Adultery The Sex Game

44
11
8
Update:-28




Subah-subah Delhi...


Manu khud me kuch khali-khali feel kar raha tha. Usse laga jaise wo Sneha ko miss kar raha ho. Usse gaye 2 din ho gaye the, aur in 2 dino me koi baat bhi nahi hui thi. Jab ki Manas ke baad Sneha he eklauti aisi thi jis se Manu ki khul kar baat hoti thi. Infact iss duniya me koi Manu ki raajdar thi wo to bus Sneha hi thi.


Manu ko pata bhi nahi tha ki kya baaten karni hai Sneha se, bas usne phone laga diya.....


Sneha.... Manu, good morning.. subah-subah phone lagaya baat kya hai....


Manu.... Aammmmmm......... (bich ki ek chhoti si khamosi) kuch nahi baad me
baat karta hun...


Sneha.... Ruko, Manu....


Manu.... Haan Sneha....


Sneha, kuch pal khamosh rahne ke baad... "Chhodo, tumhe kaam hoga, baad me baat karte hain"


Dono ka itna lamba sath tha ki Manu ko bhaanpte der na lagi, Sneha kuch uljhan me hai.… "Kya hua hai wahan, kis uljhan me ho".


Sneha.... Rahne do Manu, kuch bhi nahi...


Manu.... Tum to papa se shadi ki baat karne gayi thi na, kya hua....


Sneha.... Abhi nahi ho payi hai... main aaj raat baat kar lungi...


Manu.... Hmmm ! Matlab tumhare papa bhi mere papa jaisa hai...


Sneha.... Nahi.... wo baat nahi hai....


Manu.... Fir baat kya hai Sneha...


Sneha.... Dil ke bure nahi hain papa, mujh se bahut pyar bhi karte hain.....


Manu :- Ohhh ! Lekin baat kya ho gayi, kahin sahdi se inkaar to nahi kar gaye jo batane se jhijhak rahi ho..


Sneha:- Manu, kuch bhi bolte ho. Darasal baat ye hai ki, wo itne strict hain ki meri juban he nahi khulti unke samne. Upar se apni shadi ki baat main khud un se karun... soch kar he juban halak me atak jati hai...


Manu.... Ha ha ha, main bhi kahan compaire karne me laga tha. Yahan to bairi papa hain....


Sneha.... Tum hans rahe ho Manu.... how mean...


Manu:- Ek kaam karo family time enjoy karo, aur tum sahi sochi ho apni shadi ki baat tumhe khud nahi karni chahiye. Hum sab jald wahan aate hain tab aamne-samne baith kar tumhare papa se baat ki jayegi.. aur haan tension na liya karo, hasti hui achhi lagti ho… byeee


Sneha.... Byeee... lo....


Sneha bye love to bolna chahti thi, lekin ruk gayi. Idhar manu bhi phone rakhte waqt kuch pyar se kahna to chah raha tha, par bol nahi paya aur dono he call disconnect kar ke kuch der bas phone ko he dekhte rahe.


Saam ke waqt....


Akhil.... Mishra ji aap bhi chal rahe ho kya ye show dekhne...


Mishra ji:- Sir ji, main ja kar kya karunga, ab to budhapa bhi chhaya hai, mujhe kahan le ja rahe ho...


Akhil.... Chalo bhi Mishra ji, aap bhi firangi show dekh lena...


Dono wahan se Rock on show ki jagah tak gaye... Sare tickets ke intzam pahle se ho chuke the....


Mishra ji:- Na sir ji hum ye show ke aadhe ghantey pahle yahan aa kar kya kar rahe hain. Aap ko nahi lagta ki aap kisi college student ki tarah chhori ka intzar kar rahe ho....


Akhil.:- Kuch bhi bolte ho Mishra ji. Main bas show ke suraksha intazamat check karne
aaya hun..... Yahan ka incharge kaun hai hume milwaeye....


Mishra ji:- Sir ji uss se police department wale 3 bar mil chuke hain, chauthi baar na milo, sale ki kahin mut na nikal jaye. Aap aage concentrate karo, dekho madam aa rahi hai....


Kaya, bhi wahan apne doston ke sath pahunch chuki thi. Pahunchte he Akhil ko call karne lagi, tabhi Akhil ne usse samne dekhne ke liye kaha....


Kaya, muskurati Akhil ke pass pahunchi... "SP sir kafi smart lag rahe ho. Wardi kafi
jachti hai aap par. Oh bye the way main milwana bhul gayi, ye hai meri dost Desy aur ye hai mera feonsay Nomit.


