Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Newbie
84
31
18
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FUTURE GLIMPSE ME DIMPLE SANVY KO JAAN SE MAARNA CHAHTI HAI WAHIN DUSRI TARAF FLASHBACK CONTINOUS SCENE ME SANVY DIMPLE KO FIGHTING TECHNIQUES PAR TRAINING DENA START KAR CHUKA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-59

DATE- AUGUST 4


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





ABBE LOUDE....!!! KAHAN GAYAB REHTA HAI TU AAJ KAL...!!!


morning essembly ke liye apne class ke line me khada hua hi tha mai ki mera swagat peeth par ek mukke ke saath shudh vaani ke saath kiya tha NITS ne..


MAI-abbe tera mooh ke ki frenchie gaandu..jab bhi khulta hai,louda hi nikalta hai...

NITS-topic mat badal chutiye aur sach bata...har shaam kahan mara raha hai tu aaj kal..

ground me thobda nahi dikha raha apna aur ghar jaao toh udhar se bhi gayab rehta hai tu...

SAM-true...pichle week se kal tak 5 ya 6 baar call kiya hai maine but har baar aunty ne bataya ki bahar gaya hai tu...

kahan ghum raha hai tu aaj kal...

RAJAT-meri baat hui thi parso phone par kamine se but bulaya toh taal diya saale ne...

SONU-ssame mmrre kko bbhi bbola harami nne...2 bbaar bbaat hui hai isse ppar hhar bbaar mmilne kko taal ddeta hai bhosdika..

MAI-abbe morning essembly ke liye jama hue hain ki inquiry essembly me...

NITS-phir baat palta be...

EKPREET-ladki ka chakkar toh nahi hai re babu bhai...

NITS-louda ladki..armaan aur lund, dono hi dheele hain saale ke...

RAJAT-armaan ka toh theek hai,lund ka detail kaise maalum be tujhe...

MAI-liya hai na kayi baar mooh me isne...khada nahi kar paaya isiliye chidh gaya hai bechara..

NITS-jo puch raha hun,batana chhod bakwas hi kiye jaa raha hai..bhosdike,lund kaatke tere hi pichwade me ghusa dunga..

MAI-tere jaise shouk nahi hai be mere..aur lugayi hai kya be tu meri jo mere where abouts jaane hain tujhe...

RAJAT-baat toh ye bhi sahi hai...aur ek baat bata,pehle bhi apne me magan hoke kayi kayi din gayab raha hai ye par tab toh kabhi sulgi nahi teri,phir aaj kyun itna fadfada raha hai tu...

MAI-aur kyun...??? cricket me sharth lagayi hogi aur haar gaya hoga chutiya...aur jaisi sulag raha hai,pakka indu eye ke loundon se haara hai ye...

SONU-hahaha..ssahi bbola bbe..ppure 1000 rrs ggaye jjo akkele llagaya ttha issne.. woh ggaye ttoh ggaye,bbhaari bbeizati kki isski un lladkon nne,wwoh alag...

MAI-ab jo boega,wahi toh paayega...har baar unke haarne me kam li hai isne un sabki..

kitni baar mana kiya maine par saala bhounkna kabhi nahi rooka iska...

ab beizati ke badle guard of honour toh denge nahi woh sab..

par maanana padega,

loundon ne ek baar me hi kya KAMAAL kar diya...

bin chhue hi iska pichwada LAAL kar diya...

HAHAHAHA...


jahan meri baat par baaki sab has pade the wahin NITS ki pehle se hi sulgi hui jhaanton me jaise aag lag gayi..

nathune phula k aur mukka mere peeth par jamaane ke irade se haath uthaye hi the usne ki tabhi...


GOOD MORNING STUDENTS.... IT'S TIME TO START TODAY'S ESSEMBLY...


CHOUBEY MISS.....assembly lene ki zimmedari unhi ki thi jisse nibhaane ke liye kuch selected students joki newspaper reading,news elaboration,food for thought of the day, explanation,pledge, GOD'S rhymes,ye saare essembly me hone waali activities karwate the,un sabke saath aakar stage par khadi ho chuki thi...

MISS ke bolte hi newspaper reading ke saath ek student ne essembly start kar di thi jiske baad baaki activities bhi run hone lagi.

theek 15th minute me hum sab essembly ka final part,national anthem gaa rahe the jiske khatm hote hi CHOUBEY MISS aur unke aage khade students stage se utar gaye..

aisa hona,sign tha hum sabka in line class ki taraf badhne ka jo hum karne ke liye palath bhi gaye the ki tabhi...


GOOD MORNING STUDENTS...

SAB-GOOD MORNING MA'AM..


PRINCI thi ye jinke stage me chhadne ka bas ek hi reason ho sakta tha aur tha bhi...

ANNOUNCEMENT...

PRINCI-it's early days for this on going academic year but there's a news,which is big...

SIRIUS as in hamare school ki history aap sabko pata hai...1921, JUNE 16 was the first day of this prestigious school's origin calander year...

but is school ka asal birth date hai 2ND OF JANUARY,1921...

that's the date when our school was registered as a learning institution...

matlab ki is academic year ke second part matlab 2nd january ko our school will hit it's century...

isiliye to honour that historical land mark,is baar ka ANNUAL SCHOOL SPORTS MEET 2ND JANUARY se hi rakha gaya hai...

CLAP,CLAP,CLAP...

PRINCI ki baat sun pura ESSEMBLY HALL tex taaliyon kk gadgadahat se gunj utha jo ye batane ke liye kaafi tha ki students kitne zyada thrilled feel kar rahe the...


PRINCI-wow..now that's some enthusiasm and that too for just the half news...

now for the remaining half,this sports meet is going to be historical..

kyunki on the auspicious occasion of school completing it's successful 100 saal, hamare beech ek guest of honour hone waale hain...

a person who has contributed a lot in making this honourable institution achieve glory on national platform..

a person jinke jaisa lagbhag SIRIUS ka har student banana chahta hai..the brightest student till now that SIRIUS has ever produced and to add,one the honourable trustee of this institution...

MR JAIDEN CHOWDHARY....

WOOOOO......CLAP,CLAP,CLAP....


excitement, thrill, anticipation..har adrenaline rush se bhar utha tha students ka brain..ek loud hoot ke saath is baar taali aisi baji ki pura ESSEMBLY HALL halka shake sa ho gaya tha..

ab baat hi aisi thi..JAIDEN CHOWDHARY...woh naam jisse admire yahan ka lagbhag har student karta tha..he was like a GOD to the students of this school...

jisne school aur phir college me beshumar naam kamaya aur phir rooka nahi..

aaj JAIDEN CHOWDHARY ka naam globally successful people's ki list me gina jaata hai...

he is a big fish aur SIRIUS naam ke samandar me toh he is like a whale jiska kadh abhi tak koi paar toh kya,match tak nahi kar paaya hai...

JAIDEN CHOWDHARY ka last SIRIUS visit 8 saal pehle ka tha which means ki current lot of students ke liye ye first time hone waala tha jab woh apne role model ko live dekhne waale the...

aise me excitement toh hogi hi..

yahi wajah thi ki announcement kar PRINCI jaa chuki thi jiska matlab tha ki students ko class ke liye head karna shuru kar dena chahiye tha, but aisa hua nahi tha..

apne apne groups me saare students bas abhi abhi mile news par hi discussion me lage hue the..

aalam ye tha ki teachers mic par kayi baar students ko class ki taraf badhne ka bol chuke the but us loud sound ko jaise students ne suna tak nahi tha...

sirf ek news di PRINCI ne aur usse aisa chaotic aalam tha...

isse saaf pata chal raha tha ki batayi gayi date,aaj se paanch mahine baad jab 2nd January aayega,toh kaisa hoga mahoul SIRIUS ka aur kya impact paida karega sirf ek naam...

JAIDEN CHOWDHARY...





IN EVENING:-

PLACE-ANUPAM GARDEN




HI...THANKS AANE KE LIYE...


ek bench par baith mera hi wait kar rahi thi new girl aur mujhe dekh ek pyari si friendly smile naach uthi thi uske face par...

par maine kuch kaha nahi, bas uske face ko dekhne laga ya phir ye kahun ki observe karne laga...


DIMPLE-kya hua..!!!???

MAI-tumhare forehead ke invisible marks checkout kar raha hun...

DIMPLE-excuse me...!!!

MAI-hmm...31st july ko tumhare face ke seriousness ka layout change hua tha which became more intense on the first of august...

par woh seriousness tension ki shakal me badla 2nd ko jisse tum pichle 3 din se chuppane ki koshish kar rahi ho but it keeps coming at your face with lines on your forehead...

DIMPLE-kya baat hai..!!??? behaviourist ka carrier pursue karna chahte ho kya future me...!!

well,i can say,you will flourish...

MAI-sense of humour shuru aankhon se hota hai aur pure face ko capture karta hai..

par abhi tumhara mazak cheeks se shuru hua par aankhon tak ka safar pura tak nahi kar paaya...

matlab physically bhale hi tum yahan mere saamne ho par brain tumhara abhi bhi kahi aur fasa hua hai...

DIMPLE-i will rephrase my words...tumhe as a behaviourist carrier banaane ki zaroorat nahi hai..

you already are one....

MAI-now you are ready..shoot...

DIMPLE-matlab...!!!

MAI-finally,apna everything is cool waala guard down kiya tumne...


meri baat par kuch seconds ka pause lekar mujhe dekhti rahi new girl aur phir...


DIMPLE-that PERFECT HIT technique with that salad slicing training...in paanch dino me mai kahin nahi pahunchi hun mai usme..

naa angles accurate ban rahe hain aur naahi hand pressure sahi baith raha hai...

uncountable tarike use kar chuki hun but square one se aage badh hi nahi paa rahi..

MAI-par frustration lagatar badhti jaa rahi hai..!!!!


meri baat par kandhe halke upar kar thoda extra neeche gira diya tha new girl ne...


MAI-new girl...har activity me first...apne reach ko naye levels tak le jaane me yakin rakhti ho tum...

har foreign aur unknown game ko apna game banaati aayi ho tum par babes,jo tum sikhne ki koshish kar rahi ho,this is a completely different ball game all together..

DIMPLE-i know...but 6 hours per day try karne ke baad bhi mai technique aur training ke base tak ko touch karne ke kaabil nahi ban paayi hun...

MAI-champ hone ke bohot se faayde hote hain par saath me ek nuksaan bhi hota hai...

brain tuning.. tuning of a winner...har nayi chiz ko crack karne ka pattern jo automatically set ho jaata hai brain me..

par jo tum mujhse sikhna chahti ho,uske liye kisi winner ki nahi,balki looser pattern ki zaroorat nahi...

DIMPLE-looser pattern..ab woh kya hota hai...??

MAI-maan lo do categories hain..ek me pilots,astronauts, doctors,engineer,sportsman, entrepreneurs aate hain aur dusre me cook, ballet,waiters, vendors, washerman (dhobi) hain...

dono catagories mese kissi ek ko maanana ho toh kisse looser catagory maanogi...??

DIMPLE-the second one...

MAI-right..!!! pehle catagory waale logon ko unke kaam ke liye extreme focus ki zaroorat padti hai par second catagory ke liye aisa nahi hota..

they take everything very causally.. phir bhi,there work, it's near to perfect..

for example valet..car ford fiesta ho ya Lamborghini...they drive and park it with supreme confidence..

jis tarah woh cars kaaththe hue,slide karte hue speedily but unharmed exact parking spots me rokte hain,un cars ke owners bhi waisa nahi kar sakte..

aur itni perfect driving skills sikhne ka vallet boys ka approach casual hota hai..

car kitni hi mehengi kyun na ho,r.p.m, displacement timing kitna hi pacey kyun na ho,unke liye,woh sirf ek car hoti hai...

same goes for waiters...apne ghar ke plates jinka rakh rakhaw hamesha steady aur ek sa hota hai,usse bhi thik se uthaane aur wapas rakhne me kabhi kabhi chook ho jaati hai humne but experienced waiters baar baar badalte restuarants ke interiors ke baawjud bina zyada dhyan diye hue bhi dish full aur without dish saare plates aise serve aur withhold karte hain maano magnet lage hon unke aur plates ke beech...

geometry compass lekar nahi baitthe we saare log aur naahi accuracy ke baare me zyada sochte hain but phir bhi perfection haasil hota hai unhe because...

DIMPLE-casual approach and completely unknown surrender..

MAI-right...


meri baat ya phir correct word use karun toh tip ko kuch kuch samajh gayi thi new girl..


DIMPLE-casual approach toh samajh gayi mai but woh second term.. completely unknown surrender...!!!

ye kaise achive kiya jaaye..i mean for me, surrender means loosing aur aisa...

MAI-kabhi hua nahi tumhare saath..i know...

but the thing is..

"the term winning triggers brain whereas term loosing hinders heart..."

DIMPLE-brain, heart!!!i don't get it...

