Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE- 19


Sarita apna Phone no. Savita ko dek-kar nikal jati hai. Nishchal apni balcony par khada hokar apne galo ko sahlate huwe man me sochta hai ki badi tikhi mirchi hai ye Miss joshi to. Isase bach kar rahna padega.


Sarita ke jate huwe Nishchal dekhta rahta hai . tabhi pichhe se Savita bhi balcony par aa jati hai aur Nishchal ke kandhe par hanth rakhkar usase bolti hai.


Savi- Kya dekh raha hai Nishu. Bahut pareshan hai bechari. Isliye tujhpar gusse se chilla rahi thi. Bhool ja is baat ko bhai aur uski madam kar de.


Savita ki baat sunkar Nishchal ne Uski taraf dekhte huwe kaha.

Nishchal- Main uski Madad bilkul bhi nahi karunga. Wo jane aur uska kaam jane.

Savi- Iska matlab tum apni di ki baat nahi manoge. Maine usase promise kiya hai ki tum uski madad karoge. Manti hoon ki usne tumse chillakar baat ki, lekin wo pareshan thi bechari. Kar de na uski madad.


Nishchal- wo aapko bechari dikhti hai aur aapko kya jaroorat thi usase promise karne ki. Chalo mana ki Chillane tak to thik tha di, lekin usne to had hi kar di. Usne aaj fir se………


Itna bolkar Nishchal chup ho gaya aur apne galo ko sahlane laga. Jise dekhkar Sarita soch me pad gayi aur chunkate huwe boli.


Savi- Fir se matlab. Fir se thappad. Matlab… kahi ye wahi ladki to nahi jisne us din market me tumhe thappad mara tha. Ye ladki hi hai na. Waise tumhe bilkul sahi nam diya hai use lady don. Waise ek baat kahungi main wo ladki bilkul tumhare takkar ki hai. Bilkul nidar, nirbhik aur bahadur.


Nishchal- (munh bichkate huwe) Waise baat kya thi. Kuchh bataya usne.


Savita ne Nishchal ko poori baat bata di. jise sun-ne ke baad nishchal soch me pad gaya. Fir wo apne kamre me chala gaya aur taiyar hokar Savita se bolkar ghar se bahar nikal gaya. Sarita Ghar aa gayi thi. Uske upar case chal raha tha to wo PS nahi ja rahi thi. Wo apne kamre me baithi hui soch rahi thi ki tabhi uske phone par PS se call aaya use phone uthaya.


Savita- Hello


Udhar se bolne wale ki aawaz sunkar Sarita ke face expression change ho jate hain. PS se Nishchal ka phone tha.


Nishchal- Miss Joshi. Kya tumko budhiya ki shakal yaad hai.

Sarita- Haan.. yaad hai.

Nishchal- turant PS pahucho. Koi bahana koi argument mujhe nahi chahiye. Main tumhara boss hoon. Jitna bol raha hoon. Utna karo. Turant PS pahucho.


Nishchal janta tha ki agar Sarita ko bolne ka mauka diya to to tarah tarah ke bahane banane lagegi isliye usne use order dene ke turant baad phone kaat diya. Idhar Sarita kuchh bolna chahti thi lekin tab tak phone kat chuka tha. Use nishchal par bahut gussa aa raha tha jo usne bina baat sune hi phone kaat diya tha. Sarita ne badbadate huwe kaha.


Sarita- Pata nahi apne aapko kya samajhata hai. Hitlar kahi ka. Meri baat bhi nahi suni aur phone kaat diya. pata nahi kya kaam pad gaya ise mujhse. Kahi subah ki baat ka badla to nahi lega mujhse. He bhagwan kahan fansa diya hai tumne mujhe. Ab hukum aaya hai to jana hi padega. Nahi to wo hitlar pata nahi kya karega.


Yahi sochte huwe Sarita taiyar hokar PS pahuchti hai to Sarita ko dekhte hi Uske sath kaam karne wale Sabhi apne chair se uthkar use salute kiya. Ye dekhkar Sarita ko bahut achha laga ki kam se kam uske sath kaam karne walo ko bharosha hai ki usne koi galat kam nahi kiya hai. Sarita Nischal ka poochi to use cabin ki taraf ishara karke bataya gaya.


Sarita jab cabin me gayi to waha par Nischal Screech Artist ke sath baitha tha. Sarita ko dekhte hi wo uthkar uske paas aaya aur uska hanth pakadkar use lejakar kursi par baitha diya aur bola.


Nishchal- Screech Artist ko us budhiya ki poori details batao.

Sarita- Lekin kisliye.

Nishchal- main sahi kahta hoon. Tumhare dimag ka nat bolt dhila ho gaya hai. Kya Tum meri koi bhi baat bina bahas kiye nahi man sakti ho. ab mera dimag jyada kharab mat karo aur chupchap baithkar Screech artist ko budhiya ki poori details batao.


Sarita Nishchal ki baat sunkar chupchap Screech artist ko us budhiya ki poori details batane lagi. Kuchh hi der me Screech banker taiyar ho gaya. Nishchal ne artist ko thanks bolkar Screech lekar PS se bahar chala gaya.


Sarita bhi uske baas apne quarter par wapas aa gai. Sarita Apne aapko bekasoor sabit karne ke liye har sambhav koshish kar rahi thi. Usne yaha waha bahut hath pair mare, lekin use aisa koi surag nahi mila tha jisase wo apne apko begunah sabit kar sake. Aaj ek Hafte poora ho chuka tha. Dophar ka samay tha. Pradhan ki di hui Samay ki miyaad ke poori hone me kuchh hi ghanta ka samay shesh tha.


Sarita ko ab lagne laga tha ki uski naukari chali jayegi, kyonki Apni begunahi se jis sabut ko wah ek hafte se lagatar dhoondh rahi hai. Wah kuchh ghanto me kaise dhoondha ja sakta tha. Sarita PS bhi nahi ja rahi thi. Sarita Imandar thi ye sabko pata tha, lekin wo kahte hain na ki Jahan Aapke chahne wale hote hain waha aapke napasand bhi karne wale hote hain. To Sarita ke rishwat lene wali baat jangal me aag ki tarah sare department me fail gayi thi.


Sarita Aage aane wali musibat ke bare me soch rahi thi ki jis Naukri ke liye usne raat din ek kar diya tha wo kuchh ghanta baad use cheen li jayegi aur jo badnami hogi wo alag. Wo yahi sab sochte huwe apne kamre me chakkar laga rahi thi. Tabhi Sarita ke mobile ki ghanta baji. Usne apna phone uthaya. Jo kisi Unknown NO. se tha. Sarita ne phone uthaya.


Sarita- Hello.

Unknow- Miss Sarita Joshi.

Sarita- Ji haan. Aap kaun.

Unknow- Ji main CBI se Pradhan bol raha hoon.

Sarita- Jai hind Sir. Farmaiye Sir.

Pradhan- Jai Hind Miss Joshi. Hamne ye batane ke liye aapko phone kiya hai ki aap par lagaye gaye Sare Aarop bebuniya sabit hue hain. Aapki khilaf jitni complains thi. Sab falls thi. Isliye aap kal se Apni duty join kar sakti hain.


Sarita ne jaise hi ye khabar suni. Khushi se uchhal padi. Use to vishwas hi nahi ho raha tha ki Uske upar laga aarop bebuniyad sabit ho chuka hai. Lekin ye sab huwa kaise uske samajh me ye nahi aa raha tha. To usne Khushi se Pradhan se poocha.


Sarita- Thank You Sir ji. Maine to pahle hi kaha tha ki maine kuchh nahi kiya hai. Lekin fir bhi apne meri baat ka bharosha nahi kiya, lekin aap mujhe ye bataiye ki aapko meri baat par bharosha ab kaise ho gaya. Meri begunahi ka sabot aapko kaha se mila.

Pradhan- Dekhiye Miss Joshi. Ham Subuto ke aadhar par hi apna kam karte hain us samay aapke khilaf hamko suboot mile the. Hamne aapko range hantho pakda tha, lekin baad me hame aapki begunahi ka suboot mila isliye Aapki duty bahal ki ja rahi hai.


Sarita Abhi aur kuchh kahna chahti thi, lekin tab tak Pradhan ne phone cut kar diya tha. Phone rakhne ke baad Sarita ke chehre par Khushi saf jhalak rahi thi. Sarita ne socha ki aakhir Pradhan ko meri begunahi ka subut mila kaise. Tabhi use yaad aaya ki Hitlar (Nishchal) ne us din Screech Artist se us budhiya ka Screech banwaya tha. To kahi ye hiltar ka kam to nahi hai.


Lekin usne aisa kya kar diya ki meri begunahi ka subut lekar aa gaya. Kahi usne us budhiya ko khoj to nahi liya hai. Jise main itne din se khojne ki koshish kar rahi thi. Ab ye to PS jane ke baad hi pata chalega ki aakhir ye sab huwa kaise. Yahii sab sochte huwe aaj ka din Khushi Khushi gujar gaya. Raat me Sarita ne apne ghar me baat ki aur Khana pina karke so gayi.


Agle din subah sabere uthkar Usne Sari taiyari ki aur Nashta karke PS ke liye nikal gayi. Jab Sarita PS pahuchi to sara Staff Sarita ko dobara se dekhkar bahut khush tha. Sarita ka Sabhi ne abhivadan kiya. Jise sarita ne apna sir hilakar Sweekar kiya. Uske baad Sarita Rawat Sir ke paas gayi aur boli.


Sarita- Good Morning Sir Ji.

Rawat Sir- Are beti tum. Very very good morning . tumhe yaha dobara dekhkar mujhe bahut Khushi ho rahi hai. Mujhe pahle se pata tha ki tum begunah ho. kisi ne tumhe fansane ki koshish ki hai, lekin main tumse mafi bhi chahta hoon beti ki main tumhari koi madad nahi kar paya.

Sarita- Nahi Sir. Aap kyon mafi mang rahe hain. Aap ne hamesha mera bhala hi socha hai. Aapne to mujhe pahle se hi aagah kar diya tha iske bare me ki koi meri jhoothi complain kar raha hai. Aapse jitna ban pada aapne kiya mere liye. Isliye aap mujhse mafi mang kar mujhe sharminda mat kijiye. Lekin ek baat meri samajh me nahi aayi ki meri begunahi ka subut Pradhan Sir ko kaha mila.

Rawat Sir- Ye sab Apne Nishchal bete ne kiya hai. Usi ne din raat ek kar diya tha tumhari begunahi ka subut dhoondhne ke liye. Tumhe pata nahi hai ki tumhare naam se rishwat lene ki jitni bhi complains aayi thi wo sab farji thi. Jab Nishchal ne Sari complains ki investigation kiya to pata chala ki jis address aur jis naam se wo complains bheji gayi hain Us addres aur wo nam dono farji nikle aur waha par is naam ka koi bhi aadmi nahi mila.

Kisi ne bhi is baat ke upar dhyaan hi nahi diya ki complains falls bhi ho sakti hai. Ye to Achha huwa ki Nishchal bete ne bahut bariki se is case ko observe kiya aur usne sari sachhai samne layi. Jisase tumhari begunahi sabit ho gayi.

Sarita- Lekin meri begunahi ka suboot to vo budhii dadi thi. Jinhone mujhe is case me fansaya tha. Unke mile bina meri begunahi sambhav hi nahi thi. To kya Hitlar ne… (danto tale ungli dabakar) mera matlab hai Sir ne unko dhoondh liya hai.

Rawat Sir- Iske baare me mujhe kuchh bhi pata nahi hai beti. Ye sab Nishchal ne kiya hai to usi ko iske baare me poori jankari hogi. Achha ye sab chhodo. Tum itne din baad PS aayi ho to jao kuchh kam kar lo. Jab Nishchal aayega to usase pooch lena tum jo poochna hoga tumhe.


Rawat Sir ki baat sunkar Sarita haan me sir hilate huwe apne cabin me chali gayi aur apni chair par baithkar apne hantho me pen uthakar usko apni ungli me fansakar hilate huwe sochne lagi.


Sarita- (apne man me) Yaar ye buddhi dadi to badi shatir thi. Mujhe fansa kar kaise gayab ho gayi thi us din. Lekin is hitlar ne dadi ko dhoondha kaise. Mujhe to kahi bhi nahi mili thi wo dadi. Maine bhi to kitni koshish ki thi dhoondhne ki. Chalo jab Hitlar aayega to usi se pooch lungi ki buddhi dadi hain kaha. Waise ek baat to hai. Hitlar utna bhi bura nahi hai jitna main use samajhti hoon. Maine hi use samajhne me galti kar di. bewajah bina poori baat jane use thappad bhi mar diya. main usase mafi mang lungi. Aakhir galti to meri hi thi in sab me.


Kuchh der isi tarah sochne ke baad Sarita ne bell bajakar ek hawaldar ko bulaya aur usase Janhavi ko andar bhejne ke liye kaha. Thodi hi der me Janhavi, Ranjana aur Vikas uske cabin me aaye.


Janhavi- aapka ek baar fir se is PS me swagat hai madam, Ham logo ne aapko bahut miss kiya. Hame to aapke upar poora bharosha tha ki aapne kuchh bhi nahi kiya hai. Lekin ham log aapki madad nahi kar sakte the. Iske liye sorry.

Sarita- Its okk Janhavi. Jab maine khud itni daud dhoop ki aur mujhe kuchh nahi mila to main tum logo ko kyon takleef deti iske liye. Vaise Sir ne bahut madam ki meri.

Ranjana- Haan maidam CO Sir ne is mamle ko apne hantho me le liya tha aur bahut hi bariki se sab chaan bin ki aur pore mamle ko investigate kiya. Unhone din raat ek kar diya aapko begunah sabit karne ke liye. Javed Aur Mohit bhi Sir ke sath hi the is poori investigation me.

Sarita- Achha. Javed bhi tha. Jawed aaya hai kya aaj PS me. Jara use bhejna mere paas.


Fir tino Sarita ko selute karke cabin se bahar chale jate hain. Thodi der baad cabin ka door nock hota hai aur Sarita andar aane ke liye bolti hai. Javed Sarita ke samne jakar khada ho jata hai. Sarita use baithne ka ishara karti hai. Javed Sarita ke samne kursi par baith jata hai. Sarita Javed se mukhatib hote huwe boli.


Sarita- Javed. Suna hai ki mere case me tum bhi poori tarah se involve the mujhe begunah sabit karne ke liye.

Javed- Ji madam. Hamko aapki imandari par poora bharosha tha, isliye maine aur mohit ne Sir ke sath milkar apni jan laga di is case me.

Sarita- Case mera tha aur mujhe hi koi jankari nahi mil rahi hai is case ke bare me. Mujhe tum poori baat batao.

Javed- Sorry madam nahi bata sakta aapko kuchh bhi.

Sarita- Kyon nahi bata sakte mujhe. Case mera tha aur mujhe jan-ne ka poora hak hai. Tumhe batane me koi problem hai kya.

Javed- Nahi madam mujhe batane me koi problem nahi hai. Lekin main nahi bata sakta. Meri kuchh majboori hai.

Sarita- Are Aisi kya majboori hai jo tum mujhe nahi bata sakte is case ke bare me.

Javed- Kyonki Sir ne aapko is case ke bare me kuchh bhi batane se mana kiya hai. Isliye main aapko kuchh bhi nahi bata sakta.

Sarita- Kaun se Sir ne mana kiya hai tumhe.

Javed- Nishchal Sir ne mana kiya hai.

Sarita- Kya. Wo Hit.. mera matlab hai ki Sir pagal ho gaye hain kyaa. Mera case hai aur mujhe hi kuchh batane se mana kiya ja raha hai. Samajh me nahi aata ki tum aur tumhare Sir ko Mujhse kya problem hai.

Javed- Koi kaam tha kya aapko madam ya main jaun.

Sarita- Nahi tum ja sakte ho. mujhe jab jaroorat hogi to main bula lungi. Tum sab kisi kaam ke nahi ho. sab us hit… Achha jao tum ab. Mujhe kuchh kam karna hai.


Javed Sarita ki baat sunkar uske cabin se bahar chala gaya. Uske baad Sarita apne kam me jut gayi. PS ka kam khatam karke jab wo apne kamre par aati hai aur fresh hokar chaai ki cuskiya lene lagti hai tabhi uska phone bajne lagta hai. Jab wo phone uthati hai to screen par Unknow number flash ho raha tha. Sarita ne phone uthaya to udhar se aawaz aai.


Sarita- hello.

Unknow- hay Sarita. Main Savi bol rahi hoon.

Sarita- Ohhhh diii aap. Kaisi hain aap di.

Savi- Main bilkul badhiya hoon. Aur aaj main bahut khush hoon to isi Khushi ke mauke par aaj ka dinner tum mere yaha par karogi.

Sarita- kya main aapki Khushi ka raz jan sakti hoon di.

Savi- main isliye khush hoon kyonki tum par jo case chal raha tha wo clear ho gaya. Isliye maine tumhare liye dinnar me ache ache khan eke pakwan banaye hain. Tum jaldi se aa jao.

Sarita- Thank You di. lekin in sabki kya jaroorat hai.

Savi- Jaroorat hai Sarita. Isi liye to tumhe bula rahi hoon. Aur mujhe pata hai ki tum jaroor aaogi.


Sarita Savi ki bato me apne liye mithas aur pyaas ka Anubhav kar rahi thi. Isliye usne jyada bahas nahi ki aur aane ke liye haan kar di. Sarita ki is haan ke pichhe ek aur maksad tha ki wo isi bahane apne case ke bare me kuchh pata bhi kar sakti thi.


Sarita Savi ke yaha jane ke liye taiyar ho gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:
Toh aakhir Nischal ne Sarita ko begunaah sabit karwa hi diyaa. Par kaise karwaya yeh abhi tak raaz hi rakha hai. Auf humari Bullet Train Miss Sarita ko chainn kaha hai. Usko ab yeh jaanne ki chull machhi hai ke woh begunaah sabit kaise hui. Nischal ne aisa kyaa kiya ke woh bachh gayi.

Idher Savita ne Sarita ko raat ke khaane pe bulaya hai. Dekhte hai shayaf udher iss raaz se parda uthh jaaye.
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE- 20 [MEGA UPDATE]


Sarita Savi ke yaha jane ke liye taiyar ho gayi. pahle to usne apni gadi se jane ka socha. Fir kuchh sochte huwe usne riksha liya aur Savi ke ghar chali gayi jo lagbhag 2 kilomiter ki doori par tha. Jab Sarita waha pahuchi to Savita door par hi khadi hokar uska intezar kar rahi thi. Sarita Savita ke sath ghar ke andar gayi aur hall me lage sofe par baith gayi. Sarita ki pith darwaze ke taraf hi thi. Dono me baatcheet shuru ho gayi.


Savi- Tum bahut pyari lag rahi ho in kapdo me. Same peace mere pass bhi hai aisa hi.

Sarita- Thanks dii. Waise di. Aap kya karti hain yaha. Mera matlab hai ki koi job wagairah.

Savi- Main Yaha NGO me Head Organizer hoon. Mujhe har 3 se 6 mahine me Shahar badalna padta hai apne NGO ke kam se. alag alag shahro me jakar seminar organize karna padta hai.

Waise to mera kaam jyada nahi hai. Lekin fir bhi jab Organization ka samay aata hai to mera kam badh jata hai. Mere NGO ko jo company promote karti hai wahi sare arrangement karti hai hamare rahne khane aur aane jane ke liye. Lekin yaha par nishu tha to uske kahne par main usi ke sath rahne lagi.

Sarita- Ye to bahut achha hai di. aap samajh sewa kar rahi hain.

Savi- Samaj sewa to tum bhi kar rahi ho Sarita. Waise Ye tumhari pahli posting hai ya iske pahle kisi aur jagah posted thi.

Sarita- Nahi didi. Meri job new hai to ye meri pahli posting hai.

Savi- Yaha Akele rahne me tumhe koi pareshani to nahi ho rahi hai Sarita.

Sarita- Sach batau to mujhe yaha aane me hi dar lag raha tha ki main yaha par akele kaise rahungi. Yaha aane ke baad is baat ka dar tha ki pata nahi jaha par meri job lagi hai waha par log kaise hain. Unka nature kaisa hai, lekin unse milne ke baad meri dharna badal gayi. sabhi log bahut hi supporting hai aur mujhe bahut mante hain. Unke sath kaam karke lagta hai ki main apno ke bich me hi hoon. Kabhi kabhi ghar ki yaad aati hai. Baki sab thik hi hai.

Savi- Ab to main bhi yaha hoon. Tumhara jab bhi dil kare mere paas aa sakti ho. ise apna hi ghar samjho.

Sarita- aap ho hi itni achhi ki main khud apne aapko yaha aane se nahi rok paungi. Lekin wo Sir….

Savi- (bat ko katkar) tumhe usase darne ki jaroorat nahi hai. Main hoon na. usase main baat kar loongi. Waise maine tumhara article padha tha. Tumhari bate bahut prabhavshali lagi mujhe.

Sarita- aap kis article ki baat kar rahi hain aap di.

Savi- Are ye dekho. Jo tumne News walo ko interview diya tha.

Sarita- Mujhe to pata hi nahi chala is tension ke aage ki mera article bhi aaya hai news papar me. Wo to bas aise hi mujhe jo sahi laga. Maine apne interview me kah diya.

Savi- Achha tum tab tak apna article pado. Tab tak main rasoi me dekh leti hoon ki khana ban-ne me abhi kitni der hai.


Savita ye kahkar kitchen me chali jati hai. Sarita paper uthakar Article padhne lagti hai. Usi wakt Nishchal bhi ghar aata hai aur dekhta hai ki hall me koi baitha hai. Jab wo hall me jata hai to dekhta hai ki Savita di baithi hui hai, jabki waha par Sarita baithi hui thi.


Chunki Darwaze ki taraf Sarita ki pith thi aur Sarita ke kapde bhi Same the jo Savita ke paas the, isliye Nishchal ko galatfahmi ho gayi ye samajhne me. Nishchal ne jakar sofe ke pichhe se Sarita ke gale me bahe dalkar use hug kar liya aur uske galo ko chum liya aur bola.


Nishchal- Love you d….