Ufff kanch tootne jaisa awaz hua dil me. Mishra ji to Akhil ke chehre ko he dekh rahe the... Tabhi samne se Manu bhi aata najar aaya...


Mishra ji... Sir ji aap ke dost aa rahe hain samne se...


Kaya.... Oh my god, bhai yahan kya kar raha hai...


Driver.... Key hua madam ji, bhai ke sath ye show nahi dekh sakti kya....


Kaya to jaise Mishra ji ko kacha chaba jaye, aise ghuri. Akhil sawaliya najron se puchne laga ... "ye sab kya hai Mishra ji" aur Mishra ji bari masoomiyat se khud ko defend karte kahe... "Policiya bhasha, nikal jati hai"


Manu ko dur se he Akhil dikh gaya, par sath me Kaya. Manu tay nahi kar pa raha tha ki Kaya sanyog wash mili hai Akhil se, Ya Akhil ne koi chakkar chalaya...


Manu, unke pass pahunchte he.. "Mujh se milne ka waqt nahi, na koi phone na kuch. Mujhe pata bhi nahi ki yahan ho ya Mumbai gayi. Kaya main kaise react karun mujhe kuch samjh me nahi aa raha".


Kaya:- Koi reaction dene ki jaroorat bhi nahi hai, pure group ke sath show dekhne aaye ho, aur mujhe puchha tak nahi. Huhhh ! Main ja rahi hun show dekhne good bye....


"Behaviour badla hua, meri baaton ka javab dene ke badle ye aaj bhag kyon rahi hai. Jaroor koi baat samne na aaye isliye bhag rahi hai"


Manu:- Akhil ticket ka intzam ho gaya kya ?


Akhil.... Haan ticket ho gaya... par...


Manu.... Ek min ticket inhe de do, tum sab ander jao hum aate hain...


Shreya.... Manu show shuru hona wala hai jaldi aana..


Manu Shreya ki baton ko ignore karta, Akhil ko side me le gaya....


Akhil:- Ye kya chakkar hai, teri shadi jab Sneha se tay ho gayi to ye ladki kaun thi jo tum se itni close react kar rahi thi.


Manu:- Pagal thi koi, ignore kar. Ab tu mujhe samjhayega ki Kaya aise mujhe bye bol kar kyon bhag gayi.


Akhil.... Teri pyari bahan hai tu jane. Mujhe kya pata hoga...


Manu:- Hmmm ! Main janu na.. To tu mujhe samjhayega, wo tere sath show dekhne
kyon aayi thi.


Akhil.... Tera dimag khisak gaya hai. Itna mand buddhi kab se ho gaya. Yadi main uske sath show dekhne aata, to kya main tumhe haan kahta show ke liye...


Manu.... Kya pata tum logon ka programme mere pahle bana ho...


Akhil:- Tu confusion create mat kar. Ek to mera dimag pahle se ghuma hai, upar se tu aur ghuma raha hai...


Manu.... Baat complicated mat kar, aur confusion dur kar. Chal bata ab pahle tu apni puri baat...


Akhil:- Yaar mere pass kal he call aaya tha Kaya ka, usse 3 ticket chahiye the. Aur hairani mujhe iss baat ki hai ki, tere ghar ka damad tere aankhon ke samne tha, fir bhi mujhe kah raha hai main Kaya ke sath show dekhne aaya hun.


Manu.... Nomit aaya hua hai, par mujhe to dikha he nahi...


Akhil... Abe tere samne he to khade the teeno. Uski ek friend Desy aur uska feonsay...


Manu.... Ruk ek min dimag kharab nahi kar. Kaya jab gayi to 2 log uske sath the. Tu Kaya aur Desy ke sath jo ladka tha usse hi feonsay bata raha hai right...


Akhil.... Ji haan....



Manu:- Aur tu uske sath show dekhne nahi aaya bas usne tujh se ticket ke liye contact kiya...


Akhil.... Sala yahan policewala main hun ya tu hai. Haan uss ne mujh se kal ticket ke liye contact kiya tha, aur mujh se puchhi bhi nahi show ke liye....



Manu:- Ab aayi baat samjh me, tujhe kuch aaya samjh me, ya puri baaten samjhaun....



Akhil:& Haan samjh gaya, yahi ki jisne usse apna feonsy kah kar milwaya wo uska
feonsay nahi tha...


Manu.... Murkh hai tu... main chala show dekhne...


