- 167
- 473
- 63
UPDATE 21
Recap -
Aanchal ne iske jwaab me koi utter na diya...bas mujhe dekhti rahi...aur me use...kafi time yehi hota rha...fir wo dhire se apni khoniyo par hui...aur mere gaalo par apne narm hooth rakhkar...ek chumban diya...aur fir wapas let gyi...mujhe uski ye harkat kuch samaj na aai...par puncha bhi kuch nahi...aur fir se ek khamoshi bas gyi kamre me...thakan ke karan...neend ki ek chadar meri jism par bich gyi...
aur me kahabo ki duniya me kadam rakh diya...jha Aanchal thi aur me tha...
Ab aage -
Meri aankh room me ek aahat se khuli...dekha to wha Niti khadi thi...uske chere par ek pyari se muskan thi...usne apne haat se thumbs up ka ishara kiya...jo mujhe kuch samaj na aaya...aur apne haato me thami hui trey...jisme coffee thi 2 cup use tabel par rakh diya...mene kuch puchna chaha to usne ungli se bed ki aur ishara kiya...mene dekha to wha Aanchal soi thi...mene fir Niti ki aur mudkar dekha to usne hotho par ungli rakhkar...chup hone ka ishara kiya aur chup-chap room se bahar nikal gyi...
Uske jane kae baad mene fir aapna dhyaan Aanchal ki aur kiya...khidki ke pardo se chanti hui dhoop uske chere par pad rhi thi...jise unke chere par ek halki bechani dikhi...mene apne haato se us dhoop ko rok liya...aur turant Aanchal ke chere par ek pyari si smile aa gyi...mene fir haat hataya to fir becheni...aur haat adaya to smile...me ye khel kuch waqt khelta rha... akhiri bar jab mene haat htana chaha to Aanchal ne mera haat tham liya...
AANCHAL:
Badi masti suj rhi he tujhe subhe-subhe...
(ye bolkar wo turant beth gyi aur mujhe gud-gudi karne lgi)
Waise mujhe gud-gudi ho nhi rhi thi par fir bhi me jhutmut hasne lga aur bed par lot pot...Aanchal ne kuch der gud-gudi ki aur fir mere bagal me shant let gyi...usne apna ser meri baju par rakh liya...aur haat meri chati par...
AANCHAL:
Aaj bahut dino baad itni achi neend aai he...
(usne apne haat chati par ghumate hue bola)
ME:
Ha jabhi tu 10 bje tak soti rahi...
(uske haat ko rokte hue ghadi ki aur ishara kiya)
AANCHAL:
Kyaaa...10 bj gaye...oh shit
(wo turant bed se khadi hui aur bathroom ki aur bhagi)
Me waise hi leta hua uski is harqat ko dekhta rha aur muskurata rha...aaj Aanchal ke saat itni khubsurat subha se mera mood kafi acha tha... par saat hi raat Niti ki dwara di hui jankari ke karan ek bechani bhi...khair kuch waqt baad Aanchal bahar aai...
AANCHAL:
Are tu abhi tak leta he...chal jaldi tyar ho hame docter ke paas bhi jana he...
Waise me bilkul theek tha...aur dard bhi kafi kam tha kaan me...par fir bhi itno dino ke baad Aanchal ke saar bahar jane pa moka mila tha isliye mene koi virodh nahi kiya...Aanchal ye bolker neeche chali gyi tayar hone...aur me bed ke khada ho gya...meri nazar table par rakhi coffee par gyi...mene ek cup utha liya aur dusra jo Niti Aanchal ke liye lekar aai thi use wahi rehne diya...me coffee pite hue khidki se bahat jhank rha tha...aur saat thi mene pareshaniyo ke bare me ghen chintan kar rha tha...kya phele samasyaye kam thi mene samne jo ab ye ek Jonny aur aa gya...par jo sab se ajjeb bat thi wo kal Niti ki di hui jankari...jo mujhe ander dra rahi thi...shayad Jonny se bhi zada...mene coffee khatam ki aur tyaar hone lga...me tyaar hoker...room se bahar nikla...samne Niti ke room ka darwaza khula tha...mene socha ek baar Niti ke mil leta hu...me room ke ander gya par wha koi nahi tha...me mudne wala tha to wha ek kitab rakhi thi...mujhe jigyasa jui akhir Niti kya padh rahi he...mene jaker wo kitab utla li...usme ek bookmark rakha tha...me us page ko khola...to wo ek kavita thi...aur uske kuch chand Niti ne highlight kar rakhe the...mene wo highlighted line padha shuru ki...
जो नर आत्म-दान से अपना जीवन-घट भरता है,
वही मृत्यु के मुख मे भी पड़कर न कभी मरता है।
जहाँ कहीं है ज्योति जगत में, जहाँ कहीं उजियाला,
वहाँ खड़ा है कोई अंतिम मोल चुकानेवाला।
व्रत का अंतिम मोल राम ने दिया, त्याग सीता को,
जीवन की संगिनी, प्राण की मणि को, सुपुनीता को।
दिया अस्थि देकर दधीचि नें, शिवि ने अंग कतर कर,
हरिश्चन्द्र ने कफ़न माँगते हुए सत्य पर अड़ कर।
Un lineyo ko padkar me kuch der kho sa gya...kitni gherai thi unke ander...me ye sab soch rha tha ki room me Niti aa gyi...
