Adultery Manhoos se mahan tak

Status
Not open for further replies.
🅒︎🅞︎🅞︎🅛︎
38
88
18
Bhai es sanjay ka role acha nhi lg rha eska ptta jldi khatam kro sala ek no. Ka harami......last me radha esiliye chonki hogi kyunki vhi suwar baith ke chai pi rha hoga jese usne subah Divya ko kaha tha.........
shandar lajawab superbbbb speechless update..........
keep posting bhai............
waiting for next update..............
 
RStar99
25
36
13
Update 283



‘Radha tum yahan kya kar rahi ho? Sanjay ko akela chhod aayi udhar ? Maine kaha tha na uske pas rehna’

Minal bathroom se bahar nikali to Rima aur radha dono ko samne khada paya.

Rima: pehle tum batao tumhe itni der kaise lag gyi ? Tum theek to ho na? Aur Sanjay koi bacha thodi hai jo akele me dar jayega. Tumne itni der laga di to main akele aur kitni der yahan khadi rehti ?

Minal : wo yar pet kuch upset lag raha tha is liye der ho gyi . Par tum radha ko kyun yahan le aayi, main aa rahi thi na .

Radha : to kya hua , ab chalo . Humen wapis bhi jana hai . Chhutti ka time ho gya hai , ghar bhi jana hai .

Minal : tum chinta kyun karti ho sab ne ghar hi jana hai. Chalo pehle chal kar kuch kha le bhukh lagi hai.

Teeno chal kar wapis Sanjay k pass aa gyi jahan Mohit bhi aa chuka tha . Sanjay ka chehra dekh minal samajh gyi wo naraz lag raha hai . Khair sab mil kar khana khane lage , minal jan bujh kar baton me samaya laga rahi thi aur dekhte dekhte chhutti hone ka time bhi ho gya balki kuch der jyada hi ho gyi. Rina ko manju m ki call bhi aayi k wo kahan hai to usne bata diya wo ghar pahunch jayegi . Uske bad sab car me baith kar college ki taraf chal diye .

Minal : hum Rima ko ghar chhod dete hain, radha ko Sanjay chhod dega .

Ye sun kar Sanjay k chehre par muskan aa gyi k minal ne uski help kar di ab to use mauka mil gya radha k sath akele bat karne ka .

Rima : yar ek hi taraf to jana hai , bua k ghar se aage hi to radha ka ghar hai to sath me hi chalte hain na .

Minal : radha ko chhod ne gye to aur bhi time lag jayegA na , Sanjay chhod dega ise tension na lo.

Rima : to kya hua ? Itna bhi nahi kar sakte kya tum log ? Kun Mohit tumhe kahin jana hai kya ?

Mohit : nahi to mujhe kahan jana hai , chalo .

Minal : par …

Radha : main tum logon k sath hi chalungi

Sanjay soch raha tha k ab bat bani par Rima ne fir se pani fer diya . Khair man masos kar usne bike ki taraf kadam barhaya to ek dam use khayal aya .

Sanjay : yar wo Amit bike ka bhi bol raha tha na , ab uski bike yahin to nahi chhod sakte na , to kyun na main uski bike le jaun radha k ghar tum log wapis mujhe wahin se lete ana .

Minal : han ye sahi rahega , radha tum Sanjay k sath baith jao Amit ki bike par , use rasta nahi malum .

Rima : ab yar usme kya hai , wo piche piche aa jayega na hamare . Radha ko bike par baithne ki kya zarurat hai.

Minal : tum har bat pe mana kyun kar rahi ho? Radha se bhi to puch lo. Kyun radha ?

Radha : ma ko acha nahi lagega kisi k sath aise bike par jana . Main tum logon k sath hi jaungi .

Sanjay : koi bat nahi , tumhari bat bhi sahi hai , aunty to mujhe abhi dekhi hi nahi aur na janti hain. Main piche ata hun .

Mohit ne use Amit ki bike ki chabi di aur fir Mohit ne teeno ko car me bithaya aur chal diye. Sanjay piche piche aa raha tha , use acha to nahi lag raha tha par use ek mauka to mil hi gya tha bike k bahane radha k ghar tak pahunchne ka . Is liye use thodi khushi is bat par thi aur ab wo aage ka plan bana raha tha . Mohit ne gadi sidha Divya k ghar k bahar roki aur piche Sanjay bhi pahunch gya .

