Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Member
324
1,027
93
UPDATE- 07


Fir dono bahane kuchh der baat karti rahi. Thodi hi der me ladke wale aa gaye. Apni kshamta ke anusar Aanand ji ne poori vyawastha ki thi. Kuchh hi der mein sagai ki rashm shuru ho gayi, lekin sagai hote hote ladke walon ka munh fool gaya. Ladke ke papa to aise bartav karne lage Jaise unke ghar me kisi ki mrityu ho gayi ho.


Ladke ke papa ne Aanand ji ko alag se Baat karne ke liye bulaya. Aanand ji ke sath unke sale bhi the. Ladke ke papa ne Aanand ji se kaha.


L.Papa- Ye kya hai Aanand ji aapne to kaha tha ki aapki khatirdari me koi kami nahi rahegi aur sagai ki rasham bahut ache se hogi, lekin yahan to na khatirdari thik se hui aur na hi sagai ki rasham hi ache se hui. Jab sagai me ye haal hai to shadi me to aap mujhe loot hi loge.

Aanand ji- Are nahi bhai Sahab. Ye aap kaisi baat kar rahe hain. Main apni kshamta se jyada kar raha hoon. Taki meri beti khush rahe. Shadi me koi kami nahi hogi bhai sahab. Hamne poori koshish ki sagai me koi kami na rahne paye. Fir bhi agar koi kami rah gayi ho to aap hamko bata dijiye. Ham poori koshish karenge ki use door kar sake.

L.Papa- dekho Aanand ek to ladke ko apne sone ki janjeer nahi di. Aur aapne sagai mein paise bhi kam diye hain. Aise kaise chalega. Akhir hamne apne bete ki padhai likhai me kitna paisa kharcha kiya hai. Aur tum apni beti ke liye use phokat me apna damad banana chahte ho. Aur sath me hamare sath aaye huwe mehmano ka aapne swagat dhang se nahi kiya.

Aanand ji- ya aap kaisi baat kar rahe hain bhai sahab. Hamne apni taraf se khatirdari me koi kami nahi rakhi. bhai sahib Sagai ke liye paise aur janjeer ki koi baat hui hi nahi thi. Sagai ki anguthi ke alawa maine apni taraf se ek sone ki anguthi di hai. Waise bhi Baat to shadi ke liye hui hai moter Cycle aur 2 lakh rupye ki. Jo main shadi ke samay doonga aapko.

L.papa- Aise kaise main tumhari baat ka bharosha kar loon. Jo insan Sagai me itni kanjoosi kar sakta hai wo Shadi me kya kharcha karega. Mujhe to loot liya tumne sagai mein aur shadi mein to kangal hi bana doge tum mujhe.

S.Mama- Dekhiye bhai sahab Aap ab kuchh jyada hi bol rahe hain. Hamne apni taraf se koi kasar nahi rakhi khatirdari me. Fir bhi agar kahi kami rah gayi ho to hamko maaf kar dijiye. Aur rahi baat Shadi ke samay kiye gaye wade ki to wo ham poori tarah se nibhayenge. Jo hamne dene ke liye kaha hai wo hamm aapko denge.


Sarita ke Mama ki baat sunkar ladke ke papa gusse mein aa gaye aur unhone tez aawaz mein kaha.


L.papa- Kya jyada bol raha hoon main. Mujhe aap dono par tanik bhi bharosha nahi hain. Ab jab tak aap ladke ke liye janjeer aur 50000 Rupaye aur nahi denge. Tab tak Shadi ke baare me bhool jaiye.

S.mama- ye kya bat hui bhai Shahab. Ham aapse itne prem se baat kar rahe hain to aaap dhamki dene par utar aaye hain. Main bhi dekhta hoon ki kaise nahi karte aap shadi. Hamari bitiya koi sajawat ka saman hai kya ki jab man chaha haa kiya aur jab mann chaha na kar diya. jab ham bol rahe hain ki aapko shadi ke samay jo bhi dene ke liye kaha gaya hai wo ham donge to ab aap ki demand badhati ja rahi hai. Ye bilkul bhi sahi nahi hai.

L.papa- Aise kaise nahi denge aap. Aakhir maine apne bete ko palne aur padhai likhai par jo kharch kiya hai wo kaun dega. Aap free me mere kamaau bete ko apna damad banana chahte hain. Ya to meri baat maniye ya to ye Rishta khatam samajhiye.

Aanand ji- nahi nahi bhai sahab aisa mat kahiye. Abhi itni jaldi ye sab kaise arrange karunga main. aap hame kuchh din ka samay dijiye main janjeer aur 50000 Rupaye aapko de dunga. Lekin aap ye Rishta mat todiye. Bahut badnami ho jayegi meri samaz me.

L. Papa- mujhe ab aur koi baat nahin karni. Mujhe abhi ke abhi 50000 rupaye aur sone ki janjeer ladke ke liye chahiye. Nahi to main chala ladke ko lekar apne ghar.

Ladke ke papa ki baat sunkar aanand ji ki aankhon mein aanshu aa gaye. Unhone apni pagdi utar kar ladke ke papa ke pairon mein rakhne lage to Sarita ke mama ne unko rokte huwe kaha.

S.Mama- ye kya kah rahe hain aap jeeja ji. Ye lalchi log hain inke kadmon mein apni izzat rakhne ka koi matlab nahin hai. Itna to main bhi samajh gaya hoon ki inki najar mein paisa hi sabkuchh hai. Ab aap inki koi bhi baat nahin manenge. inki mango ko poora karke aap Sarita ke liye mushkile paida kar rahe hain.


Abhi ye sab bate ho rahi thi ki kisi ne Sarita ko khabar kar di ki Ladke ke papa aur Aanand ji me kuchh kaha suni ho gayi hai to sarita bhi sagai wale kapdon mein hi waha pahuch gayi. Jab usne poori baat suni aur apne papa ko apni pagdi ladke ke baap me pairon mein rakhte huwe dekha to uska matha bhanna gaya. Usne Ladke ke papa ko do took jawab dete huwe kaha.


Sarita- Aap kya shadi ke liye mana karenge. Main ye shadi khud tod rahi hoon. Nahi karni mujhe aap ke bete se shadi. Nikal jaiye aap abhi aur isi samay yahan se aur apne bete ke liye koi aur ladki dhoondh lijiye.


Sarita ki baat sunkar aanand ji ne usase gusse se kaha.


Aanand ji- Ye kya kar rahi ho Tum Sarita. Tum andar jao. Main baat kar raha hoon na.

Sarita- main kyon andar jaaun papa. Aur aap kyon inki baat sun rahe hain. Kyaa apne hame isiliye paal posh kar bada kiya tha ki ek din hamari wajah se in bhikhmango ke samne hanth failana pade. Main ye kabhi bardast nahi karungi ki meri wajah se mare papa ko kisi ke samne hanth fialana pade aur kisi ke shamne sharminda hona pade.

Aap hamara gurur hain papa. Abhiman hain aap hamare. Main apne gurur aur abhiman ko kisi ke samne toot-ta huwa nahin dekh sakti. Aap khud sochiye papa ki abhi meri shadi bhi nahi hui hai to inka ye haal hai. Meri shadi ho jane ke baad to ye sher ho jayenge. Aapse kuchh bhi demand kar denge. Aur aap meri Khushi ke liye inki har demand poori karte firenge. Inke pairo me gir kar royenge, gidgidayenge. Jo main kabhi nahi hone doongi.

Aurat koi sajawatt ki wastu nahi hai papa jo uski boli lagayi jaye. Are thokar marti hoon main inki Daulat aur inke bete ki naukari par. Aap meri shadi kisi gareeb majdoor se kar dena papa. Main roj kamakar kha lungi. Lekin in jaise bhikhmango ke ghar meri shadi mat kariye papa. Meri baat man lijiye papa. Apni Sarita ki baat man lijiye.

S.mama- Sarita sahi kah rahi hai jeeja ji. Ye log lalchi hain shadi ke baad agar inki koi demand ham na poori kar paye to. Aapne socha hai ki ye apni sarita ke sath kitna bura bartav kar sakte hain. Maan jaiye jeeja ji. Main Sarita bitiya ke sath hoon. Aur main bhi nahi chahta ki ab ye shadi ho.


Aanand ko bhi Sarita ki baat sahi lagi. Unhone bhi dabe man se apni sahmati de di. Ladke ke papa ko filhal aisi ummeed nahi thi ki ladki khud aakar shadi ke liye mana kar dengi. Unhone ne socha tha ki Darwaze par Sagaai toot jane ke dar se Aanand ji uski mang puri kar denge, lekin Sarita ke do took inkar ne unki ummido par pani Fer diya. Shadi toot jane ke baad ladke wale apna apna munh lekar waha se chale gaye.


Sarita ke inkar karne ke kuchh hi der me jangal me aag ki tarah charo taraf ye khabar fial gayi ki Sarita ne Shadi se inkar kar diya. fir to wahi huwa jo Aksar ladki ki shadi tootne par hota hai. Jitney munh utni baatein. Koi kah raha tha ki Sarita ne bahut Achha kiya jo Aise lalchi logo ke yaha bahu banker jane se inkar kar diya to koi kah raha tha ki ladki walo ko itna ghamand Shobha nahi deta.


Aanand ji ke padosh me ek naye pariwar ne kuchh samay pahle naya ghar banwaya tha aur wo ghar ke sabhi sadashyo ke sath waha sift hue the. Ghar ke mukhiya pulish mahakame me Inspector the. To unka man samman bhi tha. Unki patni housewife thi. Lekin muhfat thi. Kisi ke samne kuchh bhi bol deti thi. Ye bhi nahi samajh aata tha unko ki unki baat kisi ko buri lag sakti hai.


Hamesha apne pati ke inspector hone ka ghamand dikhati rahti thi. Inka beta Central bank me PO ki post par pichhle sal hi laga tha. Aur bitiya ham umar thii Sarita ki. Isliye dono me thodi bahut batchit ho jati thi, lekin wo bhi apni maa ki tarah hi thi. Padosh me rahne ke karan unko ye bhi pata chal gaya tha ki Abhishek ghar chhodkar chala gaya hai. Aur kisliye gaya hai ye bhi pata tha.


Sagai me shamil hone wo log bhi aaye the Inspector ko chhodkar. To jab unko Bhi ye baat pata chali ki Sarita ne shadi se mana kar diya hai to unhe mauka mil gaya apni baat kahne ka, lekin unhone yah nahi dekkha ki Sarita aur Manisha unke pichhe aa rahi hain. Unhone paas baithi aurat se kaha.


I.wife- Janti ho bahan mujhe to shak hai ki Is Sarita ka kahi na kahi chakkar chal raha hai. Jiske karan usne shadi se mana kar diya. nahi to batao bhala. Naukari wale ladke ko aajkal kaun mana karta hai shadi se.

Aurat- Nahi bahan aisa kuchh nahi hai tum galat samajh rahi ho bahut hi nek bachhiya hain.

I.wife- Tumhe nahi pata kuchh bhi. Ye dono upar se masoom dikhti hain, lekin andar se bahut ghagh hain. mujhe to lagta hai jisase Sarita ka chakkar chal raha hain ye wahi ladke honge. Jinko abhishek ne mara hoga. Bina ladki ki haan ke koi ladka uske baare me aise thodi bol sakta hai. Pata nahi kya sanskar diye hain Aanand ji ne apni betiyon ko. Abhishek ko pata chal gaya hoga in chakkaro ke baare me. Wo to pahle se hi gunda tha. Isliye us ladke ko pit diya.

apne bhaai se badla lene ke liye isne Abhishek ko ghar se nikalwa diya hoga. Koi sanskar nahi hain iske andar. Koi izzat nahi hai unki samaz mein. Are jiske bete aur betiyon ke ye lakshan honge uski kya izzat rahegi samaz me. Mere pati ko dekho. Kitna maan samman hai. Mere bete ko dekho bank me PO hain ye sab Achhe sanskar ka natiza hai. Mujhe dukh hota hai ki aanand ne kaise sanskar diya hain apne bachho ko. Beta gunda ban gaya aur dono betiya chritraheen nikal gayi.


Ye baat sunkar Sarita rote huwe apne kamre me bhag gayi, lekin Manisha aag babula ho gayi aur Chillate huwe bolli.


Manisha- ye kya bol rahi ho aap. Meri didiya ke charitra par itna ghatiya ilzam lagate huwe aapko sharam nahi aati. Meri didiya ganga ki tarah Pavitra hai aur aapko Meri Didiya ke charitra ka certificate dene ki jaroorat nahi hain. Aapki samaj me izzat hai. To ham log bhi aapke yahan bheekh mangne nahi jate. Aap apni izzat apne paas rakhiye.

Aap sanskar ki baat kar rahi hain. To aap apne sanskar dekhiye. Aapke yahi sanskar hain ki aap bina sachhai jane meri didiya par itna ghatiya ilzam laga rahi hain. Aap meri didiya ko kuchh bolne se pahle apni bitiya ki sachhai jakar pata kariye ki wo padhai ka bol kar bahar jati hai to padhai karne jati hain ya ladko ke sath gul chharre udane jati hai.


Mahisha ki tez aawaz sunkar bahut si aurate aur aadmi waha par jama ho gaye the. Us aurat ki beti bhi waha aa gayi thi. Jab usne apne bare me suna to wo bhi apni maa ki tarah shuru ho gayi.


Ladki- Kyo re Manisha. Kya boli tu. Tu mere bare me jasusi karti hain. Tujhe main chhodungi nahi. Meri maa sahi kah rahi hain tum dono bahne charitraheen ho. Koi izzat nahi hai samaj me tum logon ki. Bhaai gunda hai aur bahan badchalan. Are tum logo ko to chullu bhar paani me doobkar mar jana chahiye. Chalo maa yahan se aise lichado ke yahan se koi Rishta nahi rakhna hai hamko.

Anya padosi vyakti- ye tum maa beti kya bole ja rahi ho aanap sanaap. Ham log in bachhiyon ko bachpan se jante hain. In dono bachhiyo jaisa sanskari aur vyavhari. Bado ka aadar karne wali bachhiya yaha aas paas dhoodhne se bhi nahi milengi. Aur inke bete ke bare me kya janti ho tum dono. Wo shararati tha, ladai jhagda karta tha, lekin kabhi bhi kisi ladki se galat vyavhar nahi kiya usne kabhi kisi ki bahan betiyon ko gandi najar se nahi dekha.

Usne un ladko ko isliye mara tha kyonki un dono ne in bachhiyo ke bare me gandi baat ki thi. Tumhare aadmi police me hain to iska ye matlab nahi hai ki tumhare jo munh me aaye wo tum bakti jao. Tum dono ko ye nahi dikh raha hai ki us bachhi par musibato ka pahad toota hai. Uski shadi cancel ho gayi hai. Use dilasha dene ke bajay use badnam kar rahi ho tum dono. Sharam aani chahiye tum dono ko.

I.wife- ham kyon sharam kare. Hamne ya hamari beti ne kahi munh kala nahi kiya hai. Sharam to in dono ladkiyon ko aani chahiye. Jo munh kala karti firti hain. Bhalai ka to jamana hi nahi raha.


Abhi wo Aadmi kuchh aur bolta Usase pahle Aanand ji bich me bole pade.


Aanand ji- Bas kijiye aap log. Kyon meri Sarita ke pichhe pade hain aap sab. Bhagwan ke liye use Baksh dijiye Aur apne apne ghar jaiye. Jo bhi dukh aur musibat hamare upar padi hai use ham jhel lenge. Hame aap logo ki sahanubhuti ki jaroorat nahi hai. Meharbani karke aap log jaiye yahan se.


Aanand ji ki baat sunkar wo dono maa beti bhunbhunati hui apne ghar chali gayi. Uske baad dhire dhire sab paas padosh ke log unke ghar se bahar nikal gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Yaar Kya update likha Mahi Maurya ji apne ye jaha Pehle ek Baap kp majbur hota dekh bura laga
Wahi sarika ka khud yo rishte ko thukrane dekh kar laga ki har ladki main aisi himmat hone chahiye aur har pita anand ji jaisa hona chahiye jo samay rehti apni beti ki Baat mangaye
But wahi ek aur kadwa sach apne dikha diya ye padosi Maa beti ke rup mai aur yahi ek badi wajah ki ladki rishta todne se darti hai ke kahi uske charitr aur uske Baap ke parwarish par Baat na ajaye
Hum chahe kitna bhi kehle ki logon ki Baat se koi farak nahi pada par ek kadwa sach ye bhi bohut bada fark padta hai kayi log depressed hojata hai to kayi log unki baaton se bachne ke liye jo manzur nahi usey bhi manzur karlete hai
One of the best update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 09


Aanand ji se permission milne ke baad kuchh hi dino me Sarita ne Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ke liye Aawedan kar diya. Uske baad Sarita padhai me jhut gayi. Abhi 4-5 mahine pahle hi usne Post graduation ki padhai khatam ki thi to padhai se abhi uska nata toota nahi tha. Wo poore man se padhaai me jhut gayi. Jut kya gayi usne apne aapko kamre me band kar liya aur apne aapko kitabon ko samarpit kar diya.


Isi bich jab inspector apne ghar wapas aaya to use apni patni ki kartoot pata chali to use bahut gussa aaya apni patni par. Chunki inspector bhala manush tha to Usne apni patni ko Aanand ki family ke sath bura bartav karne ke karan bahut dantaa aur Aanand ji ke paas jakar aanand ji, Raani ji, Sarita aur Manisha se apne patni ke Bartav ke liye marji mangi.


