Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43

AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RACE ME DIMPLE AUR SANVY KE BEECH TIE HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF SAM KO PRINCE KE LADKON SE BACHANE KE CHAKKAR ME SANVY KO APNE LEG ME EK HOCKEY HIT LAG JAATI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-76

DATE-7TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





WHAT THE HELL...

PAAGAL HAI KYA BE...

PPAAGAL NNAHI CHUTIYA HAI...

REALLY SANVY..THIS IS INSANE...

YOU ARE INSANE...

KAR KYUN RAHA HAI BE YE TU...AUR ANJALI...TUMHARE REHTE YE UTPAATH KAISE MACHA RAHA HAI...???


pichle 4 dino ki tarah aaj bhi school hours ke baad sidhe mere ghar aaya tha mera pura group...

par aate hi jo scene dekha sabne,hairan hona laazmi hi tha sabka...

ek non injured leg as in one leg se skipping kar raha tha mai aur ye dekhte hue ANJALI apna sir pakad kar baithi hui thi...

wahin dusri taraf chot lagne ke baad se hi mujhe zyada der tak ek pair me bhi khade hote hue nahi dekha tha mere doston ne toh aise me mera skipping karna, shock bhi lagna tha un sabko aur ghussa bhi aana tha...

khaas kar NEW GIRL ko joki furiously mujhe ghoor rahi thi...

us din school se ghar loutne ke baad jab check up hua mera toh pata chala ki knee ke just neeche fibula bone se lagkar side par laga tha mujhe woh hockey hit...

luckily direct bone hit nahi hua tha isiliye par uske end hisse me stick ki maar lag hi gayi thi aur kyunki fibula bone ubhra hua haddi hota hai aur isiliye uski delicacy thodi badh jaati hai, impact acha khaasa pada tha uspar...

crack toh nahi hua tha woh par knee ke neeche ka pura area swell ho chuka tha mera...

swelling se pain bhi kaafi hota hai aur painkillers khaane sahi nahi lagte mujhe...

i was taking them but just one in a day aur isiliye pain rehta hi tha mere pair me...

aise me dard kam feel karwaane ka ek hi psychological tarika tha aur woh tha mind diversion...

NEW GIRL sab kuch chhod bas mere saath rehna chahti thi par maine aisa nahi hone diya...

sports meet jo paas tha...haan,usse apne kisi bhi selected event me jeetne ke liye extra practice ki zaroorat nahi thi par aisa toh hamesha se hi raha tha...

par she had never lacked aur ignored her practice toh phir is baar apni wajah se aisa kaise hone de sakta tha mai...!!!

ANI bhi mere theek hote tak school nahi jaana chahti thi par board the is baar aur ANI is one of the top students of our class...

itna lamba bunk sahi nahi tha uske liye...

mere convince karne par maan toh dono hi gayi par aadha...

aadha isiliye kyunki un dono ne ek dusre se hi ek pact kiya ki 2 din ANJALI school bunk kar mere paas rukegi aur 2 din NEW GIRL...

rehna mere saath tha par mujhse pucha hi nahi dono me se kisi ne aur apna decision final bhi kar liya...

aaj ANJALI ka day tha isiliye yahan thi woh...

khair, pichle 15 minutes se halke halke gaps me mai skipping kar raha tha jisse kayi baar rokne ki naakamiyab koshish karne ke baad MAA se phone me complain kar apna sir pakad aur mooh phula baithi thi ANI...


MAI-arre chill yaar...5 din se yunhi baitha hua hun...body me blood rush bhi toh zaroori hai toh socha ki thodi skipping kar lun...

DIMPLE-how thoughtful of you...blood rush ke liye baithe baithe upper body work out bhi kiya jaa sakta hai lekin nahi, tumne lower body jahan itni zyada taklif hai,usse chuna tumne,right...!!!

itne stupid toh nahi the tum...


dost the mere, isiliye lihaaz kar rahi thi NEW GIRL warna jaise facial expressions the is waqt uske face me,saaf bata raha tha ki agar akele hote hum toh haalath kharab kar deni thi meri usne...


MAI-upper body se kaun race doudta hai bhala...!!!

DIMPLE-matlab...!!!

MAI-itni stupid toh nahi thi tum...arre sports meet aa raha hai in which i am participating this time...

aur agar yunhi without any leg movement pada raha ma toh event ne doudna chhodo,tez chalne par bhi cramp aa jaane hain thighs me...

WHAT...!!!!

EKPREET-tu ab bhi sports meet me participate karne ki soch raha hai...is condition me...

NITS-oh bhai sahab... doctor ne clearly bola hai ki sirf sujan pura khatm hone me lagbhag 2 hafte lagne hain par uske baad bhi kuch din pressure nahi dena tune apne right leg par...

MAI-aur maine ok bhi bola tha doctor ko,you know for the sake of his medical degree...


meri baat sun NITS aur SONU,dono hi sir shake karne lag gaye the kyunki jaante the dono ke doctor ki naa pehle kabhi suni hai maine aur na ab sunane waala tha...

par mere sarcastic comment ko sun NEW GIRL ka dimag aur ghum gaya tha...


DIMPLE-what the hell...nahi kar rahe tum koi exercise aur running practice ka toh sochiyo bhi mat...

MAI-ok...


kandhe uchka wapas apne bed ki taraf palat gaya mai par ye dekh jahan ANJALI bas dheere se muskurayi wahin uski smile dekh NEW GIRL ka bhi ganith clear ho gaya tha...


DIMPLE-i am serious SANVY...

MAI-i know isiliye toh bola...ok...

DIMPLE-you...ruko,aane do aunty ko,unhe hi batati hun...

ANJALI-unhe bhi yahi bolega ye...ok...

NITS-right... pehle bhi kisi baat me rokne par bol chuka hai ok par phir karta wahi hai jo karna chahta hai...

DIMPLE-GOD this guy...


mujhe apni jagah se khade khade ghoor rahi thi NEW GIRL aur mai baaju me rakhi tray se ek apple nikaal khaane laga tha...

DIMPLE-fine...kar lo apni manmaani par ek promise karna hoga tumhe...aur sirf show waala promise nahi, SANVY'S promise jisse tum kabhi nahi todte...

mere baaju me baith mere haathon se apple le khud khaate hue mujhe dekh rahi thi NEW GIRL...

MAI-i am listening...

DIMPLE-agar tumhare kisi exercise ya non logical practice se tumhare pair ki swelling badhi toh you will stop...

completely stop jab tak pair puri tarah theek nahi ho jaata...

MAI-cool...

DIMPLE-i am serious SANVY...

MAI-mai bhi, tumhare liye...


NEW GIRL ke honthon ke side par ek apple bite laga hua tha jisse nikaal khud khaa liya tha maine aur ye dekh jahan mere saare dost halka halka smile karne lage the wahin NEW GIRL ka face sharm se laal ho gaya tha...

par kisi tarah khudke sharm ko daba wapas serious avataar me aayi woh aur...


DIMPLE-agar nahi maani tumne meri baat toh...

MAI-vaada aur sharth ek saath ache nahi lagte sunshine...

aapne vaada maanga,maine de diya,pura waqt kar dega...

par jab tak woh waqt nahi aa jaata,kyun naa hum saath me kuch acha waqt guzaar len...

NITS-chalna chahiye hume...


mujhe aur NEW GIRL joki abhi ek dusre ke behadh kareeb the aur ek dusre ki aankhon me dekh rahe the,hume dekh sabko chalne ka ishara kiya NITS ne jispar fauran amal hua...

hum dono ko yun ek dusre me khoye dekh sabke sab smile karte hue dheere dheere kar mere ghar se nikal chuke the...


DIMPLE-sab jaa rahe hain..
rokoge nahi...

MAI-rooth kar thodi naa jaa rahe hain...bas hume privacy de rahe hain..agar nahi chahiye tumhe toh bula lo phir sabko...

DIMPLE-maine kab kaha aisa...???


turant nikle the NEW GIRL ke mooh se woh shabd jinka matlab realise karte hi ek baar phir sharm ki chaadar chadh gayi thi uske face par...

aur mere usse lagatar nihaarne ki wajah se us chaadar ka daayra aur badhne laga tha jisse feel kar turant khudko control me laaya NEW GIRL ne...


DIMPLE-kal prelims ke results aane waale hain...tumhare mai leti aaungi...

MAI-hmm...


baat ghuma di thi NEW GIRL ne jispar smile karne laga tha mai...


DIMPLE-waise kya lagta hai,kya is baar NITS ne jo mehnet ki hai,will he get success...???

MAI-hard work is the maine route to success...let's see...

par usne mehnet ki hai,dil se,mai toh kamsekam issi baat se hi khush hun...

DIMPLE-ishq i guess...ache accho ko badal deta hai...


meri aankhon me khudke aks ko dekhte hue jaise apne hi wajood ko di thi ye statement NEW GIRL ne...

par mujhe naa me sir shake karte dekh thodi surprise hui woh...


DIMPLE-what...!!!

MAI-i disagree...ishq kabhi kuch badalta nahi hai...

DIMPLE-phir...!!!


MAI-

ishq na badalta hai,na abaad karta hai aur naahi BARBAAD KARTA HAI...

bas wajood ki jo asliyat andar dabi hoti hai,usse AZAAD KARTA HAI...




NEXT DAY:-

PLACE-SIRIUS




HANUMAN CHALISA KKAAHE BBADBADAYE JAA RRAHA HAI BE GAANDU...


CHITTRANJAN RAO...hamare class teacher jinke class me aate hi pehle NITS ki aankhein badi hui aur phir ekdum se band kar HANUMAN CHALISA badbadane laga tha woh...

SONU ki baat sun aankhein kholi usne jinme dar saaf dikh raha tha...


SONU-abbe tteri ttoh fati ppadi hai...wakayi bbhoot vooth ddekh liya kkya be...

NITS-sir ke haath me jo hai,woh kisi bhooth se kam thodi naa hai...


NITS ki baat sun apne sir par haath maar liya tha SONU ne...

aaj prelims ka result aane waala tha aur RAO SIR ke haathon me result sheets the aur unhi ko dekh gaand fath ke chaar ho gayi thi NITS ki...


SONU-abbe loudu...agar ppaper ache sse ddiye hain ttune ttoh teachers ddushman thodi hain ttere jjo jaanbujh kke mmarks kkaat ddenge ttere...

NITS-kya bharosa louda...mere saare utpaaton ka badla lene ke liye saamuhik sangathan bana daale honge sab teachers...

SONU-hath louda kkuch bbhi...

NITS-ye bhosadchodika SANVY bhi pair tudwakar ghar me baitha hai...kamina yahan rehta toh uski sadhi shakal dekh tention thodi hi sahi,kam toh hoti meri...

SONU-ssadhi shakal...!!! bhosdike sschool kki ssabse kkhubsoorat lladki G.F hai usski...

aur ek bbaat bbata bbe,ssabki ffati ggaand silne kka ttheka SANVY nne hi lliya hai kkya...!!!

RAO SIR-alright then...aapke ye prelims ka natija,ek tarah ka aayna hai aapke board results ka...

so,dekhne hain apne results...!!!

YES SIR...


sabhi students ke mooh se ek sur me haan nikla tha siway NITS ke jisne mooh se bola toh kuch bhi nahi par negatively daayen baayen sir hila naa ka ishara zaroor kiya tha...


RAO SIR-DIMPLE BATRA...

DIMPLE-yes sir...


khadi ho gayi thi DIMPLE apni seat se...


RAO SIR-98.6 percent...again,you are the topper of this class aur agar board me bhi tumhara performance aisa hi raha toh i am sure ki you will make it on the list of the top ten rankers for this year's i.c.s.e board exam's of the country...

DIMPLE-with all due respect sir,i will top that list...


DIMPLE ki baat aur uske face par dikh rahe confidence ko dekh ek proud smile naach uthi thi sir ke face par...


SIR-good... proud of you...

SAMEER CHANDER...97.6...proud of you too...i hope ki study ki tarah is saal ke annual sports meet me tum khudke liye,is class ke liye and most importantly is school ke liye wahi glory laaoge jo kisi zamaane me MR JAIDEN CHOWDHARY ne achieve kiya tha...


SAM-thank you sir...and i will give my best...

SIR-baithiye aap dono...

aap,aayiye aur left se in dono rows ke sheets baatiye...


A++ maane 95 plus toppers of the class joki DIMPLE aur SAM ne achieve kiya tha aur isiliye hi sir ne khud unke results open kiye the...

A+ maane woh har students jinke percentage 90's se 75 as in distinction tak aaye the...

A maane first division as in above 60 percentage...

inhi dono rows ko girls side ke first bench me jispar aaj RASHI,KHANAK aur NAISHA baithe the,unme se RASHI ko joki left edge par baithi thi, results open karne ke liye bulaya tha sir ne...

bacha B as in above 50,C as in between 40 to 50 and D matlab FAIL waale results,unhe RAO sir kabhi openly nahi batate the...

weak results waale students ko personal counciling dene me believe karte the woh...

khair,SIR ke bulaate hi RASHI pahunch chuki thi unke paas jiske baad first row waale A+ results utha liye the usne...


RASHI-ANJALI...


A+ results me pehla naam ANJALI ka tha joki aaj aayi nahi thi...

ANJALI ka naam bolte hue RASHI aur sunte hue unka saara group, khaaskar NITS bohot khush ho gaye the...


RASHI-SONU,NAISHA,RAJAT,SONU,ME...


apne naam ka sheet dekh bohot khush ho gayi thi RASHI par ye khushi kuch hi palon me surprise me badal chuki thi...

reason...


RASHI-NITS...i mean NITENDRA...


you heard right...RASHI naam ke baad 2 aur naam the us A plus toppers catagory me jisme se aakhri naam tha NITS ka...

jahan apna naam sun vishwas hi nahi hua tha NITS ko wahin uska saara group, group kya pura class hi NITS ki taraf surprised hokar dekhne laga tha joki laazmi baat hi thi...

quarterly exams me A aaya tha NITS ka par wahan bhi bas lagkar pahunch paaya tha NITS...

exactly 60 percent aaye the uske...par is baar 80 percent ke saath distinction achieve kiya tha usne joki ek board student ke upgrade ke lihaaz se huge jump tha aur baaki sabke liye surprising bhi...



"ishq na badalta hai,na abaad karta hai aur naahi BARBAAD KARTA HAI...

bas wajood ki jo asliyat andar dabi hoti hai,usse AZAAD KARTA HAI"...



par jahan baaki sab shocked the,bas ek NEW GIRL thi jo calm face liye NITS ko dekh rahi thi aur dimag me chal rahe the kal SANVY ki kahi baat jisse aaj NITS ke result ke baare ke jaan woh bhi ittafaq rakhne lagi thi...


SONU-pproud of you launde...bbhale kkiya ttune lladki kke liye hai ppar issi bbahane ppehli bbaar uncle aunty kko pproud ffeel kkarwayega ttu...


NITS ke liye khush usse zyada SONU tha aur jo baat kahi thi usne,hit kar gayi NITS ko...

har exam ke result ko dekh uske dad ab tak bas usse bakte hi aaye the aur MAA usse uske dad se bachate aayi thi par is baar pehli baar aisa nahi hone waala tha...

woh dono proud feel karne waale the apne bete par... results jaan apne MAA BAAP ke face par dikhne waale expressions ko feel kar khushi ke maare aakhein dabdabane lagi thi NITS ki jisse badi mushkil se rok paaya tha woh...


RASHI-now for the A results... EKPREET,KHANAK, SANVEER...


10 naam aur bhi the us A results ke bunch me par NEW GIRL ka kaan SANVEER sunane ke baad jaise band ho gaya tha...

SANVY ka naam sun ek pyari si smile naach uthi thi uske face par jisse KHANAK aur NAISHA ne bhi dekh liya tha...


NAISHA-kya baat hai...!!!itni khushi toh apne A++ result ko jaankar bhi tere face par nahi aayi thi jitni SANVY ke A result ko jaan dikh rahi hai...


KHANAK-B.F jo hai...khush toh hogi hi...

NAISHA-par babes,tujhe SANVY ko padhayi me aur effort lagane ke liye bolna chahiye...

ek taraf tu hai jo national topper banane tak ke liye qualified hai aur dusri taraf woh SANVY hai jo har baar A se aage badhta nahi...

i mean,tere se naa sahi par class ke baaki toppers jitne marks toh laane hi chahiye usse...

just like NITS did this time...


NAISHA ki baat par kuch kaha nahi DIMPLE ne bas muskurati rahi...

ab kya hi kehti...us bande se khudko upgrade kehne ko kehti jiska software pehle hi super advanced level par tha...

KRRRRRR....


fourth period joki as for study,last class thi,off hone ka bell baj chuka tha jiska matlab tha 45 minutes ka long break before the sports practice time...

RAO sir jaa chuke the jiske baad baaki class ke saath DIMPLE aur uska group bhi canteen ki taraf badh chuke the...




IN CANTEEN:-



CHAAND KO BOLO,NIKLE FALAK SE,KYUNKI...

AAJ KI PARTY MERI TARAF SE...


canteen pahunchte hi NITS ne apne andaz me dialogue maara tha jisse sun baaki sab has diye the...


SAM-woh toh tu dega hi beta...pehli baar A+ catagory me jo aaya hai...

NITS-aaya nahi laaya hun beta,kadi mehnet kar ke...

SAM-and that brings the main question... why now...???i mean,saalon se hum sab and most importantly tere mom dad tujhe padhayi par focused rehne ke liye bol rahe the par pehle toh kabhi nahi hua aisa... phir abhi achanak kya badal gaya bhai...!!!

NITS-beta sadharan khiladi regular matches me perform karte hain par asli khiladi finals me...

jab real pressure hota hai jaisa ki is baar hai...boards ka...

SAB-nice...

SONU-wakayi ssahi gghumaya hai llounde...ladki ko bboard bana ddiya...


chairs par baithne ke beech NITS ko dheere se kahi thi ye baat SONU ne...


EKPREET-chal be,order likh phir...

NITS-tere paaji lagaye the kaam me mereko naa...chutiya...jisko jo thusna hai,counter par jaao, khud laao aur thusso...

sirf bill dete time apan jaayega..akela...

RAJAT-saale jab bill dena hi tereko hai toh jaayega bhi tu akela hi naa...

