Horror KHOONI QILA

Love is life
2,995
1,686
143
Update 9

Harsh – dekho ye lo

Maine pas rakhi om ka locket varsha ko diyaa aur oose ye apne paas hir akhne ko kaha…kisi tarahh main kamre se bahar aaya…varsha ko samjha diya tha jab main aauu toh teen baar darwaja thokunga tab tum darwaja kholna …varsha naa nukur ke baad maan gayii

Main jhat se bahar nikala..Mombattiyo ki roshni bhuj si gayi thi keval ek hi mombatti ki lau phadhpahaa rahi thi…jab maine bramde se hall mein jhaankaa toh paaayyaa ki table pe koi nahiii maine jo oos waqt asif aur sanjana ke plat e pe kacche maans dekhaa aur oos raat varsha ne jo pital ke jaam mein khoon dekhaa oosse saaf thaa kuch toh gadbhadhh hai yaa toh ye log kahin koi tantrik toh nahiii..ya fhir kuch aurr sihamte huye torch jalaayiii aur dheere dheere sidiyo se utara..achanakk nigaahh theek table ke paas parii pura badan jaise barf ki tarah thandaa ho gaya..jis khoon se sane paper namkin ko maine faikhaa tha oose koi chaant raha tha khaa raha tha..ooske khoon ki mehek ko sunghen jar aha tha aur jab ooski nigaahhh meri or pariii tohhh main ekdum chilla uthaaa


Aaaahhh…main ekdum bhaaga aur sidiyo se chadhte huye sidhee apne kamre ke aane se pehle fhir piche ki or mudhke dekhaa….achanakk bathroom ka darwaja khole main andar chala aaya….andar Ghana andheraa…mera pura badan sihar raha tha maine jo khauffnak chehra dekhaa tha wohh kisi insaan ka nahi naa hi kisi janwar ka..ye azib sa chehra tha chamakte neeli aankhenn nukile daant pure badan ekdum safedd bare bare naakhunn achanakk ekdumm se chrr chrr karta huaa bathroom ka ek darwaja khul gaya….jaise hi piche paltaa…achanakkk pura badan kaanp uthaa…pure bathroom mein khoon hi khoon diwaaro pe farsh pe shower ke nal pe main torch liye kaanpein jaa raha tha kuch dair wohi teherne ke baad achanakkk darwaaje ke paas gayaa kahtt se darwaaja kholaaaa koi bhi bahar nahi tha..naa hi kisi ke pairo ki awaz aa rhai thi

Main kaanpte huye fhir bathroom ke oosi khoon ko dekhne laga….achanakk dusre bathroom ke thek paas jaake dekhta hoo tohh ek kitaabbb jispe khoon laga haiiii maine wohh kitaab ke panne kisi tarah kaanpte huuye khole aur fhir jo padhne lagaa oossse mainn ekdum sihar uthaaa pure panno ke page pe lagbhag khoon ke cheente theyyy

“Mera naam aditi sharmaa haiii humara ek group is jagahh pe aaye….Main meri frind shanaayaa mera boyfriend rahul aur ooska bhaii lucky…hum charo jab yahannn aayee tohh humhe yakeen na huaa ki ab bhi angrezo ka qila mauzud haiii…Aur wohh bhi tab jab humne yahan ke caretaker louis ko paayaa…ekdum azibbb saa..oosne humhe aaamantrit kiyaa hum logo jab jeep kharab ho gayii tab bhiii hum logo ki mulaqat do aur shaks se huyii…asif aur sanjanaa..dono ne apna parchay diya ki who mangetar hai aur kolkata se aaye hai aur hum logo ko kacche raaste se yahan laayaa hum log behad khushh they behad khushhh lekin shayad ye khushi hamare aakhri khushiyo mein tabdil hone waalii thiiii

Kuch dino tak sabkuch theek raha..lekin jab oon dono ke bartaav mein tabdiliya aane lagii tohh main sehem uthii ek baar shanayaa ko gehri chot lagiii ooska khoon nikalne laga…lekin oon logo ki nigaaho mein aisi khaa jaane wali nazar thi maano ek hi jhatke mein shanaya pe tut parengee…oos dinn toh kuch nahi huaa lekin ekdin shanayaa bathroom aayi theek oosi jagahhh jahannn aaj bas ooska khoon hi khoon haiii aur ooski laash”……Kadkhati bijli ke baad jaise mujhpe khud ek bijali giri thi in panno ko padhne ke baad jism sihar chukaa tha