Nishchal itna hi bol paya tha ki tabhi uske Gal par ek jhannatedar thappad pada jo Sarita ne mara tha. Kyonki Nishchal ke is tarah se hug karne aur chumne se Sarita gusse se tamtama gayi thi. aur usne Love You suna to usne ek thappad jad diya. Nishchal ka poora gal jhanjhana gaya. Wo sakpaka kar thoda pichhe hat gaya. Sarita ne use gusse se dekhte huwe kaha.


Sarita- Aapki himmat kaise hui mujhe chumne ki aur love you bolne ki.

Nischal- Tum.... Tum yaha kya kar rahi ho. Tum pagal ho gayi ho kya. Jab bhi milti ho mera gal table ki tarah baja deti ho. Are mere itne bhi bure din nahi aaye hain ki main tumse Love you bolu. Wo maine socha ki di baithi hui hai. Isliye maine di samajhkar aisa kiya.

Sarita- Aap kitne badtameez ho. apni bahan ki aand lekar itni ghatiya harkat karte ho. Aap kaise insan ho jo apni bahan ko nahi pahchan pate.

Nishchal- (gusse se) Chup bulkul chup. Mujhe kya pata ki tum yaha par baithi ho meri di ke kapde pahankar. Pahle tum ye batao ki tum mere ghar par kya kar rahi ho.


In dono ki chillane ke aawaz sunkar Savita ko lag gaya ki dono kutte billi ki tarah fir se ladne lage hain to wo kitchen se nikal kar unke paas pahuchi aur boli.


Savi- Ye kya hai. Tum dono fir se shuru ho gaye.


Abhi Sarita Savita ki bato ka koi jawab deti. Usase pahle hi Nishchal bol pada.


Nishchal- ye yaha kya kar rahi hai

Savi- Ise maine bulaya hai dinnar ke liye.

Nischal- Shuru ho gaya aapka samaj seva ka kam ghar me bhi. maine aapse kitni baar kaha hai ki anjaan logo ko ghar par mat bulaya karo. aapko pata nahi ki kaise anjan log pahle mel milap badhate hain fir kand karke bhag jate hain. lekin aap to meri baat sunti hi nahi hain di.


Sarita ko Nishchal ki baat sunkar bahut gussa aaya aur wo Savita se boli.


Sarita- Di main ab ek minute bhi yaha nahi rukungi. main ghar ja rahi hoon.

Savi- Nishu. ab kya main apne man se kisi ko ghar bula bhi nahi sakti hoon. tum ye sab chhodo aur apne kamre me jao. jab khana ban jayega to main khud tumhe bula lungi.


Savita ki baat sunkar Nishchal apne kamre me chala gaya. apne kamre me pahuchkar nishchal apne bister par pasar gaya aur sochne laga.


Nishchal- (man me) Kya ladki hai yaar. bahut tikhi mirchi hai ye to. jab bhi milti hai mera gall lal kar deti hai. bahut sakht hanth hain yaar iske to. mera sir jhanjhana jata hai iske thappad se. mujhe to ab isse bachkar rahna chahiye. nahi to kisi din agar isne PS me mere gal lal kar diye to meri izzat ka faluda ho jayega.


Udhar Nishchal ke jane ke baad Sarita Savita se kahti hai.


Sarita- Di Aaj ke baad jab ye hitlar ghar par na rahe to hi mujhe bulaiyega.

Savi- (Aankhe dikhakar) Galat baat Sarita. Ek bahan ke samne uske bhai ko hitlar bol rahi ho.

Sarita- Ab kam bhi to wo hitlar wala hi karte hain to main kya karu. main unhe hitlar hi bolungi.

Savi- (majak udate huwe) Are waahh. kyaa baat hai. bahan ke samne uske bhai ko pata rahi ho tum.

Sarita- (chaukte huwe) Kya. Kya kaha aapne. maine kab kiya aisa. mere itne bhi bure din nahi aaye hain ki main is hitlar ko patauun.

Savi- bada samman de rahi ho mere bhai ko unhe bolkar to maine socha shayad tum use patane ki koshish kar rahi ho.

Sarita- Kyaa di aap bhi. agar aap mujhse aisi baat karengi to main nahi aaungi aapse milne dobara.

Savi- achha thik hai. nahi karti tujhse is tarah ki baat. chalo jakar hanth munh dho lo dinner ready ho gaya hai main nishu ko bulakar lati hoon.


Sarita fresh hokar dining table par baith gayi. Savita aur Nishchal bhi aakar dining table par baith gaye. Sarita ne tin plate khana nikala aur tino khane lage. is dauran Sarita Nishchal ko ghoor rahi thi aur Nishchal Sarita ko ghoor raha tha. Savita dono ko bari bari se ek doosre ko ghurte huwe dekh rahi thi. tino me se khana khane ke dauran kisi bhi prakar ki bat-chit nahi ki.


khana khane ke baad Nishchal apne kamre me chala gaya. Savita aur Sarita ne kuchh der baith kar baate ki. uske baad Sarita ne kaha.


Sarita- di ab main chalti hoon. Raat kafi ho chuki hai. Subah PS bhi jana hai. Apne mujhe dinner ke liye invite kiya uske liye thank you di.

Savi- Chup kar. Di bhi bolti ho aur thank you bolkar paraya bhi kar deti ho. ruko main Nishu ko bol deti hoon wo tumhe ghar tak chhod dega.

Sarita- (Chaunk kar)- Nahi di. unhe takleef mat dijiye. main khud chali jaungi. mujhe kisi ka dar thodi hi hai.

Savi- Haan main janti hoon kit um pulice wali ho aur bahadur bhi ho, lekin abhi Raat bahut jyada ho gayi hai aur Akeli ladki ka ghar se bahar jana safe nahi hai, Jamana bahut kharab chal raha hai.


Sarita Savita ko rokti rahi, lekin Savita ne uski baat na sunte huwe Nishchal ke kamre ki taraf chal padi. Nishchal ke kamre me pahuchkar Savita ne Nishchal se kaha.


Savi- Nishu. Sarita ko jara uske ghar tak chhod kar aa ja bhai.

Nishchal- (chaunk kar) kyaa. nahi nahi. main usko chhodne nahi jaunga. jab wo mujhe mere ghar me nahi chhodti baja deti hai to apne ghar par pata nahi kya haal karegi mera.

Savi- Matlab aaj fir se usne tujhe thappad mara.


Savita ki baat sunkar Nischal ne apni garden haan me hila di. Savita ye dekhkar muskurane lagi aur Nischal se boli.


Savi- Waise ek baat to hai. pahli baar koi aisi ladki mili hai jo tere takkar ki hai. ab chhod is baat ko aur jakar use chhod aa use ghar par.

Nishchal- Main nahi jaunga di.

Savi- Ye kya jid hai Nishu. Akeli ladki ghar kaise jayegi.

Nishchal- Wo kis angal se aapko ladki lagti hai. billi hai billi. jo baat baat par panja marti hai. uska koi kuchh nahi bigad payega. use kisi ka dar nahi hai, balki uske samne jo aayega dar to usko lagega. aap driver ko uske sath bhej dijiye.


udhar Savita ke Nishchal ke paas aane ke baad Sarita man me kahti hai.


Sarita- (man me) he bhagwan. fir se mujhe us hitlar ke sath rahna padega. meri kismet pata nahi baar baar mujhe us hitlar se kyon samna karwati hai. pata nahi kya hone wala hai.


udhar Nischal ke mana karne par Savita wapas aa gayi aur driver ko kahkar gadi bahar nikalne ke liye bhej diya aur Sarita ko lekar bahar tak aa gayi. driver ne gadi bahar nikali aur jaise hi Sarita gadi me baithne lagi. waha par Nishchal aa gaya aur usen driver se kaha.


Nischal- Suno Ramu. tum rahne do. inhe main chhod aata hoon.

Driver- Are sir Aap kyon takleef kar rahe hain. main madam ko chhod aata hoon.

Nischal- Are yaar. tumhe jo bola hai wo karo. mera mood pahle se hi kharab hai tum use aur kharab mat karo.


driver apni sheet se utar kar gadi se bahar aa gaya. Nischal ne driving sheet sambhal li. Sarita jab pichhe ka darwaza kholkar baithne lagi to Nischal ne kaha.


Nischal- Miss joshi. main aapka driver nahi hoon jo aap pichhe baith rahi hain. aage aakar baithiye.


Sarita Nischal ki baat sunkar munh bichka kar aage aakar baith gayi aur Savi ko bye bol diya. Nischal ne gadi start ki aur aage badha di. thodi door jane ke baad Nischal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Apni sheetbelt bandh lo Miss Joshi.


Sarita ne Nishchal ki baat ko ansuna kar diya. jisase Nischal ko gussa aa gaya aur usne gadi ki speed badha di aur kuchh door jane par achanak se breke maar di. gadi charrrrrrrrr kii aawaz ke sath ruk gayi. Achanak se break lagne se Sarita ka sir Das board se jakar takraya aur uske munh se aahhh nikal gayi. Sarita ne Nischal ko gusse se dekhte huwe kaha.


Sarita- Agar gadi chalani nahi aati to ek bailgadi le lo aur use chalana sikho, uske baad gadi chalana.

Nishchal- Main kab se kah raha hoon ki sheetbelt bandh lo. lekin tumne meri baat par dhyan nahi diya. to main tumhe batana chaah raha tha ki meri baat ko najar andaz karne ka kya parinam ho sakta hai.


Iske baad dono me koi baatcheet nahi hui. Nishchal bahut hi slow speed se gadi drive kar raha tha. Kuchh der khamoshi ke baad Sarita ne Nishchal se poocha.


Sarita- Dadi kahan par hain.

Nishchal- Kaun dadi. Kiski Dadi. Main jab chhota tha tabhi meri dadi ki death ho gayi thi. mere papa ke koi chacha ya dada nahi the to mere ek hi dadi thi.

Sarita- Kitna natak karte hain aap. Main jo pooch rahi hoon aap achhi tarah se samajh rahe hain fir bhi baat ko ghumane ki koshish kar rahe hain. Kya aap sach me nahi jante ki main kiski baat kar rahi hoon.

Nishchal- Kiss ki.

Sarita- Haan Kiski.

Nischal- Tum kitni badtameez ladki ho. Ek akele aur jawan ladke se aisi baat karte huwe tumhe sharam nahi aati.

Sarita- Dekho. Ab aap had se jyada bol rahe hain. Agar mere bare me ek bhi shabt aur ulta siddha bola to aacha nahi hoga aapke liye.

Nischal- Kya karogi tum. Ek to mujhe invitation deti ho aur upar se mujhe bol rahi ho ki main had se jyada bolta hoon.

Sarita- Kiski invitation maine aapko di hai. Aap pagal to nahi ho gaye hain.

Nischal- Dekha kab se tum mujhe invitation de rahi ho aur abhi fir se tumne Kiss ki invitation di mujhe. Agar maine kar liye to bura mat man-na.


Itna kahte huwe Nischal ne apne hontho par apna hanth rakh kar ishara kiya. Jise samajhkar Sarita ne Use gusse se dekha aur kheejhkar rah gayi. Sarita ne aankhe dikhate huwe kaha.


Sarita- aap kitne badtameez hain. aapko yahi sab baate aati hain karne ke liye. Mujhe to lagta tha ki maine aapko thappad marker galat kiya. Aur iski mafi bhi mangna chahti thi aapse. Lekin ab mujhe lagta hai ki maine aapko thappad marker bilkul sahi kiya hai.

Nischal- Kya tum mujhse sach me mafi mangna chahti ho. thik hai agar tum mafi mangti ho to main tumhe maaf kar dunga is bar.

Sarita- (Chidhkar) maafi mange meri juti. Ab main koi maafi wafi nahi mangungi. Maine jo kiya hai bilkul sahi kiya hai. Aap usi layak ho. Ab sidhe sidhe bata dijiye ki dadi kaha hain.

Nischal- Meri dadi mar chuki hain.

Sarita- Aapko agar nahi batana to sidhe sidhe mana kar dijiye. Mujhe bhi koi shauk nahi hai ek hi baat ko baar baar puchhne ka, lekin nahi aapko to bas bakwas karna aata hai. Aap kya samajhte hain ki aap mujhe kuchh nahi bataenge to mujhe pata nahi chalega. Main khud pata laga lungi ki aapne dadi ko kaha chhupa kar rakha huwa hai.

Nishchal- Oh madam helloo. Main kuchh bol nahi raha hoon to iska matlab ye nahi hai ki main bolna nahi janta. Main chahoo to tumhare sare thappad ka jawab de sakta hoon, lekin tum ladki ho isliye maine chhod diya tumko. Ek to madad karo. Upar se inke nakhre bhi jhelo. Do shabt madad ke badle thank you ke munh se nahi nikal rahe hain, upar se mujhe hi ulta siddha suna rahi ho.

Sarita- haan to maine kab kaha tha ki meri madad karo aap. Mat karte meri madad, kam se kam main sukun se rahti. Ab to har samay mujhe apne kiye gaye ahsaan ki yaad dilate rahoge. Jisme main dabkar rah jaungi. Mujhe aapki madad ki jaroorat nahi thi to meri madad kyon ki aapne.

Nischal- main Tumhari madad to bilkul bhi nahi karta. Kisi kimat par nahi karta, lekin kya karta main. Di ne kaha tha ki main tumhari madad karu. Sachhai ka pata lagau. Aur main di ki baat nahi tall sakta tha. Upar se Rawat Sir aur Mohit, Javed, Vikas, Ranjana aur Janhavi ko bhi tumhare upar bharosha tha. Isliye mujhe tumhari madad karni padi .

to is Khushfahami me mat raho ki maine tumhare liye ye sab kiya hai. lekin mujhe nahi pata tha ki tum Ehsan faramosh nikalogi aur madad ke badle mujhe thappad marogi. Jangali billi.

Sarita- Kya kaha mujhe jangli billi, to aap bhi kisi hatlar se kam nahi ho. Akdu. Khadus.

Nishchal- Kya bola tumne. Main hitlar hoon. Akdu hoon. Khadus hoon.

Sarita- Haan. Iske alava bhi jo shabd inse match karte hai. Wo sab aap par lagu hote hain.

Nischal- to tumare upar bhi jangali billi se related jitne words hain wo sab lagu hote hain.


Fir dono me bahas shuru ho gayi. dono ke bich aise words ka aadan pradan hone laga. Thodi der tak aisa mahaul bana raha. Fir Sarita ne Uubkar radio chalu kar diya. jisme 93.5 FM par purane jamane ka gana aa raha tha.


Zindagi ka safar hai ye kaisa safar.
Koi samjha nahi koi jana nahi.
Hai ye aisi dagar chalte hain sab magar.
Koi samjha nahi koi jana nahi.

Zindagi ko bahut pyaar hamne diya.
Maut se bhi mohabbat nibhayenge ham.
Jayenge ab kidhar hai ye kisko khabar.
Koi samjha nahi koi jana nahi.


Nishchal ko ye gana bilkul bhi achha nahi lag raha tha to usne channel change karke 92.7 FM laga diya. jisme naye jamane ka gana baj raha tha.


Candi pown. Pown ho candi.
Ho jane jana. Candi pown.


Is gane ko sunkar Sarita ne Nischal ko ghoorkar dekha aur fir se channel change karke 93.5 FM laga diya. jisake karan Nischal chidh gaya aur bola.


Nischal- Ye baba Aadam ke jamane ke gane kyon sunti ho. Naye gane suna karo bahut maza aata hai naye gane sun-ne me. Wahi gana lagao jo Abhi aa raha tha 92.7 FM par.

Sarita- Are Kuchh to class rakho apni choice mein. Naye jamane ke wahi ghatiya gane. Na koi sur rahta hai na koi taal rahti hai. Gana kam shor jyada sunai deta hai. Naye gano me wah sukun nahi milega jo Purane gano me milta hai. Kabhi Raat me aapko neend na aaye to Purane gane laga lijiye. Uski Madhur aawaz me sukun ki neend aa jayegi.

Aajkal ke gane raat me baja do to sota huwa aadmi bhi jag jayega. Raat me agar kahi safar par nikale ho to Purane gane laga dijiye. Safar ka pata hi nahi chalega ki kab apni manjil par pahuch gaye hain. Meri maniye to kabhi aap bhi is sukun ko mahsoos karne ki koshish kijiye.

Nischal- Main aaj ke jamane ka insan hoon. Ya baba aadam ke jamane wale gano ka shauk mujhe nahi hai. Tumhe hi Mubarak ho ye baba aadam ke gano ka shauk. Ab chupchap pahle wala gana laga do.

Sarita- (gusse se) Thik hai agar main baba aadam ke jamane ki hoon to thik hai fir ab ye gana nahi badlega. Main yahi gana sunungi ab. Aur ise badalne ki koshish bhi mat kariyega.


Tabhi waha par doosra gana bajne laga.


Tere mere bich me, tere mere bich me
Kaisa hai ye bandhan Anjana.
Maine nahi jana.
Tune nahi jana.


Ye gana sunkar Sarita is gane me kho gayi. udhar Gana sunkar nishchal Irritate hota huwe bola.


Nishchal- Tum bina bahas kiye meri baat nahi man sakti kya. Jab dekhe dana pani lekar mere upar sawar ho jati ho.


Itna kahkar Nishchal ne fir se channel change karke apna wala laga diya. jisme naye jamane ke gane baj rahe the. Sarita ko wo gane pasand nahi aaye to usne channel badal kar apna wala laga diya. jisme purane jamane ke gane baj rahe the.


Ye dekhkar NIshchal ne gadi rok di aur channel badalkar apna wala channel laga diya. Fir to dono ka ye khel shuru ho gaya. Jab nishchal apna channel lagata to Sarita Chidh jati aur apna channel laga deti. Jab Sarita apna channel lagati to nischal chidhkar apna channel laga deta. Jiske karan ek bhi gana dhang se nahi baj pa raha tha.


Fir to ye kriya jaldi jaldi hone lagi. Jiske karan dono ki ungaliya aapas me takra rahi thi. kabhi kabhi to dono ek doosre ki ungli par ungli rakhkar hi channel change kar dete the. Lekin dono ko is baat ka hosh nahi tha. Dono ko to apne gane ki padi thi. ye khel lagbhag 10 minute tak chala dono ka. Jiske frustration me Nishchal ne ek jabardast mukka radeo par de mara. Redio toot foot gaya. Nishchal ne Sarita se kaha.


Nischal- Ho gaya na. Baj gaya gana. Ab to tum bahut khush hogi.

Sarita- (Muskurate huwe) Bahut hi jyada.

Nischal- Jyada Khush hone ki jaroorat nahi hai tumko. Iske paise main tumse hi wasool karunga Miss joshi.

Sarita- (hairan hokar). Mujhse kyon. Main kyon paise doongi aapko. Toda to aapne hai na

Nishchal- Lekin toota to tumhari wajah se hai na. to harjana to tumhe hi bharna padega.

Sarita- Ye to galat hai. Sarasar galat hai. Isme meri galti nahi hai. Sari galti apki hai. Agar aap meri pasand ka gana bajne dete to na ye gana badalne ki naubat aati na ham dono me ladai hoti aur na hi ye redio toot-ta.

Nishchal- Jyada sayani ban-ne ki koshish mat karo Miss Joshi. Agar yahi baat main bhi tumse kahoon Isme meri galti nahi hai. Sari galti tumharii hai. Agar aap meri pasand ka gana bajne dete to na ye gana badalne ki naubat aati na ham dono me ladai hoti aur na hi ye redio toot-ta.

Sarita- (irritate hokar) Hey bhagwaan. Pata nahi kiski na na. pata nahi wo kaun tha jiski shakal dekhakar main uthi thi jo mere sath ye sab ho raha hai.


Sarita ne Kiski Shabd aate hi Use badal diya. Kyonki use kuchh der pahle ki Nishchal ki baate yaad aa gayi. wo nahi chahti thi ki dobaara se Nischal use pareshan kare is baat ko lekar. Sarita ki baat sunkar Nischal ne kaha.


Nishchal- Kisi aur ki kyon apni hi shakal dekh li hogi darpan me. Waise bhi tumhari shakal agar tum khud dekh lo to din bahut bura gajarta hoga tumhara.

Sarita- Aap apni bakwas band kariye. Main aapse baat nahi kar rahi hoo. Main apne aapse baat kar rahi hoon.

Nishchal- Ekdam paglait ho kya tum. Har baat ka jawab dena jaroori hota hai kya. Ek to gadi meri hai. Upar se main thaka hara hone ke baawjood bhi tumhe tumhare ghar tak chhodne aaya hoon. Ek minute bhi aaram nahi mila mujhe subah se aur ab upar se tumhari bak bak sunkar mere kan pak gaye hain.

Sarita- Maine kaha tha kya aapko ki mujhe ghar chhod do. Driver to aa hi raha tha mujhe chhodne ke liye. Fir aap kyon aaye.maine to nahi bulaya tha aapko.

Nishchal- Apna chehra dekha tha kaise latal gaya tha. Isliye tum par daya karke tumhe chhodne chala aaya. Lekin mujhe nahi pata tha ki main ek jangli billi ko chhodne ja raha hoon.

Sarita- aap hitlar the. Hitlar hain aur hitlar hi rahenge. Koi jaroorat nahi hai mujhpar daya dikhane ki.


Isi batchit me Sarita ka ghar aa gaya. Sarita turant gadi se bahar nikali aur bina Nischal ko dekhe thank You bolkar apne ghar ki taraf chal di. Pichhe se nischal ne aawaz lagayi.


Nischal- Hello Miss joshi. Aapne kuchh kaha kya. Mujhe thik se sunai nahi diya.

Sarita- (bina Uski taraf dekhe)- Aapne mujhe yaha tak chhoda. Uske liye dhanyawad aapka.

Nischal- (Chhedte huwe)- tumne kya kaha miss joshi. Thoda jor se boliye. Mujhe sunai nahi diya.

Sarita- (Nishchal ki taraf ghoomkar gusse se) Ek hi baat ko baar baar kahne ki meri aadat nahi hai. Agar nahi sunai padta to apne kan ka ilaz karwao aap.


