Thriller Maya(completed)

Member
146
12
18
Update 78
Contd :-
Agli subah bharat jaldi se taiyar hoke nikla aur jaate jaate usne Rakesh ko bhi fone kiya
"Hi Dad.. Enjoying na.." bharat ne apna blazer pehen ke kaha
"yes son... coming soon, may be 5 days" Rakesh ne jawab diya
"great.. and mom... where is she.." bharat me juice peete hue kaha
"Oh she .. She is fantastic hahahhaa" Rakesh ne kaha
"Come on you oldies... See you soon.. Tke care" Kehke bharat ne fone cut kiya aur shalini se alvida leke office ke liye nikal gaya.. Colaba se nikal ke, bharat khar ki taraf badhne laga... Khar station ke bahar hi ek bandhe ko gaadi mein bithaya aur kaafi lambi drive ke baad woh pahunch Crawford Market Irani hotel
"Do cutting irani chai, aur do maska bun... " Bandhe ne seat pe beth ke order diya
"Sir, yeh rahi list... Aur mere paise dijiye" Us bande ne list deke bharat se kaha
"Yeh lo tumhare 20 hazaar..." bharat ne paise deke kaha
"20... baat toh 10 ki hui thi na" Us bande ne kaha
"10 is kaam ke.. Agar list dekh ke kuch aur kaam hua toh 10 us kaam ke bhi" bharat ne list dekh ke kaha
Shuruat se dekhna bharat ne chalu kiya, list mein incoming aur outgoing calls.. Incoming aur Outgoing SMS ke number bhi the... Dheere dheere jab list mein aagey jaane laga, tab ek jaana pehchaana number use dikha.. Usne apna I phone nikala aur uspe number type karne laga.. Jaise jaise number type kiya, waise waise uske contacts se suggestions aate gaye.. Pura number type kiya aur bas ek hi suggestion aaya
"Hmmm... I should have guessed this..." kehke usne apni pocket se ek paper nikala aur uspe kuch naam likhna chalu kiya
Fir wapas list dekhna chalu rakha... Jab local numbers khatam hue, toh international outgoing ki taraf list gayi... Us list mein bas ek hi international number tha.. har din kam se kam 30 minutes tak ki baatein thi.. Bharat ne dhyan se us number ko dekha,
"International number itne bade kyun hote hain yaar.. Acha koi jaan pehchaan hai kya wahan.. number toh US ka hai shayad" bharat ne ek baar fir list dekh ke kaha
"Nahin sir.. Aaj tak mumbai ke bahar nai gaya, international kahan jaunga..." Us bande ne apni chai leke kaha
"hahahhaa.. bete, mere sath rahoge toh jahan bologe wahan bhejunga.. pehle ruko, mujhe yeh number note karne do.." kehke bharat ne fir apna phone nikala aur us number ko type karne laga.. US ke digits type karte hi uske saamne do suggested numbers aaye, ek toh Sharon ka tha.. Par jaldi jaldi mein usne kuch nahin dekha aur bas number type karne laga. Jaise jaise numbers type hote gaye, waise waise suggestions bhi kam hote gaye.. Finally uske saamne tha bas ek suggestion.. Woh naam dekh ke uski aankhein aur badi ho gayi
"yeh... Yeh isse kaise... " bharat ne bas itna hi kaha, ke uske saamne bethe bande ne use dekha
"Sir, sab theek"
"Uh.. haan..." kehke bharat ne teesra naam likha paper pe... Aur fir dobara list dekhne laga.. Jab puri list khatam hui, usne fir SMS ki taraf dekha... SMS' mein ek aur international number aur ek dusra local number bhi aaya jispe ek din mein kaafi SMS gaye the aur aaye bhi the.. Is baar bhi bharat ne socha ke shayad yeh numbers uske phone mein ho, par type karte karte use koi suggestion nahin aaya
"Damn it... Acha suno, yeh ek local number hai... Mujhe iski details chahiye, like kiske naam pe hai aur residential address.." bharat ne use number dikha ke kaha
"Theek hai sir, agar prepaid hua toh info galat bhi ho sakti hai, lekin postpaid hua toh info sahi milegi" us bande ne number note karke kaha
"Agar jo main soch raha hun wohi hua toh postpaid hi hoga..." Kehke bharat ne list apni jeb mein daali aur us bande ke sath bahar nikla..
Crawford se leke apni office tak ka safar bharat ke liye kaafi taklif wala tha, kyun ki uski jaan pehchaan ka ek number mila tha use.. Office pahunch ke bharat ne rina ko bulaya
"Rina... No disturbance today ok... Aaj koi meet nahin, james ke sath call mein hun.. And remember.. NO DISTURBANCE AT ALL OK" bharat ne rina ko ungli dikha ke kaha, jisse rina thoda darr gayi aur bina kuch kahe bahar chali gayi.. Rina ke bahar jaate hi, bharat ne apni jeb se us list ko nikala.. uski nazar ek baar fir us international number pe gayi jiski details usko chahiye thi..
"Number toh US ka hai, sharon ke alawa mera koi US mein hai bhi nahin.. Toh kaise nikalun... main call bhi nahin kar sakta apne phone se... Fuck ...." bharat apni cabin ki khidki pe khada raha aur bahar dekhne laga...
"Done..." bharat ne khud se kaha aur apni cabin ke landline se phone karne ka socha... Dheere dheere bharat ne number dial karna start kiya, aakhri digit press karte hi.. Ek lamba sa pause tha.... Dusre hi pal
"Fuck.. number switched off...." kehke bharat ne phone rakh diya...
"Rina, send me a cup of strong coffee... "Bharat ne intercom pe kaha aur fir sochne laga...Kuch der mein uski coffee rakh ke rina bahar nikal gayi aur fir bharat akela hua.. Bethe bethe, usne dheere dheere apni coffee khatam ki...
"Ummm... Coffee always works.... yeh pata chal gaya hai ke yeh number toh AT&T ka hai, ab bas kaise bhi karke koi US wala mil jaye toh shayad.." Bharat ne khud se yeh kaha hi ke uske dimaag mein instant ek naam aaya
"yes ... ruby.... " kehke bharat ne apna phone nikala aur ruby ke contact details dekhne laga.. Ruby ki details uske paas thi hi nahin.. Infact, jab ruby US gayi, tab se bharat ne kabhi uske baare mein nahin socha tha... Koi contact nahin, koi msg nahin... Bharat ne turant facebook pe login karke uski details dekhne ki koshish ki, lekin woh uski friends list mein bhi nahin thi aur uska profile bhi blocked tha un logon ke liye jo uski friends list mein nahin the...
"Like hell... " Kehke bharat ne facebook se logout kiya aur fir sochne laga..
"there has to be something na yaar ruby... how the fuck should i contact you.." Kehke bharat ne apna blazer utara aur tie knot loose karke apne liye cigarrete jala di.. Cigarrete ke kash lete lete usne apne maathe ko peeche kiya aur ceilinge ki taraf dekhne laga..
"Yes... PM ka toh jawaab degi hi na..." Bharat ne apna maatha seedha karke kaha aur ×××××× pe logon karke use PM karne ka socha... ×××××× pe log on karte hi apna inbox dekha toh 400 unread msgs..
"naukri... spam, stars... taj... all fucking delete" kehke bharat ne sab mails delete karna chalu kiya.. pichle do din ke msgs delete karte karte uski nazar ek PM pe gayi
"Ruby.. Thank god," kehke usne ruby ke PM ko open kiya toh use kuch khaas nahin dikha.. PM ki body pe bas do cheesein likhi thi
"Ruby... apna username password mujhe kyun degi...." kehke bharat ne apna mailbox logout karke ruby ki id se login karne ki koshish ki.. Username daal ke jab bharat ne password dala, tab woh password accept nahin hua..
"User ID toh galat nahin de sakti, aur ruby apna password bhulne walon mein se nahin hai... Toh fir...." Bharat fir sochne laga.. Sochte sochte usne ex excel file open ki aur A to Z letters likhe aur unke saamne digits from 1 to 26
Ruby ke diye hue digits ke saamne jo alphabet aaye, usne ek ek kar woh excel mein dekha aur type karne laga.. Jaise one bana gaya A aur 8 ban gaya H..Type karte karte fir bharat aake aakhri digit pe ruka...
"0....isse kya hoga... " Kehke bharat ne fir apna type kiya sara password delete kar diya... Usne fir dimaag pe zor lagaya par use kuch nahin sujha, toh usne ek aur coffee mangwa di aur cigarrete jala ke paas mein rakhe paper pad se khelne laga
"Digits is not the password.. Alphabets hi hain, but 0 toh koi alphabet nahin hota... " Kehke bharat ne fir apna inbox dekha aur ruby se koi dusre mails hain ke nahin woh check karne laga... Koi dusra PM nahin tha, aur yeh ek lauta PM tha jisme bas uska username aur password tha..
"Ok.. Lets do this again...." Kehke bharat ne ruby ke diye hue digits ko copy kiya aur fir usne pehle digit ko double kiya.. Jaise pehle 18, toh usne use 18 read kiya aur ABC mein dekhne laga.. Toh 18th digit hai R...
"Agar password R se start hota hai, toh shayad uska naam hi ho... RUBY.." yeh soch ke bharat ne RUBY ke aagey ke digits dekhe, toh uska code nikla 18,21,2,25... Pehle 7 digit aur uska break nikla RUBY
"Coffee always works... " kehke bharat ne ruby type kiya aur dusre digits dekhne laga... 25 ke baad ke digits the 1815311190
"Again 18.. So 18 stands for R again..." toh usne R type kiya, aur baaki ke digits bache 15311190
"Agar main 15, ke baad dekhun toh 31 alphabets hai hi nahin.. So 3 must be seperate.. Toh 3 is C..... Ab tak ka password hai RUBYR*C... Iske baad bache digits 1511190.. Now 0 toh koi alphabet nahin hai.. so 0 nikal ke bachta hai 151119"
"ya toh yeh 3 alphabets hain, ya toh 6.. lets try one by one.... so one is A.. so if i place 1,5 with A and E, password will look like RUBYRAEC..." bharat ne khud se kaha
"RUBYRAEC,, koi word toh nahin jaa raha, this means, 15 is a single digit.. Kehke usne 15 ki jagah plot kiya O
"password now looks like RUBYROC and digits are 1119.." bharat ne khud se kaha..
"111 cannot be AAA sure... " bharat ne khud se kaha aur fir Alphabets ki list dekhi, toh 11 aur 19 hue K aur S
"Entire password is RUBYROCKS"... Kehke bharat ne login screen pe dekha toh last attempt ki warning thi
"Small ya capital..." bharat ne khud se kaha aur fir wapas apna sar pakad ke beth gaya..
