Fantasy RAJA

Member
175
196
43
Update 20

Raja- parrrriiiiiiiii.
Gurudev- putr sant ho jayo.ab wo tumhare ander hain.
Raja- gurudev main pari ke sath jindagi bitana chahta hun kya main use bahar nhi la sakta.
Gurudev- la sakte ho iske liye tumhe apne 16 shakiyon ko pana hoga unke samaye main jakar.
Raja - kaise gurudev?
Gurudev- ye dekho jhingal ke mukut me wo mani hi tumhe samay me pichhe le jayegi.
Raja- lekin gurudev dharti to bahut badi hain main kaise unhe dhundhunga? Munhe to bahut samaye lag jayega.
Gurudev- uski chinta na karo ye mani tumhe wahin le jayegi jahan wo shaktiyan maujud hongi.ab is mani ko grahan karo putr.
Raja uske bad us mani ko le leta hain jhingal ke mukut se.
Mani ko lete hi wahan jitne bhi demon or jhingal tha sabhi dhul ban asamn me chale hain.lekin wo dhul asman me ek chehra ka rup le leta hain or jor jor se hasne lagta hain uski hasi ko dekh sabhi asman ki or dekhte hain.
Dhul- raja tum ye nhi samjhna ki tum jeet gye ho abhi to tudh suru hi huya hain tum chahe jitna bhi kosis kar lo tum is brahamand ko binash hone se nhi bacha sakte.tumko kya lagta hain tum akele hi samye me jaa sakte ho tumhare sath main bhi jaa rha hun main tumko un shaktiyon ko pane nhi dunga tumhara intazar rhega jaldi ana main tumhe khud apne hathon se marunga. Hahahahhaha.
Uske bad wo dhul 16 bhagon me bat jata hain or gayab ho jata hain wahan se .
Uske bad gurudev kahte hain.
Gurudev - chalo putr ab tum apne mata pita ko azad kara do wo tumhare ana ka pratiksha varson se kar rhi hain.
Apnee mata pita ka nam sun wo bahut rone lagte hain.use rote dekh malti or divya use sant karati hain or use hoshla deti hain.
Raja- chaliye gurudev.iske bad gurudev sabhi ko lekar jhinjha grah ke jail me pahunchte hain jahan raja ke mata pita kaid me hain.unhe kaid me dekh or unki halt dekh raja jaldi gate kholta hain or unke samne khada ho jata hain.raja ko dekh suntaru kahte hain.
Suntaru-tum chahe meri jaan hi kyun na le lo ya hum tumhe kuchh nhi bataiyenge.
Raja- maa pita ji main apka raja hun apka beta.
Devika- jhingal hum tumhari kisi maya me na fasane wale.
Raja - maa main apka asal me beta hun mujhe pahchano pita ji main apka raja hun.
Gurudev- putr suntaru ye tumhara beta raja hain.
Gurudev ko dekh suntaru or devika pranam karti hai or unka ashirwad leti hain.
Suntaru- gurudev kya ye. Humara khoon or is grah ka beta hain .
Gurudev- haan vatsh ye tumhara beta raja hain.ise kabul karo ye. Koi jhingal ki maya nhi hain .tumhRe bete ne jhingal kr is grah ko jhingal se mukt kara diya hain.
Suntaru or devika rote huye raja ko gale laga leti hain or uske pure chehre ko choomne lagti hain.
Devika - beta mera raja beta rote huye.
Raja- haan maa main apka raja beta rote huye .
Suntaru- tumne mera sir grav se unccha kar diya or is grah ko jhingal jaise rakshaksh se mukti dila diya mera sher dil beta apne baap pr gya hain.
Devika -nhi mera raja beta mujh pr gya hain apni maa pr.dekho iska chehra iski ankhe gaal nak hoth or baal sab kuchh mujh pr gya hain .
Suntaru- haan to kya. Huya lekin bahaduri mera beta mujh pr gya hain.
Raja- bas kijiye main aap dono pr gya hun.
In teeno ki batein sun jahan sabhi kuchh der phle ro rhe the wo sabhi abhi hans rhe the inki nok jhok sun kar.iske bad raja apne mata pita ko janjiron se mukt kar unhe mahal ke ander le ata hain jahan suntaru ko azad dekh sabhi khush ho jate hain or ye khabar aag ki trf fail jati hain pure grah pe.
Uske bad suntaru or devika ko raja taiyar hone ko kahta hain kuchh der me wo sabhi taiyar ho jate hain or raajgadi pe baith jate hain jahan raja or rani baithte hain or sabha lag jati hain tab suntaru kahde ho raja ko sabhi se milate hain.
Sunataru- sabhagan ye mera or is grah ka vansh or ujjwal babhisya or yahan ka rajkumar humara beta raja hain.
Ye sun sabhi me khushur fusur suru ho jati hain or khush hokar sabhi jayejayekar karne lagte hain.
