Thriller RAAZ ~The vampire~ completed

305
39
18
Kamre mein jaise ekdam marghat sa sannata chha gaya jaise har kisi ko shayad ye lag raha ho ke unhone kuchh galat sun liya.

"Main samjha nahi aapki baat" Sharma ne ek nazar sab par daali aur phir meri taraf dekhte hue kaha.

"Nahi aap bilkul samajh gaye ke main kya keh raha hoon. Khel khatam Sharma ji" Maine kaha.

"Aap mazak kar rahe hain?" Sharma ne meri taraf dekhte hue is andaaz mein kaha ke main samajh hi nahi paya ke vo mujhse puchh raha hai ya mujhe bata raha hai.

"Nahi bilkul nahi" Maine uski baat ko sawal ke andaaz mein lete hue jawab diya.

"Aap keh rahe hain ke vo heera churane ke liye maine Ravi Sahab ko mara?"

"Ji haaan bilkul"

"Lagta hai goli aur dawaiyon ka asar gaya nahi ab tak" Sharma ne haste hue kaha.

Meri aur Sharma ki baaton ke siwa kamre mein ab bhi poori tarah khamoshi thi. Koi kuchh nahi keh raha tha, sab khamoshi se khade kabhi meri taraf toh kabhi Sharma ki taraf dekh rahe the. Khamoshi Mrs. Rana ne todi.

"Kya ye sach hai?" Unhone Sharma ki taraf dekhte hue puchha.

"Bakwaas kar raha hai ye aadmi" Mrs. Rana ke puchhne par Sharma ko stithi ki gambheerta ka ehsaas hua aur vo jaise baukhla sa gaya, "Main bhala kyun maarunga unhein? Aap bhool rahi hai ke unki talash karne walo mein sabse pehla aadmi main hi tha. Aap bhool gayin ke maine kaise unki talash mein zameen aasman ek kar diya tha? Kaise ji jaan se koshish ki thi maine?"

"Exactly Sharma Ji" Usne sawal Mrs. Rana se kiya tha par jawab maine diya, "You know is case mein sabse pehla sawal jisne mujhe baukhlaya vo ye tha ke kaise na police, na CBI aur na hi kisi aur private investigator ko is mamle mein koi suraag haasil nahi hua. Gunaah kaisa bhi ho, gunahgaar koi na koi galti karta zaroor hai, kahin na kahin kuchh na kuchh reh jata hai but Ravi's disappearance was like a perfect crime. Itne log dimag khapa kar chale gaye par kisi ko kuchh bhi pata nahi chal saka. Aur sach kahun Sharma ji agar kuchh galti aap na karte, aur kuchh kismet mera saath na deti toh pata toh mujhe bhi kuchh nahi chalta. Aapki baat sahi hai, koshish aapne poori ki thi par Ravi ko dhoondhne ki nahi, apne gunaah ko chhupane ki. Aapne Ravi ke gayab hone ke vo kuchh pehle din jo kisi bhi crime ko solve karne ke liye sabse zyada zaroori hote hain saare saboot mitane mein lagaye. Aap policewale hain, jaante the ke koi bhi investigator kahan kya dekhega isliye aapne har jagah se har suraag saaf kar diya"

"Mujhe koi andaza nahi hai ke tum kya bakwaas kar rahe ho" Sharma ne gusse mein mujhe ghoorte hue kaha.

"Ye sawal aapne puchhne mein thodi der kar di Sharma ji"

"Kya matlab?"

"Matlab ye ke aapko ye sawal thodi der pehle puchhna tha, jab maine heere ka zikr kiya tha. Is kamre mein mujhe aur Kamini ko chhodkar kisi ko nahi pata ke main kis heere ki kya baat kar raha hoon par aap janab ne toh fauran hi heera churane aur heera Ravi ke paas se churane ki safai deni shuru kar di. Chor ki daadhi mein tinka"

Teer nishane par laga tha. Sharma ke munh se bol na phoota.

"Kya hua tha us din Sharma Ji? Ravi ghar se jhagad kar nikla toh aapke hatthe kaise chadh gaya?"
Sharma ne gardan utha kar ek baar meri taraf dekha aur , phir chaaron taraf nazar ghumayi aur meri baat ka jawab dene ke bajay fauran hi palat kar darwaze ki taraf bhaaga par ye andaza main pehle hi laga chuka tha ke aisa ho sakta hai isliye pehle hi mere ishara karne par Negi darwaza block kiye khada tha. Sharma sidha jakar usse takraya aur ulajh kar bhaagne ki koshish karne laga.

"Liyaqat" Mrs. Rana ne zor se kaha aur kamre ke kone mein khade Liyaqat ne fauran aage badhkar Sharma ko daboch liya.

Sharma ki halat vaisi hi ho gayi thi jaisi halal hone se pehle kisi bakre ki ho jaati hai. Use ek taraf se Negi aur doosri taraf se Liyaqat ne pakad rakha tha. Mrs. Rana apni jagah se uthi aur jakar sidha uske saamne khadi ho gayi. Sharma ne bheegi billi ki taraf apni nazar neeche jhuka li.

Aur agle pal jo hua vo mere andaze se pare the. Mujhe laga tha ke Mrs. Rana uske munh par thappad maarengi par unhone Liyaqat ko aankh se kuchh ishara kiya. Agle hi pal Liyaqat ne bahar khade apne aadmiyon ko aawaz di.

"Thank You" Mrs. Rana ne palat kar mujhe kaha aur kamre se bahar nikal gayi. Unke pichhe pichhe Liyaqat aur uske aadmi Sharma ko lekar bahar nikal gaye.

Kamre mein ab sirf main, Kamini, Raj Rana aur Negi reh gaye the.

"Maan gaye aapko Sir" Negi ne aage badhkar mujhse haath milaya, "Jitna suna tha aapke baare mein sab bilkul sahi nikla"

"Thanks Negi Bhai" Maine haskar jawab diya aur Raj ki taraf palta, "Ye Sharma ko kahan le gaye?"

Mujhe hairani ye thi ke Sharma ko Mrs. Rana ke aadmi hi le gaye the. Negi toh ab bhi yahin thia. Raj ne meri baat sunkar aas paas dekha aur phir table se ek paper uthaya.

"Aapko kahan lagta ha?" Raj ne likha, "Ye hamare ghar ka gunahgaar hai, hamare bhai ka qaatil. Saza bhi ham hi denge"

Main achhi tarah se janta tha ke vo kis saza ki baat kar raha hai isliye puchhne ki zaroorat hi nahi samjhi.

"Madam ne kuchh puchha hi nahi ke kya kyun kaise hua" Maine kaha.

"Shayad baad mein puchhen" Raj ne likha.

"Sir aapko pata kaise chala?" Negi ne utavla hote hue puchha.

"Nahi chalta agar ye Aadesh ka khoon na karta toh"

"Aadesh ko isne maara hai?"

