Incest The time machine

Will Change With Time
Moderator
9,209
17,099
143
Jo bhi hua bada hi rochak hua. Nikhil gaurarab ka dost tha par bo gaurav se chidta tha sirf isliye ki gaurab ko sabhi pasand karte the aur kavaya bhi gaurab se pyaar karta tha.

Nikhil ki isi chod ne use katil bana diya aur saath usne apne bahn ka sahara lekar use bhi gaurav aur sarang ke najro me gira diya.

Barhaal jab gaurab ibt ki help se dusre daimention pahucha to vaha jo kavaya mili uski chal chaln bilkul alag tha aur vo gaurav se nehi balki sarang se payar karta hai ab dekhte hai aage kiya hota hai.
 
185
285
63
Update 6

Ab to gaurav ko bas aisa lag raha tha ki koi akar
uski jaan hi lele. Pehle kawya ki maut ka sach, phir
time machine ka sach,
Ab aage

aur ab samne nikhil apni hi
behan par revolver taane khada tha.
''Nikhil!! tuuu??? Tune meri kawya ko mara?? Par
kyu??'' Gaurav ne ashcharya ke sath kaha.
''Ha maine mara usko.. hamesha tu mujhse aage
raha.. phir chahe khel ho ya padhai.. mai yahi sochta
ki ye saala let-latif itna hoshiyar kaise hai aur mujhe
jalan hone lagi.. aur us din jab kawya pehli baar
college aayi tu tune waha bhi baaji maar li.. jisse
meri jalan nafrat mai badal gayi.. aur isiliye maine
teri sabse pyari cheez yani teri kawya ko tujhse door
kar diya..'' nikhil ne gusse aur emotion ke sath kaha.
Gaurav ko ab yaad aaya Jo balwinder ne kaha tha ki
jab asli saap ke baare me pata chalega to pairo tale
jameen khisak jayegi aur hua bhi wahi.
''Lekin tu balwinder ko kaise janta hai??'' Sarang ne
poocha kyuki gaurav to bolne ki halat mai hi nahi
tha.
''Mere mama ka assistant hai wo.. janunga kaise
nahi.. jab tum dono mere paas aaye the unse
mulakat karwane ke liye tab maine hi balwinder ko
tumhare irade pata karne ke liye kaha tha.. shuru
mai to use pata nahi kya ho gaya tha lekin phir kuch
din baad hi wo achanak maan gaya.. isiliye wo
tumse itna meetha bolta tha taaki tumhara irada jaan
sake..'' nikhil ne sara raj khola.
Phir aage bola,''tumhe kya lagta hai wo achanak hi
tumhe blue-prints dene ke liye kyu taiyar ho gaya..
tumhare waha se jate hi usne mujhe phone kiya.. tab
maine hi use blue-prints dene ke liye kaha.. aur
tumhare sath kaam karne ko bhi.. taaki machine
bante hi wo mujhe bata sake.. lekin saale ne apni
akal lada di aur sab kabada kar diya.. us din mera
mood isi vajah se kharab tha jab maine us ladke ko
peeta tha..''
''Lekin ye teri behan hai.. tu ise bhi maar dega
kya??'' Sarang ko ab bhi neha ki hi chinta thi.
''Time machine ke liye mai kisi ko bhi maar sakta
hu.. aur phir ise to maine hi kaha tha tere sath pyar
ka natak karne ko.. ye to gaurav se pyar karti hai..
isiliye maine ise dhamki di ki mai gaurav ko maar
dunga agar isne ye natak nahi kiya to..'' nikhil ne
apna poora plan bataya aur phir gaurav ki taraf
dekhte huye kaha,''chal ab jaldi bata time machine
kaha hai?? Warna mai abhi iski khopdi khol dunga..''
Achanak sarang ko kuch yaad aaya aur wo dheere
dheere peeche khisakne lagne laga aur chooki nikhil
ka dhyan sirf gaurav par tha use pata hi nahi chala
kab sarang waha se furrr ho gaya.
''Wo machine nahi ban payi..'' gaurav ne jhooth bola,
''nahi to ab tak maine samay badalkar kawya ko
jinda na kar liya hota..''
''Mujhe kya pagal samjha hai.. maine jail jakar
balwinder se pooch liya hai.. ab jal...'' nikhil apni
baat poori kar pata isse pehle hi ek adrashya mukka
uske chehre pe pada aur wo charo khane chitt ho
gaya aur revolver uske hath se gir padi. Usne uthne
ki koshish ki to ek aur jordar mukka uske gaalo par
pada aur wo behosh ho gaya.
Aur phir uske samne hi hawa mai se sarang prakat
hua. Usne 'Invi-suit' pehna hua tha.
Paasa ab palat chuka tha. Jo nikhil abhi kuch
second pehle tak un dono par haavi tha wahi nikhil
ab behosh pada tha aur sarang uske paas khada
neha ko ghoor raha tha jo thodi door khadi ro rahi
thi.
''Tumne mere sath aisa kyu kiya neha??'' Sarang ka
sabse pehla sawal yahi tha.
''Mujhe maaf kar do sarang.. mujhe nikhil ne
majboor kiya tha..'' neha ne rote rote hi kaha.
''Lekin tum mujhe bata bhi to sakti thi.. kam se kam
mai sapne to nahi dekhta.. mere aur tumhare
bhavishya ke..'' sarang bhi ruansa ho gaya tha.
''Nikhil ne hi mujhe dhamki di thi ki agar maine
tumhe ya gaurav ko kuch bhi bataya to wo gaurav ko
maar dega.. use malum tha ki mai gaurav se pyar
karti hu..'' neha ab bhi roye ja rahi thi.
''Lekin mai hi kyu??'' Sarang ka sawal bilkul jayaj
tha.
''Wo mai baad mai bataungi.. pehle police ko phone
karke ise yaha se bhijwao.. warna agar ye uth gaya
to musibat ho jayegi..'' neha me nikhil ki aur ishara
karte huye kaha. Halaki wo uska judwa bhai tha
magar ab use nikhil ki shakal se bhi chid ho rahi thi.
''Uski chinta mat karo.. Maine police ko phone kar
diya hai.. wo bas aati hi hogi..'' gaurav apni jeb mai
mobile rakhte huye bola.
Kuch hi minute baad police waha pahunch gayi aur
nikhil ko jeep mai daal liya.
''Shashi uncle is par murder ka charge bhi
lagaiyega.. kawya ke murder ka..'' sarang inspector
shashi se bola jo uske papa ke kafi achhe dost the.
''Lekin sarang beta.. kawya ka murderer to tabhi
pakda gaya tha na..'' inspector shashi ne dimag par
jor dalte huye kaha.
''Nahi uncle murderer wo nahi ye tha.. isne khud
kabool kiya hai..'' sarang ne inspector shashi ko
bataya.
''Theek hai.. mai dekh lunga.. aur raat bahut ho gayi
hai.. kaho to hostel tak chhod doo..'' inspector
shashi ne waise hi apnepan se kaha.
''Nahi uncle.. hum car laaye the.. usi se chale
jayenge..'' sarang ne kaha.
''Jaisi tumhari marzi..'' kehte huye inspector shashi
jeep mai baith gaye aur waha se nikhil ko lekar chale
gaye jo ab tak behosh tha. Sarang ne wakai kafi
jabardast mukke maare the.
''Chalo ab shuru se sab kuch batao ki akhir ye natak
mere sath hi Kyu khela gaya??'' Police ke jate hi
sarang neha se bola.
''Theek hai batati hu..'' neha ne ek lambi saans li aur
phir bolna shuru kiya, ''is natak ki shuruat balwinder
ke pakde jaane aur nikhil ke usi din restigate hone
ke karan huyi.. jab balwinder pakda gaya aur nikhil
khud bhi restigate ho gaya to use laga ki ab gaurav
se time machine hasil karne ka koi upaay nahi
bacha hai isliye usne mujhe istemal karne ka plan
banaya..''
''Lekin tumne natak sarang ke sath hi kyu kiya?? Ye
natak tum mere sath karti to time machine paane ke
chances jyada hote..'' gaurav ne sawal kiya.
''Aisa karne ko nikhil ne hi bola tha.. use malum tha
ki tum kawya ke ilawa kisi aur ko apni jindagi mai
jagah nahi doge.. isliye usne sarang ko nishana
banaya kyuki time machine ke baare mai tumhare
ilawa sirf sarang hi janta hai ki is vakt wo kaha hai..''
neha ne spasht kaha.
''Aur aaj ka ye natak kya tha phir??'' Sarang ne
gusse se poocha.
''Aaj hi is natak ka end hona tha.. nikhil ka plan tha
ki mujh par revolver taan kar wo tumhe darata aur
time machine ki location janne ke baad tumhe maar
deta..'' neha phir se rone lagi.
''Ek baat batao neha.. kya tumhe pata tha ki nikhil ne
hi kawya ko maara tha??'' gaurav ne neha se
poocha.
''Nahi.. tumhari kasam gaurav.. mujhe sach mai nahi
malum tha ki nikhil ne hi kawya ko maara hai..'' neha
ne rote rote hi kaha.
''Lekin tum sarang ko to marwana hi chahti thi.. to
tumhari baat ka yakeen kaise kiya jaye..'' gaurav
sarang ke kandhe par hath rakhte huye bola. Sarang
ki ankhe bhi ab bheeg chuki thi.
''Mera yakeen karo gaurav.. mai sach mai nahi janti
thi aur na hi sarang ko marwana chahti thi.. lekin
mujhe tumhare aur sarang ke beech mai se kisi ek ki
jindagi ko chunna tha.. maine tumhari chuni kyuki
mai tumse bahut pyar karti hu gaurav.. I love you too
much..'' neha ne kehte huye gaurav ki aur badna
chaha magar gaurav ne apne hath se ishara karke
use wahi rok diya.
''Neha tum meri sabse achhi dost ho.. par plz aaj ke
baad mujhse ya sarang se kabhi mat milna.. warna
teeno ko hi takleef hogi..'' gaurav ne ruansa hokar
kaha.
Ye sunte hi neha waha se rote huye chali gayi.
Sarang ka to bura haal tha. Wo ye sochkar roye ja
raha tha ki pichle 7 dino mai neha aur uske beech
Jo kuch hua wo sab ek natak tha. Wo to sach mai hi
neha se pyar karne laga tha.
Gaurav use kisi tarah samhalte huye gaadi tak laya
aur phir dono waha se nikal gaye.
Halaki gaurav ko car chalana pasand nahi tha, use
to apni bike hi pasand thi, magar aaj sarang driving
ki halat mai nahi tha.
''Abe ek baat bataega kya??'' Gaurav ne hostel
pahunchne ke baad room mai jate hi sarang se
poocha. Ab tak sarang bhi kafi kuch normal sa ho
chuka tha.
''Ha.. bhai pooch...''
''Wo suit tere paas kaha se aaya??'' Gaurav ne
poocha. Ye wakai ek ashcharya hi tha ki sarang ke
paas wo suit us vakt mojoud tha.
''Tujhe dhyan hai jab us din hum log company se
nikal rahe the to mai bathroom karne gaya tha..
darasal mai papa ke paas gaya tha unse apne liye
bhi ek 'Invi-suit' lene.. aur aaj jab tune plan cancel
karne ko kaha aur neha ka mobile off jaa raha tha
tab mujhe bhi tension hone lagi.. isliye jab tu taiyar
ho raha tha maine wo suit gaadi mai daal liya kisi
anhoni ki ashanka mai..'' sarang ne bataya aur phir
neha ka jikra aate hi udaas ho gaya.
''Chalo koi baat nahi.. ant bhala to sab bhala.. ab
bhool jate hai is baat ko aur exams ki taiyari mai lag
jate hai.. waise bhi ek hi hafta bacha hai exams
shuru hone mai..'' gaurav use cheer karne ke liye
bola. Halaki dhakka to use bhi laga tha kawya ki
maut aur nikhil dono ki hi sachhai jankar lekin usne
khud ko sambhale rakha.
Aaj gaurav aur sarang ka akhiri paper tha aur baki
papers ki tarah ye bhi kafi achha hua tha. Halaki
mentally dono hi bahut upset the lekin phir bhi iska
asar unhone apne exams par nahi hone diya.
Lekin result waisa nahi aaya jaisa unhone socha tha.
Is baar gaurav ki jagah sarang ne college top kiya
tha. Kisi ko yakeen hi nahi ho raha tha ki aisa bhi ho
sakta hai. Halaki sarang bhi kafi intelligent tha
magar gaurav se jyada marks lana to ek chamatkar
hi tha. Sabne yahi socha ki kawya ki maut ke karan
gaurav exams mai concentrate nahi kar paya isliye is
baar sarang baaji maar le gaya. Khud gaurav ne bhi
yahi socha aur waise bhi use to bas is samay paas
hone se hi matlab tha kyuki uska poora dhyan to ab
IDT ka istemal karke kawya ko wapas pana hi tha.
Lekin kuch ajeeb ho raha tha. Sarang achanak hi
kafi badal sa gaya tha. Hamesha kata kata sa rehta
tha, bahut hi kam baat karta tha aur kafi jaldi gussa
ho jata tha. Is baat ko gaurav exams shuru hone ke
samay se hi mehsoos kar raha tha lekin usne jyada
dhyan nahi diya tha. Use laga ki neha ke dhokhe ki
vajah se ye sab ho raha hai.
