S
Shokeen
Kaafi ishqana update tha
So finally kisi tarah se mashakkat ke Baad dadi se mulakat kar kar sarita bina nischal ko pata lage waha se nikal gayiUPDATE- 24
Nishchal ke bahar chale jane ke baad Sarita bed ke niche se bahar nikli. uske hanth me abhi bhi dard ho raha tha jo wo apne doosre hantho se dabakar door karne ki koshish kar rahi thi. Sarita ko dekhkar dadi ne usase kaha.
Dadi- Tum thik to ho na beti. kuchh huwa to nahi. ye tum apne hanth ko baar baar kyon daba rahi ho.
Sarita- Main thik hoon dadi. lekin aap bhi kamal ki acting karti hain. jiska namoona us din maine dekha tha, lekin aaj to aapne usase bhi jyada jabardast acting ki hai. kitni aasani se aapne Sir ko bewkoof banaya. maza aa gaya ye dekhkar. Achha ab main chalti hoon. bahut jaldi main aapki Gudiya ke sath aapse milungi. aap apna dhyan rakhna. aur bhool se bhi aap ke munh se ye na nikle ki main yaha aai thi. nahi to bahut badi gadbad ho jayegi.
itna kahkar wo Khidki ke paas aati hai aur niche utarne ke liye taiyar hoti hai. lekin khidki se andar jane se jyada kathin tha khidki se bahar aana. Kyonki boundry ke upar charo taraf fencing wire lege huwe the aur jis sire par khidki thi uski deewar lagbhag boundry se sati hui thi. lagbhag 3-4 fit ka gap tha deewar aur boundry ke bich.
niche utar kar wapas pipe ke sahare first floor ki khali jagah par aana bahut mushkil tha. Sarita badi mushkil se fencing wire ko paar karke andar koodi thi. Raat jyada Gahri ho gayi thi, isliye aas paas ke gharo ko light bhi kareeb kareeb band hi ho gayi thi.
Sarita ne thodi der khidki ke paas khade hokar socha fir ek lambi sans lete huwe khidki ka sahara lekar niche latak gayi aur badi muskil me ghoomkar apna ek pair pipe par rakhna chaha to is dauran uska hanth bhi chhoot gaya khidki se aur wo niche girne lagi. lekin niche girte huwe uske hanth me pipe ka upri sira aa gaya jise usne mazbooti se pakad liya.
Is sakate se uski jaan halak mein aa gayi thi. Uski sanse bahut tez chalne lagi thi. fir wah thodi der apni sans durust karti rahi aur sans durust hone ke baad usne niche ka jayja liya aur apna hanth pipe se chhod diya. jiske karan wo lagbhar 8-10 fit niche jameen par giri.
jiske karan dhammmm ki aawaz hui. raat ka samay tha. aawajahi kam ho gayi thi. Charon taraf lagbhag shanti si chhai hui thi. Guard bhi boundry ka gate band karke apne quarter me tha. dhamm ki aawaz uske kano me padi . shayad wo abhi soya nahi tha to wo tourch lekar bahar aaya aur bola.
Guard- Kaun hai. Kaun hai waha.
Ye bolkar Guard ne Aawaz ki disha me dekha aur uske paas jane laga. Fir jaise jaise guard laundry ke chakkar lagakar dekhne laga sarita bhi uske aage aage boundary ka chakkar lagate huwe chhupate chhupate apne aapko gourd ki najar se bachati rahi aur bhagkar doosri taraf chali gayi aur boundery ke andar lage ashok ke ped ke pichhe chhip gayi. guard ne thodi der apni searching jari rakhi, uske baad wo apne quarter me chala gaya.
Guard ke chale jane ke baad Sarita Jis taraf se boundry paar ki thi. usi taraf aayi aur badi savdhani se fencing wire ko bachate huwe boundry paar kiya. lekin itni savdhani ke baad bhi Sarita ki kalai me wire ka cut lag gaya. jisase uske hantho se khoon nikalne laga.
Sarita boundry paar kar hone ke baad wahi pada Eint (Breke) ka tukda uthaya aur apni kalai par lagakar doosre hanth se daba liya aur apne raste chal padi. thodi hi der me wo Nishchal ke ghar ke samne pahuch gayi. jab wo uske ghar ke kareeb pahuchi to usne dekha ki Savita apni balkani me khadi hokar kisi se baat kar rahi hain. Sarita turant andhere me chip gayi. aur Savita ki taraf dekhne lagi.
Nishchal ke ghar me do balkani thi. ek ghar ke side me thi aur ek balkani pichhe ki taraf thi. balkani ke thik baad boundry thi. us boundry ke turant baad sadak thi. Savita jaha par khadi thi. uske samne ki sadak par thoda andhera tha. is samay raat ke lagbhar 11 baje se jyada ka samay ho chukka tha. usi andhere me ek aadmi khada tha jiski pith sarita ki taraf thi aur jisase Savita baat kar rahi thi. Sarita ne ye dekhkar apne man me socha.