Chunki Aanand ji bhale aur suljhe huwe insan the, isliye unhone Inspector ko maffi mangne se manaa kar diya.


Idhar Sarita apni padhaai mein juti hui thi. bahut hi jaroori kam hone par hi wo ghar se bahar jati thi. Dhire dhire aaspas ke logo, jinke sath Aanand ke ache sambandh the ko pata chal gaya ki Sarita Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ke exam ki taiyari kar rahi hai. Ye baat udate udate Inspector ki wife ko bhi pata lagi. Uski bhi jisase pat-ti thi usne use bataya to usne kaha.


Lady- Are suna hai ki Aanand ji ki beti ne abhi kuchh saal shadi ke liye mana kar diya hai aur Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ki taiyari kar rahi hai. Bahut Achha hai uski naukari lag jaye. Bechare aanand ji ka bojh kam ho jayega.

Ins. Wife- Itna aasan hai kya Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ki padhaii karna. Mere pati bhi iski bahut taiyari kiye the lekin huwa nahi. Aur ye kal ki laudiya chali hai iski taiyari karne. Ye Sab chonchle hain uske taki kuchh din aur rangreliya mana sake wo apne Yaar ke sath.

Lady- tum kaisi bat karti ho. Ham log use bachpan se jante hain. Wo aisi bilkul bhi nahi hai, wo bahut sanskari aur Achhi ladki hai.

Ins. Wife- Main inspector ki biwi hoon. Itna to kisi ko bhi dekh kar bata sakti hoon ki kaun kaisa hai. Wo tum logo ke samne apne sanskar dikhati hai aur bahar apne premi ke sath gulchharre udati hogi. Main ache se janti hoon in lower class logo ko. Fans liya hoga kisi ameer jade ko.

Lady- main hi bevkoof hoon jo pattharr per sir patak rahi hoon. Acha main chalti hoon mujhe bahut kam hai.


Wo lady waha se uthkar chali gayi. Inspector ki wife bhunbhunate huwe apne ghar me chali gayi. Sarita to jaise padhai ke chakkar me deen duniya ko bhul gayi thi. Uske dimag me bas 2 hi cheej ghoom rahi thi aur wo tha apne papa se kiya huwa wada. 2 sal ke samay ka wada Aur Inspector ki wife ki khari khoti.


Yahi baat apne dimag me baithakar Sarita padhai kar rahi thi. Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) form bharne ke kuchh mahino baad hi prelims ka paper ki date aa gayi. Exam ke din Sarita Raani ji ka Ashirwad lekar pariksha dene gayi. Aanand ji khud use auto par baithakar pariksha kendra par le gaye. Auto se utarne ke baad Satita ne Aanand ji ka pair chukar aashirwad liya aur andar chali gayi. Paper dene ke baad Sarita ko andaza ho gaya ki paper uski ummeed ke mutabik achha gaya tha.


Exam se wapas aane ke baad wo mains ki padhai me jut gayi. Kuchh din baad Prelims ka result aaya to wo paas thi. Sabhi gharwale Bahut khush huwe. Aise hi din gujarte rahe zindagi Apne hisab se chalti rahi. Dekhte hi dekhte Mains ki date bhi gayi. Sarita ne poora man lagakar mains ki bhi pariksha di. Mains ki pariksha bhi Achhi hi gai thi. Sarita ko poora bharosha tha ki wo paas ho jayegi.


Ab Use tension thi to Interview ki. Usne Youtube se Interview ke video dekhe. Manisha ke samne interview ki training karti. Jitna sambhav hota wo apni taraf se poora seekhne ki koshish karti thi.


Kuch mahine baad mains ka bhi result aa gaya tha aur Sarita Mains me bhi Achhe number se paas hui thi. Poora pariwar Khushi se jhoom utha. Paas padosh ke logo ko bhi jab pata chala to jo shubhchintak the unko Khushi hui aur jo Shubhchintak nahi the unko koi fark nahi pada.


Sarita ka Interview aaj se 1 Hafte baad ka tha. Wo bahut hi nervous the. Use samajh me nahi aa raha tha ki wo Interviewer ka samna kaise karegi. Inhi sari bato ko sochkar vo bechain thi. Aanand ji ne jab Sarita ki ye halat dekhi to wo Sarita ke paas baithate huwe bole.


Aanand ji - Kya baat hai beta. Tum kuchh pareshan si dikh rahi ho.

Sarita- papa mujhe interview ko lekar bahut ghabrahat ho rahi hai. Mujhe bahut dar lag raha hai papa.

Aanand ji- Isme ghabrane wali koi baat nahi hai. Aur tu kab se darne lagi. Tu to meri bahadur beti hai na. fir kyon dar rahi hai jo bhi hoga Sab Achha hi hoga.

Sarita- wo to thik hai papa lekin main interviewer ka samna kaise karungi. Maine kabhi interview face nahi kiya hai papa. Kaisa hota hai. Kya sawal pochote hain. Kuchh bhi nahi maloom mujhe.

Aanand ji- dekho beti main jyada padha likh to hoon nahin ki main isme tumhari koi madad kar paaun, lekin fir bhi Zindagi mein milne wali Thokron ne itna gyan jaroor diya hai ki main tera hausla badha sakun. Achha ek baat batao Sarita. Kya tumne kabhi Isase pahle Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ka exam diya tha kya.

Nahi na, lekin tumne than liya tha ki 2 sal ka tumhare paas jo samay hai usi samay me tumhe iski pariksha paas karni hai. Iske liye tumne kitabe jaroor padhi lekin tumhe ye nahi pata tha ki Question kaun se aayenge. Kiss type ke honge. Kitab padhkar bas hamko andaza hota hai ki isi tarah ke Question exam me ate hain, lekin kaun sa Question exam me aayega ye pata nahi rahta. Thik usi tarah tum interview ke liye Youtube par jo Interview dekhthi ho wo bas ek dhancha hai ki interview aise hota hai, lekin Question kya hoga ye usi samay pata chalega.

To jis tarah tumne Prelims Aur mains Cleare kiya hai usi tarah tum Interview bhi clear karogi. Ye mujhe maloom hai beti. Isliye tum apne man se dar nikal do.

Sarita- wo sab thik hai papa. Main poori koshish karungi apna best se best dene ki. Lekin interviewer kaise honge. Unka swabhav kaisa hoga. Wo 3-4 log bhi rahte hain waha par. To mere answer se sabko satisfaction milega ya nahi milega.

Aanand- Tumhe yaad hai beti ki jab maine tumhari mummy se tumhari shadi ke Vishay me baat kar raha tha tab tumne kya kaha tha. Ki main Abhi shadi nahi karungi. Aur mere poochne par tumne bataya tha ki tumhe do sal ka samay chahiye uske baad main tumhari shadi jisase bhi karunga tum man logi.

Us samay tumne bina dare tumko jo sahi laga tumne kaha. Thik waise hi. Interview ke samay tum bas ye samajh lena ki samne tumhara baap yani ki main baitha hoon. Kai roop me. Koi hansi wala roop, koi sanjida roop, koi majak wala roop. To ye samajh lena ki samne jo 4-5 log baithe hain wo main hoon.

To jo bhi sawal tumse poochha jaye. Bina dare aur bina hichak ke jaise us din tumne mere sawal ka uttar diya tha. Jo tumhe us samay sahi laga tha. Thik usi tarah jo bhi sawal poocha jaye.uska jo bhi uttar tumhe sahi lage. Bina dare aur bina jhijhak ke apna uttar dena. mujhe poora bharosha hai ki tum jaroor safal hogi.


Aanand ki baat sunkar Sarita ko thoda bahut hausla mila. Apne papa ki baat sunkar uske andar ek nai urja ka sanchar huwa aur wo interview ki taiyaari me jut gayi. 15 din baad interview ki date fix ho gayi. Jaise jaise interview ka din nazdeek aata ja raha tha waise waise Sarita ka confidence badhata ja raha tha.Aakhirkar wo din aa gaya jab Sarita ko interview ke liye jana tha.


Sarita subah Achhe se taiyaar hokar raani ji ka Ashirwad lene gai. Raani jii ne use Aashirwad ke sath Dahi chini khilakar bheja. Manisha ne bhi apni didiya ki safalta ke liye bhagwan se prarthana ki. Aanand ji khud Sarita ko lekar interview ki jagah gaye. Andar jane se pahle Sarita na Aanand ka pair chukar aashirwad liya to aanand ji bole.


Aanand ji- Beti ekdam bindas hokar, bina kisi dar aur jhijhak ke har sawal ka jawab dena. Mera aashirwad sada tumhare sath hai beti. Tum jaroor safal hogi.

Sarita- ji papa main poori koshishi karungi.


Itna kahkar Sarita Andar chali gayi. Aanand ji bahar Sarita ke intezar me baithe rahe. Sarita se unhone kah to diya tha jo unke man me tha, lekin wo khud nahi jante the ki interview hota kaise hain, is liye vo bhi bahar baithe nervous ho rahe the. Lagbhag chaar ghanta ke baad Sarita bahar aate huwe dikhai padi.


Sarita ka chehra kuchh utra huwa dikh raha tha. Uske aane ke baad aanand ji ne usase poocha.


Aanand- Kya huwa beti. Tumhara chehra kyon utra huwa hai.

Sarita- Papa. Main unke do sawalo ka thik se jawab nahi de pai. Mujhe lagta hai ki main fail ho jaungi

Aanand- Aise nirash nahi hote beta, jab tak Result nahi aa jata. Tab tak Safalta aur Asafalta ka Aanklan karna galat hai. Mera dil kahta hai ki tum jaroor paas ho jaoti. Chalo ab iski chinta chhodo aur ghar chale. Tumne is pariksha ke karan apne aapko ekdam samet kar rakha hai. Ab jab tak result nahi aa jata tab tak ekdam bindas hokar raho.


Fir aanand ji Aur Sarita wapas ghar ko aa gaye. Sarita ne Raani ji aur Manisha ko bhi ye bata diya ki uske paas hone ki ummeed kam hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So sarika ne apne se to khud hi bohut mehnat ke jab itne kathin exams usne pass kariye aur interview mai bhi jab apne se usne pori mehnat ki uske Baad chahe parinam kaisa bhi aye but is Baat ka satisfaction to rahega ki usne apni taraf se to pori koshish ki thi bas wahi kafi hai.
Nice update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 11


Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) me selection ke baad aaj joining ke liye Sarita ko dusre shahar jana tha. Jiske liye wo apna saman pack kar rahi thi. Manisha bhi Saman pack karne me uski madad kar rahi thi. Sath hi sath apna saman bhi pack kar rahi thi. Saman pach karte samay Manisha ki najar Sarita ke kapdo par padi to Manisha ne wah kapda uthakar Sarita ko dete huwe kaha.


Manisha- Didiya is kapde ko bhi apne bag me rakh lo. Tumhare bahut kaam aayega.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne kapde ki taraf dekha to Manisha ki hanth me ek party gown tha. Jise wah Sarita ko rakhne ke liye bol rahi thi. Sarita ne Manisha se kaha.


Sarita- Iski mujhe waha par filhal koi jarorat nahi hai. Maine pahle hi apna salwar kameez rakh li hai aur ab mera bag bhi full ho chuka hai.

Manisha- tum na ekdam pagal ho didiya. Maan lo ki waha tumhe kisi ke sath kisi party me jana pade ya kisi ke sath dinner karne ke liye jana pade to ye tumhare bahut kaam aayega.


Manisha ne shararat se ye baat Sarita ko kahi. Uski baat ka matlab samajhte huwe Sarita ne uske sir par chapat lagate huwe kaha.


Sarita- tu na apna ye chhota sa dimag jyada mat chalaya kar. Tu jo kahna chahti hai main ache se samajh rahi hoon. Lekin ek baat tu ache se jan le. Main wahan job karne ja rahi hoon police inspector ki. Kisi ke sath dinner karne nahi ja rahi hoon Samjhi.

Manisha- Are didiya. Main kaha kah rahi hoon ki tum abhi ja rahi ho kisi ke sath dinner par. Maan lijiye ki tumhare hi ofiice me koi mill gaya jo tumhe dinnar par le jana chahe to. Main to bas tumhare bhale ke liye bol rahi thi.


Manisha ne masti karte huwe Sarita se kaha. Manisha ki baat sunkar Sarita ne uska kan pakad kar umeth diya. jisase Manisha ko halka sa dard huwa. Manisha apna kan sahlane lagi. Sarita ne mahisha se kaha.


Sarita- tu apna dimag jyada mat chalaya kar Samjhi na. ab jyada bakwas na kar aur packing me meri madad kar.

Manisha- (apna kan sahlate huwe). Matlab tumhare bhale ke liye bhi nahi soch sakti. Tumhara kuchh nahi ho sakta didiya. Tum jaise thi pahle waise abhi tak ho. Apne me reserve rahne wali. Ab to apne aapko badal lo didi. Aakhir ek police officer ban gayi ho tum. Tum na ekdam aadimanav ke jamane me ji rahi ho. Deen duniya se koi matlab hi nahi hai.

Aajkal ki ladkiyo ko dekho. Ghar se sabji kharidne bhi nikalti hain to aise makup karke jati hain jaise boyfrnd se milne ja rahi hain. Bagal se bhi gujar jaye to vatavaran mahakne lagta hai. Aur ek tum ho jo agar kajal bhi laga le to bhi 72 nusk nikalti ho usme. Kab sudhrogi tum didiya.

Sarita- Dekh Manisha. Asli khoobsurti makeup aur sent lagakar tadak bhadak dikhane me nahi hai. Asli khoobsurti man ki hoti hai. Makeup sent aur tadak bhadak wali khoobsurti jitni jaldi dil par chhati hai. Usni jaldi wo dil se utar bhi jati hai. Lekin man ki khoobsurti ko failne me bhale der lagti hai lekin ek baar ye kisi ke dil par chaa jati hai to marte dum tak nahi utarti. To isliye tu apni bakbak band kar aur jaldi jaldi hanth chala nahi to tere chakkar me meri train chhot jayegi.


Sarita ki baat sunkar Manisha ne bura sa munh bana liya aur bag me saman rakhne lagi tabhi Rani ji kuchh lekar Sarita ke paas aati hai aur usase kahti hain.


Rani ji- ye lo Sarita isko bhi apne paas rakh lo. Isme namkin aur mathri hai jo maine tere liye apne hantho se banai hai.


Sarita ne dekha ki Rani ji ke hath me 2-3 dibbe the jisme namkin aur mathai the. Sarita ne rani ji se kaha.


Sarita- Iski kya jaroorat hai mummy. Aap to aise sab kuchh mere bag me bhare de rahi jaise jaha main ja rahi hoon. Waha kuchh milega hi nahi khane ko. Are mummy. Aap kyon pareshan ho rahi hain. Mera jo bhi khane pine ka man hoga main khareedkar kha lungi waha.


Rani ji- Tu nahi samjhegi Sarita. Ye ek maa ka pyaar hai. Jab tub hi maa banegi tab tujhe bhi pata chal jayega iske bare me.

Manisha- Rahne do maa. Agar didiya itna nakhra kar rahi hai to main kha lungi.

Sarita- Dekh Manisha ab tu chup ho ja. Jab se aai hai yaha bak bak kiye ja rahi hai. Agar ab ek shabd bhi aur kaha to peet dungi tujhe main.

Rani ji- Achha tum dono bas karo ab. Hamesha chuhe bolli ki tarah ladte rahte ho. Main janti hoon tum dono ek doosre ke bina nahi rah sakte, lekin sath me rahkar bhi sath nahi rah sakte. Hamesha ladte jhagadte rahte ho. Kuchh din baad jab tum dono ko ek doosre ki yaad ayegi tab pata chalega tum dono ko. Aur ye namkeen aur mathri rakh lo beti. Isme maa ke hathho ka pyar hai.


Rani ji ki baat sunkar Sarita ko apni galti ka ehsas ho gaya ki usne anjane me hi apni maa ko dukhi kar diya hai. Isliye Sarita ne Rani ji ko gale laga liya aur boli.


Sarita- mujhe maaf karna mummy. Maine ye bas aise hi bol diya tha. Mujhe maaf kar do Manisha.

Manisha- kya didiya. Tum kyon mafi mang rahi ho. Tumko satane me mujhe bada maza aata hai.

Sarita- Ruk Abhi batata hoon tujhe. Din-ba-din shaitan hoti ja rahi hai tu. Bahut pitegi mujhse tu kisi din.


Fir Manisha bhi aakar Sarita ke gale lag rayi. Aise hi dono bahne kuchh der gale lagi rahi tabhi kamre me Aanand ji aaye aur dono bahno ko dekhte huwe bole.


Aanand ji- lo ji kar lo baat. Sara pyaar dono bahane aapas me hi kar rahi hain. Are koi mujhpar bhi to dhyan do.


Aanand ji ki baat sunkar Sarita aur Manisha dono jakar Aanand ji ke gale lag gayi. Sarita ne apne paapa se kaha.


Sarita- Mujhe Aap ki bahut yaad aayegi papa. Aap mere liye sab kuchh ho. Ye maine aaj jo bhi mukam hasil kiya hai sab Aapki wajah se hi sambhav huwa hai papa. Main kaise rahungi waha Akele.

Manisha- Isiliye to main bol rahi hoon ki mujhe bhi apne sath le chalo. Main rahungi aapke sath to aapka Akelapan door ho jayega aur aapko apni bahan ke sath rahne ka mauka mil jayega.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne Uske kaan pakadkar ainthte huwe kaha.


