Adultery Numaaish - a tale of lust~the wolf (Completed)

Member
1,531
1,618
143
Eliza apne paap ki aag mein jal chuki thi……pure kamre mein dhuaa hi dhuaa fail chukaa tha…maans aur chamdhe ke jalne se badbu fail rahi thi…..akriti mere khoon se bhare jism se lipate huye thi….aur main akriti ke zakhm khaaye jism par haath phair raha tha….ooske baalon ko sehlaate hue oose puchkaar raha thaa

Achanak kamre mein harry aa gaya…oose dekhkar ek pal ke liye main aur akriti wohi thithak gaye….harry ne fhir Palatkar oos jalti laash ko dekhaa….maine akriti ko apne seene se hatate huye harry ke paas chalkar aaya

“ye haath ab khooni ban chuke hai maine do jaanein li…elizaa ko dardnaak maut di hai inspector mujhe gireftaar kar lijiyee”……maine harry ki or apnaa dono haath badhaa diya

“nahiiii…..tum gunaahgaar nahi ho…dozak ke shaitan ko aisi hi maut deni chahiye…jo maasumo ki zindagiyaa barbaad karte hai…sirf dusro ke ayiiyaashio aur chand paiso ke liye…tune aaj wo saabit karaa hai…jo bari se bari misaal dene laayak hai…..elizaa ko ooske karmo ki sazaa di hai tum dono ne aur agar main is andhey kanoon ke liye tum dono ko geraftaar karungaa…to paak parvardigaar mujhe nahi bakshegaa “……….harry ne mere dono haath ko niche kar diyaa

“police kuch dair mein yahan pahuchti hongi…tum dono yahan se nikal jao….fauran piche ke raaaste se main shayad tumhe maaf kar doo par ye zaalim duniyaa elizaa aur sheik jaise ghinone logo se bhari huyi hai…wo jeete ji kabhi bhi kisi ko panapte nahi dekh sakte..jao yahan se jaldi “………harry ne mujhe aur akriti ko jaane ka ishara karaa

“par sir aap?”……….akriti ne harry ki or dekhte huye puchaa
“hahahaha main ek policewala hoo..yahan kaafi kuch huaa tha….ek muthbhair mein elizaa ke aadmi ne oose bewafaai kar dalai….badle mein elizaa keg undo ne oose maara…fhir police waalo par goliyaa chalayi…aur mauke par maine elizaa ke aadmi ko jaan se maar diyaa…jisne eliza ko zinda jalaa daala ooski property hadapne ke liye ab jao jaldiiii ye kahani shayad hi andhe kanoon ko fhir andhaa kar sake…jao jaldi jao”……….itna kehte huye maine muskurakar akriti ka haath thaama aur hum dono wahan se nikal gaye

Jald hi police ki puri team pahuch chuki thi…..jagah jagah se media ne eliza mansion ko ghair liyaa tha….jald hi saari laasho ko bahar nikaala gaya….elizaa ka is bari saazish ka pardafaash huaa….harry ne oonhein sabkuch byaan kar daala…..elizaa ke khilaaf wo cd aur wo kataa huaa yusuf ka genital jisse ye pakka ho gaya ki elizaa ek bare illegal porn industry ko chalane waali mein haath hai…sheik ke saath milkakar oosne kaafi larkiyo ki zindagiyaa barbaad ki oonhein sex workers aur jabran blue films banwaya

Har koi elizaa ko chun chun ke gaali de raha tha…naami businessman jinkaa haath is porn industry mein tha oonhein gireftaar kar liyaa…..ye news aag ki tarha faili aur isne pure turkey ko hilaa daala….har koi ab porn industry par banned laganan chahata tha..savetheinnocent.com ke members ko rihaa kar diyaa gaya…oonsein maafi maangi gayiii….commmssioner aur baaki govt officals corrupted logo ko jail ho gayi…..harry ne kaafi sabut ikhaataa kar diye they…jisne oonka pinjare se nikalna mushkil ho gaya

Aakhir kaar itna sabkuch hone ke baad…pradashan chaltaa rhaa…aur is baar alag alag shehero mein….jald hi turkey ke president ne action le liyaa…aur oonhone public se baat karne ka faislaa kiyaa

