Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY DIMPLE KO SKATES CHALLENGE HAARNE SE BACHA LETA HAI WAHIN DUSRI TARAF UNDERGROUND TUNNEL ME VERONICA KI CAR KA RAASTA DO CARS BLOCK KIYE HUE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-48

(THE DAY CONTINOUS)

DATE-1ST JULY

CITY-DEHRADUN

PLACE-THE SWIFT ARENA

SHIVU,MAINE TOH PEHLE HI KAHA THA TUJHSE...JITNA EASY DIKHTA HAI,SKATES UTNA BHI ASAAN NAHI HOTA...

CHOT BHI BOHOT LAGTI HAI...PAR TU AUR TERI ZIDH..

DEKHA NA,KYA HUA..!!PICHLE AADHE GHANTE ME 15 SE ZYADA BAAR GIR CHUKA HAI TU...

ye ek teenage girl thi jo apne 10 saal ke chote se bhai ko joki aaj 16wi baar skate karte hue gira tha,uthaate hue meethi daant laga rahi thi...

SHIVU-par di,saare protection gears pehne toh hua hain maine..

nahi lagi hai chot mujhe kahin...

SISTER-chot nahi lagi par gira toh bohot baar hai naa tu...kahin andruni chot ya bone crack ho gaya toh..par ab bas...ghar chal rahe hain hum ab..

SHIVU-nahi na di..i wanna skate..mujhe bhi un bhaiya ki tarah skates karna hai...

oopsss....

ek taraf point karte hue last baat kahi thi SHIVU ne par just saamne khade shaksh ko dekh halka hadbada gaya woh..

uske saamne wahi bhaiya khada tha jiski tarah skates karna chahta tha woh..

MAI....

new girl aur TANIYA ke beech chal rahe challenge me jis tarah skates karte hue maine un extra marbles ko raaste se hataya tha aur phir aakhir me meri ki gayi SALCHOW (REVERSE SKATES) joki ek extreme level skates technique thi, usse baaki sabke saath SHIVU ne bhi dekha tha aur hadh se zyada impress bhi hua tha..

even skates karne aur sikhne ki uski zidh joki baar baar girne ki wajah se kamzor hoti jaa rahi thi,woh zidh ab wapas strong ho chuki thi...

MAI-meri tarah kyun..???mujhse better kyun nahi...!!!

SHIVU-aapse behter..!!!

MAI-bilkul.. koshish karoge toh kar loge.. because that's what champs do...

they work hard..so hard that after a point, their's nothing hard for them..

SHIVU-but i am trying hard bhaiya...par ho hi nahi raha..

bade cute face aur voice ke saath apni nakami batayi thi SHIVU ne jispar uske saamne baitha mai aur..

MAI-pressure feel ho raha hai.....

SHIVU ke dono knees ko apne hatheli se halka zor laga pakda maine jispar haan me sir hilaya usne....

MAI-skates karne ke beech knees aage bend karne par aisa hi pressure feel hona chahiye..

try...!!!

SHIVU-ok...

apne cute se awaaz me ok bol halka move hua SHIVU aur skates slide kar diya usne..

thoda aage badha hi tha woh ki tabhi har baar ki tarah balance bigadne laga SHIVU..

SISTER-SHIVU....

apne bhai ko phirse girta dekh dar gayi thi uski behen par ye dar nirarthak saabit hua..

kyunki SHIVU ki ladhkhadat bas ek second ke liye hi thi..

agle hi pal usne apne dono legs ko aage ki taraf halka sa bend karna shuru kar diya..

aur jaise jaise pressure feel kiye uske dono knees ne, balance level par aata chala gaya SHIVU ka...

itna hi nahi, movement uske skates ki rythm me aa gayi aur ek average speed ke saath woh ache khaase control ke saath ARENA ke outer edges jahan amateurs skates kar rahe the,wahan circle maarne laga...

is beech kuch amateurs jinhone kuch der pehle tak SHIVU ko baar baar girte hue dekha tha,usse yun smoothly skates karta dekh un sabki aankhon me hairangi aur taarif saaf dikh rahi thi..

notice kiya tha is baat ko SHIVU ne isiliye ek alag hi chamak khil chuki thi uske face par..

MAI-dont worry,i got you champ...

circle complete kar jab wapas hamari taraf skates karte hue aaya SHIVU toh breaks apply karte hue ladkhada gaya tha woh par jaanta tha mai ki aisa zaroor hoga isiliye pehle hi usse hold kar liya tha maine...

SHIVU-bohot maza aaya bhaiya..thank you...

MAI-you are most welcome...aur ye jo never give up waali aadat hai naa,isse chhodna mat..

now go, improve you balance.. aur last me brakes apply karte waqt tilt your ankles par pressure halka aage hi rakhna...giroge nahi..

meri baat par ek bright smile dete hue wapas ghoom skates karte hue aage badh gaya SHIVU....

aur is baar toh naa movement start karne par taklif hui usse aur na skates karte hue balance bigada uska..

now that's confidence for you.. agar sahi jagah fit baith gaya toh wahi kaam jo pehle mushkil lag raha ho,asaan ban jaata hai..

beete saare failures ek jhatke me dimag se wipe out ho jaate hain...

HYE,THANKS FOR HELPING MY BROTHER...

abhi mai jaane ke liye palta hi tha ki tabhi SHIVU ki sister mere paas aakar khadi ho chuki thi..

mere liye admiration saaf jhalak raha tha uske face par...

MAI-its ok...but aage se ho sake toh jab bhi low feel kare apka bhai toh back him...

SISTER-i do back him..woh toh actually..

MAI-kahin lag na jaaye zor se usse isiliye dar gayi thi aap...

par jab smoothly skates kiya aapke bhai ne toh khush usse zyada bhi aap hi hui thi...

ab us type ki khushi ke liye dar ke raste ko toh cross karna padega hi...

meri baat,meri advice bohot ache se ghus chuki thi us ladki ke dimag me..

uske beautiful face par dikh rahi bright smile is baat ki gawahi thi...

LADKI-point taken..by the way,i am CHAYA..

haath meri taraf badhate hue intro diya tha CHAYA ne apna jisse milaate hue..

MAI-SANVEER...

CHAYA-i know...

MAI-have we met before..!!!

CHAYA-no..abhi thodi der pehle aapki friend aur TANIYA ke beech skates challenge me jo bhi hua,woh sabki tarah maine bhi dekha tha...

us beech jo aapne kiya,that was not something that could have gone unnoticed from anyone...

especially girls...

itne saalon se aa rahi hun mai yahan par tumhari jaisi smooth skating, control and most importantly you did SALCHOW perfectly jo yahan koi bhi theek se karna nahi jaanta..

kuch log jaante hain yahan tumhe, from them me and everyone one else who didn't knew you,ab jaan chuke hain tumhe..

MAI-oh

bohot casual aur normal reaction tha mera jisse dekh halki hairan hui thi CHAYA..

CHAYA-TANIYA is quite famous here,usse tumhari friend jeeti hai par log baat tumhare baare me kar rahe...

phir bhi itna simple reaction...!!!

MAI-bhook mujhe sirf khaane ki lagti hai,taarif ki nahi...

CHAYA-impressive...can we be friends...!!!

MAI-sure...

CHAYA-so,your number..

PHONE NAHI RAKHTE YE JANAB...!!!

mere jawab se pehle hi mere piche se aayi thi ye awaaz jisse sun palta nahi mai,bas muskura utha.

new girl ne jo diya tha ye jawab..

jawab dete hue woh mere side me aakar khadi ho gayi thi...

skates karte waqt head gear pehna tha usne isiliye face uska unclear tha..

par abhi uska chehra jo is jagmagate SWIFT ARENA ko kuch aur roshan kar raha tha,saamne aaya tha CHAYA ke jisse dekh ek pal ke liye theher gayi thi uski aankhein new girl par...

khubsoorat CHAYA bhi thi...

par new girl ki baat waise hi alag thi jaise dusre phool aur gulaab ke beech hota hai...

bin chaahe hi ek rask paida kar deta hai dusri ladkiyon ke andar new girl ka face aur wahi rask CHAYA ke aankhon ne ek pal ke liye paida kiya tha...

khair, turant khudko normal kiya tha CHAYA ne aur..

CHAYA-congrats on winning the challenge...you were really awesome...

DIMPLE-thanks..

CHAYA-waise phone ke baare me kya bol rahi thi tum..!!!

DIMPLE-SANVY phone nahi rakhta...

CHAYA-really...!!!

21st century shock tha CHAYA ke face par jisse dekh ek hi waqt aur tarike se smile kiya tha maine aur new girl ne..

is beech ek pal ek liye nazar takrayi thi meri aur new girl ki jisse dekha tha CHAYA ne aur..

hamari ek saath ki gayi ek si smile bhi dekhi thi usne jisse dekh kuch laga usse aur...

CHAYA-bohot ache lagte ho tum dono saath me..you pair good...

NEW GIRL-what,hum...

MAI-date nahi kar rahe..we are just friendz...

new girl ki baat maine puri ki thi jispar ek smile naach uthi CHAYA ke face par...

CHAYA-still you finish what she starts..

pehle challenge aur ab ye baat.. that's something more than awesome...

anyways,phone toh hai nahi tumhare paas,iska matlab communication ke liye old times ki tarah jagah hi chunni padegi phir..

this place.. next week same time aaungi mai yahan..hope to see you...

MAI-you will..

CHAYA-ok then...bye..

hum dono ko hi bye bol CHAYA apne chote bhai ki taraf joki ab khud hi apne jaise bacchon ko skates tip de raha tha,uski taraf badh gayi..

MAI-tum kya soch rahi ho..chalen ya aur skates karna hai..

kisi deep thought me khoyi thi new girl jo mere bolne par back to sense aayi par kuch kehti woh ki tabhi..

MAI-mujhe late ho raha hai toh mai nikalta hun...

ye bol bina kuch sune aage badh gaya mai par is dauran jahan mere face par ek smile thi wahin mujhe piche se jaata hua dekhti new girl ke face par khudke liye hi sawal ka bhandar tha..

ye sawalon ke bhandar us second se hi uske dimag me ghar karne lag gaye the jab CHAYA ke couple waale sawal ko nakara tha maine..

sach hi toh kaha tha maine..we are friendz.. just friendz..yahi jawab toh khud new girl dene waali thi jo maine de diya..

par mere mooh se frnz sun ek ajeeb si feeling ne dastak di thi new girl ke andar..

woh feeling kya thi,ye toh samajh me nahi aaya usse,par woh ehsaas positive nahi tha .

aur phir mera yun akele nikal jaana,us ajeeb se ehsaas ke daayre ko thoda aur badha diya tha mere walk away ne...

lagatar mujhe piche se jaata hua dekh rahi new girl is waqt jaise khudko hi convince karne ki koshish kar rahi thi..

DIMPLE-frnz...!!ofcourse we are frnz...frnz hi toh hain..jaise hona chahiye..

jaisa EKPREET, jaisa RAJAT,jaise baaki sab, waise hi SANVY...

frnz...

pure, authentically, ethically, simply frnz...

yes frnz....

khudko puri tarah ashwast kar aage badhne lagi new girl par tabhi uske kadam wapas rook gaye...

ek purani pehchaan ki ladki thi jisse erena ke exit ke paas baat kar raha tha SANVY aur ye dekh naa sirf DIMPLE ke kadam rook gaye balki saath hi saath jis ajeeb feeling ko dabaya tha usne,us ehsaas ne wapas angdayi leni shuru kar di thi..

