- 25,318
- 19,148
- 143
Mera kaun sa asli roop aapko dikh gaya jara mejhe bhi tahjib se batla dijiye.जिस तरह आपको हमारी कहानी में किरदारों में बुराई दिखने लगी है।
उसी प्रकार अब हमको भी आपका असली रूप दिखने लगा है अब।।![]()

Mera kaun sa asli roop aapko dikh gaya jara mejhe bhi tahjib se batla dijiye.जिस तरह आपको हमारी कहानी में किरदारों में बुराई दिखने लगी है।
उसी प्रकार अब हमको भी आपका असली रूप दिखने लगा है अब।।![]()
To kya aap saf savdho me kahna chati ho mai bure sangat me hoonसंगत हमेशा अच्छी करनी चाहिए महोदय![]()
Vaise jo bhi aapko dikha theek hi ho aagar phir samjhne me fher ho tho jaldi hi contes me uska prman ek sanyog se de dungaअब तो हमको भी आपके अंदर कुछ कुछ दिख रहा है।![]()
Bilkul sahi annya ka saath kabhi nehi dena chaye aor dena bhi matअगर आप लोग चाहते हैं कि आप हमें ब्लैकमेल करके अपना काम करवा सकते हैं तो ये कभी नहीं होगा।
हम अन्याय का साथ कभी नहीं देंगे।।
Sarita ki jaldvaji aur bina soche samjhe phaisla lene ki ravaya ne use raghu ke bichhaye jal me fhasa diya. Ab sarita ko afsos ho raha hai ki bina nishchhal ko batalaye koyu aa gayi par jo hona tha vo to ho chuka. Last me ye raghu ki brat me bin bulaye samil hone kaun aa gaya .UPDATE- 69
Manisha ne Sarita ko kafi masakkat ke baad aakhirkar mana hi liya tha. Sarita ke mummy papa bhi sham ko ghar aa gaye the.
Idhar Nishchal 3 din se lagatar koshish kar raha tha lekin abhi tak Raghu uske hath nahi laga tha. Lekin Nishchal ne bhi bina Raghu ko pakde huwe chain ki sans na lene ki kasam kha li thi.
Idhar Sarita bhi ab ghar se vapas aane wali thi. Sarita ke sath Manisha bhi aane ke liye taiyar thi, kyonki use Abhishek se milna tha. Raani ji ne Manisha ko anumati de di thi.
Sarita aur Manisha apna bag pack kar rahi thi. tabhi Sarita ka phone bajne laga. Phone Unknown number se aaya tha. Sarita ne turant jaan liya ki ye Raghu hi ho sakta hai. Sarita ne call uthaya aur kaha.
Sarita- hello.
Raghu- Sarita ji. Kaisi hain aap.
Sarita- Ham thik hain. Aap kaun.
Raghu- Kya Sarita ji. Itni jaldi aap hamari aawaz bhool gayi.
Sarita- Mujhe din mein pachaso phone aate rahte hain ab main kis kis ko yaad rakhungi.
Raghu- Achha ji. To ye baat hai. chaliye ham khud hi apni pahchan karwa dete hain. Kyonki aap hamari aawaz hi nahi pahchan pa rahi hain. Ham wahi hain guldaste wale.
Sarita- Achha. Raghu ji. Ab aap har baar number badalkar phone karenge to kaise yaad rahega hamko.
Raghu- Ab kya karein ham. Hamara kaam hi kuchh aisa hai ki hamein alag alag number rakhna padta hai.
Sarita- Waise aapne aaj tak mujhe bataya nahi ki aapka aisa kya kam hai jo aapko itne number rakhne padte hain.
Raghu- Ye bhi aapko jaldi pata chal jayega. Jab aap hamse is baar milne aayengi.
Sarita- Thik hai ji. Koi kaam tha kya aapko.
Raghu- Kam to bahut important tha isiliye to aapko phone kiya hai maine.
Sarita- Bataiye. Kya kaam tha aapko.
Raghu- Aap apni duty kab join kar rahi hain.
Sarita- kal se.
Raghu- Achha. To kya ham kal mil sakte hain aapse.
Sarita- Kal subah to main Jaunpur hi pahuchungi.
Raghu- Thik hai fir. Sham ko milte hain aapse. Aap aayengi na mujhse milne.
Sarita- Kyon nahi aaungi. Ab to aapse milna hi padega.
Raghu- Ji…
Sarita- Are ab ek dost ne kaha hai milne ke liye to inkar thodi hi kar sakti hoon.
Raghu- Thik hai fir. Main dophar tak aapko phone karke location bhej deta hoon.
Sarita- Lekin Jagah wahi…….
Raghu- mujhe maloom hai. Public place hi rahegi apne milne ki jagah. Kisi coffee shop par hi milenge ham dono.
Sarita- Thik hai fir kal milte hain.
Sarita ne phone rakh diya aur man hi man sochne lagi.
Sarita- Bahut dhokha de chuke ho tum mujhe, lekin ab nahi. Jab tak mujhe pata nahi tha ki tum hi wo aadmi ho jisne us dange ko anjam diya tab tak to mujhse bachte rahe, lekin ab mujhe tumhari kartut ka pata chal chuka hai. is baar tum mujhse nahi bach sakoge Raghu.