MAI-apne dimag ko samajhti ho tum kyunki uske liye hamesha honest rahi ho,par jo tum sikhna chahti ho,uske liye tumhare dil ka tumhare body se synchronize hona compulsory hai..

that leads to the main question..

kya tum apne dil ko samajhti ho...!!!

DIMPLE-dil ko samajhna bhi padta hai,mai toh ye term hi pehli baar sun rahi hun...!!!

MAI-matlab nahi samajhti...fine,ye batao ki kya kabhi aisa situation create hua hai tumhare saath jisme aisi feelings create hui hain jo foreign hon..!!

jinhe samajhne ki koshish ki hain tumne par you have failed...

DHAKKK....


meri baat par dil dhakk sa kar gaya tha new girl ka...

REASON....

unknown feelings ke baare me woh puch raha tha usse jiski wajah se hi un foreign as in unknown feelings ne janm liya tha new girl ke dil me...

face ek second ke liye hadbada sa gaya tha new girl ka jisse dekh smile diya maine par ye dekh halki frustrate ho gayi new girl aur...


DIMPLE-whats the point of all this..waise bhi, it's the brain that matters..kyunki pure sharir ko command wahi deta hai..

MAI-aur dil surrender karta hai taaki brain commanding position ke liye qualify kar sake...

bottom line,aaj tak focus tumne sirf dimag se kiya hai,par ab dil ki baari...

training ke waqt ease your brain and just train...let your heart take control...

DIMPLE-aur kaise pata chalega ki brain nahi,heart work kar raha hai...???

MAI-fail hone par frustrate hoti aayi ho,par jab har naakamiyabi me face par smile aane lag jaaye toh samajh jaana,naa sirf heart us haar ko enjoy kar raha hai balki next attempt ke liye tumhare body ko automatically but most importantly, positively taiyar bhi kar raha hai...

DIMPLE-wow,sunane me jitna easy lag raha hai,jab deep socho toh karna utna hi hard ban jaata hai..

MAI-again it's your brain that's talking.. kyunki dimag sochta hai,dil mehsoos karta hai..

DIMPLE-and that's the main problem...ye mehsoos karna, it's not my cup of coffee...

MAI-than let's make some...

DIMPLE-really..!!!how..??

MAI-time kya hua hai...!!!??

DIMPLE-it's 6.30..

MAI-perfect..aao...

jahan apni baat bol ek disha ki taraf badh gaya mai wahin new girl bhi confused state me mere piche ho li thi...

DIMPLE-yahan kya hai...???

MAI-kya nahi,kaun..


park ke south east taraf jahan thoda aage fountain laga hua tha, pahunchkar rooke the hum..

new girl ke sawal par jawab de ussi fountain ke seedh me ek bench ki taraf jispar is waqt do old couple baithe hue the, finger point kiya maine...


DIMPLE-who are they..!!!

MAI-may i have your phone....!!!


waise kisi ladki se uska phone lena ill manners kehlata hai but ab tak guzaare waqt me DIMPLE ko SANVY ke manners and most importantly character par bharosa toh ho hi gaya tha isiliye bina kuch bole apna mobile mere haathon me thama diya...


MAI-SAMSUNG GALAXY Z FOLD 2....7.60 display,android 10 os, capacity 4500 mah,12gb ram,256gb storage,qualcomm snapdragon 865+ processor....strange....

DIMPLE-wow...for a person jo mobile carry nahi karta, that's quite a surprising tech knowledge...

waise phone pasand aaye toh good aur naa pasand aaye toh aksar not good bolte hain log..

ye "strange" gesture pehli baa suna hai...

MAI-hamare desh me is phone ka launch date next month ka hai... isiliye strange...

DIMPLE-south korea me ho chuka hai...

MAI-perks of being a billionaire...


mere is gesture par bas halka sa smile kiya new girl ne aur...


DIMPLE-ab bataoge bhi ki us old couple ko kyun point out kiya tumne..

MAI-taaki tum match kar sako...


chrome khol kuch type kar phone new girl ke saamne kiya maine...

DIMPLE-wooo..ye toh wahin hain naa..


new girl ke mobile par ek wikipedia page open tha is waqt jispar ek latest khinchi hui pic ke saath us male ka pura byora likha hua tha..

ye male koi aur nahi unhi couple ka hissa the jo is waqt humse kuch door ek bench par baithe hue the...


MAI-haan..MAJOR SUDHIR KUMAR JHAA...asaam regiment me appointed the ye...3 mahine pehle hi retirement mili hai inhe...

he is considered as a gem in our indian army..

DIMPLE-what's the point..!!

MAI-look at the personality page...


us wikipedia page me upari part me chote chote columns bane hue the..

ye columns SUDHIR KUMAR JHAA ke military aur social life ke alag alag muddon par gain kiye hue research the...

unhi columns me se ek par bold letters me PERSONALITY likha hua tha jisse touch kiya new girl ne aur aisa hote hi ek naya page uske aankhon ke saamne tha..

par jaise jaise ua personality page ko new girl padhti chali gayi,uski aankhein badi hoti chali gayi..

kabhi woh un words aur lines ko padhti jo us page par likhi gayi thi toh kabhi saamne baithe shakhs ko dekhti jo un lines se bilkul ulat dikh raha tha..

darasal SUDHIR KUMAR JHAA ki personality hadh se zyada strict thi...waise toh military men hote hi tough hain par according to the wordings on the page, SUDHIR KUMAR JHAA ka strictness next level ka tha..

asaam ke non stop baarish waale weather me bhi as punishment cadets ko bina kapdon ke 12,12 ghante jungle ke beech khada rakha tha unhone..

apne pure carrier me kul 5 goliyon ne unke body ko pierce kiya tha jinme se do baar unhone on the spot apne kandhe aur thigh par dhase bullet ko nikala tha...

this is not easy..infact, next level toughness chahiye waisa stunt pull off karne ke liye..

khair,hairan isiliye hui thi new girl kyunki saamne baitha shaksh us SUDHIR se bohot alag tha jiske baare me woh abhi padh rahi thi...

saamne bench par baithe SUDHIR KUMAR JHAA apni wife ko kisi baat par manaane ki koshish kar rahe the jispar unki wife bas unhe ghusse se aankh dikha rahi thi aur unke aisa karne par SUDHIR ki aankhon me geniune dar, respect aur request dikh rahi thi..

a complete 360 degree ATTITUDE change that wikipedia se unke abhi dikh rahe vyaktitv ka...


DIMPLE-is he the same person..

MAI-yup,but with a different perspective... MILITARY MAN hona aur woh bhi MAJOR,is a highly tough and respected position...

focus, winning attitude is must with that rank but abhi woh sirf ek pati hai joki apni wife se aaj ki dusri icecream khaane ki permission maang rahe hai...

par agar unhe permission na bhi mili toh bhi unke face ki smile gayab nahi hogi...

aur kal issi enthusiasm ke saath woh dobara apni wife se request karenge...

"fail hone par frustrate hoti aayi ho,par jab har naakamiyabi me face par smile aane lag jaaye toh samajh jaana,naa sirf heart us haar ko enjoy kar raha hai balki next attempt ke liye tumhare body ko automatically but most importantly, positively taiyar bhi kar raha hai..."


mere kahe woh lines ab jaakar samajhne lagi thi new girl...


DIMPLE-casual approach with unknown surrender...


apne aap hi nikal gaye the ye shabd uske mooh se jisse sun samajh gaya tha mai ki new girl situation ko samajhne lagi thi...


MAI-right...

DIMPLE-par aisa karne ke liye toh...


aage bolte hue rook gayi thi new girl par phir us pause ke baad labh dobara hile uske aur...


DIMPLE-LOVE....is feeling ka hona compulsory hai..!!par i don't have that kind of feeling for someone...

MAI-are you sure....!!!


thoda paas the is waqt mai aur new girl..sidhe uske aankhon me dekh pucha tha maine ye chota sa sawal par us sawal ko sun new girl ka dil bin puche hi race lene laga tha...

"ofcourse i am sure"...ye line bolna chahti thi new girl par labh ne jaise un lafson ka saath dene se mana kar diya tha..


MAI-i mean your mom...mere casual approach ka base meri mom hain..my true source of love..

DIMPLE-oh yaa..me too...


hadbadate hue jaise bin chhue hi apne sir par tapli maar jawab diya tha new girl ne..


MAI-great then... agli baar training ke waqt task par bina zyada focus kiye just do it..

par us time,in your heart,think about the source of your happiness..your mom...task dhang se naa bhi hua toh bhi you will not feel discouraged aur agar aisa hone laga, trust me, it's just a matter of time,you will taste success...


DIMPLE-abhi try karen...!!!


mere pure demonstration, examples aur view points ko sun sikhne aur jeetne ke liye ever ready DIMPLE BATRA ko turant action me toh aana hi tha..

jaanta ye baat mai pehle se hi tha isiliye smile karte hue apne bag pack jisse mai aise hi time ke liye lekar aaya tha,usla chain khol usme se do tomato aur utne hi onion nikaal liye maine..

wahin ye dekh hairangi se bhar mujhe dekhne lagi thi new girl jispar...


MAI-yunhi behavourist toh nahi bola hoga na tumne...


dusre chain se ek chota knife nikaal aage kar diya maine jispar mere jawab ko sun ek haath se dono onions aur tamatar ko aur dusre haath se knife hold kar ek taraf khaali bench ki taraf badh gayi new girl..

mai bhi piche hi tha uske...

taktaktaktaktak....

sabse pehle onion slice karna start kiya tha new girl ne par koi khaas fark pada nahi...

naahi sahi radius nikaal paayi woh aur naahi angles perfect ke aas paas bhi baithe..

par fail hone ke baad bhi halke smile ke saath mujhe dekh second onion try karna start kiya usne par is baaf bhi koi positive result nahi aaya.

not even a bit..

halka frustration dikhne laga tha uske face par jisse smile se cover kar tamatar ko utha liya tha new girl ne..

par kyunki tamatar naa sirf onion ke mukable kaafi soft hota hai par saath hi saath usse slice angle banana bhi utna hi mushkil hota hai, isiliye success ka chance aur kam ho chuka tha new girl ka..

aur aisa hi kuch hua...dusre slice se hi tomato ka center kuch yun jerk hua ki pura tomato hi left ki taraf jhuk sa gaya..

knife bhi tomato ke beech fas pura tedha ho chuka tha


DIMPLE-shit...


is baar frustration chhupa nahi paayi thi new girl..

knife tomato ke beech chhod diya tha usne jispar knife nikaal last bache tomato ke saath uski taraf aage badha diya maine..


DIMPLE-SANVY mai...

MAI-you can do it and you will do it..bas jo kahun mai, imandari se karo...

tomato aur knife ko hold kiye mujhe dekhne lagi thi new girl..


MAI-trust me..


mera itna kehna tha ki uske reflex action turant kaam me aaye aur agle hi pal tomato bench par rakh knife uske upar laga diya tha new girl ne...


MAI-aankhein band karo and just slowly fast forward all the people you care about..the people you love...

aur jis shaksh ko dekhte hi you feel solace,calm, relaxed,uspar eye image pause kar start slicing the tomato...


meri baat aur tarike par zyada confidence nahi tha new girl ko par phir bhi jaisa kaha tha maine,kiya usne..

aankhen band kar apni mom se start karte hue jitne log close the uske,one by one,un sabke chehre imagine kar dekhne lagi thi new girl...

band aankhon ke beech uski left se right ghumti putliyan saboot thi is baat ka...

waise toh un saare chehron ko dekh acha hi lag raha tha new girl ko par jis sukoon ki talash thi usse,woh haasil nahi hua tha ab tak usse par tabhi...

har 5 seconds me left se right ghumti putliyan achanak se theher gayi thi new girl ke...

par kamaal ki baat ye thi ki uske aankhon ke saamne kisika chehra nahi peeth tha..

woh peeth joki pure body ke saath constantly move kar raha tha..

aisa lag tha maano new girl ko cover me rakh koi ladhayi kar raha ho..

halka daba diya tha apni band aankhon ko new girl ne maano us shakhs ko apni taraf palatne ki koshish kar rahi ho aur tabhi..

band hone ke baawjud aisa laga jaise new girl ki aankhon ki putliyan khul si gayi hon...

reason...

woh shaksh palath jo gaya tha aur aisa hote hi sirf us shaksh ka nahj balki chal raha pura scene clear ho chuka tha..

SANVEER AHARYA...yahi toh tha woh chehra tha jo ghuma tha uski taraf aur jagah thi MOSSY FALLS ka wahi jungle jahan ARIF REZA ke saamne khudko chota paaya tha DIMPLE ne..

woh waqt jab usse yakin nahi tha ki SANVEER usse na sirf bacha lega balki ARIF REZA jaise trained fighter ki bhi haalath kharab kar dega.


jab pehli baar kisika uske aage aane,uske liye ladhna bhaaya tha DIMPLE ke dil ko..

jab pehli baar sharir me tez doud raha khoon dimaag par nahi dil ki raftaar badha raha tha..

jab pehli baar bina mehnet kiye hi new girl ka dil ek minute me 72 se 80 nahi balki 200 se bhi zyada baar dhadak raha tha..

jab pehli baar DIMPLE ke dil ko sharir ke andar rehne ke baawjud thand lagi thi...

jab pehli baar DIMPLE ko pure hosho hawaas me hone ke baawjud ye khabar tak naa hui thi ki uska dil usse uske liye nahi balki kisi aur ke liye zindagi dena chahne laga tha...

kuch der ke pause ke baad ek jhatke ke saath khuli thi new girl ki aankhein..


