Thriller Faraar (COMPLETED)

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 30
Jugdish ke giraftaar hote hi media ke taraf se halla mach gaya ke Inspector khan ne MLA ke bête ko khoon ke ilzaam mein giraftaar kiya hai. Aur uss taraf Vicky ki begunahi ke bayaanaat hone lage TV, press, radios par. Gali gali log batein karne lage ke Vicky bequsoor hai usski behen ki rape kiya gaya etc.

TV wale Inspector Khan se sawaal karte hue poocha ke Vicky ka koyi pata mila bhi ke nahin. Khan ne jhoot mooth Vicky ke bataaye hue raatse par chalte huwe kaha ke abhi tak to koyi pata nahin Vicky ka magar shayad ab begunah saabit hone par saamne aega jahan kahin bhi hoga.

Udhar commissioner Raghuveer aag babula ho raha tha aur Khan ko istifaa dene ke liye kaha. Aur Khan ne ussko kaha,

“Istifa main nahin aap doge commissioner sahab, aaj raat ko koyi aap se milne wala hai ghar par hi rehyega please bahot hi important meeting hogi aap ki kissi ke saath. Weise fikar karne ki koyi zaroorat nahin aap ki faede ki meeting hogi. ” Yeh bhi Vicky ne Khan ko Raghuveer se kehne ke liye kaha tha.

Vicky ne Mathur sahab se 2 crore rupay mangwae ek din ke baad aur uss raat ko commissioner Raghuveer ke ghar uss se milne gaya. Commissioner sahab Vicky ko dekh kar hakbaka gaya aur iss liye ke usske bhatije ne qubool kar liya tha ke ussne aur usske saathiyon ne milkar Vicky ki behen ka rape kiya tha aur khud Vicky ko bequsoor thehra diya gaya tha to commissioner sahab diplomatic muskurahat ke saath bahon ko pheylaaye Vicky ke taraf badhte hue kaha,

“Are are Vicky beta ao ao mujhe pura yakeen tha ke tum bequsoor ho, bhala tum jeise mahaan businessman apni behen ke saath eise ghinawne harkat kar hi nahin sakta ao baitho baitho.”

Vicky akela nahin tha, Mathur sahab, aur 4 account officers saath the usske office ke taraf se. Ek ke haath mein Vicky ne hidden camera diya tha sab film utaarne ke liye. Sofe par baithne ke baad ek zimedaar businessman ki tarah Vicky ne gambhir awaaz mein commissioner se kaha,

“I am here for business dear commissioner Sir. Mujhe pata hai aap kitne bade ghoos khaur hai aur main aap ko paise dene aya hoon ke aap apni naukri se istefa dein aur desh chorr kar hamesha ke liye Canada ya Australia chale jayein aur araam se baaki ke zindagi guzarein!”

Yeh sunkar Raghuveer ne ek ajeeb sa mukurahat choddte huwe kaha,

“Kia baat karte ho Vicky sahab! Bhala abroad jane ke liye aur baaki ke zindagi guzaarne ke liye jitna maal ki zaroorat padta hai woh kia aap doguey mujhe? Eisa to ho hi nahin sakta main nahin manta hoon ke aap eisa kar sakte ho? Aur mujhpar itni meherbaani kyun bhala?”

Vicky ne jawaab diya,

“Yeh meherbani sirf iss liye ke Inspector Khan jeise imaandaar officaron ke kaam mein aap rukawat bante ho! Desh ki taraki mein aap rukawat bante ho. Main hoon ke apne maal o dawlat se desh ke liye jo kuch ban padta karta hoon aur aap sakaari maal khate hue bhi sarkaar ke kaamon mein dakhal andaazi karte rehte ho. Main aap ko munh mange rakam dunga taake aap chale jaen aur hamare desh ko aguey badhne ka mawka milen!”

Raghuveer ne apne chehre par apne haath ko sakhti se ragadhte hue, apne peshaani par pasine ki ek patli se lakheer ko ponchte hue, apne gale ko saaf karke bola,

“K…..KI……Kitna paisa de sakte ho mujhe?”

“Jitna aap ne kabhi socha nahin hoga!”

“Phir bhi main sunna chahta hoon ke kitna doge?”

“Aap batao kitne ka khwaab dekh sakte ho”

“M m….. ma….. main kuch nahin jaanta aap saaf saaf bolo kitna doge aap mujhe?”

Tab tak jissko record karna tha woh sab record kar raha tha.

Aur Vicky ne jhoot mooth ke ghussa karte hue bola,

“Dekho commissioner saahab, ghar aaye lakshmi ko agar aap nahin swikaarna chahte ho to main chalta hoon mujhe waqt barbaad karne ka koyi irada nahain…..”

Yeh sunkar commissioner ki laalach badh gayi aur dogle muskurahat ke saath kaha,

“Aap ke iss bag mein kitne hein Vicky sahab? Kia aap iss mein mere liye maal laaye ho? Aap to multi billionaire ho, aap to kuch bhi de sakte ho…dekho agar itna de diya ke main baahar ke mulk mein ek ghar kharid kar baaki ke zindagi araam se jee sakun to phir thik hai main istefa de deta hoon aur aap mujhe maal de dejiye……”

to Vicky ne phir bhi poocha,

“Are aap boliye to kitna chahiye aap ko aap ki maang kia hai? Agar paisa kum hai main abhi aur mangwata hoon….”

Raguveer bola,

“EK….. hehehehe….. agar ek crore miljata to kaam ban jata Vicky sahab. Hehe”

Vicky ne bag usske goad mein rakhte hue kaha,

“Iss mein do crore hai Raghuveer sahab. Aap ek to kia 5 makaan kharid sakte ho iss se, rent kar sakte ho aur baaki ke araam se uda sakte ho.”

Raghuveer ne bag lete hi jaldi se ussko khola aur noton ko apne donon haathon se nikaal kar apne chehe par malte hue kehne laga,

“Are itne paise ane ke baad kaun uss sadele commissioner ki naukri ko karega ab, laat maarta hoon uss naukri par, nahin chahiye woh do paise ki naukri thoo!!”

Sab kuch record kiya jaa raha tha.