Itna kahkar Sarita Apne kamre ka tala kholkar andar chali gayi aur darwaza band kar liya. Nishchal kafi der wahi khada uske darwaze ki taraf dekhta raha aur fir gadi aage badha di aur man hi man sochne laga.


Nischal- Kya ladki hai yaar. Koi manner hi nahi hai. Aise bhi koi thank you bolta hai kya. Aisa lagta tha jaise koi jabardasti thank you bulwa raha ha. Badi tikhi mirchi hai yaar ye ladki to. Gussa to iski nak par rahta hai. Bhagvan bachaye is ladki se.


Kuchh hi der me nishchal apne ghar pahuch gaya. Jab wo Ghar pahucha to Savita abhi bhi jaag rahi thi. Nishchal ne chup chap gadi park ki aur apne kamre me jane laga to Savita ne usase poocha.


Savi- Nishu. Chhoda aye Sarita ko.

Nishchal- haan di.

Savi- Badi der laga di wapas aane me.

Nishchal- Aap to janti hai ki wo kaisi hai. Bina matlab dimag chat-ti rahti hai. Usne bahut irritate kiya poore raste mujhe. Isliye mujhe aane me der ho gayi.


Savita Nischal ki baat sunkar muskuraye bina nahi rah saki. Apni didi ko muskurate huwe dekhkar Nishchal Khisiya gaya aur apne kamre me chala gaya aur kapade badalkar apne bister par dhadam se gir pada aur so gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:
Yeh Nischal jab bhi Sarita ke saamne aata hai apna gaal laal karwa ke jaata hai. Bechare ki kismat hi futtii hui hai ke usko Sarita jaisi ladki mili.

Savita inndono ko kutte billi jaise ladte jhagadte dekh bahot khush horahi hai. Uske mann mein shayad Nischal ke liye Sarita ki sahi ladki hai yeh baat baith gayi hai.

Dekhte hai inndono ki kismat mein aur kyaa kyaa likha hai
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE- 21


Sarita bhi apne kamre ma jakar so gayi. Subah uthakar har kam se finish hokar nashta karke Sarita PS pahuch gayi. Waha par Sarita ne dekha ki Mohit aur Javed kisi baat ko lekar gahan vichar vimarsh kar rahe the. Jab Sarita Unke paas pahuchi to wo dono chup ho gaye. Sarita ko dekhte hi dono ne ek sath Sarita se kaha.


Mohit & Javed- Good Morning Madam.

Sarita- Very good morning both of You. Aaj to mera din hi ban gayaa jo dono ke subah subah ek sath mein darshan ho gaye. Kya baat hai dono bahut gahri mantrana kar rahe the. Lagta hai kisi mahatvapurna Mudde par charcha ho rahi thi, isliye mujhe dekhte hi dono chup ho gaye.

Mohit- Nahi madam aisi koi baat nahi hai main to bas aise hi javed ke sath bat cheet kar raha tha.

Sarita- Achha thik hai. Main apne cabin me jati hoon. Tum logo ki charcha agar samapt ho gayi ho to tum dono bhi apne kam par dhyan do.

Javed- Ji madam.


Itna kahkar sarita Apne cabin me chali gayi. Sarita ne Kaushal ko apne cabin me bulakar use samjha diya ki jab Mohit akela ho to use inform kare. Dopahar ko Javed ko kisi ka phone aaya to wo PS se bahar chala gaya. Kaushal ne Sarita ko inform kar diya ki Mohit akela hai to Sarita ne mohit ko apne cabin me bulaya. Mohit Sarita ke cabin me gaya Sarita ne use baithne ka ishara kiya, Mohit Ek kursi par baith gaya aur bola.


Mohit- JI madam aapne bulaya mujhe.

Sarita- Haan mohit ji mujhe tumse kuchh bat karni hai.

Mohit- Ji madam kahiye.

Sarita- Dekhiye mohit ji. Javed ne mujhe sabkuchh bata diya hai. To ab main chahti hoon ki aap bhi mujhse koi baat na chhupaye aur sach sach bataye.

Mohit- (hadbadate huwe) Kaun si baat Madam, Mujhe to kuchh pata hi nahi hai. Aap kya baat kar rahi hain.

Sarita- Dekhiye Mohit ji. Main apne case ke bare me aapse baat kar rahi hoon. Mujhe ye to pata chal chuka hai ki budhi dadi ko aapke sir ne kaha chhupakar rakha hai. Iske baare me Javed ne kal mujhe sabkuchh bata diya hai. Kal aap aaye nahi the, isliye aapko iske baare me kuchh pata nahi hai.

Mohit- (Chaunk kar) Kyaa… Javed ne aapko sabkuchh bata diya. Vishwas nahi hota. Lekin usne to mujhe is bare me kuchh nahi bataya.

Sarita- Kyonki maine hi use mana kiya tha ki main tumse khud is bare me baat karungi wo tumhe kuchh bhi na bataye. Ab agar aapne mujhse kuchh bhi chhipane ki koshish ki to main DSP Sir ko bol dungi ki aap logo ne mujhe mere case se sambandhit sari information de di hai.

Mohit- Kyaa. Ye kya kah rahi hain aap madam. Aap mujhe bich me kyon la rahi hai. Aapko bataya to us javed ne hai to mera nam kyon Sir ko bataengi aap.

Sarita- To isiliye main aapse pooch rahi hoon ki aakhir mere case solve kaise huwa. Aur wo buddhi dadi mili kahan Sir ko. Javed ko to main bacha lungi, kyonki uska nam main lungi hi nahi sir ke samne. Bache aap. To aap apne bare me khud soch lijiye. Ki agar sir ko pata chala ki aapne mujhe sab bataya hai to wo aapka kya hal karenge.

Mohit- Lekin ye to galat hai madam. Aap javed ki sabhi galat ka thikra mere sir kyon fodna chahti hain.

Sarita- Sahi galat ka mujhe kuchh nahi pata mohit ji. Agar aapne mere sath co-oprate kiya to main Sir ko kuchh nahi bataungi. Is tarah ye baat ham tino ke bich me hi rahegi. Ab batao Sachhai kya hai.

Mohit- Thik hai Madam main batata hoon aapko. In sab ke pichhe bacha Singh ka hath tha. Usi na sabkuch kiya tha. Aapne aadmiyon se apki khilaf rishwat ki false complain darz karwai. Usme jo bhi pata aur naam tha. Usme kuchh pate hi galat the. Aur jo pate sahi the waha par complain karne wale naam ka koi aadmi nahi mila.

Sarita- Bachha singh. Achha haan Javed ne mujhe bataya tha ki in sabke pichhe bacha singh ka hath hai. Usi ne mujhe fansane ke liye ye sab kiya hai, lekin mujhe ye samajh me nahi aa raha hai ki usne mujhe jhoothe case me kyon fansana chaha.

Mohit- Wo kya hai madam ki aapki wajah se uske kam me bahut nuksan ho raha tha. Usne do baar aapko do-do lakh Rupaye dene ki koshish ki thi lekin aapne wo rupaye uske munh par maar diye the. Isliye wo aapse bhinnaya huwa tha aur aapko apne raste se hatana chahta tha. Taki uska karobar fir se pahle jaisa chalne lage.


Wo yaha ka bahut bada gunda hai. Apne karobar ke bich me aane wale kisi bhi insan ko apne raste se hatane ke liye wo kisi bhi had tak ja sakta hai. Sabhi usase darte hain. Isliye Sir nahi chahte the ki aap is sab pachdo me pado. Jaisa ki maine abhi bataya ki wo apne kam me rukawat ban-ne wale ko apne raste se hatane ke liye kisi bhi had tak ja sakta hai. Khoon kharaba uske liye nayi baat nahi hai. Isliye Sir nahi chahte the ki aapki jaan ko koi Khatra ho. Isliye Unhone Kaha hai ki wo Khud hi ye case handle karnege. Aur aapko batane ke liye Sakhti se mana kiya tha.


Mohit ne ye sari baate ek hi sans me jaldi jaldi bata di. Jise dunkar Sarita kuchh der sochti rahi fir Mohit se boli.


Sarita- Achha Mohit ji. To kya dadi bhi Bachha singh ke paas hi hai abhi bhi.

Mohit- Nahi Madam, Use to Sir ne Yaha se Kuchh hi doori par Ek kamre me chhupa kar rakha huwa hai. Kyonki unhe bahut sare logo se bacha kar rakhna hai aage ki Investigation ke liye.

Sarita- ( bholepan ke sath) Kisase bachakar rakhna hai ab dadi ko. Ab to case solve ho chuka hai.

Mohit- dadi ko bacha singh se bachakar rakhna hai aur aapse bhi.

Sarita (Hairani se) Kya Mujhse. Lekin mujhse kyon. Bachha singh ka to samajh me aata hai, ki kahi wo dadi ko koi nuksan na pahucha de, lekin mujhse kyon. Main to unhe koi nuksan nahi pahuchaungi.

Mohit- Kyoki sir nahi chahte ki aapki jaan ko khatra ho, kyonki Agar aapko pata chal jata ki dadi kaha hai to ab tak aap fir Investigation karne baith jati. Jo Sir nahi chahte the.

Sarita- Aur Sir na Jahan par dadi ko chhupakar rakha hua hai wo uska address kya hai.

Mohit- Yahan se aage jane par agle chawk se left lekar 1 K.M. aage ………………….. is Address par Sir ne dadi ko rakha hai.

Sarita- Ohhh. Thank You Mohit ji. Aapne bhi wahi bataya jo Mujhe javed ne bataya tha.

Mohit- Isme thanks ki kya baat hai madam. Ye to mere farz hai, lekin ek baat mujhe samajh me nahi aayi ki jab javed ne aapko sabkuchh bata diya tha to aapne wahi baat mujhse kyon jan-na chahi.

Sarita- Main ye dekhna chahti thi ki Javed ne mujhko kitna sahi aur kitna galat bataya hai, lekin tumhari baate sun-ne ke baad to ye confirm ho gaya ki javed ne poori bate sach hi batai thi. Ab tum jao aur apna kam karo.


Mohit Sarita ke cabin se bahar aa gaya. Thodi der baad jab javed PS wapas aaya to Mohit uspar bhadak gaya aur bola.


Mohit- Tumhare pas dimag hai ya nahi. Kya jaroorat thi tujhe madam ko sab kuchh batane ki.

Javed- (Sochte huwe) Are bhai maine kya bataya madam ko jo tu mere upar bhadak raha hai.

Mohit- Bhadku nahi to aur kya karu. Tune case ke bare me madam ko kyon bataya.

Javed- (sochte huwe) Are bhai kis case ki baat kar raha hai jiske bare me madam ko maine bataya hai.

Mohit- Madam wale Rishwat ke case ki baat kar raha hoon main.

Javed- Maine unhe kuchh nahi bataya.

Mohit- Dekho Javed ab jhooth bolne se koi fayada nahi hai. Mujhe madam ne sabkuchhh bata diya hai ki tumne unhe case ke bare me sabkuchh bata diya hai.

Javed- Are mere bhai. Maine madam ko kuchh nahi bataya. Kal jab tu nahi aaya tha to madam ne mujhe apne cabin me bulaya tha case ke bare me poochne ke liye, lekin maine ek bhi information madam ko nahi di. Kyonki Sir ne Madam ko kuchh bhi batane ke liye mana kiya hai.

Mohit- Ye kya baat kar raha hai bhai tu. Madam ne hi to mujhse kaha ki tumne unhe ek ek baat sach sach bata di hai.

Javed- (Chaukte huwe) Ek minute… Kahi tumne to madam ko sari bate nahi bata di hai.

Mohit- (afsos ke sath) Yaar mujhse bahut badi galti ho gayi hai. Main itna bada bevkoof kaise ho sakta hoon. Mujhe sochna chahiye tha ki madam ko agar tumne sabkuchh bata diya hota to madam ab tak investigate mein lag gayi hoti. Ohhhhh siittt yaar. Maine itni badi galti kaise kar di. Madam ne mujhe apni bato me fansakar sara sach ugalwa liya. Aur main ugalta chala gaya.

Javed- (Tez Aawaz me) Kyaaaa. Tune itni badi galti kaise kar di bhaiii. Kam se kam ek baar mujhse puchhh to liya hota.

Mohit- Tu bahar gaya tha PS se. tabhi madam ne mujhe bulaya tha.

Javed- Ohhhhh. Ab to gaye kaam se. Mujhe ab Samajh me aaya. Waise man-na padega madam ke dimag ko. Kaise unhone tumhe convince kar liya apni bato me aur tumse jhooth bola ki maine unhe sabkuchh sach bata diya hai. Taki tum unhe sabkuchh sach sach bata do. Isliye Unhone tumhe Us samay bulaya jab main PS me nahi tha. Taki Tum Mujhse pooch bhi na sako iske bare me.


Javed ki baar sunkar mohit apna Sir pakadkar baith gaya aur bola.


Mohit- Are yaar ye kya ho gaya. Main itna bada bevkoof kaise ho sakta hoon. Mujhe ek baar madam se poochna to chahiye tha ki Javed ne aapko kya bataya hai. Siiitttt yaaarrr.

Javed- Sahi kaha. Agar maine unhe sach me kuchh bataya hota to wo tumse poochhti hi nahi aur agar poochhti bhi to mere samne tumse poochti. Madam to bahut chalak nikli.

Mohit- Ab kya kare yaar. Agar Sir ko is baat ka pata chal gaya ki maine Madam ko sabkuchh bata diya hai to wo mujhe chhodenge nahi.

Javed- Ab jab Okhli me mundi dal hi di hai to musal se kyon dar raha hai. Ab kuchh bhi nahi ho sakta. Dekhte hain aage kya hota hai.


Mohit ko apni bevkoofi par itna gussa aa raha tha ki unsne apna hanth table par de mara.

**********

Usi vakt Shahar se door Usi khandhar numa makan me jaha par Bachha ka adda tha. Bachha, Kaluwa ke sath baith kar baate kar raha tha. Uske sath Raka aur Sambhu bhi the.


Kaluwa- I ham ka sun rahe hain Bachha bhai. U laundiya Fir se Naukari par aa gayi hai.

Bachha- Haan Sahi sune ho tum. Usne fir se naukari join kar li hai.

Kaluwa- Lekin bhai. Aapne to Oke Rishwat ke jhoothe case me fansa diya tha. Aur U pardhanva ne oke Range hantho pakad liya tha. Fir Ei kaise hoi gawa.

Bachha- Pata nahi ye kaise ho gaya Kaluwa. Lekin Suna hai ki Uske yaarr Us DSP ne Use begunah Sabit kar diya. Lekin ye samajh me nahi aa raha hai ki usne Us laundiya ko begunah sabit kiya to kaise kiya.

Raka- (bich me) Mai baap- wo DSP Us laundiya ka yaar nahi hai. U dono jani dushman hain. Dono ki bilkul bhi nahi banti. To wo DSP us laundiya ko kyon begunah sabit karega.

Bachha- Achha. Tujhe kaise pata ki U DSP Laundiya ka yaar nahi hai.

Raka- Maai baap. Police thana me thodi bahut jaan pahchan hamari bhi hai. To hamka is bare me thodi bahut jankari mil gayi ki Un dono me bilkul bhi nahi banti.

Bachha- Achha. Fir usne Kyon bachaya Us Ladki ko.

Sambhu- Kyon nahi bacha sakta hain wo DSP Us ladki ko malik. Bale dono me kitni bhi dushmni ho lekin apne dusman ko sikast khud ke hantho se dene ka maza hi kuchh aur hota hai. Shayad yahi sochkar Us DSP ne Use bacha liya hoga.

Kaluwa- Haan be. Tohre E baat me bam baa. Jaroor Yahi baat hogi.

Bachha- Lekin Usne begunah sabit kaise kiya. Kahi aisa to nahi hai ki wo budhiya us DSP ke hanth lag gayi ho aur usne sab sach ugal diya ho. Agar us budhiya ne aisa kiya hoga to wo bahut pachhtayegi. Sambhu. Pata kar ki wo budhiya kaha par hai wo jaha bhi mile use lekar mere paas aa.

Kaluwa- Chalo E sab to hota rahega bhai, lekin ab E batava ki Ab aage kya karna hai. U nayi Inspetarain bahut Sakht jaan ba. Agar jaldi okre ke apne raste se na hatawa gaya to apna karobar to band hi samjho.

Bachha- Aaisa kuchho nahi hoga Kaluwa. Main koi na koi rasta nikal lunga. Maine to socha tha ki khoon kharaba se koi matalab nahi nikalega. Khoon kharaba to aakhiri upay hai, isliye maine mamla is tarah suljhane ki koshish ki thi, lekin lagta hai ki us laundiya ki Zindagi ke din khatam ho chuke hain. Uska bandobast karna hi padega. Lekin Abhi hamko Sarkar aur Boss ne kuchh din shant Rahne ke liye kaha hai, Isliye abhi kuchh din kuchhh hone se rha aur Sath me abhi Raghu bhi bahar hai. Ab jo bhi karega Raghu hi karega. Bahut din ho gaya hai bhaai ko kisi ka murdar kiye huwe. Us ladki ki maut Raghu bhai ke hi hantho hogi.

Kaluwa- Sahi kaha bhai. Raghu bhai bahut berahami se marte hain. Bahut maza aayega.


Itna kahkar kaluwa hansne lagta hai uske sath sath Bachha, Raka aur Shambhu bhi hansne lagte hain.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:
Toh Sarita ne behadh chalaki se Mohit ke muh se saari sachchai ugalwa hi li.

Ab yeh Sarita ki wajah se uss budhiya ki maut hogi. Yeh maharani usse milne jaayegi aur saath mein uski maut bhi saath leke jaayegi.

Jab Nischal ne bola ki woh sambhal lega toh isko shnt rehna chahiye. Par yeh toh apne aap ko jyaada hoshiyaar samajti hai naa. Ab jab wapas fhasegi tab shayad koi akal aaye.

Idher Bachha Singh ab Sarita ko jaan se marwane wala hai apne bhai Raghu ke haatho. Par kuch din shant rehne ke baad.
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE- 22


Ab jabki Sarita ko pata chal gaya tha ki buddhi dadi ko Nishchal ne kaha chhupa kar rakha hai to wo jald se jald dadi se milna chahti thi. lekin wo soch rahi thi ki waha tak pahucha kaise jaye. Agar Nishchal ne dadi ko waha rakha hai to wo ghar gopniy hoga bachha aur uske gurgo ki najar me. Aur us ghar ki suraksha bhi tagdi hogi. Sarita ye sab soch rahi thi ki uske dimag me aaya ki ek bar Savita se mil liya jaye to ho sakta hai ki isme wo kuchh madad kar paye.


Idhar mohit apni bevkoofi ke karan pareshan tha. Uska munh kuchh latka huwa tha. Janhavi bahut der se Mohit ko observe kar rahi thi. jab usase na raha gaya to usne Mohit se pooch liya.


Janhavi- Mohit Sir. Kya huwa Aap bahut pareshan lag rahe hain. Koi samasya hai kya Sir.

Mohit- Nahi Janhavi aisi to koi baat nahi hai.


Vikas unke paas hi baitha tha. Mohit ki baat sunkar wo maza lete hue bola.


Vikas- Tumhe nahi pata kya. Sir ki shadi fix ho gayi hai. To wo apni hone wali Dulhan ke khayalo me khoye huwe hain. Kyon Mohit Sahi kaha na.

Janhavi- Are waah. Ye to bahut Khushi ki baat hai aur aap munh latkaye huwe hain. Aap to bade kanjus nikle sir. Itni badi Khushi ki baat hai aur aapne ise sukha sukha jane diya. Ham logo ko mithai bhi nahi khilayi aapne.

Mohit- (apne man me) Yaha abhi Sir meri Chatni banane wale hain aur tum sab ko mithai ki padi hui hai. Thodi der ruk jao. Jab meri chatni ban jayegi to mithai samajhkar kha lena.

Vikas- Nahi janhavi. Sir to lagta hai direct shadi me rasgulla hi khilayenge.

Mohit- (baat ko badalte huwe) Achha ye batao DSP Sir Aayenge aaj ya nahi.

Janhavi- ye kya baat hui sir. Aap baat kyon badal rahe hain. Itni Khushi ki baat hai aur aap abhi bhi kaam ke pichhe pade huwe hain.

Javed- Tum Sab chinta mat karo. Tum logo ko mithai bhi milegi aur treat bhi milegi. Lekin wo DSP Sir ke hantho se milengi.


Javed ne ye baat Mohit ki or dekhkar muskurate huwe boli thi. jise sunkar Janhavi ne kaha.


Janhavi- DSP Sir kyon denge Treat. Shadi to Mohit sir ki fix hui hai aur treat DSP Sir denge. Ye baat kuchh samajh me nahi aayi.

Javed- Ab ye baat to tum Mohit se hi pooch.

Mohit- (Dhire se) Abhi ghar basa nahi mera aur barati pahle se hi aa gaye hain. (Javed ke kan me) Kyon mujhe heart attack dilwana chahta hai bhai. Dara mat mujhe nahi to mera upar ka ticket kat jayega.

Javed- (Tez aawaz me) Tumhara hi nahi. Tumhare baad mera bhi number lagne wala hai.

Vikas- Kis number ki baat kar rahe ho tum. Tumhara kaun sa number lagne wala hai.

Javed- Main promotion ki baat kar raha hoon. Mohit ke baad mera number lagne wala hai promotion me.


Javed itna bolkar muskurate huwe waha se chala gaya. Uske jane ke baad vikas ne mohit se kaha.


Vikas- ye kya bol kar gaya javed. Agar tum dono ka promotion hone wala hai to ye baat mujhe kyon pata nahi hai. Aakhir chakkar kya hai ye mohit.

Mohit- mujhe bhi is bare me kuchh nahi pata. Main abhi javed se poochkar aata hoon.


Itna kahkar mohit bhi waha se chala gaya. Vikas aur Janhavi dono kuchh sochte huwe mohit ko jata dekhte rahe. Mohit ke jane ke baad Vikash ne Janhavi se kaha.


Vikas- Janhavi. Mujhe to lag raha hai ki dono kuchh chhipa rahe hain hamse. Dono ka bartav kuchh ajeeb sa ho gaya hai. Tumhe kya lagta hai.

