Romance RISHABH-MOHINI

Well-known member
3,825
7,366
143
Ye Kahani hai Prem ke do Pankshiyo Rishabh aur Mohini ki, unke amar prem ki aur unke punar janam ki, unke sath ghatne wali adbhut ghatnao ki aur prem me sangharsh ki



RISHABH-MOHINI

UPDATE*1




"Is waqt jungle kaisa bhayanak malum padta hai........Chandni ne to aur hi rang jamaya hai, jo pedo me se jamin par padti huyi door tak dikhayi deti hai"….

Dhire dhire yeh kahta hua 20-22 saal ka ek ladka ghane aur darawne bhayanak jungle me idhar udhar ghum raha tha

Gora rang, har ek ang saf aur sudoul, chehre se jawamardi aur bahaduri saf jhalak rahi thi us ladke ke magar sath me uske khubsurat chehre par udasi ke badal bhi chhaye huye the…

Ghumte ghumte uss ladke ke kaan me ek dardnak rone ki awaz sunayi di….jise sunte hi vo chounk utha aur idhar udhar nazar ghumakar dhyan se dekhne laga lekin vo awaz phir dubara nahi sunayi padi

Ye awaz aisi na thi jise sunkar koi bhi apne dil ko sambhal sake…..vo ladka ekdam pareshan ho gaya kyon ki vo jitna diler aur taqatwar tha utna hi nek aur rahamdil bhi tha

Awaz kaan me padte hi ye malum ho gaya ki ye kisi kamsin ladki ki awaz hai jis par koi zulm ho raha hai.. uss ladke se raha nahi gaya to vo ussi awaz ki disha me pashchim ki taraf nikal gaya

Thodi hi door jane par phir vaisi hi dardnak awaz ladke ke bayi oor se aayi to vah ladka apni bayi disha ki taraf chal diya…..aur thodi hi der me vo ladka us jagah pahuch gaya jaha se kisi patthar ko bhi gala kar baha dene wali ye awaz aa rahi thi

Vaha pahuch kar us jagah ka nazara dekhte hi uska kaleja dhak dhak karne laga…uski khauf, tajjub aur gusse se ajab halat ho gayi

Jis jagah par vo ladka pahuch kar khada tha tha vaha samne ek bada peepal ka ped tha…is aadhi raat ke sannate me hawa ke chalne se jiski pattiya khad khada rahi thi

Ussi ped ki ek moti daal ke sath ek lash latak rahi thi..jiske pair me rassi bandhi thi aur us lash ka sir niche ki taraf tha…ye drishya dekhte hi us ladke ki buri halat ho gayi

Us lash ko dekh kar ladke ne myan se talwar nikal li jo uski kamar me bandhi huyi thi aur us lash ki taraf dhire dhire badhne laga

Pass jane se malum hua ki ye ek ladki ki lash hai..uski sari jamin se latak rahi thi…jism kayi jagah se nanga dikhayi de raha tha aur uske dono hath niche latak rahe the

Vah bahut dhyan se us lash ko dekhne laga, itne me hi hawa ka ek bahut tez jhatka aaya jiski vajah se ped ki tamam chhoti chhoti daaliya hil hil kar jhonka khane lagi..

Aur vah daali bhi jo chandrama ki roshni ko us lash tak pahuchne nahi deti thi..vo daali bhi hawa ke jor se ek taraf ko hat gayi aur chandrama ki roshni kuch samay ke liye us lash ke upar aa padi

Lash par roshni padne ke sath hi us ladke ke bilkul rongte khade ho gaye kyon ki us aurat ka chehra jo ped ke sath behosh ulti latak rahi thi…uski sundarta us chaand se kisi tarah se kam nahi thi jiski roshni ne kshan bhar ke liye us aurat ke badan par padke uski halat us ladke ko dikhla di thi

Ladke ne is chand ki roshni me ek aur baat bade ashcharya ki dekhi ki us ulti latki huyi aurat ka badan full jwellary se lada hua tha…jise dekh kar uske mann me kayi tarah ke khyal umadne lage

Vo ladka jaldi se us lash ke paas jakar dekhne laga ki isme kuch dum hai ya nahi….usne jaise hi us aurat ke naak me hath aur sine me kaan lagaye to chounk gaya kyon ki abhi bhi us aurat ki saanse chal rahi thi ye ehsaas hote hi ladke ko khushi huyi

Ladka (mann me)—chalo ye achcha hai ki ye abhi jinda hai…ise ped se niche utarkar kaise bhi iski jaan bachaunga …aur jisne bhi bechari ki ye halat ki hai use jinda nahi chhodunga

Ye soch kar vo ped par chadh gaya aur badi hoshiyari ke sath us rassi ko khola jisme vo aurat latak rahi thi…use dhire se jamin par chhod khud bhi niche utar aaya aur uske pair se rassi khol ke sidhi kiya aur phir use ped me tika ke khada kar diya…magar hath se thame raha

Jisse uske badan ka tamam khoon jo bahut der tak ulte latke rahne ki vajah se sir ki taraf utar aaya tha ab vo vapis niche ki oor bah kar poore badan me phail gaya

Ladke ne uske sharir se khoon saf karke uske jakhmo par kuch jadi buti ka lep lagaya…aur uske kapde sahi karne laga

Ladki ki age 23-24 se jyada ki nahi lag rahi thi….kuch der baad hosh me aane par vo baithne ki koshish karne lagi…ladke ne dhire se ped ke sahare use baitha diya

Ladka—ab kaisi tabiyat hai…?

Jiske jawab me vo kuch na boli, kewal ankhe uthakar chandrama ki taraf dekha aur phir sir niche karke dhire dhire bolne lagi

Ladki—aapne meri jaan bacha kar jo ehsaan mujh par kiya hai…vo mai kabhi nahi bhula sakti…agar poori jindagi apki gulami aur apke juthe bartan bhi saf karu tab bhi mai apka ye karz nahi utar sakti

Ladka—ye kahne ki koi jarurat nahi hai…maine tumhare upar koi ehsaan nahi kiya hai balki apna khud ka bhala kiya hai ki tumhari jaan bachakar maine apne aap ko paap ka bhagi hone se bachaya…maine apni jaan lada kar tumhari jaan nahi bachayi…balki raah chalte chalte yaha aa pahucha aur tumko ishalat me dekh kar mujhe jo sahi laga vo maine kiya…mai kya koi patthar ke kaleje wala bhi yaha akar tumhari jaisi ladki ko aisi dasha me dekh kar bhala bina madad kiye ja sakta hai…?

Itne me kayi baar hawa ke jhonke aaye aur us peepal ki daaliyo ne bhi hat hat kar chandrama ki roshni ko un dono tak pahuchne diya jisse dono ne ek dusre ko kuch achchi tarah se dekha

Har baar us najuk ladki ne meethi meethi baate karte us ladke ki surat ko dekh dekh kar sar niche kar liya aur uski baat khatam hone ke baad dhire se boli

Ladki—mujhme itni budhi nahi ki mai apki in baato ka jawab du akhir mai ek ladki hu na….ha, mai kewl itna kah sakti hu ki aapne jo mere sath kiya..use mai hi janti hu lekin kahne ka samarthya nahi hai mere andar…aur jyada baate karne ka ye mouka bhi nahi hai….agar hum log yaha jyada der tak ruke to hum teeno ki jaan bhi ja sakti hai

Ladka (hairan hokar)—yaha par to mere aur tumhare alawa koi teesra nahi hai…phir tumne ye kyo kaha ki teeno ki jaan jayegi…..?

Ladki (pareshan hokar)—haaye….meri bahan bhi isi jagah hai

Ladka (chounk kar)—lekin yaha tumhari bahan kaha hai…?

Aurat (hath se ishara karke)—isi jagah hai

Ladka—agar vo jamin me gadi hai to kab ki mar gayi hogi

Aurat (chandrama ki oor dekh kar)—nahi…nahi….use gade abhi jyada der nahi huyi hai….mujhko latkane ke baad badmasho ne use gada hai….sivay iske vo ek bade lambe choude sandook me rakh kar gadi gayi hai…..jarur abhi jinda hogi

Itna sunte hi vah Ladka apni jagah se uth khada hua aur uss ladki ki batayi huyi jagah ki jamin ko khanjar se khodne laga…ladki apne najuk hatho se vaha ki mitti hatane lagi

Sandook bahut niche nahi gada gaya tha isliye uske upar ka takhta jaldi hi nikal liya gaya

Sandook me lock nahi laga tha to ladke ne asani se uska palla hata kar kinare kiya aur dono ne milkar us ladki ko sandook se bahar nikala…..jo uske andar behosh padi huyi thi

Iske badan me bhi full jewar (jwellary) the…aur sari bhi beshkimti thi magar chehra saf nazar nahi aata tha..tab bhi kuch kuch chandrama ki roshni uski khubsurati ko chhipe rahne nahi deti thi
 
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*2

Sandook me lock nahi laga tha to ladke ne asani se uska palla hata kar kinare kiya aur dono ne milkar us ladki ko sandook se bahar nikala…..jo uske andar behosh padi huyi thi

Iske badan me bhi full jewar (jwellary) the…aur sari bhi beshkimti thi magar chehra saf nazar nahi aata tha..tab bhi kuch kuch chandrama ki roshno uske khubsurat i ko chhipe rahne nahi deti thi

AB AAGE.......

Sandook ke bahar nikalne aur thandi thandi hawa lagne par bhi kuch der ke baad use hosh aaya tab vo ladka aur vah ladki apne rumal aur aanchal se uske muh par hawa karte rahe

Hosh aate hi us ladki ne chounk kar pahle us ajnabi ladke ki oor dekha phir apni dusri taraf baithi ladki ko phir khud ki halat dekh kar soch me dub gayi

Ladki 2—didi …meri yah halat kaise huyi….?

Ladki 1—ye waqt in sab baato ka nahi hai…..hum logo ko chahiye ki siway bhagne ke aur kuch na kare balki jab tak yaha se door na nikal jaye apas me kuch baat hi na kare…..ha.ishwar ne chaha to kisi surakshit jagah pahuch kar hi kuch baat cheet kare to adhik behtar rahega

Ladki 2—didi..kya hum log aisi jagah phans gaye hain ki siway bhagne ke aur kuch nahi kar sakte….agar aisa hai to mai bhagne ko taiyar hu magar itna to bata do ki ye ajnabi ladka koun hai aur mere bagal me ye itna bada gaddha kaha se aa gaya jisme itna bada sandook rakha hai

Ladki 1—mai to khud bhi nahi janti ki ye bahadur yuvak jisne hum dono ki jaan bachayi hai, koun hai…? Ha is sandook aur gaddhe ke baare me jarur janti hu kintu abhi siway bhagne ke mujhe kuch aur nahi sujh raha hai agar tumhare pass bhagne ki himmat na ho to koi aur upay ke baare me socha jaye

Ladki 2—nahi…nahi…mai bakhubi tum logo ke sath chalne ko taiyar hu….lo chalo ab

Teeno us jagah se dhire dhire aage ki oor rawana ho gaye…

Ladki 1—mujhe aage chalne do…kyon ki mai yaha se bahut jaldi bahar nikalne ka rasta janti hu..tum dono chup chap mere piche piche aao

Yah kah kar vo aage hokar pashchim disha ki oor jane jane lagi..to ye dono bhi uske piche chalne lage

Ghadi bhar chalne ke baad teeno ek nadi ke kinare pahuch gaye….jiska paat bahut jyada chouda to nahi tha kintu itna kam bhi nahi tha ki kisi ka feka hua patthar ya dhela is paar se uss paar tak pahuch jaye

Chhoti chhoti do khubsurat kishtiya (boat) kinare par khoonte se bandhi huyi dikhayi padi……jis par halke halke dande bhi naav chalane ke liye pade the

Ladki 1—jaldi se kisi ek boat par chadh jao….der mat karo

Ladka—nahi..pahle tum dono sawar ho jao...iske baad mai naav me baithunga

Yah kahkar usne dono ladkiyo ko naav par chadhaya lekin jab vo khud boat par chadhne laga to ek ladki ne use rok diya

Ladki 1—pahle us dusri boat ko kinare se khol kar is naav se baandh lo…uske baad tum bhi isme aa jao…mai us boat ko apne sath le jaungi

Ladki 2—us dusri boat ko le jane ka koi fayda nahi hai…..balki aisa karne se to hamari naav utni tez bhi nahi chal sakegi jitni akele me chalegi

Ladki 1—mai jo kahti hu vo karo…iska karan tum nahi janti….jyada der karne se nuksan hi hoga isliye jaldi se us boat ko isse baandh kar tum bhi upar aa jao

Ladke ne ye soch kar ki shayad isme koi bhed ho..usne dusri naav ko kinare se khol kar pahli boat se baandh diya aur upar akar naav chalane laga

Ladki 1—ab meri jaan me jaan aayi….ye sab aap ki badaulat hai….ab aap idhar aakar baithiye…mai naav chalati hu

Ladka—wah….mai baithu aur tum naav chalao ..ye bhi khoob kahi…tum dono chup chap vahi baithi raho…aur dekho mai ise kitni tezi se chalata hu….tum dono ke to abhi tak hosh bhi thikane nahi huye honge…..

