Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHENANI-NASHRI TUNNEL ME G.O.D PLATINUM KI CHORI KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VERONICA KE GHAR USSE LE JAANE KE LIYE KUCH SUSPICIOUS LOG AATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-97

DATE-22ND MARCH

CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

HEY...

DIMPLE thi mere saamne jo jahan ek taraf mujhe typical cook outfit as in apron odhe aur kadchi haath me liye dekh halki hasne lagi thi wahin dusri taraf itni jaldi use yahan dekh halka surprise hua tha mai joki laazmi bhi tha...

darasal finally aaj last paper ke saath hamara board exam khatm ho chuka tha...

kaafi khush the hum sabhi aur exams pure hone ki khushi me celebrate karna chahte the...

bohot si party venues ki baat hui par jaise hi DIMPLE ke mooh se MAA ke haathon ki CHETTINAD CHICKEN nikla toh sab apne apne suggestion completely bhul gaye...

par ek problem thi...MAA kisi official kaam se parso bahar gayi thi aur ab tak nahi louti thi...

jaise hi ye baat sabko pata chali,mooh sada liya tha har kisine isiliye i decided to cook the dish myself...

pehle toh is baat par mera khub mazak udaya kamino ne par mana bhi nahi kiya...

upar se CHETTINAD CHICKEN ke saath saath butter naan,rumali roti ,rice,daal fry,paneer pasanda aur desert me meri apni special caramal custord ki demand bhi aise de daali jaise ghar nahi dhaba aa rahe hain saale...

is baar bakne ki baari meri thi par saath hi saath mana maine bhi nahi kiya...

khair,9 baje ka time diya sabne par do ghante pehle aa gayi thi DIMPLE toh aise me surprised toh hona hi tha mujhe...

MAI-hey...itni jaldi...!!! dinner aaj kal 7 baje karne lagi ho kya...???

DIMPLE-nahi...woh maine socha ki kaafi saare dishes banana hai tumne so i should help you...

MAI-really...!!!

DIMPLE-aisa kyun bol rahe ho...???

MAI-dishes saare indian hain naa...

DIMPLE-toh...!!!

MAI-toh i thought ki tum sirf pancakes aur us type ki foreign recipies hi banati ho...

DIMPLE-hawww...that's a praise sugarcoated insult...ab toh dinner mai hi banaungi...

MAI-haan...taaki baad me gaali me khaaun...!!!

DIMPLE-what the fuck...!!!ab toh dinner mai hi banaungi...

aage kuch suna hi nahi DIMPLE ne...mere side se nikalte hue sidhe kitchen ki taraf badh chali woh par enter karte hi side hanger par lagi ek apron pehen li usne...

par apron pehente pehente hi kitchen ke beech me bane paate par rakhe covered kitchen utensils se aa rahi sugandh ko smell kar palti woh us taraf...

saare utensils ke cover hatate chali gayi woh aur aisa karne ke beech uski aankhein bhi hairangi aur taarif se badi ho chuki thi...

reason...

paneer pasanda,daal fry ke saath saath,karari bhindi, baigan ka bharta aur DIMPLE ka favourite malayi kofta bhi ban kar ready ho chuka tha...

saath hi saath baking soda aur baking powder ke saath aate ka solid batter butter naan ke liye aur gehun ka aata aur maide ke mixture se rumali roti ka batter bhi ready ho chuka tha...

bach gaya tha chicken jo is waqt marinated condition me fridge ke andar rakha hua tha...

TINNN...

ye sab dekh hi rahi thi DIMPLE ki tabhi edge par rakhe microvave ki alarm bell baj uthi thi...

darasal caramel custord bhi ready ho chuka tha jisse oven se nikaal liya tha maine...

DIMPLE-itni jaldi itna sab kuch ready bhi kar liya tumne...

MAI-last moment ke liye kuch nahi chhodta mai...

DIMPLE-phir mai kya karun...???

sad ho gaya tha DIMPLE ka face jisse dekh halki si hasi aa halki hasi aa gayi mujhe...

MAI-onion aur tomato chop karna aata hai...

DIMPLE-obvio...

MAI-do it then...woh side me baskets rakhe hain...5 bade size ke pyaaz le lo aur 3 tamatar...

DIMPLE-abhi se chicken bana rahe ho...!!!

basket se pyaaz aur tamatar dono nikaal paate par rakh chuki thi DIMPLE...

MAI-yup...CHETTINAD needs time...

DIMPLE-haan...1 se sawa ghanta right...but we have 2 hours atleast...

aur MAA ne bataya tha ki is recipe ko fresh hot hi khaaya jaata hai...

sabke aate aate chicken thanda ho jaayega aur dobara garm kiya bhi toh the taste will compramise...

MAA... DIMPLE ke moh se ye shabd sun mujhe acha laga ya bura,ye toh nahi jaanta mai par ek alag hi sukoon feel kiya tha mere dil ne...

par show kuch nahi kiya tha maine...

MAI-1 se sawa ghante tab lagte hain jab masale aur chicken ko ek saath constantly normal heat par pakaya jaaye...

par masaalon ko slow heat me alag se fry karne ke baad unhe jab half boiled chicken ke saath mix karke phir bhuna jaata hai,tab lou ko medium ki jagah dheema rakhna padta hai...

aise me gravy completely ready karne ke liye 2 ghante lag hi jaate hain...

par baaki ko dishes ko oven me reheat karna is no problem...

isiliye pehle hi ready kar liya sabko...

arre itne bade nahi...chop it to its minimum...gravy ki mithaas ussise aayegi...

onion chopping shuru kar chuki thi DIMPLE par slices thode bade kat rahe the usse...

DIMPLE-chote toh hain...

MAI-yup par baarikh nahi...let me show you...

uske haathon se chaaku lete hue bache onion ko baarik kaatna shuru kiya maine...

DIMPLE-pehle bhi pyaaz aur baaki stuffs kaaathte dekhe hain maine tumhe par the way you do it,i am always amazed...

itna tez toh aur perfectly sirf professional cooks ko cut karte dekha hai maine...

i hope ki mai bhi kabhi aisa seekh paaun...

MAI-aah it's nothing... chalo,idhar aao...

DIMPLE ki kalayi pakad usse apne saamne kiya maine aur chaaku uske hatheli me daal uski hatheli ke upar apne hatheli ki grip strong ki maine...

MAI-see the trick is very simple... chopping ke beech knife ko pura nahi uthana hai...just the back part...tip hamesha grounded rahega...

perfect aur fast cutting, chopping ki grip ussise milti hai...see...

DIMPLE ke hatheli par apne hatheli ka pressure insert karte hue jo technique maine usse batayi thi,usse apply kar onion kaatne laga tha mai...

bohot hi baarikh kat rahi thi pyaaz par usse bhi smooth garnish ia waqt DIMPLE ka dil mere body ke usse sate rehne se ho raha tha...

aur iska ehsaas mujhe DIMPLE ke head twist se hua jo usne meri taraf kiya tha...

saali kamal ki chiz hoti hai ye subconscious mind...kabhi kabhi ek hi waqt me multiple kaam itne perfectly kara deti hai jo focused rehne ke baad bhi kayi baar nahi ho paati...

jahan ek taraf back to back bina pyaaz ki taraf dekhe bhi mai unhe baari baari perfectly kaate jaa raha tha wahin dusri taraf DIMPLE ki garm saanson ke beech uski ankhon me apne aks ko dekhte hue mai uske saath bitaye apne purane sabhi dino ko dobara jeene laga tha...

aur DIMPLE...haal uska mujhse bhi bura tha...najaane kitne dino se mere prati apne saare jaazbaaton ko control karti aa rahi thi woh...

mere aas paas toh bohot baar aayi thi par itne kareeb ki meri mehek ek baar phir apne andar utaar sake,aisa hamare alag hone ke baad aaj pehli baar hua tha...

bin piye hi nasha ho gaya ho jaise,aisa hi kuch haal ho chala tha uska...

meri aankhon ko dekhte dekhte kab uski nigaahon ka safar mere honthon par aa thehra,pata hi nahi chala...

halke tharthara rahe the uske honth jiske jawab me mere honthon me kampkapi bhi apne aap paida ho chuki thi...

maathe par silwaten aise ban rahi thi hum dono ke maano uske andar moujud dimaag se fariyaad kar rahi ho ki ab toh labh ko ijaazat de de aage badhne ki...

aur is rumani kashmakash me dil alag hi gustaakhi kar raha tha...

taaki ye lamha bigde naa, isiliye bina dimag ke ijaazat liye hi mere haathon ki harkat ko khud kaabu me kiye hue tha...

pyaaz aur uske baad tamatar kab kar chuke the, pata bhi nahi chala tha mujhe...

zehen me wahi tha jo saamne tha...DIMPLE aur uska woh karishmayi rukhsaar jiski taarif me gazal nahi sajde tak padhe jaa sakte the...

haan,chumna chahta hun mai tumhe par kahin maile naa ho jaayen tumhare honth...is bewakufana soch ke saath honth mere is baar kuch zyada hi zor se thartharaye the...

par mere labon ki is harkat ke piche chuppi sacchayi aur jhijhak shayad pehchaan gaye the uske honth...

kyunki nazar ek baar phir takrayi hum dono ki jiske baad...

UFFFF...

honth uske badhne lage the mere labon ki taraf...

UHHHUHNNN...

kitchen door se ubhri thi ye awaaz...

waise is waqt agar bomb bhi faththa tab bhi naa toh mera dhyan tuthha aur naa hi DIMPLE ka aur aayi awaaz bhi zyada tez awaaz nahi thi par jiski thi,woh mere aur DIMPLE ko back to present me laane ke liye kaafi thi...

MAA...

wall par apne kandhe tika apne dono haath baandhe muskurate hue hum dono ko dekh rahi thi woh...

MAI-MAA...

hadbadate hue DIMPLE ke piche se hata tha mai...

par mujhse kayi zyada hadbadayi DIMPLE thi...kyunki jahan ek taraf mai turant MAA ki taraf badh gaya tha wahin sharm se gadhi jaa rahi DIMPLE pehle se hi finely chopped onions ko aur kaatne ke lag chuki thi...

MAA-ahaann...aise nahi...!!!

MAA ko hug karne hi waala tha mai jispar rok diya unhone mujhe...

MAA-jab saath me raho dono toh hamesha hug bhi saath hi karna mujhe...

MAA ki baat sun sharm khushi me badal chuki thi DIMPLE ki jiske baad woh bhi hamari taraf badh chali thi...

MAI-MAA...hum saath...!!!

MAA-i know...abhi ikraar waala dour chal raha hai...izhaar ka waqt aana baaki hai...isiliye hi itne intense moment me bhi interfere kiya maine...

hum dono ko hi saath lagate hue meri adhuri baat ko pura karne ke beech apna thought clear kiya tha MAA jispar ek baar phir mai aur DIMPLE dono hi uncomfortable hone lage the...

MAA-tu jaa...shelf se new plates nikaal kar dining par laga de...

MAI-abhi se...!!!9 baje aayenge sab...

MAA-kabse given time me aane lage tere dost...half an hour pehle hi tapak padenge sab langoor aur us half an hour ke liye bhi sirf utna hi waqt bacha hai...

MAI/DIMPLE-what...!!!

apne apne hand watch par nazar ghumi hum dono ki aur time dekh kar chownk gaye the hum...

8 baje chuke the jiska matlab tha ki pure ek ghante tak ek dusre ki aankhon me dekh rahe the hum dono...

damn this feeling... saala naa khud ki khabar rehne deta hai aur naa waqt ki...

khair,jahan ek taraf ghadi par nazar padte hi ek baar phir hadbadate hue turant shelf ki tarac lapka mai wahin dusri taraf DIMPLE ke paas toh koi kaam hi nahi tha...

sir jhukaye kya kare kya nahi,issi udhedbun me lagi hui thi woh...

MAA-come... help me with the recipe...

DIMPLE ki mushkil aur jhijhak MAA ne hi door kar di thi...usse apne saath liye gas waale section ki taraf badh chali thi MAA...

MAI-pehle freshen up ho jaao naa aap...

MAA-chicken banane ke baad ho jaaungi...aur sun,mere liye plate mat nikaalna...

MAI-why...???

MAA-lunch kaafi heavy le liya tha...upar se traveling...tired zyada lag raha hai aur bhuk bilkul bhi nahi...i will skip dinner...