DIMPLE-isse toh badi jaldi thi kahin jaane ki phir daant dikha dikha ke kisse baat karne lag gaya ye...

what tha fuck..ye kaisi shitty feeling aa rahi hai yaar..jo chaahe kare woh,mujhe kya...!!!!

ye bol apni left ki taraf badh chali new girl par kuch seconds baad chalte hue hi nazar uski ek baar phir SANVY ki taraf gayi jo ab bhi ussi ladki se baat kar raha tha par tabhi...

jis second dekha DIMPLE ne SANVY ki taraf, theek ussi pal SANVY ki nazar bhi ghumi thi DIMPLE ki aur..

aisa hote hi apne aap rook gaye the DIMPLE ke kadam aur chehra..

chehre par uske ek behadh halki smile naach uthi thi..

kaafi door tha is waqt SANVY DIMPLE se..itni doori se saamne waale ki baarik smile dekhna next to impossible tha kisike liye bhi par aisa laga DIMPLE ko jaise itni doori hone ke baawjud saaf saaf dekh paa raha ho SANVY usse..

kyunki DIMPLE ke smile ke jawab me ek bright masti se bhari smile naach uthi thi SANVY ke face par jisse dekh DIMPLE ke face ki smile bhi apne aap hi badi ho gayi aur sir shake karte hue ek hi shabd nikla uske mooh se..

DIMPLE-"JHALLA"....

PLACE-INSIDE TUNNEL

WHO THE HELL ARE YOU...AUR YE TUNNEL BLOCK KARNE KA KYA MATLAB HAI...!!!!

us anjaan shaksh ko ghusse se dekhte hue kahi thi ye baat VERONICA ne..

par us ghussail chehre ke beech dar aur nervousness bhi tha jisse dekh aur samajh ek smile naach uthi thi us shaksh ke chehre par...

JISNE BHI KAHA HAI,BILKUL SACH KAHA HAI... KHUBSOORAT CHEHRE PAR JAB DAR KA SHRINGAR CHADHTA HAI TOH KHUBSOORATI AUR BADH JAATI HAI...

WAISE BANDE KO ARIF REZA KEHTE HAIN...

apni baat kehte hue VERONICA ke kareeb pahunch raha tha ARIF jispar VERONICA ke kadam halke piche ho rahe the...

par bonet touch hote hi rook gayi thi VERONICA jiske baad ek badi si smile ke saath usse 5 feet ki doori par ARIF bhi theher gaya...

shiddat aur hawas ke milte julte expressions ke saath dekh raha tha woh VERONICA ko..

piche khadi do gaadiyan jinme se ek scorpio thi aur dusri mg hector,unme se kul 12 log nikal apni apni car ke piche khade ho chuke the..

ye sab dekhte hue wapas ARIF ki taraf jo usse hi ghoor raha tha, ghumi VERONICA ki nazarein aur.

VERONICA-dekho, whatever your intentions are,time hai abhi so just back off...

ye koi private ya local tunnel nahi hai... it's a highway tunnel...kuch nahi kar sakte ho tum yahan...

sunsaan nahi rehti ye jagah..lagatar cars chalti hain idhar...

ARIF-mera sirf naam jaana hai tumne...

pehchaan se anjaan ho tum warna ye mithi dhamki deti nahi...

kareeb paanch minute se hain hum yahan..phir guzri kyun nahi ab tak ek bhi gaadi..

mere bande hain tunnel ke dono ends par..aur jab tak mai yahan se nahi nikalta,koi gaadi naa guzri hai,aur naa guzregi....

now,the reason why i am here..!!!bhaa gayi ho tum mujhe...aur jo mujhe bhaata hai woh mera ho jaata hai..

isiliye apni purani zindagi ko,apne bete ko man hi man alvida keh do..

saath chal rahi ho mere tum...aur haan, retaliate karne ki sochna bhi mat kyunki faayda kuch hoga nahi...

taklif hogi jo dena nahi chahta mai tumhe..chalein...

haath VERONICA ki taraf badha diya ARIF ne jispar koi pratikriya nahi di usne..

woh toh bas jitni casually ARIF ne apni baat kahi thi, aankhon ko bada kar dekh rahi thi usse VERONICA..

wahin VERONICA ke expressions ko dekh smile karte hue aage badha ARIF aur usne ek haath pakad liya uska..

ARIF ki is harkat par apne haath ko chhudane ki koshish karne lagi VERONICA par faayda kuch hua nahi...

aur ARIF jisne apne zindagi me najaane kitni hi ladkiyon ko masla tha,unhe nanga kiya tha par VERONICA ke sirf mulayam haathon ke chhuvan se uske sharir me jhurjhuri paida ho gayi thi...

halke taakat se bhare khichaaw se hi VERONICA ko ARIF apne saath liye apni cars ki taraf badh chala tha..

kuch dino pehle uske bhai ka uske gang ke saath murder hua tha..

aur us murder ka link us ladke ke saath tha jiski MAA ko woh apni rakhail banane ke liye itne araam se saath liye jaa raha tha..

confusing aur surprised situation thi ye par positive thi ARIF ke liye isiliye zyada soch nahi raha tha woh..

uske liye toh VERONICA ko haasil karne ka khayali pulaav jo ab sach hone jaa raha tha, wahi overwhelming tha...

lagatar khudko chhudane ki guhaar laga rahi thi VERONICA jisse nazarandaz kar usse kheenchte hue apni hector ke paas pahunch chuka tha ARIF...

uske saare bande bhi apni apni car ke doors khol chuke the..

hector ka ek door jo uske aadmi ne khol diya tha, ARIF VERONICA ko kheench car andar usse daalne hi waala tha par tabhi..

DROOMMMMM......DROOMMMMMM....

kisi superbike ki tez awaaz gunj uthi thi us underground tunnel par jisse follow kiya ek super bright head light ne..

dono ends se covered tha tunnel par phir bhi kisi vehicle ka andar aana,chowkanne ho gaye the ARIF aur uske 12 saathi...

aur ye chowkannapan tab aur badha jab ek red with black metalic finished APRILIA RSV4 badi tezi se dono cars ke beech pahunchi..

black gear pehne ek slim shaksh baitha tha bike par jisne maari ek tez break..

ye STOPPIE move tha jiske asar se bike ka back tyre hawa me uth gaya tha..

dono cars ke beech 7 feet ka gap tha jisse cover kiya bike ne.

piche ka tyre uthane ke baad swing karte hue rider ne bike ko dono cars ke beeecho beech rok diya tha...

bohot tezi se hua tha ye move jisse dekh hadbada gaye the ARIF ke saathi aur yahi hadbadahat un sabke liye life causing ban baithi..

THAA..THAAA..THAAAA....

pair me ek alag hi tarah ka holester bana tha jisme fasi 17 round GLOCK 617 ko bahar nikala rider ne aur lagatar shoot karti chali gayi...

bike se utartne ke beech badi furti se just aage rakhi car ke upar chadhte hue fire hua tha gun se par shooting ke hunar ka level issi baat se pata chal gaya tha ki koi bhi round khaali nahi gaya...

ARIF aur scorpio ke driver ko chhod joki pehle hi car me chhup gaya tha, chhod baaki sabko shoot kiya tha us rider ne..

kisi ke maathe ke beecho beech bindi ban gayi thi toh kisi ke chest se hote hue dil me suraakh ho chuka tha.

perfect 11 death shots maare the us rider ne..marne ke beech kate hue pedon ki tarah lehrate hue hamesha ke liye gir chuke the ARIF ke 11 log...

wahin ARIF jisne VERONICA ko pehle hi apni car me dhakel diya tha,gun nahi hold ki thi filhal usne isiliye jab uske saathi goli khaa rahe the,woh apni car ke piche dikki ke paas chhup chuka tha.

theek uske left me uska ek saathi mara pada tha jiske paas uski pistol bhi giri hui thi..

bade houle se us pistol ke paas sarakne laga woh..

THAAAAA.....

abhi hold karne hi waala tha woh pistol ki tabhi ek gun fire hui jo sidhe ussi pistol par padi jiske asar se woh gun ARIF ke reach se bohot door chhitak chuki thi..

THEEK US GUN KI TARAH AGLI GOLI TERI JAAN KO TERE SHARIR SE DOOR KAR DEGI...

ek kharkhari awaaz padi ARIF ke kaano me..

ye rider ki hi awaaz thi joki is waqt jis car ke piche ARIF chhupa tha,ussike upar bade araam se baitha hua tha...

apni baat bol ek jump ke saath woh rider ARIF ke saamne khada tha..

face par abhi bhi us rider ke helmet tha jisse nikaalne ke mood me woh lag nahi raha tha.

apne hand gun ko roll karte hue woh araam se apni jagah par khada hua tha...

VERONICA bhi car se nikal ussi rider ke just piche khadi ho chuki thi..

wahin ARIF bhi apni jagah par khade ho bas us rider ko raha tha..

RIDER-ARIF REZA... extortion,money laundering,human trafficking ka itna badnaam naam,most wanted list me darj hone ke baawjud chhupne me wakayi acha hai tu..

bilkul kisi chuhe ki tarah...

ARIF-mere bhai ko tune maara tha..???

RIDER-haan..

ARIF-is aurat ke kehne par...

RIDER-nahi..iska involvement bas ek ittafaq tha..

ARIF-aur wahi ittafaq abhi bhi hua..ittafaq ek baar hota hai,baar baar nahi..

RIDER-hota hai..ache logon ke saath ache ittafaq subah ki tarah hote hain..

har roz hote hain...

aakhri baat bolte hue thoda kareeb chala gaya tha RIDER ARIF ke.

gun abhi bhi ghuma raha tha woh apne ungliyon par jisse dekh.

ARIF-itna hi dum hai toh..

RIDER-isse chhod haath se ladun tujhe..chal,tere unbeatable fighter hone ki galathfehmi bhi door kar dete hain...

apni baat bol hand gun ko apne leg me fase holester me daala us rider ne..

par tabhi...

kuch seconds pehle shoot ke dauran jis sudden aur flexible tarike se move kiya tha us rider ne,mouka nahi dena chahta tha ARIF usse..

in a fight,first successful hit is the base reason to win that battle...

ussi tarj par turant chala tha ek judo hit ka daav ARIF ka par woh rider kuch zyada hi chowkanna tha...

naa sirf woh ghumte hue tezi se thoda side hata balki ussi pal round sliding move ka hunar dikhate hue apne wrist se ARIF ke wrist ko pura rotate kar diya us rider ne.

pura ghum gaya tha ARIF ka hand jiska faayda uthate hue apne left hand ki mutthi bana ek punch diya rider ne ARIF ke ribs par..

hit bohot napa tula tha jiske asar se karahate hue piche ki taraf haththa chala gaya ARIF...

par tough tha ARIF...bohot tough..khudke mid area ko khud hit kar jhatka dete hue sidha hua woh aur do steps sidhe aage badh tezi se swing kiya apne pair ko usne.

ye single swing nahi tha..do up round aur phir ek low strech ke saath 3 hit kar diye the ARIF ne rider par lekin teeno hi hits ko dodge kar diya usne..

itna hi nahi, ARIF ke last low strech hit ko dodge dene ke baad hawa me ek front flip maara usne aur jab uska sharir ARIF ke upar se guzra toh hawa se hi uske head ne ek knuckle punch maar diya rider ne..

sir chakra sa gaya ARIF ka par ek baar phir apne sir ko jhatakte hue khudko theek kiya ARIF ne aur bas andaze se rider ki position samajhte hue back leg swing kiya usne...

par ek baar phir us hit ko dodge de diya rider ne par ye single hit nahi tha...

leg swing maarte hue thoda aage ki taraf badha tha ARIF aur agle hi pal elbow strike aur us strike ke neeche se dusra hand nikaalte hue kung fu ka daaw brick break hand chala diya tha usne..

elbow strike se toh bach gaya tha rider par brick break hand ne uske kandhe par hit kar gaya...

hit kaafi tagda tha par hit lagne se pehle halka back shoulder twist kiya tha usne isiliye impact kam hua tha rider par.

push se lagne waale dhakke ki tarah piche ki taraf hua uska body jiske baad ek pal ka pause lekar ARIF ki taraf dekha usne..

waise toh helmet ke andar tha rider ka face par aisa lag raha tha jaise us hit ne trigger kar diya ho rider ke dimag ko..

zig zag pattern me kuch zyada hi tezi se aage badha tha rider par aisa karte waqt haath uska neeche apne holester ki taraf gaya tha...

dekha tha ye ARIF ne jiske baad hadbada gaya tha woh.

yahi chahta tha rider.. Shaolin ka snake movement crunch hit move tha ye jisne sabse zyada important distraction hota hai...

distract ho chuka tha ARIF jiska faayda uthathe hue rider ki ungliyan jo saanp ki shakal liye hui thi, unhone four nail hit kiya ARIF ke side head par..

sense nerve par hit hua tha woh move jiske asar se sir ghum sa gaya ARIF ka aur agle hi pal..

