Incest NAZAR

Aap ko ye story kesi lag rahi hai.......


  • Total voters
    17
β˜† it's me β˜†
997
1,610
143


482123

Uski Nazar Ke Jhaase Main Mat Fasna.....
Uske Ulte Pair Dekhanewaalo Ki Ulti Ginti Shuru Ho Jaati Hai........
Uski Choti AapKi Umar Chhoti Kar Degi.........

maxresdefault

To guys pesh hai aap ke liye

New story Nazar..........

Thriller,Horror,Drama,Incenst


Note : Es story mai family induction nahi de raha hu kiyu ke ye story thoda alag hai jese jese Charecters aayenge aap to pata chal jaayega Story Acchi lage to like πŸ‘ daba ke dena or comments karna naa bhule or koi yaha faltu ki bakchodyi naa Pele

yah ek fantasy Kalpaik hai jo kewal manoranjan haitu hai Ham alokiki,andhvishwash ya jaaduyi parathao mai aashtha ko samrthan yaa badhawa nahi dete

Note : Updates ko raat mai read kare Kiyu ke horror ka maza raat mai aata hai
 
Last edited:
β˜† it's me β˜†
997
1,610
143
Note : Agr ho sake to Updates ko raat mai read kare Kiyu ke horror ka maza raat mai aata hai..........
 
β˜† it's me β˜†
997
1,610
143
Tum to bade khatarnaak reader ho bholu bhai updete ka postmortem kar diya pura kuch line aur likhte to updete chota pad jata aur writer fir aur bada updete likhta :lotpot:
Rahul Sir ji Bholu bhai nai update ka postmortem to kiya par lagta hai corona time ka report bana diya :lol1:

Kota se chate huye doctors aese hi krte hai :d
 
Member
1,531
1,618
143
Update 5



β˜† Chapter : Maut ka pahla sanket β˜†


Ab Tak..............
.
.
.
.
Abhi : Yrr ye tune kyaa , jab se ladki ki awaaj laga kar rkha hai , jab se yaha par aaya hai kah raha hai ladki ki awaaj ladki ki awaaj , kis ladki ki awaaj ki baat kar raha hai tu...?

Yug : yrr pata nhi par sach mai maine 2,3 baar kisi ladki ki awaaj suni............

Yug apne beg mai se blanket nikal leta hai aur dono use bicha kar usi par so jaate hai..........

.
.
.
.
Ab Aage...............
.
.
.
.
Chandni raat thi aur yug ek ladki ke saath nadi ke kinare betha hua tha choti choti lahre baar baar un dono ke pairo ko sparsh kar rahi thi Yug ka chehra to saaf saaf dikh raha tha par ladki ka chehra clear nhi dikh raha tha us ladki nai kaale rang ki saree pahni hui thi , usne apna sir yug ke khandho par rakha hua tha dono hi ek dusare se chipke kar bethe huye thye wo ladki aasmaan mai dikh rahe chand ko dekhte huye khati hai

Ladki : ek baat puchu aap se..?

Yug : ( pyar se kahata hai ) H puchu naa , esmai itna hichkichane waali Kya baat hai

Ladki : " Aap mujhe bhuloge to nhi naa"...?

Yug bade pyar se bolta hai........

Yug : Tum bhulne waali koi chiz thodi ho jo mai tumhe bhulunga , tum to wo ho jise mai jindgi bhar apne pass rakhna chahta hu , apni baho mai bhar kar

Itna kahakar yug us ladki ki kamar par haath rakhta hai aur use apne sine se sata leta hai

Wah ladki yug se dur hatte huye kahati hai......

Ladki : koi baate banana to aap se sikhe......acha chaliye yah bataiye mai aap ke liye kya hu..?

Yug : kya hu matlb...?

Ladki : Matlb yah ki mai aapki zindagi mai kya " ahmiyat" rakhti hu......?

Yug us ladki se mazak karte huye kahata hai......

Yug : Tum Kuch " ahmiyat" nhi rakhti meri zindagi mai , meri zindagi mujhse hai naa ki tumse

Yug ka jawab sunkar wah ladki naraz ho jaati hai aur muh fulaate huye kahati hai.......

Ladki : Matlb itne dino se jo kuch aap mere saath kar rahe hai wah sab dikhawa hai......sab ladke naa ek jese hote hai , unhe ladkio se bas ek hi chiz chahiye hoti hai aur wo hai unka jism , jaha aap logo ka matlab nikalta hai aap log hamse muh fer lete hai

Itna kahakar wo ladki waha se uthne lag jaati hai , tabhi yug uska haath padkte huye kahata hai.....

Yug : are tum to naraz hi ho gyi mai to mazak kar raha tha meri jaan , tum janna chahti thi naa ki meri zindagi mai tumhari kya " ahmiyat" Hai to gor se suno

Itna kahakar yug us ladki ko pir se apne pass betha leta hai or uski aankho mai dekhte huye kahata hai........

Yug : Tum meri zindagi ki "H2o" ho

Ladki : H2o hu matlb.....?

Yug : Matlb tum meri zindagi ka paani ho jise pikar mai apni payas bujhana chahta hu , tum meri zindagi ki Oxygen ho , jise mai apni saso mai bhar kar Jina chahta hu

Itna kahakar yug us ladki ke karib chala jata hai itne karib ki agar ab wo jara sa bhi aage badhata to uske honth us ladki ke hontho se takra jaate

Wah ladki ek lambi Aahhhhhh bharte huye kahati hai...........