MAI-congrats...


mere is shabd par aankhon me sawal liye dekhne lagu woh mujhe jispar aankhon se neeche dekhne ke liye kaha maine usse aur jaise hi nazrein uski jhuki neeche toh she saw a sight jispar yakin karne ke kuch pal lag gaye usse..

tomato perfect radius aur angles ke saath kul 5 slice me kat chuka tha..


MAI-bas,yahi tarika hai..naa isse chhodna aur naa us shaksh ko jisse dekh ye tarika kaam kar gaya...

late ho raha hai..chalta hun...see you tomorrow...bye...


jahan apni baat bol aage badh gaya mai wahin meri baat sun dil is baar 300 ki speed se doudna laga tha new girl ka...

is baar aankhein khuli thi uski par MOSSY FALLS ki hi tarah ek baar phir meri peeth hi toh dikh rahi thi usse...

khabar hi na hui thi DIMPLE ko ki kab mere face ko piche se bhi dekhne lagi thi uski aankhein aur aisa hote hi uska bechain dil shaant hone laga tha..

keh kuch nahi rahi thi DIMPLE par is khamoshi ne bhi woh baatein karni shuru kar di thi jo uska dil sunana chahta tha....



"kuch toh de thairaav ke liye,mera haal bigad bigad kar SAMBHAL RAHA HAI...

mousam bhi wahi,aalam bhi wahi,phir kyun mera rom rom MACHAL RAHA HAI...

dhadakne ke siwa aur koi kaam nahi tha mera par aaj....

apni hi dhadkan ke bajne ka kaaran dhund raha hun mai,kuch toh hai jo BADAL RAHA HAI...








AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Bahut sundar varnan.
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF PRINCI STUDENTS KO BATATI HAI KI SIRIUS KE 100TH ANNIVERSARY SPORTS MEET ME JAIDEN CHOWDHARY AA RAHA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY DIMPLE KO USKE FIRST TASK KO SUCCESSFULLY CLEAR KARNE KA EK UNIQUE TARIKA DERIVE KARTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-60

DATE- AUGUST 12

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS




HOT BABES AND ALL THEIR BROTHERS, PRESENTING INFRONT OF YOU THE UNCLE OF BRUCE LEE AND FATHER OF JAKIE CHAN,THE ONE,THE ONLY,THE BEST OF THE BEST,NITENDRA...

SONU-CHUTIYA........

HAHAHAHA....

NITS ke self fake intro ko pura SONU ne kiya tha jisse sun jahan ek taraf SIRIUS ke indoor stadium me moujud sabhi internal aur external students has pade the wahin SONU ko maar daalne waali nazar se ghurne laga tha NITS aur...

NITS-saale,baaki har line aur shabd me atakta hai tu,bas gaali dete waqt hi kaise pura flow me nikalta hai har word tera..!!!

DHABBB....AHHHHHH....

dialogue ke beech ek tamacha SONU ke peeth par jama diya tha NITS ne jiske agle hi pal mooh se ek karah bhi phooti par ye aah SONU ke nahi balki NITS ke mooh se nikli thi...

reason..

DAS SIR..hamare school ke one of the sports teacher joki boxing ke saath saath judo karate me bhi ache khaase trained the...

woh paas pahunch chuke the NITS ke jiske baad uske kandhe par ek punch jama diya tha unhone..

ab sir ke shoulder punch ki ek khaasiyat thi..

hit shoulder ke bilkul us nas me impact karta tha jisse dard ke saath saath hasi bhi aati thi..

ek ajeeb sensation feel hota tha shoulder se lekar brain tak...

ussi weird but painful feel ke saath apne kandhe ko ragadte hue NITS dekh raha tha sir ko..

DAS SIR-beta,tumhare ghar me bana wwe ka erana nahi hai ye jagah jahan apni imaginary undertaker personality ka show off karte phiro tum...

school ka indoor stadium hai..thodi toh decency rakh hi sakte ho beta...

SIR ki daant par baaki sab toh dabi hasi has rahe the par NITS bilkul chup tha is ummid se ki sir ke daant aur taane ka kota pura ho jaayega par aisa tha nahi...

DAS SIR-waise beta, eye sight kaisi hai tumhari...!!!barabar dikhta hai naa...!!!

NITS-jee sir...???

DAS SIR-toh beta stadium me entry karte waqt upar ek bada sa banner tanga tha,uspar nazar toh gayi hogi naa...!!!

NITS-jee sir...

DAS SIR-very good...!!!toh kya likha tha banner me beta...???

NITS-"INTERSCHOOL KARATE TRIALS"...

DAS SIR-exactly beta...matlab is waqt saamne jitne students khade hain,woh sirf hamare school ke hi nahi balki dehradun ke lagbhag har school ke students hain...

toh beta aise me tumhe nahi lagta ki tumhe apne gadhe waali harkat aur natural idiotic nature ko control me rakhna chahiye...

NITS-aage se nahi hoga sir...

DAD SIR-nahi beta, agar din bhar ke liye gadhe se murge me convert hone ka man ho toh bilkul karo...

is meethi par sabke saamne izzat ka bhaaji pulaav karne waale taane ke baad SIR aage stadium ke beech bane karate mat ki taraf chal pade the..

wahin ab bhi apne kandhe ko sehlata hua NITS sir ko peeche se ghoor raha tha..

NITS-saala ye hindi ka aur english ka SIR word kisi ek chutiye ne hi ijaad kiya hai....

dono hi bina schedule dard dete rehte hain...

SAM-hahahaha...abbe chutiye, stadium entry karne se pehle hi shaant rehne ka bola tha maine tujhe,par tere pichwade ko toh chul machi thi na, dusre school ke students ke saamne hero giri jhaandne ki...

RAJAT-ab toh izzat hi jhad gayi puri..dekh,jin hot chicks ke saamne show off karna tha tujhe,woh sab tujhe dekh has rahe hain..

wakayi dusre school ke female students NITS ko dekh haste hue ek dusre se kuch baatein kar rahe the aur ye dekh NITS thoda aur chidh gaya...

par kyunki DAS sir ke saath 2 sports substitute teachers joki karaate coaches bhi the, moujud the stadium me isiliye kuch bol nahi sakta tha woh...

DAS SIR-common students...get in lines..

boys, apne apne school ke according aap sab rows banayenge and same goes for girls...

1 proper hit ke kul teen rounds honge...winner will qualify for the next round...

3rd round ke baad jo kul 4 bache qualify karenge,they will represent DEHRADUN in the upcoming karate event...

understood...!!!

SAB-yes sir...

sir ke bolne ke beech hi unke thought ke according students ne row formation shuru kar diya tha..

zyadatar students pehle bhi bohot se karaate events me participate kar chuke the aur jinhone nahi bhi kiya tha,woh bhi apne apne academy me kayi trails de chuke the..

yahi wajah thi ki coaches ko zyada samjhane ki zaroorat nahi padi thi..

NITS,RAJAT, EKPREET,SONU..kuch aur students ke saath ye sab boys ki taraf se volunteering ke liye yahan par moujud the and same was the case with girls..

bas DIMPLE aur SAM hi as participants aaye the stadium me...

khair,agle 5 minute me pehla round shuru ho chuka tha jo kareeb 30 minutes tak chala..

ab real fight toh karni thi nahi isiliye bas ek slight hit and the round was over...

aur DIMPLE,SAM ke rounds toh jaise shuru hote hi khatm ho gaye the..

pehle dono rounds SAM ne 30 seconds ke andar khatm kar diye the aur DIMPLE...

DIMPLE ko toh 15 seconds bhi nahi lage the..she was fast..very fast jiska hand movement saamne khadi ladki ko theek se dikha tak nahi tha...

NITS -arre yaar...saala bhaari bore lag raha hai be...

RAJAT-chup loudu..jab volunteering ke liye pucha gaya toh sabse pehle tune hi haath upar kiye the..

tere chakkar me hum bhi lapeta gaye...

NITS-abbe toh mujhe thodi na pata tha ki beta beta bolkar DAS sir apne loude laga denge...

dekho toh, khud kaise daant nipor nipor kar girl participants ko gyan pel rahe hain...

EKPREET-hain bhi toh kamaal ye girls...pata nahi cheer leading chhod karaate me kyun ghus gaye ye sab...

khaaskar ye PRINCE ki ladkiyan...ohohohohoho...gazab hi hain yaar...

NITS-oye sardar..kaabu me rakh khudko..DAS sir ne tere chehre par chhada tharkipan dekh liya toh lund kaatkar haath me rakh denge...

waise guyz,kya lagta hai,jisne louda shabd ka ijaat kiya hoga,kya wahi lund shabd ka bhi janmdata hoga...????

SONU-cchup bbe... mmatchmaking karna hi hai ttoh kkisi ssahi cchiz ka kkar... louda,lund,ye bbhi kkoi rresearch kki cchiz hai...!!!

NITS-beta lund se zyada zaroori shodh bhi kuch ho sakta hai kya..!!!

arz kiya hai...

SAB-irshaad,irshaad...

NITS-louda louda mat kaho,lauda hai GYAANI...

loude ke badoulat paida hue,sab hai loude ki MEHERBAANI...

SAB-hahahahaha...

EKPREET-waah lounde,gazab...

NITS-maanta hai ki nahi...

DAS SIR-beta matlab tum sabko hi murga banana hai,kyun...!!!gadhon,jab volunteering ke liye aaye toh wahan khade khade ghode ki tarah kya hinhina rahe ho...!!!

chalo,jaao,udhar boys trail ki taraf.. second round chaalu hai, make sure there's no false hit...

NITS-saala,kabhi murga,kabhi gadha,kabhi ghoda..banana hai toh ek jaanwar banao..ye mixed breed kaahe banane par tula hai be..

SONU-yye ssaala SANVY bbach ggaya is ffaltu kkaam sse...ekdum ssahi ddin cchuna saale nne bbunk mmarne kka...

RAJAT-haan..aajkal school me kab bunk maarna hai, iska schedule bank me banate hai kyun!!!chutiya...

aunty ka field trip tha aaj,unhike saath toh gaya hai SANVY...

HEY GUYZ... WHAT'S UP...!!!!

ye DIMPLE thi...as expected,sabse pehle ussika teeno round pura hua tha...

RAJAT-nothing yaar... bas bore ho rahe hain...

DIMPLE-hahaha..toh kisne bola tha volunteer karne ke liye.. by the way, NITS SANVY kab aa raha hai wapas..aaj second day hai uske leave ka...

NITS-pata nahi...waise bhi mobile nahi rakhta kamina aur aunty ke saath jaata hai toh out of reach hone ka badhiya bahana bhi mil jaata hai saale ko...

DIMPLE-arre par aunty ke cell par toh baat hoti hogi na tum sabki...

RAJAT-kahan...!!!!aunty toh late evening hi free hoti hain aur us time woh bhai sahab side scene ke liye nikle hote hain...

DIMPLE-oh..

ek nasamajhi bhari nirasha thi DIMPLE ke is do alphabet ke chote se oh me...

training ki wajah se har din hi kaafi waqt saath bitaane lage the SANVY aur DIMPLE..

par bas ye do din ka communication gap uske dil ko saalon ki judayi lagne lagi thi..

ek ajeeb sa khaalipan mehsoos karne lagi thi DIMPLE..

pehle hi SANVY ke prati apne puzzled feelings aur phir us shaam park me uske chehre ka band aankhon ke aage light up hon se ek ajeeb si bechaini ne ghar kar liya tha uske dil me aur ab SANVY ka ye normal absence..

khair, DIMPLE ke oh aur us shabd me chhalka nirasha bhale hi kisi aur ne spot nahi kiya ho par SONU ki nazar anjaane me hi udaas hue DIMPLE ke face par jaa chuki thi..

kuch pal dekhta raha woh usko aur...

SONU-ANJALI kko ppata hhonge SANVY kke wwhereabouts...

aunty aur woh bhale hi out of station hain par ANJALI ne se din me ek baar baat hoti hi hogi unki...

NITS-haan bhai woh toh hai.. nahi toh woh satkel unke ghar ke saamne dharne par baith jaayegi, literally...

HAHAHAHA....

sab has diye the NITS ki baat par joki mazak nahi fact tha...

NITS-oye ANJALI...

ANJALI-yo...

thode hi door RASHI, KHANAK aur kuch dusre female students ke saath khadi thi ANJALI jo NITS ki baat par uski taraf palti thi...

NITS-kab aa raha hai KAMINA...

DIMPLE-KAMINA tu saale..aur aaj pahunch jaayega woh...infact morning nikle the wahan se that means abhi tak toh ghar pahunch bhi gaye honge dono...

