Kya GOVIND yunhi tarasta rahe ga!!!!
EPISODE – 84
FLASHBACK… Smaran jaari he… 3/3
Ussi samay refree ne ghoshit kiya ke ladaee Krishna aur us ki team ne jeet lee he…
Aur phir naqaddon kee awaaz thee chaar or…
Dam… dam… dam… dam… dama… dama… daamma…
Krishna ne gale se laga liya Kailash ko… aur Rajni ka to mano jese dil ghayal kar diya tha is jawaan ki saahas aur phurti ne… us ke bhai ko bachaya jo tha…
Aik laathi tak nahi padee thee us ke shareer par… aur pratiyogee dhool chaat rahe the…
Seth Ameer Chand aur Seth Lal Chand ne bhi khul kar saraha… Kailash ko…
Nilesh aur Ritin ki aankhon me keena aur bair tha…
Raat ko bada khana hua chaupaal me aur sammaanit atithi the Krishna aur Kailash…
Wo raat ko dair se lote wapis haveli…
Rajni… un ka intezaar kar rahi thee…
Krishna haveli me andar chala gaya… aur Kailsah mardane me apne kamre me…
Nilesh bhi ussi haveli me rehta tha… us ka alag kamra tha… is samay wo aur Ritin daru ki bottle khol chuke the aur dono ke dil aur dimagh me apmaan aur haar ki goonj thee… dono bohat ghusse me the… dono bohat jald jald peg bana kar pee rahe the…
Kailash ko aaj phir neend nahi aa rahi thee…
Wo chhat par aagaya… aur apne baare me sochne laga ke kya pehchhan he us ki aur itna visheshagy ladakaa kese bana he… ussi samay Rajni bhi apne dil ke hatho majboor ho kar nikli apne kamre se… badhne lagee Kailash ke kamre ki or… Kailsah ka kamra khali dekh kar haveli ke pichle hisse se hotee hui apne kamre ki or jaane lagee… Ritin madhosh daru ke nashe me nikla bahar… Rajni ko dekha to us ke peeche chal padaa… aur andheraa dekh kar uss ko pakad liya… wo chudaane ki koshish karne lagee aur kuch shor bhi hua…
Raat ka samay… khamoshi… halki si awaaz bhi goonj uthi poori haveli me… Kailash tak bhi aawaz pohnchi… us ne chat se neeche jhanka… to dekha ke koi mard zabardasti pakde hue he aik mahila ko… wo chhat se hi neeche jaate pipe par se utarne laga…
Krishna ko bhi apne kamre me awaaz aayi wo bhi bahar nikal kar awaaz ki disha ki or nikal aaya…
Kailsah pehle pohncha… us ne Ritin ko pakad kar do teen mukke de maare… Rajni waheen bethi rone lagee…
Ritin pehle se hi nashe me tha… Kailash ke mukko ne us ko matti chatne par majboor kar diya…
Rajni ko Kailash ne uthaya aur us ke kapde theek kiye… us ke sar par chunnri daal hi raha tha ke Krishna bhi aagaya wahee par…
Us ne Rajni ko apne seene se laga kar chup karwaya… aur dhanayavad kiayaa Kailash kaa… neeche gire hue Ritin ko us ne bhi do thudde maare…
Rajni ka payaar ab adhik badh gaya Kailash ke liye… Krishna ne bhi samajh liya ke Ritin theek charitr ka nahee he aur Rajni ke liye upayukt var nahi he… us ki nigaah ab dhundh rahee thee ke kon ho sakta he Rajni ke liye ladka jo us ki rakshaa bhi kare aur us ko khush bhi rakhe…
Rajni ko ab ye pata chal gya tha ke Kailash kabhi kabhi chhat par jata he… aik din jab us ne dekha ke wo chhat par he to chupke se wo bhi oopar aagayee…
Kailash jo ke apne aap me kaheen gumm thaa… payal ki cham cham se us ne dekha to us ke saamne devadoot saundary thee… nazre jhukaye…
Kailash ne socha ke ye mere saamne aa hee gayee he tau phir nazren kyun nahee uthati…. Us ko apne mann se jawab mila…
Isse chintaa he tumhari…
Kailash ne socha… meri chintaa??…. Wo kesse???
uttar mila…. yadi is ne bharpoor nazar daal di tum par…
Tau jal jao ge….
