaunga .
rajnish : abe mai kyu ...... mujhe aaj kaam hai yar samjha kar na.
dadi : kya kam aagya achanak tujhe hann, aaj sham ko tum dono gao chale jana.
rajnish : par dadi .....
dadi : par war kuchh nahi ....
rajnish : ( sada hua muh banate huye ) thik hai dadi ham pahonch jayege...
dadi : thik hai ab mai chalti hu lalla ...aur khir kha lena jaldi hi warna thandi ho jayegi .
rajnish : kheeerrrrr......... aap kheer laye hai . ( mere taraf dekhte huye) abe tune mujhe bataya nhi ki dadi kheer lekar aaye hai, thanks dadi mujhe na aaj bahot mann ho rha tha kheer khane ko aapne meri man ki murad poori kar di ....
dadi : achha achha ja kha le jakar ,mai ab chalti huu late ho raha hai chal bijendar .
fir maine dono ko parnam kiya aur wo dono mujhe ashirwad dekar wapas niche chale gaye.
.
.
.
aaj ke liye bas itna hi