"Haan. Maine phone records check kiye the. Aadesh ne marne se kuchh din pehle ise hi phone ghumaye the. Aur Solan ke paas jahan uski laash mili thi, uske paas ke PCO se bhi Sharma ko hi call gayi thi us shaam. Aadesh vahan isi se milne gaya tha. Aur vaise bhi, Sharma Solan mein hi rehta tha"

"Par isne Aadesh ko kyun maara?"

"Bees saal pehle chalte hain." Maine takiye par tek lagate hue kaha, "Jab Ravi gayab hua toh usse kuchh din pehle 2 love affairs zor shor par the aur bad-kismati se dono hi duniya ki nigaah mein galat the. Ek tha Pratap Rana aur Sunanda ka love affair aur doosra tha Ravi aur Kanha ka. Ek isliye galat tha kyunki lovers ki age aur social status mein kaafi farak tha, aur actually toh vahan love tha hi nahi, sirf lust thi Pratap Rana ki aur doosra isliye galat tha kyunki dono gay lovers the"

"Ravi Sahab aur Kanha ...." Negi ko is affair ke baare mein koi khabar nahi thi isliye usne hairat mein kehna shuru hi kiya tha ke maine baat kaat di kyunki main nahi chahta tha ke vo ye baat Raj ke saamne uthaye.

"Dono hi affairs ka end tragic raha" Maine apni baat jaari rakhi, "Pratap Rana ne apne gunah ko chhupane ke liye aur Sunanda ka munh band karne ke liye ek aur gunaah kiya, Sunanda ka qatl. Doosri taraf Ravi ne bhi aisa hi kuchh kiya, ek gunaah par uska maqsad sirf yahan se kahin door jana tha Kanha ke saath. Vo achhi tarah se janta tha ke aisa karne par use jaaydad se kuchh nahi milna aur agar kahin aur jakar use ek alag duniya basani hai toh paise ki zaroorat toh padegi hi. Aur iske liye usne apne pita ki nazar se chhupa kar 15 crore alag nikal bhi liye tha. Bhaagne ka plan ban hi raha tha ke Ravi ko kahin se pata chala ke ek besh-keemti chori ka heera market mein available hai. Ye khabar use mili uske saath aksar guitar practice karne wale Aadesh se. Aadesh ne use bataya ke ek heera hai jo khareeda ja sakta hai aur aage 10 guna daam par becha ja sakta hai."

"Kaun sa heera?" Negi ne sawal kiya toh maine use Hamraaz wala kissa poora sunaya.

"Toh Aadesh ko kaise pata chala us heere ke baare mein?" Negi ne agla sawal kiya.

"Ye kuchh baatein hain jo asal mein mujhe aaj subah hi pata chali. Mera ek contact hai Delhi mein Akram jiske zariye main aksar aisi information nikalta rehta hoon. Usne mujhe last week Hamraaz ke chori hone ka poori information nikal kar di thi. Chori karne wala Delhi aur Ravi Himachal ke ek chhote se kasbe mein. Sawal mere dimag mein bhi utha tha ke Ravi se uski baat hui kaise isliye maine is case mein involved sab logon ke naam Akram ko diye aur usse kaha ke check kare ke inmein se koi bhi heera chori karne waale insaan ko pehchanta tha kya. Mera shak sahi nikla, Jisne Hamraaz churaya tha vo Aadesh ka door ka rishtedaar tha"

"Oh, phir?"

"Phir Ravi ne vo heera khareed liya aur is khareed ko anjaam dene ke liye Delhi gaya Kanha. Heera chori hua aur Kanha us chori ke heere ko chhupa kar Chail le aaya"


"Heera Kanha ne chhupa kar rakha hua tha?" Negi bola.

"Ho sakta hai ya ho sakta hai ke Ravi ne hi chhupa rakha ho. Par jahan tak mujhe lagta hai ke heera Aadesh ke paas tha. Ravi aur Kanha mein se koi bhi use apne ghar mein chhupane ka risk nahi le sakte the isliye heera Aadesh ke supurd kar diya gaya. Us waqt tak heere ke baare mein sirf 3 log jaante the, Ravi, Kanha aur Aadesh par phir kuchh aisa hua ke ek chauthe insaan ko bhi heere ki bhanak pad gayi"

"Sharma ko?"

"Right"

"Kaise"

"Jab hamein Aadesh ke links ke baare mein pata chala toh ek baat aur saamne aayi. Ravi ke gayab hone se kuchh saal pehle Aadesh Shilma mein giraftaar hua tha, kuchh bachchon ke saath"

"Bachchon ke saath?"

"Haan, vo bhi gay tha aur ye ek vajah thi ke vo Ravi se itna close tha. Shimla mein vo kuchh underage ladkon ke saath sexual activities se related case mein range-haath pakda gaya tha aur guess karo ke arrest kisne kiya tha?"

"Sharma ne"

"Correct. Ab ye mera andaza hai ke case se bahar nikalne ke chakkar mein hi Aadesh ne Sharma ko heere ke baare mein bata diya. Andaze ki tasdeek toh Sharma hi karega par mujhe yakeen tha ke hua aisa hi tha. Aur yahan beech mein aa gaya Sharma ka lalach"

"Aur usne heera Aadesh se chheen liya?"

"Nahi, itna bada risk vo nahi le sakta tha. Heera Ravi ka tha aur use agar pata chal jata ke Sharma ne heera Aadesh se chura liya toh Ravi uski khaal khinchva deta. Sharma ka lalach poore heere ka nahi tha, vo toh apna munh band karne ke badle mein kuchh paise kaatna chahta tha Sharma se"

"Blackmail"

"Correct. Ye meri theory hai, sahi hai ya galat, Ye toh Sharma hi batayega par us Shaam jab Ravi ghar se ladkar nikla toh Aadesh gaadi liye bahar uska intezaar kar raha tha. Ravi us din kharab mood mein shayad isliye tha kyunki usi din shayad Aadesh ne use Sharma ke baare mein bataya hoga. Ab zahir si baat hai ke Aadesh ne ye toh kaha nahi hoga ke usne khud hi Sharma ko heere ke baare mein bataya, usne zaroor ye kaha hoga ke police chhan-been karti Ravi tak pahunch gayi aur isliye Ravi us din itna baukhlaya hua tha. Gaadi mein vo dono Aadesh ke ghar pahunche jahan mere andaaze se Sharma pehle hi intezaar kar raha tha. Vahan kya baat hui kya nahi, ye Sharma se puchhna padega par that evening somehow turned nasty and they ended up killing Ravi."

"Aur Ravi Sahab ke gayab hone ke baad Sharma unhein dhoondhne ka natak karta phirta raha"

"Correct. Usne vo sab kiya jo ke vo ek aam case mein karta. Aadesh ke ghar Ravi ko maarne ke baad unhone Body ko kahin le jakar ya toh dafnaya ya jala diya hoga. Uske baad agle kuchh din tak Ravi ke gayab hone ko lekar Hungama hota raha aur Sharma is saare humgame mein apna role bakhubi nibhata raha. Par phir bhi ek insaan tha jo uske liye ab bhi khatra tha"

"Aadesh?" Negi ne andaze se kaha.