"Ok.. ×××××× mein there is no necessity ke ek capital character and all nonsense... sab small mein type kar leta hun... Agar hua toh ok.. nai toh back to square.." Kehke bharat ne pura password small characters mein type kiya.. Kuch seconds ke baad uska login successful hua..
"Phew... genius.. u really rock darling" kehke bharat ne uska mailbox dekhna chalu kiya... Inbox, sent, spam deleted, trash, social, promotions.. ×××××× ka har tab check kar liya lekin use kuch kaam ka nhin dikha..
"Useless..." kehke bharat ne fir cigarrete sulgai aur khidki ke paas khada hoke sochne laga
"Agar koi mujhe apna password dega woh bhi aise code mein, toh zarur kuch na kuch hona chahiye.. I mean, something important..." Kehke bharat ne fir apna laptop uthaya aur uska PM dekhne laga.. har tab, har folder check karke bhi use kuch nahin dikha... Usne ek nazar jab drafts ke folder mein maari, wahan ek PM unsent tha.. Draft pe click kiya bharat ne is umeed mein ke kaash wahan kuch kaam ka ho. Draft pe click karte hi bharat ki aankhein chamak gayi, kyun ki woh draft usi ki email address pe bhejne ke liye type kiya gaya tha..
Bharat ne dheere dheere woh draft padhna chalu kiya
 
Member
146
12
18
Update 79
Contd :-
Ruby ka likha PM padh ke bharat ke hath per thande ho gaye the.. Uski cabin mein AC 20 ke temperature pe thi, par fir bhi uske chehre pe behta paseena saaf bata raha tha ke ruby ke PM mein zarur kuch khatarnaak cheesein likhi thi..
"Shalini.. you have ruby's number" bharat ne shalini ko pucha
"Ruby.. kyun achanak, pehle batao.." Shalini ne has ke kaha
"Shalini, mazaak nai kar raha , hai uska number.. ghar aake sab batata hun tumhe" bharat ne thodi unchi awaaz mein kaha
"Chill baba.. haan, i have it.. abhi bhejti hun ok.." kehke shalini ne phone cut kiya aur bharat ko shalini ka number text kiya.. SMS receive karte hi, bharat ne apne number se ruby ko call kiya... Pehle toh call ka koi response nahin aaya, par dusri baar jab bharat ne call kiya, toh saamnse se uska call cut hua..
"thank god.. she is safe i guess.. shayad kisi meeting mein ho..." kehke bharat ne chain ki saans li aur fir apni chair pe beth ke uske PM ke baare mein sochne laga.. Bharat ne woh paper nikala aur 5 naam likh diye paper pe
1). **********
2). *************
3). Vikram Kohli
4). Mehul
5). Siddhartha
"Vikram Kohli ki lanka lagayi maine yahan tak pahunchne ke liye... understood... Mehul ko andar karwaya tha nidhi ki madat se.. understood... Siddhartha ki bahut gaand mari hai maine college mein, uski bahut beizzati bhi ki hai.. understood... Lekin yeh pehle do naam.. In logon ka aapas mein kya connection hai.. " bharat khud se kehne laga aur fir ceiling ki or dekhne laga.. pura din exhaust hoke bharat ghar jaane ke liye nikla, par jaate jaate usne apne territory managers se us din ki sales report maangi thi taaki woh ghar pe review kar sake.. Ghar jaate jaate bhi bharat ka dimaag kaam nahin kar raha tha.. Aksar jaldi gaadi chalane wala banda, aaj 40 se upar ki speed pe bhi jaa nahin raha tha.. Sochte sochte uski 30 min ki drive 60 min mein tabdeel ho gayi thi...
"Hi baby..." Shalini ne bharat se kaha jab bharat ghar ke andar aaya
"hello swty..." bharat ne apna blazer sofa pe rakh ke kaha
"cigarrete kam karo pls.. kitni baar smoke kiya aaj, aur kitni coffee pee" shalini ne pani ki bottle pakda ke kaha
"dunno.. shayad 6 ya 7 cigarrets aur equal coffee..." bharat ne jawaab diya aur wahin zameen pe aise beth gaya jaise kaafi janmon ka thaka hua ho
"all ok honey.. i mean, stressed out lag rahe ho.." shalini ne bharat ke paas beth ke kaha
"Nothing.. just hungry.." Bharat ne juth kaha, kyun ki aaj ki sab baatein woh agar shalini ko batata toh shayad woh bhi tensione mein aa jaati
"Ok dear.. Chalo u freshen up, aaj tumhara fav khana hai.. Butter Nan with tadka dal and tossed russian salad.." kehke shalini ne uska blazer aur laptop leke room mein jaane lagi... Bharat bhi 5 min baad fresh hone jaa hi raha tha ke tabhi shalini ne kaha
"Acha suno, tumne aaj kitne calls miss kiye zara batao" Shalini ne uska phone dikhate hue kaha
"Oops.. Sorry yaar, phone silent pe tha.. " kehke bharat ne shalini se fone liya aur calls dekhne laga
"Dont worry 15 calls hain mom dad ke number se.. Finally maine baat ki , they r coming back tomorrow" Shalini ne bharat se smile karke kaha
"What... Woh toh 5 din baad aane wale the, aaj subah hi baat ki maine.." bharat ne pareshaan hoke kaha
"ok na baba, itne pareshaan kyun ho rahe ho. maine bhi pucha, toh mom said ke dad kuch zaruri baat karna chahte hain tum se.. so jaldi aa rahe hain, and ok na, baaki do din the unki tour mein.. Europe aur Southern hemisphere over yaar.. Asia ki ek country baaki rahi bas, woh kabhi sath jayenge.. And singapore se niklenge aaj... Infact abhi 15 min pehle unki flight ne take off bhi kar liya hoga shayad.." Kehke shalini fir apne kaam mein lag gayi. Khade khade bharat bhi achanak iske bare mein sochne laga , par fir sab chod ke fresh hone gaya.... Fresh hoke shalini aur bharat sath hi khane bethe aur aapsa mein baatein karne lage...
"Sona toh hai nahin... Abhi 9 baje hain, shayad dad raat ko 2 baje land karein... So tum so jao, u need some rest ok.. Main jaag hi raha hun" bharat ne shalini ko apne hath se ek bite khila ke kaha
"Ummm.. aise kaise, aaj walk pe chalte hain... Marine Lines... Fir wahan se aake main so jaungi" Shalini ne bharat se kaha..
"Ok chalo.. Kaafi din se kulfi bhi nahin khayi na. Lets go..." Kehke bharat aur shalini ghar ko lock karke gaadi mein marine lines ke paas gaye aur wahin bane patharon pe bethe bethe paani mein apne per bhigone lage.. Raat ke 10 baje ki thandi hawa, kaafi kam bheed aur samundar ki lehrein peron ke sath khelti hui... Shalini ko yeh sab ek sukoon sa lag raha tha.. Shalini wahan apna sar bharat ke kandhe pe rakh ke bas hawa ka mazaa le rahi thi...
"u know bharat... sharab, cigarretes, parties.. in sab se zyada sukoon hai is cheez mein.. Yahan se guzarte har aadmi ko dekho, har aadmi ke chehre pe ek sukoon dikhta hai.. chaahe uske paas paisa bilkul na ho, par uske paas sukoon bahut hai.. jaante ho kyun" Shalini ne bharat se pucha
"Kyun.." bharat ne raat mein chamakti shalini ki aankhon ko dekh ke kaha
"kyun ki woh log zindagi jeete hain... woh log paison ke peeche nahin bhaagte.. woh log jaante hain kafan mein jeb nahin hoti... kabhi kabhi aisa lagta hai hum future ke baare mein itna sochte hain, ke present ko bhul hi jaate hain... Duniya ka ek sach hai, jo hai woh aaj mein hi hai... Aaj tum JPM India ke sales head, dad ki property itna paisa.. yeh sab kisi kaam ka nahin hai, agar tumhare sath jude hue log, aur tum khud khulke jee nahin paa rahe.. College se main tumhe dekh rahi hun. Tum roz apne dimaag ko kisi na kisi cheez ke liye chala rahe ho.. uska fayda kya hai, kabhi apne dimaag ko aaram do, aur dil se socho... Dimaag kaam karna bandh kar deta hai toh bhi insaan jeeta hai, lekin agar dil kaam karna bandh kar dega.. toh yeh paisa, yeh taakat.. kisi kaam ke nahin rahenge.... " Shalini ne nam aankhon se bharat ko dekhte hue kaha
"Shalini..." bharat ne bas itna hi kaha ke shalini ne fir use tok diya
"Chalo kulfi khate hain.. Emotional banoge toh tum mujhe ache nahin lagoge fir..." Kehke shalini ne bharat ko apne hath se uthaya aur dono kulfi leke samandar ke paas walk karne lage.... Raat ke kareeb 11 baje shalini aur bharat ghar laute. Bharat ko airport jana tha, isliye shalini akeli hi jaake so gayi room mein.. Bharat living room mein beth ke hi sab kuch sochne laga... Pehli baar bharat living room mein andhere mein betha hua tha. Itna practical aadmi, jo sab kuch plan karke karta tha, jise kisi ka darr nahin tha... use andhere se bahut darr lagta tha, par woh aaj akela living room mein ek dum andhere mein betha hua tha.. bethe bethe bharat shalini ki baaton ke baare mein sochne laga.. Aakhir shalini sahi bol rahi thi, shayad bharat itni bhaag daud karke bhi zindagi mein aagey toh nikal gaya tha, lekin tha woh akela. Shalini uske sath thi kyun ki woh uski biwi thi.. Uska koi dost, koi rishtedaar usse baat tak nahin karta tha.. Sab ke baare mein bharat sochne laga aur kaise usne sab ke sath practical behave karke unko khud se door kar diya tha.. Sochte sochte bharat ek baar fir Ruby ke PM ke baare mein sochne laga... Corner light on karke usne fir woh list nikali jisme usne 5 naam likhe the.. Pehle do naam uske dil ko bahut khatak rahe the... Usne kaafi zor lagaya, lekin unke beech kya rishta ho sakta hai. yeh soch soch ke bharat paagal hue jaa raha tha... Dekhte dekhte kareeb dedh baj gaya tha raat ka.. Ghadi dekh ke bharat ne ek baar shalini ko check kiya aur fir ghar ko lock kar ke khud airport ki taraf nikal gaya.. Kareeb 15 min mein airport pahuncha, aur wahan aadha ghanta aur wait karke use door se rakesh aur simi aate hue dikhe..