Sanjay : main bike andar lga deta hun tum jagah batao.

Radha ne bell bajayi aur Divya ne darwaza khola Sanjay bike andar karne laga aur Mohit Rima minal sab Divya se mile .

Divya : aaj kitne dino baad aaye ho tum , ghar me sab kaise hain?

Mohit : sab theek hain aunty , aap kaisi ho?

Divya : main theek hun , ye ladka kaun hai .

Minal : aunty ye mera bhai hai Sanjay , hamari class me hi hai . Abhi yahan admission liya hai. Amit ki bike chhodne aya tha .

Sanjay bike khadi kar k un logon k pas aaya to ek bar Divya ko dekh man hi man uski tareef karne laga . Radha agar khubsurat thi to uski khubsurati ki vajah use ab nazar aa rahi thi .

Sanjay : paon padta hun aunty , aap kaisi hain?

Divya : main achi hun , aao aao andar aao tum log.

Rima : bas aunty abhi der ho rahi hai ma intzar kar rahi hogi . Hun log radha ko chhodne aaye the .

Divya : kuch chai pani to pilo .

Rima : fir kabhi aunty .

Sanjay : han aunty abhi Rima ko ghar chhodna hai , hun fir kabhi aayenge . Waise aap bahut achi hain , warna log to aaj kal ache se bat tak nahi karte . Main kisi din apke hath ki chai pine zarur aaunga agar radha mana na kare to .

Divya : wo kyun mana karegi , tum minal k bhai ho to uske bhi bhai ho . Ek hi class me to padte ho , jab marzi aa jana .

Sanjay ko ye bat achi to na lagi bhai wali par wo upar se muskura raha tha . Rima Sanjay ko hi notice kar rahi thi jabki radha Rima se bat karne me lagi thi .

Sanjay : zarur aaunga aunty , aap k hath ki chai pine aur aap se dher sari baten karne. Abhi chalte hain .

Uske bad Rima ko ghar drop karne k bad Sanjay ko college me chod kar Mohit minal k sath use chhod ne chala gya .

.

‘ chalo tum sab log apna saman utaro. Raja ko email kar dena Gmail par uski is hai ‘ kingsindia7 ‘ yad rakhna ise aur sab readers ko bol do . Hum yahin rehne wale hain competition khatam hone tak. Rooms ki list dekh ko sab. Ladke aur ladkiyon k liye alag alag rooms hain , abhi ja kar fresh ho jao fir dinner k liye aa jana . Tum logon k pas ek ghanta hai . ‘

Sham k waqt Amit aur baki sab students k sath staff members is adhunik 3 manzila hostel k samne khade the . Jisme k prabandh kiya gya tha sab k rukne k liye . Prof Varinder ne sabko nirdesh diye aur khud staff k sath discuss karne lage . Ladke ladkiyon k liye kamre alag alag manzil par the . Sab apne apne bag utha kar kamron me chal diye . Kalpana is bat se khush thi k is bar dono ek hi jagah par hain is liye milna mushkil na hoga . Sabne kuch der aram kiya aur fir dinner k liye pass k hotel me gye . Staff members sath hi rahe taki kisi tarah ki asuvidha na ho. Is dauran Amit neeraj k sath raha aur Kalpana bhi mauka milne par dono k pas hi hoti jyada kuch to tha nahi is liye khane k bad sab apne apne kamron me chale gye. Room me akar Amit ne bari bari se sabko call ki aur apne yahan rukne k intzam k bare me bataya. Akhir me jab usne nidhi se bat karne ki sochi to uska man duvidha me tha k call kare ya na kare. Uska dil to chahta tha k wo bat kare par use kahin na kahin ye bhi lg raha tha k nidhi ki bhawnayen wo pehle hi dukha chuka hai aur abhi wo kitni dukhi hai ye bhi wo janta tha. Kahin uske aise bat karne se wo aur jyada dukhi na ho bad me , is liye wo hichkicha raha tha par deepika ki baten yad kar k usne akhir call laga hi di. Phone lagatar bajta raha par nidhi ne call receive nahi ki. Usne ek bar aur try kiya par result fir se wahi tha . Ant me Amit man maar k so gya . Aaj wo neeraj k sath ek hi kamre me tha . Dono ki apas me achi jamti thi is liye dono ne ek hi room me rehne k liye request ki thi warna pehle dono k partener dusre the .

.