Sarita- Aakhir di itni raat ko chori chhupe is aadmi se kyon baat kar rahi hain. aur ye aadmi kaun hai. ise to maine pahle kabhi nahi dekha. main abhi jakar di se puchhti hoon ki ye aadmi kaun hai jisase wo itni raat me chori chhupe baat kar rahi hain . Nahi Nahi main kaise puchh sakti hoon. abhi main unhe janti hi kitna hoon. mera koi hak nahi hai unse iske bare me kuchh poochhne ka.
abhi agar main didi ke samne chali gayi to di mujhe dekhkar sharminda ho jayengi. ho sakta hai di mujhse rishta bhi tod le. jo mere sath Jud raha hai. kuchh din baad main di se khud pooch lungi iske bare me. agar main abhi samne chali gayi aur di ne mujhse sawal kar liya ki main itni raat ko yaha kya kar rahi hoon to main kya jawab doongi.
Nahi Nahi. Unke samne jane ke bajay mujhe pahle apne aapko Save karna hoga aur apne quarter par jana hoga. iske bare me baad me di se baat karngi. Agar main abhi nikalne ki koshish karti hoon to di ki najar mujhpar pad sakti hai. main kuchh der yahi khadi rahti hoon. di ke andar jane ke baad hi main jaungi yaha se.
Sarita yahi sochkar waha khadi rahi aur Savita ko dekhti rahi. Sarita fir se sochne lagi.
Sarita- kaha to main soch rahi thi ki mujhe 10-15 minute lagenge . main dadi ko khojkar unse sach jankar jaldi se apne quarter par chali jaungi. magar us hitlar ne sab gadbad kar diya. wo to waha dera jamakar baith gaya. mere sir par to ye hitlar rahu ketu ki tarah mandra raha hai.
wo itni aasani se mera pichha nahi chhodne wala. kisi tarah waha se nikal kar aai to ab yahan fans gayi hoon. hey bhagwan kuchh karo. di ko jaldi se andar bhejo. agar di raat bhar is aadmi se baat karti rahi to main raat bhar yaha kaise khadi rah paungi.
Shayad Sarita ki prarthana bhagwan ne sun lit hi. kuchh hi der me Savita balkani se hatkar ghar ke andar chali gayi. ye dekhkar Sarita chain ki sans li. is wakt ekdam sannata chaya huwa tha road par. bas jhingur ki saayy saayyy ki aawaz kabhi kabhi sunai pad rahi thi.
Sarita Ab andhere se nikal kar apne ghar ki taraf chal padi. abhi kuchh hi door wo gayi thi ki use laga ki jaise koi uska pichha kar raha hai. usne apni garden halka sa pichhe ghumakar dekha to ek aadmi kuchh hi doori par uske pichhe aata huwa dikhai diya. Sarita ne ye dekhkar apni chal tez kar di. ye dekhkar us aadmi ne bhi apni raftaar badha di. kuchh door jane ke baad Sarita ne apni pistal bahar nikal li aur apne kareeb aate huwe us aadmi par tan di. ye dekhkar us aadmi ne kaha.
Aadmi- Are madam, ye aap kya kar rahi hain. gun niche kijiye.
Sarita- main dekh rahi hoon ki aap mera pichha kar rahe hain. kaun hain aap. aapko kya kam hai mujhse.
Aadmi- Dekhiye madam aap galat samajh rahi hain mere bare mein. main koi chor uchakka nahi hoon. darasal aapki ghadi us mod ke paas gir gayi thi. main wahi dene aapke pichhe pichhe aa gaha hoon.
Sarita ne uski baat sunkar apne hanth ki taraf dekha to uski ghadi sach me uske hanth me nahi thi. Sarita ne ye dekhkar man me sochne lagi.
Sarita- lagta hai ghadi ki chain toot gayi aur ye mere hantho se gir gayi. kahi is aadmi ne mujhe waha par khade huwe dekh to nahi liya. kahi ye mera pichha tab se nahi kar raha hai jab main dadi se milkar aa rahi thi. pata nahi ye aadmi kaun hai.
Sarita apne hi khayalo me gum thi ki tabhi us aadmi ki chutki se Sarita apne khayalo se bahar aayi aur us aadmi se kaha
Sarita- To.To aap mujhko aawaz bhi to de sakte the. Yunn gundo ki tarah pichha karne ki kya jaroorat thi. aur aapko kaise pata chala ki ye meri ghadi hai. kya aap kafi der se mera pichha kar rahe hain.
Aadmi- Dekhiye miss. Aap fir se mujhe galat samajh rahi hain. wo aap jab us mod se aage aa rahi thi to aap ke hanth se koi chamakti hui cheez niche giri thi. jab maine jakar dekha to wo ghadi thi. maine aapko isliye aawaz nahi di ki shayad aap mujhe gunda mawali samjhe. isliye maine socha ki main aapke paas aakar hi aapko ghadi wapas kar doon.
Sarita- Ohhh dhanyawaad aapka mahoday,
Aadmi- Koi baat nahi madam ye to mera farz tha. waise agar aap bura na mene to ek baat puchh sakta hoon aapse.