Aur wohi baat yaad aaya jab shanaya ki hi tarahh meri varsha ki ungli se katte khoon ko dekhhh dono hinsak ho gaye main aage padhne laga “main wohi oosi laash ke kareeb baithi hoo jise hum log kabse dhundh rahe they…aaj wohh bejaan khoon se lathpath baithi huyii hai mujhe dekh rahi hai…kuch saanson mein shanaya ne bataya tha ki jaise hi wohh nahaa rahi thii koiiiii cheez ki parchaai ek or se dusri or gayiii…aur achanakkk shanayaa hil si gayii

Shanaya fhir nahanae lagii.achanakk oosne jaise hi parda haataya ek azib sa shaitan ooske theek saamne khara oose ghurr raha tha nukile daant safed badannn neeli aaankhee aur osne kuch hi dair mein shanayaap e bedardi se hamla kiya ooske chamde mein apne daant dhaasaakar ooska khoon piyaa bedardi se jagah jagah kaantaa..khoon se lathpath shanaya ko oos darine buri tarike se ooska khoon pia aur oose mara samajhke chodh diyaa..hum dost log bahut dair se shanaya ko khoj nahi paa rahe they achanakk maine dekhaa kii rahul ka bhaiii lucky gaayab haii hum dono oose kaafi dair tak khojjeee…aur ooskee theek baad humhe jo dikhaa oosse hum darr se sehem gaye

Ooske gale ki nass ko phadhta huaa wohh shaitann ek aurat ke sath milake ooska khoon pee raha tha who aurat theek ooske nabz pe daant gadhaaye khoon pee rahi thi aur wohh shaitan ooske gardan ko madhaoke bedardi se maans se nikal rahe khoon ko pee raha tha….oooski nigaah humpe gayi ion logo ko pehchaan emein dairi na huyi aur pata chal baitha ki ye dono koi aurr nahii wohhhi haiiii jo humne kahaniyo mein kisso mein padhaa tha wohh aaj asaliayt mein dekhaa…ek khoon peete pisaachhhh

Hum daudhhee…”bhaagoooo aditi bhaagoo”…rahul mujhe tezi kehke daudh raha tha…achanakkk rahul ka pao fisla aur sidhee wohh patthar pe jaa gira..main ooske paas gayi thi lekin wohh shaitan tabtalk dhaava bol chuke they main turant qile ke andar bhaagti huyi aayii aur ooske baad mere kaano mein qile mein gunztii rahul ki bas cheekhen hi sunaai dene lagiii aur ooske baad awaz tham gayii main roti khud ko bejaan mehsus kar rahi thi ye kisi buri khawab se kam na tha main turant daudhte huye bathroom mein aayi aur shanaya ki laash paayiii wohh shaitan eke k karke mere karee baa rahe haiiiii mujhhhee jeenaa haii plzzzz wohh log gab darwaja peet rahe haii ab wohh kabhi bhi andar aa jaayengge kabhiiiiii kabhiii bhiiii aaahh”….Itne mein hi panna khatammm darrrr se main ekdum sihar utha


Yaani varsha ka shaq shai tha wohh log koi insaan nahii they oos raat mashaal liye oonhone theek wohi kaha tha ki wohh log is qile ko dekhne aaye hai…fhir aise hi humhe is tarah qila laake wohh logg pehle bhi aise hi maasum logo ko yahan bulaaye oonhein berehemi se maar dete hai apni haivaniyat ke liye apni bhook le liye ek pal mein pura dimaag jaise jhanjhana gaya saamne shanaya ki koi laash nahi thi par khoon hi khoon sukh ke dhabba ban gaya tha achanakk tasveer pe nigaah padi jo sidhe kitaab se fisalke gir gaya…oon tasveero mein ek ladki thii aur ek group do ladke aur ek aur ladkii yakeenna aditi inmein se koi ek hai aur ye log wohi hai jo yahan aaye they…maine kaanpte huye diary ko wohi rakh dala aur kaanpte huye darwaaje ke paasaaya

Main dheere dheere darwaaje ke kareeb aaya aur darwaza ek jhatke mein khol daala..dil dhak dhak kar raah tha..par darwaaje ke khulte hi koi nahi saamne dikha Maine torch liyaa aur dheere dheere bathroom se bahar aaya Ghana andhera chaaya huaa tha..beech beech mein biji khadhak uthtiii…Maine jhat se darwaja kholaa aur apne kamre mein aaya lekinnn ye kyaa?? Varshaa varsha toh apne bistar pe nahiii..maine charo or ek bar dekhaa..”varssha varsshha”…Awaz dene pe bhi varsha ki ko iawaaz nahi aayi

