Incest Kya GOVIND yunhi tarasta rahe ga!!!!

Well-known member
1,761
4,953
145
Govind.jpg
 
Well-known member
1,761
4,953
145
Kya GOVIND yunhi tarasta rahe ga!!!!


EPISODE – 17

Govind… “ap daan punya zaroor kijiye magar ye bhi theek nhe ke bina dekhe ke ap ka beopar ka profit din ba din kam ho raha he… agar ye sab yunhi chalta raha to ap jo apni mata ji Shrimati Vijyanti Devi ke naam se jo hospital, college aur anaath aashram ke liye daan karte hein wo ap ko band karna pade ga…”

Lala ji sar jhukaye sun rahe the…

Govind… “5-6 sal pehle tak ap anaj ke beopar ke hisab se Daulat Pur mein number 1 pe the… in 6 salon mein ap ka number gir kar 5 pe aa gaya he… ap ne in 6 salon mein anaaj ka koi bara sauda, trading, nahe kiya he… ap ke beopar ka kaam ghatta ja raha he magar ap ke sewako ki taadad mein koi kami nhe aayee… mein hargiz ap se ye nhe kahun ga ke ap sewako ya workers ko nokri se nikal dein han ye zaroor request karun ga ke ap apne kam ko badhayen taki sab ko kam pe lagaya ja sake aur income bhi badhe…”

Lala ji herat se Govind ki taraf dekh rahe the aur khamoshi se sun rahe the…

Govind… “Dayaalu hona koi buri bat nhe… magar sayane kehte hein doosron ki sahyeta karne se pehle apne ap ko mehfooj kar lein… ap ko annual income ka aik percentage ya hissa muqarar karna pade ga… jo aap daan kar sakte hon… agar income badhe gi to us hissab se percentage bhi authomatically badh jye gi… aenda se har kism ki payment karne se pehle ap khud check Karen ge… aur jitney maali ikhtiarat authority aap ne apne karamchariyon ko di he wo aaj se cancel… ab har payment ap ke approval aur jaanch ke baad ho gi…”

Govind… “ap ke godam ki halat bohat khasta aur kharab ho gyee he… pichle 8 sal se koi repair work nhe hua koi rang roghan nhe hua… us ki waja se godam mein rakhe anaj ko nuqsan phanch raha he… aur godam mein rakhe rakhe quality kharab ho rahi he… anaaj jin gunni bags ya cartons mein pack kar ke flour mills ya rice mills ya doosri mills mein bheja jata he wo gunni bags 5 sal purane hein… jis waja se na sirf loading / unloading ke waqt aur raaste mein anaaj waste hota he… mills se musalsal complaints aati hein magar koi un pe dhayaan nhe detaa…”

Govind… “ap ke baap dada ne mehnat se jo aalishan beopar ki bunyad rakhi thi… wo aahista aahista kamjor ho rahi he… aur bhi kuch baten hein jo mein ap se aage chal kar discuss karun ga…”

Govind chup hua to… Lala ji ne apni jaga se uth kar Govind ko apne gale se laga liya aur phoot phoot kar rone lage…

Govind un ko chup karane ki koshish karta raha magar wo chup na hue… ye dekh kar un ki patni aur Seema ki aankhon mein bhi aansoo aa gye…

Kaafi dair ke bad jab Govind un ko chup karane mein kamyab hua to Lala Ji ne kaha… “beta jo kuch tum ne kaha he wo sab 100% durust he… mein nhe janta itni sari information tum ne kese khoji aur tumhen beopar ka kya tajruba he magar mein samajhta hun ke agar tum meri bat man lo aur mere bete ban kar sare karobar mein mera hath batao to sab kuch theek ho sakta he…”

Seema foran boli… “please Govind Papa ki bat man lo… aik aur ehsan kardo ham par…”

Lala ji ki Patni (Shirimati Ganga Devi)… “Beta mat thukrana hamari request ko…”

Govind… itna sara pyar dekh kar apne ap par qaboo na rakh saka aur Lala ke gale lag kar ro para… aur bola … “Papa mein ap ke sath hun…”

Lala ji bohat khush ho gye… Ganga Devi bhi khush ho gayeen… Seema ka chehra khil utha aur wo foran uthi … “Papa aaj to celebrate karna chahiye…”

