Haan agar Mahi Maurya ji sach mein is kahani mein abhishek aur savita ko ek kar de to positive revos post karungi ..promiseMahi Maurya ji kisi tarah se Abhishek aur savita ki jodi banado hum kuch nahi kahenge![]()
Jaisa ki ye baat pehle bhi jikar ki hai... Ki jo hona hai hoke hi rahega... Sarita phir hawasi Mahendra ki bahu banne wali hai....yahan Nischal bas ek jariya hai.... Baaki jo karna hai wo mahendra aur Sarita hi karengeрдмрд╣реБрдд рдирд╕реАрдм рд╕реЗ рдРрд╕рд╛ рдкреНрдпрд╛рд░ рдорд┐рд▓рддрд╛ рд╣реИ рдЬреЛ рдХрд┐рд╕реА рдХреЗ рдкреАрдЫреЗ рдЦрд┐рдВрдЪрд╛ рдЪрд▓рд╛ рдЬрд╛рдПред
рдЬрд▓рди рдХрд╛рд╣реЗ рд╣реЛ рд░рд╣реА рд╣реИ рдЖрдк рд╕рднреА рдХреЛред![]()
Sarita par mano vajragat ho gaya jab use pata cala ki guldasta wala hi raghu hai jisko vo dhundh raha tha. Jisne use goli mara tha. Ab sarita ko uski galti ka ahsas ho raha hai. Police wali hote huye bhi usse ek inshan ko paahchanne me bhul hua hai.UPDATE- 66
Quarter ki Safaai karwane ka sochkar wo Jawed ko call karti hai, lekin wo phone nahi uthata. Sarita Kai baar phone karti hai lekin uske phone nahi utha. to sarita man mein sochti hai.
Sarita- Ho sakta hai kahin kaam mein busy ho. Dekhega to phone karega hi.
Poora din bit gaya lekin Jawed ka phone nahi aaya. Agle din subah Jawed ka phone aaya to Jawed ne kaha.
Jawed- Madam, Heera ne apna munh khol diya hai. Us aadmi ka screech banker taiyaar ho gaya hai jisne us din Dange mein mukhya Bhumika nibhayi thi. Wah bahut hi jald hamari pakad mein hoga.
Sarita- Achha ye to bahut achhi baat hai. Aap aisa kariye mujhe bhi uska screech bhejo. Jara main bhi to dekhun wo kaun hai.
Jawed- Thik hai madam. Main bhej raha hoon.
Sarita- Jawed ji. Samay nikal kar mera Quarter bhi saf karwa dijiyega. Main ab wahi sift hone wali hoon.
Jawed- Thik hai madam.
Jawed ne phone rakh diya. Thodi der baad Sarita ke whatsapp par jawed ne Us Aadmi ka Screech bheja. Sarita Us Screach ko dekhne lagi. Sarita ko uska chehra kuchh jana pahchana laga. Eka ek Sarita ke chehre ka bhav badalne laga. Uske dimag mein dwand sa chalne laga. Sarita man hi man sochne lagi.
Sarita- Ye kaise ho sakta hai. Iska chehra to guldaste wale se milta hai. Kahi aisa to nahi hai ki ye aadmi guldaste wala hi ho, Lekin ye kaise ho sakta hai. Wo to bahut hi achha aur Sarif Aadmi hai. Lekin fir Heera ne Screach Aatist ko Guldaste wale ka chehra kyon bataya.
Guldasta wale aur is schreach wale ka naam bhi same hai. Lekin ye kaise ho sakta hai. Guldasta wale ko dekhkar aur usase baat karke to lagta nahin hai ki wo koi galat kaam karta hoga.
Sarita Jyada mat soch. Hone ko to kuchh bhi ho sakta hai. Mujhe iski tah tak jana hoga. Bhagwan kare jo main soch rahi hoon wo sahi ho. Ye Aadmi guldaste wala na ho.
Yahi sab sochkar Sarita ne Jawed ko phone kiya.
Jawed- Ji madam.
Sarita- Jawed ji. Abhi main aapko 4-5 Number bhej rahi hoon. Jara use trace karke uski location batao ki wo number is samay kaha par hain. Thoda Jaldi karna
Jawed- Yes madam aap number bhejiye.
Sarita ne Jawed ko Raghu ke jitney bhi number se call aaye the sabhi bhej diye. Sarita ka man bahut bechain ho raha tha. uske dimag mein bahut uthal puthal machi hui thi.
Usne kisi tarah apne aapko sanyamit kiya aur Jawed ke call ka wait karne lagi. thodi der baad jawed ka phone aaya. Sarita ne jhat se jawed ka phone uthaya.
Sarita- Haan Jawed ji. Kuchh pata chala.
