Incest Koi To Rok Lo~Pritam.bs~

Member
1,531
1,635
143
Ko To Rok Lo {Update - 158}
____________________________

Meri baat sunkar, keerti kuch soch me pad gayi aur fir thodi der bad usne meri baat ka jabab dete huye kaha.

Keerti boli “dekho, har koi apni bahan ya beti ki shadi ke liye bahut kuch sapne dekhta hai aur fir usi tarah uski taiyari bhi karta hai. Lekin yaha sab kuch achanak hi ho raha hai. Itni jaldi me shekhar bhaiya ke har sapne ko pura karna mumkin nahi hai.”

“Magar un sapno ko jarur pura kiya ja sakta hai. Jin sapno me shekhar bhaiya ke didi ke liye dili jajbat jhalakte hai. Meri mano to tum sirf unhi sapno ko pura karne ki koshish karo.”

“Yadi tum aisa kar sake to, yakin mano, ye shadi sirf didi ke liye hi nahi, balki har dekhne wale ke liye ek yaadgar ban rah jayegi. Kyoki shekhar bhaiya ke un sapno me beshumar pyar chhupa hai aur jin baton me pyar chhupa ho, unhe aasani se bhulaya nahi ja sakta.”

Itna kah kar keerti chup ho gayi aur mai uski baton ke baare me sochne laga. Tabhi mujhe kisi ke upar aane ki aahat huyi aur maine ye baat keerti ko bata kar mobile jeb me rakh liya.

Kuch hi der me barkha upar aayi aur mere pas aakar baith gayi. Wo gaur se mujhe dekh rahi thi aur mai in sab baton ko sochne me laga hua tha. Usne mujhe is tarah kisi soch me khoya dekha to, mujhe tokte huye kaha.

Barkha boli “kya soch rahe ho. Yahi ki jis aadmi ki 5 textile mills aur na jaane kitne textile showrooms ho, use bhala hum log dahej me kya de sakte hai ya fir ye ki, jiski baraat me chief minister aur minister jaisi hastiyan shamil ho rahi ho. Uske baratiyon ka swagat hum kaise kare.”

Maine barkha ki is baat par muskurate huye kaha.

Mai bola “nahi didi, mai janta hu ki, ye sab itni jaldi me kar pana mumkin nahi hai. Yadi hume iske liye thoda samay milta to, hum ye bhi karke dikhane se pichhe nahi hatne wale the.”

Barkha boli “to fir kis baat ki itni gahri soch me pade ho.”


Mai bola “didi, mai to bas ye soch raha tha ki, jab bhaiya ne didi ki shadi bade ghar me karane ka socha hoga to, tab wo khud bhi nahi jante hoge ki, didi ki kismat unko itne bade ghar me lekar jayegi.”

“Bhaiya ne wo dhoom dham aur baratiyon ka swagat wali baat to, didi ke maan samman ko soch kar kahi hogi. Lekin humari didi jis ghar me ja rahi hai. Waha unko kisi chij ki koi kami nahi rahna hai. Waha humari didi ke maan samman ko bhi koi aanch nahi aana hai.”

“Kyoki waha sab humari didi ko bahut pyar karte hai aur humari didi ko kabhi kisi baat ke liye, kisi ke samne nicha nahi dekhna padega. Isliye mai in sab baton ke baare me nahi soch raha.”

“Mai to bhaiya ki un baton ke baare me soch raha hu. Jin baton me bhaiya ke didi ke liye dili jajbat jhalakte hai. Mai un sab baton ko pura karna chahta hu. Taki ye shadi sirf didi ke liye hi nahi, balki hum sab ke liye bhi ek yaadgar pal ban kar rah jaye.”

Meri baat sunkar barkha bhi soch me pad gayi. Kuch der tak is baat ko sochne ke bad usne mujhse kaha.

Barkha boli “baat to tumhari sahi hai. Lekin kya tum akele ye sab kar sakoge.”

Mai bola “didi, aap bas mera sath dijiye, mai sab kuch kar luga. Waise bhi mai akela nahi hu. Mera ek dost yaha mere sath hai aur mujhe ummid hai ki, priya, riya, raj aur nikki bhi mera sath jarur dege.”

Barkha boli “mai tumhare sath hu. Tum jaisa bologe, waisa karwane ki saari jimmedari meri hai.”

Mai bola “to fir thik hai didi. Hum kal se in baton ko pura karna suru karte hai.”

Ye kah kar, maine barkha ko saari baten samjhayi. Uske bad maine nikki ko call lagaya. Lekin nikki bahut jyada shor sharabe ke bich thi. Isliye usne thodi der se call lagane ki baat kah kar call rakh diya. Barkha ne itni jaldi call katte dekha to, mujhse puchha.

Barkha boli “kya hua. Kya nikki se baat nahi huyi.”

Mai bola “abhi ho jayegi. Wo abhi waha par bahut shor sharabe ke bich thi. Isliye usne thodi der bad call karne ko kaha hai.”

Maine itna bola hi tha ki, nikki ka call aane laga. Mai nikki ko apni saari baten batane laga. Usne meri baat sunkar, mera sath dene ki haami bhar di. Us se thodi bahut baten karne ke bad, maine call rakh diya aur fir barkha se kaha.

Mai bola “lo ek kaam to ho gaya.”

Barkha boli “priya se bhi baat karke dekh lo. Wo abhi jaag hi rahi hogi.”

Mai bola “us se baat karne ki koi jarurat nahi hai. Mai usko jaisa boluga, wo waisa karne ke liye khushi khushi taiyar ho jayegi.”

Meri is baat ko sunkar, barkha ne mujhe chhedte huye kaha.

Barkha boli “sab khairiyat to hai na. Priya par bahut jyada bharosa hai. Kahi ye aag dono taraf se to nahi lagi hai.”

Mai bola “kya didi, ab aap bhi suru ho gayi. Aap to sab kuch janti hai. Fir bhi aisa kah rahi hai. Mujhe aapse aisi ummid nahi thi. Lagta hai, ab aapko kuch bhi batana band karna padega.”

Meri baat sunte hi, barkha ne fauran apni galti mante huye kaha.

Barkha boli “sorry mere bhai, mai to sirf thoda majak kar rahi thi. Mai ache se janti hu ki, tumhare dil me priya ke liye aisa kuch nahi hai. Tum ye baat isliye bole ho, kyoki priya tumhari koi baat nahi kaatti hai.”

Mai bola “haan didi, ye baat to sach hai. Lekin priya sach me bahut achi ladki hai. Isliye ab mai bhi uski baat ko rakhne ki koshish karta hu. Magar aaj mujhe aapki ek baat samajh me nahi aayi. Aap to aaj pahli baar priya se mili thi. Fir aapne park me uska sath kyo diya. Kya aapko uske baare me pahle se hi sab kuch pata tha.”

Barkha boli “sab kuch to nahi, magar priya ki tabiyat ka jarur mujhe malum tha. Aaj subah tumne jab didi ko call laga kar, apne sath priya ko lane ki baat puchhi thi. Tab nikki bhi yahi par thi.”

“Use jab pata chala ki, priya yaha aa rahi hai to, usne mujhe priya ki tabiyat ke baare me bataya aur uska khayal rakhne ko kaha tha. Isliye jab maine park me priya ko neha ki baton se pareshan hote dekha to, mujhe laga ki, is samay mujhe priya ki madad karna chahiye.”

“Jiski vajah se maine tumhe priya ki taraf se bolne ke liye uksaya tha. Magar ye meri priya se pahli mulakat nahi thi. Mai priya ko pahle se hi janti thi. Bas ye nahi janti thi ki, nikki ne jis priya ke baare me kaha hai, wo ye hi priya hai.”

Barkha ki is baat ne mujhe kuch hairan sa kar diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, jab barkha nikki ki saheli ke roop me priya ko nahi janti hai to, fir wo priya ko kaise janti hai.

Kyoki mujhe neha ki baton se bhi aisa nahi laga tha ki, iske pahle usne kabhi bhi barkha ko priya se milaya ho. Apni isi hairani ko door karne ke liye maine barkha se puchha.

Mai bola “didi, yadi aap priya ko nikki ki vajah se nahi janti hai to, kya priya ko neha ki vajah se janti hai.”

Barkha boli “na mai priya ko nikki ki vajah se janti hu aur na hi neha ki vajah se janti hu.”

Mai bola “to fir aap priya ko kaise janti hai.”

Barkha ne meri is baat ke jabab me muskurate huye kaha.

Barkha boli “mai priya ko isliye janti hu. Kyoki hum dono hi kisi na kisi sports se jude huye hai aur pichhle saal tumhare shahar me, jo national games huye the. Usme hum dono mumbai ki team ki taraf se gaye the.”

Barkha ki is baat ne meri is hairani ko kam karne ki jagah or bhi jyada bada kar rakh diya tha. Kyoki barkha ko dekh kar to, aisa lagta tha ki, wo kisi game se judi huyi hai.

Lekin priya ko dekh kar kahi se bhi aisa nahi lagta tha ki, wo kisi game se judi huyi hai aur national games tak khel chuki hai. Maine badi utsukta ke sath barkha se puchha.

Mai bola “didi, aap dono kis game ke liye gaye the.”

Barkha boli “mai boxing aur priya swimming ke liye gayi thi.”

Barkha ki is baat par mai apni hansi na rok saka aur maine hanste huye kaha.

Mai bola “didi, aap to ek boxer lagti ho. Magar priya ko dekh kar to, kahi se bhi aisa nahi lagta ki, wo ek swimmer hai aur national games me bhi bhag le chuki hai.”

Magar priya ke swimmer hone ki baat par, mera is tarah se hasna barkha ko acha nahi laga. Usne mujh par gussa karte huye kaha.

Barkha boli “hanso mat, ye koi hasne ki baat nahi hai. Jise tum sirf ek swimmer samajh kar hans rahe ho, wo sirf ek swimmar nahi, balki swimming champion hai. National games me, top 10 medal winners me uska 1st rank tha. Usne 9 gold medals aur 1 silver medals jeeta tha.”

“Iske alawa nationals aquatic championship me best swimmer award bhi usi ke naam hai. Uske itne medal dekh kar to, us samay mujhe khud bhi us se jalan hone lagi thi ki, mujhe ek silver medal hasil karne ke liye itna khoon pasina bahana pada gaya aur isne to gold medals ki jhadi laga di hai.”

“Magar aaj usko dekh kar is baat ka afsos bhi ho raha hai ki, itni honhaar ladki ko apni tabiyat ki vajah se swimming chhodna pad gayi. Warna ye asian games aur olympics me bhi apne jalwe dikha rahi hoti.”

Barkha ki baat sunkar, meri hansi ko rok lag gayi aur mera chehra utar gaya. Mera utra hua chehra dekh kar, barkha ko laga ki shayad mujhe uski baat ka bura lag gaya hai. Isliye usne mujhse kaha.

Barkha boli “kya hua.? kya tumko meri baat buri lagi.”

Mai bola “nahi didi, mujhe aapki koi baat buri nahi lagi. Mujhe to ye sab sunkar, bas is baat ka dukh ho raha hai ki, priya apni bimari ki vajah se, un bulandiyon ko nahi chhu payi, jinhe wo aasani se chhu sakti thi.”

Abhi meri baat puri bhi nahi ho payi thi ki, tabhi priya ka call aane laga. Barkha ne priya ka call aate dekha to, usne mujhse kaha.

Barkha boli “priya ki badi lambi umar hai. Abhi hum iski hi baat kar rahe hai aur iska call aa gaya. Us se kah do ki, tum aa rahe ho.”

Mai abhi jaane se mana kar raha tha. Lekin barkha ne meri baat manne se mana kar diya. Aakhir me mujhe uski baat maan kar, priya se kahna hi pada ki, mai ghar aa raha hu.

Priya ke call rakhne ke bad, mai barkha ke sath niche aa gaya. Niche aakar mai kuch der shikha didi se baat karta raha. Fir unse jaane ki ijajat lekar mai priya ke ghar ke liye nikal gaya.

Raste me mai keerti se baten karne laga. Thodi bahut baat karne ke bad, maine use aaram karne ko kaha. Magar wo abhi or baat karna chahti thi. Lekin mere samjhane par keerti ne meri baat maan li.

Priya ka ghar aate hi keerti ne call rakh diya. Mai 12:30 baje priya ke ghar pahuch gaya. Waha pahuchne ke bad, maine priya ko call lagaya to, usne fauran niche aakar darwaja khol diya.

Is samay wo Blue short nighty me thi aur bahut jyada sexy lag rahi thi. Us nighty me uska ang ang damak raha tha. Maine use dekha to dekhta hi rah gaya. Iski ek vajah shayad ye bhi thi ki, blue mera man pasand color tha.

Usne mujhe is tarah ghurte dekha to, uske chehre ki muskurahat aur bhi jyada bad gayi. Usne muskarte huye mujhe andar aane ko kaha aur mere andar aane ke bad darwaja band karne lagi.

Wo darwaja band karke palti to, mai abhi bhi usi ko dekh raha tha. Ye dekh kar usne mujhse ishare se puchha ki kya hua to, maine use chhedte huye kaha.

Mai bola “aisi dress me mere samne mat aaya karo. Kisi din kuch ulta sidha ho gaya to, fir mujhe dosh mat dena.”

Meri baat sunkar, priya ne fauran mujhe sawdhan karte huye kaha.

Priya boli “ae abhi meri tabiyat sahi nahi hai. Abhi aisa kuch karne ki baat sochna bhi mat.”

Mai bola “yane ki tumhare kahne ka matlab hai ki, yadi tumhari tabiyat sahi ho to, mai aisa kar sakta hu.”

Meri is baat par priya ne muskura kar mujhe aankh marte huye kaha.

Priya boli “tum karne ka to bolo, meri tabiyat abhi sahi ho jayegi.”

Maine bhi uski ki tarah shararat bhare andaz me kaha.

Mai bola “yadi aisi baat hai to, hum abhi mere kamre me chalte hai.”

Priya boli “shubh kaam me deri karni bhi nahi chahiye. Chalo, jaldi chalo.”

Ye kah kar wo mere kamre ki taraf badne lagi. Lekin maine fauran uska hath pakad kar use rokte huye kaha.

Mai bola “are mai to majak kar raha tha aur tum ise sach maan rahi ho.”

Meri baat sunkar, priya ne jor se hanste huye kaha.

Priya boli “to mai kaun sa sach bol rahi hu. Mai bhi to majak hi kar rahi hu.”

Mai bola “tumhare majak se to bhagwan hi bachaye. Mujhe to pata hi nahi chalta ki, tum kab majak kar rahi ho aur kab sach bol rahi ho. Thik hai, ab bahut raat ho gayi hai. Tum jakar aaram karo.”

Priya boli “are abhi to aaye ho. Kam se kam thodi der to mere sath baat karo.”

Priya ne mere aane ka bahut intejar kiya tha. Isliye mujhe uski baat katna acha nahi laga aur mai wahi sofe par baith kar us se baat karne laga. Baton baton me usne mujhse kaha.

Priya boli “aaj mai tumko kaisi lag rahi hu.”

Mai bola “tum to mujhe hamesha hi sundar lagti ho. Magar aaj is nighty me tum bahut jyada sexy lag rahi ho.”

Meri ye baat sunkar, priya ne thoda sa sharmate huye kaha.

Priya boli “ye nighty maine aaj hi li hai.”

Mai bola “acha to, aaj din me tum iske liye hi bajar gayi thi.”

Priya boli “nahi, wo meri shadi wali dress ki fitting kuch sahi nahi thi. Isliye use badalne gayi thi. Waha mujhe ye nighty dikh gayi aur mujhe bahut pasand aayi to, maine ise bhi le liya.”

Mai bola “ye nighty sach me bahut achi hai aur tumhare baki ke nightwear se bhi bilkul alag hai. Magar maine iske pahle kabhi tumko blue dress me nahi dekha. Lagta hai tumko blue color jyada pasand nahi hai.”

Meri is baat par priya ne muskurate huye kaha.

Priya boli “mujhe to sabhi color pasand hai. Lekin aaj nitika didi ne bataya ki, kisi ko blue color kuch jyada hi pasand hai. Isliye maine socha ki, kyo na aaj kuch blue hi pahan liya jaye.”

Priya ki is baat se mai itna to samajh gaya tha ki, uska ye ishara meri hi taraf hai. Kyoki keerti ne jab apne blue salwar suit wali baat nitika ko batayi thi to, usne saaf kaha tha ki, blue mera man pasand color hai.

Abhi mai is baare me priya se kuch sawal karne hi wala tha ki, tabhi mujhe riya aati huyi dikhayi di. Wo bhi is samay ek black nighty me thi aur uski nighty bhi priya jitni hi short thi.

Lekin usne nighty ke upar se ek pardarshi gown bhi pahna hua tha. Jisse uski sundarta chhan kar bahar aa rahi thi. Wo sidiyan utarti huyi hum logon ke hi pas chali aa rahi thi.

Magar priya ki maujudgi ki vajah se maine us par jyada dhyan dena jaruri nahi samjha. Humare pas aakar riya ne bataya ki, wo priya ko dekhne uske kamre me gayi thi. Lekin priya use waha nahi dikhi to, wo priya ko dekhne niche aa gayi.

Iske bad hum teeno ki shikha didi ki shadi ke baare me baten hone lagi. Maine un dono se bhi bataya ki, mai shikha didi ki shadi me kya karna chahta hu. Jise sunne ke bad, dono ke chehre par muskurahat aa gayi.

Wo dono bhi is sab me mera sath dene ko taiyar ho gayi. Iske bad, hum log thodi der isi baare me baten karte rahe. Fir 1:15 baje riya priya se sone jaane ke liye kahne lagi.

Magar priya abhi sone jaane ke liye taiyar nahi thi. Isliye maine bhi priya ko ab aaram karne ka kaha. Mere samjhane par priya hum dono ko good night bol kar apne kamre me chali gayi.

Uske jane ke bad riya ne mujhse kaha ki, wo mujhse kuch jaruri baat karna chahti hai. Maine usse apni baat bolne ko kaha to, usne kaha ki, yaha nahi, tum apne kamre me chalo, mai thodi der bad, tumhare kamre me aati hu.

Mujhe itni raat ko akele me riya se apne kamre me milna sahi nahi lag raha tha. Lekin uski jid ke aage meri ek nahi chali aur mujhe iske liye haan karna pad gaya. Mai use jaldi aane ka bol kar, apne kamre me aa gaya.

Apne kamre me aane ke bad, maine apne kapde badle aur fir bed par let kar riya ke aane ka intejar karne laga. Thodi hi der bad, riya aa gayi. Use dekhte hi mai uth kar baith gaya.

Riya ne teji se kamre ke andar aate huye, kamre ka darwaja andar se band kiya aur fir apna gown utar kar, bed par fekte huye meri taraf bad gayi. Is se pahle ki mai kuch samajh pata, riya mere samne aakar baith chuki thi.

Ye sab itna achanak hua tha ki, mai thoda sa hadbada gaya aur abhi meri ye hadbadahat door bhi nahi ho payi thi ki, riya ne mere chehre ko pakda aur apne hoth mere hothon par laga diye.

Mai is sabke liye jara bhi taiyar nahi tha. Isliye mai riya se apne aapko chhudane ki koshish karne laga. Lekin riya ki pakad me jitni jyada majbuti thi, uske chumban me utni hi jyada shiddat thi.

Riya mere chehre ko pakde, badi berahmi se mere hothon ko chumne lagi. Riya is prahar ke samne mera virodh karna bekar sabit hua aur kuch hi der me, mai uske samne hathiyar daal kar, uske hothon ka raspan karne majbur ho gaya.
 
Member
1,531
1,635
143
Ko To Rok Lo {Update - 159}
____________________________

Apne kamre me aane ke bad, maine apne kapde badle aur fir bed par let kar riya ke aane ka intejar karne laga. Thodi hi der bad, riya aa gayi. Use dekhte hi mai uth kar baith gaya.

Riya ne teji se kamre ke andar aate huye, kamre ka darwaja andar se band kiya aur fir apna gown utar kar, bed par fekte huye meri taraf bad gayi. Is se pahle ki mai kuch samajh pata, riya mere samne aakar baith chuki thi.

Ye sab itna achanak hua tha ki, mai thoda sa hadbada gaya aur abhi meri ye hadbadahat door bhi nahi ho payi thi ki, riya ne mere chehre ko pakda aur apne hoth mere hothon par laga diye.

Mai is sabke liye jara bhi taiyar nahi tha. Isliye mai riya se apne aapko chhudane ki koshish karne laga. Lekin riya ki pakad me jitni jyada majbuti thi, uske chumban me utni hi jyada shiddat thi.

Riya mere chehre ko pakde, badi berahmi se mere hothon ko chumne lagi. Riya is prahar ke samne mera virodh karna bekar sabit hua aur kuch hi der me, mai uske samne hathiyar daal kar, uske hothon ka raspan karne majbur ho gaya.

Lekin ye sab sirf ek pal ke liye hi tha. Kyoki agle hi pal mere mobile ki msg tone baj uthi. Jise sunte hi mera dhyan riya ke chumban se hat gaya aur mai apne aapko riya se alag kar msg dekhne laga.

Aane wale Sms ko dekhte hi, meri saari uttejna aise shant pad gayi. Jaise kisi ne ufante huye doodh me thanda pani daal diya ho. Ye priya ka Sms tha aur uske is Sms ne mujhe sochne par majbur kar diya tha.