Akhil.... Mishra ji, ye aisa kyon bol kar gaya, aur aap hans kyon rahe hain...


Mishra ji.... Kyonki sach me aap murkh hain...


Sab log ander chale gaye, Akhil khada ho kar bas sochne laga ki aakhir ye log mujhe murkh kah kar kyon ja rahe hain.....


"Ohhhh... hoooo. to ye baat hain, yani madam kal se mujhe bas jala rahi hai. Mujhe bharka kar mere dil ka haal jan'na chahti hain. Ufff ye ladki bhi na. Sidhe-sidhe apne dil ka haal bata kar mere dil ka haal jan'ne ke badle ultey raste apna rahi hai. Ohk janeman ab to sab ultey raste se he sidha hoga"
 
44
11
8
Update:-29






Sab log ander concert me chale gaye, Akhil khada ho kar bas sochne laga ki aakhir ye log mujhe murkh kah kar kyon ja rahe hain.....


"Ohhhh... hoooo. to ye baat hain, yani madam kal se mujhe bas jala rahi hai. Mujhe bharka kar mere dil ka haal jan'na chahti hain. Ufff ye ladki bhi na. Sidhe-sidhe apne dil ka haal bata kar mere dil ka haal jan'ne ke badle ultey raste apna rahi hai. Ohk janeman ab to sab ultey raste se he sidha hoga"


Manu jab ander gaya to, band ki dham-dham chal rahi thi.... "Aaooo.. aaooo" kar ke wo singer ga raha tha. Wahan maujood sabhi audience hawa me hath lahrate, jor-jor se hooting kar rahe the.



Manu chup-chap khafa bas wahan ke mahol ko dekhne lag gaya. Tabhi Shreya uske pass pahunchi, aur jabardasti uss se kuch jyada he close hoti hui kahne lagi.… "You know Manu, iss se behtarin artist mane aaj tak nahi dekhi. Mujhe to ab bhi yakin nahi ki.. main Reckey Martin ke show ko live dekh rahi hun"


Manu ukhra sa sahmati dete uske pass se hat gaya, aur Natali ke pass pahuncha.... Natali, Parth ke sath show ko full enjoy kar rahi thi.... Manu ko dekhte he... "Thanks Manu"


Manu.... Par thanks kisliye...


Natali.... Show ke ticket arrange karne ke liye...


Akhil.…. Miss, iss show ke ticket Manu ne nahi maine arrange kiye the. Say thanks to me.


Kaya apni tirchhi najron se ek baar Akhil ko dekhi, aur fir samne dekhne lagi.…. Iss baat ko Akhil ne bhi notice kiya.....


Parth..... Aap yahan hai to shahar ke law & order kaun control kar raha hoga sir...


Natali.... Sorry sir iski baton ko mind nahi kijiyega, iski mazak karne ki aadat hai...


Akhil.... Ha ha ha, ye yadi seriously bhi bolega to bhi main kuch nahi kar sakta. Aap yahan kaise sir, mujhe nahi lagta ki aap ko iss show me koi intrest bhi hoga.


Parth..... Kyon mazak kar rahe hain Akhil sir, hum to aap ke rahmo karam par hain... bas humari iss hot dost ki ikchha thi so yahan chala aaya....


Natali.…. Had hai ye meri ikchha thi ya tum mujhe yahan le kar aaye Parth, aur dialogue kya mare the, iss show ke baad main surprised ho jaungi. It seem I am surprised now....


Manu.... Ha ha ha... lagta hai aaj koi jhoot bolne ke chakkar me pitega...


Parth, Manu ka chehra dekhte huye.. "Aap to mashur business tycoon Mr Manu Mulchandani hain right"


Manu.... Ab to sach me sir kahna parega... lagta hai bahut pahunchi hui chij hain. Hai kaun ye Akhil.


Akhil.… Pese se vakil hain. Suprime court ke chief justice Mr. Anant Sharma ke eklaute suputr. Har uljhi jagahon par paye jate hain aur aksar police ke case solve kar ke he mante hain. Ek sab se bari khas baat, inka action south ke kisi hero se kam nahi, kya urri-urri marte hain. Aap ke shaan me kuch kami to nahi rah gayi Parth sir.


Parth.... Ha ha ha... Akhil sir bas ek kami rah gayi itne bare intro ke baad ek line jorna to banta he tha... In me superhero jaisi saksiyat hai... kuch bhi kahte ho aap....