Udhar Sarita se baat karne ke baad Raghu ke dimag mein bhi koi khichdi pak rahi thi. wo is mauke ko hath se jane nahi dena chahta tha. Isliye wah kuchh plan karne mein lag gaya.
Sarita aur Manisha ne apna sara saman pack kar liya. Sarita ne phone karke Savita ko apne aane ki khabar de di. subah ko 7 baje ki train thi Sarita ki.
Raat ko khane ke samay Savita ne Manisha aur Savita ke aane ki khabar Nishchal aur Raghav ko sunayi to dono man hi man bahut khush huwe, lekin apni Khushi ko dono ne apne andar hi samet liya.
Subah dono ko Aanand ji station chhodne ke liye gaye. Dono ne Aanand ji ke pair chukar train mein baith gayi. lagbhag 9.30 par dono Jaunpur pahuch gayi. Savita ne Raghav ko bheja tha Manisha aur Sarita ko lene ke liye. Jab Raghav dono ko lekar ghar aaya to. Savita bahut khush hui. Usne dono ko gale lagate huwe kaha.
Savi- tum dono ko dekhkar mujhe bahut Khushi ho rahi hai. tum dono fresh hokar khana khakar aaram kar lo. Main thoda kaam se bahar ja rahi hoon. Ek ghante mein aa jaungi.
Sarita ne Sir hilaya aur Manisha ke sath kamre mein chali gayi. dono fresh hokar khana khaya aur aaram karne lagi. Dophar 2 baje ke kareeb Sarita ka phone fir se baja. Kisi anjan number se phone tha. Sarita jaan gayi ki ye Raghu hi ho sakta hai. Sarita ne phone uthaya to Raghu ne use coffee shop ka address bata diya.
Sarita bhi Raghu se milne ke liye taiyar hone lagi. Usne taiyar hokar apne hand bag mein apni gun rakhi aur Amit ko phone kiye, Kyonki Jawed aur Mohit ko phone karne ka matlab tha Nishchal ko pata chal jana jo wo nahi chahti thi. Isliye usne Amit ko phone kiya tha.
Sarita- Amit Aadhe ghante ke baad tum Kaushal aur kuchh hawaldaron ke sath mujhe is address par milna. Is baare mein kisi ko bhi mat batana aur poori taiyari ke sath aana. Kisi ko bhi nahi matlab kisi ko bhi nahi.
Amit- Kya baat hai madam. Kisi mission par hain kya aap.
Sarita- Jitna kah rahi hoon utna karo. Jab waha aaoge to tumhe khud pata chal jayega. Tum abhi Kaushal ko sath lekar mere bataye huwe address ke liye nikalo.
Amit- Yes madam.
Sarita ne apna phone cut kar diya aur apna bag lekar bahar jane lagi to Savita ne pooocha.
Savi- Are Aaj to tumhe kahi nahi jana tha. Aate hi duty shuru kar di tumne.
Sarita- Nahi di. Kisi se milna tha bas 10 minute mein aa rahi hoon. Kuchh jaroori kaam tha. Plz
Savi- Achha thik hai, lekin jane se pahle Nishu ko batakar jao.
Sarita- Are di. pareshan hone ki jaroorat nahi hai. bas yahi paas mein hi ja rahi hoon. Plz Sir ko mat bataiyega. Nahi to fir se mujhse jhagda shuru kar denge.
Savi- Achha Thik hai. nahi batati usko. Lekin jaldi se jakar aana.
Sarita Raghu se milne ke liye uske bataye huwe address par nikal gayi. Raghu ne Use ek Restra mein milne ke liye gulaya tha. Thodi hi der mein Sarita waha pahuch gayi. Raghu pahle se hi bahar khada huwa uska intezar kar raha tha.
Restra mein kaafi log baithe hue the jaisa sarita chahti thi thik waisa hi public place tha wo. Raghu ne Sarita ko dekhte hi ek badi se smile di. Sarita ne bhi Ek Smile Raghu ko di. Raghu Sarita ko lekar ek corner ki chair par baith gaya aur bola.
Raghu- Mujhe laga ki aap nahi aayengi.
Sarita- Aise kaise nahi aati. Aapne itne pyaar se bulaya to aana hi pada.
Raghu- Aapki isi ada par to ham fida hain Sarita ji.
Sarita- Jiii.
Raghu- Soryy . agar aapko bura laga ho to.
Sarita- Are nahi aisa kuchh bhi nahi hai. (man mein) ye Amit kahan rah gaya hai. abhi tak aaya kyon nahi wo. Aadhe ghante to bit chuke hain. Kya main akele hi apna kam shuru kar doon. Nahi thodi der aur wait kar leti hoon.
Raghu ne ek waiter ko bulaya aur use kuchh ishara karte huwe sarita se poochha.
Raghu- Kya lena pasand karengi aap. Coffee ya cold drink.
Sarita- yaha to main aapki mehman hoon. Jo mejban ki ichha ho manga lijiye.
Raghu ne waither ki taraf dekhkar kuchh ishara kiya. Waiter bhi uska ishara samajhkar waha se chala gaya. Lagbhag 10 minute bit gaye. Raghu ne Manager ko bulaya aur kaha.
Raghu- Manager. Kya yahi tumhare yaha ki vyavastha hai. 10 minute beet gaye hain lekin abhi tak hamara order nahi aaya.