EKPREET-chalo guyz,banate hain saale ko gareeb...


sabke sab uthkar counter ki taraf badh chale the the siway DIMPLE ke aur ye dekh...


NITS-bhabhiji...jaa nahi rahi khud lene toh apne is maasum devar ko hi apni pasand bata dijiye...

mai le aata hun aapka order...

THAKKK...

DIMPLE-mai already laa chuki hun...


400 ml ki ek green can table par rakhi DIMPLE ne...


NITS-abbe ye kya bala hai...???ye drink toh yahan naa dekhi maine pehle kabhi...yahan kya, kahin bhi nahi dekhi hai...

GUAYAKI UNSWEETENED YERBA MATÉ ...

ye kaisa afriki naam hai be...???

DIMPLE-energy drink hai...one of the best...PRINCI se request aur advance payment dekar sports training sessions shuru hote hi mangwa li thi maine...

NITS-iski behen ke bhai ke fufu ki bua ka...300 ka ek can...!!!


can ghumate hi uska price dekh aankhein badi ho gayi thi NITS ki...


DIMPLE-well best hai toh mehngi hogi hi...

NITS-apne fitness par itna focused aur serious rehti ho phir relationship me itni casual kaise...???

DIMPLE-mai samjhi nahi...

NITS-jabse chot aayi hai SANVY ke leg me,tabse uske paas rehne ke din divide kiye hain tumne aur ANJALI ne...do din tum hoti ho uske paas aur do din woh...

jabki priority tumhe apne paas rakhni chahiye thi... afterall G.F ho tum uski...


NITS ki baat sun ek pal dekha usse DIMPLE ne aur...


DIMPLE-agar tumhari aur SANVY ki gehri dosti ke baare me nahi jaanti hoti mai toh ye pakka assume kar liya hota maine ki you are jealous of the fact that ANJALI SANVY ke saath hai...

matlab tumhare sawal me chuppe statement ka ek hi matlab ho sakta hai, tumhe meri feelings, thought jaanane hain...

ki how i feel about SANVY'S and ANJALI'S unbreakable bonding...

woh bonding mujhe ANJALI ke liye negetive toh nahi kar rahi...!!!

concerned ho tum...par mere liye nahi balki apne dost aur ANJALI ke liye...right...!!!


DIMPLE ke assumptions joki bilkul sahi the,sun guard down karne smile ke saath apna sir shake kiya NITS ne...


NITS-baar baar saabit karti ho ki kyun perfect match ho tum SANVY ke liye...

ghumana aasan nahi hai tumhe apni baaton se...

DIMPLE-same chiz tumhare liye bhi keh sakti hun mai... tone, timing aur language aisi rakhte ho tum ki saamne waale ko lagega jaise you are concerned about him only...

manipulation techniques achi catch ki hai tumne SANVY se...

and for your actual question jo tumne pucha hi nahi,relax...i am very proud of SANVY'S and ANJALI'S friendship...

dono par pura bharosa hai mujhe aur is baat ka ehsaas bhi hai ki bhale hi mai G.F hun SANVY ki par jo jagah ANJALI ki uske dil me hai,woh kahin se bhi kam special nahi hai...

dil ke bohot kareeb hai woh SANVY ki...agar door kiya maine ANJALI aur usse toh dil dukhega SANVY ka...

aur aisa bhala mai kaise hone de sakti hun...!!!after all uske paas jo dil hai,hai toh woh mera hi...

ab apne dil ko kaun dukhata hai bhala...!!!

NITS-ohho maate..gazab hi dhaate...kya line bola yaar...part time writing ka kaam chaalu karo tum...you are good...

iski MAA ka...ye toh wahi hai...yahan kya kar rahi hai ye...???


NITS ki compliment par has rahi DIMPLE lekin kuch kehti aage ki tabhi NITS jo apni kahi baaton ke dauran khada ho gaya tha,usse sun woh bhi peeche palath gayi...

ab tak apna apna order lekar baaki sab bhi NITS aur DIMPLE ke paas pahunch chuke the aur is waqt un dono ki tarah saamne se chale aa rahe shaksh ko dekh woh sab bhi halke suprised the...


EKPREET-ye toh wahi PRINCI waali hai naa jisne DIMPLE ko race ke liye challenge kiya tha...kya naam tha iska...

DIMPLE-CHARVI...

CHARVI-well well...matlab pairon ke saath dimag bhi tez doudta hai tumhara...

sirf ek visual interaction hua hai hamare beech par you remembered me...

RASHI-correction babes... interaction nahi,tumhe race me haraya tha DIMPLE ne woh bhi der se apni race shuru karne ke baad...

NAISHA-true... mujhe toh laga tha ki apne pure school ke saamne izzat ki fazihat karwane ke baad tum ghar me dubak kar baithi hogi par i am seeing ki aisa hai nahi...


NAISHA ki baat sun ek pal ke liye ghura CHARVI ne usse...


CHARVI-ghar me dubak kar baithne se izzat wapas nahi aati...


apni haar ko jeet me badalkar aati hai...


KHANAK-are you serious here...!!!3 second ke advantage ke saath bhi jeet nahi paayi thi tum DIMPLE aur asal sports ki race me without any advantage tum soch rahi ho ki you can beat her...!!!

CHARVI-i know i cannot beat her...par jeet toh mai tab bhi sakti hun agar...

DIMPLE-jo bhi bolna hai clearly bolo...


CHARVI-is saal tumhare SIRIUS ki sports selection strategy baaki schools bhi implify kar rahe hain...

that 4 sports activity waali...har saal mai agal alag sports me participate karti hun par ek race har baar common hota hai...

400 metres...i want you to backoff from that race...


400 metres race dehradun me sabhi schools ka main event hota tha...

kyunki yahi woh race tha jisme JAIDEN CHOWDHARY ne apne school aur pure sheher ko nationals me glory dilwayi thi...

aur is baar kyunki sports meet me khud JAIDEN CHOWDHARY special guest of honour hone waale the toh aise me is race ki importance 10 times aur badh gayi thi...

aise me CHARVI ke liye apni khoyi self-respect ko wapas paane ke liye us race ko jeetne se acha bhala aur kya ho sakta tha...!!!

DIMPLE aur baaki sab bohot ache se samajh rahe the is baat ko...


KHANAK-tu DIMPLE ke chacha ki ladki lagti hai kya jo mooh uthaye itna bada favour maang rahi hai isse...


DIMPLE-participate kar rahi hun mai 400 metres me...jaa sakti ho tum...

CHARVI-akele yahan tumhare school me request karne toh aayi hun nahi mai...

bata rahi hun tumhe,tumhari apni bhalayi ke liye...just back off...kahin aise na ho ki ek race me participate karne ki zidh ke chalte life time ke liye disable hona padh jaaye tumhe...

one race isn't worth your whole life...just drop it...


indirectly life threatening dhamki de di thi CHARVI ne DIMPLE ko jisse sun DIMPLE toh smile karne lagi thi par uske baaki sabhi doston ka dimag ghum gaya tha...


SAM-kya boli re tu...hamare hi school me aakar hamari hi friend ko dhamki de rahi hai tu...

NITS-teri toh mai...

DIMPLE-stop NITS...


CHARVI ke gaal laal karne ke liye aage badh hi raha tha NITS ki usse rok diya tha DIMPLE ne...


DIMPLE-ek teer se do shikar karne ka soch rahi hai ye...mujhe dhamka bhi rahi hai aur sabko provoke bhi kyunki pata hai isse ki ye jagah c.c.t.v se covered hai...

dusre school se hai ye, matlab guest hai hamari...

pata hai isse ki aise me ispar kisi bhi tarah ka physical attack,us attack karne waale ko suspend nahi balki sidhe expel karwayega...


CHARVI-wow...jab itni hi intelligent ho toh apna bhala bura kaise nahi dekh paa rahi ho...

temporary khushi permanent dukh ke saamne thik nahi...

example toh kuch din pehle hi mila hai tumhe...suna hai SAMRAT waalon ne taang tod di tumhare B.F ki...

bechara...par karen bhi kya,har GALATH jagah bhidoge toh haal waisa hi kuch hoga naa...


CHARVI ki baat sun DIMPLE theek uske saamne jaakar khadi ho gayi...

ghura usne CHARVI ki aankhon me aur...


DIMPLE-as i said,i am participating in the 400 metres race...

aur rahi baat mere B.F ki toh saikdon baar maarne ki koshish ke baad SAMRAT waalon ka usse bas ek hit lag gaya tha...

par maarkar bhi woh ruke nahi, bhaag gaye...

aur unhe toh bhaagna hi tha...

kyunki sher hai mera banda jo akela bhida tha un geedadon ki fauj se...aur kyun naa bhide..




sher akela ho toh bhi har jagah sirf ussika hi DHAAK HOTA HAI...

halki jal rahi aag ko bhadka diya tha un sabne,aur aag se khelne waala aksar jalkar RAAKH HOTA HAI...

haan,beshak chot pahuncha di thi unhone par phir bhi bhaage sabke sab kyunki...

jaante the woh ki zakhmi sher aur zyada KHATARNAAK HOTA HAI...








AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NITS PRELIMS ME A+ GRADES SE PAAS HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF CHARVI DIMPLE KO SPORTS MEET ME 400 METRES RACE KO OPT OUT KARNE KE LIYE WARN KARTI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-77

DATE-8TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE




DIMPLE...!!!TU TOH EK GHANTE KE BAAD AANE WAALI THI NAA...!!!


mere ghar me enter hue hi the mere group ke saare members ki tabhi saamne kitchen ke open window se andar nazar padi sabki jahan NEW GIRL khadi thi...


DIMPLE-making something for all of us...pehle bata deti toh help karne tum sab dhamak padte,phir surprise kaise rehta...!!!

RASHI-aww...that's so sweet of you are...

NITS-kya baat hai aunty...!!!nayi cook rakh li aapne...

MAA-hahaha...woh bhi free,and i hope ki ye free service lifetime rahegi...


room se bahar aa rahi MAA se jo kaha NITS ne,uske jawab me MAA ki baat sun mai joki sofe par baith mobile par kuch scroll raha tha,smile ke saath normal hi raha par NEW GIRL ke gaal laal ho gaye the...


EKPREET-kaisa b.f hai be tu...!!! teri G.F udhar kitchen me kaam kar rahi hai aur uski help karna chhod tu yahan mobile me ghusa hua hai...

MAI-dost bhi aisa hi hun mai...tum sab aaye hue ho,par tum sabki sadhi shaklen dekhne ke bajaye mobile me hi ghusa rahunga mai...

KHANAK-how mean SANVY...

ANJALI-nopes..real mean is this...

MAI-hey...


mere piche aa mera phone chhin liya tha ANI ne...


MAI-wapas kar mera phone...

ANI-nahi karti... kya kar lega bata...!!!


ANI ko daboch liya tha maine par phone apne peth me rakh jhuk gayi thi woh taaki phone chhin naa paaun mai usse...


MAI-fine...


kuch pal apna phone lene ki koshish karne ke baad wapas sofe par baith gaya tha mai aur ye dekh thodi surprised ho gayi thi ANI...


ANI-kya baat hai...???tni jaldi give up...thats not like you...!!!

MAI-2 minute ke andar,tu khud degi mujhe mera mobile...

ANJALI-acha...mai toh nahi de rahi...

NITS-lagi 100 ki...ANJALI 5 minute me phone degi wapas...

RAJAT se kahi thi ye baat NITS ne jispar...

RAJAT-acha...chal lagi...ANJALI,sharth lagi hai... dekh hara mat diyo...

ANJALI-fikar not...kuch bhi kar le ye,phone toh naa de rahi mai wapas...

MAI-we will see...

RASHI-waise 30 seconds already guzar chuke hain...

MAI-matlab 270 seconds abhi bhi baaki hain...


aur tab tak ke liye,i have a different mode of entertainment...


ANI-aur woh kya hai...???hey,woh toh,tera mobile toh mere paas....shit,that's my mobile...


mere haath me mobile dekh chownki thi ANI par agle hi pal samajh gayi woh ki usse dabochne ke dauran uske jeans ki back pocket se uska mobile nikaal liya tha maine...


MAI-guys tum logon ko pata hai,ANI apne day to day life ki har important baat ko note down karti hai...

RASHI-really...!!!like a dairy...

MAI-yup,par woh aisa apne phone me karti hai...issi phone ke note pad par...

dekhna hain,kya kya raaz chuppa rakhe hain ANI ne apne note pad ke darmiyan...

ANJALI-i get it...toh mujhe blackmail karkar phone wapas lene ka socha hai tune...

koi faayda nahi beta, my phone is password protected aur mera current password mujhse koi relatable nahi ha jo tu guess lar lega...

MAI-babes i never guess...i love to b sure...

jaise i am sure ki teri jo bachpan se.aadat thi,har din english ki new paanch words apne language vocab me daal unhe use karne ki,woh ab bhi hai...

aur ho naa ho,unhi words me se ek ko apna password banaya hai tune...

meri baat sun ek pal ke liye shock hui thi ANI par phir normal kar liya tha usne khudko...

ANJALI-kuch bhi naa...par chal ek pal ke liye maan bhi liya agar ki you are right,than also naa toh us word ki randomness kam hoti hai aur naa tujhe yunhi millions of english words me se woh ek particular random word click ho sakta hai...

MAI-tu mujhe yakin dila rahi hai yaa khudko...

anyways, thanks for the english notes haan...

ANJALI-ab ye baat kahan se ghusi beech me...

MAI-beech me nahi last me...

ANJALI-matlab...!!!

MAI-last ki baat hai...last me hi bataunga...

RASHI-last minute...

MAI-arre waah,ek aur last... chalo phir bache time me ye batao,

sthir buddhi ko english me kya kehte hain...!!!

SAM-steady mind...

MAI-bola re topper... anything else...!!!

RASHI-substanstial brain...

KHANAK-smooth conscious...

NAISHA-durable visualization...

MAI-saare ke saare two words defination...any single word answer...

SAM-single word...!!!no idea...

SAB-same...

MAI-E...Q...U...A...N...I...M...I...T...Y...

EQUANIMITY...


word ki spelling bolne ke dauran ANI ke password dashes par type karne ke baad uske screen ko ghuma diya tha maine joki ab unlocked tha...

ANJALI-what the fuck...!!!tujhe kaise...!!!how...???

MAI-pehle teri dairy padh lun aur sabko suna dun,phir batata hun...

ANI-no SANVY...phone de mera...i said phone de mera...

MAI-aise kaise...???you know the deal babes...

ANJALI-fine...le apna phone...

NITS-nikaal be 100...


5 minute ho chuke tha par aisa hone se just pehle do chizen hui...

yahan ANJALI ne meri taraf mera phone feka aur wahan sir shake karte hue RAJAT ne apna batwa nikaal 100 ki patti NITS ke haathon me thama di...


SONU-chutiya...ssaamne SANVY ttha aur pphir bbhi sshart llaga baitha tu...

RAJAT-abbe mujhe kya maalum tha ki aisa bhayanak password bhi usse pata ho sakta hai...!!!

NITS-yahi toh baat hai beta...agar ghode ki race me kisi langde ghode ka jockey bhi ho na SANVY toh bindaas uspar bet laga dene ka...

haarna saale ko aata nahi aur jeet isse koi sakta nahi...

ANJALI-how...!!!

bas itna hi puch saki thi ANI jisse sun bas halka sa muskuraya mai aur...

MAI-wahi,tere english notes...uske page par 5 words likhe the...

wahi 5 new words per day waale words the naa woh...

meri baat sun kuch pal khudke dimag ko reverse mode par lekar gayi ANI aur phir...

ANI-haan...last week hi likhe the maine par hang on...pencil se likhe the maine woh words taaki baad me mita sakun mai aur mita bhi diye the...

phir tune...!!!

MAI-pura bola kar...sharp pencil edge se likhe the tune woh words jinhe mitaane ke baad bhi unke imprints reh gaye the wahan...

ANJALI-reh gaye honge par itne clear toh ho nahi sakte ki saaf saaf samajh aa rahe hon...

MAI-samajh bhale naa aaye par feel zaroor jo rahe the...

ANJALI-kya...???

MAI-braille reading...

ANI ki baat kaat jo do words bole maine,usse sun aage bolte bolte chup ho gayi ANI...

samajh jo gayi thi woh ki kaise un words ko samjha hoga maine...

RASHI-braille reading matlab...!!!

ANJALI-method jisse andhe log padh paate hain...by touching...

is kamine ko bada shouk tha us method ko sikhne ka and he perfected it... actually, perfection se bhi ek step aage le gaya ye us method ko...

koi bhi writing,chaahe woh kisi bhi form me ho,agar iske haath woh letters feel kar saken toh he can understand every bit of what's written...

SONU-ppehle bbohot bbaar letters kko allag alag ttarah se godh kkar isse ssharth lagakar un ssab wwords ko aankhein bband kkar pehchaanane kke lliye bolte tthe hhum...

NITS-aur har baar haarte the... isiliye toh bola maine ki is kamine se sharth lagana matlab haarna...

DIMPLE-i doubt that...aaj bet haarne waala hai tumhara friend...


juggler handle baar ko jisse hall ke show case me rakhti thi MAA, nikaalte hue mere paas se ye bol nikli thi NEW GIRL jispar mai bas sir shake karte hue wapas apne phone me ghus chuka tha...

SAM-haarne waala hai...!!!matlab...???

MAA-matlab in dono me shart lagi hai...breakfast me ek dish bana rahi hai DIMPLE jisse chakh kar usme use hone waale saare ingredients ki detailing deni hai SANVY ko...

NAISHA-interesting...maza aayega phir toh...

KHANAK-mujhe toh pata hi nahi tha ki DIMPLE cooking me bhi interest rakhti hai...

waise kya bana rahi ho...??

DIMPLE-bas ek minute...ho gaya bas...khud hi dekh liyo...

ANJALI-hang on... paanch words the... specifically
aur tere password waala word hi hoga,how did you know that...???


itni der se man me chal raha sawal finally puch hi liya tha ANI ne...

MAI-waah..itni der tak sochne ke baad pucha bhi toh itna bewakufana sawal...

bhale hi paanch words the par dumbo,yaad nahi hai tujhe ki sirf ye word, EQUANIMITY tune back to back paanch baar likha tha...

isiliye i was sure ki password wahi hoga...