Ladki : Aap ruk kiyu gye , bolte rahiye

Yug : Tum meri zindagi ka wah hasin kharab ho jise mai roj dekhta hu , tum meri zindagi ka wah sukun ho jo mujhe tumhari baaho ke siwa khi aur nhi milta , tum meri zindagi ka wah hissa ho jiske bina mai kuch nhi , sach to Yah hai ki mera tumhare bina koi wajud nhi

Yug ko pata hi nhi chal pata ki kab baate karte karte uske honth us ladki ke hontho se takra jaate hai dono ke hi honth chipak gaye thye , thik us tarh jis tarh bhawra ful se chipakta hai jab yug aur wah ladki ek dusre ko sparsh karte hai to dono ko apne apne badan mai ek kapkapi si hoti hai , aur dono ek dusre ko apni baho mai bhar lete hai wah dono kab ret ( sand ) par let jaate hai unhe pata hi nhi chalta

Us ladki ki kaali saree mai yug puri trh guth chuka tha , koi es baat ka andaja hi nhi laga sakta tha ki us ladki nai saree bhi pahni hui thi aesa lag raha tha jese wo saree ek chadar ho jismai wo dono samay huye thye us ladki ke badan ka ek ek ang yug ke ang ke saath sparsh ho raha tha dono ek dusre mai samahit ho gye thye un dono ke rom rom mai Aag πŸ”₯ lagne lag gyi thi Yug us ladki ke bahot karib chala gaya tha itne karib ki tez tez chal rahi us ladki ki dil ki dhadkan ko wo saaf saaf sun paa raha tha yug ka man hi nhi kar raha tha us ladki ke badan ko chhodne ka usne apne sarir ki puri taakat lagakar uske badan ko apni baho mai jakda hua tha

Wah ladki badi himmat se apne haath chudate huye yug ko ret ( sand ) par letaati hai or ek ek karke uske shirt ki buttone kholne lag jaati hai Yug apne aap ko us ladki ko soup deta hai or ret par hi letkar Aahe bharne lag jaata hai

Wah ladki yug ke shirt ki buttones khol deti hai or uske maathe ko chumne lag jaati hai

Wah ladki yug ke maathe ko chumte huye kahati hai

Ladki : Aap mujhe mujhe bhuloge to nhi naa

Yug : Nhi mai tumhe nhi bhulunga , kbhi nhi

Wah ladki baar baar yug ko chumte huye bs yahi bole jaa rahi thi aap mujhe bhuloge to nhi naa or yug kahata nhi kabhi nhi yug ke andar ki garmi bhadte jaa rahi thi wah yug ke maathe ko chumne ke baad niche aane lag jaati hai or uske sine ko chumne lagti hai Yug ke ander ki uttejana badhte jaa rahi thi uska pura badan pasine se bhing chuka tha uske maathe or badan par pasine ki badi badi bunde thi , use apne pure sarir mai garmi ka ahsas hone lag jata hai , use aesa lag raha tha jese wo kisi Aag πŸ”₯ mai tap raha ho dekhte hi dekhte garmi itni badh jaati hai ki uski nind tut jaati hai aur wo apne sapne ( dream ) mai se bahar aa jata hai

Yug jhatke ke saath uthate huye kahata hai......

Yug : "Oh my god fir wahi sapna" ( dream )

Itna kahkar yug apne maathe ka pasina pochne lag jata hai , uska pura badan pasine se lathpath ho gya tha

Yug : ( man mai ) Kiyu baar baar ek hi sapna aata hai Aakhir wo ladki kon hai jiske saath mai ye sab karta hu , itne karib to mai aaj tak apni zindagi mai kisi ladki ke nhi gya , kon hai wo ladki kya sambhand hai mera uske saath...?

Itna sab soche huye yug apni jagh par khada hota hai apne beg mai se paani ki bottle nikalta hai aur paani pite huye phir sochne lag jata hai

Yug : ( man mai ) ye sapna mera picha kiyu nhi chhodta , Banglore Mai bhi yehi sapna dikhata tha or yaha par bhi , sapne Mai jo nadi thi wo to kishnoi nadi thi , par wo ladki kon thi aur uska chehra mujhe kiyu nhi dikhata kabhi

Yug wapas let jata hai or kothi ki chat ko dekhte huye sochne lagta hai..........

Yug : ( man mai ) nadi to mil gyi , ho sakta hai wo ladki bhi mil jaaye , bas ek baar wo ladki mil jaaye phir ye saare sapno ke raaj khul jaayenge , kuch na kuch connection to jarur hai mera us ladki ke saath , aese hi sapne nhi aate wo bhi sex waale

Yehi soche huye yug ki kab nind lag jaati hai , use pata hi nahi chalta hai

Subha ho gyi thi aur subh ke saat ( 7 : A.m ) baj rahe thye abhi abhi tak gahri nind mai so raha tha Tabhi murge ke baag deni ki awaaj sunai deti hai aur abhi ki nind khul jaati hai Abhi ubaasi lete huye apni aankhe kholta hai or dekhta hai ki yug usse pahle hi uth kar betha hua tha or kuch soch raha tha

Abhi : Are yug tu kab uth gya or subh subh itni gharai ke saath kya sochne lag gya

Pahle yug ke man mai aaya ki wo use apne sapne ke baare mai bataye par pir agle hi pal usne socha ki abhi use pagl naa samjhle isliye usne kaha

Yug : kuch nhi yrr bas aese hi betha hua tha

Abhi : wese tune bataya nhi...?

Yug : kya nhi bataya...?

Abhi : yahi ki tune Banglore kiyu chhod diya , tera yaha aane ka maksad kya hai...?

Yug : yaar maine bangalore ko nhi chhoda hai balki bangalore nai mujhe chhod diya hai

Abhi : Matlb mai kuch samjha nhi tu saaf saaf batayega batana kya chahta hai

Yug : matlb yah ki meri bangalore mai jo aunty rahti hai na unke ghr mai rahta tha or apni padai ke saath saath job bhi karta tha waha Aunty ke ladke se meri banti nhi thi or meri jo job thi wo bhi chali gyi es liye yaha aagya

Abhi : kya kaha job chali gyi par kese

Yug chup rahta hai kuch jawab nhi deta hai

Abhi : Are tu chup kiyu hai batana aakhir teri job kese chali gyi...?

Yug : mai ek online company mai job karta tha mujhe company join kiye huye 1 saal hi huya tha sab kuch thik chal raha tha aesa lag raha tha ki life set ho gyi ho or es company mai future set ho jaayega , par jesa hum sochte hai wesa hota kaha hai , hota bhi kese zindagi mai sab chize hamare mutabik hone lage to use zindagi nahi koi film ki kahani kahte hai

Abhi bich mai hi Tokte huye kahta hai......

