Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Member
105
96
28
Aakhirkar dono pyar karnewale par writer sahiba ki meherbani ho hi gayi
Sarita ab ias karne ke baad hi Shaadi karegi :doh:

Ab please uss kamini, namak-haram aur besharm Savita ko nishu ki Shaadi se dur hi rakhna :idea: aisa karo ki uska accident karwa Kar hospitalized karwa do Jo Shaadi ke baad hi thik ho
 
expectations
23,522
15,522
143
UPDATE- 100


Bahar khadi manisha is gane ki dhun par jor jor se ga bhi rahi thi. Jaha par gane ke bol mein Bobby doob jaye uski jagah Manisha ne Didiya doob jaye kaha to Sarita ko bahut gussa aaya. Wo turant Nishal ki taraf mud gayi aur use dekhne huwe boli.


Sarita- I am sorry Sir. Manisha ki wajah se aapko itna pareshan hona pad raha hai.


Nishchal Sarita ki taraf hi dekh raha tha. Jab Sarita ki aankhe Nishchal se mili to usne apni najarein jhuka li. Nishchal ne muskurarte huwe kaha.


Nishchal- Koi baat tumhe pareshan kar rahi hai Kya.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne ek najar Nishchal ki taraf dekha fir turant apni najare pher li aur kaha.


Sarita- Nahi… Nahi to. Ye sari shaitani Manisha ki hai aur kuchh nahi.


Sarita ki baat sunkar Nishchal uski taraf badhte huwe kaha.


Nishchal- Isme uski koi shaitani nahi hai, balki main khud kai dino se tumko notice kar raha hoon. Tum bahut badal gai ho. ab tum wo pahle wali Miss Joshi nahi rahi jo baat baat par dana pani lekar mere upar chadh jati thi. mujhse jhagda karti thi, mujhse gussa karti thi.

Lekin Ab tum mujhse ladna jagadna bn aur gussa dikhanaa to door baat hi karna pasand nahi karti ho. mere samne aana hi nahi chahti ho, agar galti se aa jati ho to bahut incofertable feel karti ho, jaise is samay kar rahi ho.

tumhara yah roop pahle se bilkul alag hai. Tumhe koi samasya hai kya. Agar koi baat hai to tum bejhijhak mujhse kah sakti ho.


Nishchal ki baat sunkar Sarita bagle jhankne lagi. Use samajh mein nahi aa raha tha ki wo Nishchal ki baat ka kya jawab de. Wo to soch rahi thi ki uske kriya-kalapo par kisi ki najar nahi hai, lekin pahle Manisha aur ab Nishchal ki baat sunkar Sarita ke hosh udd gaye the. Use kuchh bolte nahi ban raha tha , tabhi uske mobile ki massage tone baji to Sarita ne kaha.


Sarita- Sorry sir. Ek minute. Mobile mein massage aa raha hai.


Ye kahkar Wo bister ke paas chali gayi aur apna mobile uthakar dekhne lagi. Massage Manisha ka tha Usne likha tha ki bol do didiya. Isase achha mauka tumhe fir kabhi nahi milega.


Sarita kabhi mobile screen par dekhti to kabhi Nishchal ki taraf chor najaro se dekhti. Nishchal ye dekhkar aage badhkar Uske paas aaya aur uske hath se mobile le liya aur massage par apni nigah dali fir Sarita ki taraf dekhte huwe kaha.


Nishchal- Kya baat hai Sarita?? Kya kahna hai tumhe jiske bare mein chhote miya tumse bol rahi hain??


Nishchal ki baat sunkar Sarita ke munh par tala lag gaya uske munh se bol hi nahi foot rahe the. Uske kuchh na bolne se Nishchal ne uski banh pakad li aur use apne paas kheech liya aur bola.


Nishchal- Batao mujhe.


Udhar Sarita ke dil ki dhadkan train ki raftaar ki tarah sarpat bhag rahi thi. uske peshani par bal pad gaye the. Mathe par pasina aa gaya tha. uski najarein jhuki hui thi. wo apna hath chhudate huwe hadbadakar boli.


Sarita- wo… main.. wo main… haan wo mujhee yee puchhna tha aapse…. Kii… rawat ne mujhe… kahan par rakha hai. Ye baat aapko... Aapko kaise pata chali.


Nishchal Sarita ki baat sunkar Muskura utha aur bola.


Nishchal- Tum shyor ho ki tumhe mujhse yahi baat puchhni hai.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne haan mein apna Sir hilaya to Nishchal ne use pakadkar bed par baithaya aur paas mein padi chair par khud baith gaya. Sarita ab bhi apni najarein jhukaye baithi hui thi. chehre par sharam ki lali chha gayi thi. Sarita ko baithane ke baad Nishchal ne kaha.


Nishchal- to Miss joshi ko ye jan-na hai ki mujhe us jagah ki location kahan se mili jis jagah Rawat ne tumhe chhupaya tha. Jaha tak mujhe lagta hai ki tum main baat na kahkar baat ko ghuma rahi ho, lekin fir bhi tumhari tasalli ke liye main ye bata deta hoon ki mujhe pata kaise chala.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne apna sir haan mein hila diya to Nishchal ne batana shuru kiya.


Nishchal- to Suniye fir. Jiske liye tum itne din se pareshan ho.



Jab Nishchal Sarita ko dhoondh raha tha uss samay ki baat


Nishchal- Jab mujhe tumhare gayab hone ki khabar Manisha ne di to main bahut pareshan ho gaya tha. mujhe samajh mein nahi aa raha tha ki main tumhe kahan dhundhu. Mere dimag ne kaam karna bilkul bhi band kar diya tha. Fir maine us jagah se shuruaat ki jis jagah se tum gayab hui thi.

Manisha ke batane ke baad main us address par pahucha. Mall ke CCTV mein dekhne ke baad mujhe pata chala ki tumhara kidnap ho gaya hai. ye dekhkar mujhe itna to pata chal hi gaya ki tumhara kidnap kisi ne apni personal dushmani nikalne ke liye kiya hai.

Fir maine local police ki madad li aur tumhara phone track karwaya to uski location Allahabad Kanpur highway par dikhayi di. jo chhan-bin karne ke baad laga ki wo hame gumraah karne ke liye kidnaparo ki chal thi.

usi din shaam ko Jaawed aur mohit ka laagatar phone aa raha tha, lekin main pareshan tha isliye dhyan nahi de paya ispar. Agle din jab maine usase baat ki to pata chala ki Raghu jail se bhaag gaya hai.

Jawed ki baat sunkar mera matha thanka ki ho na ho tumhari kidnaping ki poori jankari mujhe yahi se milegi. Matlab ye ki mujhe tumhare paas pahuchne ki ek chhoti si kiran najar aayi. Raghu ke bhagne se itna to mujhe pata chal hi gaya tha ki ye kaam Bachha Singh ka nahi ho sakta, Uske jail se bhagne ke pichhe jaroor apne hi department ke kisi policewale ka hath hai,

Kyonki itni tight security ko todkar bhag jana Itna Aasan nahi tha. Yahi se mera matha thanka ki ho sakta hai Raghu ka bhagna tumhari kidnaping se juda huwa hai.

Maine, mohit aur jawed ne Bachcha Singh ke aadmiyo se poochhhtach ki aur unpar najar rakhne ke liye kaha. Aur jald hi ham bachha Singh tak pahuch gaye. Maine bachha Singh se Sakhti se puchhtachh ki to Usne is baat se saaf inkar kar diya ki tumhari kidnaping ke bare mein use kuchh pata hai. wo to mujhse hi poochhne laga ki Raghu ko mere paas hona chahiye. Use Raghu ke bare mein koi jankari nahi hai.

Bachcha Singh baar baar kisi neta ka naam le raha tha. Pahle to mujhe shak huwa ki wo apna bachav karne ke baad neta ka naam le raha hai, isliye maine use girftar kar liya aur thane lekar jane laga.

Tabhi mujhe Tumhare bhaai ka phone aaya aur usne mujhe Important baat bolkar bula liya. Jab main waha pahucha to Usne Mere samne fir se wahi Tasvir Rakh di jo usne banayi thi. maine usase kaha.

Main- Ye Sab kya hai. Aap mujhe fir se wahi Tasvir dikha rahe hain jo us din aapne dikhayi thi. Aapko pata hai na ki main is samay Sarita ko dhoondh raha hoon. Mere paas is bare mein abhi sochne ka bilkul bhi samay nahi hai.

Abhishek- Mujhe pata hai ki Aap Sarita ko dhoondh rahe hain. Wo meri bhi bahan hai aur mujhe bhi use dhoondhna hai. aur ye tasvir maine kuchh der pahle hi complete ki hai. Ye tasvir aur pichhli tasvir dono same hi hain. Maine phichhli baar hi aapko bataya tha ki ye dono wahi hain jo Sarkar aur boss ke naam se Bachha Singh aur Raghu se baat karte hain.

Main- lekin aisa kaise ho sakta hai. Aap samajh bhi rahe hain ki jis insan par aap ye ilzam laga rahe hain wo bahut hi imandar police officer hain. wo mujhe apna beta mante hain. mera to chhodo wo Sarita ko apni beti jaisa mante hain. wo aisa kaam nahi kar sakte.

Abhishek- maine jo tasvir banayi hai wo bilkul sahi hai aur agar aap in dono ke bare mein jante hain to ek baar koshish kariye sachhayi pata karne ki. Ho sakta hai ki Sarita inhi dono ke paas ho.

Main- main dono ko to nahi janta, lekin ek to Sarita ke PS mein hi hain aur bahut hi sensior aur imandar officer hain. Mujhe unke upar poora bharosha hai, lekin Sarita ko dhoondhne ke liye ek baar main aapki baat mankar pata karta hoon kuchh. Dhanyawaad aapka. Ab main chalta hoon.

Abhishek- main bhi chalugna aapke sath. Mujhe bhi apni bahan ko dhoondhna hai.

Main- Nahi aap nahi aa sakte.

Abhishek- Plz Sir. Aap mera bharosha kariye. Main sirf aapki madad karna chahta hoon apni bahan ko dhoondhne mein. Plz Sir.