NITI:
Are tu yha he me tujhe sara me dund rahi hu...chal nasta karle...
Mene wo kitab wapas usi jagah rakh di...aur mudkar Niti ki aur dekha...usne bhi mujhe kitab ko rakhte dekh liya tha...
NITI:
Are ye book meri favourite he kabhi-kabhi man hone par pad leti hu...hihihi...waise tum kya padh rhe the usme...
ME:
Bas wohi jo tumne highlight kar rakha tha...achi line thi...
Niti ne muskurakar meri baat me svikrati jatlai...fir me aur wo neeche aa gaye...jha mahool kafi rangeen lag rha tha aaj...haal music se gunj rha tha aur Aanchal prathe bna rahi thi...jo pure hafte me pheli baar tha...me dinning table par beth gya..jha se wo mujhe saaf dikh rahi thi...me betha hua use nihar rha tha...uske mathe par aati pasine ki halki bunde...uski lato ka bar-bar uske chere par aa jana...jise wo apne kan ke peeche karti...is wajah se uske chare par halka aata bhi lag gya tha...jo bahut funny lag rha tha...me in sab vicharo me khoya hua tha..."hmmmm" ki awaz aai jo aesi thi mano koi gla saaf karta he bolne se phele...mene awaz ka picha kiya to paya Niti meri mei aur hi dekh rahi he...uske shere par ek shetani muskan he...use yo apni aur dekhta pakat me halka jhep gya...
ME:
Aaj kal garmi bahut ho rahi he...he na?
(situation kar rukh mudne ke liye mene bola)
NITI:
Ha tumhe to kuch zada hi lag rahi he...hihihi
(usme wasi hi shetani muskan ke saat jwab diya)
Are ye sab chodo tumhara wo room wala kaam ho gya he...shaam me shift kar lena...
ME:
Are ye kab hua?
(mene chokte hue pucha)
NITI:
Janab jab aap aaram farma rahe te maharani ke saat
(Aanchal ki aur ishara karte hue usne bola)
Me uski bat par thoda jor se has pada...jise Aanchal ki nazar hampar padi...
AANCHAL:
Kya baat he tum dono ho badi hasi sujh rahi he aaj subha-subha
(usne kitchen me se pucha)
NITI:
Are kuch nahi hum to Raj babu ki maharani ki baat kar rhe the...hihihi
(Niti ne meri aur aank markar bola)
Me uski baat par thodo vismit ho gya...par use shayad koi farak nahi pada...
AANCHAL:
Maharani?...
(Aanchal ne meri aur swaliya bhav se dekhkar pucha)
ME:
Are kuch nahi Aanchu ye to waise hi bad-bad kar rhi he...
(mene ghurkar Niti ki aur dekha jise wo hasti hui shant beth gyi...)
Par shayad Aanchal meri baat he satisfy nahi hui thi...kyuki wo kuch second meri aur dekhti rahi... jaise abhi kha jayegi...jo bhav mujhe samaj nahi aaye....
ME:
Ye Mehreen dikhai nahi de rahi kha he?
NITI:
Use kuch kaam tha to...wo bahar gyi he...
ME:
Yaar mujhe na uski kafi chinta ho rahi he...ek to wo club me dancer bhi nahi...aur...
(me ye Niti se dhime swar me bola rha tha)
NITI:
Mujhe bhi isi baat ko lekar tension me hu... ye jonny bahut harami cheez he...uper se Mehreen ko zada waqt bhi nahi hua he idher...aur sabse badi baat wo dancer bana bhi nahi chati...
(Niti ne meri baato ka sanjeeda hoker jwab diya)
Uska kuch sochna padega...
(usne kuch der sochkar bola)
Tab tak Aanchal bhi nasta lekar aa gai...use plate mere samne rakhi...mene uski aur dekha...wo meri hi aankho me ghur rahi thi jaise abhi kha jayegi moka mila to... me samaj gya ye shayad Niti ke joke ke karan he...
kher me us waqt kuch na bola...ham teeno nasta karne lge... Niti apni hi suna rahi thi...aur Aanchal aur me uski bato ko sun rahe the... beech-2 menazar bchakar Aanchal ki aur dekhta...to use apni aur ki ghurta pata...aese hi nasta khatam hue...
AANCHAL:
Tu yahi ruk...me abhi tayar hoker aa hu...fir chalte he...
(nasta khatam hote he wo boli)
Mene bas gardan 'ha' me hila di...aur wo apne room me chali gayi...
NITI:
Kha jane ka plan he?
Mene use raat jo Aanchal ne docter wali baat bolti wo bta di...fir mujhe kuch yaad aaya...
ME:
Niti kya me tera computer use karlu
NITI:
Ha karle isme puchne wali kya baat...
