Horror RAJ MAHAL (Complete) by The wolf

Love is life
2,995
1,686
143
Upadte 9

log aur ek sar katta aadmii sidiyo par chadhta hai mahi ko dekhta hai aur kuch log oose bistar se uthaake oosi khufiya darwaaje ke paas le aate hai

Fhir wohh darwaja khulata hai aur andar mashaal jal uthti hai…sidiyaa se niche aate huye oose saf dikhta hai ki kuch log ek taabut ke samane kahre hai ek taraf patthar hai jispe ek ladki ko bedardi se sar kaanta Jaa raha hai aur fhir ooske maans ko beech beech mein se kaant ke ooske khoon ko oos taabut ke andar pare laash pe daal jata hai wohh log mahi ko kasske pakadhte hai aur ooske gardan ko patthar pe tikaake ek bara bhayankkar aadmiii safed aankho wala khoon se tarbatar jiski aadhi gardan katti huyi hai oose mantra padhke maarne ki koshish karta hai ye sab sunke hafeez dheere dheere chinta mein padhne lagaa…oose toh ye sab kabhi dikhaa nahi par oosne ek baar mehsus bhi kiya tha…oos raat jab mahal ke baar kisi ne ooske kareeb aane ke baad ekdum se hawaa ki tarah gaayab oosne kabhi mehsus bhi kiya hai ki ird gird ooske koi hota hai

In sab baton se tang aakar charles ko ab jaldi bulaane ke siwaa aur koi raasta nahi tha…charles ko saai baat kehne ke baad….charles bhii is baat pe yakeen karne lagaa
“hmmm it’s very complicated ye sab cheezein mahi ko dikhnaa it’s unbelievable tumne doctor se baat ki”……Charles ne cigar jalake bola
“hmmm doctor ne hi check up akrke bataya mahi de din pe din kamzor hoti jaa rahi hai ooska khoon sukhte jaa raha hai mujhe toh lagta hai oosko koi gehra sadma lagaa hai
“Hmmm maybe maine toh tumhein pehli kaha tha but u didn’t believe me anyways hum khud in haalato kea age mazbur hai agar ye baat police ko pata chali toh shayad hamare contract pe aanch aa jaaye aur jo cash milane wala hai huhh shayad hamare haath se chala jaayega aur agar sheher walo ko pata lagaa toh hamara yahan rehna aur bhi dushwar ho jaauega”…….Charles ne sochte huye hafeez ki or dekhte huye kaha
“toh kya karu sir? Main samajh nahi paa raha maine kabhi khuda pe yakeen nahi kiya toh ye sab cheezein manta hoo ye mahal kabhi khooni rha hai yahan maasumo ki bali chadhaayi gayii lekin kya insab baton ke liye hum inhein apne aaj mein kyu include kare?”…..hafeez lagbhag pareshaani mein bola

“ek kaam karo kuch din main bhi yahan rahungaa I will see hum dono toh saath mein si contract ke liye kaam kar rahe haii zara main bhi toh dekhuu ye jagah kitna haunted hai”….charles ne muskurake tasveero ki or dekhte huye bola
“pakka toh darrenge toh nahi even mujhe bhi gaye raat ko azib sa darr lagaa aur ek baat aur wohh kaagaz jispe ekdum se laal syaahi giri ye baat bh iazib hai fhir gaayab ho gayii”….hafeez ne charles ko gaur karte huye dekhte huye bola

Charles – strange mujhe toh lagta hai ki koi hai sheher mein se hi jo yahan kayi saalo se koi dhandha kar raha ho I mean cocaine durgs something aur ooska raasta is kufiya darwaaje se jata ho…dekho mahi ek religious house se hai toh ooska ye sab pe manna banta hai lekin tum ek responsible guy ho main bhi parnomal actiivites pe yakeen karta hoo but business mein nahi aaj kaam khatam karke main yahi soke dekhta hoo kya hota hai
Hafeez – koi baat ho toh bula lijiyega hahaha
Charles – hum itne bhi darphok nahi beta

Jald hi suraj dhal gayaa….hafeez ne kamre mein tangi suraa yaseen ki or dekha jo mahi en taanga t ha..fhir apne gale se locket ko utaarke hafeez ne wohh mahi ke gale mein daal diyaa mahi gehri neend meinnn soyi huyi thi…kuch dair pehle hafeezn e oose khilaake jald hi sola diya tha..hafeez ne ek baar kamre se bahar ki or jhaanka aur fhir chadar odheyy so gayaa

Hauuuuuuu…siyaar ke rone ki awaaz ko sunn ek pal mein andhere mein charles ki neend bhang uthi….oosne ek baar mehsus kiyaa ki koi darwaaje ke paas khara hai….ye maharaja ke kamro mein se ek tha…charles uthke torch jaalaye bahar ki or dekhne lagaa….koi nahii sirf ek table pe rakhii mombatti jal rahi thi baaki or pehle ki tarah khaaoshi achanakk waqt pe nazar daala raat ke kareeb 1 baj chuke they

Charles nasha waala aadmi haii oosne apne pocket se ek cheptii wine ki bottle nikaali aur ooske dhakkan ko kholke do teen ghuntt liya….achanakkk oose thandi hawaa ki sirhan mehsus huaa charles bahar ki or dekhne lagaa….

Dhdaddh dhadhhhh…koi darwaaje peet raha tha…lekin ye saamne ke darwaaje nahi theek andar waale kamre se aa rahi thi..dhadhhh charles ekdum chaunk utha…oosne torch liyaa haath mein cigarette fasaayi aur kamre se bahar nikalaa…dhadhh dhadhh…darwaaje ko koi kholne ki koshish kar raha tha..c.harles adhere dheere oosi kamre ki or gaya jahan kufiya darwaja tha..dhadhh dhadhhhh…charles ne dheere dheere darwaja khol daala…darwaaje ke khulte hi chrr chrr kara huaa darwaaj teekhi awaz se khul gayaa…charo or sannata..a.chanakkkk dhadhh dhadhhhhh….charles ekdumm sehem uthaa ye awaaz oosi darwaaje se aa rahi thii lohe ke darwaaje se…charles chutte huye sidhe kamre ke andar gaya aur kasske ek laat lohe ke darwaaje pe maarke chillaaya
“kaunnnn haii?”…..charles ki awaaz ke baad kisi aur ki awaaz aur peetne ka shabd sunaai nahi diyaa