Lekin us din to had ho gayi jab gaurav ne usse apni
IDT machine wapas mangi aur sarang ne mana kar
diya. Gaurav ko kafi ashcharya hua aur dhakka bhi
laga ki ye achanak uske sabse khaas dost ko kya ho
gaya hai. Pichhle do mahine ke andar wo apne do
dosto ke dhokhe dekh chuka tha aur ab agar sarang
ne bhi use dhokha de diya to wo bardasht nahi kar
payega.
''Bhai.. meri IDT tu mujhe wapas kyu nahi de raha??''
Gaurav ne sarang se poocha.
''Bas aise hi...'' sarang ne rookha sa jawab diya.
''Magar koi to vajah hogi.. kahi tu bhi to....'' gaurav
ne kehte kehte jaan boojh kar baat adhoori chod di.
''Tu bhi kya??'' Sarang ne gusse se kaha aur phir
drawer se IDT nikalkar gaurav ke hath mai thama di
aur bola, ''ye le apni machine lekin mai tere sath nahi
jaunga..''
Gaurav to bas hairani se apne dost ko dekhe jaa
raha tha. Use yakeen hi nahi ho raha tha ki ye uska
wahi dost sarang hai jisne uska ab tak har kadam
par sath diya hai. Use ab bhi yahi lag raha tha ki ye
sab neha ke dhokhe ki vajah se ho raha hai.
''Bhai bhool ja usko.. agar tu mere sath nahi chalega
to mai waha akela kya aur kaise karunga..'' gaurav
ruansa hokar bola.
''Baat wo nahi hai.. mai bas chalna nahi chahta..''
sarang gaurav ko rote dekh apne swabhav mai thodi
narmi late huye bola.
''Theek hai.. agar tera man nahi hai to mai zid nahi
karunga.. lekin tu agar sath chalta to achha rehta..''
gaurav ne akhir hatash hokar kaha.
''Huuu....'' sarang ne jawab mai bas itna hi kaha.
Kuch der baad gaurav ne IDT ko samne rakhkar hara
button daba diya aur waha uske samne ek portal
khul gaya. Wo usme jane hi wala tha ki achanak
peeche se sarang ki awaaj aayi, ''ruk ek minute.. mai
bhi aata hu..''
Gaurav ki khushi ka thikana na tha. Yahi to wo
chahta tha. Akele jane ka uska bilkul bhi man nahi
tha.
''Chal phir..'' gaurav ne itna hi kaha aur phir dono ek
sath us portal mai ghus gaye. Portal mai ghuste hi
unke charo taraf sabkuch teji se ghoomne laga.
Gaurav ne to dar ke maare ankhe hi band karli.
Jab usne ankhe kholi to dekha wo apne hostel room
mai hi tha bas antar itna tha ki room kafi ganda tha
aur aisa lag raha tha ki waha hafto se koi nahi aaya hai.
''Hum pahunch gaye kya??'' Gaurav ne sarang se poocha.
''Lagta to hai..'' sarang ne khidki se bahar jhankte
huye kaha. Bahar subah ho rahi thi jabki jab wo
chale the to shaam ho rahi thi.
Gaurav ne ghadi ki aur dekha to usme 9:43 ho rahe the.
''Ye ghadi boli kyu nahi??'' Gaurav ne poocha aur
phir haste huye khud hi jawab bhi de diya, ''Lagta hai
is dimension mai ghadiya ab bhi sirf time dikhati
hai.. batati nahi..''
''Hmmm... aisa hi lagta hai..'' sarang ne kaha.
''Chal bahar chalte hai.. dekhe to sahi yaha sabkuch
kaisa hai..'' gaurav ne kaha.
''Chal...'' sarang ne jawab diya aur dono hostel room
se bahar aa gaye. Bahar hostel mai sabhi wahi the
Jo unki duniya mai unke hostel mai the lekin sab
unhe bewajah ghoor rahe the. Aisa lag raha tha
mano wo bhoot dekh rahe ho. Isse un dono ko kafi
ajeeb lag raha tha isliye wo jhatpat hostel se bahar
aa gaye.
Wo dono college ki taraf chal diye kyuki is samay
kawya college ke ilawa kahi aur nahi ho sakti thi.
Wo gate tak pahuche hi the ki peeche se ek jani-
pehchani awaaj aayi, ''oye... gaurav...''
Ye awaaj nikhil ki thi. Use dekhte hi gaurav ki tyoriya
chad gayi lekin phir use dhyan aaya ki ye wo nikhil
nahi hai jisne use dhokha diya hai.
Nikhil unke paas aaya aur bola, ''abe kaha mar gaya
tha itne dino se..''
Uska dhyan ab tak sarang par nahi gaya tha kyuki
usne abhi bhi nikhil ki taraf peeth kar rakhi thi aur
gaurav iski vajah bhi samaj chuka tha.
''Ha wo... tabiyat thod..'' gaurav kuch kehna chah hi
raha tha ki nikhil beech mai bol pada, ''are sir ji...
aap yaha?? Wo bhi iske sath??''
Nikhil ne ye baat sarang ko dekhkar kahi thi.
''Kaun sir ji?? Mera naam sarang hai.. aur ye mera
best friend hai.. iske sath nahi hunga to kya tere
sath hunga..'' sarang ne turant uski taraf mudte huye
gusse se kaha.
Ab nikhil bhi un dono ko waise hi dekh raha tha
jaise thodi der pehle hostel ke sabhi ladke dekh rahe
the.
''Chal nikal le patli gali se.. warna faltu hi pit pita
jayega..'' sarang use ghoor kar dekhte huye bola.
Itna sunte hi nikhil turant waha se khisak liya.
College mai bhi sab unhi dono ko hi ghoor rahe the
aur Jo bhi milta chahe student ho ya teacher sab
sarang ko 'sir ji' kehkar hi bula rahe the.
''Lagta hai is dimension mai tera naam 'sir ji' hai aur
shayad kafi raub hai tera yaha pe..'' gaurav sarang
se bola.
Sarang ne kuch nahi kaha. Wo khud kafi pareshan
lag raha tha aur apne liye 'sir ji' sunte sunte pak sa
gaya tha.
''Tu ruk.. mai abhi bathroom hokar aata hu.. dimag
ki dahi ho gayi ye 'sir ji' sunte sunte..'' thodi der
baad sarang bola aur phir bathroom ki taraf chal
diya.
Sarang ke jate hi peeche se nikhil ki awaaj aayi,
''Abe gaurav.. ye tu is kamine ke chakkar mai kaise
pad gaya..''
Gaurav ne peeche mudkar dekha to nikhil kafi chintit
sa khada tha.
''Tujhe pata nahi kya.. ye is college ka sabse bada
gunda hai phir bhi tu iske sath...'' nikhil ne baat aage
poori ki.
Ab gaurav ko samajh aaya ki kyu sab unhe ghoor
rahe the aur sarang ko 'sir ji' keh rahe the.
''Abe tu phir aa gaya, lagta hai maar khake hi
manega..'' achanak aayi sarang ki awaaj ne nikhil ko
chonka diya.
''N..nnn...nahi sir ji b..b.. bas jaa hi raha tha..'' nikhil
sarang ko dekhte hi haklate huye bola aur waha se
nau do gyarah ho gaya.
''Is sale ko dekhte hi mera paara chad jata hai.. ye
jante huye bhi ye wo nikhil nahi hai.. magar hai to
nikhil hi..'' nikhil ke jate hi sarang gaurav se bola.
''Abe tu tension mat le.. Mujhe to lag raha hai ki is
dimension ka nikhil hamare wale se to achha hi
hai..'' gaurav ne sarang ko samjhate huye kaha.
''Waise kuch bataya kya isne yaha ke sarang ke bare
mai..'' sarang ne poocha.
''Ha.. keh raha tha ki wo yaha ka sabse bada gunda
hai.. sare teachers bhi usse darte hai..'' gaurav ne
sarang ko wahi bataya Jo nikhil ne use bataya tha.
''Tabhi sab mujhe 'sir ji' keh rahe hai.. hmmm..''
sarang bola.
''Chal chhod use.. aaja kawya ko dhoodte hai..''
gaurav ne kaha. Uska dhyan ab phir se kawya ko
dhoodne par lag gaya tha.
Chalte chalte dono college garden mai pahunch
gaye. Waha kafi students the aur sabhi group
banakar baithe the aur gupshup kar rahe the. Un
dono ke waha pahunchte hi sab ekdum khamosh ho
gaye aur unhe hi dekhne lage. Lekin is baar unhe
ajeeb nahi laga kyuki is baar wo unke ghoorne ki
wajah jante the.
Dono wahi ek khali bench par baith gaye.
''Wo rahi Kawyaaaa.....'' achanak gaurav bola.
Kawya unse thodi door jhadiyo ke paas apne dosto
ke sath baithi thi. Unse ek bahut hi bhadda sa black
top aur white short skirt pehna hua tha. Wo usme
kafi ajeeb lag rahi thi lekin sabse ajeeb thi wo cheez
jo wo kar rahi thi. Wo aur uske saare dost waha
baithe 'cigarette' pi rahe the. Lekin aisa lag raha tha
jaise kawya ko cigarette pini nahi aati kyuki wo kafi
khaas rahi thi.
''Ye meri kawya nahi ho sakti...'' uski harkato ko
dekhkar gaurav khud hi bola.
''Is dimension mai lagta hai kawya bhi hamare
dimension wali se alag hai..'' sarang ne ek lambi
saans chodte huye kaha.
''To isi antar ki baat zetron kar raha tha.. lekin ye to
kisi bhi angle se meri kawya nahi lagti.. wo to
cigarette ko chooti bhi nahi thi... aur ye kapde kitne
wahiyat hai..'' gaurav ko to yakeen hi nahi ho raha
tha kawya ko aise dekhkar.
''Haa yaar.. ye to apni kawya ki theek ulti hai.. lekin
patana to tujhe ise hi hai..''
''Abe pagal ho gaya hai kya.. aisi ladkiyo ko to mai
dekhta bhi nahi.. aur phir kawya ki sabse badi
khasiyat to uski saadgi aur masoomiyat thi.. aur ye
to mujhe kisi bhi angle se masoom nahi lag rahi..''
gaurav bola.
''Lekin hum yaha isiliye liye to aaye hai.. agar tu
kawya ko nahi pa saka to hamara yaha aana bekar
ho jayega..'' sarang ne gaurav se kaha.
''Chalo.. baat karke dekhte hai..'' gaurav ne kaha aur
phir waha se uthkar kawya ki taraf chal diya. Uske
peeche peeche sarang bhi chal diya.
''Hii kawya..'' gaurav ne darte huye kaha.
''Hii..'' kawya ne bina uski taraf dekhe ekdum rookhi
awaaj mai kaha aur phir ek kash lagaya. Aur is baar
bhi kash lagate hi use khaasi aa gayi.
Is par gaurav ki kuch aur bolne ki himmat hi nahi
huyi uski rookhi si awaaj sunkar.
''Abe dekh.. 'sir ji' aaye hai.. is chashmish ke sath..''
kawya ka ek dost sarang ko aata dekh kawya se
bola.
Is par kawya ne sir uthakar gaurav ko dekha aur
uska majak udate huye boli, ''oye.. hoye.. dekho to
sahi... chashmu aaya hai.. wo bhi bina chashme
ke... phir se tod diya kya tera chashma janu ne..''
Gaurav ko to yakeen hi nahi ho raha tha ki kawya
kaise baat kar rahi hai usse aur kise janu keh rahi
hai. Par use iska jawab turant hi mil gaya. Sarang ke
aate hi kawya uth kar khadi huyi aur uske gale lagte
huye boli, ''Hii janu.. kaise ho.. aaj phir is chashmish
ko peetne wale ho kya?? And sorry! mera man kar
raha tha isliye aaj cigarette try kar li..''
Sarang ekdum bhochakka reh gaya tha kawya ki is
harkat par. Usne turant kawya ko apne se alag kiya
aur bola, ''ye kya kar rahi ho tum.. mere gale kyu
pad rahi ho.. mai to tumhe theek se janta bhi nahi..
aur mai apne sabse achhe dost ko kyu peetne laga
bhala..''
''Ohho itni narajgi.. aur majak achha kar lete ho
janu.. mujhe nahi jante?? Aur ye gadha kab se apka
best friend ho gaya??''
Isse pehle sarang koi jawab deta gaurav bol pada,
''chal bhai yaha se.. mujhe aur kuch nahi sunna
hai..''
Gaurav ki ankho mai aansoo the. Use to kawya ki
baatein sunkar poori duniya ghoomti najar aa rahi
thi. Yaha is duniya mai to kawya sarang ki girlfriend
hai. Use to zetron par gussa aa raha tha ki kyu usne
isi dimension ko chuna.
Sarang bhi gaurav ki ankho mai aansoo dekhkar
waha se bina kuch kahe uske sath chal diya.
''Ye kya ho raha hai yaar.. yaha to sabkuch alag hai..
chal wapas chalte hai yaha se..'' sarang college se
bahar aakar gaurav se bola.
''Ha bhai chalte hai..'' gaurav ne itna hi kaha aur apni
jeb se IDT nikal li. Wo red button dabane hi wala tha
ki kuch sochkar usne IDT ko phir se jeb mai rakh
liya.
