Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 22


Ab jabki Sarita ko pata chal gaya tha ki buddhi dadi ko Nishchal ne kaha chhupa kar rakha hai to wo jald se jald dadi se milna chahti thi. lekin wo soch rahi thi ki waha tak pahucha kaise jaye. Agar Nishchal ne dadi ko waha rakha hai to wo ghar gopniy hoga bachha aur uske gurgo ki najar me. Aur us ghar ki suraksha bhi tagdi hogi. Sarita ye sab soch rahi thi ki uske dimag me aaya ki ek bar Savita se mil liya jaye to ho sakta hai ki isme wo kuchh madad kar paye.


Idhar mohit apni bevkoofi ke karan pareshan tha. Uska munh kuchh latka huwa tha. Janhavi bahut der se Mohit ko observe kar rahi thi. jab usase na raha gaya to usne Mohit se pooch liya.


Janhavi- Mohit Sir. Kya huwa Aap bahut pareshan lag rahe hain. Koi samasya hai kya Sir.

Mohit- Nahi Janhavi aisi to koi baat nahi hai.


Vikas unke paas hi baitha tha. Mohit ki baat sunkar wo maza lete hue bola.


Vikas- Tumhe nahi pata kya. Sir ki shadi fix ho gayi hai. To wo apni hone wali Dulhan ke khayalo me khoye huwe hain. Kyon Mohit Sahi kaha na.

Janhavi- Are waah. Ye to bahut Khushi ki baat hai aur aap munh latkaye huwe hain. Aap to bade kanjus nikle sir. Itni badi Khushi ki baat hai aur aapne ise sukha sukha jane diya. Ham logo ko mithai bhi nahi khilayi aapne.

Mohit- (apne man me) Yaha abhi Sir meri Chatni banane wale hain aur tum sab ko mithai ki padi hui hai. Thodi der ruk jao. Jab meri chatni ban jayegi to mithai samajhkar kha lena.

Vikas- Nahi janhavi. Sir to lagta hai direct shadi me rasgulla hi khilayenge.

Mohit- (baat ko badalte huwe) Achha ye batao DSP Sir Aayenge aaj ya nahi.

Janhavi- ye kya baat hui sir. Aap baat kyon badal rahe hain. Itni Khushi ki baat hai aur aap abhi bhi kaam ke pichhe pade huwe hain.

Javed- Tum Sab chinta mat karo. Tum logo ko mithai bhi milegi aur treat bhi milegi. Lekin wo DSP Sir ke hantho se milengi.


Javed ne ye baat Mohit ki or dekhkar muskurate huwe boli thi. jise sunkar Janhavi ne kaha.


Janhavi- DSP Sir kyon denge Treat. Shadi to Mohit sir ki fix hui hai aur treat DSP Sir denge. Ye baat kuchh samajh me nahi aayi.

Javed- Ab ye baat to tum Mohit se hi pooch.

Mohit- (Dhire se) Abhi ghar basa nahi mera aur barati pahle se hi aa gaye hain. (Javed ke kan me) Kyon mujhe heart attack dilwana chahta hai bhai. Dara mat mujhe nahi to mera upar ka ticket kat jayega.

Javed- (Tez aawaz me) Tumhara hi nahi. Tumhare baad mera bhi number lagne wala hai.

Vikas- Kis number ki baat kar rahe ho tum. Tumhara kaun sa number lagne wala hai.

Javed- Main promotion ki baat kar raha hoon. Mohit ke baad mera number lagne wala hai promotion me.


Javed itna bolkar muskurate huwe waha se chala gaya. Uske jane ke baad vikas ne mohit se kaha.


Vikas- ye kya bol kar gaya javed. Agar tum dono ka promotion hone wala hai to ye baat mujhe kyon pata nahi hai. Aakhir chakkar kya hai ye mohit.

Mohit- mujhe bhi is bare me kuchh nahi pata. Main abhi javed se poochkar aata hoon.


Itna kahkar mohit bhi waha se chala gaya. Vikas aur Janhavi dono kuchh sochte huwe mohit ko jata dekhte rahe. Mohit ke jane ke baad Vikash ne Janhavi se kaha.


Vikas- Janhavi. Mujhe to lag raha hai ki dono kuchh chhipa rahe hain hamse. Dono ka bartav kuchh ajeeb sa ho gaya hai. Tumhe kya lagta hai.

Janhavi- Haan Sir aap bilkul sahi kah rahe hain. Mujhe bhi dono ka behavior kuchh thik nahi lag raha hai. Roj se thoda hatkar dono bartav kar rahe hain.



Iske baad dono apne apne kam me lag gaye. Udhar cabin me Sarita baithi hui kuchh sochte huwe Savita ko phone laga diya.


Sarita- Hello di. kaisi hain aap.

Savi- main to bilkul thikk hoon. Tum batao tum kaisi ho.

Sarita- Main bhi bahut badhiya hoon di. bas ghar ki yaad aa rahi hai.

Savi- to ek kam karo. Mere paas aa jao.

Sarita- Nahi di. aise roj roj aapke ghar aana Achha nahi lagta. Log dekhenge to kya sochenge.

Savi- Logo ki chhodo. Mujhe di bhi bolti ho aur itni formalities bhi kar rahi ho. mujhe tumhari koi baat nahi sun-ni. Tum aa rahi ho matlab aa rahi ho.

Sarita- aisi baat nahi hai di. main to aana chahti hoon, lekin wo hit…… mera matlab hai ki Sir ghar par rahenge to main kaise aa paungi.

Savi- Achha ye baat hai. To aa jao. Nishu abhi ghar par nahi hai. Wo der raat tak lautega.

Sarita- Thik hai di main Sham ko 4 baje tak aati hoon.

Savi- Thik hai Sarita main intezar karungi tumhara. Agar tumhara kuchh khane ka man ho to mujhe bata do. Main banava dongi .

Sarita- Nahi di. Agar kuchh khane ka man huwa to main khud bana lungi aapke sath milkar.

Savi- Thik hai. Main Intezar karungi tumhara.

Sarita- Thik hai di. main sham 4 baje tak pahuch rahi hoon aapke paas.


Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. aur sochne lagi.