Main- Achha Thik hai. aap aa sakte hain mere sath, lekin mere pichhe pichhe. Jaha par sarita hogi us jagah khatara bhi hoga. To aap waha par chhupkar rahiyega. Agar aisi setuation aa jaye ki aapko samne aana pade tabhi aap samne aaiyega. Nahi to aap bahar chhupkar hi rahiyega. Ek baat aur. Sarita ke mil jane ke baad aap chupchaap wapas yahan par aa jaiyega.


Uske baad main waha se PS Aaya aur Bachha singh se fir poochhtachh ki to uska jawab ab bhi wahi tha. maine Bachha Singh ki baat ko aadhar banakar us neta ki poori details nikalwayi. Fir maine us Neta ki call details bhi nikalwayi to usme ek baar Rawat sir ka number Show ho raha tha. maine Jawed se poochha.

Main- Jawed Rawat Sir kaha par hain.

Jawed- Wo bata rahe the ki New delhi mein koi meeting hai Aaj to wo do din pahle hi meeting attende karne chale gaye.


Maine socha ki main to chhutti par tha to ho sakta hai koi schedule bana gaya ho meeting ka. Jiske bare mein mujhe pata nahi hai. ye sochkar maine is par jyada dhyan nahi diya. Tabhi mujhe Abhishek ki baat yaad aayi. To mere samne Rawat Sir ki aankhe ghoomne lagi.

Fir maine New Delhi phone lagaya aur Aaj hone wali meeting ke bare mein poochha to pata chala ki koi meeting hain hi nahi. Maine unse ek do din baad kisi meeting ke barein mein pochha to pata chala ki agle 15 tak meeting ka koi schedule nahi hai.


Ab to Mera bhi dimag kam nahi kar raha tha ki Sir ko jhooth bolkar jane ki kya jaroorat thi. maine Sir ki call details nikali to usme se mujhe kuchh bhi aisa nahi mila jo sandehaspad ho.

lekin mujhe pata nahi kyon lagne laga tha ki Rawat Sir ke sath kuchh na kuchh gadbad hain Tabhi wah meeting ka bahana banakar gaye hain. fir maine Us neta ki call details dobara check ki to ek number se pichhle kai dino se lagatar kai ghante baat hui thi.


Maine neta ka number aur Us number ko Servilance par dal diya to sanyog se dono number ki location ek hi jagah dikhane lagi. Jab maine Rawat Sir ka Number Trace kiya to uski bhi location same hi dikha rahi thi jaha par neta aur us number ki location dikha rahi thi.

shayad Rawat Sir ne apna mobile off karna bhool gaye ya fir unhe is baat ka guman nahi tha ki tumko dhoondhne ke liye main apni Chhutti se wapas aa jaunga.

Jo bhi ho ye to Rawat Sir hi jane lekin Tino mobile ki location ek sath dekhkar main Jawed aur Mohit ko sath lekar Us jagah ke liye nikal gaya jaha par Rawat Sir ke mobile ki location dikha rahi thi. Mere pichhe pichhe Abhishek bhi us jagah par aaya tha aur chhip gaya tha. Iske baad kya huwa wo tum achhe se janti ho.



*********


Sarita bade dhyan se Nishchal ki baate sun rahi thi. Is bich usne ek bar bhi nishchal ko nahi toka tha. Nishchal ki baat khatam hone ke baad Sarita ne kaha.


Sarita-Agar main waha bhi nahi milti to.


Sarita ki baat sunkar Nishchal tadap utha aur usne kaha.


Nishchal- Kyon nahi milti tum. Main aapni jaan par khel jata, lekin tumhe kuchh bhi nahi hone deta. Main tumhe kuchh bhi karke dhoondh nikalta. Tum itni aasani se mujhse door nahi ja sakti ho. Tum jana bhi chaho tab bhi main tumhe apne se door nahi jane doonga. Tumhe mujhse koi alag nahi kar sakta koi bhi nahi.


Sarita Nishchal ki taraf hi dekh rahi thi aur uski baat samajhne ki koshish kar rahi thi. Nishchal ne ye baat bol to di, lekin jab use is baat ka ehsaas huwa ki wo bato bato mein kya bol gaya hai to wo Sarita se najarein churane laga.


Sarita ke phone par pichhle kuchh samay se aa rahe massages ab band ho chuke the. Sarita ne man hi man kaha.


Sarita- Lagta hai bahar hi so gayi hai nahi to ab tak bawal macha deti massage kar kar ke.


Nishchal ke us baat ko kahne ke baad kamre mein pine drop jaisa sannata chha gaya tha. Na hi Sarita kuchh bol rahi thi aur Nishchal wo baat kahne ke baad bolne ki halat mein nahi tha. thodi der ki khamoshi ke baad Sarita ne Nishchal se kaha.


Sarita- Main aapko kaisi lagti hoon??


Sarita ki baat sunkar Nishchal uski taraf dekhne laga. Use kuchh samajh mein nahi aaya ki Sarita kya puchh rahi hai. Nishchal ko khamosh dekh kar Sarita ne kaha.


Sarita- Bataiye na. main aapko kaisi lagti hoon??

Nishchal- Achhi lagti ho.

Sarita- Bas Achhi lagti hoon.

Nishchal. Nahi. Bahut achhi lagti ho.

Sarita- Bas bahut achhi lagti hoon.


Nishchal ko samajh mein nahi aa raha tha ki Sarita poochhna kya chahti hai. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Nahi. Bahub bahut Achhi lagti ho.

Sarita- Bas bahut bahut achhi lagti hoon.

Nishchal- Nahi. Bahut bahut bahut jyada achhi lagti ho.


Sarita ne Nishchal ki baat sunkar muskurate huwe kaha.


Sarita- Bas bahut bahut bahut jyada achhi lagti hoon.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ke sabar ka bandh toot gaya aur wo bola.


Nishchal- Tum kahna kya chahti ho saf saf kaho.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne ek pal ke liye socha fir wo bister se uthi aur chalkar Nishchal ke pas aayi jo kursi par baitha huwa tha. Sarita nishchal ke samne aakar khadi ho gayi to Nishchal apni kursi se khada ho gaya.


Sarita ne Nishchal ki aankho mein aakhein dalkar dekhte huwe kaha.


Sarita- Main ye kahna chahti hoon ki mujhe aapse……. Mujhe aapsee.... Mujhe aapse....


Iske aage ke shabd sarita ke munh se bahar nahin nikal rahe the. Ye dekhkar Nishchal ne kahaa.


Nishchal- haan sarita. Aage bolo tumhein mujhse kyaa...


Nishchal ki baat sunkar sarita ne apne dil ko majboot kiya aur apni aankhein band kar li aur bolna shuru kiya.


Main ye kahna chahti hoon ki mujhe aapse……. Mujhe aapsee.... Mujhe aapse.... pyyaa….. pyaar ho gaya hai.


Nishchal ko to Sarita ki baat sunkar apne kano par yakeen hi nahi ho raha tha. usne apne dono kano mein ungli dalkar hilaya aur Sarita se kaha.


Nishchal- Kya kaha tumne. Jara fir se kahna.


Sarita- (aankhein kholkar bina samay gawaye) Mujhe aapse pyaar ho gaya hai. I Love You. Can I hug you once??

Nishchal- Kyaaa??


Nishchal ye sunkar Khushi se jhoom utha aur apni bahein faila di.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Bahut badhiya update akhir Pyaar ka ijhaar jaise taise ho hi gawa
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,316
19,147
143
UPDATE- 88


Parlor wali ke andar aane ke baad Raghav bhahar chala gaya. Uske pichhe Manisha bhi chali gayi. Manisha ne Raghav ko aawaz di.


Manisha- Raghav. Meri baat suno.


Manisha ki aawaz sunkar Raghav ruk gaya aur pichhe muda to Manisha uska hath pakadkar paas ke kamre mein le gayi. kamre mein pahuchate hi Raghav ke Aanshuwo ne uski aankho ka sath chhod diya aur wo Manisha ke gale lagkar phoot phoot kar rone laga. Manisah ne uski pith sahlate huwe kaha.


Manisha- Raghav. Raghav. Kya huwa tumhe??

Raghav- Kuchhh nahi. Wo buwa dadi ji jab mujhe ulta siddha sunayengi to meri aankho se aanshu na nikle isliye main abhi hi ro le raha hoon. Mujhe bhaai wali sari rashmein bhi to karni hai to Agar main waha par rone laga to di ka kya hoga.

Manisha- Achha ab chup ho jao.


Thodi der tak Raghav Manisha ke gale laga raha fir usase alag hokar room se bahar chala gaya.


Mohit aur jawed bhi shadi attend karne aa gaye. Dono sabse milkar Bahut khush huwe. Sarita aur raghav ko bhi donon se milkar bahut achha lagaa.


Udhar CM Sahab bhi shadi attend karne ke liye aa gaye. Unke aane se mahaul aur bhi tadak bhadak wala ho gaya. Unka swagat karte huwe Mahendra ji ne kaha.


Manendra Ji- Are CM Sahab. Swagat hai aapka. Aap meri bachhi ki shadi mein aaye iske liye aapko bahut dhanyawaad.

CM- Are Mahendra ji. Ye to hamari khushnasibi hai ki aapne mujhe apni beti ki shadi mein bulaya. Lekin Mahendra ji. Mere paas jyada samay nahi hai to mujhe jaldi hi nikalna padega.

Mahendra ji- Aaj ke din aapka koi bahana nahi chalega. Bitiya aur damad ko Aashirwaad dekar aur khana khakar hi aapko jane dunga aaj.

CM- Ab main iske bare mein kya bol sakta hoon. Mujhe pata hai ki aap mujhe itni aasani se chhodne wale hain nahi. Ab mejbaan aap hain to aap jaisa kahe.


CM Sahab ki baat sunkar Mahendra ji ne apne ek mulajim ko bulaya aur kaha.


Mahendra ji- Suno Chandan. Ye hamare khas mehman hai to inki khatirdari mein koi kami nahi honi chahiye. Tumhari jimmedari yahi hai ki jab tak CM sahab yaha par hain tum inhi ke paas rahoge aur jis cheez ki bhi inhe jaroorat hogi. Tum inhe lakar doge. Samajh gaye.