ANJALI-stupid...

memorize karne ke liye lagataar EQUANIMITY shabd khud hi likhe the ANI ne aur ye baat yaad aate hi mujhe nahi balki khudko hi dheere se bewakuf bola tha ANI ne...

RASHI-UMMMHHH...WHATS THAT SMELL...!!!

ANJALI-PAN CAKES... awesome yaar...

ANI ke favourite the pancakes...

chaahe woh flapjacks hon,french crepes ho, russian blinis,irish boxty,e.t.c....

har tarah ke pancakes try kar chuki thi ANI and she has in love with all of them...

yahi wajah thi ki jaise hi NEW GIRL jiske haathon me is waat ek bada se black tray tha aur jinke upar bulk me pancakes saje hue the,usse halfway me hi le liya tha ANI ne...

MAA-arre arre...araam se ANI... pancakes ke liye abhi tak bachpana nahi gaya hai iska...

MAA ki baat sun ke bhi ansuna karne ke beech tray ke side me saji plates aur forks me se ek ek uthane ke baad uspar chocolate syrup dipped ek pancake ko turant daal liya tha ANI ne jiske baad fork se ek bada bite piece alag kiya usne aur agle hi pal...

ANJALI-UMMMMHHHH...heaven.... awesome yaar DIMPLE... simply wow...

jahan ek taraf tezi se mooh chalaane me beech NEW GIRL ki taarif kar rahi thi ANI wahin dusri taraf uski saari harkatein dekh hum sab has diye the...

MAI-araam se thoos re bhukmarri...cake gale me atak watak gaya tha nigalne se pehle hi nikal legi...

ANJALI-tune nahi banaye hain jo hard rehkar gale me fas jaayenge...

it's so spongy and soft...MOM ke saath states gayi thi last year mai...

newyork me ek renowned restaurant hai,johny's luncheonette...wahan jo pancakes milte hain,unke level ka bana hai ye pancake...truely awesome yaar DIMPLE...

RASHI-really...!!! waise kaun sa flavour hai ye...!!!

ANJALI ke mooh se pancake ki itni bhaari taarif sun sabhi turant dining table par baith chuke the...

DIMPLE-peanut butter and jelly...

SAM-nice...wakayi ache bane honge toh aadhe mai hi khatm kar dunga...

SAM aur baaki sabki tarah mai bhi plate nikaal usme ek pancake daalne laga tha ki tabhi mere us haath me maar khud hi mujhe serve karne lagi thi NEW GIRL...

aur piche se hamare paas aa rahi MAA ke face par ye dekh kar smile aa gayi thi...

MAI-ummhhhhh....damn,its gooo...

good pura nikal hi nahi paaya tha mere mooh se...

REASON...

mujhe pan cake ka first bite lete dekh sabki nazar mujhpar jo tik gayi thi...

DIMPLE aur mere beech ki sharth ka climax scene jo aa chuka tha...

samajh gaya tha mai ye isiliye pan cake ka woh bite lene ke baad usse chew karte hue usme mile saare ingredients ko feel karne me lag gaya tha mai...

NAISHA-so,ready...!!!

MAI-waah re...chaay se zyada toh idhar ketli garam ho rakhi hai...

jisne sharth lagayi hai, woh chilled baithi hai par tum sab bade excited ho rakhe ho...

RASHI-kya karen...tujhe haarte dekhne ka maza hi kuch aur hoga naa...!!!


RASHI ki baat ka samarthan bina bole hi baaki sabke faces me dikh rahi thi aur NEW GIRL...

woh bhi ab halke excitement aur nervousness ke saath mujhe dekh rahi thi...


MAI-alright then...so to start with...

1-all purpose flour...

2-halka sa namak aur shakkar...

3-baking soda...

4-skimmed milk...

5-natural peanut butter

6-ande...atleast 10 minutes steered... spongyness ussi ki wajah se hai...

7-melted butter...

8-cooking spray...

9-strawberry jam and heated chocolate syrup...

DIMPLE-and... that's it...!!!

MAI-haan aur kya...!!!

DIMPLE-yes...i won...

RASHI-really...!!!


khud mujhe ek baar haarte hue dekhna chahti thi RASHI par ab jab aisa ho chuka tha toh usse yakin hi nahi ho raha tha...

RASHI hi kya,kisiko bhi believe nahi ho raha tha ki mai bet haar gaya hun...


SAM-waise aur kitne ingredients milaye the...???

DIMPLE-sirf ek...par woh kya hai,ye nahi bata sakti mai...that's my secret recipe...sorry guys...

par haan, confirm karne ke liye aunty hain...you can ask her...

ye aakhri baat baaki sabse nahi, balki mujhse boli thi NEW GIRL ne...

afterall, sharth mujhse hi toh lagayi thi unhone...

MAI-no need...i accept my defeat...

RAJAT-waise bet ke rewards kya rakhe the tum dono ne...!!!

DIMPLE-SANVY ki sharth thi ki agar ye jeeta toh he will come to school joki ab jab tak ye thik nahi bo jaata, possible nahi hai...

NAISHA-and your reward joki ab toh milna hi hai tumhe...

NAISHA ke sawal par halki si hadbada gayi thi NEW GIRL aur reason thi MAA joki har din ki tarah aaj bhi paas hi me rakhe fuldaan me mongre ke ful rakh rahi thi...

MAI-a date night...

NEW GIRL ka reward sun MAA ne bina hamare taraf hi dekhe smile kiya aur kitchen ki taraf ghum gayi...

DIMPLE-tum bhi naa...MAA ne sun liya...

MAI-unhe pehle se hi pata tha...!!!

DIMPLE-what...!!!

SAM-yaar tu bhi naa...date nahi bhi bhala koo reward hota hai...woh toh har G.F ka hakh hota hai...

MAI-aisa...pata nahi tha bhai...chal koi naa...next g.f ke time yaad rakhunga...

DIMPLE-kya bola tumne...!!!???

aakhein badi kar ghurne lagi thi mujhe NEW GIRL jispar usse wink kar pancake khaane me laga raha mai...

RASHI-tu chill hi reh DIMPLE...tere se better nahi milne waali isse...

MAI-milti toh bhi nahi chahiye mujhe...

fork me ek tukda cake ka insert kar NEW GIRL ki taraf kar diya maine jispar uska mujhe ghurna smile me badal gaya tha...

bite lene ke beech mujhe dekhte hue mere paas hi baith gayi thi NEW GIRL...

alag se plate nahi li usne...mere hi plate se khaane lagi thi woh...

KHANAK-arre yaar..aunty ka nashta...!!!

ANJALI-MAA morning me meetha nahi khaati aur waise bhi unka nashta 9 se pehle ho jaata hai...

nahi kiya hota unhone nashta toh ye langoor yun chilled out hoke idhar baitha thoostha thodi naa...

ANI ki baat sunanane ke baad bhi sabka mooh chala tha par bolne ke liye balki pancakes thoosne ke liye...

wakayi tasty pancakes banaye the NEW GIRL ne jiska saboot tha thodi der baad tanha pada woh bada sa tray jispar kuch der pehle tak pancakes ka chota mountain sa bana hua tha...

NITS-aahh...bhai swad aa gaya yaar...

NAISHA-true that.. warna itni heavy quantity me sweet khaane ke baad mooh ka taste ajeeb sa ho jaata hai par aisa kuch bhi nahi lag raha...

RAJAT-peth bhar gaya hai par man nahi bhara...

DIMPLE-baitho phir thodi der...aur pancakes bana deti hun...

SAM-arre nahi yaar...already peth full hai aur abhi practice bhi karni hai...

RASHI-sunday ko bhi...yaar ek din ka break toh banta hai naa...

SAM-aur koi time hota toh ek kya,do din ka break bhi matter nahi karta par sports meet sir par hai...

abhi har din important hai...

SAM ki baat ke baad kisi ke paas kuch bhi kehne ke liye nahi bacha tha...

MAA ko bye karne ke baad sabhi ek saath nikal gaye the...

bachi thi bas NEW GIRL jo saare khaane ke plates ko sink me daalne ke liye sametne hi lagi thi ki tabhi MAA pahunch gayi thi uske paas...

DIMPLE-aap rehne dijiye aunty...mai kar lungi...

MAA-bilkul kar logi beta par karogi nahi...pehle hi pancakes ke chakkar me aaj ka morning practice schedule delay ho chuka hai tumhara...

DIMPLE-its ok aunty...ek hi schedule ki toh baat hai...it's not that a big deal...


DIMPLE ki baat sun halki si hasi MAA aur...


MAA-i know you are a born champ beta par yaad rakhna...


"consistency is the last refuge of the unimaginative"...

NEW GIRL ke sir par haath ferte hue wapas kitchen ki taraf badh chuki thi MAA par unki baat ne NEW ko apne compliancy yaad dila di thi...

DIMPLE-got to go...

mujhse kahi thi ye baat NEW GIRL ne jispar smile karte hue khada hua mai...

DIMPLE-tumhe naa, bas khade hone ka bahana chahiye... injured leg par pressure nahi daalna hai,baar baar kaise bhul jaate ho tum...

MAI-kabhi khudko hamari nazar se dekho...is chehre ko dekhne baad kuch aur yaad kaise reh jaata hai, sawal ye ho jaana hai phir...

meri baat sun blush aur happiness,dono hi expressions ek saath dikhne lage the NEW GIRL ke face par...

DIMPLE-jhalla...

i am leaving aunty...bye...

MAA-bye beta...


MAA ko bye bol ek baar mujhe dekh palath gayi thi NEW GIRL aur mai bhi apne right leg par minimum pressure dete hue uske piche ho liya tha...

DIMPLE-waise date par tumhara leg thik hone ke baad hi jaayenge hum...

MAI-sure...

DIMPLE-waise agar chaaho toh aunty se us secret ingredient ke baare me puch sakte ho...

main gate ke paas pahunch chuke the hum jiske baad ek baar phir jaise meri haar yaad dila mujhe chidhane lagi thi NEW GIRL...

wahin uski baat sun halki smile naach uthi thi mere face par...

MAI- juggler handle final batter ke liye use kar rahi thi naa tum...!!!

DIMPLE-haan...kyun...???

MAI-try WHISK next time...batter bhi zyada smooth hoga aur...

apne secret ingredient ke liye chocolate syrup ke neeche jo DATE PALM JAGGERY (khajur ka gurh)use kiya tha tumne,uska mixture bhi aur ache se bind ho jaayega...

bye...

jahan bye bolne ke baad ruka nahi mai aur NEW GIRL ko bas ek smile de palath kar nikal gaya wahin mere mooh se apne secret ingredient ka naam sun mooh khul gaya tha NEW girl ka...

usse zara si bhi ummid nahi thi ki mujhe uske date palm jaggery ke baare me pata hoga...

aur jab pata tha usse toh sabke saamne bataya kyun nahi usne...

WHY...???

khudse hi pucha tha ye sawal DIMPLE ne par jawab toh usse pehle se hi pata tha...

"mujhe sabke saamne haarte hue nahi dekh sakta tha woh"...

aakhein aur dil...dono me hi mere liye beintehan pyar ke jazbaat liye SANVY ko piche se jaate hue dekh rahi thi DIMPLE...

kuch seconds SANVY ko jaata hua dekhne ke baad apne liv avail advanced Pro 1(international brand)bicycle jisme woh daily 10 kms ki tez biking karti thi aur jispar hi woh aaj yahan SANVY ke ghar aayi thi,uspar baith head gear laga aage badh gayi DIMPLE...





PLACE-H.M.C.A STADIUM




DAMN....ITNA SWEAT...ANDAR PASEENE KA SHOWER LE RAHI THI KYA TU...!!!


chadhi hui dhowkni si chal rahi saanson ke beech apne 400 metres ke back to back 5 laps pura karne ke baad wapas apni bike par baith stadium ke bahar aayi thi jDIMPLE jahan RASHI aur KHANAK uska wait kar rahe the...

bahar isiliye kyunki H.M.C.A stadium ek private stadium tha jisme yaa toh government approved sports people ya phir highly influenced log hi enter kar sakte the aur DIMPLE in dono hi catagories me aati thi...

SANVY ke ghar se har roz ki tarah akele practice karne yahin aati thi DIMPLE par aaj uska KHANAK aur RASHI ke saath shopping ka plan tha...

KHANAK aur RASHI ko toh usual girly stuffs lene the aur DIMPLE ko kuch sports accesories...

khair,milna toh teeno ko hi DIMPLE ke ghar ke ghar me tha par unhe DIMPLE ne apne H.M.C.A me practice ka bata diya tha aur kyunki ghar KHANAK aur RASHI dono ka is stadium ke aas paas hi tha toh woh yahin chali aayi thi par stadium se bahar paseene se bheegi DIMPLE ko dekh dono ki hi aankhen badi ho gayi thi...


DIMPLE-practice se sweat toh hoga hi...pura din free hi hai isiliye thode extra rounds maar liye aaj...

ghar chalen, shower le lun phir nikalte hain...


KHANAK-cool...

DIMPLE-waise kaise aayi ho tum dono...!!!

RASHI-iski scooty...woh udhar cafe ke paas park hi hai...

tu nikal pehle, sink me pahunch jaayenge...

DIMPLE-wanna bet...
saath hi chalte hain,dekhen kaun pehle pahunchta hai...

apni B.M.X ke low handle ko sehlate hue kahi thi ye baat DIMPLE ne joki kahin se bhi GALATH nahi thi...

kyunki ek toh DIMPLE waise bhi kaafi tez chalati thi B.M.X aur dusri,uski cycle kahin se bhi KHANAK ki scooty se kam nahi thi...

1 lakh 50 hazar indian rupees keemat ki ye international branded B.M.X jisse kisi gun ki tarah assemble karke chalaya jaata tha,naa sirf KHANAK ke scooty se mehngi thi balki iska friction aur gear modulation itna zyada sahi tha ki agar koi sahi banda isse ride kare toh bike ki tarah bhaagti thi ye B.M.X...


RASHI-rehne de maate...tune aaj SANVY ko sharth me haraya hai phir aise me hum chiz kya hain...

jahan DIMPLE ko haath jodte hue kahi thi ye baat RASHI ne wahin uski baat sun DIMPLE ka hasta hua chehra SANVY ke face ko yaad kar kho sa gaya...

aaj pehli baar haara bhi woh banda toh woh bhi isiliye nahi kyunki saamne waali better thi balki isiliye kyunki woh uski better thi...

khudki jeet ko SANVY ne apni haar me zaroor badal liya tha par aisa kar usne aaj DIMPLE ka dil ek baar phirse jeet liya tha...


KHANAK-oye kahan kho gayi tu...chalen...

DIMPLE-haan...chalo...

apni soch me goom DIMPLE ko pata hi nahi chala ki kab KHANAK apni scooty uske paas la chuki thi...

khair,udhar KHANAK ne apni scooty aage badha di aur uske saath saath DIMPLE ne bhi apni B.M.X ka paddle chala diya tha...

aur agle hi pal scooty ki speed ko match karte hue DIMPLE bhi aage badhne lagi thi...

waise aage ka raasta kuch zyada hi steep tha isiliye B.M.X ki speed aur tez hone waali thi...

par aisa kiya nahi DIMPLE ne kyunki slope me bhi log controlled vehicle ride aur drive karen isiliye har thodi door me breakers bane hue the...

us breakers ki wajah se KHANAK ne toh apni scooty halki dheemi hi rakhi hui thi lekin DIMPLE ne aisa nahi kiya...

seat se halka sa uth kisi professional ROULEUR (CYCLIST)ki tarah B.M.X ke agle tyre ko halka sa jump karwa kar us breaker ka half part cross kar liya tha DIMPLE ne par tabhi...


DHADHHH...AHHHHH...

KHANAK/RASHI-DIMPLE...!!!


B.M.X ka pichla chakka jaise hi breaker se takraya toh cycle ka pichla assembled part joki ek main bolt se juda hua hota hai,woh nikal gaya...

nateeja,B.M.X beech se do alag alag parts me divide hokar bikhar sa gaya aur DIMPLE...

woh neeche gir gayi...

aur kyunki slope hone ke saath saath road concreted bhi tha isiliye naa sirf aage ki taraf girne ke beech DIMPLE ki body roll over hone lagi thi balki aisa hone kw kaaran uski knee aur elbow halke chilla bhi gaye the...

woh toh acha hua ki DIMPLE ne head gear pehna hua tha warna girne ka impact uske sir par bhi hua tha jispar us gear ki wajah se impact nahi pada...

anyways,apni scooty beech road me hi stand kar KHANAK aur RASHI doudte hue DIMPLE ki taraf bhaage the...

aur bhi log the aas paas jo uski taraf badh chuke the...


RASHI-DIMPLE...tu theek toh hai naa...!!!

DIMPLE-ya,i am good...

KHANAK-shit,tere elbow aur knee se blood aa raha hai...

DIMPLE-haan par cut deep nahi hai...

RASHI-ye kaisi B.M.X hai yaar teri... ek breaker tak nahi jhel paayi...

DIMPLE-breaker...!!! heavy stones ko bhi araam se cross kar jaati hai ye par pata nahi kaise...!!!

VROOM,VROOM,VROOOOOMMMM...

ARRE ARRE ARRE....YE KYA HO GAYA...ZYADA TOH NAHI LAG GAYI...DHYAN RAKHA KARO BABES...


PARAG ke saath uski bike ke back seat par baithi CHARVI thi ye jisse yun saamne except nahi kiya tha teeno hi girls ne...

bina kuch kahe usse ghoor rahi thi teeno...

wahin kuch seconds DIMPLE ko dekh smile karne ke baad...


CHARVI-chot par paseena aur pain de raha hoga naa...kya matlab aise 5 laps waali non-stop running practice ka jo apne hi sharir ko yun nuksaan de de...

CHARVI ki baat sun RASHI aur KHANAK ke reactions me toh koi zyada fark nahi aaya tha par DIMPLE...!!!

uski aankhein badi ho chuki thi...

5 laps waali non-stop running practice...!!!CHARVI ko bhala kaise maalum pada ki kitne laps doudi thi woh...

sawal koi mushkil tha nahi isiliye DIMPLE ke dimag ne agle hi pal usse jawab de diya tha...

