Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 07


Fir dono bahane kuchh der baat karti rahi. Thodi hi der me ladke wale aa gaye. Apni kshamta ke anusar Aanand ji ne poori vyawastha ki thi. Kuchh hi der mein sagai ki rashm shuru ho gayi, lekin sagai hote hote ladke walon ka munh fool gaya. Ladke ke papa to aise bartav karne lage Jaise unke ghar me kisi ki mrityu ho gayi ho.


Ladke ke papa ne Aanand ji ko alag se Baat karne ke liye bulaya. Aanand ji ke sath unke sale bhi the. Ladke ke papa ne Aanand ji se kaha.


L.Papa- Ye kya hai Aanand ji aapne to kaha tha ki aapki khatirdari me koi kami nahi rahegi aur sagai ki rasham bahut ache se hogi, lekin yahan to na khatirdari thik se hui aur na hi sagai ki rasham hi ache se hui. Jab sagai me ye haal hai to shadi me to aap mujhe loot hi loge.

Aanand ji- Are nahi bhai Sahab. Ye aap kaisi baat kar rahe hain. Main apni kshamta se jyada kar raha hoon. Taki meri beti khush rahe. Shadi me koi kami nahi hogi bhai sahab. Hamne poori koshish ki sagai me koi kami na rahne paye. Fir bhi agar koi kami rah gayi ho to aap hamko bata dijiye. Ham poori koshish karenge ki use door kar sake.

L.Papa- dekho Aanand ek to ladke ko apne sone ki janjeer nahi di. Aur aapne sagai mein paise bhi kam diye hain. Aise kaise chalega. Akhir hamne apne bete ki padhai likhai me kitna paisa kharcha kiya hai. Aur tum apni beti ke liye use phokat me apna damad banana chahte ho. Aur sath me hamare sath aaye huwe mehmano ka aapne swagat dhang se nahi kiya.

Aanand ji- ya aap kaisi baat kar rahe hain bhai sahab. Hamne apni taraf se khatirdari me koi kami nahi rakhi. bhai sahib Sagai ke liye paise aur janjeer ki koi baat hui hi nahi thi. Sagai ki anguthi ke alawa maine apni taraf se ek sone ki anguthi di hai. Waise bhi Baat to shadi ke liye hui hai moter Cycle aur 2 lakh rupye ki. Jo main shadi ke samay doonga aapko.

L.papa- Aise kaise main tumhari baat ka bharosha kar loon. Jo insan Sagai me itni kanjoosi kar sakta hai wo Shadi me kya kharcha karega. Mujhe to loot liya tumne sagai mein aur shadi mein to kangal hi bana doge tum mujhe.

S.Mama- Dekhiye bhai sahab Aap ab kuchh jyada hi bol rahe hain. Hamne apni taraf se koi kasar nahi rakhi khatirdari me. Fir bhi agar kahi kami rah gayi ho to hamko maaf kar dijiye. Aur rahi baat Shadi ke samay kiye gaye wade ki to wo ham poori tarah se nibhayenge. Jo hamne dene ke liye kaha hai wo hamm aapko denge.


Sarita ke Mama ki baat sunkar ladke ke papa gusse mein aa gaye aur unhone tez aawaz mein kaha.


L.papa- Kya jyada bol raha hoon main. Mujhe aap dono par tanik bhi bharosha nahi hain. Ab jab tak aap ladke ke liye janjeer aur 50000 Rupaye aur nahi denge. Tab tak Shadi ke baare me bhool jaiye.

S.mama- ye kya bat hui bhai Shahab. Ham aapse itne prem se baat kar rahe hain to aaap dhamki dene par utar aaye hain. Main bhi dekhta hoon ki kaise nahi karte aap shadi. Hamari bitiya koi sajawat ka saman hai kya ki jab man chaha haa kiya aur jab mann chaha na kar diya. jab ham bol rahe hain ki aapko shadi ke samay jo bhi dene ke liye kaha gaya hai wo ham donge to ab aap ki demand badhati ja rahi hai. Ye bilkul bhi sahi nahi hai.