Chandan- Ji sahab samajh gaya.


Chandan ko samjha kar Mahendra ji waha se chale gaye. Tab tak baraat bhi aa gayi. naach gane ke sath dwarachar aur tilak ki rasham sampann hui. Uske baad Anant ko uske bhaiyo ne jaymal ki stage par le jakar sofe par baitha diya aur usase hansi majak karne lage.


Kuchh der baad Savita sabke sath Niche aayi, Nishchal ne jab Savita ko dekha to uski aankho ke por bhig gaye. Usne jaldi se apni aankhon ko saaf kiya aur jakar Savita ke sath khada ho gaya.


Hansi majak ke bich mein hi jaymala ka programme sampann huwa. CM sahab ne bhi Savita aur Anant ko Aashirwad diya aur gift mein Savita aur Anant dono ko gold ki watch bhent ki.


Jaymala ka karyakram achhe se samapt ho gaya to sabhi khane ke liye chale gaye. CM sahab khana khakar apne kafile ke sath sabse vida lekar chale gaye. Anant aur Savita ne sath mein baith kar khana khaya. Savita ke sath Sarita, Manisha, Deepali thi to Anant ke sath Charu, tanmay aur yash the. Thodi der baad unka bhi khana samapt ho gaya aur sabhi uthkar waha se chale gaye.


Lagbhag 2 ghante baad Vivah ki Rashme shuru hui. Charu ek bhi mauka nahi chhod rahi thi Nishchal ke paas rahne ka. Wo kabhi photo click karne ke bahane se to kabhi khana khane ke bahane se to kabhi baat karne ke bahane se. Sarita sabkuchh dekh rahi thi. lekin jab Nishchal ki najar uspar padti to wo apni najare doosri taraf kar leti.


Vivah karyakram mein bhaai ki Rashem ki jab baari aayi to Buwa ji ne kaha.


Buwa ji- Ae Nishuwa. Unha baitha kya kar raha hai. Aa aur bhaai ki Rasham poora kar. Haan nahi to batao jara.


Naina ji ne turant Nishchal ko aankh k ishare se mana kiya. Naina ji ne Raghav se kaha.


Naina ji- Raghav. Jakar bhaai ki rasham karo.

Buwa Ji- (bhadakti hui) Ae bahuriya. Tohra dimaag kharab ho gaya hai kaa. Hamne pahle hi bol diya tha ki ye naaspita kisi bhi shubh kaam mein bhag nahi lega. To ye bhaai wali Rasham Kahe liye karega. Are mahendarwa. Tu hamari baat sunta kahe nahi hai.


Naina ji aur Mahendra ji buwa ji ki baat par maun rahe to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Kya huwa buwa dadi ji. Agar Raghav ne Sari Rasham kar di to.

Buwa ji- Ye sari rasham Bhaai karta hai jo tujhe karni chahiye Nishuwa aur tu chahta hai ki Ye Rasham Ee naspita kare. Haan nahi to batao jara.

Nishchal- Raghav bhi to di ka bhaai hai. Ab chahe rasham main karu ya Raghav Kya fark padta hai.

Buwa ji- Tu pagla gaya hai kya. Ye Naspita Hamara khoon nahi hai. pata nahi kiska ganda khoon hai ye. hamari bitiya ki Rasham Is naspite ke hatho se nahi hogi jiske maa baap ka hi pata na ho. haan nahi to batao jara


Buwa ji to apne full form mein aa gayi thi. Buwa ji ke munh se nikali har baat Savita, Nishchal, Mahendra ji, Naina ji Aur khaskar Raghav ka sina chhalni kar rahi thi. Barati bhi Buwa ji ki baato ko sunkar khusar fusar karne lage the. Buwa ji ki baat sunkar Is baar Savi ne kaha.


Savi- Buwa dadi ji. Aap Raghav ko aise nahi bol sakti. Wo mera bhaai hai aur hamesha mera bhai rahega. Main nahi manti aapki kisi bhi baat ko. Maine pahle bhi kaha tha aapse ki Aap Raghav ko lekar koi ulti sidhi baat mat kariyega.

Main nahi manti aapki dakiyanusi baato ko. Jab Mujhe, Nishu ko aur Mummy papa ko is baat se koi problem nahi hai ki Raghav bhaai ki sari rashmo ko nibhayega to aapko itni chidh kyon hai Raghav se. Mujhe kuchh nahi sun-na. Sari Rasham Raghav ki karega.


Baat ko badhte dekhkar Raghav ne kaha.


Raghav- Di. Baat ko badhaiye mat. Buwa dadi ji sahi kah rahi hain. Main Ganda khoon…………………


Raghav ki baat sunkar is baar Mahendra ji ka sabar jawab de gaya. Wo gusse se garajate huwe bole.


Mahendra ji- Raghav. Agar iske aage ek shabd bhi kaha to mujhse bura koi nahi hoga. Tum mere bete ho. Kisi ke man-ne ya na man-ne se sachhai nahi badal jayegi. To aage se kuchh bhi bolne se pahle hajar baar sochna. Samjhe.

Raghav- Sorryy papa.

Mahendra ji- Aur buwa ji. Ab Aap bas kariye. Bahut bol liya aapne mere bete ke khilaf. Mujhe to ye samajh mein nahi aata ki aapko Raghav se problem kya hai. Aapka kitna samman karta hai ye. aapki jali kati kisi bhi baat ka aaj tak usne palat kar jawab nahi diya. fir bhi aap hamesha use bhala bura hi kahti rahti hain.

Buwa ji- Mahendarwa. Ab tu itna bada ho gaya hai ki Mujhse juban ladayega. Kya tumne Hamka isi liye shadi mein bulaya hai ki tum hamara apman kar sako. Haan nahi to batao jara.

Armesh- Dadi ji. Chacha ji Aur di sahi kah rahe hain. Agar Rasham Raghav karega to kya dikkat hai aapko. Ye aapka apman kaha kar rahe hain balki aap hi hamesha Raghav ko sunati rahti hain.

Buwa jji- tu chup kar Rameshwa. Bada aaya mujhe samjhane wala. Agar Ragahv ne Rasham ki to main yaha se chali jaungi. Haa nahi to batao jara.

Mahendra ji- Buwa ji. Aap apni zid chhod dijiye. Hamari beti ne pahli baar hamse kuchh managa hai ki uski shadi mein bhaai ki sari rasham Ragahv kare to ham apni beti ko mana nahi karenge. Bhaai ki sari rasham Raghav hi karega. Ab kisi ko rahna ho to rahe aur jana ho to chala jaye. Mujhe apni beti ki khushiyo se jyada is samay kisi aur cheez ki parwah nahi hai. Raghav beta aage jao aur Rasham shuru karo.


Raghav aage badhkar Rasham karne laga to Buwa Dadi waha se uthkar jane lagi, lekin paas baithi Deepali aur Manisha ne unka hath pakadkar fir se wapas baitha liya. Buwa ji ne dono ko ghoor kar dekha to dono idhar udhar dekhne lagi. Buwa ji ne kai baar koshish ki lekin jab wo nahi ja pai to man marker baith gayi.


Raghav ne Rasham shuru kar di to Nishchal aakar Sarita ke bagal mein baith gaya. Nishchal ke baithne ke baad Sarita waha se uthkar jane lagi to Nishchal ne uska hath pakad liya aur bola.


Nishchal- Baat to karo na yaar. Aise Kyon ja rahi ho tum. I Am Very very sorry.

Sarita- mera hath chhodiye.

Nishchal- Achha thik hai tum baitho main hi ja raha hoon yaha se.


Itna kahkar Nishchal waha se uthkar jane laga. Paas baithi charu ne ye sab dekha lekin use samajh mein nahi aaya ki dono ke bich kya ho raha hai. wo wahi par baithi Sarita ko hi dekh rahi thi. udhar buwa ji bhi mauka pakar waha se uthkar chali gayi. Naina ji ne ye dekh liya to wo unke pichhe pichhe aayi aur boli.


Naina ji- Aap is tarah waha se uthkar kyon aa gayi??

Buwa ji- (gusse mein) Ab ye bhi hame hi batana padega. Hamse jyada to wah naspita tum sabke liye jaroori ho gaya hai na. kal subah ham rameshwa ke sath yaha se nikal jayenge. Jab hamari is ghar mein koi ijjat hi nahi hai to fir yaha rukne ka koi tuk hi nahi banta hai. haan nahi to batao jara.

Naina ji- Aap ye kaisi baate kar rahi hain. Savi ne jid kiya tha ki uski sari rashein Raghav hi karega nahi to wo Shadi nahi karegi. Waise bhi Nishchal se jyada Raghav Savi ko chahta hai usne kabhi bhi ham logo se kuchh nahi managa.

Jaise bolo waise hi rahta hai, Sabse Achhi tarah se baat karta hai aur sabse badi baat ki ham sabko paraya nahi manta. Aapne to dekha hi hai ki Nishchal apni duty ki wajah se pahunch nahi papa to usne kitne achhe se sab sambhal liya tha. Savi ke papa ko tanik bhi pareshan nahi hone diya.

Buwa ji- (munh banate huwe) Bass bass Jyada badai na karo uski mere samne. Mujhe sab pata hai ki kaun kaisa hai?? hame us ladke ke bare mein kuchh na hi batao to jyada achha hai. haan nahi to batao jara.

Naina ji- Savi ne hi Raghav se kaha tha ye karne ke liye.

Buwa ji- Are bahuriya. Savi to nadan hai par tum aur Mahendar to samajhdar ho na. Apni beti ko bhala- bura, Achha-kharab Samjha to sakte the. Jis ladke ke na kul ka pata ho aur na hi khandan ka usase tum apni beti ki shadi ki rasham kara rahi ho aur uske aane wali khushhal jindagi mein graham laga rahi ho. kaisi maa ho tum??

Hamse apni bachhi ka ye dukh dekha nahi jayega, isliye ham kal subah hi Allahabad chale jayenge kyonki ham apni aankho se ye anarth hota huwa nahi dekh sakte. Haan nahi to batao jara.