SONU-ttold yyou...

DIMPLE-kamal hai..ANJALI ke saath SANVY ke besties tum dono bhi ho par uske whereabouts sirf usse hi maalum hain..

SONU-hhaan hhain hhum bbest ffriends SANVY kke ppar usse ccloseness kke mmaamle mme nno bbody ccan ccompete wwith ANJALI...

NITS-true...infact bachpan me ek garden me hi mulakat hui thi hum dono ki SANVY se..

aur us mulakat ka bhi base ANJALI hi thi..

bench ke piche shade tha jisme kaante biche hue the..pair fas gaya tha ANJALI ka usme...

maine aur SONU ne help ki thi uski..theek ussi waqt pahuncha tha SANVY wahan...

bohot ro rahi thi ANJALI par SANVY ko dekhte hi uska rona turant band ho gaya tha..

usse sahara dekar uthaya tha SANVY ne par jaate jaate palta woh hamari taraf aur ek smile ke saath thanks bol wapas aage badh gaya..

bas phir,uske baad har shaam milne lage hum chaaron garden me and we became friends...

past bataate waqt jaise un guzre lamho ko dobara jeene laga tha NITS..

same haal SONU ka bhi tha...

AUR GUYS,KYA BAAT HO RAHI HAI...!!!!

SAM tha ye jo DIMPLE ki hi tarah apna final round khel kar wapas group ke paas aaya tha..

EKPREET-kuch nahi yaar,woh bas....holy smoke....

bolte bolte zuban aur aankh,dono ki disha badal gayi thi EKPREET ki..

NITS-iski maa ki behen ko mousi bolun..ye toh wahi hai naa be...

KUMAON RIVER RAFTING waali...

EKPREET-haan,wahi jisse SANVY ne bachaya tha...kya naam tha,ADYA KOTAK from RAJKUMAR..

NITS-bachaya bhale hi SANVY ne ho par banaya isse upar waale ne hai aur kya kamal ka banaya hai bhai...

abbe,sun liya kya usne..idhar hi aa rahi hai...

SONU-aurr akkeli nnahi,ddusri girls bbhi hain ssath usske...

NITS-par ye baaki girls toh uske school se naa hain...

EKPREET-teri bhaavnayen toh na padh li chhoriyon ne...dekh,nazar sabki teri taraf hi hai..

saale,tere hi din hai beta..pehle das sir se punch khaaya,ab ladkiyon se thappad khaiyo...

NITS-mai nikalta hun bhai...

SAM-chill dude and relax..kuch nahi hoga..ladka ho ya ladki, SIRIUS me aakar SIRIUS ke student ko koi kuch ulta bol bhi de toh laanat hai apne par..

SAM ke baaton ke dauran ADYA aur baaki girls boys ke paas pahunch chuke the...

ADYA-hey guyz...

SAB-hey...

SAM-tum ADYA ho naa.the rafting girl...

ADYA-appropriate words should be drowning girl...

SAM-hahahaha...waise tum yahan kaise...!!!i mean RAJKUMAR school division ke students yahan kya kar rahe hain..???

tumhara school toh local competitions avoid karta hai...

ADYA-hum bhale hi local competitions avoid karte hain but invites toh hume milte hi hain...

hey,hye.. DIMPLE BATRA right...!!!

DIMPLE jo bade gaur se ADYA ko joki bhale hi SAM se baat kar rahi thi,par nazarein uski jaise kisi ki talash me thi,dekh rahi thi..

apna naam ADYA ke mooh se sun strange looks ke saath dekhne lagi woh usse aur..

DIMPLE-have me met before...!!!

ADYA-nopes,but i know you..waise bhi jo ladki nation wise top 5 students me se ek ho,uske baare me naa jaanana..

SAM-its impossible specially for a RAJKUMAR student..

DIMPLE, RAJKUMAR SCHOOL is the base of popular students information..

aas paas ke jitne bhi renowned school aur college hain,wahan ke champs ke baare me puri info rakhte hain ye...

ADYA-champ se yaad aaya,where is the real champ of SIRIUS..

hey,by the way DIMPLE, champ se mera matlab ye SAM nahi hai,it means..

DIMPLE-SANVEER AHARYA...i know...

bade halke par proudly liya tha SANVY ka naam DIMPLE ne jisse sun slightest of the second ke liye ghura tha ADYA ne DIMPLE ko..

bohot suna tha ADYA ne DIMPLE ke baare me aur sirf uske brain par hi nahi balki uski extreme beauty ke baare me bhi..

aur aaj DIMPLE ko saamne se dekh woh jaan chuki thi ki uske sune saare gestures GALATH nahi the...

ADYA khud bhi khubsoorat thi..bohot khubsoorat..infact RAJKUMAR school division ki shayad woh sabse beautiful girl thi par DIMPLE ka league hi alag tha..

she was natural...uski saadgi uske chehre ko woh noor tohfe me deti hai jiske aage har saaj shringaar feeka lagta hai..

ussi saadgi ne DIMPLE ke prati ADYA ke man me naa chahte hue bhi competition ki bhaavna jaga di thi...

aur ab jis tarah DIMPLE ne SANVEER ka naam pukara tha,aisa laga ADYA ko maano bina bataye ya jataye hi DIMPLE SANVY ko uske kareeb bata rahi..

behadh kareeb...

woh ek pal ka ghurna inhi bhaavna ki samiksha kar gaya tha...

ADYA-so, where's he..!!!

sawal zaroor ADYA ne pucha tha par same question full expression uske saath khade baaki sabhi girls ke face par tha aur is baat ko SAM aur baaki sab bhi samajh rahe the..

EKPREET-ADYA ka toh samajh me aata hai but tum sabko bhi SANVY se hi milna hai kya..!!!

SAB-haan...

RAJAT-kyun..!!!

ADYA-aur kyun...!!!karaate is also a form of fighting technique...ab fighting me who's better than SANVY...!!!!

ANJALI-tum sabko kaise pata ki SANVY can fight...???

apne group ke saamne girls ki bheed dekh ANJALI,RASHI aur KHANAK, teeno hi inki taraf aa chuke the...

GIRL 1-jisne ROUNAK jaise state boxing champ ko easily dhul chata di ho,uske baare me kisse pata nahi hoga...!!!

jahan us ladki ki baat sun boys ne apna apna maatha peet liya tha wahin ROUNAK,ye naam click hua tha DIMPLE ke dimag me aur..

DIMPLE-ROUNAK..!!!that PRINCE guy, jisne hume club me invite kiya tha...usse kyun maara SANVY ne...!!!

SONU-actually ROUNAK SANVY se bhidne gaya tha.. you know,to show off.. SANVY ne ussika show off kar diya...

GIRL 2-yaa, SANVEER broke his arm...!!!

really/what...!!!!

ek saath do expressions nikle the...REALLY bola tha DIMPLE ne aur WHAT term use kiya tha ANJALI KHANAK, NAISHA aur RASHI ne...

ANJALI-aur ye baat tum sabko pata thi..tumhe kya, dusre school ke students toh ko khabar thi par hume nahi...

RAJAT-ohho maate, chill... SANVY ko toh jaanti ho naa,show off naa aata hamare lounde ko...

isiliye usne hume mana kiya tha kisiko kuch bhi batane ke liye..

NAISHA-phir in sabko kaise pata..!!!ye piche jo do girls hain,ye toh hamare hi school,infact hamare hi class ke B section se hain naa...!!!

EKPREET-exactly,B section...!!!jahan RAVI as in khabri laal padhta hai...

jab ROUNAK SANVY se peeta tha toh wahan DEEPESH moujud tha..

usne bataya hoga NAMITH ko...

NAMITH se ye khabar apne school ke lounde ROHAN ko mili hogi aur usse tripathi ko..

baat uske bhi peth me pachti nahi..usse pure class me ye baat faile gayi,jiska matlab hai RAVI ko bhi pata lagna..

ab ye toh pata hi hai naa ki agar koi baat RAVI ke kaano tak pahunchi woh bhi aisi toh apne kya,har school jahan setting rehti hai uski,wahan word spread hona normal hi hai..

wahi hua hai...

ANJALI-aane de usko...bohot ladne ka,haath todne ka shouk hai..kameene ke bhi haath tod dungi...

ADYA-matlab he is not here...kamaal hai,mujhe toh bola tha usne ki he will come to school today...

ANJALI-tumse bola tha..you guyz talk...!!!

ADYA-what kind of a question is that...without talk,batayega kaise woh...!!!

parso hi baat hui thi meri,toh bola tha usne...he promised...

SAM-he must have forgotten...bhool gaya hoga...

SANVY NAA KUCH BHOOLTA HAI AUR NAA KABHI APNA PROMISE TODTA HAI...

ye mai tha...casual wear me school pahuncha tha mai..

jaanta tha ki is waqt sab yahin stadium me honge isiliye sidhe yahin chala aaya tha mai...

trail ke teeno rounds pure ho chuke the isiliye das sir aur baaki substitute teachers jaa chuke the...

anyways,sabse thodi door tha isiliye apni baat bolte hue unki taraf badh chala mai but is beech girls ki constant peeking saaf mehsoos kar raha tha mai...

blue shirt ko khaakhi trousers ke saath tuck in ki hui thi maine...pointed black shoes..

overall ek simple look me tha mai but shayad yahi simple look mere naye naye build up ho rahe body me kaafi jach raha tha...

khudke liye girls ki moun admiration is baat ka saboot thi..

MAI-hey...

ADYA-hey smarty...

ADYA ke saamne pahunch rooka tha mai jispar apni beautiful smile ke saath halka aage badhi woh aur agle hi pal hum dono ek friendly hug me lipte hue the.

kamsekam mere liye toh ye hug friendly hi tha....anyways,hug ke baad jaise hi alag hue hum toh..

ADYA-SANVY,meat your fans..

saari girls jo ADYA ko envy aur mujhe adornment ke saath dekh rahe the,unki taraf ishara kiya tha ADYA ne..

MAI-my fans, matlab...!!!

ADYA-oh common SANVY,itni modesty bhi sahi nahi..you know how capable and popular you are...

in sabko tumse upcoming karate meet ke liye tips leni hai aur..

SAB-ek selfie, please...!!!

ek saath accord me request kiya tha sabji girls ne jisse dekh..

EKPREET-bhai toh apna chha hi gaya hai guyzz..

RAJAT-yup..mujhe kabhi nahi laga tha ki jahan SAM hoga,wahan kisi aur ko priority milegi but yahan toh kahani hi badalne lagi hai..

NAISHA-badalni bhi chahiye...i mean ,just look at SANVY...this guy is getting hotter by every passing day...

DIMPLE ne us shaam theek hi kaha tha...SANVY does resembles his father..aur aisa hi chalta raha toh yes,one day,he will surpass his dad's personality..

right now girls are just craving him,tab he will have looks for which girls would die for...

RAJAT-wowowo...easy babes...bhool toh nahi gayi ho naa ki you have a boyfriend...mai...!!!

NAISHA-accha...jab us ADYA ko ghoor rahe the tab tumhe apni G.F yaad nahi rahi thi kya...!!!

NAISHA ke counter answer ko sun kuch kehne ko bacha nahi tha RAJAT ke paas...

khair,wahan mere dost apne speculations me lage hue the aur idhar girls ke selfie request ko sun...

MAI-selfie, mere saath..who do you all think i am..??a celeb or what..!!!

ANJALI-ofcourse celeb hai tu..i mean, logon ke haath tod raha hai, boxing champ ke saath ladhayi ke naye parameters aur bar set kar raha hai..

celebrity toh hua hi naa tu.. you deserve selfie..but girls, first selfie iska iski bestie ke saath hona chahiye..

that will be me..

RASHI-true..or uske baad hum sabke saath bhi ek ek click lega SANVY..

ANJALI-bilkul.. aur aisa ho,iske liye chalo guyzz, surround him...

MAI-oh boy..this is not right...

ANJALI ki baat puri hote hote hi NITS joki meri kutayi dekhne ke liye atti aatur dikh raha tha,uske saath baaki sab bhi mujhe gher kar khade hone me lag chuke the.

theek waise hi jaise kisi kabbadi dene waale player ko opponent team gherti hai...

wahin ANJALI bhi turant mere taraf badhi thi aur agle hi pal uska naazuk mukka chal pada tha mere peth par...

ANJALI-badi hero giri chhadhi rehti hai kyun...!!!

MAI-gottcha...catch NITS...

tezi se side hone ke beech ANJALI ke haath lock kar uske piche ho liya tha mai aur aisa karte hi ANJALI ko uske back se halka sa dhakka de diya tha maine..

NITS joki mujhse bas 3 feet door hi tha aur casually khada tha,usne mujhse aisa kuch karne ki ummid nahi ki thi..

isiliye jab ladhkhadate hue ANJALI badhi uski taraf toh usse sambhalne ke chakkar me woh khud bhi ladhkhadate hue thoda side hath gaya giving me enough space to sneak out..

wahi hua...

tezi se us modern chakravyuh se bahar nikal chuka tha mai..