Ladki 1—ab theek hain hum

Ladka—ha..ye to batao ki abhi tak mujhe ‘’tum tum’’ kah kar pukarti rahi lekin jab se boat par sawar huyi ho tab se kayi baar ‘’aap’’ kah ke pukara…iska kya karan hai….?…tumhari baat cheet se malum hota hai ki tum padhi likhi ho…agar aisa nahi hota to mai ye khyal na karta aur na hi ye sawal karta

Un dono ne is baat ka koi jawab nahi diya kewal mushkura kar apna sar niche kar liya….

Ladka—chalo mujhe ye to pata chala ki tum dono mushkurati bhi ho

Ladki 1—ab hum log kafi dur nikal aaye hain…..agar is dusri kishti ko yaha dubo diya jaye to hum poori tarah nishchint ho jaye

Ladka—is dusri boat ko sath me lane ki vajah main bakhubi samajh gaya hu…jaha tak ho sake hame isko dubo hi dena chahiye kintu is tarah ki jisse hamari naav ko koi nuksan na pahuche

Yah kah ke ladke ne naav khena band kar diya aur piche bandhi dusri naav par aakar apni kamar me bandha khanjar nikal kar naav ke beech me hole kar diya aur phir vapis apni boat me akar apni boat se bandhi huyi uski rassi khol kar naav ko chala ke aage le gaya

Us dusri naav me gaddha ho jane se usme pani bharne laga aur vo dhire dhire dubne lagi….ladka apni boat ko tezi se aage badhane laga

Nadi ka jal(pani) bilkul thahra hua malum ho raha tha jaise kisi ne farsh bichhaya ho…..chandrama bhi apni purna kirno se saf aas maan me uga hua tha…..

Ye teeno naav par baithe chale ja rahe the…..teeno jawan, teeno khubsurat, teeno najukbadan…apas me ek dusre ko dekh dekh khush hote, mushkurate..naav chalate huye badhte ja rahe the…..

Ladki 1 (mushkura kar)—bas ab hame kisi ka darr ya khauf nahi hai….naav ko dhire dhire bahne dijiye aur aap aakar mere paas baithiye

Ladka bhi yahi chahta tha ki in dono ke paas baithkar baatcheet karke malum kare ki ye bala ki khubsurat jawan ladkiya koun hain….?

Astu usne bhi naav khena band kar diya..aur patwar ko vahi upar rakh ke vahi khushi khushi akar baith gaya jaha dono baithi mushkura rahi thi….naav dhire dhire aage bahne lagi

Ladka—ab hum poori tarah se bekhauf hain….mujhe to pahle bhi kisi ka darr nahi tha..magar tum dono ki vajah se mujhe bhi darna pada....ab tum dono ka haal jane bina dil bahut bechain ho raha hai…isse badhiya samay baat cheet karne ka phir na milega

Ladki 1—pahle aap kahiye aap ka kya naam hai…?..kaha ke rahne wale hain…? Aur us jungle me (kaamp kar)..ufff..yaad karte hi kaleja dahalta hai…..aap kaise pahuche…?

Ladka—pahle tumko apna haal kahna chahiye kyon ki tumhare puchne se pahle hi main yeh sawal kar chuka hu…..siway iske mera koi vichitra haal nahi hai….ha.jab tum dono ki halat ko yaad karta hu to badan ke rongte khade ho jate hain….haaye…uska kaisa kaleja tha jisne tum dono ke sath aisa salook kiya

Ladki 2—ha didi…pahle tum apna haal kaho…kyon ki meri tabiyat yeh sune bina hi bahut ghabra rahi hai ki meri vah dasha kishne ki thi…?

Ladki 1—achcha theek hai…pahle mai hi apni ram kahani kahti hu…(phir ladke ki taraf dekh kar)..aap kuch nahi batana chahte to koi baat nahi hai kintu kam se kam apna naam to bata dijiye jisse baat karne me asani ho

Ladka—iska koi muzayka nahi hai…to suno mera naam ‘’RISHABH’’ hai…baki jab tak tum dono ke bare me malum nahi hota…mai kuch nahi bataunga

Ladki 1—hahaha……ab aap dil laga kar mere baare me suniye…mai batati hu….

In logo ne naav khena band kar diya tha…aur ek dusre ki baat me itna kho gaye ki naav ki chaal aur bahav ka kuch khyal na raha…aur vah bahti huyi kuch kinare ki taraf ho gayi

Abhi us ladki ne apne baare me batana chalu nahi kiya tha ki in logo ki naav ek ghane peepal ke ped ke niche ja pahuchi jo kinare par hi tha

In logo ki naav us ped ke niche pahuchi hi thi ki upar se kisi ki awaz aayi….

‘’Sale..bh***ke..Rishabh…le ja....do do kancha maal le ja bhaga ke chup chap…..ab dosto ki fikar kyo hogi…magar hum bhi tumhare ustad hi nikle…rasta hi aakar band kar diya…bhala ab aage ja to sahi..dekhe kitni himmat hai…’’

Is awaz ke sunte hi dono ladkiya darne lagi magar vo ladka hasne laga jisse dono ko badi hairat huyi kyon ki is awaz ko sun kar vo ghabra gayi thi…..unko poora vishwas ho gaya tha ki hamara picha karte huye koi dushman yaha tak aa pahucha

Darr ke maare badan kampne laga tha..lekin Rishabh ko haste dekh unki halat aur bigad gayi vo dono badi hairangi se use dekhe ja rahi thi

Rishabh (haste huye)—ghabrao mat….mai abhi ise naav par bulata hu...

Rishabh (ped ki taraf dekh kar)—abe oo bhutni ke….ab ped ke upar hi baitha rahega ki niche bhi utrega...chal aaja kinare par
 
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*3


Is awaz ke sunte hi dono ladkiya darne lagi magar vo ladka hasne laga jisse dono ko badi hairat huyi kyon ki is awaz ko sun kar vo ghabra gayi thi…..unko poora vishwas ho gaya tha ki hamara picha karte huye koi dushman yaha tak aa pahucha

Darr ke maare badan kampne laga tha..lekin Rishabh ko haste dekh unki halat aur bigad gayi vo dono badi hairangi se use dekhe ja rahi thi

Rishabh (haste huye)—ghabrao mat….mai abhi ise naav par bulata hu...

Rishabh (ped ki taraf dekh kar)—abe oo bhutni ke….ab ped ke upar hi baitha rahega ki niche bhi utrega...chal aaja kinare par

Awaz—nahi..ab to mai bilkul bhi niche aane wala nahi hu....tum apni naav le jao......hihihihihi.. lekin yaha se naav le jana kya hasi majak hai....aisa mantra padhunga ki ye boat apne aap kinare par hi aake rukegi...bahut apni jaan bacha kar ghar se bhage the na.....main teen din ka bhukha pyasa hu...ab to tum logo ko khakar apni bhukh mitaunga

Rishabh—abey utarta hai niche ki lagau mirchi ki dhuni

Awaz—arey mirchi ke khet me hi aag laga dega to usme hoga kya phir.... ?

Rishabh—achcha mere bhai….tere hath jodta hu …ab to niche aa ja

Awaz—mai aisa vaisa bhoot nahi hu ki itna jaldi utar jau

Rishabh—sidhi tarah niche aata hai ki nahi

Awaz—tu yaha se jata kyo nahi

Rishabh—naak me damkar diya isne to…achcha ye batao ki tum niche utarte kyo nahi…?

Awaz—bhai gussa kyo hote ho…?..tujhe to malum hai ki mai kitna foonk foonk kar kadamrakhta hu

Rishabh—ab yaha tumhe kis baat ka darr hai….?

Awaz—yahi ki kahi mujhe nazar na lag jaye

Rishabh—kiski nazar….?

Awaz—yahi ki kahi in ladkiyo ki nazar meri jawani aur pahalwani ko na lag jaye

Uski baat sunkar rishabh jor jor se hasne laga….sath me jo ladkiya abhi tak darr se kaamp rahi thi vo bhi uski baat sun kar khil khilakar hasne lagi

Ladki 1—agar ye bhoot hai to phir rishabh ji bhi jarur pishach honge…hihihihi…magar ye hain koun…?

Rishabh—niche nahi aa raha na..to theek hai mat aa…mai ye ped hi kaat dalta hu ab

Awaz—nahi…nahi…aisa julm mat kar…mai aa raha hu niche

Aur phir wo shakhs niche kud kar aa gaya jise dekhte hi dono ladkiyo ki hasi hi nahi ruk rahi rahi...karan tha uski ajib shakal bilkul naate kad ka (bouna), chhoti naak, lal kurta pahne, ek hath me batua aur ek hath me bhaang ghotne ka danda liye vo naav par kud gaya..age karib 25 saal lekin dekhne se 7-8 ka bachcha lagta tha

Awaz—dekh rishabh mai isiliye niche nahi aa raha tha....ab khud hi dekh le inko meri jawani aur mere pahalwani sharir ko dekh kar ye dono mujhe line maar rahi hain

Ladki 1—rishabh parichay nahi karaoge apne dost ka....aur ye yaha kaise pahuch gaye... ?

Rishabh—iska naam arjun hai...magar pyar se log ise naughty kahte hain...kyon ki ye shararte bahut karta hai...ye mera bachpan ka sathi hai...mujh par jaan chhidakta hai....ha thoda bewkoof jarur hai....baki khubiya raste me malum chal jayengi

Ladki 2—phir aap dono ka sath kaise chhut gaya.... ?

Rishabh—mai to akela hi ghar se nikla tha...ye mujhe khojte talaste yaha aa pahucha

Naughty—dekh rishabh ye dono baar baar mujhe dekh kar has rahi hain..agar mujhe gussa aa gaya to phir na kahna

Rishabh—vo tumhe dekh kar khush ho rahi hain...isme gussa hone wali kya baat hai... ?