Abhi : yrr tu baate ghuma mat sidhe sidhe bata hua kya tha

Yug : sab thik thak chal raha tha ki tbhi ham logo ko bataya gya ki company lose mai chal rahi hai jiske karan company ki financial condition kharab ho gyi thi financial condition se ubharne ke liye company nai pachas ( 50 ) employees ko nikalne ka fesala kiya tha or jab list aayi to us list mai mera bhi naam tha

Abhi : chal yah sab to thik hai esmai company ka lose ho raha tha jisse tujhe bhi nikal diya teri ye baat samjha raha hu mai par pir tune dusri company mai koi job kiyu nhi kiya aesa to tha nhi ki duniya mai bs ek hi company hai

Yug : tujhe kya lagta hai mai bewkuf hu , pichale 6 mahino se try kar raha tha par kuch nhi hua , job halwa thodi hai ki yu mil jaaye , milti bhi hai to kaam ki nhi milti uper se payment kam

Abhi : mtal tujhe 6 mahine pahle hi job se nikal diya gya

Yug : Hmm 6 mahino se job ki talash mai saving bhi kahtam ho gyi , halat itni kharab ho gyi ki college ki padai ki fees or room ka rent nhi de paa raha tha is liye bangalore chhod kar gao aana pada

Abhi : tu to apni aunty ke ghr par rahta tha n to Ye room rent kiyu

Abhi : mai jab 20 saal ka hua tb aunty ke ladke se meri banti nhi thi es liye mai rent par rahne laga

Abhi : ek baat meri samjh mai nhi aarhi hai yrr , college ki fees room ka rent tu apni mom se bhi maang sakta tha naa...?

yug : dekh bhai mai unki koi help nhi lena chahta hu mai apne pero par khud kahada hona chahta hu

Abhi : log job karne ke liye gao chhod kar shahar jaate hai par tu pahla aesa shaks hai jo shahar chhod kar gao aaya hai , bata phir kya socha hai yaha gao mai aakar kya karne waala hai tu

Yug : Maine gao mai ek startup kholne ka faisla kiya hai

Abhi : kesa startup....?

Yug : organic kheti ka startup

Abhi apna muh fhadte huye kahta hai.........

Abhi : kiya kha Hahahah kheti

Yug : kheti nhi organic kheti dono mai antar hai , maine dekha hai aaj kal bade bade businessman apna sab kuch chhod kar organic kheti kar rahe hai kiyu ki yah bhi ek acha business hain , or mujhe yakin hai mai bhi kar sakta hu or ese ek acha startup bana sakta hu

Abhi : H ye sab pata hai mujhe par tu ye bata tujhe kheti karni aayi bhi hai

Yug : aati to nhi Hai par H shikh jaunga

Abhi : wo kese...???

Yug : yrr aaj kal youtube sab sikha deta hai live bhi hote hai , or wese bhi internet shirf WhatsApp,Instagram,Facebook use karne ke liye nhi hote hai samjha

Abhi : chal ye bhi thik hai , par tu kheti karega kaha tere pass zamin bhi hai kheti karne ke liye

Yug : abhi tu andha hai kiya tune Graveyaad kothi ke bahar jo 2 hectar zamin khaali hai wo nhi dikhi kiya

Abhi : beta wo zamin nhi kabistan hai , tu sayad bhul raha hai teri ye Graveyaad kothi kabistan ke uper bani hai , tu kabistan ke uper kheti karna chahta hai

Yug : yrr abhi tu kesi baate kar raha hai , koi 2 hectar mai kabistan banata hai kiya , ho sakta hai bas ye kothi kabistan ke uper bani ho , Baaki jagh thik ho or ek baat bata tu mera dost hai naa to tujhe to mujhe motivat karna chahiye kheti karne ke liye ki Mai kuch naya krne jaa rha hu esmai employment bhi bhadega or desh ki tarkki bhi hogi , tu mujhe itna demotivat kiyu kar raha hai

Abhi ko apni galti samjh mai aajati hai or wo kahata hai.....

Abhi : sorry yrr , mai bhul gya tha ki insaan ko nokari karne ke nhi balki nokari dene ke kabil banna chahiye , tere es kaam mai mai puri tarh tere saath hu bas tu ek awaaj lagana ki kya maddat chahiye tujhe or Jhat se hajir ho jaunga

Yug : sukriya yrr , jab tere jese dost mere saath hai to koi bhi chunoti mujhe nhi rok sakti to phir kaam suru kare

Abhi : kesa kaam...?

Yug apne Charo trf dekhte huye kahta hai......

Yug : yrr tu phir bhul gya , kal raat mai maine kaha tha naa ki subh uthte hi phla kaam yah krenge ki kothi ki safai karenge , dikh nhi raha kitni dhul hai yaha par

Abhi : Ha yrr baat to teri bilkul sahi hai , par tu khud dekh kitni badi kothi hai agr ham dono 2 bin tak bhi lagatar safai karte rahe tab bhi puri dhul saaf nhi hone waali

Yug : to phir kya kre , tu chahta hai aese hi dhul rahne de safai naa kare

Abhi : are mere Kahne ka matlb yah nhi tha

Yug : to phir kya mtlb tha tera

Abhi : mera matlb tha ki kisi ko madat ke liye bula lete hai , 2,3 lo rahenge to jaldi ho jaayegi safai

Yug : kis ko bulayenge kon aana chahega " Garevyaad kothi" mai

Abhi : yrr tu bhul raha hai apne purane yrr abhi bhi esi gao mai hai , mai use call karta hu

Yug : use kise

Abhi : kachuwe ko yrr

Yug kuch yaad karte huye kahata hai.........

Yug : ye tu wahi kachuwe ki baat to nahi kar raha jiska asli naam kachendar tha or wo sab kaam dhire dhire karta tha esliye hamne Usk naam kachuwa rah diya tha...?

Abhi : H mai usi ki baat kar raha hu

Yug : kya ye abhi bhi slow hai Bachpan ki trh

Abhi : jab tu milega tab khud dekh lena

Itna kahakar Abhi apna mobile nikalta hai or kachuwe ko call karne lag jata hai

Abhi : H kachuwe kaha par hai tu

Phone ke ander se kachuwe ki awaaj aati hai

Kachuwa : wo abhi mai kishnoi nadi par hu

Abhi : tu subh subh kishnoi nadi par kya kar raha hai , tere ghr mai sochalay nhi bana hai kiya jo subh subh halka hone nadi par chala gya

Kachuwa : yrr abhi dekh Abhi Mai naa tere saath mazak karne ke bilkul mod mai nhi hu

Abhi : yrr tera dimag subh subh Itna garm kiyu hai , kya hua

Kachuwa : yrr abhi yaha par kishnoi nadi mai ek bada kaand ho gya hai

Abhi : kya kaha kishnoi nadi mai kaand ho gya , par kya

Kachuwa : yrr bhai tu khud aakar dekh le , mere to khud samjh mai nhi aa raha ki ye sab kese ho gya

Itna kaha kar dusre side se phone cut ho jaata hai

Abhi : Hello are hello huya kiya yah to bata de

Jese hi phone cut hota hai Yug abhi se puchta hai

Yug : kiya hua tere chahre par 12 kiyau baj rahe hai

Abhi : yrr kishnoi nadi par ek kaand ho gya hai

Yug : kaand ho gya hai par kya

Abhi : pata nhi yrr , par Mujhe dar lag raha hai

Yug : Dar lag raha hai par kiyu...?