Priya ke is Sms se saaf pata chal raha tha ki, riya ke is samay mere kamre me hone ki baat wo janti hai aur isliye use is baat ka dar sata raha hai ki, mere aur riya ke bich bhi wo sab na ho jaye, jo riya aur papa ke bich me hua tha.

Mujhe msg padne ke bad, is tarah se soch me khoya hua dekh kar, riya ne mere hath se mobile le liya aur msg ko dekhne lagi.

Priya ka Sms “Rishton Ka Bharosa Kabhi Tutne Na Dena.
Dosti Ka Sath Kabhi Chhutne Na Dena.
Rok Lena Khud Ko Galti Karne Se Pahle,
Apni Kisi Galti Se Mujhe Ruthne Na Dena.”

Priya ka msg pad kar, riya ke chehre par muskurahat aa gayi. Lekin use ye samajh me nahi aaya tha ki, ye Sms priya ne bheja hai. Kyoki priya ka number mere mobile me sweet friend ke naam se save tha. Riya ne mujhe mobile wapas dete huye puchha.

Riya boli “ye kya lafda hai. Tumhari ye sweet friend kaun hai. Tumne to iske baare me hum logon se kabhi kuch nahi bataya.”

Mai riya ko priya ke baare me kuch bhi batana nahi chahta tha. Isliye maine baat ko badalte huye kaha.

Mai bola “mai tumhe kab aur kaise kuch batata. Jab se mai aaya hu, tab se tumhare pas mere se baat karne ka samay hi kaha tha.”

Riya boli “samay ho ya na ho. Lekin yadi kisi ke man me baat karne ki chahat ho to, samay nikal hi jata hai. Jaise ki aaj maine apni baat kahne ke liye samay nikala hai.”

Mai bola “chalo, tumhe mere liye samay to mila. Ab batao, tumhe mujhse kya jaruri baat karni hai.”

Is pahle ki riya meri is baat ka koi jabab de pati. Us se pahle hi priya ka dusra Sms bhi aa gaya. Riya muskurate huye, mujhe dekhne lagi aur mai priya ka Sms padne laga.

Priya ka Sms “Bas Itna Chahti Hu Juda Hone Se Pahle.
Tum Khud Na Kho Jana Apni Manzil Pane Se Pahle.
Roothe Na Kabhi Tumse Mohabbat Tumhari,
Isliye Rokti Hu Galti Hone Se Pahle.”

Priya ke is Sms ne mujhe or bhi jyada uske baare me sochne ke liye majbur kar diya tha. Pahle Sms me jaha wo apni dosti ka wasta de rahi thi. Wahi is dusre Sms me wo mujhe mere pyar ka wasta de rahi thi.

Lekin dono hi Sms me samanta ye thi ki, uske dono hi Sms mujhe koi galti karne se rokne ke liye kiye gaye the. Aisa lag raha tha, jaise ki priya is samay riya ke mere kamre me hone ki baat se bahut jyada pareshan thi.

Mai uski is pareshani ko door karna chahta tha. Lekin riya ke mere pas hone ki vajah se mai aisa kar nahi pa raha tha. Idhar riya ne jab mujhe fir se msg padne ke bad, kuch uljhan me dekha to, usne muskurate huye mujhse kaha.

Riya boli “lagta hai tumhari ye dost, tumhari kisi baat ko lekar bahut pareshan hai. Pahle tum is se baat kar lo, fir hum apni baat karte hai.”

Riya ne kahi to mere dil ki baat thi. Lekin uske samne priya se baat karna mujhe sahi nahi lag raha tha. Isliye kuch der sochne ke bad, maine ek msg type kiya aur priya ko bhej diya.

Mera Sms “Is Dosti Ko Sada Aise Hi Nibhati Rahna.
Dil Ki Har Baat Mujhe Aise Hi Batati Rahna.
Tumhari Duaon Se Manzil Bhi Pa Jauga Mai.
Bhatakne Na Dena Rasta Aise Hi Dikhati Rahna.”

Priya ko ye Sms bhejne ke bad, mai bechaini se uske Sms ka intejar karne laga. Riya mere pas hi baithi thi aur meri is bechaini ko dekh kar muskura rahi thi. Kuch hi der bad priya ka Sms aa gaya.

Priya ka Sms “Dua Mangti Hu Khuda Se Ek Aehsan Likh De.
Tumhari Takdeer Me Tumhara Pyar Likh De.
Na Mile Tumhe Kabhi Dard Mohabbat Me,
Wo Chahe To Meri Takdeer Me Gum Tamam Likh De.”

Priya ka ye Sms dekh kar, mujhe priya ke bade dil ka aehsas ho raha tha. Duniya me har koi apne pyar ko hasil karne ke liye duaayen mangta hai. Lekin priya ki ye dua uske pyar ko, us se door kar dene wali dua thi.

Mai is wakt priya ki chahat aur uske dard ko achi tarah se mehsus kar sakta tha. Lekin mai chah kar bhi uske liye kuch nahi kar sakta tha. Apni is bebasi ko dekh kar, mere chehre par muskurahat aur aankhon me nami aa gayi. Maine fir se ek Sms type karke priya ko bhej diya.


Mera Sms “Kash Khusiyon Ki Koi Dukan Hoti.
Aur Usme Meri Pahchan Hoti.
Kharid Leta Saari Khushiyan Tumhare Liye.
Chahe Uski Keemat Meri Jaan Hoti.”

Mere ye Sms bhejne ke thodi hi der bad, priya ka Sms bhi aa gaya. Lekin shayad use is baat ka aehsas ho gaya tha ki, mai uski vajah se pareshan ho gaya hu. Isliye is baar uska Sms uske usi andaz me aaya, jiske liye wo jani jati thi.

Priya ka Sms “Arz kiya hai,

Itne Kamjor Huye Teri Judai Se.
Gaur Farmaiye,
Itne Kamjor Huye Teri Judai Se.
Ki Chinti Bhi Ab Kheech Le Jaati Hai Charpai Se.”

“Good Night..Sweet Dream..”

Uska ye Sms pad kar, ek pal ke liye mere chehre par bhi muskurahat aa gayi. Maine bhi usko good night ka Sms bhej diya. Jiske bad priya ka koi Sms nahi aaya. Lekin mai is baat ko achi tarah se samajhta tha ki, wo tab tak jaagti rahegi, jab tak ki riya mere kamre se nahi chali jati hai.

Isliye ab mai jaldi se jaldi riya ko apne kamre se bhagana chahta tha. Wahi riya mere aur priya ke bich huyi is baat chit ko dekh kar hairan thi aur kuch soch me bhi padi huyi thi.

Use ye baat achi tarah se samajh me aa chuki thi ki, meri jindgi me koi do ladkiyan hai. Isliye jaise hi usne mujhe mobile rakhte dekha to, fauran hi mujhse is baare me sawal karna suru kar diya.

Mai riya se koi jhuth baat bolna nahi chahta tha. Magar chah kar bhi mai use sab sach sach nahi bata sakta tha. Isliye maine use ek aisi kahani bana kar suna di. Jisme puri sachchai th. Lekin usme keerti ya priya ka naam nahi aata tha.

Meri baat sunkar, riya hairani se mujhe dekh rahi thi. Wo shayad is baat se hairan thi ki, uske jaane ke bad, meri jindagi me itna sab kuch ho gaya hai. Magar wo is baat se puri tarah se anjan thi ki, meri jindagi me jo kuch bhi hua hai. Wo sab uske aane ke bad hi hua hai.

Kuch der tak riya hairani se mujhe dekhti rahi. Lekin fir jab usne apni hairani ko chhod kar, bolna suru kiya to, mujhe hi hairan karke rakh diya. Riya apne dil ki baat bolti ja rahi thi aur mai uski baat sunta ja raha tha.

Apni baat kahte kahte uski aankhen bheeg gayi thi aur mai bhi apni aankhon ko nam hone se nahi rok saka tha. Mai aaj tak jis ladki ko ek giri huyi ladki samajhta aa raha tha.

Wo hi ladki aaj meri najron me itni unchi ho gayi thi ki, ab mujhe apni purani soch par pachhtawa ho raha tha. Maine apni aankhon me chhayi nami par hath ferte huye use saaf kiya aur riya se kaha.

Mai bola “sorry, mai aaj tak tumko bahut galat samajhta raha. Ho sake to mujhe iske liye maaf kar do.”

Riya ne mujhe ye kahte suna to, apne aansu pochhne lagi. Fir usne muskurane ki koshish karte huye kaha.

Riya boli “isme sorry bolne ki koi baat nahi hai. Tumne jo dekha tha, wahi samajha tha. Tumhari jagah yadi mai bhi hoti to, mai bhi tumko kuch aisa hi samajhti.”

Mai bola “haan, tum thik kahti ho. Lekin aaj mai ek baat ko achi tarah se samajh gaya hu ki, aankhon dekha aur kaano suna hamesha puri tarah se sach nahi hota hai aur har baat ke pichhe koi na koi vajah chhupi hoti hai.”

Riya boli “ab in sab baton ko chhodo. Chalo ab wo kaam pura kar lete hai. Jo Sms aane ki vajah se adhura rah gaya tha.”

Riya ki is baat ne mujhe jor ka jhatka sa diya aur mai use gaur se dekhne laga. Wo mujhe dekh kar muskura rahi thi aur apne hothon par jeebh fer rahi thi. Maine use samjhate huye kaha.

Mai bola “tumko to maine saari sachchai bata di hai. Iske bad bhi tum mere sath aisa kyo karna chahti ho. Kya tumko ye nahi lagta ki, mai tumare sath ye sab karke us ladki ke sath dhoka karuga, jo mujhse sachcha pyar karti hai.”

Riya boli “mai aazad khayalon ki ladki hu aur mujhe aisa kuch nahi lagta. Magar ab mera mood bhi kuch karne ka nahi hai. Isliye aaj to mai tumko chhod deti hu. Lekin dobara aisa nahi hoga. Apni ijjat ko sabhal kar rakhna. Kyoki mere rahte tumhari ijjat ko hamesha khatra bana rahega.”

Itna kah kar wo muskurate huye, mere pas se uth kar khadi ho gayi aur mujhe good night bol kar jaane legi. Lekin jate jate wo achanak hi ruk gayi aur meri taraf palat kar dekhte huye kaha.

Riya boli “ek shayari tumhari sweet friend ke liye. Use meri taraf se jarur suna dena.”

Riya ki shayari “Zindagi Tujhse Har Kadam Par Samjhauta Kyo Kiya Jaye.
Shauk Jeene Ka Hai Magar Itna Bhi Nahi Ki, Mar Mar Ke Jiya Jaye.
Jab Jalebi Ki Tarah Ulajh Hi Rahi Hai Tu Ae Zindagi,
To Fir Kyo Na Tujhe Chasni Me Dubo Kar Maja Hi Le Liya Jaye.”

Ye shayari bolne ke bad, riya ne mujhe aankh maari aur hanste huye mere kamre ke bahar nikal gayi. Mai uske baare me sochta hua, bas use jate huye dekhta rah gaya.

Aaj riya ki baten sunne ke bad, mere uske baare me saare khayalat badal chuke the aur aaj wo mujhe priya ya nikki ki tarah hi achi lag rahi thi. Kuch der riya ke baare me sochte rahne ke bad, maine time dekha to 2:30 baj gaya tha.

Maine darwaja band kiya aur fir aakar sone ki koshish karne laga. Lekin aankh band karte hi meri aankhon me keerti ka chehra aa gaya aur mujhe uske khayalon ne gher liya.

Mujhe ye to yaad nahi ki, aisa kab se tha, magar maine is baat ko aajmaya tha ki, mai jab kabhi uski najro se door ho jata tha to, uski tabiyat ko kuch na kuch jarur ho jata tha aur aisa hi kuch abhi bhi hua tha.

Keerti khane peene ki bahut shaukin thi aur ghar me jyada tel masale ki chijen khane ko na milne par, wo apne is shauk ko chori chhipe bahar pura karti thi. Jiske liye use bad me ghar me baten bhi sunna padti thi. Lekin us par in sab baton ka koi asar nahi padta tha.

Magar is baar uski tabiyat kharab hone par wo chhoti maa ki dekh rekh me thi aur chhoti maa kisi ki bhi tabiyat ko lekar jara bhi laparwahi pasand nahi karti hai. Chhoti maa khane peene ka bhi khas khayal rakhti hai.

Yahi vajah thi ki, ab keerti ko chhoti maa ki dekh bhal se pareshani hone lagi thi. Mujhe keerti ki is haalat par bahut dukh ho raha tha. Lekin sath sath is baat ki khushi bhi thi ki, chhoti maa uske sath sakhti se pesh aa rahi hai aur uski tabiyat ko lekar jara bhi laparwahi nahi kar rahi hai.

Mera man usko dekhne ke liye tadap raha tha. Dil to kar raha tha ki, mai abhi uske pas pahuch jau. Lekin aisa ho pana abhi kisi tarah se bhi sambhav nahi tha. Mai is samay apne aapko bahut bebas mehsus kar raha tha aur meri isi bebasi ne meri aankhon se nind uda di thi.

Mai pal pal karwat badal raha tha aur sone ki koshish kar raha tha. Magar kisi bhi pahlu me mujhe shukun nahi mil raha tha aur jab aisa karte bahut der ho gayi to, mai uth kar baith gaya.

Lekin ab karu to, kya karu, ye baat meri samajh me nahi aa rahi thi. Abhi raat ke 3:15 baje the, aise me bahar jakar tahalne ka bhi sawal paida nahi hota tha. Isliye maine apna mobile uthaya aur keerti ke bheje huye Sms padne laga.

Keerti ke sms padte padte mere samne wo Sms aa gaya, jo keerti ne mumbai aati aati samay mujhe apna khayal rakhne ke liye train me bheja tha.

Keerti ka wo Sms “Udas Lamho Ka Bhi Na Koi Malaal Rakhna.
Tufaano Me Bhi Apna Hausla Sambhal Rakhna.
Mere Liye Shart Ae Jindgani Ho Tum.
Isi Khatir Hi Sahi Khud Ka Khayal Rakhna.”

Uske is Sms ko dekh kar, mai sochne laga ki, mujhe meri tabiyat ka khayal rakhne ko kaha aur khud ki tabiyat kharab kar li. Ye Sms to apni tabiyat ka khayal rakhne ke liye, ab mujhe isko hi bhejna chahiye.

Ye baat mere dimag me aate hi mera man kiya ki, mai ye Sms keerti ko bhej du. Lekin mujhe is baat ka dar bhi lag raha tha ki, kahi mera Sms jaane se uski nind na toot jaye. Isliye mai chah kar bhi use sms bhejne ki himmat nahi juta pa raha tha. Mai Sms bheju ya na bheju ki ajib si kashmkash me fasa hua tha.

Magar fir mere dimag me khayal aaya ki, mai keerti ke dusre mobile par bahut kam call ya sms karta hu aur us mobile ka istemal keerti sirf mujhe call karne ke liye karti hai. Aise me yadi mai us mobile par Sms karta hu to, keerti ko, mera Sms tabhi dikhayi dega, jab wo mujhe call karne ke liye mobile uthayegi.

Ye baat sochte huye, maine apni saari takat jutayi aur darte darte keerti ke dusre mobile par wo Sms bhej diya. Ab mai dhadakte dil se ye dekhne laga ki, keerti ka koi Sms ya call to nahi aa raha hai. Jab thodi der tak keerti ka koi call ya Sms nahi aaya to, maine rahat ki saans li aur fir se let kar sone ki koshish karne laga.

Magar hua wo hi, jis se mai dar raha tha. Abhi mujhe aankh band kiye kuch hi der huyi thi ki, keerti ka call aane laga. Mai fauran uth kar baith gaya aur keerti ka call uthate huye kaha.

Mai bola “hello.”

Keerti boli “jaan, itni raat ko kya tumko msg msg khelna hai.”

Uski aawaj se wo unidi si lag rahi thi aur uski aawaj bahut ruk ruk kar aa rahi thi. Mujhe ab apne Sms karne ki galti par pachtawa ho raha tha. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “sorry, wo maine aise hi msg kar diya tha. Tu apni nind kharab mat kar aur so ja.”

Keerti boli “I love u jaan, muuuuhhhh.”

Mai bola “I love u, muuuhhhh. Ab tu so ja.”

Keerti boli “ok jaan, lekin tum kyo jaag rahe ho. Kya tumko sona nahi hai.”

Mai bola “mujhe nind nahi aa rahi hai. Lekin tu meri fikar mat kar aur ab call rakh.”

Keerti boli “lekin tum kyo baithe ho. Tum bhi so jao na.”

Mai bola “thik hai, mai bhi so jata hu, par ab tu call rakh.”

Keerti boli “nahi, mujhe call nahi rakhna. Tum mujhe pakad kar so jao.”

Wo bahut jyada nind ke nashe me lag rahi thi. Isliye ab mujhe us se jyada bahas karna thik nahi laga. Isliye maine lette huye kaha.

Mai bola “ye le, mai bhi let gaya. Ab tu so ja.”

Keerti boli “ab apni aankh band karo aur mujhe jor se pakad lo. Mai tumhare sar par hath ferti hu.”

Keerti unidi si halat me budbudaye ja rahi thi. Maine uski baat sunkar apni aankh band kar li. Uska budbudana aur uski saanso ki aawaj se mujhe aisa mehsus ho raha tha ki, jaise wo mere pas hi hai.

Kuch der me me uska budbudana band ho gaya aur wo so gayi. Magar mujhe uski saanson ki aawaj abhi bhi sunayi de rahi thi. Jis se mujhe bahut shukun mil raha tha aur is shukun ko mehsus karte karte, pata nahi kab, mai bhi gahri nind ki aagosh me chala gaya.
 
Member
1,531
1,635
143
Ko To Rok Lo {Update - 160}
____________________________

Mai bola “mujhe nind nahi aa rahi hai. Lekin tu meri fikar mat kar aur ab call rakh.”

Keerti boli “lekin tum kyo baithe ho. Tum bhi so jao na.”

Mai bola “thik hai, mai bhi so jata hu, par ab tu call rakh.”

Keerti boli “nahi, mujhe call nahi rakhna. Tum mujhe pakad kar so jao.”

Wo bahut jyada nind ke nashe me lag rahi thi. Isliye ab mujhe us se jyada bahas karna thik nahi laga. Isliye maine lette huye kaha.

Mai bola “ye le, mai bhi let gaya. Ab tu so ja.”

Keerti boli “ab apni aankh band karo aur mujhe jor se pakad lo. Mai tumhare sar par hath ferti hu.”

Keerti unidi si halat me budbudaye ja rahi thi. Maine uski baat sunkar apni aankh band kar li. Uska budbudana aur uski saanso ki aawaj se mujhe aisa mehsus ho raha tha ki, jaise wo mere pas hi hai.

Kuch der me me uska budbudana band ho gaya aur wo so gayi. Magar mujhe uski saanson ki aawaj abhi bhi sunayi de rahi thi. Jis se mujhe bahut shukun mil raha tha aur is shukun ko mehsus karte karte, pata nahi kab, mai bhi gahri nind ki aagosh me chala gaya.

Mujhe itni jyada shukun bhari nind aayi ki, subah 8:30 baje kisi ke darwaja khatkhatane par hi meri nind khuli. Maine darwaja khola to samne priya khadi thi. Usne bataya ki mehul log aman ke ghar se subah wapas laut aaye hai.

Maine us se nikki ke baare me puchha to usne kaha ki, nikki abhi wahi par hai. Lekin wo 11 baje tak aane ka boli hai. Iske bad priya mujhe fresh hone ka bol kar wapas chali gayi.

Uske jaane ke bad mai fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad mai taiyar hone laga. Tabhi priya chay nashta lekar aa gayi. Lekin aaj uske chehre se uski jani pehchani muskan gayab thi.

Usne feeki si muskan ke sath mujhe chay nashta karne ko kaha aur mere pas hi baith gayi. Shayad kal der raat tak riya ke mere kamre me rahne ki vajah se uske man me bahut se sawal the.

Magar shayad wo mere naraj ho jaane ke dar se, chah kar bhi kuch puchh nahi pa rahi thi. Mai uski is pareshani ko samajh raha tha. Isliye maine uski is pareshani ko door karne ke liye baat banate huye us se kaha.

Mai bola “yaar tumne mujhe itni jaldi kyo jaga diya. Aaj meri nind puri nahi ho payi hai.”

Mujhe laga tha ki, priya mujhse meri nind pure na hone ki vajah puchhegi aur mujhe isi bahane riya ki baat batane ka mauka mil jayega. Lekin usne meri is baat ka sidha sa jabab dete huye kaha.

Priya boli “sorry, wo nikki 11 baje aane ka boli thi aur tum 8:30 baje tak sokar nahi uthe the. Maine socha ki, tumko taiyar hone aur nashta vagairah karne me der na ho jaye. Isliye maine tumko jaga diya, warna mai tumko sone deti. Waise bhi tumko jagane ka theka to nikki ne hi lekar rakha hai.”

Ye kah kar wo jor se khilkhilane lagi. Magar ab mai uski is hansi ko ache se samajhne laga tha. Uski hansi, uske asli jajbaton ko chhipane ka sirf ek parda thi aur ye parda uske chehre par hamesha rahta tha.

Magar ab uski ye hansi mere dil ko chot pahuchati thi. Mai uske chehre par nakli hansi nahi, balki hamesha asli hansi dekhna chahta tha. Isliye ab maine priya ke koi sawal karne ka intejar karna thik nahi samjha aur khud hi use raat ko riya se huyi wo baten batana suru kar diya, jo baten uske liye janna jaruri tha.