Naughty—nahi agar inko meri pahalwani aur jawani par shak hai to mai bhi taiyar hu..bol do aa jaye maidan me kushti ladne

Rishabh—ladkiyo ke sath kushti karke pahalwani dikhaoge

Naughty—ji haa…kal ke ladke ho tum..abhi nahi samjhoge…abhi aurato se pala nahi pada hai tumhara ….. meri ek nasihat hamesha yaad rakhna ki dus mard se ladne me koi mushkil nahi hai magar ek aurat se muqabla karna jara tedhi kheer hai

Rishabh—sach hai….sach hai…..lekin ye to batao ki tum yaha jungle me kaha se paida ho gaye…?

Naughty—tum to chup chap ghar se nikal bhage…socha hoga kibas ho gaya koun khojta hai…? Lekin ye bhul gaye ki mai 40 kam 100 kos dur se tumhari khushbu soongh leta hu…bas aa gaya khojte huye…mai to darr raha tha….(phir thoda ruk kar)..ram ram…darr kis baat ka…mai to kisi se darta hi nahi…aaj kal pata nahi kya ho gaya hai…..mai bolta kuch hu aur muh se nikalta kuch aur hi hai

Ladki 1—shayad apko pata nahi ki is jungle me daku ghumte rahte hain..

Rishabh—ha…abhi hamari muthbhed dakuo se ho gayi thi

Naughty—achcha hua ki mai nahi sath me hua warna ek bhi daku bach ke nahi jane pata

Rishabh—40-50 daku the

Naughty—bas…arey itne to mujhe dekhte hi bhag jate…khair ye sab chhodo…savera hone wala hai…is kinare ka jungle bhi bahut ramnik hai…naav ko kinare lagao…tab tak mai bhaang peesta hu…tum bhi piyo aur in dono ko bhi pilao….ye bhi kya yaad karegi ki kabhi kisi pahalwan ki bhaang pi thi

Rishabh—theek hai

Rishabh ne naav ka rukh kinare ki taraf kiya hi tha ki tabhi geedad (siyar) ke chillane ki awaz aane lagi

Naughty—bas..bas…nahi..nahi…idhar nahi aur aage chalo..yeh jungle kisi kaam ka nahi hai..aage wala ghana jungle theek rahega

Ye sun kar dono ladkiyo ke sath sath rishabh bhi jor jor se hasne laga

Naughty—bas baat ko socha nahi aur has diya….tum logo ko kya lagta hai ki mai siyar se darr gaya mai kisi se nahi darta

Uski is baat ne phir se sab ko hasa diya…rishabh to janta tha ki naughty bahut darpok hai…lekin baat banane se nahi chukta…. vo to uski dosti ke karan yaha tak aa pahucha

Jab se rishabh ne in dono ladkiyo ki phansi aur kabra se jaan bachayi aur chaand ki roshni me inki surat dekhi tabhi se vo inka ashiq ho gaya

Vahi dono ladkiya bhi rishabh ki oor akarshit ho gayi thi….unhone ne bhi soch liya tha ki vo ab rishabh ka sath kabhi nahi chhodegi

Rishabh—aap dono bhi to apna parichay do ab

Ladki 1—ye meri chhoti bahan hai Gulab aur mera naam hai MOHINI
 
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*4

Rishabh—aap dono bhi to apna parichay do ab

Ladki 1—ye meri chhoti bahan hai Gulab aur mera naam hai MOHINI

Ab aage………….

Rishabh ne naav kinare par laga kar use ek ped se baandh diya…aur phir niche utar ke bari bari se dono ladkiyo ko niche utara…lekin naughty vaha baitha raha

Rishabh—ab tujhe kya alag se bolna padega….?

Naughty—nahi abhi nahi utarunga….mai bhaang ghot raha hu

Rishabh—chalo ham log yaha niche baithte hain

Rishabh ne ek chadar jo naav me rakhi mili thi usko niche jamin par bichha diya….teeno apas me baat karne lage tabhi door se kuch kutto ke bhukne ki awaz aayi

Rishabh—laghta hai ki paas me hi koi gaon hai…..kyn ki kutte abadi vale ilake me hi rahte hain…behtar hoga ki hum aaj ka din isi gaon me chal kar gujare…din ki tez dhoop me naav ka safar bahut mushkil hoga

Mohini—aapka kahna sach hai…magar hum logo ka kisi chhote gaon me rahna uchit nahi isse to din bhar ki dhoop sah kar naav ka safar hi sahi rahega

Gulab (idhar udhar dekh kar)—udhar dekho…vaha ek naav ki mastul dikhayi de rahi hai…(utha kar).. wah….ye baut badi chhappar wali naav hai….agar isko kiraye par liya jaye aur isme safar kare to hum jaldi hi kisi shahar tak pahuch sakte hain

Rishabh (us naav ko dekhte huye)—baat to bilkul theek hai

Mohini—bas ab der kis baat ki hai….hum isi naav me baithkar vaha tak chalte hain aur usko kiraya par lene ki baat kar lete hain

Rishabh—abhi tum logo ka vaha le jana theek na hoga…kya thikana vah naav khali bhi hai ki nahi ya phir usme kisi ka maal lada ho….agar vah dusre ke kiraye par hogi to hame nahi mil sakegi aur sabse badi baat tum dono achche kapde aur gahne pahne huyi ho upar jawan aur sundar bhi ho….aise me koi dekhega to kya samjhega….?..koi aisi tarkeeb bhi to nahi hai ki tum dono ko chhupa kar vaha le chalu.. agar naav bhari na huyi to usi jagah kiraye par leke yaha aa jaunga…vaha itne admiyo ke beech me dono ka jana theek nahi hoga

Gulab—chaliye naav khali huyi to sawar ho lenge nahi to isme hi chal kar kahi thaharenge aur aaj ka din bitayenge

Rishabh—dekho aage door door tak balu hi balu dikhayi de rahi hai….ek bhi ped ka kahi naam nishan tak nahi hai…aise me kaha thaharenge….?

Mohini—phir apki kya rai hai... ?

Rishabh—tum log yahi ruko…naughty bhi tumhare paas hai...mai tab tak dekh ke aata hu agar naav khali mail gayi to hum kiraye se lekar usme chalenge nahi to aaj ka din yahi ruk kar raat hone par aage jayenge

Mohini—nahi ..mai bhi chalungi tumhare sath...mai tumhara sath na chhodungi ab......kya pata tum kahi........

Rishabh—mai kaha chala jaunga... ?..bas abhi gaya aur abhi aaya.....

Mohini kaa dil rishabh ke door jane ka soch kar hi ghabrane laga tha…..is kuch ghanto ke safar ke sath ne uske dil me rishabh ki achchhaiyo ki vajah se ek ajib si chahat ne janam le liya tha

Kahte hain pyar karne ke liye kabhi kabhi ek hi chhat ke niche rahne ke bavjud bhi pyar nahi ho pata aur kabhi kabhi hamare jeevan me koi ek aisa lamha aata hai jise dekhte hi pyar ho jata hai...us par mar mitne ka dil karne lagta hai

Yahi halat is samay mohini ki bhi thi….vo na jane kyo rishabh ke sath rahna chahti thi….abhi use khud hi nahi khabar ki ye pyar hai ya sirf akarshan.... ?...use is baat ka darr tha ki kahi rishabh chhod ke na chala jaye...ye sochte hi uski ankhe dabdabane lagi...

Mohini ( nam ankho se)—mai...kyaaa........

Rishabh ne jaise hi mohini ki oor dekha to uski ankho me anshoo dekh uska dil bhi bechain hone laga.. ek kasak si uthane lagi uske sine me…

Vo khud ko nahi rok paya aur jakar mohini ke chehre ko apne dono hatho se thaam liya…

Rishabh—ye kya…?..yeh anshoo kyo….?

Rishabh ki baat sunte hi mohini ka jee poori tarah se umad aaya…uski ankho se aanshuo ki taar bandh gayi…..vo khud ko rishabh ke sine se lagne se nahi rok payi

Mohini (hichaki lete rote huye)—na jane kyo mera dil bahut ghabra raha hai….kaleja kaamp raha hai aur khud-ba-khud rone ko jee chahta hai….bas tum kahi mat jao….hum yahi ruk kar din kaat lenge phir jo bhi hoga dekha jayega..

Rishabh (mann me)—ye mere dil ko kya ho raha hai…?..kyo mai mohini ke anshu nahi dekh pa rahahu..?.. kyo uski ankho me pani dekh kar mere dil me tees si uth rahi hai

Mohini (sisakte huye)—tum kahi na jao..rishabh

Rishabh ne badi mushkil se mohini ko samjhaya aur is baat par razi kiya ki vo jaldi hi vaha jakar naav ka haal dariyaft karke lout aayega

Dusri taraf naughty naav me baithe huye apni hi dhun me bhaang ghotne me magan tha….deen duniya ki koi khabar hi nahi…use ye bhi nahi pata ki abhi in teeno me kya baate huyi….dono pairo se bhaang peesne ki kundi pakde huye niche ke hotho ko daanto se dabaye kabhi bayi taraf to kabhi dayi taraf sonta ghuma ghuma kar bhaang peesne me vyast tha..

Rishabh (chilla kar)—arey..ooo..bhangedi..abhi tak teri bhang taiyar nahi huyi…? Dekho jara idhar khyal rakhna…hum jate hain…

Naughty (gusse se dekh)—bas khabardar…..mujhe tere bhangedi kahne ka itna bura nahi laga jitna dukh is baat se hua ki ..hum jate hain…kya mazal ki tum kahi ja sako…ek baar akele chhodne ka phal pa chuka hu…mujhe ullu samajh rakha hai ki tujhe ghadi ghadi bhag jane dunga…

Rishabh—abey..kuch sunta samajhta bhi hai ki jab dekho apni hi taany taany kiye jata hai

Naughty—sab sun bhi liya aur samajh bhi liya…chup chap se yahi baith ja sidhe hokar

Rishabh—arey mai naav kiraye par lene ja raha hu aur kahi nahi ja raha

Naughty (chounk kar)—naav…?.. kaisi naav…?..yeh kya chhakda hai…?

Rishabh (has kar)—ye bhi naav hai..magar mai badi chhappar wali naav kiraye par lene ja raha hu

Naughty—kaha hai chhappar wali naav…..?

Rishabh (ishara kar ke)—vo dekho……

Naughty—ha..haa..hai to…..(sonta rakh kar)..mai bhi tumhare sath chalta hu

Rishabh—to in dono ke paas koun rahega….?

Naughty—tum…

Rishabh—aur tum kiske sath jaoge….?

Naughty—tumhare sath….

Naughty ki is baat ne sabhi ko hasa diya…..mohini jo udas baithi thi vo bhi joro se has padi

Naughty—isme hasne ki koun si baat hai…(kuch soch kar)..achcha…achcha..mai samajh gaya.. mujhse galti huyi bolne me…vo mai bhul gaya tha…achcha jao sidhe us naav ki taraf chale jao…mai yaha se dekh raha hu…idhar udhar hate ki maine yaha se danda fekkar mara

Rishabh—achchha chal yahi sahii…mai ja raha hu

Mohini—dhyan se jana

Rishabh—chinta mat karo..mai abhi dekh ke aata hu

Rishabh vaha se chala gaya....mohini aur naughty ki nigah barabar us par jami huyi thi
 
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*5

Naughty—isme hasne ki koun si baat hai…(kuch soch kar)..achcha…achcha..mai samajh gaya.. mujhse galti huyi bolne me…vo mai bhul gaya tha…achcha jao sidhe us naav ki taraf chale jao…mai yaha se dekh raha hu…idhar udhar hate ki maine yaha se danda fekkar mara

Rishabh—achchha chal yahi sahii…mai ja raha hu

Mohini—dhyan se jana

Rishabh—chinta mat karo..mai abhi dekh ke aata hu

Rishabh vaha se chala gaya....mohini aur naughty ki nigah barabar us par jami huyi thi

Ab aage........