Sarita- tujhe sath le jane se badhiya hai ki main akele hi waha par rahu.

Manisha- dekho na papa. Didiya mera kaan kheech rahi hai.


Aanand ji dono bahanon ka pyaar dekhkar bahut khush the. Unhone dono ke sir par pyaar se hanth ferte huwe kaha.


Aanand ji- Bhagwan kare tum dono ka ye pyaar hamesha bana rahe. Sarita beti ab to tum Inspector bitiya ho gayi ho. Mujhe tum par bahut garv hai beti. Tum wahan man lagakar kam karna. Koi shikayat ka mauka mat dena apne Senior Officers ko.

Sarita- Aap bilkul bhi befikar rahiya papa. Aapko shikayat ka koi mauka nahi doongi. Main wo kaam karungi ki log bolenge ki beti ho to Aanand Joshi ki beti ki tarah ho.

Aanand ji- Bhagwan kare tujhe har janam me meri beti hi banaye. Tumhare jaisi guni beti pakar mera naseeb hi khul gaya Sarita.


Ye kahte huwe Aanand ji ki aankho me pani aa gaya. Jise Sarita ne saf karte huwe kaha.


Sarita- Ye kya papa. Aap agar rone lagenge to main kamjor pad jaungi. Aap hi to mera hausla ho papa. Kam se kam mujhe jate huwe hanskar vida kariye. Aur waise bhi aap rote huwe bilkul bhi Achhe nahi lagte.

Aanand- Achha meri maan. Jaisa tum kaho.


Manisha badi der se Sarita aur Aanand ji ki bate sun rahi thi. Jise sunte huwe bo aanand ji se boli.


Manisha- Ye kya papa Aap sara pyaar didiya ko de rahe hain, jabki meri taraf dekh bhi nahi rahe hain.

Sarita- to kya huwa. Mere chale jane ke baad ghar me tu hi to rahegi. Tab lena papa ka pyaar tum. Abhi mujhe papa ka pyaar chahiye.

Manisha- Nahi mujhe chahiye.

Sarita- Nahi mujhe chahiye.

Dono bahano ki tu tu main main fir se shuru ho gayi. Aanand ji aur Raani ji khade huwe apni betiyon ke is nishwarth prem ko dekh rahe the. Thodi der dekhne ke baad Aanand ji ne kaha.


Aanand ji- Bas Bas. Shant ho jao tum dono. Jab dekho tab kutte billiyon ki tarah ladte- jhagadte rahte ho. Chalo shant ho jao tum dono.

Manisha- Ek baat kahni thi aapse papa. Mujhe bhi jana hai didiya ke sath.

Sarita- Tum kyon sath chalogi. Tum yahi rahkar chupchap apni padhai karo. Kahi jane ke jaroorat nahi hai.

Manisha- Nahi mujhko jana hai to jana hai. Agar mujhe sath nahi le chalogi to main tumhe bhi jane nahi doongi.

Raani ji- tujhe jane ki kya jaroorat hai. Sarita thikk kah rahi hai. Tu chupchap apni padhaai kar.

Manisha- Main jaungi to jaungi. Nahi to main didiya ko bhi nahi jane doongi.


Manisha ne apni jid pakad li thi. Wo kisi ke samjhane se nahi maan rahi thi. To Aanand ji ne kaha.


Aanand ji- Jane do na Bhagyawan 5-6 din tak rahegi fir chali Aayegi. Waise bhi Sarita ko bhi kuchh company mil jayegi.

Raani ji- Ye aap dono ki pahle se hi milibhagat thi ya Abhi ye plan bana hai.

Manisha- ye pahle ka hi plan tha tabhi to maine pahle hi apna bag pack kar liya hai. Ye dekho.


Itna kahkar Manisha ne apna bag Raani ji aur Sarita ko dikhane lagi. Bag dekhne ke baad Sarita na kaha.


Sarita- Tu na bahut hi shararati ho gayi hai. Mujhe bhi is baat ka pata nahi chalne diya kitu bhi sath me chal rahi hai.

Aanand ji- chalo ab tum dono khana khakar so jao. Kal subah jaldi nikalna hai. Main tum dono ko khud lekar chalunga Satation Chhhodne.


Uske baad sabhi ne khana khaya aur sone ke lie apne bister par chale gaye. Subah sab jaldi Se uthkar jane ke liye taiyaar hone lage. Kuchh hi der me Aanand ji, Raani ji, Manisha aur Sarita Auto me baithkar Aallahabad junction pahuch jate hain. Train aane me abhi kuchh minto ka samay tha to Raani ji Sarita ko Samjha rahi thi.


Raani ji- Sarita beta. Waha pahuch kar ache se rahna. Roj mujhe phone karna. Koi bhi samasya aaye to batane me bilkul bhi mat hichkichana. Paise ki jaroorat pade to turant batana. Apna poora khayal rakhana. Samay par khana kha liye karna. Man lagakar apna kam karna.

Aanand jj- Are bas karo bhagyawan. Beti police Inspector ban gayi hai. Koi bhi samasya aane par wo khud hi nipat sakti hai. Log uske paas apni samasyaon ko lekar aayenge. Aur tum use bol rahi ho ki koi samasya ho to wo tumhe bataye.

Raani ji- Aap nahi samjhenge. Main maa hoon uski.

Manisha- to kisne kaha ki aap didiya ke papa hain. Aur waise bhi aap didiya ki bilkul bhi chinta mat kare. Main sath me ja rahi hoon. Main sab samjha doongi inko.

Raani ji- Chup kar besharam ladki. Kuchh bhi bolti rahti ho. Tumhare jane se hi meri chinta badh gayi hai. Tum dono ghar me kitna utpaat machati ho. Waha pata nahi kaise rahogi tum dono.


Abhi sab aapas me baat kar hi rahe the ki train aakar platform par lag gayi. Sarita aur Manisha ne Aanand ji aur Raani ji ke pair chhookar aashirwad liya aur train me chadhkar baith gaye. Raani ji abhi bhi train ke bahar khadi hokar khidki se Sarita ko kuchh na kuchh bate samjhaye ja rahi thi.


Train ne doosra horn baja diya tha aur dhire dhire train platform se aage ki taraf rengne lagi. Aanand ji, Sarita Raani ji aur Manisha ki aankho me aanshu aa gaye. Aaj pahli baar aisa ho raha tha ki jab Sarita apne ghar se kahi door ja rahi thi. Dhire dhire tain platform ko chhodkar apne gantavya ki taraf ravana ho gayi.



Iske Aage ki Kahani Agle Bhag mein..
Sarita ne apne naye jiwan ki taraf apne kadam bada diye akhir uski mehnat raang layi aur wo ek police officer banne ja rahi hai
Rani ji kaa to khane ke dibbe dena batata hai ki ek Maa to akhir Maa hi hoti hai chahe usey pata ho ki waha agar usey kuch khana ho to wo khud bhi kha sakti hai kharid kar par Phir bhi ek chinta rehti ki kahi wo na khaye.
Dono behno ke bich ka Pyaar sach mai gazab hai na dono ek dusre ke bina reh sakti hai aur jab sath hoti hai to ladti rehti hai.
And ab shayad sarita Phir se apne bhai ki talash karne niklegi kyunki ab wo us profession mai hai jaha se usey apne bhai ko dhundne mai madad milegi.
Marvelous update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 12


Jaunpur Ek historical city hai. Jo Allahabad se 90 Km. door aur banaras se 60 Km pahle gomti nadi ke kinare basa hai. Jiski neev mohammad bin tuglak (Juna Khan) ki yaad me Uske chachere bhai Firoj Shah Tuglak ne rakhi thi. Sarita ki first posting isi shahar me hui thi.


Lagbhag 2.5-3 ghante ke safar ke baad (is root par express train bhi passenger train ki tarah chalti hain) dono bahane Jaunpur pahuch gayi aur ek hotel cum lodge me karma le liya aur apna saman rakh kar fresh hone ke baad aaram karne lagi. agle din office jane ke bad hi kiraye par kamra lene ke liye staff ke kisi member ko bol sakti thi Sarita ya fir office ki taraf se rahne ki koi vyawastha ho sakti thi. Thodi der aaram karne ke baad dono bahne uth gayi. Manisha ne sarita se kaha.


Manisha- Chalo na didiya. Kahin bahar ghoomkar aate hain.

Sarita- bahar kahan jayenge ghumne. Abhi ham is shahar me naye hain. Kuchh jante hi nahi hain iske bare me to kahan ghumne chale.

Manisha- Are jab bahar nikalenge to hi is shahar ke bare me janenge. Aur chalo isi bahane kuchh kharidari bhi kar lete hain.

Sarita- bas padhai likhai me dhyan dene ke bajay tum in sabpar jyada dhyan deti ho. Yahi karne ke liye aayi ho kya mere sath.

Manisha- Kya didiya. Tum bahut niras Prani ho. Tumhare andar koi utsah hi nahi hai. Main to ye tumhare liye bol rahi thi. Lekin tum to naraz ho jati ho.

Sarita- Chal ab jyada natak mat kar. Mujhe pata hai ki ye sab tum mere liye nahi apne liye kar rahi ho. Chal jaldi se taiyar ho ja. Fir chalte hain.

Manisha- Aap kitni achhi ho didiya. Mujhe kitni achhi tarah se samajhti ho.


Itna kahkar Manisha ne Sarita ko gale laga liya aur washroom me chali gayi. Thodi der baad dono taiyar hokar niche aa gayi. Dono kamre se bahar Aai aur reception par baithe ladke se poocha.


Manisha- yahaan aas paas koi kapde ki dukan hai kya bhaiyaa.


Itni sundar ladki ke munh se bhaiya sunkar ladke ko bilkul bhi achha nahi laga. Usne ghoorkar Manisha ki taraf dekha aur dhire se kaha.


Ladka- Yahan se ek KM. aage ek market hai. Jahan aapko kapde mil jaenge.


Dono lodge se bahar aai to Sarita ne riksha karna chaha. Manisha ne mana karte huwe kaha.


Manisha- Kya didiya. 1 KM ke liye bhi riksha. Aisa raha to mujrimo ko kaise pakdogi. Rikshe se. hahaahahaha..

Sarita- Ab jyada dant mat dikha. Main to tere liye riksha kar rahi thi. Nahi to mujhe paidal chalna achha lagta hai.


Dono bahane paidal hi market ki taraf chali ja rahi thi. Halke fluke makeup me bhi dono bahane bahut khoobsurat lag rahi thi. Aaspas se gujarne wale un dono par ek najar dalne par majboor ho jate the. Thodi der me dono market me pahuch gai. Market me bahur bheed thi. Road side par kuchh dukane lagi thi kapde ki to dono bahane usme se kapde dekhne lagi. kuchh kapde kharidne ke baad Manisha ne kaha.


Manisha- didiya Chalo na us undar garments ke dukan me. Waha se kuchh le lete hain.

Sarita- tujhko lena hai to tu ja. Main yahi bahar intezaar karti hoon.


Sarita ki baat sunkar Manisha dukan ke andar chali gayi. Sarita bahar khade hokar waha ka najara karne lagi. tabhi use aise laga ki uski kamar ko kisi ne chhuwa hai. Sarita ne turant pichhe mudkar dekha to 26-27 sal ka ek lamba chauda , Achhi personality, dekhne me ekdam hero jaisa raubdar ladka aankho me bada sa goggles lagaye phone par kisi se baat kar raha tha.


Sarita ne aav dekha na tav, bina kuchh pooche kheechkar ek thappad use rasid kar diya. Thappad itna jordar tha ki uska mobile hath se chhutkar aur goggles aankho se nikalkar jameen par gir pada. Logo ki najar unki taraf uth gayi. Sarita gusse se fufkarte huwe boli.


Sarita- teri himmat kaise hui mujhe hanth lagane ki sale. Main tum jaise ladko ko achhi tarah se janti hoon, jaha kahi bhi koi ladki dekhi nahi ki lar tapkana shuru kar dete hain. Lekin tumne is baar galat ladki se panga liya hai. Tum jaiso ko sudharna main achhi tarah se janti hoon.


Thappad khakar ladke ka dimag chakra gaya. Usne gusse se Sarita ko dekhte huwe kaha.


Ladka- teri himmat kaise hui mujhpar hanth uthane ki. Agar tum ladki na hoti to main tere us hanth ko todkar doosre hanth me de deta.

Sarita- tune jo harkat ki hai uske liye tujhe thappado se nahi. Sandal nikal kar pitna chahiye. Ye to shukar manao ki main ache mood me hoon. Isliye ek hi thappad mara. Agar mera dimag ghoom gaya to apni sandal utarkar teri pitai karungi. Dekhne me to shareef ghar ke lagte ho, lekin tumhari harkate chhichhoro ki tarah hain. Tere ghar me maan bahan nahi hain kyaa.


Sarita ki baat sunkar us ladke ko bahut gussa aa raha tha. Uska chehra gusse se laal ho gaya tha market me lagbhag adhiktar log us ladke ko jante the. Wo soch rahe the ki is ladki ne bewajah hi us ladke se panga le liya. Ladke ne apni muthhi bheej kar apne gusse ko control karte huwe kaha.


Ladka- tu apni had paar kar rahi hai ladki. Main kuchh nahi bol raha hoon. Isliye tu kuchh bhi bake ja rahi hai. Tujhe pata bhi hai main kaun hoon. Main ek police officer hoon.


Abhi ladke ne itna hi kaha tha ki uske doosre gaal par bhi ek jordar tamacha pad gaya. Jise Sarita ne hi mara tha. Sarita gusse se funfkarte huwe boli.


Sarita- teri himmat kaise hui police ko badnam karne ki. Ek to aisi chhichhori harkat karta hai aur upar se police ka naam lekar unhe badnam karta hai. Agar dobara police ka naam liya to main tera khoon pi jaungi kamine.


Un dono ki tu tu main main itni badh gayi thi ki aas paas ke log bhi unke paas jama ho gaye the. Bahar ho rahe shor ki aawaz sunkar Manisha bhi dukan se bahar aa gayi. aur wo Sarita ko kheechkar waha se le jane lagi, lekin Sarita bahut gusse me thi. Wo waha se jane ka nam hi nahi le rahi thi, badi muskil se Manisha use waha se lekar chali gayi. Raste me Manisha ne Sarita se kaha.


Manisha- Kya jaroorat thi us bechare ko thappad marne ki. Tumhe faltu ke pange lene me jyada maza aata hai kya. Bechare ka thobda suja diya hai tumne.


Sarita Manisha ki baat sunkar use gusse se ghoorti hui boli.


Sarita- tu to chup hi kar. Wo tujhe Bechara dikh raha tha, Agar tu bich me na aati to main uska munh tod deti. Main ache se janti hoon in jaise ladko ko. Wo janta nahi hai mujhe. Sarita joshi naam hai. Usne galat ladki se panga liya hai.

Manisha- mujhe kyon bata rahi ho aap ye. Tum na didiya. Kuchh jyada hi over react kar rahi ho. Dekha nahi tumne. Market me kitni bhid thi. To galti se hanth lag gaya hoga uska. Kam se kam ek baar pooch to lena chahiye tha, lekin nahi. Jama diya usko thappad. hamesha gussa nak par liye ghoomti rahti ho. Bechare ka gal lal ho gaya tha. tumhare hantho ke Nishan chap gaye honge uske gal par. Tumne mara hi itni jor se tha us ladke ko.

Sarita- Achha tu jyada chamchi na ban uski. Tujhe bada dukh ho raha hai usko lekar. Ye sab teri wajah se huwa hai. Na main tere kahne par market aati aur na hi ye sab hota. Mil gayi santusti tujhe.

Manisha- maine kya kiya didiya. Mara to tumne use hai. Achha ab gussa thook do aur shanti ke sath kamre me chalo. Aaj ka din hi kharab gaya.


Dono bahane bate karte huwe fir se lodge me aa gayi aur apne kamre me chali gayi. Udhar market me wo ladka apni badi bahan Savita, jiski umar is wakt 30 varsh ki ho gayi thi, ke sath aaya tha. Jo doosri dukan par kuchh saman khareed rahi thi aur Usne donon ki bahas hote dekh liya tha. Jab tak wo aati. Manisha Sarita ko lekar nikal gayi thi. Usne aate hi ladke se poocha.


Savi- Kya huwa. Wo ladki tujhpar itna kyon chilla rahi thi. Kya kiya tha tune. Jo wo tujhpar itna kyon bhadak rahi thi. Aur tere dono gall kyon lal hain.


Ladka- Kuchh nahi di. Koi sanki ladki thi. Jo bina matlab mujhse ulajh rahi thi.

Savita- lekin tere gaal kyon lal ho gaye hain. Aakhir huwe kya tha yahaa par.


Apni didi ki baat sunkar ladka thoda sharminda ho gaya aur Apni gardan jhukakar haklate huwe dhire se bola.


Ladka- wo kya hai na dii. Wo ladki thoda pagall thii. Usne mere donooo gall lall kar diye. Ek number ki sanki thi wo ladki.


Ladke ki baat sunkar Savita ko bahut Aacharya huwa. Aaj tak kisi ladki ki himmat nahi hui thi ki wo uske bhaai se unchi aawaz me baat kare. Yaha to us ladki ne uske bhai ko thaappad mar diya. Savita ne Aashcharya jatate huwe kaha.


Savi- Kyaa. Kyaa kahaa tumne. Us ladki ne tumhe thappad maraa. Mandal Adhikari (Circle Officer City) ko thappad mara. City Circle Officer Nischal Singh Rathod ke upar Hath uthaya. Poore City me kisi ki himmat nahi hai ki Tujhse najar milakar baat kare. Aur us ladki ni tujhe thappad maar diya. ye baatt kisi se bhi bhool kar bhi mat kah dena. Nahi to tumhari badi fajihat ho jani hai.