Manager- Sorry Sir. Main dekhta hoon.
Sarita- (man mein) Ye amit kaha rah gaya hai. ye abhi tak aaya kyon nahi. 1 ghante ka samay hone wala hai. Amit ko to main baad mein dekhungi pahle main ise to dekh lu. Main ye mauka hath se jane nahi dena chahti. Pata nahi aisa mauka fir mile ya na mile. Mujhe kuchh karna hi padega.
Yahi sab sochkar Sarita ne apne bag mein hath dala aur bag mein hi gun load karke gun bahar nikal liya aur Raghu ke upar taan diya aur kaha.
Sarita- Ab jo bhi khana pina karna hai wo police station mein chalkar khana pina. Ab tum ham logo ko bhi mauka do ki ham tumhari achhi tarah khatirdari kar sakein. Chupchap aapne hath upar karo aur chalo yaha se. nahi to bheja uda dungi.
Ye dekhkar Raghu hansne laga aur Sarita ki taraf badhne laga.
Idhar Manisha jab neend se jagi to usne dekha ki Sarita uske paas nahi hai. to wah apni aankh malte huwe bahar aayi aur Savita se poochha.
Manisha- Didi. Didiya kahin gayi hain kya.
Savi- Haan kisi kaam se gayi hai. boli thi ki 10 minute mein aa jaungi, lekin abhi tak nahi aayi. Tum jakar apna huliya thik karo. Pahle apna hath munh dho lo fir aao.
Manisha- Wo didiya nahi dikh rahi thi to wahi poochne chali aayi. Ja rahi hoon bathroom main.
Ye kahkar Manisha apne kamre mein jane lagi to Raghav uske samne aakar khada ho gaya. Jab wo kinare se nikalkar jane lagi to Raghav ne uska hath pakad liya aur kheechkar apne paas karte huwe ek hanth uski kamar par rakh diya. Manisha ka poora sharir jhanjhana gaya. Manisha ekdam hadbadati hui boli.
Manisha- yeee. Yee kyaa kaar rahe hoo.
Raghav ne uske chehre par aaye balo ko apni ungaliyon mein fansakar uske kan ke pichhe karte huwe uske chehre ke kareeb apna munh lekar jate huwe kaha.
Raghav- Bahut khoobsurat lag rahi ho tum.
Manisha- di.dii. hain yahaaa. Yee.. ky..kyaa karr re… rahe ho. Chhodoo mujheee.
Manisha ne Raghav ko apni badi badi aankho se ghurte huwe kaha. Jiske karan Raghav ne uski kamar se apna hath hata-te huwe kaha.
Raghav- Lo chhod diya.
Raghav ke chhodte hi Manisha Waha se bhag gayi aur apne kamre mein pahuch kar darwaza band karke apne bed par baith gayi aur apni dhadkano ko kaboo karne ki koshish karne lagi. Jo Raghav ke chhune se badh gayi thi. wo apni sanse durust karte huwe badbadai.
Manisha- Kya pagal aadmi hai. Jagah bhi nahi dekhta aur jab chahe shuru ho jata hai. Agar didi ne dekh liya hota to pata nahi kya sochti. Agar aage se isne kuchh karne ki koshish ki to ise achha sabak sikhaungi. Duffer Idiets.
Manisha ke dil ki dhadkar abhi bhi tezi se chal rahi thi. kuchh Raghav ki harkato ki wajah se aur kuchh daudkar aane ki wajah se.
Idhar Raghu Sarita ko dekhkar hans raha tha. Sarita ko uski is harkat par gussa aa raha tha. Wo gusse se boli.
Sarita- Tujhe jitna bhi hansna hai yahi hans le, kyonki police station mein tera wo hal karungi ki tu hansne ke kabil nahi rahega.
Raghu- maine tujhse pyaar kiya tha Sarita, lekin tumne mere pyaar ko thukra diya. Heera thik kahta tha. Tujhe kidnap karke hi mujhe tere sath shadi kar leni chahiye thi. Lekin koi baat Nahi. Jo abhi tak maine nahi kiya wo main ab karunga.
Waise bhi Tune abhi Raghu ko thik se jana hi nahi hai Ladki. Tujhe kya lagta hai ki ham bevkoof hain. Tune ye soch bhi kaise liya ki main itni aasani se teri giraft mein aa jaunga. Raghu naam hai mera Raghu. Aaj tak mujhe police ne dekha nahi tha, Hamara Screch Jaroor Us heera ki Information ki wajah se bana hai.
Tu kya samajhti hai ki main ye samajh nahi paunga ki tu mera schreach dekhte hi mujhe pahchan nahi legi. Mujhe pata tha ki too jaroor mujhe pahchan legi. Lekin tu itni badi bevkoofi karegi ye mujhe nahi pata tha.
Tumhe kya lagta hai ki tumne mujhe pakadne ke liye yaha aane ka natak kiya ye mujhe samajh nahi aayega. Tere aane se pahle hi maine yaha sara intezam kar diya hai. jara apne agal bagal aur pichhe apni najar ghumakar to dekh le.