Bus, usske baad Vicky nikalne laga aur mudhkar Raghuveer se kaha, “Bhoolna mat, apni istefa abhi ke abhi jaakar rakh ana police headquarters mein.”

Aur jeise Vicky wahan se nikla, baahar Inspector khan wait kar raha tha uss record ki gayi video ki, jissko lekar woh minister ke yahan gaya aur sab dikhaya phir turant commissioner ko giraftaar karne ka warrant nikala gaya aur Khud Khan gaya commissioner Raghuveer ko arrest karne ko!

Ab kia kahen ke kia aalam tha jiss waqt Inspector Khan gaya commissioner Raghuveer ko giraftaar karne ko TV aur press walon ke line apne piche lekar! Raghuveer ke samajh mein nahin araha tha ke kia Karen ya kahe! Kabhi kehta ke “Main to istefa dene jaaa raha tha, main ab commissioner nahin hoon ….. Dekho Khan tum abhi bache ho tumko kuch nahin pata ke zimedaari keise nibhaayi jaati hai, yeh ghalat kar rahe ho, main, main tuumko seekhata hoon dekho kitna maal mila hai lo, lo tum bhi iss mein se maal batorlo aur nikal chalo dhire se…hehehe lo lo chalo baant lete hein hmm thik hai? Ache bache zid nahin karte, ao ao donon mil bantkar khaate hein ….”

Tab tak Khan ne hatkadi Raghuveer ke kalaayi mein pehna diye aur ussko khinchte huwe jeep ke taraf lejane lage jab ke Live TV broadcast ho raha tha sab kuch. Raghuveer apne chehre ko apne bahon se chupaane ki koshish karte hue jeep ke taraf Khan ke piche piche jaa raha tha……

To be continued………………..
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 31

Vicky ab public mein aya. Ek private TV channel wale ne ussko apna ek LIVE show mein invite kiya saath mein Rathod aur Inspector Khan ko bhi. Uss se pehle bahot advertisement kar diya gaya the ke Vicky ka LIVE broadcast hone wala hai 3 -4 din pehle se to tamaam public uss channel ko tune karke baithe the Vicky ki batein sunne ke liye, sab bechain the jaanne ke liye ke woh itne dinon tak kahan tha.

Khan ne Vicky se milkar aapas mein baat kar liya tha ke kia kaha jaye TV walon ko. Vicky bilkool nahin chahta tha ke usska naam kahin bhi aaye kissi ke bhi katal mein. Woh bilkool safe rehna chahta tha. Rathod ko beech mein le aya Vicky aur ussko credit diya. Khan se kaha ke TV walon se bolna ke Rathod ko tum ne jhoot mooth ke leaves par bheja tha assal mein woh khufia tarike se police ka kaam kar raha tha. Sabhi recordings jo mile hein sabhi mare hue logon ke sab Rathod ne record kiya hai aur sab jo main ne kiya sab Rathod ne kiya yeh batana TV walon ko. Yeh plan kiya Vicky ne aur Rathod khush hua ke usska naam bhi hogaya iss case mein aur show ke baad woh wapas police station apne naukri join karega.

To hua wohi. Tamaam sheher ne woh show dekhen jahan Vicky ne bataya ke uss oonchaayi se girrne ke baad woh dehati logon ke beech hafton tak ghaayal pada hua tha, unn logon ne usski dekh bhaal kiya aur kal hi woh sheher mein wapas aya to suna ke Inspector Khan ne jugdish ko giraftaar kar liya to woh khud Rathod se milne gaya aur Rathod ne ussko Khan se milwaya.

Public mein se logon ne sawaal bhi kiya to ek aadmi ne poocha ke kyun Vicky ne commissioner ko ghoosse dene ki koshish kiya? To Vicky ne bataya ke woh Khan ka plan tha yeh diikhane ke liye ke Raghuveer keise bika hua tha. Woh sab record karna tha issi liye ussko paise diye gaye the. Vicky ne bataya ke uss ne bus police ki madad kiya uss waqt Raghuveer ka asli chehra saamne laane mein. Phir turant baad Khan ne kaha ke ab baaki bahot saare log saamne agaye hein saabit karne ke liye ke Commissioner ji ne unn sab se paise liye the unn ke case ko rafa dafa karne ke liye…… usska case ab bahot hi gambhir ho gayi hai aur ek ek karke unn ke sabhi kale kartut saamne arahe hein aur unn ko bail nahin mil sakti ab to, aur naa hi jugdish ko, court ne bilkool mana karr diya ke kissi bhi keemat par donon mein se kissi ko bhi bail nahin hona chahiye!

Show ki host ek khubsurat lady thi. Uss ne Vicky se sawaal kiya,

“Vicky ji uss raat ko hua aap darshakon ko yeh bataen zara please!”

Vicky ka chehra laal ho gaya aur saamne baithe hue public jo show dekhne baither the unn ke taraf dekhte hue kaha,

“Kia bataun? Uss kaali raat ko yaad karta hoon to enkhon ke saamne andhera chhaa jaata hai, qayamat ki raat thi woh! Meri pyari Sanjana ki jaan par ban aayi thi, bayaan karunga to ro padunga………”

Aur beech mein Khan ne yeh kehte hue Vicky ki baat kaat diya,

“Dekhiye madam, mere khayaal se Vicky ji se yeh sawaal nahin poochna chahiye kyun ke public ko already sab pata hai ke kia hua tha uss raat ko …..”

Tabhi public ke beech se ek aadmi khade hokar kaha,

“Magar hum jaanna chahte hein ke kyun aap ne uss waqt kuch nahin kiya, kyun aap ne apni behen ko bachane ki koshish nahin kiya?”

