Thriller KING ~ Road Full Of BlooD

Bhagwan se bhi bada!!!!
382
475
63
Update:-4

{Destination}

Ranjeet:- yaar Jaggu boarding school to accha dikh raha hai.Maza aane wala hai yaha.

jaggu:- dekh te hai bhai abhi se decide karna bekar hai.Tu ye sab chod bhukh lagi hai Kya tujhe kyunki mujhe to bahut lagi hai aur Chachi parathe bhi leke aai hai aur sath mein dahi bhi hai chal aaja pet Puja karte hai.

ye kehke jaggu Ranjeet ko leke apni Chachi ke pas aa jata hai aur bolta hai

Jaggu:- Chachi bohat joro ki bukh lagi hai kuch parathe dedo khane ke liye.

Jaggu ki baat sun Sangeeta Jaggu se kehti hai

Sangeeta:-ha chalo waha garden meim beth ke kuch kha lete hai.

Sangeeta ki baat sun sab yaha se garden mein chale jate hai air nashta karne lagte hai sivay Ranjeet ke phupha ji ko chhod ke Kyon ki vo kuch kaam hai bol ke side mein phone pe baat kar ne lag jate hai.

Kuch der vahi bethke sab bate karke nashta karte hai Phir vaha se uth ke apni gadi ki taraf chale dete hai aur apne ghar ke liye ravana ho jate hai.

Gadi me Ranjeet ke phuphaji Ranjeet se puchte hai

Aakash (Inka abhi koi role nahi hai isliye time energy aur space waste karna bekar hai unke pichhe)

Aakash:- Ranjeet boarding school kaisa laga tumhen.

Ranjeet:- Jaisa bhi ho mujhe faraq nahi padta phupha ji kyon ki mere sath Jaggu bhi hai isliye mujhe koi tension nahi hai.

Ranjeet ki bat sun uska phupha chup ho gaya aur wahi jaggu ke chacha chachi aur khushboo ke chehre pe muskaan aa gai.

Jaggu ne is baat ka koi reaction nai Diya vo sishe ke bahar dekh raha tha.

Jaggu ko Ranjeet ke phupha pe gussa bohut aa raha tha isliye vo kuch ulta sidha bol ke mahol kharab nahi karna chahta tha.

Sangeeta Ranjeet aur jaggu ko kehti hai

Sangeeta:- Tum logo ko parso yaha aana hai saman leke.

Sangeeta ki bat sun Jaggu jawab deta hai

Jaggu:-ji Chachi

Ranjeet:- mera saman to mene kab ka nikal ke rakh diya hai sirf usko pack karna baki hai.

Aakash Sanjay se kahta hai

Aakash:-Aap ek kam karna jab aap jao to Ranjeet ko le Jana Kyon ki mein aur meri wife thode busy rahenge us din.

Aakash ki bat sun Sanjay kehta hai

Sanjay:-Aap ek kam kijiye Ranjeet ko aaj se hi hamare ghar rehne ke liye bhej dijiye agar aapko Koi dikkat na ho to.

Sanjay ki bat sun Aakash khush ho jata hai aur kehta hai

Aakash:-ha le jaiye Ranjeet ko apne sath Wese vo ghar mein bore ho jata hai kam se kam Jaggu ke sath rahega to Ranjeet ka bhi man lag jayega.

Aise hi baat karte karte Ranjeet ka ghar aa jata hai aur Aakash Ranjeet utar jate hai.Ranjeet bhaag kar apne room mein jaake packing karne lagta hai. vahi niche hall mein jaggu aur uski family Aakash aur aasha se baat kar rahe the.Itne mein Ranjeet apna saman pack kar leta hai aur niche aake jaggu se kehta hai ki

Ranjeet:-Jaggu help karde bhai meri saman niche utar ne mein.

Ranjeet ki baat sun jaggu jaise hi khada hota hai tabhi Aakash kehta hai beta tum rehne do me iska saman tumari gadi mein rakh deta hu.

Itna kehke Aakash Ranjeet ka bag uthake jaggu aur uske gharwalo ke sath gaadi ke paas chale jate hai Phir saman load karke Ranjeet jaggu aur uski FAMILY ke sath unke ghar chala jata hai.

Ghar laut te hi Sanjay Ranjeet ka saman jaggu ke kamre me rakh deta hai.

Sanjay bahar se khana order kar deta.khana aate hi sab milke khana khate hai.uske bad Ranjeet Khushboo aur Varun jaggu ke kamre me laut jate hai.Sanjay or Sangeeta bhi apne kamre mein chale jaate hai.