Mera andar ki dhadhkan tez ho uthii turant ek haath mein torch leke sidhe kamre se chutt para…sidiyo ki or…ek pal ko sehemta hua charo or dekhne laga…mann mein azib azib khyalat aane lage…ek baar dil kiyaa ki asif aur sanajana ke kamre pe jauu aur theek wohi sidiyo pe jhankte huye fhir sidhe main apne bagal wale kamre ki or gayaa…chrr chrr karta hua darwaja hawaa se khula padhaa tha…maine bare itminaan se andar pao rakhaa..dil ki dhadhkan tez upar se oo khaufnak chehre ko dekhke lag raha tha kahin wohh saamne khara hua toh fhir bhi kisi tarah kaanpte huye jab saamne ki or dekha tohh kamre mein andhera hi andhera

Khatt se jab pao lagaa toh paaya ki charo or tute huye cheezeinnn lag hi nahi raha tha ki yahan koi rehta bhi hai…ekdumm pura sharer kaanp gaya..maine charo or ek baar nazar daudhaaya aur jo dekhaa oosse waqt zyada na laga samajhne mein charo or diwaar ke ird khoon aur do pitall ke glasses paas mein…Achanak torch maarke saamne ki tasveer pe jab nazar gayi toh ek pal mein munh se aah nikal gayiii dil dehshat se bhar gaya purane se oos tasveer mein british gown mein ek ladki theek Wilson charles ke sath baithi thi puran tasveer kam se kam bahut purani rahi hogiii tasveer ekdum peeli padh chuki thi jagah jagah kharab ho chuke theyyy saaf dekh paaya sanjanaa wohi sanjana jo khud ko asif ki mangetar bata rahi thi…haath kab torch se chutt padhta samajh naa aaya…turant chutt para bahar ki or aur sidhe daudhte huye sidiyo takk

Saamne louis plates pe lage khoon ko chaant raha tha wohii khoon jo varsha ki ungli se theek katke plates pe giri thi..”kk..kaunn ho tummm?”…main cheekh utha…wohh shaks meri or hinsak nazaro se dekh raha tha ye louis nahi thaa bilkul safed nigaahein nukile daant barf jaisa safed jismm lambe lambe naakhunn…yahi hai wohh pisaachh wohh dheere dheere meri or aane lagaa..main piche hone laga daudhna bewakuffi thi oosmein munh se jaise koi kutta ghurrke awaz nikalta hai theek waise wohh upar aane laga dheere dheere meri ooski nigaahennn..”lll..louiiiss k..yaa ho gayyaa tummeinn dd..ekhoo mere kareeb mat aaoo”…Main torch haatho mein liye bas kaanpein jaa raha tha achanakk khat se pas rakhi vase sidhe niche girke tut gayi aur oosi ke sath diwaar pe tangi oos chandi ki bani khanjar ko nikaal liyaa…ssss aaah…karte huye louis do kadam piche ho gaya

Harsh – vvarrshaa kahannn haii kahan haii varshaa? Kyaa kiya tumm logo ne milake ooske satht bollo?
Louis – hahahah hahahaha sss Khoon ki talabb kahannn rukk saktii haiii ek ek karke sabko bhog chadhna hota haiii varshaa bhi theekk wohii haiiii ye amartaa ye taqaattt sabb pisach aur shaitani taqato ki dain hai
Harsh – dd..dekhoo m..ujhe dar..ake K.oi faayeda nahii aakhir raaz kya hai? main sab jan gaya hoot u mlogo ne isse pehle bhi kayi maasumo ki jaan li haii agar tumne mujhe nahi bataya ki varsha kahann hai tohh mainnn ye khanjar sidhe tumhare chaati mein ghopp dungaa

Louis – ssssss n..aahiiiiiiiiiii
 
Love is life
2,995
1,686
143
Update 10



Kuch pal mein hi louis aise dahadha maano jaise pura qila kaanp gaya ho…”jjjanna chatte ho is purane qile ka aakhir razz kyaa hai? “….Louis ki aankhen gulabi bari bari aankhe meri or ek tak dkeh rahi thi main chupchaap kaanpta huaa khanjar dikhaaye saamne khara tha
“mm..mujhe kuch nahi jannna bass mujhe itna bataao ki aakhir meri varsha kahan haii? Aur wohh donoo”….Maine dil ko mazbut kiye ek baar oose khanjar dikhaate huye dhamkaaya