“mere turkey ki waasiyo aur main oon logo se nivedan karta hoo jo anay desho se yahan aakar reh rahe hai….dekhiye turkey sarkaar ke aankho mein bari hi safaai se dhul jhonkkar porn industry ko chalayaa jaa raha tha…lekin hamare kaabil police officer ke wajah se hamara kaanoon ne in bharasht netaao aur is ghinone kaam ko chalane waale logo ko gireftaar kar liyaa gayaa hai hum aap sab se ye nivedan karte hai…ki jitney bhi victims hai oonke liye alag se ek helping sanstha banaayi jaaye jo aurat pe ho rahe is jism ki numaaish ko rokne mein aur oonpe ho rahe shoshan ko thaamne mein madad karengi

Main president Abdullah Gul apne deshwaasiyo se pure hosho hawaass se ye elaan karta hun…..ki porn industry turkey mein illegal haiii aur porn industry ab banned hongiii….aur ek baat aur jo bhi is dhandhe mein shaamil hai aur ise chalayegaa oose umar kaid tak ki sazaa ho sakti hai….”………itnaa suntee hi sabhi citizens khushi se chillaa utheeyyy sab Abdullah ki taarif kar rahe they taaliyo se oonka samann ho raha tha

“aur ek baat aur…main mr chief police officer mr harry khannn ko jo ki bare kaabil police inspector hai…aur inhone pad aur imaan ko kabhi khoyaa nahi oonhein main bulaane ki guzaarish karungaa”………itna kehte huye sab taaliyo se harry ko bulaane lage

Harry muskurakar oon black commandos ke paas se guzarte huye president Abdullah ke paas aakar kharaa huaa……..”aapne jo kartawya nibhaaya wo salaam dene se badhkar hai….god bless u “……abdullah ne harry ke kandhe ko thokte huye kaha
“sir thank u so much”……….harry ne salute karte huye kaha
“ye lijiye kabool kijiye”……..abdullah ne apne haatho se harry ko wo medal pehnayaa…..sab ki nazaro mein harry ki taarif thi
“aur yahin aaj se hamare sheher ke chief officer harry ab hamare commissioner honge…inhone jis saahas ke saath itne saalo se chal rahe scandal ko band kiyaa…ye waaqayi taaarif ke kaabil hai”………Abdullah ne itna kehkar muskurakar taali bajana shuru kar daala

Rasul ka seena fhul chukka tha…wo baar baar harry ka naam chilaaye jar aha tha….camera mein photos li jaa rahi thi……media sab koi harry ko cover kar raha tha…sab jaan chuke they ki harry hi wo shaks tha jisne wo mohim chalayii…….harry ke garv se ankho mein aansu aa gaye…..oosne dil se sabkaa shukriyaaadda kiyaa sabko salaami dekar…rasul aur baaki ke co-officers bhi salaami thokne lage

Udhar packing karne ke baad….udaasi bhari chehraa liye aankho mein aansu liye akriti charo taraf dekh rahi thi…achanak se main jab kuch boxes lekar aaya….toh akriti ko udaasi bhara dekh…main ooske paas jaakar baith gaya…mere haatho par sar par patti lagi thi…akriti ke jism ke kayi jagah pattiyaa chadh chuki thi

“akriti u okay ?”….maine akriti ke saamne baithkar ooske jaangh par haath rakhte huey kaha
“yeahhh dukh ho raha hai ki itna haseen pal humne yahan bitaaya aur hum is ghar ko baichkar jaa rahe hai”……akriti meri nazro ko dekhte huye kaha
“haaan lekinnn zaruri bhi to hai…agar is jagah par aur pal bitaayenge to puraani baatein dimaag mein ghumengi hamari yahan koi izzat nahi bacchiii….aur hum is kaabil nahi ki oon beete lamho ke saath rahe jismein dukh dard taqleef hai….aur waise bhi ye ghar elizaa ka diyaa huaa tha aur mujhe ooski har ek cheez se nafrat ho chuki hai oose apne saath rakhkar main aur oose yaad karna nahi chahta”……..maine gusse mein daant peeste huye kaha

“plss forget it jo huaa so ho gaya….ooske diye huye zakhm ab saaf ho chuke hai…chalo ek nayi shuruwaat karte hai”…….akriti ne mere baazu ko paakdte huey kaha

Maine akriti ko dekhkar muskuraaya aur saaman ko boxes mein bharne laga…jald hi cargo waalo ne saaman ko truck mein daala aur wahan se chale gaye……
“chalo akriti flight ka time ho gaya hai….hum kal subah tak germany pahuch jaayenge”…..maine akriti ke kandhe par haath rakhte huye kaha