Abhi : kiyu ki yrr kal raat apan dono hi kishnoi nadi par thye , kahi ham dono ke jaane ke baad yakshini nai kisi ko apna Shikar to nhi bana liya

Yug abhi par chidte huye kahata hai.......

Yug : yrr abhi tu phir suru ho gya , teri kahani yakshini par hi suru or yakshini par hi khatam kiyu hoti hai , ye bhi to ho sakta hai ki nadi par kuch or hua ho

Abhi : yrr yug to phir tu hi bata waha kiya hua hoga

Yug : wo to ab wahi par jaakar pata chalega

Abhi : chal phir

Yug or abhi kishnoi nadi jaane ke liye nikalne lag jaate hai wah dono Graveyaad kothi ke Darwaaje tak hi pahuche thye ki tabhi Abhi ki nazar Darwaaje ke badal mai rakhi do kaali chatri par padti hai

Abhi : ek kaam kar yug ye chatri bhi rakh le

Yug : chatri par kiyu maine khidki se bahar dekha tha mausam khula hua hai mujhe nhi lagta barish hogi

Abhi : yrr jitna maine kaha utna kar koi sawal naa kar

Yug : H thik hai

Abhi ke Kahne par yug chatri leleta hai or wo dono kishnoi nadi jaane ke liye nikal jaate hai

Jab wah dono kishnoi nadi par pahuchte hai to dekhte hai ki nadi par bahut saari bhid jama thi , aesa lag raha tha ki saare gao ke log wahi par ekatha ho gye thye bhid mai abhi kachuwe ko dhundne lag jata hai

Abhi : Yrr itni bhid mai kachuwe ko kese dhundhe ek to uski Choti si Higth uper se dubla patla pata nhi kha par fans kar betha hoga es bhid mai

Yug : tu ye soch raha hai ki kachuwe ko kese dhundhe or mai ye soch raha hu ki yaha par itni saari bhid aakhir jama kiyu hui hai , jitna mujhe lagta hai gao ke mele mai bhi itni saare bhid jama nhi hoti hogi

Abhi : H sahi kaha , mai bhi jabse gao mai aaya hu pahli baar itne logo ko ek saath dekh raha hu , mere samjh nhi aarha ki yaha par ho kya raha hai , chal thode pass chalkar dekhte hai ki hua kiya hai sayad kuch pata chal jaaye

yug or abhi bhid ke andar ghusne lag jaate hai wah dono Abhi 1,2 kadam hi chle thye ki unhe Kachuwa dikh jaata hai
mai

Abhi : Yrr wo dekh wo raha Kachuwa

Yug : kaha par yrrr....?

Abhi apne right hand se saamne ki or ishaara karte huye kahata hai ..........

Abhi: Are wo dekhna saamne

Yug : kaha yrr mujhe to dikh nhi raha , tujhe kaha dikh gaya...?

Abhi kachuwe ko awaaj lagate huye kahata hai....

Abhi : kachuwe wo Kachuwa

Abhi ke karib 20,25 kadam dur par hi ek dubla patla ladka khada hua tha jo kaali baniyan pahne hua tha , rang Kala , chote chote baal wah ladka abhi ko dekh leta hai or dhire dhire kahata hai

Kachuwa : Are Abhi tu aa gaya

Abhi kachuwa ko bulate huye kahata hai.....

Abhi : H aagya jara yaha par to Aa

Kachuwa dhire dhire bhid ko hatate huye abhi ke pass jaane lag jaata hai , Kachuwa Itna dhire chal raha tha ki usko dekh kar aesa lag raha tha ki wo Aadhe ghante mai abhi ke pass pahuchega

Yug apne sir par haath rakhte huye kahata hai.....

Yug : Abe yrr ye to abhi tak Bachpan ki trh slow hi hai ek kaam karte hai ham hi eske pass chalte hai warna ye kal tak yaha pahuchega Hahahah

Abhi : Hahaha H chal

Yug or Abhi kachuwa ke pass chale jate hai

Kachuwa Yug ko ghurte huye kahata hai.....

Kachuwa : ye kise le aaya apne saath , ye kon hai...?

Abhi : Are esko nhi pahchana , ye apna yug hai , apna Bachpan ka dost , bhul gya yahi to tujhe teacher se maar khaane se bachata tha

Kachuwa : ( Yaad karte huye ) Acha ye yug hai , ye kab aaya

Abhi : Ye sab mai baad mai batata hu tujhe pahle mujhe tu ye bata yaha par kya hua hai , itni saari bhid kiyu jama hai

Kachuwa Abhi ka haath pakdte huye kahata hai...

Kachuwa : yrr mai nhi bata sakta kiyu ki tujhe pata hai mera Dil bahot kamjor hai tu khud chalkar dekh le ki kya hua hai


Kachuwa , yug aur abhi ka haath pakadta hai aur bhid ko side hatate huye unhe nadi ke kinare par le jaane lagta hai jab wo nadi ke kinare par pahuchte hai to waha ka nazara dekhkar yug aur abhi ki aankhe fati ki fati rah jaati hai nadi ke kinare par karib 300,400 kouwa ( crows ) mare pade thye

Yug hairaani ke saath kahata hai......

Yug : Ar......e ye kya , itne saare kouwo ki mout kese ho gyi....???

Abhi kouwo ko dekhkar Itna presaan ho gya tha ki kuch nhi bol paa raha tha

Kachuwa mare huye kouwo ko dekhte huye kahta hai........

Kachuwa : wahi to yug , tujhe pata hai kuch saalo se hamare gao mai ek bhi kouwa nazar nhi aa rahe thye Aur aaj dikhe bhi to wo bhi itne saare wo bhi aesi halat mai , mare huye

Un teeno ke pass kuch aadmi khade huye thye jo apas mai baate kar rahe thye

Pahla aadmi kahata hai.......