''Abe kya hua.. chalna nahi hai kya.. ab bhi kuch
dekhna sunna baki reh gaya hai kya..'' sarang ne use
IDT jeb mai rakhte dekh kaha.
''Mujhe yaha ke gaurav se milna hai.. usse kuch
poochna hai..'' gaurav ne uski taraf dekhte huye
kaha.
''Ab ye kya naya drama hai.. usse kyu milna hai
tujhe.. pata nahi wo kaisa ho.. chup chap chal yaha
se..'' sarang ki ankho mai ab gussa tha.
''Bas aise hi.. kuch baat karni hai usse..''
''Lekin tujhe dekhkar wo dar nahi jayega??''
''Kuch nahi hoga.. tu chal to sahi..''
Sarang ne aage behas karna theek nahi samjha aur
phir kuch sochte huye kaha, ''theek hai.. mai abhi
pata karke aata hu wo kaha milega.. hostel room
dekh kar to aisa lag raha tha jaise hafto se wahi koi
nahi aaya..''
''Theek hai.. lekin jaldi aaiyo..''
Sarang wapas college mai chala gaya aur phir thodi
hi der mai wapas aate huye bola, ''chal.. uska pata
mil gaya.. shehar ke bahar rehta hai..''
Dono waha se gaurav ke thikane ki aur chal diye.
Sarang jaha jaha mudta, jaha jaha jata gaurav bhi
bas uske peeche peeche wahi mud jata.
Thodi hi der mai wo ek purane se ghar ke samne
khade the.
''Wo room to shayad hafto se Khali tha, lekin ye ghar
to lagta hai saalo se khali hai.. pata to sahi hai na..''
gaurav ne ghar ki halat dekhte huye kaha.
''Ha yaar.. pata to yehi bataya tha.. dekh darwaja
khula hai.. chal ander chal ke dekhte hai..''
Ander kafi andhera tha. Kisi ko kuch dikhayi nahi de
raha tha.
''Abe yaar sarang.. yaha to bahut andhera hai.. kuch
bhi nahi dikh raha..'' gaurav andhere mai sarang ko
tatolte huye bola.
''Mujhe sab yaha 'sir ji' kehte hai.. teri sehat ke liye
achha hoga ki tu bhi wahi kahe..'' sarang ekdum
kadakdaar awaaj mai ek switch dabate huye bola.
Words 4200
Nice update and mind blowing writing skills
 
Member
473
741
93

Nice update
 
Member
129
162
43
Megha Update 7

Switch on hote hi kamre mai roshni fail gayi. Wo ek
hall tha Jo baki ghar ke mukable kafi saaf aur
vyavasthit tha. Hall mai 3-4 ladke aur bhi the Jo use
hi dekh rahe the aur has rahe the. Wahi ek kone mai
2 ladko ko rassiyo se bandhkar rakha hua tha jinka
muh kapde se dhaka hua tha. Dekhne se lag raha
tha ki unki kafi pitayi hui hai aur dono behosh lag
rahe the. Unhi ke paas khada sarang use hi dekh
raha tha aur mand-mand muskura raha tha.
''Pakad lo is wale ko bhi..'' sarang dahada to aas
paas khade ladke gaurav par jhapte aur thodi hi der
baad gaurav bhi un dono ladko ke bagal mai pada
hua tha. Antar bas itna tha ki gaurav hosh mai tha.
Gaurav ko samajh hi nahi aa raha tha ki akhir ye ho
kya raha hai. Balwinder aur nikhil ke baad ab uske
teesre aur sabse khaas dost sarang ne bhi use
dhokha de diya tha.
''Sarang.. bhai.. ye t...'' gaurav ne kuch kehna chaha
ki isse pehle sarang ki ek jordar laat akar uske pet
mai lagi aur wo dard se bilbila utha.
''Tere ko bola tha na mujhe 'sir ji' bol.. samajh nahi
aata tere ko.. saala bahut din ho gaye ye natak karte
karte.. ab bas.. sab khatam..'' sarang ne kaha aur
phir joro se hasne laga.
Gaurav uski baat sunkar ye to samajh chuka tha ki
ye uska dost sarang nahi balki is dimension ka 'sir ji'
hai lekin ye hua kaise ye usko samajh nahi aa raha
tha.
''M...m.. matlab t..tum sarang nahi ho??'' Gaurav ne
usse poocha halaki iska jawab wo pehle hi samajh
chuka tha.
''Nahi re dhakkan.. mai sarang nahi hu.. ab tak to
tujhe samajh jana chahiye tha.. lagta hai tu utna
hoshiyar hai nahi jitna tere yaha sab tere ko
samajhte hai..'' sir ji ne kaha aur phir joro se has
diya.
''L..l.. lekin k.. kaise??'' Gaurav ne haklate huye
poocha.
Tabhi ek aur jordar laat uske pet par padi aur sir ji
bola, ''jab mai bolu tab beech mai mujhe koi nahi
tokta.. waise sawal achha hai.. lekin iska jawab
shayad tu sun na paaye..''
Gaurav ne kuch nahi kaha kyuki muh kholte hi phir
ek laat padna tay tha.
''Badi jaldi samajh gaya kab muh kholna hai aur kab
nahi.. good.. chal sun.. ye sab tere us lallu sarang ki
meharbani hai.. usi ke karan aaj ye sab tere sath ho
raha hai..'' sir ji uska majak udate huye bola.
Gaurav abhi bhi khamosh tha. Lekin abki baar bhi
use kuch na bolte dekh sir ji ne phir ek laat use mari
aur bola, ''abe.. poochega nahi ki kaise?? saala ye to
bada phattu hai..'' kehkar wo badi jor se hasa aur
uska sath is baar uske sathiyo ne bhi diya.
''K..k.. kaise??'' Gaurav ne dard se karhate huye
poocha.
''Good.. chal flash-back mai chalte hai.. us din ki
taraf jab nikhil aur neha ka dhokha tum dono ko
malum pada.. ab tu poochega ki ye baat mujhe kaise
malum?? To sabra rakh, sab pata chal jayega..'' sir ji
ne kaha aur shant ho gaya.
Is shanti ka matlab gaurav samajh gaya tha. Is baar
use shant rehna tha.
''Unke dhokhe se bechara bada dukhi tha.. use to wo
'item' sach mai achhi lagne lagi thi..'' sir ji ne is baar
item shabd par kafi jor diya tha aur phir has diya aur
phir kafi der tak hasta hi raha.
''Ha to kaha the hum.. haa.. apne dukh ko door
karne ke liye usne socha kyu na is dimension wali
neha ko pataya jaye.. lekin bechare par exam
khatam hone ka intejar nahi ho raha tha.. isliye wo
agle hi din IDT ka istemal karke is dimension mai aa
gaya.. achha IDT se dhyan aaya ki mujhe wo bhi to
leni hai tere se..'' kehte huye usne ek laat gaurav ke
kandhe par maari jisse wo apni daayi taraf ludak
gaya. Phir sir ji ne ek ladke ko ishara kiya to usne
gaurav ki baayi jeb se IDT machine nikali aur sir ji ke
hatho mai thama di.
''Sarang k.. kaha hai??'' Gaurav ne seedhe hote huye
poocha.
''Sab pata chal jayega beta.. sab... mai bata to raha
hu.. jab wo bewkoof yaha aaya to mere room mai
mere samne hi hawa mai se achanak prakat hua..
pehle to mai bhi dar gaya tha.. lekin phir usne
dheere dheere mujhe sab kuch bataya.. sab kuch...
ye bhi ki waha uska baap 'Tek-Rek' naam ki ek MNC
mai CEO hai.. bechara bhawnao mai beh gaya tha..
usne socha hoga mai bhi usi ke jaisa hu..'' sir ji ne
kaha aur phir haste huye IDT ko ulat-pulat kar
dekhne laga.
''Tabhi mere man mai ek plan aaya aur maine use
neha se milwane ke bahane kidnap kar liya.. aur
maar-maar kar usse baaki sari jankari bhi nikalwa li..
aur teri duniya mai aa gaya.. lekin is dimension wale
phattu gaurav ne mujhe aur use sath mai dekh liya
isliye mujhe us saale ko bhi kidnap karana pada..
mai beech beech mai wapas bhi aata usse baki
jankariya lene.. ye jo tere bagal mai do 'laashe' padi
hai.. inhi me se ek laash sarang ki hai.. aur ek yaha
ke gaurav ka..'' sir ji ne baat poori ki.
Gaurav ki to jaise duniya hi ujad gayi the ye sunkar
ki 'inhi me se ek laash sarang ki hai'.
''Matlab s..s...sarang ko tumne m...'' gaurav bas itna
hi keh paya aur phir phoot phoot kar rone laga.
''Pichle 15 ghanto se dono yuhi pade hai.. to mar hi
gaye honge..'' sir ji ke ek saathi ne daat phadte huye
kaha.
''Rota kyu hai be.. thodi der mai tujhe bhi iske paas
pahucha denge.. magar jaane se pehle aage ki
kahani to sunta ja.. haa to aage ye hua ki jisne tere
sath last semester ke paper diye the wo mai tha..
yaha mujhse jyada kamina aur hoshiyar koi nahi hai..
isliye waha bhi maine top kiya.. aur phir jab tune
mujhse IDT maangi to maine isiliye mana kar diya
kyuki mujhe uski jarurat thi..''
Gaurav rote rote uski baatein sun raha tha. Use to
yakeen hi nahi ho raha tha ki jis insaan ko wo
sarang samajhkar uske sath reh raha tha wo to
sarang tha hi nahi.
''Lekin mujhe pata tha ki aisa hoga jaroor isliye
maine tujhe thikane lagane ka intejam pehle hi kar
rakha tha.. isliye Maine tujhe IDT dedi magar khud
aane se mana kar diya tujhe emotional karne ke
liye.. mujhe laga tha ki tu mere bina nahi jayega
lekin jab tu akela hi jane laga to mujhe bhi aana
pada taaki tu sachhayi na jaan paye.. aur kawya ko
pehle hi apne plan ke anusar taiyar kar liya tha..''sir
ji ne kamre ke gate ko band karte huye kaha.
''Matlab.. kawya bhi....'' gaurav ne rote huye hi poocha.
''Are na na.. yahi ki kawya bhi teri wali jaisi hi doodh
ki dhuli hai.. use to maine hi dhamkaya tha ki jis din
bhi mai tere sath dikhu us din use waise kapde
pehanne hai.. tujhe kya lagta hai ki college
pahuchne ke baad bhi wo tujhe itni der tak kyu nahi
dikhi aur phir achanak hi garden mai baithi dikh
gayi?? Woh bechari tujhe mere sath dekhkar kapde
badalne hi gayi thi..'' kehte huye sir ji ne phir
thahaka lagaya.
''Wo bhi gaurav se hi pyar karti hai.. yaha bhi.. aur
jab mai tere se bathroom ki kehkar gaya tha tab mai
usi ke paas gaya tha use aage ka uska role
samjhane.. mere kehne par hi usne cigarette pi.. aur
mere kehne par hi usne tera majak udaya tha..
maine use dhamki di thi ki agar usne aisa nahi kiya
to mai tujhe maar dunga.. wo sab jo uske aas paas
the wo uske dost nahi balki mere hi chele the..''
Sir ji ki baat sunkar na jaane kyu gaurav ko ek
raahat ka ehsaas hua. Use ye jankar tassalli huyi ki
yaha ki kawya waisi nahi hai jaisi usne dekhi thi.
Balki wo bhi bilkul uski kawya jaisi hi hai. Zetron ne
koi galti nahi ki thi. Aur usne jo antar dono
dimensions ke beech kaha tha wo kawya mai nahi
balki sarang mai tha. Yaha ke sarang yani sir ji mai
use apne dimension ke nikhil ka aks dikh raha tha.
Balki wo to nikhil se bhi jyada kamina tha. Achanak
sarang ka dhyan aate hi usne apne bagal mai pade
nirjeev shareero ko dekha aur phir se uski ankho se
ansoo ki dhara beh nikli. Uska bhai jaisa dost sarang
use hamesha ke liye chodkar jaa chuka tha.
''Maine jaisa socha waisa hi hua..'' achanak sir ji ki
kadak awaaj gaurav ke kaano mai padi.
''Kawya ko dekhte hi teri sitti pitti gum ho gayi aur tu
yaha se jane laga.. yahi to mai chahta tha ki tu yaha
se chala jaye aur kabhi na aaye.. lekin phir tune
gadbad karni shuru kar di..'' kehte huye usne gusse
se phir gaurav ko laat mari.
''Maine to socha tha ki kawya ka aisa roop dekhkar
tu yaha se turant nikal lega aur phir kabhi dobara
yaha wapas aane ki jid nahi karega.. aur mai bhi
tujhe wapas le jakar dheere dheere tujhse time-
machine ke blue-prints nikalwa hi leta.. sath hi iske
baap ke paiso par bhi aish karta.. lekin phir tune
yaha ke gaurav se milne ki jid ki.. aur wahi jid tujhe
bhari pad gayi..'' kehte huye sir ji joro se hasne laga.
Aur phir achanak apni jeb se revolver nikalkar usne
gaurav par taan di aur gusse se bola, ''chal jaldi
bata.. time-machine ke blue-prints kaha hai??''