Priya bade gaur se meri baten sun rahi thi aur dhire dhire uski aankhen aansuon se bheeg gayi. Meri baat khatam hone ke bad, usne apne chehre se aansuon ko saaf kiya aur fir bina kuch kahe uth kar jaane lagi. Use is tarah jate dekh kar, maine fauran uska hath pakad kar, use rokte huye kaha.

Mai bola “tum kaha ja rahi ho. Maine ye baat sirf tumse isliye batayi hai, taki tumhare man me riya ki kisi baat ki vajah se koi galatfahmi na rahe. Lekin yadi ye sab baten tum riya se jakar karogi to, use ye jaan kar bahut dukh hoga ki, uski chhoti bahan uske baare me itna sab kuch janti hai. Wo bechari ye baat janne ke bad khud ki hi najro me gir jayegi.”

Meri baat sunkar priya wapas apni jagah par baith gayi. Lekin uski aankhon se aansu abhi bhi bah rahe the. Is samay uske dil ki jo haalat thi, mai achi tarah samajh raha tha. Fir bhi maine mahaul ko halka banane ke liye priya ke aansu pochhte huye kaha.

Mai bola “tumhari aankhon me aansu ache nahi lagte. Tum hansti huyi hi achi lagti ho. Isliye hamesha hansti hi raha karo. Meri mom kahti hai ki, jo rishte dil se nibhaye jate hai, unme pyar aur apnapan hamesha bana rahta hai. Aise rishte apne dil ki baat kahne ke liye shabdo ke mohtaj nahi hote. Isliye tum riya se is baare me kuch mat kaho. Ye hi tum dono ke liye acha hai.”

Abhi mai priya ko samjha hi raha tha ki, tabhi mera mobile bajne laga. Maine call uthaya to, chhoti maa ka call tha. Maine priya ko ye baat batayi aur fir chhoti maa ka call uthate huye kaha.

Mai bola “ji chhoti maa.”

Chhoti maa boli “kya kar raha tha tu.”

Mai bola “kuch nahi chhoti maa, bas aapki hi baat yaad kar raha tha.”

Chhoti maa boli “aaj kal tu bahut baten banane laga. Jab bhi call karo, bas ek hi baat bolta hai ki, aapko hi yaad kar raha tha.”

Chhoti maa ki is baat par mujhe hansi aa gayi. Maine unko apni safayi dete huye kaha.

Mai bola “ab isme mai kya kar sakta hu. Mai jab bhi aapko yaad karta hu, aap call kar deti ho.”

Chhoti maa boli “chal thik hai. Maine ye batane ke liye call kiya tha ki, maine car booked kar di hai aur payment bhi kar di hai. Tum aaj 12 baje ke bad Audi car showroom me jakar car utha lena.”

Ye baat sunkar, meri khushi ka thikana nahi raha. Ab tak priya bhi apne aapko sambhal chuki thi. Usne achanak mujhe itna khush dekha to, ishare se puchhne lagi. Maine use thoda rukne ka ishara kiya aur chhoti maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, ye to aapne bahut achi khabar di hai. Magar aapne mujhse bina puchhe hi car kyo booked kar di. Kam se kam mujhse car ka color hi puchh leti. Ab pata nahi aapne kaun sa color liya hai.”

Meri baat sunkar chhoti maa ne hanste huye kaha.

Chhoti maa boli “tu naraj kyo hota hai. Keerti ne mujhe bataya tha ki, tune red color ki audi car lene ki baat sochi hai. Isliye maine red color hi liya hai.”

Chhoti maa ki is baat ne mujhe hairan kar diya. Mujhe samajh me nahi aaya ki, maine kab keerti se ye baat kah di thi. Kyoki na to maine aisa kuch socha tha aur na hi aisa kuch keerti se kaha tha.

Fir bhi keerti ne chhoti maa ke samne mera naam lekar ye baat kah di thi to, mujhe bhi chhoti maa ke samne chup rah jana pada. Iske bad maine chhoti maa se is baare me koi or baat nahi ki aur unse thodi bahut jaruri baten karke call rakh diya.

Chhoti maa se baat ho jaane ke bad, maine priya ki taraf dekha to, ab uske chehre par wo hi pahle wali muskan thi. Shayad meri aur chhoti maa ki baten sunkar, uska mood thik ho gaya tha. Mere call rakhte hi usne mujhse kaha.

Priya boli “kya tum koi car le rahe ho.”

Mai bola “haan, meri mom shikha didi ki shadi me unko ek car gift kar rahi hai. Un ne ye batane ke liye hi call kiya tha ki, mai Audi car showroom me jakar car utha lu.”

Meri baat sunkar, priya fati fati si aankhon se mujhe dekhne lagi. Jaise maine koi bahut badi hairani wali baat kah di ho. Use is tarah se hairan hote dekh kar maine us se kaha.

Mai bola “kya hua.? Tum is tarah se mujhe kyo dekh rahi ho.”

Priya boli “tum thik kahte the. Tumhari mom sach me duniya ki sabse achi mom hai.”

Uski ye baat sunkar mujhe hansi aa gayi aur maine us se puchha.

Mai bola “kyo, aisa kya hua, jo aaj tumko meri ye baat sach lagne lagi. Kya shikha didi ko car gift kar dene se tumko aisa lag raha hai.”

Priya boli “nahi, baat sirf car gift karne ki nahi hai. Baat ye hai ki, tumhari mom to shikha didi ko janti tak nahi hai. Wo sirf tumhari khushi ke liye hi ye sab kar rahi hai. Wo ek maa ki tarah tumhari dekh bhal karti hai aur ek dost ki tarah tumhara sath bhi deti hai. Tumne pichhle janam me jarur bahut ache karam kiye hoge. Isliye tumhe is janam me aisi mom mili hai.”

Priya ke muh se chhoti maa ke liye ye sab baten sunkar, mera dil khush ho gaya. Maine muskurate huye, priya se kaha.

Mai bola “meri mom ki itni tarif ke liye thanks.”

Iske aage hum log koi aur baat kar pate ki, usi samay hume bahar se shor sharabe ki aawazen aate sunayi di. Ye aawazen sun kar hum ek dusre ko dekhne lage. Fir priya ne bahar chal kar dekhne ko kaha to, mai uske sath uth kar bahar hall me aa gaya.

Waha nitika aur uski mom mohini ke bich kisi baat ko lekar kaha suni chal rahi thi. Raj, riya, mehul, dada ji aur padmini aunty sabhi waha par maujud the. Nitika is samay ek black mini skirt top me thi. Jo behad hi badkila tha.

Use is dress me dekh kar mujhe samajhte der nahi lagi ki, ho na ho saari kaha suni isi baat par chal rahi hai. Fir bhi mamle ko samajhne ke liye mai khamosh hokar un sabki baten sunne laga.

Aunty aur dada ji un dono ko shant karwane ki koshish kar rahe the. Lekin pata nahi mohini aunty ne aisi kya baat bol di thi, jiski vajah se nitika kuch jyada hi gusse me najar aa rahi thi. Usne apni mom par gusse me chikhte huye kaha.

Nitika boli “aap apne aapko samajhti kya hai. Aap jab chahe jiski beijjati kar degi aur aap ko koi kuch nahi kahega. Aaj aapne aunty ke upar ungli utha kar acha nahi kiya.”

“Ab aap bhi kaan khol kar sun lijiye. Aaj se mai aapki koi bhi behuda baat nahi sunugi. Mujhe kya pehanna hai, kya khana hai, iska faisla mai khud hi karugi. Aapko meri kisi baat me taang adane ki jarurat nahi hai.”

Nitika ne buri tarah se mohini aunty ko jhidka tha aur uski is baat ko sunkar mohini aunty ka paara bhi bahut chad gaya tha. Un ne gusse me nitika ko bakte huye kaha.

Mohini aunty boli “bitte bhar ki chhori aur apni maa se juban ladati hai.”

Ye kahte huye mohini aunty ne nitika ko thappad marne ke liye apna hath uthaya. Magar nitika ne unka hath bich me hi pakad kar thappad padne se rok liya. Mohini aunty apna hath chhudane ki koshish karne lagi.

Lekin nitika ne majbuti se unka hath pakde rakha. Nitika ka ye roop mere liye bilkul hi naya tha aur ek tarah se wo apni mom ki sabke samne khul kar beijjati kar rahi thi. Lekin mohini aunty ne jo baten keerti aur nikki ke liye boli thi.

Un baton ki vajah se mujhe unke sath ye sab hote dekh kar khushi ho rahi thi. Magar nitika ko aisa karte dekh kar, priya aage badi aur usne nitika se mohini aunty ka hath chhudate huye, gusse me sab se kaha.

Priya boli “aap sab khade hokar ye tamasha dekh rahe hai. Aap sab se ye bhi nahi hua ki, didi ko aisa karne se rok de.”

Lekin kisi ke kuch bolne ke pahle hi, nitika ne priya ki is baat ka jabab dete huye kaha.

Nitika boli “koi tamasha nahi dekh raha hai. Ye aurat isi layak hai ki, sab iski beijjati karte rahe. Seeru didi thik hi kahti thi ki, ye gaon ki ganvar hai aur ise to yaha mumbai me ghusne hi nahi dena chahiye tha.”

Nitika ki is baat par priya ne gusse me usko ghurte huye kaha.

Priya boli “khabardar didi, yadi aapne chachi ke sath jara bhi badtamizi ki to, mujhse bura koi nahi hoga. Wo aapki maa hai aur unke sath tamiz se baat kijiye.”

Magar nitika par priya ki is baat ka jara bhi asar nahi pada. Usne ulta priya ko samjhate huye kaha.

Nitika boli “tujhe pata bhi hai, is aurat ne tere baare me kitni gandi baat kahi hai. Yadi tu sun leti to, tu iska muh hi noch leti. Mujhe to ab isko apni maa kahte huye bhi sharam aa rahi hai.”

Nitika ki is baat ne mujhe bhi sochne par majbur kar diya ki, aakhir mohini aunty ne aisi kya baat bol di thi. Jiski vajah se nitika hi apni mom ke khilaf khadi ho gayi thi aur itna jyada bhadki huyi thi. Lekin priya ne nitika ki is baat ko sunkar bhi ansuna karte huye kaha.

Priya boli “bas didi, ab bahut ho gaya. Chachi ne mujhe kya bola aur kya nahi bola, mujhe kuch nahi janna. Aap abhi ke abhi chachi se apni galti ki maafi mango.”

Nitika boli “maine koi galti nahi ki aur na hi mai is aurat se apni kisi baat ke liye maafi mangugi.”

Lekin priya bhi kam jiddi nahi thi. Usne apni baat ko dohrate huye kaha.

Priya boli “didi, aapko meri kasam hai. Aap chachi se apni galti ki maafi mango.”

Magar nitika ne uski baat manne se inkar karte huye kaha.

Nitika boli “nahi, mai kisi baat ki maafi nahi magugi. Tujhe jo samajhna hai, samajh le.”

Priya boli “didi, maine aapko apni kasam di hai. Aap abhi ke abhi chachi se maafi mango, warna aap mera mara hua muh dekhogi.”

Priya ki is jid ke aage nitika ko jhukna hi pad gaya. Usne mohini aunty ko sorry kaha aur fir gusse me palat kar, apne kamre me chali gayi. Uske jate hi dada ji bhi apne kamre me chale gaye.

Mohini aunty shant khadi thi aur padmini aunty ki aankhon me nami chhayi huyi thi. Mujhe kuch samajh me nahi aa raha tha ki, yaha hua kya hai. Magar priya ko jaise ye sab janne ki koi utsukta hi nahi thi. Usne mohini aunty ka hath pakad kar unhe baithate huye kaha.

Priya boli “chachi, niti didi ne aapke sath jo badtamizi ki hai, uske liye mai aapse maafi mangti hu. Mai janti hu ki, aapko mai aur meri harkaten pasand nahi hai. Magar mai aapse vada karti hu ki, aaj ke bad aapko meri vajah se niti didi se koi shikayat nahi hogi.”

Ye kahte kahte priya ki aankhon me nami chha gayi aur wo apni aankhon ki is nami ko sabse chhupane ke liye, waha se uth kar jaane lagi. Magar raj jo abhi tak khamoshi se sab kuch dekh raha tha. Usne priya ka hath pakad kar use jaane se rokte huye aunty se kaha.

Raj bola “chachi, aaj niti ne jo kuch kiya, mai usme uski jara bhi galti nahi manta. Ye uska apni bahan ke liye pyar tha. Jo gusse ke roop me bahar nikal kar aaya tha aur aaj mai bhi aapse ye janna chahta hu ki, meri jis bahan ki muskan meri jaan hai, aap use baar baar aansu kyo deti ho. Aapko meri is bholi bhali bahan se itni nafrat kyo hai. Aaj aapko mere is sawal ka jabab dena hi hoga.”

Ye kah kar raj mohini aunty ko dekhne laga. Wahi priya ne mohini aunty ka bachaw karte huye raj se kaha.

Priya boli “bhaiya chachi mujhse nafrat nahi karti. Bas unhe meri harkaten pasand nahi hai. Isliye wo mujhe pasand nahi karti hai.”

Magar raj ne priya ko daant kar chup karate huye kaha.

Raj bola “tu apna muh band rakh. Mai koi chhota bachcha nahi hu. Jo inki is nafrat ko bhi na samajh saku. Yadi inhe tere chhote kapde pahanne se pareshani hai to, fir ye riya ko kyo kabhi kuch nahi kahti. Riya ke sath to ye bade pyar se pesh aati hai. Use to ye kabhi teri tarah jalil nahi karti hai. Fir tere sath ye aisa kyo karti hai. Aaj mai ye jaan kar hi rahuga.”

Raj ki baat sunkar, mohini aunty yaha waha dekhne lagi. Unhe dekh kar aisa lag raha tha ki, jaise raj ne unki koi chori pakad li ho. Magar ek baar fir priya ne mohini aunty ka bachaw karte huye kaha.

Priya boli “bhaiya, wo meri chachi hai aur unhe mujhe kuch bhi bolne ka pura haq hai. Aapko meri kasam hai. Ab aap chachi se is baare me kuch nahi puchhege. Aap kya, koi bhi unse kuch nahi puchhega.”

Priya ki is baat par raj gusse me uski taraf dekhne laga. Magar priya ne use gusse me dekha to, badi masumiyat se apne kaan pakad liye aur apna sar hila kar use gussa na karne ke liye kahne lagi.

Priya ki is masumiyat aur uski kasam ke samne raj bebas ho gaya. Magar uska gussa kam nahi hua aur wo bhi waha se chala gaya. Raj ke waha se chale jaane ke bad waha khamoshi chha gayi.

Ab waha ke is tanav bhare mahol me ek pal ke liye bhi rah pana mere liye mushkil ho gaya tha. Maine mehul ki taraf dekha to, usne waha se chalne ka ishara kiya aur fir hum dono waha se uncle ke kamre me aa gaye.

Uncle ke pas aate hi, uncle is shor sharabe ki vajah puchhne lage. Tab mehul ne bataya ki, hum sab nashta kar rahe the. Nashte ke bad, nitika ne bataya ki, priya ne use ek dress gift ki hai.

Itna bol kar wo hum sab ko dikhane ke liye dress pahanne chali gayi. Jab wo dress pahan kar wapas aayi to, uski dress ko dekh kar, mohini aunty ka gussa bhadak gaya.

Mohini aunty ne gusse me priya ko ulta sidha bakte huye kaha ki, dayan khud to randi ki tarah apna jism dikhate firti hai aur ab meri beti ko bhi waisa hi banana chahti hai. Pata nahi iski ragon me kiska ganda khoon bah raha hai.

Mohini aunty ki is baat ko sunkar, raj unko aisi baat bolne ke upar se gussa karne laga. Magar us se jyada gussa nitika ko aa gaya. Usne to saara ghar hi sar par utha liya aur mohini aunty ko apni maa manne se hi inkar karte huye ulta sidha bakne lagi.

Wo priya ko ye sab bole jaane ki vajah se bahut gusse me thi. Uska kahna tha ki, uski maa ne sirf priya ko hi nahi, balki aakash uncle aur padmini aunty ke khoon ko bhi gaali di hai aur iske liye wo apni maa ko kabhi maaf nahi karegi.

Nitika ko is tarah bakte dekh dada ji aur padmini aunty use samjhane ki koshish karte rahe. Lekin wo kisi ki baat sunne ko taiyar nahi thi aur tabhi priya bhi waha aa gayi aur usne ye sab jhagra shant karaya. Iske bad mehul wo sab baten uncle ko batane laga, jo mere samne huyi thi.

Aaj subah subah hi mohini aunty ne aisa dhamaka kar diya tha ki, mera saara mood kharab ho gaya tha aur aisa lag raha tha ki, ab baki ka saara din bhi aisa hi gujarne wala hai.

Ye baat sochte hi mujhe yaad aaya ki, abhi to nikki bhi yaha aane wali hai. Kahi aisa na ho ki, yaha ke tanav ki vajah se uska mood bhi kharab ho jaye. Ye baat dimag me aate hi, mai fauran apne kamre me aa gaya.

Apne kamre me aate hi maine fauran nikki ko call laga diya. Nikki se baat karne par pata chala ki, wo yaha aane ke liye nikalne hi wali thi. Magar maine use yaha aane se rokte huye, use sidhe shikha didi ke ghar pahuchne ko kah diya.

Iske bad maine priya ko call karke nikki ke yaha na aane ke baare me bata diya. Jiske bad usne kaha ki, wo abhi taiyar hokar aati hai. Fir maine raj, riya aur mehul ko bhi taiyar hone ka bola aur unke aane ka intejar karne laga.

Kuch hi der me raj aur mehul taiyar hokar mere kamre me aa gaye. Maine unhe car ke baare me bata raha tha. Tabhi riya bhi aa gayi aur use bhi priya ki tarah car ke baare me sunkar, bahut hairat huyi.

Humari baat chal hi rahi thi ki, tabhi raj gusse me darwaje ki taraf dekhne laga. Use is tarah gusse me darwaje ki taraf dekhte dekh kar, hum sab ki najar bhi darwaje ki taraf chali gayi.

Lekin darwaje ki taraf dekhte hi, meri aur mehul ki aankhe hairat se khuli ki khuli rah gayi. Wahi jab riya ki najar darwaje par padi to, uske chehre par bhi wo hi bhav aa gaye, jo ki raj ke chehre par the.
 
Member
1,531
1,635
143
Ko To Rok Lo {Update - 161}
____________________________

Apne kamre me aate hi maine fauran nikki ko call laga diya. Nikki se baat karne par pata chala ki, wo yaha aane ke liye nikalne hi wali thi. Magar maine use yaha aane se rokte huye, use sidhe shikha didi ke ghar pahuchne ko kah diya.

Iske bad maine priya ko call karke nikki ke yaha na aane ke baare me bata diya. Jiske bad usne kaha ki, wo abhi taiyar hokar aati hai. Fir maine raj, riya aur mehul ko bhi taiyar hone ka bola aur unke aane ka intejar karne laga.

Kuch hi der me raj aur mehul taiyar hokar mere kamre me aa gaye. Maine unhe car ke baare me bata raha tha. Tabhi riya bhi aa gayi aur use bhi priya ki tarah car ke baare me sunkar, bahut hairat huyi.

Humari baat chal hi rahi thi ki, tabhi raj gusse me darwaje ki taraf dekhne laga. Use is tarah gusse me darwaje ki taraf dekhte dekh kar, hum sab ki najar bhi darwaje ki taraf chali gayi.

Lekin darwaje ki taraf dekhte hi, meri aur mehul ki aankhe hairat se khuli ki khuli rah gayi. Wahi jab riya ki najar darwaje par padi to, uske chehre par bhi wo hi bhav aa gaye, jo ki raj ke chehre par the.

Darwaje se muskurati huyi priya andar aa rahi thi. Lekin hum sab ke is tarah se hairan hone ki vajah priya ka aana nahi, balki wo dress thi, jo is samay wo pahne huyi thi. Is samay priya red color ka salwar suit pahne huyi thi.

Is salwar suit me wo behad sundar, pyari aur masum lag rahi thi. Mehul to use aise dekh raha tha, jaise ki pahli baar wo priya ko dekh raha ho. Tab tak wo chal kar humare pas aakar khadi ho gayi aur fir se apni muskurahat bikherte huye, usne humse kaha.

Priya boli “kaisi lag rahi hu mai.”

Priya ki baat sunte hi mehul ne tapak se kaha.

Mehul bola “bahut sundar lag rahi ho. Mujhe to apni aankhon par abhi bhi viswas nahi ho raha hai ki, mere samne jo ladki khadi hai, wo humari priya hai.”

Mehul ki baat sunkar, priya khilkhilane lagi. Magar raj ne us par gussa karte huye kaha.

Raj bola “ye sab kya natak hai. Tune niti ke kapde kyo pahne hai.”

Priya boli “ye niti didi ke kapde nahi hai. Ye to mera suit hai, bahut din se pahna nahi tha, isliye aaj pahan liya.”

Lekin priya ki ye baat sunte hi raj gusse me uth kar khada ho gaya aur fir priya par bhadakte huye kaha.

Raj bola “mujhe charane ki koshish mat kar. Mai hi nahi, ye sab bhi jante hai ki, ye suit niti ka hai.”

Raj ki baat sunkar, priya ne meri taraf dekha. Maine sar hilakar, use is baat ki sahmati di ki, raj thik kah raha hai. Asal me priya jo suit pahne thi, wo suit nitika ne tab pahna tha, jab hum sab waterfall gaye the.

Priya ko meri baat samajh me aate hi, usne ek najar sab ki taraf dekha aur fir fauran hi baat ko badalte huye kaha.