Sab kuch jaisa tha theek waisa ho gayaa….ho ho karti hawaa ka shorr bhi khaamosh sa ho gaya….lagbhag torch jaalaye jhukke charless darwaaje ki or dekh raha tha….lohe ke darwaaje ke theek upar bani kudnii ko charles ne torch rakhkke kholna shuru kar diyaa….gadh ghadhh ghadhhhh…awaaz ke sat kundi ko mazbuti se kholte hi achanakkkk ghadaass karke kundi khul gayiii….charless dheere dheere apna haat hdarwaaje ke sirhe pe laa jaake mazbuti se darwaaje ko kholne lagaa

GHANN GHANN k iawaaz ke sath darwaja khulne laga aur osk sat hhi lohe ke darwaaje ko aaram se rakhte huye charles ne cigarette ka ek kassh iyaa…oosne paas rakhii torchhh maari….ekdum khokli mitthiii charles ne mitti pe paoo maarna shuru kar diyaa…aur achanakk se ghadhass karke mitti ka ek pura parat sidhe gufa ke bheetar jaa gira…iske sat hhi charles sambhalte huye paas gir para…aahhh..charles ko halki chot aayi….charles ka munh khula ka khula reh gaya

Yee kyaa? Ek gufaa…niche sidiya jaa rahi ha iaur andar Ghana andhera….lagbhag do sidya lohe ke darwaaje takk aisi farsh pe bana khaali basement dekhkar charless ne cigarette ko bhujaake faikh diyaa….haath mein torch liyaa aur dheere dhere sidiyo se niche utarne laga..thak thakkk kadmo ki awaaz khudhi ko sunaai dene lagii charles ne torch maarke charo or dekhaa ekdummm mitti daar gufaaa….patthar se banayi gayi ye gufaa….ek khaali sa hall jiske andar Ghana andhera torch ki roshni mein jab andar dekhaa tohhh tute mombatii ke holders badbuuu azib si badbuuu ek pal ke liye charles ne naak pe haath rakhkhe hawa mein haath jhadha…andhere hall mein aat hiii charless ke theekkk kapre pe jaise kuchh gira…charles ekdumm bhaulka gaya..huhhhhh…charles ne dekhaa ek patthar katukda ooske kapre pe gira tha….

Charles ne saamne jaake dekhaa tohhh ooski saans ruk gayii…har taraf haddi kankaal shahi senaa ke kavachhh phate puraane kaale libaass….. jaisa mahi ne byaan kiya tha theek waisa…charles ko wohh kahani fhirse yaad aane lagii…charles dhere dheere aage badhne lagaa oosne ek baar torch maarke saamne dekhaa ek purana sa belchaa jispe laal laal dhabbe lage theyyy charo or khon sukha huaa ha….aur sabse hairat waali baat ki ek kabar tha…charles ke mann mein awaz aayi “toh yahii haiiii wohhhh shaitani pujaa wala kamra jahan bahut saal pehle raja ne bali chadhaayi thiii aur shayaddd ohhhh”…charles ke munh se awaaz bndhh gayii saamne taabut aur jahan oosne pao rakhaa tha wohii bilkul maharaja ki poshakk meinnn wohhh dhaancha…charless ne jaldiii se socha ki daudhke hafeez ko bulaa le charless chutt para sidiyo ki or

GRRgrr grr karta huaa oose kuch hilane ki awaaz sunaaii di..charles kaanpta huaa peeche ki or dekhen lagaa…wohh taabuuut ka parat apne aap hilkul khul raha tha maano jaise oose oi hataa raha ho…charles ka gala sukh gaya aankhen bari bar ho gayiii….ek ek karke sidiyo se upar kaapte huye charles uthne lagaa…achanakkkkkk se hhuhhhmmmm ki awaaz suniii azib si awaaz bhaari si jaise dohri awaaz kisi ne nikaali ho charles kaanpte huye roshni se kabar ki or maarein huye thaa lekin jaise oos azibbb se bhayankar aadmi ko nikalte dekha toh khoon sukh gaya ekdummm haatho mein maans nahi pure jism mein bas chamdhaaa…aadhaa chehre ka khaal aur aadha gaayabb bas dhaancha….wohh larkharate huye azib si awaz nikalta ua qabar se nikal raha tha….achanakkk se thak thakk thakk ki awaaz sunte hi charles ndekhaa ek taraf se sar kattaa aadmii uthke nikal raha tha…ye tohh wohii senpathii wohii kaala libas wohi sainiki ki poshakk par abhii tohh ye ekdum kankaal banaa huaa tha ek pal ke liye ksii bure sapne jaisa lagne lagaa

Charles ko dheere dheere wohh aar katte aadmi aane lage….charles ndekhha ki wohii gardan se khoon nikalta huaa aankhen safed liyee bhayankar nigaaho se maharaja oos I ki or dekh raha tha charles reh na saka aur bhaag utha…wohh sdiiyo se daudhne ki koshish hi kit hi ooska pao fisala aur who girke waapis niche…charles cheekhta huaa upar ki or bhaagne lagaa….wohhh sar katte aadmi haath omein talwaar liye charles ke kareeb langdhaate hye aa rahe they charles cheekhne chillane lagaa

Bacchaoaoo bachcaaoooo….lekin jaise hi oosne sidi se chadhte huye fhir bahar nikalna chaha ekdum se oos maharaja ne ooske pao pe apna daant gadhaaa diyaa….aur ooske maans mein apna daant dhass dya….charles cheekhne laga aaaaaaaaaaaaaahhhhh aaaahhh…khoon tapakne lagaa jise sab sena pagalo ki tarahhh haste huyee apne haatho mein masal rahe theyyyy khooni safed nigaahon se maharaja buri tarah charles ke pao ke maans ko ukaadh raha tha