Buwa ji ki baat sunkar Naina ji ne unke samne hath jod liye aur kaha.


Naina ji- Aisa mat kahiye buwa ji. Aap jaisa kahengi waisa hi hoga. Kripya karke ab mandap mein chalkar baithiye, log tarah tarah ki baatein bana rahe hain.

Buwa ji- (Muskurakar) Phale jakar us naaspite ko hamare aankhe ke samne se hatao. wo jab tak mandap mein rahega tab tak ham waha par nahi aayenge. Haan nahi to batao jara.


Udhar jab Buwa ji ke pichhe pichhe naina ji kamre mein aayi to Manisha bhi unke pichhe aayi, lekin wo darwaze par hi ruk gayi. Buwa ji ki baat sunkar use bahut gussa aa raha tha. Uska man to ho raha tha ki wo kamre mein chali jaye aur buwa ji ko khoob achhe se suna de, lekin Uske apne kuchh sanskar the jo use aisa karne se rok rahe the. Buwa ji ki baat sunkar jab Naina ji bahar aane lagi to Manisha waha se chali gayi.


Kamre se bahar aakar Naina ji ne mandap mein jakar Raghav ke kaan mein kuchh kaha to Raghav Muskurate huwe waha se chala gaya. Ab tak Raghav Sari Rasham kar chuka tha. To Raghav Muskurate huwe waha se hat gaya. Raghav ke hat-te hi buwa ji thath se Mandap mein akar baith gayi.


Manisha jis taraf Raghav gaya tha us taraf gayi. Wah haal ke garder area mein aa gaya tha. Manisha kuchh der wahi par khadi hui use dekh rahi thi. jab usase raha nahi gaya to wah daudkar aayi aur pichhe se Raghav ke gale lag gayi.


Raghav ek achanak huwe ek apratyashit kriya se hadbada gaya. Manisha ne pichhe se use gale lagate huwe kaha.


Manisha- Ro rahe ho tum.

Raghav- Nahi to.


Manisha ne Raghav ki baat sunkar uske samne aate huwe kaha.


Raghav- Dikhao apna chehra.

Raghav- (Manisha ko chidhate huwe) Itna pasand aa gaya hai kya mera chehra tumhe??

Manisha- Mazaak mat karo.


Manisha ne use dekha to wo normal hi khada tha. Raghav Manisha ki aankho mein dekhte huwe kaha.


Raghav- Kya huwa??

Manisha- Aunty ji ne tumse kya kaha.

Raghav- Wo main tumhe kyon bataun.

Anisha- Maine Medona aur Aunty ji ki baate sun li hain. Pair kabar mein hain budhiya ke fir bhi apni harkato se baaz nahi aa rahi hai.


Raghav Manisha ki baat sunkar hanste huwe bola.


Raghav- Medona?? Buwa dadi ji ko tumne yah naam diya hai.

Manisha- main to aur bhi bahut kuchh naam dene wali hoon. Budhiya satsang karne ki umar mein sadayantra rach rahi hai.

Raghav- (tez aawaz mein) Aisa nahi bolte Manisha. Wo ham logo se badi hain. Unka hak hai mujhe kuchh bhi kahne ka.

Manisha- Tum sunte hoge. Par main nahi sun paungi. Kyon tum kuchhh bolte nahi ho unko. Agar ek baar tumne palat kar jawab de diya to wo sabke samne hamesha tumhari beizzati nahi karengi. Kyon sahte rahte ho ye sab.

Raghav- Ye sab meri maa ke sanskar hain Manisha. Unhone ham tino mein kabhi bhi koi bhedbhav nahi kiya hai. main bahut lucky hoon ki mere paas poori family hai tum ho aur mujhe kya chahiye. Main buwa dadi ji ko palatkar jawab dekhar apni maa ka apman nahi karna chahta.

Manisha- Par ragahv. Aaj ke jamane mein koi itna siddha kaise ho sakta hai. jab is ghar mein kisi ko bhi tumse koi problem nahi hai to fir wo kaun hoti hai kuchh bolne wali.

Raghav- Wo is ghar ki sabse badi sadasya hain Manisha. Aur waise bhi agar unhe isimein khusi milti hai to unhe bolne do. Wiase bhi maa hain na wo sab sambhal lengi. Tum tension mat lo.

Manisha- Achha thik hai main kaun hoti hoon tension lene wali.


Manisha ki baat sunkar Raghav uske kareeb aaya aur kaha.


Ragahv- Ek tum hi to ho.

Manisha- Achha ji.


Ye baat Manisha ne Raghav ki naak kheechte huwe kahi. Aur itna bolkar wo bhag gayi. kuchh aage jakar usne fir se mudkar poochha.


Manisha- Tum thik to ho na.


Raghav ne sir haan mein hila diya. fir wo apne aapse hi bola.


Raghav- Tum mere liye har tarah se perfect ho Manisha. Main janta hoon ki tum meri parwah karti ho. buwa dadi ji ki baate tumhe pareshan karti hain. Par tumhe pareshan hone ki jaroorat nahi hai. kyonki ab to mujhe in sabki aadat ho chuki hai.


Idhar Charu Sarita ki or bahut dhyan se dekh rahi thi. Sarita ki najar bhi Charu ki taraf aati to wo use apne aapko hi dekhta huwa pati to wo apni najar wapas fer leti. Kuchh der baad Armesh bhi aakar charu ke bagal mein baith gaya aur bola.


Armesh- Itna kyon ghoor rahi ho??


Armesh ke achanak poochhne par Charu sakpka gayi. fir apne aapko sambhalte huwe boli.


Charu- Kyaa aap jante hain ise.

Armesh- Haan Savi di ki dost hai.


Armesh uski baat sunkar muskurate huwe bola to Charu ne kaha.

Charu- Nishchal ko bhi janti hai ye.

Armesh- Off course janti hai.

Charu- In dono ke bich mein kuchh chal raha hai kya.

Armesh- Aapko nahi pata. Ye dono love birds hain.

Charu- (man mein) Iska matlab mera andaza sahi tha.

Armesh- Kyon aapko koi problem hai kya??

Charu- Ji nahi aisa to kuchh bhi nahi hai main to bas aise hi puchh rahi thi.


Charu upar se to use dikha rahi thi ki use is baaat se koi fark nahi pad raha hai lekin wo andar hi andar Sarita se jal rahi thi. Nishchal Charu ko pahli najar mein hi bha gaya tha. Tabhi wo har samay uske aage pichhe gumti rahti thi. wo kisi bhi kimat par pana chahti thi. wah Sarita ko dekhkar bas kudhh rahi thi.


Sarita ko Manisha mandap mein kahi dikhayi nahi pad rahi thi to wo use dhoondhne ke liye chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Bua ji ki baat is baar kisi ne nehi suna. Savita ke saath sath mahendra ji ne bhi bua ko do tuk jabab de diya. Phir bhi bua ko samjh na aayi ki vo kitna galat kar rahi hai. Jaruri nehi ki khandani khoon hone par hi vo sahi hoga. Raghav bhale hi anat hai lekin use achhe bure me fark karna naina ji aur mahendra ji ne sikhaya. Aache sanskar diya. Raghav ke khoon me dosh hota to jitni bate bua ji usse sunati hai. Itne me to bua ji ya to khatiya pe leti hoti ya phir ram naam saty ho chuka hota.

Kisi ke samne itna bhi nehi jhukna chahiye ki usse ahsas na ho ki vo galat kar raha hai. Jiss tarah naina ji haath jodkar bua ji se binti kar rahi thi isse lagta hai kahi na kahi unka itna vinti karna hi bau ji ko badava de rahi hai.

Nishchhal sarita aur charu ka mamla trikoniy banta ja raha hai. Dekhte hai aage kiya hota hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,316
19,147
143
UPDATE- 89


Sarita ko Manisha mandap mein kahi dikhayi nahi pad rahi thi to wo use dhoondhne ke liye chali gayi. Wah use dhoondhti huwi aage badh rahi thi ki tabhi Nishchal uske samne aakar khada ho gaya. Sarita ne Nishchal se kaha.


Sarita- Mera Rashta chhodiye.

Nishchal- pahle meri baat to sun lijiye.

Sarita- Mujhe kuchh nahi sun-na hai. Mera Rashta chhodiye.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne uski banh pakadkar diwar se lagate huwe bola.


Nishchal- Maine jaan-bujhkar nahi kiya tha. Wo sab galti se ho gaya tha.

Sarita- Hmmmm to ye baat aap mera hath chhodkar bhi kah sakte hain na.


Nishchal ne Sarita ka hath turant chhod diya. Sarita ne apne dono hath bandh liye aur boli.


Sarita- Haan ab boliye.

Nishchal- I am sorry.

Sarita- Its Okkk. Ab mujhe jane do.

Nishchal- tumne sach mein mujhe maaf kar diya na.

Sarita- Haan kar diya.


Itna bolkar Sarita jane lagi. Jab Nishchal ne uska haath pakda tha to uska lahnge ka ek chhor Nishchal ke pair ke niche dab gaya tha. Jiski wajah se aage badhne ke karan wah girne wali thi tab tak Nishchal ne use thaam liya.


Nischal ka ek hath Sarita ki kamar par tha. Girne se bachne ke liye Sarita ne bhi Nishchal ke kandhe ko mazbooti se pakad rakha tha. Dono ki aankhe ek doosre ko dekh rahi thi. Jab Sarita Mandap se bahar nikli thi to thodi der baad charu bhi Sarita ke pichhe pichhe aa gayi thi. Jab usne dono ko is halat mein dekha to wo bahut gussa ho gayi aur apna pair patakti hui waha se chali gayi. Sarita ki aankho mein dekhte huwe Nishchal ne kaha.


Nishchal- (hanste huwe) Ye bhi achanak hi ho gaya.


Itna kahkar Nishchal ne Sarita ko khada kiya. Sarita bina kuchh bole hi waha se chali gayi. Aise hi nok jhonk ke bich Shadi ki Rasham poori ho Rahi thi. Raghav ko kisi kaam se Mahendra ji ne fir se mandap mein bulaya to Buwa ji fir se gussa ho gayi aur waha se uthkar jane lagi to Manisha ne unka hath pakadkar fir se wapas baitha liya.