Mai (Rishabh).jaise hi us naav par pahucha to vaha par ek admi chhappar ke bahar baitha nazar aaya .. mai sidha uske paas chala gaya

Mai—bhai kya ye naav hame kiraye par mil sakti hai..... ?

Vo admi—ruko mai abhi is naav ke malik se puch kar batata hu....(andar baithe admi ko awaz laga kar)... malik koi naav kiraye par lene aaya hai..

"Theek hai mai aata hu.... " andar baithe admi ne kaha

Thodi der me andar se ek hatta katta admi bahar aaya....dekhne me hi vo chor jaise lag raha tha...mai pahle se hi satark ho gaya

"Ha bolo kya kaam hai.." usne mujhe ghurte huye kaha

Mai—ji hame naav kiraye par chahiye

Admi 2 (naav malik)—kya saman ladna hai... ?

Mai—hamare paas koi saman nahi hai...bas kuch log hain...hame aage tak jana hai

Admi 2—mujhe to tumhare alawa aur koi nahi dikh raha yaha.... ?..kaha hain baki log…?

Mai—ji vo log udhar naav me mera intazar kar rahe hain…

Admi 2—isme to ladkiya dikh rahi hain…?

Mai—ji vo mere sath me hain…

Admi 2—sidhi tarah ye kyo nahi kahta ki mai unhe bhaga kar laya hu

Admi 1—ha malik dekh lo….ghor kaliyug aa gaya hai…..hame ek bhi nahi mil rahi aur ye do do loundiya ke sath maze loot raha hai

Mai—jara tamiz se baat kijiye….vo meri dost hain

Admi 2—naav to ab tabhi mil sakti hai jab inke sath hame bhi maza karne doge..

Mai—to phir mujhe nahi chahiye tumhari ye naav….dhanyabad

Admi 2—aise kaise chale jaoge yaha se….ab to naav ka sauda ho chuka hai un ladkiyo ke badle me

Mai—apni juban ko lagam do

Admi 2—tu kal ka lounda mujhse akadta hai.....teri to

Usne mujhe marne ke liye jaise hi apna hath uthaya….to maine niche jhuk kar ek kick uski tango me mari jisse vo muh ke bal niche gir gaya

Ye dekh kar uska naukar meri taraf lapka lekin uske mujh tak pahuchne se pahle hi maine uske malik ki gardan daboch kar pakad li

Mai—jyada hoshiyari dikhayi to tere malik ki gardan marod dunga isi waqt….

Dusra admi jiski maine gardan daboch rakhi thi…uske muh se bas gooo…goooo ki awaz nikal rahi thi… usne ishare se apne admi ko dur rahne ko kaha

Admi 1—theek hai chhod unko…warna tere liye theek nahi hoga

Mai—abhi chhodta hu isko..ye le..aaaaaaaaaaaaaaa

Maine us admi ki gardan marod di….jisse vo dard se chillane laga……aur phir use maine palat kar utha ke niche pani me phek diya

Ye dekh kar uska naukar gusse me tamtama gaya…paas me rakha ek mota danda lekar meri taraf bhaga maarne ke liye…lekin uska nishana chuk gaya kyon ki mai vaha se ludhakte huye tezi uske paas jakar uske pet me joro se ek laat jama di

Uske hatho se danda chhut kar uske sath hi niche ja gira…maine turnat uth kar usi dande ke lambe choude 8-10 prahar uske sar me maar kar use bhi laat se ludhka kar pani me gira diya

Ab maine chhappar me andar jakar dekha to vaha par kafi sare kapde aur gahne rakhe huye dikhe mai samajh gaya ye sab lut ka maal hai…ye dono nihsandeh daku hain

Ab mera rasta saf ho chuka tha..maine patwar utha kar naav ko khete huye apne logo ke paas aa gaya.. mujhe naav ke sath dekh teeno khush ho gaye

Gulab—wah…kitni badhiya naav hai…kitne me diya kiraye me..?

Mai—koi kiraya nahi…ab se ye hamari naav hai

Mohini—bhala vo kaise...kya tumne ise kharid liya... ?..par hame to kiraye par chahiye tha

Naughty—kharid liya hoga...mere sath rahte rahte ye bhi samajhdar ho gaya hai

Mohini—pahle mujhe poori baat batao...

Maine use poori baat bata di….jisse mohini ki ankhe nam ho gayi

Mai—ab kya hua…? Tum ghadi ghadi rone kyo lagti ho…?

Mohini—tum hamare liye unse lad gaye….agar tumhe kuch ho jata to…?

Gulab—agar aisi baat thi to tumhe vapis aa jana chahiye tha…kya jarurat thi un dakuo se ladne ki..?

Mai—to kya unki behuda baate sun kar hatho me chudiya pahan leta….?..ye mujhse nahi ho sakta

Mohini—tumhari jaan se jyada kimti nahi hai ye sab

Mai—chalo aao..dekho isme kya kya hai.... ?

Naughty—arey wah...itne sare kapde….jewar…maza aa gaya…aaj tune koi dhang ka kaam kiya hai.. aaja isi baat par bhaan pi le aur in dono ko bhi pila kar mast kar de

Mohini—ham in cheezo ko hath me nahi lagayenge ye chori ka maal hai

Gulab—par didi…ye hame thodi hi churaya hai kisi se

Mohini—nahi meri bahan....chahe jaise bhi ho..akhir hai to ye chori ka hi na...hame apni mehnat ki kamayi par hi bharosa karna chahiye

Gulab—to inka kya kare phir….?

Mohini—shahar pahuchte hi hum ye sab kuch garibo me baant denge

Mai to mohini ki aisi baato par apna dil haar baitha….jitni khubsurat vo khud hai utna hi khubsurat uska dil bhi….mai chah kar bhi khud ko uski oor akarshit hone se nahi rok pa raha tha

Vahi haal mohini aur gulab ka bhi tha…..mohini to shayad mujhe mann hi mann chahne lagi thi.. gulab ke dil me bhi pyar ka beej ankurit hone laga tha

Mohini (mann me)—tumhe kuch ho jata to mera kya hota…..mai to tumhari veerta aur neki aur rahamdili par poorn rupen nyochhavar ho chuki hu…ha..rishabh mai tumhe apna jeevansathi banana chahti hu …pata nahi kab tum mere dil ka haal samjhoge

Gulab (mann me)—rishabh kitna sundar hai…aur bahadur bhi….pahle usne hum dono bahno ki jaan bachayi aur phir aaj hamari khatir un dakuo se bhid gaya….ek ladki apne pati me yahi to chahti hai.. rishabh se achcha pati mujhe kahi nahi milega…mai mouka dekh kar rishabh ke aage uske pairo me baith kar pranay nivedan karungi

Naughty—ab aage bhi chalna hai ya din bhar yahi ruk kar in dono ko hi ghurta rahega

Mai (jhemp kar)—bhangedi tu apni bhaang pees jakar….aur sun khane ke liye kuch phal bhi talash kar ke lete aana…aage safar me kuch milne ki ummid nahi hai

Mohini—ye sahi rahega

Naughty—kya khak sahi rahega…? Dekh mai bhaang pees raha hu…tab tak tu ye kaam nipta le samjha.. bhaang pine ke baad safar asani se kat jayega…in dono ko bhi pila dena

Mai—tere se kuch na hoga….chalo mai hi dekhta hu

Mohini—jyada dur mat jana...yahi paas me kuch mil jaye to theek nahi to koi baat nahi hai

Mai vahi paas me dekhne chala gaya….jaha mujhe phal ke naam par bel aur kaitha mile ….maine inhe hi tod kar rakh liya aur sath me kuch kand mul khanjar se kaat kar le liya…itna ki safar me khane pine ki koi dikkat na rahe

Mohini—kitni der laga di…maine kaha tha adhik dur mat jana….kintu meri sunte kaha ho

Mai—ye lo..yahi mila hai

Gulab (has kar)—chalega ....nahi nahi doudega ye bhi...

Mai—ab chale

Mohini—pahle us naav ko dubo do phir

Mai—theek hai

Naughty—arey ruk..ruk…naav dubone ko kaha hai..mujhe dubane ke liye nahi…anadi kahi ka

Mai—chal bhag usme jakar apni bhaang pees

Maine pahle wale tarike se naav me chhed kar diya jisse usme pani bharne laga…..kuch hi der me vo dub gayi aur hum aage chal pade

Gulab—mera khyal hai ki apko ab apna haal bata hi dena chahiye..ki tum kaha ke rahne wale ho aur is jungle me kaise pahuche….?

Naughty—pahle tum dono batao….kya pata hamari jankari milne ke baad koi lafda kar do to….?

Mohini—theek hai…pahle mai hi apne bare me sab kuch bata deti hu….itna to ab bharosa kar hi sakte hain hum ek dusre par

Mai—bilkul

Mohini—theek hai to suno
 
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*6

Gulab—mera khyal hai ki apko ab apna haal bata hi dena chahiye..ki tum kaha ke rahne wale ho aur is jungle me kaise pahuche….?

Naughty—pahle tum dono batao….kya pata hamari jankari milne ke baad koi lafda kar do to….?

Mohini—theek hai…pahle mai hi apne bare me sab kuch bata deti hu….itna to ab bharosa kar hi sakte hain hum ek dusre par

Mai—bilkul

Mohini—theek hai to suno

AB AAGE..........

Mohini—darasal hum dono prayag ke ek vyapari ki putriya hain…..ek baar hum dono vidhyalaya se jungle ke raste se lout rahi thi to vaha par kuch log jamin ki khudayi ka kaam kar rahe the

Koutuhal vash hum dono vaha ruk kar dekhne lagi…achanak meri nazar vaha gaddhe me patthar ke niche dabe ek kagaz par gayi jis par mitti lagi huyi thi

Maine vo kagaz utha liya...aur apne kapde se uski mitti saf karne lagi.....mitti saf hote hi us par jaise hi suraj ki roshni padi vo chamakne laga

Jisse vaha kaam karne wale sabhi logo ka dhyan hamari oor ho gaya…..us tukde ki chamak hi itni tez thi ki sabhi ki ankhe choundhiya gayi….

Unhone humse vo tukda manga to hum vaha se bhag liye…..vo hamara picha karne lage……hame to ye samajh hi nahi aa raha tha ki itne sare log ek kagaz ke tukde ke liye kyo hamare piche bhag rahehain

Hum chhupte chhupate kisi tarah ghar pahuch gaye…..maa pita ji se hamne kuch nahi bataya… aur kamre me jakar use phir se badi hi utsukta se dekhne lage

Gulab—didi ye kya hai….?..kagaz jaise lag raha hai par kagaz to nahi hai..

Mohini—ha ye kagaz nahi ho sakta…..kagaz me itni tez chamak nahi hoti….mai bhi nahi janti ki ye kya hai…?

Gulab—pita ji se puchhe..... ?

Mohini—nahi meri bahan.....jara soch ye koi mamuli cheez nahi ho sakti warna itne sare log hamare piche nahi bhagte iske liye.....ye jarur koi kimti cheez hai ya phir kisi ka naksha.... ?

Gulab—naksha....khazane ka.... ?

Mohini—kya pata... ? ise kisi ko batane se baat phail jayegi aur hamari jaan ko khatra bhi ho sakta hai

Gulab—to ab kya kare……?

Mohini—hame ise kahi chhupa dena chahiye…

Gulab—par pahle ek baar dekh to le ki isme aisa hai kya…..?