''M..m.... mujhe nahi pata.. u...unhe bhi z..z...zetron
apne sath le gaya tha..'' revolver dekhte hi gaurav ki
ghiggi bandh gayi.
''Mujhe kya chutiya samjha hai.. wo tere hi paas hai..
sarang ne bataya tha.. bata kaha hai wo??'' Sir ji
gusse mai us par lagbhag chadte huye bola.
''Mai sach keh raha hu.. wo prints wakai mere paas
nahi hai.. unhe zetron le gaya tha.. sach me..''
gaurav ne ghabrate huye kaha. Halaki prints use
malum the kaha hai lekin wo kisi bhi haal mai unko
is darinde ke hawale nahi kar sakta tha. Un prints ko
sir ji ko dene ka matlab hoga duniya ka ant.
''Lagta hai tu aise nahi batayega.. teri jam kar khatir-
dari karni hogi..'' sir ji ne kaha aur room mai pada ek
mota sab danda utha liya.
''Isi se in chutiyo ki sewa huyi thi.. teri bhi lagta hai
isi se karni padegi..'' sir ji us dande ko lekar gaurav
ki taraf badha hi tha ki achanak room ke bahar kisi
cheez ke girne ki awaaj aayi. Danda uske hath se
choot gaya tha.
''Lagta hai koi aur bhi hai yaha par..'' sir ji ka ek
chela bola.
''Maa ki ankh.... kahi police to nahi.. Abe jakar
dekhiyo kaun hai..'' sir ji ne ghabrate huyeusi ladke
ki taraf ishara karte huye kaha. Ye poore din mai
pehla mauka tha jab sir ji ke paseene choot rahe
the.
Sir ji samet sabhi room ke ek kone mai ikatthe ho
gaye aur sabne revolver nikal li thi kisi anhoni se
bachne ke liye. Wo ladke revolver hath mai thame
darwaje ki aur bada. Gate kholkar wo bahar gaya aur
thodi hi der mai kisi ke sir par revolver taane wapas
aaya. Sabne rahat ki saans li siway gaurav ke. Ye
nikhil tha jo unka peecha karta hua yaha aaya tha
aur unki baatein sun raha tha.
''Ohh.. to ye hai... mai to dar hi gaya tha..'' sir ji ne
rahat ki saans lete huye kaha aur phir nikhil ki aur
dekhkar gusse mai bola, ''saala aaj bahut dimag
kharab kiya tha isne.. bandh de isko bhi.. iska bhi
ilaaj karna padega..''
Jaise hi us ladke ne nikhil ko dheela karne ke liye
uske sir par revolver ki batt se marna chaha ek goli
uske uthe hath ko cheerti huyi nikal gayi aur revolver
uske hath se chitak gayi.
''Hands up everyone..'' is baar sach mai police hi thi.
Inspector poori police force ke sath room mai enter
huye aur ab guns sir ji aur uske sathiyo par tani huyi
thi.
''Aap sahi time par aa gaye papa.. warna ye log
shayad mujhe bhi maar dete..'' nikhil ne rote huye
inspector ki or dekhkar kaha. Wo inspector darasal
nikhil ke pita Mr. Chaudhary the jinhe nikhil ne yaha
aate hi phone kar diya tha.
''Mai aa gaya hu na.. ab sab theek ho jayega beta..''
inspector Chaudhary ne nikhil ke sir par hath pherte
huye kaha.
Room mai aane jane ka wahi ek rasta tha jis par
police mojoud thi aur ek choti si khidki thi jo room
mai gate ke theek opposite thi jaha sir ji aur uske
sathi khade huye the. Sir ji ne inspector ka dhyan
bata dekh turant badi teji se khidki se bhagne ki
koshish ki lekin usi teji se ek goli aakar uske pair
mai aakar lagi jisse wo khidki se phisalkar farsh par
dher ho gaya.
''Kisi or ko bhi prasad chahiye?? Sab jaldi jaldi apne
hathiyar phenko aur hath upar karo..'' inspector
chaudhary apni revolver se nikalte dhuye par phook
marte huye bole.
Unki kadak awaaj ke adeshanusar sabhi gundo ne
apni apni revolver phenk di aur hath upar karke
khade ho gaye.
''Hawaldar in sabko hathkadi lagao.. aur jakar us
ladke ko kholo.. un dono bodies ko bhi check karo..''
inspector Chaudhary ne adesh diya to 2 hawaldar un
ladko ki taraf badh gaye aur ek hawaldar gaurav ki
taraf. Nikhil bhi bhagta hua gaurav ke paas aaya aur
uski rassiya kholne laga.
Nikhil ko rassiya kholta dekh wo hawaldar sarang
aur gaurav ki bodies ki rassiya kholne laga. Unke
chehre se kapda hatate hi hawaldar ki ghiggi bandh
gayi. Wo kabhi un bodies ko dekhta to kabhi gaurav
aur sir ji ko. Un dono ke chehre sooje huye aur
poore badan par choto ke nishan the jise dekhkar
koi bhi bata sakta tha ki unki maut inhi choto ke
karan huyi thi.
''Ye kya chakkar hai?? Double role??? Wo bhi
double???'' Inspector chaudhary bhi achambhit the ki
ye akhir majra kya hai.
Lekin un sabki baatein chhup kar sun chuke nikhil
ko sab malum tha isliye wo bola, ''papa.. mai apko
baad mai sab bata dunga.. lekin abhi pehle
ambulance ko bulaiye.. iski bhi halat theek nahi
lagti..'' nikhil ne gaurav ki or dekhte huye kaha.
''Mai theek hu..'' gaurav ne karhate huye kaha.
Halaki chot to use bhi kafi lagi thi lekin wo sharirik
se jyada mansik thi jiski vajah thi sarang ki death.
''Ye dono to zinda hai......'' achanak wo hawaldar
unki pulse check karke chillaya.
Gaurav ki khushi ka thikana nahi tha jab usne suna
ki 'ye dono to zinda hai'. Usne nikhil ki or dekha to
nikhil turant samajh gaya wo kya kehna chahta hai.
Usne apna phone nikala aur ambulance mangwai.
Sarang aur is dimension ka gaurav dono hi ab tak
behosh the, aisa lag raha tha jaise coma mai ho.
Thodi hi der mai ambulance bhi aa gayi aur un dono
ko usme chada diya gaya. Unke sath hi gaurav aur
nikhil bhi ambulance mai baith gaye. Wahi inspector
Chaudhary sir ji aur uske sathiyo ko police van mai
daalkar thane ki aur rawana ho gaye.
Kafi der tak un dono mai se koi kuch nahi bola. Jaha
nikhil is poore mamle ko samajhne ki koshish kar
raha tha wahi gaurav khud par sharminda tha ki
usne yaha ke nikhil ke bare mai bhi wahi soch rakhi
Jo uski apne nikhil ke baare mai thi. Uski khamoshi
ki ek aur vajah thi sarang ki aisi halat jiska jimmedar
kahi na kahi wo khud ko hi maan raha tha.
''To tum mere dost gaurav nahi ho...'' Kafi der baad
akhirkar nikhil ne chuppi todi.
''Ha bhi aur nahi bhi..'' gaurav ne gol-mol sa jawab
diya.
''Matlab???''
''Matlab ye ki mai tumhara dost gaurav hi hu lekin is
dimension ka nahi hu..'' gaurav ne apni baat
samjhayi jo nikhil ko samajh nahi aayi.
''Mai samjha nahi..''
''Mai samjhata hu.. iska matlab ye hai ki ye wala
gaurav aur mai ek hi hai bas shareer aur soch alag
hai..''
''Jab shareer bhi alag hai aur soch bhi to tum dono
ek kaise huye??'' Nikhil ka sawaal wakai kafi kathin
tha.
''Aise samjho ye aur mai ek sikke ke do pehlu hai..
dono alag hote huye bhi ek hi sikke ka hissa hote
hai.. waise hi hum dono alag hote huye bhi ek hi
insaan ke hisse hai.. aise anginat hisse hote hai har
insaan ke.. jo apne aap mai poore bhi hai aur
adhoore bhi..'' gaurav ne yaha apne genious hone ka
parichay ek baar phir diya.
Nikhil ko ab bhi kuch samajh nahi aaya tha lekin
jitna wo jo samajhna chahta tha utna wo samajh
gaya tha ki ye uske dost gaurav jaisa dikhta hai par
uska dost gaurav nahi hai.
''To tumhare dimension ka nikhil kaisa hai.. maine sir
ji ko kehte suna ki usne tumhe dhokha diya tha..''
nikhil ne ek aur bouncer faika. Ek aisa sawal jiska
jawab gaurav nahi Dena chahta tha.
''Tum na poocho to hi achha hai..''
''Kya wo itna bura hai??''
''Haa.. bas aisa samajh lo ki tumhare sir ji jaisa hi
hai..'' gaurav ne sarang ke behosh shareer ki or
dekhte huye kaha.
Nikhil usse abhi aur bahut kuch janna chahta tha
magar tab tak hospital aa chuka tha isliye wo shant
ho gaya. Waise bhi is samay gaurav ka baat karne
ka bilkul mood nahi tha. Use is waqt sirf sarang ki
chinta lagi thi.
Un dono ko emergency ward mai le jaaya gaya aur
unka ilaaj shuru ho gaya. Gaurav aur nikhil
emergency ward ke bahar hi baith gaye, waise bhi
wo aur kar hi kya sakte the. Unme sarang ki halat
jyada serious thi kyuki jankariya ugalwane ke liye
use maara bhi bahut gaya tha aur bhookha pyaasa
bhi rakha gaya tha.
Kareeb 15 minute baad doctors bahar aaye aur
unme se Dr. Chandra jo nikhil ke papa ke sabse
achhe dost the nikhil ki aur mukhatib huye.
''Ab dono kaise hai Chandra uncle??'' nikhil ne unse
poocha.
''Un dono mai se ek to out of danger hai nikhil..
magar dusre ka opration.... are tum to us patient ki
tarah hi dikhte ho..'' nikhil se bolte bolte Dr. Chandra
achanak gaurav ki taraf dekhte huye bole.
''Jii.. m...mmai... wo...'' sawal sunkar gaurav haklane
laga. Use koi jawab hi nahi soojha aur sach wo bata
nahi sakta tha.
''Ha Dr uncle.. darasal ye dono judwa bhai hai..iska
naam gaurav hai aur iske bhai ka saurav.. aur wo
dusra hamara dost hai sarang..'' gaurav ko haklate
dekh nikhil ne jhooth bol diya siway akhiri line ke.
''Aap kuch bata rahe the Dr. un dono ki halat ke
baare mai??'' Nikhil ka jhooth sunkar gaurav ka
haklana bhi ruk gaya.
''Haa wo tumhara bhai to out of danger hai.. bas
jyada chot lagne se behosh hai.. thodi der mai use
hosh aa jayega.. magar tumhara dost sarang kafi
critical hai.. uske lungs mai infection ho gaya hai..
aur sir par bhi kafi gehri chote hai.. turant uska
operation karna hoga..'' Dr. Chandra ne un dono ki
halat batayi.
''To operation kijiye uncle.. use plz bacha lijiye..''
nikhil ne kaha kyuki gaurav se to aage kuch bolte hi
nahi bana.
''Theek hai.. mai operation ki taiyari karta hu..'' Dr.
Chandra ne kaha aur waha se chale gaye.
''Lekin dost.. operation mai to bahut kharcha
aayega.. aur mai to apne sath kuch bhi nahi laya..''
gaurav ne apni chinta nikhil ko batayi.
''Abe dost bhi bolta hai aur aisi baatein bhi karta
hai.. chinta mat kar.. mai hu na.. aur waise bhi
Chandra uncle Paise nahi lenge..'' nikhil ne gaurav ki
peeth thapthapate huye kaha.
''Kyu???''
''Darasal chandra uncle ke upar ek baar ek patient
ke pariwar walo ne laparwahi aur murder ka case
darj karwa diya tha.. jabki uski death lung cancer ke
bigadne aur der se hospital lane ke karan huyi thi..
tab papa ne hi unhe bachaya tha aur unke upar lage
iljam galat sabit kiye the..'' nikhil ne poori baat
batayi.
''Ohh... achha..''
Kareeb 2 ghanto baad operation shuru ho gaya jo
kareeb 6 ghanto tak chala. Jab tak operation khatam
hua raat ke 12 baj chuke the.
Dr. Chandra operation theater se bahar aaye to unke
chehre par ek muskan thi jo iska saboot thi ki sab
kuch theek hua hai.
''Operation kaisa hua uncle?? Successful to tha
na??'' Gaurav ne unke bahar aate hi poocha.
''Ha uncle... wo theek to hai na??'' Nikhil ko bhi
sarang ki chinta ho rahi thi.
''Sab theek hai bachho.. operation 100% successful
raha.. sarang bilkul theek hai.. wo khatre se bahar
hai lekin hosh mai aane mai abhi waqt lagega.. ab
agar tumhari ijajat ho to mai saurav ko bhi check kar
lu.. nurse ne bataya ki use hosh aaya tha lekin wo
phir behosh ho gaya..'' Dr. Chandra ne kaha aur phir
emergency ward ki or nikal gaye.