"hello oldies..." bharat ne rakesh aur simi ke paas jaake kaha
" fine son... tum theek nahin lag rahe.. shalini ne bataya, tum caffeine pe hi guzara kar rahe ho..." Simi ne bharat se gale lag ke kaha
"Of course not mom.. And dad, how are you.." Bharat ne rakesh se kaha
" bharat.... Simi ko gaadi do... We need to talk.. Lets go somewhere.." Rakesh ne bharat se kaha aur khud aagey badh gaya
"Mom.. What is it.. Anything serious.." bharat ne chaabi dete hue kaha
"Yes son... Aaj no mazaak... Aaj kaafi cheezon se parda uthne wala hai... And lemme tell you.. Tum jitna dikhate ho, utne strong nahin ho dil se... Dad ki baatein sun ke please control your emotions.. Promise me.." Simi ne hath aagey karke bharat se waada maanga
 
Member
146
12
18
Update 80
Contd :-
Bharat airport se rakesh ke sath aagey badh gaya, aur dono baap bete paidal chal pade... Jitni der dono paidal chale, utni der dono ki zubaan toh khamosh thi, lekin man kaafi tez daud raha tha.. Bharat yeh soch raha tha ke aisi kya baat hai jiski wajah se Rakesh apni tour aadhi chod ke aaya hai, kya baat ho sakti hai jo rakesh ne usse aaj tak nahin ki ho...Kya woh baat itni zaruri hai ke simi ya shalini ke aagey nahin ho sakti.... Rakesh andar hi andar yeh soch soch ke pareshaan ho raha tha ke woh baat shuru kahan se kare... Aaj rakesh ne thaan liya tha ke jo bhi baat hai uske mann mein woh bharat se kar ke hi rahega.... Raat ke kareeb 3 baje, Santacruz - Bandra road ki khamoshi mein dono baap bete bina kuch soche, bas aagey chalte hi jaa rahe the....
"Dad... Its almost 3 AM.... " Bharat ne ek shopping mall ke pass pahunch ke kaha
"Yes son... I know....." Kehke rakesh wahin mall ki entrance pe bane bench pe beth gaya aur apne specs nikal ke apne sar ke paseene ko pochne laga... Rakesh ke chehre ki shikan dekh ke bharat samajh gaya ke baat sirf zaruri nahin, balki gambhir bhi hai... Isliye woh bhi wahin rakesh ke paas beth gaya... Bench pe bethe bethe rakesh aur bharat bas apne saamne ki disha mein dekhne lagey.... Dono apne dil ko mazboot karne ki koshish kar rahe the, Rakesh baat ko bolne ke liye aur Bharat us baat ko sunne ke liye... Himmat juta ke Rakesh ne bolna shuru kiya
"Karma...... My son, Karma is the biggest Bitch.... Kehte hain what goes around, comes around... Zindagi mein jaise beej boyenge, ped fal bhi waise hi dega... Jab main 15 saal ka tha, toh Nasik se yahan bhaag ke aaya tha... Nasik mein mera jeevan ek kuen ke mandhak jaisa lagne laga tha.. Ek din jab mauka mila, toh Nasik se yahan ek transport ke truck mein beth ke aa gaya.. Mumbai mein mere kadam sabse pehle VT station pe pade.. VT Station dekh ke maine khud se wada kiya, agar main yahan kamyaabi haasil nahin kar paya toh aur kahin nahin kar paunga.... Meri pehli naukri docks pe thi.. Docks pe main subah se shaam hamali karta, aur shaam ko docks ke paas bane chai ki kitli pe so jaata....... 3 saal maine docks pe naukri ki, roz wahi kaam, roz utne paise... Jab 18 saal ka hua toh mujhe lagne laga ke shayad main abhi bhi woh nahin kar raha hun jiske liye main yahan aaya hun... 20 December 1978... Us din ki shaam main kabhi nahin bhul sakta.... Roz ki tarah, us din bhi shaam ko docks ka saraa kaam nipta ke main chai peene betha hi tha ke tabhi mere saamne Raju aaya....
"Kya guru.. Kya kar rahe ho tum..." Raju ne mujhse poocha
Raju ka sawaal sun pehle toh main darr gaya, woh bhi 18 ka hi tha, lekin mere saamne kaafi lamba tha , kaan mein baali, ghunghrale baal aur muh mein beedi.... Maine socha ke main use andekha kar dun, lekin fir himmat karke maine use jawaab diya
"Tum se matlab.. Tum apna kaam karo...."
"Abey sursuri bomb.... tevar kisko dikha raha hai be.. Apun toh tere vaaste ek kaam layla tha samjha kya.. Zyada akad ke chalega toh zindagi bhar hamaal ka hamaal banke hi rahega samjha.." Kehke raju wahan se jaane laga.. Jaise hi maine uski baat tatol ke samjhi, main turant uske peeche daud ke gaya..
"Ae ae. Sun... Bata, kya kaam hai..." Maine raju se haanfte hue kaha
"Ab aaya na line pe shaane... Sun, kal raat ko 2 baje idhar ek boat aane wali hai, woh boat mein se 10 boxes nikal ke sambhal ke rakhne hain.. Fir 3 baje ek doosri boat aayegi, woh box usme rakhne hain.. Kar payega tu yeh kaam..." Raju ne mujhe ungli dikha ke kaha
"Isme kya badi baat hai.. yeh toh main roz karta hun.." Maine bina kuch samjhe jawaab diya
"Abey paani kam chaai.. Kal jo boxes aane wale hain uska samaan roz ke jaisa nahin hai... gaanja aur afeem ke sath gair kanooni radio aur transistors aur doosra saaman bhi rahega... Agar apun dono ne us kaam ko nipta diya toh apun dono ko do do hazaar rupye milenge samjha..." Raju ne paison ki baat ki.. Do hazaar sun ke mere kaano mein jaise ek madhur awaaz si aane lagi... Mere saamne tha woh mauka jiske liye main nasik se yahan aaya tha, lekin gair kanooni kaam ki wajah se mujhe darr lagne laga.. Kuch der main khamosh raha, aur fir mann ko mazboot karke maine raju se kaha
"Do hazaar nahin baadshah... Apun ko toh teen hazaar chahiye.... Kaam mein jokham bhi itna hai.. " Maine raju ka sur pakad ke kaha
"Abey ae.. do do hazaar mein chokre log line laga ke khade ho jayenge.. Chal fut le " Raju ne mujhe jaane ke liye kaha.. Palat ke main jaane laga, aur andar hi andar khud ko kosne laga, ke maine 2000 mein hi baat maan li hoti toh kya jaata.. Khud ko galiyan deta maine kuch kadam aagey badhaye hi the ke peeche se raju bola
"Ae baadshah.. Chal teen rakh lena.... Kal 1 baje milunga main tujhe idhar samjha...." Raju ne peeche se awaaz di aur kahin chala gaya... Woh baat sun ke jaise maano maine koi badhi uplabhi haasil kar li ho.. Teen hazaar rupye aane ka soch ke main raat bhar so nahin paya.. Subah kaam karne ki dil bhi nahin hui, pura din bas yehi sochta raha ke teen hazaar ke liye kya kaam kaise karunga.. Yeh sab soch soch ke shaam dhalne lagi aur main wahin chai ki kitli pe betha raha...Raat ke kareeb 10 baje soya taaki 1 baje raju ke aane se pehle uth sakun... Theek 1 baje main utha aur kapde pehen ke main kitli ke bahar aaya toh raju bhi saamne se aa raha tha.... Main dheere dheere uski taraf badhne laga aur uske paas jaake khada ho gaya
"Sahi hai guru.. Pehle kaam ke liye taiyar hai na.." Raju ne apni beedi jalate hue kaha
"Haan.... Main taiyar hun...." Maine nidarta se kaha
"Wah, acha sun darne ka nahin.. Samjha" raju ne bheedi ke duen ko aasmaan mein uda ke kaha
"Agar darunga, toh kaam bura maan jayega.." Maine bhi uske hath se beedi li aur uska kash lene laga
"Wah bete, sahi hai... Chal ab aaja dekhte hain.." Kehke raju aur main dono docks mein gaye aur aane wali boat ka intezaar karne lage..
Theek 2 baje humein door se boat aati dikhi.. Raju aur main wahin khade khade uska intezaar karne lage.. Jaise jaise boat nazdeek aati, mere dil ki dhadkan tez hoti jaati... Lekin teen hazaar rupye, baar baar mujhe apne kadam peeche hatane se rok rahe the.... Jaise hi boat kinare pe aayi, pehle raju uske nazdeek gaya aur andar bethe aadmi se kuch hath mein leke dekha aur fir angutha dikha diya use.. Fir usse hamare paise leke mujhe samaan uthane ka ishara kiya... Hum jaldi se apne apne boxes utha ke kinare pe rakhne lage... Jaise hi humne aakhri box kinare pe rakha, humein fir se ek boat aati dikhi, lekin woh police ki thi...
"Abey, yeh kahan se aa gaye.. Aaj se pehle toh kabhi nahin aaye, ab hum kahan rakhenge isko.." Raju ne apne baal kheench ke samaan ki taraf ishara karke kaha
"Darr nahin rakhne ka baadshah, isi ke liye apun ne tujhse 3000 maange the..." Maine wahin khade rehke police ki boat ki taraf ishara kiya aur unhe apne paas bulane laga.. jaise hi police ki boat hamare paas aayi, usme se ek inspector aur do hawaldar bahar aaye..
"Sulaiman Saab.. Waade ke mutaabik yeh rahe aapke 2000 rupye...." Maine raju se paise liye aur usme se 2000 nikal ke unke hath mein thama diye
"Hum teen hain.. toh 2 hazaar kaise baatenge hum.." inspector sulaiman ne kaha
"Theek hai saab... Dusri baar jab maal aayega , tab aapka yeh karza bhi utaar denge..." Maine 2000 uske hath mein pakdaye aur use chalta kiya
"Abey, yeh kya.. kaise, matlab..." Raju haklane laga
"Kehne se koi baadshah nahin ban jaata guru... Main jab kaam hath mein leta hun tabhi uske baare mein puri tarah soch leta hun... Yeh Bombay Police ki nayi muhim hai, boat mein smuggling ka samaan rokne ki.... Saamne kitli pe yeh sab baatein chalti rehti hai.. Kal tere se milne ke baad jab main udhar gaya toh yeh inspector wahin betha apne sathiyon se baat kar raha tha... Lekin paise paise pe likha hai kharch karne wale ka naam... Maine tujhse 1000 zyada maanga, aur dena isko pada.. " Maine raju ki jeb se beedi nikal ke sulghai
"Aur woh teri baat maan gaya.." Raju ne ascharya mein aake pucha
"Paisa cheez hi aisi hai baadshah.. Iski maya se kaun bach paya hai... Inspector ko apna ghar chalana hai, tujhe apna ghar banana hai.. Aur mujhe is sheher pe raj karna hai.... Iske liye paisa hi lagega..." Maine apni nazar samandar ke chaaro aur ghuma ke kahi... Us din raju aur meri pehli kamyaabi thi.. Humne do do hazaar rupye banaye, jo hamari roz ki mehnat se kahin zyada the... Us din se leke pichle ek saal tak, jab bhi aisa kuch kaam aata toh raju aur main use bina kuch soche hi le lete.. Jaise jaise kaam badhta gaya, waise waise hamara paisa aur police ka hissa bhi.. Smugglers bhi khush, hum bhi khush aur police bhi khush.. Aise bahut kam maauke aate hain jab kaam se jude sab log khush ho...