Mohini—theek hai….ja ek geela kapda lekar aa….pahle ise achche se saf kar lete hain

Phir maine us tukde ko geele kapde se saf karke dekhne lagi…..lekin abhi usme koi chamak nahi thi maine socha ki shayad suraj ki roshni padne par hi usme chamak aati ho

Hum use bade gaur se dekhne lage...vo kagaz nahi tha balki koi bahut barik mulayam si dhatu ka tukda tha…usme koi akruti bani huyi…uske siwa kuch nahi tha

Gulab—isme to kewal ek chitra bhar bana hai…..aur to kuch bhi nahi hai….bhala aisa bhi koi naksha hota hai….?..banane wala pagal hai aur vo log bhi jo iske liye hamare piche bhag rahe the

Mohini—nahi bahan….isme jarur koi gahra raaz hai....nahi to vo log iske liye nahi bhagte…shayad vo isi cheez ko pane ke liye vaha khudayi kar rahe the

Gulab—lekin vo log the koun…..?

Mohini—pata nahi….lekin unke sath me senapati gabral bhi tha

Gulab—vo to bahut hi dushta hai…..logo ko kitna pareshan karta hai…log to kahte hain ki vo khunkhar daku vikral ka admi hai

Mohini—mujhe bhi aisa hi lagta hai....ise hame kal subah hi kahi chhupana hoga

Gulab—par ise hum chhupayenge kaha……?

Mohini—hum kal subah din nikalne se pahle hi ise yaha se kahi dur jake chhupa ayenge...

Gulab—aur us par ek nishan bana denge

Mohini—nahi isse kisi ko bhi shak ho sakta hai aur vo ise khoj lega

Gulab—par ye chitra hai kaisa….?

Mohini—nahi malum.....dekhne me to shankh jaisa lagta hai....ya phir kuch aur hi ho..... ?

Gulab—abhi ise yahi chhupa dete hain

Maine use apne bistar ke niche chhupa kar rakh diya…..maine jaise hi bahar jhadu lagane nikli to ye dekh kar hairan rah gayi ki vo log hame talashte huye yaha tak pahuch gaye the

Mai fauran andar akar darwaja band kar liya….kisi tarah raat ho gayi aur hum so gaye….lekin jaisa humne socha tha ..theek uske viprit hua

Main soch rahi thi ki ye kewal suraj ki roshni me hi chamakta hai kintu subah jaise hi meri need khuli to main hairan rah gayi poore kamre me bahut tez roshni chamak rahi thi

Uska prakash itna tez tha ki bistar ke niche dabe hone ke bavjud bhi uski chamak se poora ghar jagmaga raha tha

Tabhi mere kano me bahar se jor jor se darwaja khatkhatane ki awaz aane lagi….main samajh gayi ki shayad un logo ko roshni ki kirane dikh gayi hain

Maine fauran hi gulab ko jhakjhor kar need se jagaya…..vo bhi ye sab dekh kar ashcharya chakit hokar muh phade dekhti rah gayi

Gulab—didi ye to bahut bada ajooba hai….andhere me bhi itna tez chamak…jaise surya ka prakash ho

Mohini—jaldi uth hame jitna jaldi ho sake ise lekar kahi chhupana hoga……un logo ne iski roshni dekh li hai…chal uth

Gulab—par hum jayenge kaha se.... ?..bahar to vo sab khade hain.…dekho jor jor se darwaja peet rahe hain..

Mohini—chal is khidki se bhagte hain

Gulab—chalo phir

Maine use turant bistar se bahar nikala..vaise hi uski roshni band ho gayi….hum dono phir se chakit rah gaye…lekin ye sab sochne ka samay nahi tha mere paas

Khidki se bahar nikal kar hum bhagte huye bahut dur nikal aaye …..hamari saans phool gayi thi….

Gulab—bas…didi..ab mujhse nahi bhaga jayega….iska jo bhi karna hai yahi par karo

Mohini—theek hai

Maine apne sath laye khanjar se vaha gaddha karke us chamak wali cheez ko vahi daba diya…aur use upar se aise barabar kar diya ki kisi ko bhi dekhne par is jagah ka andesha na ho

Gulab—didi ye to raat me bhi chamakta hai aur din me bhi

Mohini—ha…yahi to mai bhi soch rahi hu

Gulab—to phir iski roshni band kyo ho jati hai apne aap.....

Mohini—tabhi to maine ise un logo ke hath lagne se bachaya hai….ye koi bahut bada rahasya hai.. jo abhi hamari samajh se bahar hai

Gulab—ise hum lene kab ayenge…? Aur isme to koi nishan bhi nahi banaya tumne to kaise hum dubara isko khoj payenge

Mohini—chal uth ab ghar chale….din nikal aaya hai…maa pita ji chinta karenge

Gulab—ha chalo

Phir hum vapis ghar aa gaye….lekin ghar ke andar pair rakhte hi hamari duniya jaise lut si gayi…maa aur pita ji khoon se lath path hokar niche pade the

Hum dono (jor se chilla kar)—maaaaaa…..pita jiiiii

Mohini (rote huye)—maa….ye kya ho gaya…..maa…..ye sab mere karan hai…maaa

Hum dono bahno ka ro rokar bura haal ho chuka tha….pita ji ki saanse tham chuki thi….lekin tabhi jaise maa ke sharir me mujhe kuch harkat hoti mahsus huyi

Mohini (rote huye)—maaaa…..utho..maaa….utho……

Mohini’s maa—be…tiii…….vo….dushta……gabral….a..u..r…..v.i.k…raaa…l…..tumhe……maar denge…… bhag….jaaoo….yaha…se..dono..kahiiiiii..duuuuurrrrrrr

Mohini—maaaaaaa

Pita ji ke jane ke baad maa ne bhi dum tod kar hum dono bahno ko anath kar gayi…..

Gulab (rote huye)—didi…ab hum kaha jayenge……mama ke yaha

Mohini (nam ankho se)—nahi….unki jaan ab hum khatre me nahi dalenge…hum yaha se bahut dur chale jayenge...chal uth meri bahan hamare paas waqt nahi hai....vo log kabhi bhi yaha aa sakte hain

Hum dono uth kar apne kapde badle aur apne jewar pahan kar (jo hamare maa pita ji ne hamari shadi ke liye banwaye the) khidki se hi bahar nikal gaye

Lekin hamari kismat ne yaha bhi hame dhokha de diya…..kisi ne hame bahar jate dekh gabral ko khabar kar di…uske sainik hamara picha karne lage

Ye abhas hote hi hum dono bhagne lage…lekin tan aur mann dono se hi hum thak chuke the….unhone jaldi hi hame pakad liya aur us jungle me le aaye jaha vikral pahle se hi moujud tha

Gabral—chatttaakkkkk…..chaattaakkkk….bahut bhagti ho na tum dono….tum dono ke par hi katar dalunga mai..

Gulab (rote huye)—hame chhod dijiye…….hamne kya bigada hai aap ka….?

Gabral—chattakkk….tum dono ko chhod du……

Vikral—nahi chhote……chhod denge…jarur chhod denge…. Par pahle hamari vo cheez hamare hawale kar do

Mohini (rote huye)—hamare paas kuch bhi nahi hai…

Gabral—chattaakkk….Sali raand jhuth bolti hai…..sabne dekha poori raat tere ghar ko jagmagate huye

Vikral—dekh sidhi tarah se bata de ki use tum dono ne kaha chhupaya hai…?

Mohini (rote huye)—hame to ye bhi nahi malum ki aap log kya chahte hai... ? koun si cheez ki baat kar rahe hain.... ?

Gabral—chatttaakkkk.....ab yaad aaya....nahi aaya....chatttakkkk.....ab bhi nahi.....chatttaakkkkk

Gulab (rote huye)—mat maro hame....hame kuch nahi malum

Gabral—chatttaakkkk…..Sali ..dono ki dono pakki chhinal hain….vahi cheez jo kal tum dono jungle se chura kar bhagi thi

Vikral—mujhe jyada der tak pyar se baat karne ki adat nahi hai….arey us cheez tak pahuchne ke liye to maine hazaro logo ki jaan li hai….use hasil karne ke liye daku bana…aur tum ye bhali bhanti janti ho ki vikral daku ka naam yaha se 1000 kos dur tak bachcha bachcha janta hai

Mohini (rote huye)—hamare maa pita ne tumhara kya bigada tha…unhe kyo maar diya….?

Vikral—jab main sirf 10 saal ka tha …to ek baar apne baap se do aane maange the…usne nahi diye.. to maine maa se maanga usne bhi nahi diya….to janti ho maine kya kiya….huuu…paas me rakha hua ghaslet utha kar maa ke upar dal ke aag laga di….bechari tadap tadap ke mar gayi

Vikral—maa ko jalta hua dekh baap use bachane aaya to maine tarkari katne wala hasiya utha ke baap ki bhi gardan kaat di….to soch jab main kewal do aane ke liye khud ke maa baap ko maar sakta hu to tere maa baap kya kohinoor me jade the ki unko chhod deta

Vikral—ab akhiri baar puchta hu….vo cheez kaha hai…?..na batane par chhote in dono ko aaj raat me inki nath utar ke poori vaishya bana do aur kal champa ke kothe par bech do

Vikral ki baate sunkar hamara dil dahal gaya…..hame ab apni barbadi nishchit dikhayi dene lagi

Gulab (rote huye)—hame chhod do….chahe to hamare jewar le lo

Vikral—ye jewar mere koi kaam ke nahi hain….mujhe sirf vahi cheez chahiye…..uski madad se mai poori duniya par raaz karunga…hahahaha….mujhe batao vo kaha haiii

Mohini (rote huye)—hame nahi malum

Gabral—aap mujh par chhod dijiye bhaiya…..mai abhi jungle me le jakar inki khatirdari karta hu

Vikral—le jao…inke sath chahe jo karo….bas marna nahi chahiye jab tak uske bare me bata nahi deti

Gabral—le chalo inko

Uske baad vo hame ghasit kar yaha le aaye….dard se hamari cheekh nikalne lagi …hame itna mara ki hum dono hi behosh ho gayi…mujhe unhone peepal ke ped par latka diya jabki meri bahan ko gaddhe me gada diya

Iske baad kya hua mujhe kuch yaad nahi…aur jab hosh aaya to khud ko tumhari baho me paya…baki to tumhe pata hi hai
 
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*7

Uske baad vo hame ghasit kar yaha le aaye….dard se hamari cheekh nikalne lagi …hame itna mara ki hum dono hi behosh ho gayi…mujhe unhone peepal ke ped par latka diya jabki meri bahan ko gaddhe me gada diya

Iske baad kya hua mujhe kuch yaad nahi…aur jab hosh aaya to khud ko tumhari baho me paya…baki to tumhe pata hi hai

Ab aage……….

Mai—vo chamakne wali cheez kaha par hai….?

Mohini—vo to vahi jungle ke paas maine gada di hai

Mai—hame usko vaha se nikalna hoga

Mohini—uski vajah se to maine apne mata pita kho diye ab tumko nahi khona chahti

Mai—kintu agar use yu hi jane diya aur uske bare me kuch pata nahi kiya to tumhare maa baap ki mout to bekar ho gayi na

Gulab—didi…rishabh sahi kahte hain

Naughty—lo bhai meri bhang ban gayi….chalo tum sab bhi akar pi lo

Mai—tu hi pi le….bhangedi

Mohini—lekin vaha to khatra hoga

Mai—khatra to mol lena hi hoga

Gulab—pahle apne bare me to bataiye....

Mai—meri kahani me kuch nahi hai......mai ujjaini nagri ka yuvraj hu....mere pita ji maharaj jabran meri shadi karna chahte the isliye mahal se chup chap bhag nikla....aur kuch nahi hai

Mohini—kyaaa..... ?..tum yuvraj ho.... ?