"Nahi, Aadesh toh partner in crime tha. Usse Sharma ko koi khatra nahi tha aur vaise bhi Aadesh kaafi dabbu aur darpok kism ka insaan tha, Sharma ke dar se kahin munh na kholta. Sharma ko darr tha Kanha ka"

"Kanha?"

"Haan, ek Kanha bhi tha jise heere ke baare mein pata tha aur usne Aadesh se zaroor iske baare mein sawal kiya hoga. Use raaste se hatana zaroori tha aur aisa hi Sharma ne kiya"

"Ek hafte baad"

"Correct. Uske baad vo kuchh din tak shaant raha, din kya balki 2 saal tak shaant betha raha. Gunaah ke saare suraag mitane ke baad vo ek desk job par chala gaya aur jaise usne apne aapko bahut hi hoshiyari se scene se hata hi liya. Vo janta tha ke ek mamuli inspector ke paas agar achanak itna paisa dikha toh logon ko shak hoga isliye usne ek plan banaya. Yahan usne vahi middle class ki chadar odhe rakhi par apne bete ko bahar padhne ke bahane bhej diya aur use kabhi vaapis bulaya hi nahi. Kuchh din baad biwi ko bhi vahin bhej diya aur yahan sabko bol diya ke biwi mar gayi, a perfect disguise toh sell everything here and move abroad with his son"
 
305
39
18
Kamal ho Sir Ji aap Kamal" Negi meri tareef karta nahi thak raha tha, "Ek hi jhatke mein 4 murder case solve kar diye. Sunanda ka, Ravi Sahab ka, Kanha ka aur Aadesh ka"

"Thanks Negi Bhai" Maine muskura kar jawab diya.

"Par sir aapko pata kaise chala?"

"Jaisa ke maine kaha, pata nahi chalta agar Sharma khud galti nahi karta toh. Jaisa ke maine kaha, Criminal kitna bhi shaatir kyun na ho, koi na koi galti karta zaroor hai. Sharma ki 2 major galtiyan thi"

"Kya?"

"Uski pehli aur sabse badi galti tha Aadesh. Jis tarah usne 20 saal pehle Kanha ko mara tha usi tarah usne agar Aadesh ka bhi patta saaf kar diya hota toh case mein kahin koi lose end na bachta. Uska sabse bada plus point tha ke is saare mamle ka investigating officer vahi tha. Ek tarah se vo apne aapko hi dhoondne ka natak kar raha tha jabke asliyat mein vo saare saboot mita raha tha jo uski taraf ishara karte the. Uski galti ye thi ke usne sahi waqt par Aadesh ko zinda rehne diya aur galat waqt par use maar diya"

"Aur doosri galti Sir?"

"Doosri galti thi ke waqt ke saath saath vo dheere dheere laparvah ho gaya. Use laga ke case khatam ho gaya hai, koi ab use dhoondhne aayega nahi, sab baat bhool chuke hain. Shaatir toh vo poora tha. Usne Kanha ko maarne ke baad uske jism se goli nikal li thi kyunki jo goli usne Kanha par chalayi vo uske service reolver se chali thi. Agar galti se investigation kisi aur ko chali jaati toh vo us goli ko Sharma ke saath jod sakta tha isliye ye chance Sharma ne liya nahi. Vo heera churane ke baad bhi kaafi time tak vo khamosh hi betha raha, bilkul zahir nahi hone diya ke kitna paisa hai uske paas. Apne bete ko bahar bheja bhi toh student loan lekar par jaise jaise waqt guzarta gaya, uska confidence badh gaya aur saath saath hi laparvahi bhi. Ravi ke gayab hone ke 7 saal baad usne paisa bahar apne bete ke paas bhijva diya jiske boote par England mein ek ghar le liya aur uske bete ne ek achha khasa business vahan set kar liya"

"Ye aapko pata kaise chala Sir?"

"Zahir si baat hai ke itna paisa legally toh vo bahar bhej nahi sakta tha, obviously kisi Hawala wale ke through hi bhijvaya hoga aur itni moti rakam trasfer karne wale kam hi hote hain aur jo karte hain vo records bhi rakhte hain. Kuchh hain meri pehchan mein. Maine naam bataya toh pata chal gaya ke kab Sharma ne kis hawala wale ke through bahar kitna paisa bhijvaya tha."

"Par Sir vo yahan se gaya kyun nahi itne waqt tak? 20 saal se yahan kyun pada hai?"

"Iska jawab toh Sharma hi de sakta hai vaise ab vo jaane ke plan mein tha. Agle mahine ki London ki flight ticket book karayi hui thi usne"

Maine Kamini ko ishare se paani ke liye kaha. Usne ek glass mein pani nikala aur sahara dekar mujhe pani pilaya.

"Sunanda ke baare mein kaise pata chala? How did you know my uncle killed her?" Is baar Sawal Raj ne kiya. Vo abhi bhi usi paper pe likh kar mujhse puchh raha tha aur mere lip read karte hue saari baat samajh raha tha.

Maine use Ravi ke ghar se mili tasveer ke baare mein poori kahani batayi.

"Actually toh aapke uncle ke khilaff mere paas koi khaas saboot nahi tha aur vahi saboot dhoondhne main unke ghar mein ghusa tha. Tab tak main yahi samajh raha tha ke aapke uncle ne Ravi ko maara ho sakta hai par us din baar baar vo yahi bolte rahe ke Ravi ko unhone nahi maara tab mera maatha thanka. Mujhe lag raha tha ke Sharma ne heera churaya hai par jab Pratap Rana ji ne Ravi ke khoon se inkaar kar diya toh poori kahani mere dimag mein saaf hui. Aur agar aap dekho toh ye ek confusing part bhi tha kyunki main shuru se yahi samajh raha tha ke Sunanda aur Ravi Sahab ka gayab hona were connected par aisa tha nahi. These were two different cases altogether"

"You deserve every bit of the fame that you have" Raj ne likha.

"Thanks but trust me, Sharma agar apne paon par kulhadi na maarta toh shayad mamla sulajhta nahi. Us din main aur Kamini Aadesh se milne gaye toh vo ghabra gaya. Sharma ko baar baar phone karne laga aur usse bachne ke liye Sharma ne use milne ke liye Solan bulaya aur maar dala"

Mujhe hospital se discharge hone mein 4 din aur lag gaye. Is dauran Kamini poora waqt mere saath hi rahi aur Negi bhi lagbhag roz hi milne aata raha. Raj phone karke haal puchhta rehta tha par Mrs. Rana se uske baad meri baat ho nahi paayi. Maine papers check kiye toh usmein kahin bhi is case se related koi news nahi thi. Negi se puchha toh pata chala ke Sharma ab tak Mrs, Rana ki hi hirasat mein hai, police ne toh ab tak use arrest kiya hi nahi tha.

Case resolve ho chuka tha aur mera kaam khatam. Hospital se discharge hone ke agle hi din maine Delhi vaapis jaane ke plan bana liya tha. Mere account mein ek bhaari amount transfer ho chuki thi, jitni mere aur Mrs. Rana ke beech decide hui thi usse kahin zyada.

