Update 151
Priya apni purani yaado mai chali gayi aur jaise bitta
huwa waqt uske samne kisi movie ke tarah chal
raha tha jaise-jaise wo sab yaad ker rahi thi waise-
waise uski aankho se aansuwo ka ek sailab sa nikal
pada tha aur aakhir mai use wo seen bhi yaad aaya
jab rohan ne priya ke samne hi ajay ko beizzat kiya
tha aur priya ki sabar ka band tut gaya aur wo paglo
ke tarah chillane lagi aur saara saaman idhar se
udhar fakne lagi tabhi use wahan kaanch ka ek
tukda dikha jise dekh ke uske chahre pe ek anjaani
si muskan aa gayi.
Ab aage...
Priya ne us kaanch ko utha liya aur wapas wahin
kamre ke kone mai jaake baith gayi aur us kaanch
se apne haath pe kuch likhne lagi. Karib 15 min. mai
usne wo pura ker liya per ab uske haath pe sirf khun
hi khun tha uske dudh se safed haath aaj khun se
itne buri tarah sane huwe the ki koi agar is waqt use
dekh le to uske honsh hi udd jaayen.
Per priya ke chahre pe na to koi dard ki lakhir thi aur
na hi kisi baat ki fikar wo to bas us haath ko hi
dekhe jaa rahi thi aur khush hoti ja rahi thi phirachanak pata nahi use kya huwa wo apne haath ko
aage ker ke kisi ko dikhne lagi aur phir khade ho ke
ladkhadate huwe use dikhane lagi per kamzori ke
maare wo jyada der tak khadi nahi reh payi aur gir
gayi.
Per ab bhi uske chahre ki khushi barkaraar thi jaise
ki usne koi bahut badi jung jeet li ho wo phir ek baar
lagbhag rengte huwe aage ko jane lagi per apne
haath usne ab bhi hawa mai hi utha rakha tha jaise
ki wo kisi ko kuch dikhana chah rahi ho. Per jyada
der tak wo khud ko sambhal nahi payi aur behonsh
ho gayi aur pata nahi kitni der tak wo waise hi padi
rahi.
Kuch der baad priya ke papa usse baat karne ke liye
upper aaye wo jaise hi priya ke kamre ke pass
pahunche unki to cheekh hi nikal gayi priya ke
kamre se khun ki ek patli se dhar gate ke neeche se
bahar ko aati huwi nazer aayi. Unhone jald se jald
kisi tarah darwaze ko toda aur use le ke hospital
chale gaye.
Priya dad- Doctor sahab plz meri beti ko baccha
lijiye plz.
Doctor- Isse jald se jald emergency ward mai le
chaliye.
Priya ke dad use emergency ward mai le gaye jahan
uska treatment suru ho gaya priya ke dad ko ab bhikoi honsh nahi tha ki wo kya kare aaj unhe apni beti
ko khone ka dar tha sahi mayno mai ye wohi dar tha
jo koi maa-baap apne jitte jee to kabhi nahi dekhna
chahta.
Aakhir kar apni puri himmat juta ke unhone priya ki
mom ko call karke sab kuch bata diya (priya ki mom
rohan ke mom-dad ke saath unhe chodne ke liye
airport gayi thi kyunki wo is sehar mai nahi rehte the
aur priya ke dad ka dil apni beti ko aise halat mai
chodd ke jane ka nahi kiya).
Priya ki aise halat sun ke unke pairo ke neeche se
bhi jamin nikal gayi wo bhi lagbhag bhagte huwe
hospital pahunchi aur wahan priya ki halat ko dekh
ke rone lagi.
Priya dad- Dekha ye sab tumhari zid ka natiza hai
mai nahi kehta tha ki priya is rishte ko kabhi siwkar
nahi karegi.
Priya mom- Nahi aisa nahi ho sakta use to ab tak wo
baat pata hi nahi hai ki humne uska rishta rohan se
tay ker diya hai (jhoot priya ke dad ke gusse se
baachne ke liye abhi unhe yahi sahi laga). Uske
baad dono mai koi baat nahi huwi wo doctor ke
bahar aane ka intzaar karne lage.
Idher ajay jab se ghar pahuncha tha use ek ajeeb si
tanhayi khud mai mahush ho rahi thi per kuch der
se use bada ajeeb sa dar us mai paida hone laga thaye dar kisi apne ko khone ka tha per wo samajh nahi
paa raha tha ki kisko. Aakhir kar usne apni himmat
juta ke priya ko call kiya per jab priya ne call pick
nahi kiya to use bada ajeeb laga kyunki priya kitni
bhi naraj hi kyu na ho per wo ajay ka phone na
uthaye ye nahi ho sakta. Ab wo sach mai bahut dar
gaya aur bhagte huwe naina ke pass chala gaya aur
unhe aaj ghati puri gatnaye bata ke ye bhi bata diya
ki ab priya uska phone pick nahi kar rahi.
Mai- Di mujhe bahut dar lag raha hai kya plz aap
priya ki mom ko call kar sakti hai.
Naina- Tu tension na le mai abhi call karti hu. Naina
di ne bhi do-char baar call kiya per koi response
nahi mila.
Naina- Ajay lagta hai wo abhi busy hai hum baad
mai baat kar lenge.
Mai- Nahi di mujhe abhi priya se baat karni hai chalo
hum unke ghar chalte hai.