Suntaru- ek or khush khabhari hain ki jhingal ko mere raja bete ne mar dala or hume mukt karaya.
Sabhi log khush ho jate hain or ye khabar pure grah pe fail jati hain ye khabar sun sabhi rajye ke log mahal ke bahar khade ho jate hain or jaye jayekar karne lagte hain.
Jaye jayekar ki awaj sun suntaru or sabhi log mahal ke bahar dekhte hain jahan dur dur tak sirf log hi log khade the pure grah se log wahan maunud the tabhi suntaru apna hath akash me kar sabhi ko sant karate hai.
Suntaru - jhinjha grah ke wasi mera raja suntaru aap sabhi ko hone wale naye raja or is grah ke rajkumar se milana chahta hun ye hain raja mera putr.
Sabhi bheed raja ki jaye jayekar karne lagte hain.
Suntaru- hum sabhi ko dust jhingal ko mar is grah ko or hum sabhi azad rajkumar ne hi karaya or isi khushi me aaj mahal ki trf se davt hogi.
Ye sun sabhi log raja or suntaru ki jaye jayekar karne lagte hain uske bad sabhi logon ko mahal ke ek kone me baitha diya jata hain or davt ka intazar karne ke liye kaha jata hain kuchh hi der me wahan 56 bhog prastut ho jate hain or jhinjha grahh ke raja or unke pariwar walon ka intazar hone lagta hain kuchh hi der me wahan sabhi rajpariwar pahunch jate hain or raja ke kahne pr sabhi log logon ke bich me baith davt ka maza lete hain apne naye hone wale raja se is bat ki umid kisiko nhi thi wo log apne naye hone wale raja se bahut khush hote hai. Or jate waqt use ashirwad dete hain davt khatam hone ke bad gurudev kahte hain.
Gurudev- putr raja apne tumhe apne shaktiyon ko pane jana chahiye ab jyada samaye nhi hain.
Raja - ji gurudev.
Devika- main to apne bacche se thik se mili bhi nhi or ye jaa rha hain.or wo rone lagti hain same hal suntaru ka bhi tha.
Raja- maa pita ji aplog na roye main jald hi aa jaunga.
Gurudev- ye jaruri hain rajan agar raja ko uski shakti nhi mili to kal pure brahamand pe kabja kar lega or har jagah sirf sirf burai hi burai hogi or is burai ko khatam karne ke liye khud devton ko hastchhep karna padega jo ki thik nhi hoga bat ko samjhane ki kosis kare.
Kuchh der aisi hi samjhane ke bad wo dono man jate hain .
Uske bad raja sabhi ka ashirwad le mahal ke bich me khada ho jata hain or mani nikal leta hain or apne shakti ke bare me dhyan kendarit kar deta hain aisa karne se wo mani chamakne lagti hain or uski roshni failne lagti hain or raja ko gher leti hain or raja ke sath gyab ho jati hain.
Idhar bahut kosison ke bad kal ko hosh aa jata hain or jab use pta chalta hain jhingal uska bhai mara gya or suntru ko uska pariwar or grah vapas mil gya to wo pagal sa ho gya or kahta hain.
Kal- raja main tumhe nhi chhodunga.
Ye bolkar kal apni jagah se khada ho ek room me ek haadi ke samne baith jata hain.
Kal- he shaitan mere malik mujhe shakti de taki main apna badla le sakun. mere malik mera sir kabul kare. Ye bol kal apna sir kat deta hain
Wo hadi dheere dheere akash me uth jata hai or hasne lagta hain or kahta hain.
Haddi - kal mujhe tumhara tofa kabul hain uske bad wo kal ke sir ko uske dhad se jod deta hain.
Haddi- kal ye lo ye ek shakti ban hain ise kewal ek bar hi upyog kar sakte ho ise tum jis vyakti pe chhodogo wo tudant wahin mar jayega chahe wo koi devta ya demon hi kyun na ho.
Kal- dhyanyawad mere malik.uske bad wo haddi vapas nichhe jamin pe aa jati hain.
Kal hasta huya wahan se uthata hain or kahta hain.
Kal- ab dekhta hun raja tum kaise bachte ho mujhse.tumhara intazar rahega raja vapas ane ka.
Kal- dhumketu jor se
Dhumketu- ji mere malik.
Kal- aaj se thik 2 mahine bad tum 1000 baccho ko shaitan ke samne bali dena taki wo prashsan ho mujhse ab main dhyan me jaa rha hun tum duniya me paap or burai faila do. Thik 2 mahine bad mujhe jagan jab bali dene ka samaye najdik aye samjh gye.
Dhumketu- ji malik uske bad kal dhyan me chala jata hain or duniya me burai failane lagta hain or 1000 nis paap bacchon ko dhundhane lagta hain.
 