Jawed- Madam jis phone mein ye Number the. Wo sare phone chori ho gaye hain. Jinki missing complain bhi darz karayi gayi hai alag alag thano mein. Inme se kuchh Number Ki Last and Current Location Bata raha hai.
Usme se kuchh ka last location Jaunpur aur Allahabad hai. Lekin ek number ka Location kal Allahabad ka tha, uske baad se us phone ki location band ho gayi hai. Ek Aadmi bhi giraftar kiya gaya hai jo mobile chori karne aur bechne ka kaam karta hai.
Sarita ye sunkar jad si ho gayi. Uske dil ki dhadkane badhti ja rahi thi. Sarita ke kuchh na bolne par jawed ne kaha.
Jawed- Madam aap mujhe sun rahi hain.
Sarita- Haammmmm. Thank you Jawed ji.
Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. Udhar jawed ko bhi kuchh samajh me nahi aaya ki Sarita ko achanak se kya ho gaya hai aur usne phone kyon kaat diya. Idhar sarita taiyar hokar apna bag uthakar bahar jane lagi to Raani ji ne kaha.
Raani ji- Sarita. Itni jaldbazi mein kaha jar ahi ho.
Sarita- Mummy bahut jaroori kaam hai. 1 ghante mein main wapas aa rahi hoon.
Itna bolkar Sarita ghar se chali gayi.
Udhar Abhishek ka right hand ab thik ho gaya tha. wo subah se Raghu aur Bachha Singh ki tasvir bana raha tha. Jab usne dono ki tasvir bana liya to Abhishek ne Nishchal ko apne paas bulaya.
Nishchal- Abhishek ji. Bataiye. Ab aapki tabiyat kaisi hai.
Abhishek- Main bilkul thik ho gaya hoon ab. Maine Raghu aur Bacha singh ki tasvir bana li hai. Ye dekhiye.
Nishchal ne jhat se Us tasvir ko le liya aur dekhne laga. Wo tasweer Scratch ke mukable bahut jyada achhi bani thi. Wo Abhishek ko thanks bolkar ghar se nikal gaya. Nishchal ne Jawed aur Mohit ko Wo tasvir bhej di aur use dhhondhne ke kaam par laga diya.
Abhishek ko jitney bhi thikane ka pata tha. jaha par Raghu aur Bachha Singh mil sakte the. Wo bhi Nishchal ko bata diya tha. Nishchal apni team ke sath waha par gaya, lekin use un jaghon par Na to bachcha Singh mila aur na hi Ragu.
Idhar Ghar se nikalkar Sarita Usi Coffee shop mein pahuchi jaha par Raghu ke sath baithkar Sarita ne coffee pi thi. Waha Par CCTV laga huwa tha jo Sarita ne dekha tha. Sarita sidhe maneger ke paas pahuchi aur kaha.
Sarita- Suniye Sir. Mujhe kal subah 11 baje se 12 baje tak ka CCTV footage dekhn hai.
Manager- Sorry madam. Ham ye jankari public ke sath sajha nahi kar sakte hain. Ye hamare rules ke khilaf hai.
Manager ki baat sunkar Sarita ne apne bag se apna ID Card nikal kar dikhaya. ID Card dekhkar ek baar to manager bahut dar gaya. Fir Wo Sarita ko liwakar CCTV footage control room mein le gaya aur apne Employee ko Sarita ke dwara bataye huwe samay ke Anusar CCTV Footage dikhane ke liye kaha.
Sarita CCTV Footage bade dhyan se dekhne lagi. Jis jagah par Raghu ka chehra spasth dikhayi de raha tha usne waha par pouse kiya aur zoom karke dekhne lagi. zoom karke dekhne ke baad Sarita ne Manager se kaha.
Sarita- Plese Take out Print of this Picture immediately.
Sarita wo Print out lekar ghar wapas aa gayi aur apne kamre mein jakar darwaza andar se band kiya aur us print out ko Screach wali Tasvir se milane lagi. fir kuchh der milan karne ke baad Sarita ne ek pen uthaya aur Print out ki tasvir mein kuchh karne lagi.
Thodi der baad jab Sarita ka Process complete huwa to Sarita ki aankhe badi ho gayi. Fir bhi abhi Sarita ke man mein ek doubt tha. Sarita apne bister par baithi gahri soch mein doobi hui thi ki tabhi Jawed ka phone aaya. Sarita ne phone uthaya.
Sarita- Haa Jawed ji boliye.
Jawed- Madam. Aapke bhaai ne Raghu aur Bachha singh ki tasvir banayi hai. Main use aapko bhej raha hoon. aap dekh lijiye unhe.