Natali.…. Lagta hai mujhe yahan se jana chahiye. Log kahte hain ki jab ladkiyan ek jagah ikattha ho to itni baten karti hain puchho mat. Koi yahan aa kar dekh le, ladkon ki harkaten....


Akhil.… Uffff Itni bai nadani, Aap idhar aaeye miss mere pass, in sab ko kadar nahi aap ki...


Natali apni baal jhatkti hui.... "Akhil sharm nahi aati, baat aise kar rahe jaise pahli baar hum mile hon. BTW main to Rickey martin ko he dekhungi. Abhi to sabse jyada hot wahi hai"....


Parth... Excuse me miss, hum yahan kisi kaam se aaye hain....


Manu... Iss show ki ticket kisi kaam ke liye liya tha, matlab tum dono show dekhne nahi aaye the...


Parth.…. Bechari ko chhoti si umr me itna bara project de diya, uske bojh tale dabi yahan bhi kaam he karne aayi hai....


Manu.... Mujhe nahi pata tha Natali yahan project ke kaam se aayi hai. Maine aaj tak kisi ko nahi kaha ki wo apne chutti ke samay me koi kaam kare.


Parth.… Manu bhai main kisi ke kaam ke liye haan nahi kahta, par ye Natali ka junoon hai iss kaam ke prati jise dekh kar maine isse kuch rasta dikhane ka socha. Excuse us, main thoda Natali ko ye arena ghuma kar la dun.


Akhil.... Yaar ye kahan aa gaye, aisa lag raha hai mere sir me drum baj rahe hain...


Manu... Haan yaar mera bhi yahi haal hai... chal chalte hain, aaj apne desi adde par... college ke kuch purani yaden taza ho jaye....


Manu, Shreya ko bye kahta hua wahan se chala gaya. Bye kahte waqt bhi wo kuch jyada he close banti uss se sawal karne lagi, aur apni narajgi dikhane lagi. Manu usse sorry kahta hua aage badh gaya. Akhil ne jate waqt gaur kiya Kaya bas usse he dekh rahi thi.


Akhil, Manu ko le kar apne quater pahuncha, fatafat change kar ke sidha country bar nikal gaya. Dono wahan par desi daru ka maza uthate huye peg par peg lagane lage. Daru pite huye Manu ko purane din yaad aa gaye, aur un dino ko yaad kar ke uske aankhon se aanshu aa gaye...


Akhil.... Heyyyy Yaar !!! Tu ro kyon raha hai...


Manu Kuch nahi yaar, bite din yaad aa gaye. Zakham hare ho gaye ho jaise. Wo hasrat bhari nigahen yaad aa gayi, aur wo nirdayi samay... khair chal bye chalta hun main....


Agle din....


Parth se mile information ke hisab se Natali ek dalal se milne chal di, jo in sare mamlon me deal karta tha. Yahi dalal hawala ke jariye mantri ji ka sara paisa bahar bhi karwata tha... isliye jitne bhi mantri ji se jure mamle the uss par iss ke approval ke bina kaam nahi hota tha.


Natali.... Suresh ji aap ko mere aane ka purpose to pata he hoga...


Suresh.… Suniye madam aap ko yahan kisne kya kah kar bheja hai, mujhe sach me nahi pata, lekin ek baat main abhi clear kar dun, hum naye logon se koi deal nahi karte.


Natali.… But meri baat to suniye. Kabhi na kabhi sab naye he hota hain.


Suresh.… Haan hota hai, par wo aap ki tarah indipendent nahi aate, kisi ke sath aate hain...


Natali.... Ek baar humse hath mila kar to dekhiye, aap ko nuksan nahi hoga...


Suresh.... Hmmm ! Main sochunga iss par, ab aap ja sakti hain...


Natali, khali hath Suresh ke pass se chali aayi, lekin usse bharosa tha ki wo Suresh se apna kaam nikalwa legi.


Kanpur ki subah....



Aaj ki subah khushmayi thi, Dristi aur Manas ek sath jogging kar rahe the. Idhar-udhar ki baten chal rahi thi, kis ko kaun sa khana pasand hai, kya pahn'na pasand hai... waigrah-waigrah. Dekha jaye to jogging me ab kam intrest rah gaya tha aur ek dusre ko jaan'ne ki chahat kuchh jyada hi badhi hui thi...


Manas:- Tum had se jyada khubsoorat ho Dristi.


Dirsti, Manas ke samne khadi hoti. Apne lalaat upar karti... "Aaj baat kya hai Manas, meri tarifen. Ye sab buri aadten to Manas me kabhi thi hi nahi.