MAI-khaali peth nahi so rahi hain aap...

MAA-theek hai naa,juice pee lungi...jab bacche chale jaaye toh mere room me le aana...

DIMPLE-MAA aapko tired lag raha hai toh ye cooking rehne dijiye...hum dono kar lenge...

MAA-tired lag raha hai isiliye hi toh tujhe saath rakha hai... to help me out...

waise bhi aur koi dish hota toh chal jaata par chettinad bacchon ko mere haathon ka hi pasand hai...

ab tu jaayega ki nazar ab bhi nahi hath rahi meri beti se...

gazab...ek aur kamal ka mitha taunt maara tha MAA ne jispar DIMPLE toh has di par mai turant nikal liya tha kitchen se...

MAA-so, you both are back...!!! re-propose ho gaya naa...!!!

DIMPLE-nahi MAA...ab tak nahi...

MAA-thank god...

MAA ki baat sun hairangi se dekhne lagi thi unhe DIMPLE jispar...

MAA-tum dono ka moment toda hi maine is thought ke saath tha ki you haven't re-proposed each other yet...

because if i am not mistaken,first kiss abhi bhi pending hai tum dono ki...

aur first kiss relationship acceptance ke baad ho,toh hi positivily memorable hota hai...

apne experience aur past ko yaad karte hue flow flow me kahi thi ye saari baat VERONICA ne par woh ye bhul gayi ki convo ke recieving end me is waqt uske bete ki future g.f thi jiske face par uski baaton ka asar kuch yun hua tha ki sharm ki ek naa utarne waali parath chadh chuki thi wahan...

DIMPLE ke jhuke hue red face ko dekh is baat ka andaza ho chuka tha VERONICA ko isiliye...

VERONICA-ek kaam kar beta... sprinkle some water over the tomatoes...

aur aisa har 2,3 minutes me karti rehna...

chicken aur masalon ke aadhe bhunane ke baad uska use hona hai...matlab time hai abhi...

continuous sprinkle se uske juices sukhenge nahi which will add to the taste...

DIMPLE-sure aunty...

iske baad dono ke beech baatein sirf chicken aur dusre khaane ki hi chizon ke baare me rahi thi...

kehte hain company jab achi ho tab waqt ka pata nahi chalta...sach hai ye baat kyunki ek dusre se baat karte kab 8.35 hue,pata hi nahi chala...

naa VERONICA, DIMPLE ko aur naahi apna kaam karne ke beech unki convo sun rahe mujhe..

bell ek baar phir baj chuki thi jiska matlab tha ki mandali hamari pahunch chuki thi...

mere liye toh ye beeta exam bhi baaki saare exams ki tarah hi tha...

par exams woh bhi board exams ke over hone ki real khushi aur relief kya hoti hai,ye un sabke excitement ko dekh pehli baar jaana aur experience kar raha tha mai aur shayad DIMPLE bhi...

kyunki hum dono ka scene hi completely alag tha...jahan baaki sab exam me zyada se zyada marks laane ke liye likhte hain wahin hum dono un ajeeb namuno me se the jinhone apne marks content aur hold me karne ke liye har exam likha tha...

MAA se sabhi mile the and as obvious,ANI mili nahi puri chipki thi...

jab pata laga usse ki MAA dinner nahi karegi and she is tired toh uska bhi dinner karne ka mood off ho chuka tha...

aakhir me MAA ki mithi daant ne hi uske mood ko thik kiya tha...

khair,kaafi masti mazak ke beech dinner serve ho chuka tha aur kyunki CHICKEN CHETTINAD MAA ne hi banaya tha isiliye bhuk sabki suddenly hi kaafi badh chuki thi...

pel ke khaaya tha sabne aur desert ke baad jab sabke peth ki gaand fath chuki thi toh kisi tarah khudko samethe hue MAA ke room me jaa unhe ek final bye bol sab ghar se nikal gaye...

DIMPLE-it was a nice evening...

main gate ke dusri taraf pahunch ek baar phir aamne saamne the mai aur DIMPLE...

MAI-hmm...aur kitni nice thi,iske proper details jaanane ke liye kaafi excited hain sab..right ANI...

ANI aur baaki sab jo is waqt hum dono se thodi door ek dusre se baat karne ka dikhawa karne ke beech hamari convo sunane ki koshish kar rahe the, hadbada uthe the meri baat sunkar...

same halaath DIMPLE ki bhi hui thi...

REASON...

un sabka hi plan tha DIMPLE ko yahan pehle bhejne ka...taaki woh aur mai thodi extra quality time spend kar saken...

DIMPLE ke 2 ghante pehle aate hi is baat ko samajh chuka tha mai...

DIMPLE-good night SANVY...

GOOD NIGHT BUDDY...

DIMPLE ke saath saath baaki sab bhi agle 30 seconds ke andar hi nikalne lage the...

MAI-it was a beautiful evening...

baaki sab nikal chuke the aur DIMPLE bhi apni car me back door ko open kar baithne hi waali thi ki meri baat sun rook gayi woh...

palti nahi woh par meri baat se uske face par aayi smile,i felt it...

DIMPLE-good night SANVY...

MAI-you too...bye...

jaa chuki thi DIMPLE jiske baad sir shake kar haste hue mai bhi apne ghar ke andar ki taraf chal pada...

MAI-MAA...mai kar lunga...you just chill...aap room me jaao,mai aapka juice lekar aa raha hun...

plates toh hum sabne hi dho liye the par kitchen ka paata messed up tha...

har baar ka tha ye... jaanti thi MAA isiliye usse saaf karne ke liye kitchen ki taraf badh hi rahi thi ki rok diya tha mai unhe...

MAA-clean up liye nahi jaa rahi mai...tere liye khaana nikaalne jaa rahi hun...

MAI-par maine khaa liya hai...

MAA-sirf adha plate woh bhi sabko dikhane ke liye...pura toh tab hi khaayega naa jab mujhe bhi thoda hi sahi par kuch khaane ke liye blackmail kar lega...

ab sir hi khuja sakta tha mai...sach jo kaha tha MAA ne...

MAA-yahin sofe me baith jaa...dono ke liye nikaalti hun...

mujhe yun dekh hamesha ki tarah mere baal bigaad diye MAA ne aur kitchen ki taraf badh gayi...

MAI-so how was your trip...aur ye kahan gaye the aap jahan network tak nahi tha...

khana aaj causal way me khaa rahe the hum dono...bas ek ek plate jisme rice,uske upar daal fry aur side me chicken aur paneer pasanda ke tukde rakhe the...

MAA ne first bite liya hi tha ki tabhi mere puche sawal ne unke dimag ko present se wapas 2 din pehle past me dhakel diya tha...

FLASHBACK:-

2 DAYS BACK...

CITY-OUTSKIRTS OF DEHRADUN

PLACE-AN EX UNDERGROUND MILITARY BUNKER

WOW...THE ARCHEN HIMSELF...SO THIS IS BIG...

un paanch logon ke saath jaise hi us underground bunker aur *** temporary base ke control room me kadam rakhe VERONICA ne toh saamne khade shaksh ko dekh smile naach uthi uske face par...

"ARCHAN"...ye koi naam nahi balki ek designation hai...ek bohot hi badi designation...details toh baad me pata chalega par abhi ke liye itna samajh lijiye ki ARCHAN post me baitha shaksh sidha central ministry ke under authority me rehta hai...

par under authority me rehne ke baad bhi kisi sudden huge decision ko lene ke liye isse permission central government se leni nahi padhti...

bas ek hi POSITION hai jo iske upar hai...ek aisi position,aisi influential rank jo central aur defence system ke neeche nahi balki unke saath chalti hai...

ussi rank holder ke permission se ARCHAN international level par bhi koi bhi faisla le sakta hai...

haan,baad me usse bhi apne order aur actions ke liye central aur defence system ko ek official reply dena padta hai par aisa woh khud nahi karta...

uske upar baitha topmost RANKER ye kaam karta hai...

anyways,the bottom line is ki is waqt us underground bunker me moujud ARCHAN kisi international V.V.I.P si haisiyat rakhta hai jisse ab tak wahan moujud logon ne bhi naa ke barabar ho dekha tha...

aur yun saamne se toh ye pehli baar hi tha...yahi wajah thi ki najaane kabse us control room me moujud har shaksh apne apne kaam me busy hone ke baawjud kaafi alert aur nervous mode me tha...

par ek second laga tha is equation ko change hone me...kyunki jaise hi us control room me VERONICA ki entry hui,saari alertness us ARCHAN ke face par dikhne lagi thi...

apne red three piece tuxedo me jiske front pocket ke neeche uska designation "ARCHAN"likha hua tha,woh 6 feet 4 inch lamba roubila shaksh VERONICA ko dekhte hi apni chair se khada ho chuka tha...

ARCHAN-it's an honour ma'am...aur is tarah se aapko bulaane ke liye sorry...

VERONICA-why are you sorry...mera yahan hona,it was not your decision...you were ordered to do it...

VERONICA ki baat guess mode ki nahi balki statement mode ki thi jisse sun kuch kehte nahi bana gha ARCHAN ko...

aur kya hi kehta... VERONICA was right...aur uska yahan hona bilkul bhi pasand nahi aa raha tha ARCHAN ko...

aata bhi kaise...jis organization ko filhal lead kar raha tha ARCHAN,it was full of brilliant minded and efficient people...

puri duniya me dhaak thi unki jiska loha world ke superpowers bhi maante the...

aise me VERONICA jaisi EX *** ka yahan hona uski aur uske org ki efficiency par ek karara tamacha tha...

par ek sach ye bhi tha ki jis din se VERONICA aur SANEEL ne *** chhoda tha,G.O.D ke cases kaafi kam ho chuke the india me...

aur jo cases the,woh bhi us cabal ke low standard maamle the jinse nipatna badi baat nahi thi **" ke liye...

par kal jo hua,usne itne saalon ki saari kasar ek baar me nikaal di thi...

kyun jo hua,woh maamla nahi kaand tha...ek international business treaty ke beech aaya tha G.O.D...

ek aisi deal jiski zaroorat india ke central ministry se lekar defence system tak ko thi...

aise me pure government ka hilna tay tha...CHENANI NASHRI TUNNEL me hue kaand ko 48 hours guzar chuke the...

par *** jiski zimmedari thi is matter ko solve karne ki,woh kaamiyab nahi ho paaye the...

G.O.D...jinke liye har kaand ek game ki tarah hota hai...they like to play with the authority... isiliye apne har kaarnaame ke baad they give 72 hours to the authority...

72 hours to solve the case or yo say,to solve the riddle...

agar aisa ho gaya jo ki next to impossible ki tarah hai toh as a prize,G.O.D us scene ko clear karke nikal jaata tha...

par 100 saal ke G.O.D'S run me aaj tak aisa sirf do baar hi ho paaya hai...

aur jisne dono baar is impossible ko possible kar dikhaya tha...woh bhi do log hi the jinme se ek toh ab raha nahi aur dusri thi wahi myth jo is waqt ARCHAN ke saamne khadi thi...

VERONICA...

yahi wajah thi ARCHAN ko mile strict instruction ki ke kisi bhi condition me VERONICA should be brought to handle this case...

VERONICA-ok then...so let's get down to the business...details...!!!

apne saamne VERONICA ko dekh beete 2 dino me jo pressure uspar aaya tha and most importantly,apne org ki nakami,ye dono hi chizen rewind mode me ghumne lagi thi ARCHAN ke dimag me jisse VERONICA ki awaaz ne tod diya tha...

paas hi ek table par rakha file utha VERONICA ki taraf badha diya usne...

ARCHAN-digital view bhi le sakti hain aap...

control room me moujud gigantic computer screens ki taraf point karte hue kahi thi ye baat usne...

par sabse pehle VERONICA ne us file ko hi khola...

TUNNEL ke jis exact location me 2 raat pehle woh vaardaat hui thi,ussike photos the us file me...

dead soldiers, guards ke saath saath us location ke har angle ki straight aur zoom in pics thi jinhe dhyan se dekhne lagi VERONICA...

un zoom in pics me TUNNEL ke roof par kayi jagah tea colour ke dhabbe the jinhe dekh ek pal ke liye aankhein choti hui VERONICA ke par phir sir shake kar smile karne lagi woh...