Priya boli “hehehehe, mai to majak kar rahi thi. Ye niti didi ka hi suit hai, magar mujhe bahut pasand aaya to, maine pahan liya.”

Priya ki baat sunkar hum sab muskura diye. Lekin raj par is sab ka koi asar nahi pada. Usne priya ki baat ko kaatte huye kaha.

Raj bola “tujhe kya pasand hai aur kya pasand nahi hai, mai sab janta hu. Tujhe kisi ke liye apne aapko badalne ki koi jarurat nahi hai. Ab ja aur jakar apne kapde pahan kar aa. Mujhe tere ye kapde jara bhi pasand nahi hai.”

Priya boli “bhaiya plz, meri khatir, mujhe ye suit pahanne do na.”

Priya ne badi hi masumiyat se ye baat kahi thi aur uski ye baat sunkar, raj ka dil bhi pighal gaya. Raj ne use samjhate huye kaha.

Raj bola “dekh, tu kuch bhi pahane, mujhe koi pareshani nahi hai. Magar meri ek baat kaan khol kar sun le. Tujhe kabhi kuch bhi aisa karne ki jarurat nahi hai, jo tujhe pasand na ho. Mere liye teri khushi se bad kar, kuch bhi nahi hai. Mai hamesha tujhe khush aur hanste huye dekhna chahta hu.”

Raj ki ye baat sunkar, priya uske gale se lag gayi aur hum sab log unko dekh kar muskura lage. Tabhi nitika aa gayi. Usne priya ko raj ke gale lage dekha to, usne raj ko tokte huye kaha.

Nitika boli “bhaiya, apna saara pyar kya sirf priya par hi luta dene ka irada hai ya fir kuch hum dono bahno ke liye bhi bachane ka socha hai.”

Nitika ki baat sunkar, hum sab hasne lage. Lekin priya ne sabko yaad dilate huye kaha ki, 11 baj chuke hai aur ab hum logon ko shikha didi ke ghar ke liye nikalna chahiye.

Priya ki ye baat sunkar sab uth kar khade ho gaye aur shikha didi ke ghar jaane ke liye bahar aa gaye. Fir priya, riya, nitika car me aur mai, mehul, raj bike me shikha didi ke ghar ke liye nikle pade.

Hum log 11:30 baje shikha didi ke ghar pahuch gaye. Nikki waha pahle hi pahuch gayi thi. Waha par khana peena chal raha tha. Humare pahuchte hi barkha ne hum sab ke liye bhi khana laga diya.

Khana peena hote hote 12 baj gaye. Uske bad maine barkha se humare sath chalne ka kaha to, usne kaha ki, abhi didi ko pahli haldi chadna hai. Aise me uska humare sath ja pana mushkil hai.

Magar maine use samjhaya ki, hume jyada der nahi lagegi aur yadi jyada der lagi to, hum use wapas ghar bhej dege. Meri baat sunkar, wo humare sath chalne ke liye taiyar ho gayi.

Lekin maine use ye nahi bataya ki hum log kaha ja rahe hai. Fir ek car me raj, riya, priya, nitika aur ek car me mai, mehul, barkha, nikki Audi car showroom ke liye nikal pade.

Kuch hi der me hum sab waha pahuch gaye. Waha pahuchne ke bad, barkha ko jab ye baat pata chali ki, waha hum kiske liye car lene aaye hai to, wo aisa karne se pahle shikha didi se puchh lene ki jid karne lagi.

Magar maine aisa karne se mana karte huye kaha ki, ye car meri taraf se nahi, balki meri mom ki taraf se hai aur shikha didi ko is sab se koi pareshani hai to, wo khud hi meri mom se baat kar legi. Mera kaam sirf mom ka gift didi tak pahuchana hai.

Baki sab logon ne bhi meri haan me haan milayi aur aakhir me barkha ko bhi humari baat manna pad gayi. Fir humne chhoti maa ki booked ki huyi car waha se le li. Lekin priya car le chalne ke pahle, car ki puja karne ki baat karne lagi.

Magar hum pujan koi saman lekar nahi gaye the. Isliye mai mehul aur raj bahar saman lene aa gaye. Bahar aane par hume sadak ke dusri taraf ek dukan najar aa gayi aur hum waha pujan ka saman lene chale gaye.

Hum abhi dukan se saman le hi rahe the ki, tabhi chhoti maa ka call aa gaya. Maine mehul ko chhoti maa ka call aane ki baat batayi aur fir un logon ko wahi par saman lete chhod kar, mai sadak ke kinare yaha waha tahalte huye chhoti maa se baat karne laga.

Chhoti maa se baat karte karte meri najar showroom ki taraf padi to, priya bahar khadi mujhe hi dekh rahi thi. Shayad wo humare pichhe pichhe hi showroom se bahar aa gayi thi.

Jaise hi usne mujhe apni taraf dekhte paya to, mujhe aankh marte huye mobile par lage rahne ka ishara kiya aur fir ek shaitani bhari muskurahat me muskurane lagi. Shayad use ye lag raha tha ki, mai abhi apni girlfriend se baat kar raha hu.

Uski is baat ke samajh me aate hi maine muskurate huye pahle na me sar hilaya aur fir hath se jhula jhulane ka ishara karte huye use bataya ki mai apni mom se baat kar raha hu.

Priya ko mera ye ishara samajh me aate hi, usne apne dono kaan pakad liye aur sorry bolne wale andaz me apna chehra sikodne lagi. Uski is harkat par mai muskura diya aur fir na me sar hila diya.

Priya ki is harkat ne mujhe keerti ki yaad dila di thi. Aaj subah se meri us se koi baat nahi ho payi thi. Subah usne mujhe call lagaya tha. Lekin us samay mai so raha tha. Isliye usne mujhe pareshan karna thik nahi samjha tha.

Magar sokar uthne ke bad, mujhe keerti ko call karne ka samay hi nahi mila aur shayad keerti ko meri subah chhoti maa se huyi baton ka pata tha. Isliye usne ye soch kar mujhe call nahi lagaya tha ki, mai apne kaam se free hote hi khud use call karuga.

Ye baat dimag me aate hi, maine socha ki chhoti maa se baat karne ke bad, keerti se bhi baat kar leta hu. Warna kahi wo is baat ko lekar bevajah mujhse jhagra karna suru kar degi.

Is samay mai teen tarfa uljha hua tha. Mai phone par to chhoti maa se baat kar raha tha. Lekin mera dimag keerti ke khayalon me uljha hua tha. Jabki meri najar priya par tiki huyi thi aur mai us se isharo me baat kar raha tha.

Abhi mai inhi sab baton me uljha hua tha ki, achanak hi priya ke chehre ki rangat badal gayi aur usne ghabra kar, chikhte huye meri taraf hath uthaye. Magar is se pahle ki mai uske is ishare ko samajh kar, pichhe palat kar dekh pata, us se pahle hi mujhe pichhe se ek jor daar dhakka laga aur is dhakke se mai kahi or jakar gira aur mera mobile kahi or jakar gira.
 
Member
1,531
1,635
143
Ko To Rok Lo {Update - 162}
____________________________

Magar sokar uthne ke bad, mujhe keerti ko call karne ka samay hi nahi mila aur shayad keerti ko meri subah chhoti maa se huyi baton ka pata tha. Isliye usne ye soch kar mujhe call nahi lagaya tha ki, mai apne kaam se free hote hi khud use call karuga.

Ye baat dimag me aate hi, maine socha ki chhoti maa se baat karne ke bad, keerti se bhi baat kar leta hu. Warna kahi wo is baat ko lekar bevajah mujhse jhagra karna suru kar degi.

Is samay mai teen tarfa uljha hua tha. Mai phone par to chhoti maa se baat kar raha tha. Lekin mera dimag keerti ke khayalon me uljha hua tha. Jabki meri najar priya par tiki huyi thi aur mai us se isharo me baat kar raha tha.

Abhi mai inhi sab baton me uljha hua tha ki, achanak hi priya ke chehre ki rangat badal gayi aur usne ghabra kar, chikhte huye meri taraf hath uthaye. Magar is se pahle ki mai uske is ishare ko samajh kar, pichhe palat kar dekh pata, us se pahle hi mujhe pichhe se ek jor daar dhakka laga aur is dhakke se mai kahi or jakar gira aur mera mobile kahi or jakar gira.

Ye sab itni achanak hua tha ki, mujhe kuch samajhne ka mauka hi nahi mila tha aur jab tak mai kuch samajh pata us se pahle hi mai jamin ki dhool chat raha tha. Mera mobile sadak par pada tha aur uske upar se ek car gujar gayi thi.

Shayad ye hi haal mera bhi hua hota, yadi kisi ne mujhe pichhe se dhakka dekar sadak ke kinare na dhakela hota. Mujhe sahi salamat dekh kar priya ne meri taraf daud laga di. Tab tak mehul aur raj bhi bhag kar mere pas aa chuke the.

Dono ne mujhe sahara dekar khada kiya aur mere hath pair dekhne lage. Mujhe jyada chhot to nahi aayi thi. Bas hath thode se chhil gaye the aur girne ki vajah se ghutne me kuch dard sa mehsus ho raha tha.

Maine unse sab thik hone ki baat boli, fir iske bad meri najar us ladke ki taraf padi, jisne mujhe dhakka diya tha. Wo ladka koi or nahi hitesh tha. Wo khada khada apne kapde jhad raha tha.

Shayad mujhe dhakka dene ke chakkar me wo khud bhi jamin par gir gaya tha. Apne kapde saaf karne ke bad, usne mere pas aakar kaha.

Hitesh bola “tum thik to ho, tumko jyada chot to nahi aayi.”

Maine uski is baat ka muskurate huye jabab diya.

Mai bola “thanks yaar, mujhe koi chot nahi aayi. Yadi aaj tum nahi hote to shayad mera bhi wo hi haal hota, jo mere mobile ka hua hai.”

Meri baat sunkar, sabki najar sadak par pade mere mobile par padi. Mehul daud kar mera mobile uthane chala gaya. Tab tak priya bhi mere pas aa chuki thi. Pata nahi is thodi si der me hi uske dil ne kitna kuch saha tha. Jo uske chehre se saaf jhalak raha tha.

Uski aankhon me aansu the aur wo bahut dari huyi lag rahi thi. Wo mere pas aate hi mere hathon ko dekhne lagi aur uske bad, mujhse mera pant upar karke, pair dikhane ke liye kahne lagi.

Priya ka ye bartav mujhe bahut bachkana lag raha tha aur raj ke samne uska ye sab karna mujhe jara bhi acha nahi lag raha tha. Lekin is samay priya ko kisi ke bhi hone, na hone ki koi parwah nahi thi.

Wo to bas apne dil ki tasalli kar lena chah rahi thi. Tab tak mehul bhi mera mobile lekar wapas aa chuka tha. Usne priya ko is tarah mujhse jid karte dekha to, hanste huye priya se kaha.

Mehul bola “are priya, ise kuch nahi hua. Itni si chot se isko koi farak nahi padega. Jab iska sach me accident hua tha, tab to ye chalne firne se baaj nahi aaya tha. Fir abhi to ise kuch hua hi nahi hai.”

Magar mehul ki ye baat sunkar, priya bhadak gayi. Usne mera hath pakad kar mehul ke samne karte huye kaha.

Priya boli “kya tumhe ye bahta hua khoon dikhayi nahi de raha hai. Kya tumne ye dekha tha ki, hitu ne isko kitni jor ka dhakka maara tha. Yadi tumne ye sab dekha hota to, ye kabhi na kahte ki, ise kuch hua hi nahi hai.”

Priya ki ye baat sunkar, mehul jhep gaya aur kabhi mujhe to, kabhi raj ko dekhne laga. Wahi hitesh bhi kuch ghabra sa gaya tha. Use dekh kar aisa lag raha tha, jaise ki usne mujhe dhakka maar kar bahut badi galti kar di ho.

Raj ne mehul aur hitu ke chehre ke udhe huye rang ko dekha to, usne mere kandhe par hath rakh kar, muskurate huye kaha.

Raj bola “are tum log priya ki baat ko lekar itna pareshan mat ho. Is se kisi ka khoon dekha nahi jata hai. Isliye ye ghabra gayi hai. Ab behtar yahi hoga ki, ise pair dekh kar apne dil ki tasalli kar lene do.”

Raj ki baat sunkar, maine baari baari se apne dono pair priya ko dikha diye. Mujhe pair me koi khas chot nahi lagi thi. Bas girne ki vajah se ghutne me halki si sujan aa gayi thi. Jis vajah se thoda bahut dard ho raha tha.

Lekin mere hath me lagi chot aur pair ki sujan dekhne ke bad, priya ne doctor ko dikhane ki jid pakad li. Mai use samjhane ki koshish karta raha. Lekin wo meri koi bhi baat sunne ko taiyar nahi thi.

Hume is tarah bahas karte dekh, raj ne mujhe samjhate huye kaha ki, priya se bahas karna bekar hai. Tum uski baat maan lo aur uske sath jakar doctor ko dikha lo. Tab tak mai aur mehul jakar car ka pujan kar lete hai.

Aakhir me raj ki baat maan kar, mai priya aur hitu ke sath pas hi ek doctot ko dikhane chala gaya. Doctor ne bhi yahi kaha ki, mamuli si chot hai, ghabrane ki koi baat nahi hai.

Jab hum doctor ke yaha se wapas laute to, mehul log car ke sath bahar hi khade humara intejar kar rahe the. Humare unke pas pahuchte hi mehul ne apna mobile mujhe pakda diya. Uska mobile dekhte hi maine us se kaha.

Mai bola “abe apna mobile kyo de raha hai. Mera mobile kaha hai.”

Mehul bola “mai tera mobile kha kar nahi bhag jauga. Tere jate hi aunty ka call aaya tha. Unse baat karte karte tera call achanak kat gaya tha aur fir jab un ne tujhe dobara call lagaya to, tera mobile band bata raha tha. Isliye wo tujhe lekar bahut pareshan ho gayi thi aur un ne mujhe call lagaya tha.”

Mehul ki ye baat sunte hi mujhe yaad aaya ki, jab wo hadsa hua, tab mai chhoti maa se baat kar raha tha aur us hadse ki vajah se mujhe is baat ka dhayan hi nahi raha tha ki, mera call achanak kat jaane se wo pareshan ho rahi hogi.

Lekin meri is laparwahi ne ab meri pareshani bada thi. Maine fauran mehul ka mobile lete huye us se puchha.

Mai bola “tune chhoti maa ko mere baare me kya bataya hai.”

Mehul bola “maine yahi kaha ki, wo aapse sadak kinare tahalte huye baat kar raha tha. Tabhi ek bekabu car waha se gujri aur teri takkar us car se ho pati us pahle hi ek dost ne tujhe dhakka dekar kinare dhakel diya. Dhakka lagne ki vajah se tu to kinare aa gira. Magar tera mobile chhut kar sadak par ja gira aur car uske upar se nikal gayi. Jis vajah se tera mobile band ho gaya tha.”

Mehul ki ye baat sunkar, mujhe us par bahut gussa aaya aur maine us par jhallate huye kaha.

Mai bola “saale, sharir itna bada hai. Lekin bheja ratti bhar ka bhi nahi hai. Tujhe ye sab baten chhoti maa ko batane ki kya jarurat thi. Kya koi bahana nahi bana sakta tha.”

Mehul bola “abe jab tu sahi salamat hai. Tujhe kuch hua hi nahi hai to, fir koi bahana banane ki kya jarurat thi. Maine unhe samjha diya hai ki, tu bilkul thik hai aur tujhe kuch bhi nahi hua hai.”

Mehul ki is baat par mujhe or bhi jyada gussa aa gaya aur maine use ghurte huye kaha.

Mai bola “tu bhag ja mere samne se, warna mujhe to kuch nahi hua hai, par tujhe jarur kuch ho jayega.”

Meri baat sunkar, mehul mujhe aise dekhne laga, jaise maine koi bachkani baat kar di ho. Lekin abhi wo kuch bol pata ki, tabhi uska mobile bajne laga. Maine mobile dekha to, chhoti maa ka hi call aa raha tha. Maine fauran call utha liya. Mere call uthate hi chhoti maa ne kaha.

Chhoti maa boli “haan, kya hua, punnu wapas aaya ya nahi.”

Wo bahut ghabrayi huyi lag rahi thi. Unko aise ghabraya hua dekh kar, maine mehul ko gusse me ghura aur chhoti maa se kaha.

Mai bola “ji chhoti maa, mai hi bol raha hu. Lekin aap itna ghabra kyo rahi hai.”

Meri aawaj sunte hi chhoti maa ki aankhon me shayad aansu aa gaye the. Unki aawaj kuch naram si pad gayi aur un ne mujhse kaha.

Chhoti maa boli “tu thik to hai na. Tujhe kahi chot to nahi aayi.”

Mai bola “ji chhoti maa, mai bilkul thik hu. Mujhe kahi koi chot nahi aayi. Aap is mehul ki baton me jara bhi mat aaiye. Ye to pagal hai, pata nahi aapko kya kya bol kar dara diya hai.”

Chhoti maa boli “dekh, mujhse kuch mat chhupa. Jo bhi baat hai sach sach bata de.”

Mai bola “chhoti maa, mai sach me bilkul thik hu. Ab mai aapko is baat ka kaise yakin dilau, aap khud hi bata dijiye.”

Chhoti maa boli “yadi tu bilkul thik hai to fir dostor ke yaha kyo gaya tha.”

Chhoti maa ki is baat par maine hanste huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, yaha ek pagal ladki priya hai. Wo hi mujhe jababrdasti doctor ke yaha pakad kar le gayi thi. Doctor ne bhi ye hi kaha hai ki, mai bilkul thik hu, mujhe kuch nahi hua.”

Meri ye baat sunkar, chhoti maa ne mujhse mobile priya ko dene ke liye kaha to, maine mobile priya ko de diya. Priya ne mobile lekar chhoti maa se kaha.

Priya boli “namste aunty”

Chhoti maa boli “…………” (namaste beta, mera punnu thik to hai na.)

Priya boli “ji aunty, punnu bilkul thik hai.”

Chhoti maa boli “………..” (beta jab usko kuch hua hi nahi tha to, tum usko doctor ke pas kyo lekar gayi thi.)

Priya boli “aunty, aisi koi baat nahi hai. Wo kya hai ki, uske hath chhil gaye the aur ghutne me sujan aa gayi thi. Jise dekh kar mai dar gayi thi aur jabardasti doctor ke yaha le gayi thi. Lekin doctor ne kaha ki wo bilkul thik hai. Aap bhi uski fikar mat kijiye. Uska khayal rakhne ke liye hum sab to yaha hai na.”

Chhoti maa boli “………..” (thanks beta, mere bete ka is tarah khayal rakhne ke liye mai tumhari ahsanmand hu. Mai tumhara ye aehsasn jindgi bhar nahi bhulugi.)

Priya boli “are aunty, aap ye kaisi baat kar rahi hai. Isme aehsan manne wali kya baat ho gayi. Yadi mai aapke ghar aayi hoti to, kya aap mera khayal nahi rakhti.”

Chhoti maa boli “……….” (jarur rakhti beta, ab tum jab kabhi bhi yaha aana, mere ghar me hi rukna. Mujhe tumhare aane se bahut khushi hogi.)

Priya boli “mai jarur aaugi aunty. Maine suna hai ki, aap bahut ache parathe banati hai. Mujhe bhi aapke hath ke aalu ke parathe khana hai. Kya aap mujhe apne hath ke aalu ke parathe bana kar khilayegi.”

Chhoti maa boli “………” (haan, jarur khilaugi beta.)

Priya chhoti maa se baat karne me is tarah se kho gayi thi ki, use is baat tak ka aehsas nahi tha ki, hum sab uski baat khatam hone ka intejar kar rahe hai. Jab maine dekha ki priya ki chhoti maa se baat khatam hone ka naam hi nahi le rahi hai to, maine uske hath se mobile le liya.

Wo mujhe hairani se dekhne lagi. Lekin maine use chup rahne ka ishara kiya aur fir chhoti maa se bataya ki, mai yaha sabke sath khada hu. Ghar pahuchne ke bad, aap se baat karta hu.

Chhoti maa ne mujhse aaj hi ek naya mobile le lene ko kaha aur fir un ne call rakh diya. Unke call rakhne ke bad, humne hitu ko ghar aane ka jataya aur fir use bye kah kar ghar ke liye nikal pade.

Nayi car raj drive kar raha tha. Uske sath riya nitika aur mehul the. Dusri car me mai, priya, barkha aur nikki ho gaye. Teesri car diver ko ghar lane ko kah diya. Kuch hi der me hum shikha didi ke ghar pahuch gaye

Humare ghar pahuchte hi shikha didi puchhne lagi ki, tum sab bina bataye kaha chale gaye the. Unki baat sunkar, nikki ne unse kaha

Nikki boli “bhabhi, aapke bhai ko aapke liye gift lena tha. Use akele gift lene jaane me dar lag raha tha. Isliye wo hum sabko apne sath le gaya tha.”

Nikki ki baat sunkar, sab hasne lage. Iske bad nikki shikha didi ko pakad kar bahar le aayi aur unhe car dikhane lagi. Jise dekhne ke bad, shikha didi mujhe itna mahga gift lene ke liye gussa karne lagi. Lekin maine unko bhi wo hi jabab diya, jo barkha ko diya tha.

Jise sunne ke bad, shikha didi se kuch bolte nahi bana. Iske bad unko haldi chadane ki taiyari hone lagi. Niche bahut bhid ho gayi thi. Isliye mai, raj aur mehul ke sath upar aa gaya.