Sarita- (sawaliya najro se dekhte huwe) Ji puchhiye. kya puchhna hai aapko.
Aadmi- Dekhiye aap meri baat ka bura mat maniyega, aap ek ladki hain aur aapko itni raat ko akeli is tarah nahi ghoomna chahiye. aapko to pata hai ki jamana kitna kharab hai. aaye din ladkiyo ke sath buri buri ghatnaye hoti rahti hain. aap itni raat ko yaha par kya kar rahi hain.
Sarita- Ji aapki baat bilkul sahi hai aur main ye bhi janti hoon ki jamana bahut kharab hai. ladkiyo ka raat me bahar nikalna khatre se khali nahi hai. raat me hi kya din bhi unke liye safe nahi hai, lekin kya aapko aisa nahi lagta ki kahi na kahi iske liye aur is kharab mahaul ke liye ham khud jimmedar hain.
Ham kyon apne samaj ko, apne desh ko, apne aas paas ke mahaul ko is layak nahi bana pa rahe hain jahan ladkiya khuli hawa me sans le sakein. Kyon unhe bandisho me rahna padta hai. Kuchh bhi ladki ke sath agar bura hota hai to dosh hamesha ladkiyon ko hi diya jata hai. Hamari soch kyon itni gandi ho gayi hai ki hame ache bure ki pahchan nahi hai. hame kyon is tarah ki baat karne ki jaroorat pad rahi hai.
Aadmi- Aapki baat 100 % sahi hai madam. main bhi aapki baat se poori tarah sahmat hoon.
Sarita- Maaf kariyega ji. abhi mere paas samay ki bahut kami hai. nahi to aapko aur ache se is bare me samjhati. Rahi baat aapke is sawal ki ki main itni raat ko yaha kya kar rahi hoon. to aapko mere hanth me gun dikh rahi hai na. fir bhi shayad aapko andaza nahi ho paya hai ki main kaun hoon. to main aapko bata deti hoon ki main ek police officer hoon aur ek case ke silsile me idhar aai thi.
Aadmi- Waawww great madam. thoda bahut to maine bhi andaza laga liya tha ki aap koi mamuli ladki to nahi hain. mujhe ye jankar achha laga ki aap defence Service me hain.
Sarita- Thik hai ji. Abhi mujhe nikalna hai. to main chalti hoon.
Aadmi- Thik hai madam. Aap se milkar mujhe bahut achha laga.
Sarita- Mujhe bhi aapse milkar achha laga. aap bahut ache insan maloom hote hain. aapke sanskar bahut badhiya hain. aap aise hi rahiyega. aap jaise logo ki bahut jaroorat hai is desh ko, is samaj ko.
Aadmi- Dhanyawaad madam,
Itna kahkar wo aadmi pichhe mud gaya aur Sarita bhi apne raste chal di. dus kadam aage jane par aadmi ko kuchh dyaan aaya aur usne apne apne aapse hi kaha.
Aadmi- Dhatt tere ki. main bhi kitna pagal hoon. itni der madam se baat ki aur unka naam bhi nahi poocha. jakar naam pooch lu kyaa. nahi nahi. fir shayad madam mujhe galat samajh lengi. chalo koi baat nahi. agar fir kabhi mulakat ho gayi to naam poochh lunga.
Sarita jab ghar pahuchi to bahut thaki hui lag rahi thi. usne khana banane ki jahmat nahi uthayi aur kuchh kha pi kar so gayi. subah wo uthakar taiyar hokar apne PS chali gayi aur apna kam karne lagi. aise hi ek hafte aur bit gaye. Is ek hafte mein use jab bhi thoda bahut samay milta wo apni gadi lekar Apne bhai ko dhundhne ke liye nikal jati.
Waise Sarita ka apne bhaai ko dhoondhana andhere mein teer chalane jaisa tha, kyonki abhishek se alag huwe Sarita ko 8 sal se jyada ka samay beet gaya tha. Aur in 8 salon mein Sarita ke andar bahut badlaav aa gaya tha to yahi badlav Abhishek ke andar bhi aaya hoga. Usko sardari nigah dekhkar Sarita ke liye pahchan-na aasan nahi tha, lekin Sarita ek ummeed ke sath usko dhoondh rahi thi ki shayad wo kahin use dekhkar pahchan le.
Itna to Sarita ko bhi maloom chal gaya tha ki agar uska bhaai is duniya mein hai to use jaroor pata chal gaya hoga ki uski bahan ek police adhikari ban gayi hai. Kyonki Sarita ke Paas hone se lekar Abhi tak uski photo kai baat paper mein Chhap chuki aur T.V. mein bhi Wo ekadh baar Aayi thi. To abhishek ko is baat ki jankari hona swabhavik thi.