29 December 1979... Us raat bhi raju aur main samaan ko unload kar rahe the taaki dusri boat aane tak use sambhaal sakein aur usme load kar sakein.... Main aakhri box utha hi raha tha, ke boat ke andar bethe ek ladke ne mujhe dekha aur bulaya
"Suno.. Idhar aao.." Us ladke ne mujhe kaha.. Maine dhyan se dekha toh woh koi ameer ladka lag raha tha, umar shayad mere jitni ya mujhse ek ya do saal badi bas.. Main seedha uske paas gaya aur jake chup chaap khada ho gaya
"Main kaafi dino se dekh raha hun tumhe, is kaam se darr nahin lagta " us aadmi ne apni cigarrete jala ke kaha
"Agar darunga toh paise kaise banaunga.." Maine chauda hoke kaha
"yeh pakdo mera address.. agar zyada paise banane ho toh mujhe yahan aake milo..." us aadmi ne ek page nikala aur uspe kuch likh ke diya
"karna kya hoga.." maine page dekhe bina apni jeb mein daal diya
"kaam yehi hai.. baz zariya badal jayega, pani ke badle yeh kaam tumhe road se karna hoga.. Agar himmat ho toh kal 12 baje aa jana..."
Main bina kuch bole wahan se nikal gaya aur raju ko bataye bina dusri boat ka intezaar karne laga.. Jab tak dusri boat aati tab tak main bas yehi soch raha the ke raju ko us baat ka baare mein bataun ke nahin... Jab tak main kuch soch paata, tab tak dusri boat bhi aa gayi aur hum fir apne kaam mein lag gaye... Ant tak main isi duvidha mein tha ke raju ko bataya jaaye ke nahin... Lekin kaafi der ho chuki thi, maine isliye raju ke saamne khamosh rehna hi theek samjha.. Dusre din subah ko main jaldi ache se taiyar hua aur us aadmi ke diye hue address pe chala gaya.. Kyun ki paise the kaafi, isliye aaram se taxi pakdi aur nikal gaya Bandra ki taraf.... Bandra pahunch ke main seedha us aadmi se milne gaya.. Kaafi der tak intezaar karne ke baad mujhe andar bulaya gaya..
"Aao.... mujhe yakeen the tum zaroor aaoge Rakesh.." Us aadmi ne kursi pe bethe bethe hi kaha.. Aas paas nazar ghumayi toh room ki chaka chon dekh ke main hairaan ho gaya... Jhumar, alishan khane ki table, mehenge kaaleen, parde.. Sab kuch tha jo ek ameer aadmi ke ghar hona chahiye..
"naa naa.. yeh sab itna asaani se nahin milta... Iske liye kaafi khatra uthana padega tumhe... Manzoor hai toh milao hath.." Us ladke ne mere paas aake kaha... Kaafi der tak main bas kuch sochta raha, aur fir kaha
"manzoor hai.."
"Ae shaabaash... Mera naam rocky hai.. Aaj se jo karenge mil ke karenge.." rocky ne mujhse kaha aur mujhe sab samjhaane laga.... Sab kaam samajh ke maine rocky ke sath kaam karna shuru kiya.. Paise ke liye main kuch bhi karne ko taiyar rehta tha.. Kaafi baar police ne pakda aur fir kuch saboot na milne pe chod diya... Rocky ke sath maine kareeb 3 saal kaam kiya. 3 saal mein drugs se leke illegal electronic goods, hum sab smuggle karte the... Jab sarkar ne gold pe import duty bhi badhai, humne uske biscuits ki smuggling bhi start ki... Kaala kaam karte karte main itna andha ho chuka tha, ke mujhe sahi galat ki pehchaan hi nahin rahi thi.. Bas paisa, aur khud saara paisa.. mera yahi lakshya tha... Smuggling mein kaafi saare dushman bante gaye hamare, lekin rocky aur maine har ek dushman ko yaa toh dost bana liya ya toh use raaste se hatah diya... Mumbai, Pune, Nasik, Kolhapur, ek jagah nahin thi maharashtra ki jahan hum smuggling ka maal naa pahunchaate..... 1979 se leke 1985.... 7 saal maine bina kuch soche samjhe rocky ke sath kaam kiya... Paisa acha khaasa ban chuka tha.. Kabhi kabhi koi mushkil kaam bhi aate, toh rocky peeche kadam hatata, par main nahin..
"Rakesh.. Dheere, abhi paisa kaafi hai hamare paas..." mujhe aisi mauke pe hamesha rocky kehta
"Agar dheere chalunga toh ruk hi jaunga dost.. isliye chalne de mujhe.." Main hamesha rocky ko yeh jawaab deta aur kaam mein lag jaata..
Isi beech rocky aur maine ek sath shaadi kar li... Simi mujhse pyaar karti thi, main kya kaam karta hun yeh jaante hue bhi usne mujhse shaadi ki.. Shaadi ke baad bhi simi mujhe roz bolti yeh sab kaam chodne ke liye.. Simi ke sath uski saheli Roza, jo rocky ki patni thi.. Dono humein subah sham ek hi baat bolti, rocky roza ki baat sun ke dheere dheere is kaam se nikalne laga tha, par main belagaam ghode ki tarah tha.. Simi ki baaton ko ansuna karke din raat yehi kaam karta aur bas paisa paisa karta rehta....
"Theek hai bas.. Aap dono ki baat main maanta hun.. Aap dono sahi ho, par kuch kaam toh karna padega na...." Maine ek din simi aur roza se kaha jab hum rocky ke ghar khane pe mile the
"Shukr hai aap maane toh.. Aur kaam toh kaafi saare hain, aap kuch manufacturing ka hi kijiye, aaj kal surat mein kaafi mills hain, wahan se kapda leke yahan bechein.. paise ka paisa, izzat ki izzat bhi.." Roza ne rocky aur mujhe kaha.. Simi ne bhi roza ki baat mein haami bhari, aur rocky toh bas mujhe hi ghur raha tha, jaise mere haan kehne ka intezaar kar raha ho..
"Kya bhabhi.. Acha suniye, sun rocky.. Ab smuggling ke dhandhe mein kaafi kich kich hai... Roz roz police se milo, aur ab kaafi log is line mein ghus aaye hain.. Main kal hi surat ke ek heera vyaapaari se mila hun. Uske sath kuch dusre vyaapaari bhi hain jo Vapi ke hain.. hum 4-5 log hain, kuch shuruat mein 3 crore jaisa laagat hai, hum dono ko 50-50 laakh nikalne hain..... Milke havala ke dhandhe mein ghuste hain.." Maine table pe sab ke saamne kaha
"Bhai, tu sochna chod hi de.. mere paas kuch 55 laakh hain, agar 50 laakh laga dunga, toh mere paas kya bachega, aagey ki zindagi kaise kategi.. Aur jo humne property dekhi hai khaar mein, yeh rahe uske kaagaz, maine sign kar di hai, tum bhi kar do.. Achi property ban jayegi aane wali zindagi ke liye.. Hawala ke dhandhe mein sab kuch chala gaya toh wapas sab shuruat se shuru karna padega.. Main taiyar nahin hun iske liye.." Rocky ke is jawaab ne meri saari umeedon pe paani fer diya....
Dusre din, jab main property paper pe sign karke rocky ke ghar pahuncha toh dekha rocky ghar nahin tha... Shaam bhi ho rahi thi
"Arey aap, aaiye na.. " Roza ne mujhe bithate hue kaha
"Bas bhabhi.. yeh papers rocky ko de dena, main jaata hun.." Maine jawaab diya
"Arey rakesh , aap chai peeke jaaiye..pls" Kehke roza kitchen mein chai banane lagi..... Main bhi baatein karne roza ke sath kitchen mein chala gaya.. Hum dono kitchen mein khade khade hi baatein karne lage aur itne mein baarish hone lagi...
"lijiye.. ab toh yahin rukna padega aapko.." roza ne has ke mujhe kaha.. Roza ki aankhon ko dekh ke mere shareer mein jaise ek ajeeb see laher daud gayi ho... Uski aankhon mein doobta chala gaya. Woh sama hi aisa ho chuka tha ke main khud ki bhaavnao ko kaabu nahin kar paya.. Main dheere dheere roza ki taraf badha aur ek hi pal mein use apni baahon mein bhar liya.. pehle toh roza ne bhi kaafi mana kiya, lekin dheere dheere woh mera sath dene lagi... Hum dono baarish mein bekaabu se hone lage.. Rocky aur simi ko bhul ke hum dono bas wahin khade khade apne jism ki aag ki garmi mein pighalne lagey.... Dusre din subah jab meri aankh khuli toh main rocky ke bistar pe roza ki baahon mein tha... Rocky ke sath main baimaani nahin kar sakta, yeh soch ke main dheere se roza se alag hua aur kapde pehen ke bahar jaa hi raha tha ke saamne padi mez pe meri nazar padi... Wahan pe woh property ke paper the jis pe mere aur rocky ke sign the, aur usi ke paas thi rocky ki tijori ki chaabi.. Maine dheere se chaabi ko uthaya aur paas mein rakhi tijori ko kholne laga.. Roza abhi bhi neend mein thi.. Isliye maine aaram se tijori mein se saare paise nikale aur property ke papers wapas leke ghar chala aaya... Simi ki nazron se chupa ke maine paison ka brief case apne cupboard mein chupa diya.. Agley din rocky ka fone aaya mujhe
"Bhai, ghar pe chori ho gayi hai yaar... " Rocky ne badi hataasha wali awaaz mein kaha.. Rocky ki baat sun maine kuch nahin kaha, itne mein peeche se roza ki awaaz aayi
"jab tak rakesh bhaisaab ghar nahin the , tab tak sab paise tijori mein the.."
"Roza khamosh raho.. Rakesh mera dost hai, woh kabhi aisa nahin karega.... Bhai , maaf kar de yaar... Bas tu yahan jaldi se aaja yaar..." Rocky ne subakti hui awaaz mein kaha.. Main kaafi der tak sochta raha aur fir simi ke sath unke ghar pahunch gaya.. Rocky k ghar pahunchte hi roza ne fir wohi baat ki..
"Offo.. Roza, toh tum kya keh rahi ho.. Rakesh yahan property ke papers laya, aur tumhare saamne paise leke nikla." Rocky ne jhalla ke kaha.. Rocky ki yeh baat sun roza khamosh ho gayi kyun ki pichli raat humse jo paap hua tha woh daba ke rakhna zaruri tha hamare liye...