To Vicky ne uss aadmi ko yeh jawaab diya,

“Dekhiye, main koyi filmi hero nahin hoon jo panch aadmiyon se akela ladh kar kissi ki hifazat kar sakun. Uss raat ko mere ghar mein koyi shooting nahin chal rahi thi, sab hakikat mein beet raha tha mujhpar. Apne ghar ke andar log apne aap ko mehfooz mehsoos karte hein, ghar woh jagah hoti hai jahan kissi cheez ka khauf nahin hota. To main be khauff apne kamre mein tha ke achanak, I repeat achanak 5 mardon ne mujhpar hamla kiya aur mujhko gherkar mere hath peyr kaske band diye upar se mujhko mara!! …… Main aap se ek sawaal karta hoon ab…kia achanak ek raat ko aap ke kamre mein 5 mardon ne aap ko pakra aur haath peyr band diya to kia aap kuch kar paoge? Filmi hero ho aap dhishum dhishum karke sabko gira doge?”

Tab woh aadmi ne sar niche jhukakar baith gaya apne seat par. Phir Vicky ne haazir public ke taraf dekhte hue kaha,

“Main uss raat ke wakeaat ko details mein likh kar press walon ko de dunga aur aap sab press mein padh lena jo hua tha hamare ghar mein uss raat ko thik hai!”

Studio ke corridor mein Khan ki behen Farheen aur usski saheli Reshmi bhi aaye hue the. Farheen Vicky se milkar bahot khush hui thi aur Khan ne khud ussko Vicky se milwaya tha. Aur Vicky ne Farheen ko ek naya mobile gift karne ka wada kiya tha.

Lady host ne Khan se sawaal karte hue yeh kaha,

“To aakhir mein yeh pata chalta hai ke Commissioner Raghuveer ko pehle se pata tha ke usska bhatija jugdish uss rape mein involve tha aur weh aap ke kaam mein

dakhal andaazi kar raha tha ke aap Jugdish tak nahin pohunche aur jaan bujhkar Vicky par ilzaam laga raha tha ke inhon ne khud apni behen ke saath…….”

Aur Khan ne araam se muskurate hue jawaab diya,

“Zaahir si baat hai ji. Ab to sab saamne agaya hai. Mere kaam mein bahot rukawatein paida kiye the ex commissioner sahab ne apne bhatije ko bachane ke liye……. Aur aakhir mein main ne sub inspector Rathod ko sick leaves ke bahane secret mission par bheja baat ki tey tak pohunchne ke liye. Sub inspector Rathod ne bahot mehnat kiye aur sabhi information mujhko deta raha aur main apne taraf se ussko help karta raha. Rathod ne unn do pehle aadmiyon se sach ugalwa liya tha jisski recordings abhi aap logon ne dekhe….. tabhi jugdish ko pata chala to unn donon ko maar dala ussne….. tab Rathod ne mujhko jab bataya ke unn donon ke bayaan lene ke baad donon ke khoon kar diye gaye to humko laga ke koyi bada haath hai unn ke piche….. Rathod dusre do logon ke piche laga hi hua tha ke unn donon ke laash mile aur Jugdish par nazar rakhe hue the hum ke pata chala woh unn do logon ko maar kar desh se bhaagne ki koshish kar raha tha… Rathod ne mujhko phone par bataya kyun ke jinn do logon ke khoon hue jugdish ne unn mein se ek ko phone kiya ta aur unn ke phone hum tap kar rahe the…ussi se humko pata chala ke jugdish unn se milne wale the… ab uss aadmi ka number hamein unn do pehle logon se mila tha… magar afsos iss se pehle ke Rathod unn donon se milta, Jugdish unn donon ko maar chukka tha….. tabhi Rathod aur main ne airport par Jugdish ko roka aur mawka e waardaat par legaye jahan do laashen pare hue the wahan uss ne apne jurm Kabul kiye aur sab sach sach bataya jo abhi aap sab ne recording mein dekhe!”

Sabhi logon ke taaliyon ke shor se hall goonjh utha aur sab log Inspector Khan aur Rathod ki jay jay karne lage. Woh to Studio ki baat thi, pure sheher mein jitney log TV dekh rahe the sab log wah wah karne lage ke wah kia badhya kaam kiya hai Inspector Khan aur Rathod ne. Aur studio mein uss lady host ne shabaashi dete hue Inspector Khan se ek aakhri sawaal poocha,

“Suna hai ke ab MLA sahab jo commissioner ka bhai hai woh kuch rukawaten pesh kar rahe hein?”

Iss par Khan ne kaha,

“Weh MLA ji hein, weh apna kaam Karen hum police wale apna kaam karte jayenge, no more comments on that, aap logon ko baaki ki khabren milte rahenge!”

Aur lady host ne sab ka shukriya ada karte hue program ka end kiya taaliyon ke ghadgharahat ke bech.

Jo kuch bhi kaha gaya sab plan Vicky ka banaya hua tha. Vicky ne apne Sanjana ki hone wale husband, Rathod ko sabhi credit de diye aur kaamyaab police officer karaar karwaya aur Inspector Khan ko bhi ooncha darja dilwaya uss show ke zarye. Sab kuch Vicky ne plan aur tayaar kiya hua tha wahan jane se pehle. Aur sab successful raha.

Chief minister ne pura program dekha aur parliament mein Inspector Khan aur Rathod ke zikr kiye gaye aur decide hua ke donon ko bada promotion diya jaye.

Bus hafte bhar mein Khan Commissioner of police ban gaya aur Rathhod assistant commissioner uss sheher ki!!

To kia Vicky ka kaam khatam ho gaya? MLA ke saath kia aur keise karega? Aur kia jugdish ka unn chaaron ka haal nahin karega? Kia Jugdish ko araam se muft ki roti haasil hogi zindagi bhar jail mein? Ya Vicky ki plan mein aur bhi kuch baaki hai? Dekhte hein agle update mein…… Weise dosto ab kahani apne ant tak jaa rahi hai shayad ek do update mein kahani khatam ho jaegi.

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 32

Vicky ne apni aakhri chaal chali MLA ko faansne ke liye aur Jugdish se badla lene ke liye. Aakhri plan tayyaar kiya.

Magar uss se ek din pehle Vicky Rita ko phone karke uss se milne gaya, magar ussi Hippie ke roop mein. Rita ko pata bhi nahin chala ke woh Vicky hai. Vicky ne Rita ko 5 lakh rupaye diye usske achche kaam se khush hokar. Aur Rita se kaha ke woh usske ghar dekhna chahta hai. Khushi khushi Rita Vicky ko apne ghar legayi.