Sarita (man mein) Bas kuchh der aur uske baad main dadi ko khoj lungi aur sabkuchh pata laga lungi ki unhone mere sath aisa kyon kiya. Lekin mujhe ye kam Hitlar ki najro se bachkar karna hoga. Agar use bhanak bhi lagi iske bare me to wo dadi ko waha se kahi aur sift kar dega. Di se bhi mujhe is ghar me bare me ghuma fira kar baat karni hogi aur unse adhik jankari ikathhi karni hogi tabhi main kuchh kar paungi.


Yahi sab sochte huwe Sarita apna kam finish karti hai aur 4.30 baje Savita ke ghar ke liye nikal jati hai. Kuchh hi der me wo Savita ke paas pahuch jati hai. Sarita ke pahuchne ke baad Savita ne kaha.


Savi- Tumne to kaha tha ki 4 baje tak aaogi, lekin samay dekho 4.45 ho gaye hain. Log sahi kahte hain police kabhi samay se kahi nahi pahuchti.

Sarita- (muskurate huwe) Kya di. ab aap bhi meri tang kheech rahi hain. PS me kaam jyada tha to use finish karne me time lag gaya.

Savi- thik hai tum baitho main chaai lekar aati hoon.

Sarita- Nahi di main bhi aapke sath kitchen me chalti hoon. Chaai banate huwe bate bhi hoti rahengi.


Sarita bhi Savita ke sath kitchen me chali gayi aur chaai banate huwe dono bate karne lagi. Sarita ko bhi Savita ke roop me di aur ek Saheli mil gayi thi. jisase wo apne man ki baat kar sakti thi. Savita se baat karte huwe Sarita ne poocha.


Sarita- Achha di. Aap se kuchh poochna tha mujhe.

Savi- Haan to isme itna formalities ki kya jaroorat hai. Tum kuchh bhi poochh sakti ho.

Sarita- Is ghar ke alava Sir kahi aur rahte hain kya. Mera matlab hai ki Jahan Sir apne office ka important kam karte ho.

Savi- (Sarita ko chhedte huwe) Kya baat hai Sarita. Bade interest le rahi ho Nishu me. Waise to bada kahti ho ki uske rahte ghar kaise aaungi. Ab aate hi uske bare me jankari le rahi ho mujhse.

Sarita- Kya di. Aap bhi na. kuchh bhi bolti rahti hain. Aisa bilkul bhi nahi hai. Mera ye kahne ka matlab hai ki wo ghar me to rahte nahi hain jyada aur office ka kam bhi ghar par karna hota hai to fir wo kam karte kaha hain.

Savi- Yaha se kuchh doori par ek doosra ghar hai. Jahan par Nishu Office ke important kam karta hai.

Sarita- Aap kabhi waha par gayi hain di.

Savi- Na baba. Agar usase waha jane ki baat bhi kar do to wo naraz ho jata hai. Isliye main kabhi bhi waha nahi gayi hoon.

Sarita- Naraz kyon ho jate hain wo. Aakhir waha aisa kya hai. Jo wo apse chhupana chahta hain.

Savi- Are Sarita. Aisa kuchh bhi nahi hai. Waha par uski kuchh confidential files wagairah rakhi hui hai. Isliye wo waha jane se mana karta hai.


Iske baad Sarita is Vishay par kuchh nahi boli. Thodi der aise hi dono idhar udhar ki baat karte huwe sham ke 7 baj gaye. Sarita ne Savita se kaha.


Sarita- Thik hai di ab main chalti hoon. Nahi to abhi koi aa jayega to yaha sheet yuddh chhid jayega.


Sarita ke baat ka matlab samajh kar Savita muskurate huwe boli.


Savi- Thik hai Sarita Ab tum jao, lekin jab bhi tumhara man kare tum aa jaya karna mujhse milne. Tumhe nishu se darne ki koi jaroorat nahi hai.

Sarita- Thik hai di. aap apna kyal rakhiyega, mera jab man karega main aati jati rahungi.

Savi- tum bhi apna khyal rakhna.


Iske baad Sarita Aur Savita bahar tak aayi. Sarita ne Savita ko bye bola aur apne ghar ki taraf chal padi. Kuchh door jane ke baad Sarita ne pichhe mud kar dekha to Savita ghar ke andar ja chuki thi. ye dekhkar Sarita Nishchal ke doosre ghar jane wale raste par mud gayi. thodi der me wo nishchal ke ghar ke samne thi. ye ghar do manjila tha. Jaisa mohit ne use bataya tha. Saubhagya se bahar ka gate khula huwa tha aur Bahar ek guard baitha huwa tha. Sarita ne apne munh par rumal bandha aur dandanati hui gate ke andar ghusne lagi. Ye dekhkar guard chillaya.


Guard- Ye ladki. Yaha kaha ghusi chali ja rahi hai. Kaun ho tum.

Sarita- Main bahut badi musibat me hoon. Mujhe nishchal Sir se milna hai.

Guard- kaun se nishchal ki baat kar rahi ho. Main kisi nishchal ko nahi janta.

Sarita- Lekin maine suna hai ki ye ghar unhi ka hai.

Guard- kisne kaha tumse ki ye Nishchal ka ghar hai. Aur ye Nishchal hai kaun jise bare mein tum baat kar rahi ho. Jao yahan se. Pata nahi kahan kahan se chale aate hain dimag khane.

Sarita. Main DSP Nishchal Sir ki baat kar rahi hoon. Ye unhin ka to ghar hai.

Guard- To aisa bolo na. Unka ghar ye nahin hai Yahan se 1 KM. Us taraf jao fir kisi se bhi puchh lena wo tumhe unka ghar bata dega. Ab tum jao yahan se.


Sarita ko samajh me aa gaya ki Guard use andar jane nahi dega. To wo gate se bahar aa gayi aur ghar ke pichhe ki taraf chali gayi. jaisa ki mohit ne use bataya tha uske hisab se ghar yahi hai aur Nishchal ne dadi ko doosre male par rakha huwa hai, lekin doosre male par do kamre bane huwe the. Ab Nishchal ne dadi ko kis kamre me rakha hai.


Sarita ghar ke pichhe wali gali me khadi ghar ka muwayna kar rahi thi. fir sarita ne idhar udhar dekha aur jab use koi dikhai nahi pada to wah boundry koodkar andar aa gayi. jis taraf se wo andar kudi thi waha par halka andhera tha, kyonki us taraf ki streat light nahi jal rahi thi.


