Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Well-known member
1,890
5,090
145

Namaskar Mitro Aur Pathko.

Main ek Chhoti si prem kahani prastut karne ja rahi hoon aap sab doston ke liye. Jisme bharpoor pyaar, nafrat, tyaag, ruthna, manana Sab kuchh milega. Meri is kahani me prem/pyaar ke sath thoda bahut Suspense aur thoda bahut Thriller bhi padhne ko milega.


Is Kahani Ka Naam Hai

TUMHAARE LIYE- EK PREM KAHAANI

Pics-Join-2021113225422965

Ye kahani Ananya Ji ki kahaani se prerit hai. Is kahani ke Sabhi Patr Aur ghatnaye kalpanik hain. sath hi sath is kahani me likhi gayi jagah bhi kalpanik hai, jinka kisi bhi vyakti ya ghanta se koi lana-dena nahi hai. Agar kahi bhi Is kahani ke patr ya ghanta ya sthan kisi vyakti vishesh ya sthan se mel khate hain to aap khud samajhdar hain ki aapko kya karna hai. Are mitro. Use ignore marna hai.


Kahani shuru karne se pahle Sabhi Mitro/Pathko se ek baat kahna chahti hoon ki Update dene ke liye wo mujhe force nahi karenge, kyonki jin pathkon ne meri pichhali Sabhi kahaniya padhi hain. Unhe pata hoga ki mere updates niyamit aate hain, haan yadi kabhi updates dene me vilamb hota hai to main pahale se hi suchit kar doongi aur yadi kisi karanavash agar main suchit na kar paun to aap sabhi samajh jaiyega ki main kisi ati aawashyak karya me busy hoon.


To mitro. Kahani shuru karte hain Aap sab ki Anumati ke baad.



Sath Bane Rahiye..
superb intro....
 
Well-known member
1,890
5,090
145
Kahani ke kuchh ansh (Saar Sankshipt)


Sarita JEEWAJ JYOTI HOSPITAL ke Operation Teater Ke parisar me pareshani ki halat mein yahan se waha chakkar kaat rahi thi. Uske Sharir par khaki rang ki Vardi thi aur chehare par Pasina Tha. Uski aankhhe Aanshuo se bhari hui thi. Pasine se uski khaki Vardi Bheegkar Uske jism se chipak gayi thi. Vardi par jagah jagah khoon laga huwa tha, Lekin use is baat ka hosh nahi tha. Wahi paas ki bench par 2 police wale aur bhi baithe huwe the. Jo Sarita ko Idhar Udhar Chakkar lagate huwe dekh rahe the. Wo kabhi kabhi Apni Hatheli Maslne lagti to kabhi kabhi Apni Mutthiyan bheej leti. Uske chehre ke bhav Har second badal raha tha. Paas baitha police wale se jab ye na dekha gaya to unme se ek ne Sarita se kaha.


Police 1- Madam Aap pareshan mat hoiye. Aapke bhaiya ko kuchh nahi hoga. Wo bilkul thik ho jayenge. Aap himmat se kaam lijie madam.

Sarita- Kaise Himmat se Kaam loon main haan kaise himmat se kaam loon. Main kaisi bahan hoon. Maine apne inhi hantho se apne bhaiya ko goli mari. Jis bhaai ke hantho me har saal rakhi bandhti thi, jiski salamti ki bhagwaan se duwa mangti thi. Usi bhaai ko maine apne inhi hanto se shoot kiya hai. Jis bhaai ko dhoondhne ke liye maine kya nahin kiya. jis bhaai se milne ke liye din-raat main thik se soyi nahin. usi bhaai ko maine apne inhin hanthon se goli mari hai. Main bahan kahlane layak nahi hoon. Bahan ke naam par kalank hoon main.


Itna kahkar Sarita ghutanon ke bal jameen mein baith gayi aur jor jor se rone lagi. Ye dekhkar ek police wala uske paas aaya aur uske kandhe par apna hath rakhkar kaha.


Police 2- Nahi madam. Aap aise mat roiye. Aap chup ho jaiye. Aapne kuchh galat nahi kiya. Aapne apna Farj nibhaya hai.

Sarita- Are aisa farj kis kaam ka Jisko nibhane ke liye mujhe apne haantho se apne jaan se pyaare bhaiya ko goli maarni padi. Dhikkaar hai mujhe apne aap par. Agar mere bhaiya ko kuchh ho gaya to main khud ko kabhi maaf nahin kar paungi. Mar jaungi main.


Tabhi hospital ke bahar ek auto aakar rukta hai us auto se Auto driver, ek mahila aur ek ladki utarkar bhaagti hui Hospilat me aati hai, Mahila ne aate hi Sarita ke gal par ek jhannatedar thappad mara aur rote huwe bolne lagi.