Jis din maine Delhi vaapis aana tha us din subah main Mrs. Rana aur Raj se milne gaya, Goodbyes kehne ke liye. Raj vahin lawn mein betha dhoop senk raha tha. Main uske saamne jakar beth gaya.

"I wanted to say thank you for bringing this matter to an end. Please know that agar zindagi mein kabhi bhi koi bhi zaroorat pade toh mujhe sirf ek phone kar dena. We are highly in your debt kyunki tumne ek bahut bade sawal ka jawab hamein diya hai. Ravi toh ab vaapis aa nahi sakta par tasalli hai ke uske gunahgaar ko aakhir saza ho hi gayi" Raj ne laptop par type kiya.

"About that" Uski baat padhkar maine puchha, "I didnt see any news related to Sharma's arrest. Hai kahan vo?"

"I shudnt be telling you this but I guess you deserve to know. He is dead. I killed him" Raj ne likha.

Main janta tha ke is baare mein main jitna kam puchhun ya jaanun utna hi mere liya achha hai isliye maine aage na kuchh is baat par puchha aur na hi koi comment kiya.

"Did you speak to him?" Maine kaha.

"Yes I did" Raj ne jawab diya, "And you were right. Ravi yahan se nikalna chahta tha aur usne chori chhupe apne aur Kanha dono ke liye American Visa ka arrangement kara liya tha. Paise bhi usne ek taraf rakh liye the par obviously jis tarah ki lifestyle ki aadat thi use , uske liye 15 crore bhi kam the aur yahi vajah thi ke vo us heere ke chakkar mein pada. Aadesh had a crush on Ravi par Ravi and Kanha were in a relationship jiski vajah se Aadesh ko kaafi dikkat thi. Ravi aur Kanha ke yahan se America jaane ki baat Aadesh janta tha. Vo aadmi jisne heera churaya tha Delhi mein vo Aadesh ka kaafi kareebi tha aur usne hi Aadesh ko bataya ke vo ek chori ke heere ke liye kharidaar dhoondh raha hai. Aadesh ne ye baat Ravi ko batayi aur Ravi ne haan keh di. Aage Ravi heera kise bechne wala tha ye baat uski maut ke saath hi chali gayi kyunki iska pata Aadesh ko bhi nahi tha. Ravi ne heera kharida aur is saare kaam ko cordinate kiya Aadesh ne jiske liye Ravi ne use kuchh paise diye. Yahan tak Sharma ka koi involvement nahi tha par uske baad Shimla mein Aadesh us underage case mein involve ho gaya aur tab usne Sharma ko heere ka bata diya. sharma apne bete ko bahar bhejne ke chakkar mein tha aur use laga ke is baat par vo Ravi se kuchh paise kaat sakta hai. Aadesh ne Ravi ko jhooth bola ke police chhan-been karti hui jaan gayi hai ke heera Ravi ke paas hai aur Sharma usse milna chahta hai. Is saare waqt heera Aadesh ke paas hi rakha hua tha chhupa kar. Ravi ye baat sun kar baukhla gaya aur isi liye us din uska Dad ke saath jhagda hua kyunki vo jaldi se jaldi yahan se bhaag jana chahta tha. Dad ne use jaaydad mein hissa dene se inkaar kar diya aur is baat se kilsa hua Ravi us shaam ghar se nikla aur Aadesh ke saath Shimla aaya. Aadesh ke ghar par Sharma already maujood tha aur jab usne Ravi ko blackmail karne ki koshish ki toh Ravi bhadak pada which I can understand. I mean all our lives we have had cops in our pockets, aaj tak kisi policewale ki himmat nahi padi ke hamare saamne munh khole aur us waqt Sharma Ravi ko blackmail karne ki koshish kar raha tha. Ravi samajh gaya ke Aadesh ne jhooth bola aur ye saari uski aur Sharma ki mili bhagat thi. Gusse mein vo already tha, is baat ne aag mein ghee ke kaam kiya. Usne Aadesh par hamla kiya aur is saari haatha paayi mein Sharma aur Aadesh ne milkar uski jaan le li. Uske baad un logon ne uski body ko jungle mein le jakar jala diya aur Sharma is case ka investigating officer bankar sabki aankhon mein dhool jhonkta raha aur saboot mitata raha. Kanha ko usne mara tha kyunki Kanha heere ke baare mein janta tha. Iske baad 5 saal tak vo heera liye chup chap betha raha, kisi ko bhanak tak nahi padne di. 5 saal baad Ravi ki gumshudgi ek raaz bankar reh gayi aur log heere ke baare mein bhi bhool gaye tab Sharma ne apne ek contact ke zariye Mumbai mein kisi mafia ko contact kiya which is not surprising considering ke vo ek policewala tha aur criminals contacts aasanii se nikal sakta tha. Vo heera usne kifi mafia sargana ko 25 crore mein becha aur paisa hawala ke through desh se bahar nikal diya"

"Heere ka kya hua phir?" Maine puchha.

"Who knows? Chori ka heera tha. Kaat kar shayad tukdo mein aage bech diya gaya hoga" Raj ne likha.

"Ek aakhri sawal" Maine puchha, "20 saal se Sharma yahan kyun pada tha ye bataya usne? I mean vo kabka ja sakta tha yahan se"

"Funny Story" Raj ne kaha, "Saale ka visa hi nahi laga"

"What?" Mujhe jaise yakeen hi nahi hua.

"I know" Usne haste ue likha, "Uske bete aur biwi ko visa mil gaya par uski har koshish nakam rahi. Saale ne jab bhi apply kiya visa ke liye, reject ho gaya aur illegally vo yahan se nikalne ka khatra mol nahi le sakta tha"

"Strange" Main itna hi keh ska.

Tabhi Mrs. Rana ham dono ki taraf aate dikhi toh main uthkar khada ho gaya. Unhone bhi Raj ki tarah mera shukriya ada kiya aur kabhi bhi zaroorat padne par unhein phone karne ki takeed di.

"Aapne yahan jo pata kiya, Sharma ke saath kya hua, I guess ye aap raaz hi rakhenge. Kahin iski koi report bana kar chhapenge nahi. Ye baat 20 saal se ek raaz thi , aage bhi ek raaz hi bani rahi" Maine ijazat maangi toh unhone bade serious andaaz mein kaha.

"You have my word" Maine kaha aur palat kar vaapis guest house ki taraf chala.

"Ek baat aur" Pichhe se unhone phir aawaz di, "Ummeed kar rahi hoon ke aap apni shaadi mein bulana nahi bhoolenge mujhe"

"Bhoolne ka sawal hi paida nahi hota Madam" Maine haskar kaha.
 
305
39
18
FINAL CHEPTAR - RAQEEB

Abhay Malhotra aur Kamini ki shaadi ki taiyyari zor shor se chal rahi thi. Shaadi ke cards bant chuke the aur kuchh log is shaadi se hairan the toh kuchh bahut khush. Jo hairan the vo isliye kyunki jis tarah se apni pehli biwi Renuka ke marne ke baad Abhay ne apne aapko sabse alag kar liya tha, usse kisi ko laga nahi tha ke vo dobara shaadi karega.