Boundry se andar aane ke baad Sarita pichhe se aage ki taraf aayi aur jhank kar dekha to gate band tha aur guard bahar baitha huwa tha. Sarita aahista aahista aakar porch ke samne khadi ho gayi. Upar jane ki sidhiya ghar ke bahar hi thi, lekin usme lock laga huwa tha. Tab sarita ne porch ki taraf se upar jane ka nirnay liya aur thodi bahut masakkat ke baad wo porch ke upar chadh gayi. aur doosre male par pahuch gayi.dono kamre me tin bade bade tale lage huwe the. Ye dekhkar Sarita man hi man sochne lagi.


Sarita- Are yaar. Itne bade bade tale wo bhi tin tin tale. Itni security kaun rakhata hai bhala. Aise lagta hai jaise andar mohar moti chhupakar rakha hua hai. Fir bhi dekhna to padega hi. Lekin mujhe to ye bhi pata nahi hai ki dadi dono me se kis kamre me hain. Kaise pata lagaun main.


Tabhi sarita ke dimag me Idea aata hai wo niche ki taraf jhuk gayi aur key hole se andar dekhne lagi. Pahle kamre me andar dekhne ke baad use kuchh khas najar nahi aaya. Sarita ne Key hole se doosre kamare me jhanka to use Bed ka kona dikhai diya. Sarita ne man hi man socha ki ho na ho Dadi isi kamre me hongi. Ab Sarita kamre ke andar kaise jaya jaye ye shochne lagi.


Usne ghoom ghoom kar charo taraf dekha to use kamre ki khiski khuli dikhayi padi jo Aluminium ke shutter wali thi jisme shishe lage huwe the. Wo shutter khulla huwa tha. Shayad use janboojhkar khola gaya tha. Taki jo bhi kamre me hai use ghutan ma mahsoos ho. Sarita aisa soch rahi thi. usne khidki ke niche dekha to niche boundary ki gherai fencing wire (jo blade ki tarah hota hai jisase aksar VIP Area ke boundry ki gherai ki jati hai.) se ki gayi thi.


khidki tak pahuchana bahut hi khatarnak kam tha. Bas ek galti aur niche boundry ki taraf fencing wire par girna. Jisme Jyada jakhmi hone aur jan jane ka bhi dar tha. Uski waha jane ki himmat nahi ho rahi thi. lekin usne khud ko hausla dete huwe kaha.


Sarita- Ye tum kya kar rahi ho Sarita. Tum itni darpok kaise ho sakti ho. training me to tumhe isase bhi khatarnak setuation ko face karne ke liye diya gaya tha aur tumhe use face kar liya tha. Fir to ye uske aage kuchh bhi nahi hai. Agar dadi ko dhhondhkar apne sawalo ka jawab jan-na hai to tumhe ye rishk to uthana hi padega. You can do it Sarita. You can do it.


Yahi sab sochte huwe Sarita ne apna dil majboot kiya wo khidki ki taraf jane ka sochne lagi. Khidki ke thik niche kuchh pahle se hi iron ki 6 Inch moti ek pipe nikli hui thi jo 3 fit aage aakar niche ki taraf chali gayi thi. Sarita ne khidki tak isi pipe ke sahare jane ki sochi. Sarita ne himmat dikhate huwe pipe par apne panv rakh diye aur dhire dhire sarakte huwe diwar ke sahare khidki tak aane lagi.


Khuchh der ki masakkat ke baad wo pipe ke aakhire side par khadi thi. fir usne kisi tarah jump lagakar khidki ko pakad liya aur kamre me andar dakhil ho gayi. Kamre me pahuch kar usne dekha ki Bed par dadi leti hui hain. Unhe dekhte hi Sarita ke chehre par Khushi aa gayi.


Sarita ne dekha ki bed ke paas ek stool rakha hua hai jispar khane ki plate rakhi hui thi. jo juthi thi. Shayad Nishchal ne subah unke liye khana rakh kar chala gaya tha. Khidki ke bagal me ek raik tha jispar kuchh files rakhi hui thi. Sarita jaise hi aage badhi uska pair raik se takra gaya jiske karan do files jameen par gir padi. Jiski aawaz Sunkar Dadi bister se uthkar baith gayi aur boli.


Dadi- Police babu tum aa gaye.


Sarita ki pith dadi ki taraf thi, kyonki wo jhukkar files uthakar raik me wapas rakh rahi thi. files rakhane ke baad jab Sarita didi ki traraf ghoomi to Sarita ko dekhkar Dadi ki dar ke mare hawa kharab ho gayi. Wo Sarita ko dekhkar kanpne lagi.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
धन्यवाद आपका मैडम।
अब स्थिति ही ऐसी बन गई थी कि आनन्द जी ने गुस्से से वो सब बोल दिया। और तो और अगर आनन्द जी ने गुस्से में वो सब बोल दिया तो इसका मतलब ये थोड़े ही है कि अभिषेक घर छोड़कर चला जाए। इसमें अभिषेक की भी गलती है।

साथ बनी रहिए।।
:hug2: my favorite lekhika jo request ki maan li... :hug: btw kal shubha tak Sare revos clear ho jaani hai
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Akhir dadi mil gayi sarita ko
Mast update dost
धन्यवाद आपका महोदय।
अब दादी मिल गई हैं तो वो बात भी पता चल जाएगी कि उन्होंने सरिता को क्यों फंसाया।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 23


Sarita ko apne samne dekh dadi dar gayi aur darte huwe Sarita se boli.


Dadi- Beti tummmm… wooo mujhe kuchh matt karnaa. Mujhee maaf kar doo. Maine kuchh nahi kiya. Meri kuchh majboori thi jiske chalte mujhse wo galti ho gayi. mujhe kuchh mat karnaa.


Dadi ki baat se Sarita ne andaza laga liya ki Dadi use dekhkar dar rahi hain. Unhe lag raha hai ki main unki us din ki harkat se gussa hoon aur unse badla lene aayi hoon. Sarita ne dadi se kaha.


Sarita- Are dadi Aap dar kyON rahi hain. Main aapko nuksan pahuchane ya aapse badla lene nahi aayi hoon. Isliye aap mujhse mat ghabraiye.. main kuchh nahi karungi aapko. Main khud aapse milkar ye pata karna chahti thi ki aakhir aapne aisa kyon kiya. Aakhir aapki aisi kya majboori thi jiske karan aapne mujhe jhoothe case me fansaya. Main aapse bilkul bhi naraz nahi hoon. Lekin aapko mujjhe sabkuchh sach sach batana padega.