Buwa ji ne gusse se ghoorkar Manisha ki taraf dekha aur bolne ke liye apna munh khola hi tha ki Manisha ne unke Munh mein Rasgulla Dal dilya aur kaha.


Manisha- Buwa dadi ji. Jyada gussa Aapki sehat ke liye thik nahi hai hai. Aap apni sehat ko dekhiye. Sukhkar kanta ho gayi hain. Kuchh khaya piya kijiye.


Manisha ki is harkat par sabhi apna munh dabakar hans rahe the. Uski is harkat ko dekhkar Raghav bhi mand mand muskurane laga. Buwa ji ke paas ab koi chara hi nahi bacha tha kuchh karne ke liye. Munh mein rasgulla tha aur jab wo uthne ki koshish karti to Manisha unhe turant pakadkar baitha deti.


Ek to budhape ka sharir aur bar baar uthak baithak se buwa ji thak gayi thi, isliye majboor hokar wah wahi par baithi rahi aur apni aankho se Manisha ke liye jwala hi ugal rahi thi.


Manisha ko in sab se koi matlab hi nahi tha. Wo to bas aaram se baithi hui thi aur buwa ji ko kheech kheech kar baitha rahi thi. Manisha ne apna man mein kaha.


Manisha- Abhi tak aapka pala aapke takkar ke insan se nahi pada tha. Ab aapka pala mujhse pada hai buwa dadi ji. Ab aapko samajh mein aayega ki kisi cheez ke liye jabardasti karna kise kahte hain. Main bhi dekhti hoon ki ab aap Raghav ko kitna pareshan karti ho.


Sara karyakram bahut achhe se ho gaya tha. Subah bhi ho gayi thi. Baratiyo ke nashte ki vyawastha ki ja rahi thi. sath hi sath munh dikhayi ki bhi taiyari ho rahi thi. Sabhi baratiyon ko nashta karwane ke baad munh dikhayi ki Rasham shuru ho gayi. Jo lagbhag ghante bhar chali.


Manisha aur bhabhiyo ne milkar Anant ko bahut pareshan kiya munh dikhayi mein. Juta ki churaai mein manisha aur deepali ne anant se 21000 rupye liye tab jakar anant ka juta vapas kiya. Munh dikhayi ki Rasham ho jane ke baad Savita ki vidayi ki taiyari hone lagi. Munh dikkhayi ki Rasham tak Khushiyo ka mahaul achanat udasi mein badal gaya.


Har ek chehre par udasi chalak rahi thi. Savita bhi bahut udas thi. rah rah kar uski aankho mein aanshu aa rahe the. Bachpan ki yadein use bahut sata rahi thi. Vidayi ke samay wo sabke gale lagkar bahut royi.


Sab use dilasha dete rahe. Sabse jyada Use dukh Raghav ko chhod kar jane ka tha. Use pata tha ki ghar mein Raghav ko sabhi pyaar karte hain lekin sabse jyada Raghav ke sath usi ka lagav tha. Wo Raghav ke gale lagkar khoob royi aur boli.


Savi- Raghav. Mere bhaai. Mujeh tumhari bahut yaad aayegi.

Raghav- (Rote huwe) Di rote nahin hain. Ye to bahut Khushi ka din hai aapke liye. Aur main kahi ja thodi raha hoon jo aap aise ro rahi hain. Main aapse milne aata rahunga. Roz aapse phone par baat karunga. Aapka jab bhi man kare mujhse milne aa jaiyega. Ab Chup ho jaiye nahi to main bhi ro dunga.


Dono bhai bahan kafi der tak aise hi rote rahe. Uske baad Savita Nishchal ke gale lagkar khoob roi,. Nishchal bhi bahut ro raha tha. Bhabhiyon ne milkar Savita aur niahchal ko shant karwayaa, lekin aise mauke par bichhadne ka dard itni jaldi kam nahin hotaa.


Fir Savita apne aane wale khushhal jivan ki dher sari shubhkamnaye lekar Vida hokar Chali gayi. Sabke chehre par udasi aur Aankho mein aanshu the, Mahendra ji. Naina ji, Raghav, Nishchal Sabhi yaha waha Akele baith kar ro rahe the.


Aanshu to sab ki aankho mein the, sab unhe samjhane ki koshish kar rahe the. Aise hi udasi bhara ye din bhi bit gaya. Ghar ki sari saaf safaai ka kaam Mulajimo ne kiya. Ek- Ek karke lagbhag Sare mehman chale gaye. Mohit aur Javed subah hi chale gaye the. Ab ghar mein bas ek do mehman rah gaye the.


Agla din bhi aise hi bit gaya. Lekin Us din udasi kam thi. sab thoda bahut hans bol rahe the. 3re din Raani ji ne Naina ji se kaha.


Raani ji- Ab hamein bhi chalne ki izazat do Naina. Jeth ji bhi yahi rahte hain to ham soch rahe hain ki ham unse milkar hi Allahabad wapas jayenge. Nahi to wo gussa karenge ki ham log Kanpur aane ke baad bhi unke paas kyon nahi gaye.


Naina ji- Kya Sarita aur Manisha bhi sathi mein jayengi.??

Raani ji- Sarita to yahan se siddha jaunpur ke liye chali jayegi aur Manisha hamare sath Allahabad Jayegi.

Naina ji- Jis tarah tumhari dono betiyon ne aakar pura kaam samabhal liya uske liye main tumhe kaise dhanyawaad karun samajh mein nahi aa rahi hai.


Raani ji ki baat sunkar Naina ji ne apne hath jod kar ye baat kahi to Raani ji ne Naina ji ko gale lagate huwe kaha.


Raani ji- Dost haath jodte huwe nahi balki gale milte huwe achhe lagte hain. Aur kya Sarita aur Manisha tumhari betiya nahi hain kya??


Naina ji ne unki baat sunkar muskura diya aur kaskar Rani ji ko gale laga liya.


Sarita aur Manisha ki paking ho gayi thi. Manisha aur Sarita ne Sabhi bado ke charan chukar aashirwad liya. Naina ji Sarita ko dher sara saman dene lagi to Sarita ne kaha.


Sarita- Kyaa main aapki beti nahi hoon. Kya aap mujhe mehman manti hain Aunty ji.

Naina ji- Are nahi beta. Mera liye tum aur Savi Ek jaisi hi ho,

Sarita- To bas apni Is beti ko apna Aashirwad dijiye aur mujhe kuchh bhi nahi chahiye.

Naina ji- Mera Aashirwaad hamesha tumhare sath hi hai. par main tumhe khali hath kabhi nahi jane dungi.

Sarita- Thik hai Aunty ji. Jaisa aapko thik lage.


Thodi der mein sArita apne mummy papa ke sath jane lagi to Bhabhi ne kaha


Bhabhi- Aap sabse milkar bahut hi achha laga. Ummeed hai Ham fir se milenge.

Sarita- Kyon nahi Bhabhi ji. Aap jab kahiyega main turant aapse milne ke liye aa jaungi.

Manisha- Aap boliye to main jaun hi na. yahi ruk jati hoon.


Manisha ki baat sunkar Raani ji ne uske kan marodte huwe kaha.


Raani ji- Ab ye sab tumhari aur saitani nahi jhel sakte hain Samjhi.

Manisha- Ohhhh mummy. Kam se kam jagah to dekh liya karo. Har jagah shuru ho jati ho.

Raani ji- Achha thik hai Thik hai. Ab jyada baatein nahi. Chalo bhi ab. Deri ho rahi hai.

Naina ji- Main Ragahv ko bol deti hoon wo aap logo ko ghar tak chhod dega.

Aanand ji- Are nahi bahan ji. Iski koi jaroorat nahi hai. maine cab bula li hai.


Sarita aur Manisha sabse milne ke baad buwa ji se milne ke liye jati hain to buwa ji dono ko dekhte hi darwaza band kar leti hain. Sarita ne to kuchh nahi kaha lekin Manisha ne unke darwaze ke paas khade hote huwe kaha.


Manisha- Buwa dadi ji Raam Raam. Ham log ab ja rahe hain. Lekin is shadi mein aapke sath maza bahut aaya. Agar aapko kabhi meri yaad aa jaye to Rasgulla kha lijiyega.


Itna kahkar wo hanste huwe waha se chali gayi. jab sabhi bag uthakar bahar nikalne lage to Manisha ne kaha.


Manisha- main didi ke kamre mein kuchh saman bhool gayi hoon. Main wo lekar aati hoon.


Ye kahkar Manisha Upar ke kamre mein jane lagi ki tabhi Raghav use kisi kaam mein uljha huwa mil gaya. Usne Raghav ka hath pakda aur ek taraf le kar chali gayi. Kamre mein pahuch kar wo Raghav se boli.


Manisha- Apni Aankhen band karo .

Raghav- (hairani se) Kyon?? Tumhe jana hai na main to bas aa hi raha tha ye kaam finish karke.

Manisha- Aaye to nahi na. to ab tumhe meri baat man-ni padegi.


Manisha ki baat sunkar Raghav ne apni aankhe band kar li to Manisha ne jhat se uske gaal ko chuma aur waha se bhag gayi. Raghav hairani se khada hokar use jata dekhta raha.


Jab tak use kuchh samajh mein aata Manisha waha se chali gayi thi. Raghav jab bahar aaya to sabhi gadi mein baith rahe the. Raghav uske paas gaya aur dhire se uske kan mein bola.


Raghav- Iska badla to main lekar rahunga tumse.


Raghav ki baat sunkar Manisha apni gardan niche karke muskurane lagi. Sarita ne bhi jate wakt ek baar Nishchal ki taraf dekha aur muskurane lagi. Sarita ko Muskurate dekhkar Nishchal bhi muskurane laga.


Uske baad Sarita & family Waha se chale gaye. Nishchal ka ghar ab ekdam suna ho gaya tha. Manisha aur Sarita ke ghar mein rahne se jo chahal pahal thi ghar mein wo ab khatam ho chuki thi.