Jo Vicky ne socha tha wohi hua. Rita ek gharib ladki thi aur ek tooti phooti choti si jhompre jeise makaan mein rehti thi lakdi aur tin se bana hua, jhopar patti ke ek kone mein. Ghar mein ek budhi maa thi jissko koyi rog tha. Pooch taaj ke baad Vicky ko pata chala ke Rita ki maa ke pheinpron mein problems hai aur operation ki zaroorat hai. Rita ki haalat dekh kar Vicky ka mann bhar aaya aur usske ke enkhen nam ho gaye. Vicky turant uss jhompre se baahar nikla aur ek phone kiya kissi ko. Kuch der baad wahan ek van aya aur uss mein se kuch aadmiyon ne Vicky ke ishaare par Rita ki maa ko kissi bade hospital lekar gaye. Vicky ne sab intezaam kar diye operation ke kharche ke liye apne office mein Mathur sahab ko phone karke sab samjha diya.

Vicky Rita ko bank lekar gaya Mathur sahab ke saath aur usske liye ek account open karwaya aur 10 laakh rupay add kiya usske account mein. Mathur sahab sab kar raha tha Vicky hippie ke bhes mein tha iss liye sab kaagzaat lekar Vicky se sirf sign karwa rahe the; phir ne Rita ko sab samjhaya ke keise paise nikala jaye etc. Sab hone ke baad Rita Vicky ke seene se lag kar phoot phoot kar rone lagi sab ke saamne bank mein hi. Vicky ussko chhup karate hue sambhaal raha tha. Rita ensoowon ke dhaar mein boli,

“Aap kaun ho main nahin jaanti, magar aap ek farishta ban kar meri zindagi mein aaye aur itna kuch kiya mujh gharib ke liye… apne jism ka sauda karna meri majboori hai, main eisi nahin thi bilkool, meri maa ki bimaari ki vajah se sab karna pada, main ziada padhi likhi nahin aur kahin naukri nahin mil rahi thi, maa kaam karti thi aur main ghar par rehti thi….magar jab woh beemaar ho gayi to ghar mein khaane ko kuch nahin tha, phir maa ki dawaai ke liye paise chahiye the…. aur main kaam ki talaash mein gayi to sab meri majboori ka faeda uthana chahte the, sab ki nazar sirf mere jism par the….. aur koyi chaara nahin bacha tha ke ek call girl ne khud mujhe sahara diya aur dhanda seekhaya yeh kehte hue ke bahot paisa milega jism bech kar…. Phir main majbooran uss line mein aagayi…… Main har roz yeh praathna karti thi ke uss gandagi se nikal sakun, Bhagwaaan se har roz yeh praathna karti thi ke mujhe koyi raasta dikhaaye ke main uss mahaul se nikal sakun…aur Bhagwaan ne aap ko bhej diya mere liye aap mere liye uss Bhagwaan se badhkar ho sahab!!”

Rita itna ro rahi thi ke khud Vicky ke ensoo chalak pade usski daastan sunkar aur Rita ke sar par apne haath pherte hue Vicky ne kaha,

“Chalo ab tumko woh sab nahin karna padega. Tumko jitney paise diye hai main ne tum araam se jee sakti ho….. Aur zaroorat padne par main aur dunga, mere aadmi mujhko khabar deta rahega tumhara, tumhare liye ek makaan dekh liya hai main ne ab tum wahan rahogi. Tumhari mummy ke operation ke baad tum ussko uss ghar mein lejana. Main baad mein tumko ek naukri dilwaunga ek achchi company mein, magar tumhari maa ke ghar wapas lautne ke baad….. Jao, khush raho aur Bhagwaan ka shukriya ada karo sab ussi ne kiya hai. Woh tumse khush hai ke tumne keise bhi karke apni maa ki dekh bhaal kiya… shayad issi liye mujhko tumse milwaya.”

Rita bahot royi uss roz, apne tamaam dil ke gham dho dale apni khud ke ensoowon se ussne.

Aaakhir mein Rita ko usski naye makaan mein lejaya gaya jo Vicky ne usske liye kharida tha. Aur wahan Rita ki part khatam hui.

Vicky ne apne plan ke motabik MLA ko faansne ke liye ek drug dealer se kayi kilos brown sugar aur kaafi hathyaar kharide, bandook aur box bhare hue golion ke saath. Aur 2 time bomb bhi. Assal mein 3 time bomb kharida tha Vicky ne, ek ka istemaal kahan karna hai woh baad mein chalega. Ussko sab samaaan MLA ke ghar ke andar rakhna tha problem yeh thi ke keise rakha jaaye! Security sakht thi MLA ke ghar mein.

Vicky ne Khan aur Rathod ke saath milkar plan samjhaya aur unn logon se kaha tarika dhundne ka samaan ko MLA ke ghar ke andar daakhil karne ke liye. Plan yeh tha ke jeise hi maal ghar ke andar jaega, Khan ko phone aega ke MLA hathyaar aur drugs ki business mein mubtela hai mafia ke saath milkar…. Aur Khan aur Rathod ussko giraftaar karne jaenge. Problem tha MLA ke ghar ke andar ghussna.

Vicky ne uss problem ko Khan aur Rathod ke liye chorr diya aur apne office ke kuch kaamon mein busy hogaya.

Phir Vicky ne khud se yeh kehte hue apne aap ko paaya,

“Main ameer hoon, maaldaar hoon to sab badla le paa raha hoon, meri tarah pata nahin kitne begunah eise kissi saazish ka shikaar hokar ghut ghut kar mare honge Raghuveer aur MLA jeise kutton ki vajah se!! Pata nahin dunya mein kitne eise bequsoor log eise haalaat se guzren honge!! Mujhe unn sab bekasoor logon ka badla lena hai…koyi baat nahin kitna bhi maal khatam ho jaye Sanjana ki jaan se se ziada to nahin hein yeh maal o dawlat, uss gharib bekasoor ki jaan se ziada to nahin hein mere paise! Paise kissi tarah business mein wapas ajaenge….. magar inn kutton ko chorrna nahin hai kissi bhi keemat par…main apne tamaam dawlat luta sakta hon inn darindon ko sazaa dene ke liye…han bilkool kitna bhi kharch ho jaye koyi parwa nahin mujhe bus inn kutton ko marna hai ya jail mein sadhna hai ab…..”