Dadi- Kya tum sach me mujhse badla lene nahi aayi ho. tum sach bol rahi ho na ki tum mujhe nuksan nahi pahunchaogi.

Sarita- Nahi dadi. Main sach bol rahi hoon. Main aapko bilkul bhi nuksan nahi pahunchaungi. Agar mujhe aapse badala lena hota ya nuksan pahuchana hota to main aapse is samay baat nahi kar rahi hoti. Apna kam karke chali jati main. Main bas itna chahti hoon ki aap mujhe poori baat bataiye.

Dadi- Kya tum police babu ke sath kam karti ho bitiya.


Sarita Dadi ki baat sunkar sochne lagi ki ye to achha huwa ki us hitlar ke sath roj roj milna nahi hota. hafte me ek ya do baar hi kam karna padta hai uske sath. Agar mujhe uske sath roj kam karna pade to ya to main pagal ho jaungi ya to mujhe Naukri chhodni padegi. Dadi ki baat sunkar Sarita boli.


Sarita- Haan dadi main us hit… unhi ke sath kam karti hoon.

Dadi- Pulice babu bahut hi ache aadmi hain. Mera kitna dhyan rakhte hain.

Sairta- (man me) Haan mujhe pata hai ki hitlar kitna achha aadmi hai. Mujhse behtar use kaun jan sakta hai. Ek number ka kadoos aadmi hai wo. (fir dadi se) Haan dadi wo bahut acche hain, lekin ek baat mujhe samajh me nahi aati ki aapko unhone yaha par kaid karke kyon rakha huwa hai.

Dadi- Wo bachha singh hai na. Wo gunda. Mujhe usi se bachane ke liye police babu ne mujhe yaha par kaid karke rakha huwa hai. Meri natin bhi Uske paas hai.

Sarita- (Chauk kar) kyaa….. Kiske paas hai. Kya huwa use. Kab huwa ye.

Dadi- ye us samay ki baat hai jab main tumse mili thi. us din Baccha singh ke Aadmi mere ghar aaye aur mujhse kaha ki main Wo paise aur gahne ki potli aapko de doon. Jab maine unse poocha ki kisliye to unhone bataya ki wo tumhe jhoothe case me fansana chahte hain. Jab maine mana kar diya to wo log mere sath jor jabardasti karne lage.

Meri natin jo bahar khelne gayi thi. usi samay ghar par aa gayi. to unhone meri natin ko pakad liya aur mujhe dhamki di ki agar maine unka kam nahi kiya to wo meri natin ko ya to maar dalenge ye kothe par lejakar bench denge. Jise sunkar main bahut dar gayi thi. maine unke bahut hanth panv jode. Raham ki bheekh mangi. Lekin unhone meri ek na suni. Isliye majbooran mujhe ye kam karna pada.

Jab wo officers log aaye the aapko pakadne tab bhi unka ek aadmi wahi chhupa tha aur apne sathiyo ko jinhone meri natin ko pakadkar rakha huwa tha. Unhe pal pal ki khabar de raha tha. Jab wo officers tumse baat karne lage to main mauka dekhkar waha se bhag aayi aur sidhe apne ghar pahuchi, Kyonki agar main waha ruk jati to main un officers ke poochne par jhooth nahi bol pati. Aur agar main jhooth nahi bolti to bachha singh meri natin ke sath bahut bura karta. Isiliye main waha se bhag kar apne ghar aai, lekin tab tak…..


Itna kahkar dadi rone lagi. Sarita ne unhe apne gale laga liya aur chup karwate huwe poocha.


Sarita- Par kya dadi. Aapki natin thik to hai na. use khuchh huwa to nahi na.

Dadi- Pata nahi bitiya. Jab main waha pahuchi to bachha singh ke aadmi meri natin ko lekar chale gaye the. Ab kaisi hai. Kis hall me hai. Unhone meri natin ke sath kya kiya hai. Mujhe kuchh nahi pata. Mujhe kuchh samajh me nahi aa raha tha ki main madam mangne kiske paas jaun. Apni natin ko kaha dhoondhu. Bacha singh kea admi meri natin ko kaha lekar gaye hain. Main ye baat kisi se kah bhi nahi sakti thi. Kyonki koi bhi meri madam nahi karta.

Sarita- (gusse se) Us bacha ki itni himmat. Ek chhoti bachhi ki aand lekar apne apko gunda kahta hai. Aap bilkul bhi chinta mat kariye dadi. Main us bachha singh ko chhodungi nahi. Use main achha sabak sikhaungi. Main aapki natin ko wapas lekar aaungi. Aap mujhpar bharosha rakhiye. Mujhe aapse koi shikayat nahi hai. Lekin mujhe ek baat samajh me nahi aayi ki aap Sir ko kaha se mili.

Dadi- Wo kya hai na Jis din se meri natin ko Bachha singh ke aadmi lekar gaye the tab se main bahut pareshan thi. mujhe samajh me nahi aa raha tha ki main kiske paas jaun. Kisase madad mangu. Police ke paas bhi nahi ja sakti thi. Kyonki Agar bachha singh ko pata chal jata ki main police ke paas gayi hui hoon to wo meri natin ke sath pata nahi kya karta. Mujhe uska thikana bhi nahi pata tha ki main uske paas jakar apni natin ke liye bheekh mangti.

Ek din sochne ke baad maine fir khud se hi apni natin ko dhoondhne ka nirnay liya. Maine usko bahut dhoondha lekin wo mili nahi. Ek din bhatakte bhatakte main police babu se takra gayi. jo shayad mujhe hi dhoondh rahe the. Unhone jab mujhse aapko jhoothe rishwat ke case me fansane ka karan poocha to pahle main bahut dar gayi thi, lekin jab unhone kaha ki wo mujhe kuchh nahi karenge to maine unhe poora sach bata diya. fir wo mujhe yaha lekar aa gaye. Lekin mujhe samajh me nahi aa raha hai ki wo mujhe yaha lekar kyon aaye hain.

Sarita- (Man me) Kyonki hitlar chahta hi nahi tha ki main aap tak pahuchu. (dadi se) Wo isliye aapko yahan laye hain ki mere begunah sabit ho jane ke baad aapki jan ko bhi khatra badh gaya hai. Bachha singh ke aadmi aapko bhi khoj rahe honge. Lekin Un logo ko pata nahi hai ki Aapko sir ne apne ghar me chhipa kar rakha huwa hai, Aur Aap sabse jyada surakshit abhi yahi par hain. Isliye aap yaha se abhi kahi mat jaiyega. Achha dadi ye bataiye ki aapko khana pina sahi se milta hai ki nahi.