L.papa- Aise kaise nahi denge aap. Aakhir maine apne bete ko palne aur padhai likhai par jo kharch kiya hai wo kaun dega. Aap free me mere kamaau bete ko apna damad banana chahte hain. Ya to meri baat maniye ya to ye Rishta khatam samajhiye.

Aanand ji- nahi nahi bhai sahab aisa mat kahiye. Abhi itni jaldi ye sab kaise arrange karunga main. aap hame kuchh din ka samay dijiye main janjeer aur 50000 Rupaye aapko de dunga. Lekin aap ye Rishta mat todiye. Bahut badnami ho jayegi meri samaz me.

L. Papa- mujhe ab aur koi baat nahin karni. Mujhe abhi ke abhi 50000 rupaye aur sone ki janjeer ladke ke liye chahiye. Nahi to main chala ladke ko lekar apne ghar.

Ladke ke papa ki baat sunkar aanand ji ki aankhon mein aanshu aa gaye. Unhone apni pagdi utar kar ladke ke papa ke pairon mein rakhne lage to Sarita ke mama ne unko rokte huwe kaha.

S.Mama- ye kya kah rahe hain aap jeeja ji. Ye lalchi log hain inke kadmon mein apni izzat rakhne ka koi matlab nahin hai. Itna to main bhi samajh gaya hoon ki inki najar mein paisa hi sabkuchh hai. Ab aap inki koi bhi baat nahin manenge. inki mango ko poora karke aap Sarita ke liye mushkile paida kar rahe hain.


Abhi ye sab bate ho rahi thi ki kisi ne Sarita ko khabar kar di ki Ladke ke papa aur Aanand ji me kuchh kaha suni ho gayi hai to sarita bhi sagai wale kapdon mein hi waha pahuch gayi. Jab usne poori baat suni aur apne papa ko apni pagdi ladke ke baap me pairon mein rakhte huwe dekha to uska matha bhanna gaya. Usne Ladke ke papa ko do took jawab dete huwe kaha.


Sarita- Aap kya shadi ke liye mana karenge. Main ye shadi khud tod rahi hoon. Nahi karni mujhe aap ke bete se shadi. Nikal jaiye aap abhi aur isi samay yahan se aur apne bete ke liye koi aur ladki dhoondh lijiye.


Sarita ki baat sunkar aanand ji ne usase gusse se kaha.


Aanand ji- Ye kya kar rahi ho Tum Sarita. Tum andar jao. Main baat kar raha hoon na.

Sarita- main kyon andar jaaun papa. Aur aap kyon inki baat sun rahe hain. Kyaa apne hame isiliye paal posh kar bada kiya tha ki ek din hamari wajah se in bhikhmango ke samne hanth failana pade. Main ye kabhi bardast nahi karungi ki meri wajah se mare papa ko kisi ke samne hanth fialana pade aur kisi ke shamne sharminda hona pade.

Aap hamara gurur hain papa. Abhiman hain aap hamare. Main apne gurur aur abhiman ko kisi ke samne toot-ta huwa nahin dekh sakti. Aap khud sochiye papa ki abhi meri shadi bhi nahi hui hai to inka ye haal hai. Meri shadi ho jane ke baad to ye sher ho jayenge. Aapse kuchh bhi demand kar denge. Aur aap meri Khushi ke liye inki har demand poori karte firenge. Inke pairo me gir kar royenge, gidgidayenge. Jo main kabhi nahi hone doongi.

Aurat koi sajawatt ki wastu nahi hai papa jo uski boli lagayi jaye. Are thokar marti hoon main inki Daulat aur inke bete ki naukari par. Aap meri shadi kisi gareeb majdoor se kar dena papa. Main roj kamakar kha lungi. Lekin in jaise bhikhmango ke ghar meri shadi mat kariye papa. Meri baat man lijiye papa. Apni Sarita ki baat man lijiye.