DAGDAGDAGDAGDAGDAGDAG..

ek ke baad ek kayi fast punch hits ARIF ke stomach se lekar lips tak kiya rider ne..

hits ka pressure aur point itna perfect tha ki kuch hi palon ne ghumte hue zameen par gir chuka tha ARIF...

sir uska theek VERONICA ke pair ke paas gira tha..

kuch pal yunhi pade rehne ke baad sir dheere se uthaya ARIF ne ki tabhi..

CHATAKKKHH...THOOOOO..

ek tez tamacha maara uske face par VERONICA ne aur phir uske mooh par thook diya usne..

CHHOD DO BHAI KO..WARNA THOK DUNGA ISSE..

wahi driver tha ye jo bohot der se chup sahi mouke ki taak me tha.

apne mare hue saathiyon me se ek ka gun utha liya tha usne aur jab ARIF ko thappad maarne ke beech car ke thoda aur kareeb aayi VERONICA toh turant uske piche pahunch gun uske sir par tika diya tha usne..

VERONICA ko gun point par dekh RIDER ne bhi apna gun nikaal liya tha par kuch kiya nahi usne.

is beech apne boss ARIF ko utha liya tha rider ne...

khoon kaafi nikal chuka tha ARIF ke face se..maar ki taklif toh dikh hi rahi thi uske face par lekin usse zyada ghussa aur insult usse VERONICA ke tamache aur phir uske mooh par thookne se hua tha..

nafrat aur insult se bhari nazaron se dekha usne VERONICA ko aur phir kisi tarah car me jaakar baith gaya woh...

DRIVER-drop your gun nahi toh shoot kar dunga isse..

thoda door fekh diya apne gun ko rider ne jiske baad VERONICA ko us rider ki taraf dhakka dete hue woh driver bhi turant lapka scorpio ki driving seat ke aur..

agle hi pal gaadi start ho chuki thi jiske baad turant scorpio aage badh chuki thi..

wahin dusri taraf VERONICA ko sambhale rider ne sidha kiya usse par expressions bilkul alag the is waqt VERONICA ke face par..

jahan ab tak sehmi hui si lag rahi thi VERONICA, wahin ab ek bright smile thi uske face par..

VERONICA-nice helmet aur ye voice inflection device ke straps sirf jodo mat, attach it on your vocal chords area...

agar fight ke beech ARIF ka haath tumhara helmet me padh jaata toh ye device neeche gir jaata...

rider ko pata bhi nahi chala tha ki kab VERONICA ne uske helmet aur voice inflection device jisse ab tak apni awaaz usne masculine banayi hui thi, nikaal liye the usne..

masculine isiliye kyunki jo chehra helmet ke utarne ke baad is waqt VERONICA ke saamne tha,woh feminine tha...

ye wahi lady thi jo kuch dino pehle apne teen juniors ke saath VERONICA se jungle me mili thi..

jisne usse G.O.D ke active hone ki khabar di thi..

SIRF VERONICA PAUL AHARYA HI HAI JO BINA MEHNET KE HI MERA COVER OPEN KAR SAKTI HAI...

KISI ARIF REZA ME ITNA DUM NAHI JO RANJANA MATTHEWS (PRINCI)KO USKI MARZI KE KHILAAF OPEN KAR DE..

RANJANA ki baat sun ek smile naach uthi thi VERONICA ke face par...

RANJANA-so,jo chaaha tha tumne,ho gaya na woh..!!!

RANJANA ki baat par aakhon me sawal liye dekhne lagi usse VERONICA jispar..

RANJANA-really..you want me to explain...!!!

fine,ye tumhara abla naari ka naatak karna,mujhe beech me laana aur phir aakhri me bas ek slap aur spit ARIF ke mooh me karna,do reasons the ye sab karne ke piche..

pehla toh yahi ki jo tumhare aur SANVY par shakh tha ARIF me man me apne bhai ke murder me involvement ka,woh clear karna..

dusra,jo tumne spit kiya uske face par,woh isiliye kyunki tumhe maalum tha ki mera joki us waqt ek MAN tha, ARIF ka usse maar khana itna nahi akhrega jitna tumhara tamacha aur uske mooh me thukna usse taklif dega.

woh bhi uski aatma tak..

aisa hone par he will come back to you aur is baar woh bhi tumhari aatma par waar karega.

SANVY..

right..!!!

VERONICA-ab yunhi tum human physiology ki expert toh ho nahi...

RANJANA-par main sawal toh dusre reason me hi hai.

why..???kyun chahti ho tum ki ARIF SANVY ke piche jaaye...

RANJANA ke sawal par ek baar phir bright smile naach uthi VERONICA ke face par jiske baad...

VERONICA-card board shooting aur battlefield me hone waali firing me fark hota hai RANJANA...

ab tak SANVY card board shooting hi toh karta aaya hai without risk..

kitna strong hai woh,ye tab hi pata lagega jab stake par life hogi.

RANJANA-its really risky VERONICA..

VERONICA-and risk is the thing that my son needs..mai bhi toh dekhun ki...

jigar hai mere bacche mai ya phir bilkul bhi DUM NAHI...

waise bhi jo khatra aage badha de,us khatre ka koi GHAM NAHI..

izzat aur jaan dono bachane honge usse,

jaan khudki aur izzat us ladki ki jo uski jaan se KAM NAHI....

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE SANVY KE LIYE UTH RAHE APNE MAN KI AJEEB FEELINGS KO SAMAJH NAHI PAA RAHI HAI WAHIN DUSRI TARAF RANJANA MATTHEWS ARIF REZA KO MAARKAR BHAGA DETI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-49

5TH JULY

CITY-MASOORIE

PLACE-THE ROFT BASEMENT

SAAY,SAAY,SAAY,SAAY,SAAY.....

THAKKK...THAKKKK....THAKKKK.......

pichle aadhe ghante se teen wooden trunks ke beech khade ho unpar alag alag angles se apna favourite hand combat weapon NAN CHAKU chala raha tha shirt less ARIF REZA...

aur ye silsila bas aaj ka nahi tha...1 taarikh ko jo hua,uska asar behadh gehra pada tha ARIF REZA par.

koi uspar bhari nahi padh sakta,ye soch nahi thi uski par itni asaani se koi paar paa lega usse,ye sapne me bhi nahi aaya tha ARIF ke dimag me.

kayi saari fighting techniques me maahir ARIF REZA ke ego ko zamin ke andar dhasa diya tha us gumnam RIDER ne...

par us zakhm se zyada asar VERONICA dwara diye gaye us ghaaw numa thappad aur mooh par thook numa namak ka pada tha ARIF par...

woh scene kisi live moment ki tarah abhi bhi jeevant tha ARIF REZA ke aankhon ke saamne.

kehte hain ki jab frustration aur insult ek saath haunt karne lage toh paseena bahao...

physically exhaust karo khudko.. wahi kar raha tha ARIF pichle 4 dino se..

"IF YOU PRACTICE WHAT YOU HAVE ALREADY MASTERED,YOU ARE IN THE ROAD OF PERFECTION"...

issi quote ko filhal jee raha tha ARIF REZA...

NAAN CHAKU chalane me maharath haasil thi usse...ache ache martial artist ko apne is yudh kala se dhul chata chuka tha ARIF..

yahan tak ki high speed SWORD ko bhi bade araam se block kar deta tha ARIF apne NAAN CHAKU chalane ke skills se...

pichle 4 dino se lagatar non stop apne kayi aadmiyon ko naan chaku se ghayal karne ke baad ab 3 heavy trunks par practice kar raha tha woh is skill ko..

itni zyada speed thi ARIF ke naan chaku ki ke sirf uska haath hi nazar aa raha tha paas khade uske aadmiyon ko..

BBHAI....

pichle 2 minute se paas hi khade MANGAL ne finally apne dar ko zabt karte hue pukara tha ARIF ko jispar tufaan bane apne naan chaku ko right palm se hold karte hue turant palta ARIF MANGAL ki taraf..

uski athletic body jo paseene se ab tak puri naha chuki thi,har nas uske upper body ka jaise bahar aane ko tha..

itne intense training ki wajah se saansein thodi tez thi ARIF ki jisse niyantrit kar woh bas MANGAL ko dekh raha tha.

wahin ARIF ke ghurne se sehem uthe MANGAL ne kisi tarah khudko niyantrit kiya aur...

MANGAL-bhai us bike rider ke baare me toh kuch bhi pata nahi chal paa raha hai..

MANGAL ki baat sun ghura usse ARIF ne jispar sehem gaya woh aur..

MANGAL-bohot koshish ki bhai... department me jo bande hain apne,unse tunnel ke aage piche lage C.C.T.V camaras ko check karwaya maine par kuch nahi mila...

koi pura gear pehne rider dikha hi nahi kisi futtage me...

MANGAL ki baat sun ghussa saaf dikhne laga tha ARIF ke face par jisse dekh...

MANGAL-par ek achi khabar hai bhai...kal SIRIUS school senior students ko 2 din ke kisi educational camp ke liye yahin MASOORIE ke old road me bane kisi ashram me laa rahi hai...

woh loundiya aur woh lounda, dono pakka aayenge us trip par...

is nayi baat ko sun in beete chaar dino me ye pehli baar tha jab ARIF ke face par ek halki si muskan jaagi thi par ye muskaan itni zyada negetive thi ki usse dekh MANGAL man hi man aur dar gaya tha..

gang ka ek aadmi jo touliya lekar khada tha,usse le apne badan ko pochte hue ek chair par baith gaya ARIF aur..

ARIF-us lounde ke saamne beech se faadunga mai us loundiya ko aur uske baad...

mujhe thappad maara tha us lounde ki MAA ne aur mere chehre par...

woh haalath kar dunga mai us lounde ki ke kutto ko bhi uska gosht khaane se ulti ho jaayegi...

NEXT DAY:-

PLACE-SHANSHASHI ASHRAM

1ST-"THE BODY IS YOUR TEMPLE. KEEP IT PURE AND CLEAN FOR THE SOUL TO RESIDE IN. –B.K.S IYENGAR"...