Naughty—arey kuch nahi hai ab.....khud bhi bhikari ho gaya aur mujhe bhi apne jaisa bhikhari bana diya isne lo tum dono bhaang piyo mere sath...usko chhodo

Mai—lagta hai teri shadi karani padegi

Naughty—na...na...aisa julm karne ki sochna bhi mat...mai aise hi theek hu

Mohini—theek hai jaisa tum kaho

Mai—pahle kahi surakshit jagah chalte hain

Mohini (mann me)—rishabh to rajkumar hai....kya mujhe swikar karega.... ?..par mai to use dil se chahne lagi hu kaise apne dil ka haal use kahu…?

Gulab (mann me)—wah…agar meri shadi rishabh se ho jaye to hamare sare dukh dard dur ho jayenge…par mai rishabh se apne pyar ke bare me kis tarah se batau….?..lagta hai didi bhi rishabh ko pasand karne lagi hain..tabhi uske thoda sa dur jate hi rone lagi thi….to kya hua….raja log ek se jyada shadi kar sakte hain…mai aur didi dono rishabh se shadi kar lenge

Mai—tum dono kya sochne lagi…..?

Mohini—kuch nahi...bas aage ki jindagi ke bare me soch rahi thi

Mai—ab mai bhi to hu tum dono ke sath me

Naughty—abe tu mujhe phir se bhul gaya......hum char hai...teen nahi samjha

Aise naav chalate huye hum ek jagah kinare par aake ruk gaye....maine dono ko niche utara..... lekin mohini ka hath pakadte hi mere dil ki dhadkan badh jati hai.....mai hal uski oor khicha chala ja raha tha....usne sach me mere mann ko moh liya tha

Jab vo mushkurati to uske dono gaalo me dimple pad jate aur mai unhe dekhte hi bechain ho uthata…mere mann ki tarange sagar ki lahro ki tarah hilore maarne lagti thi

Gulab—ab hum yaha se kaha jayenge... ?

Mai—abhi yaha ruk kar kuch der aram karte hain phir aage ke safar ki shuruwat karna theek rahega

Mohini—raat me hum naav ke andar hi so jayenge...par uske pahle surakshit jagah dekhni padegi..jaha koi khatra na ho

Mai—theek hai...ab is jagah jyada khatra nahi hona chahiye.....hum bahut dur nikal aaye hain...un dakuo ki pahuch se

Humne vahi kuch der ruk kar apne sath laye huye phal khaye aur nadi ke sheetal jal se apni pyas bujha kar thode samay sustane ke baad apne safar ka phir se agaz kar diya

Hum aise safar par ja rahe the jaha hame na to kisi manzil ka pata tha aur na hi thikane ka.....bas chalte ja rahe the....chalte hi ja rahe the

Lagbhag 7 din ho gaye the hame nadi me hi naav par safar karte huye....is dauran humne na jane kitni jagah padav dale....jungle se daily din me khane ke liye kuch na kuch mai khoj hi lata tha...

Ha ab tak ke is safar se meri aur mohini ke beech najdeekiya kafi badh gayi thi….shayad hamare dilo ne ek dusre ke andar dabi prem bhavna ko pahchan liya tha

Kintu kisi me us prem ka apne mukharbindu se ek bhi shabd bahar nahi aaya tha.....vahi gulab bhi mujhse bahut ghul mil gayi thi....usne kayi baar apratyaksh roop se apne prem ka izhar kar diya tha magar mere dil ke singhasan patal par to mohini raj karne lagi thi

Aise hi ek hafta safar karte huye gujar jane ke baad 8ve din hum aisi jagah pahuch gaye....jise dekh kar hum sab ka mann khush ho gaya

Darasal ye jagah aisi thi ki charo oor sirf hariyali hi hariyali…..nadi ke kinare par hamne naav lakar rok di aur niche utar aaye

Gulab—kitni sundar jagah hai ye…kyo rishabh..hai na

Mai—haa..bahut sundar…. (mohini ko dekh)..magar koi usse bhi sundar hai

Mohini (sharma kar)—nahi ye jagah nishchit hi bahut sundar hai

Gulab—ohhh…dekho rishabh…yaha to har ped par phal lage hain

Naughty—rishabh…yaha thodi bhaang ka intazam bhi hai kya…?..meri khatam ho gayi hai

Gulab (has kar)—jarur mil jayegi

Hum aage badh kar dekhne lage…sath hi kuch phal bhi tod kar kha liya hamne…behad mithe the…aage badhte huye hame ek ashram dikhayi diya

Mai—vo dekho….vaha lagta hai koi ashram hai

Naughty—phir to koi sadhu rahta hoga….sadhu gaanja bahut pite hain…bhaang na sahi gaanje ka jugad to ban hi jayega...chalo jaldi unke paas chalte hain

Gulab—bhangedi se ganjedi......hihihihi

Mohini—koi khatra bhi to ho sakta hai vaha

Mai—phir bhi ek baar chal ke dekh lete hain

Mohini—theek hai chalo…lekin savdhani se

Hum dhire dhire chalte huye us ashram tak aa gaye…..ashram ke har taraf sundar phoolo ki kyariya lagi huyi thi … jinki manmohak khushbu se aas paas ka vatavaran sugandhit hokar mahak raha tha

Mai (awaz laga kar)—koi hai yaha... ?

Magar koi jawab nahi....

Mohini—lagta hai koi nahi hai yaha... ?

Hum vapis jane ke liye mude hi the ki tabhi ....

‘’Andar aa jao….’’ Kisi ki awaz aayi andar se…jisse hamare ashram se bahar ki oor badhte kadam ruk gaye…aur hum us ashram ki kutiya ke andar chale gaye….parantu andar ka nazara dekh kar hamare ashcharya ki seema hi na rahi
 
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE * 8

Hum vapis jane ke liye mude hi the ki tabhi ....

‘’Andar aa jao….’’ Kisi ki awaz aayi andar se…jisse hamare ashram se bahar ki oor badhte kadam ruk gaye…aur hum us ashram ki kutiya ke andar chale gaye….parantu andar ka nazara dekh kar hamare ashcharya ki seema hi na rahi

Ab aage……..

Hum jaise hi andar gaye to vaha ek ek rishi ulte sir ke bal latke huye the….ye dekh kar hum hairan rah gaye ki ye koun sa tarika hai tapasya karne ka

Rishi—tum log khade khade dekh kya rahe ho…? Mujhe pahle utaro

Maine aage badh kar unke pairo ki rassiya khol kar unhe niche utar kar sidha khada kiya….vo kuch der khade rahne ke baad vahi rakhe lakdi ke takhta par baith gaye

Mai—aap yaha ulta kyo latke huye the…..? kisne kiya apke sath aisa…?

Rishi—kisi ne bhi nahi…balki main to tapasya kar raha tha…kafi dino se aise hi latke huye…parantu pairo me jakdan aa jane ke karan khud ko azad nahi kara pa raha tha…achcha hua tum log aa gaye

Naughty—hamne bahut se tarike dekhe tapasya karne ke magar aisa tarika aaj pahli bar hi dekha ki khud ko suli par latka ke tapasya karne ka

Rishi—apna apna tarika hai……vaise ye tapasya hai hi bahut vikat…kaho tum log koun ho aur yaha kaise aana hua….?

Mai—munivar hum raste se bhatke huye musafir hain….bas dar dar bhatak rahe hain….bhukh aur dhoop se pareshan hokar yaha aa gaye ghumte ghumte…..kya hum yaha ke pedo se kuch phal tod sakte hain…..?

Naughty (mann me)—aise puchh raha hai jaise ki ye ped is buddhe ke baap ki jagir ho

Vo rishi meri baat ka javab dene ki jagah apni ankhe band kar ke kuch sochne laga aur phir thodi der baad hamari oor dekh kar mushkurane laga

Naughty (mann me)—lagta hai buddha jawan ladkiyo ko dekh kar pagla gaya hai….dekhte hi muh se laar tapakne lagi….dadhiyal kahi ka

Mohini—kya baat hai sadhu baba…….aap has kyo rahe hain….?

Rishi—kuch nahi beti……tum log bilkul sahi jagah par aaye ho…..

Mai—mai kuch samjha nahi rishi var

Rishi—jao pahle kuch kha pi lo phir aaram se batata hu.....tab tak main bhi snan aadi se nivratt ho jaunga

Naughty (kann me)—yaar maine nirvastra hona to suna tha lekin ye nivratt ka kya matlab hai.... ? pakka ye nirvastra hone ko hi nivrata bol raha hoga tharki buddha

Mai (dhire se)—chup …apna muh kuch der band rakhega kya

Maine vaha se bahar aakar un aas paas ke pedo se kuch mithe mithe phal tod liye aam, kela, angoor, santra..kand muul aadi vaha bahutayat me the

Unko lekar main us ashram me aa gaya…..vahi paas me hi ek swachchh pani ka jal kund bana hua tha to pine ke liye pani bhi le liya sath me

Mai—aao ye phal kha lo…phir aage ka sochenge

Mohini—ye jagah kitni ramnik hai na rishabh

Gulab—ha didi bahut sundar aur shant van kshetra hai ye.....lagta hai yahi rah kar shesh jeevan gujar du

Naughty—bahut hi shubh vichar hain tumhare....kam se kam main to bachunga...kya pata kab tum meri sundarta par mohit ho ho jao...mai thahra brahmachari admi

Gulab—lagta hai tumhare liye koi talashni padegi

Naughty—par pahle usse puch lena uske paas bhaang milegi na

Mai—ab khaoge bhi ya baate hi karta rahega

Naughty—are yaar kaise khau….do din se bhaang bilkul nahi mili….mann nahi lag raha….tu us budhau se pata kar na shayad chilam hi mil jaye uske paas

Mai—mujhe bhi apne jaisa hi samajh rakha hai kya….?

Hamne aise hi apas me hasi majak karte huye phal khakar aur us jal kund ke sheetal jal se apne sukh chuke kanth ki pyas bujhayi …tab tak vo rishi bhi aa gaye

Unhone aate hi sabse pahle pooja aur dhyan kiya uske baad hame bhi apne nikat bula liya to sabhi andar jakar unke paas baith gaye

Mai—aap bhi kuch phalahar kar lijiye

Rishi—mai kewal ek baar hi bhojan karta hu

Gulab—aap kuch batane wale the hame

Rishi—tum log yaha khud nahi aaye balki nayati tumhe lekar aayi hai

Mai—niyati….par vo kaise….?

Rishi—mujhe tum sab ke vishay me sab gyat ho chuka hai ujjayani rajkumar

Naughty—apko kaise pata….?

Rishi—mujhe kya pata hai aur kya nahi…ye koi charcha ka vishay nahi hai…..kintu mai ab tumhe jo batane ja raha hu usko dhyan dekar suno

Mai—agya kijiye munivar

Rishi—maine apni tapasya se bahut si shaktiya arjit kar li hain parantu ab mere paas adhik aayu nahi bachi hai….main vo shaktiya tumhe pradan karna chahta hu

Mohini—kaisi shaktiya…?

Rishi—in shaktiyo ko maine apne kathor tapobal se arjit kiya hai jisse logo ka jan kalyan ho sake…. kalantar me aisi kayi dushta shaktiyo ka janam hone wala hai jinke atyachar se logo me trahi trahi mach jayegi….tumhe in shaktiyo ke prayog se un papiyo ka ant karna hoga

Mai—kintu aap in shaktiyo ko hame hi kyo dena chahte hain…..?