Member
175
196
43
Shakti ki talash

Update 1

Raja achanak ek aisi jagah pahunch jata hain jahan use dur dur tak sirf jungle hi jungle ped paodhe dikhte hain use kuchh samjh nhi ata ki wo ab kya kare use guruji bat yad ati hain jab jate huye guruji ne kaha tha ki
Gurudev- apne andar jhakana jab tumhe kuchh samjh nhi aye
Raja wohi karta hain wo apne man ko sant kar apne ander jhakanta hain use sirf roshni hi roshni dikhti hain wo roshni ki or jane lagta hain tabhi us roshni ka rang badlne lagta hain or wo ek bindu ka rup le leta or kahta hain.
Bindu- malik apko apni shakti ko dhundhna hoga.
Raja - lekin main use kaise dhundhu?
Bindu-aap jab bhi us shakti ke samne jayenge tab apko usme ek alag shakti ka ahsas hoga bas apko use hi pahchanan hoga.
Raja-thik hain.
Uske bad raja apni ankhe kholta hain.
Raja age chal deta hain apni shakti ko khojne.kuchh der chalne ke bad raja kisi chij se takra jata hain or gir jata hain or ek fande me fas jata hain.
Raja- ye kya ho gya ye fanda kisne lagya.
Abhi raja ye soch hi rha tha ki tabhi use kuchh jungali insan hathon me bhale or teer dhanush liye use ghere the. Or raja ko us fande me hi rakh use apne sath apne kabile me le jate hain.
Idhar present me dhumketu un 1000 bacchon ko dhundh kar pakdne laga or wahin mahesh apni shakti ka istemal sabhi insano ke upper karne laga or unhe gulam banane laga or dhumketu unme paap sirf or sirf paap bharne laga or unhe shaitan banane laga dharti pe har jagah sirf or sirf paap fail jata hain yahan tak ki ramghar bhi isase achhuta nhi rhta.lekin thakur or uski bibi or sardar malti or uske sathi bhadhiyon ko suntaru apne grah pe le jate hain taki ye log pappi ban na sake jisase raja ko sankocch na ho or wo kal se har na jaye.
Raja suntaru dharti ke masale ko lekar gurudev ke pass jata hain.
Suntaru- pranam gurudev
Gurudev- ayushman bhava putr.
Suntaru- gurrudev meri chinta ka hal nikale ap ataryami hain ap hi kuchh margdarshan kare.
Gurudev- putr isame main tumhara koi madad nhi kar sakta agar insan ne apne jivan kal agar ek bhi paap kiya ho to wo paap jarur banega. Agr nhi kiya ho to use koi pappi nhi bana payega.
Suntaru- kya koi is paap ko rok nhi sakta ?
Gurudev- ye sirf or sirf raja ki shaktiyan hi rok shakti hain.ab bas dua karo ki raja ko use apni shakti bapas mil jayr jaldi se.
Idhar
Humara hero ek bahut hi khubsurat se kabile me bandi ban kar laya jata hain.jahan har koi shaks sirf apne hero ko dekhta hain. Kuchh der intazar ke bad ek shor pure kabile me gunj jati hain?
Ye shor sun sabhi kabile wale apne sir jhuka dete hain. Or jabardasti raja ka sir bhi jhuka dete hain. Jab raja apna sir upper karta hain to dekhta hain ki ek darwana kal sa admi samne ke hathi ke kankal se bane singhashn pe baitha huya hain us admi ke chehre se saaf darindagi or nisturtha saf saf jhalak rhi hain.
Admi raobdar awaj me - ye kon hain?
Admi2- sardar ye hamare kabile ke fande me fas gya tha syad ye koi jasus ho jo hamare kabile ka raaj janane aya ho.
Sardar - guptchar hain ye ise sahi bhojan banaya jaye.
Ye sun jahan kabile ke log khush hote hain wahin raja bahut ghabra jata hain wo isase bachane ke liye kuchh sochne lagta hain or jald se jald apni shakti ko dhundh kar jana chahta hain.
Sardar khada hokar- mere kabile wasiyon aaj hum apne musbit se dur ho jayenge aaj ise kabile me hamare kisi admi ko apni jaan nhi gawani padegi. Sainik jald se jald ise sahi bhojan banaya jaye or naag raj ke samne ise samapit kiya jaye.
Sainik- ji sardar.
Sainik raja ko lekar chala jata hain use pahle nahaya jata hain pate se bane kapde pahanya jata hain kuchh fal khilaya jata hain or wahin raja kabile ke har ek sakhas ko gaur se dekhne lagta hain or apni shakti ko dhundhne lagta hain lekin use wo shakti nhi milti kahi jaise hi raja ko sainik leke jane lage usi waqt raja ki najar kisi pe pad jati hain or use dekh muskurane lagta hain.
 
