Official Story Discussion Circle & Readers Hangout

Well-known member
1,131
1,466
143
Aapki baat apni jagah ekdam theek hai Yash bhai...Kintu ye sirf sikke ka ek hi pahlu hai jo khuli aankho se dikhayi deta hai..Iss sikke ka dusra pahlu bhi hai jo khuli aankho se dikhayi nahi padta dost..

Kahani padhne wale kayi reader's hote hain aur unn sabki uss kahani ko lekar bhaavnayen bhi alag alag hoti hain...Jaise ki paancho ungliya aapas me barabar nahi hoti, vaise hi sabhi ki kahani ko lekar pasand, na-pasand bhi ek jaisi nahi hoti...

Kisi bhi forum par jayenge to aapko kayi kism ke log milenge...kuch ko incest sex pasand hai, adultary nahi, to kuch ko adultary pasand hai par incest nahi, kuch ko dono pasand hain...to kuch aise bhi milenge jinhe sex se hi nafrat hoti hai..kisi ko hardcore sex achcha lagta hai to kisi ko pyar bhara romantic.. koi suspense, thriller chahta hai padhna...upar se writer ki apni bhi kuch pasand aur imagination hoti hain.

Inme se jis kisi ki bhi pasand ka scene na aaye vahi narazagi jatayega...ab itne logo ki demand writer kaise poori karega ?

For Example---

Ek Ghar me maan lo ki 10 logo ki family rahti hai..unme se har kisi ki khaane ki alag alag farmaaish hain..jo cheez ek ko pasand hai, vo dusre ko pasand nahi hai...ab sawal ye uthta hai ki akhir khana banane wala/ wali..kiski pasand ka khana banaye ? kyonki sabki pasand ka khana daily bana pana to uske liye possible nahi hoga...Ya phir vo apne dimag se vo banaye jo jyada member ko pasand ho ya koi khaas pareshani na ho aur vo kha sake ?

Theek yahi dikkat writer ke samne bhi hoti hai bhai...vo kahani me logo ki pasand ko dhyan me rakh kar kuch changes to kar sakta hai lekin plot ke sath chhedchhad nahi kar sakta kyonki aisa karne se kahani apne title se bhatak jayegi..jo ki kisi bhi sahitya ki Hriday Sthali kahi jati hai..

Kisi bhi story ka koi paatra important nahi hota, balki uss kahani ka TITLE sabse important hota kyonki poori kahani uss title ke hi charo taraf ghumti rahti hai..starting se last tak...aur agar kahani apne title se hi bhatak jayegi tab vo kahani, kahani na rah kar khichdi ban kar rah jayegi...
Mere hisaab se writer ko pahle plot fix kar Lena chahiye ki usko kis tipe ki story likhni hai kyuki har tipe ke reader hote Jo uski story pasand hogi aa jayegen lekin story line nahi badalni chahiye aapki story se kuch log khus kuch nakhus ho sakte hain lekin aapko apne hisaab se story badhate rahna hai udahran ke liye ek writer hain unki story mujhe filhaal nai pasand hai lekin itna achcha likhte hai ki padhne jata hun mai bas story ka Jo ek update hai wo itna painful hai ki ushi ke karan mai chup rahata hun story ka naam hai galat vj4u bhai ji ki
 
Maurya ji
1,057
1,094
143
Aapki baat apni jagah ekdam theek hai Yash bhai...Kintu ye sirf sikke ka ek hi pahlu hai jo khuli aankho se dikhayi deta hai..Iss sikke ka dusra pahlu bhi hai jo khuli aankho se dikhayi nahi padta dost..

Kahani padhne wale kayi reader's hote hain aur unn sabki uss kahani ko lekar bhaavnayen bhi alag alag hoti hain...Jaise ki paancho ungliya aapas me barabar nahi hoti, vaise hi sabhi ki kahani ko lekar pasand, na-pasand bhi ek jaisi nahi hoti...

Kisi bhi forum par jayenge to aapko kayi kism ke log milenge...kuch ko incest sex pasand hai, adultary nahi, to kuch ko adultary pasand hai par incest nahi, kuch ko dono pasand hain...to kuch aise bhi milenge jinhe sex se hi nafrat hoti hai..kisi ko hardcore sex achcha lagta hai to kisi ko pyar bhara romantic.. koi suspense, thriller chahta hai padhna...upar se writer ki apni bhi kuch pasand aur imagination hoti hain.

Inme se jis kisi ki bhi pasand ka scene na aaye vahi narazagi jatayega...ab itne logo ki demand writer kaise poori karega ?

For Example---

Ek Ghar me maan lo ki 10 logo ki family rahti hai..unme se har kisi ki khaane ki alag alag farmaaish hain..jo cheez ek ko pasand hai, vo dusre ko pasand nahi hai...ab sawal ye uthta hai ki akhir khana banane wala/ wali..kiski pasand ka khana banaye ? kyonki sabki pasand ka khana daily bana pana to uske liye possible nahi hoga...Ya phir vo apne dimag se vo banaye jo jyada member ko pasand ho ya koi khaas pareshani na ho aur vo kha sake ?

Theek yahi dikkat writer ke samne bhi hoti hai bhai...vo kahani me logo ki pasand ko dhyan me rakh kar kuch changes to kar sakta hai lekin plot ke sath chhedchhad nahi kar sakta kyonki aisa karne se kahani apne title se bhatak jayegi..jo ki kisi bhi sahitya ki Hriday Sthali kahi jati hai..

Kisi bhi story ka koi paatra important nahi hota, balki uss kahani ka TITLE sabse important hota kyonki poori kahani uss title ke hi charo taraf ghumti rahti hai..starting se last tak...aur agar kahani apne title se hi bhatak jayegi tab vo kahani, kahani na rah kar khichdi ban kar rah jayegi...
Bhai mai bhi aapke bat se sehmat hu.. Kyuki story ki pasand sbki alag alag hoti hai.. Kisi ko kuch to kisi ko kuch.... Badlav bus itna ho skta hai ki.. Readers ke hisab se Thoda Bhut character ke emotions change kr skte Hai.. Bus or zyada change krne par.. Story ka koi sence nhi rehega
 

Top