Agli subha Sanjay apne showroom chala jata hai Sangeeta apne ghar ke kamo me busy ho jati hai.

Jaggu Ranjeet Khushboo aur Varu sab ek ek karke uth ke niche aate hai hall mein aur sab ke aate hi Sangeeta unke liye nasta lati hai nasta karne ke bad Sangeeta unko jaldi taiyar hone ko kehti hai Kyun ki Sangeeta unko shopping pe le jane wali thi.

khushboo shoping ka nam sune jat se apne kamre me chali jaati hai. khushboo ko yu jate dekh sab hasne lagte hai phir sab ready hone apne kamre chale jaate hai.

Ready hone ke bad sab niche aate hai aur shopping karne nikal jate hai,Sangeeta ki gaadi mein.

Shopping karne mein unko pata hi nahi chalta ke dupher kab hui aur Vo sab wahi ek restaurant mein khana parcel karva ke ghar ko lot jate hain.

sangeeta ghar lot te hi khana dining table pe nikal ke sab ko bula ke khila deti hai.

khana khane ke bad jab sab apne room nikal rahe hote hai tab Sangeeta jaggu ko piche se awaz deke rok leti hai aur unki bat sun jaggu wahi betha rehta hai.

Sangeeta:- jab hum ghar mein hote hai ya phir akele hote hai tab tum kaki sa aur kaka sa kehte ho.Bahar jate hi Chachi aur chacha ho jata heai Aisa kyu jaggu.

jaggu:-kaki sa jab ghar mein hote hai tab awkward nahi lagta par jab bahar hote hai to dusro ke samne bol ne mein awkward feel hota hai isliye.

Jaggu ki bat sun Sangeeta muskura ke jaggu ke sir pe hath fer ke Jaggu se kehti hai

Sangeeta:- jaggu chahe kuch bhi ho jaye ya phir Tu kitna bhi padh likh kar bade odhe pe chale jao par kabhi bhi apni parampara aur Sanskar mat bhulana.

jaggu:- Ji kaki sa ab se main aapko aage se kaki sa hi kahunga,chahe koi bhi jagah aur kitne bhi log kyu na ho.

ye kehke jaggu apne Kamre mein laut jata hai jaha sab uska intezaar kar rahe the.Kamre mein aate hi khushboo usko puchti hai

khushboo:- Kyu roka tha tuje mamma ne.

Varun apni ji ji ki bat sun fat se bol ta hai

Varun:-ha jiji jab ki bhai sa to masti bhi nahi karte.

Ranjeet bhi ye sab dekh raha tha ek side beth ke

Jaggu:-Are ji ji kaki sa ko boarding school se leke kuch baat karni thi isliye unhone mujhe roka tha.

ye sun sab shant ho jate hai aur batein karne lag jate he shopping ki.

Aise hi waqt gujar ta rehta hai aur boarding school jane ki agli raat ko dining table pe Sanjay Ranjeet aur jaggu ko puch ta hai

Sanjay:- aap dono ki taiyari ho gai hena Kyunki kal hume subah jaldi nikal na hai boarding school aur Waha Jaake aap ke uniforms aur books wagera bhi Lena hai.

Boarding School ke breakfast lunch dinner ka,night study,subah kitne baje uthna hai school kab start hogi ye sabka time table bhi lena hai hume.

Ranjeet:-ji kaka sa taiyari puri hai aur sab pack hai saman mera aur jaggu ka bas ab kal ka intezar hai hume.

(Ranjeet bhi Jaggu ki tarah Sanjay ko Kakasa, Sangeeta ko kaki sa aur khushboo ko ji ji kehne laga tha.)

jaggu:- Ranjeet sahi keh raha hai kaka sa sab saman humara pack hai.

Inki baat khatam hote hai khushboo kehti hai

Khushboo:- Main bhi sath chalungi inko drop karne ke liye.

khushboo ko dekh uska chota bhai bhi kehta hai

Varun:-Main bhi aaunga ji ji bhai sa ko boarding school chhod ne ke liye.

Khushboo aur Varu ki bat sun Sanjay kehta hai

Sanjay:-Kal nahi jab main inko bich mein milne jaya karunga tab tum dono ko lekar jaunga abhi zid mat karo, Varna aisa na ho ki main unko Milne akela hi chala jau.

Sanjay ki baat sun khushboo aur Varun shant ho jaate hai

Sangeeta:-main to chal sakti huna aapke sath.

Sanjay:-Agar tum mere sath aa jaogi to yaha khushboo aur Varun Ko kon sambhale ga.Chanda ji bhi subah 9 baje aate hai isliye tum yahi ruko to behtar rahega.