VERONICA-nice...isiliye soldiers dekh nahi paaye...

wahan roof par lage vaccum suckers nikaale jaa chuke the par un dhabbo ko dekh kya hua hoga,iska ganith laga liya tha VERONICA ne...

VERONICA-ye banda...he is not an actual guard, right...!!!he is a soldier...

teesre control bus ke saamne mare pade aadmi ko point out kiya tha VERONICA...

uske normal,zoom in aur bullet hit ke har angle ki pics moujud the...

ARCHAN-identified from the shoes...!!!

VERONICA-the shot...

ARCHAN-matlab...!!!

VERONICA-ye pics...zoom it on the screen...

saare computers screens ke beech baithe shaksh se kahi thi ye baat VERONICA ne jispar ARCHAN ko dekhne laga woh...

haan me gardan hilayi ARCHAN ne jispar VERONICA ke bataye specific pics ko screens par zoom karke dikhane laga woh...

VERONICA-there...shot ka impact area... it's darker then usual...

close range shooting se bhi aisa mixup nahi hota...

isne khud ko shoot kiya hai naa...!!!

sach thi ye baat jiski shinakhat ARCHAN aur uski team pehle hi kar chuke the...

par aisa karne me thoda waqt laga tha unhe but not for VERONICA...

turant sahi anuman lagaya tha usne jispar hairan hona toh banta hi tha...

aur is waqt ARCHAN ke saath bunker me moujud har kisi ke faces par shock ke expressions hi tair rahe the...

ARCHAN-how do you know that...aur ye guard nahi balki soldier hai,bataya nahi aapne ki ye kaise jaana aapne...!!!???

VERONICA-maine jaanti nahi thi bas andaza lagaya tha...

vaults ke opened door pic's ko dekhte hue halki si smile naach uthi thi VERONICA ke chehre par...

aur mere har andaaze ka core reason bas ek hi hai...the person who made this soldier kill himself but most importantly,jisne legend vaults ko araam se khola,i think i know her...

ARCHAN-what...!!! really...!!!

VERONICA-itne excited kyun ho rahe hain...!!!jo mai soch rahi hun,agar ye wahi hui toh bhi koi faayda hoga nahi...usse pakad nahi paayenge aap...

anyways,pehle mai toh sure ho jaaun..show me the video recording aur the c.c.t.v futtege...

G.O.D ke game ka main part rehta hai C.C.T.V futtege ya phir kisi bhi tarah ki video recording...

kisi bhi type ke mission ko pura karne ke baad G.O.D leaves a riddle behind...

and the time to solve that riddle is 72 hours...

riddle solve kar lo and G.O.D backs off...jo bhi mission tha,woh ground zero par wapas pahunch jaata tha...

khair,ek baar phir ARCHAN ki haami par operater ne pen drive ke through chhodi gayi ek video recording chaalu kar di aur jaise hi ye hua,ek baar phir VERONICA ke face par smile naach uthi thi...

video me dikh rahi bandi ka face covered tha...par pura nahi...eyes aur lips open rakhe the usne...

chalkar camara ke saamne aayi thi woh lady jispar halki smile ke saath...

VERONICA-so it is her...RUE...

ARCHAN-RUE...!!!THE RUE...

VERONICA-yup...SKULK...uniquewalking way...aisa yahi chalti hai bas...

guard ke kapdon me us soldier ko identity kar liya hoga usne aur apne shikaar ko maarne se zyada humiliate karne me maza aata hai usse...

And to make a soldier commit suicide,isse zyada sharmindagi uske liye kya hogi...

Yahan VERONICA apni baatein kar rahi thi air udhar screen me RUE ke details show hone lage the...

RUE...one of the top most wanted mastermind criminal...Interpol se lekar M.I.6 tak,MOSSAD se lekar R.A.W aur *** tak sabhi secret intelligence and government oriented organizations ke wanted list me naam hai RUE ka...

par naam jitna zyada bada hai, identity utni hi chhupi hui... mushkil se 10 ke aas paas hi photos available hain iske...

ek baar bhi kisi ke pakad me nahi aayi hai ye joki waqt ke saath ab aur mushkil ho chuka hai...

ARCHAN-ye toh ab DISCIPLE ban chuki hai naa...!!!

VERONICA-yup...DISCIPLE...that to of ZILLAH...

BOOM...

ZILLAH...VERONICA ke ye naam bolte hi bunker me moujud sabhi ke man me ek dhamaka sa hua tha joki laazmi bhi tha...

ZILLAH...is naam ka matlab hota hai SHADOW...aur SHADOW hi toh thi woh...

(NOTE-one of the most important character of this story)

hum umr thi ZILLAH VERONICA ki...

aur uski taarif me bas itna hi samajh lijiye ki kisi bhi secret government intelligence ke paas ZILLAH ki ek proper pic tak nahi thi...

iske impossible kaam jitne mashoor the, identity utni hi chhupi hui...

par puri duniya me ek thi... sirf ek...jisne naa sirf ZILLAH ko saamne se dekha tha balki saath hi saath usse haraya bhi tha...

VERONICA...

haan, defeating ZILLAH was not a piece of cake... infact ye kehna zyada sahi rahega ki VERONICA got lucky...

kabhi kabhi din aapka hota hai...yahi kahawat kaam kar gayi thi us din...

warna ZILLAH aur VERONICA ke combat me haalath ZILLAH se zyada VERONICA ki kharab hui thi...

lekin right moment me exact point par perfect hit and ZILLAH blanked out...

par blank hone se pehle ZILLAH ne VERONICA ko bhi uske ghutno par laa diya tha...

us battle ki gunj kuch aisi baji thi ki G.O.D me pehli baar koi bahar ka famous hua tha...

khair,ZILLAH ka naam sun jahan baaki sab chup se ho gaye the wahin VERONICA bhi uske saath hue bhindat ki yaadon me kuch seconds kho si gayi thi par tabhi...

ARCHAN-ye video recording non-audio...

RUE is speaking par there is no voice...

hamare forensic lip readers abhi tak crack nahi kar paaye hain but they are trying...

VERONICA-in which language...!!!

ARCHAN-in almost all the national and international languages...

aur ab jab hume pata hai ki it's RUE search aur asaan ho jaayega...

10 international languages me command hai RUE ka...

english, japanese, chinese, spanish,french,dutch,german, russian,italian and korean...

VERONICA-i don't think it's any of it...

ARCHAN-matlab...!!!

dusre room me baith RUE ke bole silent words ko crack karne ke liye baithe experts ko command dene ke liye aage badhne hi waala tha ARCHAN ki tabhi VERONICA ki baat sun rook gaye the uske kadam...

VERONICA-jo current languages RUE bolti hai,mai bhi thoda bohot bol leti hun...

and going by the lips,she isn't speaking any of it...

ARCHAN-toh phir...

ARCHAN ki baat jaise suni hi nahi thi VERONICA ne...screen par chal rahe RUE ki video recording ko continuously dekhne me lag chuki thi VERONICA...

uske lips par kuch yun focused hui VERONICA ki aankhein ki usse kisi aur chiz ki sudh hi nahi rahi...

agar bomb bhi foot jaata abhi us bunker me tab bhi shayad VERONICA ko fark nahi padta...

kuch aisa concentration level tha is waqt VERONICA ka...

VERONICA-its GOTHIC...

20 minute...pure 20 minute ke baad aankhein chamki thi VERONICA ki...

ARCHAN-what...!!!GOTHIC...but GOTHIC toh...

VERONICA-its a dead language...and some high rank assassins of G.O.D are master in such language...

ARCHAN-can you crack the whole thing aur we should get some help...

VERONICA-pen, paper...

turant ek pen aur paper de diya gaya tha VERONICA ko jiske baad ek baar phir RUE ka video play hua...

video ke continuous pause play ke beech VERONICA RUE ki kahi baat likhti chali gayi jo as anticipated,ek riddle thi...

dhundna asaan naa hoga kyunki...

jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

par raasta samajh bhi gaye toh uspar chalkar sirf jagah milegi,kendra bindu nahi...

kyunki bindu par chalna bhi is surang par chalne JAISA HAI...

sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI...

all the best...hope you find what you are looking for...no dead end...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI VERONICA RUE DWARA GOTHIC ME BOLE GAYE RIDDLE KO TRANSLATE KAR LETI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-98

THE FLASHBACK CONTINUOUS

CITY-DEHRADUN

PLACE-UNDERGROUND TUNNEL

"jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

par raasta samajh bhi gaye toh uspar chalkar sirf jagah milegi,kendra bindu nahi...

kyunki bindu par chalna bhi is surang par chalne JAISA HAI...

sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI...

all the best...hope you find what you are looking for...no dead end..."

lagatar screen par dekhne ke beech haath bhi paper par chalne lage the VERONICA ke...

10 minute aur lage par itni der me finally RUE ne jo GOTHIC language me bola tha,usse ussi language me likhne ke baad usse hindi me convert kar chuki thi VERONICA jisse uske saath ARCHAN bhi padh rahe the...

ARCHAN-***as soon as possible...crack it...

3 baj rahe hain abhi...that means we have only 10 ghante hain to retrieve the PLATINUM...

VERONICA ke likhe riddle waale paper ki copies bunker me moujud har shaksh ko diya jaa chuka tha jiske baad sab us riddle ko solve karne me ghus chuke the...

aur sirf us bunker me hi nahi, agle 2 minute ke andar duniya bhar me faile *** ke best logon ke paas bhi electronically is riddle ko forward kiya jaa chuka tha...

VERONICA-i want the complete details of CHENANI NASHRI TUNNEL...every thing about it...

OPERATER-sure...just a minute...

is baar operation ne ARCHAN se kuch pucha nahi aur minute bhar ke andar screen par TUNNEL ki complete details dikhne lagi thi...

saari details ko dhyan se dekhne ke beech us riddle me kahe words ko unse jodne ki koshish karne me lag chuki thi VERONICA...

aur ARCHAN...bhale hi is waqt puri duniya me us riddle ko 1000 se zyada log break karne me lage hue the..

woh khud bhi same chiz kar raha tha par ummid usse sabse zyada VERONICA se hi thi...

kyunki woh jaanta tha ki ye kaarnaama woh pehle bhi do baar kar chuki thi...

par ye asaan nahi hone waala tha...kyunki un 2 baaron me dimag sirf VERONICA ne hi nahi balki uske partner SANEEL ne bhi equally lagaya tha...

phir bhi riddles ko solve karne me acha khasa waqt liya tha dono ne...

par ab sirf VERONICA thi jo pure focus ke saath riddle ko todne me lagi hui thi...

VERONICA -kitna platinum tha un buses me...

kaafi der tak dimag khapane ke baad bhi jab riddle ke basics clear nahi hue toh khudko riddle ki duniya se bahar nikaala tha VERONICA ne...

ARCHAN-a ton...

VERONICA-woooh...means 35 thousand crores... that's a lot of money at stake...

ARCHAN-its not about the money... the security treaty is on line...

VERONICA -with which country...???

ARCHAN-AMERICA...

platinum ke badle we were getting 10 THAAD,5 PAC-3,6 BMD and several other defense missiles...

VERONICA -damn G.O.D...ek teer aur do shikaar... AMERICA and CHINA...

ARCHAN-what does that mean...aur treaty AMERICA se hai,isme CHINA ka kya vaasta...!!!

VERONICA-what did you just say...!!!

ARCHAN-yahi ki treaty...

VERONICA -AMERICA se hai phir CHINA se kya vaasta...!!!

ARCHAN ki kahi baat dohrate waqt aakhein jaise lighten up ho gayi thi VERONICA ki...

VERONICA-waise hi jaise pahunchna kahin aur hai par vaasta tunnel se hai...

i think i got the first part of the riddle...

ARCHAN-really...!!!

VERONICA-yup... what was it...!!!

jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

tunnel ke banane se...kahan bana hai woh tunnel... it's the highway route N.H 44...

tunnel ke baare me note down kiye saare details par nazar maarte hue kahi thi ye baat VERONICA ne...

VERONICA-NH 44...jahan se tunnel shuru hota hai,us point se jammu and kashmir me total kitne main cities,towns aur village aate hain...

find out...

OPERATER-just a minute...

operater apne computer me busy ho gaya aur VERONICA apni wish ke sahi hone ki prayer me...

OPERATER-us region me total 51 cities, towns aur villages hain par tunnel ke starting points se there are...

VERONICA-please say 44...