Janhavi- Haan Sir aap bilkul sahi kah rahe hain. Mujhe bhi dono ka behavior kuchh thik nahi lag raha hai. Roj se thoda hatkar dono bartav kar rahe hain.



Iske baad dono apne apne kam me lag gaye. Udhar cabin me Sarita baithi hui kuchh sochte huwe Savita ko phone laga diya.


Sarita- Hello di. kaisi hain aap.

Savi- main to bilkul thikk hoon. Tum batao tum kaisi ho.

Sarita- Main bhi bahut badhiya hoon di. bas ghar ki yaad aa rahi hai.

Savi- to ek kam karo. Mere paas aa jao.

Sarita- Nahi di. aise roj roj aapke ghar aana Achha nahi lagta. Log dekhenge to kya sochenge.

Savi- Logo ki chhodo. Mujhe di bhi bolti ho aur itni formalities bhi kar rahi ho. mujhe tumhari koi baat nahi sun-ni. Tum aa rahi ho matlab aa rahi ho.

Sarita- aisi baat nahi hai di. main to aana chahti hoon, lekin wo hit…… mera matlab hai ki Sir ghar par rahenge to main kaise aa paungi.

Savi- Achha ye baat hai. To aa jao. Nishu abhi ghar par nahi hai. Wo der raat tak lautega.

Sarita- Thik hai di main Sham ko 4 baje tak aati hoon.

Savi- Thik hai Sarita main intezar karungi tumhara. Agar tumhara kuchh khane ka man ho to mujhe bata do. Main banava dongi .

Sarita- Nahi di. Agar kuchh khane ka man huwa to main khud bana lungi aapke sath milkar.

Savi- Thik hai. Main Intezar karungi tumhara.

Sarita- Thik hai di. main sham 4 baje tak pahuch rahi hoon aapke paas.


Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. aur sochne lagi.


Sarita (man mein) Bas kuchh der aur uske baad main dadi ko khoj lungi aur sabkuchh pata laga lungi ki unhone mere sath aisa kyon kiya. Lekin mujhe ye kam Hitlar ki najro se bachkar karna hoga. Agar use bhanak bhi lagi iske bare me to wo dadi ko waha se kahi aur sift kar dega. Di se bhi mujhe is ghar me bare me ghuma fira kar baat karni hogi aur unse adhik jankari ikathhi karni hogi tabhi main kuchh kar paungi.


Yahi sab sochte huwe Sarita apna kam finish karti hai aur 4.30 baje Savita ke ghar ke liye nikal jati hai. Kuchh hi der me wo Savita ke paas pahuch jati hai. Sarita ke pahuchne ke baad Savita ne kaha.


Savi- Tumne to kaha tha ki 4 baje tak aaogi, lekin samay dekho 4.45 ho gaye hain. Log sahi kahte hain police kabhi samay se kahi nahi pahuchti.

Sarita- (muskurate huwe) Kya di. ab aap bhi meri tang kheech rahi hain. PS me kaam jyada tha to use finish karne me time lag gaya.

Savi- thik hai tum baitho main chaai lekar aati hoon.

Sarita- Nahi di main bhi aapke sath kitchen me chalti hoon. Chaai banate huwe bate bhi hoti rahengi.


Sarita bhi Savita ke sath kitchen me chali gayi aur chaai banate huwe dono bate karne lagi. Sarita ko bhi Savita ke roop me di aur ek Saheli mil gayi thi. jisase wo apne man ki baat kar sakti thi. Savita se baat karte huwe Sarita ne poocha.


Sarita- Achha di. Aap se kuchh poochna tha mujhe.

Savi- Haan to isme itna formalities ki kya jaroorat hai. Tum kuchh bhi poochh sakti ho.

Sarita- Is ghar ke alava Sir kahi aur rahte hain kya. Mera matlab hai ki Jahan Sir apne office ka important kam karte ho.

Savi- (Sarita ko chhedte huwe) Kya baat hai Sarita. Bade interest le rahi ho Nishu me. Waise to bada kahti ho ki uske rahte ghar kaise aaungi. Ab aate hi uske bare me jankari le rahi ho mujhse.

Sarita- Kya di. Aap bhi na. kuchh bhi bolti rahti hain. Aisa bilkul bhi nahi hai. Mera ye kahne ka matlab hai ki wo ghar me to rahte nahi hain jyada aur office ka kam bhi ghar par karna hota hai to fir wo kam karte kaha hain.

Savi- Yaha se kuchh doori par ek doosra ghar hai. Jahan par Nishu Office ke important kam karta hai.

Sarita- Aap kabhi waha par gayi hain di.

Savi- Na baba. Agar usase waha jane ki baat bhi kar do to wo naraz ho jata hai. Isliye main kabhi bhi waha nahi gayi hoon.

Sarita- Naraz kyon ho jate hain wo. Aakhir waha aisa kya hai. Jo wo apse chhupana chahta hain.

Savi- Are Sarita. Aisa kuchh bhi nahi hai. Waha par uski kuchh confidential files wagairah rakhi hui hai. Isliye wo waha jane se mana karta hai.


Iske baad Sarita is Vishay par kuchh nahi boli. Thodi der aise hi dono idhar udhar ki baat karte huwe sham ke 7 baj gaye. Sarita ne Savita se kaha.


Sarita- Thik hai di ab main chalti hoon. Nahi to abhi koi aa jayega to yaha sheet yuddh chhid jayega.


Sarita ke baat ka matlab samajh kar Savita muskurate huwe boli.


Savi- Thik hai Sarita Ab tum jao, lekin jab bhi tumhara man kare tum aa jaya karna mujhse milne. Tumhe nishu se darne ki koi jaroorat nahi hai.

Sarita- Thik hai di. aap apna kyal rakhiyega, mera jab man karega main aati jati rahungi.

Savi- tum bhi apna khyal rakhna.


Iske baad Sarita Aur Savita bahar tak aayi. Sarita ne Savita ko bye bola aur apne ghar ki taraf chal padi. Kuchh door jane ke baad Sarita ne pichhe mud kar dekha to Savita ghar ke andar ja chuki thi. ye dekhkar Sarita Nishchal ke doosre ghar jane wale raste par mud gayi. thodi der me wo nishchal ke ghar ke samne thi. ye ghar do manjila tha. Jaisa mohit ne use bataya tha. Saubhagya se bahar ka gate khula huwa tha aur Bahar ek guard baitha huwa tha. Sarita ne apne munh par rumal bandha aur dandanati hui gate ke andar ghusne lagi. Ye dekhkar guard chillaya.


Guard- Ye ladki. Yaha kaha ghusi chali ja rahi hai. Kaun ho tum.

Sarita- Main bahut badi musibat me hoon. Mujhe nishchal Sir se milna hai.

Guard- kaun se nishchal ki baat kar rahi ho. Main kisi nishchal ko nahi janta.

Sarita- Lekin maine suna hai ki ye ghar unhi ka hai.

Guard- kisne kaha tumse ki ye Nishchal ka ghar hai. Aur ye Nishchal hai kaun jise bare mein tum baat kar rahi ho. Jao yahan se. Pata nahi kahan kahan se chale aate hain dimag khane.

Sarita. Main DSP Nishchal Sir ki baat kar rahi hoon. Ye unhin ka to ghar hai.

Guard- To aisa bolo na. Unka ghar ye nahin hai Yahan se 1 KM. Us taraf jao fir kisi se bhi puchh lena wo tumhe unka ghar bata dega. Ab tum jao yahan se.


Sarita ko samajh me aa gaya ki Guard use andar jane nahi dega. To wo gate se bahar aa gayi aur ghar ke pichhe ki taraf chali gayi. jaisa ki mohit ne use bataya tha uske hisab se ghar yahi hai aur Nishchal ne dadi ko doosre male par rakha huwa hai, lekin doosre male par do kamre bane huwe the. Ab Nishchal ne dadi ko kis kamre me rakha hai.


Sarita ghar ke pichhe wali gali me khadi ghar ka muwayna kar rahi thi. fir sarita ne idhar udhar dekha aur jab use koi dikhai nahi pada to wah boundry koodkar andar aa gayi. jis taraf se wo andar kudi thi waha par halka andhera tha, kyonki us taraf ki streat light nahi jal rahi thi.


Boundry se andar aane ke baad Sarita pichhe se aage ki taraf aayi aur jhank kar dekha to gate band tha aur guard bahar baitha huwa tha. Sarita aahista aahista aakar porch ke samne khadi ho gayi. Upar jane ki sidhiya ghar ke bahar hi thi, lekin usme lock laga huwa tha. Tab sarita ne porch ki taraf se upar jane ka nirnay liya aur thodi bahut masakkat ke baad wo porch ke upar chadh gayi. aur doosre male par pahuch gayi.dono kamre me tin bade bade tale lage huwe the. Ye dekhkar Sarita man hi man sochne lagi.


Sarita- Are yaar. Itne bade bade tale wo bhi tin tin tale. Itni security kaun rakhata hai bhala. Aise lagta hai jaise andar mohar moti chhupakar rakha hua hai. Fir bhi dekhna to padega hi. Lekin mujhe to ye bhi pata nahi hai ki dadi dono me se kis kamre me hain. Kaise pata lagaun main.


Tabhi sarita ke dimag me Idea aata hai wo niche ki taraf jhuk gayi aur key hole se andar dekhne lagi. Pahle kamre me andar dekhne ke baad use kuchh khas najar nahi aaya. Sarita ne Key hole se doosre kamare me jhanka to use Bed ka kona dikhai diya. Sarita ne man hi man socha ki ho na ho Dadi isi kamre me hongi. Ab Sarita kamre ke andar kaise jaya jaye ye shochne lagi.


Usne ghoom ghoom kar charo taraf dekha to use kamre ki khiski khuli dikhayi padi jo Aluminium ke shutter wali thi jisme shishe lage huwe the. Wo shutter khulla huwa tha. Shayad use janboojhkar khola gaya tha. Taki jo bhi kamre me hai use ghutan ma mahsoos ho. Sarita aisa soch rahi thi. usne khidki ke niche dekha to niche boundary ki gherai fencing wire (jo blade ki tarah hota hai jisase aksar VIP Area ke boundry ki gherai ki jati hai.) se ki gayi thi.


khidki tak pahuchana bahut hi khatarnak kam tha. Bas ek galti aur niche boundry ki taraf fencing wire par girna. Jisme Jyada jakhmi hone aur jan jane ka bhi dar tha. Uski waha jane ki himmat nahi ho rahi thi. lekin usne khud ko hausla dete huwe kaha.


Sarita- Ye tum kya kar rahi ho Sarita. Tum itni darpok kaise ho sakti ho. training me to tumhe isase bhi khatarnak setuation ko face karne ke liye diya gaya tha aur tumhe use face kar liya tha. Fir to ye uske aage kuchh bhi nahi hai. Agar dadi ko dhhondhkar apne sawalo ka jawab jan-na hai to tumhe ye rishk to uthana hi padega. You can do it Sarita. You can do it.


Yahi sab sochte huwe Sarita ne apna dil majboot kiya wo khidki ki taraf jane ka sochne lagi. Khidki ke thik niche kuchh pahle se hi iron ki 6 Inch moti ek pipe nikli hui thi jo 3 fit aage aakar niche ki taraf chali gayi thi. Sarita ne khidki tak isi pipe ke sahare jane ki sochi. Sarita ne himmat dikhate huwe pipe par apne panv rakh diye aur dhire dhire sarakte huwe diwar ke sahare khidki tak aane lagi.


Khuchh der ki masakkat ke baad wo pipe ke aakhire side par khadi thi. fir usne kisi tarah jump lagakar khidki ko pakad liya aur kamre me andar dakhil ho gayi. Kamre me pahuch kar usne dekha ki Bed par dadi leti hui hain. Unhe dekhte hi Sarita ke chehre par Khushi aa gayi.


Sarita ne dekha ki bed ke paas ek stool rakha hua hai jispar khane ki plate rakhi hui thi. jo juthi thi. Shayad Nishchal ne subah unke liye khana rakh kar chala gaya tha. Khidki ke bagal me ek raik tha jispar kuchh files rakhi hui thi. Sarita jaise hi aage badhi uska pair raik se takra gaya jiske karan do files jameen par gir padi. Jiski aawaz Sunkar Dadi bister se uthkar baith gayi aur boli.


Dadi- Police babu tum aa gaye.


Sarita ki pith dadi ki taraf thi, kyonki wo jhukkar files uthakar raik me wapas rakh rahi thi. files rakhane ke baad jab Sarita didi ki traraf ghoomi to Sarita ko dekhkar Dadi ki dar ke mare hawa kharab ho gayi. Wo Sarita ko dekhkar kanpne lagi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:
Toh aakhir miss bullet train ne apni mann maani kar hi li aur yss budhiya tak pahonch hi gayi.

Ab uss budhiya se usse kuch pata chale na chale par uss budhiya ki jaan toh khatre mein girr hi gayi hogi.

Ab dekhte hai jab Nischal ko iss baat ka pata chalega tab woh kyaa karta hai.

Mujhe aisa bhi lag raha hai Sarita ki iss extra smartness aur extra josh ki wajah se woh bahot jald lambe samay ke liye taa toh hospital mein yaa phir suspend hoke ghar mein baithne wali hai.
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE- 23


Sarita ko apne samne dekh dadi dar gayi aur darte huwe Sarita se boli.


Dadi- Beti tummmm… wooo mujhe kuchh matt karnaa. Mujhee maaf kar doo. Maine kuchh nahi kiya. Meri kuchh majboori thi jiske chalte mujhse wo galti ho gayi. mujhe kuchh mat karnaa.


Dadi ki baat se Sarita ne andaza laga liya ki Dadi use dekhkar dar rahi hain. Unhe lag raha hai ki main unki us din ki harkat se gussa hoon aur unse badla lene aayi hoon. Sarita ne dadi se kaha.


Sarita- Are dadi Aap dar kyON rahi hain. Main aapko nuksan pahuchane ya aapse badla lene nahi aayi hoon. Isliye aap mujhse mat ghabraiye.. main kuchh nahi karungi aapko. Main khud aapse milkar ye pata karna chahti thi ki aakhir aapne aisa kyon kiya. Aakhir aapki aisi kya majboori thi jiske karan aapne mujhe jhoothe case me fansaya. Main aapse bilkul bhi naraz nahi hoon. Lekin aapko mujjhe sabkuchh sach sach batana padega.

Dadi- Kya tum sach me mujhse badla lene nahi aayi ho. tum sach bol rahi ho na ki tum mujhe nuksan nahi pahunchaogi.

Sarita- Nahi dadi. Main sach bol rahi hoon. Main aapko bilkul bhi nuksan nahi pahunchaungi. Agar mujhe aapse badala lena hota ya nuksan pahuchana hota to main aapse is samay baat nahi kar rahi hoti. Apna kam karke chali jati main. Main bas itna chahti hoon ki aap mujhe poori baat bataiye.

Dadi- Kya tum police babu ke sath kam karti ho bitiya.


Sarita Dadi ki baat sunkar sochne lagi ki ye to achha huwa ki us hitlar ke sath roj roj milna nahi hota. hafte me ek ya do baar hi kam karna padta hai uske sath. Agar mujhe uske sath roj kam karna pade to ya to main pagal ho jaungi ya to mujhe Naukri chhodni padegi. Dadi ki baat sunkar Sarita boli.


Sarita- Haan dadi main us hit… unhi ke sath kam karti hoon.

Dadi- Pulice babu bahut hi ache aadmi hain. Mera kitna dhyan rakhte hain.

Sairta- (man me) Haan mujhe pata hai ki hitlar kitna achha aadmi hai. Mujhse behtar use kaun jan sakta hai. Ek number ka kadoos aadmi hai wo. (fir dadi se) Haan dadi wo bahut acche hain, lekin ek baat mujhe samajh me nahi aati ki aapko unhone yaha par kaid karke kyon rakha huwa hai.

Dadi- Wo bachha singh hai na. Wo gunda. Mujhe usi se bachane ke liye police babu ne mujhe yaha par kaid karke rakha huwa hai. Meri natin bhi Uske paas hai.

Sarita- (Chauk kar) kyaa….. Kiske paas hai. Kya huwa use. Kab huwa ye.

Dadi- ye us samay ki baat hai jab main tumse mili thi. us din Baccha singh ke Aadmi mere ghar aaye aur mujhse kaha ki main Wo paise aur gahne ki potli aapko de doon. Jab maine unse poocha ki kisliye to unhone bataya ki wo tumhe jhoothe case me fansana chahte hain. Jab maine mana kar diya to wo log mere sath jor jabardasti karne lage.

Meri natin jo bahar khelne gayi thi. usi samay ghar par aa gayi. to unhone meri natin ko pakad liya aur mujhe dhamki di ki agar maine unka kam nahi kiya to wo meri natin ko ya to maar dalenge ye kothe par lejakar bench denge. Jise sunkar main bahut dar gayi thi. maine unke bahut hanth panv jode. Raham ki bheekh mangi. Lekin unhone meri ek na suni. Isliye majbooran mujhe ye kam karna pada.

Jab wo officers log aaye the aapko pakadne tab bhi unka ek aadmi wahi chhupa tha aur apne sathiyo ko jinhone meri natin ko pakadkar rakha huwa tha. Unhe pal pal ki khabar de raha tha. Jab wo officers tumse baat karne lage to main mauka dekhkar waha se bhag aayi aur sidhe apne ghar pahuchi, Kyonki agar main waha ruk jati to main un officers ke poochne par jhooth nahi bol pati. Aur agar main jhooth nahi bolti to bachha singh meri natin ke sath bahut bura karta. Isiliye main waha se bhag kar apne ghar aai, lekin tab tak…..


Itna kahkar dadi rone lagi. Sarita ne unhe apne gale laga liya aur chup karwate huwe poocha.


Sarita- Par kya dadi. Aapki natin thik to hai na. use khuchh huwa to nahi na.

Dadi- Pata nahi bitiya. Jab main waha pahuchi to bachha singh ke aadmi meri natin ko lekar chale gaye the. Ab kaisi hai. Kis hall me hai. Unhone meri natin ke sath kya kiya hai. Mujhe kuchh nahi pata. Mujhe kuchh samajh me nahi aa raha tha ki main madam mangne kiske paas jaun. Apni natin ko kaha dhoondhu. Bacha singh kea admi meri natin ko kaha lekar gaye hain. Main ye baat kisi se kah bhi nahi sakti thi. Kyonki koi bhi meri madam nahi karta.

Sarita- (gusse se) Us bacha ki itni himmat. Ek chhoti bachhi ki aand lekar apne apko gunda kahta hai. Aap bilkul bhi chinta mat kariye dadi. Main us bachha singh ko chhodungi nahi. Use main achha sabak sikhaungi. Main aapki natin ko wapas lekar aaungi. Aap mujhpar bharosha rakhiye. Mujhe aapse koi shikayat nahi hai. Lekin mujhe ek baat samajh me nahi aayi ki aap Sir ko kaha se mili.

Dadi- Wo kya hai na Jis din se meri natin ko Bachha singh ke aadmi lekar gaye the tab se main bahut pareshan thi. mujhe samajh me nahi aa raha tha ki main kiske paas jaun. Kisase madad mangu. Police ke paas bhi nahi ja sakti thi. Kyonki Agar bachha singh ko pata chal jata ki main police ke paas gayi hui hoon to wo meri natin ke sath pata nahi kya karta. Mujhe uska thikana bhi nahi pata tha ki main uske paas jakar apni natin ke liye bheekh mangti.

Ek din sochne ke baad maine fir khud se hi apni natin ko dhoondhne ka nirnay liya. Maine usko bahut dhoondha lekin wo mili nahi. Ek din bhatakte bhatakte main police babu se takra gayi. jo shayad mujhe hi dhoondh rahe the. Unhone jab mujhse aapko jhoothe rishwat ke case me fansane ka karan poocha to pahle main bahut dar gayi thi, lekin jab unhone kaha ki wo mujhe kuchh nahi karenge to maine unhe poora sach bata diya. fir wo mujhe yaha lekar aa gaye. Lekin mujhe samajh me nahi aa raha hai ki wo mujhe yaha lekar kyon aaye hain.

Sarita- (Man me) Kyonki hitlar chahta hi nahi tha ki main aap tak pahuchu. (dadi se) Wo isliye aapko yahan laye hain ki mere begunah sabit ho jane ke baad aapki jan ko bhi khatra badh gaya hai. Bachha singh ke aadmi aapko bhi khoj rahe honge. Lekin Un logo ko pata nahi hai ki Aapko sir ne apne ghar me chhipa kar rakha huwa hai, Aur Aap sabse jyada surakshit abhi yahi par hain. Isliye aap yaha se abhi kahi mat jaiyega. Achha dadi ye bataiye ki aapko khana pina sahi se milta hai ki nahi.

Dadi- Police babu bahut ache hain beti. Wo mera poora dhyan rakh rahe hain. Wo roj subah sham yaha par aate hain mera hal chal lene aur sath me khana bhi late hain. Mujhe yaha par koi dikkat nahi hai. Bas mujhe bahar nahi jane dete. Iske alava sab kuchh thk hai.

Sarita- Bahut hi jald aap bahar bhi jayengi dadi. Main bahut jald aapki natin ko khoj nikalungi. Achha dadi. Aaj jab wo aapse milne ke liye aaye to unse ye mat bataiyega ki main aapse milne ke liye aayi thi.

Dadi- (hairan hote huwe) Wo kisliye beti.

Sarita- Kyonki Unhone sabhi ko yaha aane ke liye mana kiya hai. Jo bhi apse milne aayega wo unse poochkar aayega, lekin main unse bina pooche hi aapse milne ke liye aa gayi. agar aapne unse bata diya ki main aapse milne aayi thi to wo mujhse naraz ho jayege. (apne man me) Naraz ho jaye meri bala se. (dadi se) aur agar wo naraz ho gaye to mujhko bhi saza de sakte hain. Kyonki wo mere sahab hain. Aur agar unhone mujhe saza de di to main aapki natin ko kaise dhoondhungi fir.

Dadi- Thik hai bitiya main police babu ko kuchh nahi bataungi. Lekin maine tumhare sath jo kiya wo bahut galat kiya. Lekin main kya karti main majboor thi. isliye ho sake to mujhe maaf kar dena beti.