2ND-"YOU HAVE TO GROW FROM THE INSIDE OUT. NONE CAN TEACH YOU, NONE CAN MAKE YOU SPIRITUAL. THERE IS NO OTHER TEACHER BUT YOUR OWN SOUL. – SWAMI VIVEKANANDA

3RD-"LIVE QUIETLY IN THE MOMENT AND SEE THE BEAUTY OF ALL BEFORE YOU. THE FUTURE WILL TAKE CARE OF ITSELF…… ― PARAMAHANSA YOGANANDA....

in teen world renowned quotes ko joki saamne bade se wall par likhe hue the,padha SAM ne...

aaj ek overnight camping stay ke educational trip me par yahan as in old masoori road par bane SHANSHAHI ASHRAM aaye the SIRIUS ke senior batches..

ek alag hi tarah ka educational campaign tha ye jisme hamare desh ke do sabse prachin pehlu par practically participate karne ke liye laaya gaya tha students ko is gigantic ashram me...

khair,apni baat ko aage badhate hue...

SAM-yunhi toh in sabko legends nahi bolte.

ye wise words inki life ko lekar deep, positive aur valuable thinking bataate hain...

saath hi khadi puri group jisse bas SANVY hi nadarad tha,kahi thi ye baat SAM ne..

DIMPLE-true.par usse important question ye hai ki ye teeno qoutes hi kyun is wall par lage hain..

i mean,is pure ashram ke har wall par joki i think 100 se bhi zyada hain,sab par qoute hai par one per wall.

par yahan yog kaksh me face view wall par ek saath teen qoutes lage hain..kuch toh logic hoga..

NITS-arre bhai pehle ye AYURYOG camp ka logic samjhao.

matlab ayurveda samajh me aata hai,yog bhi pata hai par in dono shabdon ka cocktail kaahe banaya gaya hai...

YOG, DHYAAN AUR AAYURVEDIK GYAAN KE SANYOJAN KO AYURYOG KEHTE HAIN...

YOG KE AASANO KE ANDAR AYURVEDH KE CHIKITSA SIDHANTO KO LAAGU KARAYA JAATA HAI.YEH ADVITYA VYAKTI AUR PRAKRITI KE PAANCH TATWON PAR KENDRIT HOTA HAI...

KIRTI DESAI...1 saal senior thi ye.. hindi aur English,dono hi language me inki pakad next level ki thi..

SAM and group ke piche hi khadi thi KIRTI jinhone diya tha ye jawab jisse sun DIMPLE,RASHI aur KHANAK toh impress hui par baaki sab joki purane students the, mooh tedha ho chuka tha un sabka..

reason..

kabhi nahi bana tha KIRTI ka SAM ke group se aur khaaskar SANVY se..

apne batch ki topper hone ke saath saath kuch zyada hi niyamo ko maanana aur apne saath sabko un rules ko follow karwana ek non detachable aadat thi KIRTI ki.

par SAM & group aur khaaskar SANVY KIRTI ki soch se bilkul ulat the...

kayi baar free days me monitoring karne aayi thi KIRTI inki class me jahan apni masti aur free will attitude se dimag kharab kiya tha uska SAM & group ne...

upar se SANVY jisse gyan dena bhains ke aage bin bajaane ke jaisa hai,woh karne ki naakamiyab koshish ki thi KIRTI ne jiske baad uske hi gyan chakshayu khol diye the SANVY ne..

upar se jitni maar peet usne aur uske doston ne kiye hain,baaki sabki tarah KIRTI ko bhi khabar thi is baat ki isiliye zyada chidh thi usse is pure mandali se..

koi mouka nahi chhodti thi woh in sabko down dikhane ki.

in sabke maamle me khud apne discipline waala rule bhul jaaya karti hai woh..

jaante the baaki sab ki abhi bhi KIRTI aisa hi kuch karegi isiliye pasand nahi aaya tha kisiko uska bolna..

BOHOT ACHE...

ACHARYA PRATHAMESH....

SHANSHAHI ASHRAM ke sabse bade YOG guru the ye joki is waqt kuch aur yog gurus aur unke shishyon ke saath KIRTI ke just piche khade the..

aur unhe dekh SIRIUS ke sabhi students aur unke saath aaye teachers attention position me aa chuke the..

wahin apni baat bol thoda aur aage aaye PRATHAMESH aur..

PRATHAMESH-ek top convent school student ke liye ayuryog ke matlab ki itni vistarit jaankari rakhna wakayi badi baat hai..

EK TOP CONVENT STUDENT KE ITNE BADE AYURYOG GURU BANANE SE BADI BAAT TOH NAHI HO SAKTI...!!!

ACHARYA PRATHAMESH ki taarif par SAM and group ki taraf ghamand se dekh smile kar hi rahi thi KIRTI ki tabhi padi uske aur baaki sabke kaano me ye awaaz joki meri thi jisse sun jahan ek taraf teachers aur baaki sab ka mera yun acharya ki baat ko kaat beech me bolna kaafi shouk kar gaya tha wahin dusri taraf naa sirf KIRTI ki smile gayab hui balki mera yun interfere karna usse ghussa bhi dila gaya..

PRATHAMESH-SANVEER...kaise hain aap...???

aage badh pair chhua tha maine ACHARYA PRATHAMESH ka jispar bade sneh se mere sir par haath fera tha unhone..

par unke mere liye gesture ko dekh KIRTI ke saath saath baaki sab including mere friends bhi shocked hue the...

par dhyan na maine kisi par diya aur naahi ACHARYA PRATHAMESH ne..

mujhse bade sneh se milne ke baad mude woh mere doston ki taraf ya phir ye kahun ki new girl ki taraf aur...

PRATHAMESH-aapki soch aur sawal sahi the...kaaran hain in teen quotes ka is diwaar par hone ka...

par mai chahunga ki jisne is sawal ka jawab bin sawal puche hi pehli baar me de diya tha,woh aaj bhi de...

meri taraf dekhte hue kahi thi ye baat acharya ne jispar halka muskuraya mai aur...

ANJANEYASANA

ANJALI MUDRA

GARUDASANA

teeno quotes yog ke in teen asanas ko highlight karte hain..

pehla quote..

THE BODY IS YOUR TEMPLE. KEEP IT PURE AND CLEAN FOR THE SOUL TO RESIDE IN..

kisi mandir me bhagwan ke aage haath jodne ki tarah ANJANEYASANA asana me human creation ke sabse bade source as in SUN ki taraf pure sharir ko strech karkar haath upar ki aur kar joda jaata hai...

jaise quote me sharir ko swatch rakhne ki baat kahi gayi hai,theek waise hi is pose ke through hum apne heart ko unbind kar open karte hain taaki khudko us divine power ke saath AATMA tak connect kar saken..

second quote...

YOU HAVE TO GROW FROM INSIDE OUT. NONE CAN TEACH YOU, NONE CAN MAKE YOU SPIRITUAL. THERE IS NO OTHER TEACHER BUT YOUR OWN SO.

quote ki tarah isse juda aasan bhi kaafi simple hai...ANJALI MUDRA..

jaise quote ke anusar AATMA se bada koi teacher nahi,ussi tark par is mudra me haath jod antardhyan ho apni AATMA se juda jaata hai taaki us AATMA ke through hume banane waale ko is zindagi ke liye thanks kaha jaa sake,apni respect diya jaa sake aur ussi aatma ke through dil se hote hue us parmatma se aashish liya jaa sake...

teesra quote...

3RD-"LIVE QUIETLY IN THE MOMENT AND SEE THE BEAUTY OF ALL BEFORE YOU. THE FUTURE WILL TAKE CARE OF ITSELF……

thik is quote ki tarah GARUDASANA as in kisi eagle ki tarah tez nazar ka pratik maana jaata hai..

jaise ek garud ki nazar se kuch nahi chhupta waise hi is pose ke through hum apne antarman aur bahar har taraf saaf saaf dekhte hain..

saath hi saath is asana me garud ki hi tarah khudko earth aur spiritual plane ke beech udte hue mehsoos kar sakte hain...

jaise ek garudh aasmaan ki unchayi par jahan aur koi nahi hota,phir bhi shaant rehkar bas nazar rakhta hai,pure sayyam se theek waise hi GARUDASANA bhi hume patience aur focus sikhata hai jo hamari AATMA aur sharir ko ek karta hai...

ye teeno hi quotes jin teen aasan se jude hain,un sabme ek chiz common hai..

DIMPLE-AATMA..

MAI-right..aatma..aur wahi in teen asanas aur quotes ka base point hai..

to refine your soul..kyunki yahi woh tarika hota hai jo sabhi insaan ko in qoutes ko bolne waale mahan logon ki tarah sahi maayno me insaan banaye rakhta hai...

kuch dino pehle ATTITUDE class me mile topic par jo shayri boli thi new girl ne,usse hi ghumakar aakhir me bola tha maine jisse sun ek bright smile naach uthi thi uske face par jisne is jagmagate din ko bhi aur roshan kar diya tha..

waise ye brightness toh bas uski moujudgi se hi khil uthi thi...

is trip ka koi dress code nahi tha..sabne apni marzi ka pehna tha joki casual wear tha siway mere aur new girl ke..

jahan maine half sleeve shirt based white kurta pehna tha wahin new girl ne safed suit pehna hua tha..

khuda kasam,khud khubsoorati bhi itni khubsoorat nahi ho sakti jitni khubsoorat is hindustani paridhan me new girl lag rahi thi.

nazar uspar naa theher jaaye, isiliye ab tak hazar jatan kar chuka tha mai par ab jo muskurayi woh toh kuch palon tak lagatar usse dekhne ki gustakhi kar hi baitha mai..

wahin mere saare jawabon se super impressed new girl ki nazarein bhi waise toh mere liye taarif me chamak rahi thi par meri nazaron ki gustakhi shayad padh liya tha uski aankhon ne isiliye hi toh khabar tak na hui usse ki kab uski uthi hui taarif-e-nazar haya se neeche baith gayi...

ACHARYA-bilkul sahi..aur aap sabka aaj ka pehla karya yahi hai..

in quotes se jude teeno hi asanas ANJANEYASANA,ANJALI MUDRA aur GARUDASANA,in teen aasano ko yahan yog kaksh me practice karni hai aap sabko...

iske baad aashram ke pashchim me bane baag me jaana hoga aapko jahan aap sab aayurved ki jadi butiyon ka gyan lenge..

future me emergency situations ke waqt un jadibutiyon ka gyan bohot kaam aayega aapko..

par pehla kaam pehle...

10,10 ki line ke hisaab se khade ho jaayiye sab..

mats pehle hi lag chuke the jinpar acharya ji ke kahe mutabik agle 2 minutes me hum sab alag alag lines me khade ho chuke the..

last 3rd row me start se third position par mai khada ho chuka tha par aisa karne ke kuch pal baad thoda sa surprise mila tha mujhe.

aur woh isiliye kyunki new girl jisse hamesha first row me baithne ki aadat thi,woh aaj mere exact right side ke mat par khadi thi..

halke shock se dekha tha maine uski taraf.

mere shock ka kaaran pata tha new girl ko par shayad apni is harkat ka reason khud uske paas bhi nahi tha.

chehre par uske confusion is baat ki gawahi thi..

par apne is confusion bhare state me ek chiz par gour nahi kar paayi thi new girl...