‘ mami mujhe ye theek nahi lag raha , usne abhi mujhe call ki thi 2 bar , par maine call nahi uthai . Use bura lag raha hoga . Aap ne mujhe kyun rok rakha hai. Akhir bat karne me kya jata hai ‘

Nidhi ne Amit ki call k bad deepika ko call laga di thi. Amit ki call dekh kar wo andar se bahut khush hui thi par deepika ka hukam tha k usse bat nahi karni is liye dil par prhar rakh kar usne phone silent kar diya tha par use is bat par andar se bahut dukh ho raha tha . Wo to taras rahi thi usse bat karne ko uski awaz sunne ko par pata nahi deepika mami ki ye kya chal thi jo use Amit se kisi bhi tarah bat karne ko rok rakha tha

Deepika : main janti hun use dukh ho raha hoga par ye zaruri hai , aur ye main tumhare liye hi kar rahi hun. Tujhe kya pata k maine use kya kuch nahi kaha uske dil me tumhare liye pyar jagane k liye . Pyar to wo tumse shuru se hi karta hai magar us pyar ko bhai behan wale rang se azad kar k naya rang jo dene hai. Aur iske liye kuch to keemat chukani hogi na. Warna tum janti ho tum kbhi use pa nahi sakogi

Nidhi : kya kaha aapne use ? Kya wo sach me dukhi ho kar gya hai ? Agar wo dukhi rahega to wo dhyan nahi de payega . Aap ne aisa kyun kiya ? Kya zarurat thi use kehne ki ?

Deepika : ruk ruk , abhi to biwi bani nahi aur abhi se tujhe uski itni parwah hai . Tujhe kya lagta hai main khush hun use wo sab bol k? Usse jyada takleef mujhe hui thi par zakham theek karne k liye kadwi dawa k ghoont bharne hi padte haine . Aur jyada chinta mat kar use bad me mana bhi liya tha . Ab jyada mat soch aur jo kam tujhe kaha hai wo kar jyada der karegi to nuksan tumhara hi hoga

Nidhi to deepika ki isi bat par sharmate ja rahi thi jab usne use Amit ki biwi kaha par ab akhir me jo kam ki bat ki thi wo sun ek pal me hi serious ho gyi

Nidhi : han kar to rahi hun mami ji , aaj kisi se bat hui hai . Meri ek friend ka dost hai wo stage artist hai aur Delhi me rehta hai. 2-3 din me wo aane wala hai . Ab wo aayega to pata chalega .

Deepika : good , bas bhagwan k hath jodo sab sahi ho . Aur tum dono ek ho sako .

Nidhi : aap sach me bahut achi hain mami ji , aap na hoti to kaun meri madad karta .

Deepika : bas bas , jab kam poora ho jaye tab kuch kehna . Aur han bad me mujhe fees bhi deni padegi .

Nidhi : aap chahe to jaan le lena mami ji. Bas mujhe uski bana do.

Deepika : dhatt pagal , jaan to ab tumhari Amit ki hai. Mujhe jo chahiye wo main tumhe shadi k bad bataungi . Chal ab so jao bahut time ho gya hai, tumse bat karne k liye room se bahar aayi hun. Wapis bhi jana hai mujhe .

Nidhi : han han jaiye jaiye , mama ji intzar kar rahe honge he he he

Deepika : acha ! Mera mazak uda rahi hai . Tujhe to main dekhungi , chal ab phone rakh .

Phone katne k bad nidhi ko kuch sukoon mila deepika ki baton se aur wo fir se Amit k bare me sochte hue takiya seene se lagaye bistar par karwat k bal let gyi .

.

‘ yar ye Rima ko kya chool machi hai ? James Bond ki tarah nazar lagaye baithie rehti hai aur mauka hi nahi deti koi bat krne ka . Iska kuch to karo ‘

Sanjay minal k room me usse bat karne aya tha aur Rima par apni bhadas nikal raha tga .

Minal : ab maine to poori koshish kari thi yar , washroom me bina vajah itni der tak baithi rahi aur Mohit ko bhi phone par lagaye rakha . Ab aur kya karun ?

Sanjay : kuch to karo yar , warna ye to bat karne hi nahi degi. Har bat par taang ada deti hai.

Minal : dekhte hain yar , par tum koshish jari rakho. Waise ek step to aage barhe na tum aaj , radha k ghar tak pahunch gye .