Khaak ho jao ge….
Kailash ne bhi socha ke acha he …
na uthaye nazar…. Na dekhe meri taraf…
Kailash ne darte darte awaaz di… “Rajni…”
Rajni ne nazar na uthayi bas hans di…
Kailash ko aesa laga jesse us ka dil dhadakna band kar dega…
Kailash bola… “koi chhat par na aajaye…”
Rajni… phir se hans di… “darte ho… maidan me to badi bahaduri dikha rahe the…”
Kailash… “keval tumhari izzat ki kahtir darta hun…”
Rajni… ab kuch dair khamosh rahi aur phir boli… “Pita ji se baat karo ge mere liye…”
Kailash… “haan zaroor karun ga…”
Wo dono nahi jante the ke un ki baten koi aur bhi sun raha he… jo ke Rajni ko chhat par aate dekh kar oopar aagaya tha…
Ab wo aage aa gaya… us ko dekh kar Rajni aur Kailash dono dar gaye…
Wo Krishna tha…
Krishna… “ghabrao mat… lekin yun raat ke is samay milna theek nahee… kal bat karun ga me Pita ji… wo maan jayen ge… aur ab aenda nhee milna is tarah…”
Rajni khamoshi se neeche chalee gayee…
Kailash ne bhi sar neeche kar liya tha…
Krishna… “Kailash tum aik bahadur jawan ho… ache charitr ke ho… lekin ye theek nahi he… mein ye bhi janta hu ke Rajni chhat par khud aayi he… kal mere sath pita ji ke pas chalna… tumhari aur Rajni ki shaadi ki baat Karen ge…”
Us ke baad Krishna bhi khamoshi se chhat se neeche utar gaya…
Agle roz jese hi Krishna ne Kailash ke sath mil kar bat ki tau Seth Ameer Chand tau khamosh ho gaye… lekin Seth Lal Chand ne nirnay de diya ke aaj sham tak Kailash haveli chod de…
Krishna apne Chacha ji se virodh nahi kar sakta tha…
Us ne bahar aakar… Kailash ko kaha ke wo apna saman bandh le… Kailash ne kaha ke konsa saman… wo tau keval tan pe pehne kapdon me aaya tha… aese hi jaye ga… lekin Krishna ne us ko kaha ke wo apna samaan le jaa kar talaab ke peeche intezaar kare…
Kailash waha pohancha aur us ko aik ghanta intezaar karna pada…
Krishna waha aik apne dost ke sath aaya… “Kailash ye dost he mera is ka naam Bhushan he… is ke ghar par raat tak ruko… mein raat ko Rajni ko lekar aaun ga… Bhushan tum dono ko aik bail gadi par le jaye ga… paas waale gaanv… wahan tumhare aur Rajni ke phere ho jayen ge… kuch din tum dono ko wahee rehna hoga… is ke makaan par gaanv me… yaha halat theek hote hi mein khud tum dono ko wapis haveli le aaun ga… aur ye kuch rupya rakh lo kaam aayen ga… rat ko tayar rehna…”
Phir Krishna ne Rajni ko samjha kar waha se nikala… aur wo bhi apne kapdo ke sath raat ko Krishna ke sath nikal aayi…
Talab ke peeche veerane me Kailash…. Krishna aur Bhushan aik bail gadi par the… Krishna ne Rajni ko waha chodaa aur khud wapis lot gaya haveli ki or…
Bail gadi me bethane ke baad aur Krishna ke jaane ke baad Rajni ko aik anjaane khauff se bhare vichaar aane lage… jo wo kar rahi he… theek he yaa nahi… apne Mata Pita ko chod kar aik anjaane safar par nikal padi he… Kailash ke saath… uss ke prem par vishvaas karte hue…
Bhushan ke saath hi bethaa huaa thaa Kailash… Bail ki raas thaame hue… peeche Rajni bethi thi akeli… apne vicharo me khoi hui…
Bail gadi koi 1 ghanta chalti rahi… gaanv bas thori hi dur tha…