Member
175
196
43
Update 2

Jaise hi raja suntaru apne grah pahunchte hain tabhi unhe ek sainik hafta huya unke pass ata hain.
Raja suntaru- kya huya sainik tum itne vichlit kyun ho
Sainik- maharaj wo demon humpe akraman karne wale hain jaldi kuchh kijiye mahraj
Raja suntaru chonkte huye - kya ? Lekin ye kaise possible hain kal or unke sathi to patalok me hain.
Sainik- maharaj kal ka pta nhi lekin mahesh ne humpe akraman kar diya hain.
Raja suntaru- jaldi apni sena ko taiyar karo..
Sainik- ji maharaj itna kah wo sainik chala jata hain sare sainik ko bulane or chhod jata hain maharaj ko sochte huye.
Idhar raja ko ek bahut hi khubsurat ladki ke hathon me ek kuta ka baccha dikhta hain jiska sarir bahut chamak rha hain lekin raja ki khushi kuchh der ke liye hi rah jati hain usko sabhi log raja ko lekar chale jate hain ek sunsan gufa ki or.
Jab sabhi log gufa ke pass pahunchte hain to wahan kabile ka sardar kahta hain.
Sardar1-he mere malik he mere nag raja ap is balak ka bhojan grahn kar hume baksh de or humare kabile ke logon ko bhi.
Tabhi ek darawani gur rahat ki awaj ati hain or us andheri gufa me se ek bishal kaye nag niklata hain. Jo ki ek bishal ped ke saman tha.
Nag- sardar itne se khane se mera kya hoga mujhe or khana chahiye.
Nag ki awaj or use dekh raja ek pal ke liye dar jata hain. Or jo sardar kahta hain use sun raja ki bahut buri halat ho jati hain.
Sardar1- malik is balak ka naram mans apko bahut pasand ayega.
Nag ye sun raja ke trf apne red red ankh se use ghurte huye dekhta hain.
Nag- tum sahi kah rhe ho sardar iski mans khane me bahut maza ayega main ise tadapa tadapa ke sawad le le ke khaunga aaj main bahut swad leleke ise khaunga bada maza ayega hahahahhaha
Iske bad sardar or kabile ke log ped ke pichhe chale jate hain raja ko waisa hi bandha chhodar kar
Uske bad nag hansta huya raja ke passjata hain gana gungunate huye.
Nag- aaj main tumhe nhi chhodunga soniye aaj tumhe khaunga bade chau se maja lekar oo bazi re mahi re.
Raja ye gana sun thoda ghabra jata hain.isase pahle ki raja sambhlata nag tezi se uski or ata hain.
Nag ko apni or ata dekh raja nag ke rasta se hat jata hain. Jisase nag sambhal nhi pata or ped se takra jata hain.tabhi nag kahta hain.
Nag - aaah bahut khub tum jaise naram mans ko khane me bada maza ayega jitna tum mujhse bachoge utna hi maza tumhare jism ke naram naram mans ko khane me ayega.
Itna kah nag ek phir raja ki trh badhta hain lekin phir raja kud kar dusre side chala jata hain or nag ek pathar se ja takara jata hain.itne me ki raja dusre humle ke liye taiyar tabhi nag raja ko apne shaktishali punchh me use pakad leta hain or kahta hain.
Nag- jara bach kar dekha mere raja .
Raja - apko kaise pta mera naam raja hain.
Nag- main tumhara hi intazar kar rha tha tumhe apne ap ko sabit karna hoga apni shakti ke liye .
Raja - lekin kaise?
Nag- tumhe mujhe harana hoga kyunki main pahli shakti ka rakshak hun.
Raja - thik hain
Iske bad raja ankhe band kar jod se apne hath ko jhatakta hain jisase uski hath me bandhi rasi khul jati hain.
Tabhi raja jod se jod se nag ko marane lagta hain lekin uski moti chamadi pe uska koi asar nhi hota dekh raja kuchh sochne lagta hain tabhi us vatawarn ek dardanak awaj kisi ki gunj jati hain
 