Sarita ne koi add ya photo abhishek ki isliye News Paper mein nahin chhapwai ki agar abhishek galat sangat mein pad gaya hoga to abhishek ki jaan aur uske parwar ki jaan ko bhi khatra ho sakta hai. Sarita ki is koshish ke bavjood bhi usko nirasha hath lagi. Apne bhaai ko dhoondhne ke sath sath Sarita ne poori koshish ki gudiya ko dhoondhne ki lekin wo bhi kahi nahi mili.
lekin haan is chakkar me bachha singh ko bahut nuksan huwa. Sarita ke rishwat ke case me fansne ke baad Bachha singh ne apna kam fir se shuru kar diya tha. Kyonki Boss ne use fir se karobaar karne ke liye bol diya tha. lekin Sarita ke fir se join karne ke baad aur Sarita ko jab ye pata laga ki use fansane wala bachha singh hai to Sarita uske karobar ke pichhe lag gayi thi. is nuksan se bachha singh bhannaya huwa tha.
*************
Bachha Singh apne aadmiyo ke sath usi khandhar me baitha baat kar raha tha aur chilla raha tha.
Bachha – Kaluwa. Jab se wo inspector wapas aai hai tab se usne pahle se jyada hamare karobar ka nuksan kar diya hai.
Kaluwa- Sahi kah rahe ho bhai.
Bachha- (chillate huwe) To salo. Tum sab kar kya rahe ho. main tumhe isi din ke liye paal posh kar rakh raha tha kya. ki jab koi meri marne lage to tum sab dum dabakar baith jao. Kuchh karte kyon nahi ho tum log.
Kaluwa- Bhai. Jitna nuksan hona tha U ho gaya hai. lekin abhi jo maal apne pas bacha huwa hai usko to eha se kahi surakshit jagah par pahucha du fir sochata hoon kuchh uske bare me. kyonki jis tezi se u laundiya aage badh rahi hai. usase to wo bahutai jaldi Enha taka a jayegi. aur ham nahi chahta ki U hamare bache huwe maal ko bhi pakad le. aur Ab U jaroor Aapke bare me pata lagane ki koshish kar rahii hogi.
Bachha- Sahi kaha tumne. pahle is maal ko kisi surakshit thikane par pahucha do. fir us inspectorani ke bare me sochte hain.
Raghu- Maai Baap. Ei raghu bhai kab tak aa rahe hain.
Bachha- Abhi uske aane me samay hai, par lagta hai ki use bahut jaldi hi bulana padega. taki wo aakar is ladki ko achha sabak sikhaye.
*******************
Agle din Sarita apne PS pahuchi to usne Kuchhh plan kiya huwa tha ki use bachha singh tak kaise pahuchna hai. Usne PS pahuchte hi Vikas, Amit aur Kushal ko apne cabin me bulaya. tino Sarita ke cabin me gaye. Sarita ne unse kaha.
Sarita- main aap logo ko ek kam dena chahti hoon. aur main chahti hoon ki ye kam bahut hi savdhani se aur bahut hi gupchup tarike se ho. kisi ko bhi iske bare me khabar nahi honi chahiye. Kya main itna bharosha kar sakti hoon tum logo par.
Vikas- bilkul madam. kisi ko kano kan khabar nahi hogi. aap bharosha rakhiye hamara.
Sarita- Very good, Ek aur baat ka dhyan rahe ki Staff ke kisi bhi member ko ham logo ke alava is baat ka pata nahi chalna chahiye ki ham log kya kam kar rahe hain.
Amit- Ji madam.
Sarita- Good. to baat ye hai ki. Bachha singh ko to aap log jante hi hoge.
Kaushal- Ji madam. Uske bare me kaun nahi janta.
Sarita- hhhhhmmmmmm. to mujhe us bachha singh ki poori janamkundali chahiye. wah kaha rahta hai. kahan jata hai. kisase milta hai. aur uske dhandhe kaun kaun se hain. sabki jankari mujhe 1 din ke andar apne table par chahiye. Understood.
Vikas- Wo to thik hai madam, lekin wo bahut khatarnak hai. Agar wo hamare samne aakar khada ho jaye to bhi ham use pahchan nahi sakte ki yahi bachha singh hai.
Sarita- (Aashcharya se) par aisa kyon.
Vikas- Kyonki ham-me se kisi ne use dekha nahi hai. wah sirf apne aadmiyon ke bal par hi apna sara dhandha chalata hai. na to wo jaldi bahar nikalta hai aur na hi kisi cheez me direct involve hota hai.
Sarita- Lekin maine dekha hai use. us din aaya tha mujhe rishwat den eke liye.
Kaushal- Lekin madam ham logo ne nahi dekha tha use. fir kaise hoga ye.
Sarita- Koi baat nahi kaushal ji. kitne din tak police ke hantho bachta rahega. kisi na kisi din to police ke hathhe chadhega hi. uska pata to uske aadmi hi batayenge. iske aage mujhe kuchh bhi nahi sun-na. mujhe uski sari details ek din ke andar chahiye matlab chahiye.
Amit- Lekin madam. ek din ke andar uski sari details kaise nikal sakte hain.
Sarita- Ek din ka samay bahut hota hai Amit ji. mujhe nahi pata ki aap log kaise ye sab manage karenge, lekin aap logo ko ye karna hi hoga. kisi bhi kimat par karna hoga. main ummeed karti hoon ki aap log mujhe nirash nahi karenge.