"You know I love you, right?" Kamini ne phone par Abhay se kaha.

"I know" Abhay ne muskura kar jawab diya.

"I will be there in half an hour" Kamini boli.

"Aaja. Aur sun, zara padosiyon se nazar bacha kar aana. Koi dekh na le ke ladki shaadi se pehle hi apni sasural mein akeli kya karne gayi thi, vo bhi tab jabki ghar par sirf uska hone wala pati hi maujood tha"

"Jo sochte hain sochne do yaar. Aur kya soch lenge, that we were having sex? Vo toh anyways we are going to aur agar tum chaho toh aaj bhi kar sakte hain. I mean why wait"

"Shut up, kuchh bhi bolti hai"

"I am serious. I mean mauka bhi hai, mahaul bhi hai. Kaho toh aaj thodi rehearsal kar lein?"

"Bakwaas band kar aur khana pack karake le aan, bhookh lagi hai mujhe" Abhay ne kaha aur phone rakh diya.

Phone rakh kar Abhay ne apne bedroom mein nazar daudayi. Vo pichhle kuchh din se apne dil par patthar rakh kar Renuka ka saara saman dheere dheere store-room mein shift kar raha tha jisse ke Kamini ke saman ke liye jagah banayi ja sake.

Lagbhag poora hi saman vo shift kar chuka tha.

"All right, lets move you" Kehte hue usne Almari ke paas chair khinchi aur uske uper chadhkar Almari ke uper rakhe suitcase ko utara. Suitcase khaali tha aur kayi din se uper rakha hua tha. Ye suitcase Renuka ka tha aur zaroorat na padne par Abhay ne kabhi iski taraf dhyaan hi nahi diya tha. Pata nahi kabse ye khaali suitcase Almari ke uper hi rakha hua tha.

Suitcase utaarte hi uska dhyaan suitcase mein side mein phase ek pen ki taraf gaya. Vo dekhne mein ek ball=pen jaisa tha jo suitcase ki side mein phasa hua tha.

"How did you get up there?" Abhay ne pen nikala aur use kholne ki koshish ki.

Pen ghooma toh zaroor par sirf ek click ki aawaz aayi, khula nahi. Abhay ne uski cap khinchne ki koshish ki par cap utri nahi. Thoda sa zor lgaya toh pen ki cap toot gayi aur ji saamne gira, vo ek pen ke parts toh bilkul nahi the.

"I know what you are but I dont remember you" Abhay ne parts uthate hue kaha. Parts dekh kar vo samajh chuka tha ke vo pen asal mein ek spy cam tha par hairat is baat ki thi ke khud Abhay ko bhi yaad nahi tha ke ye cam usne kab fit kiya tha.

Battery jaane kabki khatam ho chuki thi. Abhay ne pen mein fit memory stick ko nikala aur memory card mein dalkar Laptop ke saath attach kiya.

Aise aur na jaane kitne spycams usne apne ghar mein fit kiye the, is ummeed ke saath ke shayad kisi cam par use aisa kuchh dikh jaye jisse Renuka ki bewafai saabit ki ja sake par kaamyabi use kabhi haasil ho hi nahi paayi. Jis din Renuka ne suicide kiya, us din tak vo lagbhag khud hi saare spycams hata chuka tha. Us baat ki sabse badi vajah ye thi ke vo kahin apne dil mein is baat se samjhauta kar chuka tha ke uski biwi bewafa thi aur ye shaadi mehaz ek samjhauta banke reh gayi thi, uske bete Vikram ki khushi ke liye.

Memory card mein recorded video ko usne laptop par play kiya. Kul recording 72 ghante ki thi. Pehle kuchh ghanto tak toh koi khaas nahi tha. Sirf camera par use kamre mein aati kabhi Renuka, kabhi vo khud toh kabhi usne maan baap. Fast forward karte hue vo video dekh hi raha tha ke achanak anguli forward ke button se jaise apne aap hi hat gayi.

Video recording us din ki thi jis din Renuka ne suicide kiya tha. Saamne video par is waqt vo khud apne aapko dekh raha tha, sharab ke nashe mein Renuka ko berehmi se peet-te hue. Renuka neeche zameen par giri hui thi aur vo apni belt liye use maare ja raha tha. Sound recording ka option shayad us pen mein tha nahi isliye sirf video hi record hua tha.

"I am so sorry Baby, I am so sory" Saamne ka nazara dekh kar khud uski apni aankh se hi aansoo aa gaye.

Video mein kuchh der tak Renuka ko peetne ke baad vo apni belt phenk kar kamre se bahar nikal gaya. Uske jaane ke baad kaafi der tak Renuka vahin zameen par padi subakti rahi aur phir uth kar kamre se bahar chali gayi. Abhay ne dil thaame video ko fast forward kiya kyunki isi kamre mein Renuka ne suicide kiya tha, usi din.

Takreeban 2 ghante ki recording ke baad Renuka ek baar phir kamre mein daakhil hui. Use dekhte hi Abhay samajh gaya ke vo ab kya karne wali thi kyunki uske haath mein ek rassi thi.

"Oh Renuka, why did you do it?" Abay ne aansoo ponchhte hue kaha. Renuka kamre ke beech khadi Rassi ko lapet=te hue uska phanda bana rahi thi aur Abhay laptop par khamoshi betha, nam aankho se saamne chal rahe video ko dekh raha tha.

Phanda banane ke baad Renuka ne kuchh aisa kiya jisne Abhay ko fauran hairat mein daal diya. Vo phanda haath mein pakde kisi se baat kar rahi thi, koi aisa insaan jo darwaze ke bahar drawing room mein khada tha.

"What the hell ..." Abhay ne kaha aur apne chehre ko laptop ke kareeb kiya jaise dekhne ki koshish kar raha ho ke Renuka kisse baat kar rahi hai.

Vo phanda haath mein pakde ro rahi thi, subak rahi thi aur aise andaaz mein kisi se baat kar rahi thi jaise koi ilteja kar rahi ho. Jaise ke vo jo bhi kar rahi thi apni marzi se nahi balki kisi ke dabaav mein kar rahi ho.

"Oh god... oh my god... oh my god" Agle hi pal Abhay ki aankhen hairat se phati reh gayi, dil ki dhadkan badh gayi aur haath paon thande pad gaye.

Video mein ab Renuka ke saamne kamre mein andar Kamini bhi thi.

Kamini ke ek haath mein uska beta Vikram tha aur doosre haath mein ek revolver jo usne Vikram ke sar par taani hui thi. Vikram ro raha tha, Renuka ro rahi thi aur Kamini chehre par ajeeb sa bhaav liye Renuka ko kuchh keh rahi thi.
 
305
39
18
Abhay ki samajh nahi aa raha tha ke jo vo dekh raha hai vo asliyat thi ya uski aankha ka dhokha. Usne video ko ek pal ke liye pause kiya aur Kamini par zoom kiya, is ummeed ke saath ke shayad video mein koi aur ho jo Kamini jaisi dikhti ho par ummeed galat saabit hui. Jo vo do dekh raha tha vo bilkul vahi tha jo dikhai de raha tha. Koi nazar ka dhokha nahi, koi video ki gadbad nahi. Vo sach Kamini hi thi.