OPERATER-44...

ek baar phir aankhein aur face light up hua tha par is baar sirf VERONICA ka hi nahi balki ARCHAN aur uske saath bunker me moujud har kisi ka...

VERONICA-name of the place...!!!

OPERATER-its BEERWAH...

ARCHAN-BEERWAH...ye toh..

VERONICA-yup... it's an administrative division...taaluka hai ye...

sabke chamke chehre wapas tensed ho gaye the joki laazmi bhi tha...

BEERWAH ek bada aur popular administrative division tha jiska matlab tha ki kayi 100 miles tak faile hue bohot se chote mote villages uske antargath aate the...

aise me apne target ko khojna,bhuse ke se sui dhundne jaisa tha...

"PAR RAASTA SAMAJH BHI GAYE TOH USPAR CHALKAR SIRF JAGAH MILEGI, KENDRA BINDU NAHI"..."

riddle ke us part ka matlab ab samajh me aane laga tha sabko...

par VERONICA...uska focus toh jaise ab double ho chuka tha... CHENANI NASHRI TUNNEL ke details ko bar angle se uska dimag scan sa karne laga tha...

kaafi waqt laga par VERONICA ki aankhein us detail parche se bahar nahi aayi thi...

she was thinking, analysing and then repeat aur tabhi...

apne sir ko halka ghumane ke beech details ke do bhaagon me ek saath nazar gayi uski...

"BINDU PAR CHALNA BHI IS SURANG PAR CHALNE JAISA HAI"...

riddle ke is part ko padhte waqt tunnel ki rachna ko dekhne lagi thi VERONICA...

VERONICA-ye TUNNEL baaki tunnels ki tarah single way nahi hai...

OPERATER-haan,because its gigantic...too long...isiliye ye ek 2 lane TUNNEL hai...

VERONICA-clever... really clever...bindu as is BEERWAH...uspar chalna surang par chalne jaisa hai...

target places ek nahi do hain... BEERWAH ke do points par pahunchna hai aur woh do points hain...

ATINU aur BONAHAMA...these two are your target places...

riddle solve kar diya tha VERONICA ne jispar is waqt aankhein faade sab usse hi dekh rahe the...

ARCHAN-how can you be so sure...!!!

ARCHAN ke sawal par ghoor kar dekha VERONICA ne usse jispar hadbada gaya woh...

ARCHAN-look...i just want to be sure...kyunki ab zyada waqt bacha nahi hai... it's already 9...4 ghante bache hain bas...un areas ke sabse paas jo search units hai, unhe bhi un points par pahunchne me kamsekam 1 ghanta toh lagega hi which will leave us with only 3 hours...

so,are you sure...

VERONICA-i am always sure...

riddle ka last line padho...

"sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI..."

tunnel ki lambayi...it's 9 kilometres approx...

9...ek maatr aisa number jisse sir ghumakar dekho toh ek naya number nikalta hai...

ARCHAN-6...

VERONICA-yup..aur BEERWAH ke 6th aur 9th village yahi dono hain...

ATINU aur BONAHAMA...

ARCHAN-absolutely brilliant...

man hi man VERONICA ki taarif karne se khud ko rok nahi paaya tha ARCHAN...par directly aisa karne ka filhal waqt tha nahi...

apne targeta achieve karne the taaki platinums retrieve kiye jaa saken isiliye apna phone nikaal orders dene me lag chuka tha...

OPERATER-waise zyada mushkil honi nahi chahiye kyunki ye dono hi jagah sirf naam ke villages hain...

population naa ke barabar hai aur length bhi kaafi choti...

ek se hi jagah hain dono...jungles se ghire hue hain...jungle area bhi zyada bada nahi hai par jitna hai,its dense...

but i dont think ki kuch bhi bada wahan chuppana asaan hoga wahan...

OPERATER ki baat sun confidence kaafi badh chuka tha sabka par agle 2 ghanton me woh badha confidence kam hone laga tha aur 3 hote hote toh frustration sabki badh chuki thi...

ARCHAN-ye ho kya raha hai...!!! where is the bloody platinum...itni choti jagah hai phir bhi abhi tak kuch nahi mila...

aur ab toh sirf ek ghanta hi bacha hai...damn it...

VERONICA-platinum...!!!aap log platinum dhund rahe hain...!!!saalon se G.O.D ki koi robbery yahan india me nahi hui toh unka pattern bhul gaye ho kya...

riddle solve hone ke baad exact target point par agar pahunch jaaya jaaye toh churayi gayi chiz ki location milti hai jahan jaakar you can retrieve it...

ARCHAN-bhul toh shayad aap gayi hain woh bhi apne hi kaarname ko...

riddle solve karne ke baad usme batayi gayi location me jo 2 baar pahunchi hain aap toh target point 5 minute me mila hai...

usse alag se hide nahi kiya gaya tha... phir is baar kyun...!!!???

sahi thi ARCHAN ki baat jispar ek baar phirse us riddle likhe page ko dhyan se dekhne lagi VERONICA...

kayi baar padha par answer milne ke baad bhi jo satisfaction ki khushi milti hai,woh gayah tha...

VERONICA-kya chhut raha hai mujhse...sab toh solve kar diya...

"lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI..."

aur kya bacha... it's the dead endddddd.....

dead end bolte bolte aankhein badi ho gayi VERONICA ki...

REASON...

NO DEAD END....

paheli in teen words ke saath khatm hui thi jisse ab tak baakiyon ki tarah hi sirf ek gesture maan nahi rahi thi VERONICA...

VERONICA-dead end... shit...how did i miss it...

suno,search...in dono jagahon ke chaaron ends me koi khaayi hai kya...!!!

OPERATER-sure...yes...

ATINU aur BONAHAMA...dono hi jagah jo jungles hain,unke piche khayi hai...

elevation bhi ek saa hai...5000 and 5500 feets...

and that's the dead end for both the territories...

operater ke bolne ke beech hi search parties ko call kar chuka tha ARCHAN par ab taklif ye thi ki waqt naa ke barabar bacha tha...

sirf 20 minute bhi baaki the aur jis point par dono hi search parties ko pahunchna tha, there was a jungle in between jisse vehicles par nahi balki by feet paar karna tha...

but they were trained and professionals...

tezi se jungle ki taraf bhaage the sab...achi baat bas ek thi ki raat purnima ki thi aur kyunki ilaaka pahadu thi isiliye chandrama ka ujaala yahan kuch zyada hi bright rehta tha...

badi tezi se aage badh rahe the woh sab...

kareeb 4.5 kilometre ka run tha joki normal circumstances me easy hota par dense jungle ke beech kaafi mushkil saabit ho raha tha...

WE SEE IT...THERE ARE TRUCKS HERE...

kuch der baad dono hi search parties ki taraf se ye news aa chuki thi jisse sun jahan ek taraf ARCHAN aur bunker me moujud baaki sabhi khushi se jhum uthe the wahin VERONICA ki nazar bas apni ghadi par thi...

VERONICA-STOP...

ARCHAN ke phone ko jisse dono hi troops ke commanding officer connected the,chhina VERONICA ne aur chilla uthi...

awaaz me itni authority ki kadam naa sirf us commanding officer ke rook gaye the balki usne baaki sabko bhi rok diya tha...

5,4,3,2,1....BOOM.....

ARCHAN kuch puchta,usse pehle hi VERONICA ne apni watch uske saamne kar di...

1 bajne me bas 5 seconds hi baaki the jiske pure hote hi hua ek tez dhamaka...

khaayi ke edges par khade trucks me hua tha ye explosion jiske impact se jahan ek taraf 20 se 30 metres door khade soldiers ki search unit bhi piche ki taraf gir chuki thi wahin dusri taraf trucks bhi gire the magar khaayi me...

mission fail ho chuka tha...

haath me aayi par mooh na laga waali kahawat sach hui thi aaj...

10 minute...pure 10 minute tak pure bunker me pin drop silence ho chuka tha...

haam,ARCHAN zaroor ministry mw reporting de raha tha par baaki sab apni apni jagah par chup chaap khade the...

bura VERONICA ko bhi bohot lag raha tha... bhale hi ab woh official member nahi thi par ye pura mission uske hi supervision me hua tha...

apni taraf se har chiz sahi karne ke baad bhi end me sab kuch GALATH ho chuka tha...

khair,kuch der tak authorities se baat karne ke baad ARCHAN wapas VERONICA ke saamne the...

VERONICA-mera kaam khatm hua...i will leave now...

ARCHAN-abhi kaam khatm nahi hua ma'am...we have to get our platinum back...

VERONICA-not possible... robbery ko teen din ho chuke hain...itna waqt G.O.D ke liye more than enough hai to escort the platinum out of this country...

ARCHAN-teen din chori ko hue hai ma'am, escort ko nahi...

agar hum given time ke andar un trucks par pahunch jaate the as always,G.O.D would have given us back the platinum...

iska matlab hai ki platinum abhi bhi india me hain..

bas unhe dhundna hai...

VERONICA-aaj se pehle riddle bhale hi sirf 2 baar crack hua hai par aisi robberies bohot kar chuki hai G.O.D...

what's the success ratio of retrieving stuffs after the failure of solving the riddle...

zero...

this time also, there's not gonna be any different story...kyunki bhale hi pehle do din unhone platinum ko touch nahi kiya ho par they keep tracks...

isiliye as for today,jab hum riddle solve karne aur target place par pahunchne mel lage hue the, unhone platinum escort karne ka sabse easy aur efficient tarika dhoond liya hoga...

ARCHAN-par abhi tak kiya nahi hoga...aur itna asaan bhi nahi hone waala...

air,water and road...saare borders sealed kiye jaa chuke hain...

bina *** proper checking ke kuch bhi export nahi kiya jaa sakta...

aur ye checking hum kar rahe hain...ab itna toh yakeen hoga naa aapko hum par ki we will not be tricked...

VERONICA-baat mere bharose ki nahi aapki khudpar hone waale trust ki hai...

aur agar hai toh phir best of luck...khud dhund lijiye,why do you need me...

ARCHAN-kyunki G.O.D ke movements,unke planning ka tarika,aapse behter koi nahi jaanta...

all we want ki agar hume koi lead mile,you help us ho through it...

BEEP...BEEP...

VERONICA kuch bolti ki tabhi ARCHAN ko phone baja jisse uthane ke baad usne khud attend nahi kiya balki VERONICA ki taraf badha diya...

DEFENCE MINISTER...

line ki dusri taraf wahi the jinse baat karne se pehle hi VERONICA samajh gayi thi usse ARCHAN aur uski org ki madad karni ho hogi...

baat ki VERONICA ne minister se jisme mili request ko woh maan gayi par saath hi saath ye bhi clear kar diya ki isse faayda kuch hoga nahi...

aur hua bhi yahi...pure do din tak mile saare leads ko mila 2+2 karti chali gayi VERONICA par jaisa ki usne pehle hi anticipate kiya tha,G.O.D was untouchable...

is beech bas ek baar hi baat hui thi uski SANVY se jisme usne bataya tha ki uttarkhand ke kayi remote areas me bank ke new branches setup me use hone waale alag alag financial schemes ko initiate karne ke liye she will be travelling aur kyunki woh saari jagah remote hai isiliye zyadatar her phone will be unreachable...

and finally after two days of continuous search with no result,VERONICA wapas apne ghar me apne bete ke saamne baithi thi...

FLASHBACK ENDS:-

MAI-kahan kho gaye...!!!???how was your trip...???

MAA-dining table par nahi baithe hain,par kar toh dinner hi rahe hain naa...!!!finish your dinner first, then we will talk...

uske baad dinner bhar baat nahi hui hamari...!!!

dinner finish kar mai plates dhone me lag gaya aur MAA paata saaf karne me...

MAA-MUNSHIYARI jaanta hai...!!!

kitchen ka kaam nipta wapas sofe par baithe the hum dono ki tabhi MAA ne uttrakhand ke one of the most beautiful places me baare me pucha mujhse...

MAI-chopta ke paas waala village hill naa...haan...issi state me hain par abhi tak gaya nahi mai wahan...

suna hai ki it's a beautiful place...

VERONICA-very beautiful..aur ussi chopta ke paas hi first visit tha mera... it's too hilly isiliye network slow hi rehta hai wahan...

munshiyari ke baad CHAUKORI,then PEORA,KAUSANI,LOHAGHAT and finally KHURPATAL...