Kaushal- Thik hai madam. ham poori koshish karenge apni taraf se.
Vikas- Madam. aap ek baar aur ache se soch lijiye. kya ham jo karne wale hain wo sahi hai. mera matlab hai ki wo bahut khatarnak hai. aur aap akele hi is case ko handle karna chahti hain.
Sarita- Vikas ji. ye hamari duty hai. jab koi hamare pas madad ki ummeed lekar aata hai to hamara farz banta hai ki ham uski poori madad kare. aur sarkar ne hame ye vardi isiliye to di hai ki ham logo ki madad kar sake. kya aapko join karte samay li hui pledge (pratigya) yad nahi hai. kya aap use bhool gaye hain.
Vikas- Ji nahi madam. main kuchh nahi bhoola hoon. main aapko nirash nahi karunga. Lekin Agar DSP Sir se bhi ek baar baat kar le aap to thik Rahega
Sarita- Vikas ji. Maine jitna kaha hai aap utna kariye. DSP sir ko kaise bataana hai aur kab batana hai ye main dekh lungi.
Vikas- Ji madam, Jaisa aap kahein.
Sarita- Thik hai fir. aap log abhi se apne kam par lag jaiye. aur yaad rahe this is totally confidencial. ab aap log ja sakte hain.
Sarita ki baat sunkar tino uske cabin se bahar aa gaye.
Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Bilkul sahi kaha aapneSo finally kisi tarah se mashakkat ke Baad dadi se mulakat kar kar sarita bina nischal ko pata lage waha se nikal gayi
Ye savita ji ka yu kisi se Baat karna Normal tha ya Ye bhi kahani mai kuch naya mood lekar ayega.
Ek anjan admi se mulakat bhi hogayi Pehle to laga kahi ye bacha ka admi to nahi hai but wo to sirf ghadi lautane aya tha
Chalo finally ye to pata laga ki sarita abhi bhi Abhishek ko dhundne ki koshish kar rahi hai
Bacha ka nuksaan to bohut ho raha hai business mai but wo bhi khamosh baithne walo mi se nahi hai dekhte hai ye raghu kab ayega ab tak to sirf uska zikr hi huwa hai
Ek baar Phir se sarita wahi galti kar rahi hai nischal ko na batakar but kya is baar bhi fasegi ya Phir samay rehte nischal ko pata lag jayega ki sarita Phir se bacha ke piche lagi huwi hai.
Overall Nice update
BRAVO![]()
Emotional and tochy update thaUPDATE- 49
Idhar Manisha ka phone aane ke baad Savita pareshan ho gayi thi. Use samajh me nahi aa raha tha ki jab Sarita ke gharwalo ko ye baat pata chalegi to wo unhe kya jawab degi. Yahi baat usne Nishchal se kahi.
Savi- Nishu. Ye baat to Sarita ke gharwalo ko bhi der saber pata chal hi jayegi, Agar wo ham logo se sawal karenge to ham kya jawab denge unhe. Sarita Apne ghar me rahti thi to wo Apni jimmedari thi. Aunty ji ne bhi jate samay mujhe Sarita ka dhyan rakhne ke liye kaha tha, lekin main uska dhyaan nahi rakh payi.
Raghav- Ab jo hona tha wo ho gaya di. Aap itna pareshan mat hoiye. Ab Bas bhagwan se prarthana kijiye ki Unhe jaldi se hosh aa jaye aur sabkuchh thik ho jaye. mujhe vishwas hai ki bhagwan hamari prarthana jaroor sunega aur Unhe kuchh nahi hone dega.
Nishchal- Di. aap thak gai hogi. aap ghar jaiye. jaise hi Sarita ko hosh aayega main use bula lunga.
Savi- (Nam aankho se) Nahi Nishu. mera ghar me bilkul bhi man nahi lagega. mujhe yahi baithe rahne do.
Itna kahkar Savita Nishchal ke bagal me baith gayi. Raghav bhi uske bagal mein baith gaya. Tino man hi man prarthana kar rahe the ki Sarita ko kuhch na ho. Watavaran me khamoshi thii.
Is khamoshi ko bhang kiya Savita ke bajne wale phone ne. Phone kisi Unknown Numbar se tha. Savita ne Phone ko silant par dal diya. Phone kat chukka tha. Kuhh second mein phone fir se bajane laga to Savita ne phone uthaya aur bola.
Savi- Hello.
Raani ji- Hello Savita bitiya. main Sarita ki mummy bol rahi hoon. Manisha ne bataya ki tum NGO ke kam se bahar gayi hui ho. mujhe Nishchal bête ka Number de do. Mujhe usase baat karni hai. Yaha T.V. mein kaisi kaisi News dikha rahe hain ki Jaunpur mein danga ho gaya hai. ye danga ……………… ke paas huwa hai. Isi thane me Sarita bhi to hai.
