NSFW Men Vs Women

Status
Not open for further replies.
Will Change With Time
Moderator
8,532
16,936
143
Ha wo 4 log kya kahege wala takiya kalam
Inhi char logi ne hi to society ki watt laga rakhi hai. Koyi bhi step lene se pahle ham ne na socho ki vo kiya kahega kya sochega to hamara liya hua every one step bilkul sahi hoga
 
Will Change With Time
Moderator
8,532
16,936
143
Aapko pata hain har ku reeti bus aurto ke liye hain. Ghar ki ijaat ghar ki ladkiya hoti hain par ladke vo kuch bhi kare kisi ko pareshani nahin hain

Har reet rivaj ko nibhane ka jo daytv sirf ladkio ko diya gaya hai mai iss rivaj ke hamesha khilaf raha hoon. Iske liye kahi baar mujhe galiya sunne ko mila hai. Wat I don't care
 
Respect All, Trust few!!!
Councillor
6,592
2,774
143
Kuch log ayesa karte hai ham unke bare main kuch kah nahi sakte wah samja main rahne ke layak nahi hote hua
Unn kuch logo ke karan : At least 117 million girls around the world demographically go “missing” due to sex-selective abortions.
Aur yah 2017 ka data hain and abhi 2022 hain toh aap khude soch lijiye
Waise mera ek sawal hai aap se sahi lage to bata dena

maan lijiye aap apne bhai ke liye ladki dekhne jaa rahi hai ...... our wah ladki bhi pasand aai jati hai
our ghar aane ke baad aap ko pata chalta hai wah ladki pure gaaon main badnam hai phir aap kya karogi apni bhai ke sath shadi karwa dogi
Iss sawal ke jawab mein mera bhi ek sawal hain aapse
Mann lijiye aap ki shadi ho gae hain hai aur aap ek happily married person hain par fir bhi aap apni wife ke friends ke saath ya fir aapke office mein fellow female employes ke saath flirt karte hain jaha aapki baat ittni aage badh jaati hain ki aap kisi ke saath intimate kar lete hain aapke dosto ko yah pata chalta hain toh vo aapko stud kahte hain aur aap bhi khush hain. Aapki yah baat kisi taarh se aapke ghar waalo ko pata chal gae tab unka kya reaction hoga.

Do possible reaction: Ek vo yah baat jaahir hi nahin hone denge. Dusra aapki wife mein kami nikalege ki jarure ussme hi koe kami hain tabhi toh aap bahar gae warna thodi jaate

Par agar yah sab aapki wife kare aur fir aapki family ko pata chale tog woh kya kahenge ki character less hain yah...pata nahin kya kya sunaege....

Same action hone par bhi result alag alag hain na. Kyuki patriarchy ne society ko issi tarah se program kiya hain

Agar ladka der raat tak kaam kare toh vo mehnati aur agar ladki kare toh haath se nikale gae.

Aur rahi baat aapke swale ki toh kisi aur ko judge karne ka right mera nahin hain agar vo ladki badnaam hain toh kya ek wajah hi hain ki vo badnaam ho kya aur vajah nahin ho sakti khude vichar kijiye
 
Hasinaon ki ek muskurahat hi jaan leva hoti hai
2,007
1,536
143
Unn kuch logo ke karan : At least 117 million girls around the world demographically go “missing” due to sex-selective abortions.
Aur yah 2017 ka data hain and abhi 2022 hain toh aap khude soch lijiye

Iss sawal ke jawab mein mera bhi ek sawal hain aapse
Mann lijiye aap ki shadi ho gae hain hai aur aap ek happily married person hain par fir bhi aap apni wife ke friends ke saath ya fir aapke office mein fellow female employes ke saath flirt karte hain jaha aapki baat ittni aage badh jaati hain ki aap kisi ke saath intimate kar lete hain aapke dosto ko yah pata chalta hain toh vo aapko stud kahte hain aur aap bhi khush hain. Aapki yah baat kisi taarh se aapke ghar waalo ko pata chal gae tab unka kya reaction hoga.

Do possible reaction: Ek vo yah baat jaahir hi nahin hone denge. Dusra aapki wife mein kami nikalege ki jarure ussme hi koe kami hain tabhi toh aap bahar gae warna thodi jaate

Par agar yah sab aapki wife kare aur fir aapki family ko pata chale tog woh kya kahenge ki character less hain yah...pata nahin kya kya sunaege....

Same action hone par bhi result alag alag hain na. Kyuki patriarchy ne society ko issi tarah se program kiya hain

Agar ladka der raat tak kaam kare toh vo mehnati aur agar ladki kare toh haath se nikale gae.