Upar aane par mehul ne mujhe mera mobile wapas lautaya to, mai apna mobile dekhne laga. Mera mobile bahut buri tarah se tuta futa tha aur uska sudhar pana mushkil sa lag raha tha.

Ye dekh kar mera mood kharab ho gaya. Mujhe mobile ki toot foot ka koi afsos nahi tha. Mujhe dukh sirf is baat ka ho raha tha ki, us me keerti ke dher saare Sms the aur wo mere liye mobile se kahi jyada keemti the.

Is samay mujhe aisa lag raha tha ki, jaise meri anmol chij ko kisi ne mujhse chhin liya ho. Ab mujhse keerti se baat kiye bina nahi raha ja raha tha. Maine raj aur mehul se kaha ki, mai jara niche hokar aata hu aur fir mai niche aa gaya.

Magar niche aane par bhi mujhe koi aisi jagah samajh me nahi aayi, jaha mai keerti se baat kar saku. Isliye mai ghar se bahar nikal kar aa gaya. Lekin ab mai sadak par baat karne wali pahle jaisi galti ko dohrana nahi chahta tha.

Isliye mai keerti se baat karne ke liye sahi jagah ki talash karne laga. Lekin is se pahle ki mai keerti se baat karne ke liye koi sahi jagah talash kar pata, uska call aane laga. Keerti ka call aate dekh kar, mai ek ghar ke samne ruk gaya aur usi ghar ki bondary wall par baith kar keerti ka call uthate huye kaha.

Mai bola “tujhe ab 3 baje mujhe call karne ka ab samay mil raha hai. Mai kab se tujhse baat karne ke liye mara ja raha tha.”

Lekin keerti ne meri baat ko bich me hi katte huye kaha.

Keerti boli “tum thik to ho. Tumko kahi chot to nahi lagi.”

Mai bola “tu pareshan mat ho, mai bilkul thik hu. Mujhe kuch bhi nahi hua. Chhoti maa ne bekar me hi tujhe pareshan kar diya.”

Keerti boli “mujhe mausi ne kuch nahi bataya. Mai ghar wapas aayi to, aunty mehul se tumhare baare me puchh rahi thi. Mujhse unse hi pata chala ki, tumhare sath kya hua hai.”

Mai bola “ab chhod na, mai bilkul thik hu. Tu ye bata ki, tu subah se kaha gayab thi. Mai tujhe kitna miss kar raha tha.”

Keerti boli “tumhari pyari baji ko aftari dene gayi thi. Wahi se wapas aane me der ho gayi.”

Keerti ki baat sunkar mai chauk gaya aur maine us se puchha.

Mai bola “waha kya hua. Kya baji ne aftari le li.”

Keerti boli “aisa koi kaam nahi, jo mai karu aur wo na ho.”

Mai bola “jyada paheliyan mat bujha, sidhe shide bata na ki, baji is sab ke liye taiyar kaise ho gayi.”

Keerti boli “ye itna bhi mushkil kaam nahi tha, jitna tum bata rahe the. Yaha tum se bhi badkar koi tha, jisko dekhte hi tumhari baji se kuch kahte na bana.”

Mai bola “mai samjha nahi, tu kiski baat kar rahi hai.”

Keerti boli “mai ami nimi ko apne sath le gayi thi aur tumhari baji se kaha ki, inko ye saman lekar tumne bheja hai. Bas fir kya tha, un dono ko dekhte hi tumhari baji se kuch kahte nahi bana aur wo pure samay bas unki khatir daari karne me hi lagi rahi.”

Ye kah kar keerti khilkhilane lagi. Use baji ki is baat par hansi aa rahi thi. Iske bad meri us se isi baare me thodi der baat chalti rahi. Fir usne kuch der bad call karne ki baat kah kar phone rakh diya.

Uske phone rakhne ke bad, mai wapas ghar aa gaya. Shikha didi ko haldi lag chuki thi aur ab ladkiyan aapas me ek dusre ko haldi laga rahi thi. Priya ne mujhe bataya ki, nikki sham ko aane ka bol kar wapas chali gayi hai.

Tab tak raj aur mehul bhi mere pas aa chuke the. Abhi priya mujhse baat kar hi rahi thi ki, tabhi neha apni kuch saheliyon ke sath waha haldi se bhara thaal lekar aa gayi aur ye kahne lagi ki, dulhan ke bhai ko aaj ke din aise saaf saaf nahi rahna chahiye.

Ye kahte huye wo mere chehre par haldi lagane lagi aur baki ladkiyan jor se kahkahe lagane lagi. Jab usne mere chehre par haldi laga di to, priya ne usko ab bas karne ko kaha.

Lekin neha ne priya ki baat ko ansuna kar mere kapdo me bhi haldi lagana suru kar diya. Jise dekh kar priya ko gussa aa gaya. Priya ne gusse me un ladkiyon se haldi ka thaal chheen kar, pura thaal hi neha ke upar palat diya.

Jise dekh kar ladkiyon ki hansi to tham gayi. Magar meri, mehul aur raj ki hansi chhut gayi. Neha ne gusse me priya ko ghoora aur pair patakti huyi shikha didi ke pas chali gayi.

Neha ke jate hi pandal lagane wala aa gaya aur hum log bahar aakar pandal lagwane lage. Kuch der bad, maine mehul ko mobile kharidne jaane ki baat jatayi to, priya bhi sath chalne ki jid karne lagi. Isliye mai priya ko sath lekar naya mobile kharidne chala gaya.

Fir mai naya mobile kharid kar 5 baje wapas aaya. Tab tak pandal lagne ka kaam ho chuka tha aur ab light lagane ka kaam chal raha tha. Mehul aur raj waha khade hokar ye kaam karwa rahe the aur barkha bhi unke sath hi khadi thi.

Mai aur priya bhi unke pas hi jakar khade ho gaye aur mai un logon ko apna naya mobile dikhane laga. Tabhi priya ne kaha ki, apni mom ko to bata do ki, tumne naya mobile kharid liya hai.

Priya ki baat sunkar maine chhoti maa ko call kiya aur unko naya mobile lene ki baat batane laga. Abhi meri chhoti maa se baat chal hi rahi thi ki, achanak hi priya ne mera hath pakad kar, jhatke se mujhe apni taraf khich liya.

Priya ki is harkat se mai hadbada gaya aur mobile mere hath se girte girte bacha. Wahi baki sab log bhi chauk gaye. Lekin agle hi pal jaha mai khada tha, waha ek badi si light dhadam ki aawaj ke sath gir kar chakna choor ho gayi.

Sab hakke badkke se us light ki taraf hi dekhne lage. Us light ka vajan itna jyada tha ki, yadi mujhe waha se hatne me ek pal ki bhi der huyi hoti to, wo mere sar par gir gayi hoti aur fir mere sar ka bhi wo hi haal hua hota, jo ki abhi us light ka hua tha.
 
Member
1,531
1,635
143
Ko To Rok Lo {Update - 163}
____________________________

Fir mai naya mobile kharid kar 5 baje wapas aaya. Tab tak pandal lagne ka kaam ho chuka tha aur ab light lagane ka kaam chal raha tha. Mehul aur raj waha khade hokar ye kaam karwa rahe the aur barkha bhi unke sath hi khadi thi.

Mai aur priya bhi unke pas hi jakar khade ho gaye aur mai un logon ko apna naya mobile dikhane laga. Tabhi priya ne kaha ki, apni mom ko to bata do ki, tumne naya mobile kharid liya hai.

Priya ki baat sunkar maine chhoti maa ko call kiya aur unko naya mobile lene ki baat batane laga. Abhi meri chhoti maa se baat chal hi rahi thi ki, achanak hi priya ne mera hath pakad kar, jhatke se mujhe apni taraf khich liya.

Priya ki is harkat se mai hadbada gaya aur mobile mere hath se girte girte bacha. Wahi baki sab log bhi chauk gaye. Lekin agle hi pal jaha mai khada tha, waha ek badi si light dhadam ki aawaj ke sath gir kar chakna choor ho gayi.

Sab hakke badkke se us light ki taraf hi dekhne lage. Us light ka vajan itna jyada tha ki, yadi mujhe waha se hatne me ek pal ki bhi der huyi hoti to, wo mere sar par gir gayi hoti aur fir mere sar ka bhi wo hi haal hua hota, jo ki abhi us light ka hua tha.

Ye najara dekh kar, mera dil dahal gaya aur mai dahshat me aa gaya. Mujhe kuch samajh me nahi aa raha tha ki, ye sab mere sath hi kyo ho raha hai. Shayad mehul mere dil ka haal samajh gaya tha. Usne mere pas aakar mere kandhe par hath rakhte huye kaha.

Mehul bola “tu darta kyo hai. Tere sath, do maa ki duaayen aur teri bahno ka pyar hai. Tera baal bhi baanka nahi ho sakta.”

Mehul ki baat sunte hi mujhe yaad aaya ki, chhoti maa abhi mere sath mobile par bani huyi hai. Ye baat yaad aate hi maine mehul ko chup rahne ka ishara kiya aur fir phone par chhoti maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, mujhe abhi bahut jaruri kaam aa gaya hai. Mai aap se bad me baat karta hu.”

Itna kah kar maine bina unka koi jabab sune hi call kaat diya. Idhar mai tanav me tha aur udhar ye sab dekh kar priya ka gussa santve aasman par tha. Wo us light wale ke samne khadi hokar use niche utarne ko kah rahi thi, jiske hath se light chhut kar niche giri thi.

Wo light wala bahut dara hua lag raha tha aur priya ke baar baar kahne par bhi seedi se niche nahi utar raha tha. Uske niche na utarne se priya ka gussa or bhi jyada bad gaya aur wo us par chillane lagi.

Priya ka chillana sunkar, riya, barkha aur nitika bhi bahar nikal kar aa gayi. Kisi ke samajh me nahi aa raha tha ki, yaha kya hua hai. Riya ne raj se ishare me puchha ki, is kya hua hai to, raj ne use shant rahne ka ishara kiya aur fir raj ne priya ke pas aate huye us se kaha.

Raj bola “tu is bechare par kyo gussa kar rahi hai. Kaun sa isne jaan bujh kar light girayi hai.”

Ye kahte huye, raj priya ko pakad kar humare pas le aaya. Lekin priya ka gussa shant hone ka naam nahi le raha tha. Usne raj se apna hath chhudate huye kaha.

Priya boli “nahi, isne jaan bujh kar hi light girayi hai. Mai bahut der se dekh rahi hu ki, ye punnu ko gaur se dekh raha tha. Fir ye last wale pipe me light lagana chhod kar yaha aakar light lagane laga. Upar chadne ke bad bhi ye punnu ko hi ghoor raha tha. Ise police ko de do, police is se sab sach ugalwa legi.”

Priya ne is baat ko lekar hangama macha diya tha aur wo light wala dar ke maare seedi se niche hi nahi utar raha tha. Tabhi shor sharabe ki aawaj sunkar shikha didi bhi bahar aate dikhayi di.

Shikha didi ko bahar aate dekh kar, mujhe hosh aaya ki, yaha ye sab kya ho raha hai. Magar ab mere pas priya ko kuch bhi samjhane ka samay nahi tha aur use shikha didi ke aane ke pahle chup karana bhi jaruri tha.

Isliye maine bina der kiye, priya ko pakad kar, uska muh shikha didi ke ghar ki taraf kar diya. Mere aisa karte hi priya ki najar shikha didi par pad gayi aur wo khud-ba-khud shant pad gayi.

Priya ke chup hote hi shikha didi humare pas pahuch gayi aur is shor sharabe ke baare me puchhne lagi. Barkha ne badi safayi se baat ko sabhalte huye shikha didi se kaha.

Barkha boli “didi, aisi koi baat nahi hai. Is light wale se light gir kar toot gayi hai. Jis vajah se priya us par chilla rahi hai. Aap priya ko apne sath andar le jao. Taki ye shor sharaba bhi ruk jaye aur priya ka gussa bhi shant ho jaye.”

Barkha ki baat sunkar, shikha didi priya ko jababrdasti pakad kar apne sath andar le gayi. Lekin priya jate jate bhi us light wale ko gusse me ghurti rahi. Priya ke jaane ke bad, sabne rahat ki saans li.

Maine sabse is baat ko yahi khatam karne ki baat boli aur fir sab apne apne kaam me lag gaye. Isi bich hitu bhi aa gaya. Fir 6 baje tak pandal me light lagne ka kaam bhi khatam ho gaya. Pandal taiyar ho jaane ke bad maine raj se kaha.

Mai bola “pandal to taiyar ho gaya. Lekin tumhara DJ wala abhi tak nahi aaya.”

Raj bola “tum uski fikar mat karo. Usne 7 baje ka time diya tha. Wo 7 baje tak aa jayega. Lekin ab hume ghar chalna chahiye. Taki hum bhi jaldi taiyar hokar aa sake. Tab tak hitu yaha dekhta rahega.”

Hitesh bola “haan, mai yaha ka kaam dekh luga. Tum log befikar hokar ja sakte ho.”

Mai bola “thik hai, mai abhi didi ko jata kar aata hu.”

Ye kah kar mai andar shikha didi ke pas jaane ko hua. Magar tabhi mujhe priya aati dikhayi di aur mai wahi ruk gaya. Priya ne humare pas aakar mujhse kaha.

Priya boli “barkha didi tumko amdar bula rahi hai.”

Mai bola “kyo, kya ho gaya.”

Riya boli “wo neha shikha didi ko mehndi lagane ki jid pakadi huyi hai. Isliye barkha didi tumko bula rahi hai.”

Priya ki ye baat sunte hi, mujhe kuch yaad aaya aur maine raj se kaha.

Mai bola “yaar mujhe abhi yaha thoda kaam hai. Aisa karo, tum aur mehul ghar chale jao aur priya logon ko bhi sath le jao. Mere kapde mehul yahi le aayega.”

Meri baat sunkar raj aur mehul jaane ke liye taiyar ho gaye. Maine mehul ko apne lane wale kapdo ke baare me bataya. Iske bad un ne priya se sath chalne ki baat kahi to, priya ne kaha.

Priya boli “nahi, hum log apne kapde sath hi lekar aaye the. Hume ghar jaane ki jarurat nahi hai. Aap dono hi ghar chale jaiye.”

Priya ki baat sunkar raj aur mehul ghar ke liye nikal gaye. Maine hitu ko jataya ki, mai andar shikha didi ke pas se hokar aata hu. Fir mai priya ke sath andar aa shikha didi ke pas aa gaya.

Mai andar pahucha to, riya aur nitika, shikha didi ke pas baithi thi. Neha mehndi lekar shikha didi ke pas khadi thi aur uski barkha se mehndi lagane ko lekar bahas chal rahi thi. Unko is tarah bahas karte dekh, maine un se kaha.

Mai bola “ye kya ho raha hai. Aap log sab kaam chhod kar yaha bekar ki bahas kyo kar rahe hai.”

Meri baat sunkar, barkha ne neha ki taraf ishara karte huye kaha.

Barkha boli “to fir tum hi samjhao is paglet ko, kab se didi ko mehndi lagane ki jid kar rahi hai. Jabki maine badi mushkil se apni saheli ko didi ko mehndi lagane aane ke liye raji kiya hai.”

Barkha ki is baat par maine anjan banne ka natak karte huye kaha.

Mai bola “didi, ye to bahut galat baat hai. Didi humari hai to, mehndi bhi hum hi lagayege. Fir bhala kisi bahar wale ko hum aisa kyo karne de. Ab didi ko mehndi mai lagauga.”

Meri ye baat sunte hi shikha didi, riya, priya aur nitika hairani se mujhe dekhne lagi. Lekin neha humare is natak me shamil thi aur usne meri baat sunte hi chahakte huye kaha.

Neha boli “ye huyi na koi baat, ab mai bhi dekhti hu ki, ye tumhe kaise rokti hai.”

Ye kahte huye neha ne mere hath me mehndi thama di aur mai mehndi lekar shikha didi ke samne jakar baith gaya. Shikha didi ne mujhe mehndi liye apne samne baitha dekha to, muskurate huye mujhse kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, aap kyo in dono ki bahas me shamil hote hai. Aap rahne dijiye, mai neha se hi mehndi lagwa leti hu.”

Lekin barkha ne fauran shikha didi ki baat ko katte huye kaha.

Barkha boli “nahi didi, abhi ye kuch jyada hi bol raha tha. Ab chahe kuch bhi ho jaye, lekin mehndi to ye hi lagayega. Mai mehndi lagaye bina ise yaha se bahar nahi jaane dugi.”

Mai bola “haan haan, mai bhi didi ko mehndi lagaye bina yaha se hilne wala nahi hu. Didi aap apna hath aage karo.”

Shikha didi ne meri ye baat sunte hi, apne dono hath pichhe kar liye. Ye dekh kar maine khud hi unke dono hath pakad kar apne samne kar liye. Magar unke dono hathon me abhi bhi pattiyan bandhi huyi thi.

Shayad isi vajah se wo apne hath mujhse chhupa rahi thi. Kuch pal mai unke hath me bandhi pattiyon ko dekhta raha aur fir maine unki pattiyon ko ek ek karke kholna suru kar diya.

Unke hathon ki pattiyan utar dene ke bad, jab meri najar unki hatheli par padi to, unko mehndi lagane ke liye kiya gaya, mera ab tak ka saara natak, ek kinare dhara ka dhara rah gaya.

Unki hatheli par, abhi bhi aru ke chaku se lage ghav ke jhakhm taja the. Un jhakhmon ko dekh kar, meri aankhen khud-ba-khud aansuon se bhar gayi aur mere aansu unki hatheli par girne lage.

Mere bahte aansuon ka aehsas hote hi shikha didi ne fauran mera chehra upar uthate huye kaha.

Shikha didi boli “ye kya hai bhaiya, mai isi vajah se aapko mehndi nahi lagane de rahi thi.”

Shikha didi ki baat sunkar, barkha ne turant baat ko sambhalne ke liye mujhse kaha.

Barkha boli “bachchu, mehndi na lagane ke liye, ab ye drama karna band karo aur seedhe se apni haar maan lo. Mai tum logon ko tumhari galti ke liye maaf kar dugi.”

Barkha ki baat ko sunkar, shikha didi ne use dekha aur wo us se kuch bolne hi wali thi ki, tabhi neha ne mauke ki najakat ko samjha aur baat ke bich me hi kudte huye kaha.

Neha boli “hume kisi galti ki maafi mangne ki jarurat nahi hai. Yadi punnu didi ko mehndi nahi lagata hai to, mai didi ko mehndi lagaugi. Waise bhi didi ne khud kaha hai ki, wo mujhse mehndi lagwa legi.”

Barkha aur neha ki baton ko sunkar, maine apne aapko sabhala aur apne aansu ponchte huye kaha.

Mai bola “neha thik kahti hai. Hume kisi baat ke liye maafi mangne ki jarurat nahi hai aur didi ko mehndi mai hi lagauga.”

Ye kahte huye maine shikha didi ka hath apne samne kiya aur unki jakhmi hatheli ko mehndi se sajane laga. Sab bade gaur se mujhe mehndi lagate dekhne lage. Shayad sab ko is baat ki utsukta thi ki, mai sahi se mehndi laga pata hu ya nahi laga pata hu.

Lekin jab maine shikha didi ke aadhe hath ko mehndi se saja diya to, sab ko is baat ki harani hone lagi ki, mujhe itni achhi mehndi lagana aata hai. Priya ne meri mehndi ki tarif karte huye kaha.

Priya boli “tumne to kamal kar diya. Aisi mehndi to mai bhi nahi laga sakti thi.”

Mai bola “isme mera koi kamal nahi hai. Ye kamal to meri chhoti bahno ka hai. Wo jab dekho tab, mere samne mehndi aur mehndi ki kitab lekar, mehndi lagwane ke liye khadi ho jati hai. Unhi ko mehndi lagate lagate mujhe mehndi lagana aa gaya.”

Meri baat sunkar, sab hansne lage aur ami nimi ke baare me baten puchhne lage. Bas aise hi baat karte karte maine didi ke ek hath ko mehndi se saja diya. Tab tak barkha chay bana kar le aayi.

Abhi hum chay pee hi rahe the ki, tabhi aunty aa gayi aur un ne bataya ki bahar DJ wala aaya hai. Aunty ki baat sunkar, maine neha se kaha.

Mai bola “bahar hitu hai, tum jakar us se kah do ki, mujhe aane me abhi der lagegi. Wo khud hi DJ lagwa le.”

Meri baat sunkar neha bahar chali gayi. Uske jaane ke bad, maine raj ko call lagaya aur us se kaha.

Mai bola “tumhara DJ wala to aa gaya hai. Lekin tumne arkestra (orchestra) ka kya kiya hai.”

Raj bola “barkha ne arkestra (orchestra) ka mana kar diya tha. Wo kah rahi thi ki, DJ me sab dance vagairah karege. Aise me arkestra (orchestra) ka koi matlab nahi hai. Isliye maine arkestra (orchestra) ki baat nahi ki thi.”

Raj ki baat sunkar, maine barkha ki taraf dekha to, wo mere is tarah dekhne ka matlab samajh gayi aur usne haan me sar hilaya. Iske bad maine raj se kaha.

Mai bola “chalo thik hai. Tum log kitni der me yaha wapas aa rahe ho.”

Raj bola “hum taiyar hai, bas kuch hi der me waha pahuch jayege.”

Raj se baat karne ke bad, maine call rakha to, aunty ne mujhse kaha.