(Ji haan ye mahashay Nishchal Singh Rathod. Rathod khandan ke eklaute warish. Arabo ki milkiyat hai iske papa Shri Mahendar Singh Rathod ke paas. Kai karkhane aur Factoriya hain Mahendra Singh Rathod Ke paas. Kanpur mein Inke naam ki tuti bolti hain. Mahendra Singh Ke laakh kahne ke baad bhi Nishchal ne Patrik Karobar mein koi ruchi nahi dikhayi. Uske Sir par bachpan se Desh Seva ka dhun sawar tha, Kyonki Nishchal ke dada Ji Swatantrata Senani rah chuke the. To ye apne dada ke naksekadam par chal nikle. Police mahakmein mein Inki Imandari aur bahaduri ke charche the. Apne collegue se dosto jaisa vyavhar karte the. Inke do khaas bande the Mohit Sharma Aur Jawed Akhtar. Jinke bare mein aapko aane wale kuchh bhago mein pata chalega. To ab aate hain kahani par)


Nishchal- Kyaa dii Ab Aap bhii meraa majaak uda rahi hain. Jaiye main baat nahi karta aapse.

Savi- main majaak nahi sach kah rahi hoon. Ek ladki ne tujhe thappad maraa. Mera matlab hai ki maine pahli baat itni tez tarrar ladki dekhi hai jisne Circle Officer ko hi thappad jadd diya.


Itna kahkar Savita hansne lagi. Nischal singh ko badi sharmindagi mahsoos ho rahi thi. Wo apni didi se kahta hai.


Nischal- Ab chalo bhi di. Aapki shoping to ho hi gayi hai ab. Wo koi sirfiri ladki hogi di.

Savi- (dhire se) Aur teri pitai bhi.

Nischal- Kuchh kahaa aapne di.

Savi- Nahi Nishu maine to kuchh nahi kaha.


Itna kahkar Savita muskurate huwe aage badh gayi. Nishchal ko ye dekhkar bahut gussa aa raha tha. Wo man hi man soch raha tha ki agar kabhi mauka mila to wo iska badla jaroor lega. Wo us ladki ko sabak jaroor sikhayega



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So finally Nishchal ke darshan hogaye ab to Naina ji bohut khush hogi akhir unka favourite character jo hai
And Mahi Maurya ji abhi tak to maine pore updates nahi pandey but agar sarita ko bacha huwa hai ya in future is kahani mai kisi ka bhi bacha hoga to unka Naam chirag ladke ka hona chahiye agar ladki hai to arshi 😅
Yaha sarita ne Nishchal ko thappad to rasid diya but kya hoga jab uski mulakat police station mai usse hogi
Overall good update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 13


Udhar dono bahane lodge me pahuchti hain aur apne kamre me jakar saman rakhkar fresh hoti hain Sarita ka moodh abhi bhi usi baat ko lekar ukhada huwa tha. Manisha usase baat kar rahi thi aur wo haan hoon me hi jawab de rahi thi. Jise dekhkar Manisha jan gayi ki uski bahan ka mood abhi bhi kharab hai to wo hansi majak karne lagi lekin Sarita ka mood waise hi raha. Jise dekhkar Manisha ne kaha.


Manisha- Ye kya hai didiya. Kab se dekh rahi hoon ki aap usi baat ko lekar abhi tak baithi hui hain. Jo ho agyaa so ho gaya. Waise bhi galti aapki hi thi. Us bechare ko thappad marne se pahle ek baar sochna chahiye tha ki market mein kitni bhid thi, galti se hanth lag gaya hoga, lekin nahin use thappad bhi mara aapne. Fir bhi aapka man nahi bhara abhi tak.

Sarita- tu jyada uski wakeel mat ban. Tune mujhe roka na hota to aaj main uska wo haal karti ki wo kisi ladki ki taraf aankh uthakar bhi na dekhta dobara.

Manisha- Achha baba. Mujhe maaf kar do. Ab to chill karo na didiya. Aap use itni siddat se yaad kar rahi hain kahi wo Bechara hichki se hi na mar jaye. Aapki ye aadat bahut hi kharab hai. Kisii ek cheez ke pichhe pad gayi to uska pichha hi nahi chhodti aap.


Manisha ne ye baat muskurate huwe kahi thi. Jise sun-ne ke baad Sarita ne use gusse se dekhte huwe kaha.


Sarita- Usee yaad kare meri juti. Ab tu jyada apni bak bak mat kar. Aur chupchap baith ja.

Manisha- thik hai meri maa. Aap se to baat karna hi bekaar hai.

Sarita- Mujhse baat mat kar. Apni kitab nikal kar padhai kar pahle.


Iske baad Manisha kuchh nahi boli aur apni kitab nikal kar padhaai karna lagi. Raat me dono ne khana khaya aur so gaye. Agle din subah tadke Sarita uthi. Aaj uske office ka pahla din tha Aur Aaj use office Join bhi karna tha to wo apne office ke pahle hi din late nahi hona chahti thi, isliye wo uthane ke baad jaldi jaldi bath lekar taiyaar hone lagi. Manisha uske liye nashta lekar aayi aur boli.


Manisha- bahut hi pyaari lag rahi ho didiya. Aaj tumhare office ka pahla din hai to jaldi se nashta karke office ke liye nikal jao. Pahle din hi meri inspector didiya late nahi honi chahiye.

Sarita- haan sahi kah rahi hai tu Manisha. Main pahle din hi office me late nahi hona chahti hoon. La jaldi se mujhe nashta de.

Sarita jaldi jaldi nashta karke Manisha ko Achhe se rahne ki hidayat dekhar apne office ke liye chali gayi. Jab Sarita waha pahuchi to uska jordaar swagat kiya gaya. Uske joining ki khabar kisi ko nahi thi ki wo kis din aakar join karne wali hai. Isliye koi khas taiyari nahi ki gayi thi, lekin uske office pahuchne par uska jaisa swagat kiya gaya tha.


Use dekhkar use aisa lag raha tha ki wo is jagah par pahli baar nahi aayi hai. Sarita ko office ke sabhi logo se introduce karwaya gaya. Sarita se Senior bas ek hi officer the, Rawat sir. Baki sabhi officers/officials usase junior hi the. Ye alag baat hai ki umar ke hisab se bahut sare officer/official usase bade the, lekin Job me umar nahi post badi hoti hai.


Sarita ke niche kaam karne wale jo staff the usme sub-inspector Mohit Sharma, Ranjna, vikas Kumar Aur Jawed Akhtar the. Aur Assistant Sub- Inspector janhavi, Kushal aur Amit the. Sarita ne sabhi Staff se prem purvak mulakat ki aur apne kaam me lag gayi. Poora din wo apne kabin me kaam karti rahi. Chhutti hone par wah Lodge chali gai.


Isi tarah do din gujar gaya. Police Station me Sarita poora man lagakar apna kam karti thi. Uska man bhi police station me lagne laga. Police Station (PS) me sabhi uske sath Acha bartav karte the aur wah bhi sabhi ke sath achha vyawhar karti thi.


Do dino me Sarita ne sab ke man me apni ek alag pahchan bana li thi. Sarita ko office ki taraf de uska uniform aur rahne ke liye quarter de diya gaya. Sarita ne Chhutii hone ke baad lodge se apna sara saman apne quarter me sift kiya aur Apne quarter me aa gayi. Quarter par aane ke baad Sarita ne Manisha se kaha.


Sarita- Manisha. Ab tum apna saman pack kar lo. Kal tum ghar ke liye nikal rahi ho na.

Manisha- Abhi kahan didiyaa. Kam se kam 2-3 din to aur rahne do.

Sarita- Nahi bahut rah liya tumne mere sath. Ab chupchap ghar jao aur man lagakar padhaaii karo. Tumhe Indian Administrative Service (IAS) ki taiyari karni hai. Jiske liye bahut mehnat karni padegi. Lekin tum ho ki padhai me dhyan hi nahi deti ho.

Manisha- Itni mehnat ka kaam mujhse nahi hoga didiya. Ye padhai likhai mere bas ki baat nahi hai. Main to bas ek cleark ki bhi naukari pa jaungi to usi me khush ho jaungi. Mera itna bada sapna nahi hai didiya tumhari tarah.

Sarita- Bas Bas. Tumse jab bhi padhai likhai ki baat karo to tumhari bak bak shuru ho jati hai. Tumhare isi negative thought ki wajah se tumhara kuchh nahi hone wala. Kabhi to meri baato ko seriously le liya karo. Har samay masti majak karna sahi nahi hota. kabhi to meri baat man jaya kar.

Manisha- Are meri pyaari didiya. Ye IAS, PCS, Doctor, Engineer ki padhaii mere liye nahi bani hai. Main to ek achhi teacher ban-na chahti hoon. Taki tum jaise kitne logo ko IAS, PCS, Doctor aur Engineer bana saku. Bas main uthi hi padhai karungi.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne apna mata pit liya aur boli.


Sarita- tumse to baat karna hi bekar hai. Tumse baat karne ka matlab hai patthar par apna sir patakna. Tumhara is janam me kuchh bhi nahi ho sakta hai.

Manisha- main to sone ja rahi hoon ab tum bhi so jao didiya. Tum bhi din bhar kaam karke thakk gayi hogi na.

Sarita- Nahi tum so jao. Mujhe abhi kuchh der padhai karni hai. Uske baad main bhi so jaungi

Manisha- Offfooo didiya. Tum aur tumhari padhaii. Kitni jyada padhai karti ho tum. Chacha chaudhari ban-na hai kya tumko.

Sarita- Ab ye kaun si bala hai yaar.

Manisha- Kyaa. Aapko chacha chaudhari ke bare me nahi pata. Use to sab jante hain. Isiliye main kahti hoon aapse ki kabhi apni padhai ki kitabo ko chhod kar kuchh aur kitabe padh liya karo.

Sarita- Apni bakwas band kar aur ye bata ye chacha chaudhari kaun hai.

Manisha- Are didiya. Wo comics ke chacha chaudhari aur Sabu hain na. jinka dimag computer se bhi tez chalta hai. Main unhi chacha chaudhari ki baat kar rahi thi.

Sarita- Bas tumhara dimag inhi sab me lagta hai. Agar itni dhyan se tum apne subject ki padhai karo to IAS, PCS clear kar sakti ho.

Manisha- Mujhse ye sab nahi hoga. Aap hi padhiye apne Vishay ki kitab ko. Main ja rahi hoon sone. Good night didiya.


Sarita bhi use good night wish karti hai aur padhne baith jati hai. Lagbhag 1 hours padhai karne ke baad wo apni kitab band karti hai aur so jati hai.


Subah uthkar phir se wahi routine follow karti hai. Aaj Sarita ne apni police ki dress pahni thi. Manisha jab nashta lekar aati hai to apni didiya ko khaki rang me dekhkar kahti hai.


Manisha- didiya. Ye khaki rang tum par bahut jach raha hai. Tum bahut hi pyaari inspector Sahiba lag rahi ho. Kahin tumko meri najar na lag jaye.


Sarita Manisha ki baat sunkar Aatmvishwas ke sath kahti hai.


Sarita- Is khaki ko pahankar mujhe garv ka Anubhav ho raha raha hai. Ise pahan kar mujhe apni jimmedari ka bakhubi Anubhav ho raha hai. Main bhagwan se yahi prarthana karti hoon ki main apne kaam ko poori imandari aur nishtha ke sath karu. Mujhse nyay karne me kabhi koi galti na ho. Main har us insan ki madad kar saku jo sahi ho. Jo mere paas apni samasyae lekar aaye. Tumm bhi mere liye prarthana karna Manisha.

Manisha- ye bhi koi kahne ki baat hai didiya. Main to tumhare liye hamesha prarthana karti hoon. Aur mujhe ache se pata hai ki tum apni jimmedari bahut ache se nibhaogi aur sabke sath nyay karogi. Ab chalo jaldi se nashta karke office jao nahi to der ho jayegi.


Manisha ke kahne ke baad Sarita ne Manisha ke sath milkar nashta kiya aur use phir se padhne ki hidayat dekhar apne office chali gayi. Sara din office ka kam karti rahi. Jo bhi usase baat karta unse prem se baat karti aur sham ko office se apne kamre par wapas aa gayi. Agale din Sarita ki chhutti thi aur Manisha ko bhi ghar wapas lautna tha.


Subah Sarita na Manisha ko Station par Allahabad jane wali train par baitha diya. Dono bahano ki aankho me aanshu the. Aaj pahali baar wo itne dino ke liye ek doosre se bichhad rahi thi. Manisha ne dabdabai hui aankho se Sarita se kaha.


Manisha- Didiya. Mujhe nahi jana ghar. Mujhe tumhari bahut yaad aayegi.

Sarita- tujhe kya lagta hai main tumhare bina yaha par rah paungi, mujhe bhi tumhari bahut yaad aayegi, lekin tumhe ghar jana hoga. Kyonki waha par mummy papa akele hain. Tumhe unke sath rahkar unka hausla badhana hai.

Manisha- mujhe roj phone karna didiya. Mujhse roz baat karna. Agar tumne mujhse roz baat nahi ki to main chali aaungi yaha par tumhare paas.

Sarita- thikk haiii. Main tujhse roz baat karungi. Ab apne aanshu saff kar le. Tu rote huwe bilkul bhi achhhi nahi lagti.


Tabhi train ne doosri sity bajai aur platform se rawana hone lagi. Manisha ne khidake se kaha.


Manisha- apna khyal rakhna didiya aur mujhe roz phone karna.

Sarita- tum bhi apna aur mummy papa ka khayal rakhna.


Train ke chale jane ke baad Sarita apne kamre par wapas aayi aur khana khakar so gayi. Aaj ka din Sarita ka udasi bhara gujra Manisha ke chale jane ke baad. Raat me khana khana khane ke baad jab Sarita leti to use thikk se neend nahi aa rahi thi. Aadhi raat tak karwate badalti rahi. Jab use neend nahi aai to usne Manisha ko phone kar diya. Itni rat ko Manisha Sarita ka phone dekhkar hadbada gayi aur jaldi se phone uthakar boli.


Manisha- Hello. Didiya. Kya baat hai tum thik to ho na. kuchh huwa to nahi hai na tumko.

Sarita- Are nahi. Main bilkul thik hoon. Mujhe kuchh bhi nahi huwa hai. Bas neend nahi aa rahi thi to socha tumse thoda baat kar loon.

Manisha- main to dar gayi thi didiya. Itni raat me tumhara phone dekhkar.


Iske baad dono bahane kuchh der aise hi baat karti rahi. Sarita ko ab achha mahsoos ho raha tha. Thodi der baat karne ke baad Sarita ne phone rakh diya aur sone ko koshish karne lagi. thodi der me hi use neend aa gayi. Der raat sone ke karan uski neend der se khuli.


Wo raat me alarm lagana bhol gayi thi. Wo jaldi se bathroom me ghus gayi aur jaldi jaldi nahadhokar bahar aayi. Thoda bahut nashta banaya. Khaya aur police station (PS) ka liye nikal gayi. Jab wo PS pahuchi to waha ka mahaul sab kuchh shant shant tha. Poore PS me sannata pasra huwa tha. Sabhi apni apni tabal par chupchap baithkar kaam kar rahe the. Sarita ne janhavi se poochaa.


Sarita- Kyaa baat hai Janhavi. Aaj PS ka mahual bahut shant hai. Sab log itne chupchap hain koi baat ho gayi hai kyaa.

Janhavi (fusfusate huwe). Wo DSP (Circle Officer City) Sir ne Aaj idhar ka round laga diya hai. Kitne logo ki claas laga di hai unhone aaj. Wo aapke baare me kai baar puchh chuke hain.

Sarita- Achha ye batao DSP Sir ka Swabhav kaisa hain. Matlab wo gusse wale to nahi hain na.

Janhavi- madam. DSP sir gusse wale to nahi hain. Sabse Achhe se baat karte hain, lekin wo anushashan priy hain. Agar kisi se galti hoti hai to wo use chhodte nahi hain. Mujhe to lagta hai ki aaj aapki bhi khair nahi hai madam aap bahut late office aayi hain. Wo to ham logo ke aane se pahle hi PS aa gaye the. Aur aapke cabin main baithkar aapka intezar kar rahe hain.


Janhavi ki baat sunkar Sarita ko ye ehsaas ho gaya ki aaj dant to pakka padegi. Usne man me socha ki meri to kismet hi kharab hai. Roj samay se office aati thi to koi high rank officer nahi aata tha aur aaj thodi si der ho gayi to DSP ko aaj hi aana tha. Wo apna kaleza mazboot karte huwe apne cabin ki taraf kadam badha diye. Apne kabin ka darwaza kholkar dekha to ek sakhs uski chair par baitha tha. Uski pith darwaze ki taraf thi. Sarita ne poochaa.


Sarita- Kya main andar aa sakti hoon Sir.

CO City- Ji jaroor aapka hi Cabin hai. Aa jaiye.


Itna kahkar wo Sakhs Sarita ki taraf ghoom gaya. Jise dekh kar Sarita ka munh khula ka khula rah gaya. Sarita ki aankhe badi badi ho gayi. Sarita ka chehra dekhkar us sakhs ke hontho par ek katil muskan aa gayi. Us sakhs ko dekhkar sarita ke munh se anayas hi nikal gaya.


