Part 2
Radha ke mathe par khun dekh
Sameer apne rumal se pani ki bundo se dhokar ghao ko saf karta hai fir apne scarf Jo usne mukh par bandha tha use Radha ke mathe par bandh deta hai.
radha ko sota chod Sameer tarun ke pass akar baith jata hai.
sameer - tarun ladki ke mathe par chot lagi hai koi aspatal dikhe ya doctor ki dukan to bus rok Lena Patti karwani hai.
tarun - jyada chot lagi hai.
samne dekhte hue tarun ne pucha.
sameer - jyada to nhi hai lekin khun nikal raha tha abhi doctor ko dikha denge to sahi pata chal jayega jyada chot lagi hai ya nhi.
tarun - kon hogi ye ladki Sameer.
tarun ki baat sunkar Sameer bhi gehri sonch me pad jata hai aur apne se hi anuman lagane lagta hai agar sirkata bhoot na hota ladki ke sath to Sameer ko koi chinta nhi hoti tab wo Radha ko koi dukhi ladki samajhta parantu Radha ke sath bhoot dekhkar Sameer ko Radha ki kahani kuch aor hi lag rahi thi koi jawab na milne par Sameer sochna chod tarun ko jawab deta hai.
sameer - hosh me ane do fir puchenge isi ladki se sab thik Raha to ise iske Ghar chod denge.
tarun - pagal hai kya jo itni sundar ladki ko ese hi Jane denge thoda maja lenge fir chod denge.
sameer - teri niyat sadiav se hi gandi rahi hai ..
tarun - Mai to majak kar Raha hu kyo naraj hota hai...
Sameer - isliye mai tujhse kehta hu Kam Piya kar.
Sameer aor tarun dono ghane Mitra hai dono ke hi ghar barabar barabar me hai dono hi ek chal me kiraye par rehte hai dono ne karz lekar ye bus li jise ab dono sath me chalate hai kabhi Sameer driving karta hai to kabhi tarun ek ke driving karne par dusra cunductur ki duty nibhata hai.
Sameer gore rang ka ek sundar 20 sal ka naujawan hai Badi badi ankhe chaudi chhati kasrati Sharir Sameer ki ek choti bahen hai aor bahen se chota ek bhai hai jinki jimmedar Sameer par hai unke liye hi Sameer din rat mehnat karta hai .
Tarun ek sanwla naujawan hai sehat me tarun bhi acha hai tarun is samay 25 sal ka hai tarun ki do behne hai aor maa hai behno me sabse bada tarun hi hai tarun ko pine ki adat hai jise na tarun ki maa pasand karti hai na Sameer.
ek chemist ko dekhkar Sameer tarun ko rukne ka ishara karta hai.
Bus chemist ke samne hi rukti hai Sameer Radha ke pass akar use uthane lagta hai.
Kuch Pani ki bunde dalne se is bar Radha uth jati hai.
Uthte hi Radha darte hue apne ass pass dekhne lagti hai.
Sameer - kya aap thik ho.
Sameer ki abaj sunkar Radha Sameer ko dekhne lagti hai swam ko bus me insano ke bich pakar Radha Rahat ki sans leti hai aor madhyam abaj me Sameer se puchti hai.
Radha - ham kaha hai aap kon ho ji.
Radha ki mithi vadi sunkar Sameer ko esa lagta hai jaise uske Kano me koi sahed ghol Raha ho Radha ki abaj hi itni surili thi.
Sameer - tumhare sir par chot lagi hai pehle doctor se ilaj karwa le aap fir sab batatunga .
Sameer hath ke ishare se chemist shop ki taraf Radha ka dhyan khinchte hue kehta hai.
Radha bhi dekhti hai to samne ek chemist ki dukan hoti hai jaha se madhyam roshni fut rahi thi..
Radha - ji hamare pass paise nhi hai..
Sameer - paiso ki chinta na kare aor aye hamare sath.
Radha bhi kuch nhi kehti uthkar Sameer ke sath chalne lagti hai.
Tarun bhi bus rokkar dono ke pass aa gaya hota hai..
Sameer - yahi ruk Mai Inka ilaj kara kar ata hu.
Tarun - jaldi ana..
Sameer Radha ko lekar chemist ke pass ata hai to chemist Radha ko andar ward me le jakar uski Patti karta hai Sameer bhi doctor ko bata deta hai sir me chot lagi hai aor khun bhi nikla hai..
Sirf chota ghao hone par doctor Patti karke kuch painkiller tablets bhi de deta hai
Sameer - doctor babu jyada chot to nhi hai.
Doctor - nhi sab thik hai bas dard ho to ye goliyan de dena.
Sameer - kitne rupey hue doctor babu..
Doctor - 60 rupey .
Paise dekar Sameer Radha ko bus ke andar Lata hai..
Radha - aapka bahot dhanyawad ji aapne itna kuch hamare liye kiya..andar aate hi Radha Sameer ka dhanyawad karti hai uski shahyeta Karne ke liye.