Aunty boli “beta, tumhe ye sab karne ki kya jarurat thi. Mujhe tumhara ye sab karna jara bhi acha nahi lag raha hai. Pata nahi, mai tumhara ye aehsan kaise chuka paugi.”

Mai bola “aunty, mai to sirf wo hi kar raha hu, jo ek bhai apni bahan ki shadi me karta hai. Lekin aapne ise aehsan bol kar, mujhe ek pal me paraya kar diya.”

Ye kah kar maine apna chehra utar liya. Barkha ne bhi mauka dekh kar chauka marte huye kaha.

Barkha boli “kya mummy, isne itne pyar se didi ke liye ye sab kiya aur tumne apni baton se iska dil dukha diya. Ye dekho, ye kitne pyar se didi ke hath me mehndi saja raha tha. Lekin aapne ye sab bol kar sab gadbad kar diya.”

Ye kahte huye barkha ne shikha didi ka mehndi laga hath aunty ke samne kar diya. Aunty bade gaur se mehndi dekhne lagi aur fir un ne pyar se mere sar par hath ferte huye kaha.

Aunty boli “tumhari harkaten bilkul mere shekhar se milti hai. Uski bhi yahi ichha thi ki, wo shikha ki shadi me usko apne hathon se mehndi lagayega. Aaj wo to nahi hai, lekin uski ye ichha aaj tumne puri kar di.”

“Tumhe dekh kar aisa lagta hai ki, jaise mera shekhar tumhare roop me wapas aa gaya ho. Meri galti ke liye mujhe maaf kar do beta. Ab tumhe apni bahan ki shadi me jo karna acha lage, tum wo karo. Mai tumko kisi baat se nahi rokugi.”

Ye baat kahte kahte aunty ki aankhon me nami chha gayi aur unki is baat ne shikha didi ki aankhon me bhi nami paida kar di. Mahaul achanak hi gambir hone laga tha aur mai samajh nahi pa raha tha ki, ab is mahaul ko kaise halka banaya jaye. Tabhi priya ne sabko apni upastithi ka aehsas karate huye kaha.

Priya boli “bade miya to bade miyan, chhote miyan subhanallah miyan. Aunty aapko pata hai, ye jitni achi mehndi lagata hai, us se bhi acha dance karta hai. Isliye to isne ye DJ ka taamjham kiya hai.”

Priya ki baat sunkar sab meri taraf dekhne lage. Lekin priya ki ye baat sunte hi mai hadbada gaya aur maine isi hadbadahat me priya se kaha.

Mai bola “ae mujhe koi dance vance nahi aata aur na hi mai koi dance karne wala hu. Ye sab to maine tum logon ke dance karne ke liye kiya hai.”

Lekin priya ki is baat me riya ne bhi uska sath dete huye kaha.

Riya boli “bachchu, tumhe dance aata ho ya na aata ho. Magar aaj to hum tumhe nacha kar hi dam legen. Dekhte hai, aaj tumhe nachne se kaun bachata hai.”

Riya ki baat sunkar sab hasne lage aur mere pasine chhutne lage. Kyoki mujhe sach me dance karna nahi aata tha. Barkha ne meri haalat dekhi to sabko dantte huye kaha.

Barkha boli “are ab tum sab apni bakwas band karo aur usko mehndi lagane do. Kahi aisa na ho ki, tumhare dance ke chakkar me wo mehndi lagana hi bhool jaye.”

Barkha ki baat sunkar sab hasne lage aur aunty bahar chali gayi. Mai fir se shikha didi ko mehndi lagane me lag gaya. Kuch der bad neha ne aakar, mujhe badalne ke liye kapde dete huye bataya ki, raj aur mehul aa gaye hai.

Mere kapde dekh kar, priya ko yaad aaya ki, use bhi apne kapde badalna hai. Isliye wo riya aur nitika ko lekar kapde badalne chali gayi aur mai shikha didi ko mehndi lagata raha.

Kuch der bad, priya log kapde badal kar aa gayi. Priya is samay ek maxi style ke yellow dress me thi aur bahut hi pyari lag rahi thi. Riya ne ek black long skirt top pahna tha aur wo bahut sexy lag rahi thi. Nitika ek green salwar suit me thi aur wo bhi bahut sundar lag rahi thi.

Teeno ladkiyan ek se bad kar ek lag rahi thi. Lekin na jaane kyo meri najar baar baar nitika ki taraf jakar hi atak ja rahi thi. Shayad mai ye janna chah raha tha ki, aaj wo is sadharan se salwar suit me bhi itni jyada achi kyo lag rahi hai.

Priya ne shayad meri is baat par gaur kar liya tha. Isliye usne riya aur nitika ke bich me khade hokar, mujhse kaha.

Priya boli “ye batao, hum teeno me se tumhe kiski dress jyada achi lag rahi hai.”

Priya ki baat sunkar, maine ek baar fir se teeno ki taraf dekha aur na chahte huye bhi maine us se kaha.

Mai bola “mujhe to niti ki dress jyada sundar lag rahi hai.”

Mujhe laga tha ki, meri ye baat sunkar priya ka muh ban jayega. Lekin aisa kuch nahi hua. Meri baat sunte hi wo chahakte huye, nitika ke samne aa gayi aur us se kaha.

Priya boli “dekha didi, maine kaha tha na ki, ye dress aap par subah wali dress se jyada achi lagegi.”

Is se pahle priya ki is baat ke jabab me nitika kuch bol pati, maine priya se kaha.

Mai bola “wo behuda dress tumne hi to niti ko diya tha. Ab khud hi uski burayi kar rahi ho.”

Priya boli “nahi, wo dress maine nahi diya tha. Wo to in ne khud hi apni pasand se liya tha. Maine to inko ye wala dress diya hai.”

Priya ki ye baat sunkar, mujhe ek jhatka sa laga. Aaj use mohini aunty se bevajah hi itna sab kuch sunna pada. Jabki is sab me uski koi bhi galti nahi thi. Mai is baare me priya aur nitika dono se kuch kahna chahta tha.

Lekin abhi mujhe apni baat kahne ke liye ye sahi samay nahi laga aur mai chup chap mehndi lagane me laga raha. Fir 8 baje mera shikha didi ko mehndi lagana ho gaya aur mai waha se jaane ke liye uth kar khada ho gaya.

Lekin tabhi meri najar shikha didi par padi aur unki aankhon me aansu dekh kar mai wahi ruk gaya. Maine un par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Mai bola “ye kya hai didi, maine itne pyar se aapko mehndi lagayi hai aur ab aap apne aansuon se meri lagayi mehndi kharab karna chahti hai.”

Meri baat sunkar, shikha didi mere pas aayi aur pyar se mere mathe ko chum liya. Maine unke aansu ponchhe aur unse kaha.

Mai bola “apne ye aansu, apni vidai ke liye bacha kar rakhiye. Ab yadi ye us se pahle bahar nikle to, mai aap se sach me bahut naraj ho jauga.”

Meri baat sunkar shikha didi muskurane lagi aur mai unko muskurata hua chhod kar, apne kapde utha kar upar chala gaya. Upar aakar mai fresh hua aur fir taiyar hone laga. Mai abhi ajay ki di huyi sherwani pahan raha tha.

Mai abhi taiyar ho hi raha tha ki, tabhi nikki aur priya aa gayi. Dono hi meri sherwani ki tarif karne lagi. Iske bad nikki ne bataya ki, uske sath aru log bhi aayi hai. Lekin humko 11 baje ke pahle ghar wapas bhi lautna hai.

Abhi meri nikki aur priya se baten chal hi rahi thi ki, tabhi hume niche se shikha didi ke jor se chillane ki aawaj aayi. Shikha didi ki ye aawaj sunte hi hum log chauk gaye aur humne fauran hi niche ki taraf daud laga di.

Hum niche pahuche to ghar ke main gate par bahut bhid jama ho gayi thi. Shikha didi, aunty aur barkha bhi wahi khadi thi. Unke samne ek 40-45 saal ka aadmi aur ek 20-22 saal ka ladka khada tha aur unke hath me kuch gift the.

Us aadmi ke pahnawe se wo ek amir aadmi lag raha tha. Lekin hume ye samajh me nahi aa raha tha ki, wo kaun hai. Tabhi durjan bhi waha aa gaya aur usne shikha didi se kaha.

Durjan bola “kya hua beti, ye kaun hai aur tum in par itna gussa kyo ho rahi ho.”

Durjan ki is baat ko sunte hi us aadmi ne apna parichay dete huye kaha.

Wo aadmi bola “dekhiye, mera naam baldev hai aur mai shikha ka chacha hu. Ye mera beta basant hai aur ye shikha ka chachera bhai hai. Hum shikha ki shadi ki baat sunkar yaha aaye hai.”

Lekin ye baat sunte hi shikha didi ki saanse fulne lagi. Mai unko itni jyada gusse me pahli baar dekh raha tha. Itne gusse me to maine unhe tab bhi nahi dekha tha, jab unhe ajay ki sachchai ka pata chala tha.

Ek pal ke liye to unke is gusse ko dekh kar, mai bhi andar tak kaanp gaya tha. Un ne apne daant kiskisate huye, us aadmi par bhadakte huye kaha.

Shikha didi boli “mera koi chacha nahi hai aur na hi mera koi chachera bhai hai. Mera sirf ek hi bhai hai aur is wo wakt meri bagal me khada hai.”

Ye kahte huye sikha didi ne meri taraf dekha. Wahi baldev ne shikha didi ki is baat ke jabab me unhe samjhate huye kaha.

Baldev bola “dekho beti, aise gussa karne se koi fayda nahi hai. Humse tumhara khoon ka rishta hai. Bhai ka jo farz basant pura kar sakta hai, wo ye ladka pura nahi kar sakta. Kisi raah chalte ko apna bhai kah dene se, wo sach me hi bhai nahi ban jata hai.”

Baldev ki is baat ko sunkar, mujhe us par bahut gussa aa raha tha. Magar uski is baat ne shikha didi ke gusse me aag me ghee daalne ka kaam kar diya tha. Uski ye baat sunkar, unke nathune fulne lage. Lekin is se pahle ki wo apni bhadas nikal pati ek aawaj ne hum sabko chauka diya.

Wo aawaj “aap jise ek raah chalta ladka kah rahe hai. Wo raah chalta ladka, koi aur nahi, balki Rai bahadur shambhunath ka eklauta pota aur unki saari jaydad ka waris hai.”

“Uski haisiyat itni hai ki, wo abhi khade khade aapko aur aapke bete ko god le sakta hai. Fir ye to uski bahan ki shadi hai, aise me uska ek bhai ka farz nibhane se pichhe hatne ka sawal hi paida nahi hota.”

Ye aawaj sunkar jaha shikha didi, barkha, aunty, priya aur nikki hairani se dekh rahe the. Wahi raj, riya, nitika aur mehul ke chehre par muskurahat thi. Magar in sabse buri haalat meri thi. Mujhe abhi bhi apni aankhon par yakin nahi aa raha tha aur mai soch raha tha ki, mai jo dekh raha hu wo sach hai ya sapna hai.
 
Member
1,531
1,635
143
Ko To Rok Lo {Update - 164}
____________________________

Baldev bola “dekho beti, aise gussa karne se koi fayda nahi hai. Humse tumhara khoon ka rishta hai. Bhai ka jo farz basant pura kar sakta hai, wo ye ladka pura nahi kar sakta. Kisi raah chalte ko apna bhai kah dene se, wo sach me hi bhai nahi ban jata hai.”

Baldev ki is baat ko sunkar, mujhe us par bahut gussa aa raha tha. Magar uski is baat ne shikha didi ke gusse me aag me ghee daalne ka kaam kar diya tha. Uski ye baat sunkar, unke nathune fulne lage. Lekin is se pahle ki wo apni bhadas nikal pati ek aawaj ne hum sabko chauka diya.

Wo aawaj “aap jise ek raah chalta ladka kah rahe hai. Wo raah chalta ladka, koi aur nahi, balki Rai bahadur shambhunath ka eklauta pota aur unki saari jaydad ka waris hai.”

“Uski haisiyat itni hai ki, wo abhi khade khade aapko aur aapke bete ko god le sakta hai. Fir ye to uski bahan ki shadi hai, aise me uska ek bhai ka farz nibhane se pichhe hatne ka sawal hi paida nahi hota.”

Ye aawaj sunkar jaha shikha didi, barkha, aunty, priya aur nikki hairani se dekh rahe the. Wahi raj, riya, nitika aur mehul ke chehre par muskurahat thi. Magar in sabse buri haalat meri thi. Mujhe abhi bhi apni aankhon par yakin nahi aa raha tha aur mai soch raha tha ki, mai jo dekh raha hu wo sach hai ya sapna hai.

Mere samne mehul, nitika aur hitu khade the aur teeno ke hath me ek ek bag tha. Lekin jiski ye aawaj thi, us par najar padte hi mai apni palken jhapkana tak bhool gaya tha aur is rahasya me kho sa gaya tha.

Tabhi kisi ne mere bagal se mujhe kohini maari aur mai palat kar uski taraf dekhne laga. Ye meri bagal se mujhe kohini marne wali seeru didi thi. Unke pas hi selu aur aru bhi khadi thi.

Lekin un logon ka dhyan hum par na hokar samne ki taraf tha. Seeru didi ne jab dekha ki, mai unhe dekh raha hu to, un ne mujhse kaha.

Seerat boli “ye ladki kaun hai aur ye tumhare baare me itna sab kaise janti hai.”

Seeru didi ki is baat par maine bura sa muh bana kar, unki taraf dekhte huye kaha.

Mai bola “ladki aur wo.? Aap pagal ho kya.?”

Seeru didi mere is jabab ko sunkar, achambhit si mujhe dekhti rah gayi. Lekin tab tak mai unke pas se aage ki taraf bad chuka tha. Ye aawaj jisne ek pal me hi sabko hila kar rakh diya tha, wo kisi or ki nahi, balki chhoti maa ki thi.

Chhoti maa is samay Gray color ka salwar suit pahne mere samne khadi thi. Shayad chhoti maa ko salwar suit me dekh kar, hi seeru didi ne unhe ladki kah kar pukara tha.

Chhoti maa ka is samay mere samne hona, mere liye kisi chamatkar se kam nahi tha. Maine unke pas pahuchte hi, unke pair chhuye to, un ne mere mathe ko chuma aur mujhe apne gale se laga liya.

Unke gale lagte hi, mujhe aisa laga, jaise barso se pyasi mere dil ki jamin par koi sawan baras gaya ho aur fir wo sawan meri aankhon se bhi bahne laga. Chhoti maa ne meri aankhon ko saaf kiya aur fir muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “chal ab laad karna bahut ho gaya. Kya mujhe apni bahan se nahi milayega.”

Chhoti maa ki baat sunte hi, mai unhe shikha didi ke pas le aaya aur unhe shikha didi se milate huye kaha.

Mai bola “didi, aapko meri mom se milna tha na. To ye lijiye, meri mom khud aapse milne yaha aa gayi.”

Meri ye baat sunte hi waha sabke chehre par muskurahat aa gayi. Shikha didi aur chhoti maa ki umar me mushkil se 4-5 saal ka farak tha. Chhoti maa kahi se bhi meri maa nahi lag rahi thi.

Lekin shikha didi ne jaise hi mere muh se suna ki, chhoti maa meri maa hai. Shikha didi fauran hi jhuk kar chhoti maa ke pair chhune ki koshish karne lagi. Magar chhoti maa ne unhe rokte huye kaha.

Chhoti maa boli “are tum ye kya kar rahi ho. Mai punnu ki maa jarur hu. Lekin tumse umar me itni badi to nahi hu ki, tumhe mere pair chhuna pade.”

Lekin shikha didi ne unki baat nahi suni aur unke pair chhute huye kaha.

Shikha didi boli “aap bhale hi mujhse umar me jyada badi nahi hai. Lekin punit bhaiya ke rishte se to mai bhi aapki beti hi lagi na. Isliye aap rishte me mujhse bahut badi hai aur aapke pair chhuna, mera farz banta hai.”

Shikha didi ki ye baat sunte hi chhoti maa ne unhe apne gale se laga liya. Fir shikha didi sabse chhoti maa ka parichay karwaane lagi. Chhoti maa sab se hans kar mil rahi thi.

Lekin jaise hi shikha didi ne chhoti maa ko priya se milwaya. Chhoti maa use dekhti hi rah gayi aur fir pyar se uske sar par hath ferte huye kaha.

Chhoti maa boli “to tum ho wo priya, jisne mujhse phone par baat ki thi.”

Priya boli “ji aunty, mai hi wo priya hu. Lekin aunty, aap to yaha aane wali hi nahi thi. Aapne is tarah achanak aakar to, hum sabko hairan kar diya.”

Priya ki is baat par chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “jo maja achanak aane me hai. Wo maja batakar aane me kaha hai. Meri taraf se mere bete ke liye ye bhi shadi ka ek gift hi hai.”

Chhoti maa ki is baat ne sabke chehre ki raunak ko bada diya tha. Shikha didi ne unse ghar ke andar chalne ko kaha to, un ne kaha.

Chhoti maa boli “jab yaha tak aayi hu to, ghar ke andar bhi chalugi. Lekin uske pahle tum apne chacha ji se to baat kar lo.”

Chacha ka naam sunte hi shikha didi ke tevar fir se badal gaye. Un ne apne chacha ki taraf gusse se dekhte huye kaha.

Shikha didi boli “ye kaun hai, mai janti hi nahi hu to, fir ye mere chacha kaise ho gaye.”

Baldev jo abhi bhi waha khada sab kuch khamoshi se dekh raha tha. Usne jab apna jikar hote hi, fir se shikha didi ko gussa karte dekha to, usne aunty se kaha.

Baldev bola “bhabhi, shikha beti to, meri koi baat sunne ko taiyar hi nahi hai. Aap hi ise kuch samjhaiye. Aakhir is se mera khoon ka rishta hai.”

Baldev ki is baat ko sunkar, na jaane aunty ne kya mehsus kiya ki, unki aankhon me aansu aa gaye aur un ne baldev se kaha.

Aunty boli “aap kis khoon ke rishte ki baat kar rahe hai. Kaha tha ye khoon ka rishta, jab mere bete ne sirf jara se khoon ke liye tadapte huye hospital me dam tod diya tha.”

“Kaha tha ye khoon ka rishta, jab mere bachchon ke sar se unke pita ka saaya utha tha. Mere pati ke sath dhokha karke, purkhon ki saari jaydad aur karobar hadap karti samay aapko ye khoon ka rishta yaad nahi aaya tha.”

“Mere liye to khoon ke rishte se bad kar, dil ke rishte hai. Yadi mere pati ke bad, mere muh bole bhai ne mujhe sahara na diya hota to, pata nahi mai aur mere bachche aaj kis haal me hote.”

Ye kah kar aunty yaha waha dekhne lagi. Shayad wo durjan ko dekh rahi thi. Lekin pata nahi durjan achanak kaha gayab ho gaya tha. Use waha na pakar aunty ne neha se kaha.

Aunty boli “neha beti, ja aur jakar apne papa ko bula kar la. Ab wo hi inse baat karege aur inko khoon ke rishte ke baare me samjhayege. Mujhe inse ab koi baat nahi karni.”

Aunty ki baat sunkar neha waha se jaane ko huyi. Lekin chhoti maa ne neha ka hath pakad kar rokte huye aunty se kaha.

Chhoti maa boli “ghar me khushi ka mauka hai. Aise me gusse se kaam nahi lete. Fir mehman to bhagwan ka roop hote hai aur ye to aapke rishtedar bhi hai. Inhe apni baat rakhne ka ek mauka to milna hi chahiye.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, aunty shant pad gayi. Ye dekh kar baldev ke chehre par chamak aa gayi. Chhoti maa ne baldev ke pas aate huye us se kaha.

Chhoti maa boli “ji bhai sahab, kahiye, aap kya kahna chahte hai.”

Baldev bola “dekhiye bahan ji, ye maana ki shikha ki shadi bahut bade ghar me ho rahi hai. Magar ye kaha ki sharafat hai ki, beti ko vida kiya jaye aur uski shadi me ek dhela bhi kharch na kiya jaye. Ladke walo ka thook, unko hi chupad diya jaye. Ye shadi karna nahi, balki ek tarah se apni ladki ko bechna hua.”

Baldev ki ye baat sunkar, mere liye apna gussa rok pana mushkil ho gaya tha. Aisa hi kuch barkha aur aru ke sath bhi hua tha. Isliye hum teeno hi baldev ki baat sunkar, uski taraf badne ko huye. Magar tabhi seeru didi ne hum teeno ko rokte huye kaha.

Seerat boli “tum logon ko uski baat par bahut gussa aa raha hai na. Mujhe bhi tum logon ki tarah uski baat par gussa aa raha hai. Lekin tum log jara aunty ko samajhne ki koshish karo.”

“Wo shadi ke is mahaul ko kharab hone se bachana chahti hai. Isliye is mamle ko pyar se nipta rahi hai. Ab tum log chup chap yahi khade raho aur aunty ko unka kaam karne do.”

Seeru didi ki ye baat hum hi nahi, aunty aur shikha didi ne bhi suni thi. Isliye ab sab ka dhyan sirf chhoti maa ki hi taraf tha. Udhar chhoti maa ne baldev ki baat ko suna to, uski haan me haan milate huye kaha.

Chhoti maa boli “bhai sahab, baat to aapki sahi hai. Lekin ye baat to aap bhi achi tarah se jante hai ki, is ghar me kamane wali sirf shikha hi hai. Ab yadi wo saari jama punji apni shadi me hi kharch kar degi to, uski maa aur bahan ka kya hoga.”