Gaurav ne ye sunkar rahat ki saans li ki uska dost
khatre se bahar hai.
Achanak use kuch dhyan aaya aur wo apni jeb
tatolne laga.
''Kya hua.. ise doond raha hai kya??'' Nikhil apni jeb
se IDT nikalte huye bola.
''Ha... lekin ye tere paas kaise?? Ye to us wale
sarang matlab sir ji ne leli thi..'' gaurav usse IDT lete
huye bola.
''Ha thi to usi ke paas.. lekin maine tum logo ki
baatein suni thi.. isliye mujhe laga ye jaroor koi
kaam ki cheez hogi.. to maine chupke se ye usi waqt
nikal li thi jab hawaldar uske behosh shareer ko van
mai chada rahe the.. mai ise usi waqt tujhe dene
wala tha lekin tujhe pareshan dekhkar ise apne paas
rakh liya taki sahi time par de saku..'' nikhil ne bataya.
Uski baat sunkar gaurav ki aankhe bhar aayi aur
usne use gale se laga liya.
''toooo... ye cheez kisi kaam aati hai??'' Nikhil ne
sarang se poocha.
''Yahi wo device hai jisse hum ek dimension se
dusre dimension mai jaa sakte hai..'' gaurav ne
bataya.
''Lekin tumhe ye mili kaha se??''
''Ye hume zetron ne di thi time machine ke badle
mai..''
''Ye zetron kaun hai?? Uska jikra sir ji aur tumhari
baat-cheet ke beech bhi hua tha.. bada ajeeb sa
naam hai ye..'' nikhil ka ye sawal thoda tedha tha
jiska jawab gaurav ko samajh hi nahi aaya kaise de.
''Wo kahani mai baad mai bataunga.. pehle khud se
mil aaoo.. abhi bas itna samajh lo wo is duniya ka
nahi hai.. lekin duniya mai chalti sirf usi ki hai..''
gaurav ne ek gol-mol sa jawab diya aur emergency
ward ki taraf badhne laga. Uske peeche peeche
nikhil bhi chal diya.
Abhi wo emergency ward tak pahucha hi tha ki use
kawya aati dikhai di. Wo usi ki taraf aa rahi thi.
Paas aate hi kawya gaurav ke seene se lag gayi aur
phoot phoot kar rone lagi.
''Mujhe maaf kar do gaurav.. lekin mujhe usne
majboor kiya tha waisa sab kuch karne ko.. agar mai
wo na karti to wo kamina tumhe maar deta.. lekin
tumhe to kuch khaas chot nahi aayi.. phir isne aisa
kyu bola ki tum serious ho??'' Kawya rote rote hi
bolti chali gayi. Wo ab bhi gaurav ke gale lagi huyi
thi. Wahi gaurav to jaise jannat mai hi pahunch gaya
tha. Itne samay baad usne kawya ka sparsh
mehsoos kiya tha. Wo to bas but bankar khada raha.
''Kawya ye tumhara gaurav nahi hai..'' akhirkar nikhil
ko hi bolna pada.
''Tum to chup hi raho.. majaak ki bhi ek limit hoti
hai.. ek to mai waise hi pareshan hu ye sochkar ki
akhir ho kya raha hai ye sab.. upar se tumhare ye
ghatiya jokes..'' kawya ne nikhil ko daant lagayi to
wo chup ho gaya aur tukur tukur gaurav ko dekhne
laga.
Ab tak gaurav bhi swarg se dharti par aa chuka tha.
''Wo sahi keh raha hai.. mai wo nahi hu jo tum
samajh rahi ho.. emergency ward mai dekho.. sab
samajh mai aa jayega..'' gaurav kawya ko apne
seene se alag karte huye bola.
''Tum bhi jaan.. iska sath de rahe ho.. pehle mujhe
ye batao usne mujhse ye natak kyu karwaya??''
Kawya wapas uske gale lagte huye boli magar is
baar gaurav ne use beech mai hi rok liya.
''Andar dekho to sahi.. sab samajh mai aa jayega..''
nikhil ne gaurav ke kandhe pe hath rakhte huye
kawya se kaha.
Un dono ko serious dekh kawya ne ek baar
emergency ward mai jhaank lena hi theek samjha.
Andar dekhte hi uske hosh ud gaye.
Andar bhi ek gaurav leta hua tha jiske shareer par
jagah jagah chot ke nishan the aur pattiiya bandhi
huyi thi.
''Bhai ise kyu bula liya tumne.. kya ye sachhayi
samajh payegi..'' gaurav ne nikhil ke kaan mai
phusphusate huye kaha.
''Are bhai.. isko bhi to pata lagna chahiye ki iske sath
ye game kyu khela gaya.. aur phir ye gaurav se
sachha pyar karti hai.. sachhayi ko jaroor
samjhegi..'' nikhil ne bhi waise hi phusphusate huye
kaha.
''Lekin bhai sach itna bhi seedha nahi hai.. batane
mai mere bhi pasine choot jayenge..'' gaurav ne is
baar thoda loud kaha lekin shayad kawya ne suna
nahi. Wo to andar ka scene dekhkar ekdum but ban
gayi thi.
''Shhhhh... dheere bol.. aur sach janna uska haq
hai.. isi bahane mai bhi poori ramayan sun lunga..''
nikhil ne use to dheere bolne ko kaha lekin khud
jaan boojhkar itna loud bola ki kawya araam se sun
le aur usne suna bhi.
''Ye kya chakkar hai.. tum agar gaurav nahi ho to
kaun ho tum??'' Kawya ne palatte huye kaha. Uski
awaaj mai ghabrahat saaf jhalak rahi thi. Aisa lag
raha tha jaise wo behosh hi ho jayegi.
''Sab bata dunga.. lekin wada karo jo baatein mai
tumhe bataunga wo baatein tum kisi ko nahi
bataogi.. aur meri baat poori hone tak tum mujhe
beech mai nahi tokogi..''
''Mai wada karti...'' kawya apni baat poori karti isse
pehle hi ek nurse emergency ward se bahar aayi aur
boli- ''patient ko hosh aa gaya hai.. aap log ab unse
mil sakte hai..''
''Ye jagah safe nahi hai.. koi bhi hamari baat sun
sakta hai..'' gaurav nurse ko dekhte hi sakpaka gaya
aur nikhil ke kaan mai bahut dheemi awaaj mai bola.
Gaurav ko nikhil ke kaan mai phusphusate dekh
nurse waha se muskurate huye chali gayi.
''Pehle gaurav se to mil le.. phir sari baat karenge..''
nikhil ne kawya ki or dekhte huye kaha. Itna sunte hi
kawya jhat se emergency ward mai chali gayi aur
uske peeche peeche gaurav aur nikhil bhi.
Andar is dimension ka gaurav bistar par leta hua
karah raha tha jab wey teeno room mai enter huye.
''Theek to ho na jaan.. jyada dard to nahi ho raha..''
kawya ne ruwanse swar mai kaha.
''Thoda dard hai.. magar mai theek hu jaan.. lekin
tumhe itni raat ko yaha nahi aana chahiye tha.. kuch
ho jata to...'' gaurav ko apne dard se jyada kawya ki
chinta thi. Yahi to sachha pyar hai jaha khud se
jyada apne saathi ki chinta hoti hai.
''Ohh... to wo sabkuch sach tha.. tum bhi gaurav hi
ho na..'' kawya isse pehle kuch bole 2nd dimension
ka gaurav nikhil aur 1st dimension ke gaurav ko
dekhkar bola.
''Haa.. mera naam bhi gaurav hai.. and sorry tumhari
is halat ke liye kahi na kahi mai bhi jimmedar hu..''
1st dimension ke gaurav ne kaha.
Kawya ankhe phaad kar use dekh rahi thi. Ab use
sach mai chakkar aane lage the. Ab tak to wo yahi
soch rahi thi ki ye uske gaurav ka koi duplicate hai
lekin ab use malum pad raha tha ki ye bhi gaurav
hai.
''Mujhe sarang ne bataya tha.. jab bhi humare aas-
paas koi na hota tab wo mujhe sab kuch bataya
karta tha.. kafi achha insaan hai wo.. yaha ke sarang
ke jaisa nahi..'' 2nd dimension ke gaurav ne kaha.
1st dimension ka gaurav kuch kehta isse pehle kisi
ke kadmo ki awaaj sunayi di. Usne peeche mudkar
dekha to samne se nikhil ke papa inspector
Chaudhary aa rahe the.
''Are papa.. aap yaha kaise??'' Nikhil ne unse
poocha.
''Us 'sir ji' ko yahi admit kiya gaya hai.. hosh mai
aate hi usne bhagne ki koshish ki.. isliye mujhe aana
pada.. yaha aakar Chandra ne bataya ki ise hosh aa
gaya hai to iska bayan lene mai yaha aa gaya..''
inspector chaudhary ne poori kahani sunayi.
'Kahi inhone hamari baatein sun to nahi li.' 1st
dimension ka gaurav yeh soch hi raha tha ki
inspector Chaudhary usse bole, ''are tumne ilaaj kyu
nahi karwaya.. maar to tumhe bhi padi thi.. jao
chandra ke paas jao.. wo tumhe dard ki goliya de dega..''
''Nahi uncle mai bilkul theek hu.. koi dard bhi nahi
hai..'' 1st dimension ke gaurav ne kaha.
''Theek hai.. jaisi tumhari marji.. lekin ab sab log
bahar jao.. mujhe iska bayan lena hai.. warna ise
pareshani hogi..'' inspector Chaudhary ne kaha aur
bistar par lete gaurav ki or mukhatib huye.
''Koi baat nahi uncle.. mujhe koi pareshani nahi
hogi.. balki inke hone se to mujhe hausla milega..''
kehte huye 2nd dimension ke gaurav ne shuru se
lekar ant tak jitna wo janta tha sab inspector
Chaudhary ko bata diya. Kaise usne dono sarang ko
ek sath dekha, kaise uska kidnap hua, un dono ki
pitayi hui, sarang se informations nikali gayi.
Sab sunne ke baad inspector Chaudhary kuch der to
khamosh rahe phir 1st dimension ke gaurav ki taraf
mudte huye bole, ''ab tum bolna shuru karo..
tumhari sachhayi kya hai.. kyuki tum iske bhai to
nahi ho ye confirm hai..''
Gaurav ke paas or koi chaara nahi tha siway
inspector Chaudhary ko sab kuch sach sach batane
ke.
''Sirrrr.... mai aap ko sab kuch bata dunga lekin plz
aap ye baat bahar kisi ko mat bataiyega..'' gaurav ne
winti ki.
''Wo to tumhari baat sunne ke baad hi tay karunga..''
''Theek hai..'' gaurav ne unse kaha aur phir nikhil se
kaha, ''bhai jara ward ka gate andar se lock kar le..
mai nahi chahta koi aur hamari baatein sune...''
Nikhil ne waisa hi kiya. Ab sab ki dilchaspi badhne
lagi thi ki akhir aisi kya baat hai jise batane mai is
bande ki hawa tight ho rahi hai.
Gate lock karke nikhil wapas apni jagah yani theek
gaurav(1st dimension) ke bagal mai baith gaya.
''Ab jo baat mai aap sabko batane jaa raha hu wo
baat itni akalpniya hai ki aap shayad is par yakeen
na kare.. lekin jab tak mai apni poori baat khatam na
kar lu.. mujhe koi bhi beech mai na toke.. theek
hai......'' itna kehne ke baad gaurav(1st dimension)
ne ek pause liya aur jab sabne apni sehmati dedi
usne apni kahani shuru ki.
''Mai yaha ka nahi hu.. mera matlab is duniya ka nahi
hu.. mai aur sarang dono ek alag dimension se aaye
hai..'' gaurav itna bolkar thoda ruka aur sabke
chehre padhne ki koshish ki. Sabke chehre
awishwasniyata se bhare dikh rahe the siway gaurav
(2nd dimension) ke kyuki use to sabkuch pehle hi
sarang ne bata diya tha.
Chehre padhne ke baad gaurav ne ek lambi saans li
aur phir apni poori kahani batani shuru kar di. Kaise
kawya ki hatya huyi, kaise usne time machine
banayi, kaise balwinder ne unhe dhokha diya, kaise
zetron se mulakat huyi, kaise usne IDT di, kaise
nikhil aur neha ne unhe dhokha diya. Neha ka jikra
aate hi nikhil gaurav ke kehne ke bawjood bhi beech
mai bol utha, ''lekin meri to koi judwa behan nahi
hai.. mera to koi bhai-behan hi nahi hai..''
''Nikhil sshhh... chup raho.. use bolne do..'' isse
pehle gaurav kuch kehta inspector Chaudhary bol
pade. Halaki neha ka jikra aate hi unki ankhe bhi
badi ho gayi thi.
''Ha to uske baad sarang ne mujhse bina pooche IDT
ka istemal kiya aur yaha aa gaya.. jaha wo sir ji ke
hath lag gaya.. sir ji ne use kidnap kar liya aur khud
hamare yaha aa gaya.. aur phir jab mai yaha uske
sath aaya to uske plan ke anusar hi kawya ne acting
ki.. aur phir jab maine yaha ke gaurav se milna
chaha to usne mujhe bhi kidnap kar liya.. baaki to
aap sab jante hi hai ki uske baad kya hua..'' gaurav
ne ek saans mai apni baat poori ki.