Sarita- Thik hai jaldi bhejiye.
Kuchh der mein hi Whatsapp par jawed ne do Tasvir bheji. Sarita ne Jab Un Tasviro ko dekha to Uska raha sahaa Doubt bhi clear ho gaya, Kyonki Abhishek ke dwara banayi gayi tasvir hubhu waisi hi thi jaisa Raghu dikhta tha.
Sarita Apne mobile mein dekhti rahi. Sarita ki dono aankho se aanshu nikal kar uske galo se hote huwe uske phone par gira. Sarita ne apne aanshu poche aur badbadane lagi.
Sarita- Main itni bewkoof kaise ho sakti hoon. Wo aadmi mere samne tha. mere sath guma tha. sath mein coffee bhi pi thi. Fir bhi main usko Pahchan nahi paayi. Usase dosti bhi kar li, Usne mujhko Propose bhi kiya. Maine is bare mein sochne ka samay bhi maang liya.
Chhiiii. Main ye kya anarth karne jaa rahi thi. Main to use ek achha insan samajh rahi thi. Ab Kya karu main. Kya main ye baat Sir ko bataun ya nahin. Agar bata diya to pata nahi wo kaise react karenge. Bahut jyada naraz ho jayenge.
Itni badi galti kaise ho gayi mujhse. Tabhi iska phone hamesha band ho jata tha. hamesha alag alag numbaro se phone karta tha. main ye baat kyon nahi samajh payi ki Uska Number baar baar band kyon ho jata hai aur wo alag alag number se har baar phone kyon karta tha.
Use shak tha ki kahi main iski janch padtal na karne lag jaun isliye wah chhori ke phone se call karta tha hamesha mujhe.
Maine is baat par dhyan kyon nahi diya pahle. Ab main kya karun. Kaise pata lagaun uska main. Wo to itna chalak hai ki phone karne ke turant baad hi number badal deta hoga.
Tabhi uske kamre ka darwaza khatka. Sarita ne darwaza khola to Samne Uske mummy papa khade the. Jo taiyar hokar kahi jane ki taiyari kar rahe the. Sarita ne Unhe dekhte huwe kaha.
Sarita- Kya bat hai papa. Kahin ja rahe hain kya.
Aanand ji- haan wo tumhare mama ka phone aaya tha. koi jaroori kaam hai to isliye jana pad raha hai. Sath mein tumhari mummy bhi ja rahi hain.
Sarita- Lekin aise kaise aap ja rahe hain. Aapko pata hai na ki aapki tabiyat thik nahi hai. Mama ko yahi bula lijiye.
Aanand ji- Are Ab to main bilkul thik hoon. Agar wo aa sakte to aa jate. Nahi aa sakte tabhi to bulaya hai unhone. Ham kal subah tak aayenge wapas. Tum dono apna khyal rakhna.
Sarita- Thik hai papa. Jaiye aap. Ham dono apna khyal rakhenge.
Aanand ji aur Raani ji Sarita ke mama ke yaha chale gaye. Unke jane ke bad Sarita aur Manisha baith kar aapse mein baat karne lagi. sham ko lagbhag 8 baje ke kareeb Sarita ka mobile bajane laga. Sarita ne dekha ki Nishchal ka phone tha to Sarita ne phone uthaya.
Sarita- Hello Sir.
Nishchal- Kaisi ho tum.
Sarita- Thik hoon Sir.
Nishchal- Tum thik nahi ho. Kuchh pareshan si lag rahi ho. Baat kya hai.
Nishchal ki baat sunkar Sarita apne man mein sochne lagi ki inhe kaise pata ki main pareshan hoon. Sarita ki taraf se koi jawab na pakar Nishchal ne kaha.
Nishchal- Hello Sarita, Are you OK.
Sarita- hmmm. Main thik hoon Sir. Kisi kaam se phone kiya tha.
Nishchal- Haan. Wo Number jo tumne jawed ko Track karne ke liye diya tha wo number tumhe kahan se mila. Wo number tumhare paas kaise aaya.
Sarita ke paas nishchal ki baat ka koi jawab nahi tha. Nishchal ki baat sunkar Sarita haklate huwe boli.
Sarita- wo..wo. mai..main.. mujheeтАж naтАжnahii paataaa.
Nishchal- Kyaa. Fir tumhare paas wo number kaha se aaya. Tum thik to ho na. Itna hakla kyon rahi ho.
Sarita- Nahi to. Main wo hann mere sir mein thoda sa dard hai. Main aapse baad mein baat karti hoon.
Nishchal- Kyaa huwa hai. Hello Sarita. Hello hello.