"bhai pareshaan naa ho... hum kuch karenge..." Maine rocky ko ashwasan deke kaha
"kaise pareshan na houn yaar, police mein bhi khabar nahin kar sakte....." Rocky tooti hui awaaz mein bolne laga.. Kuch der tak main aur simi wahin bethe rahe aur fir wapas apne ghar aa gaye.. Agley 10 din tak meri aur rocky ki koi baat cheet nahin hui.. Hum smuggling ke kaam ko chod hi chuke the.. Kuch bada ho toh main karta, varna rocky bilkul nahin aata kabhi mere sath... Theek 10 din baad rocky ka fone aaya
"Bhai.. Jaldi ghar aaja bhabhi ke sath..." Kehke rocky ne phone cut kiya... Main jaldi se simi ke sath nikla aur rocky ke ghar pahuncha...
"Bhai.. Badhaai ho... Aap toh chacha banne wale ho" rocky ne mujhe dekh ke kaha aur mujhse gale lag gaya... Rocky ki yeh baat sun meri nazrein jaise hi roza se takrayi, usne apni nazrein neechi kar li... uski nazron se saaf pata chal raha tha ke yeh rocky ka nahin, hamare kiye hue paap ka beej hai... Rocky ko itna khush dekh mujhe ek ghutan see hone lagi....
"bhai, ab mere paas toh paisa hai nahin, aur hawala ke paise ke liye chahiye 1 crore... toh smuggling ka kuch wapas karna padega... par tab tak jab tak roza hamare bache ko janam nahin de deti.. jaise hi mera bacha hoga, main us din se kasam khata hun, haram ke paise ko chunga tak nahin.." Rocky ne sab ke saamne kaha... Rocky ko aise dekh maine kuch nahin kaha aur bas uski haan mein haan bhari.. Rocky ko bataye bina maine surat aur vapi ke vyapariyon se sampark kiya aur unhe ek crore de diya havala mein ghumane ke liye...
"paise dene ki himmat rakhta hun, toh wapas lene ka jigra bhi hai seth.. aaj se theek teen mahine baad aapse milunga, apna hissa lene ke liye" maine surat ke vyaapari ko paisa dete hue kaha..
Idhar rocky aur main fir se smuggling ke kaam mein lag gaye... Smuggling mein pehle jaise paise nahin the.. Sarkaar ne kaafi cheeson se import restriction hata liya tha, isliye kaafi cheesein toh india mein legally aa jati. Paisa milta toh bas drugs ki smuggling se.. Lekin drugs mein khatra kaafi tha, isliye drugs bechne wale kam the.. Jab bhi koi kaam milta, toh usme itne paise nahin aate.. Teen mahine guzre par hawala se bhi kuch paisa nahin aaya..
"Dekh bhaaya... yeh dhandha hi aisa hai, aaj nahin aaya toh kuch waqt ke baad aayega.. agar tujhe maare pe vishwaas naa hai, toh le le apna 1 crore aur chalta ban.. aar rukna hai toh thoda ruk jaa.. marwari seth ki zabaan hai, 1 crore ka 3 crore dunga agar aur 6 mahine diye toh.." Surat ke vyaapari ne mujhe kaha.. uski baat sun main fir sochta reh gaya.. jee maar ke bhi maine use haan keh diya aur fir rocky ko join kar liya.. Idhar roza ki delivery date bhi nazdeek aa rahi thi.. Hum dono hamari purani baat ko bhulane ki koshish kar rahe the, aur roza bhi dheere dheere sab bhulne lagi thi... Roza ki delivery ke theek do din pehl rocky aur main mile the
"yaar, ek bada consignment hai kal. Agar woh consignment kal theek tarah se maine pahuncha diya toh mujhe kaafi paise milne wale hain.. yun samajh le, chori hui rakam se do guna paisa aa jayega mere paas. aur delivery parso ki, matlab theek waqt pe paise aa jayenge aur meri kasam bhi reh jaegi " rocky ne khush hoke kaha
"theek hai dost... sab paisa tera, mujhe usme se kuch bhi nahin chahiye..." kehke maine rocky se alvida liya aur ghar nikal aaya.. Dusri sham ko rocky aur main woh consignment lene gaye.. Theek tarah se humne maal le toh liya, par jaise hi hum delivery ke liye nikle, police hamare peeche lag gayi.. Police aur hamare beech kaafi der tak daud bhaag hui... Isi dauran rocky ko goli lag gayi aur woh on the spot mar gaya... Rocky ko hospital le jaane ke badle, main pehle drugs ko pahunchana chahta tha, kyun ki rakam kaafi badi thi.. Kareeb 2 ghante baad jab police se hum door nikle tab maine lalach mein aake pehle maal deliver kiya.. Fir jab tak rocky ko hospital le gaya, tab tak rocky apni saansein tod chuka tha... Jis hospital mein rocky ko le gaya, roza bhi wahin admit thi.. isliye main roza ke paas pahuncha toh pata chala uski delivery bhi aaj hi thi.. Udhar simi maujood thi toh maine kuch nahin kaha aur bas roza ki delivery ka intezaar karne laga..
Roza ne do ladkiyon ko janm diya tha... Lekin delivery ke waqt roza ko kaafi problem hui isliye woh delivery ke baad kaafi der behosh rahi.. Maine simi ko bhi gahr bhej diya ye kehke ke main bhi jald hi ghar aaunga... Simi ke ghar jaate hi main roza ke delivery room mein gaya.. Roza ab tak behosh thi, lekin uske paas do bachiyan dekh mera dil ro pada.. Naa toh roza ke paas paise the, aur naa hi uske pati ka sahara.. Do bachiyon ko palna mushkil ho jayega.. Isliye maine uske bagal se ek ladki ko apni godh mein uthaya aur chura ke use apne ghar le aaya.. Ghar le aake maine simi ko saari sachai bata di.. Kaafi der tak simi ne bhi mujhe khara khota kaha, aur gussa bhi hui... lekin simi mujhse kaafi pyaar karti thi... isliye woh mujhe chod bhi nahin sakti thi...
 
Member
146
12
18
Update 81
Contd :-
"theek hai.. lekin is bachi ko hum nahin paal sakte, toh ab yeh bachi palegi hamari nazar mein hi.. lekin hamare ghar nahin.. kahin aur" Simi ne mujhe apna faisla sunaya.. Main us waqt kaafi pareshaan tha toh simi ki haan mein haan bhar di... Dusre din jab roza ko pata chala ke uske pati ki maut ho chuki hai, aur uski ek bachi bhi gayab hai toh woh bhi hospital mein foot foot ke rone lagi.. Kaafi waqt baad jab roza ne khud ko sambhaala, tab simi ne roza se baat ki
"Roza... hum tumhein aise nahin dekh sakte.... Isliye rakesh ne tumhare liye ek flat kharida hai, dosti ka farz nibhane do humein pls.. aaj se tum wahan rahogi, aur is bachi ki parvarish bhi hamari nigrani mein hogi.."Simi ne roza se kaha, lekin use ab tak nahin bataya ke rocky ki maut aur paison ka zimmedaar main tha.. Roza ne kaafi der hamari baat nahin maani, par ant mein woh hamare diye hue flat mein rehne lagi.. Maine hawale mein jo ek crore lagaya tha woh 9 mahine baad 3 nahin, balki 4 crore hua.. 1985 se leke 1995 tak main us 3 crore ka 300 crore bana chuka tha.. Pura ka pura Black....
Roza ki bachi meri bachi thi, isliye uski shaadi tak ki zimmedaari maine nibhayi... Aaj se kuch 4 mahine pehle jab mujhe aur simi ko pata chala ki roza bhi bas maut ke nazdeek hai, tab hum usse milne pahunche.. Marte waqt bhi roza hamara shukr mana rahi thi ke humne uski itni madat ki... Jab simi se dekha nahin gaya, toh roza aur uski ladki ki maujudgi mein simi ne unhe sari sachai bata di... Yeh sab baatein sun roza ka toh maano jaise dil ho bandh ho gaya ho... hamari baat sunne ke kareen 10 min baad roza ne apni aakhri saans lee.. Bachpan se leke aaj se 4 mahina pehle tak, humne roza ki ek ladki ko pala , posa aur use har woh cheez di jo uske liye zaruri thi aur ashwasan rakha is baat ka ke use kabhi ehsaas na ho ke uske sath sautela vyahvahar hua hai...
Is vakya ke baad Rakesh khamosh ho gaya tha... Usne fir se apne specs pehen liye aur bharat ko dekhne laga.... Yeh sab sun ke bharat ko vishwaas nahin ho raha tha ke rakesh ka past itna kaala tha...Bharat ne puri baat ko hazam karne ki koshish ki, lekin fir ek jagah pe aake uska dimaag ruka aur usne rakesh se kaha
"Dad... Aapke partner ki biwi ki do ladkiyan... Ek ki shaadi aapne karwayi, aur shayad usi ki maujudgi mein aapne roza se sachai kahi thi.. Right " bharat ne bade hi calculative tareeke se kaha
"Yes son.. Right.." Rakesh ne bhaari awaaz se kaha
"Ok dad, toh jo bachi aapne churai..woh aapne kaha ke mom ne use palne se mana kar diya, lekin woh pali aapki nigraani mein hi.. Toh fir woh ladki kahan gayi..." Bharat ne apne shabdon ko apni jagah pe rakhne ki koshish ki... "Aur dad.... isse pehle please aap mujhe bataiye, yeh sab mujhe aap aaj hi kyun batana chahte the..." Bharat ne bade ashcharya chakit hoke pucha
"Bharat, tum mein main khud ko dekh raha hun.. Paise ki maya mein jaise main andha tha waise hi tum ban gaye ho.. Jaise maine kabhi doston rishtedaron ki parwah nahin ki, tum bhi waise hi kar rahe ho.. Har woh cheez jo main apni jawaani mein kar chuka hun, tum bhi theek us rah pe jaa rahe ho.. Farak yeh hai ke maine sab kaam black kiya tha, aur tum corporate culture mein jaake white collar mein kar rahe ho.." Rakesh ne bharat ki aankhon mein dekh kaha
"Come on dad... Main kisi ke kandhon pe ya kisi ke vishwaas ko maar ke upar nahin jaa raha..." Bharat ne bhi barabari banate kaha
"JPM India ke sales figure kaise nikale tumne.. Main achi tarah janta hun bete..." Rakesh ne ek shaitan hasi ke sath kaha.. Rakesh ki yeh baat sun bharat khamosh raha, lekin use yeh samaj nahin aaya ke rakesh ko kaise pata chala in sab ke baare mein.. use bharosa tha ke shalini kabhi kisi se yeh sab baatein share nahin karegi...