Raghu ki baat sunkar Sarita ne apni najar charo taraf ghumayi to charo taraf kai aadmi banduk leker Sarita ki taraf nishana lagaye khade huwe the. Jo wahan par pahle baithe huwe chaai aur coffee pi rahe the. Sarita ko ab kuchh samajh nahi aa raha tha ki wo kya kare. Sarita ab ashay si ho gayi. Raghu ne aage badhkar Uski gun le li. Aur kaha.
Raghu- Tu abhi in sab mamlo mein bahut kachhi hai inspector. Tu abhi jis school mein padh rahi hai na. ham uske hedmaster rah chuke hain aur tu mujhe pakadne chali thi. lekin koi baat nahi. Jab tum hamase shadi karke Kuchh din hamare sath rahogi to tum bhi hedmastarain ban jaogi.
Sarita- Ye tum jo bhi karna ka soch rahe ho main use poora nahi hone dungi aur tum agar ye soch rahe ho ki tum bach jaoge to ye tumhari sabse badi bhool hai.
Raghu- Wo sab ham baad mein dekh lenge. Pahle tum shanti se hamare sath chalo jaha ham tumko le jana chahte hain.
Sarita- Main kahi nahi jane wali tumhare sath.
Raghu- chalenge to tumhare papa bhi hamare sath. Tumhi to wo jariya ho jiski madad se ham Heera ko lockup se bahar nikal payenge. Tum mujhe pahali najar mein hi bha gayi thi, lekin main janta tha ki tum itni aasani se mere kareeb nahi aaogi.
Tumhare kareeb main isiliye aaya ki tumhe apni chikni chupdi bato mein fansakar tumse shadi kar lunga. Fir dhadalle se apna karobar karunga. Mujhe koi rokne wala nahi hoga. Lekin tu to badi sanskari nikali. Khair koi nahi ab hamari baat man-ne ke alave tere paas koi chara nahi hai.
tujhe Ab sAri jindagi meri aurat bankar mere paas rahna hai. Teri hi madad se to main heera ko tum logon ke changul se bahar nikaal paunga. Ab ek patni hone ke nate tum mere liye itna to karogi hi. Batao sarita karogi na mera kaam.
Sarita- Mujhe dhamki de rahe ho tum.
Raghu- Dhamki nahi de raha hoon. Tumhe samjha raha hoon. Aur agar tum logo ko meri baat samajh mein nahi aayi to ise dhamki hi samajh lena tum.
Uski baat sunkar Sarita ab apne aapko kosh rahi thi ki use itni jaldbazi nahi karni chahiye thi. Yaha Aane se pahle thoda soch vichar to karna chahiye tha. Kam se kam ek baar sir ko to batana hi chahiye the.
Haan wo thoda naraz hota. mujhe dat-te . chaar baat suna bhi dete, lekin kam se kam kisi ko pata to hota ki main abhi kaha par hoon kis haal mein hoon. Kam se kam mujhe madad karne to aa hi sakte the.
Sarita abhi apni hi soch mein gum thi ki Raghu ne aage badhkar Sarita ka hath pakad liya. Sarita ne uska hath jhatakte huwe kaha.
Sarita- Hath mat lagana mujhe. Main chal rahi hoon tumhare sath.
Ye sunkar Raghu hansne laga. Sarita ne furti dikhate huwe doosri taraf se nikalne ki koshish karne lagi to Restra ke ek worker ne uska hath pakad liya. Raghu bhi tab tak aakar uske aage khada ho gaya aur bola.
Raghu- Bhagne ki koshish bhi mat karna Inspcetor Sahiba. Yaha se nikalna mumkin hi nahi asambhav bhi hai, kyonki ye Restra mera hai. haan ye alag baat hai ki chalta kisi doosre ke naam se hai.
waise tumko dekhkar lagta nahi hai ki tum itni badi bevkoof ho. hamne to socha tha ki tumhe yaha lane ke liye bahut mehnat karni padegi, lekin tum to khud hi hamare bichhaye huwe jaal mein fans gayi.
Raghu ki baat sunkar Sarita soch rahi thi ki bas ek mauka mil jaye fir batati hoon ki main kya cheez hoon. Lekin ye itna aasan bhi nahi tha. Sarita itne aadmiyon se ghiri thi ki uska nikalna muskil tha. Tabhi Sarita ka mobile bajne laga.
Sarita ne jab call receive karne ke liye mobile nikala to Raghu ne uske hath se mobile cheen liya aur switchoffi kar diya. Sarita bas apne aapko asahay mahsoos kar rahi thi aur use ghoor rahi thi. Raghu ne Sarita se kaha.
Raghu- Ab koi chalaki nahi chupchap mere pichhe aao.
Itna kahkar Raghu ne do kadam aage badhaya hi tha ki uske kano mein ek aawaz sunayi padi.
Akele Akele kahan ja rahe ho.
Hamein sath le lo jahan ja rahe ho.
akele akele akele........
Raghu ne Jab ghoomakar Aawaz ki taraf dekha to Us shakhs ne kaha.
Itni bhi kya jaldi hai Raghu.
Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
UPDATE- 70
Raghu Sarita ko lekar jane laga tabhi Sarita ke kanon mein ek jani pahchani aawaz sunayi di. jo kisi ne raghu se kahi thi. ye aawaz sunkar Sarita ne ek Rahat bhari sans li.
Sirf madam ko kyon le ja rahe ho. hamko bhi sath mein lekar chalo.