Charles cheekhta huaa sambhal na saka aur sidhee niche jaa gira…..oosi ke sath hi chrr chrr karta huaa lohe ka darwaja apne aap band ho gayaa…aaaaahh aahhh aaahahhh aaaaaaaaaaHHHH….ghasiste huye khoon aur zakhm se tarbatar charles roye gidgidaaye jaa raha tha…ooske saamne kuch dair pehle jo gufaa laasho se bhari thi wohi sar kati laasheinn ab saamne khari thii bhayanak dikhne mein aur maharaja ooski aadhi gardan kati huyiii jisse khoon ris ris ke aa raha tha…maharaja bhayanak safed nigaaho se dekhte huye mantrapadheinn jaa raha tha ooske ek haath mein tapak raha khoon se bhara belchaa

NNNAAHIII NAHIIII NNAHIIII AAAAAAAAAAHH…..oos sat kati maharaja ki murde ne apne ek hi vaar se charles ki gardan ko udhaa daala tha…ooski khoon ki pichkariyaa diwaar pe girane lagiii maharaja ki dada ghunto par baithkee haste huyee apne zubaan ko bahar nikaale oos khoon ka swaad le rahe theyyyy maut ka aisa bhayanak manzar shayad hi kisi ne dekhaa ho sar kati laashh charless ki kuch dair tak kanpti rahii kaale libaas mein wohh sab sainiko ki murde aur khud maharaja tahaka lagaate huye mantra padheinn jaa rahe theyyyy

Dhammmm ekdummm se loha ka wohh darawaza fhirse lag gayaa…jalti torch ke upar khoon hi khoon lagaa thaa…mahii ekdum se bhauklaayi uthiii oosne bahayanak sa wohi sapnaa dekhaa tha….niche se hafeez ki awaaz ko sunn wohhh razaai odheyy niche utaariii
 
Love is life
2,995
1,686
143
Update 10

Hafeez naukar ke sathh charles ko sab jagah dhundh rahatha….charrless charlessss….leki ncharles ka koi jawaab nahi tha…hafeez dobara kamrem ein jaake dekhta hai ki wahan wohii sharaab ki chapti botal thi jo harpal charles apne paas rakhta hai…hafeez ko pareshaan dekh mahi ooske kareeb aayi
“kyaa huaa hafeez? Tum itna zor zor se charles ko kyu awaaz de rahe ho?”…..mahi ke niche kaale ghere chaaye se gaye they
“arre tumhein bistar pe aaram karna chahiye thaa naa..asal meinnn main kareeb 2 ghante se charo or dekh raha hoo naa jaane charles kahan chala gaya ooska samana bhi toh ooske kamre mein padhaa huaa hai merit oh kuch samajh nahi aa rahaa”……Hafeez ne mahi ki or dekhte huye kaha…,mahi bhi thodhi sehem uthi charles ka yun gaayab ho jaana

“saaheb maine pura sheher dekh liyaa charles sir ka koi pata nahi chala”…..mark ne bataya
“azeeb hai toh fhir bina bataye wohh kahan chale gaye kahin aisa toh nahi oonhein kuch kaam ek min phone do”…..hafeez ne turant charles ke daftar phone karke puchaa

Charles ke agent ne phone uthaaya aur chaunkaa dene waali baat thi ki charless waapis lauta hi nahi tha….hafeez ye baat sunke ekdum hairaan reh gaya is ajnabi jagah mein charles aakhir jaa kahan sakta hai….achanakkk se mahii ki nigaahhh oosi kamre ki or parii jis kamre meinn wohh khufiyaa darwaza haii ek baar mahi ne charo or dekhaa wohhh mahall kisi darawane bhutiya ghar jaisa lag raha tha..mahi ekpal ke liye sehemte huye hafeez ki or dekhne lagii..hafeez ekdum chupchaap saqtii se mahi ki or dekh raha tha oosne samajh liya ki mahi kya kehna chahti hai?

Hafeez mahi ke sath jaise oos kamre mein aata hai ooske charo oose sabkuch waisa hi nazat aata hai “kal raat maine dhadhaam se koi cheez band hone ki awaz suni jabki darwaaje sabkuch band they”…..Hafeez ne mahi ki or saqt ise dekhte huye bola
“toh kya oos awaaz ka charles se koi matlab hai?”…..hafeez ekdum chupchaap tha itne saal se jin baton pe yakeen na karaa wohh baatein ab oose yakeen lagne lagi thi

Hafeez ne jaise oos lohe ke darwaaje pe dekhaa ooske ek paas cigarette giri huyi thii…hafeez ne cigarette ko gaur karte huye mahi ki or dekha…aur fhir kcuh dair tak chupchaap darwaaje ko ghurrta raha mahi chupchaap hafeez ki or dekh rahi thi…”yakeenan kal raat charles yahan aaya tha”…hafeez ne mudhke saqti se mahi ko bataya mahii ki ankhen ekdum bari si ho gayi

Jald hi hafeez mark ki dekh rekhh meinnn mahi ko chodhkee kotwal ki taraf nikal gayaa…police station pe oosne inspector ko mahal mein ho rahe saari cheezon ke baarien mein ek baar hi bataa diyaa….lekinn oos sheriff ki nazaro mein maano ek khauff sat ha…oosne cigarette jalakae sirf itna hi kaha “aapne wahan jaake sabse bari bhul ki khaaskar ke aapke dost ne aap log jab jaante hai ki wohh mahalll barso se band haiii khandar mein tabdil ho chuki hai fhir bhi wahan aap rehna chahte hai”……sheriff ne cigarette ka kash lete huye kaha
“k..kya keh rahe hai aap? Aap in sab baton pe yakeen karte hai..mere business partnes missing hai aur ek sarkari kaam ke liye ho raha hai I am an architect mujhe wahan oos khandar ko todhke hotel palace banane ka contract mila hai”…..cigaretee ka kash liye bas chupchaap sheriff muskurata hua hafeez ki or dekh raha tha
“dekhiyee aap naaraaz mat hoiye hum koi case nahi bana sakte haan humm missing report zarur likh sakteh ai lekin oos mahal ke paas jaane ka saahas hum mein nahii gadhe murde ukhaadhne ka humhe koi shouk nahi bhalaai yahi hai ki aap abhii apni wife ko lijiye aur wahan se nikal jaaiye”……hafeez ko ek pal hairaani huyii lekin oosne fhir dusri baat baat ko dohrana munasib na samjha oose samajh aa gaya sheher waalo ki tarah ye bhii oos mahal ke darr se jee rahe they