Radha - abhi ham esi parasthitio me hai siwaye aapko dhanywaad ke do bol bolne ke siwa kuch nhi kar sakte hai.
Radha ki abaj me ek dard tha jise Sameer mehsus kar leta hai.
Sameer - is tarah ki bate karke mujhe sharminda na kare insan hi to insan ke kam ata hai ...
Sameer ki bat se Radha ki bahot dharas bandhti hai.
Sameer - kya hua tha aapke sath jab aap hame mili to road par behosh thi aapke upar ek sirkata bhoot jhuke aapko uthane ki kosish kar raha tha..koi upari chakkar lagta hai mujhe..
Radha apni yado me kho jati hai aor uski ankhe nam ho jati hai...
Fir ansu poch kar Radha kehti hai.
Radha - ham aapko kuch nhi bata sakte hame shama kare dayalu insan..
Tarun - hamne tumhare liye itna Kiya hai tum hame apne bare me to bata hi sakti ho..
Tarun Jo ab tak dono ki bate sun raha tha Radha ke jawab na Dene par halke gusse se kehta hai .
Sameer - maaf karna ye to ese hi hai kyo esi bate kar raha hai yaar tu aap iski bato ko dil par na lena ye thode nashe me hai..
Sameer baat ko sambhalte hue tarun ko ankhe dikha kar chup rehne ke liye kehta hai..
Sameer - agar aap nhi batana chahti to koi baat nhi hamne apke sath ek bhoot dekha isiliye thode utsuk ho gaye they aapki kahani jaanne ke liye acha aap bataye aapka Ghar kaha hai ham aapko chod denge..
Radha - hamara ghar...hamara koi Ghar nhi hai..Ghar ke naam se Radha ke ansu nikal aate hai ... Sameer bhi Radha ko dekhkar samajh jata hai ki Radha bahot dard me hai ...
Radha - aap hame kisi bus adde Tak chod denge to aapki badi kirpa hogi..
Sameer - ham chod to denge lekin itni thand se bhari raat me kaha jaogi aap agar apne bare me bataogi to ham aapke Kam aa sakte hai.
Radha - ham nhi bata sakte bus hame adde Tak chod dena..
Sameer - thik hai chod denge.
Radha sir uthakar Sameer ko bahot upkar bhari najro se dekhti hai.
Tarun - Sameer ab tum chalao bus..
Radha Sameer ka nam sunkar chonk jati hai.
Radha - apka dharam dusra hai..Sameer ko dekhte hue Radha dhime se puchti hai.
Sameer - ha lekin kyo kya hua..
Radha man hi man sochne lagti hai fir uthkar Sameer se dur baith jati hai..
Radha ke mukh se Sameer ko ab apne liye pehle jaise bhao nhi dikh rahe they uske liye Radha ke andar napasandi aa gayi thi jise dekh kar sameer kuch kahe Bina driving seat par akar bus chalu kar deta hai..
Tarun - nam kya hai tumhara ..
Radha - ji Radha .
Radha ki abaj ki kashish me tarun kho jata hai..
Radha - aap hame bus adde Tak chod denge to apka bada upkar hoga tarun ji..
Tarun - ham wahi jaa rahe hai sawari lene chinta na Karo tumhe chod denge...lekin itni sard rat me tum jaogi kaha..
Tarun ke sawal se radha buri tarah se chintit ho gayi thi usse koi jawab na diya gaya ankho se ansu beh nikle.
Radha - ham nhi jante.
Radha ne ansu pochkar kaha..
Dukhi kyo hoti ho .kehkar tarun Radha ki pith par hath ferne lagta hai Radha ke sharir par hath ferte hue tarun ko current lag raha tha masti me dhire dhire wo khone laga tha..Radha hame apne bare me batao ham tumhari sahyeta karenge.
Radha tarun ke pith sehlane ko samajhti hai tarun use satbhawna de raha hai.
Radha - aap bahot ache hai lekin ham apni kahani batakar aapko kisi sankat me nhi dalna chahte hai aor na aap hamari shayeta kar sakte hai..
Bus rukne se dono ka dhyan tutta hai aor tarun bhi jaldi se Radha se alag ho jata hai.
Bus bus adde par rukti hai jaha chand hi log ghum rahe they thand ki vajh se.
Sameer - pehle kuch kha lete hai fir sawari bharenge..
Tarun - ha thik hai..tarun ne uthte hue kaha ...
Sameer - aap bhi hamare sath kuch kha le fir aapko Ghar chod denge.. Radha ke chahere se bhookh ke bhao saf dikhai de rahe they.
Radha Bina kuch kahe uth jati hai aor dono ke sath chalti hui bus adde ke ek dhabe par ati hai jahah aor bhi kai log baithe kha rahe they..
Ek khatiya par Sameer ek par Radha aor tarun baith jate hai...
Radha - aap yahi khayenge hamare sath..