Member
175
196
43
Update 3

Aaj wo waqt bhi agya jab dhumketu 10000 masoom bacchon ki bali shaitan ke samne dega bali dene se purv dhumketu un bacchon ki puja karta hain or ek ek karke sabhi bacchon ki bali shaitan ke samne de deta hain or un bacchon ke khoon se kal ko asnan karane lagta hain jisase kal ka sarir kathor hone lagte hain or mazboot bhi tabhi shaitan jag jata hain or kahta hain.
Shaitan- kal main tumhare tapsya se bahut khush huya main tumhe kuchh dena chahta hun apni ankhe kholo.
Kal apni ankhe shaitan ki awaj sun kholta hai.samne shiatan ko dekh hath jod shaitan ko pranam karta hain .
Shaitan -ye bacchon ka khoon jahan jahan tumhare sarir pe pada hain wo jagah pahle se adhik mazboot ban jayegi tumhare sarir pe kisi bhi shakti ka koi asar nhi hoga.
Ye lo yehain meri talwar isase tum ek sath kayi lakhon pedon ko kat sakte ho or ye hain meri shaitani shaktiyon se milke bana dragon ise koi bhi mar nhi sakta hain or nhi ise koi hara sakta hain.
In sab ke alawa main tumhe ye crystal deta hun jiske samne jo koi bhi achhi shakti ayegi usko use shakti use nhi karne nhi degi wo aa shahaye ho jayega or wo ek mamuli sa insan ban jayega.
Itna kah shaitan wahan se gyab ho jata hain.
Kal uske bad dhumketu ke pass sab kuchh puchhta hain.
Dhumketu - malik raja apni shakti ki talash me gya hain or mahesh jhinjha grah pe akraman karne gya hain or insano ko maine shaitan bana diya hain lekin kuchh log shaitan na ban sake jinhe maine apka gulam bana diya hain.
Kal- raja ke pariwar wale ?
Dhumketu- suntaru unhe apne sath jhinjha grah le gya hain lekin jyada der wo bach nhi sakte unhe main apka gulam bana dunga.
Kal- hmM thik hain jaldi karo.
Dhumketu- ji malik
Idhar mahesh jhinjha grah pe suntaru ke rajye ke sima pe khada ho akramman ki pratiksha kar rha hain lekin uski prattiksha jyada der nhi rhti samne se jhinjha ke sena mahesh ke samne khade ho jate hain or senapati ke adesh pe ladai suru ho jati hain.
Raja suntaru apne rajmahal me chinta me idhar se udhar tahal rhe hain or jung ki har khabar lerhe hain unhe pta chalta hain ki mahesh ki sena unki sena pe bhari pad rhi hain to wo apne rajmahal se nikal apne rajya ke bichobich khade hokar janta se apil karte hain ki mere desh vashion aaj humpe demon or kal ne akraman kar diya hain mere rajvashion aaj apke raja. Ki apki shakht jarurt hain aap sabhi log is yudh me samil ho apne grah ki raksha kare .
Apne raja ki aisi batain sun rajye ke sabhi vashi aurat bacche budhe naujwan sabhi log yudh me samil ho jate hain.