Hafeez bas chupchaap police station se nikal gaya….udhar mahiii chupchaap mark ko dekh rahi thi jo kaanpte huye mahi ko chaaii de raha tha..mahi se ab aur savar nahi ho raha tha wohh bas janna chahti thi ki aakhiirr kis dehshat mein mark hai oose kya pata hai? Yakeenan hafeez kuch chupaa raha tha oos din bhi charles ka agent kuch keh raha tha jise mahi samajh na saki thi….achanakk ne mahii ne mark ki or dekhte huye bola
“tumhare haath itna kaanp kyu rahe hai?”…..mahi ne sehemte huye bola
“N..Naahhii tohh mamm wohh bass thodha kamzor ho gaya hoo bimaar than a”….mark baar baar nazar chupaa raha tha
“sach bataao kya jaante ho tumm is mahal ke baarien mein kyu tum ek raat bhi yaahan rukne se katrate ho ? kyat um bataa nahi sakte is mahal meinnn aakhir ho kya raha hai? Wohh mitti ka khodna wohh kuhurne ki awaaz wohh sainiko ki aatma ye sab koi wehem nahi hai maien khud inhi aankh ose dekha batao kya raaz jaante hai tumhare gaon waale”….mahii ekdumm se gusse chai ke cup ko faikhte huye bol uthi….mark sehemke dusri or munh fhiraaye kahraa kaanp raha tha

“bataooo kyu darrte hai sehehr waale is mahall se kya raaz cupaa haii oos dinn wohhh khufiya darwaje ko todhne ke waqt tum kyuuu darr gaye they ? bataoo bataaoo”……Mahi ke itna kehte hi ekdumm se pcihe mudhke mark rone laga
“haann haannnn haiiii is mahalll mein kucchh haiii inn barso se sannate mein dubiii diwaar omein ek raaz dafan hai haan dafan hai aajtak oth main sir ki wajah se aapko kuch bol na sakaa taaki kahin aap darr na jao kahin aapka wohi haal na ho jo henry sir ka huaa tha…wohh bhi yahan aaye theyyy akele rahe theyyy aur eke k dinnn mautt ki bheekh maangne lage har raat oonki cheekh uthtiii oonhein yahi dikhta koi oonhein maarna chahta hai oonka gala kaatna chahta hai oonke khoon ko peena chahta haii wohiii sir kati maharaja ki laashhh aur oonke sainiikkk jo pisach banke aaj bhi is mahal ke ird gird ghumte haiii aur aap logone zanjeer todhke oonki aatamo ko azaad kar diyaa haiii maine hi oos darwaaje ko band karwaya tha henry ki maut ke baad wohh bhi charles jaisi galti kar baitheyy oosi kufiya kamre mein gaye aur gaayaabbb ho gayyee jhooti afwah thi ki wohh car accident se mare they ye baat charles sir ne dabayii thii aap logo ne bahut bari bari galtii ki haii bahut bari aajj se kareeb 100 saal pehle jo khooni khel khatam hua tha wohh ab fhirse zinda ho gaya haii wohii khoon ki balii wohii khoon ko chadhaana…”……..Aur is tarah batata chala mark sabkuch mahi ko

Jo munh pe haath rakhke bas ek jagahh thithak ke khari thi…”aapp janna chahti thii naa yahi hai hai sach..isi mahal mein isi raj maahal mein maharaja adolf ne kayi maasumo ko khooni bhait chadhaa diyaa sirf apne naapak shaitani pujaa ke liye asal mein maharaja adolf ke dada shaitan ke pujaari theyyy ksii yuddh ke dauraan oonki maut ho gayiii shaitani ilam ke maalik they oonke pitaji ki yuddh ke dauraan mrityu huyi thi jab ki dada ki laash ko isi mahal ke oosi tehkhaane mein band kar diya gaya tha…aaj bhi oosi taabut mein oonki naapak laash mazud haii oose hi jagaane ke liye maharaja ne gaon waalo ka jeena muskil kar daala lekin greece ke ek maharaja ne jab is rajya pe vijay haasil ki tab oonki shaitani maut ka taandav zyada din nahi reh saka..aur ooske baad hi maharaja ko bhi sar kalam karke oonke sainiko ke sath isi raj maahal ke tehkaane mein dafna diya gaya”…mahi ekdum chupchaap mark ki or dekhen jaa rahi thiii dheere dheere suraj dhal raha tha mahii bhi ka darr utna hi oospe haavi ho raha tha

“aaj bhi in sunsaan khandar mein wohh maut ki arzoo behtii haii wohi sar katte ghumte kaale libaaz odheyy sainikk aaj bhii ksii zinda insaan ke khoon ke pyaase hai…maine toh aapko oosi din se manna karna chaha jis din aapne is manhus mahal mein kadam rakha par sir ko kaise samjhaata wohh tehre aaj ke naujawan aaj nahi toh kal koi na koi aayega hi aur apni jaan gawaa degaa chale jaaiyye chalee jaaiye is mahal se durr bahuutt durr”…..itna kehte huye mark ulte pao waapis mahal se nikal gaya

Mahi sehem uthii ooska darr oospe havi ho chukka tha ooske gale se thook ghuntt raha tha…wohh bas jaise taise hi mahal ko chodhna chahti thi…grr grr karti huyi badal garazne lage..hafeez gaadhi ko tezi se mahal ki or daudhaa raha tha

Achanakkk ooski nigaah jaise apni gaadhi ki fuel pe padii oose hosh aaya..”oh shitt”….gaadhi do teen kadam chalke ruk gayi hafeez ekdumm se gaadhi se bahar nikall..kir kirr rakhti jhingoor ki awaaz aur charo or ekdum gehra sannata…”shitt’…lagbhag gaadhi ko maarte huye hafeez chilla uthaa
 
Love is life
2,995
1,686
143
Update 11

Haf eez – udhar mahi bimaar hai mahal mein akeli hai upar se police koi karwaahi bhi nahi kar rahi kya karu? Kis uljhan mein fass gaya hoo ek toh charles kahan gaayab ho gaya even ek phone call toh kar letaaa