Ye bata rahe hain ki dhange mein kuchh log ghayal huwe hai. Ek lady Inspector ko goli lagi hai… Main Sarita ka Numbar Dophar se laga rahi hoon lekin Uska number lag nahi raha hai. Mere man me bahut bechaini ho rahi hai. bahut bure bure khayal aa rahe hain. ek baar Nishchal beta Sarita se baat kara de main nishchint ho jaungi.
Rani jii ye baat bahut hadbadakar bol rahi thi. Unki baat sun-ne ke baad Savita ko samajh me nahi aa raha tha ki wo kya kare. Savita ki aankhe bhi ro ro kar lal ho gayi thi. use kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki Ye khabar kaise Sarita ke ghar walo ko di jaye. aur is khabar ko sunkar unka kya haal loga. fir bhi Sarita ne kaha.
Savi- Thik hai Aunty ji. main Numbar de rahi hoon aap note kar lijiye. 9876543210
Number note karne ke baad Savita ka phone cut gaya. kuchh hi second me Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne khud ko sanyam it kar phone uthaya aur kaha.
Nishchal- Hello.
Rani jii- Nishchal beta main Sarita ki mummy bol rahi hoon.
Nishchal- Namste Aunty. Kaisi hain aap.
Raani ji- Main thik hoon beta. wo Sarita ka phone nahi lag raha hai aur news mein pata nahi kya kya bata rahe hain. mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai. meri ek baar Sarita se baat karwa do. mera man shant ho jayega.
Nishchal- (Jhooth bolte huwe) Aunty. News wale sahi bata rahe hain. Sarita ko mamuli si chot aayi hai. Us dhange ki afra tafri me Sarita ka phone kahin gir gaya hai isliye uska phone uske pas nahi hai. wo abhi hospital mein hai. main bhi uske sath hi hoon.
Doctor ne use neend ki dawa di hai, isliye wo so rahi hai. doctor ne disturb na karne ke liye kaha hai isliye main abhi aapki baat nahi karwa sakta Sarita se.
Aap nishchint rahiye main uska poora dhyan rakhunga. Kuchh der me di bhi aa jayengi. Subah ham Sarita ko ghar lekar jayengi to aapse baat karwa denge. Abhi main phone rakh raha hoon. Doctor bula rahe hain.
Nishchal ne jhooth bolkar phone rakh diya. Udhar jaise hi Raani ji ne ye suna ki Sarita ko bhi chot lagi hai aur wo hospital mein hai Wo rone lagi. Unke rone ki aawaz sunkar Manisha kamre se bahar aayi to Rani ji ne use sab kuchh bata diya. Manisha Unhe chup karane lagi. Udhar Nishchal ne phone rakhne ke baad Savita se kaha.
Nishchal- di kya ham log sahi kar rahe hain.
Savi- Matalab.
Nishchal- Main ye kahna chahta hoon ki Sarita ke bare me Poori jankari unko honi chahiye aakhir Sarita Unki beti hai. Ham log kab tak ye baat chhupayenge unse aur mujhe ye thik bhi nahi lag raha hai.
Savi- Baat to tum sahi kah rahe ho nishu. Unko batana jaroori hai, lekin batayein kaise. mujhe kuchh samajh me nahi aa raha hai.
Nishchal- Main manisha se baat karta hoon aur use ache se samjha dunga. wo kisi tarah Waha apne mummy papa ko handle kar legi.
Raghav- Haan ye thik rahega.
Nishchal ne Manisha ko phone laga diya. udhar manisha apni maa ko samjha rahi thi. chup kara rahi thi. sath me Aanand ji bhi baithe huwe the wo bhi Rani ji ko samjha rahe the tabhi Manisha ka phone baja. Manisha ne phone uthaya.
Manisha- Yes boos.
Nishchal- Mujhe tumse ek jaroori baat karni hai. tum thoda Aunty se door ho kar mujhse baat karo.
Nishchal ki baat sunkar Manisha tension me aa gayi. Wo Apne ghar se bahar sadak par chali gayi aur boli.
Manisha- Haan main ab ghar se bahar aa gayi hoon. Kya baat hai.
Nishchal- Dekho main jo kahne ja raha hoon. use sunkar tum chillana mat. Ye baat tum logo ko jan-na jaroori hai isliye bata raha hoon.
Manisha- Aakhir baat kya hai. Didiya thik to hai na. Mummy bata rahi thi ki us dange me didiya bhi ghayal hui hain.
Nishchal- Dekho Manisha. ye sahi hai ki us dange me Sarita bhi ghayal hui hai, lekin Jis lady Inspector ko goli lagi hai wo tumhari didi hai. Abhi wo ICU mein Admit hai. main di aur Raghav Sab Abhi Hospital mein hi hain.
Nishchal ki baat sunkar Manisha rone lagi. Nishchal ne use chup karate huwe kaha.
Nishchal- Dekho Manisha Ye samay rone ka nahi hai. ye baat tumhe apne mummy papa ko bhi batani hai. unhe sambhalna hai. yaha ham Sabhi SArita ke sath hain. Use kuchh nahi hoga. Main ab phone rakhta hoon. tum Aunty aur uncle ka dhyan rakhna.