1 aadmi : UnΔ« ā'um̐daichin , UnalΔ“ saαΉ…kΔ“ta garΔ“kā chan , MrΜ₯tyukō khΔ“la suru bha'Δ“kōcha ,

2 aadmi : Tapā'īṁ αΉ­hika hunuhuncha , UnΔ« ā'um̐daichin , Yō mrΜ₯tyukō pahilō saαΉ…kΔ“ta hō

Yug Hairani ke saath kahata hai.........

Yug : ye log aapas mai kiya baat kar rahe hai

Abhi : ye log aapas mai nepali mai baat kar rahe hai , tujhe to pata hai hamare Meghalaya mai Nepali,Bangali,Khasi,Asmiya,silehati,bodo,Biyaat,parar aur Hajong bhasaye ( Language) boli jaati hai

Yug Abbi par chidate huye kahata hai.......

Yug : Abe yrr maine tujhse Meghalaya ki bhasa ( language) ka itihaas nhi pucha , mai ye janna chahta hu ki ye aadmi aaps mai kiya baate kar rahe hai , tujhe pata hai naa mujhe nepali nhi aati

Abhi : H bata raha hu chid kiyu raha hai , ye log aapas mai baate kar rahe hai ki " wo aane waali hai , usne sanket de diya hai , maut ka khel suru ho gya hai , ye Maut ka pahla sanket hai

Yug hairaan ke saath kahata hai..............

Yug: ye log kiski baate kar rahe hai , kon aane waali hai or usne kya sanket diya hai....?

Kachuwa : ( dhire se kahta hai) "Yakshini" yug Yakshini aane waali hai , ye usine sanket diya hai

Yug kuch Reaction deta usse pahle hi Abhi kuch sochte huye kahata hai.........

Abhi : yug mujhe lag raha hai ye sab hamare karan ho raha hai

Yug : Hamare karan par kese....?
.
.
.
.






Ab Aage................
.
.
.
.
Logo nai apni jaan di thu nhi balki yakshini nai unki jaan li thi.........

yakshini hai yaa nhi wo 7 din baad aane waali purnima ko pata chalega...........

.
.
.
.
3930 words complete Like πŸ‘ or comments πŸ—£ karna naa bhule.............
wonderful update bhai
 
β˜† it's me β˜†
997
1,610
143
Update 6



β˜† Chapter : Dosto ka Milan β˜†


Ab Tak............
.
.
.
.
Yug : ( man mai ) ye sapna mera picha kiyu nhi chhodta , Banglore Mai bhi yehi sapna dikhata tha or yaha par bhi , sapne Mai jo nadi thi wo to kishnoi nadi thi , par wo ladki kon thi aur uska chehra mujhe kiyu nhi dikhata kabhi...........

Abhi : H bata raha hu chid kiyu raha hai , ye log aapas mai baate kar rahe hai ki " wo aane waali hai , usne sanket de diya hai , maut ka khel suru ho gya hai , ye Maut ka pahla sanket hai.........

.
.
.
.
Ab Aage..............
.
.
.
.
Yug kuch Reaction deta usse pahle hi Abhi kuch sochte huye kahata hai.........

Abhi : yug mujhe lag raha hai ye sab hamare karan ho raha hai

Yug : Hamare karan par kese......?

Abhi : yrr dekh kal raat hi ham dono nai "Garevyaad kothi" ka Darwaja khola or phir subh hote hi itne saare kouwo ka marna ye koi ittefaq nahi ho sakta , aaj se phle aesa kabhi nahi hua

Kachuwa apna muh fhadte huye kahata hai.......

Kachuwa : kiya kaha tum dono nai Garevyaad kothi ka Darwaja khola khola par kiyu ,tume pata nhi hai kya Garevyaad kothi yakshini ka dusra thikana hai , ab wo kisi ko nahi chhodegi sab mardo ko apna Shikar banayegi

Yug kachuwe ko samjhate huye kahata hai......

Yug : yrr kachuwe aesa kuch nahi hai , mai batata hu ye kouwe kese mare , kal raat naa ye abhi apne saath ek device laya tha usmai se awaaje aa rahi thi ho sakta hai ki wahi aawaaje wo sah nahi paaye or unki death ho gayi , tujhe to pata hi hoga ki in Pachiyo par mobile ki vev ka kitna asar padta hai

Abhi : yrr yug , ab tum sara iljaam mere electromagnetic device ke uper mat laga samjha , chal tere liye mai maan bhi leta hu ki ye kouwe mere Device ki awaaj se mare par tu bata shirf kouwe hi kiyu mare or koi pachu pachi bhi to mar sakte thye , jara gor se dekh yaha par jitne bhi saw hai sab kouwo ke hai

Abhi ki baat sunkar yug chup ho jata hai kiyuki uske paas uske sawal ka kuch jawab nhi tha

Abhi apni baat ko Aage jaari rakhte huye kahata hai

Abhi : ye sanket hai Yug Maut ke aane ka pahle ka Maana jata hai kouwo ka marna ashub hota hai

Yug : Ye sab shirf andhvishwash hai or kuch nahi samjhe tum dono

Kachuwa darte huye kahata hai..........

Kachuwa : yy........yr tujhe nahi manna hai to mat maan par tum dono nai thik nahi kiya Graveyaad kothi ka Darwaja kholkar , tumhe pata bhi hai Graveyaad kothi ka Darwaja band karne ke liye kitne logo nai apni jaan di thi

Yug chokkte huye kahata hai..........

Yug : Kya kha Darwaja band karne ke liye logo nai jaan di thi par kiyu....???

Kachuwa Yug ke sawal ka kuch jawab nhi de raha tha uski nazare mare huye kouwo par gadi hui thi jise dekh kar uske man ka khof badte jaa raha tha

Yug kachuwe ko hilate huye kahata hai......

Yug : Are kya hua , tu chup kiyu ho gya , bata naa Graveyaad kothi ka Darwaja band karne ke liye logo nai apni jaan kiyu di...?

Kachuwa : ( Darte huye ) logo nai apni jaan di nahi balki yakshini nai unki jaan li thi , Yug

Yug Kachuwe ki baat sun kar hairaani ke saat kahta hai...........