KIRTI theek uske piche waale mat par khadi thi aur uske face par jo expression the,woh new girl ke liye positive nahi the..

darasal new girl ne jab se SIRIUS join kiya hai,uske past achievements ki wajah se kaafi popular hai woh.

upar se ATTITUDE class me uska debate performance bhi kaafi saraha jaa raha hai..

but most importantly,uski khubsoorati jiska diwana sirf hamare batch ka nahi balki har senior batch ka banda hai..

beauty with brains ka combo deadly bhi hota hai aur dusri ladkiyon ke man me paida hone waale jealousy ka kaaran bhi..

aur KEERTI bhi is feeling se acchuti nahi thi..

upar se aaj, kuch der pehle mere quotes defination ke baad AATMA waala jawab KIRTI deni waali thi par usse pehle hi new girl answer bol uthi thi jispar ACHARYAJI ki aankhon me uske attentiveness ko dekh prashansha thi..

ye KIRTI ke jealousy waali aag ko hawa dene ke liye kaafi thi..

kuch negetive karna chahti thi woh new girl ke saath aur isiliye hi uske piche khadi thi KIRTI...

khair,ACHARYA PRATHAMESH ke saath jo shishya the unke,unme se ek aage aaye aur sabse pehle ANJANEYASANA aur phir GARUDASANA karne ka tarika bataya hum sabko unhone..

kyunki ye dono hi aasan physically stretch hona demand karte the, isiliye khade aur kneel hokar hum sabne kiya tha in dono aasano ko..

par is beech bhi new girl joki ek gymnest thi,uski stretching baaki sabhi se behtar thi jisse dekh saamne hi khade ACHARYA PRATHAMESH ki aankhon me ek baar phir prashansha ke bhaav ujaagar ho gaye the..

KIRTI ne bhi dekha tha us bhaav ko jiske baad uska face thoda aur sakht ho chala tha...

ACHARYA-ANJALI MUDRA ke liye paalthi maar kar baithiye..

naabhi se lekar kanth tak ek seedh me sharir ko sthir kijiye..

netra band kar jo bhi aradhya hain aapke,sirf unhe yaad kijiye..

naa koi moh,na koi khawahish.koshish kijiye ki kisi bhi tarah ki bhaavna ka janm aapke mastishk me naa ho..

jaise hi us acharya ne apni baat khatm ki,sabhi students apne apne mat par baithne lage aur ye dekh KIRTI ke face par ek evil smile naach uthi..

usse ANJALI MUDRA aasan ko karne ke tarike ka pehle se hi andaza tha..

yahi wajah thi ki uska haath uske hand bag me jaa chuka tha aur jab woh haath bahar aaya toh uske beech ink ki ek choti si bottle thi...

unlike others, KIRTI ball pen se nahi balki ink pen se likhti thi isiliye ink ki choti bottle woh hamesha carry karti thi par aaj ye ink kuch aur kaam aane waala tha.

isse pehle ki new girl neeche baiththi, KIRTI ne haath me pakdi ink thoda aage jhukte hue uske mat par daal di par tabhi.....

new girl neeche baiththi, usse pehle hi kisike haath ne uske kamar ko gher liya tha.

ye mera haath tha...

isse pehle ki woh kuch samajh paati, usse lete hua naa mai sirf ghum gaya balki halka neeche hote hua mat palta diya tha maine....

ghumne ke beech mat par lagi ink dekh li thi new girl ne aur jab tak woh kuch kehti mai KIRTI ke saamne pahunch chuka tha....

MAI-khud ka daaman maila hai toh iska ye matlab nahi ki dusron ke kapdo ko ganda karo....

yaad rahe ki SANVEER ke frnz se bhidna matlab SANVEER se bhidna.....

aur SANVEER se bhidkar hota kya hai,iski khabar toh hogi hi tujhe....

and babes, don't even think to get extra credit of being the opposite gender....

KIRTI ke aankhon me jhaank kar kahi thi maine ye saari baat jiska matlab samajh and most importantly meri sacchayi bohot ache se jaanti thi woh..

isiliye bina palak jhapkaye chupchap sunti rahi meri baatein KIRTI..

agle hi pal mai apne mat par khada tha..is beech new girl ne suni thi meri aur KIRTI ki baat jispar sir shake karte hue smile karne lagi thi woh...

khair,ANJALI MUDRA start ho chuka tha jiske shuru hote hi sabki aankhein band ho chuki thi...

kuch students ka ek minute me, kuch ka 2, kuch ka teen minute me hi concentration jawab de gaya tha.

kuch hi students the jinhone ANJALI MUDRA ke dhyan awastha ke 5 minute cross kiye the..

in kuch students me SAM aur DIMPLE bhi the...

par ek time ke baad bache students ki aankhen bhi khuli jjske baad sabhi students apni apni jagah par khade ho gaye..

KIRTI-sir, SANVEER gayab hai..he left while everybody else was meditating..

ACHARYA kuch kehne hi waale the ki tabhi KIRTI ki baat sun DIMPLE aur baaki sab ka dhyan SANVEER jahan khada tha,us mat par gaya.

gayab tha woh wahan se...

ye dekh KIRTI ki baat par teachers kuch kehte par tabhi..

PRATHAMESH-SANVEER ko maine hi bheja hai kisi kaam se...

jahan ACHARYA PRATHAMESH ki baat sun teachers ke paas kuch kehne ko bacha nahi tha,KIRTI man masos kar reh gayi thi wahin DIMPLE ko ACHARYA ki baat sach nahi lagi thi..

ANJALI MUDRA ke beech SANVEER ko kaam se bhejna,logic jo nahi tha is baat me..

ACHARYA-aayiye,ab hum aushadhi baagh ki taraf jaayenge..

ashram ke uttar disha me bane ayurvedic medical plants ke garden ki taraf badh chale the sabhi students...

BRAMHI,CHIRAYATA,ADUSA,LAJOULI,KANTHKARI jaise aur bhi durlabh ayurvedic aushadhiyon ke poudhon se bhara pada tha ashram ka bada sa baagh..

un saare poudhon ke naam,unke goon khud ACHARYA PRATHAMESH ne bataya tha sabhi students ko...

waise toh english medium woh bhi SIRIUS jaise international school ke bacchon ke liye ayurvedic aushadhiyon ki shiskha lena boring hota hai par jis interesting tarike se ACHARYA PRATHAMESH ne saare students ko un aushadhiyon ki importance aur value bataya tha,kaafi focused hokar aur interest lekar suna tha sabhi ne us topic ko...

par is beech sabse zyada focused rehne waali DIMPLE ka dhyan kaafi bata hua tha..

baar baar uski nazar baagh ke entrance ki taraf ghoom rahi thi..

aisa nahi tha ki woh ACHARYA PRATHAMESH ki baat sun nahi rahi thi par dhyan uska bata hua sa tha..

PRATHAMESH-aaj ke liye itna hi..ummid hai ki hamare hi desh ki do prachin dharohar, ayurved aur yog ke baare me jaankar acha bhi laga hoga aur inki mahatvata ka bodh bhi hua hoga aap sabko...

aap sabke lunch ki vyavastha ashram ke udyan me ki gayi hai..

jaaiye aur bhojan kijiye.

apni hi tarah se class disperse kar diya tha ACHARYA PRATHAMESH ne jiske baad sabhi students standard lines ke accord baagh se nikalne lage..

SAM and group toh is pure douran saath hi tha jo ek dusre se baat karte hue aage badh chuke the.

DIMPLE bhi thi unke saath par kuch baat karni thi usse ACHARYA PRATHAMESH se isiliye baakiyon se dheere dheere alag ho gayi thi woh..

wahin ACHARYA PRATHAMESH apne shishyon ko kuch samjha rahe the jiske baad unke shishya ek disha ki taraf badh gaye..

akele the ACHARYA PRATHAMESH aur ye dekh DIMPLE turant badhi thi unke taraf..

is waqt peeth thi unki DIMPLE ki taraf..unke paas aakar rook gayi thi DIMPLE par kahe kya, yahi soch rahi thi woh...

PRATHAMESH-hriday ki vyagrata aksar dhyan bhatka deti hai..yog kaksh me aap jitni ekaagra thi,is baagh me utna hi vichlit tha aapka man...

kaaran SANVEER ki anupastithi toh nahi hai..!!! isiliye aayi ho aap yahan taaki jaan sako, aakhir hain kahan woh..

jo puchna chahti thi DIMPLE,woh pehle se hi jaante the ACHARYA PRATHAMESH...

unki baat sun man hi man hadbadayi woh par phir khudko shaant kiya usne.

DIMPLE-jee..aur yog class me aapne kaha tha ki aapne bheja hai usse kisi kaam se..!!!mujhe nahi lagta aisa kuch hai...!!!

DIMPLE ki baat sun uski taraf muskurate hue palte ACHARYA PRATHAMESH..

PRATHAMESH-kaaran..!!!jis kaaran se SANVEER yahan nahi hai,woh kaaran kisi bhi kaksha me rehne se zyada zaroori hai...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

PRATHAMESH-saath aao...

ye bol ek dusri disha ki taraf badh gaye PRATHAMESH jinke piche piche DIMPLE bhi ho li thi...

DIMPLE-aap kaise jaante hain SANVY ko...???

baagh se nikal ek disha ki taraf badhne ke beech apne jigyasa se bhare man ka pehla sawal pucha tha DIMPLE ne ACHARYA PRATHAMESH se..

PRATHAMESH-ussi kaaran ki wajah se jahan hum abhi jaa rahe hain...

DIMPLE-yog ke beech woh chala gaya aur phir aushadhi baagh bhi nahi aaya woh,kya ye GALATH nahi laga aapko...

PRATHAMESH-jab kaaran sahi ho toh koi kadam GALATH nahi hota..

waise bhi, SANVEER ko is ashram ke har yog asana aur aushadhi ke baare me pehle se pata hai..

jo aap sabne aaj jaana,sikha,uska gyan SANVEER ko pehle se hai..

DIMPLE-aap kabse jaante hain usse...???

PRATHAMESH-7 mahine se...

DIMPLE-ghumne aaya tha woh yahan..???

PRATHAMESH-kisiki jaan bachane...

DIMPLE-matlab...!!!

PRATHAMESH-jawab saamne mil jaayega...

chalte hue ashram ke VRIDHA VAAS ki building ke paas pahunch chuke the ACHARYA PRATHAMESH aur DIMPLE..

apni baat keh us building ke saamne bane bade se gate ke andar chale gaye the PRATHAMESH jinka anusaran karte hue DIMPLE bhi aage badh chuki thi...

agle minute woh dono buildings ke andar the..kaafi saaf suthra aur sabhi zarooraton se bhara hua tha woh building..

is teen manzila building me rooms system the aur har room me kul 2 log rehte the...

300 se zyada buzurg rehte the is VRIDHA VAAS me... building ke entrance me hi ek chota sa mandir bana tha jiske baad gallery se hote hue rooms bane hue the..

dusri taraf ek bada sa garden tha jahan sabse zyada waqt beetate the saare buzurg..

par kyunki abhi dopahar ka waqt tha isiliye building me rehne waale saare log apne apne rooms me the...

khair, ACHARYA PRATHAMESH gallery me chalte hue left se last room ke khidki ke saamne rook gaye..

woh khidki khuli hui thi,uske bahar hi rook andar ka nazara dekh smile naach uthi thi unke face par..

same expressions DIMPLE ke face par bhi ubhre jab ACHARYA PRATHAMESH ke piche se saamne aate hue room ke andar ka scene dekha usne..

is waqt SANVEER ek bed par baitha hua tha..godh me uski ek budhi aurat thi joki so chuki thi ya phir te kehna sahi hoga ki unke safedh baalon ko sehlate hue SANVEER unhe sula chuka tha..

is scene ko dekh smile kar hi rahi thi new girl ki tabhi uske face se smile gayab ho gayi..

reason..

us budhi aurat ke baal ko sehlate waqt aankhen SANVY ki band thi par un band aankhon ke kinaaron se aansu ki ek ek lakeer neeche gir rahi thi..