Sanjay : wo bhi maine hi dimag lagaya warna tumhare to sare ideas par Rima hi pani fer di thi .

Minal : ab main isme kya karun , tumhe mauka diya to tha na radha k sath akele me . Koi bat bani k nahi ?

Sanjay : khaak bat bani , wo to keh rahi thi k uske liye uski ma ne bachpan se hi ladka dekh rakha hai

Minal : shocked ) kyaaa ? Par usne kabhi mujhe is bare me nahi bataya . Agar aisi bat hai to fir tum use bhool jao. Wo kabhi aunty k khilaf nahi jayegi .

Sanjay : kaisi baten kar rahi ho tum ? Ab main piche nahi hat sakta . Aur kya pata wo jhooth bol rahi ho. Tum ne khud hi to kaha k usne kabhi tumhe nahi bataya is bare me .

Minal : par usne tumhe ye bat jan bujh kar bhi kahi hai to matlab wo koi relation nahi chahti.

Sanjay : ab tum to use janti hi ho wo kaisi hai. Itni asani se to kisi k sath friendship karegi bhi nahin par main bhi usse han karwa k rahunga . Aaj uske ghar tak pahunch hun dheere dheere uske dil tak bhi pahunch jaunga

Minal : that’s spirit , agar sache dil se pyar karte ho to tum zarur kamyab hoge main tumhare sath hun.

Sanjay : ab agle din k bare me socho , parso subah radha ko ghar se kaun lene jane wala hai ? Pata karo aur Mohit se bol kar set karo k Mohit use ghar lene jaye .

Minal : par usse kya hoga ?

Sanjay : hoga ye k Mohit time se nahi pahunchega uski car me koi problem aa jayegi aur radha ko lene tum mujhe bhej dogi . Aayi bat samajh me ?

Minal : bahut tez ho tum , pata nahi kya kya soch lete ho . Acha theek hai , main abhi bat karti hun Mohit k sath .

Minal ne usi waqt Mohit se bat kar k use kal subah radha ko pick up karne ko kaha aur ye bhi kaha k pehle wo use lene aaye . Mohit bhi man gya bhala use kya problem hoti. Minal ne use ye bat radha ko batane ko keh diya . Sanjay dono ki bat sun kar khush ho gya aur kal subah ki taiyar k liye apne kamre me wapis chala gya . Ab use mauka mil raha tha to use dhyan rakhna tha k Divya k man me uske liye sahi vichar bane taki wo bina rok tok unke ghar aa ja sake . Is liye wo apni personality aisi banana chahta tha Divya ki nazron me k use kisi tarah ki objection na ho .

Agla din Sunday tha aur Sunday ko kuch khas nahi hua. Sanjay ka dil to tha k wo kisi tarah radha se mile is liye wo uske ghar k bahar kai bar chakkar bhi laga aya par radha to ghar se kya kamre se hi nahi nikli . Uska man to bas wahin atka tha Amit k pas .

In sab se door Amit Kalpana aur neeraj ne Sunday ko khub paseena bahaya . Kyunki kal se mukable shuru the . Aur aaj ka din unko bonus k taur par mila tha rest k ilawa practice karne k liye. Ye prof Varinder k karan hi tha jo sabko ek din pehle hi le aaye the jabki baki sab teams aaj aa rahi thi .

.

‘ tum aa gye , main kab se tumhari wait kar rahi thi. Chalo zara market jana hai mujhe notebook leni hai apne liye ‘

Mohit subah minal ko lene uske ghar pahuncha to minal me use pehle market chalne ko kaha . Ye sab uska aur Sanjay ka plan tha .

Mohit : tumhe bhi ab yad aya hai ? Tumhe pata hai na abhi radha ko bhi lene jana hai .

Minal : ab kya karun yar abhi maine dekha meri notebook kharab ho gyi rat me chai gir gyi thi. Aur radha ko Sanjay le aayega abhi tum mere sath chalo.

Mohit : yar maine radha se bola tha k main use lene aaunga , aise acha nahi lagta .

Minal : to kya mere sath jane me abhi tumhe problem hai ? Soch lo , tumhe kuch mil bhi sakta hai akele me .

Minal ne madhosh nazar se Mohit ko dekhte hue dheere se kaha to Mohit uska irada samajh gya .

Mohit : par radha

Minal : Sanjay hai na , waise bhi Divya aunty ko ab pata hai to wo bhi aitraz nahi karengi . Ab chalo bhi , radha ko der ho jayegi agar hum market k bad use lene gye .