Lala… “haan beta tum theek keh rahi ho… Ganga… aaj apne bete ke pasand ke khane banwao… rat ko khana sath khayen ge… ”

Govind… “Papa mujhe kuch cheezen leni hein bazar se to wo mein le ke aata hun…”

Seema… “mein bhi chalun gi aap ke sath…”

Lala… “mein zara araam karun ga… Govind beta tum Seema ko sath le jao is ko poore shehr ka pata he konsi cheez kahan se milti he…”

Ganga Devi raat ke khane ki tayari ke liye kitchen ki taraf chali jati he…

Seema… “Govind, mein kapre change kar ke aati hun… phir nikalte hein…”

Govind… sukh ki sans lete hue dhayaan laga deta he Asha Bakshi, DCP, ki taraf…

Ussi waqt DCP nakam ho kar apne office wapis aaiee thi… us ne apne 2 inspectors ko call kar liya tha aur unse briefing le rahi thi…

Inspector – 1… “Madam… main ne poori force ke sath railway station aur us ke chaaron oar achi tarah search kiya magar koi aesa shakhs nhe mila jis ki ap ne details di thi…”

Inspector – 2… “Madam… ap ne bus stop ki surveillance khud ki aur mein ne apni force ke sath jo doosre raste the jahan se log apni car aur doosre zarai se aa sakte un sab ko check kiya… magar koi clue nhe mila…”

Asha Bakshi… “hmmm ye theek nhe hua… “Raghu” aik bohat dangerous aur safaak criminal he… har tarah ka crime… murder, robbery, kidnaping, drugs, khas taur par organized crime mein khasa badnam he… Delhi mein us par 4 murder ka aarop he… case bhi court mein chal raha he… us par pabandi he ke wo state se nhe nikal sakta… mein ne check kiya he wo wahan ke local police station se 2 din hue rabte mein nhe… ghayyab he… mein headquarters aur Delhi Police ko us ki photo aur duplicate file ki request ki he… jo 2 din mein aa jye gi… mein bohat worried hun… Raghu ka Daulat Pur mein hona yahan ke aman ke liye khatra he… mein ne pichle 6 mahine mein apni posting hone ke baad poori mehnat se crime bohat had tak kum kiya he…”

Asha Bakshi… “tum dono apni poori force laga do… har taraf surveillance aur search badha do… informers ke sath daily meetings karo… chote se chote crime ki mujhe report daily do… shayyad hamein koi clue mile aur hum kamyab ho jyen us ko rokne mein warna shehr ke liye bohat bura hoga…”

Asha Bakshi… “haan aik aur bat jo sab se important he… koi panic nhe karna he… press is tarah ki information ko buniyaad bana kar police ko badnam karta he…”

Govind… mujhe bhi help karna chahiye … magar kaise…???

Ye sochte sochte… Govind phir se DCP ke dimagh mein pohnch jata he…

Iss waqt 2 dono inspectors DCP ko salute kar ke nikal jate hein un ke office se… DCP apne PA ko intercom pe batati he ke wo adhe ghante mein office se nikle gi… is dauran agar koi important file he to andar bhej de… aur aik cup coffee bhi…

DCP bohat thak chuki thi… poore din ki karwayee ko apne dimagh mein rewind karne lagi aur achanak us ke dimagh mein wo nojawan click kar gaya… “us nojawan ne bataya tha ke wo us waqt shehar pohncha tha… kya us ka koi connection he Raghu se… nhe nhe wo to bohat shareef lag raha tha… crime karne walon ke chehre itne saaf pakeeza to nhe hote… magar wo mujhe dekh kesse raha tha… wo mujh se khauf jada nhe tha… us ki nazren aesi thi jesse koi mard aik larki ko dekhta he… aaj us ke dekhne se ehsaas hua ke mein bhi aik ladki hun… police service karte karte apni pahchaan bhool hi chuki thi…”

ye sochte sochte DCP apni kursi se uthi aur deewar pe lage mirror mein apne wajood, sarape, ko dekhne lagi…

“kya mein kissi mard ki talab ho sakti hun…?? Nhe nhe mein ye kya soch rahi hun… mein aik zimmedar police officer hun… wo pata nhe kon he…”
 
Last edited:

Top