Yug : kya.....par ek baba nai to bataya tha ki papa ko maarne ke baad yakshini ki hawas khatam ho gyi thi phir usne logo ki jaan kiyu li , wo to shant ho gayi thi naa....

Abhi heraani ke saath puchta hai.........

Abhi : Ye baat kisne batai tujhe

Yug : yrr train mai ek baba mile thye unhone batayi thi

Kachuwa Yug ke kandho par haath rakhte huye kahata hai...........

Kachuwa : Yug us baba nai tujhe bewkuf banaya tha , yakshini ek Dayan hai aur Dayano ki hawas khatam nahi hoti balki din-b-din badhte jaati hai samjha

Abhi bhi Yug ko samjhate huye kahata hai....

Abhi : dekh Yug gao mai naa hajaro muh laakho baate hoti hai samjha , par sach unmai se bs dus baate hi hoti hai , yakshini shaant nahi huyi thi balki use kaid kiya gya tha " Garevyaad kothi" mai

Yug apna muh fhaadte huye kahata hai....

Yug : kya kha kaid kiya gay tha "Garevyaad kothi" mai

Kachuwa Yug ko puri baat batate huye kahta hai.........

Kachuwa : H Yug , Dadi nai bataya tha ki 12 saal pahle tere papa ki maut ke baad gao waalo nai faisla kiya tha ki Garevyaad kothi ko band kar diya jaaye kiyuki sabka yahi kahna tha ki angrejo ke jamane se Graveyaad kothi yakshini ka dusra thikana hai, tujhe pata hai jab tere papa ki maut hui thi to tere bade papa kiya naam hai yrr tere bade papa ka

Yug : "Dilip"

Kachuwa : H sahi kaha , tere papa ki maut ke baad dilip uncle apne kuch aadmiyo ko lekar Graveyaad kothi gaye thye tere papa ka saw lene par unhe puri kothi mai kahi bhi tere papa ka saw nahi mila tha , Ha tere papa ka jo writing wala kamra tha naa jaha wo beth kar kahani likha karte thye wo pura khoon se sana hua tha har jagh khoon hi khoon tha

Yug Gussa karte huye kahata hai........

Yug : Ye sab pata hai mujhe , tu ye bata tu kya batana chahta hai

Kachuwa : Are bata raha hu naa tu gussa kiyu kar raha hai , Dilip uncle bhi Graveyaad kothi band karwana chahte thye par jab bhi wo apne aadmio ko Graveyaad kothi mai bhejte thye taala lagane to wo taala nahi laga pate thye , ulta apni jaan se haath dho bethye thye

Kachuwe ki baate sunte-sunte Yug or abhi dono ke maathe par pasina aa gya tha

Kachuwa apni baat ko Aage jaari rakhte huye kahata hai..........

Kachuwa : tujhe pata hai un aadmio ke saw ka pura khoon chusa hua hota tha , ek bund bhi nahi hoti thi unke saw mai khoon ki or uper se saw par ek bhi kharoch ke ghaw nahi par unka dil gayab hota tha , ab tu hi bata kisi insaan ka kaam ye ho sakta tha kya yakshini hi unhe mara karti thi jo Garewyaad kothi mai taala lagane jaata tha

Yug : Phir kya hua Graveyaad kothi mai taala kese lagaya gya

Kachuwa : Dadi nai bataya tha ki ye jo apna mendipthaar hai naa waha par ek jagah hai , jagh ka naam mai bhul gya Par us jagh par pandit,father or molana tino saath rahte thye or un teeno ko bulaya gaya tha Graveyaad kothi ka Darwaja band karne ke liye
Abhi : phir kya hua...?

Kachuwa : Hona kya tha un teeno nai apne mantro ki sakti se Garevyaad kothi mai taala laga diya or use band bhi kar diya par.........

Kachuwa bolte-bolte ruk jaata hai

Yug apne maathe ka pasina pochte huye kahata hai

Yug : par kya aage bata...?

Kachuwa : un teeno ko apni jaan se haath gawana pada

Yug : kya par kiyu....?

Kachuwa : Yakshini ko Garevyaad kothi mai kaid karne ke liye , kahate hai ki kisi aatma ko kisi jagah par kaid karne ke liye uski pasandida chiz ki Bali deni padti hai or yakshini ko mard bahot pasand thye isliye gao waalo ko yakshini ki dahshat se bachane ke liye un teeno dharm guruwo nai Garevyaad kothi mai taala lagane ke baad apne haatho saway ki Bali de di

Yug hairaan ke saath kahata hai........

Yug : par yakshini aesa kese kar sakti hai , papa to kahate thye ki yakshini bahot achi aurat thi

Kachuwa : kya kaha yakshini wo bhi achi tu hi bata kabhi koi Dayan achi ho sakti hai kya , Dayane kabhi kisi ka acha nahi chah sakti samjha

Yug : Yrr par papa nai kaha tha yakshini bahot achi thi par use koi sa abhishap mila tha jiske karan wo Dayan ban gayi

Abhi bhi Yug ka saath dete huye kahata hai

Abhi : H yrr yug thik kah raha hai , maine bhi kisi kitab mai padha hai ye jo yakshini hoti hai dusre lok se aati hai ye apsaraye ki tarh hoti hai par pata nhi yah yakshini buri kese ban gyi

Kachuwa chiddte huye kahata hai.........

Kachuwa : yrr mujhe naa tum dono ki bakwas baate nahi sunni , mai to wahi kahunga jo pura jaao kahata hai ki yakshini ek buri Dayan hai samjha or tum dono mudda change mat kro , Mudda ye nahi hai ki yakshini achi hai yaa buri , mudda yah hai ki tum dono nai "Garevyaad kothi" ka Darwaja khola kar thik nahi kiya samjhe , ab yakshini aazad ho gayi hai or ab wo phir se nadi paar karne waale mardo ke saath sambhog karke unhe apna Shikar banana suru kar degi

Yug apna bachaw karte huye kahata hai.....

Yug : kachuwe teri baato se aesa lagta hai ki tere Kahne ka sidha-sidha matlab yah tha ki wo yakshini Graveyaad kothi mai kaid thi or Graveyaad kothi ka Darwaja kholkar hamne use aazad kar diya hai naa , i am right

Kachuwa : H

Yug : to ek baat bata agr yakshini Garevyaad kothi mai kaid thi or hamne use aazad kar diya to kal raat to maine or abhi nai us Garevyaad kothi mai hi bitai thi ham dono sukun ki nind soye thye, us yakshini nai hm dono ko kuch kyu nhi kiya
Kachuwa jhat se kahata hai jese uske paas es sawal ka jawab pahle se hi ho..........