Louis – aaiyee mere sathh sss dheere dheere

Itna kehte huye louis ulte pao niche jaane laga aur main theek ooske piche…kabhi bhi khanjar niche karne se who kahin hamla na kar de..hum dheere dheere sidiyo se niche utare aur theek niche ke kamre mein…ooske theek baad hi andhera chaane laga…maine torch jaalake ek baar louis ki or aur ek baar charo or roshni dikhaayiii dheere dheere louis sidiyo se niche utarne lagaa..pathrili sidiya main bhi utara…jaise jaise main niche jaa raha tha mera darr aur badh raha tha..pura badan thand se kaanpne laga sidiya khatam hi nahi ho rahi thi maano jaise kitne sateh niche paatal ke main aa gaya tha

Kuch dair mein kacchi mitti mehsus huyi aur ooske theek baad hi louiss ne mujhe hall ki or iskhara kiya ek bara sa hall khandar jaisa charo or jaise rajwade wali gufaa jaisi…mombatiyaa jal rahi thiii charo or makdi ka jaaliii aur theek oosi pal farsh pe safed chadar se dhakii laashhhh…haan laashh jaise hi ek kapra louis ne uthayaa mere kaleja munh se bahar aane ko ho gaya..theek aisa laga jaise ab jaan chali jaayegii ekdumm kankaal kuch dair mein hi oosne sabhi chadar ko hatate huye dikhaaya kisi laash ka chamda kisi ka adha bachaa maans laash sadh chuki thii kuch tazi lasho ne phate kapre pehenhuye they aur theek oosi pal meri nazar jis laash pe gayi pehchaan mei dairi na lagi yahi thi aditi..peeli padhke sukh ke kaanta ban chuki thi badan ken ass dikh rahe they aankhe munde laash bani huyi thi

Main kaanpta hua louis ki or dekhaa…”hahaha ye sab is qile ke aake raazdaar ban chuke hai”…Louis ne apne lambe naakhuno waale haatho ko hawaa mein uthaaya
Harsh – kkk..kyu rahe ho tumm log aisaa? Mmmerii varssha kahann hai?
Louiss – hahahhaa 1857 ki baat haiii jab Wilson charles ne hindusan ke is kone mein ye qila staphit kiyaa tha..wislon charles ki iklauti beti thi…wilson ne ek Hindustani aurat se shaadi kit hi..lekin Wilson charles nihaayti kanoon ke paaband aur ek magroor kisam ke insaan they oonki biwi ke marne ke baad hi wohh jaise ek gehre sadme mein dub gayeeee
Aur theek oosi hi pal jawaan betii ne kitne sambanddh huyee oonhi ke sipahi se

Baat dosti mein badli aur fhirr pyaar meinnn….aur dheere dheeree pyaar gehra hota chalaa gayaaaa lekinn ek raat…raja jab qile mein dobara laute tohh oonhone apni betii ko apne hi sipahi ke baahon mein dekhaa…khoon jaise ubal utha oosi pal raja ke aadesh pe ghassitte huye oos sipahii ko kaid kar diya gaya…oose har din har pal til til taqleef di gayii…jab tak wohh khud hi maut qabool na kar le rotii rahii gidhgidhati rahi apne pita ke pao pe haath rakhkkkee lekinn nirdaayi baap ko kahan rehem tha apne beti ke upar

Harsh – chuuupp rahoo mujhhe nhii sunnnaa mere kaareeb aayee tohh accha nahi hogaa…Mujhe bata daalo ki aakhir varsha kahann hai ?

Achanakk maine jaise piche mudhna chaha oosne mere upar chalaang lagaa di maine diwaar pakadh li who sidhe farsh pe ja gira aur ooske theek baad hi maine puri taqat se ooske seene mein wohh khanjar ghopp dalaa aur jiske lagte hi tadap uthaa..wohh dahadhte huye diwaar se jaa takraaya…aur oosi ke sath mainn sidhe sidiyo se upar chadhne lagaa…ek pal bhi waqt barbaad kiye jab upar ki or aayaa…

“vvarshaa varshhhaaaa”…,main chillata huaa charo or dekhne laga….achanakk samane ki or dekhaa..dhaddh dhadhh karti huyii awaazein aa rahi thi…maine jaise hi sidiyo se upar abhi chadha hogaa awaaz theek baayi or ke kamre se aa rahi thi maine oos darwajae ko kholna chahaa…lekin darwaza jaise band tha..achanakkkk maine puri taqat se darwaja todh daala
Achanakkkk dekhke rooh kaanp uthii char oor mombattiya jal rahi thii aurr theek beech mein varshaa ki aankhen band ooske theekk saamnee khari thi sanjanaa