Rishi—jab maine in shaktiyo ko prapta kiya tha tabhi mujhe apni mrityu ka gyan ho gaya tha to maine apne guru maharshi bhargav se in shaktiyo ke bhavishya me upyogita ke vishay me jaanna chaha to unhone mujh se kaha ki ek na ek din tumhare paas iske layak uttaradhikari pahuch jayenge

Rishi—tab se lekar aaj 500 saal baad is jagah par mujhe uski pratiksha karte huye ho gaye aur dekho aaj tum log aaye….maine dhyan me guruji se baat ki to unhone kaha ki rishabh aur mohini hi in shaktiyo ke varis hain

Mohini—par hum hi kyo.... ? balki hum to khud hi atyachar se pidit hokar yaha vaha bhag rahe hain

Rishi—kyon ki ye shaktiya yugal me hain….arthat ye kewal un stri aur purush ko di ja sakti hain jinme apaar prem ho…apas me vishwas ho….aur tum dono to bane hi ek duje ke liye ho

Ye sun kar rishabh aur mohini ke dil me khushi ki lahar phoot padi to vahi gulab ke dil me bijli gir gayi… uska dil chhalni chhalni ho gaya…..uski ankhe rone jaisi ho gayi

Rishi—abhi meri baat poori nahi huyi....ye ladki (gulab ki taraf ishara kar) bhi tumse atyant prem karti hai isliye in shaktiyo ka kuch ansh isko bhi milega…ye bhi tumhari patni banegi

Gulab ke toot chuke hriday ko jaise sanjivani mil gayi ho….uske mann me panap raha vishad ye sunte hi harsh me badal gaya to mohini ko bhi isme koi aapatti nahi huyi balki khushi huyi jankar ki uski bahan uske sath hi rahegi ab

Naughty—aur mai kya ghata bajaunga…..?

Rishi (mushkurate huye)—tum apne dost ki hifajat karna….tumhe bhi kuch na kuch avashya hi milega

Naughty—phir to theek hai….lekin meri bhaang ka jugad jarur kar dena

Rishi—tum sab shudh hokar mere paas aa jao

Mai—jo agya

Hum sab vaha se snan karne ke liye chale gaye.....shudh hone ke pashchat punah un rishi ke paas aaye jaha vo dhyan me baithe huye the....unhone hath ke ishare se hame baith jane ko kaha...kuch der unki ankhe band rahi ...par jaise hi unhone apni ankhe kholi to dekh kar hum sab chakit rah gaye
 
Well-known member
3,825
7,366
143
RISHABH MOHINI
UPDATE-9

Rishi—tum sab shudh hokar mere paas aa jao

Mai—jo agya

Hum sab vaha se snan karne ke liye chale gaye.....shudh hone ke pashchat punah un rishi ke paas aaye jaha vo dhyan me baithe huye the....unhone hath ke ishare se hame baith jane ko kaha...kuch der unki ankhe band rahi ...par jaise hi unhone apni ankhe kholi to dekh kar hum sab chakit rah gaye

Ab aage……..

Jaise hi unhone apni ankhe kholi to unki ankhe kisi suraj ki bhanti chamakne lagi…..ye dekh kar hum chakit rah gaye…aisi ghatna dekhne ka ye ham sabka pahla anubhav tha

Adhik der tak hum unki ankho ki tezi ka samna nahi kar sake to apni ankho ko niche kar liya…kuch der tak aise hi haalaat bane rahe..phir unhone kaha

Rishi—mohini aur rishabh yaha mere paas aa jao dono

Rishabh (paas jake)—ji munivar, adesh kare

Rishi—meri ankho me dekho, aur tab tak dekhte rahna jab tak mai nazar hatane ko na kahu, dono bina palak jhapkaye meri ankho me dekhte raho, tumhe koi nuksan nahi hoga

Mohini—ji sadhu maharaj, jaisa aap kahe

Phir main aur mohini unki ankho me apni ankhe gada kar dekhne lage…..meri ankho me ek tez jalan paida hone lagi yahi haal shayad mohini ka bhi tha…..kuch der baad unki ankho se roshini ki kirne nikalne lagi

Unki ankho se nikalti kirne meri aur mohni ki dono ankho ke jariye hamare andar antarmann me samane lagi….jab roshni ka nikalna band ho gaya to rishi ne hame ankhe band karne ko kaha unki baat sun kar jaise hi hamne apni ankhe band ki to kisi kate ped ki tarah vahi par ludhak gaye

Gulab (ghabra kar)—in dono ko kya hua….?

Naughty—mere dost ko kya kar diya tumne….? Use jaldi theek karo nahi to tumhari dadhi noch lunga

Rishi—chinta mat karo….shaktiya unke kamjor sharir ko apne anukul bana rahi hain…shaktiyo ka tez bardast na kar sakne ke karan vo behosh huye hain, jaldi hi punah theek ho jayenge….ab tum dono mere paas aao

Naughty—kahi tum hum sabko behosh kar ke maar kar khane ki firak me to nahi to….?

Rishi (mushkura kar)—nahi aisa kuch nahi hai

Naughty—pahle mera yaar theek ho jaye uske baad tumhare paas aunga…..tumhara kya bharosha…?

Rishi—theek hai jaisi tumhari marzi

Hame behosh huye kafi samay ho gaya aur udhar naughty har dusre pal un sadhu ko pareshan karne laga meri chinta me… kuch samay pashchat meri chetna vapis louti

Hosh me aane ke baad mujhe apne sharir me bahut sari taqat ke hone ka ehsaas hone laga….thodi der me mohini bhi hosh me aa gayi…hame hosh me aate dekh kar gulab aur naughty ke chehre par chhayi udasi dur ho gayi aur vo khushi se khil uthe

Gulab—tum dono theek to ho na….?

Naughty—theek kaise nahi hoga…..akhir mujh jaise sherdil insan ka dost hai vo….agar theek nahi hota to mai abhi is dadhiyal sadhu ki dadhi me machis maar deta

Rishabh-naughty aise nahi kahte,kshama mago unse

Rishi—koi baat nahi vats, ye uska tumhare liye mitra prem bol raha hai….mujhe uski kisi baat ka bura nahi laga…ab tum in dono se kaho ki ye bhi mere paas aaye jisse main inko bhi shaktiya pradan kar saku

Rishabh—naughty, gulab chalo dono aao aage

Naughty—agar kahi main mar mura gaya to

Rishabh—to main hu na tera antim sanskar karne ke liye

Naughty—dekh mujhe aisa mazak bilkul pasand nahi hai, ek to itne din se bhaang bhi nahi mili…pahle in sadhu se kaho ki mujhe aisi shakti de jisse mere paas ki bhaang kabhi khatam na ho…tab main inke paas jaunga

Rishi—meri di huyi shakti se tum jab chaho kuch bhi pa sakte ho

Naughty—kya…bhang bhi….?

Rishi—ha

Naughty—phir to theek hai…agar aisa hai to jaldi se mujhe aisi shakti de do

Gulab aur naughty dono rishi ke paas jakar baith gaye….unhone ankhe band karke apne hath dono ke sar par rakh diya aur kuch mantra padhne lage

Naughty (chillate huye)—rishabhhhh….. kahi ye bhasmasur to nahi hai jo mere sar par hath rakh kar mujhe bhasma karne ke liye mantra padh raha hai

Rishabh—sssshhhhhh….chup..ankhe band kar ke baitha rah

Kuch der tak dhyan me rahne ke baad Rishi ke hatho se roshni nikal kar dono ke jism me jane lagi…..ye dekh kar naughty phir se darr gaya

Naughty (chilla kar)—marr gaya reeeee…….main na kahta tha ki ye dadhiyal bhasmasur hai….dekh iske hath se aag nikal rahi hai…...bhasam kar diya re…… mujhe bhasam kar diya……is dadhiyal ne…

Kuch samay tak rishi ke hatho se roshni nikalti rahi aur tab tak naughty aise hi anap shanap chillata raha…majburan mujhe usko pakad ke baithna pada…tab jakar usko kuch shaktiya mil saki

Roshni nikalna band hote hi vo dono bhi achet hokar gir gaye….tab bhi naughty ka darr ki vajah se pralap karna jari tha..vo to ganimat thi ki maine use pakad rakha tha jisse meri god me hi behosh ho gaya

Naughty (behosh hote hote)—arey..rererere……dadhiyal ne m..a..a..r…..diyaaaaaaa

Kuch der tak behoshi me rahne ke baad dono theek hokar jaldi se uth kar baith gaye…..hum sab uske aise uthne ko dekh kar mushkuraye bina nahi rah sake

Rishi—putra ab tumhe prati din kuch samay dhyan lagane me dena hoga….isse tu log apni apni shaktiyo par niyantran karna sikh jaoge sath hi unhe pahchan bhi sakoge taki samay padne par unka sahi tarah se upyog kar sako

Mohini—jaisa aap kahe

Rishi—kintu ek baat ka hamesha dhyan rakhna ki in shaktiyo ka upyog galat kamo ke liye mat karna. Ye shaktiya kogo ke jan kalyan hetu hain

Rishabh—aap nishchint rahe munivar….hum apko vachan dete hain ki hum inka upyog manav kalyan aur srasti ki raksha nimitt hi karenge

Rishi—mujhe tum logo se aisi hi asha hai

Mohini—rishivar, hum dono bahno ko ek adbhut cheez mili thi, jisme se roshni nikalti thi, vo kya thi.... ?

Rishi—putri…..vah behad anmol jyoti punj hai….jo ki surya aur chandrama ki kirno se bana hai….uske andar asim shaktiya hain kintu vah us jyoti punj ka sirf ek hi tukda hai, uska dusra tukda abhi prapt karna shesh hai

Rishabh—uske andar kis prakar ki shaktiya hain….?

Rishi—vah sarva mano kamna poorna karne wali shakti hai….vah jiske bhi paas hogi vo uske jariye apni har khwahish poori kar sakta hai….uske liye kuch bhi karna kathin nahi rah jayega

Mohini—kintu maine to usko jungle me gada diya hai…...?

Rishi—tumne bahut hi uttam kaam kiya hai ki us shakti ko un papiyo ke changul se nikal layi, tumne is nek karya ke liye apne pariwar ko bhi kho diya…..use vaha se nikal kar apne paas rakhna

Rishabh—uski shaktiya kaise kaam karti hain…..?

Rishi—uski shaktiya bhi yugal jode me hain…jab us jyoti punj ka dusra hissa prapt kar loge tab dono tukdo ko jod kar ek kar dena….jisse us jyoti punj ki shaktiya poori tarah se jagrit hokar sakriya ho jayegi aur phir vo jyoti punj apni shaktiyo ke sath tum dono ke andar samahit ho jayega…kintu ye dhyan rahe ki us jyoti punj ke tukdo ko apas me jodte samay tum dono ko uske paas moujud rahna hoga anyatha vah bina yugal jode ke sakriya nahi hoga

Mohini—aisa kyo munivar….?

Rishabh—uske bare me aur bhi vistar se bataye…

Rishi—uski shaktiya hi yugal jode me hain....jab tum dono sath me hokar dono tukdo ko ek karoge to uski shaktiya apne paas me yugal jode ko dekh kar turant sakriya hona chalu ho jayengi.....in shaktiyo ke prabhav se tum dono me prem atoot hoga.. ant samay me sharir nashta hone ke baad ye shaktiya kahi vilin ho jayegi alag alag tukdo me

Rishi—agle janam me jab bhi tum dono me se koi bhi inme se koi bhi tukda jaise hi prapt kar lega to uske prabhav se dusre jode me uski taraf khichav paida hoga….matlab agar vo tukda rishabh ko mila to uske prabhav se mohini rishabh ki taraf akarshit hone lagegi..dono me phir se prem ki shuruwat hogi …kintu jaise hi dusra tukda bhi milega to dono ko is janam ki sabhi yaade vapis mil jayegi aur tum dono ka prem gahra hota jayega

Rishabh—apka bahut bahut upkar hai munivar

Rishi—jab kabhi bhi meri jarurat ho mujhe yaad karna main tumhare samne aa jaunga….ab mera ant samay bhi nikat hai…aaj se teen din baad mai apna ye sharir tyag dunga….tum mera antim sanskar kar dena…..mere marne ke baad meri haddiyo ko ekattha karke char jagah par rakh dena usi chita ke kono par

Gulab—usse kya hoga…..?