Sarita- Tum.........



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So finally officially sarita join hogayi aur ek quarter bhi milgaya Rehne ke liye jisse usey asani hojayegi
Dono behne Pehli baar ek dusre ke bina itne samay ke liye Rehni wali hai to unka yu bhavuk hona lazmi hai
And jis din sarita late huwi usi din uske senior ka aghman hogaya PS mai aur jis hisab ke dono ke expressions they ek dusre ko dekhne Baad usse to yahi lagta hai ki ye shaks Nishchal hi hoga.
Overall good update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 14


Itna kahkar wo Sakhs Sarita ki taraf ghoom gaya. Jise dekh kar Sarita ka munh khula ka khula rah gaya. Sarita ki aankhe badi badi ho gayi. Sarita ka chehra dekhkar us sakhs ke hontho par ek katil muskan aa gayi. Us sakhs ko dekhkar Sarita ke munh se anayas hi nikal gaya.

Sarita- Tum...

Kyonki samne baitha Saksh koi aur nahi ye wahi naujawan tha jiske gaal Sarita ne bhari market me lal kar diye the. City Circle Officer Nishchal Singh Rathod. Jise dekh kar Sarita ne apne hontho ko kat-te huwe apni ek ungli apne danto se daba li aur dar ke karan apne nakhun ko kuturne lagi. Jise dekhkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Kya kahaa Aapne, Tumm....

Sarita- Sorryyyyyyy.....

Nishchal- Nahi Nahi ye nahi. Aapne kuchh aur kaha tha.

Sarita- Nahi to... Sorryyy...

Itna kahkar Sarita apne man mein sochne lagi.

Sarita- (Man me) Aaj to sach me meri kismet bahut kharab hai. Ek to aaj pahli baar mujhe PS pahuchne me der hui. Us par aaj hi DSP ne PS ka visit bhi kiya. Uspar bhi jab man nahi bhara to Visit karne wala DSP wahi nikla jisko maine thappad mara tha. Haaye meri kismet. Ye bol raha tha ki ye police wala hai, lekin maine hi iski baat ka bharosha nahi kiya aur ek thappad aur mar diya tha. Ye pakka mujhe apna dusman manne laga hoga Kahi isne apni personal dusmani nikalne ke liye mujhe suspend to nahi kar dega. He bhagwaan main kyaa karu.


Sarita abhi bhi apna nakhon chaba rahi thi. Sarita ko nakhoon chabate dekh Nishchal ne kaha.


Nishchal- Khana kha kar nahi aai ho kya. Jo nakhoon kha rahi ho. Kuchh mangaun kyaa khane ke liye.

Sarita- (ghabrahat mein) Yes wo. No. wo wo main woo……….


Sarita itni jyada shock thi ki uske munh se thikk se aawaz nahi nikal rahi thi. Jise dekhkar Nishchal muskurate huwe bola.


NIshchal- Tumhara naam kya hai misss.

Sarita- woo.. wo.. meraa naa.. naam.. haan mera namm Sarita joshii haii


Sarita haklaati huii boli. Jise sunkar Nishchal muskuratta huwa bola.


Nishchal- to aap hi hain is police station ki incharge. Station Head Officer aap ko hi banaya gaya hai na.

Sarita- jiii. Haan woo main……… han


Sarita kisi bhi baat ka sahi se jawab nahi de pa rahi thi. Uske dill ki dhadkan bahut tez chal rahi thi. Nishchal Singh apni muskan dabate huwe kaha.


Nishchal- to miss joshi. Ye samay hai aapka PS me aane ka. Iska matlab Aap roj PS isi samay par aati hainn.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ki halat aur kharab ho gayi. Wo haklate huwe boli.


Sarita- woo…… main… nahiii…..

Nishchal- Aap haklati bhi hain kyaa miss joshi. (Fir apne mathe par apni ungli rakhkar kuchh sochne ka natak karne ke baad). Lekin mujhe jaha tak lagta hai aisa bilkul bhi nahi hai. Jiss tarah se aapki juban kal market me kaichi ki tarah chal rahi thi. Usase to ye nahi lagta ki aap haklati hain. To fir aaj kya ho gaya hai aapko. Aapki jubaan hi band ho gayi mujhe dekhkar. Aapki tabiyat to thik hai na.


Sarita Nishchal ki baat ka koi jawab nahi deti to wo sakhti se Sarita se kahta hai.


NIshchal- maine Aapse kuchh poocha hai uska jawab chahiye mujhe.

Sarita- (haklate huwe) woo… doo..bara aisaa.. nahiii hogaa..

Nishchal- Achaa. To aap kya chahti hain ki main ab roj yaha ka visit karu kar ye dekhne aaun ki aap samay par PS aa rahi hain ya nahi. Kya aap ye chahti hain miss joshi.

Sarita- Mera wo matlab nahi tha.

Nishchal- Ek baat aur aapko bata dena chahta hoon ki main aapka senior officer hoon aur jab se main aapse baat raha hoon tab se aapne mujhe ek baar bhi sir kahkar sambodhit nahi hai to kya aap apne senior se aise hi baat karthi hain. Agar aap aise hi baat karti hain to uske liye bhi aapko punishment milegi aur agar Sir bolti hain to mere pichhle sawal ka jawab dijiye miss joshi.

Sarita- Mera wo matlab nahi tha sir.

NIshchal- Good girl. Aap office late aayi ho. Ye dekhkar aapke junior officers/officials bhi office late aane lagenge. Jo main kabhi hone nahi doonga. Aapne galti ki hai. Bahut badi galti. Jiski saza aapko milegi. Barobar milegi. Taki fir aap kabhi bhi PS late na aaye.


Sarita Nishchal ki last line sunkar khisiya jati hai, lekin wo majboor thi isliye kuchh kar nahi sakti thi. Usne Nishchal se kaha.


Sarita- Sir ye meri pahli galti thi. Isliye mujhe maaf kar dijiye aur mujhe ek mauka aur de dijiye. Main aage se kabhi bhi late nahi houngi. Wo meri bahan sath aayi thi to mujhe uski aadat ho gayi thi. Wo chali gayi to mujhe koi jagane wala nahi tha. Isliye mujhe uthne me der ho gayi. Aage se aisa nahi hoga.

Nishchal- to aap kya chahti hain ki main ab aapke yahaa ruku aur aapko office aane ke liye roj jagaun.


Sarita Nishchal ki baato se khishiya rahi thi. Jo Nishchal ko bhi pata thi lekin wo Sarita ko pareshan kar raha tha. Us din ke market wale hadse ka badla le raha tha. NIshchal ne sarita se kaha.


Nishchal- tum saza bhugatne ke liye taiyar ho na miss Joshi.

Sarita- plz sir mujhe doosra mauka de dijiye. Main aage se kabhi late nahi houngi.

Nishchal- tumne mujhe bolne ka mauka diya tha kya jo mujhse doosra mauka mang rahi ho. Waise senior main hoon ya aap.

Sarita- Senior aap hain sir.

Nishchal- to aapko saza deni hai ya nahi deni hai iska decision kaun lega. Aap ya main.

Sarita- aap lenge sir.

NIshchal- to thik hai fir. Aapki saza ye hai ki aap meri di ke samne mujhse apne kal ki badtamizi ke liye maafi mangengi. Aur unse kahengi ki aapne mujh par galti se hanth utha diya. kyonki aap thodi sanki type ki ladki hain aur aapko baat baat par gussa aa jata hai. Vaise bhi us din poori galti aapki hi thi.


Sarita Nishchal ki baat sunkar use goor kar dekhne lagi. Aur Nishchal se boli.


Sarita- aap mujhse ye sab kyon karwana chahte hain. Main ye sab nahi karungi sir.

Nishchal- main isliye tumse ye karwana chahta hoon ki jab se tumne mujhe bina baat ke thappad mara hai. Di mujhe dekh dekh kar hansti rahti hain mujhe chidhati rahti hain. Bolti hain jis Nishchal singh Rathod ko dekhkar ache ache gundo ke pasine chhoot jate hain wo ek ladki se maar khakar aa gaya. Mujhe apni ye beizzati bardast nahi hoti. Lekin wo meri di hain. Isliye main unhe kuchh kah nahi pata hoon. Aap ek baar unke samne mujhse mafi mang lengi to wo mujhe pareshan nahi karengi.

Sarita- Ji bilkul nahi sir. Main ye kabhi nahi karungi. Aap mujhse apni personal dusmani nikal rahe hain.

Nishchal- Senior Officer ki baat na man-ne ke liye tumhe ek aur saza deta hoon main ki kal se ek mahine tak tum lagatar 12 ghante kam karogi. Tumko kaam ke daruan ek minute bhi aaram nahi karna hai. Agar meri baar nahi mani to isase bhi kadi saja milegi tumhe.

Sarita- aapko jitni bhi saza deni hai de dijiye. Mujhe sab manjoor hai. Main kal se ek mahine tak 12 ghante kaam karungi. Lekin aap ki pahli saza ko main kabhi bhi nahi manungi. Main aapse mafi mang rahi hoon ki us din mujhse galti ho gayi thi jo maine aapke upar hath utha diya. isliye mujhe us galti ke liye maaf kar dijiye. Baki aapki jo marji ho wo kariye.

Nishchal- (thoda gusse se)- main tumse itne ache se baat kar raha hon aur tum achhai ka fayda utha rahi ho. Agar meri baat nahi maani to iska anjaam bahut bura hoga. Tumhe pata hai tum mere undar me ho. Main tumhara record kharab kar doonga is PS ka. Fir dekhta hoon ki tum kya karti ho.


Nishchal ki dhamki bhari baat sunkar Sarita ko bahi gussa aa gaya. Use apni us din ki galti ka ehsah tha ki usne kuchh jyada hi over react kiya. Lekin Nishchal us baat ko personal issue bana lega. Use nahi pata tha. Isliye Nishchal ki baat sun-ne ke baad Sarita ne bhi thoda gusse se kaha.


Sarita- jo bhi karna ho kar lijiyega sir. Main bhi dekhti hoon aap kya karte hain. Lekin aap ye baat apne dimag se nikal dijiye ki main aapki pahli shart manungi aur kisi ke samne aapse mafii mangungi.


Abhi un dono ki baat chal hi rahi thi ki tabhi Rawat sir ne darwaza khatkhataya aur bole.


Rawat- main andar aa jaun sir.

Nishchal- Are sir ji. Aaiye Aaiye.


Nishchal ke kahne par Rawat sir Andar aa jate hain. Wo aate hi Nishchal se bolte hain.


Rawat- Sir ye wahi officer hai jisne kuchh din pahle hi officer join kiya hai. Bahu hi honhar hain ye sir.

Nishchal- Aapse maine kitni baar kaha hai ki mujhe aap sir mat bola kariye. Main aapse umar me bahut chhota hoon aur aapke bete ki umar ka hounga main. Mujhe achha nahi lagta ki aap mujhe sir bole. Kisi senior officer ke samne thik hai, lekin jab senior nahi hain to sir bolne ki jaroorat nahi hai. Aur inse to main bahut pahle hi mil chuka hoon.

Rawat- ab kya kare sir. Aap bhale hi mere bete ki umar ke hain lekin aapko post to mujhse badi hai na to isliye aap to mere sir hi rahenge.

NIshchal- wo sab main kuchh nahi janta. Maine aapko kitni baar kaha hai ya to aap mera naam lekar bulaya kariya ya mujhe beta kahkar hi bula liya kijiye. Lekin ye Sir kahkar mat bulaya kariye. Mujhe bilkul bhi achha nahi lagta.


NIshchal singh ki baat sunkar rawat sir muskurane lage aur Sarita ki taraf dekhkar bole.


Rawat- thhik hai. Ab main tumhe beta hi kahunga. Aapne abhi kuchh der pahle kaha tha ki aap inse pahle bhi mil chuke hain. Kya aap inko pahle se hi jante hain kyaa.

Nishchal- Nahi sir ji. Pahle se to nahi janta, lekin haan inse meri ek yaadgaar aur dhamakedar mulakat kuchh din pahle ho chuki hai. Jo na main kabhi bhool sakta hoon aur na miss Joshi kabhi bhool sakti hain aur ye kitni honhar hain mujhe usi din pata chal gaya tha. Kyon miss joshi sahi kah raha hoon main na.

Sarita- Jiii sir.

Nishchal- Sir ek baat kahni hai aapse. Kya aapko aisa nahi lagta ki miss joshi bahut hi laparwah aur sanki kisam ki hain. Mujhe to aisa hi lagta hai.


NIshchal ki baat sunkar Sarita ko bahut gussa aa raha tha. Uska bas chalta to wo Nishchal ka munh noch leti, lekin wo majboor thi. Rawat Sir ne Nishchal ki baat sunkar kaha.


Rawat- Aisa nahi hai beta. Wo kya hai na Abhi Abhi posting hui hai to iske liye ye jagah bilkul bhi nayi hai. Isliye apne aapko adjust karne me inhe samay lag raha hai. Kaam karne ka itna Anubhav bhi nahi hai. Fir bhi main dekh raha hoon ki jab se aayi hai tab se poori mehnat se kaam kar rahi hai. Sikh rahi hai. Badhte samay ke sath sab kuchh seekh jayegi ye.

NIshchal- Sab kuchh sikhnaa jaroori bhi hai. (sarita se mukhatib hote huwe) To miss joshi kya aap saza bhugatne ke liye taiyaar hain.

Sarita- hhhhhhhhhmmmmmmmmmmmm Sirrr.

Rawat- Kis baat ki sazaa beta.

NIshchal- Aaap ne dekhaa nahi. Ye PS kitni der se aayi hai isliye saza dena jaroori haii nahi to discipline kaise maintain hoga. Kyon Misss Joshi.

Sarita- Jiiiiii Sirr.

Rawat- Ek baat kahu beta. Ye iskii pahli galti hai. Wo bhi itni badi galtii nahi hai. To isko chhod do. Ek mauka aur de do. Mujhe vishwash hai ki ye fir se aisi galti nahi karegi.

Nishchal- Thik hai sir ji. Ab Aap kah rahe hain to main ek mauka aur de deta hoon isko, lekin agali baar agar isne aisi galti ki to ise saza jaroor milegi.

Rawat- Thik hai beta ab main chalta hoon.


Itna kahkar rawat sir Sarita ke cabin se bahar chale gaye. Unke jane ke baad Nishchal singh Rathod ne Sarita ko dekhte huwe kaha.


Nishchal- main Rawat sir ke kahne par is baar tumhe maaf kar raha haoon, lekin ye baat yaad rakhna ki ye mafi main tumhe late aane par milne wali saza ki de raha hoon. Lekin tumne mujhe jo bina galti ke thappad mara tha uske liye maine tumhe abhi maaf nahi kiya hai aur na hi karunga. Uski tumhe saza milegi. Ye baat yaad rakhna. Ab tum bhi apna kam karo.


Itna kahkar Nishchal Sarita ke cabin se bahar nikal gaya. Sarita Nishchal ke jate huwe goorkar dekhti rahi. Nishchal ke jane ke baad Sarita apne man me kahti hai.


Sarita- Kyaa yaar main kin chakkaro me pad gayi. Mujhe thodi hi pata tha ki ye CO hai nahi to main iske upar hanth hi na uthati. Pata nahi ye musibat mere sir se kab hategi. Pata nahi ye kya karne wala hai mere sath.


Yahi sab sochte huwe wo apna kam karne lagi. Kaam karte huwe Sarita ko sham ho gayi to wo apne kamre par wapas aa gayi. Fir uski dincharya aise hi chalne lagi. PS ka kam karte huwe Sarit ko lagbhag 3 hafte se jyada ka samay ho gaya tha. Is bich wo rawat sir ke permission se field par bhi jane lagi.


Sarita ka kirdar aur vyaktitva aisa tha ki wo apne kaam ki wajah se famous hone lagi. Uski prasidhhi ki khabar jab kaluwa ko mili to wo tilmila gaya, Kyonki market me todfod karte huwe kaluwa ke kuchh gundo ko Sarita na Acchaa sabak sikhaya tha.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So rawat ji bacha liya sarita ko warna Nishchal to sunne ke mood mai nahi lag raha tha
And kahani mai villain kki bhi entry hogayi kalaua ke rup mai ab dekhte hai ki sarita ka agey safar kaise rehta hai
Overall good update
BRQVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 15


Kaluwa, Sahar ka naami gunda tha. Uska main boss kaun tha ye use nahi pata tha. Bas wo Bachha Singh ke kahne par Hafta wasuli aur hawala ka kaam Us area me karta tha. Kaluwa 40 sal ka hatta katta mard tha. Dekhne me hi bada darawna tha. Log uski shakal aur sharir dekhkar hi dar jate the. Wo ekdam raubdar baat karta tha Samne wale se, lekin tha iske bilkul ulat.


Uska sharir hi hatta katta tha, wo dikhta hi darawna tha. Lekin usme ek kami ye thi ki agar uske sathi uske sath nahi rahte the. Matlab agar wo akele rahta tha aur use raat me kahi jane ke liye bol diya jaye to dar ke mare uski shushu nikal jati thi. Wo thoda darpok kism ka insan tha. Lekin Kuchh khas sathiyon ko chhodkar uski ye baat koi nahi janta tha.


To jab usne Sarita ke baare me suna to wo Sarita se kuchh deal karne ke liye sochne laga, kyonki Jab se Sarita ne Field ka kam shuru kiya tha Kaluwa ka wasuli ka dhandha manda padne laga tha. Aise hi ekdin Sarita Apni cabin me baithi kaam kar rahi thi. Tabhi kaluwa apne tin aadmiyo ke sath PS aata hai. PS aane ke baad usne bade robdar aawaz me hawaldar se kaha.