Manas:- Dimag jab sukoon me hota hai tab duniya ki har achhi aur buri chijen dikhna shuru ho jati hai.


Fir Manas, Dristi ka hath apne hath me tham liya. Jaise hi Manas ne Dristi ka hath thama, uski dharkan aniyantrit hui. Aisa laga uske kaan Manas ke muh se wo bhi sun legi jise wo pahle kabhi sun'na nahi chahti thi. Aur shayad wo aaj apne chehre par gusse ke bhav laa kar mana bhi na kar paye...


Manas, Dristi ka hath tham kar ulgliyon se ungli fansate.… "Mujhe to log sanwla bhi nahi kahte, fir bhi yahan hath dekho. Hath se hath judte hi ye kaise odd ki tarah meri skin kaali dikh rahi hai aur tumhari skin bilkul dudh ki tarah safed..."


Manas apni baat kahne ke baad Dristi ka haath chhod diya. Dristi ek minute ka ishara karti uski najron se ojhal hui aur sine par hath rakh kar tej-tej shwans khinchne lagi. Thoda jhuk kar chori se Manas ko dekhti wo, pyari si muskaan chehre par laati... "Jaan hi nikal diye meri"…


Dono ne sath jogging karte huye ek achha samay bitaye. Aisa lag raha tha jaise Dristi ki sari galatfehmi mitne ke baad wo Manas ke ore aakarshit ho rahi thi. Manas ke pass hona Dristi ko pyara lag raha tha. Manas uss se aaram se baten kar raha tha aur baton ke dauran ye jan'ne ki kosis bhi kar raha tha ki Deewan kidhar hai.


Lekin poore baton ke dauran kahin bhi Purvi aur Deewan ki koi charcha nahi hui. Dristi ko bye bol kar jab Manas laut raha tha to khud par he gussa tha..... "Hattt yaar aaj bhi pata na laga saka, one more day loss"


Manas irritate ho kar Manu ko call lagaya....


Manu.... Bhai kaise ho...


Manas.... Manu, main haar raha hun. Har bit'ta hua din mujhe bechain karta hai... mujhe kuch samjh me nahi aa raha. Khud ko napunsak ki tarah mehsus karta hun. Bhai, main khud ko haara hua mehsus kar raha hun....



Manu... Tum ye sab bakwas sochna band karo bhai. Khud hi to bole the na wo ladki Dristi meeting fix karwa rahi hai, fir isme hatash hone jaisa kya hai? Aisa hatash hoge to main Kanpur aa jata hun.


Manas.... Nahi, main apna haara hua chehra kisi ko nahi dikha sakta....


Manu... Bhai isme haar jit wali baat kahan se aa gayi. Aap kuch bhi faltu nahi socho, main kal he aa raha hun Kanpur.


Manas.... Tu meri khushi chahta hai na...


Manu... Come on bhai, ab please koi filmy scene create mat karo. Tujhe meri kasam, ye aur wo... waise bhi pata nahi tab se kitne bade-bade dialogue bol rahe ho, bas bahut hua main aa raha hun, aur ye final hai.


Manas.... Wo Deewan yahan hai, ye baat yaad aate hi lagta hai abhi mila do. Har gujarte second ke sath ye feel hota hai ki kitna asahay hun main. Aise me kisi ek din ki meeting tak bhi rukna bardast nahi ho raha. Haan main hatahsh hun lekin main apna haara hua chehra nahi dikha sakta. Tu aaya to main fir kabhi kabhi nahi milunga, ab bata tu meri khushi chahta hai ki nahi.



Manu... Kyon rulate ho yaar, main yahan kaise jita hun tumhe pata bhi hai. Ghut gayi hai zindgi. Kaise paglon ki tarah dundha tha tumhe bhul gaye. Tum me koi emotions hai ki nahi, kyon mujhe paresan karte ho bolo kya karun jo tum he khush rahoge...


Manas.... Sorry yaar dipress tha muh se nikal gaya, ab tu mujhe kyon rula raha hai... chup ho ja bhai. Thodi der ke liye main kewal apna he soch raha tha... chup ho ja...


Manu.... Nahi ab batao pahle baat kya hai. Kaun si baat par khusi milegi aap ko. Kya ikchha hai bolo...


Manas.... Nahi rahne de, fir kabhi kahunga but please ab rona band kar. Bahut din ho gaye tujhe dekhe, chidh gaya tha main apni nakamyabi se. Main jitna jaldi sab khatam kar ke lautna chahta hun utna he der ho raha hai. Mujhe chot karti hain ye sari baten. Ab bardast nahi hota jab lagta hain yahi sare log honge jo hume tabah kar ke fal ful rahe hain. Main bas unhe bhi waise hi marta dekhna chahta hun, jaisa in sab ne humare sath kiya tha...