Baldev bola “bahan ji, humare pas bhagwan ka diya hua, sab kuch hai. Bas ek beti ki kami hi hai. Hum shikha ko apni beti bana kar vida karna chahte hai. Shikha beti ki shadi ka saara kharch mai uthane ke liye taiyar hu.”

Chhoti maa boli “ye to bahut achi baat hai. Yaha dulhe ki bahane bhi aayi hai. Hum unse bhi kuch baat kar lete hai.”

Ye kahte huye chhoti maa ne hum logon ki taraf dekha to, aru unke pas jaane ko huyi. Lekin seeru didi ne use pakad kar pichhe kiya aur khud aage bad gayi. Ye dekh kar aru kuch gussa si ho gayi. Use gusse me dekh kar, nikki ne kaha.

Nikki boli “naraj mat ho. Hum logon ko aunty ki baat samajh me nahi aa rahi hai. Lekin shayad seeru didi samajh rahi hai ki, aunty kya karna chahti hai. Isliye wo tumko rok kar khud unke pas gayi hai.”

Niikki ki baat sunkar, aru ka gussa saant ho gaya. Udhar seeru didi ne chhoti maa ke pas pahuch kar kaha.

Seerat boli “ji aunty.”

Chhoti maa boli “inki baat to tumne sun hi li hai. Ab tum ye batao ki, tumhare bhaiya ki shadi me kitna kharch ho raha hai.”

Seerat boli “aunty, dono shadi bahut hi jaldi me ho rahi hai. Isliye shadi me jyada nahi, sirf 4-5 carore hi kharch ho raha hai.”

Seeru didi ne 4-5 carore to aise bol diya tha, jaise ki 4-5 laakh bol rahi ho. Unki is baat ko sunkar, baldev kuch soch me pad gaya. Magar chhoti maa ne uski is baat ki parwah kiye bina kaha.

Chhoti maa boli “do shadi me 4-5 carore, matlab ki ek shadi me kam se kam 2 carore to kharch ho hi raha hoga. Ab aap bataiye bhai sahab ki, aap shikha ki shadi me kitna kharch karne wale hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, baldev ne thodi himmat dikhate huye kaha.

Baldev bola “dekhiye bahan ji, hum itne bade aadmi to nahi hai ki, shikha beti ki shadi me caroro rupya kharch kar sake. Fir bhi mai kam se kam 25-30 laakh karch karne ko taiyar hu.”

Chhoti maa boli “bhai sahab, aap ye kaisa majak kar rahe hai. Aap jante hai ki, jis car me mera beta shikha ko vida karne wala hai, wo car hi sirf 25 laakh ki hai. Ye hi nahi, mera beta shikha ko jo gahne (jewelry) de raha hai, wo bhi kam se kam 20-25 laakh ke hoge.”

“Iske alawa wo har barati ko vidayi me gold ring de raha hai. Ab jaha caroro ki baat chal rahi ho. Waha aap laakho ki baat karke shikha ke samman ko thes kyo pahuchana chahte hai. Yadi aapse ye sab nahi ho sakta hai to, is baat ko yahi khatam kijiye aur shikha ko uske haal par chhod dijiye.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, baldev ka sar sharam se jhuk gaya. Usne ek najar aunty aur shikha didi ki taraf dekha. Fir apne bete ka hath pakad kar waha se chala gaya. Uske waha se jate hi chhoti maa ne hum logon ki taraf muskurakar dekhte huye kaha.

Chhoti maa boli “tum logo ko meri acting kaisi lagi.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, seeru didi khushi se chahakne lagi aur unko apne gale lagate huye kaha.

Seerat boli “wah aunty, aapne kya acting ki hai, aap to super star hai. Aapko to yaha nahi filmo me hona chahiye tha.”

Seeru didi ki baat sunkar, chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “aisi baat nahi hai. Lekin jarurat padne par thodi bahut acting kar leti hu.”

Chhoti maa ki baat sunkar, sab hasne lage aur mujhe bhi is baat ki rahat mehsus huyi ki, chhoti maa abhi jo badi badi baten kar rahi thi, wo sab unki acting thi. Sab chhoti maa ko gher kar khade the aur unko baton me lagaye huye the.

Priya to jaise is thodi si der me hi chhoti maa ki ladli ban si gayi thi. Chhoti maa priya ke kandhe par hath rakh kar khadi thi aur baat baat par us se apni baat ki aise haami bharwa rahi thi. Jaise ki priya unko barso se janti ho.

Sab chhoti maa se baten karne me vyast the. Tabhi shikha didi ne sabko tokte huye kaha.

Shikha didi boli “aap log aunty ko aise kab tak baton me hi lagaye rakhege. Wo itni door se safar karke aa rahi hai. Unhe kam se kam fresh to ho lene dijiye.”

Shikha didi ki baat sunkar, seeru didi ne kaha.

Seerat boli “thik hai bhabhi, aap aunty ko fresh hone le jaiye. Lekin uske bad hum inko apne sath apne ghar le jayege. Kyoki aunty ab humare sath hi rahegi.”

Ye kahte huye seeru didi ne mehul ke hath se bag le liya. Lekin barkha ne seeru didi ke hath se bag chheen liya aur use ungli dikhate huye kaha.

Barkha boli “sab kaan khol kar sun lo. Aunty humare ghar aayi hai aur wo yaha se kahi bhi nahi ja rahi hai. Wo ab yahi humare ghar me hi rahegi.”

Barkha ki is harkat par seeru didi ne gussa karte huye shikha didi se kaha.

Seerat boli “bhabhi, aap is barkha ki bachchi ko bol do ki, ye har samay boxing ladne ke mood me na raha kare aur isko ye bhi ache se samjha do ki, hum log aapke kaun hai.”

Seeru didi ko itna gusse me dekh kar shikha didi ka chehra utar gaya. Lekin mai samajh gaya tha ki, ye sab seeru didi ka natak hi hai. Isliye maine unki baat ke jabab me shikha didi se kaha.

Mai bola “didi, aap seeru didi ki baton me mat aaya kijiye. Inke baare me itna sab sun lene ne ke bad bhi aapko samajh me nahi aata hai ki, ye shaitano ki nani hai aur koi na koi khurapat inke dimag me chalti hi rahti hai.”

Meri is baat me aru ne bhi mera sath dete huye kaha.

Archna boli “haan bhabhi, punnu thik kah raha hai. Us din bhi in logon ne new car chalane ke liye wo rone dhone ka natak kiya tha. Bhaiya inke natak ko samajh gaye the, isliye wo inki baton me nahi aa rahe the.”

“Lekin aap inke us rone ko sach samajh baithi thi. Ab aap ghar aane wali ho to, aapko inke natak ko samjhne ki aadat dalna padegi. Warna ye aapke sidhepan ka aise hi fayda uthati rahegi.”

Meri aur aru ki baat sunkar, seeru didi ne gusse me bhadakte huye kaha.

Seerat boli “acha to ab tum dono mere khilaf aag ugal rahe ho. Dekho ab mai tum dono ke sath kya karti hu.”

Ye kahte huye seeru did ne apna mobile nikala aur kisi ko phone lagane lagi. Kuch der bad dusri taraf se call uthte hi, seeru did ne kaha.

Seerat boli “bhaiya, aapne punnu ko shadi me pahanne ke liye jo sherwani di thi, wo usne aaj hi pahan li. Wo kahta hai ki, ye sherwani koi khas nahi hai aur punnu ki mom yaha aayi hai. Mai unhe apne sath lekar ghar aana chahti thi. Lekin aapki pyari aru ne mujhe aisa nahi karne diya. Wo kahti hai ki, unhe bhabhi ke sath hi rahne do.”

Seeru didi ke is call se ye to pata chal gaya tha ki, un ne ajay ko call lagaya hai. Lekin ye samajh me nahi aaya tha ki, ajay ne kya kaha. Ajay se baat hone ke bad, un ne muskurate huye humari taraf dekhte huye kaha.

Seerat boli “kaho, kaisi rahi.”

Maine bhi unki is baat par muskurate huye kaha.

Mai bola “aap sach me shaitano ki nani hai. Pata nahi kitne shaitan mare hoge, tab jakar aap paida huyi hogi.”

Meri baat sunkar sab hasne lage aur shikha didi ko bhi samajh me aa gaya ki, ye sab pyar bhari nok jhok chal rahi hai. Isliye un ne is par dhyan dena thik nahi samjha aur chhoti maa se andar chalne ko kahne lagi.

Chhoti maa andar jaane lagi to, unke sath sath hum log bhi andar aa gaye. Shikha didi unko upar le jaane lagi to, chhoti maa ne un se kaha.

Chhoti maa boli “mujhe tumhari mummy se kuch jaruri baten karna hai. Tum mera ye saman upar rakhwao. Tab tak mai tumhari mummy se baat karke aati hu.”

Chhoti maa ki baat sunkar, mehul, hitu aur nitika unka saman upar lekar jaane lage. Lekin chhoti maa ne nitika ko apne pas bula liya aur fir wo aunty ke sath andar ke kamre me chali gayi.

Kuch der bad, nitika bahar aa gayi aur usne bataya ki, aunty ne use bag wahi rakh kar bahar jaane ko kaha to, wo bahar aa gayi. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, chhoti maa aunty se kya baat karna chahti hai.

Unka is tarah aunty se akele me baat karna mujhe kuch ajib sa lag raha tha. Aisa hi kuch haal shikha didi ka bhi tha. Maine to apne man ki baat, apne man me hi dabaye rakhi thi. Lekin shikha didi is baat ka bojh jyada der tak apne man par na rakh saki aur un ne mujhse kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, hum logon se koi galti to nahi ho gayi. Jo aunty is tarah se mummy se akele me baat karne gayi hai.”

Mai unke dil ki haalat samajh sakta tha. Isliye maine unko samjhate huye kaha.

Mai bola “didi aisi koi baat nahi hai. Unko bahar to aane dijiye, wo khud hi saari baat hume bata degi.”

Meri baat sunkar, shikha didi shant ho gayi. Lekin unke chehre se pata chal raha tha ki, wo abhi bhi is baat ko lekar bahut bechain hai. Khair thodi der bad chhoti maa aur aunty bahar aa gayi.

Un dono ke hi chehre par muskurahat thi. Aunty ne hum sab ko is tarah bahar khamosh khada dekha to, hum logon se kaha.

Aunty boli “are tum sab yaha is tarah gum sum se kyo khade ho. Kya tumhara ye bhopu (DJ) shikha ki shadi ke bad bajne ke liye aaya hai.”

Aunty ki baat sunkar sabke chehre par musjurahat aa gayi. Maine mehul ko DJ chalu karwane ko kaha aur fir mai chhoti maa ke sath upar aa gaya. Humare sath sath shikha didi bhi upar aa gayi thi.

Lekin unke chehre par abhi bhi bechaini bani huyi thi. Jise dekh kar chhoti maa ne mujhse kaha.

Chhoti maa boli “ye tumhari didi ko kya hua hai. Iska chehra itna utra hua kyo hai.”

Mai bola “ye aapki vajah se pareshan hai. Inko lagta hai ki, in se koi galti ho gayi hai. Isliye aap akele me aunty se baat karne gayi thi.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne pyar se shikha didi ke chehre ko thamte huye kaha.

Chhoti maa boli “jaisa tum soch rahi ho, waisi koi baat nahi hai. Maine abhi bahar tumhare chacha se jo baten kahi thi aur fir unko apni acting batakar jhutha sabit kar diya tha.”

“Asal me wo sab meri acting nahi, balki sach baten thi. Lekin waisa kuch karne se pahle tumhari mummy se ijajat lena jaruri tha. Isliye mai tumhari mummy se akele me baat karne gayi thi aur un ne mujhe aisa karne ki ijajat de di hai.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai kisi chhote bachche ki tarah un se lipat gaya aur unke gaal ko chumte huye kaha.

Mai bola “aap sach me duniya ki sabse achi maa ho.”

Ek taraf jaha chhoti maa ki ye baat sunkar, meri khushi ka thikana nahi tha, wahi dusri taraf chhoti maa ki ye baat sunkar, shikha didi ki aankhon me aansu aa gaye. Chhoti maa ne unke aansu ponchhe aur unko samjhane lagi.

Tabhi mujhe kisi ke gaane ki aawaj sunayi di aur mai chauke bina na rah saka. Kyoki arkestra (orchestra) ka to hum mana kar chuke the. Aise me ye gaana kaun ga raha hai. Yahi baat janne ke liye mai chhoti maa ko jata kar niche aa gaya.

Maine niche aakar dekha to, white suit me ek ladka gaana ga raha tha. Ladka sirf dekhne me hi acha nahi tha. Balki uski aawaj bhi bahut pyari thi. Mai wahi khade hokar uska gaana sunne laga. Tabhi nikki ne mere pas aakar kaha.

Nikki boli “isko yaha se fauran bhagao.”

Nikki ki ye baat sunkar, mai chauk gaya aur ye sochne par majbur ho gaya ki, ye ladka kaun hai. Mujhe is tarah soch me pada dekh kar, nikki ne kaha.

Nikki boli “tumne suna nahi, mai tumse kya kah rahi hu.”

Nikki aap se sidhe tum par aa gayi thi. Uski is baat se mujhe samajh me aa raha tha ki, wo bahut gusse me hai. Aise me mujhe us se kuch puchhte na bana aur maine us se kaha.

Mai bola “ok, mai dekhta hu ki, mai kya kar sakta hu.”

Magar meri baat ko sunte hi nikki ne baukhlate huye kaha.

Nikki boli “kuch dekhna vekhna nahi hai. Mai kah rahi hu ki, ise fauran yaha se bhagao to, matlab ise fauran yaha se bhagao.”

Nikki ka gussa dekh kar, maine us ladke ko waha se chalta karna hi thik samjha aur mai nikki ke pas se sidha mehul ke pas aa gaya. Mehul ke pas aakar, maine us se kaha.

Mai bola “ye ladka kaun hai aur ise yaha kisne gaane ke liye kaha hai.”

Mehul bola “ye hitu ka dost hai. Hitu ne ise yaha bulaya tha. Ye acha gaata hai, isliye humne hi is se gaane ke liye kaha hai.”

Maine hitu ko dekha to, wo usi ladke pas hi khada tha. Mai hitu ke pas gaya aur use ek kinare le jakar kaha.

Mai bola “yaar tum bura na mano to, mai tumse ek baat kahna chahta hu.”

Hitesh bola “haan, haan, befikar hokar bolo, mai tumhari kisi bhi baat ka bura nahi manuga.”

Mai bola “yaar kuch pareshani aa gayi hai. Isliye ho sake to apne is dost ko yaha se fauran chalta kar do.”

Meri baat sunkar, hitu kuch soch me pad gaya. Lekin fir muskurate huye kaha.

Hitesh bola “yaar, yadi mai is se sidhe yaha se chale jaane ki baat kahuga to, ise bura lag jayega. Isliye mai ise bahane se apne sath le jata hu aur isko chhod kar thodi der bad wapas aata hu.”

Mai bola “thanks.”

Hitesh bola “thanks ki baat nahi hai. Ye pareshani bhi to meri vajah se aayi hai. Ab ise door karna bhi mera farz hai.”

Ye kahte huye hitu mere pas se chala gaya. Wo us ladke ke pas gaya aur fir uske kaan me kuch kaha. Jiske bad dono waha se bahar chale gaye. Unke jaane ke bad, mai wapas nikki ke pas aaya aur us se kaha.

Mai bola “ye ladka kaun tha aur aap isko dekh kar itna gussa kyo ho rahi thi.”

Nikki boli “wo ek badtamiz ladka tha. Isliye mujhe us par itna gussa aa raha tha. Mai andar se seeru didi aur priya logon ko bula kar lati hu. Warna wo saari raat taiyar hi hoti rahegi.”

Ye kah kar nikki muskurate huye andar chali gayi. Lekin nikki ki is harkat ne mujhe sochne par majbur kar diya tha. Pahle to wo us ladke ko lekar mujh par itna bhadki thi ki, aap se sidhe tum par aa gayi thi. Lekin us ladke ke jate hi, wo fir se is tarah pahle jaisi ho gayi thi, jaise ki abhi kuch hua hi na ho. Nikki ki dono hi baat mere gale se nahi utar rahi thi.
 
Member
1,531
1,635
143
Ko To Rok Lo {Update - 165}
____________________________

Hitesh bola “thanks ki baat nahi hai. Ye pareshani bhi to meri vajah se aayi hai. Ab ise door karna bhi mera farz hai.”

Ye kahte huye hitu mere pas se chala gaya. Wo us ladke ke pas gaya aur fir uske kaan me kuch kaha. Jiske bad dono waha se bahar chale gaye. Unke jaane ke bad, mai wapas nikki ke pas aaya aur us se kaha.

Mai bola “ye ladka kaun tha aur aap isko dekh kar itna gussa kyo ho rahi thi.”

Nikki boli “wo ek badtamiz ladka tha. Isliye mujhe us par itna gussa aa raha tha. Mai andar se seeru didi aur priya logon ko bula kar lati hu. Warna wo saari raat taiyar hi hoti rahegi.”

Ye kah kar nikki muskurate huye andar chali gayi. Lekin nikki ki is harkat ne mujhe sochne par majbur kar diya tha. Pahle to wo us ladke ko lekar mujh par itna bhadki thi ki, aap se sidhe tum par aa gayi thi. Lekin us ladke ke jate hi, wo fir se is tarah pahle jaisi ho gayi thi, jaise ki abhi kuch hua hi na ho.

Nikki ki dono hi baat mere gale se nahi utar rahi thi. Abhi mai nikki ke baare me soch hi raha tha ki, tabhi hitu wapas aate dikhayi diya. Maine use aate dekh kar, uske pas chala gaya. Usne mujhe dekhte hi kaha.

Hitesh bola “sorry yaar, maine ise yaha nahi bulaya tha. Isne mujhse call karke puchha ki, mai kaha hu aur fir ye yaha hi chala aaya. Mere dimag me jara bhi ye baat nahi aayi thi ki, priya bhi yaha par hi hai. Warna mai ise yaha hargij nahi aane deta.”

Hitu ki is baat ne mere man me bahut se sawal paida kar diye the. Lekin mai apne man ki baat hitu ke samne jahir karna nahi chahta tha. Isliye maine is baat ko badalte huye hitu se DJ chalu karwane ko kaha aur mai upar chhoti maa ke pas chala aaya.

Mai upar pahucha to shikha didi akeli baithi thi. Chhoti maa fresh hone gayi thi. Maine shikha didi se niche chalne ko kaha to, un ne kaha ki, wo chhoti maa ke sath hi niche aayegi.

Isliye mai bhi unke sath wahi baith kar baten karne laga. Kuch hi der me chhoti maa aa gayi. Un ne mujhe bahar jaane ko kaha to, mai bahar aakar khada ho gaya. Kuch hi der me DJ chalu ho gaya aur priya mujhe bulane aa gayi.

Maine us se kaha ki, chhoti maa taiyar ho rahi hai. Mai unke sath niche aata hu. Meri baat sunkar, wo bhi mere pas hi khadi ho gayi. Mera man priya se us ladke ke baare me puchhne ka ho raha tha.

Lekin abhi mere pas itna samay nahi tha ki, priya se is baare me khul kar baat ki ja sake. Isliye maine ye baat karne ka irada badal diya. Thodi der bad chhoti maa ne mujhe andar aa jaane ko kaha to, mai aur priya andar aa gaye.

Chhoti maa taiyar ho chuki thi. Un ne is samay yellow color ki saadi pahne huyi thi. Jisme wo bahut pyari lag rahi thi. Priya ne bhi yellow dress pahni huyi thi aur jab usne chhoti maa ko yellow saadi me dekha to khush hote huye unki saadi ki tarif karne lagi. Aise hi baton baton me priya ne chhoti maa se kaha.

Priya boli “aunty aap ami nimi ko apne sath lekar kyo nahi aayi. Mera unko dekhne ka bahut man karta hai.”

Priya ki ye baat sunte hi mujhe ek jhatka sa laga. Mai chhoti maa ke aane ki khushi me itna kho gaya tha ki, mujhe is baat ko puchhne ka dhyan hi nahi raha ki, unke sath ami nimi kyo nahi aayi hai.

Lekin priya ke yaad dilate hi, mujhe ami nimi ki chinta ne gher liya. Ab mujhe is baat ki fikar satane lagi thi ki, wo dono mere aur chhoti maa ke bina kaise rah rahi hogi. Ye baat sochte hi mera dil udas ho gaya.

Chhoti maa shayad mere dil ka haal samajh gayi thi. Un ne mere kandhe par hath rakha aur mujhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “tu ami nimi ki fikar kyo karta hai. Wo dono waha maje me hai. Humare pados me saxena parivar rahne aaya hai. Wo din bhar unhi ki chhoti beti ke sath khelti rahti hai. Maine unka khayal rakhne ke liye anu didi ko bhi ghar me bula liya hai aur fir richa didi bhi to ghar me hai.”

Lekin chhoti maa ki ye baat sunkar bhi mere dil ko shukun nahi mil raha tha. Maine pareshan hote huye chhoti maa se kaha.

Mai bola “kya aapko pata nahi hai ki, wo dono kabhi mere aur aapke bina nahi rahi hai. Yadi aapko yaha aana hi tha to, unko bhi apne sath lekar aana tha. Aapko unko aise akela chhod kar aane ki kya jarurat thi.”

Meri baat sunkar, chhoti maa mujhe samjhane ki koshish karti rahi. Lekin jab mai unki koi bhi baat samajhne ko taiyar nahi hua to, un ne mujh par gussa karte huye kaha.