Phir achanak Vicky ka cell phone baja,

“Hello kaun?”

“Aap batao! Meri awaaz pehchani aap ne?”

“Nahin to, yeh number bhi kabhi nahin dekha kaun ho aap?”

“Are Vicky ji, main Farheen aap ki di hui mobile se phone kar rahi hoon, thank you so very very much its so kind of you, I love you heeyyyyyy!!”

Yeh sunkar Vicky hakbaka gaya aur muskurate hue kaha,

“Farheen, stop being childish, eise nahin bolte!”

Farheen ne bachpane andaaz mein kaha,

“Kyun ji? Kyun eise nahin bolte main to bolungi aur baar baar bolungi,ke I LOVE YOU, I LOVE YOU AND I WILL ALWAYS LOVE YOU MUUUUUUUAAAAAH!!”

Aur Farheen ne phone kaat diya. Aur mudhkar dekha ke Khan aur usski biwi usske peeche khade usske baton ko sun rahe the…..

To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 33

Khan ne gambhirrta se Farheen se poocha,

“Kia tum sach mein Vicky se muhabat karti ho?”

Farheen sharam se laal ho gayi aur dawdkar apne bhabhi ke bahon mein chehra chhupa liya. Phir Khan ke biwi ne kuch nazaron se ishara karte hue Khan ko kuch samjhaya aur Khan wahan se nikal gaya.

Huwa yeh ke Khan ko Vicky ke office mein paaya gaya uss din ke dopeher ko aur Khan ne Farheen ki baat batayi Vicky ko aur uss se poocha ke kia woh Farheen se shaadi karna passand karega!

Vicky ne kaha abhi woh shaadi ke bare mein kuch nahin soch sakta kyun ke MLA ab bhi baahar hai aur tamaam kaam ko khatam karne ke baad woh Khan ko koyi dhang ka jawaab de sakega.

Khan aur Farheen ki bhabi ne Farheen se baat kiya. Bhabi ji ne Khan ke saamne kaha,

“Tum 19 saal ki hone ko ho magar ab bhi bachpana nahin gaya tumhara, yeh sab tere bhai ka laad ka natija hai. Bachchi samajhta hai ab bhi yeh tujhko. Choti bachchi ki tarah sab haath mein deta hai tujhe, agar mera bus chalta to dekhti ke tu keise zimedaar nahin hoti!! Kuch kar bhi nahin sakti nahin to tera yeh bada bhai mujhse khafa ho jaega aur main nahin chahti ke tum donon bhai behnon ke pyar ke beech main padun, issi liye tujhe hamesha chooth diya hai, magar aaj ke baad tu wohi karegi jo main kahungi, ladki se ab awarat ban! Bachpana chhod, nazakat laa apne aap mein, mardon ko itni bhi bachpana passand nahin hoti!!”

Khan sar jhukaaye hanss raha tha apni biwi ko Farheen ko dantte hue dekh kar… Phir Farheen jaakar apne bhai ke seene se lipat gayi aur wohi bachpane wali dhang mein kaha, “Bhai dekho na bhabi kia keh rahi hai……”

Khan ne ek taraf ussko hattate hue kaha, “ab main nahin padne wala tum donon ke beech weise teri bhabi thik hi keh rahi hai…… you should change those childish behaviours now, grow up, stop being childish!”

Farheen ko sab pata tha. Woh bus apne bhai aur bhabi se hi weise pesh ati thi, aur Vicky se to phone par veise kaha tha agar akeli mein milti to alag baat hoti….. woh apne kamre mein gayi aur khud ko aine mein dekhte hue ek ada se apne kamar ko lachkakar apne aap se aine mein kaha, “dekha bachpana hai tum mein sab samajhte hein, dil ka kia haal hai kissi ko paata nahin, are Vicky ko saamne akeli paa gayi to woh diwana ho jaega mera yeh na bhabi aur na bhai ko pata hai… meri adaon ka jadu kissi ne dekha hi kahan hai abhi, yeh adaein to Vicky ke liye hein, bhai aur bhabi ko kyun dikhaun hehehehehe!!”

........................................................................................................

Police station mein Khan ne Rathod se kaha,

“Kuch bandobast hua MLA ke bare mein?

“Nahin, main abhi usske gatekeeper se milne wala hoon ussko phusslana hai, tab dekhta hoon kia hota hai.”

“Okay abhi issi waqt nikal jao, kaam ko anjaam dena hai, Vicky ko jaldi hai, ussko ek time bomb ka istemaal karna hai yaad rakhna.”

Rathod MLA ka watchman se milne gaya jab MLA ghar se baahar nikla tab. Baat cheet ke dawraan Rathod ko pata chala ke woh watchman Vicky ka fan hai aur bahot khush hai usska TV show dekh kar aur khud Rathod aur Khan ki wah wah kar raha tha. To Rathod ne baton baton mein uss watchman se kaha ke kia woh Vicky se milna passand karega, aur watchman ne badi khushi dikhaayi Vicky se milne ki baat ko sunkar. Aur phir Rathod ne baton baton mein uss watchman se kaha,

“Agar tum hamare kaamon se sach mein khush ho to tumko hum police walon ki madad karni chahiye, hum brastachaar logon ka safaya kar rahe hein aur tum public ho, agar public saath nahin dega to hum keise apne kaamon ko anjaam de sakenge?”

Watchman ne kaha,

“Are sahab, hum to ap ka saath dene ko tayyaar hai magar hota kia hai ke iss MLA jeise logon tak kaun pohunch sakta hai koyi kia? Taaqat to innke paas hote hein, yeh jab chaahe kanoon banaate hein aur jab chahe todte hein apne faede ke liye koyi bhi naya kanoon banale, aur hum gharib agar inn ke beech agaye to kuchle hi jaenge nah!”