Ke achanak aik veerane me 4 ghode par sawaar naqaab posh saamne aagaye… ye daaku the…
Unhon ne bail gadi rokne ka kaha… Krishna ne dekh liya tha ke bas aik daku ke pas banduk he aur baki ke pas laathi hein… us ne chupke se Rajni ko neeche dab jaane ka kehte hue Bhushan se kaha ke banduk waale ka dhayaan rakhe baki se mein nimat loon ga…
Dono bail gaadi se neeche utare…
Daku… jis ke pas banduk thee… us ne poocha… koi aur he gadi me… Bhushan bola… “nahi…”
Daku… “kya saman he gadi mein…”
Kailash… “gehne he sone ke…”
Ye sunte hi Daku jis ke hath me banduk thee ghode se niche utar aaya utsukta aur lalach ke maare…
Yahi to Kailash chahta tha…
Us ne aankh ka ishara kiya Bhushan ki or…
Bhushan ne aage jaate daku ke aage zara si tang adaa dee… wo adanga kha kar gir pada… banduk hath se nikal gayee…
Bhushan ne us ki gardan pakad li…
Idhar Kailash doosre Dakhu jin ke pas lathi thee un ke liye kaafi tha… daakuun ko bandh kar phenkne ke baad… kuch hi dair me phir se wo log bail gadi par bethe ja rahe the Bhushan ke gaanv… ab Rajni khud se bade pyar se Kailash ka bazoo tham kar beth gayee… us ko garv hone laga ke us ke bhai ne theek varr ka chunaav kiya he uss ke liye…
Bhor se kuch samay pehle… gaanv pohanch chuke the… Bhushan seedhe mandi ki or jaa kar rukaa… aur subah ki pehli kiran ke saath hi Pandit ko anurodh kar ke un dono ke phere karwaane ek baad… un ko apne ghar le gaya… dono bohat khush the…
3 din ke baad… Bhushan aaya Jaipur… information lene ke liye… pata chala ke Krishna ghayab he… kissi ko us ka pata nahi he… Rajni ke jaane ki khabar se us ki Maata ka heart attack se dehant ho gaya… aur ye bhi pata chala ke Nilesh aur Ritin ne teams bana kar pas waale jitney gaanv aur shehr hein waha dhundh rahe hein Rajni aur Kailash ko…
Bhushan ne ye saari batein na batayi aur un ko bas ye kahaa ke kuch samay ke liye un ko jana hoga kaheen dur…
Aur yun Kailash Rajni ko lekar waha se local bus pe beth kar aik shehr se doosre shehr aur yun Daulat Pur aa gaye…
Daulat Pur me kuch samay bitaya aur waha janpehchan hui Seth Girdhari se… lekin kaam na ban saka shehr me to phir gaanv me chota sa ghar khareed kar Thakur ki haveli me kaam shuroo kiya…
Kuch samay ke baad Jaipur gaya lekin waha pata chala ke Krishna kaafi samay se ghayab he… us ka koi atta patta nahi he…
Phir kuch rupya jodaa tau Seth Girdhari ke sath kaam kiya… us ne dhoka diya aur Kailash ne apni dono betio ki shaadi us ke beto se kar ke apni jaan chudayi…
Smaran... samapt huaa...
Lajab update diya kuch ghatnaye choti magar story me bada parbhav choda jaise

Lajab update diya kuch ghatnaye choti magar story me bada parbhav choda jaise ki nitin wali ghatna jiska chunav rajni ke liye kiya gaya tha vo to ek nich manush nikla jo mauka milte hi ek stree ko daboch leta hai.
Chupke chupke milana, aur bhai duwara dekh liya jana halka dono koyi apati janak kaam nahi kar rahe the balki ek dusre se sirf bate kar rahe the.
Barhaal kirshna ne ek bhai hone ka kartavy purn nishthaa se nibhaya aur apni bahan rajni ko uske saath vida jiya jo uske yogy vaar tha.
Adhbhut lekhan kausal