Itna kahkar Sarita ke samne dadi ne apne hanth jod liye. Sarita ne turant unka hanth pakadkar unse kaha.


Sarita- Ye Aap kya kar rahi hain dadi. Aap mujhse badi hain. Apka mere samne yun hanth jodna mujhe ache nahi lagta. Aapne mujhe beti kaha hai na. to jaise aap Gudiya ke liye uski dadi ho usi tarah mere liye bhi aap dadi ho. Achha dadi main chalti hoon nahi to agar wo hitlar aa gaya to bahut badi gadbad ho jayegi. Aap unse mere bare me kuchh mat kahna. Main bahut jaldi hi Gudiya ke sath aapke paas wapas aaungi.

Dadi- Thik hai bitiya. Apna khyal rakhna.


Dadi ne Sarita ke sir par hanth firate huwe ye baat kahi. Unki baat sunkar Sarita muskurate huwe khidki ki taraf jaise hi pahla kadam badhaya. Bahar se kuchh khat pat ki aawaz sunai padi. Aisa lag raha tha ki jaise koi tala khol raha hai darwaze ka. Bahar hui khatpat sunkar Sarita samajh gayi ki hitlar aa gaya hai. Ab sarita pareshan ho gayi. Kyonki agar Nishchal ne use yaha dekh liya to bawal machana tay hai. Jo wo filhal is vakt nahi chahti thi. Sarita apne man me sochne lagi.


Sarita- Hey bhagwan Ye hitlar to Aa gaya hai. Ab main kya karun. Itni jaldi jaldi me main khidki se bahar ja hi nahi sakti. ab kya hoga. Ab main kaise bachu is hitlar se. kuchh bhi ho mujhe iski najro ke samne nahi aana hai.


Hairan pareshan Sarita charo taraf chhupne ki jagah dekh rahi thi. lekin use chhupne jaisi jagah nahi mil rahi thi. tabhi uska dhyan bister ki taraf gaya . fir usne dadi ko kuchh na batane ka ishara kiya aur bister ke niche ghus gayi. thik usi samay Nishchal Tala kholkar andar aa gaya aur dadi ke paas aakar khada ho gaya. Is dauran Sarita ke ek hanth par Nischal ka pair pad chuka tha. Jiske karan use dard huwa aur usne doosre hanth se apna munh band kar liya. Taki uski aawaz bahar na nikle.


Darasal huwa ye ki hadbadahat me Sarita piche ki taraf se bister ke niche ghus rahi thi. to uska hanth bister ke thoda aage nikala huwa tha. Aur Nishchal bhi chalta huwa siddha dadi ke paas aakar ruk gaya. Jiske karan uske ek pair ne niche Sarita ka hanth aa gaya tha.


Nishchal dadi ke paas khada hokar Unka hal chal lene me vyast ho gaya. Idhar niche Sarita ka dard se bura hall ho raha tha. Wo apne doosre hanth se apne munh ko kaskar band kiye huwe pet ke bal leti hui thi. Wo itni majboor thi ki apna hanth kheech bhi nahi sakti thi. kyonki hanth ke Kheechne se Nishchal ko pata chal sakta tha ki Sarita waha par hai. Sarita dard se behal man hi man soch rahi thi.


Sarita- Is khadoos ko bhi abhi hi aana tha. Hey bhagwan. Kis janam ka badla le rahe ho mujhse. Ye to andha ho gaya hai. Ise kuchh samajh me nahi aa raha hai ki isne apna pair kaha par rakha huwa hai. Siddha aakar mere hanth par khada ho gaya hai. Ye aadmi ka pair hai ya hanthi ka pair hai. Kitna bhari hai ye.

Ohhhhhhh mummy. Isne apne pair ko aise jam kar liya hai jaise angad ne apna pair jam kar diya tha. Jaldi se mere hanth se hat ja Hitlar, Khadus aadmi. Meri jaan nikal rahi hai. Hey bhagwan main kya karun. Mujhse ye dard bardast nahi ho raha hai. Agar ye thodi der nahi hata to main chilla dungi. Fir jo hoga dekha jayega.


Shayad Bhagwan ne Sarita ki pukar sun li thi aur unhe Sarita par daya aa gayi thi. isliye kuchh hi pal me Nischal waha se chalta huwa doosri taraf rakhi mej ke paas khana rakhne ke liye chala gaya. Sarita ne apna hanth kheech liya aur apne doosre hanth se sahlati hui foonk marne lagi. Uski jan me jan laut aayi thi.


Khana rakhkar NIshchal dadi ki taraf palta. Tabhi uski nazar khuli khidki par padi. Khidki ke baad uski najar apne raik par padi to use waha ki file kuchh bigdi hui najar aayi. Ye dekhkar Nischal ne dadi se poocha.


Nischal- Amma. Mere jane ke baad is kamre me koi aaya tha kya.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ki halat kharab ho gayi. use laga ki shayad wo ab pakdi jayegi. Wo man hi man prarthna karne lagi ki dagi kuchh kah na de mere yaha aane ke bare me. Tabhi use dadi ki aawaz sunai di. jise sunkar usne sukon ki sans li. Lekin kahi na kahi use dar bhi lag raha tha ki kahi dadi ke mujh se hadbadi me uske yaha aane ki baat nikal na jaye.


Dadi- Nahi police babu. Yaha to koi nahi aaya tha aapke jane ke baad.

Nishchal- Fir ye file kaise idhar udhar ho gayi hai. Kyonki maine jaise rakha tha file. Us hisab se ye nahi rakhi hai.

Dadi- Wo kya hai beta ki dophar me tez hawa chali thi. aur ye khidki bhi khuli hui hai to tez hawa ke karan do file jameen me gir gayi thi, jise maine uthakar waha par rakh di thi.

Nishchal- Thik hai amma Aap khana kha lijiye. Tab tak main file ko sahi se rakh deta hoon.


Nischal ne itna kahkar khana lakar stool par rakh diya. didi khana khane lagi to nishchal apni file ko thik karne laga. Fir wo kamre me idhar udhar tahalne laga. Thodi der me dadi ne khana kha liya aur Nischal se poocha.

Dadi- Police babu. Abhi mujhe yaha par kitna din rukna padega. Mujhe apne ghar jana hai.

Nishchal- Bas kuchh din aur yaha rukna padega amma. Uske baad aap ghar ja sakti hain. Baat ye hai ki mujhe is bich bahut jyada kam hai to main Un logo par jyada dhyan nahi de pa raha hoon. Kuchh hi dino me poora kam finish karke pahle un logo se nipatunga uske baad aap apne ghar ja sakti hain.


Idhar Sarita Palang ke niche apne dard hote hath ko doosre hanth se sahlati hui soch rahi thi ki isko jana nahi hai kya. Ye to apni poori ram kahani lakar baith gaya. Pata nahi kiska munh dekhkar subah uthi thi. tabhi use dadi ki aawaz sunai padi.


Dadi- Bas police babu meri Natin ko Unse bacha lo. Main use bahut pyaar karti hoon. Use kuchh ho gaya to main mar jaungi.

Nischal- Aap uski fikar mat kariye amma. Use kuchh nahi hoga. Main use aapke paas lekar aaunga. Tab tak aap thoda Dheeraj rakhiye. Achha amma ab main chalta hoon. Aapne khana kha liya hai to aaram kariye aap.


Itna kahkar Nishchal kamre se bahar nikal jata hai aur tala lagakar niche chala jata hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:Yeh Sarita har waqt Nischal ko galat hi samajti hai. Woh yeh kaise bhul rahi hai ke usi ke wajah se woh abh bhi police officer hai. Agar Nischal naa hota toh shayad woh ab tak suspend hochuki hoti aur apne ghar mein baithi ro rahi hoti.
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE- 24


Nishchal ke bahar chale jane ke baad Sarita bed ke niche se bahar nikli. uske hanth me abhi bhi dard ho raha tha jo wo apne doosre hantho se dabakar door karne ki koshish kar rahi thi. Sarita ko dekhkar dadi ne usase kaha.


Dadi- Tum thik to ho na beti. kuchh huwa to nahi. ye tum apne hanth ko baar baar kyon daba rahi ho.

Sarita- Main thik hoon dadi. lekin aap bhi kamal ki acting karti hain. jiska namoona us din maine dekha tha, lekin aaj to aapne usase bhi jyada jabardast acting ki hai. kitni aasani se aapne Sir ko bewkoof banaya. maza aa gaya ye dekhkar. Achha ab main chalti hoon. bahut jaldi main aapki Gudiya ke sath aapse milungi. aap apna dhyan rakhna. aur bhool se bhi aap ke munh se ye na nikle ki main yaha aai thi. nahi to bahut badi gadbad ho jayegi.


itna kahkar wo Khidki ke paas aati hai aur niche utarne ke liye taiyar hoti hai. lekin khidki se andar jane se jyada kathin tha khidki se bahar aana. Kyonki boundry ke upar charo taraf fencing wire lege huwe the aur jis sire par khidki thi uski deewar lagbhag boundry se sati hui thi. lagbhag 3-4 fit ka gap tha deewar aur boundry ke bich.


niche utar kar wapas pipe ke sahare first floor ki khali jagah par aana bahut mushkil tha. Sarita badi mushkil se fencing wire ko paar karke andar koodi thi. Raat jyada Gahri ho gayi thi, isliye aas paas ke gharo ko light bhi kareeb kareeb band hi ho gayi thi.


Sarita ne thodi der khidki ke paas khade hokar socha fir ek lambi sans lete huwe khidki ka sahara lekar niche latak gayi aur badi muskil me ghoomkar apna ek pair pipe par rakhna chaha to is dauran uska hanth bhi chhoot gaya khidki se aur wo niche girne lagi. lekin niche girte huwe uske hanth me pipe ka upri sira aa gaya jise usne mazbooti se pakad liya.


Is sakate se uski jaan halak mein aa gayi thi. Uski sanse bahut tez chalne lagi thi. fir wah thodi der apni sans durust karti rahi aur sans durust hone ke baad usne niche ka jayja liya aur apna hanth pipe se chhod diya. jiske karan wo lagbhar 8-10 fit niche jameen par giri.


jiske karan dhammmm ki aawaz hui. raat ka samay tha. aawajahi kam ho gayi thi. Charon taraf lagbhag shanti si chhai hui thi. Guard bhi boundry ka gate band karke apne quarter me tha. dhamm ki aawaz uske kano me padi . shayad wo abhi soya nahi tha to wo tourch lekar bahar aaya aur bola.


Guard- Kaun hai. Kaun hai waha.


Ye bolkar Guard ne Aawaz ki disha me dekha aur uske paas jane laga. Fir jaise jaise guard laundry ke chakkar lagakar dekhne laga sarita bhi uske aage aage boundary ka chakkar lagate huwe chhupate chhupate apne aapko gourd ki najar se bachati rahi aur bhagkar doosri taraf chali gayi aur boundery ke andar lage ashok ke ped ke pichhe chhip gayi. guard ne thodi der apni searching jari rakhi, uske baad wo apne quarter me chala gaya.


Guard ke chale jane ke baad Sarita Jis taraf se boundry paar ki thi. usi taraf aayi aur badi savdhani se fencing wire ko bachate huwe boundry paar kiya. lekin itni savdhani ke baad bhi Sarita ki kalai me wire ka cut lag gaya. jisase uske hantho se khoon nikalne laga.


Sarita boundry paar kar hone ke baad wahi pada Eint (Breke) ka tukda uthaya aur apni kalai par lagakar doosre hanth se daba liya aur apne raste chal padi. thodi hi der me wo Nishchal ke ghar ke samne pahuch gayi. jab wo uske ghar ke kareeb pahuchi to usne dekha ki Savita apni balkani me khadi hokar kisi se baat kar rahi hain. Sarita turant andhere me chip gayi. aur Savita ki taraf dekhne lagi.


Nishchal ke ghar me do balkani thi. ek ghar ke side me thi aur ek balkani pichhe ki taraf thi. balkani ke thik baad boundry thi. us boundry ke turant baad sadak thi. Savita jaha par khadi thi. uske samne ki sadak par thoda andhera tha. is samay raat ke lagbhar 11 baje se jyada ka samay ho chukka tha. usi andhere me ek aadmi khada tha jiski pith sarita ki taraf thi aur jisase Savita baat kar rahi thi. Sarita ne ye dekhkar apne man me socha.


Sarita- Aakhir di itni raat ko chori chhupe is aadmi se kyon baat kar rahi hain. aur ye aadmi kaun hai. ise to maine pahle kabhi nahi dekha. main abhi jakar di se puchhti hoon ki ye aadmi kaun hai jisase wo itni raat me chori chhupe baat kar rahi hain . Nahi Nahi main kaise puchh sakti hoon. abhi main unhe janti hi kitna hoon. mera koi hak nahi hai unse iske bare me kuchh poochhne ka.

abhi agar main didi ke samne chali gayi to di mujhe dekhkar sharminda ho jayengi. ho sakta hai di mujhse rishta bhi tod le. jo mere sath Jud raha hai. kuchh din baad main di se khud pooch lungi iske bare me. agar main abhi samne chali gayi aur di ne mujhse sawal kar liya ki main itni raat ko yaha kya kar rahi hoon to main kya jawab doongi.

Nahi Nahi. Unke samne jane ke bajay mujhe pahle apne aapko Save karna hoga aur apne quarter par jana hoga. iske bare me baad me di se baat karngi. Agar main abhi nikalne ki koshish karti hoon to di ki najar mujhpar pad sakti hai. main kuchh der yahi khadi rahti hoon. di ke andar jane ke baad hi main jaungi yaha se.


Sarita yahi sochkar waha khadi rahi aur Savita ko dekhti rahi. Sarita fir se sochne lagi.


Sarita- kaha to main soch rahi thi ki mujhe 10-15 minute lagenge . main dadi ko khojkar unse sach jankar jaldi se apne quarter par chali jaungi. magar us hitlar ne sab gadbad kar diya. wo to waha dera jamakar baith gaya. mere sir par to ye hitlar rahu ketu ki tarah mandra raha hai.

wo itni aasani se mera pichha nahi chhodne wala. kisi tarah waha se nikal kar aai to ab yahan fans gayi hoon. hey bhagwan kuchh karo. di ko jaldi se andar bhejo. agar di raat bhar is aadmi se baat karti rahi to main raat bhar yaha kaise khadi rah paungi.


Shayad Sarita ki prarthana bhagwan ne sun lit hi. kuchh hi der me Savita balkani se hatkar ghar ke andar chali gayi. ye dekhkar Sarita chain ki sans li. is wakt ekdam sannata chaya huwa tha road par. bas jhingur ki saayy saayyy ki aawaz kabhi kabhi sunai pad rahi thi.


Sarita Ab andhere se nikal kar apne ghar ki taraf chal padi. abhi kuchh hi door wo gayi thi ki use laga ki jaise koi uska pichha kar raha hai. usne apni garden halka sa pichhe ghumakar dekha to ek aadmi kuchh hi doori par uske pichhe aata huwa dikhai diya. Sarita ne ye dekhkar apni chal tez kar di. ye dekhkar us aadmi ne bhi apni raftaar badha di. kuchh door jane ke baad Sarita ne apni pistal bahar nikal li aur apne kareeb aate huwe us aadmi par tan di. ye dekhkar us aadmi ne kaha.


Aadmi- Are madam, ye aap kya kar rahi hain. gun niche kijiye.

Sarita- main dekh rahi hoon ki aap mera pichha kar rahe hain. kaun hain aap. aapko kya kam hai mujhse.

Aadmi- Dekhiye madam aap galat samajh rahi hain mere bare mein. main koi chor uchakka nahi hoon. darasal aapki ghadi us mod ke paas gir gayi thi. main wahi dene aapke pichhe pichhe aa gaha hoon.


Sarita ne uski baat sunkar apne hanth ki taraf dekha to uski ghadi sach me uske hanth me nahi thi. Sarita ne ye dekhkar man me sochne lagi.


Sarita- lagta hai ghadi ki chain toot gayi aur ye mere hantho se gir gayi. kahi is aadmi ne mujhe waha par khade huwe dekh to nahi liya. kahi ye mera pichha tab se nahi kar raha hai jab main dadi se milkar aa rahi thi. pata nahi ye aadmi kaun hai.


Sarita apne hi khayalo me gum thi ki tabhi us aadmi ki chutki se Sarita apne khayalo se bahar aayi aur us aadmi se kaha


Sarita- To.To aap mujhko aawaz bhi to de sakte the. Yunn gundo ki tarah pichha karne ki kya jaroorat thi. aur aapko kaise pata chala ki ye meri ghadi hai. kya aap kafi der se mera pichha kar rahe hain.

Aadmi- Dekhiye miss. Aap fir se mujhe galat samajh rahi hain. wo aap jab us mod se aage aa rahi thi to aap ke hanth se koi chamakti hui cheez niche giri thi. jab maine jakar dekha to wo ghadi thi. maine aapko isliye aawaz nahi di ki shayad aap mujhe gunda mawali samjhe. isliye maine socha ki main aapke paas aakar hi aapko ghadi wapas kar doon.

Sarita- Ohhh dhanyawaad aapka mahoday,

Aadmi- Koi baat nahi madam ye to mera farz tha. waise agar aap bura na mene to ek baat puchh sakta hoon aapse.

Sarita- (sawaliya najro se dekhte huwe) Ji puchhiye. kya puchhna hai aapko.

Aadmi- Dekhiye aap meri baat ka bura mat maniyega, aap ek ladki hain aur aapko itni raat ko akeli is tarah nahi ghoomna chahiye. aapko to pata hai ki jamana kitna kharab hai. aaye din ladkiyo ke sath buri buri ghatnaye hoti rahti hain. aap itni raat ko yaha par kya kar rahi hain.

Sarita- Ji aapki baat bilkul sahi hai aur main ye bhi janti hoon ki jamana bahut kharab hai. ladkiyo ka raat me bahar nikalna khatre se khali nahi hai. raat me hi kya din bhi unke liye safe nahi hai, lekin kya aapko aisa nahi lagta ki kahi na kahi iske liye aur is kharab mahaul ke liye ham khud jimmedar hain.

Ham kyon apne samaj ko, apne desh ko, apne aas paas ke mahaul ko is layak nahi bana pa rahe hain jahan ladkiya khuli hawa me sans le sakein. Kyon unhe bandisho me rahna padta hai. Kuchh bhi ladki ke sath agar bura hota hai to dosh hamesha ladkiyon ko hi diya jata hai. Hamari soch kyon itni gandi ho gayi hai ki hame ache bure ki pahchan nahi hai. hame kyon is tarah ki baat karne ki jaroorat pad rahi hai.

Aadmi- Aapki baat 100 % sahi hai madam. main bhi aapki baat se poori tarah sahmat hoon.

Sarita- Maaf kariyega ji. abhi mere paas samay ki bahut kami hai. nahi to aapko aur ache se is bare me samjhati. Rahi baat aapke is sawal ki ki main itni raat ko yaha kya kar rahi hoon. to aapko mere hanth me gun dikh rahi hai na. fir bhi shayad aapko andaza nahi ho paya hai ki main kaun hoon. to main aapko bata deti hoon ki main ek police officer hoon aur ek case ke silsile me idhar aai thi.

Aadmi- Waawww great madam. thoda bahut to maine bhi andaza laga liya tha ki aap koi mamuli ladki to nahi hain. mujhe ye jankar achha laga ki aap defence Service me hain.

Sarita- Thik hai ji. Abhi mujhe nikalna hai. to main chalti hoon.

Aadmi- Thik hai madam. Aap se milkar mujhe bahut achha laga.

Sarita- Mujhe bhi aapse milkar achha laga. aap bahut ache insan maloom hote hain. aapke sanskar bahut badhiya hain. aap aise hi rahiyega. aap jaise logo ki bahut jaroorat hai is desh ko, is samaj ko.

Aadmi- Dhanyawaad madam,


Itna kahkar wo aadmi pichhe mud gaya aur Sarita bhi apne raste chal di. dus kadam aage jane par aadmi ko kuchh dyaan aaya aur usne apne apne aapse hi kaha.


Aadmi- Dhatt tere ki. main bhi kitna pagal hoon. itni der madam se baat ki aur unka naam bhi nahi poocha. jakar naam pooch lu kyaa. nahi nahi. fir shayad madam mujhe galat samajh lengi. chalo koi baat nahi. agar fir kabhi mulakat ho gayi to naam poochh lunga.


Sarita jab ghar pahuchi to bahut thaki hui lag rahi thi. usne khana banane ki jahmat nahi uthayi aur kuchh kha pi kar so gayi. subah wo uthakar taiyar hokar apne PS chali gayi aur apna kam karne lagi. aise hi ek hafte aur bit gaye. Is ek hafte mein use jab bhi thoda bahut samay milta wo apni gadi lekar Apne bhai ko dhundhne ke liye nikal jati.


Waise Sarita ka apne bhaai ko dhoondhana andhere mein teer chalane jaisa tha, kyonki abhishek se alag huwe Sarita ko 8 sal se jyada ka samay beet gaya tha. Aur in 8 salon mein Sarita ke andar bahut badlaav aa gaya tha to yahi badlav Abhishek ke andar bhi aaya hoga. Usko sardari nigah dekhkar Sarita ke liye pahchan-na aasan nahi tha, lekin Sarita ek ummeed ke sath usko dhoondh rahi thi ki shayad wo kahin use dekhkar pahchan le.


Itna to Sarita ko bhi maloom chal gaya tha ki agar uska bhaai is duniya mein hai to use jaroor pata chal gaya hoga ki uski bahan ek police adhikari ban gayi hai. Kyonki Sarita ke Paas hone se lekar Abhi tak uski photo kai baat paper mein Chhap chuki aur T.V. mein bhi Wo ekadh baar Aayi thi. To abhishek ko is baat ki jankari hona swabhavik thi.