(NOTE:-places ke baare me bhale hi jhuth bol rahi hai VERONICA par unki ginti ke baare me nahi...in do dino me itne hi jagahon ki leads follow kiye the usne)

MAI-wooh... that's a lot of places...wakayi hectic raha hai aapka ye waala travel...you should get some rest...aur kal office mat jaaiyega...

VERONICA-kal ki chhod aur filhal uth and get your rubik's cube...

MAI-cube...!!!

VERONICA-yup...bohot din ho gaye tere saath MIND TWISTER nahi khela...

(MIND TWISTER GAME...SANVY KE I'Q KE LEVEL KO JAANCHANE KE LIYE VERONICA USKE SAATH KHELTI THI YE GAME...EK REAL TOPIC KA RIDDLE YA PUZZLE JISSE SOLVE KARNA HOTA THA SANVY KO... KABHI TIME LIMIT KE BINA TOH KABHI USKE SAATH...PAR AISA KARTE WAQT USSE APNE RUBIK'S CUBE KO BHI SET KARNA HOTA THA... MATLAB TWO MIND SQUEEZING THINGS AT A TIME)

MAI-really...!!!abhi khelna hai...!!!

VERONICA-yup...mai bhi toh dekhun ki dimag kitna tez chalne laga hai tera...

kuch kaha nahi maine ba utha aur apne room se rubik's cube lekar aa gaya...

filhal rubik's cube ka har section pura jumbled up tha... completely contrasting...

ek baar dekha us cube ko MAA ne aur phir...

MAA-so here it is... CHENANI NASHRI TUNNEL ka naam suna hai...the one in JAMMU AND KASHMIR...

(NOTE:-CHENANI NASHRI TUNNEL ek national heritage hai... it's the mid point to travel to the best tourist spots in kashmir...aise me agar sabko ye pata chalta ki is tunnel me itna bada kaand hua hai toh isse travel karne se parhez karte log...natija, big future financial loses...isiliye government ne news channels aur baaki sabhi media platforms ko robbery spot tunnel ka nahi balki uske aage bana broad 6 lane road bataya tha)

MAI-ofcourse...

MAA-kya jaanta hai...???

MAI-obvio stuff...hamare desh ka sabse bada underground tunnel hai...

bohot si jagahon ko toh ek saath surpass karta hai ye tunnel...

MAA- here are the details...

apne hatheli me pakdi ek parchi jisme tunnel se judi bohot si details thi, meri taraf badha si MAA ne...

MAI-arre waah...ye kab kiya aapne...???

MAA-raaste me...wahin aaya tha ye idea...

MAI-matlab riddle ka trap point ye tunnel hi banaya hai aapne...

MAA-hmm...so,before the puzzle, here's the story...bohot short hai par dhyan se sunana...

tunnel me ek chori hoti hai and the stolen stuff is taken somewhere else par woh jagah jammu and kashmir me hi hai jisse dhundna hai...

aur ussi search me help ke liye, there's a riddle...agar riddle solve kar liya toh you will get the location of the stolen stuff...

MAA ki baaton ke beech us A4 size ke paper ko pura bharte hue tunnel ki details ko dekh raha tha mai...

CHENANI NASHRI tunnel se judi lagbhag saari important info likhi thi us paper me...

MAA-riddle

MAI-piche likha hai...i know...

paper jaise hi palta mai toh mere saamne thi woh riddle jisse solve par stolen stuff point tak pahunch sakta tha mai...

jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

par raasta samajh bhi gaye toh uspar chalkar sirf jagah milegi,kendra bindu nahi...

kyunki bindu par chalna bhi is surang par chalne JAISA HAI...

sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI...

all the best...hope you find what you are looking for...no dead end..."

MAI-MAA...is riddle ke hisaab se i think i will need...

MAA-net surfing...i know...u can use it...par haan,7 hours...the time limit... isiliye morning se shuru karna...

chalo, it's late...let's sleep...

MAI-abhi hi try kar lun...waise bhi exams over ho chuke hain... it's chilling time...

VERONICA-haan,exam time toh bohot mehnet ki tune...chal,kar le...

i am off to bed...

MAI-night...

MAA-g.n...

MAA bedroom chali gayi aur mai ek haath me phone scroll karne ke beech dusre haath me paper pakad riddle ko dobara padhne me lag gaya...

VERONICA room toh chali gayi..
fresh hokar bed par leth bhi chuki thi woh par sirf physically wahan thi woh...

mentally kaafi jigyasa bhari thi usme...abhi sirf 15 minute hi hone ko hue the par phir bhi jaanana chahti thi woh ki kya ab tak SANVY ne thoda hi sahi,kya riddle ka ek bhi sentence crack kiya hai ya phir samjha bhi hai...!!!

restless hone lagi thi woh isiliye bed se uth wapas room se bahar nikal padi woh...

par hall ka scene dekh uski curiousity halke shock me badal chuki thi...

REASON...

SANVY is waqt paper aur riddle me nahi balki t.v me ghusa hua tha...

koi horror show aa rahi thi jisse bade excitement se dekh raha tha woh...

MAA-kya baat hai...itni jaldi first break le liya... aur ye kya...mind twister game ke rules bhul gaya kya tu...!!!

MAI-why do you say that...???

MAA- rubik's cube solve kar liya hai tune par you know the rules naa ki jab tak riddle solve nahi hota,you have to continuously flip the cube...

agar solve ho bhi jaaye toh again jumble up karke waapas solve karna hai...

par tune toh isse....

aage kuch bol nahi paayi thi VERONICA...kyunki bolte hue hi cube utha liya tha usne par aisa karte hi uske neeche dabe papers par nazar padi uski...

papers...maane ek nahi 2 paper the wahan jinme se VERONICA ke handed over paper ke tunnel info side me bohot si jagah par underlines bane the aur dusra page...

unme kuch jagahon ke naam the...

aur jab un underlines ko aur dusre page par likhe naamo ko properly dekha VERONICA ne toh aankhein uski hairangi ki hadh tak faile chuki thi...

REASON...

N.H 44...sabse pehla underline issi point par tha jiska matlab tha ki SANVY ne riddle ka first part crack kar diya tha...

us underline ko dekhne ke baad VERONICA ki nazar dusre page par gayi jisme tunnel ke baad se shuru hokar line se aage badhne waale 44 cities, towns aur villages ke dots bane hue the...

mobile par jammu and kashmir ke map se tunnel ke aage se nikle straight highway ko mark me rakh in jagahon ko dots ki shakal me likha tha SANVY ne...

places aur bhi the par page par sirf 44th jagah aisi thi jahan dot ki jagah capital me likha tha BEERWAH...

samajh gayi thi VERONICA ki is naam ke saath riddle ka second part bhi crack kar diya tha unke bete ne...

wapas aayi woh apne waale page par jisme next underline 2 way lane par kiya tha SANVY ne jiske baad wapas dusre page par aane se pehle hi wahan likhe 2 naam man me gunj uthe the VERONICA ke...

1-ATINU...

2-BONAHAMA...

third and fourth part of the riddle bhi solve kar liya tha SANVY ne par shock usse un dono villages ke naam ke neeche likhe lines par padha tha...

DEAD END=A TRENCH,KHAAI...

hence,the riddle solved...

MAI-am i right or am i right...!!!

MAA ke shocked face par sahi hone ki muhar samajh smile karte hue unhe dekh raha tha mai...

VERONICA-ye trench..khaayi kaise figure out kiya tune...

MAI-arre ussime toh thoda time laga...warna baaki sab toh aise hi figure out kar liya tha maine...

kyunki baaki ka pura riddle phir bhi specific hi tha par ye jo last me likha tha aapne...

"all the best...hope you find what you are looking for...no dead end..."

riddle challenge ki tarah hota hai jisme no nonsense lines likhi hoti hain...

aise extra motivational lines ka kisi riddle me hone ka logic sirf tab hi ho sakta hai jab woh lines bhi riddle ka part ho...

isiliye i googled those two mentioned villages...jaankar ajeeb laga ki village hokar bhi jungles type jagah hain dono...

isiliye map me dono ki puri geography dekhne laga mai...jhopdi aur jungle ke alawa sirf ek cheez common thi...khaai...

ab jungle stop toh ho sakta hai par dead end..it has to be the trench...

hence proved,i think...

MAA-absolute genius...ummh...

jahan ek taraf SANVY ke dimag ki man me taarif ki thi VERONICA ne aur uska maatha chum muskurate hue wapas apne room me chali gayi wahin dusri taraf mai bhi smilw karte hue wapas t.v ki taraf ghoom chuka tha...

par hum dono hi apne smile aur khushi ke beech abhi abhi khudke pair par maari kulhadi se bilkul anjaan the.....

.......................................................................

TRRIIIINNNGGGG...

G.O.D-HMM...

2ND-HE SOLVED THE RIDDLE...

G.O.D-TIME...!!!

2ND-10 MINUTES...

G.O.D-HAHAHAHAHA...MATLAB, IT'S TIME...

2ND-THAT MEANS VERONICA...!!!

G.O.D-VERONICA...MY FAVOURITE GIRL...IS FAVOURISM KE CHALTE HI TOH USKI YE LIFE LEASE PAR CHAL RAHI HAI...

AB TAK USKE HAATHON ME ZINDAGI KI LAKEER MERI MARZI SE KHEENCHI HUI THI...

PAR AB BAS.....

MERI MARZI KHATM...

VERONICA KHATM...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF GIVEN TIME ME SOLDIERS TARGET TAK NAHI PAHUNCH PAATE WAHIN DUSRI TARAF JIS RIDDLE KO SOLVE KARNE ME VERONICA KO 6 GHANTE SE ZYADA WAQT LAGA THA,USSE SANVY 10 MINUTE ME HI SOLVE KAR DETA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

MEGA UPDATE-99

FLASHBACK

HELLO SANEEL...!!!LONG TIME...

ek kharkharati hui awaaz padi thi SANEEL ke kaano me jisse sun ek thandi leher doud padi thi uske pure sharir me...

SANEEL AHARYA...one of the most powerful person of the country...

upar se aisa international influence ki superpowers ke national secret agencies ke top ranking officers bhi uske samman me khade ho jaayen...

one of the sharpest mind in the whole planet...

hazaaron ki bheed me bhi apne kisi bhi dushman ki minor activity ko bhaamp lene ki nazar aur khatre waali kisi bhi halki awaaz ko bhi clearly sun react karne ke liye ever ready rehne waala SANEEL...

har waqt kisi bhi tarah ke negetive situation ko bohot positively handle karne ka hunar tha SANEEL me par jo awaaz abhi phone par ubhri thi,usse sun dimag jaise ek pal ke liye blank ho gaya tha SANEEL ka...

SANEEL-CYPHER...

CYPHER-yaa SANEEL... CYPHER...your biggest fan...

(NOTE:-CYPHER...ONE OF THE MAIN PILLER OF G.O.D...JAISE ZILLA THI,WAISE HI CYPHER BHI THA...PAR JAHAN VERONICA KI TARAH ZILLAH BHI EK COMBAT GOD THI,WAHIN CYPHER SANEEL KA CONTEMPORARY THA...A GENIUS...G.O.D KE TOPMOST OPERATIONS KA MASTER MIND THA CYPHER...APNE SAATH SAATH DUSHMAN KE BHI HAR FUTURE MOVE KO 99 PERCENT TAK SAHI PREDICT KARNE KA HUNAR THA CYPHER KE PAAS...PAR PEHLE YE PREDICTION PERCENTAGE 100 THA...99 HUA SANEEL SE TAKRAAV KE BAAD...SANEEL IS THE ONLY PERSON IN THE PLANET JISNE G.O.D KE OPERATION JISSE KHUD CYPHER HANDLE KAR RAHA THA,NAAKAM KAR DIYA THA...ITNA HI NAHI,US OPERATION KO APNE PLANNING SE BACKFIRE KAR G.O.D KA NUKSAAN KIYA THA...EK AISA KARNAAMA JO NAA G.O.D BHULA THA AUR NAAHI CYPHER...)

"JAB BHI HUM MILENGE,HAMARI WOH AGLI MULAAKAT HAMARI AUR TERI,SANEEL AHARYA KE ZINGADI KI AAKHRI MULAAKAT HOGI..."

CYPHER ke call ne uske kahe ye aakhri shabd SANEEL ke man me wapas jeevant kar diye the...