Kaluwa- Sun be. Hamka tohre inspector madamwa se milne ka hai. Ja bol de usko ki kaluwa aaya hai.


Kaluwa ki raubdar aawaz sunkar Hawaldar dar gaya. Kyonki kaluwa ko PS me lagbhag sabhi jante the. Uske upar bahut se case the, lekin koi subut hi nahi tha. Isliye use kisi ne arrest nahi kiya tha aur arrest karta bhi kaun. Abhi tak koi diler policewala aaya hi nahi tha is thane me. Aur agar kisi ne use ek do baar galti se arrest kar bhi liya to wo kuchh hi der me chhut jata tha. Isliye uske kahne par hawaldar Sarita ke cabin me chala gaya aur use bataya ki kaluwa usase milna chahta hai.


Sarita ne file me kaluwa ka naam padha tha, isliye usne andaza laga liya ki ye kaluwa file wala hi insan hai. Sarita ne use andar bhejne ke liye kaha. Hawaldar ne kaluwa ko andar jane ke liye bol diya. kaluwa gate ke paas jakar bina pooche andar chala gaya aur kursi par baith gaya. Ye dekhkar Sarita ka para high ho gaya. Usne kaluwa ko gusse se dekhte huwe kaha.


Sarita- ye kya badtamizi hai tumhari. Bina pooche mere cabin me aa gaye aur bina meri izazat ke tumne biathne ki himmat kaise ki. Tum bahar jao aur mujhse permission lekar andar aao aur jab tak main na kahu tab tak baithna bhi mat.


Kaluwa ko Sarita ki baat par bahut gussa aaya, lekin wo gusse ko kabu karte huwe kursi se uthkar bahar chala gaya, wo yaha par kaam banane aaye tha na ki kam bigadne. Isliye wo kuchh nahi bola. Cabin se bahar jane ke baad kaluwa ne darwaza kholkar Sarita se poocha.


Kaluwa- kaa ham andar aai saki thi.

Sarita- Haan aa jao andar.


Kaluwa apne sathiyo ke sath Sarita ke kabin me chala gaya. Sarita apni file dekh rahi thi to kaluwa jakar kursi ke paas khada ho gaya. Sarita ne hanth ke ishare se use baithne ke liye kaha to kaluwa baith gaya. Baithne ke kuchh der baad jab Sarita file se free hui to usne kaluwa ko dekhte huwe kaha.


Sarita- to haan mister…

Kaluwa- (bich me hi) ji kaluwa, hamka kaluwa kahte hain.

Sarita- Haan to mr. kaluwa. Aapne yaha aane ka kasht kyon kiya. Kuchh kaam tha kya.

Kaluwa- U ka hai madam. Aapp etna din se is PS me hain. Sasura hamka tau pata hi nahi chala. Aur jaise hi pata chala hai bhagte huwe aa gaye aapke paas. U kaa hai na madam. Is PS me jab kauno nawa inspector aata hai to ham usase milane jaroor jata hai. Aakhir AAp hi logan ki chatr chhaya me tou rahna hai ham logan ke.

Sarita- to yahi kahne aaye the kyaa aap.

Kaluwa- Are nahi madam. Ei tau baat ke shuruaat rahe. Asal baat to ei hai ki jo bhi nawa inspector hiya aata hai. Ham okra ke parsad chadhane aata hai. Ham aapke liye bhi parsad laya hai. O sambhu jara uu dabba to dena.


Kaluwa ki baat sunkar uska ek sathi jiska nam sambhu tha usne ek box Kaluwa ko de diya. Kaluwa ne us box ko kholkar Sarita ke samne rakh diya. Us box me paise the. Jise dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Ye sab kya hai kaluwa. Tum mujhe ghoos dene ki koshish kar rahe ho.

Kaluwa- Na maidam ji naa. Ei ghus na hai. Ei parsad hai. Jise ham aapko chadane aaya hoon. Abhi ye 2 lakh aap rakhiye. Har mahinwa aapko 2 Lakh rupaiya pahucha denge. Ham Sab mil baat kar khawa karenge. Bas aap hamare kauno kaam me dakhal na de maidam. Nahi to Aapki tabiyatwo kharab hoi jayi.

Sarita- Tumhari itni himmat ki tum mujhe mere hi PS me dhamki de rahe ho.

Kaluwa- Ei dhamki na hai madam. Ye tau hamare Sabhi inspector ko samjhane ka andaz hai. Kauno jaldi samajh jata hai tou kauno der me samajhta hai. Lekin samajhta jaroor hai madam.

Sarita- aur jo nahi samajhta hai wo.

Kaluwa- Tau uu is duniya ko chhodkar chala jata hai.


Kaluwa ki baat sunkar Sarita ko bahut gussa aata hai aur wo gusse se laal pili ho gayi aur usne apni kursi se uthkar kaluwa ko collar pakada aur do jhannatedar thappad kaluwa ko galo par rasid kar diya. Sarita chillate huwe boli.

Sarita- Sale. Teri himmat kaisi hui mujhe dhamki dene ki. Mujhe ghoos dene ki koshish karta hai tu. Maine ye Police ki wardi tum jaise gundo mawaliyo se hanth milane ke liye nahi pahni hai balki tum jaiso ka hath pair todne ke liye pahni hai. Agar apni salamti chahta hai to turant yaha se bhag ja.nahi to aisa charge lagakar andar karungi ki sari jindagi jail me sadta rahega. Chal utha apna parsad aur dafa ho ja yaha se aur duwa karna ki mere sath tera dobara samna na ho. Nahi to wo din teri aazadi ka aakhiri din hoga. Samjha.


kaluwa thappad khakar apne gal par haath rakhkar Sarita ko gusse se dekhte huwe kaha.


Kaluwa- Ae Laundiya. Teri itni himmat ki tu mujhpar hanth uthati hai. Kal ki aai chhokri kaluwa par hath uthati hai. Teri to main…….

Sarita- (baat bich me katkar) Chup bilkul chup. Tu samajhta kya hai mujhe. Ye wardi maine tujh jaise kutte ki gulami aur talve chatne ke liye nahi pahani hai. Wo koi aur rahe honge jo tere tukdo par pahlte rahe honge. Lekin Sarita joshi ka jameer itna sasta nahi hai ki tujh jaisa do take ka gunda mawali use kharid sake. Ab teri bhalai isi me hai ki tu jitni jaldi ho sake nikal le yahan se. nahi to tujhpar aise aise charge lagakar andar dalungi ki jindagi bhar jail me sadta rahega.


Sarita ne ye baat gusse me dant piste huwe kahi thi. Jise dekhkar kaluwa ke sath aaye hue uske sathi dar gaye. Unhone waha se khisakne mein hi apni bhalayi samajhi. Wo sab kaluwa ko Sarita ke cabin se kheechte huwe bahar lekar jane lage. Kaluwa bahar jate huwe Sarita ko dhamki dena nahi bhoola.


Kaluwa- Ae laundiya. Tune mujhpar hanth uthakar achha nahi kiya. Tujhe iski bahut badi keemat chukani padegi. Yaad rakhna main tujhe chhodunga nahi. Teri zindagi nark bana doonga. Tujhe pata nahi hai ki tumne kisase panga liya hai.


Sarita ko dhamki deta huwa kaluwa PS se bahar jata raha. PS me upasthit sabhi junior cabin ke andar se aati aawaz sunkar samajh gaye the ki cabin ke andar gahma gahmi ho rahi hai. Sarita bhi apne cabin ke gate par aakar khadi ho gayi aur kaluwa se boli.


Sarita- Tujhko jo uthakdna hoga ukhad lena. Main kisi ke Baap se darti nahi hoon. Aur apne baap se bhi kah dena ki usase jo ban pade wo kar le. Lekin mere rahte teri ye gundagadri is area me chalne nahi doongi. Yaad rakhna.


Itna kahkar Sarita apne cabin me chali gayi aur kaluwa apni beizzati karwakar PS se bahar chala gaya. Kuch der baad Rawat Sir ne Sairta ko apne paas bulaya aur kaha.


Rawat Sir- Ye sab kya tha Sarita bitiya. Tumhe nahi pata ki wo kitne khatarnak gunde hain. Abhi tumhe Office join kiya huwe kitne din huwe hain aur aate hi tumne Kaluwa se dusmani mol le li.

Sarita- To aap ye kahna chahte hain ki mujhe chupchap uski baat man leni chahiye thi aur wo jo bhi karta usme mujhe uska sath dena chahiye tha.

Rawat Sir- Dekho Sarita tum meri beti jaisi ho. Isliye main tumhe koi galat salah nahi doonga. Main ye nahi kah raha hoon ki tumko uski baat man leni chahiye thi ya uska sath dena chahiye tha. Main to bas ye kah raha tha ki wo bahut khatarnak log hain. Bina unke baare me jane tumhe unse dusmani nahi karni chahiye thi. Main manta hoon ki tum bahadur ho. Hoshiyar ho, lekin hamesha bahaduri hi kaam nahi deti beti. Kabhi kabhi bahaduri ke sath dimag bhi lagana padta hai. Aur abhi samay ki maang ye hai ki tumhe usase dusmani nahi karni chahiye thi. Aage se tum is baat ka dhyaan rakhna.

Sarita- Thik hai Sir. Aage se main sochungi is bare me. Lekin agar kisi ne mujhe khareedne ki koshish ki to main use chhodungi nahi.


Itna kahkar Sarita apne cabin me chali gayi aur apni filo me vyast ho gayi. Sham ko PS se ghar aa gayi. Isi tarah Sarita ki dincharya chalti rahi. Sarita ke kam aur tez tarrar mizaz ke uske junior kayal ho chuke the. Dhire dhire karke 25 din ka samay bit gaya kaluwa ko PS me aaye huwe. Sarita ne Field par apne karya karne ki activities tez kar di.


Ek din kisi mukhbir se Sarita ko khabar mili ki Kaluwa kisi bade business man ke sath Carodo rupayon ki deal karne wala hai. Ye khabar milte hi Sarita Bina Seniors ko bataye Javed, Mohit, Amit aur Janhavi aur 4-5 hawaldar ko lekar Mukhbir ki batayi hui jagah par pahuch gayi. Wo jagah kuchh khandharnuma thi. Hawaldaro ko bahar choodkar Sarita ne kaman sambhali aur Sabhi ne apni gun me silencer lagaya aur chhupte chhupate main gate par pahuch gayi.


Main gate par do gunde apni gun ke sath tainaat khade the. Sarita Sabse aage thi. Usine mohit ko ishara kiya. Mohit ne turant aage aakar ek gunde par goli chala di, goli lagne se gunda jameen par gir pada. Ye dekhkar uska sathi mohit par goli chalane hi wala tha ki Sarita ne doosre gunde ko goli maar di aur aage badh gayi. Aage badhte huwe uski najar Amit par padi to wo mobile me kuchh kar raha tha. Ye dekhkar Sarita ne gusse se magar dhimi aawaz me kaha.


Sarita- Amit. Ye kya kar rahe ho tum. Ham yahan dusmano ke ilake me aaye hain aur tum mobile chala rahe ho. Tum apne sath sath sabko marwana chahte ho kya. Chupchap apna mobile swichoff karo aur mission par dhyaan do.


Sarita ke aisa kahne par Amit ne mobile apni jeb me rakh liya aur unke sath aage badh gaya. Kuchh aage jane ke baad do aur gunde ek darwaze ke paas khade pahra de rahe the. Janhavi ne ek ko nishana banakar goli chala di. Jo sidhe uske bheje ke paar ho gayi. Lekin is daruan uska pair ek patthar se takra gaya. Jiske karan wo gir padi.


Jab tak doosra gunda koi harkat karta. Jawed ki goli uske sir ko phodte huwe bahar nikal gayi. Dono gundon ke niche girnte hi uSabhi ne position li aur jawed ne ek jor ki lat darwaze par mari. Jisase darwaza bhadam se khul gaya aur pancho dandanate huwe andar ghus gaye. Andar kisi ko kuchh samajh aata usase pahle hi jawed aur mohit ne apni gun Kaluwa aur us businessman ke agent ke sir par tan di. Sarita ne kaluwa se kaha.


Sarita- Khabardar. Hilne ki koshish bhi mat karna. Nahi to bheja uda dungi tum sabka. Apne aadmiyo se kaho ko hathiyaar dal de chupchap.


Kamre ke andar do hatte katte aadmi hathiyar liye khade the. Kaluwa aur wo agent aur agent ke sath ek aur aadmi baitha huwe tha. Kaluwa ke ishare par dono aadmiyon ne apni gun niche jameen par rakh di. Jise Janhavi aur Amit ne utha liya aur dono aadmiyon ko apne nishane par le liya. Sarita ne kaluwa ke paas aakar use ek thappad kheechkar mara aur kaha.


Sarita- Maine tujhse us din kaha tha na ki jab tak main hoon. Main teri koi bhi gunda gardi nahi chalne doongi. Ab tu chal apni sasural me aur wahi baith kar tum dono hawala ka kaam karna. Tum dono ko to aisi saza dilwaungi ki tum bhi kya yaad rakhoge ki kisase pala pada tha.

Kaluwa- (gusse se). Ae laundiyaa……

Sarita- Sarita. Sarita joshi naam hai mere. Aur bahut jald ye naam tere nas nas me bas jayega, kyonki main teri aisi khatirdari karungi ki tu uthate baithte mera hi naam lega.

Kaluwa- tu mujhe janti na hai ladki. Main kaun hoon. Aur meri pahuch kaha tak hai tujhe andaza bhi nahi hai. Ham khade khade teri wardi utarwa sakta hoon.

Sarita- Aawaz niche. Tu kaun hai be. Koi top hai tu. Sale gandi nali ke kide. Tu ek sadakchhap gunda hai jo apne kutton ke dam par uchhalta hai. Ab chupchaap apni sasural chal. Agar jyada chhu chapad ki na to yahi thok doongi tujhe main. Aur koi mera kuchh bhi nahi bigad payega. Mamla fairing ka dikhakar file band kar dungi main. Samjha. Isliye teri bhalai isi me hai ki tu chupchap mere sath chal aur niche vain me baith jaa. Mujhe kanoon apne hanth me lene par vivash mat kar.


Sarita ki baat sunkar kaluwa ke man mein bhay aa gaya aur wo. Uske aadmi aur agent aur uske sath ka aadmi jakar bahar khadi vain me baith gaye. Sartita ne Kaluwa ko lejakar Lockup me patak diya. Kaluwa Sarita ko Dhamki dete huwe bola.


Kaluwa- Ae laundiya. Tu jyada din mujhe is lock-up me nahi rakh payegi. Bahut jald main yaha se Chhoot Jaunga fir dekhna main tera kya haal karta hoon.

Sarita- Chup kar kutte. Main bhi dekhti hoon ki tu kaise chhut-ta hai. Agar Chhut bhi jata hai to uske pahle teri itni khatirdari karungi ki tujhe apne paida hone par Afsos hoga. Abhi mujhe ye bhi to jan-na hai ki tera baap kaun hai.

Kaluwa- wo tu kabhi nahi jaan payegi. Aur mera baap tujhe chhodega nahi.


Kaluwa ke itna kahne ke baad Sarita ke ishare par Mohit aur Javed Lockup me chale gaye aur Uski khatirdari karne lage. Bahut maar khane ke baad bhi kaluwa ne apna munh nahi khola.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Akhir kaand ho hi gaya ab ye kaand kahani ko kis taraf lekar jata hai dekhte hai
Overall good update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 16


Kaluwa- wo tu kabhi nahi jaan payegi. Aur mera baap tujhe chhodega nahi.


Kaluwa ke itna kahne ke baad Sarita ke ishare par Mohit aur Javed Lockup me chale gaye aur Uski khatirdari karne lage. Bahut maar khane ke baad bhi kaluwa ne apna munh nahi khola.


****************

Usi samay Wahi thodi door ek khandhar me Bachchaa Singh, Umar 35-36 ke kareeb thi. Ek revolving chair par baitha huwa tha. Sharir se ekdam hatta katta insan tha Bachha singh. Wahi paas me uske Aadmi baithe huwe paisa gin rahe the. Bachha singh ne apne aadmiyo me se ek se kaha.


Bachha Singh- Kyon be Raka. Kitna Collection huwa hai Aaj ka.

Raka- 10 Lakh Rs. Huwe hain Maai baap.


Bachha singh gusse se kursi se uth khada huwa aur bola.


Bachha Singh- Kya bolta hai be. Sirf 10 Lakh. Salon din bhar me 50 laakh se jyada collection hota hai aur tum bol rahe ho ki 10 Lakh hi hue hain. Main pichhle kuchh dino se dekh raha hoon ki collection me roj kami aati ja rahi hai. Tum sab nithalle ho gaye ho ya tum log mere sath dhokha kar rahe ho.

Raka- Nahi maai baap. Aapke sath dhokha karke hame marna thodi hai. Collection kam hone ka karan wo Inspector hai jo Nawa Nawa is thane me aaya hai.

Bachha singh- (hanste huwe) ka bola be. Ek Adane se inspector ko wajah se collection kam ho gaya hai. Tune aaj din me bhi Chadha rakhi hai kya.

Raka- Nahi maai baap. Wo Ispector bahut khatarnak hai. Jab se Aai hai Usne hamari naak me dam karke rakha huwa hai. Bahut kadak Inspector hai wo.