Mohit : par radha ko kya kahun ab main ?

Minal : use bol de k car puncher ho gyi hai aur Sanjay pahunch raha hai use lene wo uske sath aa jaye .

Sanjay minal ki bat sunte hi bike start kar unhe radha k ghar jane ka bol kar nikal gya aur Mohit ne bhi car me baith kar radha ko call kar di k uski car puncher ho gyi hai aur Sanjay pahunch raha hai use lene .

.

‘ namaste aunty ji kaisi hain aap ? ‘

Sanjay radha k ghar pahuncha to Divya ne darwaza khola . Sanjay uske paon chhue .

Divya : main theek hun tum kaise ho ? Aur subah subah yahan ?

Sanjay : wo minal ne hi mujhe bheja hai , darasal Mohit aur wo radha ko lene aa rhe the aur raste me uski car puncher ho gyi. Unhe der ho rahi thi to minal ne mujhe phone kar k keh diya k main radha ko leta aaun. Main to college pahunchne hi wala tha adhe raste me wapis aya hun .

Divya : tumhe kya zarurat thi aane ki radha chali jati khud hi.

Sanjay : aunty ji ab apni behan ki itni si bat bhi na Manu to kahe ka bhai hun main. Kismat walon ko to behne milti hain , aur fir radha akeli jayegi to raste me koi use pareshan bhi to kar sakta hai . Isi liye minal ne mujhe specially kaha hai k main use ache se ba-hifazat college pahunchaun.

Divya : bade ache vichar hain beta , ye tumne sahi kaha k logon ka pata nahi kab kahan akeli ladki dekh chhedchhad kar den. Aao andar aao radh taiyar hi hai

Sanjay : bas aunty ji main theek hun wapis aate waqt aapke hath ki chai pi kar jaunga . Aap Radha ko bhej dijiye

Itne me Radha apna college bag kandh par latkaye apni scooty bahar nikalti hui nazar aayi .

Sanjay : are radha ise kahan le ja rahi ho? Main tumhe lene hi to aya hun.

Radha : tum , Mohit ka phone aya tha uski car puncher ho gyi hai to maine socha apni scooty par hi chali jaun . Bade dino se ise chalaya hi nahi.

Sanjay : ab main aa gya hun na , ise rehne do.

Radha : nahi , yahi theek hai . Wapis bhi to ana hai . Main nahi chahti koi meri vajah se pareshan ho

Sanjay : lo , ab isme pareshani kaisi. Aunty ji aap hi ab radha ko kuch samjhaiye .

Divya : ab aa hi gya hai lene to chali ja na iske sath hi. Tumhara bhi to bhai hi hua na ye jaise minal ka hai

Radha : par ma ….

Sanjay : ab to aunty ne bhi keh diya hai , ab ise chhodo aur jaldi chalo humen der ho rahi hai.

Divya ne bhi radha ko sanjay k sath jane ka ishara kiya to radha beman se uske piche bike par baith gyi. Divya to yehi samajh rahi thi k Sanjay minal ka bhai hai aur radha ko bhi wo behan ki nazar se dekhta hai is liye use pareshani na hui radha ko uske sath bhejne me par Sanjay k irade se kahan pata the . Waise bhi itni der me hi Sanjay ne radha ko jyada dekha nahi tha bas Divya k sath hi wo khada tha is liye Divya ne koi aitraz bhi na kiya . Sanjay radha ko lekar chal diya . Radha Sanjay se fasla rakh k baithi thi. Dono paon ek taraf kiye wo ek hath se seat ko neeche se pakde dusre hath se piche ka handle pakde thi .

sanjay : radha tum comfortable to ho na ? Shayad tum pehli bar sports bike par baithi ho ?

Radha : main theek hun

Sanjay : mere kandhe par hath rakh ko kahin gir mat jana

Radha : nahi main theek hun tum aram se chalana

Sanjay : aram se chale to der ho jayegi , waise sports bike par aise nahi baithte jaise tum baithi ho par tumhe iske bare me pata Bahia ur tumne kapde bhi dusre pehne hain. Tumne abhi tak wo old fashioned bike par hi sawari ki hogi na . Pata nahi Amit kaise us bike ko chalata hai , aaj kal to sports bike ka zamana hai . Use to iske bare me shayad pata bhi nahi warna wo bhi sports bike le leta .