Nishchal hello hello karta raha lekin Sarita ne Nishchal ke sawalo se bachne ke liye phone cut kar diya uar swichoff bhi kar diya. Nishchal ne fir se call lagayi to phone band aa raha tha.
Nishchal ne kai bar koshish ki lekin Sarita ka phone band hi bata raha tha. Nishchal ne gusse mein Manisha ko phone kiya. Manisha ne phone uthaya.
Manisha- Hello boss.
Nishchal- Hey Chhote miya. Kaisi ho.
Manisha- Main badhiya hoon boss. Aap bataiye.
Nishchal- Main bhi thik hoon. ek baat batao. Tumhari didiya ko kuchh huwa hai kya. Koi pareshani hai kya use.
Manisha- Nahi boss. Didiya to bilkul thik hai. Even subah wo bahar bhi gayi thi do ghante baad wapas aayi thi. Kyon koi baat hai kya.
Nishchal- Nahi kuchh bhi nahi hai. Tum jara Whatsapp se apni location send karo.
Manisha- Kya baat hai boss. Didiya ke bina man nahi lag raha hai kya jo location mang kar aane ka irada hai.
Nishchal- tumhare dimag mein har samay khurafaat hi chalti rahti hai. Aisa kuchh bhi nahi hai main tumhe baad mein bataunga. Abhi jo bol raha hoon wo karo.
Itna kahkar Nishchal ne phone rakh diya. Nishchal ko sArita ka Is tarah ka bartav karna bahut khatak raha tha. Nishchal ke shak karne ka main karan yah bhi tha ki Nishchal ne jis tarah se Sarita se baat ki thi. Agar normal Setuation hoti to dono mein ladai shuru ho gayi hoti, lekin Sarita ne aisa kuchh nahi kiya tha balki phone band karke rakh diya tha. yahi baat nishchal ko khatak rahi thi.
Manisha ne whatsapp par location share kar di thi. Raat mein dono bahnon ne khana banaya. Khana kha kar Sarita ne dawa kha li thi, kyonki sarita ka Sir wakai mein Aaj subah ki hui bato ko soch soch kar fata ja raha tha. Raat ke kareeb 11 baje Sarita ka mobile fir se bajane laga.
Sarita ne dekha to Nishchal ka phone tha. Sarita ne phone silante mein kar diya. Phone aakar cut chuka tha, kuchh pal baad phir se mobile ke ghhiii ghhiii ki aawaz aane lagi to Sarita ne phone uthaya aur gusse se boli.
Sarita- Kyon pareshan kar rahe hain aap mujhe. Ye koi time hai phone karne ka. Mujhe neend aa rahi hai main subah baat karti hoon aapse.
Nishchal- (Sakht aawaz mein) Tumhare ghar ke bahar khada huwa hoon. jaldi bahar aao.
Sarita- (ghabrate huwe) Aapp. .. aa.aaap. gharr keтАж. BahaarтАж kaise kyon. KabтАжтАж
Ghabrahat ke mare uske munh se pata nahi kya kya nikal raha tha. Nishchal ne thodi tez aawaz mein kaha.
Nishchal- Agar 1 Minute mein tumne darwaza nahi khola to main darwaza pitna shuru kar dunga. Fir baad mein mujhe dosh mat dena tum.
Sarita- Plz Sir aisa mat karna. Main aa rahi hoon.
Aanand ji aur Raani ji to ghar par the nahi to Sarita ne Manisha ko Nishchal ke baare mein bataya. Manisha ye sunkar pahle to chauki. Chuaki isliye ki usne location bhejne ke baad socha nahi tha ki Nishchal yaha pahuch aayega.
Usne to socha tha ki shayad aise hi location mangi hogi nishchal ne. Manisha Nishchal ke aane ka sunkar bahut exited hui. Wo Khud nishchal se milna chahti thi.
Manisha Sarita ke sath bahar aayi to dekha bahar Nishchal Sach mein apni gadi ke paas khada huwa tha. bahar streaght light ki Roshni mein Jab Nishchal ne Sarita ko dekha to use dekhta rah gaya.
Aaj poore hafte bhar baad Nishchal Sarita ko dekh raha tha. Sarita ki to Nishchal ke paas jane ki himmat hi nahi ho rahi thi, Isliye Manisha koodte huwe Nishchal ke paas pahuch gayi.
Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
UPDATE- 67
Sarita ki himmat hi nahi ho rahi thi Nishchal ke paas jane ki. Manisha koodkar Nishchal ke paas pahuchi aur fusfusate huwe boli.
Manisha- Kya baat hai Boss. Itni betabi didiya se milne ki ki subah tak ka intezar nahi kar paaye aap.
Manisha ki baat sunkar Nishchal ne bina Sarita ke upar se najar hataye hue hi sakht lahje mein kaha.