Usne phir se play ka button dabaya aur video dekhne laga.

Video ke saath sound recording nahi tha ilsiye keh pana mushkil tha ke Renuka aur Kamini ke beech kya baat ho rahi thi par andaza lagaya ja sakta tha ke Renuka apni jaan ki bheekh maang rahi thi aur Kamini Vikram ka istemaal karte hue use majboor kar rahi thi ke vo suicide kare.

Agle 15 min tak dono ke beech kuchh baat hoti rahi. Renuka baar baar Kamini ke aage haath jodti rahi. Rassi ka phanda ab bhi uske haath mein tha. Zahir si baat thi ke kisi ko apni jaan lene par majboor karna aasan kaam nahi tha par Kamini bhi apni jagah se tas se mas na hui. Vikram ko usne ek haath se uthaya hua aur doosre haath mein thami revolver ka rukh Vikram ki taraf tha. Achanak usne apne ek haath ka istemaal karte hue hi Vikram ke baal pakad kar khinche.

Vikram shayad zor se munh khol kar chillaya aur Kamini ne agle hi pal Revolver ki nali ko uske munh mein ghusa diya.

Uski ye harkat kaam kar gayi. Ek maan ke saamne uske doodh-peete bachche ke munh mein agar koi revolver ghusa de toh uska reaction vahi hoga jo Renuka ka hua. Usne agle hi pal fauran ek chair ko utha kar bed par rakha aur uske uper chadh kar khadi ho gayi. Haath mein pakdi rassi ke ek kone ko usne ceiling fan ke hook se nikalte hue neeche giraya aur phir chair se neeche utari. Uska rona ab band ho chuka tha aur vo bas bejaan si nazron se kabhi Kamini toh kabhi Vikram ki taraf dekhti. Chair se neeche utar kar usne rassi ke kone ko kamre ke darwaze ke handle se bandha aur phir table ki drawer se ek pen aur paper nikal kar kuchh likhne lagi.

Abhay janta tha ke vo kya likh rahi thi. Ye vo suicide note tha jo baad mein use aur police ko milne wala tha. Kamini ke hilte hue honth dekh kar lag raha tha ke vo suicide letter bhi Renuka ko khud hi dictate kar rahi thi.

Letter likhne ke baad Renuka ne pen ko paper ke uper rakha aur phir palat kar Kamini aur Vikram ko dekhne lagi. Uske chehre ke aasar us waqt kisi aise sipahi ki tarah the jo apni marzi ke khilaff majboor hokar hathyaar daal chuka ho. Na toh ab vo ro hi rahi thi aur na uski aankhon mein koi aansoo tha. Kuchh pal tak vo khamoshi se khadi Kamini ki taraf dekhti rahi. Phir un dono mein kuchh baat hui. Renuka shayad Kamini se ek aakhri baar apne bete ko thaamne ki guzarish kar rahi thi aur Kamini mana karte hue use chair par chadhne ko keh rahi thi. Revolver ki nali ab bhi rote hue Vikram ke munh mein hi thi.

Kuchh pal ki behas ke baad Renuka ek baar phir chair par chadhi aur phande ko apne gale mein daal kar kas liya. Phir jo hua vo within seconds ho gaya. Kamini ne bala ki furti se Vikram ke munh se gun nikali aur use kisi khilone ki tarah bed par uchhal diya. Vikram jakar bed par gira. Is harkat par Renuka ke munh se cheekh nikli. Kamini ne agle hi second mein Renuka ke pairon ke neeche se chair khiska di, jaise use khud darr ho ke kahin Renuka apna irada na badal de.

Bete ko bed par girte dekh Renuka ke munh se nikli cheekh uske gale mein hi ghut kar reh gayi hogi kyunki agle hi lamhe vo gardan mein phase rassi ke phande par jhool gayi aur uska poora shareer bin pani ki machhli ki taraf phadakne laga.

Isse aage Abhay dekh nahi saka. Iske baad kya hua tha, vo khud bhi bahut achhi tarah janta tha. Apne laptop ko usne ek jhakte ke saath band kiya aur chehre par avishvash ke bhaav liye apna sar pakad kar beth gaya.

"I am sorry" Kuchh seconds baad apne pichhe se aayi aawaz sunkar vo uchhal pada.

Vo video mein itna khoya hua tha ke use andaza hi nahi hua ke kab Kamini uske pichhe aa khadi hui thi.

"You want to explain this?" Kamini ke chehre se saaf zahir tha ke vo jaanti thi ke video mein Abhay kya dekh raha tha.

"I did this only for you" Kamini ke aawaz rooansi ho chali thi, "Because I loved you so much"

"Loved me, you loved me?" Uski baat sunte hi Abhay bhadak sa utha aur sofe se uth kar khatarnaak andaaz mein uski taraf badha.

Par Kamini ne jo kiya usne Abhay ko apni jagah par rukne par majboor kar diya. Usne fauran apne bag mein haath dala aur ek revolver nikal kar Abhay ki taraf taan di. Ye vahi revolver thi jisse usne kuchh din pehle Pratap Rana ki jaan li thi aur jo ke usne video mein Vikram ke uper taan rakhi thi.

"Kya karogi?" Abhay revolver dekh kar mazak udane wale andaaz mein hasa, "Mujhe bhi goli maarogi?"

Jawab mein Renuka ne kuchh na kaha. Sirf revolver haath mein pakde khamoshi se Abhay ki taraf dekhti rahi.

"Kyun? Why?" Abhay ne kuchh pal baad phir sawal kiya.

"Dont you still see it?" Kamini boli, "She was never right for you. She was never the girl for you"

"And you are? A cold-blooded murderer?"

"Maine jo kiya sirf tumhare liye kiya, sirf tumhare pyaar ke liye"

"My love was never yours" Abhay chilla pada, "It was always hers. Guess what, I still do not love you. Tumse shaadi sirf main apne bete ki bhalai ke liye kar raha tha par I am still in love with my wife"

"No you are not" Jawab mein Kamini bhi poore zor se chillayi, "You never loved her. If you did then you never would have doubted her, treated her bad, tried to spy on her, made her life a living hell and beat her up like a bloody animal. You never loved her. And guess what, I didnt kill her, you did. You killed her the day when you assured yourself that your wife was a whore, a worthless woman who was cheating on you. Tum kabhi is baat ko accept hi nahi kar paaye ke Renuka jaisi had se zyada khoobsurat ladki tumhari biwi thi, ek aam si shakal soorat wale insaan ki. You were insecure, you always were. You were only looking for an excuse to turn you insecurity into trust issues, and you grabbed the first chance that you had at it"


Kamre mein kuchh pal ki khamoshi chha gayi. Kahin apne dil mein Abhay bhi janta tha ke Kamini sach bol rahi thi.
 
305
39
18
She never cheated on me, did she?"

Kamini ne jawab na diya.