Mahila- Ye kya kiya Sarita tumne Ye kya kar diya. Mere bete ko maar diyaa tumne. Apne bhaai ko goli maar di tumne. Meri mamta ka khoon kar diya tumne. Meri Khokh ujaadane ki koshish ki hai tumne. Are wo mera beta hi nahin tera bhaai bhi hai. Aur tune apne bhaai ke upar hi goli chala diii. Agar mere bete ko kuchh ho gaya na Saritaa to main tujhee jeewan bhar maaf nahi karungii.

Auto Driver- Ye kya kah rahi hoo tum bhagyawaan. Tumhe to apni beti par garv hona chahiye ki wo kitni bahadur hai. itni kathinaiyon aur Pareshaniyon ke bawjood bhi wo apne Farz aur Sachhai ke raaste se nahi bhakti. Usne apne Farz aur rishte me farz ko ahamiyat di. Aur tum usko hi dosh de rahi ho. Ek baar pahle ye to jaan leti ki Sarita ne aisa kyon kiya. Mujhe Sarita ne phone karke pahle hi sab kuchh bata diya tha.

Mahila- Are aisi kaun si baat ho gayi jo isne mere bete ko goli maar di. Are wo iska bhai hai. Jiski yaad mein din raat roti rahti thi. Jisko kaha kaha nahin dhoondha hamne. Kam se kam ek baar ise apne bhaaii se baat to karni chahiye thi. Lekin nahin ab to ye inspector ban gai hai na to apne man ka hi karegi ye. Tumne bahut galat kiya hai Sarita. Main tujhe kabhi maaf nahi karungi.

Ladki- Ye kya bol rahi ho mummy. Aap didiya ko dekho. Inko dekhkar aapko lagta hai ki inhone Jaanbujhkar bhaiyaa par goli chalai hai, bhaiyaa ko jaan se marne ki koshish ki hai. Are Bhaiya ko sabse jyada pyaar didiya hi karti hain. Fir bhi aap aisa bol rahi hain. Are kuchh to majboori rahii hogii didiya ki. Mujhe apniii didiya par puraa bharoshaa hai. Didiya koi galat kaam karr hii nahii sakti.


Itna kahkar wo ladki jakar Sarita ke gale lag jati hai. Sarita apni bahan ke gale lagkar phoot phoot karr rone lagti hai. Tabhi Opration Teater ka darwaza khulta hai aur doctor bahar aate hain aur jo batein batate hain. Use sunkar sabhi rahat ki sans lete hain.


Doctor- Ghabrane ki koi baat nahi hai. Mareej ko do goli lagi thi. Hamne dono goli nikal di hai aur ab mareej khatare se bahar hai. Abhi unhe injection de diya hai. To abhi wo aaram kar rahe hain. Neend se jaagne ke baad aap sab log unse mil sakte hain.


Itna kahkar doctor waha se chale jate hai. Sarita air uske gharwale bahar lagi bench par manish aur hatash hokar baith jate hain.



Sath Bane Rahiye.
thrilling start.... aesa ky ahua ke behn ko bhai par goli chalana padi...
Kya yeh jaanboojh kar kiya gaya ya phir ye koi durghatana thee?
Kya the haalaat....???

Lekhak ne hamen suspence se baandha hai... aur utsukata se ke dekhen... kahaanee mein aage kya hota hai !!!!
 
Well-known member
1,890
5,090
145
Kahaani ki shuruaat karne se pahle kahaani ke mukhya patron ke bare mein jaan lena jaroori hai.


Patra Parichay In short.


Aanand Joshi- peshe se Auto Driver hain aur Heroin ke pita hain. Bahut hi imaandar aur Usoolon ke pakke insan. Sabhi se mel jol badhakar rahna pasand karte hain.


Raani Joshi- House Wife Aur Heroin ki maa hain. Pati ki Kam kamayi mein bhi poora ghar achhe se sambhalti hain. Apne bete se bahut pyaar karti hain. betiyon ke liye bhi inke dil mein pyaar hai.


Abhishek Joshi- Aanand Joshi aur Raani Joshi ka bada beta hai. Apni dono bahano se bahut pyaar karta hai. Bahut hi shararati aur natkhat hai. Iske sath hi bachpan se hi jaldi gussa aur chhoti si baat ko dil par laga lena iska swabhaav hai. Jiske karan poore pariwar ko pareshani ke daur se gujarna pada.


Sarita Joshi- Aanand joshi aur Rani joshi ki badi beti aur kahaani ki Main heroin. Khoobsurti aisi ki chaand bhi sharmaa jaye. tikhe nain naksh wali ladki. Honth ke niche kala til Sarita ki sundarta mein char chand lagate hain. Ghar mein sabhi se pyaar karne wali, lekin Sabse jyada pyaar wo Apne bhaai Abhishek se karti hai. Abhishek mein uski jaan basti hai. Padhaai mein bahut hoshiyaar aur swabhav se tez gaddar ladki hai.