SANVY ko aisa bhi dekhegi, kabhi nahi socha tha DIMPLE ne..

turant ghumi uski nazar PRATHAMESH ki taraf jo shayad pehle hi DIMPLE ki nazar aur sawal samajh chuke the..

PRATHAMESH-ASHA..ASHA KASHYAP naam hai us aurat ka...

2 saal pehle uske jawan bete aur bahu ki ek accident me death ho gayi thi..

mortgage loan tha sir par woh bhi bina insurance ke isiliye bik gaya inka ghar..

aur koi kareebi tha nahi inka par ek pehchaan waala tha jisne inhe yahan chhod diya...

ghar jaane ka gum bilkul nahi tha inhe par jawan bete aur bahu ki mout ne unhe maansik aaghat pahunchaya tha..

lagatar doure padte the inhe... aashram me upchaar kendra bhi hain jahan yurvedic upchaar ho raha tha inka par faayda kuch nahi ho raha tha..

jab koi aas paas nahi hota tha toh aashram se bhaag jaati thi ye..kayi baar accident ho chuka tha inka...

ek aur hone waala tha 7 mahine pehle...

SANVEER tha us car me..uski MAA chala rahi thi car jab ASHA achanak se hi unki car ke aage aa gayi..

par naa woh accident hua aur uske baad kabhi accident ki noubat aayi hi nahi..

car se nikal jab SANVEER bahar aaya toh ASHA ke dono haath thaame isne..

ADARSH....yahi naam tha ASHA ke bete ka..jaise hi SANVEER ne chhua inhe, SANVEER ko dekh ADARSH naam nikla tha inke mooh se..

SANVEER ke chehre ko pakad apne bete ka naam lete hue rone lagi thi ASHA.

aur ye baccha,bina kuch jaane hi jaise sab samajh gaya..

"MAA"...bas itna hi kaha tha isne ASHA se aur shayad itna hi kaafi tha.

agle hi pal ek aisi sukoon ki hawa chali ASHA ke dimag me ki woh SANVEER ke baahon me hi behosh ho gayi..

ASHA ke piche ASHRAM ke kuch log pahunche the wahan jinke saath yahan ashram me lekar aaya SANVEER ASHA ko...

jab hosh aaya ASHA ko toh uththe hi apne bete ka naam lekar chillane lagi thi ye par saamne SANVEER ko dekh naa sirf shaant ho gayi balki dedh saalon me pehli baar khul ke muskurayi thi ye...

SANVEER ke saath us muskaan ko pehli baar maine tab hi dekha tha..

us din se SANVEER har hafte aata hai yahan...aur jab bhi aata hai toh ASHA isse khudse door nahi hone deti..

isiliye hi yog kaksh se turant wapas yahan aaya tha ye...

pata hai,jab mujhe pata chala ki hua kya tha aur phir SANVEER ne mujhe bataya ki woh SIRIUS ka student hai toh chinta hui thi mujhe.

mujhe laga tha ki SANVEER yahan phir nahi aayega aur agar aisa hota toh ASHA ki haalath aur kharab ho jaati par aisa hua nahi..

pehle mahine SANVEER kisi bhi waqt roz aata tha yahan aur jab ASHA ki maansik haalath sahi hone lagi,uske baad se har hafte aata hai ye yahan..

aur sabse achi baat ye hai ki iske yahan aane ka kaaran zimmedari nahi balki prem hai...

woh prem jo samajh aa jaaye toh usse saral koi bhavna nahi aur jo na samajh aaye toh usse jatil bhi aur kuch nahi..

ye line DIMPLE ke liye kahi thi ACHARYA ne par dhyan is waqt DIMPLE ka SANVEER par hi tha jo filhal bed se uth chuka tha aur apni us dharm MAA ASHA ko blanket odha raha tha..

ACHARYA PRATHAMESH-chalna chahiye hume...tumhe yahan dekhna shayad SANVEER ko acha na lage..

ACHARYA ki baat sun unke saath ho li thi DIMPLE..

kuch hi der me us VRIDHA VAAS ki building se nikal jahan SIRIUS students ke lunch ready kiya gaya tha,us disha ki taraf badh chale the woh dono.

par is dauran bohot shaant ho kuch soch rahi thi DIMPLE jisse dekh..

PRATHAMESH-kya soch rahi ho..???kya koi sawal reh gaya..!!!

DIMPLE-sawal hai par abhi abhi bana hai.!!!

PRATHAMESH-kya..??

DIMPLE-yahi ki humanity ko agar lekar chalen toh SANVY ne jo kiya woh bohot sahi hain par jaise woh abhi tha un lady ke liye,it was like ki woh wakayi MAA hon uski..

joki hai nahi..apni MOM ke liye dikhaane waale devotion woh kisi aur ki MOM ke liye show kar raha hai..!!!kaise..???

HAHAHAHA..

has pade the ACHARYA PRATHAMESH DIMPLE ke sawal par jisse dekh..

DIMPLE-kya kuch GALATH kaha maine..??

PRATHAMESH-bilkul nahi..tumne wahi sawal pucha jo SANVEER ko ASHA ke liye lagatar karta dekh kabhi mere ek shishya ne usse pucha tha..

DIMPLE-toh kya jawab diya tha phir SANVEER ne...???

DIMPLE ki baat sun ACHARYA PRATHAMESH jaise us pal me chale gaye the jab SANVEER ne apna jawab diya tha.

aur us jawab ko yaad kar unke face par apne aap hi SANVEER ke liye sneh aur samman ke bhaav ek saath jaagrit ho gaye the..

us pure jawab ko kuch yun yaad kiya PRATHAMESH ne maano agar us answer ko waise naa diya unhone jaisa SANVEER ne diya tha, toh un shabdon aur un shabdon ke piche chhupe bhaavnaon ka kahin apmaan ho jaayega...

jawab yaad kar ek lambi saans chhodi unhone aur...

PRATHAMESH-

MAA TOH BAS MAA HOTI HAI....

zindagi ke kadwe ghoont nigal hume chashni ki sharbat PILAATI HAI...

ek haath se thappad maar dusre haath se roti KHILAATI HAI...

dil chhalni bhi kyun naa ho raha ho,bas hamari khaatir MUSKURAATI HAI...

haasil kuch nahi hota par hum par apni duniya LUTAATI HAI...

apne hisse ki khushi dekar humare hisse ke aansu ROTI HAI...

kaise karun fark dharti ke KHUDA me,

kisi ki bhi ho,MAA TOH BAS MAA HOTI HAI....

pyar jo ek sa hai,usme bhedh DIKHAUN toh DIKHAUN KAISE.??

jab mamta ka roop hi ek hai phir fark SAMJHAUN toh SAMJHAUN KAISE.??

jis naam ka paryaya bana nahi,usse alag BULAAUN toh BULAAUN KAISE.??

jiske kadmo me hi jannat hai,uske sir-e-mukaam ka andaza LAGAAUN toh LAGAAUN KAISE.??

jo hamare jaagne se pehle jaagti hai aur hamare sone ke baad SOTI HAI...

hum hamesha haste rahe,iske liye jo khud ki saari khushiyan KHOTI HAI...

yahi bas ek rishta hai jiske liye rishte ki zaroorat nahi..

kyunki kisi ki bhi ho,MAA TOH BAS MAA HOTI HAI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
Newbie
8
6
3

Nice update
 
This is a emotional update
 
Newbie
1
0

speechles👌👌👌👌👌
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MANGAL ARIF REZA KO SANVY AUR DIMPLE KE MASOORIE ME HONE KI KHABAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE KO ASHRAM ME SANVY KE EK AUR ROOP KE BAARE ME PATA CHALTA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

MEGA UPDATE-50

(part 1)

6TH JULY

CITY-MASOORIE

PLACE-THE ROFT BASEMENT

BHAI....

apne revolving chair par baitha ARIF REZA aankhen band kar kuch soch hi raha tha ki tabhi uske kaano me MANGAL ki awaaz padi...

ARIF-kahan halt hain SIRIUS waalon ka???

SIRIUS ke overnight camping trip ka exact schedule pata karne bheja tha ARIF ne MANGAL ko..

jaanta tha woh ki ussi ki khabar lekar aaya hoga woh joki sach hi tha...

MANGAL-bhai jharipani gaanv ke piche waale jungle me jo MOSSY FALLS hai naa,wahin lagaya hai SIRIUS waalon ne camp...

MANGAL ki baat sun ek jhatke me khuli thi ARIF ki aankhein.

itna hi nahi, camping ki jagah ke baare me sun aankhen chamakne lagi thi uski...

joki laazmi bhi tha..jharipani gaanv ke uttari disha ki taraf dense forest ke andar bane ek khuli jagah par tha MOSSY FALLS..

waise toh ye fall bhi kaafi popular tourist attraction spot tha par jungle ke beech hone ke kaaran log yahan big numbers me hi aaya karte the..

waise toh naturally koi danger nahi tha us jagah par lekin agar wahan koi attack kare toh bachne ke chances naa ke barabar hone waale the...

upar se camping kar rahe the students jiska matlab hai late night apne apne groups ke saath jharne ke ird gird jungle ke alag alag spots me born fire karenge woh sab jo ARIF ke liye ek plus point tha..

ARIF ke face par dikhne waali smile in saare positives se hi aaya tha jisse MANGAL bhi samajh gaya tha..

MANGAL-sach me bhai...isse sahi time aur kuch ho hi nahi sakta...

apne saare bando ke saath raat ko ghuste hain jungle me aur sabke beech se uthathe hai us lounde aur loundiya ko...

ARIF-galti karna GALATH nahi par galti dohrane se zyada aur kuch GALATH nahi..

hafta theek se guzra nahi aur tu bhul gaya tunnel me kya hua tha...

achanak tunnel me pahunchne ko us rider ne ittefaq bataya tha jo ho nahi sakta...

theek tabhi pahuncha tha woh jab mai us VERONICA par haath daalne waala tha...

kaboola usne ki mera bhai uske hi haathon maara gaya tha par us waqt bhi woh VERONICA involved thi..

directly nahi par apne bete ke through toh thi hi..

is baat ke chances bohot zyada hain ki us rider ki nazar ab bhi us lounde par hogi...

aur agar sidhe sidhe humne haath daala us lounde par toh fas sakte hain hum..

MANGAL-toh bhai,kya karen phir...???

ARIF-niptayenge toh aaj raat hi us lounde ko par sidhe nahi gherkar...

in saari baaton ke beech kuch soch raha tha ARIF jiske baad...

ARIF-detail puri nikaali hai naa tune us lounde ki...!!!

MANGAL-jee bhai...

ARIF-uska sabse khaas dost kaun hai..???

MANGAL-2 ladke hain bhai..NITENDRA aur SONU... ussiki class ke hain..

par bhai ek ladki bhi hai jo bohot kareeb hai uske...kya naam tha,haan ANJALI naam hai uska..woh bhi kadak maal hai bhai..

ussiki class me hai..

is nayi baat ko jaan ek baar phirse aankhein chamak uthi thi ARIF ki jiske baad...

ARIF-ANJALI!!!ab ye hui naa baat...

ek taraf DIMPLE,dusri taraf ANJALI,ek waqt me dono ko koi kaise BACHAYEGA...???

agar unhe bachane waale hue bhi toh bhatak jaayenge aur lounda,woh fas JAAYEGA...

CITY-DEHRADUN

PLACE-UNKNOWN

HMM..THE PICTURE QUALITY IS GOOD...UMMID HAI NIGHT VISION BHI CLEAR HI AAYEGA...

ek unknown bunker ke andar sofe par baithi thi VERONICA..

aur saamne bane 100 moniter screen me dikh rahe ek nazare ko dekh apni pratikiriya di thi usne..

wahin RANJANA MATTHEWS jo us moniter ke saamne bane key board se scene set up kar rahi thi,set up complete kar woh bhi VERONICA ke paas aakar baith gayi...