S.mama- Sarita sahi kah rahi hai jeeja ji. Ye log lalchi hain shadi ke baad agar inki koi demand ham na poori kar paye to. Aapne socha hai ki ye apni sarita ke sath kitna bura bartav kar sakte hain. Maan jaiye jeeja ji. Main Sarita bitiya ke sath hoon. Aur main bhi nahi chahta ki ab ye shadi ho.


Aanand ko bhi Sarita ki baat sahi lagi. Unhone bhi dabe man se apni sahmati de di. Ladke ke papa ko filhal aisi ummeed nahi thi ki ladki khud aakar shadi ke liye mana kar dengi. Unhone ne socha tha ki Darwaze par Sagaai toot jane ke dar se Aanand ji uski mang puri kar denge, lekin Sarita ke do took inkar ne unki ummido par pani Fer diya. Shadi toot jane ke baad ladke wale apna apna munh lekar waha se chale gaye.


Sarita ke inkar karne ke kuchh hi der me jangal me aag ki tarah charo taraf ye khabar fial gayi ki Sarita ne Shadi se inkar kar diya. fir to wahi huwa jo Aksar ladki ki shadi tootne par hota hai. Jitney munh utni baatein. Koi kah raha tha ki Sarita ne bahut Achha kiya jo Aise lalchi logo ke yaha bahu banker jane se inkar kar diya to koi kah raha tha ki ladki walo ko itna ghamand Shobha nahi deta.


Aanand ji ke padosh me ek naye pariwar ne kuchh samay pahle naya ghar banwaya tha aur wo ghar ke sabhi sadashyo ke sath waha sift hue the. Ghar ke mukhiya pulish mahakame me Inspector the. To unka man samman bhi tha. Unki patni housewife thi. Lekin muhfat thi. Kisi ke samne kuchh bhi bol deti thi. Ye bhi nahi samajh aata tha unko ki unki baat kisi ko buri lag sakti hai.


Hamesha apne pati ke inspector hone ka ghamand dikhati rahti thi. Inka beta Central bank me PO ki post par pichhle sal hi laga tha. Aur bitiya ham umar thii Sarita ki. Isliye dono me thodi bahut batchit ho jati thi, lekin wo bhi apni maa ki tarah hi thi. Padosh me rahne ke karan unko ye bhi pata chal gaya tha ki Abhishek ghar chhodkar chala gaya hai. Aur kisliye gaya hai ye bhi pata tha.


Sagai me shamil hone wo log bhi aaye the Inspector ko chhodkar. To jab unko Bhi ye baat pata chali ki Sarita ne shadi se mana kar diya hai to unhe mauka mil gaya apni baat kahne ka, lekin unhone yah nahi dekkha ki Sarita aur Manisha unke pichhe aa rahi hain. Unhone paas baithi aurat se kaha.


I.wife- Janti ho bahan mujhe to shak hai ki Is Sarita ka kahi na kahi chakkar chal raha hai. Jiske karan usne shadi se mana kar diya. nahi to batao bhala. Naukari wale ladke ko aajkal kaun mana karta hai shadi se.

Aurat- Nahi bahan aisa kuchh nahi hai tum galat samajh rahi ho bahut hi nek bachhiya hain.

I.wife- Tumhe nahi pata kuchh bhi. Ye dono upar se masoom dikhti hain, lekin andar se bahut ghagh hain. mujhe to lagta hai jisase Sarita ka chakkar chal raha hain ye wahi ladke honge. Jinko abhishek ne mara hoga. Bina ladki ki haan ke koi ladka uske baare me aise thodi bol sakta hai. Pata nahi kya sanskar diye hain Aanand ji ne apni betiyon ko. Abhishek ko pata chal gaya hoga in chakkaro ke baare me. Wo to pahle se hi gunda tha. Isliye us ladke ko pit diya.

apne bhaai se badla lene ke liye isne Abhishek ko ghar se nikalwa diya hoga. Koi sanskar nahi hain iske andar. Koi izzat nahi hai unki samaz mein. Are jiske bete aur betiyon ke ye lakshan honge uski kya izzat rahegi samaz me. Mere pati ko dekho. Kitna maan samman hai. Mere bete ko dekho bank me PO hain ye sab Achhe sanskar ka natiza hai. Mujhe dukh hota hai ki aanand ne kaise sanskar diya hain apne bachho ko. Beta gunda ban gaya aur dono betiya chritraheen nikal gayi.