Radha : wo uski favorite bike hai , use wo hi pasand hai aur mujhe bhi wo hi achi lagti hai.

Radha ne Amit ki bat aane par jawab dena zaruri samajh aur poori tarah uska paksh lete hue Sanjay ko jawab diya .

Sanjay : han pasand ki bat aur hai. Wo thoda purani soch ka ladka hai . Aaj kal k zamane k hisab se nahi chalta . Aaj kal to raftar ka zamana hai

Radha : jyada raftar se chalen wale buri tarah girte hain aur Amit hamesha sabke bare me sochta hai .

Sanjay : jo zamane k sath nahi chalte wo piche reh jate hain radha . Duniya charhte suraj ko hi salam karti hai .

Baton baton me Sanjay ne speed barha di aur ek aisa cut mara k bike ko kafi jhuka diya . Radha ko laga k wo gir jayegi to jaldi se dayan hath seat k side se utha kar Sanjay k kandhe par rakh diya aur kas k pakad liya . Ye hi to Sanjay chahta tha .

Radha : please Sanjay aram se chalao main gir jaungi.

Sanjay : nahi girti , tum bas mujhe pakde raho. Believe me , main aaj tak kabhi bike se nahi gira chahe kitna bhi tez kyun na chala Lun. Meri bike mere ishare se chalti hai . Tum ye darna chhod kar ache se baitho , dekhna tumhe kitna maza aayega .

Radha ne koi jawab nahi diya wo to bas jaldi se college pahunchna chahti thi. Sanjay bhi jan bujh kar sidha na jate hue ghoom kar ja raha tga taki jyada der wo radha k sath rahe aur jyada bat kar sake .

Sanjay : waise radha tumne kabhi long drive ki hai bike par ?

Radha : nahi aur mujhe zarurat bhi nahi

Sanjay : kabhi karna , bahut maza ata hai. Tum kaho to Sunday ko chalte hain kahin ghumne . Maine suna hai Viru se kuch dur ek picnic spot hai . Bike par ride karte hue chalenge bada maza aayega . Main tumhe us din apni is bike k kartab dikhaunga .

Radha : sorry , main kahun nahi jati . Tum minal ko le jana .

Sanjay : are yar ek bar chalo to sahi , main. Yakeen se kehta hun tumne kabhi wo stunt nahi dekhe honge jo sports bike se karte hai sab . Agla tyre hawa me utha kar bike chalana dekha hai kabhi ? Amit wali bike to utha hi nahi sakti ek tyre ko . Aur main to pichle wala tyre bhi hawa me utha leta hun agle tyre par bike chala kar . Tum dekhna jab main wo karunga to. Delhi me to mere barabar koi stunt kar hi nahi pata tha University me .

Radha : mujhe wo sab pasand nahi hai

Sanjay : tumne kabhi dekha nahi hai na is liye. Main dikhaunga tumhe to fir kehna .

Itne me college aa gya aur radha jaldi se bike se aise utari jaise azaadi mili ho kaid se . Samne hi gate par Rima khadi uska intzar kar rahi thi jo use Sanjay k sath bike par dekh kar hairan thi . Radha bina ruke sidha Rima k pas chali gyi aur bina koi bat kiye radha Rima ka hath pakde jaldi se andar chali gyi .

Rima : radha tum Sanjay k sath ?

Radha : wo Mohit ki car puncher ho gyi Thinis liye usne Sanjay ko bhej diya . Main to mana kar rahi thi aur apni scooty pe aane wali thi par ma ne kaha k sath chali jao .

Rima : to tum mujhe phone kr deti main didi ko bol deti.

Radha : didi ka kal sham ko phone aya tha wo hi aane wali thi mujhe lene par unse pehele Mohit ka phone aa gya tha k wo aayega . Ab aise me unhe mana karne k bad fir se dobara aane ko kehti to acha nahi lagta na. Waise bhi mere pas to scooty hai hi. Socha scooty par hi chali jaun par usse pehle hi Sanjay aa gya

Rima : chal koi bat nahi pehle class me chalte hain bad me bat karte hain is par .