Sarita ne koi add ya photo abhishek ki isliye News Paper mein nahin chhapwai ki agar abhishek galat sangat mein pad gaya hoga to abhishek ki jaan aur uske parwar ki jaan ko bhi khatra ho sakta hai. Sarita ki is koshish ke bavjood bhi usko nirasha hath lagi. Apne bhaai ko dhoondhne ke sath sath Sarita ne poori koshish ki gudiya ko dhoondhne ki lekin wo bhi kahi nahi mili.


lekin haan is chakkar me bachha singh ko bahut nuksan huwa. Sarita ke rishwat ke case me fansne ke baad Bachha singh ne apna kam fir se shuru kar diya tha. Kyonki Boss ne use fir se karobaar karne ke liye bol diya tha. lekin Sarita ke fir se join karne ke baad aur Sarita ko jab ye pata laga ki use fansane wala bachha singh hai to Sarita uske karobar ke pichhe lag gayi thi. is nuksan se bachha singh bhannaya huwa tha.

*************

Bachha Singh apne aadmiyo ke sath usi khandhar me baitha baat kar raha tha aur chilla raha tha.


Bachha – Kaluwa. Jab se wo inspector wapas aai hai tab se usne pahle se jyada hamare karobar ka nuksan kar diya hai.

Kaluwa- Sahi kah rahe ho bhai.

Bachha- (chillate huwe) To salo. Tum sab kar kya rahe ho. main tumhe isi din ke liye paal posh kar rakh raha tha kya. ki jab koi meri marne lage to tum sab dum dabakar baith jao. Kuchh karte kyon nahi ho tum log.

Kaluwa- Bhai. Jitna nuksan hona tha U ho gaya hai. lekin abhi jo maal apne pas bacha huwa hai usko to eha se kahi surakshit jagah par pahucha du fir sochata hoon kuchh uske bare me. kyonki jis tezi se u laundiya aage badh rahi hai. usase to wo bahutai jaldi Enha taka a jayegi. aur ham nahi chahta ki U hamare bache huwe maal ko bhi pakad le. aur Ab U jaroor Aapke bare me pata lagane ki koshish kar rahii hogi.

Bachha- Sahi kaha tumne. pahle is maal ko kisi surakshit thikane par pahucha do. fir us inspectorani ke bare me sochte hain.

Raghu- Maai Baap. Ei raghu bhai kab tak aa rahe hain.

Bachha- Abhi uske aane me samay hai, par lagta hai ki use bahut jaldi hi bulana padega. taki wo aakar is ladki ko achha sabak sikhaye.

*******************

Agle din Sarita apne PS pahuchi to usne Kuchhh plan kiya huwa tha ki use bachha singh tak kaise pahuchna hai. Usne PS pahuchte hi Vikas, Amit aur Kushal ko apne cabin me bulaya. tino Sarita ke cabin me gaye. Sarita ne unse kaha.

Sarita- main aap logo ko ek kam dena chahti hoon. aur main chahti hoon ki ye kam bahut hi savdhani se aur bahut hi gupchup tarike se ho. kisi ko bhi iske bare me khabar nahi honi chahiye. Kya main itna bharosha kar sakti hoon tum logo par.

Vikas- bilkul madam. kisi ko kano kan khabar nahi hogi. aap bharosha rakhiye hamara.

Sarita- Very good, Ek aur baat ka dhyan rahe ki Staff ke kisi bhi member ko ham logo ke alava is baat ka pata nahi chalna chahiye ki ham log kya kam kar rahe hain.

Amit- Ji madam.

Sarita- Good. to baat ye hai ki. Bachha singh ko to aap log jante hi hoge.

Kaushal- Ji madam. Uske bare me kaun nahi janta.

Sarita- hhhhhmmmmmm. to mujhe us bachha singh ki poori janamkundali chahiye. wah kaha rahta hai. kahan jata hai. kisase milta hai. aur uske dhandhe kaun kaun se hain. sabki jankari mujhe 1 din ke andar apne table par chahiye. Understood.

Vikas- Wo to thik hai madam, lekin wo bahut khatarnak hai. Agar wo hamare samne aakar khada ho jaye to bhi ham use pahchan nahi sakte ki yahi bachha singh hai.

Sarita- (Aashcharya se) par aisa kyon.

Vikas- Kyonki ham-me se kisi ne use dekha nahi hai. wah sirf apne aadmiyon ke bal par hi apna sara dhandha chalata hai. na to wo jaldi bahar nikalta hai aur na hi kisi cheez me direct involve hota hai.

Sarita- Lekin maine dekha hai use. us din aaya tha mujhe rishwat den eke liye.

Kaushal- Lekin madam ham logo ne nahi dekha tha use. fir kaise hoga ye.

Sarita- Koi baat nahi kaushal ji. kitne din tak police ke hantho bachta rahega. kisi na kisi din to police ke hathhe chadhega hi. uska pata to uske aadmi hi batayenge. iske aage mujhe kuchh bhi nahi sun-na. mujhe uski sari details ek din ke andar chahiye matlab chahiye.

Amit- Lekin madam. ek din ke andar uski sari details kaise nikal sakte hain.

Sarita- Ek din ka samay bahut hota hai Amit ji. mujhe nahi pata ki aap log kaise ye sab manage karenge, lekin aap logo ko ye karna hi hoga. kisi bhi kimat par karna hoga. main ummeed karti hoon ki aap log mujhe nirash nahi karenge.

Kaushal- Thik hai madam. ham poori koshish karenge apni taraf se.

Vikas- Madam. aap ek baar aur ache se soch lijiye. kya ham jo karne wale hain wo sahi hai. mera matlab hai ki wo bahut khatarnak hai. aur aap akele hi is case ko handle karna chahti hain.

Sarita- Vikas ji. ye hamari duty hai. jab koi hamare pas madad ki ummeed lekar aata hai to hamara farz banta hai ki ham uski poori madad kare. aur sarkar ne hame ye vardi isiliye to di hai ki ham logo ki madad kar sake. kya aapko join karte samay li hui pledge (pratigya) yad nahi hai. kya aap use bhool gaye hain.

Vikas- Ji nahi madam. main kuchh nahi bhoola hoon. main aapko nirash nahi karunga. Lekin Agar DSP Sir se bhi ek baar baat kar le aap to thik Rahega

Sarita- Vikas ji. Maine jitna kaha hai aap utna kariye. DSP sir ko kaise bataana hai aur kab batana hai ye main dekh lungi.

Vikas- Ji madam, Jaisa aap kahein.

Sarita- Thik hai fir. aap log abhi se apne kam par lag jaiye. aur yaad rahe this is totally confidencial. ab aap log ja sakte hain.


Sarita ki baat sunkar tino uske cabin se bahar aa gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:Toh Sarita uss ghar se nikal gayi par nikalte nikale apna haath hi katwa liyaa.

Idher yeh Savita itni raat ko kisse baate kar rahi thi. Kyaa mangetar hai yaa boyfriend.

Idher Sarita ab Bachha singh ka kachha chittha nikalwana chahti hai.
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE- 25


Tino ke bahar jane ke baad Sarita sochne lagi. ki kya ye tino mera diya huwa kam kar sakte hain. Mohit aur Javed agar sath me rahte mere to mujhe inki jaroorat hi nahi padti, lekin wo dono to us hitlar ke chamche hain. unko is mission me shamil karna matlab us hitlar ko sab kuchh pata chal jana. ulta wo meri madad karne ke bajay mera kam hi ulta kar denge.


bas ek baar ye tino bachha singh ki information lekar mere paas aa jaye. uske baad main use salakho ke pichhe kar doongi. pata nahi Gudiya kis hal me hogi. ho sakta hai Gudiya jaisi aur bhi bachhiya uske paas ho. KYoki jo banda Itna sare illegal kam karta hai wo ladkiyon ki taskari ka bhi kam kar sakta hai. mujhe ab der nahi karni chahiye. mujhe jald se jald Bachha Singh ke paas pahuchna hi hoga.


Abhi Sarita inhi khayalo me gum thi ki tabhi Janhavi ki aawaz use sunai padi. jo usase andar aane ki parmission mang rahi thi. Sarita ne use andar aane ke liye kaha. Janhavi aakr Sarita ke samne khadi ho gayi aur boli.


Janhavi- Aapse kuchh baat karni thi madam.

Sarita- Haan Janhavi. bolo kya baat hai.

Janhavi- Madam. apne PS se do kilomiter door ……………………… ilaka hai wo bahut hi asamvedanshil (Insencitive)ilaka hai. waha aaye din kisi na kisi baat ko lekar ladai. Jhagde hote rahte hain. Mujhe dar hai madam ki kisi din kahi ye ladai Jhagda bhayankar roop na le le.

Sarita- Hhmmmmmm. lekin tumhe is baat ka pata kaise chala.

Janhavi- Madam Pichhle chaar dino se waha ki kuchh ladies PS aa rahi hai complains karne ke liye. ki aaye din waha ladai jhagda hota rahta hai. jisme unko, unke pati aur bachho ko jan ka khatra bana rahta hai. unki complains hai ki ham waha par police bhejkar is mamle ko shant karwaye.

Sarita- Unki mang to jayad hai Janhavi. Ruko main dekhti hoon is matar ko. main rawat sir ki permission lekar waha apne kuchh aadmi tainat karti hoon. jo waha ki setuation ko ache se sambhal sake. mujhe apne PS ke undar me aane wale har jagah par shanti aur sukun chahiye. Acha janhavi ek baat batao. tum bachha singh ke bare me kuchh janti ho.

Janhavi- Nahi madam. mujhe to bas itna hi pata hai ki wo is ilake ka badmas hai aur bahut khatarnak hai. uske naam se na jane kitne case darz hain file mein. jo raik par pade huwe dhool fank rahe hain. koi uske khilaf kuchh karta hi nahi hai. Maine suna hai ki DSP sir jab naye naye aaye the to unhone Bachchaa Singh ko Pakda bhi tha, lekin Kuchh hi ghanton me wo chhut gaya, Sath mein DSP sir ko Bade adhikariyon se dant bhi sun-ni Padi thi.

Sarita- Ohhhh. aisi baat hai. Kya tum mujhe wo file lakar de sakti ho Janhavi.

Janhavi- Jaroor madam, lekin koi fayda nahi hone wala. aap chahe jitni bhi koshish kar le. wo aapke hanth nahi aane wala. wo jitna khatarnak hai utna hi shatir bhi hai. tabhi to aaj tak kisi ne uska chehra nahi dekha. Aur jisne dekha hai DSP Sir aur Rawat Sir ko chhodkar baki Sabhi ka yahan se transfer ho gaya hai.

Sarita- koi baat nahin. maine dekha hai Janhavi use. aur mujrim kitna bhi sharer aur chalak ho. ek din police ki giraft me jaroor aata hai. police ke shikanje me to uska baap bhi aayega. bas tum mujhe uski files de do. main bhi dekhti hoon ki wo kab tak mujhse bachta hai.

Janhavi- Thik hai madam, mein uski file khojkar aapke pas bhijwati hoon.


Itna kahkar Janhavi cabin se bahar chali gayi. uske jate hi sarita ne apne man me kaha.


Sarita- bahut bhaga liya police ko apne biche bacha singh, lekin ab nahi. is baar tumhara pala Sarita joshi se pada hai. ab tum jyada din meri pakad se door nahi ho aur na hi main tumhe door rahne doongi. jitna aatank phailana tha tumne fiala liya. jitna tumko karna tha tumne kar liya ab karne ki bari police ki hai.


Sarita apne khayalo se tab bahar aayi jab uske phone ki ghanti baji. SArita ne phone dekha to phone uski maa ka tha. Sarita ne socha ki maa ka phone is vaskt. lagta hai koi jaroori kam hoga, ye sochkar Sarita ne phone utha liye.


Sarita-Hello maa. kaisi tabiyat hai aapki.

Rani ji- Haan beti meri tabiyat bilkul thik hai. tum batao beti. tum to thik ho na.

Sarita- main bhi thik hoon maa, lekin aapne is samay phone kyon kiya. aapko to pata hai na ki main is samay PS me rahti hoon. maine aapko kitni baar kaha hai ki bina jaroori kam ke mujhe din me phone mat kya karo. din me aapka phone dekhkar main kitna ghabra jati hoon ki koi baat ho gayi hai kya. batayiye maan apne kisliye mujhe phone kiya hai is vakt.

Rani ji- Ab tujhse baat karne ke liye bhi mujhe samay dekhkar phone karna padega kya. jaroori kaam tha tabhi maine phone kiya hai. ye bata ki apne birthday par tum ghar aa rahi ho na.

Sarita- Kya maa. yahi aapka jaroori kaam tha kyaa.

Rani ji- Haan maine yahi poochne ke liye phone kiya hai.

Sarita- main nahi aa paungi maa. kaam ka bahut pressure hai. jiske karan chhuttii milna mushkil hai. abhi main bahut jaroori kaam kar rahi hoon. raat me baat karti hoon maan. ab main phone rakh rahi hoon.


itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. udhar Raani ji hello hello karti rahi. koi aawaz na pakar Rani jj ne phone rakh diya aur kaha.


Rani jii- Abhi to bina baat sune hi phone rakh diyaa. sham ko phone karo fir batati hoon tumhe. apni maa se baat karne ki fursat nahi hai tumhare pass.


Sarita bhi phone rakhkar sochane lagi.


Sarita- Ek to main pahle se hi itna pareshan hoon aur upar se maa ko mere birthday ki padi hui hai. kaise bhi karke mujhe is case ko jaldi se solve karna hoga. mujhe bahut jald hi bachha singh ko pakadna hoga, lekin agar mere hanth koi surag hi nahi laga to main kaise us tak pahuchungi. kaise main Gudiya ko bachaungi. maine dadi se wada bhi kar liya hai.


Abhi Sarita itna hi soch rahi thi ki Tabhi Vikas ka phone uske mobile par aata hai. Sarita phone uthati hai .


Sarita- Haan Vikas ji. batao kuchh pata chala aapko.

Vikas- Madam. hamne ek aadmi ko pakda hai jisne ek makan bataya hai. wo makan thoda suspect lag raha hai. ek do logo se pata chala hai ki raat me is ghar me kuchh halchal dekhi gayi thhi.


Sarita- to usme suspect kya hai. ghar hai to koi na koi to rahega hi us ghar me.

Vikas- Nahi madam. aisi baat nahi hai. Yahan ke aaspas ke logo ka kahna hai ki Ye ghar phichhle kai mahino se band pada hua hai. yaha par koi aata jata hi nahi hai. isliye mujhe ye ajeeb lag raha hai ki jo ghar kai mahino se band pada hai usme raat me hi log kyon aaye.

Sarita- Kyaaa. aap mujhe jhaldi se waha ki location bhejo main pahuch rahi hoon kuchh hi der me waha par.

Vikas- Ji madam. agar ye sach hai to hame waha se kuchh na kuchh surag mil sakta hai. ya fir agar wo log yaha par abhi bhi hain to wo kya kar rahe hain is ghar me.

Sarita- Haan ye baat to hai. main pahuch rahi hoon waha par. ab ye baat andar jakar hi pata chalegi ki waha par wo log kya kar rahe hain. tab tak tum agar aur infrmati0n juta sakte ho to ye aur bhi jyada achha hoga hamare case ke liye.

Vikas- thik hai madam. aap aaiye.


itna kahkar Dono phone rakh dete hain . Sarita kuchh hi der me waha par pahuch jati hai. jaha par Vikash aur Kaushal khade huwe the. Kaushal ne ek ghar ki taraf ishara karte huwe kaha.


Vikas- Madam ye wahi ghar hai jiske bare me maine aapko bataya tha.

Sarita- Amit kahan par hai. Dikhayi nahin de raha hai.

Vikas- Maine use file dhoondhne ke Kaam par laga diya hai madam.

Sarita- ACHHAA. to chalo andar chalkar dekhte hain ki kya kuchh milta hai waha par.


fir Vikas, Kaushal aur Sarita apni gun nikal kar savdhani ke sath ghar ke andar dakhil ho jati hain. waha par unhe koi insane to najar nahi aata, lekin haan waha par 8-10 khali sharab ki botale padi milti hain. us makan me ek ajeeb tarah ki badboo aa rahi thi. Sarita ne poore makan ka bariki se muayana kiya. Achaanak uski najar Kisi cheez par padi jo ki kisi kapde se Dhaka huwa tha. use dekhte huwe Sarita ne Vikas se kaha.


Sarita- Vikas ji. jara ise dekhiye to sahi. iske niche kya hai.


Sarita ki baat sunkar Vikas us kapde ko hata-ta hai to use uske niche ek lakdi ka bada sa baksa milta hai. Vikas jab is baksa ko kholta hai to wo baksa khali tha. Vikas bakes ko band karne hi ja raha tha ki tabi uski najar ek kone par gire huwe safed power par padti hai. jise dekh kar Vikas ne kaha.


Vikas- Madam mujhe lagta hai ki Is bakSE me brown sugger ya koi nashila padarth tha.


Sarita- (chaukte huwe) Tumhe kaise pata.

Vikas- Ye dekhiye madam. yaha par kuchh safed safed power type gira huwa hai. iski mahak waisi hi hai. jaisi do din pahle hamne jis truck ko pakda tha usme rakhe maal se aa rahi thi. mujhe poora yakin hai madam ki ye wahi cheez hai.

Sarita- jis truck ko tumne pakda tha. wah aadmi kaha par hain. Unke paas se hame kuchh aur information mil sakti hai. ho sakta hai ye unhi ke sathi hon. jinhone yahan se maal gayab kiya hai.

Vikas- Ho sakta hai madam aisa hi ho.

Sarita- Fir tum niklo yaha se aur usase pooch tachh karo. ho sakta hai koi information mil jaye. yaha par main aur Kuashal dekh lenge.


Sarita ki baat sunkar Vikas chala jata hai. Sarita aur Kaushal makan ke ek ek kamre ka jayja lete hain. Sarita ko ek kamre me kuchh tuti hui chudiyo ke tukde bhi milte hain. sath hi use ek dupatta bhi milta hai. ye dekhkar Sarita ne apne man me kaha.


Sarita- Ho na ho , un logo ne Gudiya ko yahi par rakha hoaga. ye bhi ho sakta hai ki Gudiya ke sath aur bhi ladkiya hongi. ab main ye kaise pata lagaun ki wo log Gudiya ko lekar kahan gaye hain.

Kaushal- Mam Mujhe nahi lagta ki yaha par hame kuchh milega. ab hame yaha se chalna chahiye.

Sarita- Haan sahi kah rahe ho. Abhi bhi hame usake khilaf thos sabut nahi mile jiske bina par ham use arrest kar sake.


Itna kahkar Sarita aur Kaushal bahar nikalne lage, lekin chalte chalte Sarita achanak se ruk gayi. uske man me ek vichar kaundha .


Sarita- (man me) Agar mera shak sahi hai aur Gudiya ke sath agar aur bhi ladkiya hain. aur agar un logo ne ladkiyo ko yaha se nikala hai to vah unhe jaroor shahar se bahar bhejne ke prayas me honge. mUjhe kisi bhi tarah se un ladkiyo ko shahar se bahar nahi jane dena hai. mujhe Unhe shahar se bahar jane se pahle hi pakadna hai. Jaisa ki Vikas ne kaha hai ki Kuchh log is makan ke andar aaye the raat me. to jaroor ho ya na ho, wo log un ladkiyo ko hi lene aaye honge. agar maine koshish ki to main un logo ko pakad sakti hoon.


Sarita ko kuchh sochte huwe dekhkar Kaushal ne kaha.


Kaushal- Kya huwa madam. aap kya soch rahi hain.

Sarita- Kausal ji Ek kaam kariye aap. Amit ko apne sath lekar jaiye aur Shahar ke bahar jane wali har gadi par achhi tarah se najar rakho. bina talashi k eek bhi gadi bahar nahi jani chahiye. chahe wo kisi bhi VIP ya VVIP ki hi gadi kyon na ho.

Kaushal- Lekin madam, ye sab ham log nahi kar sakte hain. iske liye hame DSP Sir ki permission leni padegi. bina unki permission ke ye sab karna allowed nahi hai.’

Sarita- Aap samajh nahi rahe hain mamale ki najakat ko Kaushal ji. mamla bahut hi critical hai. Hamare paas samay bahut kam hai. permission lene me samay lag sakta hai. abhi main jitna bol rahi hoon aap utna kijiye. baad me jo bhi hoga main use sambhal lungi.


Sarita ki baat sunkar kaushal Chala gaya. Sarita Bhi waha se sidha Vikas ke paas chali gayi. jaha wah kal pakde gaye driver se poochtachh kar raha tha. pahle wo usne kuchh bhi jankari hone se mana kar diya. lekin jab Vikas ne uspar thodi Sakhti barti to Usne apna munh khol diya.


Aadmi- Haan ye sach hai ki main bachha singh ke aadmiyo se ek deel ke silsile me mila tha. aur mera uske sath bahut samay se karobar chal raha hai.


Us aadmi ne iske alava bhi bahut sari information di. yaha tak ki ladakiyo ke bare me bhi us aadmi ne Sarita ko bataya. Jiska Sarita ko fayda bhi huwa. Iski baat sunkar Sarita ne apni Searching tez kar di. Thodi masakkat ke baad Aakhirkar Sarita ke hanth wo gadi lag gayi jo un ladkiyo ko lekar ja rahi thi. Sarita ne apni teem ki madad se us gadi ko sham tak pakad liya.


Jab Gadi ka gate khola gaya to Sarita ne dekha ki Ladkiyo ki halat bahut hi kharab thi. Sarita ne turant Amit aur Vikas ko Ambulance bulane ke liye kaha. Sarita ne Amit, Vikas aur Kausal ki madad se Sabhi ladkiyo ko Hospital me Admit karwaya Aur Gadi ke driver ko pakadkar jail me dal diya.


Is baat ki khabar media ko bhi lag gayi. to Sare News channels me Bas Sarita aur uski team ke hi karname dikhaye ja rahe the. wo Sarita ke interview lene ke liye aaye. Lekin Sarita ne Ne sabhi ko Interview dene se mana kar diya. Kyonki wo in sab chakkaro me na padkar jald se jald Us driver se information nikal kar bachha singh ko pakadna chahti thi.