CYPHER-surprised haan...you know what,mai bhi...3 saal,2 mahine 7 din...waqt itni jaldi guzar jaayega,socha naa tha maine...

SANEEL-i hope ki call tune apne sadhe b grade dialogues sunane ke liye nahi kiya hoga...

CYPHER-now that's what i like about you SANEEL...always,straight to the point talk...

CYPHER-mera waada toh yaad hi hoga tujhe... time toh fulfill it...

address samajh aur jitni jaldi ho sake, pahunch...akele...

apne saaye(VERONICA)ko saath laane ka sochna bhi mat...

ab scene sun...tu aayega,akele aayega...

aur jaisa maine bola tha,saamne aate hi tu,the legend SANEEL AHARYA will die...

par agar kisi tarah tu bach gaya,then i promise,tere raaste me kabhi nahi aaunga mai...

par aisa hoga nahi,kyunki...

SANEEL-scene tu likh raha hai...!!!hahahaha...jaise last time likha tha...

CYPHER-nanananana...hone waala scene maine nahi,khud G.O.D ne likha hai...

CYPHER ki baat sun SANEEL ki smile puri tarah gayab ho chuki thi...

aur reason bhi obvious tha...G.O.D.as in the spear head of there organization...

ek aisa vyakti jo apne ohde ki hi tarah ka rutba rakhta tha... uski baaton ko GALATH saabit karne se badi galathfehmi kuch nahi thi...

aur iska sabse bada example khud SANEEL aur VERONICA the...

kyunki aaj agar ye dono apne org ke saath nahi the, jaipur me nahi the toh iska kaaran tha G.O.D ka order...

bas ek baar kaha usne aur naa baat maanane ki keemat bina dhamki diye hue bhi kuch aisi lagayi ki apna kaam aur ohda chhodne me ek pal ka waqt bhi nahi lagaya tha un dono ne...

CYPHER-kya hua...hasi ki jagah soch ne le li...

mat soch zyada, teri meri aukaad nahi G.O.D ke lagaye ganith ko solve karne ki...

tu bas ek kaam kar...tere ghar ke bahar lage P.O box ko open kar...

flight ki ticket rakhi hai wahan...raat 11.30 baje ki hai...flight me baith aur aaja...

aur haan,tere aane waali flight wahi honi chahiye warna itna toh pata hai naa tujhe ki G.O.D dhamki nahi dete...

kyunki woh jo karte hain,uske aage har dhamki maamuli lagti hai...

aur is cheez ko tune toh bohot closely feel kiya hai naa...chal,see you....for the last time...

KAUN THA...!!!

SANEEL-CYPHER...

phone hang up kiya hi tha SANEEL ne ki tabhi piche khadi VERONICA ke sawal par jawab de ghuma woh uski taraf...

VERONICA-and...!!!

SANEEL-delhi bulaya hai... bahar p.o box me shaam ke flight ki ticket bhi rakhwa di hai usne...

VERONICA-cool...mai apni ticket book kar leti hun...

SANEEL-akele bulaya hai...tum nahi aa sakti...specifically bola hai ye...

VERONICA-toh....how does that matter...mai saath chal rahi hun...

SANEEL-bol bhale hi CYPHER raha tha par shabd uske nahi,G.O.D ke the...

flight book karne ke liye agent ko phone karne hi lagi thi SANEEL par uske aakhri shabd sun rook gayi woh...

VERONICA-CYPHER ho ya phir khud G.O.D...akele tum sirf unki wajah se toh jaane ka soch rahe hoge nahi...

do you think it's about...

SANEEL-i don't think,i know it...kyunki aur koi chiz nahi jiske dum par CYPHER itne confidently apne trap me mujhe aane ka direct invitation de...

VERONICA-jab pata hai ki wahan trap hoga toh soch bhi kaise sakte ho tum ki akele jaane dungi mai tumhe...!!!

SANEEL-cool then...chalo...kar lo book apni ticket...

SANEEL ki manzoori ke baad bhi VERONICA chupchaap khadi rahi jispar...

SANEEL-i know tum nahi aaogi kyunki tumhe pata hai ki G.O.D ki baat naa manane ka option nahi hai hamare paas...

stake par kya hai,you and me very well know it...

VERONICA-sirf ek hi baat pata bai tumhe...baat toh ye bhi hai naa ki akele mai tumhe wahan jaane dungi nahi...

SANEEL-we cant take any help from ***... unofficially bhi nahi...

VERONICA-unki zaroorat bhi nahi hai...

waise bhi filhal wahan aisa koi nahi hai jo G.O.D ko match kar sake...

aur jo hai,woh bhi ab hamari hi tarah EX hai...

aur VERONICA bhale hi nahi par VERONICA jaisa zaroor hai...

SANEEL-VEER...par usne kasam khaayi..

VERONICA-aur us kasam ka thikana delhi ho sakta hai... isiliye hi toh jaa rahe ho tum bhi...

apni baat bolne ke beech phone laga chuki thi VERONICA VEER ko...

kuch der baat karne ke baad phone hang up kiya usne...

SANEEL-kahan hai woh...???

VERONICA-toronto...

SANEEL-wahan se delhi...15 se 20 ghante lag jaayenge usse...

he will be late...

VERONICA-nahi hoga... turant nikal raha hai woh and he is flying in his jet...non via 13+ ghante me cover ho jaayega...

abhi 11 baje rahe hain that means 12.30 se 1 ke beech land ho jaayega woh delhi me...

same time tum bhi land karoge... he will be tracking you...bottom line jahan bhi pahunchna hai,spot par ek saath pahunchoge dono...

NEXT DAY:-

TIME-8 AM

VERONICA-kahan ho tum dono VEER...naa tumhara phone lag raha tha aur naahi SANEEL ka...

i swear ki agar abhi tumhara phone nahi aaya hota naa toh delhi ki agli flight board kar leti mai...

B.B.HABB.HI...

VERONICA-hello VEER...kkya hhaa...rro kkyun rrahe ho...!!!

VEER-bbhabhi wwoh bbhaiya...

VERONICA-bhaiya kya...!!!speak properly VEER...

VEER-bhaiya nahi rahe bhabhi...he is dead...

THAKKKK...

FLASHBACK ENDS:-

DATE-1 DAY TO DIE

SANEELLLLLLLLLL........

ghar ke saamne garden me apne arm chair par baithi shaam ki chaay joki ab thandi ho chuki thi, haath me pakdi ateeth ke us dardnaak panne ko aankhein band kar dobara padh rahi VERONICA ki aankhein apne late husband ke naam man me hi lene ke saath ek jhatke me khul chuki thi...

lambi lambi saanson ke beech aankhein uski laal ho chuki thi par agle hi pal un laal aankhon me halka surprise dikhne laga joki laazmi bhi tha...

saamne ek aur chair lagaye RANJANA MATTHEWS baithi usse hi dekh rahi thi...

VERONICA-tu kab aayi...???

RANJANA-kaafi der ho gaya...ab bhi us din ke sapne aate hain tujhe...!!!

VERONICA-tujhe kaise pata...???mere dreams ka visual mere face par dikhta hai kya...!!!

RANJANA-tu bhul rahi hai ki bhale SANEEL jitna nahi par chizen aur situations ko sahi predict karna mera bhi hunar hai...

par filhal us hunar ki zaroorat nahi padi...halki si bhi movement ko feel kar leti hai tu...

par tere saamne itne der se hun mai aur tujhe andaza bhi nahi hua...

aisa toh ek hi condition me ho sakta hai...

VERONICA-chai peeyegi...

RANJANA-naa,i am good...VEER ke baare me baat karne aayi hun...!!!

itne dino ke baad VEER ka zikr... hairangi ek baar phirse dikhne lagi thi VERONICA ke face par...

VERONICA-uska kya...!!!theek toh hai naa woh...!!!

RANJANA-bilkul theek hai...bas scene repeat ho raha hai...jo kuch din tere saath hua,same chiz uske saath bhi ho rahi hai...!!!

VERONICA-matlab...!!!***ne usse bhi kisi mission me lapeth liya hai kya...???

RANJANA-yup...

PARAIBA TOURMALINE waali news suni ki nahi...!!!

VERONICA-brazil waali naa...ohho,now i get it...

G.O.D ke involvement ki wajah se there government has requested the only organization jisne pehle bhi aisi chori ko prevent kiya hai...

ab kyunki tu pehle hi unke last mission me participate kar chuki hai aur saath me warn bhi kar chuki hai,not to drag you in future isiliye they opted for the best contemporary of yours...

VERONICA-VEER...aur woh maan gaya...!!!

RANJANA-tujhe bhi pata hai ki agar *** insist mode par aaye toh phir mana nahi kiya jaa sakta...

kahan kho gayi...!!!

VERONICA-kahin nahi...arsa guzar gaya VEER ko dekhe... infact teeno ko...

RANJANA-tujhse bura haal uska hoga...aur SANVY...agar tujhme,apni bhabhi me MAA ko dekhta hai woh toh phir SANVY apni sagi aulaad se badhkar hai uske liye...

liye kasam ki wajah usse nahi dekh sakta isiliye apni beti se bhi door ho gaya woh...

itne saalon se tadap raha hai woh...puri duniya me jitna bada naam hai uska,pehchaan uthi hi chuppi hui...

VERONICA-pata nahi kyun par kuch sahi nahi lag raha mujhe...!!!

ek hi mahine me pehle mera wapas field me jaana aur ab VEER...

something is off...i can feel it...

hey SONU...arre,itna stressed kyun lag raha hai...SANVY...kya hua...???itni hadbadi kyun...???and why that face...???kuch hua hai kya...???

5 MINUTES BACK:-

SAALE ABHI 5 BHI NAHI BAJE HAIN AUR PHONE KA GALA PHAADNA SHURU KAR DIYA TUNE...

ADHA GHANTA BAAKI HAI NAA ABHI...

ABBE CHUTIYE AA JAAUNGA TIME SE...

mobile jiski is baar teesri continuous ring thi,sun irritate ho finally receive kiya tha maine...

5.30 ko chilling point cafe me milne ka plan tha hum sabka aur phir dehradun ki outskirts me bornfire overnight camping ki planning thi...

par kyunki mai har baar late hota hun isiliye hi time yaad dilane ke liye SONU call kiye jaa raha tha,aisa assume kiya tha maine joki GALATH tha...

SONU-bbhai...

MAI-kya hua...???

dar aur dard,dono tha SONU ki awaaz me jisse sun shirt ki button lagana rook gaya tha mera...

SONU-bhai wwoh chutki kka(NITS LITTLE SIS) accident ho ggaya hai...

MAI-shit...kaun sa hospital...

SONU-m.m.i...mmai aa rraha hun...2 mminute me ppahunch jaaunga...ttu bahar nnikal...

MAI-ye KHANAK ko bhi bataya hai kya...???

SONU-nnahi ttoh...kyun...???

MAI-call aa raha hai uska... chhod ye,pahunch jaldi...bahar hi hun mai...

haan hello KHANAK...can we talk later...thoda...

KHANAK-SANVYYY...

ro rahi thi KHANAK jisse sun dimag thanka mera...

MAI-kya hua...???

KHANAK-mall road waale axis atm me aaye the mai aur RASHI...

paas ki shop me kuch bande the...they started commenting on us aur phir thoda bohot physical bhi hone lage...

so RASHI slapped one of them... bhadak gaye woh log and they took RASHI with them...

MAI-what the fuck...!!!???

KHANAK-maine try kiya unhone rokne ka but one of them slapped me too...

woh sab toh mujhe bhi uthane lage the par tab tak bohot se log hamare paas aane lage the isiliye sirf RASHI ko hi apni car me daal nikal gaye woh sab...

mujhe samajh me nahi aa raha mai kya karun...!!!dad se bhi baat hui hai meri....he is contacting the officials par SANVY mujhe bohot dar lag raha hai...

woh log dangerous lag rahe the...

RASHI ko jis bande ne uthaya tha,jacket daala tha tshirt ke upar usne aur uske andar i peeked a gun...

MAI-gaadi ka number note kiya hai...!!!

KHANAK-haan,i snapped it's video from the back...

grey colour ki artiga thi...

MAI-mall road se kis taraf nikle hain woh aur kitna time ho gaya...???

KHANAK-civil line ki taraf...abhi 5 minute bhi nahi hue hain...