Theek waisaa hi chhera safed aankhhh lambe daantt..pura chhra barf ki tarah safed aur ek kaale libaas mein wohh kuch badhabadhte huye hawaa mein haath uthaayi huyi thiiii main jhat se varsha ko jagane lagaa..ekdum se sanjana ne meri or dekhaa…main ekpal ke liye kaanp uthaa

Sanjana – yahann aakke tummnee bahutt barii galtiii kar dii haii aajjj ek baar fhiirr hamari pyaas Bujheggii
Harsh – kk…kaunn ho tumm?
Sanjana – jeete jaagte shaitannnn aur ab yahan se kahin tum dono nahi jaogee kahinn bhi nahiiii

Sanjana mere kareeb badhne lagiii main varsha ko jagaa chukka tha wohh bas darri sehemi mere se lipati huyi thii “aaj se barso pehlee mujhe mere pyaar se judaa kiya gaya tha…theek isi tarahh wilsonn mere pitaji ne mujhee asif se alag kiyaa….wohii shaks jise main bepanaah chahti thi hum dono ek ho sakte they”…itna kehte huye sanjana meri or dekh rahi thi Aur fhir sunati chali gayi wohh daastan

Asif sanjana ke sath laita huaa tha dono apne aanewaala kal ko leke chintit theyyy…sanjana ne ek baar asif ki or dekhaa aur fhir ooske seene pe sar rakh diyaa
Sanjana – hum kab ek honge? Meri maano tohh hum ye mahal chodhke tumhare sath jaa sakte hai





 
Love is life
2,995
1,686
143
Update 11

Asif – nahii sanjana Wilson humhe kabhi ek nahi hone denge e

Dhadhhh …darwaja khul gayaa…wilsonn apni beti ko apne sipaahi asif ke baahon mein dekhke gusse se cheekh uthaa…”nahaiiiii itni bari gustakhiii”……..Wilson daahadh utha

Sanjana ek jhatke mein asif se alag hoke sehemte huye bistar uthi asif bhi ek jagah thithakke kahraa rhaa….wilsone ne aage badhke kasske apni beti ke chehre pe thappad mara..sanjana bistar se lagke niche gir uthi..asif sanjana ke paas gaya..”dur raho meri beti se naapak insaannn”…asif ka khoon khaul utha aur oosne ek baar Wilson ki or dekha

Wilson – tumne meri beti ke jism ko chuaa oose apne pyaar mein dhaala aur iski sirf ek hi saza hai mautttt sipaahiyo le jao isee
Sanjana – nnnnahiii nahiiii pitaajii aisa mat kijiyeee
Willson – durr hato agar ek baar bhi tumne is naapak janwar ko chuaa tohh tumhare haath kaant diye jaayenge chale jao ise dafa ho jao

Sipahiyo ne ghassitte asif ko sidiyo par se le jaate huye kaidkhaane mein daal diyaa….sanjana ne asif se milane ki kaafi koshishein ki par wohh naakam rahii aur jald hi kaafi torture karne ke baad maut ka hukam sunaa diya gayaa….lekin marte marte asif ne wada kiya tha

Asif – mujhhhe maaf kar dena snajanaa main tumhare waddeinn ko pura na kar pauuuu lekinn yaad rakhnnnaa main waapis aunga aur tumse Wilson tumhari beti ko cheen lungaa aur tumhein bhi khatam kar dungaaa yee wadaa haii meraa meraa waada haii tummsseeee

Wohh awaaz pure qile mein gunz uthi…aur isi ke sath hi sanjan ki aankho ke beech se khoon aansuyo ki tarah girne lage….sanjana ne seheme harsh aur varsha ki or dekha….”mere savr ka band utt chukatha….maine bhi theek asif ke marne ki khabar ke baad…kai baar marne ki koshish ki par Wilson ne mujhe kaid kar diya oon chand diwaariyo mein….lekin main janti thiii asif zarur aayegaa

Wilson apne rajpat pe dhyaan dene lage mere liye videsho se rishte aane lage…maien oon har rishto ko thukra diyaa..lekin Wilson meri zabardasti shaadi karane pe tule they…aur ek raat tufaan aaya….asiff dobara laut aaya lekin insaan mein nahi balki ek khoonkar pisaach bankee oosne rajgharaane mein ek ek karke sabko maar daala aur band kamre ke darwaaje ko todhte hiii itna khauffnakk chehra liye oosne mere paas aake mere chehre ki or dekhaa aur theek oosi waqt oosne meri gardan pe apna haath phaira aur apne nukile daant dheere dheere mere gardan pe dhass diye..aaaaaaaaaaaaaaaaaaahh