Phone par baat karke jab Manisha andar gayi to Aanand ji ne Manisha se poocha.
Aanand ji- Kiska phone tha manisha.
Manisha- Kisi ka nahi papa, ab aise hi koi wrong Numbar tha.
Aanand ji- Wrong Number tha ya tum mujhse kuchh chuupa rahi ho. Wrong Number par koi itni der baat nahi karta hai aur tumne phone uthakar Yes boss bola tha, iska matlab tum use janti ho. batao manisha baat kya hai. tumhara chehra bhi latka huwa hai aur aankho me aanshu bhi hain.
Aanand ne itna kaha ki Manisha daudkar unse lipat gayi aur rone lagi. Manisha ko rote dekhkar Rani ji use chup karane lagi aur poochne lagi ki baat kya hai. fir manisha ne sab kuchh sach sach bata diya.
Jise sun-ne ke baad to Rani ji aur Aanand ji bhi rone lage. Rani ji turant Sarita ke paas jane ki zid karne lagi. Aanand ji ne turant apne jan-ne wale ko phone kiya aur ek car ke liye bol diya.
Raat ke 10 baj gaye the. lekin kisi ko khane pine ki fikar nahi thi. Allahabad me Aanand ji, Rani ji aur Manisha aur Hospital mein Raghav, Nishchal aur Savita ki bhookh mar chuki thi. sabhi ke chehre par dukh aur pareshani chhai hui thi.
Nishchal, Savi aur Raghav OT ke bahar Waithing hall mein baithe huwe the tabhi doctor OT se bahar nikale to tino ne unhe gher liya. Savita ne poochha.
Savi- Doctor sahab, Sarita thik to hain na, use hosh aaya ki nahi. Please Doctor Sahab. Meri bahan ko bacha lijiye. pls.
Savita ne doctor se rote huwe vinti ki. doctor ne kaha.
Doctor- Ji nahi. Abhi to unhe hosh nahi aya hai, lekin Itna kah sakta hoon ki ab wo khatre se bahar hai. jaldi hi unhe hosh aa jayega.
Raghav- Kab tak hosh aayega Doctor sahab.
Doctor- Ab kab tak hosh aayega ye to main nahi bata sakta. 1 ghante bhi lag sakte hain aur 1 din bhi lag sakta hai. darasal goli bahut andar tak ghus gayi thi. Jise hamne nikal diya hai, lekin Goli kandhe ki handi mein touch ho gayi thi isliye body ko sence mein aane mein thoda samay lagega.
Nishchal- Aur koi pareshani ki baat to nahi hai na doctor sahab.
Doctor- Dekhiye Sir. jaha tak mujhe lagta hai ki Body Movement mein kuchh din tak problems aayegi. chunki goli right side ke kandhe ke paas haddi ko touch ho gayi thi to right hand ke movement mein bhi problems aayegi. lekin abhi is bare me shyor nahi hoon. ye to patient ke hosh me aane ke baad hi pata chalega ki aur kya problems ho sakti hain.
Savi- Kya ham use dekh sakte hain Doctor Sahab.
Doctor- Haan Kyon nahi. lekin 1 hours baad hi aap log unhe dekh sakte hain wo bhi door se.
Itna kahkar Doctor waha se chala gaya. Udhar Nishchal bhi Waha se hatkar Hospital ke bahar chala jata hai aur bahar neem ke ped ke paas bane huwe chabutare par baith jata hai.
Sadak ke us paar Chaai ki dukan par radeo par gana baj raha tha jo Raat ki tanhaiyo ko cheetah huwa apni taan bikher raha tha. us gane ko Nishchal khud mein mahsoos kar raha tha.
bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2
kasam chahe le lo
kasam chahe le lo khuda ki kasam
bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2
hamari gajal hai tasavvur tumhara
tumhare bina ab na jeena gawara.
tumhe yuun hi chahenge
tumhe yuun hi chahenge jab tak hai dam
bahut pyaar karte hain tumko sanam-2
sagar ki bahon mein mauje hain jitni.
hamko bhi tumse mohabbat hai uthi.
ki ye bekarari.
ki ye bekarati na ab hogi kam
bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2
ye gana bajkar band ho gaya to doosra gana shuru ho gaya jo Nishchal ko Sarita se jodne laga Nishchal us gane ko sunte huwe Kho gaya.
Kitne bhi tu kar le sitam.
hans hans ke sahenge ham.
ye pyaar na hoga kam
sanam teri kasam
ho o o sanam teri kasam.- 2
Jitna tadpayegi mujhko.
utna hi tadpegi tu bhi
jo aaj hai aarzu meri
vo kal teri aarzu hogi-2
ye Jhoth nahi sach hai sanam
sanam teri kasam
ho o o sanam teri kasam
sanam teri kasam.
Aise hi gane bajte rahe aur nishchal un gano mein khota raha. rota raha. bahut der tak Nishchal Wahi par baitha raha Tabhi uske kandhe par kisi na apna hanth rakha.