Manisha- Aanand Joshi aur Raani joshi ki chhoti beti aur kahaani ki doosri heroin. Apni Bahan aur bhaai se bahut pyaar karti hai. Ye bhi apni bahan ki tarah khoobsurat hai. ye bahut hi chulbuli aur shararati hai.



Iske baad jitne bhi Paatr hain sabka introduction short mein hai. Vistrit introduction kahaani ke bich mein aapko pataa chalega.


Mahendra Singh Rathod- Bahut bade business man aur Hero ke pita ji. Dhan Daulat ki koi kami nahi fir bhi sadharan Jeevan jeene wale nek insan. Samaz mein achhi khasi pakad rakhne wale Prabhavshali Vyakti.


Naina Singh Rathod- House wife aur Hero ki maa. Ghar mein inki hi chalti hai. Ye apni Beti aur Apne doosre bete se bahut pyaar karti hain.


Savita- Mahendra aur Naina ji ki Eklauti beti aur Kahani ki tisri heroin. Pyaar se sabhi ise Savi bolte hain. Bahut hi milansar aur saral swabhav ki ladki. Apne ghar mein sabse jyada ye apne Doosre bhaai Ragav se pyaar karti hai.


Nishchal Singh Rathod- Mahendra ji aur Naina ji ka eklauta beta aur Kahani ka main hero. Savita se bahut pyaar karta hai. Sath mein Raghav ko jaan se jyada chahta hai.


Raghav- Ye Kahani ka doora Hero hai. Iske bare main kahani ke Madhya mein details main pata chalega.


Shanno devi- Ye hain kahani ki sabse interesting patra. Ye Mahendra ji ki buwa aur Savita, Nishchal aur Raghav ki buwa dadi hain. Purane khayalo ki hain. Inke samne Naina ji aur Mahendra ji jyada nahi bolte. Inka bahut samman karte hain. Jyada Jankari kahani ke madhya mein pata chalegi.


Anant- Kahani mein inka jyada role nahi hai lekin ye Kahani ke tisre hero hain. isliye inka jikar hona jaroori hai.


Charu- Anant ki bahan. Kahani mein inka bhi jyada role nahi hai, lekin ek karan hai jiske liye inka jikar hona jaroori hai.


Sub-Inspector- Mohit Singh, Ranjana Pathak, Vikas kumar & Jawed Akhtar.


Assistant Sub Inspector- Janhavi Kapoor. Kaushal Shukla aur Amit Rawat.


Rawat Sir- Sarita Joshi ke Office Incharge. Kahani mein inka bahut hi Important Role hai.


Boss & Sarkar- Kahani mein main Villene.


Bachha Singh- Kahani ka khalnayak. Isne jeewan mein bas ek hi achha kaam kiya hai. Details kahani ke bich mein pata chalegi.


Raghu- Bachha Singh ka bhaai. Bahut hi handsome aur Atractive Person. Details kahani ke bich mein jab iska role aayega tab pata chalega.


Kaluwa- ye bhi kahani mein villene hi hai. Bachha Singh ke niche kaam karta hai. details baad mein pata chalega.


Neta- Kahani ka villane. Iski koi details nahi hai. Bas ye ek local neta hai, lekin iske kaam bahut bade hain.


Inspector Pradhan- CBI Officer.


Is kahani mein aur bhi patra aayenge. Jinke chhote chhote role rahenge, jinke introduction ki jaroorat nahi hai. unka jikar kahani mein hi ho jayega.


Ek baat Aur Pathko. Kahani poori tarah se kalpnik hai, isliye iski ghatnayein aur patro ka work bhi kalpnik hi hai. Poori kahani Police officers ke ird gird ghoomti hai to work profile policiya hi hai, lekin us work profile mein kuchh work writer dwara dala gaya hai. to ho sakta hai mere wo Pathak bandhu jo police ki Naukri karte ho ya jinhe police ke work profile ka knowledge ho. kahani padhne ke baad wo ye objection na uthaye ki ye kaam aur ye ghanta to police ki work profile se match hi nahi karti. Ye sirf kahani ke hisab se dala gaya hai isliye wo ise anyatha na le. Kahani poori tarah se saaf suthri hai. Na hi isme sex ka koi seen hai aur na hi koi Abuse language hai.


Kahaani ka pahla bhag kal aayega.



Sath Bane Rahiye..
wonderful...
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
supreb update sarita ko job mil gayi achche din aa gaye uska bhai mil jaye to family puri ho jaye
धन्यवाद आपका महोदय।
अच्छे दिन तो आ गए हैं लेकिन जब तक अभिषेक नहीं मिल जाता तब तक उनकी खुशियां वापस नहीं आएंगी।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Nice update ek ladki ki sangharsh ki dastaan hai very nice
धन्यवाद आपका महोदय।
संघर्ष और प्रेम की दास्तान है ये।

साथ बने रहिए।।
 

Top