Dadi- Police babu bahut ache hain beti. Wo mera poora dhyan rakh rahe hain. Wo roj subah sham yaha par aate hain mera hal chal lene aur sath me khana bhi late hain. Mujhe yaha par koi dikkat nahi hai. Bas mujhe bahar nahi jane dete. Iske alava sab kuchh thk hai.

Sarita- Bahut hi jald aap bahar bhi jayengi dadi. Main bahut jald aapki natin ko khoj nikalungi. Achha dadi. Aaj jab wo aapse milne ke liye aaye to unse ye mat bataiyega ki main aapse milne ke liye aayi thi.

Dadi- (hairan hote huwe) Wo kisliye beti.

Sarita- Kyonki Unhone sabhi ko yaha aane ke liye mana kiya hai. Jo bhi apse milne aayega wo unse poochkar aayega, lekin main unse bina pooche hi aapse milne ke liye aa gayi. agar aapne unse bata diya ki main aapse milne aayi thi to wo mujhse naraz ho jayege. (apne man me) Naraz ho jaye meri bala se. (dadi se) aur agar wo naraz ho gaye to mujhko bhi saza de sakte hain. Kyonki wo mere sahab hain. Aur agar unhone mujhe saza de di to main aapki natin ko kaise dhoondhungi fir.

Dadi- Thik hai bitiya main police babu ko kuchh nahi bataungi. Lekin maine tumhare sath jo kiya wo bahut galat kiya. Lekin main kya karti main majboor thi. isliye ho sake to mujhe maaf kar dena beti.


Itna kahkar Sarita ke samne dadi ne apne hanth jod liye. Sarita ne turant unka hanth pakadkar unse kaha.


Sarita- Ye Aap kya kar rahi hain dadi. Aap mujhse badi hain. Apka mere samne yun hanth jodna mujhe ache nahi lagta. Aapne mujhe beti kaha hai na. to jaise aap Gudiya ke liye uski dadi ho usi tarah mere liye bhi aap dadi ho. Achha dadi main chalti hoon nahi to agar wo hitlar aa gaya to bahut badi gadbad ho jayegi. Aap unse mere bare me kuchh mat kahna. Main bahut jaldi hi Gudiya ke sath aapke paas wapas aaungi.

Dadi- Thik hai bitiya. Apna khyal rakhna.


Dadi ne Sarita ke sir par hanth firate huwe ye baat kahi. Unki baat sunkar Sarita muskurate huwe khidki ki taraf jaise hi pahla kadam badhaya. Bahar se kuchh khat pat ki aawaz sunai padi. Aisa lag raha tha ki jaise koi tala khol raha hai darwaze ka. Bahar hui khatpat sunkar Sarita samajh gayi ki hitlar aa gaya hai. Ab sarita pareshan ho gayi. Kyonki agar Nishchal ne use yaha dekh liya to bawal machana tay hai. Jo wo filhal is vakt nahi chahti thi. Sarita apne man me sochne lagi.


Sarita- Hey bhagwan Ye hitlar to Aa gaya hai. Ab main kya karun. Itni jaldi jaldi me main khidki se bahar ja hi nahi sakti. ab kya hoga. Ab main kaise bachu is hitlar se. kuchh bhi ho mujhe iski najro ke samne nahi aana hai.


Hairan pareshan Sarita charo taraf chhupne ki jagah dekh rahi thi. lekin use chhupne jaisi jagah nahi mil rahi thi. tabhi uska dhyan bister ki taraf gaya . fir usne dadi ko kuchh na batane ka ishara kiya aur bister ke niche ghus gayi. thik usi samay Nishchal Tala kholkar andar aa gaya aur dadi ke paas aakar khada ho gaya. Is dauran Sarita ke ek hanth par Nischal ka pair pad chuka tha. Jiske karan use dard huwa aur usne doosre hanth se apna munh band kar liya. Taki uski aawaz bahar na nikle.


Darasal huwa ye ki hadbadahat me Sarita piche ki taraf se bister ke niche ghus rahi thi. to uska hanth bister ke thoda aage nikala huwa tha. Aur Nishchal bhi chalta huwa siddha dadi ke paas aakar ruk gaya. Jiske karan uske ek pair ne niche Sarita ka hanth aa gaya tha.


Nishchal dadi ke paas khada hokar Unka hal chal lene me vyast ho gaya. Idhar niche Sarita ka dard se bura hall ho raha tha. Wo apne doosre hanth se apne munh ko kaskar band kiye huwe pet ke bal leti hui thi. Wo itni majboor thi ki apna hanth kheech bhi nahi sakti thi. kyonki hanth ke Kheechne se Nishchal ko pata chal sakta tha ki Sarita waha par hai. Sarita dard se behal man hi man soch rahi thi.


Sarita- Is khadoos ko bhi abhi hi aana tha. Hey bhagwan. Kis janam ka badla le rahe ho mujhse. Ye to andha ho gaya hai. Ise kuchh samajh me nahi aa raha hai ki isne apna pair kaha par rakha huwa hai. Siddha aakar mere hanth par khada ho gaya hai. Ye aadmi ka pair hai ya hanthi ka pair hai. Kitna bhari hai ye.

Ohhhhhhh mummy. Isne apne pair ko aise jam kar liya hai jaise angad ne apna pair jam kar diya tha. Jaldi se mere hanth se hat ja Hitlar, Khadus aadmi. Meri jaan nikal rahi hai. Hey bhagwan main kya karun. Mujhse ye dard bardast nahi ho raha hai. Agar ye thodi der nahi hata to main chilla dungi. Fir jo hoga dekha jayega.


Shayad Bhagwan ne Sarita ki pukar sun li thi aur unhe Sarita par daya aa gayi thi. isliye kuchh hi pal me Nischal waha se chalta huwa doosri taraf rakhi mej ke paas khana rakhne ke liye chala gaya. Sarita ne apna hanth kheech liya aur apne doosre hanth se sahlati hui foonk marne lagi. Uski jan me jan laut aayi thi.


Khana rakhkar NIshchal dadi ki taraf palta. Tabhi uski nazar khuli khidki par padi. Khidki ke baad uski najar apne raik par padi to use waha ki file kuchh bigdi hui najar aayi. Ye dekhkar Nischal ne dadi se poocha.