''Hume kya pagal samjha hai jo is bakwaas ko sach
mana lenge.. mujhe to lagta hai ye bhi us sir ji ke
sath mila hua hai..'' kawya ne gusse se kaha. Use ye
sab ek man-gadant kahani lag rahi thi. Use nahi
lagta tha ki koi kisi se itna pyar kar sakta hai ki uske
liye is had tak gujar jaye.
''Nahi... kawya... ye ladka sach keh raha hai.. halaki
yakeen karna mushkil hai lekin phir bhi.. mujhe is
par yakeen hai..'' inspector Chaudhary ne kawya ki
baat sunne ke baad ekdum gambhir mudra mai
kaha.
''Lekin uncle.. ye sach kaise ho sakta hai?? aur apko
is par itna yakeen kyu hai??'' Kawya ne inspector
Chaudhary se sawal kiya.
''Isliye kyuki ye neha ke bare mai janta hai..''
inspector Chaudhary ne kaha aur phir nikhil ko
dekhne lage.
''To kya sach mai meri koi judwa behan hai?? Nikhil
ne ruwanse hote huye poocha.
''Hai nahi thi...'' kehkar inspector Chaudhary ne apni
ankh se chhalak aaya ansoo pocha aur bole,
''tumhare janm ke 2 minute hi tumhari behan ka
janam hua.. hum bahut khush the ki hamare ghar
mai 2-2 kilkariya gujengi.. lekin kismat ko ye
manjoor nahi tha.. doctors ne Hume bataya ki ladki
ke dil mai ched hai.. aur wo jyada din nahi jiyegi..''
Sab inspector Chaudhary ko hi sun rahe the aur
sabki ankhe name thi.
''Janam ke 4 mahine baad hi wo chal basi.. humne
ye baat nikhil se chupakar rakhi kyuki hum nahi
chahte the ki nikhil ye jankar dukhi ho.. us bachhi
ka naam humne neha rakha tha..'' kehkar inspector
Chaudhary nikhil ko samhalne lage jo ab ro raha tha.
''Ye baat mere aur nikhil ki mummy ke ilawa koi nahi
janta.. lekin jab is ladke ne neha ka jikra kiya to
mujhe yakeen ho gaya ki ye sach bol raha hai..''
nikhil ko puchkarte huye wo kawya ki taraf dekhte
huye bole.
Kawya se kuch bolte na bana. Use ye sochkar
sharam aa rahi thi ki gaurav(1st dimension) sirf usi
ke liye itni door se yaha aaya hai.
Tabhi darwaje par knock huyi. Inspector Chaudhary
ne jab poocha ki kaun hai to bahar se nurse ki awaaj
aayi, ''sir mai operation theatre se patient ko yaha
shift karne layi hu.. Dr ne kaha hai ki use thoda time
isi ward mai rehna hai..''
Yeh sunkar inspector Chaudhary ne gate khol diya
aur nurse aur ward boy stretcher par sarang ko lekar
emergency ward mai enter huye. Sarang ab tak
behosh hi tha.
Sabka dhyan achanak se ab sirf sarang par kendrit
ho gaya. Use gaurav(2nd dimension) se kahi jyada
maar padi thi jiska asar bhi saaf dikh raha tha lekin
achhi baat ye thi ki wo ab khatre se bahar tha aur
use kabhi bhi hosh aa sakta tha.
''Ab aap sab log plz bahar jaiye.. patients ko araam
karne dijiye.. aap mai se sirf ek yaha ruk sakta hai..''
nurse aur ward boy ne sarang ko stretcher se bed
par shift karne ke baad kaha.
''Mai rukungi..'' kawya ne kaha aur wapas gaurav
(2nd dimension) ke bed ke paas jakar baith gayi.
''Theek hai...'' gaurav(1st dimension) ne kaha aur
sab log bahar aa gaye.
''Tum log aapas mai baatein karo.. tab tak mai us sir
ji ke haal-chaal dekh ke aata hu..'' itna kehkar
inspector Chaudhary waha se chale gaye.
''Bhai... ek baat samajh nahi aayi.. tu gaurav(2nd
dimension) se kyu milna chahta tha?? Aisa karne se
to use sab kuch malum pad jata??'' Nikhil ne apni
shanka jahir ki.
''Maine jab kawya ko waise dekha to mujhe zetron
par bahut gussa aaya.. jiske karan mere dimag mai
ek plan aaya jiske liye yaha ke gaurav ka sab kuch
janna jaroori tha..''
''Kaisa plan??''
''Abhi filhaal to wo plan mai nahi bata paunga.. lekin
wada karta hu ki in dono ke poori tarah theek ho
jane ke baad jaroor bata dunga.. lekin tab tak mai
rahunga kaha??''
''Tum mere sath reh sakte ho.. mere ghar par... lekin
ek request hai..'' nikhil ne kaha aur gaurav ko
dekhne laga. Uski ankho mai ek alag hi chamak thi.
''Kaisi request??''
''Kya tum ek baar plz mujhe meri behan neha se
milwa doge?? mai use dekhna chahta hu..'' nikhil ne
prarthna si ki.
''Ohh... theek hai..''
Agle din subah gaurav aur nikhil jaldi jaldi taiyar
huye. Unhe hospital Jo jana tha. Gaurav ko to raat
bhar neend hi nahi aayi thi. Use yahi lag raha tha ki
sarang ki aisi halat kahi na kahi usi ki vajah se hai.
Uski ankho ke laal dore is baat ka saboot the ki wo
shayad poori raat geeli rahi hai. Usne to jaldbazi mai
theek se nashta bhi nahi kiya tha.
Hospital mai gaurav(2nd) ko emergency ward se
private room mai shift kar diya gaya tha jabki sarang
ko ab tak hosh nahi aaya tha isliye use abhi tak wahi
rakha gaya tha.
''Chandra uncle.... sarang ko ab tak hosh kyu nahi
aaya??'' Nikhil ne Dr. Chandra se sarang ko ab tak
behosh dekh poocha.
''Are bhaiiii.... kal hi to uska itna bada operation hua
hai... shareer ko thoda time to lagta hi hai adjust
karne mai.. fikra mat karo.. use jaldi hi hosh aa
jayega..'' Dr. Chandra ne samjhaya.
''Aap ke hisab se abhi aur kitna time lagega uncle???
use hosh mai aane mai??'' Gaurav ne poocha.
''Ye to mai nahi bata sakta.. magar mera experience
kehta ki ise aaj hosh aa jana chahiye..'' Dr. Chandra
ne naak par utar aaya chashma chadate huye kaha.
''Chalo... ye to achhi baat hai... aur ab saurav kaisa
hai uncle... use kab tak discharge milega...'' gaurav
ne apne ''bhai'' ke baare mai poocha.
''Oh... Haa... tumhara bhai... wo theek hai... 2 din
mai tum use ghar le jaa sakte ho.. lekin use bhi abhi
bhi dekhbaal ki jarurat hai..'' Dr. Chandra ne ''saurav''
ki halat batayi.
''Theek hai... aur uncle kya kawya gai??'' Gaurav ne
Kawya ke bare mai poocha.
''Kaun... wo ladki??? Nahi wo to raat bhar saurav ke
paas hi baithi rahi... jara bhi nahi soyi.. bahut pyar
karti hai tumhare bhai se...'' Dr. Chandra ne bataya.
Ye sunkar gaurav ne koi reaction nahi diya. Use to
ye baat pehle hi samajh aa gayi thi ki is duniya mai
agar koi cheez uski duniya jaisi hai to wo bas uski
aur kawya ki bepanah mohabbat hai.
''Theek hai uncle... hum unse mil aate hai.. uska
room kaunsa hai??'' Nikhil ne poocha.
Room no. 42.. yaha se left mai corridor hai.. uske
end mai hi uska room hai..'' Dr. Chandra ne bataya
aur apne round par chale Gaye.
Room mai gaurav(2nd) bed par leta hua tha aur
kawya wahi uske bagal mai ek chair par baithi
ubasiya le rahi thi. Use neend aa rahi thi magar wo
gaurav(2nd) ko is haal mai chod kar jana nahi chahti
thi.
''Hi kawya... good morning... kaisi ho... ye utha ki
nahi??'' Nikhil ne room mai jate hi poocha.
''Nahi.. raat ko dard ke karan waise hi kafi der se
neend aayi hai.. ab tum jaga mat dena.. isliye bahar
jao..'' kawya gusse se boli.
''Are nahi jagayenge.. lekin tum bhi ab ghar jakar
thoda araam kar lo.. bahut thak gayi hogi.. kal se soi
nahi ho.. baad mai aa jana..'' nikhil ne use samjhaya.
''Nahi mujhe kuch nahi hua.. mai bilkul theek hu..''
''Dekho jid mat karo.. tumhe ab ghar Jana chahiye..
mummy papa pareshan ho rahe honge.. yaha hum
samhal lenge..''
''Theek hai.. lekin kuch bhi ho mujhe phone jaroor
kar dena..'' itna kehkar kawya ne so rahe gaurav
(2nd) ke mathe par ek kiss kiya aur waha se chali
gayi.
Thodi der baad gaurav(2nd) ki bhi neend khul gayi
aur waha gappebazi shuru ho gayi. Chooki gaurav
raat bhar soya nahi tha isliye wo jaldi hi visitor's bed
par jakar so gaya.
Gaurav ki ankh tab khuli jab nikhil ne use jhakjhor
kar uthaya.
Are bhai.. sarang ko hosh aa gaya.. tujhe hi bula
raha hai.. jaldi chal..''
''Sach...'' gaurav ne ankhe malte huye kaha aur phir
nikhil ke peeche peeche emergency ward ki or chal
diya. Chalte chalte ek najar ghadi par ghumayi to
dekha 5 ghante se jyada beet chuke the use sote
huye.
5 din baad:
Aaj sarang ko discharge milna tha. Gaurav(2nd) ko
to 2 din pehle hi discharge mil gaya tha. Sare forms
aur formalities poori karne ke baad inspector
Chaudhary use apne sath ghar le aaye.
Yaha abhi thode dino tak aur un dono ko rukna hi
tha. Sarang abhi bhi kafi kamjor tha magar wo kafi
teji se recovery kar raha tha.
''Sorry bhai.. Maine tere ko bina bataye IDT use ki..
mujhe maaf kar de..'' ek din achanak sarang ne
gaurav se kaha.
''Are bhai.. mafi mangne ki jarurat nahi hai.. abhi tu
bas theek ho jaa.. lekin wada kar aage se aisa kuch
nahi karega..'' gaurav ne ankho se ansoo pochte
huye kaha.
''Wada raha..''
Aur ek mahine ke andar hi sarang poori tarah se
theek ho gaya. Ab yaha se jane ka time aa gaya tha.
Yahi sarang soch raha tha lekin gaurav ke mind mai
to kuch aur hi chal raha tha. Wo nikhil ke paas gaya
apna wada poora karne.
''Are gaurav.. kaho.. kuch kaam tha kya..'' nikhil ne
gaurav ko apne room mai dekhkar poocha.
''Wo.. mai.. mai ye batane aaya tha ki sarang ab
bilkul theek ho chuka hai..''
''Haa.. mujhe malum hai.. iska matlab tumhare jane
ka time aa gaya hai.. kyu hai na..''
''Nahi... abhi nahi...''
''Matlab??''
''Tumhe yaad hai maine kaha tha ki in dono ke bilkul
theek ho jane par mai tumhe apne gaurav(2nd) se
milne jane ki vajah bataunga??''
''Haa mujhe yaad hai..''
''Mai aaj tumhe wahi vajah batane aaya hu.. yahi wo
vajah hai jiske karan hum dono abhi nahi jayenge..''
''Ohh... achha... chal bata phir..''
''Us din, jaisa ki Maine bataya tha, kawya se milne
ke baad mai bahut dukhi aur gusse mai tha.. mujhe
zetron par gussa aa raha tha.. isliye maine time-
machine dubara banane ke bare mai faisla kiya lekin
uska istemal khud na karke mai yaha ke gaurav se
karwana chahta tha.. taki time bhi badal jaye aur koi
gadbad bhi na ho.. aur ab maine socha hai ki isi
plan ko aage badaunga.. yaha ki kawya jo ab sab
jaan chuki hai mere sath nahi ho sakti.. wo yaha ke
gaurav se hi pyar karti hai.. mujhse wo kabhi nahi
karegi..'' gaurav ne dheere dheere karke poori baat
nikhil ko batayi.
''Lekin isme koi khatra to nahi..''
''Nahi.. maine sab soch liya hai.. kawya ko bachane
ke baad yaha ka gaurav IDT ka istemal karke is
dimension mai aa jayega aur phir time-machine ka
use karke wapas is time me... isse samay mai bhi
koi gadbad nahi hogi aur mera kaam bhi ban
jayega..''
''Achha plan hai... lekin kya wo manega..'' nikhil ka
ishara apne gaurav ki or tha.
''Koshish karke dekhte hai.. nahi to kisi aur ko
doodhna padega.. kyuki mai aur sarang to jaa hi nahi
sakte.. lekin us sab se pehle mujhe apne dimension
mai jakar machine ke blue-prints laane honge.. kyuki
machine ko yahi banana jaroori hai..''