Rishi—Meri un haddiyo se char shaktishali hathiyar ka nirman hoga jo tum charo le lena..ye charo hathiyar kisi ka bhi vadh karne me saksham honge….aage tum logo ko bahut se mushkil karya karne hain….jab tak chaho tum log yaha rah sakte ho yaha kisi prakar ka koi khatra nahi hai…ab tum log bhi jakar vishram karo….is ashram ke piche ek kutiya hai vahi chale jao….vaha tumhare liye kuch aur bhi hai

Hum unhe pranam kar ke bahar aa gaye….aur us kutiya ki taraf chal diye
 
Member
175
192
43
RISHABH MOHINI
UPDATE-9

Rishi—tum sab shudh hokar mere paas aa jao

Mai—jo agya

Hum sab vaha se snan karne ke liye chale gaye.....shudh hone ke pashchat punah un rishi ke paas aaye jaha vo dhyan me baithe huye the....unhone hath ke ishare se hame baith jane ko kaha...kuch der unki ankhe band rahi ...par jaise hi unhone apni ankhe kholi to dekh kar hum sab chakit rah gaye

Ab aage……..

Jaise hi unhone apni ankhe kholi to unki ankhe kisi suraj ki bhanti chamakne lagi…..ye dekh kar hum chakit rah gaye…aisi ghatna dekhne ka ye ham sabka pahla anubhav tha

Adhik der tak hum unki ankho ki tezi ka samna nahi kar sake to apni ankho ko niche kar liya…kuch der tak aise hi haalaat bane rahe..phir unhone kaha

Rishi—mohini aur rishabh yaha mere paas aa jao dono

Rishabh (paas jake)—ji munivar, adesh kare

Rishi—meri ankho me dekho, aur tab tak dekhte rahna jab tak mai nazar hatane ko na kahu, dono bina palak jhapkaye meri ankho me dekhte raho, tumhe koi nuksan nahi hoga

Mohini—ji sadhu maharaj, jaisa aap kahe

Phir main aur mohini unki ankho me apni ankhe gada kar dekhne lage…..meri ankho me ek tez jalan paida hone lagi yahi haal shayad mohini ka bhi tha…..kuch der baad unki ankho se roshini ki kirne nikalne lagi

Unki ankho se nikalti kirne meri aur mohni ki dono ankho ke jariye hamare andar antarmann me samane lagi….jab roshni ka nikalna band ho gaya to rishi ne hame ankhe band karne ko kaha unki baat sun kar jaise hi hamne apni ankhe band ki to kisi kate ped ki tarah vahi par ludhak gaye

Gulab (ghabra kar)—in dono ko kya hua….?

Naughty—mere dost ko kya kar diya tumne….? Use jaldi theek karo nahi to tumhari dadhi noch lunga

Rishi—chinta mat karo….shaktiya unke kamjor sharir ko apne anukul bana rahi hain…shaktiyo ka tez bardast na kar sakne ke karan vo behosh huye hain, jaldi hi punah theek ho jayenge….ab tum dono mere paas aao

Naughty—kahi tum hum sabko behosh kar ke maar kar khane ki firak me to nahi to….?

Rishi (mushkura kar)—nahi aisa kuch nahi hai

Naughty—pahle mera yaar theek ho jaye uske baad tumhare paas aunga…..tumhara kya bharosha…?

Rishi—theek hai jaisi tumhari marzi

Hame behosh huye kafi samay ho gaya aur udhar naughty har dusre pal un sadhu ko pareshan karne laga meri chinta me… kuch samay pashchat meri chetna vapis louti

Hosh me aane ke baad mujhe apne sharir me bahut sari taqat ke hone ka ehsaas hone laga….thodi der me mohini bhi hosh me aa gayi…hame hosh me aate dekh kar gulab aur naughty ke chehre par chhayi udasi dur ho gayi aur vo khushi se khil uthe

Gulab—tum dono theek to ho na….?

Naughty—theek kaise nahi hoga…..akhir mujh jaise sherdil insan ka dost hai vo….agar theek nahi hota to mai abhi is dadhiyal sadhu ki dadhi me machis maar deta

Rishabh-naughty aise nahi kahte,kshama mago unse

Rishi—koi baat nahi vats, ye uska tumhare liye mitra prem bol raha hai….mujhe uski kisi baat ka bura nahi laga…ab tum in dono se kaho ki ye bhi mere paas aaye jisse main inko bhi shaktiya pradan kar saku

Rishabh—naughty, gulab chalo dono aao aage

Naughty—agar kahi main mar mura gaya to

Rishabh—to main hu na tera antim sanskar karne ke liye

Naughty—dekh mujhe aisa mazak bilkul pasand nahi hai, ek to itne din se bhaang bhi nahi mili…pahle in sadhu se kaho ki mujhe aisi shakti de jisse mere paas ki bhaang kabhi khatam na ho…tab main inke paas jaunga

Rishi—meri di huyi shakti se tum jab chaho kuch bhi pa sakte ho

Naughty—kya…bhang bhi….?

Rishi—ha

Naughty—phir to theek hai…agar aisa hai to jaldi se mujhe aisi shakti de do

Gulab aur naughty dono rishi ke paas jakar baith gaye….unhone ankhe band karke apne hath dono ke sar par rakh diya aur kuch mantra padhne lage

Naughty (chillate huye)—rishabhhhh….. kahi ye bhasmasur to nahi hai jo mere sar par hath rakh kar mujhe bhasma karne ke liye mantra padh raha hai

Rishabh—sssshhhhhh….chup..ankhe band kar ke baitha rah

Kuch der tak dhyan me rahne ke baad Rishi ke hatho se roshni nikal kar dono ke jism me jane lagi…..ye dekh kar naughty phir se darr gaya

Naughty (chilla kar)—marr gaya reeeee…….main na kahta tha ki ye dadhiyal bhasmasur hai….dekh iske hath se aag nikal rahi hai…...bhasam kar diya re…… mujhe bhasam kar diya……is dadhiyal ne…

Kuch samay tak rishi ke hatho se roshni nikalti rahi aur tab tak naughty aise hi anap shanap chillata raha…majburan mujhe usko pakad ke baithna pada…tab jakar usko kuch shaktiya mil saki

Roshni nikalna band hote hi vo dono bhi achet hokar gir gaye….tab bhi naughty ka darr ki vajah se pralap karna jari tha..vo to ganimat thi ki maine use pakad rakha tha jisse meri god me hi behosh ho gaya

Naughty (behosh hote hote)—arey..rererere……dadhiyal ne m..a..a..r…..diyaaaaaaa

Kuch der tak behoshi me rahne ke baad dono theek hokar jaldi se uth kar baith gaye…..hum sab uske aise uthne ko dekh kar mushkuraye bina nahi rah sake

Rishi—putra ab tumhe prati din kuch samay dhyan lagane me dena hoga….isse tu log apni apni shaktiyo par niyantran karna sikh jaoge sath hi unhe pahchan bhi sakoge taki samay padne par unka sahi tarah se upyog kar sako

Mohini—jaisa aap kahe

Rishi—kintu ek baat ka hamesha dhyan rakhna ki in shaktiyo ka upyog galat kamo ke liye mat karna. Ye shaktiya kogo ke jan kalyan hetu hain

Rishabh—aap nishchint rahe munivar….hum apko vachan dete hain ki hum inka upyog manav kalyan aur srasti ki raksha nimitt hi karenge

Rishi—mujhe tum logo se aisi hi asha hai

Mohini—rishivar, hum dono bahno ko ek adbhut cheez mili thi, jisme se roshni nikalti thi, vo kya thi.... ?

Rishi—putri…..vah behad anmol jyoti punj hai….jo ki surya aur chandrama ki kirno se bana hai….uske andar asim shaktiya hain kintu vah us jyoti punj ka sirf ek hi tukda hai, uska dusra tukda abhi prapt karna shesh hai

Rishabh—uske andar kis prakar ki shaktiya hain….?

Rishi—vah sarva mano kamna poorna karne wali shakti hai….vah jiske bhi paas hogi vo uske jariye apni har khwahish poori kar sakta hai….uske liye kuch bhi karna kathin nahi rah jayega

Mohini—kintu maine to usko jungle me gada diya hai…...?

Rishi—tumne bahut hi uttam kaam kiya hai ki us shakti ko un papiyo ke changul se nikal layi, tumne is nek karya ke liye apne pariwar ko bhi kho diya…..use vaha se nikal kar apne paas rakhna

Rishabh—uski shaktiya kaise kaam karti hain…..?

Rishi—uski shaktiya bhi yugal jode me hain…jab us jyoti punj ka dusra hissa prapt kar loge tab dono tukdo ko jod kar ek kar dena….jisse us jyoti punj ki shaktiya poori tarah se jagrit hokar sakriya ho jayegi aur phir vo jyoti punj apni shaktiyo ke sath tum dono ke andar samahit ho jayega…kintu ye dhyan rahe ki us jyoti punj ke tukdo ko apas me jodte samay tum dono ko uske paas moujud rahna hoga anyatha vah bina yugal jode ke sakriya nahi hoga

Mohini—aisa kyo munivar….?

Rishabh—uske bare me aur bhi vistar se bataye…

Rishi—uski shaktiya hi yugal jode me hain....jab tum dono sath me hokar dono tukdo ko ek karoge to uski shaktiya apne paas me yugal jode ko dekh kar turant sakriya hona chalu ho jayengi.....in shaktiyo ke prabhav se tum dono me prem atoot hoga.. ant samay me sharir nashta hone ke baad ye shaktiya kahi vilin ho jayegi alag alag tukdo me

Rishi—agle janam me jab bhi tum dono me se koi bhi inme se koi bhi tukda jaise hi prapt kar lega to uske prabhav se dusre jode me uski taraf khichav paida hoga….matlab agar vo tukda rishabh ko mila to uske prabhav se mohini rishabh ki taraf akarshit hone lagegi..dono me phir se prem ki shuruwat hogi …kintu jaise hi dusra tukda bhi milega to dono ko is janam ki sabhi yaade vapis mil jayegi aur tum dono ka prem gahra hota jayega

Rishabh—apka bahut bahut upkar hai munivar

Rishi—jab kabhi bhi meri jarurat ho mujhe yaad karna main tumhare samne aa jaunga….ab mera ant samay bhi nikat hai…aaj se teen din baad mai apna ye sharir tyag dunga….tum mera antim sanskar kar dena…..mere marne ke baad meri haddiyo ko ekattha karke char jagah par rakh dena usi chita ke kono par

Gulab—usse kya hoga…..?

Rishi—Meri un haddiyo se char shaktishali hathiyar ka nirman hoga jo tum charo le lena..ye charo hathiyar kisi ka bhi vadh karne me saksham honge….aage tum logo ko bahut se mushkil karya karne hain….jab tak chaho tum log yaha rah sakte ho yaha kisi prakar ka koi khatra nahi hai…ab tum log bhi jakar vishram karo….is ashram ke piche ek kutiya hai vahi chale jao….vaha tumhare liye kuch aur bhi hai

Hum unhe pranam kar ke bahar aa gaye….aur us kutiya ki taraf chal diye
Nice update
 

Top