kai baar kai lobhi rajao ne us neel mani ko pane ki koshish ki .
par koi bhi mandir tak nhi pahuch paya . asa mana jata he ki maha kaal ke seniko
ne un sabhi rajao ki sena ko mandir pahuchane se pehle hi maar diya tha . logo ka
to ye bhi kehena he tha . is manir ki raksha khud naago ke dewta shesh naag karte
the . log kehte the is manir ke niche samundar he . or sheshnaag mandir ko apne sir
pe rakh ke sambhale huye he .mandir me ghuste hi sab se pehle bhagwan shiv ke
nandi ki ek murti bani hui he . nandi ke sing khalis sone ke bane huye the . mandir ki
diwaro pe sone chandi hire pane se vishkara ji ne bahut ki kala kirtiya banai hui thi .
mandir ke andar dakhil hote hi mandir ke chokhat pe ek chosar ki
bisat bichi hui he . asa mana jata he . shiv bhagwan or parwati har raat waha aa ke
chosar khela karte the . kyu ki jo bisat subaha bichi hoti thi agale din vo bisat badal
jati thi . jase koi khel raha tha or chod ke chala gaya ho . asa bhi mana jata he jis
din ye bisat khatam hoti us din manidir bhi khatam ho jata . par mujhe or mere
purwajo ko hi pata tha is mandir kaa raaj . mere purwajo ko shiv bhagwan ne is
mandir ke bare me batya tha .
ye mandir registaan ke bicho bich ek sunsaan jagah pe tha . jaha
naa koi adam naa adam ki jaat . naam panchi na parinde . naa jeev naa janvar the .
asi ujad jagah pe ek bhawaya mandir bhi ho sakta he kissi ne socha bhi nhi hoga .
mere puwajo ko jasa shiv bhagwan ne bola tha . maha shivratari ki raat ko us jagah
pe puja karna he or gunga jal ke arpna se waha ek shankh nikalega . us shankh ko
jis jagah bajaoge waha ek bhawaya amandir pragat ho jayega . mere purwajo ne
unke bateye huye abusaar kiya . unko shankh mil gaya . wo apne rajaya me wapas
aa gaye . us waqt har taraf jung chal rahi thi .
har raja ek dusre ko nicha dikhane me laga hua tha . unke pich
ek raja tha taan sen . jo apni praja ke sath sukhi tha . uski apni koi olad nhi thi is
liye wo sari praja ko apni olad manta tha .uski neki or sujh bujh ki milsaal sabhi raja
dete the . koi bhi us se jung me nhi jeet sakta tha . raja ki sena jarur kum thi par
uski himmat or sujh bujh ki wajah se wo kabhi jung karta nhi tha kyu ki wo apni
praja apne seniko ko marte nhi dekh sakta tha . fir bhi koi us se ladne ki himmat nhi
rakhata tha . wo itna kushal raja tha ji jung me apne seniko ko piche or khud aage
rehta tha . wo akela hi ek sena ke bara bar tha .