Oos awaaz ke gunzte hi Wilson apni talwaar liye jaise kamre mein dakahil huaa khoon gale se behte huuye zameen pe tapak raha tha….aur haath hawa mein jhul rahe they oos bejaan laash ko kasske oos jaanwar ne pakada huaa tha aur jaise hi oosne piche mudhke Wilson ki or dekha Wilson khauff se bhar aaya….wohh insaan na na janwarr ek jeeta jagta pisaacchhh khoon peene wala ek napak shaitaannn

Aur iske sath hi wilsonnn daudh utha….piche se asif ne oospe hamla kiya hamla karke sidhe oose vase pet oh kabhi diwaro pe de patka..meri nigaaheinnn mere baap ki or thi jo apni maut ko dekh raha tha….wohh chilla rahe they cheekh rahe theyyy aur dheere dheere dhundhulat mein sirf itna dekh saki ki asif ne wilson ki gardan madhodhkar ooske maans mein apni daant daal diye..aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh….ek behad khauffnakk cheekh Wilson ki nikalne ke sath oos raat ke baad ye qila hamesha hamesha ke liye veeran ho gayaa”…..sanjana ka bhayanak roop dekhke main sihar utha

Achanakk chr chrr karta hua darwaza khul gaya main varsha ko leke theek bahar jaana chahta tha itne mein thak thakk thakkk..kisi kadmo ki awaz sunaai di…kisi ki parchaai aate huye dikh rahi thi…hum log piche ho gaye…sanjana theek hamare saamne kharii thii…achanakkk saamnnee se asif ko dekh sake lekinn ye asif nahii thaa balki ye wohii shaitan tha jiska zikar maine varsha se sunaa tha…jiske baarein mein sanjana ne byaan kiyaa…nukile daantt haste huye chehre ki dono aankhen surkh neeli ekdum safedd wohh dheere dheere kamre mein aane lagaaa

Asif – hahahahah hahahahahahaha hahahhahahaa kabbb takkk kabb takk bhaagooggee welcccomme too our familyyy jahahnnn zindagii khatam hotii aur ek nayii zindagi shuruur..aajj tum logg bhi theek oosi tarahhh marogee jis tarah ajtak aanewale har logo ka wohi haal huaaa

Asif ne sanjana ke haath ko pakra aur dono ek dusre ki or dekhte huyee hamari or dkehne lage….”humhhe jaane do humne aa..p lo..go ka ky..a bigaaddha hai?”….Maine kasske varsha ka haath pakre huye tha

Asif – bigaadha toh kuch nahi haii lekinnn aajjj hum sab ikhhate huyee haii ki aajj tumhein apne family ka hissa banayeee wohhh aa rahe haiii wohhh sabb aa rahe hai

Dono ka chehraa ekdumm khauffnak hote jaa raha tha mombatti ki lau phadhpadhne lagii…ghann ghann oonke awazo mein waisi bharipan tha…aur dheere dheere kisi ki kadmo ki awaaz sunaai dene lagi ek nahii do nahii balki naa jaane kitne…khat khat khatt karte huye wohh log sidiyo upar aa rahe they ho ho karti hawao ka shor badh gaya….aur kuch hi dair mein jo dekhaa oossse puri rooh sihar utthiiii

Koi insaan nahii balki wohh sabhi log jo yahan aake apni jaan gawaaye Wilson kuch siphaii har ksii ki aankhe safed nukile daantt…aur oosi purane poshako mein ek taraf khoon se lage sheher ko wohh log jo yaahan aake in logo ki baaliya chadheyyy…mainn ekdumm sihhhar uthaa mere munhhh mein jawaab anhiii ek pal ko laga kisi bure khawab se bhi buraa mainn piche huye jaa raha tha aur dheere dheere wohh sab langdhaate huye kamre ke andar aake bhar gaye…asif meri or ghurrte huye kareeb aane lagaa

Aur achanakk tabhi kisi nukile haatho ko apne gardan pe mehsus kiyaa…aur jaise hi piche mudhaa mainn byaann nahi kar sakktaa…waisa hi safed chehra waise hi safed aankheeee..aur theekkk waise hi nukile daant…ye varsha nahi thii balkiii ek shaitani pisaachhh….zyada dair na lagi samajhne mein ki varsha ab khud ek pisaachh thiii ooske gale pe wohii nukile daanto ke nishaann dekhke mainn ekdum khaufff se chilla utha