''Theek hai.. magar mai bhi tumhare sath chalunga
waha.. apni behan se jo milna hai.. yaad hai na..''
nikhil ne gaurav ko uska waada yaad dilaya.
''Theek hai tum bhi chal sakte ho..'' gaurav ne kaha
aur use apne sath apne room mai le aaya jaha
sarang pehle se hi ready tha. Un dono ki aapas mai
pehle hi sab baat tay ho chuki thi.
Thodi hi der mai wo teeno is dimension mai aa gaye.
Lekin unse wahi galti ho gayi jo sarang se huyi thi.
Neha apne kamre mai apne bed par baithi ek
magazine pad rahi thi. Achanak uske bed ke paas hi
hawa mai ek portal khula. Neha use dekhte hi rah
gayi aur dar ke maare tharthar kaapne lagi. Usne
cheekhna chaha lekin uske gale se awaaj hi nahi
nikli. Darte darte wo US portal ki taraf badhne lagi.
Wo portal bada hota jaa raha tha aur phir achanak hi
wo portal gayab ho gaya aur uski jagah gaurav,
sarang aur nikhil(2nd) khade the. Samne neha ko
dekhkar wo teeno bhi chaunk gaye aur neha to
samne ghate najare ko dekhkar behosh hi ho gayi
aur jameen par gir padi.
Darasal 2nd dimension mai jis room mai sarang aur
gaurav ruke huye the wo room 1st dimension mai
neha ka tha. Unhone jaldbazi mai usi room mai IDT
ka istemal kiya jisse wo apne dimension mai bhi usi
room mai prakat huye wo bhi neha ke samne hi.
''Ye kaun hai??'' Nikhil ne behosh padi neha ki taraf
dekhte huye kaha.
''Yahi neha hai.. aur isse pehle ki ise hosh aaye
hume yaha se nikal lena chahiye..'' gaurav ne dheere
se kaha.
''Haa... gaurav sahi keh raha hai.. agar ise hosh aa
gaya to hungama khada kar degi..'' sarang ne bhi
gaurav ki baat ka samarthan kiya.
''Yehi neha hai??? meri behan!! kitni sundar hai.. tum
logo mai jara bhi daya nahi hai kya??? wo behosh
padi hai aur tum khisakna chahte ho??'' nikhil ne
neha ko dekhte huye kaha.
''Haa bhai nahi hai daya.. jabse isne hume dhokha
diya hai tabse hume isse koi matlab nahi hai.. ab
chalo yaha se..'' sarang ne daant peeste huye kaha.
''Tumhe jana ho to jao.. mai to yahi rukunga.. meri
behan ko meri jarurat hai..'' nikhil ne kaha. Uske
chehre par neha ke liye chinta ki lakeere saaf dekhi
jaa sakti thi.
''Abe yaar... kyu faltu mai emotional ho raha hai??
Wo teri behan nahi hai.. yaha ke nikhil ki hai.. chal
yaha se warna pakde jayenge..'' sarang ne kaha.
Halaki neha ko aise chhodkar jane ka man to uska
bhi nahi tha kyuki neha ke dhokhe ke bawjood bhi
wo use ab bhi pyar karta tha bas ab wo uska samna
nahi karna chahta tha.
''Jo bhi ho.. mai tab tak nahi jane wala jab tak ise
hosh nahi aa jata..'' nikhil ne sakht lahze mai kaha.
''Aur jab ise hosh ayega tab kya kahega isse ki abhi
abhi jo yaha hua wo kya tha?? hum agar abhi chale
jate hai to kam se kam baad mai ye to keh hi sakte
hai ki ye iska vaham tha.. waise bhi tujhe apni behan
ko sirf dekhna tha na.. dekh to liya ab..'' gaurav ne
kaha. Lekin use kya pata tha ki neha ko hosh aa
chuka tha aur wo un sab ki baatein sun rahi hai.
''Theek hai... tum log chalo.. mai 2 minute mai aata
hu.. kam se kam ise theek se to leta du.. bechari
farsh par hi gir padi..'' nikhil ne ab haar mante huye
kaha.
''Theek hai.. hum neeche intejar kar rahe hai.. waise
bhi ghar par to koi hoga nahi..'' gaurav ne kaha aur
dono jane lage.
''Kyu bhai.. kyu nahi hoga?? Iske mom-dad to honge
hi?? nahi to bhai to hoga hi??'' nikhil ne poocha.
''Are in dono ke mummy papa ki to 5 saal pehle hi
death ho gayi ek car accident mai.. aur nikhil ka to
tumhe malum hi hai ki jail mai hai.. isiliye maine
kaha ki ghar par koi nahi hoga..'' gaurav ne darwaje
tak pahuchte huye bataya.
Abhi wo bahar nikalne hi wala tha ki neha ki awaaj
ne uske kadam rok diye.
''Kya ho raha hai yaha?? Kaun ho tum log??'' Neha
ne poocha uthte huye poocha. Wo ankhe phaad
phaad kar un teeno ko dekh rahi thi. Abhi abhi jo
usne dekha aur uske baad jitna bhi suna usse use
ye andaja to ho gaya tha ki ye teeno wo nahi hai jo
dikhte hai.
''K...kai....kaisi baat kar rahi neha.. h...hum hai..
gaurav aur sarang.. aur ye nikhil hai... tumhara
bhai..'' gaurav ne haklate huye kaha. Uske chehre
par hawaiyan ud gayi thi neha ko hosh mai dekhkar.
''Nahi tum gaurav nahi ho.. aur na hi ye nikhil hai..
tum jhooth bol rahe ho.. maine tumhari saari baatein
sun li hai..'' neha ne daav khela. Halaki usne unki
thodi hi baat-cheet suni thi lekin utni mai hi usko
yakeen ho gaya tha ki ye sirf shakle jani pehchani
hai insaan nahi.
''K...k...kya suna t..tum...tumne??'' Nikhil ne haklate
huye poocha.
''Kaha na sab kuch.. tum inse neeche wait karne ko
keh rahe the.. phir tumhare poochne par inhone ghar
khali hone ki vajah batayi.. inka to pata nahi par tum
mere bhai nikhil hargiz nahi ho.. usne to aaj tak meri
care nahi ki.. care to chhodo usne to mere upar
revolver tak taan di thi mujhe maarne ke liye.. nikhil
ko to malum hona chahiye tha ki ghar kyu khali hai..
aur agar tum nikhil ho to isne aisa kyu bola ki nikhil
ka to tumhe malum hi hai ki jail mai hai?? Us din ke
baad se tum log apas mai jani dushman ho gaye the,
to phir aaj ye dobara se dosti kaise ho gayi?? aur wo
cheez kya thi jo abhi thodi der pehle hawa mai bani
thi jisme se tum teeno bahar aaye?? sach sach
batao tum log kaun ho warna mai police ko phone
kar dungi..'' neha ke sawalo se sabki bolti band ho
gayi.
''Neha tum galat samajh rahi ho.. mai gaurav hi hu..
aur ye dono bhi sarang aur nikhil hi hai.. bas thoda
antar hai..'' gaurav ne kaha. Ab tak sarang ne na to
kuch usse kaha tha na hi uski or dekha tha kyuki
aisa karte hi uske andar wo raat ki ghatnaye taaja
ho jati jinhe wo bhulana chahta tha.
''Kaisa antar??'' Neha ne utsukta se poocha.
''Yahi ki mai aur sarang to wahi gaurav aur sarang
hai jinhe tum janti ho lekin ye nikhil tumhara bhai
nikhil nahi hai..'' gaurav ne ek ek shabd chabate
huye kaha.
''Matlabbbb??'' Neha ne poocha.
''Matlab ye ki ye nikhil hi hai magar is dimension ka
matlab tumhara bhai nikhil nahi hai.. ek dusre
dimension ka nikhil hai..'' marta kya na karta iske
baad gaurav ko akhirkar use shuru se lekar ant tak
sab sach batana hi pada.
''Aur wo kya cheez thi jo hawa mai abhi thodi der
pehle bani huyi thi..'' neha ne poori kahani sunne ke
baad kaha.
''Wo ek inter-dimensional portal tha.. usi ke jariye 2
dimension mai safar kiya jata hai..'' gaurav ne samjhaya.
Neha ke liye ye sab kisi filmi story jaisa tha lekin
chooki wo time-machine ke bare mai pehle hi janti
thi isliye ye sach pachana uske liye jyada mushkil
nahi tha. Waise bhi usne unhe khud apni ankho se
abhi abhi dimensional-travel karte dekha tha. Aur to
aur jise tarah se gaurav, sarang aur nikhil aapas mai
baat kar rahe hai wo green-wood mall wali us raat
ke baad to namumkin hai.
Wahi gaurav ne bhi kafi soch-samajhne ke baad
neha ko sari kahani batayi thi. Halaki usi ne neha se
us raat kaha tha ki aaj ke baad wo unse kabhi na
mile na hi baat kare lekin andar hi andar wo ye bhi
janta tha ki usme neha ki koi galti nahi thi. Usne
majboori mai wo natak kiya tha.
''Tum kawya se itna pyar kyu karte ho gaurav.. uske
liye tum itna kuch kar gujar gaye ki ab ye kisi amar
prem-kahani jaisa lagta hai..'' neha ne poocha.
''Chal bhai.. bahut der ho rahi hai.. waise bhi pehle hi
kafi kuch bata diya hai isko..'' gaurav kuch kahe isse
pehle hi sarang ne kaha. Usne ab bhi neha ki taraf
apni peeth kar rakhi thi.
''Lagta hai.. ye abhi tak mujhse naraj hai..'' neha ne
man hi man socha.
''Kyuki.... maine yahi chuna hai...'' gaurav ne bina
sarang ki baat par react kiye neha ke sawal ka
jawab diya phir kuch der rukkar kaha,''mai bina
kawya ke jine ki kalpana bhi nahi kar sakta.. mera
astitva usi se shuru aur usi par khatam hota hai..
yadi wo nahi to mai bhi nahi.. mujhe har haal mai wo
wapas chahiye.. aur is maksad mai mere liye hadein
mayne nahi rakhti..''
''Kash tum ye pyar mere sath baant sakte..'' neha
halke se budbudayi.
''Kya kaha??'' Gaurav ne poocha halaki usne sun liya
tha jo neha ne kaha tha.
''Kuch nahi..'' neha hadbadayi.
''Hum chal rahe hai ya nahi??'' sarang ne adheerta se
phir toka. Wo jald se jald waha se nikalna chahta
tha.
''Tum araam kar lo neha.. bahut thak gayi hogi.. mai
tumhare liye kuch lau?? Chay ya coffee??'' Nikhil ne
neha se poocha. Use to. pata hi nahi tha ki bhai-
behan ka pyar kya hota hai. Itne saalo baad jab use
uski behan mili to care to lazmi thi.
''No thanksss... tum log jao.. mai theek hu..'' neha ne
kaha. Use to nikhil ke muh se aise shabdo ki
kalpana bhi nahi thi. Phir achanak use dhyan aaya
ye uska bhai hote huye bhi nahi uska bhai nikhil nahi
hai.
''Are aise kaise.. itne bade ghar mai akeli kaise
rahogi.. aur tabiyat bhi theek nahi hai tumhari..
dekha na abhi kaise behosh ho gayi thi.. jab tak tum
bilkul theek nahi ho jati mai yahi rukunga.. tumhari
dekh-bhal ke liye.. akhir mai bhi to tumhara bhai hi
hu..'' nikhil ne pyar se uske sir par hath pherte huye
kaha.
Itna pyar neha se asahniya tha.
''Theek hai bhaiya.. aap ruk jao..'' rote huye neha ne
nikhil ke seene se lagkar kaha.
Mahaul kafi emotional ho gaya tha aur nikhil ki
ankhe bhi bhar aayi thi isliye gaurav aur sarang ne
chup-chap waha se nikalna hi behtar samjha.
''Ye kahi yaha ke nikhil ko kuch na bata de..'' bahar
aakar sarang ne gaurav se kaha.
''Nahi... mujhe nahi lagta ye use kuch bhi batayegi..''
gaurav ne kaha.
''Kyu?? Aisa kyu lagta hai tujhe??''
''Kyuki mera man yahi kehta hai.. pichli baar bhi isne
apni marzi se nahi balki us kamine ke dhamkane par
hi hamare sath natak kiya tha.. neha dil ki buri nahi
hai.. bas halat bure the us waqt..''
''Mai janta hu bhai.. par ab mera man us par bharosa
nahi kar sakta.. usne mere sath pyar ka jhootha
natak kiya tha.. mujhe bas yahi yaad aata hai jab bhi
mai usko dekhta hu..''
''Chalo kuch to yaad aata hai.. varna mujhe to laga
teri yaddasht hi chali gayi hai dimag par chot lagne
se..'' gaurav ne uska dhyan baatne ke liye majak
kiya.
''Yaad mat dila yar us baat ko.. ab bhi dard hota hai
poori body mai..''
''Chaliye sir ji... chalte hai yaha se.. blue-prints bhi to
laane hai..'' gaurav ne phir majak kiya.
''Dobara wo naam na liyo warna mujhse bura koi
nahi hoga.. samjhaaa... ab chal..'' sarang ne gusse
se kaha. Use to ab is naam se hi chid ho gayi thi.