Kachuwa : kiyu ki kal raat amawsaya yaa purnima nahi thi Yug , yakshini amawsaya or purnima ko hi apna Shikar banaati hai

Yug : To ye bata bade papa ke aadmi jo Garewyaad kothi mai taala lagane jaate thye or maut ke ghat utar jaate thye kya wo purnima or amawsaya ke kin jaate thye , wo bhi to random din mai jaate honge naa

Yug ka jawab sunkar Kachuwa chup ho jaata hai kiyuki ab uske paas koi jawab nhi bacha tha

Abhi yug or kachuwe ke bich ki bahas ko khatm karte huye kahata hai...........

Abhi : yrr bas karo tum dono jhagdana samjhe , yakshini hai yaa nahi wo 7 din baad aane waali purnima ko pata chal jaayega samjhe tum dono , Abhi jis kaam ke liye aaye thye wo kar le pahle

Kachuwa : kis kaam ke liye aaye thye tum dono

Abhi haste huye kahata hai taaki Kachuwa uski baat maan jaaye

Abhi : yrr dekh Kachuwa tujhe to pata hi hai apna ye yug dost kitni dur se aaya hai wo bhi kitne saalo baad ese naa apni ek help chahiye thi

Kachuwa Abhi ko ungli dikhate huye kahata hai..........

Kachuwa : yrr dekh Abhi tu naa ye ghuma fira kar baat mat kar jo bhi kahana hai sidhe-sidhe bol , mai naa teri ye chane ke jhad par chadhne ki aadat bachan se jaanta hu jarur tujhe mujhse kuch naa kuch kaam hoga , tabhi tere muh se mere liye mithe bol fot rahe hai , bol kya kaam hai

Abhi : ( Haste huye ) wo kya hai naa Kachuwa ab ye apna dost Yug yahi par rahega apne saath ye sab kuch chhodkar apne paas aagya hai par wo Graveyaad kothi hai naa wha par dhul jami hai to Ye chahta tha ki ham wha ki safai kar de taaki ye wha par ache se rah paaye

Kachuwa gussa hote huye kahata hai : tu pagal ho raha hai kya , Abhi tujhe pata hai naa waha par yakshini hai phir bhi tu aesi baat kar raha hai

Abhi : yrr Kachuwa hamne kaha naa ham dono waha par raat gujar ke aaye hai waha par kuch nahi hai samjha , aur dekh bhul mat Yug nai Bachpan mai tujhe teacher se maar khane se bachaya tha

Kachuwa : Yakshini ke haatho se marne se acha hota ki ye yug mujhe Bachpan mai teacher ke haatho se maar khane deta

Yug : yrr kachuwa aesa mat bol ham bahot ummid se aaye hai

Abhi yug ke haatho par haath marne lag jata hai Yug uska ishara samjh jata hai or pyar se kahata hai..........

Yug : please kachuwe chalna bhai bhul mat maine tujhe teacher se maar khaane se bachaya tha

Yug ka udaas chehra dekha kar Kachuwa uski baat maan leta hai or kahata hai.......

Kachuwa : H thik hai mai chalunga par meri ek shart hai

Yug jhat se puchta hai...........

Yug : kya shart hai teri bol...?

Kachuwa : Tumhen kayar Ko Bhi Apne Sath Le jana padega ab Tumhen to pata hi hai uske Bina Mera Kisi chij Mein man Nahin Lagta

Abhi Khush Hote Hue Kahta Hai........

Abhi: are Main To Bhul hi gaya tha ki Ham Bachpan ke Chaar Yarr Main se kayar bhi To Ek Yarr tha vaise kahan per milega wo

Kachuwa : Aur Kahan Milega Bindu ki dukaan per Mera kayar Ke Bina man Nahin Lagta Aur kayar Ka Bindu Ke Bina

Yug Apna sir khujalate Hue Kahta Hai.........

Yug: Yaar ye kayar to mujhe Yaad Hai par ye Bindu Kaun Hai Yaad Nahin araha hai eske baare mai kuch

Abhi : kya kaha Tum Bindu ko bhul gaya Tu Bhi Na Yaar

Yug: Yaar Bhula Nahin per Bindu ke bare mein Kuchh Yaad Nahin araha pata nahin kiyu

Kachuwa : to chal abhi Ham Yaad dilwa Dete Hain Jab bindu ko dekhega Na To Sab Yaad aajaega

Yug Kachuwa aur Abhi Ne Bindu ki dukaan jaane ke liye apna pahla hi Kadam badhaya tha ki tabhi Barish hone lag Jaati Hai Yug badalon ko Dekhte Hue Kahta Hai.......

Yug: are yah kya Barish Kaise chalu ho gaye Jab ghar se nikale thye tab Mausam Khula hua tha

Abhi chata kholte Hue Kahta Hai...........

Abhi: beta ye meghalay hai tera bangalore shar nahi yaha Barish hote rahti hai samjha tabhi to Maine Tujhe Ghar per hi Chahta lene ke liye Kaha tha

jaise hi Abhi chahta kholta hai abhi ke chahte Ke Andar Kachuwa aajata hai yug bhi apna chahta khol leta hai

abhi Apne Kadam Aage badhate Hue Kahta hai..........

Abhi : Yug Tujhe Pata Hai meghalay ko meghalay kiyu Kaha jata hai

Yug : Kiyu Kaha jata hai

Abhi : Kiyuki meghalay Shabd ka Shaabdik Arth Hota Hai meg ka Aalay yani badalo Ka Ghar Iske Naam Se Hi Ham samajh sakte hain ki ye atyadhik Varsha wala ilaka hai yahan per dusre rajyon ke mukabale Jyada Varsha hoti thi isliye meghalay Kaha jata hai

Yug: Achcha To Aisi Baat Hai

Isi Tarah baten karte-karte yug,Abhi or kachuwa Bindu ki dukaan ki or Jaane lag Jaate Hain

is Taraf Bindu ki dukaan ke pass Halki-Halki Barish Ki bunde Gir rahi thi yah kah sakte hain Barish naa ke barabar ho rahi thi hawaye tez-tez chal rahi thi Jis karan wo badalo ko Baha Le Gai Thi Bindu ki Chhoti Si chai aur khane ki dukaan Thi Bindu ki dukaan ke bahar hi 3 4 Chakor table or kursiya Lagi hui thi Jis per kuch customer baithkar chai Pi rahe the To Kuchh khana kha rahe the

Unhi Table ke bich Ek table Lagi hui thi Jis per Ek Safed kurta pahankar Ek naujawan Ladka Baitha hua tha Jisne sir per topi pahani hui thi Uske Hath Mein Kalam Thi Aur Ek diary jismein wo Kuchh likhe ja raha tha ladke ko hi gher ke Kuchh bacche Khade Hue The jinhone school dress pahni hui thi UN bacchon Ko Dekhkar lag raha tha ki wo 9th-10th class mein Honge

Wah Ladka dairy Mein likhate Hue Kahta Hai.........