RANJANA-blink XT ka modified version hai ye camara with infrared night vision..dark se dark movement ko bhi enhance kar kaafi clearly show karega..

upar se 100 strong routers ke merged connectivity ke saath yahan tak ka range cover kar raha hai isiliye ek second ka bhi view miss nahi hoga..

VERONICA-nice..waise total kitne camaras lagaye hain and what about the location and placement..

RANJANA-40 camaras install kiye hain and dont worry about the location..

colour black hai har camara ka aur trees ke dense part me installed hai sab..

kisiki nazar unpar jaa hi nahi sakti..

ab aapke sawal pure ho gaye hon toh mai kuch puchun...!!!

VERONICA-yahi puchna hai naa ki how am i sure ki ARIF aaj hi ka din chunega SANVY ko target karne ke liye..!!!

aur ussi jagah par karega jahan maine tumse camaras install karwaye hain...

RANJANA-yup...

VERONICA-shikaar karne ka maza tab hi hai jab shikaar khule me ho..

jahan shikaar bhaag toh paaye par usse pakda jaa sake..

jahan waqt aur involvement ki gunjaiyish kam se kam ho..

aur in conditions ke hisaab se aaj se better time aur jagah,dono hi nahi milega ARIF ko...

RANJANA-hmm...jo us din tunnel me hua, uske baad extra cautious hoga ARIF...

he will be armed and this time,he will bring the a lot of people with him..

saath hi saath pichli baar se lesson le aaj kuch plan banakar aayega woh SANVY ke piche...

don't you think SANVY ko bhi tumhe koi na koi hint de dena chahiye tha..

it can get very dangerous for him tonight and the people around him..

i dont think ki kamsekam physically toh utne saare logon ko handle karne ke liye capable hua hai SANVY...

VERONICA-capable..you know,SANVY ke maamle me bas ye ek hi shabd hai jisse mai bhi darti hun..

kitna capable hai woh,even i cannot predict...

haan ARIF armed hoga par "jisse goli ki raftar ka andaza ho, woh bandhook se ghabraya nahi karte"...

aur haan uske paas kaafi man power hogi par"jung TAADAAD se nahi balki bas us ek AGHAAATH se jeeta jaata hai jo lage ek ko par taash ki tarah bikhar sab jaayen"...

ab dekhna ye hai ki mera beta aaj sirf haath pair chalata hai ya woh dimag jiske baad zyada haath pair chalane ki zaroorat hi naa pade...

PLACE-MOSSY FALLS....

KUCH HUA HAI KYA TUMHARE AUR SANVY KE BEECH..???

apne tent me final nail maarne ke baad DIMPLE joki ek chair par baith saamne dekh black tea pee rahi thi,uske paas jaa pucha tha ye sawal SAM ne jispar halki hadbada gayi woh...

par us hadbadahat ko chehre par aane nahi diya usne..

DIMPLE-aisa kyun laga tumhe...???

SAM-mujhe..!!!sabhi ko lag raha hai aisa... educational trip par hain hum par tum jisse kisi bhi educational topic par extra attentive hone ki aadat hai, morning se shaam ho gayi infact dhal gayi par sabse zyada distracted tum hi lag rahi ho..

hamare group se bhi alag alag rahi ho tum saara waqt...

pure din tumhari nazar baar baar sirf SANVY par hi theher rahi hai...

par uske paas jaane ke bajaye bas door se hi dekh rahi ho usse tum...

abhi bhi tum usse hi dekh rahi thi..

so,is everything alright...!!!

DIMPLE-group se alag toh pure din SANVY bhi raha hai..

infact ashram aate hi alag ho gaya tha woh sabse... aur aashram se nikalne ke baad bhi kuch ghante gayab raha tha woh..

abhi bhi baaki sab yahan tents laga rahe hain, waterfall dekh rahe hain par woh udhar fall ke edge par khada pattharon ke beech pata nahi kya dhund raha hai..

in sab par kisine sawal kiya usse..!!!

SAM-hahaha...tum new ho is group me DIMPLE warna ye saare sawal nahi puchti...

pehle bhi kaha hai maine ki SANVY has many shades and every shade is unpredictable..

ACHARYA PRATHAMESH jaise renowned shaksh pehle se jaante hain usse, woh bhi itne friendly way me...ye toh hum mese koi bhi nahi jaanta tha..

par us angle ke hisaab se ashram me bhi kaafi baar aaya hoga woh..

kuch connection bane honge wahan.. shayad aise hi kisi connection ke paas chala gaya hoga woh..

aur rahi baat yahan uske alag ghumne ki toh woh shuru se aisa hi hai..

pehla camp nahi hai ye hamara..par jab bhi nature ki godh me camping ki hai humne,us jagah me milne waali rare chizen dhundne ki aadat rahi hai usse...

i am sure ki abhi bhi wahi kar raha hai woh..

SAM ke jawabon ko sun SANVY ko dekhte hue jo waterfall ke left edge par bane ek chattan par baitha hua tha, dekhne lagi thi usse DIMPLE...

SAM-now your turn...

DIMPLE-koi issue nahi hai...me and SANVY are good..woh toh bas jaise tumne kaha ki he is unpredictable,ussike baare me soch rahi thi mai..

SAM-morning se woh bhi aise ki tumhara khud par focus kam ho gaya...

DIMPLE-classes se zyada tough aur interesting study toh ye ladka hi hai...

kab kya kar de, kaise kar de,koi nahi jaanta.. kabhi lagta hai ordinary se bhi zyada aam hai, kabhi annoyingly irritating lagta hai par kabhi kabhi itna zyada intellectual jiske aage genius bhi average lage...

ANJALI-well that's SANVY for you...bas saath raho aur khush raho.. jahan usse samajhne ki koshish ki toh khud ke baare me bhi bhul jaaoge...

DIMPLE ke baaton ke dauran uske aur SAM ke paas pahunch gayi thi ANJALI jisne DIMPLE ki saari baat sun apni raay di jispar has pade SAM aur DIMPLE..

ANJALI-yaar SAM,chal naa zara..born fire jalana hai aur ye sab nitthale pichle 10 minute se bas time paas hi kiye jaa rahe hain..

ek lakdi bhi naa jal rahi un sabse..

ladko ka ek group jinhone ek badi aur heavy born fire wood taiyar ki thi,usse jala nahi paa rahe the woh sab..

SAM-chal...you coming...!!!

DIMPLE-you guyz carry on..aati hun mai...

jahan ek taraf SAM aur ANJALI born fire ki taraf nikal pade wahin ek baar SANVY ko dekh ussiki taraf apne kadam badha diye DIMPLE ne...

DIMPLE-can i also sit here...

MAI-sure...

chattan ke left edge par hi baitha tha mai ko tabhi mere baaju me aakar khadu hui new girl ko dekh right ki taraf khisakta chala gaya mai jiske baad mere baaju me baith gayi woh...

DIMPLE-SAM bata raha tha ki kisi bhi nature oriented place me wahan moujud rare chizon ko dhundne ka shouk hai tumhe..

aur ye bhi suna hai maine ki herbs ke baare me achi khaasi knowledge hai tumhe...

toh yahan kuch mila tumhe..!!!

MAI-pehli baat ke aage SAM lagaya tumne par dusri baat ka adhaar nahi bataya...

meri baat par ek pal dekha new girl ne mujhe par nazar meri saamne hi thi...

DIMPLE-ACHARYA PRATHAMESH ne bataya tha mujhe,class ke baad...

MAI-kyun...???

DIMPLE-kyun matlab..!!!

MAI-bohot se sawal hote hai is KYUN ke piche..!!!

DIMPLE-jaise ki..!!!

MAI-jaise ki KYUN batana padha unhe...koi toh sawal kiya hoga na tumne unse...

DIMPLE-haan,tum ashram ke kisi bhi department me nahi dikhe the jiska reason pucha tha maine unse..

tab baaton baaton me bataya tha unhone ki you have a good knowledge about herbs...

MAI-hmm..KYUN dhund rahi thi tum mujhe i mean specifically mujhe...

DIMPLE-aisa nahi hai...tumhari jagah group ka koi aur bhi yun missing hota toh puchti mai..

MAI-aur jawab milne ke baad,you would have moved on with your work... right...!!

DIMPLE-ofcourse...

MAI-phir bhi ACHARYA PRATHAMESH ke saath VRIDHA VAAS,room number 20 ki khidki ke bahar khadi thi tum...

again KYUN...!!

meri aakhri baat sun jo hadbadahat uthi thi new girl ke man me usse chehre par aane se rok nahi paayi thi woh...

nazar halki neechi ho gayi thi uski jispar..

MAI-jo dikhayi tumne woh jigyasa thi aur jigyasa rakhna kabhi GALATH nahi hota..

haan,us jigyasa ka kaaran khudko pata hona zaroori hai...

i hope jo bhi tum jaanana chahti thi,usse jaanane ke piche ka sabse zaroori prashnavaachi shabd aur us shabd se judi bhaavna ke baare me pata hai tumhe..KYUN....

KYUN....wakayi ye ek shabd ka sawal aur sawal se judi bhaavna naa samajh paayi thi DIMPLE ab tak..

KYUN subah se dhund rahi thi uski aankhein SANVY ko...choti ho ya badi, apni har ladhaayi khud ladhne ki aadat hai usse.

madad ke liye bhi kisika interference pasand nahi DIMPLE ko par aaj morning me KYUN yog class ke waqt jab KIRTI ne ink spill ki uske mat par toh SANVY ke us point me kiye dakhal ka bura nahi laga tha usse...

KYUN ACHARYA PRATHAMESH se SANVY ke baare me jaanane ke liye bechain thi woh aur jab mil gaya usse uske puche sawalon ka jawab toh khatm hone ke bajaaye KYUN aur badh gayi thi uske man ki bechaini...

aur VRIDHA VAAS me jo kuch dekha usne,jo kuch jaana uske baad se hi KYUN uski aankhein bina uski ijazat sirf SANVY ko dekhna chahti thi..

itne der tak sabar karne ke baad aakhirkaar KYUN woh SANVY ke paas aane se rok nahi paayi..

KYUN...???KYUN ka kaaran clear nahi tha DIMPLE ko aur isiliye man ki bechaini face par dikhne lagi thi uske..

mai kaise dekh sakta tha uske face ki tention isiliye...

MAI-SPRAY CLIFF PLANTS... aise hi waterfalls ke paas ugne waali herbal plant hote hain ye..

waise hi kisi plant ko dhund raha tha yahan mai...

meri baat se apni soch aur man ki unrecognised bechaini se bahar aayi new girl.

DIMPLE-SPRAY CLIFF PLANTS..ye unhi medical plants ko bolte hain naa jo waterfall ke paas ya river banks me paaye jaate hain jinpar water ki continous spraying hoti hai..

MAI-right.. continous water spraying se pehle se hi herbally rich plants me endophytes as in micro organisms jinhe yahan PAADPI bolte hain, paida hote hain jo un plants ko pure herb me convert kar dete hsin..

DIMPLE-nice..toh mila kuch..!!

MAI-new girl ka sawal khatm hua hi tha ki ek chote se poudhe jiska stem toda tha maine,usse new girl ki taraf kar diya jisse hold kar liya usne aur bade gour se us chote se poudhe ke bhaag ko dekhne lagi woh..

mongre ki hi tarah par halke pink tarah ke chote chote phool uge hue the us stem par jinke ird gird patle patle patte nikle hue the...