CHARVI bhi ek merit sports person thi... upar se woh bhi ek infuencial family se belong karti thi toh aise me uska H.M.C.A stadium me enter hona koi badi baat nahi thi...

aur naahi enter karne ke baad parking spot par DIMPLE ki B.M.X ke assembled parts ka core region,woh seat ke neeche ka nut dheela karna mushkil tha uske liye...

apne is planned accident ka reason samajh ghussa chadh aaya tha DIMPLE ke face par jiske baad woh uthne ko hui par knee par lage chot ki wajah se ye process thoda painful aur slow tha...

wahin dusri taraf DIMPLE ke reaction ko dekh samajh gayi thi CHARVI ki woh truth samajh gayi hai isiliye apne B.F ke kandhe par haath rakha usne jiske baad PARAG ne dheere se bike aage badha di thi par uske aisa karne ke dauran CHARVI apni aakhri baat ya phir ye kahun ki dhamki dene se baaz nahi aayi thi...


CHARVI-ab bhi waqt hai,maan jaa meri baat warna...




tera naseeb jo abhi jaaga hua hai,dheere dheere SO JAAYEGA...

filhal toh ye chot maamuli hai,aadha toh isse paani hi DHO JAAYEGA...

kadam jo aage badha rahi hai, piche kar le nahi toh...

zakhm filhaal toh maamuli hai par aage ye GEHRA HO JAAYEGA...








AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY JAANBUJH KAR DIMPLE SE SHARTH HAAR JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF CHARVI DIMPLE KA ACCIDENT KARWA DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-78

DATE-9TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





GUYZZZ,CHILL...

MAMULI CHOTEN HAIN, NOTHING SERIOUS...

AUR COMPETITION ME OUT OF LINE JAANA BOHOT COMMON HOTA HAI...

IT'S PART OF THE PACKAGE...


bohot casually DIMPLE
saamne baithe sabhi doston ko joki uske bandaid elbow ko dekhte hue ghusse aur tention me lag rahe the,unhe cool down kar rahi thi...


NAISHA-tumhe us CHARVI aur PARAG par ghussa nahi aa raha hai...!!!

DIMPLE-apni galtiyon ke liye dusron par ghussa nahi kiya jaata...

balki mile hue lesson ko sikha jaata hai...


CHARVI ne pehle hi mujhe dhamkaya tha par uski warning ko uske race skill ki tarah ordinary maanane ki bhool kar baithi mai...

jabki mujhe alert rehna chahiye tha...kabhi kabhi pyada bhi badi chaalen chal jaata hai,ye bhoolne ke bhul kar baithi thi mai par ab nahi...

chaahun toh un dono loosers ko unki hi bhaasha me bohot ache se samjha sakti hun par usme kya maza...

unki saari planning ka core reason, interschool championship ka woh race jab jeetungi mai toh jo pain unhe feel hoga,that will be my answer...


baat toh sahi kahi thi DIMPLE ne...ye interschool championship ya aisa koi bhi bada event kabhi bhi fair and square nahi khela gaya tha...

har baar jo jeet ka sabse bada hakhdaar hota tha,usse baaki schools ke bande event se pehle hi knockout karne ki hamesha se koshish kiya karte the jinse bachte hue jeetne waale ko hi yahan true champion maana jaata tha...

quote me kahun toh...

"everything is fair in love,war and COMPETITION ka destination tha yahan dehradun ka high octane school life jisme kal CHARVI aur PARAG ne wahi kiya jo jeetne ke liye unhe sahi laga tha"...


NITS-what about SANVY...??? socha hai jab usse pata chalega toh kya hoga...???


NITS ki baat sun ek gehri saans chhodi DIMPLE ne...

SANVY...!!!the guy of his life jisse kal hue incident ko ab tak chhupaye hue thi DIMPLE...

aur is hide and seek game me apne saath saath baaki sabhi friends ko bhi shaamil kar liya tha usne...


DIMPLE-i don't know...!!!jab tak chuppa sakti hun,try karungi chhupane ki aur agar pata chal gaya usse toh any how convince karungi ki let me handle it in my way...


NITS-dusre point ka toh pata nahi par tumhari pehli baat i think GALATH hai...


first floor ke stairs par baithe sab...bas DIMPLE hi thi jo cross hokar side me stair pipe ke sahare khadi hui thi...

saamne par neeche ki direction me dekhte hue kahi thi ye baat NITS ne jisse sun jahan ek taraf uske saath baaki sab khade ho chuke the wahin DIMPLE ki gardan bhi un sabke dekh rahe direction me ghum chuki thi aur aisa hote hi halki hadbada gayi thi woh...

reason...

MAI...

apni right injured pair par kam se kam pressure dene ke liye langdakar chalte hue ANJALI ke saath saamne se chalkar aa raha tha mai...

mujhe dekh DIMPLE aur uske saath mere baaki sabhi friends bhi tezi se sidhiyan utarne lage the...


ANJALI-dont look at me...


blazer se bandhi patti par ragad feel hoti thi isiliye usse utara hua tha DIMPLE ne...

jaise hi saamne aakar ruki NEW GIRL mere toh maine uska wahi zakhmi haath apne haathon mele liya tha...

halke haathon se is patti ko chhu raha tha mai...

is beech NEW GIRL ki nazar ANJALI par gayi jinme dikh rahe sawal ko samajh apne kandhe uchka diya the usne...


DIMPLE-SANVY, doctor ne tumhe complete rest karne ko bola tha...

aise injured state me tumhe yahan...

aage bol nahi paayi thi NEW GIRL...

REASON...


turant mera sir jo abhi tak uski patti ko dekhne ki wajah se neeche the, upar uth gaya tha aur aisa hote hi meri aankhon ko dekhne ke baad kuch bol nahi paayi thi NEW GIRL...

koi ghussa, frustration, negetive ness nahi tha meri aankhon me...

ek anjaana sa khaali expression tha par itna gehra tha ye puzzled reaction ki naa sirf NEW GIRL ki zubaan band ho chuki thi balki ek ajeeb si ghabrahat ne bhi ghar karna shuru kar diya tha uske dil me...

kuch seconds yunhi NEW GIRL ki aankhon me dekhne ke baad uske pair joki SIRIUS ki skirt uniform jisme knees openly dikhte hi hain,unpar lagi pattiyon ki taraf gayi meri nazar aur aisa hote hi apne ek sahi leg ke sahare tip fingers par pressure bana baiththa chala gaya mai...


DIMPLE-no SANVY...us leg ka balance chhuta toh injured leg with pressure neeche rakha jaayega tumhara...

stairs par chalte hain...


NEW GIRL bolti rahi jisse puri tarah nazarandaz kar uske right leg ko utha apne ussi sahi leg ki knee par rakh liya maine...

aisa karne se us leg par pressure aur zyada badh gaya tha aur ye dekh NEW GIRL ke saath baaki sab bhi apna apna concern jatate rahe jinhe mai ignore kar us patti ko dekhta ya phir ye kahun ki mehsoos kar examine karta raha...

kuch der yunhi baithe rehne ke baad wapas khada hua mai...


NITS-nnikaalta hun bhai gaadi...de be chaabi...


uththe hi NITS ko dekha mai aur itna hi kaafi tha...

mere face par is waqt jol thairav tha,woh pehle bhi dekha tha usne..

aaj ki tarah ke scenario me us waqt ANI thi aur culprits the ROHAN and gang...

bina ek shabd kahe jo kohram machaya tha maine us waqt,meri is nazar se woh manzar ghum gaya tha NITS ke dimag me aur yahi wajah thi ki aaj SONU ki jagah NITS ki stammering nika gayi thi...

SONU ke paas thi scooty ki key jisse usse le uske saath parking ki taraf badh gaya tha NITS...

wahin un dono ke jaane ke baad mai bhi bina kuch kahe palath gaya tha jispar meri kalayi turant pakad li thi NEW GIRL ne...


DIMPLE-leave it na SANVY...mai khud deal karna chahti hun un dono se par field ke bahar nahi balki andar...

i wanna beat that bitch...

MAI-aisa hi hoga...par aisa ho,iske liye baat karna zaroori hai...

DIMPLE-tum aur sirf baat...!!!aur waise bhi,baaton se maan jaayen,aise toh hai nahi woh dono...

i am sure ki provoke hi karenge tumhe woh aur agar aisa hua toh...

MAI-kuch nahi karunga unhe...relax...

DIMPLE-promise...!!!

MAI-SANVY'S promise...no physical damage...not even a scratch...

DIMPLE-mai bhi saath chalun...!!!

SAB-yaar hum bhi chalte hain naa...!!!


meri taraf badhne lage the sab par tabhi ghura maine un sabko aur itna kaafi tha unke rukne ke liye...


MAI-ya toh vaada mat maango aur jo maang liya toh phir bharosa karo...


bas itna bol palath limb karte hue aage badh gaya tha mai...

wahin mujhe piche se jaata hua dekhte rahe sab aur jaise hi entrance door ko cross kar gayab hua mai toh...


RASHI-tujhe chot lagi hai aur jisne di hai,unse milne jaa raha hai SANVY...

aur woh sirf baat karega...!!!i don't think so...

EKPREET-SANVY apna promise kabhi nahi todta...

SAM-phir bhi guyz...woh apna area nahi hoga... it's PRINCE jahan jaa raha hai SANVY... enemies territory...

bada panga ho sakta hai...

EKPREET-mujhe nahi lagta... SANVY ka khouf chalta hai dusre schools me....uske saamne aane ki bhi himmat naa honi kisi ki...

SAM-abbe par abhi injured hai woh....aise me baaki koi saamne aaye naa aaye par PARAG aur uske dost toh ghusenge hi...

RAJAT-toh kya karen...???kaaten SANVY ki baat aur jaayen uske saath...

CHARVI aur PARAG ko toh shayad chhod bhi de par hume zaroor pel dega woh...

DIMPLE-saath naa sahi,par uske piche toh jaa hi sakte hain...

KHANAK-SANVY se chhup paayenge...

SAM-SANVY kya bala hai,PRINCE ke zyadatar students jaante hai is baat ko...

usse wahan dekh bheed zaroor hogi uske aas paas...

EKPREET-true...waise bhi SIRIUS ki tarah PRINCE me bhi outer visitors without permission allowed nahi hain...

i think school ke off hone aur CHARVI,PARAG ke nikalne ka SANVY bahar hi wait karega...

RASHI-timing kya hai PRINCE ki...???

SAM-same as here...

KHANAK-matlab 30 minutes bache hain...we should leave...

DIMPLE-we should...gosh SANVY,please kuch GALATH mat kar dena...


SANVEER, PRINCIPAL MA'AM BULA RAHI HAI TUMKO...

abhi entrance door se bahar nikla hi tha mai ki peon joki mujhe hi dhund raha tha,uski baat sun PRINCIPAL'S OFFICE ki taraf badh gaye mere kadam...


SANVY-may i coming ma'am...!!!

PRINCI-yes,come in...


kuch kaam kar rahi thi PRINCI...bina mujhe dekhe hi andar bula liya andar unhone jispar PRINCI'S desk ke dusri taraf ma'am ke saamne jaakar khada ho gaya mai...

aisa hote hi ek final click kar apna lapi side me kiya PRINCI ne aur...


PRINCI-how is your leg...???

MAI-recovering ma'am...

PRINCI-good...maine suna hai ki is baar sports meet me participate kar rahe ho tum...!!!


ek smile ke saath pucha tha ye sawal PRINCI ne jispar kuch kaha nahi maine, bas unki hi tarah muskura diya...

PRINCI-how is DIMPLE...???

MAI-chehre ka expression jolly se serious me badal gaya tha mera...

MAI-she is fine...

PRINCI-i hope ki sports meet tak completely recovery ho jaayegi uski...

MAI-i think she will participate ma'am...!!!

PRINCI-good to hear...ghar chhod dun...

achanak hi sawalon ke dour ko naya rukh de diya tha PRINCI ne...

MAI-thanks but i am good ma'am...waise bhi abhi ghar nahi jaa raha mai...

PRINCI-let me guess...32 curzon road,opp,gandhi shatabdi eye hospital, backyard block of pari mehel...

PRINCE SCHOOL AND COLLEGE...

that's your destination...

naa mere jaa rahe pate ka pata batate waqt chehre par koi expression aaya tha PRINCI ke aur naahi unhe sun shock hua tha mai...

meri har important chiz ki khabar rakhna,aakhir ye bhi toh ek kaam hi tha unka...

MAI-jee...

PRINCI-jaane se rokungi nahi mai tumhe...par bas do baaton ka dhyan rakhna...

first,is school ka repo...

second and the most important...

MAI-"dil hai toh badi SAHI cheez par kaam ye aksar GALATH karwa deti hai"...

beta hun mai unka...naa unhe bhula hun mai aur naa unki di hui kisi bhi seekh ko...

PRINCI-good...

MAI-par is seekh ke saath mujhme ek problem hai ma'am...

faisla mera dil le ya phir dimag,manzil par toh hamesha SAHI hi pahunchata hai par wahan pahunchne ke liye jo raasta chunta hai,usse GALATH kuch nahi hota...


jahan PRINCI ki nasihat puri kar uske baad apni baat rakh unke office se nikal chuka tha mai wahin meri us baat ke matlab ko kamsekam aadha toh samajh hi gayi thi PRINCI...

PRINCI-SANEEL...tumhare bete me hamesha tumhe dekha hai maine par kabhi kabhi apni saaf shaksiyat ko bhi dhundla bana dene ka hunar jaanta hai ye ladka...

pata nahi,SAHI karne ke chakkar me aaj kya GALATH karne waala hai ye...





PLACE-PRINCE




TRRRRRR...

SONU-sschool off ho ggaya...


PRINCE school division ke bade se wall fence ke start me thi 1st se 5th class tak ki building aur isiliye hi jab last period khatm hone ki bel baji toh premises ke dusri taraf bane bade se bargad ke pedh ke baaju me baithe hum teeno ko bhi pata chal chuka tha...


SONU-yaar SANVY ye zzaroori hai kkya...!!!???

NITS-bhai sidhe sidhe pel dete hain naa PARAG ko...bolega toh gender ka bhi lihaaz nahi karunga mai,us CHARVI ko bhi lapeth lunga par...

MAI-ghar nikal lo tum dono par agar ek baar bhi aur bakwas ki naa toh peet jaaoge mere se dono...

jo baat boli thi maine NITS ko,usse sun uske saath saath SONU ko bhi mere thought process par yakeen nahi ho raha tha par jo seriousness mere face par dikh rahi thi,usss itna toh samajh hi gaye the dono ki jo bola tha maine,woh karna hi tha unhe...

isiliye hathiyar daalne ke lihaaz se ek ek lambi saans chhod apne kandhe jhuka liye the dono ne...

SONU-ppar kkaise bhai...??? matlab wwoh ddekh,wahan wwoh...

MAI-SHAMBHU BHAI...KYA HAAL CHAAL...


jahan SONU ki baat beech me hi kaat school ke entrance gate ke just bahar khade ek guard ko awaaz dete hue haath uthayi maine jispar woh bhi haath uthane ke baad meri taraf badh chala tha wahin ye sab dekh rahe SONU aur NITS ki aankhein badi ho gayi thi...


NITS-behenchod...tu kabse PRINCE ke guard ko jaanane laga be...???

MAI-jabse yahan ke tucche students mere school me ghus meri G.F ko dhamkane lage...

SHAMBHU-aur chote bhai...kaise ho...!!!???

MAI-badhiya,aap sunao...ragda nahi dikh raha aaj haathon me...

SHAMBHU-kahan bhai...???do din ho gaye khatm hue...

aur jabse tumne DHATURA waali woh jungli tambakhu chakhayi hai,ye local chhap saale pure mitti lagne lage hain...

MAI-ye toh pehle hi bataya tha na maine...

SHAMBHU-bohot dukaano me pucha bhai par saala kisi ke paas nahi mila...

MAI-rishikesh aur uske aage ganga ghaat ke paas waale jungalon ke jadi dhature se banta hai woh tambakhu...

aise hi dukaano me nahi milta...

SHAMBHU-tabhi saala...bhai,kya aur...


uske aage bolne se pehle hi apni jeb se nikaal ek badi pudiya aage kar di maine jiske andar chamak rahe gehre hare rang ke churn ko dekh aankhein chamak uthi thi SHAMBHU ki...


wahin ye sab dekh rahe NITS aur SONU ki aankhen badi ho gayi thi par jaise hi maine dekha dono ko,meri nazar samajh turant palath gaye dono...


MAI-arre tum kahan chale...???


mere haathon se pudiya le mujhe thanks bolte hue palatne laga tha SHAMBHU...

SHAMBHU-abhi duty time hai bhai...

MAI-arre waqt hai abhi...do dino ki talab hai,ek baar daba lo...sukoon aa jaayega toh duty karne me bhi maza aayega...

SHAMBHU-baat toh sahi bol rahe ho bhai...


us pudiya ko khol andar rakhe tambakhu ko apne index aur thumb finger ke beech pakad bahar nikala SHAMBHU ne aur usse apne hatheli par ragadne ke baad apne daaton aur masoodon ke beech daba liya usne...

aisa karte hi tambakhu ka ras uske mooh se hote hue uske dimag ko jhanjhana chuka tha aur SHAMBHU...

param aanand lete hue aakhein band ho chuki thi uski...


ABBE SHAMBHU...!!!WAHAN KYA KAR RAHA HAI...!!!CHAL JALDI KAR,LATE HO RAHE HAIN...

SHAMBHU-haan,aaya... thanks bhai...milta hun...


ye school ke bus ka driver tha jiski awaaz sun apne ghumte sir ko jhatakte hue thoda bohot hosh me aaya SHAMBHU...

par aankhein nashe ki wajah se 11 ka 12 dikha rahi thi usse jispar halka ladkhadane ke baad khud ki chaal ko sahi rakh bus ki taraf badh gaya SHAMBHU...

bus aage badh chuki thi aur aisa hote hi uske dusri taraf khade SONU aur NITS ko dekhne ke baad mai wahin pedh ke ird gird bane chabutare par school gate ki taraf dekhte hue baith gaya...


TOH TUM HO SANVEER...!!!


apni G.F CHARVI ko apni bike ke back seat par baitha school ke gate se bahar nikla hi tha PARAG ki saamne ped ke neeche mujhe baithe dekh sudden brakes lag gayi thi uski...

mujhe dekh gand toh fati hi thi uski aur ussi fati gaand se aaye expressions ke saath CHARVI ko meri taraf ishara kiya tha usne jispar mujhe ghurte hue mere saamne khadi ho gayi thi woh...