Manu.... Bas itna he na... Aa jao wapas, ab galat to galat he sahi. Koi moral nahi ab. Innocent hai koi ya accused ab sab pisenge. Count-down beginning.....
 
44
11
8
Update:-30






Manu.... Bas itna he na... Aa jao wapas, ab galat to galat he sahi. Koi moral nahi ab. Innocent hai koi ya accused ab sab pisenge. Count-down beginning....


Manas.... Haan... haan... haan... tu udhar shuru kar, main idhar ka kaam khatam kar ke aata hun.


Manu... Ye hui na baat, ab thoda achha lag raha hai. Ye bhagne wala baat nahi karo yaar, tu he to mera sab kuch hai.


Manas..... Main bara hun ya tu bara. Tu meri duniya hai, tu mera sab kuch. Rona band kiya ya ab bhi ro raha hai. Pagla khud bhi rota hai mujhe bhi rulata hai....


Manu ki baat sun kar jaise Manas ko ander se himmat mili ho. Khud par viswas kiya. Kaam ko agle mod par lane ke liye Dristi ke college pahunch gaya. Dristi apna exam khatam kar ke bahar nikli....


Dristi.... Hi, aaj bhi apne dost ki madad karne aaye hain....


Manas.... Nahi, bilkul nahi... Aaj to main yahan tumhara intzar kar raha hun...



Dristi, ki dharkane jaise bekabu hui ho... "Ufff kahin jaan na le le"… aise khyalat ander the lekin bahar hotnth se kewal..... "Kya ?????" Ke aaschrya ke bhav the…


Manas.... Haan sach, main tumhara he intzar kar raha tha, lekin main wahan baith kar tumhe jate dekhta, kuch bhi aisa nahi karta jis se tumhe lagta ki main tumhe paresan kar raha hun.


Dristi... Dhime bolo na, college hai baba. Chalo chalte huye baat karte hain.


Manas aur Dristi sath-sath chalne lage. Kabhi-kabhi jab dono ki najren milti to Dristi muskura deti aur Manas bas ulajh kar rah jata.


Dristi.... Achha aap ne bataya nahi ki mera intzar kyon kar rahe the...


Manas.... Bas mujhe kuch khali-khali jaise lag raha tha. I thought, I am missing someting. Socha yahan to koi mujhe jan'ne wala nahi, isliye tum se he mil leta hun. Tum se baat kar ke achha lag raha hai.


Dristi.... Thanks a lot jo aap ne mujhe iss layak samjha. Aaj bhi coffee pila rahe ho kya?


Manas aur Dristi dono cafeteria pahunche, Dristi coffee ki ek sip li, halki si ek muskaan.... "Manas bataya nahi tum ne, tum yahan kis kaam se aaye ho"


Manas.... Kya karogi jaan kar Dristi. Main jis kaam ke liye aaya hun wo kaam jaan gayi to sayad tum confuse ho jao...


Dristi... Kaisa confusion Manas...


Manas.... Yahi ki main achha hun ya bura. Halanki tum mujhe janti ho to meri baton par he yakin karogi, aur unhe bura manogi jiske bare me main kahunga. Aur main nahi chahta ki tum kisi ko bura ya achha samjho ek tarfa ki baat sun kar. Mera wada hai jab hum aamne-samne honge to tumhe jaroor main bulaunga aur tab tum decide kar lena kaun achha hai aur kaun bura... "Aahhh ! Chubhan si hai dil me Dristi. Sorry, chalta hun kuch purani baten yaad aa gayi"...


Manas, mayus sa utra chehra Dristi ke samne se le kar gaya. Uske chehre ko dekh kar Dristi ke dil me kasak si paida hui. Aisa laga jaise kuch dard sa wo khud me mehsus kar rahi hai. Badi he khamosh wo apne ghar lauti. Raste bhar ek hi khyal tha... "Aisa kya deep pain ka relation hai aur kisne kisko pain diya. Mujhe meeting jald hi arrange karni hogi"…


Din ke waqt.... Delhi


Jiya khali baithi soch rahi thi, tabhi usse khyal aaya wo to Shrman ko bhul he gayi. Jaldi he call laga kar usse milne bulayi. Sharman to paglaye-paglaye, uchhalte, kud'te nikla Jiya se milne. Jab pahuncha to Jiya, Sharman ko dekhte he tightly gale lag gayi. Uffff Shrman ke liye ye anmol pal the.