Achaanakk ksii ke kadmo ki awaaz apne piche sunaaii di…hafeez ne jaise hi piche mudhke dekhaa toh ek pal ke liye sehem utha..ek kaali pagadhi aur hatho mein tasbee aankho mein kajal aur ek kaali salwar kameez mein ek baba jaisa aadmi kharaa tha…bari bari aankho se hafeez ki or dekh raha tha..hafeez ne janaa wohh Norway ke dargahh ke saamne kharaa tha….ek chota sa dargah jo ooske theek baayi or tha..thodha duri pe
Hafeez – uhhhh wo..hhhh wohhh darasall ummm
Molvi – darrta kyu hai allah ke ghar ke saamne kahraa hai tuu
Haffezz – ummm asal mein yahan koi phone booth haii aas paas mujhe ek phone call karnatha mera network bhi nahi mil raha
Molvi – aao mere sath
Hafee – j..ji nahii main allahh ko nahi manta
Molvi – banda apna raasta bhul jaaye par khuda hamesha ooske liye apna darwaja khole rakhta hai kyunki who jaanta hai ek na ek din ooske dar pe wohh zarur aayegaa kyunki khuda apne bando ko kabhi musibat ke aalam nahi chodhtaa jo oose yaad karta hai osi ke liye Wohh hamesha saat deta hai
Hafeez – de..khiyee mujhhe bas ek phone callll karna haii plss meri biwi oos mahal mein

Molvi – nnaahiii yeee kyaa kiyaa tumnnne kyu leke gayee oos mahal mien oose tumhara mann hi dekhke bataa sakta hoo ki tum sehem uthe ho tumhari biwi ki jaan khatree mein hai
Hafeez – kya bol rahe hai aap?
Molvi – apni aankhe kholo dekho meri nazaro se kya in nazaro mein tumhein sacchai nahi dikhtiii pao ka shorr mitti ka khodha kaale libaas pehne wohh sainik wohhh darwaaja peetne ki awaaz kya wohh bhii jhoot hai tumhari biwi ki aatma pe oon shaitano ne kabza karna chaha kya ye bhi jhoot haiiii bollooo

Molvi ekdum dantte huye hafeez thithakke dekh raha tha ek pal ke liye gumsum kharaa tha…”kya huaa yakeenan tum bhi ye maante hoo? Tumhara aziz dostt gaayab haiii kya tumehin pata hai ki wohh kahan gaya? Wohh bhi oosi maut ki andhere mein chalaa gaya jahan ab tumhari biwi jaane walai hai”…….Hafeez ke anakho mein aansu ghul gayee wohh ekdum molvi ke pair mein girke rone lagaa

“nahii nahii sabkuch kho chukaa hoo kabhi akelepan mein kisi ko paa naa saka lekin meri biwi ko kuchh ho naa jaaye wohii agar wohi nahi rahii toh mainn kaise jee paunga aaj meri galtiyo ke kaaran mere na wishwas karne ke kaaran ooska ye haal ho raha hai main oose aur marne nahi dunga nahi marne dunga oose kahin dur le jaunga kabhi bhii jahan wohh mehfuz reh sake”…molvi ne hafeez ko uthaayaa aur ooske aansuyo ko ponchaa

Molvi – main ye sab kaise jaanta hoo ye toh uparwaale ki karamat haii lekin jo shaks raah mein bhatakke kayi saalo ke baad bhi laut aaye toh wohh ooske liye naya savera hota hai har koi andhwishwas manta hai yakeen dil se hota hai aur mujhe tumhei ndekhke hi lagta hai ki tumhein yakeen hai aur allah ke binaa tum is naapak roohon se apni biwi ko nahi bachaa sakte
Haffeez – mujhe kya karna hogaaa
Molvi – aao mere sathh

Kadhakti bijliyaa ho ho karti hawaa ko shorr se khidkiyaa hil rahi thii..mahi ne turant khidhki lagaa diii…..puri haveli hawao ke shorr se gunz rahi thi…mark ne darwaaje pe dastak di….”tumm gaye nahiii abhitakk”…mahi ne mark se puchaaa
“Wohhh saaheb abhi taka aye nahi upar se mausam bigadh raha haiii aap chahe tohh mainn aapko leke apne sath basti waise bhi yahan akele aap rukiye mat itna kuch sunne ke baad yahan beichani aur darr ke alawa aur kuch nahi lagega”……mark ne mahi ko lagbhag samjhaaete huye bola…mahi ne sirf itna hi kaha ki who akele reh lengii agar hafeez ne aake oose na paaya aur waise bhi wohh oose kisi musibat mein nahi chodh sakti

Mark darrein sehemein havelii se jaldi nikalke tufaani raat mein bhaag gayaa….khach khachhhh..bijli ki gargarahat mein mahi ko wohh saaf shabd sunaai diyaa….tehniaya hawaoa se hil rahi thi mahi ne lagbhag bahar ki or jhaankaa hawao ke lehraane se mahi ke aankho mein mitti padh gayii mahii andhere mein hi mombatti ke sahare botal liye paani chehre pe maarnii lagiii ooski aankhen jab saaf huyiii…tohhh saamne ke nazare ko dekhh wohh cheekh uthiii kamre ke theek saamne coat pant pehan huaa ek shaks kahraa tha

Andhere mein wohh saaya bas chupchap khara mahi ki or dekh raah tha..mahi ekdum chilla uthii..aur jab osne diwaar se lagke mombatti ise gaur kiyaa tohh wohh saaya gaayab ho gaya sirf munh se itna nikala “charles’….aur ooske baad bijli khadhak uthiii

Udhar hafeez ne molvi ke sath dargah ke baba ke chadar pe chuma aur oose apne sar se lagaa liyaa…”ye dargah bhi sufi baba ka dargahh haii jo is desh mein kareban barso pehle aaye they oonhone hi is khaufnaakkk jungle mein ek sthan chuna aur yahan is dargah ko banaya charo or ka darr kamm..”…..hafeez uthke nange pao molvi ke kareeb aaya