Sanjay ki baat sun Sangeeta apni sehmati jatati hai.aise hi bat karte karte sab apna dinner finish karke apne kamre mein chale jaate hai.

Jaggu ke Kamre mein aate hi Ranjeet Jaggu se kehta hai

Ranjeet:-tum to apne gharwalo ko miss karoge hena.mere vajah se tum ko bhi hostel join karna pad raha hai.

jaggu:-A pagal ye sab mat soch tu chal aaja so jate hai.

Dono so jate hai.vahi khushboo aur Varun khushboo ke room mein muh latkaye apne papa ki bat ko le kar kuch soch mein the.

varun apni ji ji ko dekh ke kehta hai

Varun:-ji ji kyu tension le rahi ho hum next time chale jayenge bhai sa se milne aur bhaisa bhi aate rahenge na chutti pe.

Varun ki bat sun Khushboo ke chehre pe ek pal ke liye muskaan aa jati hai.

khushboo:- Ha chote tune sahi kaha hum jaggu ko milne next time chale jayenge aur waise bhi jaggu ki hostel kaha dur hai jab yaad aayegi tab papa ko kehke usse milne chale jayenge.

Varun:-bilkul sahi kaha aapne jiji

Aise hi baat karte karte dono bhai behan so jate hai………

Insaan kabhi rota hai,To kabhi muskurata hai

Sara Umar safar mein Guzar ta hai,

Ek manzil Mil jaye,To dusra talash ta hai.

expectations
22,822
14,868
143

Mast update dost aur last me sayri ne to bilkul sach ka samna Kara diya insaan ka pet na kabhi nai bharta hai
 
Bhagwan se bhi bada!!!!
382
475
63
Update:-5

{The Hostel Life}

Sangeeta Subah sabko jaldi utha deti hai.Jaggu uth te hi washroom chala jata aur fir shower leke bahar aake Ranjeet ko utha ke nah dhoke taiyar hone ka bol jaggu niche chala jata hai.

Jaggu niche jake Sangeeta se kehta hai

Jaggu:- Kaki sa kaka sa kaha hai dikh nai rahe hai.aapne unko utha to diya tha na.

Sangeeta:-Jaggu tere kaka sa kab ke uth chuke hai aur bahar gaye hai tum dono ke liye nasta laane kyon ki jab tumhe bina waqt bukh Lage gi tab tumhari kaki sa thodi vaha hogi jo kisi bhi time tumhe kuch na kuch bana ke khila degi isliye maine unko bola nasta lane ko.

Jaggu:- ha ye sahi hai nasta chahiye Waha aur plz kaka sa ko bol Dena ki mere aur Ranjeet ke paise deposit karde vaha canteen mein.

Sangeeta:- mujhe pata hai jaggu aur maine unko already bola hua hai tumhe kisi bhi bat ki tension lene ki jarurat nahi hai betu.

Jaggu:-thanks kaki sa

itna kehke vo apni ji ji ke kamre mein dekhne chala jata hai kyunki vo Jana wale tha hostel ke liye isliye socha kyun na ek bar milke chala jau Varna khushboo ji ji usse naraz ho jayegi.jaise hi vo kamre mein jata hai to dekh ta he ki ji ji aur uska chota bhai dono so rahe the.

ye dekh Jaggu vaha se chup chap niche hall mein aa jata hai jaha Ranjeet uska already Wait kar raha hota hai.

Ranjeet:- bhai kab nikal rahe hai hum log yaha se.Main bohat excited hu bhai hostel Jane ke liye.

Jaggu:-Bas kaka sa ka wait chal raha hai jaise hi wo aayenge hamara nasta leke hum nikal jayenge unke sath.

Ranjeet:-ok bhai

Kuch der bad Sanjay bhi aa jata hai aur sab ko good morning wish kar ke thoda nasta karke Jaggu aur Ranjeet ke sath gadi leke nikal jate he hostel ki taraf .

jaggu ko jaate huye dekh Sangeeta ki aankho me aansu aa jate hai aur jaggu vo dekh leta hai.jaggu Sangeeta ke pas aake kehta hai

jaggu:-kaki sa roiye mat main koi hamesha ke liye thodi ja raha hu chutti me aa jaya karunga aur ye kehke vo Sangeeta ko hug kar leta hai.

Sangeeta itni dhukhi thi aur ro otni rahi thi ke uske gale se awaz bhi nahi nikal rahi thi isliye sangeeta ne sirf jaggu ke sar pe hath pher deti hai.