Ye baat sunkar Sarita rote huwe apne kamre me bhag gayi, lekin Manisha aag babula ho gayi aur Chillate huwe bolli.


Manisha- ye kya bol rahi ho aap. Meri didiya ke charitra par itna ghatiya ilzam lagate huwe aapko sharam nahi aati. Meri didiya ganga ki tarah Pavitra hai aur aapko Meri Didiya ke charitra ka certificate dene ki jaroorat nahi hain. Aapki samaj me izzat hai. To ham log bhi aapke yahan bheekh mangne nahi jate. Aap apni izzat apne paas rakhiye.

Aap sanskar ki baat kar rahi hain. To aap apne sanskar dekhiye. Aapke yahi sanskar hain ki aap bina sachhai jane meri didiya par itna ghatiya ilzam laga rahi hain. Aap meri didiya ko kuchh bolne se pahle apni bitiya ki sachhai jakar pata kariye ki wo padhai ka bol kar bahar jati hai to padhai karne jati hain ya ladko ke sath gul chharre udane jati hai.


Mahisha ki tez aawaz sunkar bahut si aurate aur aadmi waha par jama ho gaye the. Us aurat ki beti bhi waha aa gayi thi. Jab usne apne bare me suna to wo bhi apni maa ki tarah shuru ho gayi.


Ladki- Kyo re Manisha. Kya boli tu. Tu mere bare me jasusi karti hain. Tujhe main chhodungi nahi. Meri maa sahi kah rahi hain tum dono bahne charitraheen ho. Koi izzat nahi hai samaj me tum logon ki. Bhaai gunda hai aur bahan badchalan. Are tum logo ko to chullu bhar paani me doobkar mar jana chahiye. Chalo maa yahan se aise lichado ke yahan se koi Rishta nahi rakhna hai hamko.

Anya padosi vyakti- ye tum maa beti kya bole ja rahi ho aanap sanaap. Ham log in bachhiyon ko bachpan se jante hain. In dono bachhiyo jaisa sanskari aur vyavhari. Bado ka aadar karne wali bachhiya yaha aas paas dhoodhne se bhi nahi milengi. Aur inke bete ke bare me kya janti ho tum dono. Wo shararati tha, ladai jhagda karta tha, lekin kabhi bhi kisi ladki se galat vyavhar nahi kiya usne kabhi kisi ki bahan betiyon ko gandi najar se nahi dekha.

Usne un ladko ko isliye mara tha kyonki un dono ne in bachhiyo ke bare me gandi baat ki thi. Tumhare aadmi police me hain to iska ye matlab nahi hai ki tumhare jo munh me aaye wo tum bakti jao. Tum dono ko ye nahi dikh raha hai ki us bachhi par musibato ka pahad toota hai. Uski shadi cancel ho gayi hai. Use dilasha dene ke bajay use badnam kar rahi ho tum dono. Sharam aani chahiye tum dono ko.

I.wife- ham kyon sharam kare. Hamne ya hamari beti ne kahi munh kala nahi kiya hai. Sharam to in dono ladkiyon ko aani chahiye. Jo munh kala karti firti hain. Bhalai ka to jamana hi nahi raha.


Abhi wo Aadmi kuchh aur bolta Usase pahle Aanand ji bich me bole pade.


Aanand ji- Bas kijiye aap log. Kyon meri Sarita ke pichhe pade hain aap sab. Bhagwan ke liye use Baksh dijiye Aur apne apne ghar jaiye. Jo bhi dukh aur musibat hamare upar padi hai use ham jhel lenge. Hame aap logo ki sahanubhuti ki jaroorat nahi hai. Meharbani karke aap log jaiye yahan se.