"Please, just tell me the truth, the whole truth. I beg of you"

"What for Abhay? It isnt going to change anything. It isnt going to bring her back"

"Please, just the truth. She never cheated on me, did she?"

Kamini kuchh pal tak khamoshi se use dekhti rahi aur phir ek lambi saans khinch kar boli,

"No"

"Oh god" Abhay lagbhag apne baal nochta hue sofe par gir sa pada, "What hav I done"

"Listen to me Abhay" Kamini ne ek kadam aage badhaya, "Lets just forget about this please. Lets just go back to a few hours ago when you had not seen this video"

"Forget about this?" Abhay ne uski taraf ghoor kar dekha aur Kamini phir apni jagah par hi ruk gayi, "Forget about that you killed my wife? That you pulled a gun on my son?"

Kamini apni jagah khadi mayus aankhon se uski taraf dekhti rahi.

"Wait a minute" Abhay kuchh yaad karne ki koshish karta hua bola, "It was all you, wasnt it?"

Kamini ne jawab na diya.

"Please for god's sake. Tell me the truth. It was all you, wasnt it?"

"Yes"

"That day when you called me to meet you for lunch at that mall, you knew Kamini was going to be there. You wanted me to see her with another man and start doubting her?"

"Nahi" Kamini ne zid chhodne wale andaaz mein kaha,"That day was just a co-incidence. I just called you for lunch, mujhe nahi pata tha ke Renuka bhi vahan aayegi"

"Toh vo aadmi?"

"Uske office ka koi tha, they had a client meeting in that hotel. Vo aksar clients meeting ke liye us hotel ka istemaal karte the. Renuka ne mujhe baad mein bataya tha. Vo aksar vahan jaati thi office ki conferences ke liyes par us din tumhara chehra dekh kar main samajh gayi thi ke tumhein Renuka par shak ho gaya hai. Main sirf tum dono ke beech doubt create karna chahti thi so that you would divorce each other"

"Jhooth kyun bola tha usne mujhse us din ke office mein hi hai? Uske baad usne apna phone bhi off kar diya tha"

"Keh nahi sakti par shayad office ki meeting thi isliye keh diya ho ke office mein hi hai aur meeting ke dauran phone off kar diya ho. Tumhara birthday bhi shayad us din ke aas paas hi aur vo tumhare liye kuchh surprise gift bhi dena chah rahi thi shayad isliye tumhein batana na chah rahi ho ke shopping ke liye aayi hai. Us birthday par usne shayad tumhein ek ghadi gift ki thi kaafi mehengi aur vahin mall pe ek watches ka showroom bhi hai, isliye shayad tumhein surpirse dene ke liye jhooth kaha ho"

"So it was all you then" Abhay ne yaad karte hue kaha, "Raat ko phone par tum hoti thi na uske saath kyunki har subah jab bhi main uska phone dekhta tha toh usmein raat ko tumhara number bota tha aur baad mein ek unknown number se call"

"Haan it was me. Tum usse baat nahi kar rahe the, uspe shak kar rahe the and I was he common friend. Vo sahare ke liye mere paas aati thi"

"Aur vo unknown numbers?"

"Mere hi the jo ke maine sirf is kaam ke liye hi le rakhe the. Vo mujhe call karti thi toh main kisi bahane se palat kar use kisi unknown number se callkarti kyunki main jaanti thi ke tum uska cell dekhoge"

"Wow. Ek taraf vo tumhare paas sahare ke liye aati thi aur doosri taraf main aur tum dono hi taraf se faayda utha rahi thi. Let me guess, vo condoms kewrapper jo mujhe ghar mein mil rahe the ...."

"Maine hi giraye the"

"Of course, mere ghar mein free pass sirf ek tumhein hi haasil tha because you were always like a family to us. Tumhein kaise pata ke main aur Renuka kaun sacondom use karte the?"

"Renuka ne hi bataya tha ke tum sirf ek hi brand ka condom use karte the"

"Us din jab Renuka tumhare saath thi aur maine uske cell pe phone kiya toh ek aadmi ne call receive ki thi"

"Vo mera hi number tha, fake ID par liya hua tha. Tumne call ki toh maine sadak chalte ek aadmi ko kaha ke call receive kare ye kehkar ke koi ladka mujhe pareshan kar raha hai"

"Wow Kamini, wow. Well played. Kaun keh sakta hai ke ek aam si dikhne wali ladki ka dimag itna shaatir chalega but I guess its no surprise at all. The way you solved the Ravi Rana wala case, I mean it was literelly you who did it. TUm saath na hoti toh kuchh na pata chalta mujhe and they way you killed Pratap Rana. Ek second nahi lagaya tha tumne uspar goli chalane mein aur use maarne ke baad tum ekdam calm thi, koi ghabrahat nahi, koi pareshani nahi. Hairani toh mujhe bahut hui thi is baat par"

"Usne tumhein maarne ki koshish ki thi, vo toh uski kismat achhi thi ke mere haath mein us waqt ek gun thi nahi toh uski toh main kitchen knife se boti boti karti"

"Is this gun really your father's?" Abhay ne revolver ki taraf ishara kiya jo abhi bhi uspar tani hui thi, "Ya vo bhi jhooth hi bola tha us din jab maine tumse Pratap Rana ki maut ke baad puchha tha ke ye gun kahan se aayi?"

"Jhooth bol rahi thi. Gun meri hi hai"

"Kahan se aayi?"

"Kya farak padta hai?"

"Yeah I guess. Itna shaatir dimag hai tumhara toh gun bhi kahin na kahin se aa hi gayi hogi. Tell me something, how did you avoid getting any call recorded.

Maine spycams lagaye hue the ghar mein par kisi bhi cam par tum record nahi hui kabhi"

"Tumne khud hi bataya tha mujhe is sabke baare mein"

"Oh yeah right, aur jiske baad tumne mujhe lecture bhi pilaya tha ke main galat kar raha hoon, mujhe Renuka par bharosa karna chahiye vagerah vagerah"

"Main jaanti thi ke ghar mein kahan kahan tumne camera fit kiya hai, ke Renuka ki calls, emails vagerah tum track kar rahe ho"

"Aur isi vajah se tumne Renuka ke cell par usse baat karni band kar di kyunki tum jaanti thi ke uski calls main sun sakta hoon"

Kamini ne haan mein sar hilaya.

"Jo Renuka mujhe ghar se aksar gayab milti thi?"

"Main hi bulati thi use"

"Us din jab vo tumhare saath thi aur uske cell ke saare messages mere paas aa rahe the ...."

"Tumne hi bataya tha ke uske sim ka ek clone tumhare paas hai"

"Vo message tumne uske cell se bheja tha?"

"Vo uthkar washroom gayi thi toh uske phone se vo love message maine bhej diya"

"Jis number par bheja tha of course vo tumhara tha"

"Nahi, maine Renuka ki ID chura kar ek number issue kara rakha tha apne address pe. Maine usi sim par message bheja tha taake agar tum uske number ko run karo toh Renuka ke naam par hi dikhaye uske so called boyfriend ka number"

"Ek baat aur batao, tumhein kaise pata tha ke main aur Renuka mujhse is baare mein koi baat nahi karegi. Kabhi darr nahi laga ke hamne aapas mein kabhi baat kar li toh tumhari sachchai saamne aa sakti hai?"