Bachha singh- Ka bola be tumne. Aai hai.

Raka- Haan maai baap. Wo inspector ek aurat hai. Jise hamari naak me dam kar rakha hai.

Bachha Singh- Ka bola be. Aurat hai wo. Salo tum logo ne bacha singh ka naam mitti me mila diyo. Ek Aurat se Dar gaye. Thhuu hai tum logan par. Sala main tum logo ko faltu me paal raha hoon. Ek aurat se darker collection kam kar diya tum sab ne. Kaluwa kahan hai. Use bolo ki Us Inspector ko Uska parsadi pahucha de.

Raka- Kaluwa boss gayaa tha maai baap, lekinn………..

Bachha Singh- Lekin kya.. teri juban talu me atak gayi hai kya jo bol nahi nikal rahe hain.

Raka- Kaluwa gaya tha Us Inspector ko uski parsadi dene. Lekin usne Kaluwa boss ko hi parsadi de kar thane se nikal diya. bahut insult kiya usne Kaluwa boss ka. Thaapad bhi mara usne boss ko. Wo bahut hi tez tarrar hai Maai baap. Sidhe kes banakar jel me dalne ki dhamki deti hai.

Bachha- Kyaa. Aur ye tum mujhe ab bata rahe ho nikammo. Lagta hai Us Inspector se milna hi padega. Tum sab sale ek aurat se darte ho. Ham to police ko apni jeb me lekar ghoomte hain to ye to ek aurat hai. Ise to main chutkiyo me masal doonga agar jyada chuu chapad ki usne to. Meeting fix karwao usase meri.


Abhi Bachha singh ne itna hi kaha tha ki Uska phone bajane laga. Usne Sabko Chup rahne ka ishara kiya aur phone utha liya.


(Note- Bachha aur Uska bhaai Raghu Is poore area ko sambhalte hain. In dono ke upar 2 Boss hain inke. Jinko In dono ke alava Aaj tak kisi ne dekha nahi tha un dono se baat karne ke baad Raghu aur Bachha singh ko jo disha nidesh milte rahte the ye Usi nidesh par apna kaam karte rahte hain. Sabse Bade boss ko ye log Sarkar kahte hain Aur usase niche wale ko boss bolte hain. To main bhi ek ko Sarkar Aur Ek ko boss kahkar hi sambodhit karungi.)


Bachha Singh- Namaste boss.

Boss- Namaste ko maar goli. Tum sab ye kar kya rahe ho. Tum log ekdam nikamme ho gaye ho kya. Tumhe pata bhi hai, Kaluwa ko aaj wo kal ki aayi laundiya ne pakadkar jel me dal diya hai aur uski ache se khatirdari kar rahi hai. Mujhe lagta hai ki tum log ab kisi kaam ke nahi rah gaye ho.

Bachha Singh- Kyaa. Kaluwa ko us inspector ne pakad liya. Kab, kahan, kaise, Mujhe to pata hi nahi Hai iske bare me boss.

Boss- Isiliye to kah raha hoon ki tum Sab kisi kaam ke Nahi rah gaye ho. Tumhe apne Sathi ke baare me koi jankari nahi hai. Agar Sarkar ko pata chala to wo kitne naraz ho jayenge. Ye to tumhe pata hi hoga. Pichhli baar Raghu ke pakde jane par wo kitna naraj ho gaye the. Wo alag baat hai ki Raghu kuchh hi ghanto me chhoot gaya tha. Tum jaldi se kaluwa ko chhudwane ke intezam karo Sarkar ko pata hone se pahle hi. Aur jitni jaldi ho sake us Inspector ka kuchh socho. Nahi to hanth me katora lekar bheekh mangni padegi tum logo ko.

Bachha singh- Thik hai boss main kuchh karta hoon. Aap chinta mat kariye. Aur agar Sarkar ka phone aaye to aap unhe sambhal lena.


Itna kahkar Bachha siingh ne phone rakh diya. Phone rakhte hi raka ne usase poocha.


Raka- Kya huwa maai baap. Aap bahut tension me lag rahe hain.

Bachha singh- Kaluwa ko us inspector ne pakad liya hai. Boss bahut naraz ho rahe hain. Sarkar ko pata chalega to pata nahi kya hoga.

Raka- Ab kya karenge ham log maai baap.

Bachha singh- Tum logo se kuchh nahi hoga. Ab jo bhi karunga main hi karunga wo bhi Raghu ke aane se pahle. Tumhe to pata hai ki wo bahar gaya hai kuchh kam se. agar wo Yahan par aa gaya to bahut bawal machayega. Uski naak par gussa jo rahta hai hamesha. Lagta hai ek baar us inspector se milna hi padega. Abhi Sab yahan se apne apne ghar ke liye nikal jao baad me milta hoon main.


Uske baad sab apne apne ghar ko nikal gaye. Aaj ka din aise hi beet gaya. Do-teen din tak kaluwa ko chhudane ka bahut prayatn kiya Bachha singh ne lekin Sarita ne use nahi chhoda. Aakhirkar Sarkar ne apni political power ka istemal karke Kaluwa ko chhudwa hi liya


*******

Is mamle mein CO Nischal Singh Rathod ko bhi apne Senior Officer ki dant sun-ne ko mili. Kyonki Sarita ne ye sab bina Uski parmission ke kiya tha aur Sarita usi ke undar me thi.


Ek subah Sarita Apne cabin me baithi file me apna sir khapa rahi thi tabhi CO Nischal Singh Rathod Sarita ke cabin me aaye. Sarita ne Apni kursi se uthkar Nischal ko Salute kiya. Nischal Singh Rathod ne Uske Salute ka jawab diye bina gusse me usase kaha.


Nischal- Tum samajhti kya ho apne aapko. Tumhara jo man karega tum wo karogi. Ye tumhara ganv nahi hai ki jo man me aaye wo karo Samjhi tum.

Sarita- Sir. Aap mujhse aise kaise baat kar sakte hain. Maine aisa kya kar diya jo aap bina matlab mujhe dant rahe hain.

Nischal- Kya kiya tumne. Kiski permission se tumne waha par raid dali aur Kaluwa ko pakda tha. Chalo ye bhi thik hai ki tumne use pakada. lekin tumne ek baar bhi mujhe batana jaroori nahi samjha. Main tumhara boss hoon tum meri nahi. To tumhe mujhe batana chahiye tha.

Sarita- Lekin maine koi galat kaam nahi kiya. Haan ye sahi hai ki maine aapse permission lena jaroori nahi samjha, lekin us samay setuation aisi thi ki agar main permission ka wait karti to kaluwa aur uske sathi apna kaam karke ja chuke hote. Fir us permission ka koi matlab nahi nikalta. Lekin mujhe ye samajh nahi aata ki aap meri tareef karne ke bajay mujhe suna rahe hain.

Nischal- Sunau nahi to aur kya karu main. Tumhare is karname se mujhe apne alaa adhikariyo ki dant sun-ni padi. Ki main apne junior ko control nahi kar sakta. Tumne koi galat kaam nahi kiya, kyonki apradhiyon ko pakadna aur un par control karna hi hamara farz hai. Tumne Permission nahi li thi to kam se kam ek baar mujhe batana tha tumhe is bare main. Main tumhara boss hoon to mujhe har baat ki jankari honi chahiye. Tum aise kisi kaam me apni manmani nahi kar sakti ho.

Sarita- Main is baare me aapko batana jaroori nahi samjha. Aur aage bhi agar mujhe kuchh galat laga to uske khilaf main action lene me koi Kotahi nahi bartungi.

Nischal- Jaroori nahi samjha se kya matlab hai tumhara. Tumhari wajah se mujhe bahut sun-na pada hai alaa adhikariyo se. iska badla main tumse lekar rahunga. Ab to tumse meri doosri baar dusmani ho gayi hai. Savdhan rahna tum. Meri najar hamesha tumpar hi rahegi. Tumhe apni galtiyon ke liye saza jaroor milegi aur wo saza main khud tumhe doonga.

Sarita- Aapko jo karna ho kar lijiyega. Lekin main apna farz nibhane ke liye apke samne nahi jhukungi.


Nischal ye baat sunkar dant pista rah gaya aur Sarita ke cabin se bahar aa gaya aur thane se bahar nikal gaya.


Nischal ke jane ke kuchh der baad hi bachha singh PS me aaya aur usne Sarita se milne ke liye hawaldar se anumati mangi. Kyonki bachha singh ke sara kaam kaluwa hi karta tha. Isliye bachha singh ko jyada koi policewala janta nahi tha. Hawaldar ne usase poocha.


Hawaldar- Kya kam hai aapko madam se.

Bachha- Mujhe ek bahut jaroori suchna maidam ko deni hai.


Hawaldar ne ye sunkar bachha ko Sarita ke cabin ki taraf ishara kar diya. Bachha Sarita ki cabin ke paas pahuchkar darwaza khola aur kaha.


Bachha- kya main andar aa sakta hoon madam.

Sarita- Yess come in.


Sarita ki baat sunkar bachaa cabin ke andar aa gaya aur bola.


Bachha- namaste maidam.

Sarita- Namaste. Baithiye. Kuchh kaam tha aapko.

Bachha- ji mera naam bachha singh hai. Aapke baare me bahut suna hai maine. Aap apna kaam bahut imandari se kar rahi hai. Bahut charche hain aapke.

Sarita- Agar aapko yahi sab kahna hai to aap ja sakte hain. Mujhe apni tareef sun-ne me koi intrest nahi hai. Agar aap ko mujhse kuchh madad chahiye to aap boliye. Nahi to aap jaiye mujhe bahut se kaam poore karne hain jo pending me hain.

Bachha Singh- (lambi sans lekar) thik hai madam jab aap kah rahi hain to main mudde par aata hoon. Wo kya hai na madam. Jab se aap aai hain aapke karname bahut sune hain maine to maine socha ki aapse thodi jaan pahchan badha li jaye. Aur waise bhi is kursi se mujhe bahut pyaar hai. Aakhir is kursi par baithne wala apna bahut khaas ho jata hai. Is kursi par baithne wale ke sath apna gahra yarana ho jata hai. Bas wahi yari nibhane ke liye main yahan aaya hoon.

Sarita- matalab kya hai tumhara Saaf Saaf kaho.


bachcha Singh ne Sarita ki baat sunkar hajaar hajaar ki do gaddi nikalkar sarita ke samne rakh di aur bola.


Bachcha singh- wo kya hai na madam. Mera kaam hi aisa hai ki police walon ko sath mein milakar chalna padta hai. To main ye chahta hoon ki aap mere kaam ke bich mein dakhal na diya kijiye. Jiski kimat aapko hamesha milti rahegi.


Sarita ek to Nischal ki bato se pahle se hi thoda gusse me thi. Bachha singh ki baat sunkar uske gusse ka para satve aasman par pahuch gaya. Usne gusse se chillate huwe kaha.

Sarita- Apne paise uthao aur Dafa ho jao yaha se Abhi ke Abhi.

Bachhha- Are madam aap to hamse naraz ho gayi. Ham yaha aapko naraj karne thodi hi aaye hain. Ham to aapke sath dosti karna chahte hain. Aakhir chor chor mausera bhai hota hain. Lekin aap aurat hain to aap bhai ki jagah meri bahan ban jana. Main khali hanth thodi hi aapse dosti karne ke liye aaya hoon. Main apni dosti ki shuruaat aapko tohfa dekhar karna chahta hoon. Ye to ek nangi hai. Asali tohfa to abhi baki hai. Mujhe ummeed hai ki mera tohfa dekhne ke baad aap inkar nahi kar payengi.


Itna kahkar Bachha Singh he hajaar hajaar ke noto ki 2 gaddi aur ek parcel jisme sone ke biskits the, nikal kar Sarita ke table par rakh di. Paisa aur sona dekhkar Sarita ka para aur chadh gaya aur wo noto ki gaddi uthakar bachha singh ke munh par mar kar fufkarte huwe boli.


Sarita- Kamine mujhe khareedne ki koshish karta hai. Sarita joshi ka iman itna sasta nahi hai ki chand noto ki gaddi dekhkhar bik jaye. Tu dafa ho ja yaha se nahi to rishwat dene ke jurm me tujhe andar kar doongi. Kausal. Janhavi. Kaha ho tum dono.


Sarita ki aawaz sunkar Kaushal aur janhavi. Sarita ke cabin me pahuch gaye aur waha Bachha ko paisa Aur visits jameen se uthate dekhkar wo samajh gaye ki kya majra hain. Kausal ne kaha.


Kaushal- Ji madam aapne bulaya mujhe.

Sarita- Ise abhi ke abhi bahar ka rasta dikha do aur ise bol do ki ye mere PS me dobara nahi dikhna chahiye.


Sarita ki baat sunkar Kaushal Bachha singh ki banh pakadkar use Sarita ke cabin se bahar le jata hai. Uske jane ke baad Sarita janhavi se kahti hai.


Sarita- pata nahi kahan kahan se chale aate hain. Inhe lagta hai ki main Sarkar ke liye kaam nahi kar rahi hoon balki inke liye kam kar rahi hoon. Jab man me aaye munh uthakar chale aate hain. Agali bar se kisi ko bhi andar bhejne se pahle poori janch padhtal karne ke baad hi use mere paas bhejna.

Janhavi- sorry madam. Aage se is baat ka dhyan rakhungi main. Usne to hawaldar se aapse milne ke liye poochha tha to hame laga ki aapka koi janne wala hoga. Isliye hamne use andar aane diya. aage se poori janch padtal karne ke baad hi aapke paas bhejungi.

Sarita- Thik hai Janhavi. Ab tum bhi jakar apna kaam karo.

Janhavi- thik hai madam. Agar aapko chaai pina ho to main aapke liye chaai bhijwau maidam.

Sarita- Thik hai Janhavi.


Sarita ki baat sunkar janhavi uske cabin se bahar aa gayi aur hawal dar se Sarita ko chaai dene ke liye bol diya. thodi der me hawaldar Sarita ko chaai dekar bahar aa gaya.


********

PS se nikal kar Bachha singh apne adde par pahucha. Waha par rakha aur uske kuchh sathi pahle se hi maujuud the. Bachha ke jate hi sabhi ne use salam thoka. Bachha apni kursi par baith gaya aur Raka ko apne paas bulaya aur kaha.


Bachha. Tum sahi kahate the. Wo to Sali bada current marti hai. Bahut tez tarrar hai wo to. 2 lakh aur sona dekhkar bhi nahi pighli wo. Mujhe jel me dalne ki dhamki bhi de di usne. Badi katili laundiya hai be wo to. Lekin use nahi pata ki usne kisase panga liya hai. Bachha singh se. Bachha singh se panga lene ke baad aaj tak kisi ka bhala huwa hai jo uska hoga. Bahut mahanga padega use bachha singh se dusmani mol lena.

Raka- wo to thik hai Sahi hai maai baap. Lekin ab aage kya karna hai hame.

Bachha- Abhi tum logo ko kuchh nahi karna hai. Meri mano to kuchh din tak kahi chhup jao aur ye kaam kuchh din ke liye rok do. Wo Sali dimag se satki hui hai kuchh bhi kar sakti hai. Main baad me bataunga tum logo ko ki kya karna hai. Aur wo laundiya logo ki bahut madadgar ban rahi hai. Bahut sauk hai use imaandari se naukari karne ka. Uski naukari uski imaandari hi legi.

Main koi aisa chakkar chalaunga ki wo chhatpatati rah jayegi, logo ko apni imandari ka ehsas karwati rahegi, lekin uski baat par koi bharosha nahi karega. Mujhse dusmani leti hai. Bahut uchal rahi hai wo apni vardi ke dam par to ab uski wo vardi ab main hi utarwaunga. Fir dekhta hoon ki kitna uchhalti hai. Aur suno tum sab. Is bare me Raghu ko bilkul bhi pata nahi chalna chahiye.

Raka- Kyon maai baap. Unhe bhi to is baat ki jankari hona bahut jaroori hai.

Bachha- tum samajh nahi rahe ho. Agar use ye baat pata chal gayi to wo apna kamdham chhodkar kal hi yaha wapas aa jayega. Aur tum to usko jante hi ho. Baat kam karta hai aur marta jyada hai. Pata laga jo mamla aasani se sulajh sakta hai wo yaha aakar is laundiya ko ludhka diya to bina matlab bakheda khada ho jayega. Main apne tarike se mamale ko suljhaunga.

Raka- wo to thik hai lekin baad me unhe pata chala to wo gussa ho jayenge.

Bachha- Use main baad me apne tarike se handle kar lunga. Pahle is laundiya ka koi bandobast to kar doon. Is mamale me markat ki jaroorat nahi hai. Chalo ab tum sab nikalo yaha se. kuchh din sab chupchap baith jao. Jaisa bhi hoga main bataunga tum sab ko.


Iske baad sabi waha se apne apne ghar ko chale gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So sarkar ne apne power se kaluwa ko choda liya ye to hona hi tha jis hisab se kaluwa ke confidence tha usse hi pata chal gaya tha ki wo zyada der ke liye andar nahi rahega.
But yaha jis tarah se sarita ne nischal ko jawab diya wo mujhe sahi nahi laga sarita ne galat kuch nahi kiya tha raid markar wo Baat nischal ne bhi boli ke raid marne ke Baad kaam se kaam usey inform karna chahiye tha jisse wo agey Abey wali situation ke liye Pehle hi ready reh sakta tha but yaha jis tarah se sarita ne jawab diye nischal ko usse aisa laga ki sarita khud ko hi superior samajh rahi hai ab dekhte hai ki ye sonch usey kaha lekar jati hai.
Bacha ne bhi koshish ki sarita ko kharid ne ki but wo bhi fail hogaya lekin jis hisab se khud ki itni bezzatti hone ke Baad bhi bacha ne samajh dari se kaam liya usse lagta hai ki wo jab bhi war karega sarita ka us war se bachna asan to nahi hoga.
Overall superb update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 17


Ye alag baat hai ki kauwa ko sarkar ne apni power ka istemal karke chhuda liya tha, lekin Kaluwa ko pakadne aur Imandari se kaam karne ke karan Sarita ki popularity bahut badh gayi thi. Logo ko ek ummeed jag gayi thi ki koi officer to aisa hai jo imaandari se kaam kar raha hai aur unki samasyaon ko suljha raha hai.