Sarita ke ghaye huwe abhi 3.5 se 4 ghante hi beet chuke se. Nishchal kisi kaam se bahar gaya huwa tha Aur apna mobile ghar mein hi chhod kar gaya tha. Wo jab lautkar ghar aaya aur usne apna mobile check kiya to uske mobile mein Manisha ke 15 se bhi jyada miss call pade huwe the.


Ye dekhkar wo bahut ghabra gaya aur usne turant Manisha ka number dile kar diya. Do ring ke baad hi phone receive huwa aur Manisha ne ghabrayi hui aawaz mein kaha.


Manisha- kahan the aap boss. Main kab se aapko phone kar rahi hoon??

Nishchal- Kuchh kaam se bahar gaya tha. Mobile ghar mein hi rah gaya tha, lekin tum itni ghabrayi hui kyon ho.


Manisha Nishchal ki baat sunkar rone lagi. Jisase Nishchal ko bahut ghabrahat hone lagi. Rote huwe Manisha ne kaha.


Manisha- wo didiyaa…..


Nishchal Manisha ke aisa bolne aur rone se dar gaya aur bola.


Nishchal- Kya huwa Tumhari didiya ko aur tum aise ro kyon rahi ho??

Manisha- Wo… Wo… diidya mil nahi rahi hai.

Nishchal- (hairani se) Kyaa. Mill nahi rahi hai se kya matlab hai tumhara. Wo tumhare sath hi to gayi thi yaha se. Wahi kahi hogi mil jayegi. Tum ro mat. Mujhe address bhejo main aata hoon.


Manisha ne turant Address bhej diya. Nishchal kapde badalkar apni ID card lekar turant hi nikal gaya.


Kuchh hi der mein Nishchal Manisha ke bataye huwe address par pahuch gaya. Wo Sarita ke bade papa ka ghar tha. Ghar ka darwaza khula huwa tha to Nishchal ghar ke andar chala gaya Waha hall mein Sarita ke Bade papa, badi mummy, unke bachhe, Raani ji aur Aanand ji udas baithe huwe the. Manisha ek bagal baithi hui ro rahi thi. Nishchal ne Manisha ko aawaz di.


Nishchal- Chhote miya.

Manisha- Boss Aap aa gaye.


Itna kahkar Manisha daudkar aayi aur uske gale lagkar rone lagi. Nishchal ne use apnea apse alag kiya aur uske aanshu pochhte huwe kaha.


Nishchal- Poori baat batao ye sab kaise huwa??


Nishchal ke poochhne par Manisha ne batana shuru kiya.


Kuchh der pahle


Manisha- Jab ham yaha par pahuchhe to maine hi didiya se bola tha ki chalo yahi paas ke mall mein ghoomkar aate hain. Kyonki didiya yahi se wapas Jaunpur chali jati.


Main didiya ke sath time spend karna chahti thi. lekin didiya ne jane se mana kar diya to main zid karne lagi. Mummy ne bhi kaha ki ab to tum apni duty par chali jaogi to fir pata nahi kab sath ghoomne ka mauka milega to wo mere sath chale. Mummy ki baat didiya maan gayi.


Kuchh der mein ham dono paidal hi ghoomte tahalte mall mein pahuch gaye. Didiya ko shuru se hi shoping jyada interest nahi hai to usne andar jane se mana kar diya. mall ke bahar hi hand made saman lage the to didiya ne mujhe andar jane ke liye kaha aur wo un samano ko dekhne lagi.


Didiya ne kaha ki use kuchh handmade saman lena hai to main andar chali jaun. Uske baad main mall ke andar chali gayi.


Main jab shoping karke bahar aayi to didiya waha par nahi thi. maine didiya ko phone kiya lekin uska phone nahi laga.. fir maine mummy ko call kiya ye sochkar ki kahi wah ghar to nahi chali gayi kyonki jab main jyada time lagati hoon to wah gussa hokar chali jati hai.


mummy ne kaha ki abhi didiya ghar nahi pahuchi hai. maine socha ki kahi chali gayi hongi isliye main ghar aa gayi, lekin 1 ghante tak hamne didiya ka intezar kiya jab wo nahi aayi to mujhe bahut ghabrahat hone lagi aur maine aapko phone laga diya.


Back to present.


Raani ji- Pata nahi meri bachhi kaha hogi. Beta tum uska pata lagao na.

Nishchal- Aap bilkul bhi pareshan mat hoiye Aunty ji. Mere hote huwe Sarita ko kuchh nahi hoga. main dekhta hoon. (fir Manisha se) Us mall ka nam batao jaha se Sarita gayab hui hai.


Manisha ne Nishchal ko mall ka naam bata diya to wo turant hi waha se nikal gaya. Aas paas puchhtachh ki to use jyada kuchh pata nahi chala.


Huliya aur kapde batane par Handmade saman wale ne kewal itna hi bataya ki is huliye ki ek lady kuchh ghante pahle aayi thi. fir ek gadi yaha aakar ruki thi. uske baad ka mujhe nahi maloom.


Nishchal ki najar waha par lage cctv camare par padi jo mall ke entry gate par laga huwa tha.


Nishchal turant hi mall ke andar chala gaya aur camare ki footega mangne laga. Pahle to mall ke owner ne cctv footage dikhane se mana kar diya par jab Nishchal ne use apni ID dikhayi aur CCTV dekhne ka reason bataya to wo maan gaya.


CCTV footage mein dikh raha tha ki Sarita saman lakar khadi thi ki tabhi ek gadi waha aakar ruki. Usme se 2 aadmi bahar nikalkar Sarita ke paas aaye aur kuchh poochhne lage. Usi samay ek aadmi ne Sarita ki naak par rumal rakh diya.


Sarita ne us aadmi ka hath jhatak diya lekin tab tak Sarita ke upar behoshi ka asar ho gaya aur wo ladkhadane lagi to dono aadmiyon ne use pakad kar gadi mein dal liya aur use lekar chale gaye.


Nishchal ko ye dekhkar bahut gussa aaya. Usne gadi ka number joom karke dekha aur bola.


Nishchal- Ye to yahin ki gadi ka number hai.


Gadi na number note karke wo mall se bahar aaya aur Police thane pahuch gaya aur unki madad li. Apna ID card dikhakar Nishchal ne Turant Gadi ke owner ka pata lagaya.


Jab Nishchal Gadi ke owner ke paas pahucha to usne mana kar diya ki uske bare mein wo kuchh nahi janta. Aur uski gadi kal subah se hi gayab hai isliye use iske bare mein kuchh bhi pata nahi.


Nishchal ne use apna ID card dikhaya aur Jail mein dalne ki dhamki dete huwe kaha.


Nishchal- Tum jhooth bol rahe ho. tumhare paas 5 minute ka samay hai. sab kuchh sach sach bata do warna fir tumhari achhe se khatirdari hogi.


Par wah aadmi apni baat par adig raha. Gadi chori hone ki report ke bare mein jab Nishchal ne poochha to usne bataya ki usne abhi tak koi report darz nahi karayi hai. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Mujhe tumhari baato par bharosha nahi hai. isliye agar tum jhooth bol rahe ho to ye tumhare liye bilkul bhi achha nahi hoga. Tumhari gadi kaha se chori hui thi.


Us Aadmin ne wo jagah bata di jaha se wo gadi chori hui thi. Nishchal ne us par ek police wale ko najar rakhne ke liye kah diya aur wo us jagah chala gaya jaha ka pata us aadmin ne bataya tha. Lekin Nishchal ko waha par kuchh bhi nahi mila.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Acha khasa shadi me ho hullad hua bua ji ki thiki naukjhok bhi hua. Savita ki vidai bhi ho gayi jisme sabhi ki aankhe naam thi. Aisa hona lajmi hai ghar ka ek member hamesha hamesha ke liye ja raha hai. Jo kabhi kabhi sirf mehman bankar aayegi aur chali jayegi.

Savita ke bidai ke baad ek ek kar sabhi mehman ne vida liya. Par bua ji kyu nehi gayi unko to sabhi se pahle jana chahiye tha kyu ki unke ichchha ke birudh jakar naina ji aur mahendra ji ne raghav se bhai ka raesm karvaya.

Khair vidai to theek thak se hua.par sarita ke le vidai shubh nehi hua. Shopping mol se hi agwa kar liya gaya. Kisi aisi majal jo thanedarni ko agwa kar liya. Dekhte hai aage kiya hota hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,316
19,147
143
UPDATE- 90


Nishchal ne Kanpur police ko Sarita ka phone number diya tha. Thodi der baad hi Sarita ka phone number trace kar liya gaya. Uski current location Allahabad Kaanpur Highway par dikha raha tha. Jab Nishchal Location ki jagah par pahucha to waha par use kuchh bhi nahi mila.


Thodi khojbeen karne ke baad Ek Kone par dhalan ki taraf Sarita ka mobile phone aur uske kuchh saman pade huwe the. Jo Shayad Police ko gumrah karne ke liye chhoda gaya tha. Nishchal ne Sarita ke saman ko uthaya aur us area ke 1-2 kilometer ki range tak poochhtachh ki lekin uske hath koi bhi surag nahi laga.



********


Idhar Allahabad se thodi door Jaunpur aur Allahabad ke bich mein ek jagah par


Sarita ko jab hosh aaya to usne aapne aapko bandha huwa paya. Uske hath pair aur munh bandhe huwe the. Usne apni garadan thodi si upar uthakar dekha to wo gadi mein thi aur wo gadi kisi sunsan jagah se bahut tezi se aage badh rahi thi.


Sarita Chillana chahti thi par uska munh bandha huwa tha. Kaskar bandhe hone ke karan uska poora sharir dard kar raha tha. Wah apna sharir idhar udhar hilane lagi par koi fayda nahi huwa. Wah pichhe ki sit par bandhi hui thi.


uska pair mud gaya tha aur wah chahkar bhi apne aapko siddha nahi kar pa rahi thi. Gadi mein jab halchal hui to aage baitha ek aadmi pichhe mudkar dekhta hai to Sarita ko hosh aa gaya tha. To wo Sarita par tanj kaste huwe kahta hai.