“V..Varsshhhaa varshaa yy.e kya kar rahi hoo varshaa mere k..areeb matt aao kyaa ho gaya tummheinnn varshaa varshaaaa”…maine varsha ke chehre ko chute huye kaha par wohh mere gale ko daboch chukithiii..main apna gala chuddhate huye ksii tarah sabko dhakka deke bahar ki or bhaagne laga lekin oon logo ne mujhe kasske pakadhhh liyaa


Huhhhh haaaahhhhh aaahhh hchoddh doo mujhee aah..wohh log mere jismo pe naakhun daant gadhaane lage..main oon laasho ko dhakelte huye aage ki or badhaa….achanakk nigaahh giri huyi om ke locket pe pariii oose uthtate hi lagbhag louis mere kareb aaya maien louis ko wohh om ka locket dikhaaya tohh woh ekdum kone pe khara hokee darr se mujhe dekhne lagaa.maine ek baar piche ki or dekha varshaa mere piche aa rahi thi aur ooske theek piche pisacho ki puri senaa…main dheere dheere sidiyo se daudhte huye larkharake sidiyo se girta huaa sidhe niche

Asif behad chuppchaapp meri or dekh raha tha…muskuraye apnii sanjana ka haath pakre dono ek dusre ke behad kareebb hokee ekdusre ke chehre ko dekhte huye hontho ko chummnee lagee….aur theekkk 1 pal mein ek dusre se judhaa hoke mujhe badhawas bhauklaaye darr mein bhaagte dekh rahe they mainn jaise jaise darwaaje ke kareeb aana chahaa…achanakk sanjana ekdum se hawa mein udhti huyi mujhpe chalaang lagaayiii

Aaaaaaaaaaaaaaa…ooski ek teekhi si kaan ke parde phadh dene wali bhayanak cheekh ke sathhh mainn sidhe darwaaje se jaa takraya aur sidhe munh ke bal farsh pe gir gayaa…wohh mere kareeb aane lagiii aur wohh shaitann bhiiii
 
Love is life
2,995
1,686
143
Update 12

Achanakkk mujhe itna toh oos waqt hoshh tha kiii ab mainn zyadatair tak aur nahi jee paungaa…varsha ko maine kho daala tha..wohh bhi ek hinsak pisaach ban chukii thi…mainne khud ke haatho ko mazbut kiyaa aur wohh locket sidhee paas aate louis ke maathey pe laga diyaa ek jhatke meinn louis ke maathey se dhuaa nikalne laga aur wohh cheekhte chillate huyee theekkk machli ki tarah tadapne lagaa….ooski khaufnaak chekhen pure qile mein gunzne lagiii sanjana piche hoke ksii sanap ki tarah beech beech mein mujhpe hamle ka mauka dhundh rahi thii wohh zinda laashein bhi kareeb aane lagiii maine varsha ki or dekhaa jo ek dum se badal si gayi thi wohh ro rahi thiii

Maine chain ko louis ke gale pe lapait diya aur oosi ke sathh wohh cheekhta dhaahadhata huaa dhuye mein tabdil hoke rakh ban gaya…main bhauklaake piche hone laga…varsha rone lagii..”muu.jhee bachaa looo mujhhhee bachaaa lo harsshhhh mainn jeena chahti hoo in logo se mujhe darr lag raha haiiii plss mujhhhe bachaa looo plsss mujhe yahann se chaloo”…..Maine ek baar varsha ke kareeb jaana chaha lekin dusri baari piche ho gaya

Ye varsha nahi thi ye ooska maayajal tha apne kareeb bulaane ka…har koi mere kareeb aaye jaa raha tha..behad kareeb mujhe janne mein waqt nahi lagaa tha ki varsha ko in logo ne maar daala hai aur jo saamne khari hai wohh ek zinda murda hai main rote huye apne aansu pochkke darwaaje ki or bhaaga aur isi pal maine piche dekha ki wohh log bhi mere piche daudhte huye aa rahe theyyyy….dheere dheere surajj nikalne waala tha…main darwaaje ke kareeb bhaagaa…chrrr chrr karta huaa darwaja band hone lagaa.main ek jhatke meinn darwaaje se lagke kisi tarah khud ko bahar kar liyaa lekin tabtalak ksii ne mere taango pe apne haath ki pakdh baithaa li