Nishchal- Abhi nahi chhote miya. Abhi main mazak ke mood mein bilkul bhi nahi hoon. Mujhe tumhari didiya se ek important baat karni hai. Kya tum ham dono koo kuchh samay ke liye akela chhod sakti ho.
Nishchal ke bhav ko dekhkar Manisha samajh gayi ki jaroor koi badi baat hai jo Boss itni door se itni raat mein aaye hain. Manisha ne Nishchal se kaha.
Manisha- Aap andar aakar baat kar lijiye didiya se. agar itni raat mein aap dono ko bahar kisi ne baat karte huwe dekh liya to tarah tarah ki baat banana lagenge.
Nishchal ko bhi ye baat sahi lagi. Nishchal ko Manisha ne baramde mein lakar baithaya. Fir wo apne kamre mein chali gayi aur apne aap se boli.
Manisha- Aisi kya baat ho gayi jo Boss ko itni raat ko yaha aana pada. Jaroor koi bahut badi baat hogi tabhi to boss ne subah ka bhi intezar nahi kiya.
Manisha abhi itna hi sochi thi ki Uske mobile par Raghav ka massage aaya. Usne massage khol kar dekha to usme likha tha.
Raghav- so rahi ho ye jaag rahi ho. Call kyon nahi utha rahi ho tum. Main kab se phone kar raha hoon tumhe. Ye padhkar Manisha apne aap se boli.
Manisha- Ye aadmi pagal ho gaya hai aur mujhe bhi pagal kar raha hai. Kya main isase puchhu ki boss ka mod kisliye off hai. Par ise bhi kya pata hoga. Department ki koi baat ho sakti hai.
Idhar Nishchal baramde mein baitha huwa tha. Sarita Nishchal ke paas khadi hui thi. Nishchal ko apne samne pakar Sarita ki to jaise sans hi atak gayi thi. Nishchal apni jagah se khada huwa aur Sarita ki taraf dekhte huwe poocha.
Nishchal- Ab saf saf batao ki kya baat hai.
Sarita- Ko..koiiтАж.koii baat na..naahi.. haii.
Sarita ne ye baat haklate huwe kahi thi. Jise sunkar Nishchal ko bahut gussa aaya. Nishchal aage badhkar Sarita ke ekdam kareeb aaya aur uski banh pakadkar Sarita se gusse mein kaha.
Nishchal- Main itni door se itni raat mein gadi chalakar tumhari bakwas sun-ne nahi aaya hoon. mujhe sach jan-na hai jo tum chhupa rahi ho. Main sirf ek baar aur poochunga. Agar fir bhi tumne kuchh nahi bataya to yaha par jo bhi hoga uski jimmedar sirf tum hogi.
Nishchal ne bahut kaskar Sarita ki banh pakdi thi. Sarita ke jakham to waise bhar hi gaye the, lekin fir bhi Nishchal ki pakad itni mazboot thi ki Sarita ko dard hone laga to Sarita ne kaha.
Sarita- Mera hath dard ho raha hai Sir. Plz chhod dijiye mujhe.
Nishchal ne jab ye suna to usne turant Sarita ki banh chhod di aur do kadam pichhe hatkar khada ho gaya. Fir usne apne gusse ko shant kiya aur bahut pyaar se poocha.
Nishchal- Jo bhi baat ho tum mujhse share kar sakti ho ek dost ki tarah.
Sarita- (kanpti aawaz mein) Pahle aap promiss kariye ki meri baat sun-ne ke baad aap gussa nahi karenge. Mujhe datenge nahi aur chupchap meri baat sunenge.
Sarita ki baat sunkar Nishchal ab Aaswast ho gaya ki Sarita use sab kuchh batayegi, isliye nishchal aage badha aur Sarita ka hath pakadkar uski hatheli apni dono hatheliyo mein dabate huwe kaha.
Nishchal- Main promiss karta hoon ki main tumhari baat sunkar gussa nahi hounga. Tumhe datunga bhi nahi aur tumhari baat chupchap sununga. Lekin tumhe bhi promiss karna hoga ki tum hare k baat mujhe sach sach bataogi.
Sarita ek to pahle se hi dari hui thi. Upar se Jab Nishchal ne uska hanth pakad liya to uski halat aur bhi jyada kharab ho gayi. Uska apni dhadkno par kabu khota huwa najar aa raha tha. uski sanse bahut tez chalne lagi. parntu Sarita ne khud ko sanyat karte huwe apna hanth Nishchal se chhudate huwe kaha.
Sarita- thik hai Sir. Baithkar baat karte hain.