Chhoti maa boli “tu meri maa nahi, mai teri maa hu. Isliye mujhe kya karna chahiye tha aur kya nahi karna chahiye tha. Ye mujhe tujhse sikhne ki jarurat nahi hai. Mai is baare me ab koi baat sunna nahi chahti hu. Ab tu apna mood sahi kar aur chup chap niche chal.”

Chhoti maa ko gussa karte dekh kar, mai shant pad gaya. Lekin mera mood abhi bhi waisa ka waisa hi tha. Mera kharab mood dekh kar, shikha didi kuch bolne ko huyi, lekin chhoti maa ne unko tokte huye kaha.

Chhoti maa boli “iski fikar mat karo, ye abhi niche aa jayega. Hum log niche chalte hai.”

Shikha didi aur priya ko chhoti maa ka is tarah mere upar gussa karna acha nahi lag raha tha. Lekin jab chhoti maa ne unse niche chalne ko kaha to, wo dono chup chap chhoti maa ke pichhe pichhe niche chali gayi.

Mujhe chhoti maa ka gussa karne ka jara bhi bura nahi laga tha. Kyoki mai unki is aadat ko achhi tarah se janta tha ki, jab wo meri kisi baat se apna pichha chhudana chahti thi to, isi tarah mujh par gussa karke mujhe chup kara deti thi.

Mujhe to is samay sirf ami nimi ki fikar sata rahi thi. Abhi sirf 9:45 baje the. Isliye abhi keerti ka call aane ka sawal hi paida nahi hota tha. Isliye maine khud hi ami nimi ka haal janne ke liye keerti ko call laga diya. Keerti ne mera call uthate hi mujhse kaha.

Keerti boli “sorry jaan, maine kuch bhi nahi kiya aur yaha ami nimi ki vajah se mujhe tumse ye batane ka samay bhi nahi mil paya ki, mausi waha aa rahi hai.”

Ami nimi ka naam sunte hi mera mood kuch thik hua aur maine us se kaha.

Mai bola “ami nimi kaisi hai. Wo jyada pareshan to nahi kar rahi hai.”

Keerti boli “wo dono achi hai aur jara bhi pareshan nahi kar rahi hai. Abhi abhi khana khakar, apne kamre me gayi hai.”

Mai bola “ye sab kya chal raha hai. Chhoti maa to yaha aane se mana kar rahi thi. Fir wo is tarah achanak yaha kyo aayi hai.”

Keerti boli “mai tumhe sab kuch batati hu. Lekin ek baat yaad rakho ki, mausi ke waha tumhare pas hone ki baat bhool se bhi ami nimi ke samne mat karna, warna yaha bhuchal aa jayega.”

Mai bola “bhuchal aane se tera kya matlab hai. Kya chhoti maa ami nimi se kahi or jaane ka bol kar aayi hai.”

Keerti boli “haan, mausi ne ami nimi se kaha hai ki, wo vaani didi ko lene ja rahi hai.”

Mai bola “lekin chhoti maa ko aisa karne ki kya jarurat thi. Unhe yadi yaha aana hi tha to, wo ami nimi ko lekar bhi to yaha aa sakti thi.”

Keerti boli “wo tumhare sath ho rahe hadso ki vajah se ami nimi ko apne sath waha lekar jana nahi chahti thi. Isliye unhe ami nimi se ye jhuth bolna pada.”

Mujhe keerti ki ye hadso wali baat samajh me nahi aayi. Kyoki din ki baat to mai sabke samne saaf kar chuka tha aur sham ko huye hadse ki maine kisi ko khabar hi nahi hone di thi. Isliye maine keerti se kaha.

Mai bola “hadso se tera kya matlab hai. Din me jo hua tha, wo to mai tum logon ko saaf saaf bata chuka tha.”

Keerti boli “jyada banne ki koshish mat karo. Mai din aur sham ko huye hadse ki baat kar rahi hu. Mausi ne waha sham ko huye hadse ke bad, mehul aur priya ki kahi huyi saari baten suni thi. Isliye wo tumko lekar bahut pareshan thi aur fir un ne aanan fanan me waha jaane ka faisla kar liya.”

Keerti ki is baat ne mujhe soch me daal diya. Kyoki mehul ki baat sunte hi maine fauran call kaat diya tha. Yahi baat janne ke liye maine keerti se kaha.

Mai bola “lekin maine to mehul ki baat sunte hi call kaat diya. Fir chhoti maa ne priya ki baat kaise sun li.”

Keerti boli “tumse baat karte samay pahle un ne waha bahut jor ki koi aawaj suni, fir mehul ki baat sunkar unhe samajh me aa gaya ki, waha kuch hua hai. Isliye un ne tumhare call kaatne ke bad, wapas tumhe call na laga kar, mujhse nitika ko call laga kar waha ka haal pata karne ko kaha tha.”

“Lekin nitika waha ka haal pata karke batane ki jagah, chalu mobile hi tumhare pas lekar chali gayi. Jis vajah se waha priya ki kahi gayi baten humne bhi sun li. Jiske bad mausi ne tumhare pas jaane ka faisla le liya.

“Un ne ami nimi se kaha ki, mai vaani ko lene ja rahi hu. Lekin punnu ke ghar wapas aane ka samay bhi ho gaya hai. Isliye tum log ghar me rah kar punnu ke aane ka intejar karo aur wo aa jaye to, mere na rahne par uska khayal rakhna.”

“Bas isi vajah se ami nimi ne unke sath jaane ki jid nahi ki thi. Kyoki wo dono tumko dekhne ke liye taras gayi hai. Khas kar ami tumko bahut yaad karti hai. Aaj kal to wo khana bhi dang se nahi khati hai aur na hi kisi baat par mujhse ya nimi se jhagra karti hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, mai sochne par majbur ho gaya ki, maine pichhle janam me aise kya achhe kya kaam kiye the ki, is janam me mujhe itna jyada pyar karne wali maa aur bahne mili hai.

Ek meri bahne thi, jo mujhe itna pyar karti thi ki, unse mera naam lekar kuch bhi karwaya ja sakta tha aur ek meri maa thi, jo mere sath huye hadse ki khabar sunkar fauran hi itni door se bhagi chali aayi thi.

Ye baten soch kar meri aankhen chhalak gayi. Lekin maine fauran hi apni aankhon ko saaf kiya aur keerti se kaha.

Mai bola “chal thik hai. Ab mujhe chhoti maa logon ke pas jana hai. Yadi tu jaagti rahi to, hum bad me baat karege. Ab mai rakhta hu.”

Keerti boli “are aise kaise call rakh doge. Pahle meri kissy to do.”

Mai bola “kya mai tujhe jitni baar call karuga, mujhe utni hi baar kissy dena padegi.”

Keerti boli “haan, tum jitni bhi baar call karoge, tumhe utni hi baar call rakhne ke pahle kissy dena padegi.”

Mai bola “tujhe to mai aakar dekhta hu. Abhi to tu apni kissy le le. Muuuuhhhhh.”

Keerti boli “mai bhi tumhe dekh lugi. Abhi mai rakhti hu. Muuuuuuhhhhhhhh.”

Itna kah kar keerti ne call rakh diya. Iske bad maine apna muh dhoya aur niche aa gaya. Niche DJ ki dhuno par dance chal raha tha. Mujhe aata dekh kar priya aur shikha didi ke chehre par muskurahat aa gayi.

Lekin chhoti maa ne mujhe aate dekh kar, apna chehra dance karne wali ladkiyon ki taraf ghuma liya. Unko aisa karte dekh kar, priya aur shikha didi fir se asmanjas me pad gayi.

Magar mai janta tha ki, unhe is samay ami nimi se jyada meri fikar thi. Jiski vajah se na chahte huye bhi, unhe yaha aana pad gaya tha. Lekin wo ye sab baten mujh par jahir karna nahi chahti thi.

Lekin mai tha ki, ami nimi ko lekar unse sawal par sawal kiye ja raha tha. Jis vajah se wo ye gussa hone ka natak kar rahi thi. Taki mai un se ami nimi ko lekar koi sawal na kar saku. Mai bhi ab unki is pareshani ko aur badana nahi chahta tha. Isliye maine unke pas aakar, un se kaha.

Mai bola “sorry, chhoti maa.”

Lekin chhoti maa ne meri baat ko sunkar, bhi ansuna kar diya aur wo dance hi dekhti rahi. Tab maine unke samne aakar khade hote huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, ab ye jhutha gussa dikhane ka natak bahut ho gaya. Mai ab aapse ami nimi ko lekar koi sawal nahi karuga. Ab aap bhi apna ye gussa dikhne ka natak karna band kar dijiye.”

Meri baat sunkar chhoti maa ne pahle mujhe ghoor kar dekha aur fir achanak hi unke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne pyar se mere gaal par ek chapat lagayi aur shikha didi ki taraf dekhte huye kaha.

Chhoti maa boli “mera beta tumhare yaha aakar bahut jyada samajhdar ho gaya hai. Ab to ye mere jhuthe gusse ko bhi samajhne laga hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, jaha shikha didi ke chehre par muskurahat wapas aa gayi. Wahi priya ne hairani se chhoti maa se puchha.

Priya boli “to kya aunty aap sach me itni der se isko jhutha gussa kar rahi thi.”

Chhoti maa boli “or nahi to kya, mai is par kabhi gussa kar hi nahi sakti. Ye to mera raja beta hai.”

Priya boli “aapne to mujhe dara hi diya tha. Mujhe to lag raha tha ki, aap sach me punnu se naraj ho gayi hai.”

Chhoti maa boli “are tum logon ne dekha nahi ki, ye apni bahno ko lekar mujhse kis tarah jhagra kar raha tha. Ise mere aane ki khushi nahi, balki apni bahno ke akele rahne ka dukh ho raha tha. Ab iske sawalon se bachne ke liye mai gussa hone ka natak nahi karti to, or kya karti.”

Chhoti maa ki baat sunkar, sab hasne lage. Tabhi nikki aayi aur priya ko dance ke liye pakad kar le jaane lagi. Lekin priya ne pahle neha se dance karwane ki baat kah kar baat ko taal diya.

Priya ki baat sunkar, nikki neha ke pas chali gayi. Lekin neha ne bhi shayad abhi dance karne se mana kar diya tha. Tabhi hitu unke pas aaya aur nikki us se kuch kahne lagi.

Jiske bad, hitu ne DJ wale ke pas jakar koi gaana bajane ko bola aur fir neha ko apne pas bulaya. DJ par hitu ka bola hua gaana bajte hi hitu aur neha us gaane par dance karne lage.

Hitu aur neha ka dance

“Sapne mein milti hai, o kudi meri sapne mein milti hai.
Sara din gungte me band kudiya si, oe oe oe oe oe.
Sara din gungte me band kudiya si, akhiyon mein khulti hai

Sapne mein milta hai, o munda mera sapne mein milta hai
Sara din sadko pein khali rikshi sa, hai..
Sara din sadko pein khali rikshi sa peechhe peeche chalta hai

Hoi hoi.. koree hai, kararee hai, bhoon ke utari hai.
Khabi khabi milti hai.. o kudi meri o kudi meri

Veu chalo pakad hai, chouda bito had hai.
Duur se dikhta hai, o munda mera ha ha ha ha...o munda mera

Are, dekhne me tagda hai, jungle se pagda hai, seeng dikhata hai...
Sapne mein milta hai, o munda merasapne mein milta hai

Sapne mein milti hai, o kudi mera sapne mein milta hai
Paji hai, sharir hai, gumti lakir hai, chakrakh chalti hai
Oe... sapne mein milti hai, o kudi mera

Sapne mein milta hai sapne mein milta hai
Hoi hoi hoi hoi....."

Hitu aur neha ne itna mast dance kiya tha ki, waha khade sabke kadam thirakne par majbur ho gaye the. Unke dance khatam hone ke bad hitu ne raj ki taraf ishara kiya to raj selu didi ke pas aa gaya.

Usne shayad unse apne sath dance karne ko kaha to, selu didi uske sath chali gayi. Fir DJ wale ne uski pasand ka gaana baja diya.

Raj aur selu didi ka dance

“O.. o..

Mehndi laga rakhna
Doli saja ke rakhna

Mehndi laga rakhna
Doli saja ke rakhna

Lene tujhe o gori
Aayenge tere sajna

Mehndi laga rakhna
Doli saja ke rakhna

Oh.. ho.. oh.. ho..
O.. aa..

Sahra sajake rakhna
Chehra chhupake rakhna

Sahra sajake rakhna
Chehra chhupake rakhna

Yeh dil ki baat apne
Dil mein dabake rakhna

Sahra sajake rakhna
Chehra chhupake rakhna

Mehndi laga rakhna
Doli saja ke rakhna

Oh.. ho.. oh.. ho..”

Abhi raj aur selu didi ka dance khatam hi hua tha ki, nikki ne nitika ko dance ke liye pakad liya aur fir nitika ki pasand ka gaana bajne laga.

Nitika ka dance

“Bole chudiya bole kangna, haye main ho gayee teree sajna
Tere bin jiya naiyo lag da, main te margaiya
Le ja le ja soniye le ja le ja, dil le ja le ja ho.......

Haye haye main marjawan marjawan tere bin
Abb toh meree raate katatee tare gin gin

Bas tujhko pukara kare, meree bindiya ishara kare
Hoye lashkara lashkara, teree bindiya kaa lashkara
Aise chamke jaise chamke chand ke pas sitara”

Nitika apna dance khatam karke wapas aane lagi. Tabhi mehul ne uska hath pakad liya aur tabhi uska gaana bajne laga.

Mehul aur nitika ka dance

“Uthaa le jaaunga tujhe mai doli me,
Dekhati reh jaayengi sakhiya tumhaari.
Tumko mujhase pyaar hai pyaar hai pyaar.

Tere ghar aaungi, dulhan ban jaaungi,
Akeli reh jaayengi sakhiya bechaari
Tumko mujhase pyaar hai pyaar hai pyaar.

Uthaale jaaunga tujhe mai doli me
Dekhati reh jaayengi sakhiya tumhaari

Oh oh oh oh oh, aa aa aa aa aa.”

Mehul aur nitika ne bhi bahut acha dance kiya tha. Unka dance khatam hote hi nikki ne aru ko dance ke liye pakad liya aur fir aru ka gaana bajne laga.

Aru ka dance

“Maine paayal hai chhankaayi
Ab to aaja tu harjaayi,
Meri saanson mein tu hai basa
O sajna, aaja na ab tarsa.

Maine paayal hai chhankaayi
Ab to aaja tu harjaayi,
Meri saanson mein tu hai basa
O sajna, aaja na ab tarsa.”

Aru ne bhi bahut pyara dance kiya tha. Uska dance khatam hote hi nikki ne seeru didi, barkha aur selu ko pakad liya aur apne sath unhe aru ke pas le aayi aur fir DJ par gaana bajane laga.

Seeru didi, selu, aru, barkha aur nikki ka dance

“Wah wah Ramji
Jodi kya banai

Bhaiya aur bhabhi ko
Badhai ho badhai

Sab rasmon se badi hai jag mein
Dil se dil ki sagai

Aapki kripa se yeh
Shubh ghadi aayi

Jiji aur jija ko
Badhai ho badhai

Sab rasmon se badi hai jag mein
Dil se dil ki sagai

Wah wah Ramji
Wah wah Ramji
Wah wah Ramji.”

Sabka dance karna ho chuka tha. Ab sirf mai, riya aur priya hi dance karne ke liye baki rah gaye the. Nikki ne aakar mujhse dance karne ko kaha to, maine us se bad me dance karne ki baat kah kar use taal diya. Jiske bad wo priya ko dance ke liye le gayi aur fir priya ki pasand ka gaana bajne laga.

Priya ka dance

“Maiyya yashoda ye tera kanhaiyya,
Panghat pe meri pakde hai baiyyan,
Tang mujhe karta hai sang mere ladta hai,

Ramjee ki kripa se mai bachi,
Ramjee ki kripa se mai bachi,
Ramjee ki kripa se.”

Priya bahut pyara dance kar rahi thi. Mai uska dance dekhne me kho sa gaya tha. Jaise hi uska dance khatam hua. Riya mere pas aayi aur jababrdasi mera hath pakad kar le gayi. DJ par uski pasand ka gaana bajne laga aur na chahte huye bhi mujhe uska sath dena pad gaya.

Mera aur riya ka dance

“Aaj hai sagai, sun ladki ke bhai,
Jara nach ke hamko dikha.

Aaj hai sagai, sun ladki ke bhai,
Jara nach ke hamko dikha.

Kudi ki tarah na sharma
Hay tu meree gal maan ja,
Tu meri gal maan ja.

Oye..
Sabko nachaau, nach nachake dikhaau
Aa mujhko gale se laga.

Munde se jara aankh lada,
Oye tu meri gal maan ja,
Hay tu meri gal maan ja.

Oye soniye..”

Jaise taise karke maine dance pura kiya aur dance khatam hote hi mai waha se bhagne ko hua ki, tabhi mehul, raj aur hitu ne aakar mujhe pakad liya aur unki pasand ka gaana bajna suru ho gaya.

Jise sunte hi mujhe samajh me aa gaya ki, ab wo pal aa gaya hai, jiske liye itna taam jham kiya gaya tha aur mai sabke sath dance karne laga.

Mera, mehul, raj aur hitu ka dance

“Meri pyari bahaniya banegi dulhaniya,
Sajke aayenge dulhe raja.

Bhaiya raja bajayega baja,
Bhaiya raja bajayega baja.

Apne pasine ko moti kar dunga,
Motiyon se bahna ki mang bhar dunga.

Aayegi barat dekhegi sari duniya,
Honge lakhon me ek dulhe raja.

Bhaiya raja bajayega baja,
Bhaiya raja bajayega baja.

Solah singar meri bahina karegi,
Tika chadhega aur haldi lagegi.

Bahna ke honthon pe jhulegi nathaniya,
Aur jhumenge dulhe raja.

Bhaiya raja bajayega baja,
Bhaiya raja bajayega baja.

Sej pe baithegi wo doli pe chalegi,
Dharati pe bahna rani panv na dharegi.
Palakon ki palaki me bahna ko bitha ke,
Le jayenge dulhe raja.

Bhaiya raja bajayega baja,
Bhaiya raja bajayega baja.

Sajana ke ghar chali jayegi jo bahna,
Honth hansenge mere roenge ye naina,

Rakhiya ke roj rani bahana ko bulauunga ,
Le ke aayenge dulhe raja.

Bhaiya raja bajayega baja,
Bhaiya raja bajayega baja.

Lekin mai is gaane par apna dance pura nahi kar paya. Kyoki gaane ki aakhiri ki kuch panktiyon ko mehsus karte hi meri aankhon me aansu aa gaye aur mai dance ko adhura chhod kar hi aa gaya.

Maine chhoti maa ke pas aakar, unke kandhe par apna sar rakha aur unke kandhe se apna chehra chhupate huye kaha.

Mai bola “mujhse nahi ho paya chhoti maa.”

Ye kahte huye meri aankhon se aansuon ka jharna bahne laga. Lekin tabhi barkha ne mere kandhe par hath rakhte huye kaha.

Barkha boli “nahi bhai, tumne karke dikha diya. Baat dance pura hone ya na hone ki nahi thi. Baat to sirf bhaiya ke jajbaton ko pura karne ki thi aur wo tumne karke dikha diya. Wo dekho, tumhara dance dekh kar didi ki aankhon me bhi aansu aa gaye.

Barkha ki baat sunkar, maine shikha didi ki taraf dekha to, wo ro rahi thi aur nikki log unko chup kara rahi thi. Ye dekhte hi maine apne aansu ponchhe aur shikha didi ke pas aakar kaha.

Mai bola “didi, maine to in logon se pahle hi kaha tha ki, mujhe dance nahi aata hai. Lekin kya maine sach me itna bura dance kiya hai ki, aapko rona aa gaya.”

Mujhe apne samne dekhte hi shikha didi mujhse lipat kar rone lagi. Us pal mere liye ye samajh pana mushkil ho gaya tha ki, mai unko rone se roku ya khud ke aansuon ko bahar aane se roku. Fir bhi maine bahut himmat jutate huye shikha didi se kaha.

Mai bola “didi, maine aapse kaha tha ki, apne ye aansu vidayi ke liye bacha kar rakhiye aur aapne inhe abhi se bahana suru kar diya hai. Dekhiye, 11 baj gaya aur seeru didi logon ne abhi khana tak nahi khaya hai. Kuch hi der me ye log jaane ki baat karne lagegi.”

Meri baat sunte hi seeru didi ne kaha.

Seerat boli “are mai to bhool hi gayi thi ki, 11 baje ke pahle hume wapas jana hai. Bhabhi sach me hume bahut der ho gayi hai. Ab hume jana chahiye, warna ghar me sab bahut gussa karege.”

Seeru didi ki ye baat sunte hi shikha didi ke aansu ruk gaye. Un ne apna chehra saaf kiya aur fir seeru didi logon se kaha.

Shikha didi boli “nahi, aap me se koi bhi bina khana khaye nahi jayega. Mai abhi khana lagwati hu.”

Ye kahte huye un ne seeru didi ka hath pakda aur sab ko andar chalne ko kahne lagi. Shikha didi ki baat sunkar, sab unke sath jaane lage. Seeru didi ne jate huye mujhe palat kar dekha aur muskurate huye aankh maar di. Unki is harkat ko dekh kar, maine apne man me budbudaya shaitano ki nani aur fir mai bhi muskura diya.
 

Top