‌Ye ek aisa yudh hone lagta hain jo aajtak is grah pe kisi ne na suni thi or nahi dekha tha sardar unki bhedhiyan sena jhinjha grah ke sabhi log is yudh me samil ho jate hain bhedhiye apne panje se kayion ki sarir ke tukade kar rhe the to kayi demon aag barsha rajya ke logon ko jala rhe the kayi demon jhinjha ke vashion ki shakti ke karan apne apko khatam kar de rhe the illusion magic ke karan is yudh me mahesh ko apni sena harti huyi najar ati hain to wo khudh is yudh me kud padta hain or sabhi ko gajar muli ki bhati sabko laser se marne lagta hain apni sena ki aisi durdash ko dekh raja suntaru yudh me mahesh ke samne aakar khade ho jate hain or dono ke bich yudh hone lagti hain .
‌indono ki yudh ko dekh sabhi log ruk jate hain or yudh ko dekhne lagte hain kabhi mahesh laser ka use karta to kabhi aag ka kabhi talwar ka use karta hain jise raja suntaru asani se bach ja rhe the hain apne apko suntaru ke samne harte dekh mahesh gusse me dahad lagta hain or sari shakti ka use karta ek bada gola bana karta hain jisase raja suntaru or unki praja or sena or kuchh bhedhiye ghayal ho jate hain or kuchh mar jate hain lekin itni badi shakti ka use karne ke karan mahesh kamjor pad jata hain or behosh ho jata hain ye sab kal or dhumketu patal lok se dekh rhe the apni sena ko harte dekh kal gusse me khada ho jata. Hain or chilate huye kahta hain .
‌kal- dhumketuuuuuuu
Dhumketu turant wahan se jhinjha grah pahunch jata hai.abhi jhinjha grah ke log apni pahli jit ka khushi mana hi rhe the ki kisi ke hansane ki awaj sun wo pichhe mudke dekhte hain jahan dhumketu hansta huya kahta .
Dhumketu- bas itne se hi khush ho rhe ho
Abhi to yudh suru hi huya hain khatam nhi huya hain.
Itna kah dhumketu war kar deta hain isase pahle koi kuchh samjh pata hain bijli ki raftar se dhumketu ek bar me hi jhinjha grah ki sena ko khatam kar deta.itna bhayav narsanghar dekh rahye ke sabhi log dar jate hain or idhar udhar bhagane lagtehain lekin demon sena unhe shakti me bandh kar kaid kar deti hain ab sirf bhedhiyon ki sena sardar or raja suntaru jung ke maidan me rah jate hain.
Dhumketu ek shakti punj bana bhedhiyon ke sena pe karta hain jisase wo sabhi bhedhiye kaid ho jate hain.
Isase pahle ki raja suntaru kuchh kar pate dhumketu ek laser bahut hi khatarnak laser beam raja suntaru pe chhodta hain lekin tabhi kuchh aisa hota hain jiski kisiko umid nhi thi?
 
Member
175
196
43
Update 4

Ye awaj kisi or ki nhi raja ki hain jo nag ki punchh me jakra huya hain or nag apni kundli ko or mazbut kiye ja rha hain jisase raja ko taklif hoti jaa rhi hain or ek dardnak awaj us vatavaran me gunj jati hain.
Raja ko kuchh samjh nhi ata ki wo kya kare ki achanak wahan wo kuta aa jata hain sath me wo ladki bhi .

Apni shakti ko samne dekh raja kuchh sochta huya apna hath age kar deta hain hath age karte hi uske hath se agg niklne lagta hain jise dekh raja kuchh sochte huye apna hath nag ke punchh pe karta hain or uske punchh me aag laga deta hain jisase nag ki pakar dheeli ho jati hain or raja chhut jata hain.