Nishchal ne Apni najre uthakar dekhi to Wo Raghav tha jo use dhoondhta huwa waha aaya tha. Raghav bhi uske bagal mein baith gaya aur bola.
Raghav- Kya baat hai dost. pareshan ho.
Nishchal- Nahi to.
Raghav- Achha beta. Ab dost se bhi jhooti bologa. ham bachpan se sath hain. tumhare chehre par har badalte huwe bhavo ko dekh raha hoon main aur samajh raha hoon ki tumhare man mein is samay kya chal raha hai. Tumhe dar lag raha hai na ki kahin tum use kho na do.
Raghav ki baat sunkar Nishchal ne uski taraf dekha, lekin bola kuchh nahi aur samne ki taraf dekhne laga. Raghav ne aage kaha.
Raghav- Tumhe pata hai maine doosri baar tumko is tarah se hairan pareshan dekha hai. ek abhi aur ek tab dekhta hoon jab Anant ji ko lekar tumhai Di ke sath tikhi bahash hoti hai. wo bhi khoob roti hain aur tum bhi khoob rote ho.. tab se lekar abhi tak maine aaj tumko us hal detha hai.
Raghav ki baat sunkar Nishchal ne fir uski taraf dekha aur koi jawab nahi diya aur jameen ki taraf dekhne laga. Raghav ne phir kaha.
Raghav- Chinta mat karo aur pareshan mat ho. tumhara pyaar haar nahi sakta. wo bahut jaldi thik ho jayegi.
Raghav ki baat sunkar Nishchal ke sabar ka bandh toot gaya aur wo uske gale lagkar rone laga. Raghav ne bhi kuchh bolna sahi nahi samjha aur Nishchal ki pith ko sahlate huwe use santvana dene laga. Raghav janta tha ki Nishchal par is samay kya bit rahi hogi isliye usne aage koi baat nahi chhedi aur Nishchal ko santvana deta raha.
fir Nishchal Raghav se alag ho gaya. dono shanti se baithe rahe Is samay raat ke lagbhag 1 baj raha tha. Tabhi Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne phone dekha to chhote miya naam flase ho raha tha. Nishchal ne phone uthaya.
Nishchal- Hello.
Manisha- Boss. Ham log yaha par aa gaye hain.
Nishchal- ( hadbadakar) Kaha par aa gayi ho.
Manisha- Matlab ki ham log Jaunpur aa gaye hai. Hospital ka address sent kaiye jaldi.
Nishchal- (chaukte huwe) Kyaa….. yaha aa gayi ho.. Achha ruko main address bhej raha hoon.
Itna kahkar NIshchal ne phone rakh diya. Raghav ne Nishchal se poocha.
Raghav- Kya huwa. Kiska phone tha.
Nishchal- Manisha ka phone tha. wo log Jaunpar aa gaye hain. hospital ka address mang rahe the.
Raghav- Hmmmmm. AB Khabar hi aisi hai ki koi bhi maan baap beti ko is hall me jankar kaise nahi aate.
Nishchal ne Hospital ka Address Whatsupp kar diya. 30 minute me hi Sarita ka pariwar Hospital aa gaya. Nishchal aur Raghav hospital ke bahar hi Unhe mile. Milne ki aupcharikta ke baad Dono Sarita ki family ko lekar andar gaye. Rani ji Andar jate hi Savi ke gale milkar rone lagi. Savi ne Rani ji ko samjhate huwe kaha.
Savi- Aap shant ho jaiye Aunty ji. Sarita ko kuchh nahi hoga. wo ab thik hai.
Rani- Ye sab kaise ho gaya. meri bachhhi.
Savi- Doctor ne kaha hai ki wo khatre se bahar hai. lekin aap log yaha par itni jaldi kaise.
Manisha- Jab Boss ne.. matlab Nishchal ji ne mujhe bataya ki didiya ko goli lagi hai to maine mummy aur papa ko bhi bata diya. mummy ne to rote rote bura hall kar liya aur yaha aane ki zid karne lagi. to papa ne car ka intezam kiya. isliye ham itni jaldi yaha par aa gaye.
Aanand- Ab main kya karta. mera bhi man tha apni beti ko dekhne ka, upar se jab ye zid karne lagi to maine bhi socha ki waha par rahkar Sarita ke bare mein sochne se behtar hai ki yaha aakar Sarita se mil lein.
Sabhi ne ICU ke bahar se hi Sarita ko dekha. Nishchal ne jakar Car wale ka payment kar diya. Sarita ko abhi tak hosh nahi aaya tha. isliye sabhi uske hosh me aane ki pratiksha kar rahe the. Isi tarah baithe baithe.
Sarita ki salamti ki prarthana karte huwe subah ho gayi. raat mein koi bhi nahi soya. Subah hone par Nishchal ne sabhi ke liye chaai, biskit aur tost lekar aaya. lekin sabne sirf chaai hi pi.
Subah ke lagbhag 9 baje ke kareeb Sarita ko hosh aaya. Jiski suchna Nurse ne aakar Unhe di.
Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..