Rathod ne kaha,

“Dekho bhai tum sahi aadmi dikh rahe ho, meri baat ghaur se sunon hamein pata chala hai ke ye tera MLA jo hai na, kaala dhanda karta hai aur kuch mafia walon se mila hua hai, yeh brasht hai saala aur hamein khufia tarike se iss ke ghar mein ghuss kar kuch talaash karni hai, agar kuch mila to yeh gaya! Kia tu iss mein hamara madad kar sakta hai ke nahin?”

Yeh sunne ke baad jo uss watchman ne kaha usse sunkar Rathod bilkool heyraan ho gaya aur khud par hanssa phir turant Khan aur Vicky ko phone karke bataya.

Rathod: - “Khan Sir, ajeeb baat ho gayi, hum jissko fanssana chahte hein dar asal woh sahi mein mafia se mila hua hai aur sach mein drug aur hathyaaron ka dealings karta hai saala! Usske watchman ne bahot suraag diye magar usske kale dhande ka adda kahan hai yeh abhi tak pata nahin chala!! Usske ghar mafia ke log ate jate hein yeh watchman ne bataya, raat ke andhere mein milte hein sab!”

Yehi baat Vicky ko bhi Rathod ne bataaya to Vicky ne donon ko ek meeting ke liye bulaya apne office mein.

Meeting ke dawraan Vicky ne poocha,

“Kia woh watchman hum se corperate karne ko tayyaar hai ya nahin?”

Rathod: “Han bilkool tayaar hai woh bhi hamare saath hai, usske zarye hum ghar ke andar ghuss sakte hein aur woh humko sahi time bataega jab MLA ghar se baahar hoga.”

Vicky: “To phir der kiss baat ki hai maar do hatoda!”

Khan: “Magar ab hum usske asli dhande ko pakar mein lena chahte hein hai nah!”

Vicky: “Woh apne aap sab uglega, tum log mere diye hue samaan usske ghar ke andar rakho, main chalunga bhes badal kar, - Yaad rakho mujhe bahot hi zaroori kaam karna hai apne aadmiyon ke saath, iss liye kaam bilkool timing ke saath karna padega. Kyun ke jiss waqt tum logon ko phone aega, tum donon ko turant police station se nikalna chahiye, jeise tum log nikloge, mujhe police station par attack karna hai….. Mere saath 5 nakabposh aadmi honge…….”

Khan: “Jaldbaazi se kaam matlo Vicky, pehle watchman humko bata den ke kab, wahan jana munasib hai, tab hum wahan jaenge, aur tum yahan apna kaam karna, okay?”

Vicky ne kaha okay; aur plan ko mazboot kiya aur kaha ke jeise hi watchman ishara kare turant ussko phone kiya jaye aur woh apne aadmiyon ke saath apne plan ko anjaam dega!

To be continued…………..
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 34

Aaakhir woh waqt aahi gaya jisska intezaar tha. Vicky ki plan mazedar tha. To hua yeh!!

MLA ki watchman ne raat ko Rathod ko phone karke bataya ke MLA parivaar sameth kisi party mein jaa rahe hein aur sirf secutity wale aur wo maujood hein ghar ke compound mein. Watchman ne kaha ke security walon se ussne baat kar liya hai aur weh sab saath hai usske kyun ke weh log bhi tang aagaye hein uss MLA se. Phir Rathod ne Vicky ko bataya ke wo aur Khan jaa rahe hein MLA ke ghar ko.

Vicky turant apne 5 nakaabposh aadmiyon ke saath police station ke paas pohuncha unn donon ke jaane ke baad. Ek time bomb lagaya baahar se uss cell mein mein jiss mein Judish quaid tha.

Assal mein Khan se baat ho chuki thi ke Jugdish ko uss waqt uss cell se nikaal kar dusri cell mein daal diya jae nahin to woh ghayal ho jaega, aur dusri cell ki chaabhi Khan ne Vicky ko pehle se de diya tha.

To police station ke baahar se uss cell par time bomb lagaya Vicky ne jiss mein har roz Jugdish rehta tha, deewaar phata, ek darwaze jeisi entry hui, ek sub inspector aur ekaat hawaldar the jo hakbakaaate baahar dawde aaye aur baaki ke 5 nakaabposh aadmiyon ne sab ko hands up par rok liya bandook taane hue unn sab par. Pehle se Khan ne Vicky ko bata diya tha ke kitne guards mawjood rahenge police station mein uss waqt. Sirf ek hawaldaar andar reh gaya tha darr ke mare woh baahar nahin nikla, aur Vicky bhi nakaab pehne uss bomb se ki gayi raaste se andar ghussa aur Jugdish ki cell kholkar ussko baahar chalne ko kaha yeh kehte hue, “mujhe aap ke MLA chacha ne bheja hai aap ko yahan se nikaalne ke liye, chaliye jaldi waqt kum hai……” Jo hawaldaar andar tha uss ne sab suna ke MLA ke aadmi aaye the jugdish ko nikaalne police ki hiraasat se! Aur jugdish bahot khush dawdte hue usske saath nikal gaya, aur uss taraf jinn aadmiyon ne baaki ke sub inspector aur halwaldaron ko hands up par roke hue the, unn se sab ne kaha, “hum sab MLA ke aadmi hein unn ke bhatije ko nikaalne aaye hein, aap mein se kissi ne kuch bola to naukri se haath dhona padega sun liya sab ne!!!??” Aur sab jugdish ko gadi mein lekar rawana ho gaye wahan se!!

Udhar Khan aur Rathod bhi kaamyaab hue MLA ke ghar ke andar hathyaar, drugs aur bomb rakhne mein. Rathod aur Khan ke ilawa kissi ne nahin dekha ke unhon ne kahan par weh samaan rakhe! Baad mein to inn ko hi wapas aakar nikaalna tha samaan ko!

Vicky ek 4x4 drive karte hue Jugdish ko apne saath leja raha tha, chehre par nakaab pehne hue. Beech raaste mein uss ne unn 5 aadmiyon ko utaar diya aur cell se phone karke khan se baat kiya ke kaam ho gaya ab woh wapas jaa sakta hai.