Phir Jaggu bahar chala jata hai jaha Sanjay aur Ranjeet uska wait kar rahe the.

Jaggu:- chalo kaka sa.

Jaggu aake Sanjay ki bagal mein beth jata hai aur Ranjeet piche baith jata hai.pura safar khamoshi me nikal jata hai.

Hostel pohach te hi Sanjay unka saman nikal ta hai aur ander chal dete hai.

Andar us cabin ke pass chale jate hai jaha se unhe college uniforms aur books milne wale the....

Jaggu aur Ranjeet apna apna uniforms aur books le lete hai phir cabin mei baithe sir kisi bahadur ko bulate hai aur usko hume hamara room dikhane ke liye bolte hai.

Sir ki bat sun vo bahadur hume hamare room dikhane ke liye le jata hai.

Room mein sirf 3 bed the aur study table ke sath ek almirah thi.Bed dono side se open hota tha to begs aur blanket rakhne ke liye sahi tha.

Sanjay jaggu Ranjeet 3no Impressed ho jate hai room dekh ke aur room se bahar nikal te hi left mein 2 aur room the.Hamre kamre ke right me ek room tha aur uske bagal mein common toilet tha.

Phir boarding mein rehne wale baccho ki puri building bhi dikhai jati hai.
sab ke khane ke liye dining hall tha jo itna bada tha ki aaram se 1000 bachhe Waha baith ke kha sakte the.Uske baad hum ko T.V room bhi dikhaya kitchen, canteen bhi dikhaya gaya.Ab sirf school dekhna baki tha.

Jab hamne college ko dekha to literally hum 3no blank ho gaye the bcuz college was like jo movie mein college hote haina aisa tha. jab hum ander gaye college ke to damn hum total speechless ho gaye.

Thodi der ghumne ke baad wapas room pe laut te waqt kaka sa ne canteen mein hamare liye 5000 rs deposit kiye.

kakasa hume room mein chhod ke ghar wapas nikal gaye aur jaate jaate Mujh ko ek baat keh gaye.

Sanjay:-jaggu beta hum tension lene ke liye nahi balki tension dene ke liye paida huye hain.hum jagirdar hai samja beta.Hum sar kata lenge par kabhi jukayenge nahi.

Sanjay:- Agar kuch bhi pareshani ho ya koi bhi kaam ho mujhe call kar dena thik hai beta aur Ranjeet ye bat tum pe bhi laagu hoti hai.

Ranjeet:- ji Kaka sa

Jaggu:-ji kaka sa

Itna kehke Sanjay vaha se nikal jata hai apni car leke…….

THE LIFE that Encourages us to go forward is THE HOSTEL LIFE.
 
Bhagwan se bhi bada!!!!
382
475
63
Update:-6

{Hungry}

Sanjay ke nikal te hi dono apne apne bags mein se kapde nikal ke almira mein rakh dete hai.Books ko study table ke side wale table pe rakh dete hai.

Ranjeet Jaggu ko kehta hai

Ranjeet:-bhai hostel to accha hai.

Jaggu:- Ranjeet hostel ko chod pehle hume khana check karna padega.sir ne jo time table diya hai usme dekh to kitne baje lunch break hoga.

Ranjeet:-bhai lunch bell 1:30 ko baje ho gi abhi abhi to 10:39 huye hai abhi to 3 ghante wait karna padega.bhai agar tujhe bhukh lagi ho to jo nasta laya hai us mein se thoda kha lete hai kyun ki mujhe bhi bhukh lagi hai.

Jaggu:-Ha chal thoda bahut nasta kar lete hai phir niche chale jayenge ground mein.

Jaggu ke kehte hi Ranjeet naste ka packet nikal ta hai aur dono thoda nashta karte hai.nashta karne ke baad dono niche chale jate hai ground ki taraf.

Dono ground mein ghumte hai phir ek jagah baith jate hai jaha pathhar pade huye the... vaha baith ke vo dusro bachho ko khelte dekh rahe the.

Abhi itne bacche bhi nahi aaye the kyon ki Studies kal se start hone wali thi.Tabhi vaha ek mota sa ladka unki age aake kehta hai.

Ladka:-pathhar pe mat baitho...is pe baith ne ke liye mana kiya hua hai.

Us mote ladke ki bat sun jaggu usko jawab deta hai

Jaggu:-mana kisne kiya tha ye to bata mein unse bat kar lunga kyun ki mujhe reason Jana hai ki yaha baith ne ke liye kyu mana kiya hua hai.