Nag ko behad gussa ane lagta hain or phuphkarte huye raja ki trh tezi se badhne lagta hain lekin is bar raja taiyar tha or usne ek aag ka bavandar ban deta hain apne age.nag khud ko sambhal nhi pata or wo us bavanadar me fas jata hain or uski cheekh gunj jati hain wahan.


Uski aisi halat dekh raja khush ho jata hain or sath hi us par dya ane lagta hain jabtak khud nag apneap ko har nhi man leta tabtak raja na hi uski koi madad kar payega or nhi use uski pahli shakti mil payegi.


Us aag ke bavanadr me fase hone ke karan nag ko kafi taklif hone lagti hain lekin wo chah kar bhi wo kuchh kar nhi paa rha usko pass har manane ke siwa koi chara nhi bachta.

Uska us bavandar me dam ghutne lagta hain to wo jor jor se cgilate huye kahta hain .

Nag - main har manta hun.

Ye bat sun raja turant us aag ke bavandar ko apne ander sama leta hain.or nag ke pass chala jata hain.

Nag jo thoda jal gya tha lekin kute ke chhute hi wo pahle jaisa ban gya.

Raja uske pass pahunch kar puchhne lagta hain.

Raja- tumko mere bare me kaisa pta ?
Nag - malik ye jo ap logon ko dekh rhe hain or ye jungle ye sab maya hain yahan sirf apki shakti or main or aap hi hakikat hain ye sab jhut hain apki shakti ko koi or hasil na kar paye isliye ye maya apki pahli shakti daura racchi gyi hain.
Raja- lekin shakti ko raksha ki jarurt kyun pad gyi?
Nag- apko apni har shakti ke pass alag alag rakshak honge aap jaise jaise apni shakti pane jayenge waise waise shakti or uske rakshak ka bhi shakti adhik honga apne apni pahli shakti hasil kar li hain or mujhe hara diye hain waise hi apki dusri shakti ke pass mujhse kayi guna adhik shaktishali rakshak honga.
Raja- hmmmm lekin achanak mere hath se aag kaise nikalne laga ?
Shakti1- kyunki apke ander 5 mahabhuton ki shakti hain jo apke har padaw pe khulta jayenga apki agli mahabhut kis padao pe khulegi or konsi khulegi ye nhi kaha jaa sakta hain.
Achanak kutte ko bolte dekh raja chakit ho jata hain lekin main wo samjh jata hain.
Raja- to ab age kya karna? Or meri pahli shakti ki kya khasiyat hain.
Shakti1- apki pahli shakti me aag ki khasiyat hain or rakshak me ye khasiyat hain ki wo kisi bhi shakti ko doguna badha dega . Ab aap apni pahli shakti or uske rakshak ko kabul kare.
Itne kahte hi wo kuta ek mani ban jata hain or wo nag ek jyoti ban us mani me sama jata hain.

Raja age badh jaise hi mani ko chhune wala hota hain tabhi uske sarir se big mani nikal us mani ko apne ander sama leta hain or ek roshni ke sath jo jungle log maya se bane the wo sab gyab ho jate hain lekin wo ladki gyab nhi ho pati ladki ko gyab hota na dekh raja ashacharye se usko dekhta hain or mani se swal puchhne lagta hain.


Raja - ye ladki gyab kyun nhi huyi?
Mani - malik ye maya se nhi bani hain ye apke purv janm ki premika sarojni hain ye apke andr tabhi sama sakti hain jab ap ise iska man chah koi chiz de payenge.

Raja dheeere dheere age badh sarojni ke pass jata hain .
Sarojni bas raj ko kab se nihar rhi hain jab se wo use mila hain uski tantra tab tutti hain jab raja use hilata hain or puchhta hain.

Raja- sarojni tumhari ichha kya hain?
Sarojni - raja ko itne kareeb dekh wo khud ko control nhi kar oati or uske gale lag rone lagti hain.
Raja use gale laga rone dete hain jab wo uski roni siskari me badal jati hai.
Tab sarojni kahti hain.