Aanand ji ki baat sunkar wo dono maa beti bhunbhunati hui apne ghar chali gayi. Uske baad dhire dhire sab paas padosh ke log unke ghar se bahar nikal gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
silent working
Super-Moderator
1,527
1,338
143
Bahut badhiya update paise ke liye shadi Kar rahe the ladke wale sabko bhaga diya achcha kiya aur ye log inspector ki family bahut achche sanskaar nai lagte unke
 
expectations
22,827
14,868
143
Mast update ye police wale ki biwi beti bilkul bekaar hain dusron ke dukh me uska saport ke bajaye aag lagati hain
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Bahut badhiya update paise ke liye shadi Kar rahe the ladke wale sabko bhaga diya achcha kiya aur ye log inspector ki family bahut achche sanskaar nai lagte unke
धन्यवाद आपका महोदय

साथ बने रहिए।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Mast update ye police wale ki biwi beti bilkul bekaar hain dusron ke dukh me uska saport ke bajaye aag lagati hain
धन्यवाद आपका महोदय,
2 4 पड़ोसी मिल ही जाते हैं ऐसे।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 8


Sabke chale jane ke baad Aanand ji jameen par baith kar phoot phoot kar rone lage. Andar Sarita ro rahi thi aur bahar Aanand ji aur Raani ji ro rahe the. Aanand ji aur Raani ji ko rishtedar sambhal rahe the to Sarita ko Manisha sambhal rahe the. Sarita ko Apni shadi tutne ka koi dukh nahi tha balki wo khud apni shadi todkar aai thi.


Lekin inspector ki wife aur beti ki baate unse dil aur dimag ko chhalni kar rahi thi. Uske character par ilzam lagaya tha dono ne. jo usne kabhi sapno me bhi nahi socha tha. Uske baare me un dono ne bola tha. Lekin jaise hi uske kano me aanand ji ke rone ki aawaz sunai padi wo apna dukh dard bhoolkar apne kamre se bhagkar apne mummy papa ke paas aai aur unke gale lagkar rone lagi.


Sabhi rishtedar ki aankho me aanshu the. Sath me paas padosh ke jo log Sarita aur Manisha ko jante the. Sabhi Inspector ki wife aur Beti ki baato se nakhush the. Sabhi rishtedar maan , baap beti ko dilasha dekar chup karwa rahe the. Aanand ji rote huwe bole.


Aanand- Usne meri bachhi ke character par ungli uthaai. Meri bachhi ko gali di usne. Meri bachhi ne kuchh nahi kiya. Meri bachhi galat nahi kar sakti. Wo jhooth bol rahi hai.

Sarita-(rote huwe) papa Aap chup ho jaiye. Usko jo kahna hai kahne dijiye. Uske kahne se Sachhai thodi hi badal jayegi. Aapko mujhpar bharosha hai na papa. Agar aapko mujhpar bharosha hai to mujhe koi fark nahi padkta ki koi mere bare mein kya bolta hai. AB aap chup ho jaiiye papa. Aap hi meri takat ho papa. Agar aap hi toot gaye to mujhe kaun sambhalega. Mujhe is samay aapki sabse jyada jaroorat hai papa.

Manisha- (Sisakte huwe) Haan papa Didiya sahi kah rahi hai. Aap shant ho jaiye. Hamko kisi se matlab nahi hai papa. Bas aap hampar bharosha rakhte hain to duniya kuchh bhi bole hame koi fark nahi padata papa.

Aanand ji- (Rote huwe) Mujhe tum dono par apne se bhi jyada bharosa hai beti. Main to ye sochkar ro raha hoon ki maine tum dono ko jeewan me kabhi khushiya nahi de paya. Hamesha dukh diye hain maine tum dono ko. Mujhe maaf kar do beti.

Sarita- (unka hanth pakadkar) Aap aisa mat kahiye papa. Aap ne kuchh nahi kiya hai. Aap ne hamare liye jo kiya hai wo koi aur nahi kar sakta papa. Aap duniya ke sabse best papa ho. Ab aap shant ho jaiye. Nahi to main aur bhi jor jor se rone lagungi.