Tujhe Kya problem hai humse jo tu hame sirf itna kehne ke liye garden se ground tak aaya.

Ladka:-main to sirf warning dene aaya tha tumko aur main kon hu vo tujhe Aaj sham ko pata chal jayega. jayada baat mat kar samjha. Respect se baat kar mujh se kyun ki yaha ke seniors bhi mujhse bat karne se darte hai.

Jaggu:- Seniors tere se darte hai us mein main kya Karu aur rahi respect Dene ki bat to pehle earn kar le phir mei tujhe respect dunga.chal nikal ab time waste na kar Hamara.

Ladka:-Dekh lunga tujhe aur vaise bhi Aaj sham ko tujhe example bhi mil jayega ki main kon hu.

itna kehke vo motu vaha se nikal jata hai aur piche chhod jata hai tension jaggu aur Ranjeet ke liye.

Ranjeet:- bhai ye tha kon aur jis andaz mein bat kar raha tha lagta hai kisi sir war ka beta hai ya phir principal ka.

Jaggu:-Tu tension mat le bhai usne khud bola na ki vo sham ko example dikhaye ga to dekh lenge ki aakhir vo hai kon.

Jaggu ne Ranjeet ko jaise taise samjha diya par dar to Jaggu ko bhi lag raha tha.

Vaha baith jaggu aur Ranjeet dusro bachho ko khelte dekh bat karte rehte hai aur jaha pathhar pade the uske just pichhe neem ka ped tha isliye chav bhi thi aise hi lunch ka time ho jata hai.

Jaggu aur Ranjeet dining hall ki taraf nikal jaate hai.

Dining hall mein Jake dono pehle apni plate aur chamach utha the hai phir Khali jagah dudh ke baith jate hai.

dhire dhire sab students aa jate hai.

4 bahadur aake pehle prayer karwate hai aur unme se ek bahadur bolta hai ki 2 din tak hum karwange prayer phir tum main se hum kisi ko khada karke prayer karwayege to tum sab ye prayer yaad kar lena.

Bahadur khana mangawate hai kitchen se aur phir sab studants ki plate mein serve karte hai.khane mein chapati,rice 2 vegetable 2 dal aur fruit salad tha kyun ki Sunday ke din lunch kuch alag hota hai.

Jaggu aur Ranjeet to dekhte he Tut pade khane pe,dono ko Joro ki bhukh lagi thi.sab students ka khana ho jaane ke baad bahadur students ko bitha ke rakh te hai.

kuch der bad ek sir aate hai aur khane ke bare mein puch te hai phir unko bolte hai ki dining hall ke bahar jo board laga hua hai usme aaj ke din ka menu likha hua hai.

ye menu har roj change hoga.har subah board pe breakfast se leke dinner tak menu likha hua milega.

itna kehke sir bahadur se bat karke nikal jate hai.

sab khade hoke apni plates dhone ke liye 2 bade tub rakhe hue the aluminium ke usme dal ke dining hall ke just bagal mein wash basin tha vaha apne hath dhoke Pani pike koi T.V mein to koi apne room mein chale jaate hain.

jab Jaggu aur Ranjeet building mein jaane wale hote hai tab vaha unhe wo subah wala mota ladka milta hai. Vo ladka undono ko looks de raha tha jo jaggu ko katai pasand nai aaya aur jat se us ladke ko bolta hai.

jaggu:- kya dekh raha hume, 5 25 mang ta hai Kya hamse jo hame ghure ja raha hai.

jaggu ki bat sun Ranjeet ki hassi chut jaati hai aur vo jor jor se hasne lagta hai.

vo ladka gussa hoke vaha se chala jata hai..

uss ladke ke jaane ke bad Ranjeet jaggu ko puchta hai

Ranjeet:-Tu kyu uske piche pada hua hai are vo dekh raha tha to usko dekhne Dena tha na tujhe Kya problem hai usse,dekha nahi kaise gussa hoke yaha se chala gaya.
uske tevar dekh ke lag raha hai jarur ye kisi sir ya principal ka beta hai...

Jaggu:- beta hua to kya hua.Tujhe nahi pata vo dining table pe bhi hame ghur raha tha isliye mujhe bolna pada aur main uske piche nahi pada vohi aaya tha apne paas.Tu tension mat le sir ya principal uske papa hai vo nahi hai.

Vaha se Jaggu aur Ranjeet apne room aake bed pe let ke baat karte karte so jate hai kyunki fruit salad jo pet bhar ke Piya tha……..

HOSTEL mein hu ab,Ab MAA nahi BHUKH khana khilati hai.

Top