Nishchal- Thik hai Jisme tumhe Khushi milti ho wo kare. Tumhare liye to mainтАжтАжтАж
Itna kahta kahte nishchal ruk gaya aur jakar sofe par baith gaya. Sarita bhi jakar doosre kinare par baith gayi. Sofe par baithne ke baad Nishchal ne kaha.
Nishchal- Ab batao kya baat hai.
Sarita- Wo Jo aadmi Mujhe guldaste bhejta tha Wahi Raghu hai.
Nishchal- Kyaa. Kya kaha tumne.
Sarita- Haan Sir Wo guldaste bhejne wala aadmi hi rahu hai.
Fir Sarita ne Guldaste le lekar Phone par baate karna. Allahabaad milne aana. Sath mein coffee pine. Dosti karna. Raghu dwara pyaar ka izhar karna. Uske Proposal par vichar karna. Fir screech aur Abhishek ki phote ka Raghu se match karna Sab kuchh Sach sach bata diya.
Nishchal bahut dhyan se uski baate sun raha tha. Sarita ki baat sunkar Nishchal ko bahut gussa aa raha tha. Lekin Wo chahkar bhi Sarita ke upar gussa nahi kar pa raha tha. Usne promiss jo kiya tha Sarita se.
Nishchal ne dekha ki Sarita use batate batate jhapki le leti thi. Thoda jhool jati aur jhatke se uski aankh khul jati. Sarita ko ab neend aane lagi thi. Shayad jo usne Sir dard ki dawa khayi thi ye usi ka prabhav tha. ye dekhkar Nishchal uske paas aakar baith gaya. Sarita ne jab is baar Jhapki li to uska sir Nishchal ke kandhe par ja laga.
Sarita ke Sparsh se Nishchal ko andar tak sukun mil raha tha. Nishchal Sarita ke sir ke upar hath ferte huwe apne man mein sochne laga.
Nishchal- Bas tum Mujhe Sari Jindagi apni baate sunana. Main sari jindagi tumhar sir apne kandhe par tikakar isi tarah tumhari baate sunta rahunga. Kitna achha lagta hai jab tum mere aas paas hoti ho. Ek Khushi ka ehsah hota hai mujhe.
Tabhi Sarita ki aawaz se Nishchal Vartman ke dharatal par wapas aaya. Jo apni aankhe band kiye hi bol rahi thi.
Sarita- Main so nahi rahi hoon Sir.
Sarita ki baat sunkar Nishchal ne uske sir par thapki dete huwe kaha.
Nishchal- Haan aage bolo.
Sarita Fir se nichchal ko kuchh batane lagi. dhire dhire Sarita ki aawaz band ho gayi. Jab Sarita ki aawaz nahi aayi to Nishchal ne uski taraf dekha to wo so chuki thi. Use sote huwe dekhkar Uska sara gussa Kafoor ho gaya. Nishchal Sarita ko dekhte huwe apne man mein bola.
Nishchal- Dekho to. Mere samne to hamesha lady don bani firti rahti hain. Mujhse thik se baat bhi nahi karti hai. har samay ladti jhagadti rahti hai mujhse, lekin dekho. Us badmas se kaise milne chali gayi. mere sath to kabhi baithkar pani bhi nahi piya aur us gunde ke Sath mein baith kar coffee bhi pi.
Main use chhodunga nahi. Uski himmat kaise hui tumse is tarah jhooth bolkar milne ki. Sale ki himmat kaise huyi tumhe propose karne ki. Pata nahi main apni gussa kaise control kiya hai tumhare samne. Par ab wo aadmi mujhse jyada din tak bach nahi sakta.
Idhar jab kaafi der tak Sarita kamre mein wapas nahi aayi to Manisha Use dekhne kamre se bahar nikali to usne dekha ki Sarita Nishchal ke kandhe par Sir rakhkar so rahi hai aur NIshchal Sarita ko Apalak sote huwe dekh raha hai.
Manisha ne dono ki ek tasvir apne mobile mein utar li. Fir Manisha apne kamre mein chali gayi aur gala saff karte huwe apne kamre se bahar aane ki acting karte huwe aayi. Nishchal ye dekhkar thoda jhenp gaya aur apna hath uski sir se hata liya. Manisha Nishchal ko dekhte huwe boli.
Manisha- Aap kab se aise baithe huwe hain.
Nishchal ne Manisha ko ishare se dhire bolne ke liye kaha to Manisha uske paas aayi aur usme kan mein dhire se fusfusati hui boli.
Manisha- Aisa kariye boss ki Didiya ko kamre mein le chalkar sula dijiye. Kyonki didiya ne dawayi khayi hai aur dawai ke asar se didiya subah se pahle uthne wali nahi hain. Didiya ekdam kumbhkaran ki tarah soti hain.