ANJALI-tu toh gaya aaj SANVY...

ab tak sambhal chuki thi ANJALI jiske baad turant bhaagi woh meri taraf...

NITS-shaitan ki kasam,khub pelenge be aaj tereko...

MAI-chhu ke dikha be pehle...

NITS aur uske saath saath baaki sabhi boys and girls bhi mujhe pakadne ke liye doud pade the..

siway DIMPLE ke..woh bas ek bright smile ke saath hamari pakdam pakdayi enjoy kar rahi thi...

aur DIMPLE hi kya, stadium me moujud har student hamari pakdam pakdayi ka lutf utha raha tha...

kareeb 10000 square feet jitna bada indoor stadium tha ye jisle har corner me sabko jhakate hue doud raha tha..

but in SAB shabd me filhal SAM nahi tha...

bhaagte hue stadium ke entrance door ki taraf abhi badha hi tha mai ki tabhi SAM ne jisne andaza laga liya tha ki aisa kuch karunga mai,pehle hi wahan pahunch chuka tha woh...

turant door lock kar uska gigantic lock handle ghuma diya usne aur phir mujhe wink karte hue meri taraf badha woh...

MAI-beta,apni hi izzat utarwaane ka jugaad laga liya tune...

chilla kar boli thi maine ye baat jiska matlab turant toh samajh me nahi aaya tha SAM ko par agle 3 minutes me naa sirf woh meri baat ka ganith samajh gaya balki door lock karne par khud par jhunjla bhi gaya tha woh..

ab baat ye thi ki school ka best runner aadhe dozen se zyada logon ke help me saath bhi mujhe pakadna toh door,chhu bhi nahi paaya tha...

upar se sidha doudna asaan hota hai with less energy absorption..

but jaise continously zigzag bhaag rahe the hum,saans un sabki dhoukni ki tarah chalne lagi thi..

speed kaafi kam ho chuki thi sabki par mai abhi bhi puri tarah fresh lag raha tha..

aur in sabse ADYA aur baaki girls joki ab tak chal rahe scenerio ko dekh sirf has rahe the,ab unki aankhon me meri speed,bachne ke liye use kiye tactics but most importantly, stamina dekh hadh se zyada admiration thi...

ADYA-wow...this guy is something else..ye naa aata kisi kipakad me...

DIMPLE-dont be to sure about that...

ek thandi saans chhodte hue jaise khudse hi kahi thi ye baat ADYA ne jisse sun ek smile paas kiya DIMPLE ne aur turant badhi woh meri taraf...

DIMPLE-hey,my turn...

theek mere piche pahunch mujhe pakadne ke liye haath badhate hue kahi thi ye baat new girl par tabhi left ki taraf dodge dekar aage ki taraf bhaag gaya mai...

MAI-babes,its not easy to catch SANVY...

DIMPLE-but i will..i promise...

turant bhaagi thi new girl mere piche aur ye dekh ek baar phir sabhi girls ke faces par admiration tha but this time,it was for new girl..

uski movement thi hi itni speedy...

par admiration subject change hone me waqt nahi laga tha aur is baad reason tha mera speedy movement joki pehle se double tha..

kareeb 2 minutes ho chuke the new girl ko mere piche bhaagte hue..is dauran kayi mouke aaye jab uske haath mujhe piche se chhute chhute reh gaye the..

is catch me if you can waale unofficial challenge ko externally aaye sabhi ladkiyon ke saath mere group ke sabhi log bhi kaafi enjoy kar rahe the...

DIMPLE-GOTTHA...OH SHIT....

UMHHHHH.....

ek baar phir kaafi close pahunch gayi thi new girl mere par itne der me mere tactics samajh chuki thi woh..

jaanti thi new girl ki agar apna haath meri peeth ki taraf phir se badhaya usne toh like previous times,is baar bhi zig zag ghum mai bach hi jaaunga isiliye thoda alag but saath hi risky move try kiya usne..

ek full front strech dive kiya new girl ne aur agle hi pal uski body meri body ko lapeththe hue neeche zamin par gir rahi thi...

par kyunki new girl ke jump ko last moment me na sirf sense kar liya tha maine balki saath hi saath,jis speed se daud rahi thi woh,us velocity ke according mere aur uske body ke impact ko calculate bhi kar liya tha..

isiliye role up hote hue chest front hit kiya tha meri body ne new girl ki body ko aur agli hi pal hit ke tagde impact ki wajah se uski aur meri body bhi hawa me halka upar float si karti hui neeche aayi..

issi fall force ko feel kar "oh shit" nikla tha new girl ke mooh se par is drastic fall ka real outcome agle second disclose hone waala tha jo ho hi gaya..

maine toh impact ke according apne shoulders ko tight kar liya tha par new girl aisa nahi kar paayi thi..

floor par girte hi uska face jo mere face se thoda neeche tha,woh upar hota chala gaya aur aisa hote hi..

uske honth meri thuddi se hote hue mere honthon par lagte chale gaye...

abhi ye upward movement aur hota par aisa hone ke beech mere haathon ki grip uski kamar par tight hone lagi thi jiski wajah uske face ke movement ka safar mere hothon par aate hi rook gaya..

half a second..itne hi der ke liye tik se gaye the uske honth mere honthon par lekin khuda kasam..

ye aadha second hum dono ke liye kisi sadi se kam na guzra tha..

haan, ANJALI ke saath kabhi kiss hua tha mera par woh mera ishq nahi thi..

jazbaat meri taraf se dosti waale hi the isiliye mehsoos kuch hua nahi tha us waqt mujhe par us no feeling ka kota samandar ki tarah bhare abhi uth rahe mere andar ke jazbaaton ne pura kar diya tha...

same haal DIMPLE ka bhi tha..dil uska kuch yun baj raha tha maano kabhi bhi rook jaayega..

luckily, is bhagam bhagayi me DIMPLE ke baal khul gaye the aur is waqt mere chehre ke upar the isiliye dekhne waalon ko kuch dikha nahi tha...

MAI-sorry..

DIMPLE-hmm..

uthne ko hui thi new girl ki tabhi uske kaano me is anjaane me hui gustaakhi ki maafi maangi maine jispar uske mooh se nikla shabd mujhe uske dil ki bechaini saaf bata gaya tha...

NITS-bhai,bhai,bhai,bhai, bhai..kya gire yaar tum log..saala aisa laga jaise 3,4 haddi toh gayi tum dono ki..

KHANAK-waah..kya tarika hai concern dikhane ka...

are you alright SANVY...!!!

NAISHA-DIMPLE,tum theek ho..!!!

DIMPLE-haan.. excuse me, wash room se aati hun..

bina kuch sune turant stadium se ke darwaze ki taraf badh chali thi new girl..

wahin ANJALI ek baar phir mujhe maarne lagi thi par is baar mai bhi chupchaap apni jagah par khada raha...

ADYA aur baaki girls bhi aa gaye the hamare paas jiske baad shuru hua un sabka selfie adhyaya...

is beech...

tezi se aage badhti chali gayi thi DIMPLE par exit door ke paad pahunch apne aap hi rook gaye uske kadam aur woh mudi meri taraf..

achi khaasi bheed thi mere aas paas..ek baar phir ADYA mere paas thi aur baaki girls ki tarah mere saath selfiile rahi thi..

par na woh bheed dikh rahi thi new girl ko aur naahi ADYA ka mujhse close hona khatak raha tha uski nazaron ko..

uski aankhein jaise mere chehre ko bas ek tak dekhne me lagi hui thi aur dil....

ek baar phirse bina DIMPLE se ijazat liye mere dil se baat karne me lag chuka tha...


DIMPLE-



barf se thand ke beech ye aag kaise SULAG RAHA HAI...

woh ehsaas jiske hone tak ka andaza na tha, achanak kaise JAG RAHA HAI...

kisine haath tak na chhua tha kabhi magar aaj pehli baar...

kisine labh chhu liye mere par pata nahi kyun,mujhe accha kaise LAG RAHA HAI...!!!!






AAJ KE LIYE ITNA HI...




AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ADYA KO SIRIUS ME DEKH SAB SHOCKED HO JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF ANJAANE ME HI DIMPLE AUR SANVY EK DUSRE KE SAATH APNA FIRST KISS KAR LETE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-61

DATE-AUGUST 20


CITY-SIRIUS

PLACE-BLOSSOMS





MAKE IT SIX OF THOSE ROSES,FOUR OF THAT ORCHIDS,ONE TULIP AND ONE CALLA LILY ON BOTH SIDES..MMM AND ALSO ADD SOME CARNATIONS,ANEMONE AND ZINIA....


FLORIST ko apne hisaab se bookey decorate karne ka instruction diya tha SANVY ne jispar mere bataye saare flowers ko gather kar uske according sequence me daalne lagi thi woh...


FLORIST-anything else sir...!!!!

SANVY-nopes...

FLORIST-that will be 500 sir...and i must say,you have a good flower decorating sense...

SANVY-thank you...

THANKS FOR WHAT...!!!


bookey letee hue 500 ka note pakdaya hi tha SANVY ne florist ko ki tabhi aayi ye awaaz uske peeche se jisse sun ek bright smile naach uthi uske face par...

joki laazmi bhi thi..NEW GIRL ki jo thi ye awaaz...

new girl ki taraf turn liya tha SANVY ne aur aisa hote hi mere dono haathon ke beech rakhe khubsoorat guldaste par padi thi saamne khadi new girl ki nazar...

aur us guldaste ko dekhte hi aankhein chamak uthi thi new girl ki..


DIMPLE-roses,orchids,tulips,calla lilies,carnations,anemone,zinia...

tumhe kaise pata chala ki all these are my favourite flowers...

TUMHARE NAHI,YE MERE FAVOURITE FLOWERS HAIN....


aage badh SANVY ke haath se woh bookey lene hi waali thi new girl ki tabhi ubhri ye nayi awaaz peeche se jisse sun turant palti woh peeche..

par jo chehra saamne tha,usse dekh DIMPLE ke face par pehle hairangi aur phir ghussa saaf dikhne laga tha..

ADYA KOTAK....yahi thi woh girl jo is waqt SANVY ko bade heartily dekh rahi thi...


DIMPLE-tum kya kar rahi ho yahan...!!!!???

ADYA-same sawal mai bhi puch sakti hun..!!!why the hell are you here...???

DIMPLE-social reason..its a flower shop,hence a public place..

personal reason,mujhe yahan SANVY ne bulaya hai...

ADYA-bulshit.. SANVY ko toh khud maine yahan bulaya hai...

isiliye hi toh uske haathon me mere favourite flowers se bana bookey hai...

DIMPLE-now that's bulshit...naa toh tumhara yahan koi kaam hai aur naahi SANVY ne tumhare liye ye bookey liya hai..

it's filled with all my favourite flowers jo isne mere liye liya hai and that's why...

thanks SANVY... UMHHHHH...


SANVY joki bas chupchap dono girls ki behes sun raha tha,uske haathon se bookey lete hue DIMPLE ne uske gaalon par kiss kar diya jisse dekh ghum gaya tha ADYA ka dimag aur...

ADYA-you...!!!samajhti kya ho tum apne aap ko...!!!

DIMPLE-DIMPLE BATRA...a girl you shouldn't mess with...


ghusse se badhi thi ADYA DIMPLE ke taraf par dimplke tevar aur cold facial expressions dekh turant pair jadh ho chuke the ADYA ke..

baaki champs ki tarah DIMPLE ka talent portfolio bhi tha ADYA ke paas aur ussi portfolio ke according ADYA jaanti thi ki DIMPLE had some good at fighting skills...

physically she cannot harm DIMPLE,jaanti thi ADYA but mentally, emotionally...

that hurting was possible and something ADYA was good at aur isiliye ek pal ke dar bhare expression ke baad ek halki evil smile naach uthi thi uske face par..

ussi smile ko carry karte hue aage badhi ADYA and before DIMPLE could understand anything,usse cross karte hue SANVY ke theek saamne jaakar rooki ADYA..

aisa hote hi palatkar ussi tarah smile karte hue ek baar DIMPLE ko dekha ADYA ne aur agle hi pal...

UMMMHHHH..

ADYA ne apne honth SANVY ke hothon ke saath jod liye the...


WHAT THE FUCK......




PLACE-DIMPLE'S BEDROOM


WHAT THE FUCK.......


inhi teen words ke saath apne bed par uth baithi thi new girl...

kuch seconds lambi lambi saansein li usne aur...


DIMPLE-sapna tha...!!!holy mother...ye kaisa sapna tha...!!! ADYA and SANVY kissing...ewwww...

and why am i feeling the way i am feeling...!!!i girlish competitions...mai kaise soch sakti hun aisa kuch...???

crap...5 pm...i gonna be late...


apne aap se baaton ke beech mobile ke display par nazar padi thi DIMPLE ki...5.30 se SANVY aur baaki group ke saath hang out ka plan tha aaj shaam ka....

turant apne bed se utar wash room ki taraf badh chuki thi DIMPLE..

physically toh body move kar rahi thi DIMPLE ki par man me ab bhi woh sapna hi chal raha tha aur aisa hone par dimag me bhi gunj rahe the wahi teen shabd...