Fir Manisha aur Sarita ne apne papa ko uthakar khatiya par baithaya. Manisha ne ek gilas pani lakar apne papa ko diya. Aanand ji ne pani pikar thoda aaram karne ke liye kaha. Kyonki aanand ji Sharirik rup se jyada manshik roop se thak gaye the. Isliye wo wahi khatiya par letkar aaram karne lage.


Subah khushiyo se shuru huwa ye din sham hote hote matam me badal gaya. (Sahi hi hai kisi kisi ke naseeb me khushiyaa aane se pahle itna jyada dukh aata hai ki log hatas ho jate hain apni jindagi se). Raani ji ke bhaiyo ne milkar poora tant, gadda, kurshi aur jo bhi saman Sagai ke liye kiraye par laya gaya tha, unhe wapas pahuchaya.


Sabhi do din tak ruke rahe, lekin ghar ka mahaul aisa ho gaya tha ki jaise ghar me kisi ki mrityu ho gayi ho. Sabhi jaise hansna khana pina sab kuchh bhool gaye the. Do din baad Raani ji ke dono bhaaii apne pariwar ke sath wapas apne ghar chale gaye. Aakhir Sabhi ke ghar me kaam hota hai.


Unke jane ke baad yahan par Raani ji aur Aanand ji ki halat kharab hi thi. To Dono bahano ne Sab kuchh bhulakar khud ko mazboot kiya aur samane aai paristhiti ka samna karte huwe apne maa aur baap ko bhi is vichitra paristhiti se bahar nikala.


Is Stithi se ubarne ke liye aanand ji ko 1 hafte ka samay laga. In 1 hafto me Aanand ji ne Auto bahar nahi nikala tha, lekin wo kab tak aisa karte. Aakhir papi pet ke liye wo apni dincharya par wapas laut aaye. Ab wo wapas pahle ki tarah samanya ho gaye the. Kabhi kabhi unhe ye baat jaroor salti thi ki unki beti ko kisi ne unke samne hi charitraheen kaha tha. Ye yaad aate hi unki aankho me aanshu aa jate the.


Sarita khud ko apna mummy papa ke samne mazboot dikhati, jaise kuchh huwa hi nahi hai, lekin jeb wo akeli hoti to Inspector ki wife aur uski beti ki bate uske dilo dimag me ghunjne lagti. Apne upar lagaye gaye lanchan ko yaad karke uski aankho me aanshu aa jate the. Ye Sab dimaag me aate hi kabhi kabhi to wo itni hatas aur pareshan ho jati ki uske man me galat vichar panapne lagte (Galat vichar se matlab koi ganda khyal nahi hai).


Kabhi sochti ki wo hi apne papa ke dukho ka karan hai usi ke karan aske bhaiya ghar chhodkar chale gaye aur usi ke karan aaj uske papa ki ye halat hui hai. Uske karan hi papa ki kitni beizzati hui thi. Use is ghar me rahne ka koi hak nahi hai. Use mar jana chahiye. Lekin jaise hi ye khyal dimag me aata. To uski rooh kanp jati,


kyonki usne dekha tha ki Abhishek ke chale jane ke baad aanand ji raat raat bhar apni galtiyo ke karan rote the. Agar usne aisa kuchh kiya to Us aurat ka lagaya gaya ilzaam sahi sabit ho jayega. Fir to papa sharmindagi ke karan kuchh bhi ulta siddha kar sakte hain. Nahi nahi main aisa nahi hone doongi. Main papa ko kuchh nahi hone doongi. Main aisa kuchh bhi nahi karungi. Main ye sab karne ke bajay kuchh aisa karungi ki papa ke sir fakar se ucha ho jaye. Logo ke samne papa sina tan kar bol sake ki main unki beti hoon.


Sarita Akele me yahi sab sochti rahti, lekin use kya karna hai ye nirnay wo nahi le pa rahi thi. Aise hi din gujarne lage. Aur Sarita sochti rahi ki use kya karna hai. Is ghatna ko ek mahina bit chuka tha. Ek din Sarita apne mobile me vacancy search kar rahi thi. Tabhi Sarita ki najar Uttar pradesh public Servic Commission ke Vacancy Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) par padi.