Wohh azib si awaaz nikaalte huye mujhe andar gasittne lagee…darwazaan fhirse khulne lagaa..maine bay pocket mein lighter thaa theek oosi lighter ko nikaalke ek jhatke mein oos mazbut haath pe jaise hi aag rakhaa..wohh haath ekdum se andar chali gayi aur iske sath mujhe zinda murdo ke cheekhne k iawaaz sunaii di…main rota hua om ka locket aur ek haath mein lighter liyee daudhhaa….jitna ho saka utna daudhaa..daudhtee daudhte kab kacche rasste ke paas jaate huye kahan se kahan jaane laga pata na chala achanakk patthar se sar ja takraay aur ek hi pal behosh hoke main wohii gir para

Hosh mein jab aaya toh aas paas logo ki awaazein sunaai di…maano jaise kuch ho gaya ho jab hosh mein aaya toh khud ek bistar pe paaya ekpal mainnn sheemte huye charo or dekhne laga wohh pisaach yaad aane lage .”mmmmeerii varsshha merii varshaa wohhh meri vvarshaa ko lee gaye meriii varshhhaa”….main chillane laga oon logo ne mujhe pakadte huye mere chehre ko thapthapayaa

Shaks – shaant raho beta tum bach gaye ho haannn khushkismat ho ki tum bach gaye tum gaon mein ho beta tumhein kucch nahi hoga
Harsh – meriiii varshaa marr gayii

Itna kehte huye main rone lagaa….oonnmein se ek vaidya ne mujhe aaram se waapis bistar pe sulaaya aur fhir kuch ghanto ke liye main waapis so gaya….jab neend khuli toh jism pe halka dard ka ahesaas tha

Gaon waalo se jo sunaa oos pal meri saansein ruk si gayii…asal mein maine galat raasta ikhtiyaar kiyaa tha..jis raaste se hum jaa rahe they wohh asal mein qile ki or leke jaata tha ghani jungle ke beech aur jis raaste se wohh asif aur sanajna aaye they asal mein wohh raasta theek qile ke paaswaale purane qabarsatan ka tha…jahan Wilson aur ooski laasho ko dafnaayi gayi thi wohh fhir kyat ha jo kal raat maine oon murdo ko saamne dekhaa…asal mein wohh log khud ab ek pisaach banke yunnn hi junglo mein bhatakte aaye theyyy aur asiff ne hi oonke rajpaat ko khatam kar daala kisi tantrikk ne barso pehle asif ki laash ko waapis zinda kiyaa tha..oosne oose apni shaitani shaktiyo ke liye chuna aur wohh jab zinda huaa tohh ek khoon peeta pisaach ban gaya jo aaj bhi oon junglo mein ek ladki ke sath bhatakta haiii wohh logg jhaansein logo ko qile mein le jaatee

Oonke laakh puchne par bhi maine nahi bataya ki maine wahan kya khaaya tha? Lekin jis baat ka gam tha wohh ye ki main akela hi oos daldal se bahar aaya tha piche reh chuki thii wohh maasum zindagiya jo maut ke daldal mein saans ghot chuki thii apna dum todh chuki thi…ek pal ko main varsha ke kami mehsus karne laga aur theek oosi pall gaon waalo ke theek thaak karne ke baad main akele hi gaon waalo ke madad se wahan se chaala aayaa….

Pure raaste main gam mein dooba tha kitne khush they hum jab sath aaye aur ab itna akelaa meri zindagi itni veeran ho jaayegi socha nahi tha mujhe yakeen nahi ho raha tha ki sheher jaake police ko ya kise byaan karta kise kehta ki mere sath kya hua? Koi mujhe paagal kehta koi mujhe kuch aur par main ye raaz jaanta tha aur mujhe yakeen thaa aajj bhi oos veeran qile meinn wohhh donoo hongee kisi aur ke intezaar meinn kisi aurr ke taalash mein jo hamari hi tarah bhattakar wahan aayega maine jaan liya tha jo log bhi wahan gaye waapis kyu na aa sake ooska ek maatra wajahhh oonki gumshudgi ka ki wohhh oos qile mein jaake dobara naa laut sake

Aaj bhi oos qile mein hi rehte haii wohh donoo aur aaj bhi intezaar meiin hai ki kab koi zindagi is maut ke darwaaje pe dastak de…

Oos qile ke theek andar suraj ke dhalte hiii…mombattiyo ki lau ke theek beech sanjana muskurayii huyiii baithii aur asif theekk saamne laitaa huaa haiiii sanjana ka chehra surkh safed aur aankhe safed ho uthiii nukile daantt dikhte hi sanjanaa ne asif ki or dekhaaa….aur asif ekdum se apni safed aankhe kholke apne nukile daant bahar nikaale ek dusre ki or dekhne lagee…aur fhir darwaaje ki oos dastak ko sunke muskurane lagee…

The end….
 

Top