Mene Niti ka computer on kiya...mujhe kuch jwab chahiye the...jo shayad mujhe us dark forum par hi mil sakte the...mene usme log in kiya...aur club ka naam dala... kafi article samne jaye...jimne se jadatar me padh chuka tha...mene fir se har ek article open kiya kuch swal ke jwab me par kuch na mila jise meri curiosity khatam ho gaye...me thak har kar neth gya...tabhi meri nazar us article par padi jisme maps the...me wo open kiya...to author ke naam likha tha 'Dmitri Vladimirovich'...par iske alawa koi aur jankari nahi thi...mene author ka naam copy kiya... aur fir se us forum me paste kar diya...2 result samne aaye...mene phela result open kiya...usme batay gya ki dmitri vladimirovich ek famous russian architect the...jinki maut December, 2018 me ek car accident me St. Petersburg me hui... ye suchna mere liye ek shock se kam nahi tha...
is information ke baad situation aur ulaj gyi thi...mene dusra result open kiya...usme bhi "dmitri vladimirovich" ke bare me... unke kaam ke baare me btaya gya tha...aur saat hi ek research papar bhi attach tha...mene wo research paper download kiya... aur use open kiya... wo research paper kuch building material ke uper tha...par kamal ki baat ye thi use... sirf "dmitri vladimirovich" ne nahi...uske saat ek co-author ne bhi likha tha aur c0-author ka naam tha "Jagbeer Singh Sindhu"... dono naamo ke neeche unka email address aur phone number diye hue the...mene uska ek snap le liya... shayad ise hi aage ki pheli sulaj jaye...abhi me snap lekar hta hi tha... Aanchal yha aa gayi...
AANCHAL:
Are tu yha betha he chalne nahi he kya...
Mene hami me gardan hilai...aur computer shutdown karke uske saat neeche aa gye...me nai informatiom ke baare me sochta hua car ki aur badh gya...
AANCHAL:
Are wha kha ja rha he
ME:
Hmm..car ki aur...hame docter ke paas jana he na...
(mene use bina dekhe hi jwab diya)
AANCHAL:
Nahi aaj ham car se nahi...teri bike se jayenge...
(bike ki aur ishara karte hue usne bola)
Me bas muskura diya...aur bike ko garage se bhar nikal diya...me bike par beth gya...bike start ki...Aanchal mere peeche beth gai...mene bike aage badha di... bike sadak par satpat dod rahi thi...kafi der ho gai wo kuch na boli...
ME:
Aanchu kidher jana he...
AANCHAL:
Aage se left le le...aur fir right..blah blah
(usme mujhe docter ka address btate hue bola)
Me uski di hui instructions ke anusar chalne lga...
AANCHAL:
Ye subha tu aur Niti kya baat kar rahe the...
(usne peeche se pucha)
ME:
Are kuch nahi wo to waise hi mazak kar rahe the...hahaha
Fir wo kuch na boli...aur ham docter ke clinic par paunch gaye...hamne appointment liya jo 10 minute baad ka tha... ham dono udher ki beth gye...hum dono sant bethe the... par kabhi-kabhi wo meri aur dekhti fir shant beth jati...mujhe aaj uska ye behaviour thoda azeeb lag rha tha... kher hamara number aaya...docter ne thoda dekha...aur ghav ko mamuli bta diya...aur jakm sukhne ki dawai de di... hum dono clinic se bahar bike ke paas aa gye...
ME:
Dekha mene bola tha na kuch nahi he...mamuli si choothe...
AANCHAL:
Hmmm...par meri tasali ho gyi naa...
(wo kuch kohi hui si boli)
ME:
Ab kya karna he?
(use khoya dekh me bola)
AANCHAL:
Ache ye bta wo maharani wala kya chakar the...jo tu Niti ke saat baat kar rha tha...
(usne sanjeeda bhav se bola)
ME:
Are yaar Aanchu tu abhi tak use lekar bethi he... wo bas ek mazak tha jo Niti ne mere se kiya tha...hahaha
Par ye sunkar bhi Aanchal ke chere ki shikan na gyi...
AANCHAL:
Tu na yha kisi ladki-wadki ke chakar ne mat padiyo... yha ki ladkiya bahut badmash he...aur tu bahut seedha he... tujhe kab bevkuif bna dengi tujhe pta bhi nahi chalega...
(usne meri aankho me dekhkar bola)
Par uski aankho me meri fikar ke saat kuch aur bhi tha jo me dekh to pa rha tha...par samjha nahi...
ME:
Acha tujhe kaise pta yha ki ladkiya badmash he...hihihi
(mzaka me bola)
AANCHAL:
Bas mujhe pta he aur tu unse dur rahiyo...samjha
(usne chetate hue bola aur wo bhi ungli uthakar)
Jo shayad aaj peheli baar usne mere se kha tha...
AANCHAL:
Chal ab mujhe kuch shopping karni he...
(wo bike ki aur badhte hue boli)
Me bhi uske peeche chal diya...Aanchal ke is change rawaye ke bare me sochta hua.