Aadmi- Kya Huwa madam. Aapko to hosh aa gaya hai. Par aap bilkul bhi pareshan mat hoiye. Aapke sath bahut achhe se pesh aayenge ham.
Uski baat sunkar uske baki sathi hansne lage.



********


Idhar Nischahl bahut pareshan tha. Raat ho chali thi, lekin Sarita ka koi pata nahi tha. Sarita ke ghar walo ka bahut bura hall tha. Raani ji ki ro ro kar aankhe pathra gayi thi. Nishchal ko koi clue nahi mil raha tha jiske binah par wo Sarita tak pahuch sake.


Wo lagatar poori raat hath pair marta raha lekin use kamyabi nahi mile. Subah ho chali thi. Nishchal ke ghar wale bhi bahut pareshan ho gaye the Nishchal ke raat mein ghar na lautne ke karan. Nishchal ko lagatar ghar se phone aa rahe the. Naina ji, Mahendra ji aur Raghav ne kai phone kiye Nishchal ko, lekin pareshani ki vajah se usne kisi ka phone nahi uthaya.


Nishchal ki aankho mein aanshu aa gaye the. DSP hokar bhi wo aaj apne aapko asahay mahsoos kar raha tha. Wo apne pyaar ko nahi talash kar pa raha tha. Thak haar kar dophar ko wah ghar aaya to Naina ji ne uspar gussa hote huwe kaha.


Naina ji- Kaha the tum kal se. Hamne kitna phone kiya tumhe. Tum kisi ka phone kyon nahi utha rahe the. Tumko agar koi jaroori kaam tha to kam se kam hame bata to sakte the. Aise bina bataye chale gaye tum. Aise kaun sa jaroori kaam aa gaya tha tumhe.

Nishchal- Mummy. Sarita nahi mil rahi hai.

Naina ji- (hairani se) Kya kaha. Nahi mil rahi hai ka kya matlab hai tumhara. Kahan gayi?? kal to yaha se nikal gayi thi. kahi rashte mein to kuchh galat…..


Iske aage naina ji kuchh bolti. Usase pahle ni Nishchal ne kaha.


Nishchal- Kisi ne uska kisnap kar liya hai.


Naina ji Nishchal ki baat sunkar bhauchakki rah gayi. unhone bahut jor se kaha.


Naina ji- Kyaa Kya kaha tumne. Kisnap. Ye tum kya kah rahe ho. ye kaise ho gaya.


Naina ji ki aawaz itni tez thi ki paas wale kamre mein baithe huwe Mahendra ji, Raghav aur buwa ji bhi bahar aa gaye. Naina ji ki baat sunkar Nishchal ne kaha.


Nishchal- Haan mummy. Kal yaha se jane ke lagbhag 4 ghante baad hi Manisha ne mujhe phone kiya tha ki Sarita mil nahi rahi hai to mujhe laga ki kahi idhar udhar gayi hogi.

Lekin Manisha bahut ghabra gayi thi aur mujhe jaldi se aane ko bola isliye main aap logo ko bata nahi paya. Aur jab main waha par gaya aur khojbin ki to pata chala ki Sarita ka kidnap ho gaya hai.


Naina ji- To tum yahan kya kar rahe ho?? jao aur us bachhi ka pata lagtao. Bhagwan jane kahan lekar gaye honge.

Nishchal- Aap chinta mat kariye maa. Main Sarita ko kuchh nahi hone dunga. Use sahi salamat wapas le kar aaunga.

Manendra- Tum ruko main CM Sahab se baat karta hoon. Poori police force laga denge wo. Bahut jald hi Sarita mil jayegi.

Nishchal- Nahi papa. Aap aisa kuchh nahi karenge. Kyonki itna to tay hai ki wo Sarita ko Personal dusmani ki wajah se hi kisnap kiye hain aur uski jaan khatre main hai, lekin agar unhe kisi bhi tarah pata chal gaya ki puri police force unke pichhe padi hai to Sarita ki jaan ko khatra bahut jyada ho jayega.

Isliye is mamle mein police force involve nahi hogi. Main kah raha hoon na ki Sarita ko kuchh nahi hoga. Use main kuchh hone hi nahi dunga.


Buwa ji bahut der se sab ki baate sun rahi thi. jab unse nahi raha gaya to unhone kaha.


Buwa ji- Sab Naaspito ke munh mein kide pade. Sab itne pagal kaise ho sakte hain. Are agar uthana hi tha to chhotki ko uthate. Pata nahi bechari badki ko kyon utha le gaye. Kitni Achhi thi badki. Haan nahi to batao jara.


Buwa ji ki baat kisi ko bhi achhi nahi lagi. Naina ji ne kaha.


Naina ji- Ye kaisi baat kar rahi hain aap?? Yaha ghar ki bachhi ko kidnap kar liya gaya hai aur aap aisi baate kar rahi hain.


Buwa ji- To ham ka galat bol diye. Sahi to bol rahin hain ham. Chhotki ko hi uthana chahiye tha unhe. Dekha nahi kaise chhotki ne hamri nak mein dam kar rakha tha. Pata nahi apne ghar mein kaise rahti hogi.

Agar use le jate to bala talti sir se. Aur waise bhi wo is ghar ki bachhi nahi hai to uske liye itna pareshan hone ki jaroorat nahi hai. police wale dekh lenge sab. Haan nahi to batao jara.


Buwa ji ki baat se Nishchal ka khoon khaul utha, lekin wo kuchh bola nahi aur apne kamre mein chala gaya. Mahendra ji aur Naina ji bhi apne kamre mein chale gaye. Kamre mein aane ke baad naina ji ne kaha.


Naina ji- Ye sab kya ho gaya ji. Itni achhi bachhi hai wo uske sath koi aisa kaise kar sakta hai.

Mahendre ji- Uski job hi aisi hai ki uske hajaro dushman ho gaye hain. Unhone hi karwaya hoga ye sab.

Naina ji- Mere Nishu ki halat mujhse dekhi nahi jati. Aapne dekha nahi kitna pareshan ho gaya hai Sarita ko lekar. Pata nahi Wo kalmuhe meri bachhi ko lekar kaha gaye honge.

Mahendra ji- tum pareshan mat ho. mujhe apne Nishu par poora bharosha hai. Wo Sarita ko jald ho dhoondh nikalega.

Naina ji- bhagwan kare Sarita jaha bhi ho achhi ho. kuchh galat na ho uske sath. Aap kuchh kariye na.

Mahendra ji- Main karna to chahta hoon, lekin Nishu ne rok diya. uski bhi baat sahi hai. Sarita ki jaan ko khatra to hai, lekin Puri police force involve ho jane se uske liye khatra aur bhi jyada badh jayega. Ab Nishu ne kaha hai to wo jaroor use kidnaper ke changul se chhuda lega.


Idhar Nishchal jab apne kamre mein pahucha aur fresh hokar sofe par baithkar apna mobile check karne laga to usme Jawed aur Mohit ke bahut sare calls pade the. Usne Jawed ko call kiya. Udhar se jawed bola.


Jawed- Hello Sir, Aap phone kyon nahi utha rahe the??? Kal se aapko calls par calls kar raha tha main aur Mohit.

Nishchal- Bas thoda sa pareshan tha. Batao kisliye phone kar rahe the??

Jawed- Sir. Raghu jail se bhaag gaya hai.


Nishchal ye sunkar chillate huwe sofe se uth khada huwa aur bola.


Nishchal- Kyaa?? Kab?? Kaise???

Jawed- Kal Shaam mein hi wo bhaag gaya jail se. ham tab se aapko phone kar rahe the.

Nishchal- Ye to bahut badi gadbad ho gayi. main aata hoon aaj hi waha par. Ekk kaam aur karo. Raghu aur Uske bhaai Bachha Singh ke jitney bhi adde hain Sab par najar rakho.

Jawed- Sir Ham kal se hi ye kaam shuru kar chuke hain. Mukhbiro ki khabar ke mutabik ye pata chala hai ki wo is Shahar mein nahi hai.

Nishchal- Are Itni jaldi Kaha bhaag jayega?? Wahi kahi chhipa hoga khojo use. Usi ne Sarita ko kidnap kiya hoga.

Jawed- (chaukte huwe) Kya kaha aapne Sir Madam ka kidnap.

Nishchal- Haan Jawed. Kal dophar ke kareeb Sarita ko kisi ne kidnap kar liya hai.

Jawed- Kyaaa. Ye sab… ho na ho Sir. Ye kaam Raghu ka hi hai. Itne shatir Tarike se usne sab plaan banaya hoga.

Nishchal- Hammmmmm. Tum aur Mohit do team banakar Raghu aur Bachha Singh ka pata lagao. Main Phuchh raha hoon waha par. Koi bhi information mile to mujhe turant batana.

Jawed- Okkkk Sir.


Phone cut karne ke baad Nishchal ne apna phone bed par fenk diya aur apna sir pakadkar bed par baith gaya. Uski aankho ke samne Sarita ka muskurata huwa chehra najar aane laga. Uski har shararat aur uska har gussa najar aane laga. Nishchal ki aankhe nam ho gayi. wo apne man mein sochte huwe bola.


Nishchal- Pata nahi tum kaha ho Sarita?? Kaisi ho?? mera dil bahut ghabra raha hai, Mujhe bahut rona aa raha hai, lekin main kisi ke samne ro bhi nahi sakta, tum bilkul bhi pareshan mat hona. Main tumhe kuchh bhi nahhi hone dunga. Main tumhe kisi bhi halat mein dhoondh hi lunga.

Aur jo koi bhi tumhe kidnap kiya hai na main use chhodunga nahi. Bas ek baar pata chal jaye ki kaun ye sab kar raha hai, Kyonki Raghu ke Akele ke bas ka to ye sab nahi hai aur na hi uske bhaai ke bas ka hai. In dono ke sath jaroor koi bada vyakti shamil hai.


Yahi sab sochte huwe Nishchal kapde pahanne laga aur Ghar walo se batakar Jaunpur ke liye nikal gaya. Kuchh ghante baad Wo Jaunpur pahuch gaya. Wo duty join na karte huwe Jawed aur Mohit se mila.