Hafeez – baba agar mujhse koi bhul ho gayi ho toh maanf kar dijiye mujhe bas kisi tarha mahi tak pahuchna haiii wohh shaitannnn wohh mahalll accha nahi hai
Molvi – jalddii tumheinnn jaana hogaa waise itne dintak mahal mein tum rahe kaise ?
Hafeez – jabse wohh mahi ne mujhe surah yaaseenn dikhaay aur fhir diwaar pe rakhaa
Molvi – iska matlabbb tumhari mahi jabtak oos kamre mein hai who surakshit hai ooske baad ooski zindagi khatre mein bas dua karo ki wohh kamre se nikale
Hafeez – yaadaaya oos raat bhi jab main mahal se bahar nikalaa toh mujhe ek thanda hawaa lagaa tha par mahi ke insist karne pe maine wohh locket pehen liyaa
Molvi – aaj tumhari zindagi mahi ke wajah se bacchi huyi hai bete sirf aur sirf mahi ke wajah se
Hafeez – ohhh mahiii ye maine kya kiyaa???/
Molvi – tumhein waqt pe mahal pahuchna hogaa mahi khatre mein haiii jaooo jaldiii
Hafeez – lekin main oos mahal se nikalunga kaise
Molvi – ek min zara

Molvi ne ek loban mein jalti mashaal di….”ye lo isse accha hathyaar aur kuch nahi ye paak mazaar ki aag haii sufi baba ke hardum jalti is aag ko agar tum oos shaitann pe barsaao tohh tum bach sakte ho bas tumhein ek baar oos tehkhaane mein utarna paregaaa….aur haann yaad rahe ye mashal ko jalaye rakhna iske bujhte hi ise fhir aag dena warnaa oon ki taqat tum pe aur haavi ho jaayegii jao allah tumhare sath haiii

Hafeez ne baba ki di wohh rumaal ko bandhaa aur aur chadar ko chumte huye who mashaal uthaayii aur sidhe raaste ki or daudh uthaa…..gaadhiii ko wohi chodh diyaa who jaanta tha eke k waqt keemati hai…..hafeez daudhta huaa mahal ki or jaa raha tha mann hi mann bas duaayein kar raha thak I sabkuc theek ho

Ho ho karti hawaao ke shorr meinn mahi mombatti ko baar baar jalane ki koshish kar rahi thi jo do baar bhuj chuki thi….achanakkk bijli zor se kadhki aur mahi se mombatii niche gir uthiii….andhere mein mombatti dikhaayi nahi de rahi thi mahi ne paas rakhkke lamp ko uthaayaa…aur dheere dheere mombatti khojne lagiiii

Achanakkkk mahi ko dikha ki mombatti kamre se theek bahar sidiyo ke paas pari huyi haiii mahi oose uthaane ke liye jaise bari ho ho karti hawaa se wohh mombatti sidhe andhere mein naa jaane kahan gir parii..mahi ekpal chupchaap lamb jalaye idhar udhar dekhte huye sidiyo se niche uatne lagii….dheere dheere ooske kamre ka darwaja apne aap band ho gayaa…mahi ekdum se upar aake darwaja kholne lagii leki darwaja jaise band ho hcukaa tha…”ohh nahiii kalam paak ki saari cheezein andar hi haii ohh noo meri taabeez”…..Mahi ekdum sehem uthiii

Achank se thak thakkk kati bijli ki gargarahat mein koi sidiyo se chadhta huaa aa raha tha…thak thakkk thak…kisi kadmo ki awaaz theek mahi ke kareeb aa rahi thi…”k..kaunn hai?”…mahi ne dheemein kahaa
“haff..eez tum hoo?”……Mahi ne andhere mein hi oos awaz pe gaur karte huye bola
Achanak dhadh dhadhhh karke wohh darwaja koi peet raha tha….mahi cheekh uthii wohh daudhti huyi kareeb dusri or jaake baith gayiii
Chupke oosne saaf dekha bijli ki roshni mein ki ek aadmiii theek mahi ke kamre ke samne aake khara hua hai….mahraja ka wastra jispe khoon lagaa haii lekinn bijli ke dusre roshni se pata chalaa ki sar nahii..mahi ekdum se apne muh pe haath rakh chuki thi….wohh cheez dheere dheere mahi ki or badhen lagaa

Mahi cheekh uthiii dhadh dhadhh karti huyi awaaz chrr chrr mein badal gayii koi khufiya darwaaj dheere dheere khol raha tha..ooske sath hi mantro ki awaaz pure mahal mein gunzne lagii…mahi ekdum sehem uthii sidiyo se niche utarne ke bajaay wohh upaar aa rahi thi lamp haatho se gir chukka tha oosne bijli mein saaf dekhaa ki ek sar katta aadmi talwaar liye ooske kareeb badh raha haii..mahi dheere dheere niche utarti chali gayii niche kamre se kuch log nikal rahe kaale libaas mahi ke aankho se aansu girne lage khauff pure rom rom mein bas sa gaya

Mahi daudh uthii…bachaaoo bachaaooo hellppp hellppp hafeezzzz…mahi cheekhte chillate huye main gate ke paas aayi dhadhh dhadhh hkart huaa darwaja khul nahii raha tha…mahi dekhti haiii piche ki andhere mein kuch 10 log kaale libaaz mein haatho mein mombattii liye dheere dheere mahi ke karee baa rahe haii ekdum udhte huyee mahii ye manzar dekhke ekdumm kaanpne lagiii aur achanakkk hi apna hosh khote huye sidhe carpet pe gir gayii….

Hafeez tabtalakkk daudhta hua ajungle ke raste aa raha tha..siyaar ke rone ki awaaz kadhakti bijli ye ke shor rmein taptap karta huaa barsaat hsuru ho chukka tha…”ohh nooisse toh mashaal bhuj jaayegiiii”….hafeez jald hi haveli ke kareeb daudhta hua aaya tha ooska pura badan geela tha..oosne apne baalon ko jhadhte huye turant mahal ki or dekha aur chutt para….”mmmahaiii mahiiiiiiiii”…..Hafeez chillata huuaa darwaaje ke paas aaya..ye kya darwaja laga huaa mashaall bhujhne lagii thii hafeez ne kaafi koshish ki lekin jaise darwaja band tha oosne mashal mein rakhi lobaan ko thodha sauthaaya

Aur sidhe darwaaje pe faikha chr chrr karta hua darwaja turant khul gaya hafeez ko yakeen nahi huaa..pure haveli mein jaise koi awaaz gunz rahi thi ghann ghann karte shabd…hafeez mashall liye jaldi andar aaya….charo or ekdum andhera ek taraf lamp girke bhuj chuki thii hafeez ki tanag oospe lagi wohh turant sidiyo se chadhta huaa upar aaya….kamre ka darwaja khula huaa tha mahii nahi