MAI-piche palat kar apne b.f ke fati padi shakal dekh leti toh mujhse mera naam confirm nahi karna padta tujhe...


mere jawab ko sun jahan ek taraf PARAG hadbada gaya tha wahin CHARVI ke shakal par ghussa saaf dikhne laga tha...


CHARVI-maanana padega...dum toh hai tere me...suna hai pair toot gaya hai tera...

aisi haalath me bhi hamare school ke saamne baitha hai aur phir bhi akad...


MAI-jo jagah dekh kar dikhayi jaaye woh akad nahi hoti...

aur is toote pair ke saath bhi kya kya tod sakta hun mai, imagine nahi kar sakti tu...

CHARVI-waise todne jodne se yaad aaya...g.f kaisi hai teri...???theek toh hai naa...chot zyada toh nahi lagi...???

nahi lagi hogi... impact minimum rahe,plan aisa hi banaya tha maine...

par agli baar ka impact bhi itna rahega, i can't be sure of that...

race mai hi jeetungi chaahe iske liye kuch bhi kyun na karna pade mujhe...

bura mat maanana yaar,i know G.F hai teri par woh quote toh suna hi hoga tune naa, everything is fare in love,war and COMPETITION...


saari duniya ki kaminigi apne muskurahat me samet taunt kiya tha CHARVI ne jisse sun mai toh shaant hi raha par uske piche khade PARAG ko lagne laga tha ki ab toh pakka sankunga mai...

waise dar ab usse itna zyada nahi lag raha tha kyunki ek toh mai injured tha aur dusri baat hamari convo ke dauran upske paas 3 aur bande aakar khade ho chuke the jo is waqt mujhe badi khunnas ke saath ghur rahe the...

aur woh 3 hi kya,mujhe PRINCE me bohot se log pehchaante the...kisse mashoor the mere yahan aur yahi wajah thi ki meri moujudgi ki khabar bohot se kaano me pahunch chuki thi jiske baad bheed ikattha hone lagi thi hamare ird gird...

khair,kuch seconds tak shant rehne ke baad apni gardan ki halki jumbish dete hue khada hua mai aur CHARVI ke theek saamne jaakar khada ho gaya...

ye dekh PARAG aur uske teeno dost bhi mere ird gird circle bana chuke the...


MAI-teri us harkat se bohot inspired hua hun mai...

CHARVI-kaunsi...???teri g.f ko jo hurt kiya maine,woh...!!!

MAI-ofcourse...i mean,tune bina chhue usse hurt kar diya...that's really impressive...

CHARVI-ye naya laaya tune...apni g.f ko chot pahunchane waali se impress ho raha hai tu...

kya baby,tumne aur baaki sabne toh iske naam ki bekaar hawa banayi hui hai...

SANVEER ye hai, woh hai...usse bhidna apne hi pair par axe maarne jaisa hai aur pata nahi kya kya...

isse toh kya,iske doston ko bhi kuch mat karna warna chhodta nahi SANVY...

ye bhi bolte the naa tum sab par dekho,iski G.F ko injure kiya hai maine aur ye...

MAI-impress hua hun tumse...

true that... aur itna impress hua ki tumhare tarike ko ek step upar le jaa chuka hun mai...

tumne bina chhue physical pain diya meri G.F ko...mai bhi tum dono ko bina chhue pain dunga...

par physical nahi...


meri baat ka matlab naa CHARVI ko samajh aaya aur naa PARAG ko...

confused faces ke saath mujhe dekh rahe the dono...


MAI-samjhata hun,samjhata hun...

CHARVI MEHTA... daughter of ANURAG and PREETI MEHTA...

CHARVI-oh i see...mere parents ko complaint karne waale ho tum...hahaha...so childish...kar lo, kar lo...

MAI-abbe teri jaisi chaman ladki ko paida kiya hai,itna toh andaza hoga hi tere parents ko,pata hai mujhe...

aur ye bhi pata hai ki CHARVI naam ki galti ke asar ko kam karne ke liye ek aur aulaad paida ki unhone...

ADARSH MEHTA... your cute lovable small brother...

yahin class 3 me padhta hai naa woh...


mere mooh se apne chote bhai jispar jaam chidhakti thi CHARVI,uska naam sun face hadh se zyada serious ho gaya tha uska...


CHARVI-keep my brother out of this...agar tune...

MAI-aww...itni fikr...parwah itni hai toh school apne saath laana aur le jaana chahiye naa...

school bus se bhejne ka kya matlab...waise abhi jo school nikli,ussi me aata jaata hai na tumhara brother...

zara pata toh karo,chaddha toh hai naa tumhara bhai usme...

shayad yaad na ho tumhe,bus attendent ka number mai deta hun...

9*****.karo dial...


meri puri baaton ke dauran bohot se negetive expressions aa jaa rahe the CHARVI aur uske saath khade PARAG ke face par...

aur jab bus attendent ka naam bataya maine,toh dar,ghussa aur surprise...

teeno hi expressions ke mile jule bhaav ek saath naache the CHARVI ke face par jiske baad turant apna mobile nikal bus attendent ko call laga chuki thi woh par jab baat kar kuch seconds ke baad phone rakha usne toh phone jeb me daal a chhod niche hi patak diya tha usne...


CHARVI-kamine...kahan hai mera bhai...!!!

DHKKKK...BHAKKK...BHAKKK...AHHHH...


mere collar ko pakadne ke intention se chillate hue meri taraf badhi thi CHARVI par apne ek behter leg se halka left ki taraf ho gaya tha mai...

aisa hote hi disbalance hokar aage ki tarah ladkhadate hue gir gayi CHARVI...

wahin CHARVI ke peeche peeche PARAG aur mere dono taraf khade uske teeno dost bhi bade the mere taraf par tabhi...

apne right ki taraf 2 ladkon me se ek ke peth me punch maara maine aur jaise hi jhuka woh toh usse uski gardan se pakad saamne PARAG ki taraf zor se jhatka diya maine...

jahan ek taraf uska sir PARAG ke peth se takraya wahin jab us lounde ka sharir PARAG aur mere beech me tha toh apne right haath ko uski peeth par pressure dete hue hawa me ucchal chuka tha mai...

agle hi pal mera left foot second bande ke mooh par padh chuka tha par ye single hit nahi tha...

tez swing hua tha mai aur isiliye us second bande ko hit karne me baad bhi mera rotation ruka nahi aur mai ghumta chala gaya...

par is beech first bande ka sir PARAG ke peth me lag chuka tha jiski wajah se woh bhi kara bharte hue neeche jhuk gaya...

thik tabhi mera left uske upar se nikalte hue dusri taraf khade third bande ke thobde ko hit kar gaya...

jahan ek taraf second aur phir third banda apne apne chokte par laath khaa ghumte hue neeche gir chuke the,dusri taraf first banda aur PARAG guthham guthayi hone lage the wahin teesi taraf pura 360 degree ghumne ke baad mai wapas apne ussi left sahi salamat pair ke sahare neeche land hua tha.

itni tezi se hua tha ye sab ki CHARVI joki sabse pehle ladkhadate hue aage nikli thi,jab piche palti woh toh apne B.F aur teeno friends ko zameen me pada dekh aankhein badi ho gayi thi uski...

jitni bhi baatein suni thi usne mere baare,unpar yakin hone laga tha usse...

khair, mooh par jin do ladkon ke laath padi thi meri aur pehla banda jiske peth par punch maara tha maine, woh toh girne ke baad uthne ki haalath me nahi bache the lekin PARAG jisse apne vaade ke mukabikh maarna toh door directly chhua bhi nahi tha maine, woh girne ke baad utha zaroor par ab usme mujhse bhidne ki himmat nahi bachi thi...

chupchap khada ho gaya tha woh...aur ye saara scene live dekh rahe PRINCE ke students...

woh sab toh bas aankhen faade kabhi mujhe toh kabhi neeche gire ladkon ko dekh rahe the...


MAI-so where were we...???haan, tumhara chotu sa bhai,ADARSH...

kitna soft skin hai yaar uska... waise skin toh meri G.F ki bhi kaafi soft hai par hai toh woh ek athelete hi... upar se gymnast bhi hai woh...

practices me hazaron baar alag alag tarah ki chot khaakar unhe sehen karne ki ab toh aadat si ho gayi hai usse par tumhara woh chota sa bhai...

jitni chot meri G.F ko aayi,agar waisa hi kuch usse bhi hit ho toh kitna royega naa woh...

just imagine,usse uske elbow joint ki taraf se neeche patka jaaye toh ek burst me hi buri bhanh chhil jaani hai uski...

aur jab apna khoon dekh dard ke maare zor zor se ro raha hoga woh toh usse ussi condition me utha uske knees ko lock kar usse straight neeche patka jaaye...

tutututu...bechare ke toh soft soft katore hi crush ho jaayenge...nahi...

ho sakta hai sir bhi takra jaaye zameen se...mar bhi sakta hai baccha...nahi...


jitne cruel tarike se boli thi maine ye baat aur bolte waqt jis tarah ka haivaniyat dikh raha tha mere face par usne CHARVI ke aankhon ke aage meri kahi har baat ko jeevant sa kar diya tha...

mere khayal ko apne andar sach sa feel kiya tha usne aur yahi wajah thi ki ghutne kamzor hote chale gaye the uske...


CHARVI-please SANVEER...mere bhai ko kuch mat karna...maasum hai woh...

mere aage haath jod behte ashkon ke beech gidgidaane lagi thi CHARVI...

MAI-hey,this is not cool yaar...apni hi baat se ab palath rahi bai tu...kuch der pehle khud hi kaha tha naa tune ki everything is fair in love,war and COMPETITION...right PARAG...

PARAG-please,chhod de iske bhai ko...

MAI-gidgidana apni G.F se sikh le tu...


meri baat ka matlab samajh CHARVI ki taraf dekha usne jiski aankhon me ek ilteja saaf dikhne lagi thi aur isiliye dheere dheere apne ghutno par aa gaya PARAG...

apne school ke champs the dono par itne saare familiar students ke beech yun ghutno me aana, sharmnaak tha unke liye...

upar se bohot saare students is scene ko live record kar rahe the aur isiliye CHARVI aur PARAG ka sir sharm se jhuk gaya tha...


"mai bhi tum dono ko bina chhue pain dunga...

par physical nahi"...


meri is baat ka matlab ab samajh ne aaya tha dono ke...


DID'S...YE KNEE DOWN KYUN BAITHE HO AAP...!!!TEACHER ME YAHAN PUNISH KIYA HAI KYA AAPKO...???


haathon me icecream liye ek chota sa baccha tha ye jiski awaaz sun ek jhatke se sir upar hua tha CHARVI ka...

CHARVI-ADI...


apne chote bhai ko apne saamne dekh uska naam zor se pukaarne ke beech usse zor se gale laga subakne lagi thi CHARVI...


CHARVI-kahan tha tu...???

ADARSH-yahi paas ke icecream shop me tha...bus me jaa raha tha mai ki tabhi ye dono bhaiya mile mujhe...

inhone bola ki aap mera icecream shop par wait kar rahe ho toh mai inke saath chala gaya...

pata hai didi,in bhaiya ne mujhe sunday flavour me icecream khilayi aur in bhaiya ne feast le ke di...


NITS aur SONU ka baare me bola tha ADARSH ne...yahi kaam karne ke liye toh bola tha maine dono ko aur bacche ko yun use karne me jhijhak rahe the woh...

ADARSH ki baat sunane ke baad ek baar phirse zor ka hug kar liya tha usse CHARVI ne...


MAI-sirf lesson mat samajhna...agli baar baar jab bhi everything is fair in love, war and COMPETITION waale khayal dimag me aaye toh yaad rakhna,aaj jo theory me bataya,next time uska practical dikhaunga mai...


ek baar CHARVI aur phir PARAG ko joki meri warning me saaf pata chal rahe intention ko mehsoos kar dare sehme se the, dekh limb karte hue aage badh gaya...


KYA WAKAYI...!!!???


mere piche se aayi thi ye awaaz jisse sun ek smile naach uthi thi mere face par...

NEW GIRL thi ye jo mere baaki doston ke saath shuru se bhidh ka hissa ban sab kuch dekh rahi thi...

aur jo kiya tha maine,usse dekh sabki tarah woh bhi shock me thi...

khair,uski awaaz par piche palath gaya mai jispar baaki sabke saath mere saamne pahunch rook gayi woh...


DIMPLE-kya wakayi us bacche ke saath GALATH kar dete tum...???

MAI-tumhe kya lagta hai...???

DIMPLE-mujhe lagta hai ki jis SANVY ko mai pehchaanti hun woh kisi innocent aur khaaskar kisi bacche ke saath kuch GALATH nahi kar sakta...

MAI-phir tumne sirf jaana hai mujhe, pehchaana nahi...

SAHI ke liye mujhse zyada koi SAHI nahi par GALATH ke liye mujhsa GALATH bhi duja koi nahi...

see you in my house...


scooty le aaya tha NITS jispar SONU ke piche baith aage nikal gaya tha mai...

wahin mujhe jaate dekhte hue meri aakhir me kahi baat hi gunj rahi thi NEW GIRL ke kaano me aur dimag...

usne naye adhar banane shuru kar diye the...


DIMPLE'S MIND:-



soch ke ghode us hadh tak doudata hai ye jab tak dimag thak kar JAM NAA JAAYE...

haath tab tak maarte hain iske jab tak woh khoon se pure SAN NAA JAAYE...

samjhu bhi toh kaise samjhu mai is ajoobe ko ki...!!!???

har kisse ko tab tak ghumata hai ye jab tak ki woh iski pasand ki kahani BAN NAA JAAYE...








AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE APNE SAATH HUE HARKAT KA BADLA SPORTS ME LENE KA SOCHTI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY CHARVI AUR PARAG KO MENTALLY TOD DETA HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-79


DATE-12TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





DRNNNN...


PYAR HUME KIS MOD PE LE AAYAAAAAAAA AAA...KE DIL KARE HAAYE...

HAAYEEE...

KOI YE BATAYE KYA HOGAAAAA....

EERAARAARARARARA...


guitar par base dhun chhedne ke baad thodi tez awaaz me gaana shuru kiya tha maine jisse zubaani taal dene ke liye turant saamne aaya tha NITS...

aur ye sun jahan ek taraf baaki sab has diye the wahin dusri taraf do din pehle jo kaand kiya tha maine PRINCE school ke bahar,uski wajah se NEW GIRL ukhde mood me rahi thi aur ab bhi hai...

isiliye uske mood ko theek karne ke liye hi gaana gaa raha tha mai, jispar mere gaayki kam noutanki zyada ke shuru hote hi pehle toh shock hui woh par phir uska face dobara sadu jaisa ban chuka tha aur ye dekh maine bhi gaana chhod guitar neeche rakh diya...


KHANAK-kya yaar DIMPLE...kab tak naraaz rahegi tu SANVY se...???ab maan bhi jaa naa...!!!


KHANAK ki baat par bhi kuch kaha nahi NEW GIRL ne,bas apni kajrari aankhon ko bada kar ghura usne KHANAK ko...


MAI-haaye...doston,arz kiya hai...

SAB-irshad, irshad...


MAI-"ruthne se kuch yun badh gayi hai uske rukhsaar-ae-khubsoorati...

samajh nahi aa raha ki usse manaye ki bas uska DEEDAR-E-EID karte rahen"...


EKPREET-waah...kya baat boli hai lounde...

NAISHA-sach me SANVY... awesome...aisi lines apne dost ko bhi sikha diya karo...

RAJAT-arre...madam,ek baar board bina padhe paas kar jaaunga mai par ye shayri kavita na hoti mere bas ki...


jahan NAISHA aur RAJAT ki tarah baaki sab bhi kuch na kuch bolne me lage the wahin jiske liye shayri ki thi maine,asar uska hua zaroor tha...

gawah thi woh smile jo mere shayri ke pure hote hi naach uthi NEW GIRL ke face par aur aisa hote hue sirf maine hi nahi,baaki sabne bhi dekh liya tha...


EKPREET-oye veere,kudi man gayi oye...

MAI-dila di sachi awaaz si, dila taka pahunchana hi painda...

RASHI-tumhe punjabi aati hai...not bad yaar SANVY...

DIMPLE-jhalla...

NAISHA-oh,so cute...


ek pillow feki thi meri taraf NEW GIRL ne jisse catch kar khud se laga liya maine...

mujhe aisa karta dekh turant aage badhi woh aur pillow mere seene se alag kar khud woh wahan chuppa liya NEW GIRL ne...


DIMPLE-meri jagah hai ye...


mujhe sir piche kar shikayat si ki thi NEW GIRL ne par is baar us shikayat me pyar bohot zyada tha...


RASHI-yaar...ab jealous feel karwa rahe ho tum dono mujhe...

KHANAK-tujhe nahi hum sabko bol...kisi aur couple ko dekhkar apne single wood par kabhi kuch feel nahi hua par tum dono ko dekh lagta hai ki kaash koi hota...

SAM-true that...


jis tarah apne dil par haath rakh bilkul naatakiya andaaz me kahi thi apni baat KHANAK ne aur uspar pure man se SAM ka haami bharna,has pade the sab siway NEW GIRL ke aur ye dekh...


MAI-waise ek baat batao...mujhse tumhari narazgi toh samajh me aati hai par SAM par kis baat ko lekar naraaz baithi ho tum...

kaafi dino se naa khud se baat ki hai tumne isse aur naahi iske kisi baat par koi direct response deti ho...

DIMPLE-chuppe bin sawal bane waale jawab bhi jaan lete ho tum aur itni obvious baat ki bhi knowledge nahi hogi tumhe...i don't believe it...

NAISHA-matlab...!!!aur DIMPLE SAM se baat nahi kar rahi,ye toh maine notice hi nahi kiya...

ANJALI-apne majnu se nazar hate toh kahin aur dekhegi na tu...!!!

NAISHA-oh shut up yaar...

RASHI-arre wahi...us din SAMRAT waale bande SAM ko maarne aaye the naa par injured SANVY ho gaya...

isiliye naraz hai madam SAM se...iske hisse ki taklif jo SANVY jhel raha hai...