Sarita ko itna to samajh gayi thi ki uski is harkat ke baad Bachha singh aur bhi jyada chaukanna ho gaya hoga. Use pakadne ke liye Sarita ko ab aur bhi jyada mehnat karni padegi. Agar Usne jald se jald ye matter khatm nahi kiya to upar se pressure aane shuru ho jayenge. aur un logo ko chhodne ka farman jari kar diya jayega jise itni masakkat ke baad usne pakda tha.


Sarita ne Amit aur Vikas ki madad se Driver ko jail me dal diya tha. Sarita Amit Aur Vikas ke sath Us driver ke samne khadi hui thi.


Sarita- Kaha lekar ja rahe the tum un ladkiyo ko. Kiske liye kam karte ho tum.


Sarita ki baat sunkar Driver ne apna munh nahi khola to Sarita ne fir se kaha.


Sarita- Maine poocha kiske liye kam karte ho tum aur un ladkiyo ko lekar kaha ja rahe the tum.

Driver- tumne bahut badi galti kar di madam mujhe pakadakar. galat aadmi se panga le liya hai tumne..


Sarita ko uski baat par bahut jyada gussa aa gaya aur Sarita ne ek jor ki lat Uske pet par mari. Driver dard se bilbila utha aur apna pet pakadkar baith gaya. Sarita ne gusse se kaha.


Sarita- Bakwas band kar apni. tujhe kya lagta hai ki ye dhamki dekar tu chhoot jayega. to ye teri sabse badi galatfahmi hai. main aisa kabhi hone nahi doongi. tujhe to main aise saja dilwaungi ki teri sari jindagi jail me hi gujaregi. Doosre ki jan se khelne wale apni jan ki phikar kar. tu bas mujhe bachha singh ka pata bata de main teri saza kam karwa doongi.

Driver- (Rahashymayi muskan ke sath) Tumhe jo karna ho kar lo madam, lekin main tumhe bachha singh ke bare me koi jankari nahi doonga. Aur tumhe kya lagta hai ki tum mujhe jyada din yaha par rok payegi. tere baap dada khud aayenge mujhe chhudwane ke liye.


Sarita ko bhi samajh me aa gaya ki ye Itni aasani se kuchhh bhi nahi batane wala. Tabhi Sarita ke cabin me rakha phone bajne laga. Sarita ne use ignor karte huwe apni poochhtachh jari rakhi. ekk ke baad doosra. doosre ke baad teesra phone baja to driver ne kaha.


Driver- Jao madam. aapke baap dada ka hi phone aaya hoga. jakar phone uthaiye.

Sarita- (apne man me) Mujhe pata hai ki ye phone tum sab kutto ko chhodne ke liye farman jari karne ke liye aaya hoga. lekin main tum logo ko itni asani se chhodne wali nahi hoon. main tum logo ko saza to dilwakar hi rahungi. (Kaushal se) Kausal main ja rahi hoon phone dekhne. tab tak tum in janab ki ache se khatirdari karna. koi kami nahi rahni chahiye inki kharirdari me.

Aakhir inko bhi to pata chale ki Sabhi thane ki khatirdari kyon nahi karwana chahte. Ab inhe Is khatirdari ka mauka mila hai to inki khatirdari me koi kami nahi aani chahiye. nahi to baad me ye hamse shikayat kar sakte hain ki main aapke thane me raha aur aapne meri khatirdari nahi ki.


Itna kahkar Sarita Apne cabin me jati hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:Toh Sarita ne Ladkiyon ki taskari karne wali gaadi ko pakad liyaa aur saari ladkiyon ko bhi bacha liya.

Par shayad hi Sarita unko saza dilwa paaye. Kyoki Jab Sarita ke senior hi ghuskhor aur chamche ho toh yeh kyaa karegi.

Unn jaise logo ko sirf aur sirf paise se matlab hai. Agar unn ladkiyon ki unki apni aulad hoti tab unnlogo ko pata chalta.

Sarita ko media ki madad se apne unn seniors ka farman suna dena chahiye ke wohlog usse pressurize kar rahe hai muzrim ko chorne ke liye. Tab media khud hi unn seniors ki band baja degi.
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE- 26


Tabhi phone fir se bajta hai. Sarita phone uthati hai aur hello bolti hai. Udhar tab tak phone cut ho chuka hota hai.


Udhar Is ghatna ki khabar poore shahar mein ho gai th. Nishchal is baat se anjan apne cabin mein batha kuchh jaruri kaam kar raha tha ki tabhi Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne jab apna phone dekha to SSP ka phone tha, Usne receive kiya aur kaha.


Nishchal- Jai Hind Sir.

SSP- Jai Hind Nishchal. Pahle ye batao ki ye sab ho kya raha hai. Tumhare Undar kaam karne wali Sarita ye kya kar rahi hai. Aaj usne fir koi kand kiya hai.

Nishchal- kya baat kar rahe hain aap. Kya kand kiya usne. Mujhe iske bare mein koi jankari nahi hain.

SSP- (thoda gusse se) Ye tum kya bol rahe ho nishchal. Wo tumhare Undar mein hai aur tumhe hi ye nahin pata ki tumhari wo officer kya karti fir rahi hai. Aakhir tum kar kya rahe ho. Tum apne undar kaam karne wale ke upar niyantran nahi rakh pa rahe ho. Agar aisa hai to apni naukri chhod do samjhe. Hamare department ko tumhare jaise lazy officer ki koi jaroorat nahin hai.


SSP ki baat sunkar Nishchal ye samajh gaya tha ki jaroor sarita ne kuchh aisa kiya hai jiske karan SSP sir uske upar bhadak rahe hain. Nishchal ne SSP Sir se puchha.


Nishchal- ye aap kya kah rahe hain Sir. Aakhir sarita ne aisa kya kar diya hai jo aap mujhko naukari chhodne ke liye bol rahe hain.

SSP- (Gusse me) DDP, agar tumhe Apne Officer ki kartut ke bare me pata nahin hai to tum kis baat ke DSP ho. Tum News dekho pahle.


SSP ki baat sunkar Nishchal ne TV on kar di. News mein sarita ne jo kiya tha uski hi khabar dikhayi ja rahi thi. News dekhne ke baad Nishchal ne SSP se kaha.


Nishchal- Sir usne jo bhi kiya wo to bahaduri ka kaam hai na. Usne to department ka naam ucha kiya hai.


Nishchal ki baat sunkar SSP ko aur bhi jyada gussa aa gaya aur wo dahade huwe Nishchal se bola.


SSP- DSP. Ek to tum apni jimmedari thik se nahin nibha pa rahe ho aur upar se mujhe nasihat de rahe ho. Upar se phone aaya hai mujhe. Bina proper permission ki kaise is kaam ko anjam diya gaya. Kisne Permission di thi is kaam ke liye. Tum kisi kaam ke nahi ho.


Uske baad SSP ne Nishchal ko bahut khari khoti sunai. Yahan tak ki Use aur Sarita ko apni manmani karne ke karan Fired karne ki dhamki bhi de di. Jiske karan Nishchal ko Sarita ke upar bahut jyada gussa aa gaya, kyonki Aajtak uske kisi kaam par kisi bade adhikari ne ungli nahi uthayi thi.


lekin Sarita ke karan use mahine bhar ke ander Dusri baar SSP se dant sun-ni padi thi, uske baad to use kai bade adhikariyon ke phone aaye aur sabne Nishchal ko khari khoti sunai. Nishchal ko gussa is baat par jyada aa raha tha ki Sarita ne use is bare me batana jaroori nahi Samjha. Wo kam se kam use SSP ke phone aane se pahle bata deti to wo kisi tarah SSP ko deal kar leta. Yahi sab sochkar Nishchal Gusse se utha aur Sarita se milne ke liye chal pada.


Udhar Sarita ko dusri taraf se koi jawab na milne par wo phone rakhne hi wali hoti hai ki tabhi Nishchal gusse se tamtamaya huwa uske cabin me ghusta hai aur Uske hanth se phone chheenkar kaat deta hai aur receiver phone se alag rakh kar gusse se chillate huwe bolta hai.


Nishchal- maine tumse kaha tha na ki is case se door rahna. main ise apne tarike se handle karunga. to kya jaroorat thi tumhe Jhansi ki rani ban-ne ki. Kya aag lagi thi tumhare andar jo sab kuchh itni jaldbazi me kiya tumne.

Tumhe to bas yahi Ek thana sambhalna padta hai, lekin mujhe is jaise 6-7 thane sambhalne padte hain. main roj roj tumhare pichhe hi laga rahu kya. tumhe roj samjhata rahu ki tumhe kya karna hai aur kya nahi karna hai. tumhe pata bhi hai tumne jo kand kiya hai SSP Sir kitna gussa ho rahe hain mujhpar. tumhe koi baat ek baar me samajh me nahi aati hai kya.


Sarita- (gusse me) Kya samjhu main aapka. haann boliye…. kya samjhu main. kab handle karte aap is case ko. jab ye sari ladkiya shahar ke bahar chali jati tab handle karte aap. ya jab in sari ladkiyo ko kisi kothe par bech diya jata tab handle karte aap is case ko. ya tab handle karte aap is case ko jab ye ladkiya kisi hawasi ke bister ki shobha badha rahi hoti. ya tab handle karte aap is case ko jab inki naak, kaan, aankh, kidni, gurde nikal kar bech diye jate. ya tab handle karte aap is case ko jab inhe bheekh mangne par majboor kar diya jata. ya tab handle karte aap is case ko jab in ladkiyon ko human bumb banakar use kiya jata. bataiye. kab handle karte aap is case ko. apne tarike se handle karne ki baat karte hain.

Nishchal- Stop this Miss Joshi. tum hosh me to ho. tum kya bole ja rahi ho tumhe kuchh pata bhi hai.

Sarita- haan main bilkul hosh me hoon, lekin shayad aap hosh me nahi hain. Agar main aaj 15 minute bhe late ho jati to……. to main sabhi lakiyo ko kho detiii…main dadi se kiya huwa apna wada nahi nibha pati. main bilkul hosh me hoon aur kya bol rahi hoon ye bhi mujhe pata hai.


Sarita ki baat sunkar Nishchal Use ghoor kar dekhne laga to Sarita ne kaha.


Sarita- Aise ghoor ghoor kar kya dekh rahe hain aap. aapko kya lagta hai ki aap dadi ko apne ghar me chhupakar rakhoge aur mujhe pata bhi nahi chalega. to ye aapki bhool thi. main unse mili thi. aur unhone mujhe sara sach bata diya. wo badi ummeed ke sath mujhse bol rahi thi ki main unki Gudiya ko unke paas le aaun. isliye main unka kahna nahi taal saki aur maine unse wada kiya ki main Unki gudiya ko unke pass le aaungi. maine aaj apna wada nibhaya.

Nischal- (gusse se) Maine tumhe unse door rahne ke liye kaha tha. uske baad bhi tumhari itni himmat pad gayi ki tum chori chhupe mere ghar me ghuskar unse mili.

Sarita- main aap se darti nahi hoon samjhe aap aur na hi main koi doodh piti chhoti bachhi hoon. jo aap mujhe bolenge ki Sarita ye karo to main karne lagungi. Sarita wo karo to main karne lagungi. mujhe bhi aapki tarah hi training deker duty ke liye bheja gaya hai. jitna hak aapka hai apne under kam karne wale thane ke bare me dekhne ka. usta hak mujhe bhi hai apne PS ke bare me nirnay lene ka. Isliye aap mujhe bachhi samajhne ki bhool mat kijiye.

Nischal- (chillate huwe) Tumhe meri baat samajh me kyon nahi aati. ye tum jo kand karke aayi ho iski news poori media me phail chuki hai aur sabse badi baat ye hai ki tumhare aur tumhare kuchh staff ke sivay is kand ke bare me koi nahi janta. wo sab to chhodo. tumne ek baar mujhe bhi batana jaroori nahi samjha.

Sarita- Achha. main itni pagal dikhti hoon kya aapko. agar main aapko batati to kya aap mujhe permission dete kya aisa karne ki. jisne mujhe dadi se milne ke liye mana kar diya. wo mujhe is kam ke liye permission kabhi nahi deta. isliye maine aapko kuchh nahi bataya.

Nishchal- (gusse se) Tumhe ye sab ek majak lag raha hai. Tumhe kya lagta hai ki ek bachha singh ko pakad lene se ye poora case solve ho jayega. tumare paas dimag hai bhi ya nahi. tumhe itni chhoti si baat kyon samajh me nahi aati ki bachha singh ek pyada hai. raza to kahi aur baithkar apni bisat bichha raha hai.

lekin tun thahri bail buddhi. tumhare upar to bas Bachha singh ko pakadne ka bhoot sawar hai. lekin tum ise jitna aasan samajh rahi ho ye itna aasan bhi nahi hai. Tumhe ye samajh me nahi aata ki Kaluwa jaise mamuli se gunde ke liye tumhare paas phone aata hai use chhodne ke liye. to bachha singh ko pakadkar tum use lock up me rakh paogi.

lekin tumhe samjhane se koi matlab nahi hai. subah se tumhari wajah se mera dimag ekdam kharab ho gaya hai. Mujhe upar se itne phone aa rahe hain ki main phone utha uthakar pareshan ho gaya hoon. ye sab tumhari wajah se huwa hai. ab tumhi unke sawalo ka jawab dena.

Sarita- Maine koi gunah nahi kar diya hai jiski wajah se aap mujhe itna kuchh suna rahe hain. aapko aur upar ke officers ko to mere is kaam se khush hona chahiye. mujhe appreciate karna chahiye. lekin aap to mujhe hi doshi thahra rahe hain. aap jaise police officers ki wajah se hi ye log inte swachhand aur bina kisi dar ke apne kam ko anjam dete hain. aap jaise police walo ke hi karan janta ka vishwas police par se uth gaya hai. isiliye koi madad ke liye police ke paas nahi aata.

Nishchal- (gusse se chillate huwe) Stop this nonsence. tumhe samajh me aa raha hai ki tum kya bol rahi ho. main ye baat bilkul bhi tolerate nahi karunga.

Sarita- (gusse se) main Kyon chup ho jaun. main chup nahhi houngi. Sach sabko kadwa lagta hai lekin sach yahi hai. aapko sharam nahi aati. aap besahara aur madad ke talabgar logo ki help karne ke bajay in do take ke gundo ke talve chat rahe hain. inhi logo ki sewa ke liye aapne ye vardi pahni hai na. bhale hi aapka aur mera manmutav hai lekin main aapko ek achha aur imandar police officer samajhti thi. lekin main galat thi. aap ne bhi chand paiso ke liye apna iman bech diya. thuuu hai aap jase currept officer par. lekin main bikau nahi hoon. main us bachha singh ko chhodungi nahi.

Nishchal- (apna aapa khote huwe) Bas Miss Joshi. Bahut jyada bol diye tumne aur bahut jyada sun liya maine. ab iske aage ek lafz bhi mat bolna.

Sarita- (dahadte huwe) main kyon bas karu. main bolungi. mujhe koi nahi rok sakta. main sach bol rahi hoon to mirchi lag rahi hai. aaj aap jaise currept officers ki wajah se hi police department badnam hai. aap jaise logo ke kanan hi corruption bahdta hai. aap jaise log ya to paise lekar gundo ko riha hai dete hain, ya upar se apne wale apne aakaon ke phone par gundo ko chhod dete hain.

Aap log ye bhi nahi sochte ki wo gunda bahar nikalkar fir se kitne logo ko nuksan pahuchayega. agar pahle hi bachha singh jaise gundo par lagam lagayi gayi hoti aur use saza dilwayi gayi hoti ho aaj ye naubat hi nahi aati. wo police ke sath chuhe billi ka khel nahi khelta. mujhe to lagta hai ki aapke sath sath SSP Sir, DGP Sir aur usase bhi bade officers sab log unse mile huwe ho.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne apna control kho diya aur ek jhannatedar thappad Sarita ke gal par jama diya. Wo Sarita par hanth nahi uthana chahta tha. Usne aaj tak kisi ladki ke upar hanth nahi uthaya tha, lekin Sarita chup hone ka nam hi nahi le rahi thi aur jo bhi man me aa raha tha wo bole ja rahi thi. Nishchal ko Sarita ko chup karane ka isase achha rasta koi najar nahi aa raha tha. lekin Use nahi pata tha ki Sarita uske thappad se chup hone walo me se nahi hai.


Nishchal- enough is enough. bahut ho gayi tumhari bakwas. iske aage ek shabd aur mat bolna nahi to tumhare liye bilkul bhi achha nahi hoga.


Nishchal ne thappad bahut jor ka mara tha. jiske karan uski ungliya Sarita ke galo par chhap gayi thi, Sarita ki aankho se aanshu nikal rahe the. Sarita ne Nishchal se kaha.


Sarita- Kya achha nahi hoga mere liye. Kya kar sakte hain aap log mera. Jyada se jyada mujhe suspend kar denge aur kya. Aap jaise log kar hi kya sakte hain. kar dijiye mujhe suspend. mujhe koi fark nahi padta. Kam se kam mujhe is baat ka malal to nahin rahega ki maine apni vardi ke sath insaf nahi kiya. Aap jaise bikau logo ke sath kam karne se to achha hai ki aap mujhe suspend hi kar dijiye. agar main job me rahi to main bachha singh ko nahi chhodungi chahe kuchh bhi ho jaye.


Itna Kahkar Sarita Apne cabin se bahar nikal gayi. Sarita ke jane ke baad Nishchal ko ye aabhas ho gaye ki use Sarita ko thappad nahi marna chahiye tha. aakhir usne koi jurm to nahi kiya tha. usne kaam to Shabashi wala hi kiya tha. Sarita ke jane ke baad Nishchal ne socha ki wo Sarita se mafi mang lega. yahi sochkar jaise hi wo bahar nikla. Rawat Sir ne use bula liya.


Rawat Sir- Kya tha ye sab Beta. Sarita beti rote huwe PS se bahar gayi hai. aur tum dono itna chilla chilla kar kyo baat kar rahe the. Tum dono ke chillane ki aawaz bahar tak aa rahi thi.

Nischal- Kuchh nahi sir. Aaj jo bhi kand kiya hai usne usi ke bare me usase puchh raha tha. aapko iske bare me kuchh pata hai

Rawat Sir- Nahi bata. mujhe to iske bare me kuchh bhi pata nahi. balki main to khud Sarita se poochna chah raha tha iske bare me.

Nishchal- Sirf aapko hi nahi. usne mujhe bhi kuchh nahi bataya is bare me. pata nahi kyon wo samajh hi nahi rahi hai ki wo is matter ko jitna aasan samajh rahi hai. ye utna aasan nahi hai. lekin wo koi baat sun-ne ke liye taiyar hi nahi hai. maine use is matter se door rahne ke liye kaha tha, lekin usne meri baat ko ignore kar diya.

Rawat Sir- Jane do Beta. Abhi wo nai nai aai hai. use in sab ke bare me jyada pata nahi hai. use kya pata ki jin logo se wo sidhe bhidne ja rahi hai us logo se bade bade officers bhi samna karne me katrate hain. dhire dhire uske samajh me bhi ye baat aa jayegi.

Nishchal- Wo itni bhi nasamajh nahi hai jitna wo apne aapko dikhati hai. uske dil me kuchh aur aur dimag me kuchh aur chalta hai. mere mana karne ke baad bhi wo nahi mani.

Rawat Sir- Use uske hall par chhod do beta. abhi jaisa chal raha hai waisa hi chalne do. baad me iske bare me kuchh sochte hain.

Nischal- wo to thik hai Sir. Lekin Mujhe baar baar SSP Sir ke phone aa rahe hain. wo to mujhse hi sawal kar rahe hain na. wo pooch rahe hain ki ye opereation kiski parmission se kiya gaya hai. ab aap hi bateiye main unhe kya jawab doon.

Rawat Sir- To unse bol do na ki tumhare paas utna samay nahi tha ki tum unse is bate me discuss karte. isliye tumne Sarita ko permission de di. ya main aapko batane wala hi tha, lekin ye Achhanak se ho gaya isliye aapko nahi bata paya. aisa koi bahana bana do unse. wo tumhari baat jaroor samjhenge.

Nishchal- Ab kuchh bhi nahi ho Sakta. Agar is ladki ne mujhe thoda bahut bhi iske bare me bataya hota to main SSP Sir ko sambhal leta, lekin mujhe to kuchh pata hi nahi tha iske bare me to SSP Sir ke phone karne par maine unhse bol diya ki mujhe kuchh pata nahi hai is bare me.

Rawat Sir- (sochte huwe) Dekho Nishchal beta, AB is tarah chillane se ya ladne jhagadne se kuchhh nahi hoga. Abhi thoda dimag ko apne shant rakho aur jaise chal raha hai waise chalne do. baad me dekhte hain ki kya karna hai.


Nischal Rawat Sir ki baat se sahmati jatakar PS se bahar nikal jata hai. Udhar Sarita Nishchal se lad-jhagad kar Sidhe hospital pahuch gayi jahan par Sabhi ladkiyo ko bharti karwaya gaya tha. Wah sidhe Doctor ke cabin me pahuch gayi aur boli.


Sarita- Ab kaisi tabiyat hai Ladkiyo ki doctor.

Doctor- Ye sab pahle se thoda thik hai. lekin itni bhi nahi ki Inhe yaha se discharge kiya ja sake. abhi inhe kam se kam do din aur rakhna padega.

Sarita- Waise Doctor. Ek baat bataiye inki is halat ke pichhe kya wajah ho sakti hai.

Doctor- Madam, Inhe Behoshi ke injection ke sath koi nashila padarth diya gaya tha. jiske karan inki aisi halat hui hai. lekin ab sab thik hai. do din baad inhe discharge mil jayega.

Sarita- Thank you Doctor. Kya main unse mil sakti hoon.