MAI man me-matlab ya toh highway niklenge ya phir ghadi chowk se round about lekar city ke andar...

MAI-bhej photo aur chill kar tu...kuch nahi hoga RASHI ko...

i promise...

phone kaata maine aur turant MAA ke room ki taraf badh gaya...

bed ke side rakhe table par do laptops rakhe the par nazar meri sirf black colour ke dell xps 13 par thi...

MAA ka personal laptop tha ye jispar kuch time se dehradun ke har local area ke c.c.t.v camaras ko hack kiya hua tha unhone...

nahi chahti thi woh ki mai dekhun isse par dekh liya tha maine...

reason unhone wahi G.O.D CABAL bataya tha...

wahi syndicate jiske logon se mai aur MAA school ke TULIP GARDEN me bhide the...

kahin aur G.O.D members toh nahi aa dhamke hamare sheher me isiliye she was doing it...

us unknown CABAL ke liye MAA ki curiosity kaafi zyada thi...i had sensed it par kyunki MAA ka past line of work joki ab bhi mere liye ek puzzle hi tha,uske baare me itna toh pata hi tha mujhe ki it was dangerous aur us line of work ke radar me G.O.D linked tha isiliye is complete city hacking par zyada sawal jawab kiya nahi tha maine...

aur acha hi hua...MAA ki ye nigrani aaj mere kaam aane waali thi...

password pata tha mujhe isiliye laptop lock clear karne ke turant baad live futtege par chal pada tha mai...

MAI-there you are... right on time...bas ek baar right ghum jaa...

exactly...aa raha hun behen ke chodon... loundi uthane ka bada shouk hai...

dekhen zara lounda uthane ka guda hai ki nahi gaand me...

futtege dekhne ke beech KHANAK ka bheja video dekh liya tha maine...

car identify kar chuka tha mai aur luckily is waqt civil line se highway ke raaste me sirf ek hi grey colour ki artiga dikh rahi thi...

acha hua tha ki abhi tak highway me ghumi nahi thi woh kyunki hack maa ne sirf city ke sabhi important entries aur exits ko kiya tha par highway ke kisi camara ke visuals nahi the isme...

khair, highway me pahunch right hi ghumi thi woh car joki plus factor thi mere liye aur woh isiliye kyunki woh N.H 52 waala road tha...

meri colony highway egde par bani thi aur woh highway N.H 52 hi thi...

anyways,jis point se N.H 52 par kati thi woh car,wahan se speed bhi chali gaadi tab bhi mere colony ke edge par pahuchne me 5 minute lagne hi the usse...

VIBRATE....

tezi se room ke bahar aaya hi tha mai ki tabhi phone par mere SONU ka call aa gaya, matlab bahar pahunch chuka tha woh...

MAA-hey SONU...arre,itna stressed kyun lag raha hai...SANVY...kya hua...???itni hadbadi kyun...???and why that face...???kuch hua hai kya...???

SONU joki garden me hi khada tha,uske paas tezi se pahuncha hi tha mai ki tabhi right as in garden area se MAA ki awaaz aayi...

MAI-good evening ma'am...

SONU-good evening ma'am...

MAI-woh MAA,chhutki ka accident ho gaya hai...

MAA-what...!!!???

RANJANA-chutki...???

MAA-NITENDRA ki sister... she is like a daughter to me too...

tu car se aayi hai naa...!!!

RANJANA-haan...

MAA-chal phir...chhutki hospital me hain naa...!!!

SONU-jee aunty...M.M.I me hai...

MAA-lets go then...

MAI-aap dono car se nikliye...hum bike se aate hain...

MAA-arre saath chalte hain naa...

MAI-wahan bike ki zaroorat padh sakti hai... waise bhi,bike me hospital ke shortcuts lene me asaani hogi...

MAA-thik hai...tum dono niklo...hum piche piche pahunchte hain...

bahar SONU apne dad ki bike pulsar 180 me aaya tha...dekh liya tha maine aur jo situation thi,uske hisaab se highway ke liye best shortcut bike se hi possible tha...

main gate cross karte karte hi SONU se bike ki key le li thi maine...

VROOMMM...VROOMMM...

MAA aur ma'am abhi tak saamne nahi aaye the isiliye SONU ke piche baiththe hi bike 360 degree skeed karte hue ghuma di maine...

SONU-bbhai araam se...aur yye kkis ttaraf se jjaa rrahe hhain hhum...

gglobe chowk ttoh ddusri taraf hai nna...

RASHI ke saath kya hua tha,bataya maine SONU ko jisse sun dimag satak gaya uska...

SONU-bbhaga bbhai...mmai baaki ssabko inform kkarta hun...

MAI-rehne de... matlab nahi kuch...faaltu ka panic ho jaayenge...

RASHI ko bacha len pehle, phir toh sabko pata chal hi jaana hai...

SONU-ppar bhai ttu bata raha tha kki unme se ek bbanda armed hai...!!!

MAI-shayad baaki sab bhi hon par filhal usse use karne ka chance kam hone waala hai...

N.H 52 busy highway road hai aur is waqt toh aur zyada...

agar profesionals nahi hue toh gun use nahi karenge,darane ke liye dikhayenge bas...

SONU-aur hue toh...!!!

MAI-bataya naa, heavy traffic...ussi ka faayda lena hai hume...bas unse pehle gudiyari chowk pahunch jaayen hum...

(gudiyari -n.h.52 highway connecting spot)

SONU-grey artiga batayi thi naa tune...!!!dekh,ek aa rahi hai...

ek grey sedan aur usse thoda piche sedan ko cross karne ki houd me lagi s.u.v ke beech jo jagah thi,wahan se ek artiga hamare hi taraf aa rahi thi...

kyunki traffic thodi zyada thi isiliye speed normal thi uski...

filhal kareeb 60 se 70 metre door thi woh car humse par s.u.v ke piche hone ki wajah se number uska dikh nahi raha tha...

par chance toh lena hi tha jiske liye time abhi hi sabse suitable tha...

MAI-kuch pakad le...

VROOM...

SONU-behenchod...aaj mmar ggaye louda...

tezi se bike aage bhaga di thi maine aur woh bhi white side line par nahi balki highway ke centre par...

wrong side tha aur upar se hamari hi taraf aa rahi vehicles ki bharmaar...

meri speed bhi 70 cross kar chuki thi jispar gandiya hi fat gayi SONU ki...

gaali bakne ke baad apni aankhein band li thi usne par mujhe rukne ya bike slow karne ke liye nahi kaha...

wahin woh grey sedan aur usse overtake karne ke liye uske baaju me aa chuki s.u.v chalane waale drivers ne jab apne saamne ek bike ko yun tezi se aate dekha toh...

CHRRRR...CHRRRR... CHRRRR...

speed brakes apply kiya unhone aur agle hi pal halka skid karne ke baad un dono ki cars beech highway par rook chuki thi...

par ye sudden brakes ka lagna un dono cars ke just piche bohot hi kam distance maintain kar aage badh rahi ERTIGA ke liye bohot zyada risky ho chuka tha par driver kaafi sahi tha...

brakes usne bhi perfect time par maare the jis wajah se sedan ko chhute chhute woh car rook chuki thi...

baaki cars halke distance me piche the isiliye bina joi dikkat woh sab bhi rook chuke the...

bike waale jaa sakte the par free me tamasha dekhna sense kar liya tha sabne isiliye woh sab bhi rook gaye the...

ABBE PAGAL HAI KYA BHOSDIKE...SAALE AAJ KAL KE LOUNDE...JHAANT KE BAAL THEEK SE UGE NAHI PAR BIKE ME DHOOM BANANE KI CHUL UGNA ZAROOR SHURU HO JAATI HAI...

mai aur SONU wahi beech highway par bike stand par laga chuke the jiske baad mujhse pehle SONU joki thodi der pehle gun waala risk point mujhe bata raha tha,ab bina kisi parwah ke tezi se ERTIGA ki taraf badhne ko hua tha...

par hamare bike se utarte tak s.u.v aur sedan ke drivers bhi utar chuke the...

ghussa toh dono ke hi faces me dikh raha tha par sedan waala banda kuch zyada hi bhadka hua tha...

mid thirties me 6 feet ka hattha katta aadmi tha woh jisne hume gaali bakne ke beech jaise hi SONU uske saamne pahuncha toh uske collar ko pakad liya usne...

AHHHH...

collor pakad SONU ko mukka maarne hi waala tha woh ki tabhi aisa feel hua usse jaise uska woh haath pankhe me tabdil ho gaya ho...

it went light...

MEDIAN NERVE.

wrist area me ubhri hui nas hoti hai ye joki puri hatheli ko control si karti hai...

us nerve ko hi zor se dabaya tha maine jiske asar se kuch seconds ke liye uska pura haath non functional ho chuka tha...

wahin nas dabane ke baad us bande ki kalayi tezi si mod ek jhatke ke saath usse pura ghumate hue car par uske sir ko hit kar chipka diya tha maine...

itni tezi se hua tha ye sab ki jahan ek taraf dard ki wajah se chikhne se pehle hi us bande ko concussions aane lage the wahin ye sab dekh s.u.v se hamari taraf aane waala banda wahin rook gaya tha...

khair,ek second baad sedan waale bande ki gardan chhod piche khadi ERTIGA ki taraf badh chale tha mai par tabhi...

SONU joki mujhse pehle hi aage badh chuka tha,usne ertiga ke bahar khade usse chalane waale bande ka collor pakad liya...

BANDA-abbe pagal hai kya..???ek toh wrong side me bike ghusate ho aur phir ulta yun harras karte ho...!!!

SONU-hharas...bhosdike, harassment wwoh jjo tere aur jjaise harami kkarte hhue aa rahe ho...

tteri ttoh saale...

MAI-SONU chill...ye woh car nahi hai...

SONU-mmatlab...grey artiga hi ttoh boli tthi naa tune...

MAI-abbe pure sheher me ek hi grey colour ki ertiga ghum rahi hai kya...!!!

gaadi aur uske colour ke saath saath car ka number bhi toh bataya tha tujhe...ek baar pehle woh bhi dekh leta...

us bande ko dharne ke chakkar me abhi tak SONU ne naa toh gaadi ke bahar uska number dekha tha aur naahi andar ka scene...

dusri car thi ye jisme wahi bas ek hi banda tha...

aur ab jab in sabhi chizon par dhyan gaya SONU ka toh haath us bande ke color se dheele padh chuke the uske...

MAI-sorry sir... actually aisi hi same colour ki ertiga me hamari ek dost ko kuch log utha kar le gaye hain...

issi taraf badhi hai woh car...

isiliye ye sab...sorry...

SONU ke haath hatathe hi us bande ne apna mobile nikaal liya tha,to call the cops...

isiliye sach bataya maine and it worked...ek pal mujhe dekh phone wapas apne jeb me rakh liya tha usne...

SONU-ab kya karen yaar...???

MAI-dekhte hain...filhal yahan se nikal...

BANDA-ek minute...same colour ki ertiga...!!!

last traffic signal me ek aisi hi ertiga mere side me rooki thi...

signal green hone par mai toh sidha aa gaya par woh log right ki taraf kat gaye the...

SONU-ram mmandir waale ttraffic signal ki bbaat kar rrahe hain ye...

par wahan se toh koi road nahi kaththi...

MAI-shit...sidhe nahi aur naahi city ki taraf...par traffic se u turn len toh 50 metres me hi ek gaddhon waali kacchi road nikalti hai...

SONU-arre haan...ppar wahan ttoh bade ggaddhe hain isiliye gaadiyan nnaa ke bbarabar hi nikalti hai udhar..

MAI-haan par precisely choti hatch backs...

par M.P.V'S araam se nikal sakti hai...

waise bhi gaddhon waale area bas 200 metres ke hain uske baad road bhale hi kacchi hai par smooth hai kaafi...

SONU-llekin us ttaraf se bbas ek aur u tturn hai jjisko lene se wwapas wahin sse niklenge jahan sse highway kke liye mmoode the...

MAI-agar u turn liya toh...!!! par agar sidhe badhte rahe toh it's a shortcut to...

SONU-sshit...MAX FUN RESORT...(SAM'S RESORT)

hum dono baat karte hue hi aage badh rahe...bike le ghoomte hue right side of the highway me bhi aa chuke the hum aur jaise hi resort ka naam mere dimag me click hua tha,wahan ke liye sabse best shortcut ki taraf ghuma di thi bike maine...