Nishchal- (sakuchate huwe) Par main kaise Sarita ko utha sakta hoon.
Manisha- (chidhate huwe) Kyon nahi utha sakte. Ye khali jaisi body kya dekhne ke liye banai hai kya. Ab mujhse ye moti uthegi nahi. Nahi to aapko kahne ki jaroorat nahi padti.
Nishchal- Thik hai, tum aage chalna Kyonki mujhe kamre ka pata nahi hai.
Manisha- Haan bol to aise rahe hain jaise mera ghar ghar na hokar mahal ho jisme bahut sare kamre rahte hain. Ye kyon nahi bolte ki mere samne aapko Didiya ko god mein uthane mein sharam aa rahi hai. thik hai main aage aage chalti hoon aap pichhe piichhe aaiye.
Nishchal- (muskura kar) Thik hai.
Itna kahkar Nishchal ne Sarita ko apni god main utha liya aur Manisha ke pichhe pichhe kamre ki taraf chal pada. Kamre mein pahuchkar Nishchal ne Sarita ko bed par litaya. Bed par litane ke dauran Nishchal aur Sarita ekdam karreb the.
Dono ka chehra ekdam paas mein aa gaya tha. Nishchal sochne laga ki kaash ye wakt yahi par ruk jaye aur wo isi tarahh Sarita ko dekhta rahe. Lekin Manisha ke hone ke karan wo turant Sarita ko litakar pichhe hat gaya aur kamre se bahar aa gaya. Manisha bhi uske pichhe pichhe aa gayi. Manisha ke bahar aane ke baad Nishcahl ne usase kaha.
Nishchal- Ab main chalta hoon Manisha.
Manisha- Are aise kaise boss. Raat bahut jyada ho gayi hai. Abhi kaise jayenge aap. Aap yahi ruk jaiye.
Nishchal- Nahi Manisha main yaha nahi ruk sakta. Bahut jaroori kam pending pada huwa hai, isliye mujhe jana hoga.
Manisha- Achha thik hai chale jaiyega, lekin pahle kuchh kha lijiye.
Nishchal- Nahi. Mujhe bhookh nahi hai.
Manisha- Are aise kaise bhookh nahi hai. thoda sa to kha hi sakte hain na. nahi to didiya ko agar pata chal gaya ki maine aapko bina khana khilaye hi wapas bhej diya to meri shamat aa jani hai.
Nishchal- Are aise kuchh nahi hoga. Wo meri parwah hi kaha karti hain.
Manisha- Nahi wo baat nahi hai. asal mein didiya ki hamesha se ye aadat rahi hai ki Agar koi apne ghar par aata hai to bine khillaye pilaye kisi ko jane nahi deti thi. mujhe pata hai ki subah uthte hi sabse pahle yahi sawal hoga ki maine aapko kuchh khilaya pilaya tha ya nahi.
Nishchal uski baat sunkar muskurane lagta hai. Manisha Nishchal ke liye khana lekar aati hai. Nishchal hath munh dhokar khana khane lagta hai. jab tak Nishchal ka khana chalta hai tab tak Manisha ka munh chalta hai. pata nahi kaha kaha ki baat Nishchal ko bata rahi thi. Khana khane ke baad Nishchal jab chalne ko huwa to Manisha ne kaha.
Manisha- Waise boss aapne bataya nahi ki aap yaha par kyon aaye the.
Nishchal- bataya to tha tumhe ki kisi case ke sambandh mein important baat karni thi Sarita se.
Manisha- ye important baat to phone par bhi ho sakti thi. fir yaha aane ki kya jaroorat thi.
Nishchal- phone par nahi ho sakti thi isliye to aaya hoon. Tum to apni didiya ko janti hi ho. samne se to thik se baat nahi karti. Phone par kya khak karti baat.
Manisha- Chaliye. Jhooth mat boliye aap. Saf saf kahiye na ki aapko didiya se pyaar ho gaya hai. uske bina apka man nahi lag raha tha to didiya ke deedar ki abhilasha lekar aap yaha par aaye the. Aapko didiya se pyaar ho gaya hai boss.
Nishchal- (aankh dikhakar) Chhote miya aisi koi baat nahi hai. pata nahi tum kaha ki baat kaha jod rahi ho. apne is chhote se dimag itni batein na rakha karo ki dimag thik se kam karna hi band kar de.
Abhi ye dono baat kar hi rahe the ki tabhi Sarita ke room mein kuchh girne ki aawaz aayi. Dono dar gaye aur turant bhagkar Sarita ke room mein pahuche.
Waha jakar dekha to Sarita ke sirhane par rakha huwa glass niche gir gaya tha. Ye dekhkar Manisha ne kaha.