"Dikhata hun main super cool......

Tumhare Liye Laya hun Gulab Ka Phool.........

Jaaneman Tumhen bhi hun main Pasand.............

To bolo tum bhi teen baar kabul,kabul,kabul........

Tumhara Pyara.........
kya naam hai be tera

us Ladke Ne waha par khade ek bacche se pucha..........

Baccha : Bunty bhaiya

Vah Ladka dairy per likhate Hue Kahta Hai Tumhara Pyara Aashiq Bunty

itna kaha kar wo Ladka pej phadta hai aur uski chitthi bana kar us Chhote bacche ko de deta hai aur badale Mein vah Chhota baccha use β‚Ή10 ruppay dete Hue Kahta Hai.........

bacha : Ab To wo pat Jayegi naa

Ladka : Pat kya Jayegi beta Sidhe Tumhari Bahon Mein loot Jayegi samjhe

Wahi par kahde bacchon ke bich Mein Khada Ek baccha Chhota Sa Jiski Umra Kareeb 10 Saal Hogi Kahta Hai Bhaiya mere liye Bhi Ek Parem Patra likh dijiye naa

Ladka : Are teri Itni Si Jaan Fir Bhi Tu kisse Pyar Kar baitha

Baccha : Bhaiya Pyar Ki Umar Thodi hoti hai

Ladka : Chal theek hai aur kya naam hai teri waali ka

baccha : Bhaiya Bindiya

Ladka: kya kya kaha Bindiya

Bindiya ka naam aate hi vah Ladka bad badate Hue Kahta Hai.......

Ladka : Raat main lagti nahi hai hamko Nindiya...........

Jab se Humne Tujhko Dekha Hai Bindiya........


Us Ladke Ne Itna hi Kaha Tha ki tabhi vahan per chai ka tare Lekar Ek Ladki aa Jaati Hai Jiski Chhoti Si hight thi red kurta pahne Hue gool sa c Chehra aur us Gol Se Chehre per Chhoti Si gol si Lal bindi

Vah ladki us ladke ko ghurte Hue bangaali mai bolati Hai.........

Ladki : Tumhi ki Bolbe Kayar

Kayar ghabraate Hue Kahta Hai.........

Kayar : Kuchh Nahi Bindu Main To is bacche ke liye uski paremika ke liye Prem Patra likh raha tha to uski waali ka naam bhi galti se Bindiya nikala

Bindu : uski waali se kya matlb hai tomara tumhare pass prem Patra likhne ke alawa koi kaam nhi hai kiya din bhar yahi par bethe rahte ho koi kaam kiyu nahi karte

Kayar : kam hai to kar raha hun Bindu Tumhen Nahin Pata kitna bada Shayar banne wala hun main bus ek bar Meri ye shayari Ki Kitab publish Ho Jaaye FIR dekhna Tum

Bindu : tum aur Tumhari shayari donon hi Ghatiya Hai kayar

Bindu kayar se jhagada Kar rahi thi ki vahan per Yug Kachhua aur abhi aa Jaate Hain

Yug Kayar aur Bindu ko jhagada karte hue dekhta hai to use bindu Yaad aa jaati hai aur wah Kahta Hai........

Yug : tum donon abhi tak Nahin Badle vaise hi jhagadte ho jese Bachpan Mein jhagadte thye hai naa

Bindu hairaani ke saath yug ko dekhte huye kahati hai..........

Bindu : mujhe aesa kiyu lag raha hai jese maine tumhe kahi dekha hai , Kya mai tumhe pahle se jaanti hu........

Mohsin-Khan-10

Yug.............( Age 22 years ) Abhi,Kachuwa,kayar or Bindu ka friends or apna Hero

25e87352e991efcb55e79918a9e2b993

Abhi..........( Abhimanyu age 22 years ) Yug,Kachuwa,kayar or Bindu ka friend


j-USc-ODwm-400x400

Kachuwa.........( kachendar age 22 years ) Yug,Abhi,kayar or Bindu ka friend

vikram-singh-chauhan

Kayar.........( keraw jarj........age 22 years ) Yug,Abhi,Kachuwa or Bindu ka friend

570aa99b0368408274a45bd052562b52

Bindu..........( Bindiya age 22 years ) Gora rang gol chehra chuchi size 30 kamar 28 gaand 32
Yug,Abhi,Kachuwa,kayar ki friend


Abhi Bindu ke sawal ka jawab dete huye kahata hai.........

Abhi : are Bindu ye apna yug hai apna Bachpan ka dost , bhul gyi Bachpan mai yahi tumhari do choti pakad ke khich deta tha or Isi nai to Tumhara naamkaran kiya tha Bindiya se Bindu

Bindu kuch hote huye kahti hai........

Bindu : Achu yug , tumi kakha ye chil...?

Yug abhi ki trf dekhne lag jata hai kiyu ki use bindu ki bangaali samjh mai nhi aayi thi.
.
.
.
.
Ab Aage.............

β˜† Chapter : 666 shaitaan ka number β˜†

Kachuwa Itna dar gya tha ki kuch nhi bol paa raha tha uski Aankhe Abhi bhi fati ki fati or laal thi............

Tune "Garevyaad kothi" khol di to khol di par please ye Darwaja mat kholna warna sab tabah ho jaayega.............

.
.
.
.
3213 words complete Like πŸ‘ or comments πŸ—£ karna na bhule..............
.
.
Updates Par Reviews dete rahe taaki story ke updates or bhi mazejaar ho......
.
.
Keep supporting..........😎
 
Last edited:

Top