"hairaan nahin ho bharat. baap hun main tumhara, aur tumhe kya lagta hai, hawala ke dandhe mein mera kaafi strong network tha... Vikram Kohli bahut purana khiladi hai in sab ka... Vikram Kohli mujh se pehle hawale ke dhandhe se nikal chuka tha.. Agar woh corporate mein hai toh bas duniya se apna kala dhan chupane ke liye.. Agar tum mere bete na hote toh Vikram kab ka apni chaal chal chuka hota, lekin jaise hi Vikram ko pata chala ke tum mere ladke ho usne mujhse baat ki aur mere kehne pe hi woh ab tak khamosh hai..." Rakesh ne bharat ke kandhe pe hath rakh ke kaha
"Dad woh khamosh hai ke nahin, woh kahani main aap ko baad mein batata hun.. Par usse pehle mujhe bataiye.. Kahin un do ladkiyon ka naam is list mein sab se upar toh nahin" Bharat ne Rakesh ko uski banayi hui list hath mein dete hue kaha
 
Member
146
12
18
Update 82
Contd :-
Bharat ke hath se woh list leke rakesh ne jab use dekha, toh use kuch samajh nahin aaya.. Usne dhyan se list ko dekha , fir kaha
"Yeh do pehle naam... Aur vikram kohli ka naam isme kya kar raha hai.. Aur yeh mehul, yeh shayad wohi aadmi hai jo bank loot mein fasa tha right... Aur yeh siddhartha kaun hai ?" Rakesh ne hairaani se pucha
"Dad, bas aapko pehle do naam hi batane the, baaki ki baatein aapko ghar chal ke clarify karta hun... Haan lekin ab tak ,mujhe aapne nahin bataya, ke yeh sab aapne aaj hi kyun bataya.. I mean dad, there is definitely a specific reason right... Come on, spill the beans out now..." Bharat ne authoritative way mein rakesh se kaha... Rakesh aur Bharat baatein karte karte aagey badhne lage aur rakesh ne use sab bata diya..
"Ok dad.. No issues, chaliye yeh bhi dekh lenge, filhaal toh ghar chalte hain, hum dono ki biwiyan kaafi chinta mein hongi..." Bharat ne mazaak mein kaha
"yaar itni tension wali baat hai, aur tumhe mazaak sooj raha hai.. Ab kya karein iska pehle woh toh batao..." Rakesh ne fir bharat se sawaal pucha
"Dad, aap ki pehchaan hai koi US mein.." Bharat ne sawaal ka jawaab sawaal se diya
"Haan bharat, i have a friend...kyun" Rakesh aur bharat aagey badhte badhte hi baatein kar rahe the
"Call him now please... Udhar toh abhi shaam hi hui hogi..." Kehke bharat ne apna fone rakesh ko diya, aur bina kuch puche, rakesh ne apne dost ka number milaya.. Kuch rings ke baad jab rakesh ke dost ne fone uthaya, thodi hi hello ke baad rakesh ne bharat ko fone diya
"Hello sir... I guess aap New Jersey mein hain abhi." Bharat ne aagey badhte hue kaha
"Arey nahin beta, i stay there. Aaj kuch kaam se new york mein hi hun, bolo, how can i help you." Rakesh ke friend ne has ke kaha
"Sir, New York DownTown, Street No 4 pe Block 2 mein do indians rehte the.. Siddhartha and Ruby.. Siddhartha toh India aa gaya hai, but i doubt Ruby is in some danger.. Toh aap zara local police se cooperate kar sakte hain, Ruby is a family.." Bharat ke kadam ek dum rakesh ke kadmon se milkar aagey badh rahe the...
"R u sure beta... And main kya kahunga police ko, how do i know all this...." Rakesh ke frnd ko tension si hone lagi
"Sir, u just tell them yeh Sharon murder case ka ek clue hai.. Agar ruby ko woh dhundh lenge toh Sharon murder case ke aaropi tak bhi woh aasani se pahunch jayenge.. And agar thodi problem hoti hai toh let me know... Mera boss bhi US mein hi hai, he will take care of you.." Bharat bade itminaan se bol raha tha
"Sure beta, i will do it right away and keep you updated...bye" Kehke rakesh ke dost ne fone rakha aur bhaag ke woh police ke paas pahuncha aur unhe sab bayaan kar diya
Udhar rakesh aur bharat chalte chalte baatein karne lage aur ghar pahunch ke dekha toh Simi aur shalini un dono ka hi intezaar kar rahe the..
"Welcome, Mr hone wale dada jii.." Simi ne rakesh ke gale lag ke kaha... Yeh news paakar rakesh ko kaafi khushi mili... Usne shalini aur bharat dono ko gale lagaya...
"And bharat.. M very upset with u... Nidhi wali baat tumne shuru se hi mujhse chupaayi..... Usse pyar karte the tab bhi nahin bataya, aur aaj jab woh hamare beech nahin rahi, tab bhi... Kab tak akele rehna pasand karoge beta tum.. This is what families are made for na.. Share the joys and sorrows...." Simi ne bharat ko pyaar se samjhate hue kaha
"Come on mom... Dont be emotional now... And rahi nidhi ki baat, toh i managed it... " Bharat ne simi se aankh churate hue kaha jise sab ne dekh liya lekin kisi ne kuch nahin kaha...
"Ok, toh aaj se Nidhi ki photo yahan living room mein hi lagegi... And mujhe is baat pe koi problem nahin chahiye.... Shalini get me the photo beta" Simi ne shalini se kaha, aur shalini ne bhi bina kuch kahe simi ko pic laa di... Simi ne aagey badh ke apni family pic ke paas Nidhi ki frame laga di...
"Bharat.. She is very beautiful... Lekin iski is haalat ke liye bhi zimmedaar tum ho... Jab tum nidhi ko date kar rahe the, aur uske uncle ki shart ke baare mein humein batate, toh hum kuch raasta nikalte beta.... Humse share naa karke tumhe kya mila aakhir..." Simi aaj khul ke bharat se baatein kar rahi thi, use parwah nahin thi ki shalini wahan khadi hai....
"Mom... Aisa nahin hai... Aur aapko nahin bataya, tabhi toh mujhe meri yeh swthrt mili na..." Bharat ne shalini ko peeche se gale laga ke kaha... Rakesh ne bharat ka ishara samjha, aur isse pehle simi kuch bolti, beech mein rakesh bol pada
"Arey bhai chalo ab.. Jo beet gayi, so baat gayi... Chalo ab aaram karte hain thoda, m tired .... And bharat, u also take rest.. Kal kaam hai na" Rakesh yeh kehke simi ke sath apne room ki or badh gaya
Bharat ne shalini se sab baatein discuss ki, jo usne rakesh ke sath ki thi..
"Dont worry Shalini.. Nothing will happen to any of us.. And ruby ke liye bhi i have checked, local police wahan ki uski search mein lag gayi hogi ab tak.. Intezaar bas kal ka hai ab, jab in sab par se parda uthega aur sab raaz khulenge..
"Par bharat.. I still feel, kal police ki help leni hi padegi, i mean... U never know, woh log kuch bhi kar sakte hain.... And unka main revenge toh tum se hai... I mean, agar dad unhe apni property de bhi denge, toh bhi how can we be sure ke woh log tumhe kuch nahin karenge.... We need to be cautious na.." Shalini ne chinta vyakt kare hue kaha
"I have already taken care of that honey.... Mujhe bas kuch chota sa samaan chahiye, jo mujhe subah ko milega.. Filhaal, toh u need rest ok... Chalo so jao aaram se ab.."
"We need rest samjhe.." Kehke shalini ne bharat ka hath pakda, aur dono apne room ki taraf nikal gaye....
Bharat aur Rakesh ki aankhon se neend koson door thi, Rakesh baar baar yeh soch raha tha ke kal kya hoga.. Bharat ko bata ke kahin usne apne gunahon ki saza bharat ko bhi toh nahin de di.. Bharat ke aagey toh abhi kaafi zindagi hai, kal kuch upar neeche hua toh woh kya muh dikhayega Shalini aur simi ko... Udhar bharat yeh soch raha tha, ke kal jab rakesh wahan jayega, toh kya woh simi aur shalini ko sath le jaye..
"Nai, mom aur shalini yahin rahenge..." Bharat ne dheere se khud se kaha aur sone ki koshish karne laga
Subah sab kuch normal hi tha, rakesh ko andar hi andar kaafi chinta thi, lekin woh apni chinta vyakt nahin karna chahta tha... Simi aur shalini ne bhi yeh dekha lekin dono ne rakesh se kuch nahin kaha.. Subah ke 8 baje se lekin dopahar ke 12 baje tak rakesh bas ghar ke chakkar kaat raha tha, kabhi balcony mein, kabhi living room mein...
"Bharat bhi nahin dikh raha, where is he.." Finally rakesh ne simi se pucha.. Simi kuch jawaab deti isse pehle ghar ki doorbell baji.. Simi ne darwaza khol ke dekha toh saamne bharat khada tha, aur uske hath mein ek famous shirt ki brand ka bag tha
"Hello dad.. Hello ladies..." Bharat ne ghar mein aate hue kaha
"kahan the tum subah se bharat.." Rakesh ne bharat se kaha , aur uska fone ring hua.. Rakesh ne dekha toh ek jaana pehchaana number dekh kar uske chehre pe shikan si aa gayi.. Yeh dekh bharat ke sath simi aur shalini bhi uske paas pahunche aur rakesh khamosh khada bas bajte hue fone ko dekh raha tha
"Come on dad... We all r here na.. Answer it now...." Kehke bharat ne fone rakesh ko hath mein diya, aur rakesh ne kaanpte hathon se phone ko green color ki or swipe kiya aur use speaker pe rakha.. Sukhi hui halak se awaaz nikal ke rakesh ne jawaab diya
"hello..."
"Hello papa... Kaise hain aap, aur itni der kyun lagayi fone uthane mein...aap theek toh hain..." saamne se jawaab aaya
"Haan, sab theek hai..." rakesh ne bas itna hi kaha
"Great.. Acha mera bhai aur bhabhi kaise hain.. Aur mom, i hope sab kafi khush hain aapke is faisle se.." Saamne se fir aisi baat sun rakesh ke chehre pe paseena badhta gaya
"Kaise faisle se.." Rakesh ne hairaan hoke kaha
"Come on dad, aapne hi toh faisla kiya, ke aapki saari property aap mere naam kar rahe hain.. Ab jab saari property, bank balance aur stoks, sab mere naam hoga toh aap toh road pe aa jayenge na.. Toh aisi haalat mein mere bhai bhabhi aur mom kahan soyenge.. Isliye kaha, woh yeh sab jaan kar khush hain na.... Hahahahhahahahaha...." Ek lambi hansi sun ke rakesh ke sath simi aur shalini bhi darr gayi... Shalini ne kas ke simi ko pakad liya, aur simi ne bhi use hausla diya
"Point ki baat pe aao..." Rakesh ne fir sukhi hui awaaz mein kaha
"Kya dad.. Acha chaliye, toh aap kitni der mein aa rahe hain aaj yahan. jaldi aaiye toh kaafi sari baatein bhi karni hain aapke sath.. Aur haan, aap akele mat aana... Mom aur bhabhi ko toh laana hi, par bhai.. Use toh bilkul mat chodna akela... bhai ko kaafi miss karti hun aaj kal main...." kehke phone cut ho gaya... Phone ke cut hote hi simi aur shalini ki aankhon mein jahan darr tha, wahin rakesh bhi ek khauff mein sama saa gaya tha..