WHAT THE FUCK...




PLACE-THE SMOOTHIE BAR




HEY...YOU ARE LATE...WHAT TOOK YOU SO LONG.....!!!!


hum sab smoothie bar me baith chill kar hi rahe the ki tabhi bar me enter hoti new girl par nazar padi thi RASHI ki...


DIMPLE-othing yaar..nap lag gaya tha...

KHANAK-happens..waise bhi aaj weather kuch zyada hi awesome hai..

body bhi is smoothie ki tarah completely relaxed feel kar raha hai...

SAM-waise manana padega,aaj situation usual se puri contrast rahi hai..

the most punctual person, DIMPLE late aayi hai aur ye janab late latif jo kabhi kahin time se nahi pahunchte,aaj bilkul time se aaya hai...


SAM ke baaton ke beech mujhe hi dekhte hue mere saamne waali khali seat par baithi thi new girl..


MAI-correction...mai late sirf faaltu jagahon par jaane ke liye hota hun joki tum sabki speciality hai...

SAM-ohho..aur aaj ka hamara ye meet important kaise hai...???

NAISHA-umm because of ANJALI... one hour me apni aunt ke birthday me jaana hai isko..

her aunt loves flowers and SANVY knows flowers...bookey yahi ready karwa ke dega isse aur aisa bilkul time par ho aur ye given time par pahunche,iske liye school me hi dhamki de chuki ye SANVY ko...


DIMPLE-you know flowers...!!!


halke shocking expressions ke saath pucha tha ye sawal new girl ne joki laazmi hi tha..

aakhir uske thodi der pehle dekhe sapne ka ek part mera flowers ka perfect selection bhi toh tha joki sach ho raha tha...


MAI-isme shock hone waali kya baat hai...!!!???

NITS-haan,tumhe nahi pata,ye toh part time maali bhi hai...

HAHAHAHA....

MAI-haan ab hum chote log toh chote mote kaam hi karenge naa...

bhai sahab ki tarah dhaak toh hai nahi apni.. SIRIUS jaise bade school ka main gate bhi inke ijazat ke naa khulta...

NITS-phir..maanta hai ki nahi...

RAJAT-kya manana hai,woh toh clear kiya hi nahi isne..kyun nahi khulta bhai gate bina iske permission ke..

MAI-chaprasi cum guard hai na ye..ab school gate ki chaabi toh gate keeper ke paas hi hogi naa..!!!

hahahaha..


NITS ke mazak par sirf wahi hasa tha jabki meri baat par sabhi zor se has pade the..

wahin daant jo nipor ke baitha hua tha NITS,uska mooh turant band ho gaya aur mujhe ghoor kar dekhne laga tha woh...


ANJALI-ab ek dusre ki taang khinchna band karo and let's go to the flower shop...

woh dekho mera driver bhi aa gaya hai...


ghar me is time yahan aane ke liye driver ko instructions dekar NAISHA ke saath aayi thi ANJALI aur ab uske kahe according the driver was here jo shop ke bahar car ke paas khada ho chuka tha...


MAI-okay then... let's bounce...


apne apne smoothies hum sab khatm kar chuke the.. RASHI ne DIMPLE ko pucha tha but she said no..

isiliye check clear kar jiski baari aaj EKPREET ki thi,hum sab smoothie bar se nikalne ke liye apni apni seats se uthne hi waale the ki tabhi...

AHHA......

kareeb 5 saal ki ek bohot hi adorable bacchi apne nanhe kadmo ke saath chalte hue mere paas pahunchi aur thap se mere pairon ko apne chote chote haathon se hit karne ke baad ungliyan mooh me fasa mujhe dekh hasne lagi thi...


NO BETA AARNA..AISE NAHI KARTE....COME HERE...


ye us choti si ladki AARNA ki mom thi jo apni dusri beti ke saath paas hi ke ek dusre seat par baithi hui thi...

par naa toh AARNA ne apni mom ki awaaz suni aur naa maine..

infact,maine turant us choti si ladki ko godh me utha liya tha joki abhi bhi smile ke saath mujhe hi dekhe jaa rahi thi...

wahin mujhe yun us bacchi ko godh me leta dekh mere sabhi dost thode hairan ho gaye the..


NITS-SANVY ne bacchi ko godh me le liya...

DIMPLE-isme strange kya hai...!!!???

NAISHA-it's strange in the case of SANVY...SONU ki behen chhutki ko chhod SANVY ne kabhi kisi bacchi ko godh me nahi liya hai...

DIMPLE-really..!!bacche pasand nahi isse...???!!!

ANJALI-he loves them but for some unknown reason, kabhi godh me nahi leta woh kisiko..


unknown reason.. ANJALI ke mooh se nikle ye do shabd uske facial expression se match nahi kar rahe the..

us bacchi ko pamper kar rahe SANVY ko jis tarah dekh rahi thi ANJALI,pura toh nahi,par kuch toh andaza tha usse,aisa saaf zaahir ho raha tha..

khair,kuch der AARNA ko godh me lene ke baad jab dekha maine ki woh apni mom ki taraf baar baar mood kar dekh rahi hai toh usse neeche utaar diya maine..

aisa hote hi as expected, AARNA turant apne mom ki taraf badh gayi..


MAI-what..!!!utho re...and as i said... let's bounce...


wapas muda hi tha mai apne group ki taraf par aisa hote hi un sabke faces par dikh rahe sawal ko taad liya maine..

isiliye turant apni baat bol uththe hue nikal chala tha mai...


NITS-ye saala har baat par goti deta hai..

SAM-beta ANJALI agar party ke liye late hui toh ussi goti ko mooh se nikaalegi tere..chal ab...


sach hi thi ye baat isiliye mere piche piche NITS ke saath baaki sab bhi turant ho liye the...

bar se nikal sidhe road ke theek dusri taraf badh chuke the hum sab aur aisa hote hi ek baar phir DIMPLE ka dil apne aap hi zoron se dhadakne laga tha...

reason..

BLOSSOMS...wahi shop jiske andar thi DIMPLE sapne me,asliyat me bhi abhi hum ussi ke andar jaa rahe the...


DIMPLE-yahi shop mila in sabko...!!! koi aur jagah nahi jaa sakte the...!!!

RASHI-what...!!!


apne aap ne hi badbadayi thi DIMPLE jisse uske baaju me chal rahi RASHI ke notice me aa gaya tha...


DIMPLE-nothing,i was saying ki is shop me flowers ke varieties milenge bhi..!!!

KHANAK-babes,agar yahan nahi mile toh kahin nahi milenge phir...

it's the best flowers shop of deh...

DIMPLE-ok...


baaton ke dauran hum sabhi shop ke andar pahunch chuke aur aisa hote hi DIMPLE ko KHANAK ki baat justified lagne lagi thi..

single floor building thi BLOSSOMS par it was huge..

kayi sections bane hue the yahan jinke peeche bulk me alag alag varieties ke flowers moujud the..


MAI-6 pink roses,4 Transvaal daisy,2 Chrysanthemum,3 iris and Larkspur,5 orange sunflowers and 5 Gardenia...

kuch buttercups bhi de dijiyega...

shop aur flowers check out kar hi rahi thi new girl ke kaano me jab meri awaaz padi toh uski nazarein turant mere selected flowers ke taraf ghoom gayi..

rose ko chhod bohot hi rare aur bookey me usually naa istemal hone waale flowers maange the maine..

DIMPLE ko bhi flowers ki achi samajh thi aur ab se pehle kisiko aise rare non bookey use waale flowers ko maangte nahi dekha tha usne...

par aisa kyun kiya tha maine..!!!ye bhi kuch hi seconds me samajh aa gaya the new girl ko..

rose jisse centre me rakha tha maine,uske chaaron taraf buttercups sajaane ke baad jis tarah baaki ke flowers ko tezi se rakhta chala gaya mai,ek baar phir new girl mujhse khudko impress hone se nahi rok paayi thi...


ANJALI-wow... that's beautiful SAN...

RASHI-it really is...!!! meri mom bhi kaafi achi flower decorator hai..she is kind of a pro...alag alag ideas ke saath flowers se bookeys khud banati hain woh but i have to say,itna beautiful bookey toh unhone bhi kabhi nahi banaya...

ANJALI-ab SAN toh sirf ek hi hai naa...


meri taarif ke beech jahan RASHI ke saath saath KHANAK aur NAISHA bhi bookey ko check out karne me lag chuke the,boys joki shop me moujud ladkiyon ko taadne me busy the wahin new girl ki nazar jo ek pal pehle tak mujhpar hi tiki thi,meri nazar uski taraf ghumte hi ab woh shop me moujud flowers ko check out karne me lag gayi thi...


MAI-so, what's your fragrance...???(favourite flowers)


new girl ke baaju me khada hokar saamne rakhe anemones ke bulk ko checkout karne me lag gaya tha mai...

DIMPLE-guess karo toh maanu...!!!


jab se officially friendship hui thi hum dono ki, baatein toh kaafi openly hone hi lagi thi meri aur new girl ki par saath hi saath abhi ki hi tarah friendly challenges lagatar deti rehti thi woh mujhe..


MAI-guess kar liya toh...!!!

DIMPLE-impossible..maine tumhe kabhi aisa kuch point ya hint out kiya hi nahi hai..!!

MAI-babes..impossible is just a word...

DIMPLE-really...!!ok then,agar sahi guess kar liya tumne then i will owe you..a truth or a dare.anything you say...

MAI-saath kism ke phool attract karte hain tumhe...

roses,orchids,tulips,calla lilies,carnations,anemone,zinia...


ek second me new girl ke face ka expression badal chuka tha...

smile se shock tak ka safar chand pal bhar me hi tay kar liya tha uske chehre ne..


MAI-how do i know...!!!!simple... aankhen...chehra jhoot bol sakta hai, vyaktitv ko jhootha dikhaya jaa sakta hai par aankhein...!!

ye kabhi jhooth nahi bolti...

apni khawaish ko talash hi leti hai ye aankhein aur jab talash puri hoti hai toh talab paida karti hain nigahein...

jin phoolon ka naam liya maine,baaki segments ke mukable un phoolon ke segments par tumhari nazar thodi zyada der tak thehri thi...

aur us waqt taarif aur khushi dono dikh rahi thi tumhari aankhon me, resulting and successfully concluding my answer...


new girl ke sawal and most importantly uske challenge waale jawab ko de diya tha maine jisse sun aankhon me taarif liye mujhe dekh rahi thi woh..


DIMPLE-kehte hain ki logon ke saamne sambhal ka bolna chahiye,pata nahi kab kaun sa RAAZ apne aap nikal jaaye..

par tumhare saamne toh lagta hai aankhein bhi sambhal kar kholni hongi..

pata nahi,kab kya bayan kar den..

MAI-imaan aur iraade sachen ho toh nazar aur zubaan,dono me hi ehtiyat ki zaroorat nahi...


meri baat par kuch pal dekhti rahi mujhe new girl aur...


DIMPLE-ok then..i lose...batao,kya karwana chahte ho..truth ya dare..

MAI-truth se bada dare kuch nahi hota...but abhi ke liye i will paas..

ye prize phir kabhi...

DIMPLE-cool with me...

DHAMMMM.....


abhi hum baat kar hi rahe the ki tabhi ek zor ka dhamaka hua jisse sun sabse pehle mere kadam hi blossoms ke bahar nikal pade the..

the smoothie bar...ussi duplex building ke upari ek maatra floor ki khidki dhuen se ghir chuki thi..

par us dhuen ke piche dikh rahi aag ki palte jo har guzarte pal ke saath badi tezi se badhti chali jaa rahi thi,saaf bata rahi thi ki kuch hi der me first floor aag se dhak jaane waala tha...

achi baat ye thi ki bar ka first floor abhi service ke liye open nahi hua tha...

that means no human life risk...

par ground floor jahan kuch der pehle tak hum sab bhi the,wahan moujud saare customers with bar staaf turant exit ki taraf bhaag pade the..


NITS-iski maa ka...blast aur woh bhi smoothie bar me...!!!

RAJAT-koi criminal activity!!!

MAI-nopes...accident hai ye..


RAJAT ki baat beech me hi kaat di thi maine jisse sun sabka face meri taraf ghum chuka tha..

NAISHA-tujhe kaise pata..!!!??


MAI-criminals, terrorists, blast ke liye explosives use karte hain..agar explosives use hote toh uske impact se ground floor ki puri chhat deh jaati par aisa hai nahi..

and the sound..sound of the blast was more like an equipment malfunction...

SAM-jo bhi hai but thankfully first floor abhi open nahi hua hai verna...

AARNA.......... MERI BACCHI.....CHHODO MUJHE....


abhi SAM ki baat puri hui bhi nahi thi ki tabhi ek aurat jisse bar ke kuch lady staff ne pakda hua tha,uski tez cheekh padi hum sabke kaano me...

ye wahi aurat thi jiski bacchi AARNA ko maine godh me liya tha...

air unki is cheekh se saaf zaahir tha ki unki beti andar bar me hi fasi hui thi...

hum sab turant pahunche unke paas jiske baad...