Sarita ne turant palat kar dekha to Jawed sade kapdo mein unke pichhe khada tha.
Aawaz sunkar Raghu ne palatkar Jawed ko dekhte huwe kaha.
Raghu- Tu kaun hai be aur yaha kya kar raha hai. chaal kat le yaha se.
Jawed- Rishte mein to ham tumhare baap lagte hain. lekin tu apne baap ko nahi pahchan raha hai.
Raghu- Kya bakwas kar raha hai tu. kyon bemaut marna chahta hai. Chala ja yaha se.
Jawed- madam ko chhod aur tu mere sath chal. teri achhi khatirdari karunga.
Raghu- Lagta hai mujhe hi teri khatirdari karni padegi. ruk tujhe batata hoon.
Raghu itna kahkar aage badha hi tha ki uske kanon mein ek aur aawaz sunayi padi.
Abe o Raghu. Tera ek baap idhar bhi baitha hai. jara meri bhi khatirdari kar de beta.
Ye aawaz sunkar Sarita ne AAwaz ki taraf dekha to Mohit waha par baitha chaai ki chuskiya le raha tha. Raghu ne jab Mohit ko dekha to wo use turant pahchan gaya aur gusse se bola.
Raghu- Abe tu to police wala hai na.
Mohit- Dekha jawed. main na kahta tha ki ye apne pahle baap ko pahchane ya na pahchane, lekin is baap ko jaroor pahchan lega. To kya bolte ho Raghu beta. Ghar chale.
Raghu- Tune yaha par aakar bahut badi galti kar di hai. tum dono yaha se bachkar nahi ja paoge.
Mohit- Lo kar lo baat. Baap ko dhamki nahi dete beta. uski baat mante hain. chalo ab chupchap apna boriya bister bandho aur chupchap apne ghar chalo.
Mohit ki baat sunkar Raghu gusse se chillate huwe apne aadmiyo se kaha.
Raghu- In dono ko kutte ki maut maro. taki in dono ko afsos ko ki ye dono yaha aaye kyon.
Isase pahle Ki Raghu ke aadmi kuchh harkat kar pate. Pichhe se Raghu ko ek aawaz sunayi padi.
Afsos to tujhe zindagi bhar hoga ki tu Nishchal Singh Rathod ke hatthhe kyon chadha.
Raghu ne jab pichhe palatkar dekha to Nishchal uske samne khada tha aur RAghu ka poora restra Police ne gher liya tha. RAghu ke sabhi Aadmiyon ke pichhe police ka ek aadmi banduk tane khade the. Kisi ke paas hilne dulne ka samay nahi tha.
Raghu ne jab apne aadmiyo aur apne aapko police se ghira huwa paya to wo hakka bakka rah gaya aur apni gun nikal kar paas khadi SArita ki garden par apna hath ghumakar gun uski kanpati par sata di. aur bola.
Raghu- Agar apni chhamiya ki jaan pyari hai to abhi ke abhi apni police ko lekar yaha se rafuchakkar ho jao. agar 2 minute mein tum log yaha se nahi gaye to ham ye poori ki poori gun iske bheje mein khali kar denge. uske baad tum chahe mujhe maar hi dena.
ham bas ek hi baar bolte hain ki tum sab jaldi se ye jagah khali karke jao yaha se. nahi to yaha jo kuchh bhi hoga uske jimmedar tum hoge. ise kori dhamki mat samajhna. RAghu apni jaan bachane ke liye kuchh bhi kar sakta hai.
Nishchal ne jab ye dekha ki Raghu ne Sarita ke upar gun tan di hai to ek pal ke liye to uski jaan uske halak mein atak gayi. Heera ne use bataya tha ki Raghu Sarita se kis had tak pyaar karta hai. wo Sarita par goli nahi chalayega.
wo Sarita ko nuksan pahuchane ke bare mein soch hi nahi sakta, Lekin Nishchal koi khatra mol nahi lena chahta tha. Kyonki Paristhithi aisi ban chuki thi ki Raghu Sarita ko goli bhi maar sakta tha, Fir bhi Nishchal ne Raghu se kaha.
Nishchal- Tu mujhe dhamki deta hai. Tu ise goli kya bam se bhi uda de. mujhe koi fark nahi padta. lekin tum bhi yaha se bachkar nahi jaoge.
Sarita- (hairani se) Ya aap kya kah rahe hain Sir. Mujhe bachane ke bajay mujhe udhane ke liye bol rahe hain.
Nishchal- Tum chup karo. Main tumko Kyon bachaaun. Jab tum mujhe kuchh bhi batana jaroori nahi samajhti to. Ab bhugto. Tum maro chahe jiyo. mujhe to bas Is Raghu se matlab hai.
Sarita- Ye kaisi baat kar rahe hain aap Sir. Main aapke under kaam karti hoon to mujhe bachana aapka farz hai.
Nishchal- Achha. Tumhe bachana mera Farz hai lekin tumhara koi farz nahi hai ki yaha aane se pahle tum mujhe batakar aati.
Sarita- Main kyon batau aapko. Mujhe isko pakadna tha. isliye main yaha aa gayi ise pakadne. mujhe jaroori nahi laga ki main aapko kuchh bataun.