"Jis tarah se tum mujhse baat kar rahe the vaise hi Renuka bhi mujhse roz baat karti thi. I became her best friend as well"

"Ohhhhhh" Abhay samajhne wale andaaz mein bola, "Toh do tarfa khel tha ye. Ek taraf main ye sochta raha ke Renuka mujhe dhokha de rahi hai aur doosri taraf vo bechari ye sochti rahi ke main use dhokha de raha hoon?"

"Haan"

"Isi liye usne mujhe manane ki koshish, mujhse baat karne ki koshish band kar di thi. Jahan ek taraf main ye soch raha tha ke vo shayad apne guilt ki vajah se aisa kar rahi hai, vahin haqeeat ye thi ke vo apni narazgi ki vajah se mujhse baat nahi kar rahi thi"

Kamini ne koi jawab na diya. Sirf chup-chap Abhay ko dekhti rahi.

"Ye camera Renuka ne lagaya tha?" Abhay ne spycam wale pen ko uthate hue kaha.

Kamini ne haan mein sar hilaya.

"You knew about this?"

"Vo tum par bahut zyada shak kar rahi thi aur divorce ke baare mein soch rahi thi. Jis tarah tumhein shak tha ke tumhare pichhe vo kisi aur ko ghar bulati hai usi tarah use shak tha ke uske peeth pichhe tum kisi aur aurat ko yahan laate ho. Court mein tumhein bewafa saabit karne ke liye usne ye cams lagaye the"

"Tumhein nahi pata tha iske baare mein ke kahan lagaye hain?"

"Pata tha, khud nikal kar le gayi thi main saare us din par ek ye reh gaya tha"

"Jab Renuka mujhse divorce lene ka soch hi rahi thi toh use maara kyun?"

"Us din subah main Renuka se milne aayi thi aur uske phone se chup chap ek message bhej kar chali gayi thi. Tumne vo message dekh liya aur Renuka ko maar-peet kar chale gaye. Uske baad Renuka ne phone karke mujhe bulaya tha aur galti se vo doosra phone mere bag mein hi reh gaya tha. Jab main yahan aayi toh Renuka ne mujhe vo message dikhaya. Use khud samajh nahi aa raha tha ke vo message uske cell mein kahan se aa gaya..."

"Aur uske baad usne tumhare saamne hi us number pe call ki. Number tumhare bag mein baja. Renuka ne tumse us baare mein puchha, tumne zaroor koi bahana banaya hoga par bevakoof toh vo thi nahi, usne do aur do chaar kar liye honge"

"Poori tarah nahi. Maine use kaha tha ke jab main thodi der pehle aayi thi toh mere cell mein balance nahi tha aur apne boyfriend ko maine uske number se message bhej diya tha. Uske baad main apne boyfriend se milne gayi thi aur mere boyfriend ka phone mere paas reh gaya tha par usmein kayi baatein aisi thi jinka tuk nahi ban raha tha jaise ke maine us message mein husband likha tha par mere koi husband tha hi nahi. Mere us message ki vajah se Renuka ko tumne itna maara tha, is lihaaz se Renuka ko mujh par chillana chahiye tha ke maine aisa kyun kiya use bina bataya par vo kuchh nahi boli, sirf chup rahi. Darr mujhe uska nahi tumhara tha ke tum do aur do chaar kar loge. Maine bahana banaya aur vo chup ho gayi thi us din par uske chehre se saaf zahir tha ke use mujhpar shak ho gaya hai. Main jaanti thi ke us din shaam ko vo zaroor tumse us baare mein baat karegi. Bhale mere baare mein kuchh na kahe par tumhein ye zaroor batayegi ke jis message ko dekh kar tumne use itna maara vo Kamini ne bheja tha"

Aage kisi sawal ki zaroorat nahi thi. Abhay jaanta tha ke uske baad Kamini ne kya kiya tha.

"Ab?" kuchh pal ki khamoshi ke baad Kamini ne kaha.

"I cant let you get away with it" Abhay ne jawab diya, "I wont. Either you kill me or I will have you pay back for what you did"

"Kill you?" Kamini uski baat sunkar has padi, "You know that doesnt sound like a bad idea, only If I had thought of it earlier. Tumhein maar hi deti kuchh arsa pehle toh itna kuchh hota hi nahi. Tum the saare fasad ki jad, tumhare liye main pyaar mein itni andhi ho gayi thi ke sahi galat kuchh nahi dikha. Sahi keh rahe ho tum, tumhein hi maar dena chahiye tha"

"Maar hi diya tumne indirectly, ab chhoda kya hai?"

"I want you to remember something Abhay. Bahut tarsi hoon main tumhare liye. Bevakoof nahi hoon main, jaanti hoon ke jo maine kiya vo bahut galat kiya aur ab kuchh bhi sahi hone ki koi ummeed nahi hai. Sirf isi liye khamoshi se khadi tumhare saare sawalon ke jawab de rahi thi. Ab jis mod par main aur tum aa gaye hain vahan se vaapsi mumkin nahi. Dil ke haathon majboor thi main. Bachpan se hi sabne bataya ke meri shaadi tumse hogi, mere gharwalo ne bhi yahi kaha aur tumhare gharwalo ne bhi. Bachpan se hi dil mein ye baat is qadar bas gayi thi ke kab main tumhare ishq mein baawli ho gayi, pata hi nahi chala aur jab tum mere bajay kisi aur ke ho gaye toh toot gayi thi main. Kuchh badal gaya tha mere andar. Pehle tumse mohabbat karti thi sirf par Renuka ke aane ke baad tumse mohabbat ke saath saath nafrat bhi karne lagi thi. Renuka ko maine sirf isliye nahi maara ke main tumhein haasil karna chahti thi. Sach toh ye hai ke iske saath saath ye bhi khyaal dil mein tha ke kam se kam main tumhein us takleef ka kuchh taste doongi jo tumhari vajah se mujhe hui thi. Bure kaam ka nateeja bura hi hota hai Abhay. Renuka ki laash par chadh kar tumhein haasil karni ki koshish ki hai maine, poori kaise ho sakti thi"

Abhay ne koi jawab na diya, sirf Kamini ki taraf dekhta raha.

"Alvida Abhay. Zindagi bhar tumhare liye tadpi main aur ab dekho, tumhare liye tadapti hi ja rahi hoon. Manzil ke itna kareeb aakar maut aa gayi" Kehte hue Kamni ne Revolver ko apne sar par lagaya aur Trigger khincha.

Abhay ne na kuchh kiya aur na kaha. Sirf khamoshi se Kamini ko dekhta raha.

THE END
 
expectations
22,557
14,731
143
badhiya kahani suru se last tak suspense me rahta reader ki baat kya thi akhir last me pata chalta uski wife bewfa nai thi khair biwi gayi premika bhi gayi
 

Top