Nischal- Amma. Mere jane ke baad is kamre me koi aaya tha kya.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ki halat kharab ho gayi. use laga ki shayad wo ab pakdi jayegi. Wo man hi man prarthna karne lagi ki dagi kuchh kah na de mere yaha aane ke bare me. Tabhi use dadi ki aawaz sunai di. jise sunkar usne sukon ki sans li. Lekin kahi na kahi use dar bhi lag raha tha ki kahi dadi ke mujh se hadbadi me uske yaha aane ki baat nikal na jaye.


Dadi- Nahi police babu. Yaha to koi nahi aaya tha aapke jane ke baad.

Nishchal- Fir ye file kaise idhar udhar ho gayi hai. Kyonki maine jaise rakha tha file. Us hisab se ye nahi rakhi hai.

Dadi- Wo kya hai beta ki dophar me tez hawa chali thi. aur ye khidki bhi khuli hui hai to tez hawa ke karan do file jameen me gir gayi thi, jise maine uthakar waha par rakh di thi.

Nishchal- Thik hai amma Aap khana kha lijiye. Tab tak main file ko sahi se rakh deta hoon.


Nischal ne itna kahkar khana lakar stool par rakh diya. didi khana khane lagi to nishchal apni file ko thik karne laga. Fir wo kamre me idhar udhar tahalne laga. Thodi der me dadi ne khana kha liya aur Nischal se poocha.

Dadi- Police babu. Abhi mujhe yaha par kitna din rukna padega. Mujhe apne ghar jana hai.

Nishchal- Bas kuchh din aur yaha rukna padega amma. Uske baad aap ghar ja sakti hain. Baat ye hai ki mujhe is bich bahut jyada kam hai to main Un logo par jyada dhyan nahi de pa raha hoon. Kuchh hi dino me poora kam finish karke pahle un logo se nipatunga uske baad aap apne ghar ja sakti hain.


Idhar Sarita Palang ke niche apne dard hote hath ko doosre hanth se sahlati hui soch rahi thi ki isko jana nahi hai kya. Ye to apni poori ram kahani lakar baith gaya. Pata nahi kiska munh dekhkar subah uthi thi. tabhi use dadi ki aawaz sunai padi.


Dadi- Bas police babu meri Natin ko Unse bacha lo. Main use bahut pyaar karti hoon. Use kuchh ho gaya to main mar jaungi.

Nischal- Aap uski fikar mat kariye amma. Use kuchh nahi hoga. Main use aapke paas lekar aaunga. Tab tak aap thoda Dheeraj rakhiye. Achha amma ab main chalta hoon. Aapne khana kha liya hai to aaram kariye aap.


Itna kahkar Nishchal kamre se bahar nikal jata hai aur tala lagakar niche chala jata hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
UPDATE- 8


Sabke chale jane ke baad Aanand ji jameen par baith kar phoot phoot kar rone lage. Andar Sarita ro rahi thi aur bahar Aanand ji aur Raani ji ro rahe the. Aanand ji aur Raani ji ko rishtedar sambhal rahe the to Sarita ko Manisha sambhal rahe the. Sarita ko Apni shadi tutne ka koi dukh nahi tha balki wo khud apni shadi todkar aai thi.


Lekin inspector ki wife aur beti ki baate unse dil aur dimag ko chhalni kar rahi thi. Uske character par ilzam lagaya tha dono ne. jo usne kabhi sapno me bhi nahi socha tha. Uske baare me un dono ne bola tha. Lekin jaise hi uske kano me aanand ji ke rone ki aawaz sunai padi wo apna dukh dard bhoolkar apne kamre se bhagkar apne mummy papa ke paas aai aur unke gale lagkar rone lagi.


Sabhi rishtedar ki aankho me aanshu the. Sath me paas padosh ke jo log Sarita aur Manisha ko jante the. Sabhi Inspector ki wife aur Beti ki baato se nakhush the. Sabhi rishtedar maan , baap beti ko dilasha dekar chup karwa rahe the. Aanand ji rote huwe bole.


Aanand- Usne meri bachhi ke character par ungli uthaai. Meri bachhi ko gali di usne. Meri bachhi ne kuchh nahi kiya. Meri bachhi galat nahi kar sakti. Wo jhooth bol rahi hai.

Sarita-(rote huwe) papa Aap chup ho jaiye. Usko jo kahna hai kahne dijiye. Uske kahne se Sachhai thodi hi badal jayegi. Aapko mujhpar bharosha hai na papa. Agar aapko mujhpar bharosha hai to mujhe koi fark nahi padkta ki koi mere bare mein kya bolta hai. AB aap chup ho jaiiye papa. Aap hi meri takat ho papa. Agar aap hi toot gaye to mujhe kaun sambhalega. Mujhe is samay aapki sabse jyada jaroorat hai papa.

Manisha- (Sisakte huwe) Haan papa Didiya sahi kah rahi hai. Aap shant ho jaiye. Hamko kisi se matlab nahi hai papa. Bas aap hampar bharosha rakhte hain to duniya kuchh bhi bole hame koi fark nahi padata papa.

Aanand ji- (Rote huwe) Mujhe tum dono par apne se bhi jyada bharosa hai beti. Main to ye sochkar ro raha hoon ki maine tum dono ko jeewan me kabhi khushiya nahi de paya. Hamesha dukh diye hain maine tum dono ko. Mujhe maaf kar do beti.

Sarita- (unka hanth pakadkar) Aap aisa mat kahiye papa. Aap ne kuchh nahi kiya hai. Aap ne hamare liye jo kiya hai wo koi aur nahi kar sakta papa. Aap duniya ke sabse best papa ho. Ab aap shant ho jaiye. Nahi to main aur bhi jor jor se rone lagungi.


Fir Manisha aur Sarita ne apne papa ko uthakar khatiya par baithaya. Manisha ne ek gilas pani lakar apne papa ko diya. Aanand ji ne pani pikar thoda aaram karne ke liye kaha. Kyonki aanand ji Sharirik rup se jyada manshik roop se thak gaye the. Isliye wo wahi khatiya par letkar aaram karne lage.