“Mahiiiii mahiiiiiiiiii”…..hafeez chillate huye sidhe sidiyo se niche utara…..ho ho karti hawaao ka shor aa raha tha…achanakk se hafeez ki nazar oosi kamre ki or pariii..fauran daudh utha oosi or….andar jaake dekhta hai toh hafeez ekdumm barf ki tarah thanda ho jata hai…mahi ko kuch log ghassite huye ooske ird gird munh lagaye maano jaise ooska ghost khaa rahe ho..hafeez ne turant gusse mein aake oonke munh pe ek mashaal de maara aur oosi waqt aaahh aahhhh aahah…karte huye oon bhayaanakk chehre waale sainko ko dekhh hafeez kaanp tuhaa wohh log dhuaa banke na jaane kahan gaayab ho gaye
 
Love is life
2,995
1,686
143
Update 12

Hafeez ne mahi ke upar roshni daali…ohhh noo mahii mahii issshhh…mahi ke ird daanton ke nishaan bedardi se oose nocha aur kanta gaya tha…hafeez ne mahi ke nabz ko dekhaa aur fhir charo or mahii zinda thii mahi ekdumm se hosh mein aane lagii….aur ekdum lipatke roe lagiii maano jaise kitne sehemi huyi thii

Hafeez – kuch nahi hogaa mahii main aa gaya hoo kuch nahi hoga achupp sshhh chuppp
Mahii – oonhone mujhhhe pakadhliya tha mujhe dard ho raha haiii aahh sss
Hafeez – khuda ka rehem hai ki tum sahi salamat ho

Hafeez ne turant mashaal uthaa liya oose yakeen ho gaya ki molvi saaheb aur khud mahi ka kehna sahi tha….haffeez ne char oor dekhaa aur fhir oosi khulii gufa meinn jhaankaa…”ye kundi kaise khuli? Kal tak toh band thi”…..mahi sehemi uthke hafeez se lipate dekh rahi thii
“ch..chalooo hafeez yahann se bhaag challee”…..Haffeez ne mahi ko chup karayaa oosne aag ka dhuaa jaise hi gufa ke andar kiyaa achanakkk kuch saaye ooske munh ki or se lagte huye mahal ke sheeshe ko todhke nikal se gaye….woh bhayankk cheekhhh sunke hafeez sehem uthaaa….yakeenan isi tehkhaane mein hi haii wohhh razz

Hafeez ne mahi ko tabeez diyaa aur dheere dheere sidiyo se niche utarne lagaa……thak thak karte huyeee….achanakk mahi chillaayiiii hafeez ne mudhke dekhaa ek sar kataa aadmi mahi ke theek saamne aake khara huaa..hafeez ne waapis bahar aana chaha lekin kisi ne badhke hafez ka pao pakra aur hafez sidhe munh ke bal zameen aur aadha sidiyo pe jaa gira…hafeez ko chot aayi mashal haath se do duri pe jaa gira…mahi cheekh uthii hafeez ka pao pakadhne wala haat hjsipe maans nahi sirf chamdaa ek shaitaannn mahraja ke swyama dada ki aatma….hafeez cheekh uthaaa…hafeez dheere dheere niche jaane laga mahi osoka haath pakadhne lagi….”nnnnhaiii mahiiii mahiiii wohhh mashaall aaahh aaaahh”….lagbhag oos shaitan ne hafeez pe chadhte huye ooske jaangh pe daant gadhaane chahe…hafeez ne kasske who mashaal uthaay aaur sihdhe osoke munh pe lagayaa wohh shaitan cheekhta huaa sidhe gufaa ke andhere mein gum ho gayaa...hafeez daudhtaa huaa sidhe upar aa uthaa…who sar katta aadmiii fhirr dheere dheere dono ke kareb aane laga hafeez mahi ko piche kiye larkharate huye kaanpte mashaal se oose dikhaa raha tha sar ke jagah gehra zakhm tha jisse khoon farsh pe tapak raha tha

Hafeez ne turanntt apni mashal ko sidhe ooske upar maarna chaha..wohh gaayab….hafeez ne mahi ki or dekha ajo sehemi rote huye hafeez se lipat gayii hafeez ne fhir thodha gaur kiyaaa
“mahiii dheekhoo jabtak ye mashal jal rahi ha wohhh hum par haavi nahi ho sakte ek hi raasta hai tum mere saht bahar chaloo in shaitano ko maarne ke liye humhe is tehkhaane mein aag lagani hongii
“k…kya keh rahe ho tummm”…..mahi ne chillate huye lagbhag kaha
“haann mahii ye pisachh haiii jabtak wohh taabut mein rakhi laash aur ink ihaddiya jalengi nahii ye log kabhi bhi is duniya se muqti nahi paayenge aur aaj humhein toh kal kisi aur ko aise hi taqleef dete rahenge”….mahi kuch dair hapasti rahi hafeez pasine pasine huye bas mashaal dikhata gayaa….hafeez ne turant lobaannn sahitt mashaal ki raakhhh ko sidiyo rakah ko mutthi bhar gufaa mein faikna shuru kar diyaa….mahi ne lighter hafeez ko diyaa….hafeez aur donoo milke waapis mashal ki roshni mein kisi tarah bahar aaye oonhonnne charles ki gaadhii se petrol nikaal liyaa….gadh ghaddh kartrahuaa saara petrol nikaalke baad…..MAHI Ki or ghurrne lagaa dono waapis khufiya kamre mein laut aaye

Hafeez ne paas rakhiii mombatiii li aur oose jalake mahi ko diyaa aur mashaal ki thodh ibahut roshni mein tehkhaaane mein pravesh karne lagaa…..andar aate hi mahi bhi utariii char oor azib si mehekkkkk mahi ekdumm chillauthiii….haffeezz wohhhhh….charless ki kaprapehnaa haddiyo khoon se lathpath haadiyo waali laash ek or giri huyii thiii hafeez ne munh pe haat hrakh liya ek pal ke liye ooske dil mein charles ke liye dukh aane lagaa osne apne aziz dost ko kho diya tha