Abhi Nishchal ki do din ki chhutti bachi hui thi. Jawed aur Mohit se milne ke baad Nishchal ne dono se batchit ki aur apni chhanbin mein lag gaye. Isi tarah ye din bhi beet gaya. Tino pareshan the. Aur apni koshish kar rahe the.



****KOI ANJAN JAGAH PAR AGLI SUBAH*****


Sarita ko ek band andhere kamre mein rakha gaya tha. Jismein upar ki taraf ek chhota sa jharokha tha jo khula huwa tha. Jisme se halki halki Roshani andar aa rahi thi. baki khidki aur darwaze band tha.


Sarita ka munh, hath aur pair bandhe huwe the. Tabhi Us kamre ka darwaza khula aur ek hatta katta aadmi kamre mein dakhil huwa. Uske hath mein ek thali thi jisme khana kha. Us thali ko us aadmi ne Sarita ke samne fenkte huwe kaha.


Aadmi- Le khana kha le.


Itna kahkar usne Sarita ke hath aur munh khol diye, par pair ab bhi bandha huwa tha. Bandhan thoda sakht tha jiske karan Sarita ko dard ho raha tha aur wo karah rahi thi. Rassi kaskar bandhne ke karan uske hath mein Nishan ban gaye the. Jaise hi uske munh khula wo jor se chillane lagi.


Sarita- Kaun ho tum log?? Mujhe is tarah se pakadkar kyon laye ho?? maine tumhara kya bigada hai.


Sarita ki baat sunkar wo aadmi kuchh nahi bola to sarita ne fir se chillakar kaha.


Sarita- Bolte kyon nahi ho. Bahre ho kya. Maine kuchh poocha hai tumse. Mujhe is tarah se yaha kyon bandhkar rakha hai.

Aadmi- Mujhe iske bare mein kuchh nahi pata. Tum ye khana kha lo.


Us aadmi ki baat sunkar Sarita ne Samne rakhi plate ko apne hath se doosri taraf sarka diya aur boli.


Sarita- Mujhe nahi khana. Pahle ye batao ki mujhe is tarah yaha bandhkar kyon rakha gaya hai.

Aadmi- Abhi malik aate hi honge unke aane se pahle hi ye kaam khatam kar lo.

Sarita- Tum bahut badi galti kar rahe ho. mujhe yaha se jane do. Tumhe pata nahi hai ki main kaun hoon aur tumhare sath kya kar sakti hoon??

Aadmi- Mujhe pata hai ki tum kaun ho aur kya kar sakti ho?? main aakhiri baar tumse pooch raha hoon ki tum ye khana kha rahi ho ya main ye thali lekar bahar jaun.

Sarita- Le jao, Mujhe nahi khana. Lekin ek baat tum sab yaad rakhna ki agar main yaha se jinda bachkar nikal gayi na to tum sab mein se koi nahi bachega. Kisi ko bhi nahi chhodungi main. Kutte ki maut marungi tum sab ko.

Aadmi- Jyada sapne mat dekho tum. Ye badi badi bate karne ka koi fayda nahi hai Kyonki ye kabhi hoga hi nahi. Tum yaha se bachkar nahi ja paogi.


Itna kahkar wo aadmi jor jor se hansne laga. Wo Sarita ke paas jakar uske hath Rassi se bandh diya aur munh par tap laga diya. Sarita apne aapko chhudane ki koshish karti rahi, lekin wo safal nahhi ho payi. Wo aadmi Sarita ko bandhkar Kamre ka darwaza band karke bahar nikal gaya.


Sarita lagatar apne aapko Raasssi se aajad karane ki koshish kar rahi thi, lekin wo kamyab nahi ho pa rahi thi. Rassi ki ragad se uski kalayi chhiil gayi thi aur khoon bahne laga tha, Sarita ko dard bhi ho raha tha,


lekin wo kahte hain na ki jab Sir par maut khadi hoti hai to aise chhote mote dard se insan ko koi takleef nahi hoti,


yahi haal sarita ka bhi tha. Thodi der hilne dulne aur rassi se apna aapko chuudane ki koshish karne ka natiza ye huwa ki Rassi ki ganth khul gayi. Shayad us aadmi ne Thik se rassi mein ganth nahi lagayi thi.


Rassi ki ganth khulne ke baad Sarita ne dhire dhire hath aage pichhe karke apna ek hath Rassi se bahar nikal liya fir usne apne hath ko khola aur apni kalayi ko apne hath se pakadkar dekhne lagi.


Uski kalayi se khoon tapak raha tha, lekin abhi Sarita ke paas itna samay nahi tha ki wo apni in zakhmo par jyada dhyan de pati. Usne jaldi se apne pairo mein bandhi rassi kholi aur darwaze ki or badhi. Darwaze par pahuchkar usne darwaza kholne ki koshish ki to darwaza band tha. Sarita ye dekhkar mayush ho gayi aur kamre mein tahalne lagi.


Tabhi Sarita ka dhyan kamre ki Khidki par gaya. Wo khidki bahut purani dikhayi pad rahi thi, khidki poori lohiya ki thi. jispar jung laga tha. Jung lagne ke karan khidki jam ho gayi thi. Sarita khidki kholne ki koshish karne lagi.


thodi si koshish ke baad khidki khul gayi. Sarita ne khidki ka ek palla thoda sa kholkar dekha to bahar 4-5 Aadmi baithe huwe the. Sab kisi baat par thahaka lagakar hans rahe the.


Sarita ne Khidki se chaaro taraf ka muayna kiya. Bahar nikalne ka bas ek hi rashta tha jo un logo ke paas se hokar hi jata tha. Sarita ne Khidki poori khol di. bahar koi jali ya angle nahi laga tha jiske karan Sarita aaram se Khidki se bahar nikal gayi aur dabe panvv bahar ki taraf jane lagi. Tabhi ek Aadmi ki najar Sarita par pad gayi aur wo jor se chillaya.


Aadmi- Aree pakdo. Wo Inspectorni bhag rahi hai.


Us aadmi ka itna sun-na tha ki sab Sarita ko pakadne ke liye bhage. Ye dekhkar Sarita ne apni gati badha di. wo jitna tez ho sakta tha utna tez daud rahi thi. Usne do din se khuchhh khaya piya nahi tha, isliye wo daute huwe thak gayi thi aur Samne se aa rahe ek insan se jor se takra gayi.


Jab Sarita ne uski taraf dekha to wo Aashcharyachakit rah gayi. Use dekhkar Sarita ki aankhe chaudi ho gayi aur uski aankhin mein ek chamak si dikhaayi dene lagi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Bau baz hi na aa rahi hai. Ek tang khadde me hai dusri tang kabhi bhi khadde me ja sakti hai. Aise samay me log bhajan kirtan aur ache kaam karti hai. Par ye budiya bua sabhi bure kaam kar rahi hai. Jawan itni tikhi aur tez hai jab bhi chalti hai sirf kadwa hi bolta hai. Bua ke hav bhav aur chal chaln se lag raha hai bua ko marne ke baad swarg nehi jana hai. Narak me garm tel ki kadai me pakaudi ki taraha talne ka maza lena hai.

Duniya me khubsurat ladki aur nidar hona bhi khatre se khali nehi hai. Khubsurat hua to hamesha manchahlo se do char hona padta hai. Aur nidar hua to sarita jaisa haal hota hai koyi bhi aira gaira uthane aa jata hai. Mano koyi parsal ho. Khair sarita ki qismat achi thi jo kisi tarh rasi khol payi phir khidki todkar bhag nikli par ye takda kise gayi. Andi dekhkar nehi bhag sakti thi jahan tahan takrati rahti hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
super ja rahi hai kahani. room me sari rat dono ne hi pyar bhare lamhe bitaye.
sarita IAS ki taiyari ke liye naukri chhod di. ghar me sabhi raji bhi ho gaye is bat ke liye. 9 mahine bad abhishek bhi riha ho gaya. sab kuch acha hi chal raha hai.
धन्यवाद आपका महोदय।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
mast fadu update , par abhi tak kai ku shadi nahi manaya dono ne :angsad:
IAS bad me ban jana pehle shadi to kar lo.fir suhagrat. jabse Sarita ki nangi pith ke bare me padha hu tabse ruka nahi ja rha. :drool: abhi abhishek bhi ghar ko a gaya hai. ab to kar lo shadi.
धन्यवाद आपका महोदय।
अब ये तो दोनों की मर्जी है कि क्या करना हैं उन्हें।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
Aakhirkar dono pyar karnewale par writer sahiba ki meherbani ho hi gayi
Sarita ab ias karne ke baad hi Shaadi karegi :doh:

Ab please uss kamini, namak-haram aur besharm Savita ko nishu ki Shaadi se dur hi rakhna :idea: aisa karo ki uska accident karwa Kar hospitalized karwa do Jo Shaadi ke baad hi thik ho
धन्यवाद आपका महोदय।
अब वो तो आने वाला समय बताएगा कि क्या होता है। कौन पास रहता है और कौन दूर।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
Bua ji ki baat is baar kisi ne nehi suna. Savita ke saath sath mahendra ji ne bhi bua ko do tuk jabab de diya. Phir bhi bua ko samjh na aayi ki vo kitna galat kar rahi hai. Jaruri nehi ki khandani khoon hone par hi vo sahi hoga. Raghav bhale hi anat hai lekin use achhe bure me fark karna naina ji aur mahendra ji ne sikhaya. Aache sanskar diya. Raghav ke khoon me dosh hota to jitni bate bua ji usse sunati hai. Itne me to bua ji ya to khatiya pe leti hoti ya phir ram naam saty ho chuka hota.

Kisi ke samne itna bhi nehi jhukna chahiye ki usse ahsas na ho ki vo galat kar raha hai. Jiss tarah naina ji haath jodkar bua ji se binti kar rahi thi isse lagta hai kahi na kahi unka itna vinti karna hi bau ji ko badava de rahi hai.

Nishchhal sarita aur charu ka mamla trikoniy banta ja raha hai. Dekhte hai aage kiya hota hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
धन्यवाद आपका महोदय।
बुआजी को ये बात बहुत जल्द समझ मे आ जाएगी। बस एक ऐसा कोई वाकया होने की देर है।

साथ बने रहिए।।
 

Top