Sameer - ji ha kyo ?
Radha Bina kuch kahe tarun ki taraf ishara karti hai jinhe Sameer bhi dekh leta hai isliye Bina kuch kahe wo uthkar chala jata hai aor dusri jagah par baith ke order deta hai...
Radha - Ham unhe dukh nhi dena chahte lekin wo malich hai ...
Tarun - koi bat nhi ...kehkar tarun paricharak ko abaj dekar apne aor Radha ke liye bhojan mangwata hai ..bhojan ane par dono khane lagte hai.
Dhabe pe baithe sabhi driver aor karamchari hawas bhari najro se Radha ko dekh rahe they ye dekhkar Radha apne upar pallu le leti hai..tarun jab pine lagta hai to Radha usse dur hatkar baith jati hai.
Garam garam aalu ke parathe kha kar Sameer dono ke pass ata hai jahan tarun pi raha tha aor Radha usse dur baithi apne bare me sonch rahi thi.
Radha man me -hamari halat kya ho gayi us aghori ki vajah se aaj ham par dusre log upkar kar rahe hai kal tak ham hajaro rupey garibo ko dan de dete they aaj...sonchte hue Radha ki ankhe bhig jati hai.
Sameer - hame sawari bhi bharni hai aor tu yaha baithe pi raha hai is tarah tu abaj laga payega sawario ko bulane ke liye..
Tarun - yar bas thodi si hai..aor jaldi se tarun sab gatak jata hai...
Tarun ka Pina Radha ko bhi acha nhi laga isiliye wo dur baith gayi thi usse..
Paricharak ke ane par Sameer dono ka bill dete hue kehta hai.iske pine ka bill isse khud Lena...
Radha - ham fir aap dono ko dhanyawad ke siwa kuch nhi keh sakte ab ham chalte hai...
Sameer - kaha jaogi itni rat me apne bare me batao taki ham tumhari koi shayeta kar sake..tumhe tumhare kisi rishtedar ke pass chod sake akeli kaha bhatkogi..
Radha - ham aap par bojh nhi banna chahte aor apne bare me batakar aapko kisi sankat me nhi dalna chahte hai hame shama kare rahi baat sambandhio ki to jab manusya par kathin samay hota hai to sabhi muh mod lete hai..
Kehkar Radha Jane lagti hai..
Sameer - rukiye...nahi batana chahti to koi bat nhi lekin ye thode paise hai aap inhe rakh lo...pass akar Sameer Radha ko thode paise deta hai Radha mana karti hai lekin Sameer mana kar de hi deta hai.
Sameer - laad sab ab uth bhi jao..
Kisi tarah Sameer tarun ko lekar bus me ata hai tarun nashe me budbudaye jaa raha tha usse sawario ko bulane ke liye abaje bhi nhi nikal rahi thi isliye Sameer use andar bitha kar khud tej abahe dekar sawario ko bulane lagta hai....
Sameer - Shimla Shimla Shimla...
Sawari ho tabhi to ayengi nam matra sawari thi jo dusri baso me baith rahi thi..
Is samay dono Himachal se sidha Shimla jaa rahe they jaha dono ka ghar hai
..
Najro ko dur lejakar Sameer dekhta hai to Radha ek bench par gum sum si baithi hoti hai aor Sardi ki vajh se kanp rahi hoti hai..Radha bhi sirf saree me thi usi me khud ko usne acche se chupa liya tha.
Sameer use dekh kar fir abaje lagane lagta hai..
Tarun - kya zindagi hai yar din rat bailo ki tarah Kam karna padta hai.tarun ladkhadati abaj me budbuda Raha tha.
Tarun - kya ladki thi yar jaise koi apsara Teri vajh se thoda bhi maja nhi le paya..
Sameer - ab tu chup rahega tujhe nashe me dekhkar koi sawari nhi ayegi...
Kehkar Sameer fir abaje lagane lagta hai..
Radha bench par thand me sikudi baithi thi aor apne bare me sonch rahi rahi thi...
Radha man me - mummy aap kaha ho bhaiya gudiyaa aaah..sabko yad karte hue Radha ki ek aaahh nikal jati hai dard me ..ham kaha dhunde mummy aapko ham ab thak chuke hai us aghori Sadhguru se ladte ladte ham ab aor uska mukabla nhi kar sakte ab ham swam ko use saunp denge hamne nirnaye kar liya hai..
Kaisi ho billo .
Radha sir utha kar dekhti hai to samne char driver they Jo dekhne se hi gunde lag rahe they wo sab hawas bhari najro se Radha ko dekh rahe they...
Kitni Sundar hai tu esa lag raha hai jaise koi gagan se utri apsara ho.
Dusra Gunda Radha ke pass baithe hue bola.
Radha bin kuch kahe uthna chahti hai lekin ek Gunda Jo uske pass baitha wo Radha ke pass baithte hue Radha ko apne pass bitha leta hai.