Jiya... Sharman bhala koi kisi ko itna tarpata hai kya...


Sharman.…. Jiya ji, maine kya kar diya. Maine kaise tarpaya aap ko.


Jiya... Buddhu ho Sharman, nahi samjhoge. Baba ek call kar ke baat he kar liya karo na achha lagega.


Shrman.… Sach kahun to meri himmat nahi hoti aap ko call lagane ki. Sochta hun kahin aap kaam me busy ho aur maine distrub kar diya to kahin aap naraj na ho jaye.


Jiya... Khabardar jo aisi baten soche to. Aur haan mujhe achha lagega yadi tum mujhe paresan karoge to, wo bhi raat me khas kar.


Sharman.... Thik hai Jiya ji, ab se roj call karunga, aap please naraj na ho...


Jiya... Ab ye Jiya ji kahna band karo Sharman. Tum mere liye sab se special ho. Call me only Jiya


Sharman.... Aap bhi mere liye Jiya ji... ohhh sorry Jiya....


Jiya.... Sharman, aaj kal tumhare boss kahan hain, dikhta nahi...


Sharman.… Pahle bhi wo nahi dikhte honge Jiya. Wo to ghar aur ghar se office. Bas Kaya bahan aati hain to he Manu bhai bahar ka plan banate hain, warna to unki marji hai. Kisi ka offer achha laga to bahar nikle nahi to nahi nikle.


Jiya... Haan wo to janti hun. Ajib he hai wo to bilkul. Jab se aunty mari hain, tab se maine usse fir dil se kabhi haste nahi dekha.


Sharman.... Haan sach kahi aap Jiya. Kai baar raat ko to pi kar unhe rote suna hai.. abhi aaj ki he baat le lo, Manas bhai se baat karte-karte rone lage...


Jiya... Aisa kya ho gaya tha, Manu thik to hai na....


Sharman.... Haan Manu bhai thik hain, aap chinta na kijiye wo to itna thik hai ki ab sab ko sabak sikhane wale hain... Kya action me kahe count down beginning...


Jiya... Ha ha ha... Manu ki yadi adaa to nirali hai. waise dear tum bhi to apni kuch adaa dikhao...


Sharman.… Main kya dikhaun


Jiya..... Dance ke do step Sharman...


Sharman.... Jiyaaaa... Yahan bhir hai, mujhe shram aayegi...


Jiya.... Huhhh !!! Mujh se kahte to main abhi kar deti haan tum kyon meri baat manoge, main tumhare pichhe aayi thi na isliye. Ab nahi aaungi good bye....


"Auchhhh".… kuch bura sa aur kuch dard jaisa mehsus hua Shrman ke dil me, Jiya naraj ho
kar ja rahi thi aur Shrman ko kuch bhi samjh me nahi aa raha tha. Idhar Jiya bhi gahri soch me dubi chal rahi thi.… "Sab ko sabak sikhane ka kya matlab ho sakta hai, Manu corporate rivals ke bare me soch raha tha ya koi family matter hai".


Manu in office


Kitni paresani hoti hai jab Sneha nahi rahti, pata he nahi chalta kaun sa kaam pahle khatam karna hai aur kaun sa kaam baad me... Ab ye Ghoshal walon ki contract file kidhar rakhi hai....


Manu, Sneha ko call lagate....


Sneha.... Hi, Manu... Kaun si file nahi mil rahi...


Manu... Tumhe kaise pata main file ko le kar phone kar raha hun.


Sneha... Kyonki baat aisi hai boss, Mr. Manu apne office time me kewal kaam he karte hain uske alawa kuch nahi. Haan uske alawa kaam se free ho'kar kuchh kar to pate lekin apni secretary ke bina wo bhi na hoga office me... Kyon boss…


Manu... Ha ha ha, itna notice. Achha Sneha wo Ghosal walon ki contract file kidhar hai...


Sneha... Lekin Manu unlogon ne to contract kisi aur ko de diya na, to ab uss file ka kya matlab.


Manu... Bas main dekhna chahta hun ki itne lambe samay se humare sath deal karne wali company ne humara sath kyon chhod diya. File hath me hogi to reason puchhne me maza aayega. Wo kya hai na ab main unko nanga karne ki soch raha hun, jisne mere itne bare contract me sendh lagayi, wo bhi Goshal walon ki jubani.