Akriti ne ek baar dukh bhare chehre se pure ghar ki or dekhaa….aur fhir mera haath thaam liyaa…ooske chehre par khushi ke ansu they…maine ooske aansu ko ponchaa…aur hum jald hi sidiyo se niche utar gaye

Jald hi hum taxi se airport pahuch chuke they…..maine trolly par saaman daala aur akriti mera baazu pakree…hum dono aiport ke andar daakhil ho gaye…….achanakkkk saamne khare shaks ko dekhkar hum dono hairaan ho gaye ooske baad hamare chehre par muskaan thi

“kahan jaa rahe ho tum dono ?”……..harry ne sawaal bhari nazro se hum dono ko ghurrte huye kaha
“is jagah ke dur turkey se dur…ek nayi shuruwaat karne 10 saal pehle is jagah par main ek sapne ke saath aaya tha…aaj woh sapna mit chukaa hai….ab shayad mujhe oos sapne ki zarurat nahi haqeeqat mein jeena chahta hun.”……maine muskurakar udaas bhari nazro se kaha
“isliye tum ye jagah chodh rahe ho isn’t it?”……..harry ne jaante huye kaha
“haan sir…ab is jagah par hamara hai hi kya ? humhe to sab ab bhi porn actor hi kahenge..jism ki numaaish karne waale sex workers”…….akriti ne aansu ponchte huye kaha
“koi aisa kuch nahi keh raha aur naa kahegaa…tum dono izzatdaar they aur ho ….izzat banti hai apne karmo se…aur tumhare karmo mein kuch bhi aisa bezzat ka nahi…tum log haalat ke mazbur katputli they..ab nahi aaj har wo sex worker prostitute sar uthaakar turkey mein jee raha hai aur main chahta hun ki tum bhi izzat ki zindagi naye shirre se jiyo mehnat ki kamaai mein apni zindagi guzzaro”……harry ne mere kandhe par haath rakhte huye kaha

“bilkul sir hum waisa bilkul karenge”……..maine muskurahar harry ki or dekhaa
“uhh anywayss…aaj ek khushkhabri dene waala tha…president ne kaafi accha faisla liyaa hai porn industry ab turkey mein nahi chalne waali…banned illegal ho gayi hai….aur yahin nahiii main commissioner bhi ban gaya apne bare bhaii ko badhai nahi doge”……..harry ne muskurakar kaha
“hahahahaha wwoww sir congratulations”……..main aur fhir akriti harry ke gale lag gaye
“hahaha aur yahi nahi ab tum jaa bhi rahoge apna pura pura khyaal rakhnaa..koi bhi problem ho then call me waise tum logo ka niqaah kab hone wala hai?”………harry ne mujhe kohni maarte huye kaha
“hhahahaa jald hi ho jaayegaa sir germany mein…aapko bhi bulaayenge…aap zarur aaiyega”…….maine haste huye akriti ki or dekhaaa
“pakka aaungaa chote bhai ka jo niqaah hone wala hai…tum logo ke chehre par aaj hassi dekh kaafi khushi mili”…….harry ne muskurakar kaha

“waise sir baaton baton mein humne aapse kabhi puchaa nahi? Aap humhe bachaane oos din eliza mansion kaise pahuchey?”……..akriti ke sawaal se maine gambhi chhere se harry ki or dekha..harry bhi chup tha

“hmmm oos din jab tumne mujhe bataya tha ki elizaa ne tumhare ghar par wo cd bheji thi aur wo genitals bhi tumhein bhejaa oos baat par gaur karte huye maine tumse fhir mulaqat karne ki koshish ki…..maine khud ko bahut kosaa jab mujhe asif ka koi suraag naa milaa….main oos din tumhare ghar pahuchaa….lekin tum mujhe wahan nahi mili…mujhe yakeen ho gaya ki zarur elizaa ne tumhe bulaaya hai…maine phone directory se pata kar liyaa ki aakhri call elizaa ki tumhe aayi thi”……….harry ki baton ko akriti sunnein jaa rahi thi aur main bhi

“fhir ooske baad…mujhe wo cd mili..jismein oos genital ke baarein mein elizaa ne tumhe kahaa tha….maine oos genital ka pata karna chaha…to paaya ki wo genital kudhey daan mein padhaa huaa tha…main samajh gaya ki elizaa ki chaal mein tum dono fass chuke ho