Subah khushiyo se shuru huwa ye din sham hote hote matam me badal gaya. (Sahi hi hai kisi kisi ke naseeb me khushiyaa aane se pahle itna jyada dukh aata hai ki log hatas ho jate hain apni jindagi se). Raani ji ke bhaiyo ne milkar poora tant, gadda, kurshi aur jo bhi saman Sagai ke liye kiraye par laya gaya tha, unhe wapas pahuchaya.


Sabhi do din tak ruke rahe, lekin ghar ka mahaul aisa ho gaya tha ki jaise ghar me kisi ki mrityu ho gayi ho. Sabhi jaise hansna khana pina sab kuchh bhool gaye the. Do din baad Raani ji ke dono bhaaii apne pariwar ke sath wapas apne ghar chale gaye. Aakhir Sabhi ke ghar me kaam hota hai.


Unke jane ke baad yahan par Raani ji aur Aanand ji ki halat kharab hi thi. To Dono bahano ne Sab kuchh bhulakar khud ko mazboot kiya aur samane aai paristhiti ka samna karte huwe apne maa aur baap ko bhi is vichitra paristhiti se bahar nikala.


Is Stithi se ubarne ke liye aanand ji ko 1 hafte ka samay laga. In 1 hafto me Aanand ji ne Auto bahar nahi nikala tha, lekin wo kab tak aisa karte. Aakhir papi pet ke liye wo apni dincharya par wapas laut aaye. Ab wo wapas pahle ki tarah samanya ho gaye the. Kabhi kabhi unhe ye baat jaroor salti thi ki unki beti ko kisi ne unke samne hi charitraheen kaha tha. Ye yaad aate hi unki aankho me aanshu aa jate the.


Sarita khud ko apna mummy papa ke samne mazboot dikhati, jaise kuchh huwa hi nahi hai, lekin jeb wo akeli hoti to Inspector ki wife aur uski beti ki bate uske dilo dimag me ghunjne lagti. Apne upar lagaye gaye lanchan ko yaad karke uski aankho me aanshu aa jate the. Ye Sab dimaag me aate hi kabhi kabhi to wo itni hatas aur pareshan ho jati ki uske man me galat vichar panapne lagte (Galat vichar se matlab koi ganda khyal nahi hai).


Kabhi sochti ki wo hi apne papa ke dukho ka karan hai usi ke karan aske bhaiya ghar chhodkar chale gaye aur usi ke karan aaj uske papa ki ye halat hui hai. Uske karan hi papa ki kitni beizzati hui thi. Use is ghar me rahne ka koi hak nahi hai. Use mar jana chahiye. Lekin jaise hi ye khyal dimag me aata. To uski rooh kanp jati,


kyonki usne dekha tha ki Abhishek ke chale jane ke baad aanand ji raat raat bhar apni galtiyo ke karan rote the. Agar usne aisa kuchh kiya to Us aurat ka lagaya gaya ilzaam sahi sabit ho jayega. Fir to papa sharmindagi ke karan kuchh bhi ulta siddha kar sakte hain. Nahi nahi main aisa nahi hone doongi. Main papa ko kuchh nahi hone doongi. Main aisa kuchh bhi nahi karungi. Main ye sab karne ke bajay kuchh aisa karungi ki papa ke sir fakar se ucha ho jaye. Logo ke samne papa sina tan kar bol sake ki main unki beti hoon.


Sarita Akele me yahi sab sochti rahti, lekin use kya karna hai ye nirnay wo nahi le pa rahi thi. Aise hi din gujarne lage. Aur Sarita sochti rahi ki use kya karna hai. Is ghatna ko ek mahina bit chuka tha. Ek din Sarita apne mobile me vacancy search kar rahi thi. Tabhi Sarita ki najar Uttar pradesh public Servic Commission ke Vacancy Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) par padi.


Vacancy ko dekhne ke baad Sarita ko apna rasta mil gaya. Usne nishchay kar liya ki wo Isi madhyam se apne papa ka sir ucha karegi aur un dono ma beti ko dikhaegi ki samaj me unki bhi izzat hai. Sarita ne nischaya to kar liye tha lekin iske pahle use apne papa se baat karni thi. Unse sahmati leni thi. Abhi wo isi soch me thi ki Tabhi Manisha bhi vaha aa gayi. Apni didiya ko soch me dekhkar wo boli.


Manisha- Didiya. O didiya. Kya soch rahi ho. Mujhe bhi batao jara.

Sarita- Mujhe apna target mil gaya hai manisha. Bas ab mujhe us target ko achieve karna hai

Manisha- Kaisa target didiya. Mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai.

Sarita- Tumhe pata hai. Jis din se un dono maa beti ne yaha hangama kiya tha. Us din se main yahi sochkar pareshan hoon ki meri wajah se papa ko itne logo ke samne sharminda hona pada. Meri vajah se papa ko Un lalchi logo ke samne mere liye Gidgidana pada. Tabhi se main yahi soch rahi hoon ki mujhe kuchh aisa karna hai ki papa ka sir meri vajah se jhuke nahi balki uchaa ho jaye. Aur mujhe aaj wo rasta najar aa gaya hai. Mujhe meri manjil najar aa gayi hai.

Manisha- par wo manjil hai kya didiya. Mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai.

Sarita- ye hai meri manjil jise hasil karke main papa ko gift dena chahti hoon.


Itna kahkar Sarita ne Manisha ke samne apna mobile rakh diya. Manisha ne jab dekha to uski aankhe badi badi ho gayi. Wo apni aankhein badi karke Sarita ko dekhte huwe boli.


Manisha- Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) matlab police ki Naukri karengi aap. Papa iske liye kabhi taiyar nahi honge. Aur waise bhi ye naukri koi bachho ka khel nahin hai. Iske liye bahut mehnat karni padegi aapko.

Sarita- mujhe pata hai ki iske liye mujhe bahut nahin bahut jyada mehnat karni padegi, lekin main karungi. Papa ke liye main din raat ek kar doongi, lekin ye gift main papa ko jaroor dungi. Papa ko manana mera kaam hai. Ab tum meri thodi help kar dena. Mere support me bol dena.

Manisha- main apni didiya ke liye kuchh bhi karungi.


Itna kahkar Manisha Sarita ke gale lag gayi. Isi tarah din bit gaya. Sham ko jab Aanand ji Auto lekar Ghar aaye to wo bahut khush the. Raani ji ne unki Khushi ka karan poocha to unhone bataya


Aanand ji- Ari bhagywan Sarita ke liye ek Acha Rishta mil gaya hai. Ladka Lucknow me sichai vibhag me clerk hai. Ghar pariwar bhi thik hai. Agar ye Rishta jam gaya to isi sal Sarita ke hanth pile kar denge.