Khan jab police station gaya to wahan ke sub inspector aur hawaldaron ne ussko bataya ke MLA ke aadmi ne bomb se raasta banakar apne bhatije ko baahar nikaal le gaye! Khan Rathod ko dekhkar hansste hue kaha, “Chalo bhai ab MLA ko giraftaar karna hai bomb lagaya unhon ne idhar chalo usske ghar ki talaashi lein kia pata usske ghar mein hi bomb mil jaaye, chalo tum log bhi hawaldaron sab chalo ek saath!!” Rathod sar jhukae hue peth daba kar hansste jaa raha tha!! Phir sar uthaakar Khan se kaha, “Sala MLA sochega ke kiss se pala par gaya hai aaj usska hahahahahaha!!!” Aur Khan ne “shhh” kaha Rathod ko aur sab nikle aur chale dobara MLA ke ghar ke taraf! Jate jate Khan ne chief minister ko phone karke bataya ke kia hua aur woh uss MLA ko arrest karne jaa raha hai, chief minister ne kaha, “chhodna mat kutte ko!!”

Uss taraf Vicky chala hi jaa raha tha sheher se door nikal gaya to jugdish ne sawaal kiya, “Hum jaa kahan rahe hein ji?” Vicky ne kaha, sheher se door lejane ka order mila hai tumko jahan police nahin ponhuche……” Aur Jugdish itminaan se baith gaya. Vicky ussi jangal ke taraf jaa raha tha jahan weh dehati log rehte hein. Gadi mein ek bag main 1 crore rupay bhi liya tha ussne wahan ke sardaarni ko dene ke liye. Aur gadi ke dikki mein usske hathyaar bhi the jinn se uss ne baaki ke chaar rapist ko maara tha, ek alag sa revolver bhi tha, lohe wala ghunsssa bhi tha aur woh special lakdi jiss se sabke haddiyan tode the uss ne! Aur drive karte waqt Vicky unn drishton ko phir se yaad karne laga, jiss raat ko Sanjana ki rape hui thi…. Vicky khaas kar unn hisson ko yaad kar raha tha jinn mein jugdish involve tha, Vicky ne yaad kiya keise jab Sanjana suicide karna chahti thi aur unn ke ek dost ne sanjana ko rokne ki koshish kiya tha to jugdish ne keise uss se kaha tha ke sanjana ko khudkhushi karne do, yehi achah hai….. Vicky sab yaad karte karte gadi ko jangal ke ek kone mein roka aur gadi ki dikki ko kholkar haath mein lohe wala ghunssa pehna aur hath mei uss lakdi ko lekar aya aur jugdish ke sar par zor se mara…… Jugdish chohunk gaya aur apne sar par hath dabaaye Vicky ke taraf dekhte hue poocha, “paagal ho gaye ho kia, kyun mara mujhe? Mera chacha tera gaand maar dega!” Vicky ne phir usske collar pakar kar zor se khincha gadi se baahar, itne zor se khincha ke jugdish seedhe zameen par jaa girra! Aur Vicky ne usske jabde par bahot zor se uss ladki se mara ke jabda phat gaya aur woh lahu lohaan hogaya, bhaagne ki nakaam koshish kiya ussne kyun ke bus do kadam age badhtehi phir zameen par girr gaya aur khauff bhare nazron se Vicky ke chehre mein dekhte hue bola,

“Kyun maar rahe ho mujhe kaun ho tum?”

Tab Vicky ne nakaab utara aur bola,

“Teri maut hoon, tere chaar saathiyon ko maar dala to tu keise bach sakta hai tu to unn sabka boss tha? Order diya tha meri masoom behen ko atmahatiya karne ke liye nah yeh le ab tu marr kutte, kamine teri gaand mein iss lakdi ko ghusedne ko mann kar raha hai mera!!”

Aur Vicky ussi pehle wale josh mein aakar andhadhun maarta gaya Jugdish ke shareer ke jo bhi hissa maarne ko mil raha tha, haddiyon ke tutne ki awaaz sunaayi de rahi thi, usske peyr par, ghutnon par, baazu ke haddiyon par chehre par, khopdi par, peeth par, kaandhe par kissi jagah ko bina mare nahin chorra Vicky ne…. Jugdish behosh ho gaya phir bhi Vicky maarta chala jaa raha tha…lagta tha Jugdish mar gaya hai phir bhi Vicky ruk nahin raha tha maarte chala jaa raha tha hanffte hue, enkhon se jharr jharr ensoo beh rahe the aur woh bolta jaa raha tha maarte waqt,

“Meri naazuk, masoom behen marr gayi teri vaja se, uss ko till till marte dekha main ne, usski izat luti tum ne mere enkhon ke saamne, aur tu chahta hai ke tujhe chorr doon, dekh SANJANA, DEKH MAAR DALA MAIN NE SABHI UNN KUTTON KO, AAJ MERA BADLA PURA HUA MERI GUDYA, KUTTE KI MAWT MARA MAIN NE SAB KO EK EK KARKE!! MAIN NE APNA VADA PURA KIYA SANJANA!! MAIN KAMZOR NAHIN HOON BABY, MAIN DARPOK BHI NAHIN HOON, TU KHUSH HAI NAH AB BABY? MAAR DALA MAIN NE SAB KO MAAR DALA MAIN NE!!!”

Aur Vicky bhi zameen par baith gaya Jugdish ke laash ke paas phir bhi revolver nikala aur usske laash mein sabhi goliyan utaar dala….. tab bhi ussko chain nahin mila, usske baad ussne uss lohe wale ghusse se usskA thopda bigaar dala ek ke baad ek ghuNssa maarte hue usske marre hue chehre par…Jugdish ke enkhen baahar nikal aaye, honth latak gaye, baal sameth khopdi ka ek hissa bagal mein latak gaya aur Vicky ghunssa maarta jaaa raha tha……

Kuch der Vicky wahin baitha raha zor se hanffte hue…. Phir ahiste ahiste khada hua aur chal kar apne 4x4 ke paas gaya, ek botal paani nikala gadi se aur piya, phir chehre par paani ko dala, haath munh dhoya aur jangal ke andar 4x4 drive karta gaya sardaarni se milne ke liye…….