Nishchal- Tumhe mujhe batana jaroori nahi laga to tumhe bachana bhi mujhe jaroori nahi lag raha hai.
Nishchal ye sab janboojhkar kar raha tha, taki use kuchh samay mil jaye Raghu se Sarita ko chhudane ka. Usne Jawed ko kuchh ishara pahle ki kar diya tha is bare mein. Nishchal aur Sarita ki tu-tu, main-main sunkar Raghu pak gaya, isliye wo Chheekhte huwe bola.
Raghu- oo laila majnu. Tum dono apni bak bak band karo aur sun DSP main tin tak ginunga. agar mere tin bolne se pahle tu apne pantaro ke sath yaha se nahi gaya to main iska bheja khol dunga.
Raghu ke aisa bolne par Nishchal palat gaya. Ye dekhkar Sarita ne Jawed ki taraf dekha. Jawed ne Sarita ko kuchh ishara kiya. Jo Sarita ko samajh mein aa gaya. to Sarita ne apni palke jhapkakar Jawed ka ishara samajhne ka sanket diya.
Raghu ne 1 bol diya tha. jab wo 2 bolne ka huwa tabhi Sarita ne apni poori takat jama karke apni kohni ka jordar waar Raghu ke pet par kiya. SArita ka waar itna jordar tha ki RAghu disbalance ho gaya. Uska hath SArita ki garden se nikal gaya jiske karan Sarita jameen par gir padi.
Achanak huwe is hamle se RAghu sambhal nahi paya aur wo ladkhada kar jameen par gir pada. girte samay Uski gun uske hath se chhoot gayi aur hawa mein uchhal gayi. Jise badi furti se Mohit ne catch kar liya.
Idhar SArita ne jaise hi Raghu ke pet par kohni se waar kiya. thik waise hi Nishchal palat gaya aur daudkar Sarita ka hanth pakadkar kheech liya. Sarita Uthkar Nishchal ke sine se ja lagi. Nishchal ki dhadkan is samay bahut joro se chal gahi thi, jise Sarita ne bhi mahsoos kiya.
NIshchal ne Sarita ki baanh pakadkar use apne pichhe khada kar diya. Idhar Mohit hawa mein lahrati hui gun ko catch karke aage badhkar us gun ko Raghu ki kanpati par taan di. Ye dekhkar Raghu bas khisiyakar rah gaya.
RAghu ka sara danv ulta pad chukka tha. Ab uske paas nikalne ka koi rashta nahi bacha tha. Uske sare aadmiyon ko pahle se hi police ne apne gun point par le rakha tha.
Jis tarah kuchh der pahle SArita apne aapko asahay mahsoos kar rahi thi thik waise hi is samay Raghu apne aapko kar raha tha. Jawed chalta huwa Raghu ke paas pahucha aur ek karara jhapad Raghu ko rasid kar diya aur bola.
Jawed- Sale tujhe kab se bol rahe the ki ghar chal ghar chal. lekin tu nautanki kar raha tha. hame pareshan kar raha tha. Ghar chal tu. tujhe ache se batata hoon ki baap ko pareshan karne ka kya parinam hota hai.
ye sunkar RAghu gusse se chillakar bola.
Raghu- Tum log kya samajhte ho ki tum mujhe jyada der tak lockup mein rakh paogi to ye tumhari sabse badi bhool hai. tum nahi jante ki main kaun hoon. bachha singh ka bhaai RAghuu hoon main. ye naam yaad rakhna tum log.
BAchha singh ka naam sukar Sarita chauk gayi aur Raghu ki taraf dekhne lagi. Sarita apne man mein boli.
Sarita- He bhagvan ye bachha singh ka bhaai hai, par uska to koi bhaai tha hi nahi. kahi ye bachne ke liye to ye sab nahi bol raha hai. ho sakta hai ye sach bol raha ho. Ab samajh mein aaya ki ye itna befikar hokar kyon rahta hai.
har baar number badal badal kar phone karna, use koi dar nahi tha, na hi police ka aur na hi prashashan ka. main bhi kitni bevkoof hoon jo iski asaliyat na pahchan payi ki ye bachha singh ka bhaai hai.
Nischal ne jawed ko ishara kiya Raghu ko le jane ka. Jawed Raghu aur uske sathiyo ko lekar chala gaya to Mohti ne Sarita se poochha.
Mohit- Madam aap thik to hain na. aapko chot to nahi lagi na. aapko kuchh kiya to nahi usne.
Sarita- Nahi main bilkul thik hoon.
Sarita Nishchal se kuchh bolna chahti thi, lekin Nishchal ne use bolne ka koi mauka nahi diya aur Mohit se kaha.
Nishchal- Mohit. Inhe ghar chhod do.
Itna bolkar Nishchal bina Sarita ki taraf dekha waha se chala gaya. Sarita bas Nishchal ko jata huwa dekhti rahi. Sarita ne apne man mein kaha.
Sarita- Lagta hai fir gussa ho gaye. ho bhi kyon na. maine kaam hi aissa kiya hai. Ab Jb ghar aayenge to sorry bol doongi. Lekin kaise bol rahe the ki goli se nahi bam se uda do mujhe koi fark nahi padta. Agar mujhe wo sach mein uda deta to. Insaniyat naam ki koi chheez hi nahi hai.
mohit ki aawaz sunkar uska dhyan toota. mohit Sarita se ghar chalne ke liye kah raha tha.