''Lekin wo blue-prints tune rakhe kaha hai.. mujhe to
laga unhe sach mai zetron le gaya tha..'' raste mai
sarang ne poocha.
''Dekh liyo.. apne aap pata chal jayega..'' gaurav ne
muskurate huye kaha.
''Yahhhhaaaaa??? Lekin kabbbb???'' Sarang ne
ashcharya se kaha.
Wo dono Dr. Gupta ki lab ke bahar khade the.
''Us din jab zetron ke jane ke baad hum log jab Dr.
Gupta se milne aaye the.. tabhi maine wo blue-prints
yaha chupa diye the..'' gaurav ne bataya.
''Lekin yahi kyu??''
''Kyuki isse safe koi aur jagah nahi thi.. balwinder jail
mai hai to wo yaha nahi aa sakta tha aur uske ilawa
sirf Dr. Gupta hi yaha aate.. aur wo bhi us din
colorado wapas jaa rahe the to mujhe laga yahi
sabse safe rahega.. chal aaja lab mai ghusne ka
intejam kare..'' gaurav ne kaha.
Unhe ek khidki dikhi. Gaurav ne pathhar markar
uska kaanch phoda aur thodi hi der mai wo dono
andar the.
''Milll gayyyeeee...'' ek almari se blue-prints nikalte
huye gaurav ne kaha. Wo almari lab ke store room
mai thi aur uska kafi kam istemal hota tha.
''Chal jaldi se wapas chalte hai neha ke ghar.. kahi
koi hume yaha dekh na le.. aur us bhondu ko lekar
wapas chalte hai 2nd dimension mai jald se jald..''
sarang ne kaha.
''Haa sach mai bhondu hi hai.. behan se kya mila
diya pagal hi ho gaya hai.. bhondu kahi ka..'' gaurav
ne haste huye kaha aur dono usi khidki se bahar aa
gaye.
''Lekin wo itni jaldi chalega??? Mujhe nahi lagta itni
asaani se wo neha se alag hoga.. dekha nahi kaisa
ro raha tha ladkiyo ki tarah..'' raste mai chalte chalte
sarang gaurav se bola.
''Alag kaise nahi hoga.. yaha use mai bas neha ko
dekhne ke liye laya tha bas... na ki hamesha ke liye
rakhi bandhwane ke liye.. saale bhondu ko jabardasti
le jaunga..'' gaurav ne kutilta se haste huye kaha.
Thodi hi der mai dono neha ke ghar pahuch gaye
lekin waha koi nahi tha. Poora ghar khali tha. Dono
ko kuch ajeeb laga. Unhone turant neha ka room
check kiya to waha bhi koi nahi tha. Magar
bathroom ke gate ke paas farsh par thoda khoon
laga hua tha.
''Abe wo dekh... khooonnn...'' sarang ne gaurav ko
farsh par pada khoon dikhate huye kaha. Khoon
jyada nahi tha isliye gaurav ki najar mai nahi aaya
tha.
Khoon dekhte hi uske hosh ud gaye. Man mai tarah
tarah ke vichar aane lage. Kahi nikhil ne to kuch
nahi kar diya neha ko, ya shayad neha ne hi nikhil ko
kuch kar diya ho. Kya pata yaha wala nikhil aa gaya
ho aur usi ne kuch gadbad kar di ho.
''Abe neha ka mobile nahi dikhi raha.. us par milakar
dekh... shayad koi utha le.. malum to padega akhir
adhe ghante mai hi yaha aisa kya ho gaya..'' sarang
ne apni udhed-bun mai khoye gaurav ko jhakjhor kar kaha.
''Hmmm.... theek hai... ye idea achha hai..'' kehkar
nikhil aas paas koi aur phone dhoodne laga kyuki
unke apne mobile to in do dimensions ke chakkar
mai kaha gum ho gaye the unhe khud hi nahi pata tha
Nikhil(1st) ke room mai unhe ek mobile mil gaya jo
nikhil(1st) ka hi tha lekin uski battery down thi.
Unhone use charging par lagaya aur neha ka
number dhoodne lage. Usme neha ka number saved
tha to gaurav ne turant use milaya. 2-3 ring jane ke
baad kisi ne uthaya aur gaurav usse baat karne laga.
''Hume turant city hospital jana hoga..'' gaurav ne
phone rakhte hi kaha.
''Hua kya magar?? Kuch batayega bhi ki nahi??''
Sarang ne chintit swar mai poocha.
''Neha admit hai city hospital mai.. hume turant Jana
hoga waha..'' gaurav ne bataya.
''Whattttt.... Chal phir.. time waste kyu kar raha hai..''
kehte huye sarang turant nikal gaya. Usne peeche
mudkar ye bhi nahi dekha ki gaurav peeche aa bhi
raha hai ya nahi. Kaaran saaf tha: Neha se to wo ab
bhi pyar karta tha. Gaurav bhi uske peeche peeche
bhaga aur tabhi achanak IDT uski jeb se gir gayi aur
ludakti huyi door jane lagi. Gaurav ne use uthaya aur
sarang ke peeche chal pada.
Thodi hi der mai dono city hospital pahuch gaye.
Waha ICU ke bahar hi unhe nikhil(2nd) khada mil
gaya. Use dekhte hi sarang ko laga ki shayad isi ne
neha par hamla kiya hai isliye usne turant uska gala
pakad liya aur gusse se bola,''kya kiya tune neha ke
sath?? Bol saale warna yahi gaad dunga..''
''Abe isne kuch nahi kiya.. chhod isko... ye wo nikhil
nahi hai jo tu samajh raha hai.. ye dusra wala hi hai..
jo hamare sath aaya tha..'' gaurav ne sarang ka hath
nikhil(2nd) ke gale se hatate huye kaha.
Uski baat sunkar sarang ne nikhil(2nd) ka gala
chhod diya. Nikhil saans lene ki koshish kar raha
tha. Thodi der mai normal hone ke baad nikhil bola,
''abe pagal ho gaya hai kya?? Itni jor se koi gala
pakadta hai bhala.. maine kuch nahi kiya apni behan
ke sath.. sab kuch bas ek accident ki vajah se hua..''
''Sorry yaar.. magar hua kya tha??'' Sarang ne
poocha.
''Tum dono ke jane ke thodi der baad neha ko toilet
jana tha to wo bathroom jaa rahi thi.. achanak uska
pair carpet mai ulajh gaya aur wo gir padi.. uska sir
seedha farsh se takraya jisse wo behosh ho gayi aur
thoda khoon bhi nikal aaya tha.. isliye mai use turant
city hospital le aaya.. Dr ne kaha hai ki chinta ki koi
baat nahi hai.. use thodi der mai hosh aa jayega..''
nikhil ne poori kahani sunayi.
''Ohh.. ye to bahut bura hua.. chalo kam se kam koi
serious baat to nahi hai na..''
''Nahi koi khaas serious baat nahi hai.. bas hospital
ka bill tumhe bharna hai.. mai to apne sath ek
chavanni bhi nahi laya..''
''Koi baat nahi.. papa dekh lenge.. mai unhe phone
kar dunga..''
''Theek hai.. aur ab hum kuch din or yahi rukenge
jab tak neha theek nahi ho jati.. meri behan takleef
mai hai aur mai use aise chhodkar nahi jane wala..''
nikhil ki is baat se un dono ko jyada shock nahi laga
kyuki ye to expected tha. Magar wo dono nikhil ko is
dimension mai jyada din rakhne ke paksh mai nahi
the kyuki agar kisi ne use dekh liya to dikkat ho
sakti thi.
''Bhai tera yaha jyada din rukna theek nahi hai.. agar
kisi ne pehchan liya to problem ho jayegi..'' gaurav
ne dheere se kaha.
''Wo sab mai nahi janta.. tum dono ko jana ho to jao
magar mai to yahi rukunga..''
Gaurav aur sarang ne public place mai jyada behas
karna theek nahi samjha isliye unhone uski baat
maan li par ek shart par. Nikhil ko poora waqt ghar
ke andar hi rehna hoga aur wo waqt abhi se shuru
hota hai yani use turant abhi ghar jana hoga. Ye
baat nikhil ne unki maan li aur wo turant wapas ghar
chala gaya. Waise bhi aaj shaam tak neha ko
discharge mil hi jana tha.
Dopahar mai lagbhag 3:30 baje neha ko hosh aaya
aur usne bhi wahi bataya jo nikhil ne bataya tha.
Lagbhag 3 ghante baad yani kareeb 6:30 baje neha
ko discharge de diya gaya 1 hafte ke full bed rest ki
hidayat ke sath.
Agle 6 dino tak nikhil ne neha ka ek sage bhai se
jyada achhi tarah se khayal rakha. Use jab bhi kisi
bhi cheez ki jarurat hoti nikhil use lekar hazir ho
jata. Neha ke man mai bhi nikhil ke liye pyar aur
apnapan badh raha tha jo use apne sage bhai se
kabhi nahi mila tha.
Nikhil ki extra care se neha bilkul theek ho chuki thi
par ab bichadne ka samay aa gaya tha yani nikhil ka
wapas apne dimension mai jane ka.
Yaha mahaul kafi emotional ho gaya tha. Nikhil aur
neha ek dusre se kafi attached ho gaye the bilkul
sage bhai behan ki tarah isliye dono hi alag nahi
hona chahte the.
''Bhaiya mai bhi apke sath chalungi.. mujhe nahi
rehna is gandi duniya mai.. yaha koi mujhse pyar
nahi karta..'' neha ne rote huye nikhil se kaha.
''Ye mumkin nahi hai behna.. humari duniyaein alag
alag hai..'' nikhil ki ankhe bhi bhar aayi thi.
''Ye sahi keh raha hai neha.. ye possible nahi hai..
waha tum adjust nahi kar paogi.. yaha se bilkul alag
hai waha sab kuch..'' gaurav ne bhi use samjhane ki
koshish ki.
''Lekin yaha se to achhi hi hogi wo duniya.. mummy-
papa bhi milenge waha.. agar mai yaha rahi to wo
mujhe jaroor maar dega..'' neha na gaurav ki taraf
chehra karke kaha halaki wo sata hua ab bhi nikhil
ke seene se hi tha.
''Kaun???? Nikhil???'' Nikhil ne uska chehra apni
taraf karte huye kaha.
''Haa... apko pata nahi hai ek baar wo jail se bhag
aaya tha hum teeno ko marne ke liye.. wo to police
ne use pakad liya warna wo to mujhe maar hi dalta..
ghar tak aa gaya tha wo..'' neha ne subakte huye
kaha.
''What???? Tumne pehle kyu nahi batayi ye baat??''
Nikhil ne pyar se poocha.
''Mai aapko disturb nahi karna chahti thi.. isliye nahi
batayi..'' neha ne ansoo pochte huye kaha.
''Koi baat nahi.. sab theek hai ab.. tum apna samaan
pack kar lo.. tum bhi chalogi hamare sath.. wo bhi
hamesha ke liye..'' nikhil ne uske sir par hath pherte
huye kaha.
''Sachhhh??? Mai abhi packing karti hu..'' neha ne
khush hote huye kaha aur phir ek suitcase nikalne
lagi.
''Wo bolne wali wall clock or le lena ek.. mujhe badi
achhi lagi ye cheez.. apne aap hi time bata deti hai..''
nikhil ne neha se haste huye kaha. Neha ne bhi uski
baat ka anusaran kiya.
''Abe pagal ho gaya hai kya?? Ye waha kaise jaa
sakti hai??'' Sarang ne nikhil se poocha. Uski awaaj
mai gussa saaf jhalak raha tha.
''Kyu nahi jaa sakti.. hum use yaha to nahi chhod
sakte.. us nikhil ka koi bharosa nahi kab kya kar
de..'' nikhil ne kaha.
''Lekin ghar par kya kahoge.. kya tumhare mummy
papa manenge..'' gaurav ne poocha.
''Mai unhe mana lunga.. waise bhi wo bhi to neha ke
mummy papa hi hai.. wo bhi khush ho jayenge ki
unhe unki beti wapas mil gayi..'' nikhil ne utsah ke
sath kaha.
''Kuch na kuch gadbad jaroor hone wali hai..'' gaurav
ne man hi man socha.
''Mai kuch bhool gaya.. abhi 5 min mai aata hu..''
kuch der baad sarang bola aur waha se nikal gaya.
Gaurav samajh gaya sarang kya lene gaya hai aur ab
tak ke experience se wo use bhi jaroori laga.
Kareeb 15 min mai neha ne apna saara jaroori
samaan pack kar liya or un dono ke paas aakar
khadi ho gayi. Uske hath mai 2 bade bade suitcase
the jinhe nikhil ne uske hath se le liya. Thodi hi der
mai sarang bhi aa gaya. Sab ko taiyar pakar gaurav
ne jeb se IDT nikali. Usne samne ki taraf uska rukh
kar green button dabaya lekin kuch nahi hua. Koi
portal nahi khula.
''Ab ise kya ho gaya..'' gaurav ne IDT ko hath par
halka sa thhokte huye kaha. Usne phir green button
dabaya aur is baar portal khul gaya.
''Tune dhang se nahi dabaya hoga.. chalo ab chalte
hai..'' nikhil ne gaurav se kaha aur sab portal mai ghus gaye.

Word 11500 enjoy
 
Last edited:
expectations
22,753
14,817

supreb update brother
 
Top