Aur rahi baat aapke swale ki toh kisi aur ko judge karne ka right mera nahin hain agar vo ladki badnaam hain toh kya ek wajah hi hain ki vo badnaam ho kya aur vajah nahin ho sakti khude vichar kijiye
Agar maan lo pati ka sambandh hai kisi ke sath to patni apne pati ko chhod sakti hai ......... Magar wah ayesa nahi kar sakti hai q ke uske baad patni ko mushkilon ki samne karna padega our sath main uske maa baap bhi preshan honge to wah patni nahi chhod sakti pati ko

our jo aap patni ke bare main boli wah sahi hai magar ye bhul rahi usme jayada jalil karne wali aurat hi hoti hai

Maine ye nahi kaha wah kis liye badnam hai

wah badnam hai ladkon ki wajah se hi tab aap kya karegi ye mujhe janna hai
 
Respect All, Trust few!!!
Councillor
6,592
2,774
143
Ye patriarchy ka matlab hi kuch or hota h par ise feminism ke sath jod kar alag Nazar se dikhaya jata hai
Patriarchy ka mean yah hain ki ghar ke finincial decision se lekar kon kya karega yah sab ghar ka male decide karega.

Agar usse sahi lagta hain bacchi ko padhna chahiye toh vo padhegi agar usse lagta hain ki bachi bus 8th tak ya 10th tak padhegi toh bus waha tak.

Usske naukri karni hain ya nahin dusre sahar padhna hain ya nahin sab kuch wahi.
Aur rahi baat society ki toh aapko yah news toh pata hogi jo aksar log kahte hain jawan ladki ko addhi raat ghar se bahar nahi niklna chaiye shaam 5 bje ke baad kaam karna safe nahin.
Yah kabhi boys ke liye nahin suna aapne suna hain kya?
Hamare desh me bahut si jagah matriarchy bhi practice me h....jaise north east States like Assam Meghalaya.... yaha to pura female domination h
Or south ke bhi bahut se regions me log matriarchy hi follow karte h ...
Kya matriarchy mein yah decide huva ki konsa ladka kaha tak padhega ya kya karega. Nahin na.
Mein matriarchy nahin chahti aur na hi patriarchy mujhe centriarchy chahiye jaha har jagah dono ko decision lene ka haq ho.
Asal me iska karan bhi females hi h bachpan se hi ek maa bhi apne bete or beti me pakshpat karne lagti h....or beti ko paraya samjh kar jeete h...jabki ek maa apne bacho ki piv rakhti h....agar neev hi aisi hogi to society me thoda asar to hoga hi na...
:haha: uss maa ko yah kisne sikhaya iss society ne. Jab ladka paida hota hain na toh log kaafi dhum dhaam se celebrate karte hain par agar ladki hue toh kya uske liye bhi yahi hain. Nahin na.

Jab ladki ko janam diya toh uss maa ko taane nahin milte. Are dusro se toh chodho uska khude ka pati jeske liye wo apna sab kuch chodh kar aa gae. Kya wo uska saath deta hain. Agar ha toh kyu har saal 73.2 lakh womens ko har saal ghar se nikal diya jata hain kewale iss liye ki ussne ladke ko janam nahin diya.

Aapne society ki jhutti khoobshurti dekhi hain uski asli badsurat shakal nahin dekhi. I
(meri koi bhi baat maa ke smman or pyar ke khilaf nahi hai...ye sirf equally ke liye bola h)



Ye baad Puri tarah se sahi nhi h....jitna anmol ye bandhan ek patni ke liye hota h ye bandhan utna hi anmol ek pati ke liye bhi hota h....
Kya aap sure ho?
Bas isme ek farq aa jaata h...ab itna to aap jaanti hi h ki science ke reference se ek mahila ek purush ke mukable man mastishk se jyada kabil hoti h....to patniya apni sabhi pareshaniyo ko ache se deal karne ki koshish karti rehti h ....par aadmi iske sar par bhi bahut si jimedariya hoti h par ye bahut jaldi haar maan leta h....or aksar pati patni ke rishte bhi isi karan kharab hote h...
Work pay mein yah baat kyu nahin dekhti. Same work agar male kare toh usss jayada pay kiya jaata hain jabhi as this so called science fact , womens jayada capable hain. Toh fir govt ko yah law kyu lana pada ki "Right of Equal Pay" ?
Or rahi sehne ki baat to bahut si baate mard bhi sehte h lekin unhe apni bhavnao ko vyakt karna sikhaya nahi jata....
Ha men ro nahin sakte yah rule bhi toh diya hain patriarchy ne.
Or mere khayal se ye man or tan wali baate college tak hi hoti hai...uske baad to ladkiya paisa or naukri dekhti h...:laugh1:
Aur ladke kya dekhte hain ???
Jokes apart... atlast i just want to say...ki har society me do pehlu hote h ek taraf Ghana andera h to ek tarah sunhari roshni bhi h....
Thats true. I agree.
Hum kinhi gine chune examples se pure group ko judge nahi kar sakte.... women's are same as men for our society....and the
society is changing....
Agar real mein same treat kiya jaata toh yah last line nahin likhte aap "Society is changing"
 
Status
Not open for further replies.
Tags
many

Top