"Dad. Chaliye, didi se milte hain... Aur haan, aap yeh wali shirt pehniye.. Main khaas yeh new shirt lene gaya tha aaj ke is avsar ke liye.." Bharat ne rakesh ke hath mein bag pakdate hue kaha
 
Member
146
12
18
last Update
Contd :-
Rakesh apni gaadi mein Simi aur Shalini ko leke borivali ki or chal pada... Bharat peeche apni gaadi mein aa raha tha, rakesh kaafi dheere dheere badh raha tha, woh aagey ke baare mein sochne laga.. Agar sab kuch uske hath se chala jayega toh woh kya karega, kahan rahega... Aur apne gunahoon ki sazaa uske sath sath uski family ko mil rahi thi... Yeh sab soch soch ke woh kaafi pareshaan ho raha tha, gaadi ki powerful ac mein bhi uska chehra pura paseene se bheega hua tha.. Steering pe uske kaanpte hath dekh simi ne use kaha
"Rakesh, dont worry.. Jab tak hum sab sath hain, hamara future bhi safe hai... Mujhe pura vishwaas hai tum pe... Relax raho, aur jo ho raha hai.. hone do..."
Simi ki baat sun ke rakesh ko acha laga, lekin fir bhi usko chinta ghere hui thi.. Usne kuch jawaab nahin deke gaadi ki speed badhayi aur aagey badhta chala gaya.. Kuch door jaake, rakesh ne peeche dekha toh bharat nahin dikha use.. Rakesh ne bharat ko fone kiya par koi jawaab nahin aaya... Isse rakesh ki chinta aur badh gayi..
"Dad, relax.. bharat ne zarur kuch socha hoga.. Aap chinta naa krein pls..." is baar shalini ne kaha aur fir rakesh ghabrane laga... Kareeb aadhe ghante baad jab bheed bhaad wale ilaake se rakesh aagey badha, bataye hue address pe jaake usne car park ki... Jab usne dhyan se us ghar ko dekha, uski purani yaadein taaza ho gayi...
"Yeh wohi ghar hai jahan se maine us raat paise chori kiye the taaki main havaala mein ghus sakun.... Reality of life... What goes around.. comes around.." Rakesh ne simi aur shalini se kaha aur teeno andar ki taraf badhne lagey.. Udhar kareeb 20 min baad , bharat bhi borivali wale raaste pe aa gaya.. Raaste mein usne do teen fone kiye jisme se ek munna ko tha..
"haan munna, samaj gaya na.. agar tune mera yeh kaam kar diya, toh tujhe paise se tol dunga samjha.. Aur koi gadbad hui.."
"arey saab, aaj tak kya gadbad hui hai... aap fikr na karein, apun bhi aadhe ghante mein borivali pahunchta hai.. " kehke munna ne fone cut kiya aur bharat gaadi aagey badhane laga.
Rakesh, Simi aur shalini teeno main gate pe pahunch ke darwaza khulne ka intezaar karne lagey... Kareeb 1 min mein, jab darwaza khula, toh unke saamne ek saaya tha.. Dheere se teeno andar ki taraf badhne lagey, lekin andhera hone ki wajah se teeno kuch zyada chal nahin paa rahe the aagey.. thoda aagey aake jab teeno ruke
"yahan itna andhera kyun hai..." Simi ne rakesh se kaha...
"yeh andhera bhi tumhari wajah se hi hua hai.. tumhare pati ki wajah se, uski laalach ki wajah se.. Aur aaj is andhere mein roshni bhi yehi felayega, yehi shaks..." Ek cheekh ne teeno logon ka dhyan kamre mein saamne ki taraf moda, aur dheere dheere kar ghar ki har ek light jalne lagi.. Jaise jaise light jalti, waise waise teen parchaiyaan unko dikhti... Jab sab batiyan jal chuki thi, rakesh ke saamne khada tha uska ateet, aur uska aane wala kal...
"Welcome dad.. how are you...... And meri sauteli mom... Kya haal hain aapke han..." Us ladki ne aagey badhke kaha
"bhabhi jee.. kaisi hain aap.. bhaiya kahin zyada pareshaan toh nahin kar rahe na aapko..." Us ladki ne shalini ko gale lagate hue kaha
"Dekho, jis kaam ke liye aaye hain, us kaam pe aao.. zyada bakwaas nahin sunni mujhe" Rakesh ne tang hoke kaha
"Sunna toh tumko padega rakesh... Sunna toh padega, kyun ki aaj mera waqt aaya hai... Tumhari wajah se mera baap mara, meri maa vidhva hui, bachpan se main apni behen se door rahi... Aur tum mujhe chup rehne ke liye keh rahe ho.... Nahin rakesh, aaj tak tum bol rahe the, ab se bas main bolungi...."
"Khair... Baatein toh main kaafi saari karungi, par usse pehle kyun na papers sign kar diye jaayein.. Behen, zara papers lana, aur sath mein pen bhi.." Do ladkiyan rakesh ke aagey kuch papers laayi... Rakesh ne papers dekhe toh woh bhi shock ho gaya....
"Hairaan mat ho rakesh.. Isme sirf yeh likha hai ke tum apni saari property, bank balances, cash, stocks, gaadiyan, tumhari US wali property aur business.. yeh sab cheesein mere naam kar rahe ho.... Chalo jaldi sign karo, mere paas baatein bahut hain.. Aur waqt kam.... Aur haan, mera bhai nahin dikh raha... Woh kahan hai aakhir...." Is aakhri vakya ke khatam hote hi ghar ki sab lights ek baar fir off ho gayi... Lights ke off hote hi rakesh aur simi ke sath shalini ghabrane lage.. Lekin woh log wahin khade rahe..
"Lights ko kya hua... Mehul , check karo jaldi se... Mujhe kuch hoshyari nahin chahiye.. Jaldi dekho.." Jo awaaz ab tak buland thi, woh ab achanak ghabrane lagi thi.. Mehul bhi jaldi se daudne laga hi tha, ke sab ke kaano mein padi kuch kadmon ki awaaz.. Dheere dheere rakesh ke saamne se ek shaks unki or chala hua aa raha tha...Jab sab shaant hua, toh ghar ki lights bhi jalne lagi.. Ek ek kar ghar ki sab batiyan roshan hui... Rakesh Simi aur Shalini ke sath khada tha bharat..
"hello didi.. kaisi ho , tumne pukara aur hum chale aaye.." Bharat ne ek shaitaani hasi mein kaha
"Oh toh tum ho.. Mujhe laga koi chor hai... Khair, ek hi baat hai.. Tum bhi chor ke bete hi ho..." Use jawaab mila....
"Ab zyada time nahin waste karo, jaldi se in papers pe sign karo aur chalte bano.." Mehul ne rakesh se kaha, jiske hath mein ek revolver thi...
Rakesh ne kuch der socha, aur ek nazar bharat ki taraf ki... Bharat ne sign karne ka ishaara kiya... Jaise hi rakesh ne pen ki nib papers pe rakhi, uske aagey uska beeta hua kal ek flashback ki tarah aa gaya.... Jahan rakesh abhi sign kar raha tha, yahan kaafi saal pehle rakesh ne apne dost ke sath khana khaya tha... Sab cheezein uske dimaag mein aane lagi.. Uske dost ka chehra, unke sath kiye hue kaam, rakesh ki woh ki hui beimaani, uske dost ki maut, uske dost ki vidhva.. Sab kuch...
"Dad, sign kijiye.. Fir lands end mein drinks ke liye bhi chalna hai..." Bharat ne rakesh ke kandhe pe hath rakh ke kaha jisse rakesh wapas present mein aa gaya.... Hosh sambhaal ke rakesh ne papers pe sign kiye aur papers aagey badhke thamaane laga... Jaise hi rakesh ne papers mehul ke haath mein thamaaye, theek usi waqt achanak mehul ke peeche se hi kuch daudte hue logon ki awaaz unke kaano pe padne lagi... Jab rakesh ne saamne aur mehul ne mud ke dekha, toh jis disha se bharat aaya tha, usi disha se kuch constables aur do senior inspectors aagey aa rahe the... Un sab ko dekh mehul aagey ke gate ki taraf badhne laga lekin naakaam raha..
"Toh didi... Aaj ka kya programme hai.." Bharat ne papers apni blazer mein daal ke kaha
"You are under arrest Ms..." Senior Inspectore ne itna hi kaha ke beech mein bharat fir bola
"Ms Rina Shah.... Meri pyari didi.... Aur meri mauseri behen... Preeti.." bharat ne kaha
"Tumhe kya laga, tum aasani se sab kuch kar logi.. Aur mujhe pata tak nahin chalega... Tumhare dimaag ki taareef karni padegi aakhir , apne do saathiyon ko aagey ke gate ki taraf rakha, taaki kuch bhi gadbad ho toh tumhe bata sakein... Jab maine unhe ghar se thoda door khade hue dekha, usi waqt main samaj gaya tumhare plan ke baare mein.. Tabhi peeche ka rasta apna ke main yahan aaya hun..... Acha kiya tumne ki preeti ko bhi in sab mein shaamil kar diya... Jis din dad ne tumhe tumhari marti hui maa ke saamne sab bataya, tum preeti ke paas, yaane natasha ke ghar pahunchi.... Natasha ne jab tumhe theek nai bataya, tab tumne use bhi jaan se maarne ki dhamki di... Natasha se jab tum jaan gayi ke preeti US mein hai, tum usse US milne chali gayi.. Preeti ko hamare khilaaf bhadka ke, tumne use apni side mein le liya... Preeti se milke jab tum wapas India aayi, tab tumne mere baare mein pata kiya.. Mere baare mein dhundhte dhundhte tumhe mehul ka pata mila... tabhi toh apne vakil se baat karke, mehul ki beemari ka naatak kar ke, tum logon ne use parole pe chudaya... Ab tumhare sath mehul bhi jud gaya.. Preeti US mein apna kaam nipta ke tumhare paas aane ki taiyari kar rahi thi.. Par afsos, maine preeti ko sharon se milaya tha.. New york mein jab sharon ne ek shaam ko preeti ke ghar visit lee, phone pe usne preeti aur tumhari baatein suni... Yahan pe Sharon ne yeh sab baatein mujhe batana chahi, lekin usne sid se discuss karna behtar samjha... Jab sid ko in sab ke baare mein pata chala, mujhse badla lene ki aad mein woh preeti ke through tumse mila... Kyun ki sharon ab tumhare khilaaf sab jaan chuki thi, isliye tumne siddhartha ko paison ka aur mujhse badla lene ke liye bhadkaya aur sharon ka khoon karwaya.. Udhar mehul ne bhi apne badle ki aag ko thanda karna chaha.. Bank ke kaand ke baad jab ise pata chala nidhi mere sath thi, isse raha nahin gaya aur yeh badle ki aad mein nidhi ki jaan lene ke sochne laga.. Isi beech jab preeti aur siddhartha dono US se aaye, tab tumne preeti ki test leni chaahi.. Preeti tumhare sath vakai mein hai ya nahin, yeh janne ke liye tumne use nidhi ka khoon karne ka kaam sounpa.... Preeti jaanti thi nidhi malaysia mein hai, isliye use kuch zyada mehnat nahin karni padi.. Lekin afsos.. Tumhara raaz isne khol diya..." bharat ne apne jeb se chain nikalte hue kaha... Chain dekh ke preeti aur rina dono hakke bakke reh gaye... Rina bas ek tak chain ko hi dekhti rahi, aur preeti bhi wahin bas zameen ko ghurne lagi..