Hafeez ne turannt saamne ki or dekhaa wohii taabuuttt…..hafeez ne mahi ko mombatti di aur char oor dekhaa haddiya kankaal saiiko ki wohi kaali poshakk aur wohh taabutt….hafeez ne dheere dhere oose tabautt ko hatana shruu kar diya grr grr karta huaa wohhhh parat jaise hi khulaa hafeez ekdumm sehem uthaa

Wohii kankaal wohiii shaitanannn…..khoon se pura haddi laalll phate huye kapro mein kide….mahi ne ek pal ke liye munh pe haath rakh liyaa..hafeez ne bina koi swaal kiye grr graa karta huaa petrool ka dhakkan khola aur pura ka pura hiii diwaar haadiyoo pe daalne lagaa….mashaal ki roshni meinn wohh sar katte shaitann waapis zinda nahi ho paaye…hafeez ne sidiya chadhte huye pura tehkahane mein petrol udhedh diyaa aur ooske saath hi ek mutthii lobaannn oos taabut pe giri laash aur baakiii haadiyoo par bhi daal diyaa….achanak se mahi cheekh uthiii

AAAAHHHH HAFEEZZZZZ……Kisi ne mahii ka gardan ko dono haatho se kasske pakada hua tha..hafeez ne dekhaa ki ek sar katta shaitan uthke mahi ka gala daba rahah aiii..hafeez sehem utha oosi ke sathhh kisi ne hafeez ka pao toh dusra pao paakdhliya shaitann fhrise jaagne lagaa..belchaa kaanpne lagaa….mahiii oosi parat pe gir uthiii…hafeez ne mashaal ki roshni jaise hi dono haddiyo pe daalii wohh cheekhti huyi jal uthii…hafeez ne oos sar katte shaitan pe aag lagaa diyaa..wohh cheekhta chillata hua idhar udhar bhaagn elaga diwaaro se takraane lagaaa…maut ka yeh bhayanak manzar shayad hi hafeez aur mahi ne dekha ho
Binak uch kahien bina kuch aur dekhen hafeez ne mahi ka haath pakra aur oose kaise bhi sidiyo se upar le jaane lagaa…..dono bhaagte huye upar aaye aur isi ke sath hh hafeez ne apna lighter jalaay aur sidhe tehkhaane mein giraa dalaa

AAAHHH AAAAAAAAAA AAAAAAAAAAAAHHHHHHH…..Aisi bhayanak cheezeinn gunzzne lagii maano jaisee ek sat hsabhi ko idard bhari aah nikaal raha hoo sar katte shaitannn maharajaja taabut se nikal rahi wohh laash sabkuch aag ki aagosh mein aane lagaa sidiya bhi jalne lagiii….hafeez ne turanntt mahi ko upar dhakelte huye khud nikalke jhat se tehkhaane ko lohe ke darwaaje ko band kar daala…..grr grr karta huaa pura tehkhaana aag ke shorr aur shaitano ki cheekhon ke sat hgunzne lagaa


Dono sehemu they theyyy jo muratiii sidiyo pe parii thii wohh ekdum se girke tut gayii…tasveere apnea app hillane lagiii pura mahal kaanpnelagaa….maano jaisa jalzala aa gaya ho…aisa bhayanak manzar shayad hi hafeez ne apni puri zidagi mei ndekhaa hoo

Osne bina kuch kahein mahii ka haat hthaama aur dono bina piche mudheinnn mahall se bahar nikal aaye…..charles ki gaadhi aur saaman wohi chodhhhh donooo ek dusre ka haath pakre duadhte huye mahal se dur jaane lagaa mashall ek haath mein liye dusre haath meinnn mahi ka haath…dono chut tpare sheher ki orrrr

Bina piche mudhe binaa mahal mein waapis jaane ko….dono ne thaan liya aj ki raat owhh mahal mein terehenge hi nahi..jab sheher pahucheyy toh logo mein halchal mach uthiiii har koiii dono ko sahanbhuti dene lagaa….agli subahhh sab koiii mahal mein aaya….har koi dekhna chahta thak itne saal band is manshus haveli mein kya waaqayi shaanti aa gayithi

Tekhaana jal chukka tha…..murti tut chuki thi idhar udhar ki tasveerein zameen pe giri hui thi maano jaise kal raat yahan zalzala aaya ho….mahi ne turant hafeez ke sath kuch logo ke sath milake sidiyo se niche jaake dekhaaa…ekdummm aag ki badbu ke alawa aur kuch anhii char oor haddiyaa gaayabbb laash gaayabbb bas bachi kuchi insaani laash thi…jo yakeenan charles kit hi dono ko behad afsos huaa

Kaafi baat batanagh baniii media mein failllaa aur sarkaar ne mahall ko aakhirkaar todhna ka elaan kar diya aur ooske theek ekdin pehle mahi aur hafeez oos manus haveli jko chodhne ke liye tayyar they contract ab adhura hi reh gaya tha…sarkaar maamle mein ye baat dab gayi thi…hafeez subah se gaayab tha jab mahi ne hafeez ko paaya

Toh wohhh namazar padh raha tha mahi hairaan ho uthi….hafeez ne namaz kahtam karke topi utaarke mahi ki or dekhaa…
Mahi : tum kabse namaz?
Hafeez –sochaa allah talaa ne meri purani zindagi mujhe waapis lautaa die k khushaall zindagi aur azaadi di toh kyaa main oonke liye itna sa oonke ibadat ke liye nahi kar sakta
Mahi – acchaa ohhh hafeezzz

Mahi hafeez ke gale lag uthi..hafeez ne mahi ki or dekhaa…dono jaan gaye they ki ab mahal manhus nahi rahi thi sabkuch tham chukaa tha…shaitano ki aatma mahraja ki aatma sabne mahal ko chodh diyaa tha…wohh jalti aag mein jal chuke they hafeez ka ye naya roop dekhkar mahi ko khushi huyii mahi aur hafeez saaman gaadhi mein rakhkeee mahall se dur nikal gaye piche chutt gayi puraniii tutiii khandar mein fhirse khaamosh aur sannate bhari mahalll

Hafeez ne gaadhi beeh mein roki aur donoo ne milake dargah pe chadar chadhaake molvi ko khub shukriyada kiya….aur iske sath hi dono waapis apne mazil ki or nikal gaye khushi mannn see…kaali andhere saaye ko piche chodhte huye

The end…..
 

Top