NAISHA-what happened aunty...!!!???

AUNTY-meri beti AARNA upar first floor par fasi hui hai... please i beg of you,koi mujhe meri beti laa do...


aansu se pura chehra pura bheeg chuka tha aunty ka jisse dekh unke ghutne se dari sehmi chipki unki dusri beti ka bhi rona chhut chuka tha...


SAM-par aunty,AARNA first floor me kya kar rahi thi...???woh space toh abhi open hi nahi hua...!!!


SAM ki baat par aunty ko hold liye khadi ek bar staff girl ghumi uski taraf aur...


STAFF-space open nahi hua hai but bacchon ke liye bana wash room wahin hai jo open bhi hai..

AUNTY-AARNA ko wash room jaana tha..AAVYA ka smoothie khatm nahi hua tha isiliye isse wahin neeche chhod mai AARNA ko liye upar chali gayi thi..

AARNA washroom me ghusi hi thi ki tabhi AAVYA ke rone ki awaaz sunayi di mujhe isiliye mai turant neeche aa gayi..

SAM,-aur ye blast tabhi hua...damn...

EKPREET-par ye blast hua kaise...!!!???

STAFF-no idea...

DIMPLE-any idea ye SANVY kahan gaya...!!!

RASHI-nopes..

KHANAK-aunty ne AARNA bola,tabhi us direction me bhaaga tha woh...

AUNTY-chhodo mujhe...meri bacchi fasi hai andar...i cant leave her...


un dono staff girls se apna haath chhudane ki koshish karne lagi thi aunty par aisa ho nahi paaya joki theek bhi tha..

apni bacchi ko bachane ke chakkar me aunty bina plan sidhe bar ke andar jiska ab ground floor bhi aag se jhulas chuka tha,jaane ki koshish karti jisse khudko hi nuksaan pahuncha baiththi woh..

realization tha is baat ka un girls ko isiliye samajhdari dikhate hue they were holding her tightly...

wahin bar ka manager jo kaafi der se phone par laga hua tha,woh pahuncha aunty ke paas aur..


MANAGER-fikr mat kijiye ma'am...the fire brigade team is on the way..15 minutes ke andar woh yahan honge...

AUNTY-15 minutes..!!! just look at this place..abhi andar ghusa nahi jaa sakta phir aise me andaza hai aapko ki 15 minutes me ye aag kitni aur zyada badh chuki hogi..

aur smoke..it has already spread everywhere...pata nahi meri bacchi andar saans bhi kaise le paa rahi hogi... !!!

DIMPLE-relax aunty.. kuch nahi hoga AARNA ko..i will try to get her...

EKPREET-par kaise...!!!??the place is completely on fire...


building and most importantly,first floor ko dekhne lagi thi DIMPLE..

ek bada sa window tha wahan joki open bhi tha but uske dono patte aur grill 75 percent tak aag me chhup chuka tha..

kareeb 15 feet upar tha woh window par usse pehle lagbhag 7 feet upar entrance main gate ke above ek lohe ka light stand rod bana hua tha..

same rod window ke baaju me bhi bna hua tha...

unhi rod ko dekh aakhein thodi chamki new girl ki aur agle hi pal body ko halka jhatka de khudko free chhodne ke baad entrance door ke knob par jump laga diya usne..

national level acrobatics champ thi DIMPLE isiliye hadh se zyada flexible tha uska sharir..

pressure aage rakhte hue badi asaani se us chote se knob ka sahara le khud ko ek baar phir upward push kiya usne aur aisa karne ke agle hi pal upar bane us light stand rod par ko uske dono haath thaam chuke the..

AHHHHHH.....DHAPPP....

par rod thaamne ke agle hi pal unhe chhod wapas neeche aa gayi thi DIMPLE..


SAM-are you out of your mind...!!!iron rod hai woh... this place has started to vaporize... obviously heat hoga woh rod..

DIMPLE-i know..par itni jaldi itna zyada garam ho jaayega,ye nahi socha tha..

apne dono hatheli jinme redish scars se aa gaye the,unhe rub karne lagi thi new girl...


AUNTY-meri beti...itni der se andar fasi hui hai woh..kahin usse kuch...

MAI-kuch nahi hoga usse...!!!i promise..


apni bacchi ke situation ke baare me soch ek sadme waali condition me jaane lagi thi aunty par tabhi pahuncha mai wahan...

NITS-abbe kahan nikal liya tha tu..!!!??

ANJALI-what the hell..ye blood kaisa..???


mere right fist se halka halka khoon nikal raha tha jisse turant thaam liya tha ANJALI ne..

MAI-explanations baad me dun...

baaki sabki tarah new girl bhi mere paas aa chuki thi par mere right hand se nikal rahe khoon ke saath saath usko nazar mere left hand par bhi padh chuki thi jisse dekh uski aankhein sochne waale andaz me choti aur phir samajhne waale expressions ke saath normal bhi ho chuki thi..


DIMPLE-is that BROBANE...!!!


ek transparent bottle se jhaank rahe reddish brown gel numa chemical ko dekh uska naam andaza lagaya tha DIMPLE ne jispar bottle ghuma diya maine..

chemical ka naam sabke saamne tha which was brobane aur ye dekh saara ganit samajh me aa chuka tha new girl ke super sharp brain ko..

woh samajh chuki thi ki paas hi moujud chemist lab ki taraf bhaaga tha mai aur brobane jis glass shelf me rakha hoga,usse todte hue hi merr hatheli kati hogi...

AARNA ko bachane ke mere plan ka bhi idea ho chuka tha usse...


DIMPLE-brilliant...par lab instructor se maang bhi toh sakte the...!!!

MAI-tha nahi woh...aur rookne ka waqt bhi nahi tha..

DIMPLE-true..but sirf brobane se kaam nahi chalega.. it's liquid but you need gel...

NAISHA-liquid,gel...!!! koi hume batayega ki baat kya ho rahi hai..!!!

MAI-as i said, explanations later..


apne left pocket se ek choti si shishi nikaal saamne kar di thi maine jisse dekh aankhen chamak gayi thi new girl ki..

LHALOGENATED HYDROCARBON CHLORINE tha us chote se shishi me..

turant mere haath se us shishi aur brobane ko le liya usne aur dono ke caps khol diye..

agle hi pal brobane waale bottle me new girl hydrocarbon chlorine udelne lagi thi aur ye dekh ek appreciating gesture chaa chuka tha mere face par..

it meant ki woh jaan chuki thi mera plan...


MAI-brilliant...

DIMPLE-you will need a flame retardant outfit too....yours is good but half sleeve toh chal nahi sakta..


chlorine brobane bottle me pura udelne ke baad cap wapas laga bottle ko zoron se shake karne lagi thi new girl...

is beech...


MAI-denim,crepe,chiffon,mushlin, cotton...


paanchon boys ke cloth materials checkout karte hue finally rajat par tiki meri nazar jisne pehna hua tha cotton...

the perfect flame resistant clothe...woh bhi full sleeve...

MAI-sando pehna hai andar...

RAJAT-haan par kyun...???

DIMPLE-just shut up aur kholo apni shirt...fast...


jis tarah boli thi ye baat new girl ne, turant apne button unbutton karne lag gaya tha RAJAT..

kuch hi palon me shirt less ho chuka tha woh aur aisa hote hi uske haath se shirt jaise cheen li thi DIMPLE ne...

chrrrrr...

jahan ek taraf new girl us puri shirt me brobane aur hydrocarbon chlorine ke mixture ke result se bana gel malne lag chuki thi wahin maine shirt ke shoulder point se dono taraf strech karne ke liye faad diya tha usse aur ye dekh..


DIMPLE-ye kyun kiya...!!!meri hatheli aise hi dhak jaayegi shirt me..

MAI-par meri nahi..mai jaa raha hun...

DIMPLE-what..!!!no...just look inside... ground floor ka har area completely fire drenched hain..

wahan se jaana impossible hai...upar window me thodi jagah hai par uske liye you have to swing 360...mai araam se kar lungi...


MAI-bilkul kar logi par aate waqt tum akeli nahi,ek 20 kg plus ki bacchi hogi tumahare saath..uske saath acro try karne ka risk nahi le sakti tum...

DIMPLE-aur tum le sakte ho...!!? risk toh tab bhi hoga..

MAI-risk is my normal...


baat karte hue hi RAJAT ke pure shirt ko gel se puri tarah mal chuki thi DIMPLE which meant ki the shirt was now a flame retardant product..

theoretically atleast.. practically ye sach tha ya nahi,kuch seconds me mujhe pata chal jaana tha...

turant shirt pehen chuka tha mai...aisa kar face par bhi woh pura gel mal liya tha maine...

ab tak baaki sabko bhi hamara plan kuch kuch samajh aa chuka tha aur isiliye mere shirt pehente hi...


ANJALI-and what about the face...!!!!

MAI-what about it..???maut ke kuyen me aankh band kar bike chalane nahi jaa raha hai mai..

i need my sight... tention na lo,upar window se opening hai thodi bohot...

zyada se zyada temporary red scars aayenge,that sit..

DIMPLE-breadth me 42 cm ke aas paas ki opening hai and you must be around 39 cm...

bohot carefully paas karna hoga aur else red scars nahi first degree burns aane ke bhi bohot zyada chances hain..

perfect analyzise kiya tha new girl ne jisse sun sabke faces ko tention aur badh gayi thi...


NITS-dekh bhai..zyada hero banane ki zaroorat nahi hai...woh manager bol raha tha,fire brigade waale on the way hi hain...

MAI-they will stop the fire..par tab tak AARNA survive nahi kar paayegi..

aur hero nahi, jo kar raha hun mai,usse humanity bolte hain..

bacha sakta hun mai us maasum ko, agar ye jaante hue bhi kuch nahi kiya toh sharir zaroor bach jaayega par aatma jal jaayegi meri..

relax,i got this..2 minutes..aapko beti aapki godh me hogi aunty..i promise,again...


apni baat bolte hue hi hand sleeves ko kheeenchte hue apne hatheli ko cover kiya maine aur..

DHAKKKK...KATTTTT...

SAB-SANVY....


door knob joki ab puri tarah aag me jhulsa hua tha,uspar foot pressure daalte hue pipe par chadh chuka tha mai..

par aisa karne ke beech hi woh knob joki jhulasane se weak ho gaya,mere feet pressure se toot chuka tha but mai aisa hone se pehle hi upar us rod pipe ko thaam chuka tha..

hadh se zyada garam ho chuka tha woh rod par thanks to the bromane chlorine gel joki kapde ke har hisse me perfectly lagaya tha humne aur jisle piche is waqt meri hatheli fasi hui thi, mujhe bad ek warm sensation feel ho raha tha..

par sleeves ke piche hatheli rakh yun latakna asaan nahi tha..gril dheeli padhne lagi thi meri isiliye ek baar neeche sabko dekh unhe wink karne ke baad khudko dobara jhatka diya maine aur mere aisa karte hi sabki aankhen badi ho chuki thi..

REASON...

kisi professional gymnast ki tarah us rod ke sahare 360 degree ghumte hue sir neeche pair upar kar us rod pipe par latak chuka tha mai..

par ye koi halt nahi tha..agle hi pal ek aur baar rotate hui meri body par is baar upar uththe hi rooki nahi balki double force generate karte hue hawa me kalabazi khaati chali gayi..

DHAKKK..

ek baar phir ye awaaz aayi thi par is baar mere haath nahi,pair land hue the us rod pipe par..


SONU-bbhai ssambhal kke..

MAI-the opening breadth is indeed 42 cm..


SONU ki baat ka jawab diye bina new girl ka window aur usme lagi aag ke beech ki gap ke analysis ko sahi paaya tha maine...

achi baat ye thi ki exterior decoration ke naam par wall me kuch artificial bricks lage hue the jo us window ke just neeche khatm hote the...

aur just window ke left edge par ek aur rod pipe bana hua tha...

ungliyon ko jumbish dete hue pehle brick ko joki tod se bas 5 feet upar hi bana tha,usse tightly hold kiya maine aur...


NITS-iski maa ka..ye saala toh chhipkili ki tarah chhadh raha hai be..

RASHI-kya aisa kuch hai jo ye nahi kar sakta...!!!!???

ek se dusre brick ka sahara lete hue badi tezi se upar window ki taraf badh chuka tha mai aur kuch hi der me i was right under the window..

aise hote hi ek baar phir meri body ne halka jhatka diya aur agle hi pal mai window ke left edge par bane rod pipe ko pakad chuka tha..

ye waala rod kuch zyada hi garm tha aur kyunki mere kapdon par laga flame retardant gel koi perfect mix nahi tha, isiliye uska asar bhi har guzarte pal ke saah kam hota chala jaa raha tha...

i was feeling the heat par sehen karne laayak tha ye jalan..

ek lambi saans chhod khudko swing karna shuru kiya maine..

nazar meri us window par hi thi jiske theek beech se khudki body ko tedha karne ke beech attention position waale pose me rakhte hue andar flow karna tha mujhe aur tabhi...

kisi teer ki tarah khudki body ko aage ki taraf release kar diya maine...

pair aapas me jude the mere.. kisi tirchi par akdi lakdi ki tarah khudko hold karte hue us jalti hui window ke paar nikal chuka tha mai...