Mohit- madam Ghar chale.
Sarita- Nahi Mohit ji. aap pareshan mat hoiye main chali jaungi.
Mohit- Nahi madam main aapko chhodkar nahi jaunga. apko mere sath chalna hoga, Kyonki Sir vaise bhi itne gusse mein hain. agar unko ye pata chalega ki aap ghar akeli gayi hain to meri shamat aa jayegi.
Sarita ko bhi Mohit ki baat sahi lagi. Sarita ne jyada kuchh bolne munasib nahi samjha aur mohit ke sath ghar wapas aa gayi. Mohit use gate par chhodkar chala gaya. jab Sarita ghar ke andar aayi to Savita ne uske upar sawalo ki jhadi laga di.
Savi- Kaha thi tum. maine tumhe kitna phone kiya , tumhara phone kyon band tha. Ye koi time hai aane ka. kuchh der ke liye bolkar gayi thi 2 ghante se jyada ho gaye hain. Kya kar rahi thi itni der.
Sarita- Di wo main baad mein bata dungi. abhi mein bahut thak gayi hoon. mujhe aaram karna hai.
Savi- Thik hai jao. lekin jab sokar uthogi to mujhe batana padega.
Sarita-Thik hai di.
Itna kahkar Sarita apne kamre mein chali gayi. Manisha bhi pichhe pichhe uske kamre mein aa gayi. use dekhkar Sarita ne kaha.
Sarita- Tum mere pichhe pichhe kyon ayi ho. agar kuchh poochhna ho to abhi kamre se bahar jao. mujhe sona hai.
Manisha- Nahi mujhe kuchh nahi poochna. aap soiye main yaha chupchap baithungi.
Sarita bister par aaram karne ke liye late gayi. Manisha Sarita ke paas bister par baith gayi tabhi uske phone par raghav ka massage aaya.
Raghav- Jaldi se nichhe aao. ek news dikhani hai.
Massage padhkar Manisha ne use ignore kar diya. use laga ki raghav use bahane se apne paas bula raha hai.
News Channelo par Raghu ke pakade jane ki khabar joro shoro se dikhayi ja rahi thi. Sarita aur Nishchal ki team ko Raghu ko pakadne ka poora shreya diya ja raha tha. Savita aur Raghav dono t.v. screen par najar gadaye huwe the. Ye khabar dekhakar Savita ne kaha.
Savi- Ab samajh mein aaya ki madam kis jaroori kaam se bahar gayi thi.
Raghav- Kuchh bhi kaho di. Sarita ji bahadur to bahut hain.
Savita- Haan ye baat sahi kahi tumne.
Isi tarah poora din bit gaya. Savita ne news par sab dekh liya tha isliye usne Sarita se iske bare mein baat nahi ki. Raat ko khana khane sab sath mein baithe hue the.
Nishchal aur Sarita Ek doosre ke samne baithe huwe the, Nishchal apna sir niche kiye huwe chupchap baitha huwa tha. Sarita ke bagal Manisha biathi hui thi, Raghav jhat se aakar Manisha ke bagal mein baith gaya. Savita ne Chupchap baithe Nishchal ko dekh kar kaha.
Savi- Kya baat hai Nishu. tu kuchh pareshan lag raha hai. Ab to tumhare dange wale case ka apradhi bhi pakda gaya hai. jiske liye tumne din raat ek Rakha tha, Ab wo case bhi to solve ho gaya hai to fir tum kisliye pareshan ho. Sarita ne bhi bahut bahaduri dikhayi aur tumhari madad ki is case ko solve karne min. I am proud both of you.
Nishchal- (man mein) haan kitni bahaduri dikhayi aur kitni meri madad ki ye to mujhe pata chal hi gaya hai. bahaduri ka to pata nahi lekin apni manmani bahut karti hai ye ladki.
aap logo ko nahi pata jab Raghu ne iske upar gun tani thi to meri kya halat ho gayi thi. Kitni mushkil se maine khud ko sambhala tha us samay. Agar ise kuchh ho jata to main jeete ji mar jata Nahi ji sakta main iske bina. Ab to meri jaan ban gayi hain ye.
Nishchal ko kuchh na bolte soch mein dooba dekha Savita ne uske kandhe par hath rakhkar jhakjhorte huwe kaha.
Savi- Kya huwa nishu. kis soch mein doobe huwe ho.
Nishchal- (hadbadate hwue) Kkk… kuchch. bhi to nahihii. kuchh nahi wo main thoda thak gaya tha. main ye soch raha tha ki kal main Anant se mil leta hoon. aap unko phone karke bata dijiyega kal ke liye aur mujhe unke ghar ke address bhi de dijiyega. main kal hi chala jata hoon lucknow.
Nishchal ki baat sunkar Sarita man hi man boli.
Sarita- Kal sir Anant ji se milne ja rahe hain, lekin inka mood thik nahi hai. kahi aisa na ho baat ban-ne ke bajay aur bhi bigad jaye. mujhe Sir ke jane se pahle ek baar unse baat karni padegi aur jo kuchh bhi aaj huwa uske liye maffi mangni chahiye.