Doctor- Ji jaroor mil sakti hain

Sarita Doctor ke cabin se nikal kar Ward me jati hai jaha ladkiyo ko admit kiya gaya tha. ladkiya Abhi so rahi thi. Sarita jakar ek kusri par baith jati hai jo wahi par paas me lagi hoti hai. Sarita Sabhi bachhiyo ko dekhkar sochne lagti hain

Sarita- Sab bachhiya kitni masoom dikh rahi hain. inki umar bhi jyada se jyada 15 varsh ke bhitar hi hai. Inhone to abhi thik se duniya bhi nahi dekhi aur wo kamine inki duniya hi ujadne chale the. pata nahi ye sab kaha se pakadkar layi gayi hain. Pata nahi inke gharwale kaise hain. Unke upar kya beet rahi hogi.

agar main thoda sa bhi late ho jati to bahut bada anarth ho jata. Us hitlar ko ye chhoti si baat samajh me nahi aati. Use lagta hai ki maine galat kiya hai. galat to tab ho jata agar maine kuchh kiya na hota. Ab chahe jo ho, meri job rahe ya jaye mujhe koi parwah nahi hai. kam se kam mujhe jeevan bhar is baat ka malal to nahi rahega ki maine apna farz nibhane me aanakani ki.


Yahi sab sochte huwe Sarita Ward me baithi hui thi. dhire dhire Dawai ka asar khatam hone lagta hai aur ladkiyo ki aankh khulne lagti hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:
Ye ulti khopadi ki ladki, isake ser per power chadh gayi hai. Jimmedari kuchh samjhati nahi hai.
Is jid ke karan isane Bhai ko bhi goli mari hogi, pata nahi shayad usi ghatna se isaki akal theekane aaye.
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145

UPDATE- 27


Jab ladkiyon ki neend khulti hai to Sarita Sabse milne jati hai, Pahle to Sabhi Sarita ko dekhkar Darti hain, lekin Bad me normal ho jati hain. Sarita unse baat karne lagti hain. Sabhi ka naam jan-ne ki koshish karti hai. Un sab me Dadi ki natin bhi thi.


Sarita Sabhi se baat karke bahut khush thi aur wo thodi der pahle Nischal ke sath huwe jhagde ko lagbhag bhoot hi gayi thi. Sabhi ladkiya aaj bahut din baad Sarita ke sath khulkar hans rahi thhi. thodi der unke sath rahne ke baad Sarita Hospital se bahar aa gayi aur phone karke Hospital me Ladkiyon ki suraksha ke liye do hawaldar tainat kar diye.


***********

Boss Apni chair par baitha Aaj ke ghatnakram ke bare me soch raha tha. Use jaise bharosha hi nahi ho raha tha ki Sarita Uske dhandhe ko Chaupat karne par tuli hui hai. Itne kam samay me Sarita ne uska bahut jyada nuksan kar diya tha. Ab wo Sarita ko apne rashte se hatane ki tarkeeb dhoondh raha tha. Tabhi Uske paas me rakha uska mobile baja.


Phone karne wala Sarkar tha. Sarkar ka naam Apne mobile ki Screen par dekhkar Uske mathe par bal pad gaye. Wo sochne laga ki ab Sarkar ke sawalo ka kya jawab dega wo. lekin phone to uthana hi tha. Boss ne phone uthaya to udhar se Sarkar ki kadakti aawaz uske kano me padi.


Sarkar- Boss. Ye sab kya ho raha hai. Ek bhi kam tum log dhang se nahi kar pa rahe ho.

Boss- Sarkar. Kam to Abhi tak Achhi tarike se huwa hai apna. Lekin jab se ye nayi Lady Inspector aayi hai. Tab se Iski buri najar lag gayi hai apne kaam ko. Isne apna Caroro ka maal pakad liya Aur aaj to Isne Apne ek aur dhandhe ka bhanda phod diya aur Sari ladkiyo ko chhudakar le gayi.

Sarkar- Maine tumse Kitni baar kaha hai ki Jo bhi kaam karo Ekdam Mustaidi se karo, lekin tum aur tumhare aadmi Koi na Koi galti kar hi dete hain. Usne itni bada Plan banaya aur tumko Uski bhanak bhi nahi lagi.

Boss- Mujhe Sach me kuchh bhi pata nahi Chala. Are Mujhe Kya Sarkar. Uske saath kaam karne wale Kisi bhi aadmi ko Uske Is plan ke bare me bhanak nahi lagi. Bas Jo uske plan ka hissa the. unko chhodkar.

Sarkar- hhhhmmmmmm. Apne Sabhi pantaro ko alert karo aur Is Inspector ka koi permanent bandobast karo. Agar aisa hi chalta raha to bahut jaldi ham log katora lekar bheekh mangte huwe najar aayenge. Samajh gaye na. Aage se mujhe Apne dhandhe me nuksan nahi chahiye.

Boss- Ji Sarkar. Main karta hoon kuchh Iska. Aap nischint rahiye. Aage se aapko shikayat ka mauka nahi milega.


Boss ki baat sunkar Sarkar ne phone rakh diya. Sarkar ke Phone rakhne ke baad Ne Kisi ko phone kiya.


******************

Hospital se nikalne ke baad do hawaldar ko waha ki suraksha me khadi karke Sarita PS ke liye nikal gayi. Raste me Sarita ka phone bajne laga. Mobile Screen par Savita ka naam dekhkar Sarita na apni gadi kinare khadi ki aur phone pich kiya.


Sarita- Hello di. Kaisi hain aap.

Savi- Main Achhi hoon. tum kaisi ho aur kaha par ho.

Sarita- Main bhi bahut achhi hoon di. bas Kisi kaam se bahar aayi thi. Aap bataiye kuchh kaam tha kya.

Savi- Sabse pahle to tumhe congratulation Sarita. tumne bahut bahaduri ka kam kiya hai. Ham to tumhare fan ho gaye hain.

Sarita- Thank you di. Ye to mera farz tha di. aakhir is ke liye hi to mujhe ye wardi di gayi hai. Waise ye sab chhodiye aap kuch kahne wali thi.

Savi- Kal hamare NGO ki taraf se Bachho ke liye ek function rakha gaya hai aur main chahti hoon ki tum usme shamil ho. Tum aaogi to bachho ka hausla badhega.

Sarita- wo to thik hai di. lekin main kaise aa sakti hoon. aapko to pata hai ki mujhe kitni vyastata hai aajkal.

Savi- (narajagi ke sath) Kyon nahi aa sakti ho tum. Aur maine tumse aane ke liye request nahi ki hai. maine tumhe aane ke liye order diya hai Samjhi. to ab apna jyada dimag mat chalao.

Sarita- (hanste huwe) Thik hai di. main poori koshish karungi aane ki. aap address send kar dijiye.

Savi- Koshish nahi tumhe aana hi padega. agar tum nahi aayi to samajh lena fir. main address send kar rahi hoon.


Sarita phone rakhne ja rahi thi tabhi uske dimag me kuchh aaya to usne Savita se kaha.


Sarita- Di Aapse mujhe ek help chahiye.

Savi- Haan Sarita bolo.

Sarita- Di aapko to pata hai ki operation ke dauran maine 12-13 Ladkiyo ko chhudaya hai. Jinko gambhir halat me hospital me admit kiya gaya hai. do din baad unko discharge kar diya jayega. to main soch rahi thi ki jab tak unke parents unhe aakar le nahi jate tab tak Unhe aap apne NGO me rakh lein.

Savi- Ye bhi koi kahne ki baat hai Sarita. main itna to kar hi sakti hoon. jab unko discharge mile to mujhe bata dena.

Sarita- Thank You di. aap bahut achhi hai di.

Savi- Di bhi bolti ho aur thank you bhi bolti ho. ye achhi baat nahi hai. chalo thik hai kal milte hain fir. Apna khyal rakhna

Sarita- Aap bhi di. Bye.

Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya aur PS ke liye nikal gayi.


**************

PS se 5 Kilomiter door ek sunsan jagah par Bachha Singh, Kaluwa, Shambhu Aur Raka baithe huwe the. Aaj ye Sab Us khandahar me na milkar Yaha milne ka dicide kiye the. Charo ke chehre par pareshani Saaf jhalak rahi thi. Kuchh sochte huwe Bachha singh ne kaha.


Bachha Singh- Main Is Inspector ko chhodunga nahi. Iske karan mera bahut Nuksan ho raha hai.

Kaluwa- Haan bhai. Sali bahut hi kadak mijaj Aurat hai. Kisi ki baat nahi sunti. Abhi kuchh samay pahle thane se Hamka pata chalal hai ki Aaj uski aur Us inspector ki ladai Hua hai. Jis Inspector ne Oka Rishwat wale case se bachaya tha.

Bachha Singh- Kya baat kar raha hai be tu. Lekin Ladai kahe liye hui thi.

Kaluwa- Usne bina kisi ko bataye Hi hamare thikane par chhapa mara tha aur Un ladkiyo ko chhudakar le gayi. Ihi baat pe dono aapas me bhid gaye the.

Bachha- Ye to bahut achhi baat hai. Matlab Ab wo Inspector bhi uske sath nahi hai. Hamko jaldi hi Is ladki ka kuchh karna padega.


Abhi Ye sab aapas me baat kar hi rahe the ki Bachha singh ka phone bajne laga. Screen par Naam dekhkar Bachha singh ke pasine chhutne lage. Usne darte huwe phone uthaya.


Boss- Aur bachha bhai. Kya hal chal hain tumhare. Sab thik to hai na.

Bachha- Boss. ye aap kya bol rahe hain. aapko to sabkuchh pata hi hai .

Boss- (gusse se) Sabkuchh pata hai tabhi to Puchh raha hoon tujhse main. Tum log ekdam nikamme aur kamchor ho gaye ho. Ek bhi kaam tum logo se thikk se nahi hota.

Bachha- Hamne apna kam bahut hi Savdhani ke sath kiya tha, lekin pata nahi use kaise khabar lag gayi aur usne ye kand kar diya. Hamko bhi khabar mili thi ki wo Ladkiyon ko khoj rahi hai, lekin jab tak ham kuchh kar pate tab tak usne wo gadi pakad li.

Boss- Kyonki wo tum logo se jyada chalak aur shatir hai. tum log kisi kaam ke nahi rah gaye ho. Tum Logo ke karan mujhe Sarkar ki Dant sun-ni padti hai. Jaldi se kuchh karo Is ladki ka. Nahi to main tum logo ke bare me kuchh soch lunga fir. jo tum logo ke liye achha nahi hoga. Raghu ko phone karo aur use bulao. Ab ye kam Tum logo ke bas ka nahi rah gaya hai. ye kam raghu hi kar sakta hai.

Bachha Singh- Ji boos. main abhhi bhai ko phone karke aapka sandesh unhe deta hoon.


Boss ne phone rakh diya. Bachha phone rakhne ke baad Gusse se chillaya.


Bachha- Is Sali Laundiya ke chakkar me Mujhe kitni bate sun-ni pad rahi hain.



*********

Savi se baat karne ke baad Sarita PS pahuch gayi. Jab Sarita Waha pahuchi to usne dekha ki wo apna sarkari phone jo PS se jate vakt jaldi jaldi me PS me hi bhool gayi hai uspar aur office ke phone par aa rahe call ko uthane me Janhavi ulajhi hui hai. Sarita ko ye dekhkar halki si hansi aa gayi. Sarita andar jakar apni chair par baith gayi. Sarita ko dekhte hi Janhavi ne kaha.

Janhavi- Thank God madam, Aap aa gayi. main to phichale kitni der se phone utha utha kar pareshan ho gayi thi. kis kis ke sawalon ka jawab doon. mujhe samajh me nahi aa raha tha.

Sarita- Tumhe phone receive karne hi nahi chahiye the Janhavi.

Janhavi- Main to uthana hi nahi chahti thi phone, lekin ye kab se baje ja rahe the, isliye majbooran mujhe phone uthana pada.

Sarita- Tum nahi uthati to kuchh der baad apne aap hi phone aana band ho jata.

Janhavi- Achha ye sab chhodiye madam, pahle ye bataiye ki sabhi bachhiya kaisi hain. doctor ne kya kaha.

Sarita- Sabhi bilkul thik hai Janhavi. Doctor ne kaha hai ki do din ke baad unhe discharge kar denge. Tumhe pata hai sab bahut hi cute hain aur bahut hi pyari pyari batein karti hain.

Janhavi- Tabhi to aapka mood ekdam thik lag raha hai. Nahi to Jis tarah se gusse me aap PS se gayi thi. Use dekhkar to ek baar ko mujhe bhi aapse dar lagne laga tha.

Sarita- Are isme darne ki kya baat hai. us samay bas thoda gusse me thi. wo gussa to Bas Us Hit… matlab Sir ke liye tha. tumhe mujhse darne ki koi jaroorat nahi hai. Achha tumhe ek kam karna hai.

Janhavi- Ji madam boliye.

Sarita- New Channel me Sabhi bachhiyo ki photo bhijwa do aur News Jari karwa do aur thane ka Address aur mera Phone Number bhi de dena. Jinki bachhiya hain kam se kam unko pata to chal jaye ki unki bachhi ab surakshit hain aur yahan par hain. Sath me ye bhi News me dal dalwa dena ki bachhi ki photo aur ID Proff sath me lekar aaye.

Janhavi- Thik hai madam. main aaj hi ye kam kar deti hoon.


Itna kahkar janhavi bahar chali gayi. Uske bahar jane ke baad Sarita ne Kaushal ko apne cabin me bulaya. Kaushal Sarita ke paas aaya aur bola.


Kaushal- Ji madam. Aapne mujhe bulaya.

Sarita- Haan Kaushal ji. Kuchh bataya usne Bachha Singh ke bare me.

Kaushal- Abhi tak to kuchh nahi bataya madam.

Sarita- thik hai. Aap apna kam chalu rakho aur uski khuraki thodi si aur badha do.

Kaushal- Thik hai madam.


Kaushal ke jane ke baad Sarita ne kuchh der PS ka kam kiya fir uske baad der raat wo PS se nikali aur Apne Quarter jane ke bajay Hospital chali gayi. Sabhi ladkiya Sarita ko dekhkar bahut khush hui. Sarita ne Sabhi se batcheet ki. tabhi Sarita ka phone bajane laga. Sarita ne phone dekha to Manisha ka phone tha. Sarita ward se bahar corridor me aakar phone uthaya.


Sarita- Hey manisha. kaisi hai tu.

Manisha- Main achhi hoon didiya. aap kaisi ho.

Sarita- main bhi bahut achhi hoon.

Manisha- Kya baat hai didiya. tum to bahut famous ho gayi. Har jagah tumhare hi charche ho rahe hain. I am Proud of You didiya. tumne bahut hi bahaduri ka kam kiya hai.

Sarita- Ye to mera Farz tha manisha. main Ye sab tumhare pyaar aur mummy papa ke aasirvad ke karan hi kar paayi. mummy papa kaha par hain.

Manisha- yahi par hain. lo baat karo.


Itna kahkar manisha ne phone speaker dal diya. Aanand ne Sarita se kaha.


Aanand ji- Kaisi ho meri beti.

Sarita- Main bahut achhi hoon papa. aap kaise hain aur mummy kaisi hain.

Rani ji- Ham dono bhi bahut ache hain Sarita. Achha ye bata apne birthday par aa rahi hai na hamare paas.

Sarita- Kya mummy. aap abhi tak wahi atki hui hain. maine dophar me hi aapko bata diya tha ki main nahi aa paungi. mujhe bahut kaam hai PS me.

Rani jii- Kaam to hamesha hi karna hai tujhe. Ek din ke liye aa jao fir chali jana.

Sarita- Papa aap samjhaiye na mummy ko. mujhe sach me bahut kaam hai nahi to main aa jati.

Aanand ji- Thik hai beta. tum pahle apna kam poora kar lo. kaam jyada jaroori hai. Birthday Is sal nahi to agle sal mana lenge.

Raani ji- Aap bhi na. Use bulane ke bajay mana kar rahe hain aane ke liye. aapne hi use bigad kar rakha hua hai.

Aanand ji- Tum apni mummy ki bato par dhyan na do beti. tumne aaj jo kaam kiya hai. usase main bahut khush hoon beti. tumne mera sir garv se ucha kar diya hai beti.

Sarita- Ye sab aapke aur mummy ke aashirwad ke karan hi sambhav hua hai papa. Achha papa abhi main un ladkiyo ke sath hospital me hi hoon. main phone rakhti hoon baad me baat karungi.

Aanand ji- Thik hai beti.


Ina kahkar Aanand ne phone rakh diya. Sarita apna phone rakhkar corridor me hi tahalne lagi. Tabhi Use Nishchal Aata huwa dikhai diya. Sarita ne use dekhkar apna munh doosri taraf fer liya aur waha se jane lagi. Sarita ko andaza nahi tha ki Nishchal waha par aayega.


same yahi setuation Nishchal ki bhi thi. Use bilkul bhi andaza nahi tha ki Sarita Is samay Hospital me milegi. wo to bas Ladkiyon ki hall khabar lene aaya tha. Sarita ko waha dekh Nishchal sochne laga.


Nishchal- (Man me) Kya yaar ye yaha par hai. Lagta hai abhi bhi mujhse naraz hai. lekin main kya karun. main aisa kuchh karna to nahi chahta tha lekin main majboor tha.

Sarita- (man me) Ye yaha par kya kar raha hai. Main to isase baat hi nahi karungi ab.


Nischal chalta huwa Sarita ke pichhe aakar khada ho gaya. Sarita ko andaza ho gaya ki Nishchal uske paas khada hai, lekin Sarita ne uski taraf nahi dekha aur uski taraf pith karke khadi rahi. kuchh pal intezar ke baad Nishchal ne kaha.


Nischal- I Am Sorry. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Mujhe maff kar do.


Nishchal ke maffi mangne par Bhi Sarita ne koi jawab nahi diya to Nishchal ne fir se kaha.


Nischal- I Am Sorry. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Mujhe maff kar do.


Sarita ne fir se koi jawab nahi diya to Nishchal ne fir se kaha.


Nischal- I Am Sorry. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Mujhe maff kar do.


Sarita ne fir se Uski baat ka koi jawab nahi diya to Nishchal ne fir se kaha.


Nischal- I Am Sorry. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Mujhe maff kar do.


Ab Sarita ne na raha gaya to Sarita gumkar uske samne khadi ho gayi aur gusse se boli.


Sarita- Nahi chahiye mujhe aapki mafi. Aap yaha kya karne aaye hain. Ek thappad marker bhi aapka man nahi bhara kya abhi aapka. Aur thappad marna hai aapnko.

Nishchal- Are yaar main mafi to maang raha hoon na. fir tum itna gussa kyo dikha rahi ho. Haan maine jo kiya wo mujhe nahi karna chahiye tha. Mujhse galti ho gayi. jiske liye main Maffi mang raha hoon.

Sarita- Apni had me rahiye aap. Main aapki yaar nahi hoon. aur maffi mangkar aap ehsan kar rahe hain kya.

Nischal- Mujhe ye samajh me nahi aata ki tum har baat ka galat matlab kyon nikal leti ho. kabhi to meri baat sun liya karo. Tumhe mujhe kitni baar bina galti ke thappad mara hai. aur aaj tak maaffi bhi nahi mangi hai. lekin fir bhi maine tumse kuchh nahi kaha.

Sarita- aahhahhahha. Kitna kuchh kaha aapne mujhe. mujhe dhamki bhi de di ki agar maine maafi nahi mangi to aap mujhe PS me rahne nahi denge. aur yaha bhola ban-ne ka natak kar rahe hain.

Nishchal- haan to tumne kitni jor se mara tha mujhe. dono taraf ke gaal laal kar diye the tumne mere. lekin maine to tumhe ek hi thappad mara. wo bhi tumhari galti ke liye. aur ab tumse mafi bhi to mang raha hoon na.

Sarita- Mujhe aapki mafi nahi chahiye. Maffi mangkar koi ehsan nahi kar rahe ho aap.

Nischal- Are yaar tumse to baat karna hi bekar hai. har baat ka ulta matlab nikal leti ho.

Sarita- To mat kaiye na mujhse baat. Maine thodi hi aapko bulaya tha ki mujhse maffi mange aap. aap hi aaye hain mere paas maffi mangne ke liye.


In dono ki nok-jhonk dhire dhire badhti ja rahi thi. tabhi un ladkiyon me se ek bachhi jo unme se sabse chhoti thhi lagbhag 10 sal ki. Uska naam Akku tha. wo ward se bahar aayi aur Sarita aur Nishchal ko ladte huwe dekhkar unhe paas jakar khadi ho gayi. Sarita aur Nishchal apni ladai me hi vyast the. to dono ne us par dhya nahi diya. kuchh der khadi rahne ke baad Akku ne kaha.


Akku- Didi. Ye Uncle kaun hain aur aapse jhagda kyon kar rahe hain.


Akku ki baat sunkar dono ka dhyan uski taraf gaya. Akku ko dekhkar Sarita ne apne gusse par kabu kiya aur Akku se kaha.


Sarita- Kuchh nahi beta. ham dono bas baat kar rahe hain. tum andar jao main aa rahi hoon kuchh der me.


Sarita ki baat sunkar Akku Ward me chali gayi. Uske jane ke baad Sarita Nishchal se kaha.


Sarita- Mujhe aapse koi baat nahi karni hai aap abhi yaha se chale jaiye.


Nishchal ne socha ki abhi iska mood thik nahi hua hai abhi gussa hi hai ye aur abhi gusse me ye kab kya kar de koi bharosha bhi nahi hai. pata laga gusse me isne fir se mere dono gal laal kar diye to khamkhah hospital me beijjati ho jani hai, isliye abhi jata hoon. baad me isase baat karunga.


Yahi sochkar Nischal Sarita ki baat ka jawab diye bina hi Hospital ke bahar chala gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Update was great as always :lol1:
Sarita ke karname ke wajah se Sarkar aur uski toli ki achhe se waatt lagi hai. Aur ab woh Sarita ko raaste se hatan chahte hai kisi bhi keemat pe. Aur iske liye unhone Raghu ko bulaya hai jo baat kam karta hai aur khoon jyaada.

Idher Sarita ke karnaame ki gunjj uske maa baap ke kaano mein bhi pahonch gayi hai jisse unko unki beti pe bahot garv horaha hai.

Udher Nischal bhi hospital aaya par Sarita ko dwkh kar maafi maangne ki koshish ki par anth meij dono kutte billi ki tarah ladh padhee.

Mujhe aisa lag raha hai yeh Boss aur Sarkar mein se koi Abhishek ke baare mein jaanta hai.
Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thankyou::thankyou::thankyou::thankyou:

:thanks::thanks::thanks:
:thanx::thanx:
:thank-you:
 

Top