Vacancy ko dekhne ke baad Sarita ko apna rasta mil gaya. Usne nishchay kar liya ki wo Isi madhyam se apne papa ka sir ucha karegi aur un dono ma beti ko dikhaegi ki samaj me unki bhi izzat hai. Sarita ne nischaya to kar liye tha lekin iske pahle use apne papa se baat karni thi. Unse sahmati leni thi. Abhi wo isi soch me thi ki Tabhi Manisha bhi vaha aa gayi. Apni didiya ko soch me dekhkar wo boli.


Manisha- Didiya. O didiya. Kya soch rahi ho. Mujhe bhi batao jara.

Sarita- Mujhe apna target mil gaya hai manisha. Bas ab mujhe us target ko achieve karna hai

Manisha- Kaisa target didiya. Mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai.

Sarita- Tumhe pata hai. Jis din se un dono maa beti ne yaha hangama kiya tha. Us din se main yahi sochkar pareshan hoon ki meri wajah se papa ko itne logo ke samne sharminda hona pada. Meri vajah se papa ko Un lalchi logo ke samne mere liye Gidgidana pada. Tabhi se main yahi soch rahi hoon ki mujhe kuchh aisa karna hai ki papa ka sir meri vajah se jhuke nahi balki uchaa ho jaye. Aur mujhe aaj wo rasta najar aa gaya hai. Mujhe meri manjil najar aa gayi hai.

Manisha- par wo manjil hai kya didiya. Mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai.

Sarita- ye hai meri manjil jise hasil karke main papa ko gift dena chahti hoon.


Itna kahkar Sarita ne Manisha ke samne apna mobile rakh diya. Manisha ne jab dekha to uski aankhe badi badi ho gayi. Wo apni aankhein badi karke Sarita ko dekhte huwe boli.


Manisha- Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) matlab police ki Naukri karengi aap. Papa iske liye kabhi taiyar nahi honge. Aur waise bhi ye naukri koi bachho ka khel nahin hai. Iske liye bahut mehnat karni padegi aapko.

Sarita- mujhe pata hai ki iske liye mujhe bahut nahin bahut jyada mehnat karni padegi, lekin main karungi. Papa ke liye main din raat ek kar doongi, lekin ye gift main papa ko jaroor dungi. Papa ko manana mera kaam hai. Ab tum meri thodi help kar dena. Mere support me bol dena.

Manisha- main apni didiya ke liye kuchh bhi karungi.


Itna kahkar Manisha Sarita ke gale lag gayi. Isi tarah din bit gaya. Sham ko jab Aanand ji Auto lekar Ghar aaye to wo bahut khush the. Raani ji ne unki Khushi ka karan poocha to unhone bataya


Aanand ji- Ari bhagywan Sarita ke liye ek Acha Rishta mil gaya hai. Ladka Lucknow me sichai vibhag me clerk hai. Ghar pariwar bhi thik hai. Agar ye Rishta jam gaya to isi sal Sarita ke hanth pile kar denge.

Raani ji- Ye to bahut Khushi ki baat hai. To aap rishte ki baat aage badhaiye fir.

Aanand ji- maine apne dost ko bol diya hai ki wo baat ko aage badhaye. Do char din me wo batane ke liye bola hai.


Sarita apne papa ki baat sun rahi thi. Use samajh nahi aa raha tha ki wo apne papa ki Khushi ko apni baat kahkar gam me to nahi badal degi. Fir bhi usne himmat jutayi aur Aanand ji se kaha.


Sarita- papa mujhe aapse kuchh jaroori baat karni hai.

Aanand ji- Are Sarita beta. Mujhe bhi tumse kuchh jaroori baat karni hai.

Sarita- Aap se jyada jaroori meri baat hai papa. Ek baar meri baat sun to lijiye.

Aanand ji- Thik hai beti batao kya baat hai.

Sarita- Pahle aap wada kariye ki meri baat sunkar aap gussa nahi karenge. Meri baat aap dhyan se sunenge. Aur use samjhne ki koshish karenge. Meri bhavnao ko samajhne ki koshish karenge.