Ajay ki zid ke aage naina ko haar manni hi padi aur
wo dono wahan se priya ke ghar ke liye nikal pade...
Jab ajay ko sacchayi pata chali to wo use bardasht
nahi ker paya aur behonsh ho gaya naina itni dar
gayi ki usne sab kuch apne mom-dad ko bata diya
jab ajay ko honsh aaya tab wo hospital mai tha.Mai- Mom-dad aap yahan pe kaise aur mai yahan
kaise aur di kahan hai.
Mom- Kyu kiya tune aisa ek bar to us bacchi ki rai
bhi le leta.
Mai- Sorry mom per mai kya kerta mai aap ko nahi
khona chahta tha aur mai nahi chahta tha ki meri
wajah se aap ko kisi ke samne jhukna pade.
Mom- Agar hum kisi ke samne apne haath jodte hai
to uska matlab jhukna ya usse ahsan lena nahi hota
uska matlab hai ki hum dil se uski izzat karte hai ek
bar tu mere se pucch ke to dekhta.
Mai- Sorry mom mai bahut dar gaya tha aur unke
gale lag ke rone laga kuch der tak mai aise hi rota
raha jab mujhe kuch halka feel hone laga tab mai
unse alag hua ki tabhi naina di bhi ander aayi.
Naina- Mujhe pata chal gaya wo log priya ko kis
hospital mai le gaye hai hame ab chalna chahiye.
Dad- Good mai doctor se baat karke discharge ke
paper complete kerwata hu.
Mom- Aap sari formality complete karke aate
raheyega hum log abhi nikal rahe hai.
Hum log wahan se priya ke pass jane ko nikal pade
kuch hi samay mai hum wahan pahunch gaye jaisehi hum priya ke ward ke bahar pahunche to wahan
sirf aunty hi thi.
Mom aunty se milne ke liye aage bad gayi aur mai
bujhe huwe kadmo se peeche-peeche chalne laga
mere liye ek-ek kadam kisi pahad uthane se kam
nahi tha jaise-jaise mai priya ke najdeek ja raha tha
mere dil ki dhadkane tej hoti ja rahi thi aise mai agar
mujhe dil ka daura bhi aa jata to mujhe koi hairani
nahi hoti per mai priya se ab aur dur nahi rehna
chahta tha isiliye khud ko kisi tarah normal karne ki
koshish karne laga. Hame wahan dekhte hi aunty ka
chahra gusse se laal ho gaya.
Aunty- Ab kya lene ho yahan pe tum log yahan kya
ye dekhne aaye ho ki meri beti jinda hai ya mar gayi
mai kehti hu chale jawo yahan se nahi to accha nahi
hoga.
Mom- Aisa nahi hai Rekha (priya ki mom) dekh hame
to iske baare mai pata hi nahi tha dekh mujhe pata
hai ajay se galti huwi hai uske liye mai maffi mangti
hu tere se plz tu use maff karde dekh jab se priya ki
haalat ke baare mai use pata chala hai kya halat ho
gayi hai uski ek baar priya ko dekh lene de use.
Aunty- Kabhi nahi aur aap ke maffi mangne se kya
meri beti thik ho jayegi kabhi nahi tum sabhi yahan
se seedhi tarah se chale jawo nahi to mujhe security
ko bulana padega.Mom abhi unki baat ka jabab deti usse pehle hi mai
unka haath paked ke unko lagbhag khinchte huwe
bahar le aaya.
Mom- Tu mujhe yahan kyu le aaya mai baat ker rahi
thi na.
Mai- Mom priya mere liye chahe kuch bhi ho koi bhi
mayne rekhti ho per aap logon ke maan-sammaan
se bad ke nahi aur wo bhi us galti ke liye jo aapne ki
hi nahi agar aapne ab dobara unse maffi maangi to
mai jeete ji mar jayunga sach mai mom kya aap yahi
chahti hai.
Meri baat sunke mom ki bhi aankhe gilli ho gayi aur
unhone mujhe gale laga liya tabhi wahan dad bhi aa
gaye mom ne unhe sab kuch bata diya apne aur
aunty ke beech ki huwi baate aur meri bhi.
Dad- To ab kya.
Mai- Ghar chalte hai aur kya (ek jhuti muskaan ke
saath per shayad koi fayda nahi kyunki kisi ko koi
fark nahi pada jaise sab jante ho ki ye mai kyu ker
raha hu).
Naina- Mujhe lagta hai ajay ki tabiyat abhi bhi thik
nahi huwi hai kyu dad.
Mai- Mai bilkul thik hu.Naina- Tu thik nahi hai.
Dad- Jab wo keh raha hai ki wo thik hai to tujhe kyu
lag raha hai ki wo thik nahi hai.
Naina- Dad samjha karo wo thik nahi hai.
Dad kuch der tak sochne lage phir ek dam se bole
are ha iski tabiyat to bahut kharab hai mai doctor se
baat karta hu ki isse bhi emerjency ward mai rakha
jaaye. Ab meri samajh mai sab kuch aa gaya tha ki
ye sab kya ho raha hai mai upper wale ko itni pyari
family dene ke liye sukriya karne laga aur dad ke
gale lag gaya phir dad wahan se seedhe director ke
room ki taraf chale gaye aur kuch der baad wo aaye
to unke saath kuch ward boy aur ek doctor the.
Note- Sorry dosto mujhe priya ki mom ka naam thik
se yaad nahi isiliye tuka fit kiya hai umeed hai sahi