Uss taraf Khan ne MLA ko hirasat mein le liya sabhi uss ke ghar se baramat ki gayi samaan ke saath. MLA kuch nahin kar saka. Bilkool hakbaka gaya. Khan TV walon ko saath legaya tha aur MLA ke ghar se mile saamaan sab TV walon ne public ko dikhaaya, hathyaar, bakse bhare golian, drugs sab kuch…MLA ke hathon mein hatkadi pehnaaye Khan ussko khinch kar police station legaye aur apne bhatije ko bhagaane ki aur drugs and weapons ki possession ki jurm mein salaakhon ke piche dala!!

To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 35 LAST UPDATE. THE END.

Vicky uss sardaarni ko jaakar 1 crore rupay de diye unn ke logon ke isstemaal ke liye aur kaha kabhi kabhaar unn logon se milne aya karega. Sab unn logon se mila jinnhon ne usski madad kiye the, uss aadmi ka woh lakdi lautaya jo liya tha aur kaha ab usski zaroorat nahin ussko aur revolver bui unn logon ko de diya. Uss ladki se bhi mila jisske saath uss ne apni zindagi ki pehli sexual encounter kiya tha. Ladki uss se kuch bhi expect nahin kar rahi thi kyun ke uss ko bhi pata tha woh sirf ek raat wali sambhog tha. Woh ladki assal mein kissi aur ko chahti thi apne hi biradari se, aur Vicky ko unn se milwaya aur kaha ke weh shaadi karne wale hein. Vicky ko bahot achah laga aur ek bojh sa utar agaya usske seene se.

Sheher wapas aakar Vicky apne business mein masroof hogaya aur udhar Khan case ke silsile mein khub busy raha. MLA ne sab bata diya ke kis mafia ke saath kaam karta tha aur sab ko giraftaar kiye gaye. Raghuveer ko 20 saal ki jail hui aur MLA ko 30 saal ki. Sab yehi maante the MLA ne hi jagdish ko bhagaya aur bhaagte waqt usska accident ho gaya kissi rail ke patri par Jangal ke kinare.

Rita ko Vicky ne apne ek company mein kaam dilawaaya usski education ki heysiyat se aur Finance manager se kehkar usski tankhwa sabhi uss jeise mulazimon se ziada karwaya. Rita ki maa ki operation kaamyaab hui aur woh wapas uss naye ghar mein gayi jo Vicky ne Rita ko diya tha.

Rathod Sanjana ko khone ke baad kissi aur ladki ke taraf dekhta hi nahin tha bus apne kaam mein hi dil laga kar laga rehta tha. Magar Reshmi usske taraf khinchi jaati thi aur weh donon aksar milne lage the chhup chhup kar.

Farheen sayani hoti jaa rahi thi, bachpane ki aadat chuthti gayi aur hawle hawle Vicky ke liye usske dil mein pyar gehra hota gaya. Har roz Vicky ko phone karke baat karti, din mein bhi aksar Vicky ko tang kiya karti thi. Aakhir mein yeh hua ke jab Farheen phone nahin karti to Vicky usski call ka wait karta.

Ek raat ko hua yeh ke Farheen ki call der tak nahin aayi to Vicky bechain ho gaya aur khud call kiya Farheen ko, aur udhar Farheen ki bhabi ne phone uthaya aur kaha ke Farheen ko bahot tez bukhaar hai aur do baar behosh bhi ho gayi thi, aur Khan ussko hospital leja raha hai ab…..

Turant Vicky ghar se hospital ke liye rawana hua…… Aur hospital ki bed par ghanton baad Vicky ne Khan se Farheen ka haath manga shaadi ke liye. Farheen behad khush hui aur Khan aur usski biwi bhi kyun ke unn logon ka uska intezaar tha. Farheen khilkar ek bahot khubsurat mahila ban gayi thi. Bistar par bimaar padi thi magar Vicky ko uss waqt ek bahot khub surat awrat bed par lete hue nazar arahi thi….. Khan ne khud Farheen se kaha, “Aaj tu mujhe meri gudya jeisi behen nahin meri maa lag rahi hai, ladkiyan bhi kia kia roop badal lete hein kal tak bachchi dikhti thi aaj dekho to Vicky ka pyar ne issko kitna badal diya….” Khan ki biwi ne kaha, “chalo chhodo ji mere bare mein bhi aap ne eisa hi kaha tha shadi ke baad, shadi se pehle to main naadan, bholi dikhti thi aap ko aur shaadi ke baad kehne laghe ke sherni hoon hahaha!”

Ek Saal baad Vicky aur Farheen ki shaadi hui aur Honeymoon ke liye donon Mauritius gaye jahan Vicky ki company ka ek branch bhi tha.

Rathod ne aakhir Reshmi ko propose kiya aur thik Vicky ki shaadi ke ek saal baad Rathod ne Vicky aur Farheen ko invite kiya apne shaadi ke liye. Uss waqt Farheen ke goad mein ek munna tha chotha Vicky. Vicky ne Rathod ke shaadi ki kharche uthaye aur unn donon ko bhi Mauritius bheja honeymoon ke liye.

Vicky ne apne ghar ke lounge mein Sanjana ki ek badi si photo lagaya tha, khilkar hanssti hui, apni andaaz mein…jiss ke saamne Vicky har roz sar jhukta aur pyar bhare nazron se uss tasveer ko dekhta. Farheen ki seheli thi, aur Farheen bhi aksar akele hone par Sanjana ki tasveer se batein karti thi.

Kehte hein pyar mein woh taaqat hoti hai ke har gham ko dhire dhire mita deta hai. Aur waqt bada balwaan hota hai jo har ghav ko bhar deta hai. To shayad Vicky ke saath yehi hua aakhir mein. Kyun ke kuch saalon ke baad woh bilkool hi Sanjana ke bare mein aur uss manhoos raat ke haadse ke bare Farheen se baatein karna band kar diya. Vicky Sanjana ke tasveer ke saamne ab bhi dekhta magar usske enkhon mein koyi dard nahin sirf pyar tha, aur pata chala ke ghav bhar gaye par pyar badh gaya………

The end.
 

Top