NITS-sahi kaha hai kisine...

"junoon-e-prem atti buddhi jeevon ko bhi murkh banane me saksham hota hai"...


NITS ki baat par ghura NEW GIRL ne usse...


NITS-what...???sahi toh bol raha hun...we all are buddies...SAM ki jagah hum mese koi aur bhi hota tab bhi SANVY wahi karta jo usne us din kiya...

"he never leaves and backstabs his friends"...period...

SONU-ttrue...ye kamina rridh ki haddi hai hamare ggroup ki aur bbina rridh ki haddi ke koi sharir chalna toh ddoor thik se hil bbhi nahi ssakta...

SAM-sorry yaar...meri wajah se...

MAI-line puri ki toh teri bhi taang tod dunga...jo NITS ne bola,sirf suna,samjha nahi kya tu...!!!


bro code punch tik kiya maine aur SAM ne jispar DIMPLE bhi muskura di thi...

DING DONG...


ANJALI-MAA hogi...mai dekhti hun...haso mat...mooh tod dungi...

hum mese aage koi kuch kehta ki tabhi main door ki bell baji jisse sun ANJALI turant lapki bahar ki taraf aur uski ye harkat aur asal reason jaan hum sab has diye the jispar warning hume mil chuki thi...

darasal aaj Sunday hai aur isiliye hi sabhi friends ka mere ghar par jamawada hai...

apni aadat anusar ghar me aate hi ANI ne MAA ko awaaz lagayi thi par woh hoti toh reply karti naa...

mere liye kuch shopping karne market gayi thi woh aur jab is baat ka pata ANI ko chala toh dimag ghum gaya uska...

usse jo saath nahi le gayi thi MAA upar se sirf mere liye shopping,uske liye nahi...

ye reason kaafi tha ANI ka dimag fuse karne ke liye isiliye woh ab tak sirf physically present thi yahan par dimag main door par MAA ke wait par hi laga hua tha...


SONU-aggar aunty nne sirf ttere liye hi sshopping kiya hoga naa ttoh phir ho gaya kkalyan...

NITS-hafte bhar tak mooh fula kar ghumne waali hai ye...

ANJALI-SANVYY....


SONU aur NITS ki baat par kuch kehta mai ki tabhi main door se ANI ki ek zordar awaaz aayi...

ghussa saaf jhalka tha uski tone me jisse sun NEW GIRL turant alag hui mere chest se aur aisa hote hi mai bhi apne ek leg par kud khada ho chuka tha...

bahar ki taraf badh chuke the hum sab aur gate ke saamne pahunchte pahunchte aankhein badi ho gayi thi hum sabki...

REASON...

DUSHYANT...SAMRAT ka banda...gate ke dusri taraf khada tha woh...kuch ek bande bhi khade the uske saath aur kuch bande road ke dusri taraf bike par baithe hue the...

ANI un sabko ghusse se ghoor rahi thi...

NITS-inki maa ka...saalon ki itni himmat...aaj toh gaye behen ke...

MAI-chill...open me nahi hain hum... mohalla hai apna...aas paas log hain...MAA ka repo kharab hoga...

DUSHYANT-hey SANVY...pair kaisa hai ab...!!!???i hope,zyada pain nahi ho raha hoga ab...!!!

DHDHHHH....


gate band tha humara jiske dusri taraf apni jeans me haath daal mujhe chidhaane waale tone me baat ki thi DUSHYANT ne par tabhi gate hi rod par badi tezi se pada mera haath...

impact tagda tha isiliye awaaz bhi kaafi tez aayi jiski wajah se DUSHYANT aur uske aaju baaju khade lounde hadbadate hue thode piche ho gaye the...

aur ye dekh ab khilli waali hasi hasne ki baari mere friends ki thi...


MAI-ghar jaa beta... waise toh yahan maarunga nahi tujhe mai par agar chupchap chala gaya tha aage bhi kuch nahi karunga par koi bakwas nikli tere mooh se toh...!!!

jahan milega, wahan pelunga tereko...

DUSHYANT-saala taang tuti hui hai par akad waisi ki waisi hi hai...

khair,aaya toh tujhse baat karne hi tha par acha hua ki ye sab bhi mil gaye...

year after year,tum saale SIRIUS waalon ne baaki sabhi school's ko neeche rakha hua hai...

sports ho ya academics,har chiz me baaki sab second hi rahe hain kyunki first spot tum logon ne apne baap ki jaagir samajh kar hathiyayi hui hai...

pata nahi kya kismat hai SIRIUS ki...har teen chaar saal me ek aisa banda zaroor admission leta hai wahan joki sports aur academics me best rehta hai...

par kamsekam ab tak female kota me hi sahi,hamari school SIRIUS se aage thi lekin suna hai P.T USHA ka reincarnated version mil gaya hai SIRIUS ko...

TAKKKK....

DIMPLE ki taraf dekhte hue kahi thi ye baat DUSHYANT ne jispar gate ka saankal khol diya maine...

mere aisa karte hi DUSHYANT aur uske dost turant piche hath apni apni bike ki taraf chal pade jisse pehle hi rider seats me baithe bande ignition on mode par rakhe hue the...

par jaate jaate bhi...


DUSHYANT-har baar teri wajah se bachta aaya hai ye SAM aur ab ye, teri bandi...

par ab nahi...20 din me dehradun ke history ka sabse bada sports event hai...

isse slip away nahi hone denge hum...by hook aur by crook...

saare competitions hum hi jeetenge...baaki tu samajhdar toh hai hi...

tooti taang ke sahare laga le edi choti ka zor...bacha nahi paayega inhe...

SAM-bohot zyada ho gaya...ek baap ki aulad hai toh rook aur jo bola hai woh karke dikha...

gate khol DUSHYANT aur uske friends ki taraf bhaage SAM,NITS,SONU, EKPREET and RAJAT par turant bike start kar nou do gyarah ho gaye the woh sab...


NITS-saale fattu..."chill ka chodna kam,chillana zyada"...

CHATAKKKKHHHH...

RASHI-language NITS...


dheere se budbudaya tha NITS par paas khadi RASHI ne sun li thi uski baat isiliye diya uske kandhe par ek zor ka usne...


DIMPLE-SANVY...i promise kuch nahi kar paayenge ye...

last time casual thi mai isiliye woh hua jo hua but not this time...

they don't have the balls to do shit with me...

SAM-haan bhai... tention mat le tu...saala is champ tag ki wajah se protocol protocol khel raha tha mai par ab bas...

jo hoga dekha jaayega par is baar kuch ulta kiya inhone toh chhodunga nahi kisiko...

EKPREET-abbe tujhe saamne aane ki zaroorat hi nahi padegi...apne apne practice par dhyan dono...

kutto ki tarah harana hai tum dono ko baaki sabhi school waalon ko...

in sabko toh hum hi dekh lenge...kyun guyz...???

SAB-bilkul...

DIMPLE-hey...please SANVY,tum stress mat lo...

MAI-kal se school aa raha hun mai...

DIMPLE-what...!!!???no...maine kaha naa mujhe kuch nahi hoga...abhi tumhara pair...!!!

MAI-pressure nahi dunga ispar mai...i promise..but i am coming to school...

NITS-maan jaa DIMPLE..option koni tere kanne...nahi maanega ye...

DIMPLE-fine...par school mai lene aaungi tumhe aur wapas bhi mere hi saath aaoge tum...no biking...

MAI-cool...





PLACE-GLOBAL DRIFT PARKING LOT





WELL,WELL,WELL...LOOK WHO'S HERE...???THE ONE AND ONLY, VERONICA PAUL...


apni car ke back seat se bahar nikalte hi SMRITI CHANDER (SAM'S MOM)ki nazar gayi thodi door khadi VERONICA par joki phone par kisi se baat kar rahi thi...

usse dekh ek pal ke liye toh saikdon bhaav SMRITI ke face paar aaye gaye ho gaye the par phir khudko niyantrit kar mocking way me taarif si ki thi usne VERONICA ki...

wahin apna naam sun jab ghumi VERONICA ki gardan SMRITI ki taraf toh usse dekh hamesha ki tarah rehne waali saadgi ki intahan waali muskurahat naach uthi uske face par jiske baad apna call hang up kar woh badh chali SMRITI ki taraf...

SMRITI CHANDER...sirf DEHRADUN ki nahi balki pure uttarakhand ki ek naamchin hasti thi woh...

aur uski personality bhi kaafi achi thi...

is waqt SABHYA SACHI MUKHARJEE ki KALAMKAARI saree jisko keemat 2 lakh se bhi zyada thi,pehni hui thi woh...

upar se sharir me jeetne bhi accessories the,unhe agar bech diya jaaye toh ek AUDI Q2 jaisi mehngi car bhi cash me khareedi jaa sakti thi...

in short,rahisi SMRITI ke sir se lekar pair tak saaf dekhi jaa sakti thi jisse aur chalka kar bahar laa rahe the uske woh 4 bodyguards joki uske dono taraf mustaidi se khade the...

kisi important phone call par busy hone ke chalte shop ke front me naa utar yahan parking lot me apne super costly BOTTEGA VENETA sandals par pressure daalte hue neeche utri woh aur utarte hi usne saamne dekha bhi toh kise...!!!

apni purani college mate VERONICA PAUL AHARYA ko jo usse bilkul alag roop me dikh rahi thi...

simple is yellow salwaar suit pehni hui thi VERONICA ne...chehre par kudrati noor se racha sadabahar shringaar...

naa haathon me koi saanskrutik chudiyan yaa phir koi modern bracelet...

haan ek simple si watch zaroor bandhi thi uski daayin kalayiyon me...pair me ek printed non hil white juti jo uske unche kadh ko dabane me saksham nahi tha...

bhara hua jism par halke bhi motepan ka naamo nishan nahi...

dhalne waali umr ki shuruaati padhav me pahunch rahi thi VERONICA par baawjud iske khubsoorati uski jaise uske umr se bagawat par utri hui thi...

yahi wajah thi ki saadgi ki devi swaroop VERONICA ke in chand seconds ke walk ke beech hi saamne khadi SMRITI CHANDER rask se bhar uthi thi...

dimag uska maanane ko taiyar nahi tha par dil jaan chuka tha ki laakhon ke makeup aur pehne hue accesories ke baawjud woh kahin se bhi VERONICA ke roop ka duswa hissa bhi nahi thi...


VERONICA-hey SMRITI...long time,haan...!!!


bohot simple aur low tone me muskura kar baat kiya tha VERONICA ne par aaj bhi uski awaaz me SMRITI ko wahi dhakka hua beshoomar confidence feel hua tha jiski wajah se college me woh har chiz me aur har baar VERONICA se haar jaaya karti thi...

par aaj for once kamsekam is conversation and more importantly is mulakaat me SMRITI VERONICA se haarna nahi chahti thi aur isiliye khudke lagatar down ho rahe confidence ko turant upar utha liya tha SMRITI ne...


SMRITI-yaa long time woh bhi tab jab ek hi sheher me rehna hota hai hum dono ka...

VERONICA-true... waise how are you...???

SMRITI-tumhare saamne hi hun...dekh lo...

VERONICA-tum bilkul bhi nahi badli SMRITI... jawab aaj bhi ghuma kar hi deti ho tum...

SMRITI-ye toh mujhe tumhare liye bolna chahiye...20 saal se zyada ho gaye college chhode hume par tumhari age toh lagta hai maano wahin tham gayi...

aur woh bhi tab jab SANEEL nahi raha...uski yaad ne chehre par tumhari silwaten toh laayi hi nahi ya phir yaad karti hi nahi ho tum usse...

VERONICA- yaad unhe kiya jaata hai jinhe dil aur dimag kuch waqt ke liye hi sahi,bhool gaya ho...

SANEEL ka pyar khoon ki tarah har waqt doudta hai meri ragon me...

SMRITI-VERONICA PAUL...wakayi nahi badli tum...aaj bhi har sawal ka haazir jawab taiyar rehta hai tumhare paas...

par kya faayda...!!!

VERONICA-why do you say that...???

SMRITI-college topper thi tum...sabse bright...saare professors, teachers hum sabko tumhara examples diya karte the...

kehte the ki hume tumhe follow karna chahiye par thank god kamsekam maine toh aisa nahi kiya...

naa professionally aur na personally...

VERONICA-i am very happy for you SMRITI...jis mukaam par tum ho,apni mehnat se ho and you deserve it...


VERONICA ki baat sun upar se toh muskura rahi thi SMRITI par andar se ek ghutan feel ho rahi thi usse...

lagatar mock karti aa rahi thi woh VERONICA ko par uska asar kuch hota dikh jo nahi raha tha....


SMRITI-waise kya khareeda hai...???

VERONICA-SANVY ke liye shoes aur ANI ke liye watch liya hai...

SMRITI-yahan se...

VERONICA-kyun,nahi le sakti...!!!

SMRITI-le toh liya hi hai tumne but what i meant was ki itni expensive shop se shoe lene me toh tumhari salary ka kamsekam one third part hi khatam ho gaya hoga...!!!

VERONICA-pura bhi chala gaya hota toh kya fark padta hai... afterall,ek hi toh beta hai mera...

aur ANI bhi beti se badhkar hai mere liye...

SMRITI-par kya faayda...SAM bata raha tha ki bas average hai beta tumhara studies me...

even sports me bhi interest nahi hai usse...

DEHRADUN ke best school me padha rahi ho,uski har demand puri kar rahi ho par woh koi achievement dikha hi nahi paa raha...

SANEEL ka hi khoon hai naa SANVEER ya phir...!!!hahahaha...just kidding yaar...


wink karte hue apni bhaddi baat ko mazak bataya tha SMRITI ne jispar halka sa sir shake kiya VERONICA ne aur...


VERONICA-apne bete se mere bete ke baare me uski study aur other curricular activities ka info jab liya tumne toh khoon ka bhi le lena chahiye tha...

SANEEL ke khoon ka ubaal usse virasat me hi mila hai aur faayda is baat ka sabse zyada tumhare bete ko hi hua hai...

har dusre din koi na koi tumhare bete ko maarne aaya hai uske piche par aaj bhi agar without a scratch sahi salamat hai woh toh khudki wajah se nahi,mere bete ki wajah se...

koi bhi naam kitna hi bada kyun naa ho par jaise SANEEL ke saamne har sir jhukta tha,unke bete ke aas paas bhi aalam waisa hi rehta hai...

don't take it the wrong way...i am very proud of your son, SAMEER...

topper hai woh, sports champ hai upar se martial arts me bhi achi khaasi pakad hai uski...

har kisi ki aankhon me uske liye respect dekhi hai maine par jab bhi woh mere bete ke saamne hota hai, aankhon me uske dar aur dil me ghabrahat feel kiya hai maine...

ab aisa toh sirf SANEEL ke khoon ke saamne khade rehne ka asar hi karwa sakta hai naa...

VERONICA ki baat bohot buri chubhi thi SMRITI ko...

kyunki VERONICA ki baat ne uski kahani ke purane kisson ko ek baar phir uski aankhon ke aage jiwant kar diya tha...

college ke dino me bhi SMRITI ka naam aaj ke hi tarah mashoor tha...

har chiz me baaki sabse aage rahi thi woh siway VERONICA ke...

bohot koshish ki thi usne VERONICA ko beat karne ki par jaise baaki sab uske aas aas kabhi nahi pahunch paaye the waise hi SMRITI bhi kabhi VERONICA se jeetna toh door,usse takkar dene ke kaabil tak nahi ban paayi thi...

aur aaj same equation uske aur VERONICA ke bete ke beech bana hua tha...

haan ek difference bhi tha... unlike VERONICA and SANEEL,unka beta limelight me bilkul nahi rehta tha par uski kaabiliyat par shak nahi kar sakti thi SMRITI...

SANEEL aur VERONICA ka beta...itna hi kaafi tha SMRITI ko SANVEER ke potential ka base samajhne ke liye...

khair,aaj ek baar phir shabdon ke jugal bandi me hi sahi par haar rahi thi SMRITI VERONICA se jo usse bardasht nahi ho raha tha...

aur yahi wajah thi ki dimag se hote hue uske zubaan par woh shabdon ki daamar maala nikalne waali thi jo nahi nikalni chahiye thi...

sabse pehle toh ek lambi saans chhod khudko shaant kiya SMRITI ne aur...


SMRITI-ye baat toh thik kahi tune... SANEEL aur teri tarah tere bete ke saamne bhi chalti nahi hai kisiki par ek baat aur bhi hai jo common hai tere aur tere bete ke beech...

buri kismat...

ab dekh naa,tu bhi bachpan me hi anath ho gayi thi aur same case tere bete ke saath bhi hua hai...

haan,tere mukaabale tera beta thoda lucky hai kyunki kamsekam uske paas tu toh hai...

par phir bhi kya faayda...

college aur usse pehle school me bhi tu over achiever thi lekin real life ki doud me under achiever ban kar ghum rahi hai...

aur same temperament apne bete me bhi daal diya hai...

wahin mujhe dekh... college me hamesha piche rahi mai tujhse par ab tu piche hai woh bhi unimaginable distance se...

time bhi naa... wakayi kamaal chiz hai...ek waqt tha jab mujhse SANEEL ko chhinane ke liye nafrat karti thi mai tujhse par ab mai thankful hun...

agar galti se bhi SANEEL mera ho jaata toh tera naseeb mere hisse aa jaana tha...

itne bade business empire ko run karna chhod tumhari tarah koi 10 to 6 job kar rahi hoti and more importantly,vidhwa ka tag lag jaata woh alag...

VERONICA-vidhwa ka tag divorci ke tag se toh much better hai naa...

SANEEL ab is duniya me nahi raha par aaj bhi meri zindagi ka ek bejod hissa hai woh...

duniya ke liye mar chuka hai par meri aatma me,mera wajood me aur mere bete ke har aks me zinda hai SANEEL par tera kya...???

mera pati nahi raha isiliye nahi dikh raha,tera toh zinda hai phir bhi tera usse rishta mar chuka hai...

do baar naam liya tune mera par dono hi baar adhura...VERONICA PAUL ke baad AHARYA lagana bhul gayi thi tu...