NITS-woh maara papad waale ko...

ANJALI-haashh...that was damn close...

EKPREET-humanity ke naate kar raha hai par hai apna bhai hero...


NITS ANJALI aur EKPREET ki tarah sab apni apni pratikriya dene me lage hue the aur is beech DIMPLE ki nazar gayi AARNA ki mom par jiske face me itne waqt me pehli baar khushi dikh rahi thi..

CHRRRR...CHRRRR...CHRRRR...

ek baad ek media house ki cars rooki thi blossoms ke side jisse dekh..


RAJAT-aa gaye saare geedh...koi pyas se marta bhi rahe toh jaan nahi bachayenge uski,mooh me mike thusenge aur puchenge, bina paani ke kaisa mehsoos hota hai...!!!kiska kasoor hai hai jo aap paani ki killat ki wajah se mar rahe hain...


RAJAT ki tarah baaki sab bhi media waalon ko bakne me lage hue the aur is baat ki bina parwah kiye media waale jal rahi building ke videos lene aur camara ke saamne apni apni raay dene me lage hue the...

ye saara scene bahar ka tha aur andar..

andar khada tha mai...is half furnished hall ke beech khada chaaron taraf se dheere dheere apni taraf badh rahe aag ko mehsoos karta saamne dekhta mai..

reason...

us kids washroom par thi meri nazar jiske solid wood par bhi aag ki lapte chipakne lagi thi..

par kyunki solid wood par aag chadhne me time lagta hai, isiliye us door ka more than 50 percent part abhi flame paint nahi hua tha..


MAI-AARNA....AARNA.......


rook rook kar do baar zoron se pukara tha maine naam AARNA ka par koi reaction nahi aaya..

positive but nervous feel ke saath lambi saans chhod sade kadmo se jal rahe floor ke bache bhaagon par chalta hua mai washroom ki taraf badh chuka tha...

MAI-what the fuck..!!!toh ye hai is aag ki jadh...


aag ki wajah se sight bhi zyada clear nahi tha par jaise hi mai washroom door ke paas pahuncha,toh is achanak hue blast aur usse bhadke aag ka ganith samajh aa gaya tha mera..

LINSEED OIL... smoothies me use hone waali flax seed ki mother..uska primary form..

LINSEED OIL ke kul teen jars joki is waqt fatkar tukdo me zameen par gire hue the,unke andar rakhe liquid jo ab vaporize ho chuke the,apne nishaan chhoda hua tha unhone..

NUTRIBULLET as in smoothie making machine.. blender overheating ki wajah se staff ke ek bande ne usse yahan upar laakar chhoda hua tha..

jab AARNA ko godh me liya hua tha maine,tab dekha tha us bande ko maine is machine ko yahan upar laate hue..

NUTRIBULLET ka blender jab malfunction ki wajah se overheat hota hai toh usse thanda hone me kaafi waqt lag jaata hai.

us time kisi bhi heat yielding chiz ka is machine ke paas aana dangerous ho sakta hai..

upar se is hall ke edges me air ventilation pipes bhi lage hue the jo kisi bhi tarah ke circuits ko aur bura bana dete hain...

ek window un pipes ke piche bhi tha par it was close...

aur woh smoothie machine ussi ventilation pipes ke behadh paas rakhi hui hai...

toh hua ye hoga ki washroom karne ke baad jab AARNA bahar aayi hogi toh plastic chairs jinme koi support bhi nahi tha,unke upar rakhe ek linseed oil ko push kiya hoga usne..

waise toh ek paanch saal ki bachi ke push me dum nahi hota par itna pressure toh woh push tab bhi create kar hi sakta hai ki ek 10 inch bada jar joki without side stand chair par rakha hua hai,woh disbalanced ho jaaye..

wahi hua hoga.. disbalanced hote hue halka door rakhe second jar ko hit kiya first ne aur phir third jar ko second ne..

teeno jars neeche gire jiske baad unke taps unlock ho gaye honge...

liquid behta hua machine ke paas gaya hoga, resulting,fire..

instant fire jisne sabse pehle blender me ek chota sa blast kiya hoga par jaise hi is blast ke impact se pipes disorient hue honge,BOOM....

air pressure ke beech zor ka blast hua hoga..

is beech LINSEED OIL ne hall ke bohot se areas ko cover liya hoga, resulting fire outrage...

and to put ice on the cake..air jo un pipes se nikal tezi se fire ko badhane me lag gaya hoga...

summary.. catastrophe...

in saare thoughts ke beech mai washroom ke door tak pahunch chuka tha jiske baad knob joki ab tak salamat tha,usse kapde ke through hold kiya maine..

damn,it is hot..

dhadakte dil ke saath door kholta chala gaya mai aur...


MAI-AARNA...

bacchi thi andar..dubak kar dari sehmi baithi thi woh...

meri awaaz sun apni nam aankhon se dekha usne mujhe aur mujhe dekhte hi apni nanhe nanhe haath meri taraf badha diye usne...

turant aage badha mai aur usse godh me utha liya...


AARNA-mujhe mummy ke paas jaana hai..

MAI-aapki mummy ne hi bheja hai mujhe..

AARNA-haan...!!!

MAI-haan..unhone hi kaha hai mujhe ki jao aur jaakar meri beti ko le aao..

chalen...


badi maasumiyat ke saath haan me sir hilaya AARNA ne jiske baad usse liye palath gaya mai...

khudse chipka liya tha maine AARNA ko taaki aag ko dekh woh dar na jaaye..

hall ki condition ab pehle se aur badtar ho chali thi..

stair case way toh pura hi jal utha tha..

infact,kareeb 90 percent part was under fire par halka hi sahi, window ke liye ek safe passage ab bhi moujud tha..

turant us passage se hota hua window ke paad pahunch gaya mai par tabhi...


MAI-SHIT....

BOOM.....

AARNA.....SANVY.....


mujhe upar chadhe abhi kareeb 3 minute hi hua the ki tabhi ek aur tez dhamaka hua tha us room me..

impact tagda tha..window ke jo bache glasses the,woh sab bhi toot chuke the...

thoda bohot view jo us window ke through clear tha,dhamake ke baad ab woh pura area bhi smoke se bhar utha tha...

ye sab dekh AARNA ki mom apni bacchi ke liye aur mere friends mere liye tadap uthe the..


REPORTER-jaisa ki aapne abhi abhi dekha ki smoothie bar me ek aur dhamaka hua hai..

hume pata chala hai ki ek choti si bacchi jahan blast hua,us room me fasi hui thi aur ek ladka jo us bacchi ko bachane ke liye apni jaan ki parwah kiye bina wahan upar gaya tha...

par is dhamake ke baad un dono ka hi bach paana bohot mushkil lag raha hai...

NITS-iski maa ka madarchod...


sanak chuka tha NITS.. NITS kya,us reporter ki baat sun sabhi uspar bhadke hue the..

boys usse pelne badhe the aage par par NAISHA aur RASHI ne milkar rok diya tha sabko..

is beech do logon ki haalath ajeeb thi..

pehli ANJALI jo har guzarte pal ke saath apna dimaag khone lagi thi aur DIMPLE...

bohor zyada bharosa tha usse SANVY par..jitna abhi tak usne dekha tha,samjha tha,jaana tha,usse lagne laga tha ki SANVY ke liye kuch bhi impossible nahi hai but jaisa ye blast tha aur uske impact ke jo dreadful calculations uske dimag me chal rahe the aur jo bilkul sahi the,uske according bohot zyada nervous bhi ho chuki thi woh...

UNNN..UNNNN...UNNNN...UNNNN....

is second dhamake ko paanch minute hi guzre honge abhi ki tabhi fire brigade ki gaadi ke awaaz ne sabka dhyan unki taraf kheench liya tha...


NITS-ab aa rahe hain harami saale..pata nahi mera bhai kis condition me hoga...

RASHI-aur woh bacchi...

AARNA...MERI BACCHI....


AARNA ki mom thi ye jo pehle toh unke pair se chipki bacchi ko dekh thodi shock hui par phir jab us bacchi ka chehra dekha usne toh apni aankhon par jaise yakeen hi nahi hua usse.

AARNA thi woh bacchi....turant usse utha liya uski mom ne par is apni beti ke roop me dikh rahe sach ko kuch pal jaise yakeen karne me hi lag gaya tha usse..

par sach toh sach hi hota hai...

khushi ki aansu ke beech apni beti ke gaalon ko bhi chum chum kar geela kar diya tha usne...

wahin mere dost bhi AARNA ko dekh behadh khush bhi the aur hairan bhi...

mujhe idhar udhar talashne lagi thi unki aankhein aur tabhi new girl ki nazar padi door ek pedh ke paas bane bench par baithe ek alone shaksh par...

ye mai tha...


DIMPLE-woh raha...


meri taraf tezi se badhne lagi thi new girl aur uski baat sun baaki sabki nazar bhi mujhpar padh chuki thi..

national level 100 metre doud rahe hon jaise,kuch aise bhaage the sab meri taraf...

par new girl ke saath saath sabse pehle ANJALI pahunchi thi mere paas..

usse dekh aur uski non break speed ke ganith ko samajh khada ho gaya tha mai aur..

DHAKKK...

turant mere gale lag gayi thi woh...

par ye gale lagna bas ek pal ka hi tha..


ANJALI-kutte,kamine...hamesha badi herogiri dikhani hoti hai,kyun...!!!


mere chest aur haathon me apne soft haathon se mukke barsaane ke beech roti chali gayi thi ANJALI..

uske yun karne par baaki sabke saath saath new girl ke face par bhi smile naach uthi thi..


MAI-ab hero hi toh herogiri dikhayega naa..!!!

dhabbbb...

ek aur mukka mere haathon me jama diya tha usne...


MAI-le bhai,teri amanat...


RAJAT jiski shirt ab kisi scarf se zyada nahi dikh rahi thi,uski taraf badha diya maine jisse haskar le liya usne..


RAJAT-ye toh rakhunga bhai mai..ek bacchi ko bachane me ehem role jo nibhaya hai isne...

momento se kam na hai ye shirt..

EKPREET-x-shirt...

RAJAT-exactly..

SAM-par dude,hua kya tha..??i mean,there was a second blast..kahan tha tu us time aur bahar kaise nikla...???

MAI-wapas saamne waale window se hi aa raha tha mai par tabhi meri nazar us khidki ke neeche bane pipe par padi...

ek lin seed ka chota jar wahan bhi tha aur pipe ke fatne aur wahan se hawa release hone ke kaaran safe tha...

par flame was catching up aur jar ke kaafi kareeb aa gaya tha...

andaza ho gaya tha mujhe ki it would blast any moment isiliye wapas washroom ki taraf palat gaya mai..

washroom ke paas bhi ek ek window thi but that closed..

khola usse maine and thankfully,koi grill ya rod nahi laga tha uspar..

but most importantly, washroom ka septic pipe window ke just right side hi tha..

bachi ko saamne chest par rakh RAJAT ki t-shirt se bandha maine usse aur pipe pakad li..

tabhi blast hua tha but before it happened,i had started sliding down...

end of story...ab chalen...

DIMPLE-nopes...AARNA ki mom ko unki beti khud isiliye deliver nahi ki tumne kyunki media thi wahan..

AARNA ko dheere se uski mom ke paas chhod yahan aakar baith gaye the tum...that is the end of story...


new girl ki baat par bas smile kiya maine jispar...


DIMPLE-bravery like that should be awarded...but most importantly, dont you think,a champion shouldn't avoid limelight...

MAI-humanity koi race nahi jiski doud me jeet ke baad trophy collect kiya jaaye..

phir bhi,i have already got my trophy...


meri baat par aankhon me sawal liye mujhe dekhne lagi thi new girl..


MAI-woh dekho..apni beti ko sahi salamat dekh woh smile jo aunty ke face par hai, that's my trophy..

and trust me, apni aulad ko seene se lagayi ek MAA ki sukoon deh muskurahat ka kaaran hone se bada tohfa aur inaam kuch bhi nahi...


jahan apni baat bol ANI aur baaki sabke saath aage badh gaya tha mai wahin meri baaton ne aaj ek baar phirse new girl ke dimag ko nahi balki uske dil ko chhua tha...

aur us chhuan ne ek baar phir uske labon ko shabd de diye the...


DIMPLE-



jaane ye koun sa rishta hai jisse mai SAWAAR RAHI HUN...

tere aks ki rangat apne zehen me, apni nazaron me mai UTAAR RAHI HUN...

naa tune mujhe lalkaara hai naa maine tujhe koi chunouti di hai magar...!!!

tu phir bhi mujhse jeetatha jaa raha hai aur mai,har baar tujhse HAAR

RAHI HUN...








AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
 

Top