Sneha... Wrong attempt Manu. Kisi se aise badla thode na liya jata hai. Maine uss par kaam shuru kar chuki hun aur shyad poori bhi, bus tumhare sath discussion baki tha. Tum wo Assure India walon ki file check karo, sab samjh jaoge. Sendh kisi ne bhi mari, Ghosal wale to business karte hain na, wo kyon kisi ke baat me aa gaye. Pahla chot Ghosal walon ko do, baki sare chuhe apne aap bil se bahar aayenge....


Manu.... Thik hai main check karta hun....


Manu kuch der shant raha, khamosh phone ko dekhta raha.... Sneha bhi khamosh.....


Manu.... Miss u you a lot Sneha... Love you...


Sneha ka chehra jaise khil gaya ho..... usse aisa laga jaise uska dil dharka ho... kuch pal wo aur khamosh ho gayi.....

Sneha... Bahut pyara the ye words. Thank you. Rakhti hun phone mujh se ab baat nahi kiya jayega...


Sneha phone ko sine se lagaye, khile se chehra, aur pyari si muskaan.… "Love you too, Manu"


Manu idhar wo file utha kar check karne laga. File aur usme collected deta dekh kar usse sari baat samjh me aa gayi... "You are simpaly outstanding Sneha"


Raat ke waqt....



Shipping contract ko le kar Natali jis dalal Suresh se mili, uska call raat ke karib 8:30 baje Natali ke pass aaya. Suresh ne usse milne ke liye bulaya aur kaha "mantri ji bhi honge, aamne samne baith kar aap apne sare offers bata dena".


Natali jab uss flat me pahunchi to Suresh, Mantri ji aur uska PA teeno sath me the.


Mantri ji.… Suresh bata raha tha, tumhe shipping contract me intrest hai aur tumhe wo contract chahiye.


Natali.… Haan, main iss mamle me aap ke PA se bhi mili thi.


Mantri ji.…. Par tum company ki empolyee ho, bade descision kaise le paogi.


Natali.… Sir ji, Aap humare company ke MD ko nahi jante, mera project yani mera descision.


Mantri ji.... Hmmm ! Do baten hain yahan. Pahli baat ye ki hum partnership par kaam karte hain, aur dusri baat ye ki purane sambandh kharab kar ke naye relation se hume kya fayda milna hai, amount to hume same he milna hai....


Natali.... Mantri ji, aap kaun sa phone use karte ho abhi..


Mantri ji.... Iphone use karta hun...


Natali.... Aur 10 sal pahle kaun sa phone use karte the...


Mantri ji... Nokia ka...


Natali.… Iphone kyon liya, jab ki aap to Nokia users the. Call to uss se bhi lagega, iss se bhi lagega. Internet uss par bhi chalega aur iss par bhi. Jitne kaam Iphone se honge, sare kaam Nokia se bhi, fir bhi change... Ab kya aisa kahna poora jayaj hai. Jab upar se dekhenge to dono phone hi hain. Ander ghusenge tab pata chalta hai badlav se kitne naye feature samne aa gaye... Same case humara bhi maan lijiye. World class brand se juriye aur kisi naye me kya features hain jab tak usse use nahi karenge pata kaise chalega....


Mantri ji.... Chhodi ke pass dimag hai... achha offer batao apna....


Natali.… Profit ka 30% wo bhi sab ek sath davance contract milte he.


Mantri ji.… Profit ka 50% badle me main high rate quote approved karunga. Present rate se jo 30% dene ke baad tumhara profit rahega, wo naye rate ke sath 10% aur badh jayega....


Natali.... Approved...


Mantri ji... Abhi deal puri nahi hui. Iske alawa tumhe apni service deni hogi. Sidhi baat karunga, tumhari sex service, exotic nights humare sath jab jahan kahe.....


Natali.… What???


Mantri ji... Kya hua, isme shocking jaisa kya tha contract pane ke liye to log kuch bhi karte hain...


Natali.… Chhi, ghin aati hai aap jaise logon se. Ladki kya koi object hai jisse har waqt bhogne ka sochte ho. Kisi ki kamjori ka fayda uthana galat hai.


Mantri ji.… Chhi jaisa kya tha, aur kya fayda uthaya tumhari kamjori ka. Tum mere pass illegal purposal le kar aayi to maine bhi apna purposal rakha. Kya maine koi force kiya? Choice is your's. Aaram se sochna, aur contract chahiye to kal bina bulaye yahin aa jana, raat 11 ke baad.
 

Top