Aur oosi hi pal maine elizaa ke ghar par dhaava bola wahan tum dono ko oso haalat mein dekh meri rooh kaanp uthi aura age tum jaante ho kya hua? …lekin hairaani ki baat toh ye hai oos jaisi psycho shaatir khatarnak aurat ke aadmiyo ne ek hi jhatke mein mere police team ko maar daala….yakeenan kaafi khatarank aurat thi who”………..harry ne sochte huye kaha

“jo bhi ho ab wo ek bura sapnaa tha..jisse hum teeno ab bahar hai…aur aaj aap hi ki badaulat jee rahe hai chain ki saans aazaadi se “…….maine harry ke haath ko pakadte huye kaha
“arre aisa kuch nahii hai tum dono mere apne ho …aur apne jab bhi musibat mein hote hai apne hi oonka saath dete hai”……..harry ne mere sar par haath rakhte huye kaha

“flight 199 germany jaane ke liye rawana hone waali hai passengers pls pay attention”……is awaaz ko sunte hi maine harry ki or dekhaa

“ok sir ab hamare jaane ka waqt ho gaya…aapne jo ahesaan karaa jo madad karaa woh hum kabhi nahi bhul sakte”……..maine harry ki or dekhte huye kaha
“arre aisa kuch nahii haiiii ab jaoo late ho jaoge aur haan germany pahuchkar phone zarur karnaaa and apnaa khyaal rakhnaa”……..harry ke aankho mein aansu ghul gaye
“always sir “…..maine muskurakar harry ke gale lagaa ooske baad…akriti ki or dekhne lagaa

Akriti bhi muskurakar harry ke gale lagi….hum dono ne trolly li aur entrance gate se andar chale gaye…….harry hum dono ko dekh raha tha….akriti aur maine harry ko haath se alvida ka ishara kara…harry bhi humhe bye kar raha tha…oonke aankho se aansu girne lage


Main harry ki or dekhte huye akriti ke haath pakre entrance gate se andar chala gaya…jald hi harry ke nazaro se hum dono dur ho chuke they…harry ab bhi entrance gate ki taraf dekh raha tha….rasul jald hi paas aake kharaa huaa

“harry sirr woh log kaun they?”……..rasul ne harry ki or dekhte huye kaha
“they koi apne….jo is paraye desh mein mil gaye….aaj oonse bichadhne ka dukh hai par khushnaseebi hai ki aaj maine do maasum ko bachayaa…oos naapak daldal se kaash har oos asif aur akriti jaise maasum ko mujhe jaisaa bachane wala farishta milee”……….harry ki aankhen nam ho gayiii aur oosne aansu ponchte huye rasul ke kandhe par haath rakhaa
“chalo chalein aaj bahut kaam hai rasull”……..harry rasul ke saath airport se bahar chala gaya
“haan haan sir chaliyee”……rasul bhi chupchaap harry ke piche piche nikal gaya

Plane jald hi take off le chuki thi……akriti ne mere haath ko pakad liyaa….maine akriti ki or dkehaa….akriti or meri nazarein mil…aur maine ooske sukhe honth par ek chumma liyaa….akriti ne mere chehre ko pakraa aur mere hontho ko betahasha chussne lagi….kuch dair chumnne ke baad mere kandhe par sar rakhkar muskurane lagi

Main jaanta tha woh aaj khush hai….main bhi hoo…kyunki ab naa hi zindagi mein koi elziaa hai naa hi zindagi mein koi dukh dard….elizaa mera beeta lamhaa thi..aur akriti mera hone walaa kal aur mera aaj…aur shayad kisi ne sahi kaha hai living in tomorrow is much better than living in past….aur shayad akriti aur meri zindagi ka safar yahan se shuru hota hai….chahe wo jaisi rahe…main oose apnaa chukaa tha….aur wo mere beetein baton ko bhulaakar apnaa chuki thi……aur iske saath hi numaaish ka ye khel jism ki vaasnaa sab khatam hoti hai

Thousands of lives burns every single day In this hell…
Only few escapes from this living hell…
And rest of them dies…
Sex hamari zarurat hai hum jaante hai…par hamari ye zarurat kisi maasum ki zindagi naa cheeeneinn hum ye duaa karte hai….hum hi hai jo rok sakte hai…is paak cheez ko naapak hone se…love is more than lust …life is more than lust

The end……
 

Top