Aanand ji- (Pareshan hote huwe) tu aisa kyon kah rahi hai beti. Kya baat hai.

Sarita- Nahi papa pahle aap wada kariye. Ki aap gussa nahi karenge. Fir main bataungi.

Aanand ji- Thik hai beti wada karta hoon ki main gussa nahi karunga.

Sarita- papa baat ye hai ki Mujhe Abhi shadi nahi karni hai.


Sarita ki baat sunkar Aanand ji Aur Rani ji ke hosh hi udd gaye. Unhe ummeed nahi thi ki Sarita aisa kuchh bolegi. Uski baat sunkar Raani ji ne kaha.


Raani ji- Kyon. Kyon Shadi nahi karogi tum, Shadi ki Umar ho gai hai tumhari. Itna achha Rishta aaya hai hath me. Tere pichhe pichhe teri bahan bhi shadi ki Umar par aa gayi hai.

Sarita- maa main Abhi do sal shadi nahi karna chahti hoon. Mujhe naukari karna hai. kuchh banna hai. Uske baad shadi karni hai.

Aanand ji- ye kya dhun sawar ho gayi hai tujhpar beti. Tujhe pata hai na Apni mali halat. Tere sath tere bahan ki bhi shadi ki jimmedari aa jayeyi mujhpar in do shalo me. Tu khud soch agar tu do sal shadi nahi karegi to tere se pahle to Manisha ki shadi nahi kar sakta hoon na. fir tum dono ki shadi ka bojh eksath kaise utha paungi main beti.

Sarita- maine is bare mein bahut socha hai papa, lekin us (Inspector Wife) ki baat mere dimag me ghumti rahti hain. Main bhi usko batana chahti hoon ki mere papa ki bhi izzat hai. Main use batana chahti hoon ki usne jo ilzam lagaya hai ham dono bahno aur bhai ke upar wo galat hai. Mujhe do sal ka samay de dijiye papa. Uske baad aap jis ladke se bolenge main usase shadi kar lungi. Maine aaj tak apse kuchh nahi manga papa. Aaj maang rahi hoon. Mujhe meri zindagi ke do sal de dijiye papa.


Sarita ye baat karte karte aanand ka hanth pakad kar ro padi. Uske rone se sabhi ki aankho me aanshu aa gaye. Raani ji ne Sarita se kaha.


Raani jii- ham teri bhavnaye samajh rahe hain beti, lekin tum bhi hamari majboori samajhne ki koshishh karo beti. Itna achha Rishta baar baar nahi milta.

Aanand ji- Mujhe apni beti ki kushi sabse jyada pyari hai. Tujhko do sal chahiye na. diya tujhko do sal, lekin beti do sal baad tumhe meri baat man-ni hogi. Kyoki tumse kuchh chhupa huwa nahi hai.

Raani ji - ye aap kya kah rahe hain. Itna achha Rishta naukari wala ladka……….

Aanand ji- (bat ko bich me katkar) Nahi bhagyawan. Meri beti ne pahli baar mujhe kuchh manga hai. Main itna bhi nirdayi nahi hoon ki apni beti ke armano ka gala ghot doon. Main janta hoon ki Khushiya is ghar se ruthi hui hain, lekin samay hamesha ek sa nahi rahta. Ho sakta hain ye koi samay ka chakr ho jo Sarita ke madhyam se kuchh achha karwana chahta ho. Rishton ka kya hain agar bhagwan ki marji hui to isase bhi ache ache rishte aayenge hamari Sarita ke liye.

Sarita- Dhanyawad papa. Apne meri baat mani. Main man lagakar wo kamm karungi jiske liye maine aapse do sal mange hain. Main aapki sar garv se ucha karungi papa.



Itna kahkar Sarita Sisakte huwe Aanand ji se lipat gayi.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
silent working
Super-Moderator
1,527
1,338
143
Sarita ki baat maan li uske papa ne ab wo story ke mutabik police officer banegi.agar irada majbut ho to kaamyabi jarur milti hai
 

Top