"Dont worry... Mujhe preeti ne nahin bataya, jis din main tumhare ghar khane aaya tha, tumhari photo dekhi thi.. Kamaal lag rahi thi yeh chain tumhare gardan pe.... us din se main yeh soch raha tha, ke yeh chain malaysia mein kaise paayi gayi, kyun ki jis din nidhi ka khun hua, us din toh hum kolkata mein hi the... Aur meri kismat dekho.. Dad, jab world tour pe the, tumne tabhi unhe blackmail start kiya... Tumhe laga shayad apne ateet ke baare mein woh apne bete se chupayenge aur tum uska fayda logi.. Par Ms Rina Shah... tum yeh bhul gayi, ke tumhare saamne main hun..... Aur haan, in sab mein ek baat ka aur bhi pata lagaya hai maine... Jab siddhartha ne sharon ka khoon kiya aur company mein resign rakha, tab Runy uske ghar gayi thi.. Jab rosy siddhartha se milne pahunchi, tab usne siddhartha ko tumhare sath phone pe baat karte hue sun liya....Siddhartha ko jab pata laga, woh ruby ke peeche dauda... bhaagte bhaagte ruby ka hone bhi raaste mein gir pada... Apne ghar jaane ke badle, ruby local cyber cafe mein gayi aur yeh sab baatein mujhe PM karne ki sochi.. Ruby ne jab sara PM draft kar liya, tab achanak uske paas siddhartha aaya... Sid ne halke se ishare mein use bahar aane ko kaha, kyun ki woh public place mein uske sath kuch nahin kar sakta.. Ruby itna darr chuki thi, ke PM send ke badle, PM save as draft ka button click hua usse.... Ruby ka dimaag block ho chuka tha, use samaj nahin aa raha tha ke woh PM type kiya hua kahan gaya.. Kyun ki uske samne siddhartha tha jo bahar uska intezar kar raha tha, usne apna user name aur password mujhe PM kar diya is umeed mein ke shaayd main hi uska typed PM dhundh lun...."
"And didi.. guess what.. yahan fir main aapka bhai nikla.... Ruby ab bilkul safe hai.. US police ne use dhundh nikala hai, abhi meri baat hui usse" bharat ne rina ke ird gird ghumte hue kaha
"Aapko aap ke bachaav mein kuch kehna hai... "Senior inspector ne rina se pucha, jab bharat shant hua
"inspector.. yeh apni marzi se apni jaydaad mere naam kar rahe hain.. main inki najaayaz aulaad hun isliye.." Rina ne thande dimaag se jawaab diya
"yeh juth bol rahi hai inspector, yeh humein blackmail kar rahi thi .. kya saboot hai tumhare paas rina, ke main apni marzi se yahan aaya hun.."Rakesh ne gusse mein kaha
"Kya saboot hai tumhare paas rakesh ke main tumhe blackmail kar rahi thi.."Rina ne palat ke kaha
"hold on.. didi, kyun ki tum meri behen ho, isliye tumne dad ko pichle 10 din mein jo bhi call kiye sab alag alag prepaid numbers se.. isliye woh toh saboot nahin hai mere paas... lekin haan, kyun ki main tumhara bhai hun, tumhe niraash karna mujhe bilkul acha nahin lagega... " Kehke bharat rakesh ke paas gaya aur uski shirt ka upar ka button jo pura metal ka tha woh nikalne laga.. Dheere se button ko shirt se alag kar ke, woh aagey gaya
"Didi, yeh camera hai.. Isme video recorded hai.. Aap bahut sundar lag rahi ho isme, kasam se.." Bharat ne woh button inspector ko dete hue kaha
"Ms Rina.. Aapko kuch kehna hai... " inspector ne button lete hue kaha
"Lets go Inspector.." Rina ne bas itna hi kaha
"Lekin Mr Bharat aapne toh kaha tha ke yahan 5 log hain, yeh teen, matalb rina , preeti aur mehul.. yeh teeno yahan hai , baaki ke do kahan hain.." inspector ne bharat se pucha
"yahan hai saahab..." Saamne se munna ne jawaab diya jo apne dost ke sath tha aur dono ke haathon mein vikram aur siddhartha the....
"yeh lijiye... bahut mushkil se hath mein aaye hain.. ek toh asaani se aa gaya, lekin yeh dusra bhaagte bhaagte peeche ki taraf gaya.. yeh toh kismat achi hai ke woh thak gaya tha bhaag bhaag ke aur maine use daud ke pakad liya..." munna ne siddhartha ki taraf ishara karte hue kaha... Inspector ne dono ko pakda, aur sab ko leke bahar jaane laga. bahar jaate jaate bhi rina ke chehre pe ek hansi thi.. Bharat ne use ignore kiya aur kuch hi pal mein wahan bas woh 4 hi reh gaye..
"Munna, shukriya dost, yeh le tera paisa... " bharat ne munaa ke hath mein ek brief case diya.. Jab munna ne khol ke dekha toh uski aankhon ki chamak sab kehne lagi
"Kitna hai saahab..." Munna ne apne daant nikalte hue kaha
"Bahut hai.. Jao, ash karo.. shukriya.." bharat ne munna ko bahar bhej diya...
Rakesh aur simi kaafi khush the, shalini ne bhi chain ki saans li, aur sab ek dusre se baatein karne lage..
"Thanks son... thanks a lot.." Rakesh ne bharat ko gale lagate hue kaha... Lekin bharat ke aas paas ho raha hai sab use kuch mehsus nahin ho raha tha... Uske kaano mein bas ghunj rahe the toh Munna ke shabd
"Saahab, yeh daud daud ke thak gaya tha, tabhi mere haathon mein aaya...."
Siddhartha, kabhi thakne walon mein se nahin tha.. Fir agar woh peche bhaaga tha, toh zarur usse meri gaadi dikhi hogi... Agar woh wahan ruka toh usne zarur kuch meri gaadi ko kiya hoga...
"Son.. kya soch rahe ho.. Chalein.." Rakesh ne bharat ko apni baahon mein lete hue kaha
"nothing dad.. shayad kuch zyada hi sochta hun.. lets go.." kehke woh log peeche ke raaste se gaye jahan bharat ki gaadi khadi thi.... Sab log gaadi mein beth gaye
"Chaliye dad, aapko apki pyari car tak chod deta hun.. Lands end tonight ok.." Bharat ne has ke kaha aur gaadi start karke aagey aake rakesh ki gaadi ke paas aaye...
"Chalo baby, u come with mom dad.. Main kuch kaam nipta ke aata hun police station se.. See u in eve.." bharat ne shalini se kaha aur ek good bye kiss di.... Rakesh , Simi aur shalini teeno road cross karke gaadi mein beth gaye.. Saamne bharat wahin khade khade unhe dekh raha tha, unke jaane ka wait kar raha tha.. Simi aagey rakesh ke sath aur shalini peeche bethi thi.. Gaadi mein bethte hi simi ne ek nazar bharat ko has ke dekha aur hath hila ke use kuch ishaara kiya... Rakesh ke chehre pe ek bahut lambi hansi thi khushi ki.... Jaise hi rakesh ne gaadi ke starter mein chaabi daal ke chaabi ghumaayi...
"BOOOMMMM........" ke awaaz se unki gaadi blast hui
Aas paas afra tafri mach gayi.. bharat ki ankhon ke saamne rakesh aur simi ke sath shalini ki bodies padi thi, daud ke bharat wahan gaya, lekin uska koi faayda nahin... jab tak woh wahan pahunchta unki jaan ja chuki thi... jald se jald ambulance bhi aayi, lekin kuch kaam ki nahin.. Cheekh cheekh ke bharat ambulance mein rone laga, uski aankhon se aansuon ke badle jaise khoon beh raha tha.... Kaafi chilla raha tha, kaafi zor se ro raha tha, lekin bharat ki awaaz uske maa baap aur uski biwi tak nahin pahunch rahi thi...
Bharat ab akela pad chuka tha duniya mein, maa baap biwi. uske sath koi nahin tha.... Aaj smashaan ghar mein bhi woh akela tha, uske sath koi rishtedaar , koi dost, koi hamdard nahin tha... Aaj uske dil ke tukde ho chuke the.. Aaj use samaj aayi thi rishton ki ahemiyat, jab tak teeno ke shav jalte rahe tab tak bharat wahin betha ro raha tha... Koi paisa, koi power, koi taakat.. Uske kuch kaam nahin aaya aaj... Police station mein vikram ne kabula ke us gaadi mein bomb usne plant kiya tha , use laga tha shayad bharat jaate jaate gadiyan badal dega kyun ki pura plan khul chuka tha,.. lekin aisa kuch nahin hua.. Shayad jab bharat ne sochna chod diya, tab se hi woh akela ho gaya tha... Agar woh zyada sochta munna ke shabdon ke baare mein, toh us gaadi mein shayad woh hota.. Rina aur preeti pe international police ke cases bhi darj hue.. Siddhartha ko US police ke paas bheja gaya, aur vikram aur mehul Arthur road jail bheje gaye... Bharat ne rakesh ki 80% jaaydaad daan kar di.. 20% leke woh india se kaafi dur chala gaya...
Bharat ab akela rehta tha... Koi dost nahin, koi hamdard nahin.. Subah se leke shaam woh bas samundar ki lehron ke paas betha rehta aur raat hote hi lehron ke paas so jaata.. Shalini aur uske hone wale bache ki yaad aati, toh uski aankhen nam ho jaati.. Simi aur rakesh ke baare mein soch ke uska dil bhaari ho jaata... Aaj uske dimaag mein shalini ke bas woh shabd baar baar aa rahe the
"Hum marenge toh paisa aur power apne sath nahin le jayenge.. Sukoon hai, jo hamare sath rahega... Iske alawa kuch nahin...."
 

Top