Sarojni- apko main tanik bhi yaad nhi ayi ap mujhe chhod kar kyun chale gye the mana ki main nurja jaisi nhi hun lekin main apko bahut prem karti hun.
Raja- sarojni ye mera naya janm hain maine pichhla janm me kya kiya kuchh nhi pata main khud apne pichhle janm ke bareme janan chahta hun.
Sarojni raja ki bat sun thoda udas hote huye or chonkte huye .
Sarojni - kya ye apka naya janm hain ?
Raja - haan ye mera naya janm hain .Tumhari kya ichha hain sarojni jisko pura kar main tumhe paa sakun.
Sarojni thoda sarmate huye
Sarojni - wo na mujhe wo na ..
Raja - haan jaldi bolo ye kya wo na laga rakhi ho.
Sarojni - wo main apse sadi karna chahti hun or apke bacche ki maa banan chahti hun.
Ye sun raja buri trh se chonk jata hain. Use kuchh samjh nhi ata ki wo kya kare tabhi mani jo kahta hain use sun raja or chonk jata hain.
Mani..... To be continued
 
Member
175
196
43
Update 5
Mani- malik agar aap inko sath nhi leke jayenge to apko dusri shakti hasil nhi hogi.
Raja chonkte huye- aisa kyun?
Mani- kyunki apki agli shakti ke rakshak ko harane me sirf yahi madad kar payengi.
Raja- thik hain.
Raja- thik hain main abhi kuchh nhi kar sakta jabtak mujhe meri puri sakti nhi mil jati or jabtak meri 4 patni wapas nhi mujhe mil jati tab tak main tumhe kabul nhi kar sakta tum chaho to mere sath chal sakti ho.
Sarojni- khush hote huye thik hain mujhe manjur hain.


Uske bad jaise hi raja sarojni ka hath pakrta hain unke charon trf mani raja ke sarir se bahar nikl un dono ke charo trf ghumne lagti hain or ek roshni ke sath dono wo jagah se gyab ho jate hain or unke gyab hote hi wo jagah registan me tabdil ho jati.

Idhar
Dhumketu jaise hi laser beam suntaru pe chhodta hain wo lasr beam tezi se suntaru ke trf badhta hain suntaru se takarane se pahle hi sardar us laser beam or suntaru ke bich aa jate hain wo us shaktishali beam ko apne sarir pe le lete hain us shakti ke karan sardar suntaru sahit dur ja girte hain sardar ke sath aisa hote dekh malti dhumketu pe akraman kar deti hain dhumketu ko chhune se pahle hi dhumketu ek talwar nikal malti ke sarir me ghusha deta hain or use sardar ke pass feka deta hain raja sunatru ko jab samjh ata hai wo turant sardar ko palatate hain lekin tabtak bahut der ho chuki hoti hain sardar bas apne ankhon me ashoon liye malti ko niharte huye chal baste hain jab raja sunatru sardar ke ankhon ka pichha karte hain hain to malti bhi apne ankhon me ashoon liye sardar ke sath hi chal basi raja suntaru se ye sab bardash nhi ho pata wo jor jor se chikh chikh ke ro padte hain wo badale ki bhavna me jaise hi uthane ki kosis karte hain wo pate hain ki wo ek janjir me bandh chuke hote hain.wahan achanak suntaru dekhte hain ki kuchh demon unke rajyavashi ko khinch ke lekar aa rhe hain. Dhumketu suntaru ko bandi bana mahal ki trf chal deta hain mahal me ghuste hi suntaru pata hain ki uski patni ko kuchh demon usko bandi banaye huye hain. Sunatru or uski patni ko bicch mahal ke diwar se laga bandh deta hai.

Achanak wahan kuchh demon suntaru ke kan me aakar kahta hain kuchh. Dhumketu us demon ke kahane pe kahin chala jata hain or ajte huye kahta hain ki sunatru ko sath lekar aye. Uske jate hi demon suntaru ko khol kar use bichh rajya me khada kar deta hain.or wahan jo hota. Hain use dekh sunatru ka dil dahal jata hain or wo tadap jata hain?
 
silent working
Super-Moderator
1,783
1,535
143
waiting new update friend ye na soncho comment nai aate aap continue karo
 

Top