AHARYA...mere pati ka mujhe diya gaya sabse bada gift jo uske jaane ke baad bhi usse mujhse baandhe rakha hai par tu toh college me bhi CHANDER thi aur ab bhi wahi hai...

teri asli pehchaan par sawal chhoda hua hai tune...

mera pati nahi hai, isiliye vidhwa hun mai par tu toh pati ke rehte hue bhi vidhwa bani ghum rahi hai...

toh bata,asal badnaseeb kaun...???


gaand ki aakhri hadh tak jal uthi thi SMRITI ki VERONICA ki baatein sun...

SMRITI-you bitch...

DHAKKK...


aatma tak ko bhedne waale VERONICA ke shabdon ko kisi tarah sunte sunte aakhirkar sabr ka paimaana chhalak hi gaya uska ka jiske baad usse maarne ke liye tezi se haath utha chala diya SMRITI ne par woh bhul gayi thi ki college me sirf study, sports aur academics me hi best nahi thi VERONICA balki saath hi saath ek top level ki martial artist bhi thi woh jisse bade bade gunde bhi khub peet chuke the...

aur college ke baad apne har hunar ko jis unimaginable level par lekar jaa chuki thi VERONICA, agar uske baare me pata hota SMRITI ko toh yeh naadani kabhi na karti par ab toh ye bewakufi woh kar hi chuki thi...

haath badi tezi se ghumaya tha apna SMRITI ne par uski speed VERONICA ki baaz si aankhon ko behadh dheeme dikhi thi...

yahi wajah thi ki badi asaani se halka right ke taraf mood gayi woh...

waar toh khaali gaya hi SMRITI ka par kyunki uska swing sirf tez hi nahi balki unbalanced bhi tha isiliye aagr ki tarah ladkhada si gayi woh...

ladkhadate hue VERONICA ke baaju se nikli woh aur tabhi uske back ko bas halke jhatke ke saath ek push de diya VERONICA ne jispar naa sirf ladkhadahat badh gayi SMRITI ki balki tezi se aage ki taraf giri woh...

AHHHH....

girne ki wajah se ek karah nikli thi uske mooh se jiski awaaz nikalte hi dab si gayi thi...

REASON...

uske chaaron bodyguards joki apni maalkin ko girta and more importantly, VERONICA ko usse push karte dekh turant uski taraf badhe the par tabhi...

DHABBB...DHABBB..DHABBB...DHABBB...

isse pehle ki woh chaaron kuch samajh bhi paate,do ko straight leg swing aur baaki dono ko rotating punch aur elbow hit jadh diya tha VERONICA ne...

ache khaase hatte katte bande the woh chaaron par VERONICA ka har hit itna balanced aur impactful tha ki unke padte hi naa sirf zameen par gir chuke the woh chaaron balki ab turant uthne ke liye jaan bhi na bachi thi un sab me...

wahin girne ke kuch pal baad neeche pade pade hi jab VERONICA ki taraf as in peeche ghumi SMRITI toh apne chaaron bodyguards ko neeche floor par tadapta dekh aakhein bahar aane ko ho chuki thi uski...

ek jhatke me usse VERONICA ka college time me kayi dafa dikhaya gaya doudra roop yaad aa chuka tha...

aakhein faade jinme ab dar tairne sa laga tha, dekh rahi thi woh VERONICA ko joki abhi apne shopping bag recheck kar moodi SMRITI ki taraf...

chehre par smile liye woh uski taraf badhi aur theek SMRITI ke saamne pahunch uske face ke aage jhuki VERONICA...


VERONICA-



GALATH jagah par GALATH baat,apne liye hi BURA HAI...

roub,ghamand,akad,bina sahi tevar ke ADHURA HAI...

aaj bhi AAG hun mai bas lou dheemi hai...

par yaad rahe...

aag zyada ho ya kam,jalata PURA hai...








AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DUSHYANT SANVY AUR USKE DOSTON KO DHAMKI DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF SMRITI VERONICA KI INSULT KARNE KI KOSHISH ME KHUDKI HI INSULT KARWA BAITHTI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-80

DATE-18TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






TUM AAJ KAL KE BACCHE...PIZZA BURGER KHA KHAA KAR APNE STAMINA KI AISI KI TAISI KARA LI HAI TUM SAB NE...


CHARLIE sir ke comment ko sunane ke baad bhi zameen par faile hi pade rahe the sab students...

aaj saturday tha...waise toh aaj kal SIRIUS me har din hi jam ke sports ke har anticipated activities ki jam kar practice ho rahi thi par saturday ki baat thodi aur alag rehti thi...

kyunki saturday ko study class lagti hi nahi thi...pure school hours me bas sports practice hi hoti thi aur woh bhi intense...

jaise ki abhi... school hour start hue 12 ghanta bhi theek se nahi beete tha par itne me hi senior three classes ke har boy student ki jaan aadhi ho chuki thi...

pehle 800 metres ke 2 aur phir 1500 metres ka ek doud jo pura kiya tha sabne...

aur aisa karte hi jahan ek taraf sabhi students field par pasar gaye the, wahin dusri taraf charlie sir"one more round"ki howling karte rahe jisse ek kaan se sunkar nikaalne lage the sab...


DAS-beta itne me hi thak gaye beta aap sab...beta jab hum aapki umar me the toh 20 20 km doudne ke baad bhi kabhi thak kar baithe tak nahi...

NITS-arre kam feko sir...abhi lapetne ki bhi himmat nahi bachi hai...

DAS-kya bole beta NITENDRA...???


lambi lambi saans lene ke beech dheere se budbudaya tha NITS jisse DAS sir theek se sun nahi paaye the...


NITS-kuch nahi sir...mai bas ye bol raha tha ki aapse bhala hamara kya jod sir...aapka aadha bhi achieve kar liya humne toh bhi badi baat hogi...

DAS SIR-beta kisi aur ne ye baat boli hoti toh maan bhi leta mai par tumhara software aisa bana hi nahi ki kisi bhi teacher ki taarif kar lo tum...

HAHAHAHA...


sir ki baat sun thakne ke baawjud hasi nikal gayi thi sabki...


CHARLIE SIR-great...has rahe ho sab matlab thakaan chali gayi...good...chalo phir...1500 ka ek round aur ho jaaye...

EKPREET-sir...please but we are too tired...1500 ka lap nahi ho paayega... it's too much...

SAB-yes sir...please...


EKPREET ki baat sun CHARLIE sir usse daantne ko hue the par tabhi baaki sab students ne bhi same request ki thi unse jis kaaran bas sabko ghurne lage the woh...


MAI-sir,1500 metres ka round bhale hi zyada ho jaayega in sabke liye par 2 minutes ke off time ke saath 400 ke chaar toh araam se laga lenge ye sab...

woh karwa lijiye...

CHARLIE SIR-great idea SANVEER...so students, aisa hi karenge ab aap sab...400 ke chaar rounds clear karenge with a two-minute off time interval...

RAJAT-but sir...

CHARLIE SIR-no but,keep your mouth shut and now quickly,all of you,move your butt...


jahan ek taraf ryming words ke saath apna order dekar sir aage badh chuke the wahin sabhi students ki nazar mujhe ghoorne lagi thi...

jog area ke paas hare hare ghaanso ke beech akela araam se baitha hua tha mai...

DAS SIR ke presence ki wajah se bol toh koi kuch nahi raha tha par aankhon me unke dekh un sabke man me chal rahi mere liye vibhin vibhin tarah ki galiyon ke samuh ko saaf feel kar paa raha tha mai...

aur unhi ghoorti nazaron se jahan tak ho sake, mujhe stair karte hue 400 metres ke apne first lap ke liye aage doud laga di thi sabne...


NITS-is saale langde ki dusri taang bhi todkar permanent disable club ka member bana dunga mai saale ko...

harami khud toh araam se gaand tika kar baitha hai par humari gaand sujaane ke sujhaav deta phir raha hai...

SONU-bbeta ek ttaang mme bhi woh kamina hum ssab par bbhari hai...

EKPREET-ye toh hai bhai...saala us din PRINCE ke bahar jo SANVY lounde ke peeth par haath ka pressure daal 360 ghum gaya tha, dekhkar laga jaise live film shooting dekh raha hun mai...

RAJAT-haan bhai...ladhta toh ye pehle se hi aaya hai...

par pehle bas aayen baayen haath pair chalte the iske...

aur us time saale ka junoon itna zyada sir par sawar hota tha ki khudko lagne waali chot feel bhi nahi hoti thi usse...

par chot lagti toh thi hi...par ab...pata nahi kameene ne kaun se martial arts institution me secret training li hui hai jo alag hi level ka fight display karne lag gaya hai...

DAS SIR-beta,baatein karoge toh saans fulegi aur saans fulegi toh doudna mushkil ho jaayega par doudna toh hai hi...

isiliye beta for the sake of your own stamina,mooh band rakho...

200 ka ek round pura karne ke beech jab sabhi sir ke baaju se guzre toh unke comment aur indirect dhamki ko sun mooh apne aap sil gaya tha sabka...

wahin dusri taraf CHARLIE SIR pahunche the thodi door alag se warm up practice karte hue hamare school ke dono champs ke paas...

SAM and ROHAN jo filhal alag alag tarah ke stretching exercises kar rahe the...

baat ek dusre se dono karte the nahi isiliye unki exercises sink me naa hokar different thi...

sir ko dekhte hi dono sidhe khade ho chuke the...

CHARLIE SIR-so,warmed up...!!!

DONO-yes sir...

CHARLIE SIR-good...baaki sabhi races me tog tum dono baaki school champs se aage hi rehte ho par long run tracks me PRINCE are really good aur sunane me aaya hai ki unke champ ka jo 1500 metres finish time hai,it is slightly better your last year record...

isiliye aaj long track run practice karni hai tum dono ko...

SAM-sir,but is baar mai 1500 metre race me participate kar hi nahi raha hun...

CHARLIE SIR-what...???kyun...???

SAM-aise hi sir...body exaggerate hoti hai us race me jo mere baaki selected activities par asar daal sakti hai...

aur koi time hota toh ye risk le leta mai but is baar stakes bohot high hain isiliye i don't wanna take any kind of risk...

CHARLIE SIR-par risk kaisa...???800 metres aur 400 metres relay race ki tarah 1500 metres race bhi compulsory 4 sports list me aata hi nahi hai...

par championship ke liye it helps...

SAM-i know sir but ek toh apne selected sport events me mere jeetne ke chances zyada hi hain aur agar aisa mai kar leta hun toh phir kisi additional sports ki zaroorat honi hi nahi hai...

but more importantly, 1500 metres race last day me nahi balki sports ke first day me hi conduct hota hai woh bhi main selected events ke beech jisme participation ka matlab hai apne selected sport events me exhausted hona and that i don't want...

baat to the point thi SAM ki isiliye usse zyada convince karne ka socha nahi sir ne...

CHARLIE SIR-tum toh 1500 me participate karoge na ROHAN...!!!

ROHAN-ofcourse sir...

CHARLIE SIR-toh SAM,ROHAN ke saath abhi ek friendly race toh kar hi sakte ho naa tum...!!!

practice bhi ho jaayegi iski aur jo agar koi kami hui isme toh race ke through unhe jaan bhi paayega ye...

waise bhi,is baar competition tum dono ka sirf ek dusre se hi nahi balki dusre school ke students ke saath bhi hai...

SAM-sure sir...

CHARLIE SIR-thats the spirit...ok then...5 minutes...phir race track par pahuncho...

HEY...


NEW GIRL thi ye jo apne water sipper se paani peete hue mere baaju me aakar baith gayi...

boys ki tarah school ke dusre ground me girls ka bhi practice session chaalu tha aur isiliye hi is waqt regular school uniform me nahi thi NEW GIRL...

dark green half sleeves vest aur neeche white tights pehne hue the usne with a white running shoe to go with it...

lagatar kayi long rounds doud chuki thi NEW GIRL...haan,chand minutes ka gap ho chuka tha isliye sharir uska relaxed ho chuka tha par phir bhi saansein uski halki si hi sahi par tez,chhad aur utar rahi thi...

mousam yahan ka most of the times ki hi tarah abhi bhi thanda hi tha...

yahi wajah thi ki nikla paseena kaafi hadh tak sookh chuka tha uska par chand bunde abhi bhi NEW GIRL ke maathe ki chamak air badha rahi thi...

aksar tough practice ke baad face ka glow kam ho jaaya karta hai par NEW GIRL ke saath iska ulat hua tha...

chehre par uske kuch yun noor chhaya hua tha maano abhi naha kar taazgi se bhar nikli ho...

yahi wajah thi ki NEW GIRL ke baithne ke baad kuch kaha nahi maine...

uske kudrat-e-karishmegaar rukhsaar ka bas deedar hi kar raha tha mai...

wahin dusri taraf NEW GIRL ki nazar bhale hi saamne thi par jaanti thi woh ki dekh mai usse raha tha...

halki sharm odhe muskaan uske chehre ki gawah thi is baat ki...


DIMPLE-hazaron baar dekha hai tumne mujhe... phir aisa kya talash rahe ho mere chehre me jo ab tak nahi mila...!!!???

meri taraf apni kajrari aakhon se dekh mujhse kam mere dil se zyada pucha tha ye sawal NEW GIRL ne...


MAI-us raaz ki chuppi parath ko beparda karna chahta hun jo mujhe tumhe baar baar dekhte rehne ke liye majboor karti hai...

DIMPLE-woh jawab mere chehre par nahi apne dil me dhundo, shayad jawab mil jaaye...

MAI-dil ke har inch par toh pehle hi aap kabza kiye baithe hain...

kuch naya rakhne ke liye aapne jagah ki kahan di NEW GIRL...!!!

DIMPLE-kaafi baar puchna chaha par har baar bhul jaati thi...

ye tum mujhe NEW GIRL kyun bulaate ho...???ab toh naa mai is school ke liye nayi hun aur naahi tumhare liye...

MAI-mere jazbaat ke liye toh ho...tum woh pehli GIRL ko jisne SANVEER AHARYA ke dil me ek NEW feeling ko paida kiya...

woh ehsaas jo socha nahi tha maine ki kabhi feel kar paaunga mai...

isiliye NEW GIRL...

DIMPLE-jhalla...


meri baat sun sharmane ke beech nazar apni wapas sidhi kar li thi NEW GIRL ne aur is baar mai bhi muskurate hue saamne dekhne laga jahan ab track ke paas bheed hone lagi thi...


MAI-kya ho raha hai...???


paas se track ki taraf jaate hue ek junior ko pucha tha maine ye sawal...


JUNIOR-bhaiya woh ROHAN aur SAM bhaiya 1500 hundred doudne waale hain... wahi dekhne jaa raha hun...

MAI-abbe band kamre me doudenge kya jo track ke pichwade me ghuskar hi dikhega tujhe...

pura ground cover karenge woh dono...

jahan bhi khada ho, view clear hi dikhega...

JUNIOR-jee bhaiya par mere friends udhar hain...mai jaaun...!!!

haan me sir hilaya maine jiske baad turant nikal liya woh...

MAI-you should go...


NEW GIRL ki excited nazar track par warm up kar rahe SAM aur ROHAN par thi...


DIMPLE-abhi abhi us ladke ko race yahin se dekhne ke liye keh rahe the aur ab mujhe wahan bhej rahe ho...

MAI-woh isiliye madam kyunki race dekh kahin se bhi sakte hain par us race me participate karne ke liye track par jaana must hota hai...

you wanna be a part of that race right... zyada socho mat,just go for it...

meri baat sun kuch pal dekha NEW GIRL ne mujhe...

DIMPLE-wahan chali bhi jaaun tab bhi faayda kuch hoga nahi...

boys ke saath woh bhi school champs,mujhe participate karne nahi denge dono sir...

MAI-dono nahi ek... DAS sir shayad mana kar denge tumhe lar CHARLIE SIR nahi...

ulta jab puchogi unse tum toh unhe khushi hogi...

DIMPLE-really...!!!and howz that...???

MAI-DAS sir boxing aur dusre physical contact oriented sports me parkhi nazar rakhte hain par CHARLIE sir is a field man...

aur race unki speciality hai...unhone dekha hai tumhe doudte and i damn sure ki SAM aur ROHAN ke saamne tumhari speed khud checkout karna chahte honge woh...

male female waale angle ki wajah se khudse aage aakar bola nahi hai unhone par tumhare puchne par angle ka logic khatm ho jaayega...

bottomline...bas CHARLIE sir se tumhare puchne ki der hai and you will be participating in it...

aur jaldi jao,race shuru hone hi waali hai...

DIMPLE-but phir bhi...

MAI-i also wanna see you race with them...

mai bhi toh dekhun,mujhse jeetne ki khwahish rakhne waali kamsekam baakiyon se toh aage hai bhi ya nahi...

ek indirect challenge sa kar diya tha maine NEW GIRL ko jisse sun ek pal k liye dekha usne mujhe aur phir turant track ki taraf badh gayi...

DIMPLE-sir,i also wanna race with them...


CHARLIE SIR se ki thi ye request DIMPLE ne...


DAS SIR-beta aap...

CHARLIE SIR-are you sir...

DIMPLE-yes sir...


DAS sir ke kandhe par haath rakh unhe aage bolne se rok diya tha CHARLIE sir ne aur DIMPLE ke confidence se bhare yes ko sun unka sir bhi sehmati se hil chuka tha...

DIMPLE SAM aur ROHAN ke baad third track par jaakar khadi ho chuki thi aur ye dekh ground moujud students ki excitement level bhi kaafi badh chuki thi...

koi aur ladki hoti toh ab tak sabhi students uspar hasna start kar chuke hote par DIMPLE ki baat alag thi...

kuch dino pehle hi CHARVI jaisi champ ko casually hara apna metal sabko show jo kar chuki thi woh...

NITS-saale,hamare gaand ka godaam ban gaya doudte doudte aur tu bhosdike hamari lanka me aag laga yahan pair pasaar kar baitha hua hai...

mere gardan ko piche se daboch liya tha NITS ne par accessive running ki wajah se uski grip dheeli hi thi...

aur NITS hi kya,SONU, EKPREET aur RAJAT bhi mujhe gaali bakte hue mere aaju baaju ghaans me gir chuke the...


MAI-abbe gala baaf be daba liyo...tum sabki puri energy revive ho jaayegi,scene dekho saamne ka...

meri baat sun sabki nazar track ki taraf gayi jahan SAM, ROHAN ke baaju me khadi NEW GIRL ko dekh chaaron ki aankhein badi ho chuki thi...