DIMPLE-kya bolte hain is poudhe ko...

MAI-BOYKINIA ACONITIFOLIA... globally yahi bulaate hain inhe...

aur ye lage hain inme endophytes..

un light pinkish flowers ko ulat unke neeche ke bhaag ko dikhaya maine jahan bhoore rang ke un endophytes naamak micro organisms lage hue the..

DIMPLE-what does this plant cure...???

MAI-it helps with a lot of viruses..

maleria, bacterial and fungal diseases and even skin cancer...

DIMPLE-wow....

ek pal aur us plant ko dekhne ke baad mujhe dhyan se dekhne lagi thi new girl...

MAI-what..!!!

DIMPLE-who are you...???

MAI-woh soch jo kisi bhi soch ko sochne par majboor kar de..

masti me halka new girl ki taraf jhukte hue kahi thi maine ye baat par uske facial expressions ko change nahi kar paaya mai..

ektak mujhe dekh hi rahi thi woh par kyunki ye pehli baar tha jab new girl aur mai yun akele aas paas baithe the aur hamare chehre thode aur kareeb the,uske beintahan khubsoorat chehre ko bade dhyan se dekh nahi balki mehsoos kar paa raha tha mai..

aur kyunki jharne ke kareeb the hum jahan girte paani se banane waala dabaav hawa ko thoda tez bahata tha,us thande hawa ke saath new girl ke garm saanson ki mehek bhi mere chehre par padh rahi thi...

chehra mera bhi saamanya bana hua tha par us thandi hawa me lipte garm saanson ka asar kuch zyada hi gehra hu utar raha tha mere seene me...

aur us asar ka pratibimb meri aankhon me shayad dikhne laga tha..

yahi wajah thi ki mujhe ek tak dekh rahi new girl ke face par haya ki woh laali panapne lagi jiska andaza ek baar phir usse nahi hua...

sawal,jigyasa aur taarif ke mishrit bhaav se bhara uska rukhsaar ek pal me sharm ke us shringar se bhar utha tha jiske chadhne ke baad hi shayad kisine ladki ki tulna chaand se ki hogi..

pasand toh bohot aaya tha mujhe uske chehre ka ye bhaav par maalum tha mujhe ki ye bhaav new girl ke liye naya hai..

par taklif ye thi ki dimag mujhe zaroor uthana chahta tha par dil mera yahan se uthne ko taiyar nahi tha..

BEEP..BEEP....BEEP....BEEP...

mere haath me bandhe smart watch ka hour reminder baj utha tha jisne ek taraf new girl ke bhaav turant badal diye aur dusri taraf mai bhi apne watch me jispar is waqt 7 baj rahe the, dekhte hue khada ho chuka tha...

MAI-chalen...dinner ki responsibility students ne li hai..

baaki sab uske prep ke liye kuch na kuch kaam kar rahe hain,bas hum dono hi velle baithe chill kar rahe hain...

mouka mil jaayega phirse miss KIRTI ko taunt maarne ka...

DIMPLE-mujhe toh laga tha ki woh darti hai tumse..

MAI-jo GALATH hon,woh har SAHI se darte hain..

but the thing is ki uske dare thobde se mujhe constipation hoti hai jo raat ke waqt theek nahi...

hahahaha....

shaam dhal chuki thi.. andhere ne har taraf apni baahein faila li thi par new girl ki is khilkhilati smile ne jaise kuch palon ke liye har dark ko bright kar diya tha...

wahin apni baat bol mai piche ki taraf jump laga born fire ke taraf badh chuka tha aur mujhe piche se haste hue jaata dekh sir shake kiya new girl ne aur chattan se utar woh bhi meri disha me holi thi..

aur is pure dauran bas ek hi shabd nikla tha uske zubaan se...

DIMPLE-"JHALLA"...

JHARIPANI JUNGLE:-

BHAI,LADKO NE PURA JUNGLE CHECK KAR LIYA HAI, KAHIN BHI KOI AUR NAHI HAI..

BAS SIRIUS KE STUDENTS AUR TEACHERS HI HAIN IDHAR...

phone ke dusri taraf moujud ARIF REZA ko current situation bataya tha MANGAL ne..

aaj subah se hi SIRIUS ke students ke aas paas ghum rahe the ARIF ke bande..

yahan camp area me un sabke aane ke saath hi woh sab bhi ek distance maintain kar pahunche the aur aisa karne ke turant baad jaisa ARIF ne karne ko kaha tha,kiya tha MANGAL ne..

apne bando se pure jungle ko check karwaya tha usne...

Tunnel waale unknown rider aur uske logon ka dar jo tha ARIF ko par ab jo MANGAL ne kaha,usse sun khush toh hua hi woh par saath hi hairan bhi..

ARIF ko pura yakin tha ki VERONICA ki tarah uske ladke ko bhi protection zaroor mili hogi...

isiliye hi 50 se zyada armed bande bheje the usne MANGAL ke saath...

ARIF-theek se check kiya hai naa..!!!jo banda ek 25 feet chowdi jagah aur 24/7 active c.c.t.v camara se khudko chhupa sakta hai usse pure jungle me khudko aur apne logon ko chhupaye rakhna koi badi baat nahi hai..

MANGAL-baat bilkul sahi hai bhai aapki par mai guarantee deta hun ki aur koi bhi yahan jungle ke aas paas toh chhodiye door door tak nahi hai...

ye jungle ghana nahi hai bhai,upar se zyada bada bhi nahi hai...

din me aaye the hum sab idhar..

yahan khudko chhuppaye rakhna woh bhi 50 logon se naamumkin hai...

3 round laga chuke hain saare bande par koi nahi dikha kisiko..

abhi bhi 20 bando ko jungle ke saare borders par hi lagaya hain maine taaki agar koi aaye toh pata chal jaaye mujhe...

ARIF-aa raha hun mai...

MANGAL ki saari baaton ko sun chain aur content bhari saans chhodi thi ARIF ne jiske baad uske zehen me bas DIMPLE ka husn aur VERONICA ne jo kiya,uska badla hi chalne laga tha..

zyada door nahi tha woh is waqt jungle se aur ab MANGAL ke through situation jaan sabr nahi ho raha tha usse...

wahin ARIF ki baat ke beech thodi door se ek banda apni taraf aata dikha MANGAL ko..

ek pal ke liye satark hua woh par phir at ease ho gaya.

ussika ek banda tha ye jisse khaaskar bas ANJALI ke upar nazar rakhne ka kaam soumpa gaya tha...

MANGAL ke kareeb pahunch uske free kaan me kuch kaha usne jisse sun..

MANGAL-aaiye bhai...aate hi chaara ready milega aapko..

jahan MANGAL ki baat ka matlab samajh ek kamini hasi ke saath phone rakh diya ARIF ne wahin woh banda abhi abhi koi khabar di thi MANGAL ko,apne kuch saathiyon ke saath uske piche ek disha ki taraf ho liya woh...

PLACE-NEAR UP HILL WATERS

YAAR ANJALI,YAHIN HALKI HO JAA NAA...

camp area se lagbhag 100 metres door aa chuke the ANJALI aur 2 girls...

un 2 girls me se ek ne kahi thi ye baat joki laazmi bhi thi..

raat ka waqt tha isiliye yun jungle me chalna halka dara tha usse aur uske saath aayi ladki ko..

ANJALI-arre darne ki kya baat hai.. chandni raat hai,the view us clear..

and babes hamare school ke ladke bhi kuch kam kameene nahi hai...

koi piche aaya ho aur hum idhar hi pee karne baith gaye toh yahan trees ki aad se hamari pics badi asaani se lega koi bhi..

isiliye UP HILL hi chalte hain..

(NOTE:-UP HILL WATERS..ek slang interpretation combined word hai ye... water falls ke us upari area ko jahan se neeche tez bahav ke saath girte paani ke gehre hone ki wajah se tourist attraction nahi rehta,us hill point ko kehte hain UP HILL WATERS...)

ANJALI-waise bhi we are not far..woh bushes ke piche hi hai yahan ke UP HILL WATERS..

ek taraf ungli dikha kahi thi ye baat ANJALI ne.

ab haan chandni raat thi isiliye view zaroor clear tha par saath hi saath ye night view kuch normal chizon ko dangerous bhi bana raha tha jaise ki woh bushes jinki taraf point out kiya tha ANJALI ne...

bade gigantic aur darawane lag rahe the woh bushes jinhe dekh un dono ladkiyon ka confidence aur neeche ho gaya..

2ND-yaar ANJALI yahin pee kar lete hain naa...koi follow nahi kar raha hume..

1ST-haan yaar..camp area se itni door aana,i don't think it's safe...

ANJALI-arre bewajah dar.......

piche palaththe hue apni baat ko beech me hi rokna pada tha ANJALI ko..

REASON...

JAB DOST SAHI SALAH DE TOH MAAN LENI CHAHIYE..

apni baat ke beech ek aadmi jiske side me ek aur aadmi tha,un dono ne uski dono friends ke mooh par rumaal lagaya hua tha jiske baad khade khade hi behosh ho neeche ludakh chuke the woh dono..

un do bando ke piche 3 bande aur the jinme se ek ne jhuk kar dono ladkiyon ki saansein check ki..

1ST-tention naa lo MANGAL bhai...roz ka hai apna..

halka sa hi chloroform ragda tha rumaal par..kuch nahi hoga inhe..ghante do ghante tak hi behosh rahengi dono loundiya...

us aadmi ke baaton ke beech ANJALI jiske face par shocking expressions the, woh dheere dheere side ho rahi thi par MANGAL ki chaaron saathi attentive the isiliye un sabne bhi turant failte hue block kiya ANJALI ka rasta...

ANJALI samajh chuki thi ki woh camp waali jagah ki taraf bhaag nahi sakti thi.

HILL POINT ke behadh paas thi woh jahan paani ka tez shor tha..

camp zone bhi ab 120 se zyada door tha isiliye uske chillane ka bhi koi faayda hona tha nahi..

isiliye apna ek maatra option jo abhi ke liye sahi laga usko,hill point water ki taraf palath bushes ki taraf bhaag padi woh aur ye dekh MANGAL aur uske chaar saathi bhi uske piche doud pade..

kuch hi palon me ANJALI aur uske piche piche MANGAL aur uske saath bushes paar kar uske piche bane chattan jispar water flow hote hue neeche gir raha tha,wahan pahunch chuke the..

un pattharon ke ek edge par jo thoda upar tha aur isiliye water flow us point par behadh kam tha ,khadi thi ANJALI jisse dekh has pade woh paanchon ke paanchon..

ANJALI-who the hell are you...!!! aur mere frnz ko behosh kar mujhe yun surround karne ka kya matlab..!!

waqt hai abhi bhi,nikal lo chupchap warna..

1ST-ohohohoho... wakayi bhai..jitni kadak maal hai,zubaan bhi utni hi tikhi hai...

maza aayega is laal mirch ko chakhne me..

MANGAL-rook be... chakh lena jitna man kare par pehle plan aage badh jaane de...

ANJALI-plan...???kya plan...!!!

2ND-wahi plan jiske kaaran tujhe yahan ghera hai humne... aur tu plan ki nahi plan pura hone ke baad jo hoga,uski fikr kar kyunki...

ab se tere saath hum sabki kayi raatein RANGEEN HONGE...

tere honth ki chashni se meethe toh kabhi tere pasine se humare jeebh NAMKEEN HONGE...

tu jisme fasi hai abhi woh kaanta nahi teer hai..

jo chala bhale hi tujhpar hai par shikaar ek ya do nahi balki TEEN HONGE...

(THE NIGHT CONTINOUS)

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J
 
Top