Nishchal ke kal Anant se milne ki baat sunkar Savita bahut khush hui. Jo uske chahre se jhalak rahi thi. Sabhi baithkar khana kha rahe the. Raghav ne apna pair Manisha ke pair ke upar rakh diya khana khate huwe aur sahlane laga.
Uski is harkar se Manisha ko thaska lag gaya aur use khansi aa gayi to Manisha ne apne doosre pair se Raghav ke pair par jor se maara to raghav ne turant apna pair hata liya. Sarita ne turant pani ka gilas aage badhate huwe kaha.
Sarita- Lo pani pi lo.
Manisha- Nahi didiya. ab thik hai.
Itna kahkar Manisha Raghav ko ghoorkar dekhne lagi. Raghav khana khate huwe muskura raha tha. Nishchal ka khana khatam ho gaya tha to wo uthkar sidhe apne kamre mein chala gaya. usko jate dekh Sarita ne man mein kaha.
Sarita- Lag raha hai ki kuchh jyada hi naraz hain is baar. Ek bar Jakar sorry bol doon kya. lekin ek sorry mein kuchh thodi ho payega. jana to padega unke paas. khana khakar jati hoon.
sabhi ne apna apna khana finish kiya aur apne apne kamre mein chale gaye. Sarita aur manisha bhi apne kamre mein aa gayi. Kuchh der baithne ke baad Sarita ne manisha se kaha.
Sarita- Manisha, tum yahi par raho main sir se ek case ke bare mein discuss karne ja rahi hoon. jaldi hi aati hoon.
Itna kahkar Sarita apne kamre se nikli aur Nishchal ke kamre ki taraf chal padi.
Iske Aage ki Kahani Agle Bhag mein..
Mohit ne catch kar liya
धन्यवाद आपका नैना जी।।Update 70
Ek baat to tay hai ki Amit dhokha de raha hai..
Ab Amit ne dhokha kyun diya, is mamle mein baaki ki wajah ek taraf , kyun ki abhi ke liye ye ek wajah hi kaafi hai jisse pata chal jaaye ....ki Amit ne waqt pe naa aake ye baat proved kar di ki wo gaddari kar raha tha..
Yahan mamla nischal , jawed aur mohit & team ne sambhal liya.... lekin by chance agar ye log nahi aate to aaj sarita bahot musibat mein fansh jaati.... ek tarah se gaur ki jaaye to iska jimmewar Amit hi hai ..
So nischal & party ne raghu pe pehle se hi nazar rakh raha tha....
Khair to sham daam dand bhed lagake sarita ko bacha hi liya, aur raghu bhi inlogo ke giraft mein aa gaya..
Btw nischal ho ya sarita ya phir mohit aur javed... sabhi ke liye ye bahot badi baat hai finally raghu pakda gaya,
Ek aisa chalak aur ghag mujrim jiski photo tak record mein na thi aur na hi koi khas details... ye sach me bahot badi kamyaabi hai un logo ke liye....
sarita ki karvaahi ko dekhe to is baar bhi usne jaldbaazi ki.... actually uski sabse badi weak point bhi yahi hai..aksar jaldbaaji mein liye gaye faisle aur jaldbaaji mein uthaye gaye koi kadam khud ke liye hi musibaton ko nyota dene jaisa hai...
usne is baar bhi bina koi proper planning ke hi raghu ko pakadne chali gayi.... haan musibat mein fansne mein Amit ke dhokhadaari bhi ek wajah hai, lekin sabse bada kaaran sarita dwara jaldbaaji mein li gayi decision hi hai.....
To aakhirkaar Mahi Maurya ji ki wish puri huyi nischal ne sarita ko bacha liya, par sarita dwara uthaye gaye kadam ke chalte gussa bhi hai..
Aur shayad sarita nischal ko manaane ya maafi maangne ki koshish kare.....
Well let's see what happens next..
Brilliant update with awesome writing skills ....![]()
![]()
धन्यवाद आपका महोदय।।Samay rehte jaweed mohit and nischal pori team ke sath waha pahunch gaye jiske chalte sarita ki zindagi bach gayi
Pehle to laga tha sirf jaweed aur mohit hi aye hai pori team ko lekar but nischal bhi nikal aya
Raghu ne game badiya khela tha sarita ke Uppar gun tankar but usey kya pata tha ke tom jerry kahi hui shuru hojate hai chahe situation kaisi bhi ho
But ye Tom Jerry wali ladai inke kaam bhi bohut ati hai jisse agey wale ka pora focus hi out ho jata hai
Raghu ko pakad to liya but usey kitne samay tak andar rakh pate hai ye challenging hoga nischal and sarita ke liye kyunki bacha Singh ya Phir to kahe boss aur sarkar aise hi to nahi baithenge wo kuch na kuch karke raghu ko bahar Lane ki pori koshish karenge
Nischal ne finally samay nikal liya hai anant ji se milne ka ab ye mulakat bhi sahi se hogi ya nahi
Sarita nikal to gayi nischal se sorry Kehne aur Baat karne ke liye but mujhe lagta hai humesha ki tarah is baar bhi sab galti nischal ki bata kar usey hi suna kar aayegi
Ye raghav wale mamle mai ab mai kuch na kehta Mahi Maurya ji
But Chote miyan meri favourite hai
Overall Awesome Update
BRAVO![]()