Rima man hi man soch rahi thi k Mohit ne call kar k pehle radha ko kyu kaha k wo use lene ayega aur is tarah puncher ka keh kar Sanjay ko bhejna . Use ye bat kuch theek nahi lag rahi thi . Dusri taraf Sanjay apne usi kandhe par hath rakh kar sehlata hua aa raha tha jis par radha ne hath rakha tha mano wo radha ka hath wahin par mehsus kar k uske hath ko chhune ki koshish kar rah ho. Mohit aur minal bhi kuch der me pahunch gye aur fir apni apni class me chale gye . Mohit k sath to KLPD ho gya tha . Use lag tha k minal subah subah hi mood me hai par kiss se jyada kuch na mila . Minal Sanjay se ishare me puch rahi thi k kya bana to usne muskura kar ishara kiya k bahut kuch. Free lecture me aaj Rima radha k sath library me chali gyi . Kyunki use Sanjay k sath canteen me baithna theek nahi lag raha tha . Sanjay aur minal ne koshish to ki par radha ne bhi Rima ka samarthan kiya. Sanjay radha k piche jane ki soch raha tha par Rima k karan wo nahi gya kyunki wo Rima ko shak karne ki vajah nahi dena chahta tha . Chhutti k bad jab sab parking me pahunche to Sanjay ne apni bike fatafat nikal li

Sanjay : chalo baitho radha main tumhe ghar chhod deta hun.

Radha : main Mohit k sath chali jati hun ab to uski car bhi theek hai

Minal : wo darasal hum dono kahun bahar ja rahe hain . Tum Sanjay k sath hi chali jao . Waise bhi ab to koi problem to hai nahi , aunty ko pata hi hai Sanjay ka . Subah bhi to aayi ho sath to ab bhi chali jao.

Sanjay : han , waise bhi aunty ne kaha tha k chai pi kar jana wapis jab aaoge to . Ab tumhe chhodne jaunga to aunty se bhi mil lunga aur chai bhi pi lunga .

Radha : par

Minal : ab par war chhodo warna der ho jayegi .

‘ koi der nahi hoti , waise bhi aaj Radha mere sath jayegi . Mujhe kuch kam hai radha k sath ‘

Radha bechari asmnajas me apne hath ki ungaliyan masal hi rahi thi k piche se Sheena uske liye rahat ki barish ban kar aa dhamki. Rima bhi jo abhi tak khamosh thi ek dam se khush ho gyi. Asal me usi ne sheena ko subah wali bat bata di thi . Aur ab wo bas confirm karna chahti thi k jo wo soch rahi hai wo sahi hai ya nahi. Aur minal k jawab se use yakeen ho gya tha k minal Sanjay ka sath de rahi hai . Filhal ye bat usne kisi se nahi ki thi abhi.

Radha : didi aap

Sheena : han , mujhe tumse kuch kam hai chalogi mere sath ?

Radha : kaisi bat kar rahi ho didi , chaliye .

Sheena : and thanks mr Sanjay , aaj tum subah radha ko le aaye . Tumhe dobara jane ki zarurat nahi padegi. Main kal se radha ko khud le aaungi ok.

Sheena ne Rima ko gale lagaya aur use ishare me hi kuch kaha . Jise dekh Rima muskura di. Ek bar sabse milne k bad sheena radha ko sath lekar apni chamachamati car me nikal gyi. Piche Sanjay reh gya dil me sheena ko galiyan deta hua . Magar ek aur idea abhi uske pas tha kyunki aisa kuch ho sakta hai is liye wo pehle hi taiyar tha . Is liye minal Mohit ko bye bol kar wo apni bike se nikal gya . Rima minal se bat karna chahti thi par Mohit k samne nahi . Is liye usne bhi unko bye bola aur manju ki taraf chal di. Minal bhi Mohit k sath nikal gyi.

.

‘ Kya kaam tha aapko didi aap kuch keh rahi thi .’

Radha ne car me baithe hue sheena se pucha . Sheena uski taraf dekh muskurai.

Sheena : tu na bahut bholi hai , Mohit nahi aa raha tha to mujhe phone kar deti . Kya zarurat thi Sanjay k sath aane ki?

Radha : main to scooty pe aane wali thi par Sanjay ko minal ne bhej diya to ma ne bhi kaha k chali jao sath me .

Sheena : dekho Radha , jab tak Amit yahan nahi hai tum meri zimmedari ho. Wo mujhe specially bol kar gya hai tumhara dhyan rakhne ko . To aage se aisa bilkul bhi nahi karna . Kuch bhi ho mujhe ta Rima ko ho call karo . Abhi theek se jise jante bhi nahi us par bharosa kaise kar sakte hain.