NITS-oye teri...ye bhabhi bhi un dono ke saath race karne waali hai kya be...???

MAI-yup...

SONU-ttune hi khochka nna usse...

MAI-yup...

EKPREET-wakayi thakaan mit gayi bhai...maza aayega race dekh...

MAI-yup...

RAJAT-SAM ko toh bohot tough hai but i am sure ki DIMPLE ki jo speed hai,stamina bhi waisa hi hua toh ROHAN haar jaayega...

SONU-sstamina hai bbhai...bbohot hai...mmaine dekha hai DIMPLE kko 5,6 rounds ek speed mme clear kkarte hue...

NITS-matlab ROHAN ki aaj phir se fazihat udne waali hai...

MAI-yup...

RAJAT-abbe ye kya yup,yup lagaye hue hai tu...chutiya ho gaya hai kya...???

MAI-yup...tum jaise chutiyon ki sangati me rahunga toh tumhare chutiyape ka thoda bohot asar mere par bhi hoga hi naa...

SAB-teri toh saale...

MAI-race shuru ho gaya...common baaaaa.....NEW GIRL...


babes bolne waala tha mai par meri loud cheer ko sun CHARLIE aur DAS SIR dono hi palte the meri taraf aur isiliye bacha hua BES NEW GIRL me badalna pada mujhe...

jahan ek taraf mere changed word ko sun mere dost hasne lage the wahin dusri taraf chal raha live scene itna breathtaking tha ki dono SIRS ke saath saath sabhi students ki nazarein track par jaise jam si gayi thi...

saal bhar achi training ki thi ROHAN ne jo is 1500 ke bajaye 1600 metres ke lambe doud me saaf dikh rahi thi...

200 metre ka ek pura chakkar tha jiska third lap shuru ho chuka tha...

first track SAM ka tha aur second ROHAN ka par ab bhi woh SAM ke barabar doud raha tha...

par nazar sabki DIMPLE par thi jo is waqt SAM aur ROHAN,dono se hi chand metres piche doud rahi thi par ek girl hone ke baawjud itne kam area se school champs jinme se ek state champ banane ka dawedaar tha,piche thi woh aur yahi uske talent ko appreciate karne ke liye kaafi tha...

saath hi saath ROHAN ka SAM barabar takkar dena,yeh bhi sabke liye hot gossip ban chuka tha par tabhi scene kuch yun badalne laga jisse dekh ek taraf baaki sabki aankhein badi ho chuki thi toh wahin mere face par smile naach uthi thi...

kyunki final round start hote hi SAM ne achanak hi apna gear badla tha...

ROHAN ko kaat aage badh chuka tha woh and within seconds,SAM ROHAN se 5 metres aage doud raha tha joki abhi fill karne ke liye ek huge gap tha...

par sabko real shock aur mere face par smile diya tha NEW GIRL ne...

jo aakhri 100 metres shuru hote hi badi swiftly ROHAN ko kaat aage badh chuki thi...

jahan DIMPLE ko yun aage badhte dekh sabke saath saath ROHAN ki bhi aankhen badi ho gayi thi wahin dusri taraf SAM ne bhi apne piche kisiko feel kar liya tha..

yahi wajah thi ki apni bachi puri zor laga thoda aur tez ho gaya tha woh par isse zyada kuch fark pada nahi...

bas 30 metres ki doud hi bachi hui thi ab par in 30 metres ne dekhne waalon ki excitement level top par pahuncha di thi...

kyunki ab DIMPLE SAM ke piche nahi balki uske barabar doud rahi thi aur agle 3 seconds me woh SAM se halki aage bhi nikalne lagi thi...

par tabhi,apne pairon ke aakhri bache zor ko laga diya SAM ne aur wapas DIMPLE ke barabar aa gaya...

FFFFFFFWWWWW....

finishing line par khade CHARLIE SIR ki whistle baj chuki thi jiska matlab tha ki race khatm ho chuko thi...

ROHAN toh third as in last aaya tha par second position kisi ke hisse nahi aayi thi...

SAM aur DIMPLE dono ne hi saath me finishing line cross kiya tha jiske baad track area se side hat ghaans me kneel down ho apni apni chaddhi saansein control karne me lag gaye dono...

EKPREET-yaar ye DIMPLE hai kya chiz...???saala kabhi socha nahi tha ki SAM ko bhi koi takkar de dega aur woh bhi ladki...

gazab...

EKPREET ki tarah RAJAT, SONU aur NITS ka bhi topic of discussion NEW GIRL hi thi...

wahin mai dono sir aur students ke beech ghiri NEW GIRL ko hi dekh raha tha jo usse milne waali lagatar badhaiyon ke liye thanks bol SAM ke saath hamari taraf badh rahi thi...

hamari baaki ki female friends jinhone ground ke dusri taraf se race dekhi thi,woh sab bhi hamari taraf aa rahe the...

EKPREET-kya baat hai DIMPLE...yaar tu toh chha gayi...

RAJAT-haan yaar... sirf takkar nahi diya tune SAM ko,last moments me toh aisa lag raha tha jaise you are gonna beat him...

NITS-beta SAM...100 metres aur rehte toh pakka haar jaana tha tune...

SONU-ssatya vachan...

ANJALI-hey babes... congrats yaar... you were too good...

RASHI-good...you were the best...SAM,i must say,bhale hi race draw raha par meri nazar me this girl is the sure shot winner...

RASHI ki baat par bas halka sa smile kar diya tha SAM ne...

ROHAN-hey SAM...DIMPLE... congrats guyz...

NITS-oh betaji...wahi soch raha tha mai ki izzat ka fassida udne ke baad abhi tak sportsman spirit ka drama kar sabke man me kisi tarah respect ki bhaavna paida karne ke liye aaya kaise nahi tu...


NITS ki baat par bas ghura ROHAN ne usse aur palath kar wapas chala gaya...


RASHI-kya baat hai SANVY...???pure school ne DIMPLE ko congrats keh diya,even hamare rival ROHAN ne bhi badhayi de di isse par tune abhi tak kuch nahi kaha...

school champ ko takkar de race draw kara champ position share kar li aaj isne...

you should be toh proud of her...

MAI-champion sirf ek hota hai...jab koi position share karni padh jaaye toh samajh lena chahiye ki woh top position hai hi nahi...

ek place niche sarak chuke hain hum jisse climb karna baaki hai...jis din us single position par kadam rakhegi ye,i will be proud of her...

waise sun toh meri baat baaki sab bhi dhyan se rahe the par gour sabse zyada NEW GIRL aur SAM mere kahe har shabd par kar rahe the...

SANVY...BHAI...

abhi koi kuch kehta ki tabhi B section ka SATISH urf khabrilal doudte hue hamare paas pahuncha tha...

NITS-tu alag race laga raha tha kya be...???saans toh aisi fooli hui hai teri jaise milon doud ke aa raha hai...!!!

SATISH-golu bhaiya ke stall se nikalne ke baad doudte hue aa raha hun bhai...

golu bhaiya SIRIUS ke no entry sarhad ke just aage chaat golgappe ki stall lagate the...

dono hi dishes kaafi sahi banate the woh isiliye breaks me puran bhaiya ko maska laga bohot se SIRIUS ke student unke thele par jaaya karte the...

us spot se SIRIUS ka entrance gate hi 100 metres ki doori par tha...

aur utni door se bhaagte hue SATISH ka yahan aana,baat zaroori hi honi thi aur wakayi thi bhi...

SATISH-bhai woh thele ke dusri taraf jo paan thela hai naa,udhar DUSHYANT aur uske dost sutta fook rahe hain...

MAI-DUSHYANT sirf cricket khelta hai jiska sports meet se koi lena dena nahi hai...

phir bhi, jab tak zaroorat na pade,haath nahi uthega mera..i promise...

DIMPLE-toh phir jaana hi kyun hai...??? waise bhi woh sab kuch ulta sidha toh kar nahi rahe... sirf khade hi toh hain wahan...

wahan...!!!unke pair SIRIUS ki property par hain...

aur kisne kaha kuch nahi kar rahe hain woh...SIRIUS ke parameters me khada hona,hume dare karne ka ek tarika hai ye...

ye school hamari property hai aur iske aas kaun aayega,kaun nahi,ye sirf hum tay karenge...

NITS-right...!!!aur yahan kutte ek baar ke liye allowed kar bhi den par SAMRAT ke pille, they are never allowed...

NITS ki baat puri hote hi hum sab aage badh chuke the...baaki girls ke saath NEW GIRL bhi saath hi thi hamare...

limp karkar chal raha tha mai isiliye baaki sab bhi slow the...

anyways,main entrance cross karte hi ek lamba sa walk yard shuru hota tha jiske aakhri hadh me SONU bhaiya ki stall dikhne lagi thi hume...

SIRIUS ka sports time chalu tha isiliye bheed unke thele me normal se zyada hi dikh rahi thi...

OYE, SENIOR GIRLS KIS TIME AATI HAI IDHAR...???

DUSHYANT ka dost tha ye jisne hamare school ke ek junior se joki golgappe khaa raha tha,ki thi ye bakwas...

NITS-tum jaiso ki badboo jaayegi,tab hi naa ladkiyan aayengi idhar...

apni baat ke beech NITS us lounde ke dusri taraf jaakar khada ho gaya tha...

same chiz RAJAT, EKPREET,SONU aur SAM ne bhi ki thi...

zyada nahi,sirf 4 loundo ka group tha SAMRAT waalon ka jisse halka distance rakhte hue gher sa liya tha mere friends ne...

wahin hume aur khaaskar mujhe yun achanak apne saamne dekh thode panic ho gaye the woh sab par phir turant khudko control me bhi le aaye the...

reason bhi obvious tha... pehle toh SIRIUS ki property invade nahi ki thi unhone...

border line par khade the woh sab aur dusra hum school uniform me yahan in borders par bhi unpar khulla haath nahi chhod sakte the...

jaante the SAMRAT waale is baat ko...

MAI-kya GOLU bhai...!!!aise chidimaar lapadhjhaunduon ko bhi gupchup khilaoge toh dhandha manda na padne lag jaaye aapka...

meri baat sun bas halka sa has diye the GOLU bhaiya...

DUSHYANT-kaun chidimaar hai,ye toh waqt hi batayega beta...tere hi school ke saamne khada hun mai...

hai dum toh kuch ukhaad ke dikha mera...

GOLU-oye behen....saalon,bohot dekh se bakarchodi dekh raha hun tum sabki...

naye naye ando se nikle bal.. ubaal zyada hi hoga isiliye kuch bola nahi thehra...

par matlab iska ye toh nahi ki kaan me hi chadhkar mutogo baawli chuttadon ke ho...

hamare hi school ke saamne aakar hamare hi ladkon ko dhamkane lage tum...

in sabko kuch karne ki zaroorat hi naa padegi...

golgappe waala thehra par sariya bhi rakhta hun mai bal..

abhi upar se ghused niche se nikaal zinda seekh kabab bana dunga baasi chuttad ke jano...

dekhna hai bal...!!!


behen ke aage lagne waala chod ladkiyon ko dekh andar hi reh gayi GOLU bhaiya ke lekin ghusse se laal hi chuke chehre se ghoor apni pahadi hindi ko bolte hue thele ke nichle hisse me rakhe lambe se sariya ko kheench nikaal liya tha GOLU bhaiya ne..

aur aisa hote dekh DUSHYANT aur uske dost dar ke maare me piche hatne lage the par waisa bhi woh kar nahi paaye...

un sabki gardan piche se mere doston ne pakad jo li thi...


DUSHYANT-chhodo hume...mai bata raha hun,you all will have to pay for anything and everything that happens to us...

MAI-ajeeb chaman hai be tu...tu in sabhi chaman chutiyon ke saath yahan aaya hi isiliye tha naa taaki hum sabko provoke kar sake...

hum peete tum sabko aur suspend ho jaayen...

aur ab jab ho raha hai aisa toh naa ho, isiliye dhamki de raha hai...

meri aadhi baat hi suni thi DUSHYANT ne kyunki dhyan uska pura GOLU BHAIYA aur unke haathon me chamak rahe sariya par hi tha jisse bade ghusse se hold kiye hue woh ab uske paas pahunch chuke the...


KYA HO RAHA HAI YE SAB...!!!AUR TU,YE SARIYA KYUN PAKDA HAI BE...


RAJESH MISHRA...naam aur character yaad toh hoga hi...wahi prologue update waala aur saath hi saath SAM ke resort me hume fasane ke liye aaya inspector...

dehradun ka sabse bade sporting event ka practice chaalu tha isiliye local governing body ne saare 2 aur 3 star waalon ko sabhi bade schools ke outer areas me jahan zyadatar students ke beech hatha paayi hoti thi, patrolling ki duty di hui thi...

aaj SIRIUS ki taraf ka patrolling duty tha uska aur yahan se guzarte hi jo scene chal raha tha,usse dekh rukna RAJESH ka laazmi hi tha...

khair,apne saamne police karmiyon ko dekh jahan ek taraf GOLU bhaiya halke nervous ho gaye the wahin dusri taraf SAMRAT waalon ki jaan me jaan aayi thi...


MAI-chalo guys...


bina RAJESH ki taraf gour kiye GOLU bhaiya ke haath se sariya le palath gaya mai aur khudko yun ignore hota dekh jhaanten sulag gayi thi RAJESH ki...


RAJESH-saale akad teri ab bhi waisi hi hai, kyun...??? bina mere sawalon ke jawab diye kahin nahi jaa raha hai koi bhi...

DIMPLE-abbe oye...apne baap se bhi aise hi baat karta hai kya...!!!tameez se baat karna sikh jaa warna jis vardi ke dum par dhouns dikha raha hai naa tu, ek ghanta nahi lagega mujhe isse utarwaane me...

meri taraf RAJESH ki tone sun bhadak uthi thi NEW GIRL aur jis tarike aur roub se apni baat kahi thi usne,man hi man sakpaka gaya tha RAJESH...

NEW GIRL ke background ke baare me bhale hi maalum nahi tha RAJESH ko par itna toh andaza lag hi gaya tha usse ki SIRIUS ki student woh bhi aise tever ke saath...

bohot badi party hogi woh...par apne jhute ghamand ko neeche jhukana bhi toh naa sikha tha RAJESH ne isiliye...


RAJESH-loundiyon ke kapde nahi hain ye jo garmi dekhte hi utar jaayenge...

THANNNN...

NEW GIRL ke khubsoorat sharir par nazar daalte hue mooh se ulti ki thi RAJESH ne jiske agle hi pal sariya theek uske pair ke right me patakte hue uske saamne khada ho chuka tha mai...

hadh ss zyada habdada gaya tha RAJESH...

MAI-niyat gandi hai toh baat saaf toh niklegi nahi tere mooh se par bhonkte waqt nazar chehre par rakh...sirf chehre par...

sharir par ghumayi toh agli baar se ghumane ke liye aankhen rahengi nahi...

bhool mat, SIRIUS ke boundry me khada hai tu where no outsiders are allowed...

theek inki tarah... SAMRAT ke students hain ye aur school hours me yahan khade hain...

sawal puchna hai toh inse puch...

chalo guys...

RAJESH-inse toh jo puchna hai, puchunga hi mai par pehle tu be...

ye toh yahan ke students hain par tu kaun hai be...

upar se sariya lekar kyun badh raha tha tu...???saale,maarna chahta tha na tu students ko...beta lambe se jaayega andar tu...

MAI-kis gunah ke base par...naa toh sariya kisi hathiyar ke catagory me aata hai aur naahi usse publically hold karna GALATH hai...

RAJESH-toh kar kya raha tha ye...???apne pichwade me daalne ke liye nikala tha kya isne SARIYA...!!!

MAI-mujhe dene ke liye rakha tha isne...sports chaalu hai...javelin throw ki practice karta hun mai isse...dikhaun...!!!

RAJESH-javelin throw...school se bahar aur woh bhi sariya se.... dikha...

SOOBH...

jaanta tha mai ki haan hi bolega RAJESH isiliye us 5 feet bade aur aage se halka nukile nikle hue sariya par grip meri tight ho chuki thi...

aur jaise hi haan nikla RAJESH ke mooh se toh apne left sahi leg par ghum gaya mai aur agle hi pal sariya chhut chuka tha mere haathon me...

DHAPPP...SSSSSSSS.....

yunhi nahi feka tha maine woh sariya...humse kareeb 40 metres door apni police jeep rakhi thi RAJESH ne...

nishana mera wahi thi jo ekdum perfect baithi...

sariya tezi se badhte hue jeep ke pichli tyre me hole kar chuka tha...

jahan is scene ko dekh ek taraf mere dost has pade the,dusri taraf police waalon se mujhe bina dare bhidta aur unhe nuksaan pahunchata dekh aakhein badi ho gayi thi SAMRAT ke loundo ki wahin teesri taraf RAJESH aur baaki constables ki jhaanten sulag chuki thi...

par saale bolte bhi toh kya...mujhe sariya fekne ke liye bola bhi toh RAJESH ne hi tha...

MAI-oops...bhaiya ke toh nahi,par tere gaadi ke pichwade me zaroor suraag ho gaya...

waise toh kaayde se puncture banane ke paise dene chahiye mereko par maalum hai mujhe ki kaam toh fokat me hi karana hai tujhe...

tere sutte par apne paise kyun barbaad karun mai...???

ab chalen hum ya ab bhi puchna baaki hai...!!!


meri baat sun apne ghusse ke har ghoont ko badi mushkil se peete hue mujhe kuch pal ghoorta raha RAJESH aur phir...


RAJESH-puchunga nahi par bohot jald bataunga zaroor...

vaada hai mera...woh din bhi tera tha,aaj bhi tera hi raha par dekhna,bohot jald woh din bhi aayega jab tera sharir aur akad,dono saath todunga mai...

RAJESH ki baat sun ek halki smile liye wapas uske saamne khada hua mai aur...


MAI-meri akad todega tu...!!!




jo ab hua, pichli baar bhi hua tha,sabak tha woh jo tujhe YAAD NAHI...

jo garmi bardasht naa kar sake,pighal jaaye, SANVEER woh FAULAAD NAHI...

meri akad mere sharir ka nahi, meri aatma ka hissa hai...

aur meri rooh ki hadh ko chhu bhi de,teri itni AUKAAD NAHI...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
 

Top