Manisha- Shayad karwat lene ke karan hath lagne se gilas gir gaya hoga.
Nishchal ki ghabrahat bhi shant ho gayii thi. wo Sarita ki taraf dekhte huwe bolta hai.
Nishchal- Achha ab main chalta hoon.
Manisha- (shararat se) main bahar ja rahi hoon. Aap didiya ko khoob achhe se nihar kar bahar aa jaiyega.
Nishchal Manisha ki baat sunkar jhenp gaya aur Manisha ke sir ke pichhe chapat lagate huwe bola.
Nishchal- Tum nahi subhar satki na chhote miya.
Nishchal ki baat sunkar Manisha ne apni gardan na mein hila di aur bahar chali gayi. Manisha ke bahar jane ke baad Nishchal chalta huwa Sarita ke paas aaya aur uske sir par hanth pherte huwe jhukkar ek chhota sa kiss uske mathe par kiya aur uske kamre se bahar aa gaya.
Bahar aane ke baad usne Manisha ke jane ki izzat mangi aur Manisha ko hug kiya aur bahar chala gaya. Nishchal ne apni gadi start ki aur ghar jaunpur ke liye chal pada.
Raste mein usne gana laga diya. use to waise hi naye gane pasand the to wo gano ki dhun mein kho gaya. Gane ke bich bich mein use Manisha ki baat yaad aa jati thi. jab Manisha ne usase kaha tha ki use didiya se pyaar ho gaya hai.
ye yaad aate hi wo muskura kar rah jata aur apne man mein sochne lagta. Kya sach mein mujhe pyaar ho gaya hai. nahi nahi ye pyaar nahi ho sakta, lekin ho bhi sakta hai. lakshan to pyaar ke hi lag rahe hain.
Yahi sab sochte huwe wo chala ja raha tha ki tabhi ek gana baja jo shayad naye jamane ka nahi tha, wo use change karne hi ja raha tha ki uske bol sunkar wo ruk gaya aur gana sun-ne laga.
Sirf tum sirf tum sirf gum- 2
O jana.
Chain ho chain ho mere dil ka
Sirf tum sirf tum sirf tum.
Labo par labo par sirf tum ho.
Sirf tum, sirf tum sirf tum
Mujhko ikrar hai tumse hi pyaar hai.
Lalalala..lalalaaтАжтАжтАж..
Jindagi Jindagi sirf tum ho
sirf tum sirf tum sirf tum
Ab aalam ye ho gaya tha ki gana khatam hote hote Nishchal bhi is gane ke sath apna sur milane laga tha aur sirf tum ho sirf tum ho jor jor se gane laga tha. Poore raste wah sirf Sarita ke bare mein hi sochta raha. Subah ke lagbhag 3 baje ke kareeb wo apne ghar pahuch gaya.
Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
No doubt 201%Manisha tharki hai![]()
рдЬрд┐рд╕ рддрд░рд╣ рдЖрдкрдХреЛ рд╣рдорд╛рд░реА рдХрд╣рд╛рдиреА рдореЗрдВ рдХрд┐рд░рджрд╛рд░реЛрдВ рдореЗрдВ рдмреБрд░рд╛рдИ рджрд┐рдЦрдиреЗ рд▓рдЧреА рд╣реИредMatlab ki aap ye kahna chahte ho ham masoom ne Darin... Oooo Nooo mahi ji aap hamare bare me aisa sochte hai.
рд╕рдВрдЧрдд рд╣рдореЗрд╢рд╛ рдЕрдЪреНрдЫреА рдХрд░рдиреА рдЪрд╛рд╣рд┐рдП рдорд╣реЛрджрдпMahotarma ji sangat ka asar hai taral padart oodhar hi bahega jidar dhaal hoga![]()
рдЕрдм рддреЛ рд╣рдордХреЛ рднреА рдЖрдкрдХреЗ рдЕрдВрджрд░ рдХреБрдЫ рдХреБрдЫ рджрд┐рдЦ рд░рд╣рд╛ рд╣реИредAchanak kab kiske andar ka burai dikh jaye koyi kah nehi sakta to bas achanak nishchhal aur raghav ke andar chhupe....![]()
рдЖрдкрдХреА рдмрд╛рдд рднреА рдмрд┐рд▓реНрдХреБрд▓ рд╕рд╣реА рд╣реИ рдореИрдбрдоредредaur pyar ki suruvaat jaan pehchan se bhi hoti hai.... to kyun na savita ab se bas abhishek ke bare main hi soche
Waise Sarita aur tharki manisha to waise bhi mahendra budhau ki bahu banne wali hai ... to idhar savita abhishek sang naya sansaar basa le![]()