Raani ji- Ye to bahut Khushi ki baat hai. To aap rishte ki baat aage badhaiye fir.

Aanand ji- maine apne dost ko bol diya hai ki wo baat ko aage badhaye. Do char din me wo batane ke liye bola hai.


Sarita apne papa ki baat sun rahi thi. Use samajh nahi aa raha tha ki wo apne papa ki Khushi ko apni baat kahkar gam me to nahi badal degi. Fir bhi usne himmat jutayi aur Aanand ji se kaha.


Sarita- papa mujhe aapse kuchh jaroori baat karni hai.

Aanand ji- Are Sarita beta. Mujhe bhi tumse kuchh jaroori baat karni hai.

Sarita- Aap se jyada jaroori meri baat hai papa. Ek baar meri baat sun to lijiye.

Aanand ji- Thik hai beti batao kya baat hai.

Sarita- Pahle aap wada kariye ki meri baat sunkar aap gussa nahi karenge. Meri baat aap dhyan se sunenge. Aur use samjhne ki koshish karenge. Meri bhavnao ko samajhne ki koshish karenge.

Aanand ji- (Pareshan hote huwe) tu aisa kyon kah rahi hai beti. Kya baat hai.

Sarita- Nahi papa pahle aap wada kariye. Ki aap gussa nahi karenge. Fir main bataungi.

Aanand ji- Thik hai beti wada karta hoon ki main gussa nahi karunga.

Sarita- papa baat ye hai ki Mujhe Abhi shadi nahi karni hai.


Sarita ki baat sunkar Aanand ji Aur Rani ji ke hosh hi udd gaye. Unhe ummeed nahi thi ki Sarita aisa kuchh bolegi. Uski baat sunkar Raani ji ne kaha.


Raani ji- Kyon. Kyon Shadi nahi karogi tum, Shadi ki Umar ho gai hai tumhari. Itna achha Rishta aaya hai hath me. Tere pichhe pichhe teri bahan bhi shadi ki Umar par aa gayi hai.

Sarita- maa main Abhi do sal shadi nahi karna chahti hoon. Mujhe naukari karna hai. kuchh banna hai. Uske baad shadi karni hai.

Aanand ji- ye kya dhun sawar ho gayi hai tujhpar beti. Tujhe pata hai na Apni mali halat. Tere sath tere bahan ki bhi shadi ki jimmedari aa jayeyi mujhpar in do shalo me. Tu khud soch agar tu do sal shadi nahi karegi to tere se pahle to Manisha ki shadi nahi kar sakta hoon na. fir tum dono ki shadi ka bojh eksath kaise utha paungi main beti.

Sarita- maine is bare mein bahut socha hai papa, lekin us (Inspector Wife) ki baat mere dimag me ghumti rahti hain. Main bhi usko batana chahti hoon ki mere papa ki bhi izzat hai. Main use batana chahti hoon ki usne jo ilzam lagaya hai ham dono bahno aur bhai ke upar wo galat hai. Mujhe do sal ka samay de dijiye papa. Uske baad aap jis ladke se bolenge main usase shadi kar lungi. Maine aaj tak apse kuchh nahi manga papa. Aaj maang rahi hoon. Mujhe meri zindagi ke do sal de dijiye papa.


Sarita ye baat karte karte aanand ka hanth pakad kar ro padi. Uske rone se sabhi ki aankho me aanshu aa gaye. Raani ji ne Sarita se kaha.


Raani jii- ham teri bhavnaye samajh rahe hain beti, lekin tum bhi hamari majboori samajhne ki koshishh karo beti. Itna achha Rishta baar baar nahi milta.

Aanand ji- Mujhe apni beti ki kushi sabse jyada pyari hai. Tujhko do sal chahiye na. diya tujhko do sal, lekin beti do sal baad tumhe meri baat man-ni hogi. Kyoki tumse kuchh chhupa huwa nahi hai.

Raani ji - ye aap kya kah rahe hain. Itna achha Rishta naukari wala ladka……….

Aanand ji- (bat ko bich me katkar) Nahi bhagyawan. Meri beti ne pahli baar mujhe kuchh manga hai. Main itna bhi nirdayi nahi hoon ki apni beti ke armano ka gala ghot doon. Main janta hoon ki Khushiya is ghar se ruthi hui hain, lekin samay hamesha ek sa nahi rahta. Ho sakta hain ye koi samay ka chakr ho jo Sarita ke madhyam se kuchh achha karwana chahta ho. Rishton ka kya hain agar bhagwan ki marji hui to isase bhi ache ache rishte aayenge hamari Sarita ke liye.

Sarita- Dhanyawad papa. Apne meri baat mani. Main man lagakar wo kamm karungi jiske liye maine aapse do sal mange hain. Main aapki sar garv se ucha karungi papa.


Itna kahkar Sarita Sisakte huwe Aanand ji se lipat gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
We jo unexpected ghatana ghati thi sarita ki life mein..... Ek alag hi mod dene wali hai sarita khud apni life mein, career ke jariye...
1) aulaad ke sath bura hota dekh kaise ek majboot aadmi bhi ro deta hai....
2) ghar ke niv, ghar ka mukhiya, ek pita ko na tutne di... Chaahe khud hi kitne hi dard seh li ho sarita ...
3) samaaj mein khuch chugalkhor log bhi hote hai ... kaise aag mein ghee daale is mauke k taak mein rehte hai,
In sabhi muddon ko kirdaaro ke jariye details ke sath pesh ki pesh ki hai aapne ... jo sach mein kaabile tariff hai ..

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 9
Jaha hai waha raah hai... aur sarita ne to ek tarah se khud se hi wada kar liya ki wo manjil tak pahuch ke hi dum legi...
sach mein, sabhi baaton ko darikinaar kar study pe focus ki usne... ab itni mehnat ki hai to phal miitha to hoga hi na.... waise interview ke waqt kadam dagmagaye.. Lekin aanand ji ne hausala diya aage badhne ke liye..
I think interview bhi clear ho jaane hai....

Btw us ins wife ka kuch nahi ho sakta :sigh: usko bas burayi karni hai sarita ki

Shaandaar update, shaandaar lekhni shaandaar shabdon ka chayan... aur sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi..... Khaskar sarita aur aanand ji ki...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 

Top