SONU-abbe woh rrahi...wahi hai naa...!!!

10 acres me faile MAX FUN resort ki entry porsh se pehle hi ek 100 metre ki lambi run in thi...

ussike last edge par hume dikhi ek grey colour ki ertiga jisse dekhte hi bike tezi se aage badha di maine par aage badhte hue saamne ke scene ko dekh kuch yaad aaya mujhe jisse halki tention bhi hone lagi thi mujhe par saath hi saath ek ummid bhi jagi thi...

REASON...

"THE LOHIA AND WADIA FAMILY WELCOMES YOU"...

aaj MAX FUN resort me uttarkhand ke do important power house families,THE LOHIAS ke groom and the WADIA family ke bridegroom ki shaadi thi...

abhi tak ke uttrakhand ke itihaas ki sabse mehengi shaadi thi ye jiska budget 75 crore plus tha...

beete dino newspaper me padhi thi maine ye news...SAM ke resort ko mili thi ye marriage arrangement ki deal...

waise toh SAM ki family ke liye 75 crores koi bohot zyada huge amount nahi par business aur marketing point of view se dekhen toh it was a big deal...

is shaadi ki khabren live chal rahi thi local news channels me jiska matlab tha ki resort ko bohot badi publicity free me mil rahi thi...

sabhi channels ke news reporters ke liye venue ke andar spot ready kiya gaya tha jahan se is marriage ke sabhi events ko capture kar rahe the woh sab...

SHRAVYA CHANDER kuch aur chain of resorts kholna chahti thi jiska bench mark banane waala tha ye wedding...

yahi wajah thi ki security gate se hi A plus type ki thi... yahan tak ki koi gadbadi naa ho isiliye police ka bhi intazam kiya gaya tha...

ek police van wahin side me khadi thi jiske bahar 3 thulle khade hue the...

waise ye entrance main nahi tha...maine entrance resort ki taraf aane waale pakke road ki taraf waala tha...

yahan se bas resort hired cars aur local listing people hi andar aa jaa rahe the isiliye bheed naa ke barabar thi par phir bhi security behadh strong...

yahan se bhi bina valid pass ke andar jaaya jaa sakta tha nahi isiliye hi tention hui thi mujhe aur ummid ka reason bhi same hi tha...

pass ke saath saath checking bhi ho rahi thi vehicles ki...normal peeping par itna hi kaafi tha...

RASHI ko security dekh len toh sab easy ho jaana tha par agle hi pal meri ye ummid toot gayi...

bas do second ke halt ke baad woh ertiga resort ke bade se entry gate ke andar badh chali thi...

HEHEHEHE....OYEE....KAAHAN GHUSE CHALE JAA RAHE HO...!!!

bike maine bhi tez kar di thi par as expected entrance me moujud guards ne aage aate hue raasta block kar diya tha hamara...

MAI-andar...jahan woh ertiga bina proper checking ke ghusne di tune...

GUARD-checking...!!!woh inslisted car thi aur tu hai kaun be sawal jawab karne waala...

chal nikal yahan se...normal party crashing venue nahi hai ye...kahin aur try kar...

SONU-abbe nnaya aaya kkya bbe...!!!kkayi baar aa cchuke hain is ttaraf hum...

SAMEER CHANDER kke as in is rresort kke owner kke classmates hain hum ddono..

ARRE WAAH... SANVEER AHARYA KE REHTE AAJ MERI PEHCHAAN KA SHOW OFF...

SAM tha ye...apne mom dad,dono ke business ko future me yahi handle karne waala tha aur is uske liye aaj ke event se behter training usse kahan mil sakti thi...

kyunki business bhale hi koi bhi ho par base moto sabka ek hi hota hai...to keep your clients happy...

aur is tactic ko sikhne ke liye aisi exotic shaadi se acha learning venture aur kuch ho sakta tha nahi...

MAI-dekh dude...tere hamare problems alag baat hai...par yahan baat alag hai...

kuch logon ne RASHI ko utha liya hai aur woh log abhi resort ke andar gaye hain...

they are in an ertiga... number...UK04ML****

in logon ne bina proper check kiye hi andar jaane diye hai us car ko...

SAM-us as in ye...iski baat kar raha hai...

apne haath me pakde iPad ko hamari taraf kiya SAAM ne...

ipad par video streaming chaalu thi...har car jo is gate se andar gayi thi,uski video recording captured thi us pad me...

is waqt jis gaadi ki baat mai kar raha tha,ussiki video dikh rahi thi par surprisingly,jo jo baatein maine kahi thi, visual bilkul ulat tha uska...

SAM-so you were saying...!!!bande...abbe ek hi banda hai gaadi me and he is driving...

ek aur baat...woh gaadi resort ki hi hai jo gayi thi laal chowk market to collect some stuff...

maine hi bola tha isiliye koi loophole nahi hai...

happy now...chalo niklo ab...aaj sirf vvips allowed hai yahan...

tum jaise fatichar,not allowed kids...now back off...

MAI-SAM...tu car ko kahin jaane ki permission de sakta hai par uske baad usme kya activity ho rahi hai, it's not in your control aur naahi pata chalna hai tujhe...

ek baar hume khud check kar lene de,sab clear ho jaayega...

SAM-kuch blur hoga toh clear karega naa tu...jo tu bol raha hai, sirf assumptions hai aur kuch nahi...

MAI-SAM,it about RASHI...

SAM-toh...why should i give a fuck...aur koi hota toh meri sympathy bhi hoti par that girl...

jisne meri mom ke baare me GALATH bola tha...

yahan nahi hai woh,that i can guarantee...aur yahan ko chhod jahan bhi hai,jo bhi ho uske saath,i dont give a damn about that slut...

DHAKKK....DHAKKK...DHAKKK...AHHH...

aage bolne layak chhoda nahi tha maine SAM ko...pehla punch uske gaal par,dusra uske chin par aur phir ek raipta uski kanpatti par...

khade khade hi unconscious mode par chala gaya tha SAM aur ye dekh 12 guards jo moujud the wahan, turant badhe meri taraf par unse tez mai chaka tha unki taraf...

aage ki taraf hawa me hi rotate hote hue aage waale guard ke mooh par kick jad thi maine aur uske baad niche jhukte hue dusre guard ki jhaang par fist hit kiya...

dard se karahate hue neeche jhuka woh jispar uske peeth se jump lete hue 4th guard ke chest par arial leg hit maar chuka tha mai...

ye sab itni tezi se hua tha ki baaki sabhi guards boukhla se gaye the aur yahi toh chahiye tha mujhe...

mujhe mila time jisko use me laate hue gate ki taraf tezi se badha mai par tabhi...

ROOK JAA LOUNDE VERNA THOOK JAAYEGA...

INSPECTOR RAJESH MISHRA tha ye jo main gate se bahar as in hamari taraf aa raha tha...

par taajub ki baat ye thi ki uske saath ek S.I,ek A.S.I aur 8 constables the...

aisa lag raha tha jaise normal gashti nahi balki gherabandi ke liye nikle hon sab...

RAJESH-ek reputative resort ke owner par haath uthaya tune aur woh bhi blood hits...

tututututu... khud hi ki gaand maar li lounde tune... section 307 aur 308 ipc jaanta hai...

MAI-attempt to murder...

RAJESH-yeh... dekha BASANT...(constables)...ye hota hai jaankar criminal hone ka faayda...

niyam kaanun pata hote hain...bakchodi me time waste nahi hota...

chal bhai...cooperate kar aur baith jaa gaadi me chupchaap...

MAI-baith jaaunga par pehle ***" number ki ek grey ertiga gayi hai andar...usse check karo aur usse chalane waale se strict puchtaach karo...

hamari ek friend ko us gaadi se yahan laaya gaya hai...

RAJESH-aisa hai beta...ki complaint police station me ki jaati hai...spots par criminal handovers hote hain jaise abhi ho raha hai...tu...

SONU-ppar ssir...hhamari ek ffriend kko yahin llaya ggaya hai... zabardasti...

RAJESH-oye hakle...issi ke saath hai naa tu...

SONU-hhaan...

RAJESH-ttoh bbhai...ddaalo,isse bbhi ggaadi mme...

MAI-haath laga ke dikha madarchod...

BASANT-kya bola re...

DHAPPP...

aage badh hi raha tha woh constable ki tabhi padi meri laath uske seene me aur agle hi pal he was in the ground...

KTCHHH...

aisa hua hi tha ki tabhi RAJESH aur uske piche khade S.I aur A.S.I ne apni apni pistol nikaal mujhpar point kar di thi...

RAJESH-ye hui naa baat...ek charge me maza nahi aa raha tha...par ab koi tention naa hai...

ab toh 353 bhi lag gaya tere pe... assault on a police officer...woh bhi on duty...

MAI-kaanun ki ghuti agar theek se padhi hai tune toh ye jaan le pehle ki jis ladki ki baat kar raha hun mai,she is an N.R.I...

agar hua usse kuch bhi toh international case banega aur fasega tu hi...

kyunki vaardaat ki jaankari maine forehand di hai tujhe par tu kuch kar nahi raha...

RAJESH-woh kya kehte hain angrezi me...i will take my chances...

aur ab bina panchayat ke chalega tu kyunki agar aisa nahi kiya toh tere saath tere is dost ko bhi yahin thok dunga mai...

aur yakin maan...koi case nahi hoga...resort owner ko maara hai tune...tere aur tere dost ke saath kuch bhi ho jaaye,yahan moujud koi bhi kuch nahi batane waala...

sir aapko thodi der ke liye hi sahi par case file karne station aana padega...

SAM-it will be my pleasure...aur jab bhi ye chhute, make sure ki tab haalath iski aisi ho ki kutta bhi isse zyada insaan lage...

RAJESH-gazab dialogue sirji...aisa hi hoga...

chalen ya jo bola,woh karna padega...

apne holster me haath fasa kahi thi ye baat RAJESH ne...

bohot kam aisa hota hai jab mere paas option nahi hote... jaise ki aaj...

sirf baat meri hoti toh saalon ko kabbadi khila chuka hota mai par saath mere SONU tha...

mai kuch karta toh RAJESH usse nuksaan pahunchata...

MAI-aag jalayi jaati hai,uske beech haath daalkar uske saath khela nahi jaata...jalne ka khatra hota hai...

tu toh pura hi odhne chala hai is aag ko...

chal...aaj din tera hai...par din ki toh khaasiyat hi ye hoti hai ki woh taarikh ke saath badal jaata hai...

waada hai mera, jaise hi taarikh badli,tera waqt badal dunga mai...

jis andaz me apni baat kahi thi maine,ek thandi leher si doud gayi thi RAJESH ke reedh ki haddi me par chehre ko saamanya hi rakha usne...

RAJESH-waqt toh badal chuka hai...ab bas tera huliya badalna baaki hai...

chal thaane...aisa huliya badlunga tera ki chehere aur sharir ke nakshe ke saath saath tever bhi badal jaayenge tere...

kisi manje hue criminal ki tarah mere aur SONU ke haathon me hathkadi laga di thi RAJESH aur uske S.I ne...

is harkat par SONU phir kuch bolne ko hua tha par maine ishare se usse chup rehne ko kaha...

hume lete hue RAJESH apni police scorpio ke paas pahuncha par gaadi ke andar daalne se pehle ruka woh aur mujhe lete hue piche RESORT ki taraf ghuma...

RAJESH-kismat bhi apni dharti ki tarah hi hai...gol...

yaad hai, hamara kissa yahin issi resort me shuru hua tha... aur tab kya kaha tha maine tujhse...

"YE DIN NAHI BHULNE WAALA MAI...YOU HAVE TO PAY FOR THIS...YOU WILL PAY FOR THIS"...(UPDATE-21)

finally aa hi gaya woh din...

akad toh bohot dikhayi hai tune,ab utni hi tadap DIKHAYEGA...

apni hadhen bhul gaya hai tu, koi nahi,aaj ye RAJESH tujhe teri sahi aukaad SAMJHAYEGA...

jo tune kiya tha woh zara saa bhi nahi bhula hun mai aur aaj...

mere aage tu apne us karni ki KEEMAT CHUKAYEGA...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
expectations
22,448
14,679
143

Superb update bhai last me to bahut bura ho gaya fans gaya is baar to dekhte kya hota hai
 
Top