Radha : theek hai didi aage se aisa nahi hoga .

Sheena : aise kyun bat kar rahi ho jaise tumhe mujhse dar hai . Hak se bat kiya karo tum bhi Rima jaisi ho mere liye . Acha parson tum log akele chale gye aur mujhe bataya tak nahi ?

Radha : main kahan jana chahti thi didi wo to Mohit aur minal keh rahe the k mood acha ho jayega is liye mujhe aur Rima ko sath le gye

Sheena : aur Sanjay ko bhi , kamal hai mujhse ek bar bhi picha nahi kisi ne. Rima ne bata diya tha mujhe kal hi. Aur aage se kahin jana ho to mujhe sath lekar jana samjhi ?

Radha : ji theek hai .

Sheena ka is tarah badi behan ki tarah bat karna radha ko acha lag raha tha aur khas kar k is liye bhi k sheena ko Amit ne jo kaha tha uska dhyan rakhne k liye . Radha ko to aise lag raha tha jaise Amit khud sheena k roop me uske liye yahin maujood hai . Man hi man wo Amit k yad kar k muskura di . Door hote hue bhi wo uske kitna kareeb hai . Sheena radha ko sath lekar kahin aur nikal gyi jahan use kuch kam tha. Radha ko aitraz nahi tha is liye wo kuch na boli . Dono koi 1 ghanta deri se ghar pahunchi. Radha me Divya ko pehle hi bata diya tha k wo sheena k sath hai is liye usne bhi kuch na kaha . Sheena ko radha jaldi me ghar k bahar drop kar k nikal gyi kyunki use uske baap ki call aa gyi thi jisne use jaldi bulaya tha . Radha jaise hi ghar k andar aayi to chaunk gyi .

.
Sala bahut dimag chala raha hai sanjay aur apana jadu bhi chalane laga hai lekin use ye nahi pata hai ki kisi ko sak ho gaya hai ki vah kar kya raha hai aur usaka sath kaun de raha hai aab lagata hai ki sanjay aaya hai radha ke ghar par apana krej badhane divya mausi ke dil me..........,..................................................................................................................................................................................................................................
raja bhai achha update hai jisaka jawab me ham yahi kahenge ki lajwab ho bhai tum aur tumhari kahani vaise aab ham kya kar sakte hai radha aur Amit ko ek sath dekhane ke liye ham readers ko bhi to kurbani deni padegi aur abhi to yah pahala din tha abb dekhate hai in 10 dino me sanjay kaha kaha gand marwata hai........bhesadike bahut chalak ban raha hai aur minal bhi usaka sath de rahi hai to uski bhi bur fatane ka time aa hi raha hai bas Amit ko khel se aane ki deri hai........................

Bhai abb jyad intejar na karwao thoda jaldi jaldi update de diya karo agar ho sake to ye sanjay dimag hi kharab kar rakha hai aur jab tak agla update nahi aayega amit ke aane tak sala hame dar bana hi rahega ki sanjay kuchh kar na de kyoki aage ka to hame pata hi nahi hai na...........................................................................................................................................................................................................................

Lajwab........ speechless.........dhasu............ update.........bro........


waiting for next update........
 
RStar99
25
36
13
Udhar to sab khatam kar diya . Wo saale khud ko malik samajhte hain sab ka. Mere ko ghanta farak hai kisi se . Main kahani likh raha hun apni marzi se aur likhta rahunga . Ye poori kar k aur dusri shuru karni hai . wo mere ko bol rahe k readers se bat mat karo . Band kar diya isi liye udhar se . Aur mera last comment bhi wo khud hi daale the saale chutiye
Sahi kah rahe ho raja bhai jaha writers ko support karana chahiye to vahi kuchh chutiye bhi hai jo unki gand na marane se naraj hokar moderat ko report kar dete hai jabki kahani likhane wala sare niyamo ko dhyan me rakhkar likhata hai story ko..........,.........................

Bhai maine bhi waha par stori likhi thi lekin waha mujhe warning mila ki ye kulguru aur gurudev shabd ka prayog mat karo aur to aur maine muni shabd ka pryoog kar liya to unhone strikt warning de di ki in shabdo ka pryog mat karo sala maine bhi unse kah diya meri kahani hi hata do varna tumhari site hi na Bain ho jaye in nannmo ki vajah se kyoki ye naam to kai logo ke pass hai............................
 
Status
Not open for further replies.

Top