Isi popularity ke chalte ek news channel ne apne ek khas programm haunslo ki udan ke liye Sarita ka interview lena chahte the. Lekin Sarita ne ye kahkar interview dene se mana kar diya ki use ye sab karke koi celebrity nahi ban-na. use bas imandari se apna kam karna hai.


Usko jo jimmedari saupi gayi hai use poori nishtha aur poore haunsle ke sath nibhana hai. Bahut minnate karne ke baad Sarita interview dene ke liye maan gayi, lekin uske liye usne apni marji se time fix karne ke liye kaha.


Isi tarah din beet-te rahe. Lagbhag 10 din baad ho gaye the is Bachha Singh wale matter ko. Ek din wo apne cabin me baithkar kaam kar rahi thi. Tabhi Rawat sir ne use apne paas aane ke liye kaha. Sarita rawat sir ke paas chali gayi aur unse kaha.


Sarita- Kya baat hai Sir. Aapne mujhe bulaya.


Rawat sir ne Sarita ke hanth me ek paper pakdate huwe kaha.


Rawat Sir- Ise dekho khud samajh jaogi ki maine tumhe kyon bulaya hai.


Sarita Rawat sir ke hanth se wo paper lekar padhne lagi. Jaise jaise wo paper padhti ja rahi thi waise waise uske chehre ke bhav badalte ja rahe the. Sarita ne poora paper padhne ke baad rawat sir ki taraf dekhte huwe kaha.


Sarita- ye sab kya hai sir. Aapko lagta hai ki main aisa kuchh kar sakti hoon. Maine kuchh nahi kiya sir. Ye kisi ne mere khilaf galat afwah failane ke liye aisa kiya hai. Aap to mujhe jante hain sir. Kya aapkko lagta hai ki main aisa kuchh kar rahi hoon.

Rawat- Mujhe pata hai ki tumne kuchh nahi kiya hai. Mujhe tumhari imandari par poora bharosha hai, isiliye to maine tumhe khud bulakar ye paper tumhe dikhaya hai. Agar ye nischal ke paas pahuch gaya to tumhare liye bahut samasya ho sakti hai. Kyonki wo pahle se hi tumse kisi baat ke liye naraz chal raha hai.

Wo bura ladka nahi hai, lekin duty ke prati wo koi bhi laparwahi bardast nahi karta. Isliye tumhe ab pahle se bhi jyada satark rahna padega aur bahut hi savdhani se kaam karna hoga. Tumhari ek galti tumhe is case me fansa sakti hai beti.

Sarita- thik hai Sir. Main aage se bahut satarkta ke sath kaam karungi.


Ye kahkar wo apne cabin me aa gayi aur abhi jo kuchh bhi uske khilaf complain aai thi usi ke bare me sochne lagi.


Sarita- (Man me) Main to itni imandari se apni naukari kar rahi hoon. Maine aaj tak kisi se ek paisa nahi liya hai to ye kaun ho sakta hai jisne mere khilaf ye complain ki hai. Aakhir maine kisi ka kya bigada hai. Had hai yaar. imandari se naukari karna bhi kathin ho taja raha hai.


Abhi Sarita ye soch hi rahi thi ki tabhi Jawad Akhtar ek case ke silsile me kuchh baat karne uske paas aa gaya. Jiske baad uska poora din isi me gujhar gaya. Sham ko wo apne ghar aa gayi. Isi tarah do din aur beet gaye.


Tisre din kisi case me uljhi hone ke karan Sarita ko PS se ghar jane ke der ho gayi. Takriban raat ke 8 baj gaye the. PS se nikalne ke baad wo apni Sarkari gadi se ghar ja rahi thi. Kyonki Sarita ko car drive karna aata tha isliye wo khud car drive kar rahi thi.


Abhi wo PS se thodi hi door gayi thi ki ek budhiya Achanak bich sadak par aa gayi aur uski gadi se takra gayi. Sarita na sahi samay par break mar di thi jiski wajah se takkat jyada jor ki nahi lagi thi. Sarita turant apni car se utri aur us budhiya ke paas pahuch gayi aur boli.


Sarita- Amma Aapko kahi chot to nahi lagi. Aur aap achanak bich sadak par kaise aa gayi. Wo to achha huwa ki maine ein mauke par breack maar diya nahi to apko bahut jyada chot lag sakti thi.

Budhiya. Nahi bitiya. Mujhe jyada chot nahi aayi hai. Bas meri gathri gir gayi hai tum jara use uthakar mere sir par rakh do beti. Main apne ghar ja rahi hoon.

Sarita- Chaliye main aako aapke ghar par chhod deti hoon. Aap kaha par rahti hain Amma.

Budhiya. Are nahi bitiya. Tum kyon pareshan ho rahi ho main chali jaungi. Bas tum meri gathri mere sir par rakh do.


Sarita us budhiya ki baat nahi manti aur use pakadkar apne gadi ke paas le aati hai. Apne gadi ke paas khada karke Sarita uski gathri lene jati hai. Sarita ne jhukkar wo gathri uthayi aur le jakar apni car me rakhne lagti hai. Thik usi samay do gadiya aakar Sarita ke gadi ke pass rukti hain. Usme se 4 Aadmi bahar nikalte hain. Unhe dekhkar Sarita apni car ka darwaza band kar unki taraf dekhne lagti hai unme se ek aadmi Sarita se poochta hai.


Aadmi- Miss Sarita Joshi.

Sarita- Ji haan.

Aadmi- main CBI Officer Pradhan hoon. Aapko sharam nahi aati. Jo kisi gareeb ke mehnat ki kamai ko is tarah se loot rahi ho. Ek report likhne ke liye usase rishwat mangti ho. Kya Sarkar ki di hui salary se aapka gujara nahi hota jo apne iman ko bechkar paise kama rahi ho. Aapko sharam nahi aati aisa karte huwe.

Sarita- Ye kaisi baat kar rahe hain aap sir ji. Maine kisi se rishwat nahi li hai aur na hi maine koi aisa kaam kiya hai jisase mujhe sharam aaye. Main to bas us budhi Amma ko, jo meri gadi se takra gayi thi unhe ghar chhodne ja rahi hoon. Ye unhi ki potli hai.

Pradhan- Kise ghar chhodne ja rahi ho. Waha to koi nahi hai.


Sarita ne Pradhan ki baat sunkar pichhe mudkar dekha to budhiya waha se gayab thi. Sarita ko samajh me aa gaya ki use in sab me fansaya gaya hai. Sarita ne kaha.


Sarita- Abhi to yahi thi sir. Pata nahi kaha chali gayi aur apni gathri bhi bhool gayi.

Pradhan- Jara is gathri ko tho kholiye miss Sarita Joshi. Ham bhi to dekhe ki aapki baat me kitni sachhai hai.


Pradhan ki baat sunkar Sarita ne us gathri ko apni car se bahar nikala aur bonat par rakhkar use khol diya. gathri khulte hi Sarita aur un officers ki aankhe badi ho gayi. Sarita vismit si hokar Pradhan ko dekhne lagi. Gathri me ek kapda aur kuchh Paise aur ek mangalsutra tha. Uske sath hi ek letter bhi usme rakha huwa tha. Pradhan ne Sarita se kaha.


Pradhan- Iske baare me apke kya vichar hain Miss Sarita Joshi. Kya aap ab bhi kahengi ki aapne rishwat nahi li.

Sarita- Ji sir main ab bhi yahi kahungi ki maine kisi se koi rishwat nahi li aur iske baare me mujhe kuchh bhi pata nahi hai.

Pradhan- Jyada Smart ban-ne ki koshish mar karo miss sarita. Hamne sabkuchh apni aankho se dekha hai. Iske pahle bhi hame aapke khilaf rishwat lene ke liya complain aai thi. Jiske liye aapko notice bhi diya gaya tha, lekin aapne ne us notice ko gambhirta se nahi liya aur apni harkto se baaz nahi aayi. Aaj kisi ki complain ki jaroorat nahi hai. Aaj hamne aapko range hantho pakad liya hai.

Sarita- Lekin main sach kah rahi hoon sir maine kisi se koi rishwat nahi li. Main to us buddhi Amma ki madad karna chahti thi aur kuchh nahi. Mera yakeen kijiye sir.

Pradhan- Kitni Dheeth ho tum. Aapna deen iman bechkar bhi kaise besharmo ki tarah juban lada kar rhi ho. Aap yakeen ki baat kar rahi hain. To fir aapke khilaf jo shikayate aati rahi hain uska kya. Chalo maan liya ki koi tumhare khilaf shajish kar raha hai, lekin abhi jo ham logo ne dekha uska kya.

Is latter ko dekho. Isme saaf likha hua hai ki maidam maine apni poori jama punji aapko de di hai ab to meri complain likh lijiye aur mere pati ko chhuda lijiye. Aap kahengi to main kahi se aur paise ka intezam karke aapko de dungi. Lekin meri madad kijiye madam. Iske baad bhi aap apni safaai me kuchh kahna chahti hain.


Sarita ko Anuman ho gaya tha ki ab vo poori tarah se fans chuki hai ab wo chahe kitni bhi apni begunahi ki fariyaad kare lekin uska koi sunne wala nahi hai. Isliye chup rahne me hi usne apni bhalai samjhi. Sarita ko chup dekh Pradhan ne kaha.


Pradhan- Aapki chuppi is baat ka subut hai ki aap par jo bhi ilzam lagaye gaye hain wo bebuniyad nahi hain. Aap sach me rishwat khor police officer hain. Jisne chand rupayo ke liye apni iman bech diya hai.

Sarita- Listen to me sir.

Pradhan- No. ab aapki koi baat nahi suni jayegi. Ham sab aapko doshi mante hain. Ab aapke paas 1 week ka samay hai. Aapko ek saptan ka samay diya jata hai apni begunahi sabit karne ka. Agar in ek saptah me aapne apni begunahi sabit nahi ki to you are faired aur sath mein apni wardi ka galat istemal karne ke jurm mein saza bhi hogi. Chalo sabhi.


Sarita meri baat to suniye sir karti rahi. Lekin uski koi bhi baat nahi suni gayi. Pradhan aur uske sath aaye huwe officers us potli ko apne sath lekar chale gaye. Sarita hatash pareshan si khadi apni kismet ke bare me sochti rahi. Jisne shuru se uske sath daga kiya tha.


Khushiyo ke kuchh pal uske Jeevan me aaye the to aaj wo bhi chale gaye the. Yahi sab sochkar unki aankho me aanshu aa gaye. Use Rawat Sir ki baat yaad aane lagi jab unhone Sarita se kaha tha ki tumhe ab har kadam sambhal kar rakhna hoga. Maine unki baat ko kaise bhool gayi.


Kuchh der aise hi sochte rahne ke baad usne kamre par jana behtar samjha aur car me baithkar apne kamre par aa gayi. Kamre me aakar apne bister par late gayi aur sari ghanta ke baare me sochne lagi ki aakhir iske pichhe kaun ho sakta hai. Tabhi Sarita ka phone bajne laga. Sarita ne dekha ki phone uski maa ka hai. Apni maa ka phone dekhkar uski aankho se aur tez aanshu bahne lage. Lekin usne turant apne aapko sanyamit kiya aur phone utha liye. Udhar se Sarita ki maa ki aawaz aayi.


Rani ji- Hello Sarita bitiya. Kaisi ho tum.

Sarita- Pranam maa. Main achhi hoon maa. Aap kaisi hain.

Rani ji- main bhi achhi hoon bitiya. Pata nahi subah se kya ho gaya hai mujhe bahut bechaini si ho rahi hai. Baar baar man me bure khyal aa rahe the. Kahi tu kisi musibat me to nahi hai. Maine kai baar phone karne ki sochi, lekin fir ye sochkar nahi kiya phone ki tum apne kaam me busy hogi to tumhe disturbance hoga. Sab thik hai na bitiya. Tumhe kahin koi dikkat to nahi hai na.


Apni maan ki baat sunkar Sarita ki aankho me aanshu bahna fir se shuru ho gaye. Aakhir maa ko bhi ehsas ho gaya ki main kisi musibat me hoon. Maa tum kaise jan leti ho ki aapki beti musibat me hai. (Aksar aisa hota hai ki jab ham kisi musibat me hote hain to kisi aur ko to nahi lekin maa ko aksar aabhash ho jata hai ki mera bachha/bachhi musibat me hain.) Sarita yahi sab sochkar aansu baha rahi thi. Rani ji apni baat kahti ja rahi thi. Kuchh pal tak jab Sarita ki koi aawaz nahi aayi to Rani ji ne fir se thodi tez aawaz me kaha.


Rani- Kya huwa bitiya. Tumm itni chup chup kyon ho. Tum sun to rahi ho ki main kya kah rahi hoon.

Sarita- (sabhalte huwe) main bilkul thik hoon maa. Wo aaj subah se 8 baje tak office me bahut kaam tha. To kam karke mera sir thoda thoda dard kar raha hai aur koi baat nahi hai. Main abhi sone ja rahi hoon. Kal subah baat karti hoon aapse.

Rani ji- Thik hai bitiya. Apna khyal rakhna aur phone karte rahna.


Rani ji jab phone rakhne lagi to Manisha ne Rani ji se phone Chheen liya aur bol padi.


Manisha- Hello didiya. Phone mat rakhna. Thodi der mujhse bhi bat kar lo didiya.

Sarita- Wahi to main soch rahi hoon ki meri chhipkili ne abhi tak phone liya kyon nahi mummy se.

Manisha- (hanskar) Aap thik to ho na didiya. Koi pareshani ho to main aa jaun Aap ke paas.

Sarita- Main bilkul thik hoon. Tujhe to bas bahana chahiye ghoomne ka. Tera dhyan padhai likhai par nahi rahta. Is baar history aur bharat ka sanvidhan khoob ache se yaad kar lena. Main bahut jaldi ghar aa rahi hoon fir tujhse is bare me baat karungi.

Manisha- Kyaa didiya. Jab dekho tab padhai padhai aur bas padhai. Is bachhi ko chain se jine nahi dengi aap. Abhi to mere khelne kudne ke din hain didiya. Ye padhai likhai apne bas ki baat nahi hai.

Sarita- ghodi ho gayi hai aur bol rahi hai ki abhi khelne kudne ke din hain. Agar padhai nahi karegi to teacher kaise banegi jo tu ban-na chahti hai.

Manisha- Ab maine wo vichar bhi tyag diya hai. Padh llikh kar kuchh hone wala nahi hai. Waise bhi jisase meri shadi hogi wo to mujhe kama kar khilayega hi. Phir mujhe naukari karne ki kya jaroorat hai didiya.

Sarita- tu na bahut juban chalane lagi hai aajkar. Main aakar teri bahut pitai karungi.

Manisha- (bhavuk hokar) Aap ko jitna marna ho mar lena didiya. Aap jo bhi padhne ke liye kahengi main sab padhungi. Bas aap ghar aa jaiye. Mujhe aapki bahut yaad aati hai. Jab se aap gayi hain tab se ek baar bhi ghar nahi aayi hain.

Sarita- Chal ab jyada emotional mat ho nahi to main bhi ro dungi. Acha ye bata papa to thik hain na.

Manisha- Haan didiya. Papa bilkul thik hain. Aapko bahut yaad karte hain.

Sarita- thik hai Manisha. Main bahut jaldi ghar aati hoon. Ab main phone rakh rahi hoon. Subah jaldi PS bhi jana hai.

Ghar walo se baat karne ke baad Sarita ko achha mahsoos ho raha tha. Uske dimag se abhi kuchh der pahle wali ghanta nikal gayi thi. Usne apne liye coffee banayi aur jakar balcony me baithkar coffi pine lagi. Coffee pite huwe fir se uske jehan me aaj ki ghanta kisi chalchitra ki tarah chalne lagi. Aakhir vo bhudhiya kaun thi jo mujhe fansane ke liye waha aai thi. Ye sab kaun kar sakta hai mere sath. Mujhe kuchh samajh me nahi aa raha hai. .


Yahi sab sochte huwe wo apni chaai khatam karti hai aur apne bister par late jati hai. Aaj ki sari ghatnaye uske mastishk me ghoom rahi thi. Dhire dhire wo neendh ki aagosh me chali jati hain.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So jis ka daar tha akhir wo huwa hi hai aur mujhe lagta hai ki yaha par galti sarita ki bhi hai jo usne rawat sar ke batane par bhi in mamlo ko zyada seriously nahi liya
Ye sab bacha ka khel ho lag raha hai aur usne apne chale bohut sahi chali jisme sarita bohut hi bure tarike se fas chuki hai ab dekhna ye hoga ki kya sarita apne apko sabit kar payegi ya Phir se apne kuch overconfident aur let go wale attitude ke chalte ulta aur fas jayegi.
Overall Nice Update
BRAVO 🙌
 

Top