How to create index

Will Change With Time
Moderator
8,511
16,880
143
Index banana sabhi ke liye esye nehi hota hai. Isliye mai ek chota sa koshish kar raha hoon jisse ki sabhi ko asani se index banna aa jaye.



Note:- niche kiye gaye post ko read aur pic Ko dekhne ke baad aap sabhi ko index banana asani se aa jayega. Bas apko thodi practice karna padega practice karne ke liye main thread ko use na kare iske liye aap private section me ek thread open karke phir jitna chaye practice kar sakte hai.
 
Will Change With Time
Moderator
8,511
16,880
143
Dear member aap chahe to iss process ko ajmakar ek behtar indax create kar sakte hai.

1:- sabse pahle jo bhi new thread aap bana rahe hai usme ek khaali post apko rakhna hai. Uske liye aap reply box me "Rss" likhkar post kar dena jo baad me aapko INDEX banane me kaam aayega. Isske liye aap niche pic dekhe

IMG-20220523-170800

2:- ab apne apne story me ek ya phir do update post kar diya aur aap use index me dikhana chahte hai to apne jo rss likhkar post dala tha usko edit kijiye. Uske liye apko edit option par click karna hai jo apke mobile ke left side me report option ke baad hoga. Edit par click karte hi apka post edit ke liye khul jayega.

3:- ab apko purana likha delete karke index banana hai. Index banane ke liye sabse pahle "index" likhiye ise aap capital ya small letter me bhi likh sakte hai. Aap chahe to index words ko design kar sakte hai. Design karne ke liye post box ke upar diye gaye sabhi option ka istemal kar sakte hai.

IMG-20220523-173452
In 7 option ko use karne ke liye apko sabse pahle jo words apne likha (index) ko select karna hoga. Select karne ke liye apko (index) ya phir jo apne likha use tab karke hold karna hoga aisa kane par apko apke likhe words par ek nila (blu) bar show hoga. Blu baar show hone par

B:- pic me mark kiya hua ye pahla option hai. Jise aap likhe text ko bold yani mota kar sakte hai.

I:- pic me mark kiya hua yaha dusra option hai. Iske jariye aap text ko italic yani ki tirchha (तिरछा) kar sakte hai.

tT:- pic me mark kiya hua ye 3rd option hai. Iske jariye aap text ko bada ya chota kar sakte hai.

A:- pic me mark kiya ye 4th option hai iske jariye aap apne likhe text ko thoda aur design kar sakte hai. Yad rakhe in sabhi option ko use karne ke liye apke likhe text ko select hona jaruri hai.

Iske baad ek aor option hai aap chahe to iske istemal kar sakte hai. Jo apke likhe "index" text ko ek bade se column me band kar dega. Iske liye aapko post box ke 3dot par click karna hoga kaun sa 3dot uske liye pick ko dekhe

IMG-20220523-175411

Pic me mark kiya hua option par click karte hi apke samne kuch aor option show hoga. In options me se kaun sa option chuse karna hai uske liye pic ko dekhe

IMG-20220523-175800

Pic me mark kiya hua option ko click karne par apka likha "INDEX" text ek box me band ho jayega. Box me band hone ke baad "INDEX" text kaisa dikhega iske liye pic ko dekhe

IMG-20220523-180132

4:- ab aate hai sabse important bat par ki Update ke liye column aur row kaise banye. Iske liye aab pic ko dekhe.

IMG-20220523-180600

Pic me mark kiye huye option par click karne par apke samne kuch chote chote chakor box open hoga janne ke liye pic dekhe

IMG-20220523-181037

Dikh rahe pic se apko jitne column (box) wala row (line) chaye. Utne nomber wale box par click karna hai. Jaise ki mujhe 5 boxs wala row chaiye to mujhe 5th number ke box par click karna hoga. Janne ke liye pic ko dekhe

IMG-20220523-181558

Pic me mark kiye box par click karne par apko ek pach box wala ek row milega jo is tarh dikheg

IMG-20220523-181759
Pic me dikh rahe box par click karke apko jo likhna hai likh le. Ab ham in box walo row ko kaise badaye iske liye apko dikh rahe box par click karna hai. Click karne ke bad apke samne kuch option show hoga jisme apko teen sidhi lain wale option par click karna hai.

IMG-20220523-182539
Pic par mark kiye option par click karne par apko ek aur option show hoga.

IMG-20220523-182625

Pic me dikh rahe "insert row above" aur "Insert row below" ka use karke box wale row ki sankhaya ko badaya ja sakta hai. Agar aap kisi bhi box wale ro ko delete karna chate hai hai "delete row" ke option ko use kar sakte hai. Dhyaan rakhe kisi ek box ko click karna jaruri hai.

6:- index me Update ka link kaise dale?

Iske nliye apko sabse pahle jiss post ko link index me add karna hai to aako us post ke share wale option par click karna hai. Kaun sa option uske liye pic dekhe

IMG-20220523-185215

Pic me mark kya hua option click karna par apke samne share karne wale kuch option show hoga. Unme se aap gmail wale option ko click kare. Tab apka Gmail app open hoga aur vaha apko link show hoga us link ko select karke copy kar le.

IMG-20220523-190029
Pic me mark kiye link ko select aur copy karne ke bad apko wapas index wale Page par aana hai INDEX post ko edit karna hai phir apko jis bhi number ke update me link dalna hai use select karna hai. Man lijiye mujhe update1 me link dalna hai to box me Update 1 likhna hai phir ise select karna hai select karne ke baad post box ke upar janjir wale icon par clik karna hai.

Note: ye post adhura hai isliye niche ke post ko bhi dekhe index bana aur link add karna apke liye asan (esey) ho jayega
 
Last edited:
Will Change With Time
Moderator
8,511
16,880
143
IMG-20220523-190625
Pic me mark keye icon par click karne ke bad apke samne ek aur option show hoga

IMG-20220523-190943

Show ho rahe option me url wale box me apko copy kiya hua link paste kar dena hai aur last me "insert" wale option ko click karna hai apke update ka link update numbar ke saath add ho jayeha. Dhyaan rakiyega jis bhi number wala update me link add karna hai uska likha hona aur select hona jaruri hai.
 
Last edited:
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
Index banana sabhi ke liye esye nehi hota hai. Isliye mai ek chota sa koshish kar raha hoon jisse ki sabhi ko asani se index banna aa jaye.



Note:- niche kiye gaye post ko read aur pic Ko dekhne ke baad aap sabhi ko index banana asani se aa jayega. Bas apko thodi practice karna padega practice karne ke liye main thread ko use na kare iske liye aap private section me ek thread open karke phir jitna chaye practice kar sakte hai.
Thread already mene banya tha 😁 koi na ju bhi jakash explain kiye ho :good2:
 
Will Change With Time
Moderator
8,511
16,880
143
Thread already mene banya tha 😁 koi na ju bhi jakash explain kiye ho :good2:
Thank you

Vo kiya hai ki ek membar bada pareshan tha to maine use ke liye banaya tha bad me socha iski thread bana deta hoon shayad kisi aor ki help ho jaye. Par thread open karne ke bad dekha to ek allready pahle se pada hoi
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
Thank you

Vo kiya hai ki ek membar bada pareshan tha to maine use ke liye banaya tha bad me socha iski thread bana deta hoon shayad kisi aor ki help ho jaye. Par thread open karne ke bad dekha to ek allready pahle se pada hoi
Koi na 😉
 

Top