Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Nice update is Raghu se sarita ko problem ho sakti hai abhi tak uske bhai ka kuch pata na chala
धन्यवाद आपका महोदय।।

यही रघु सरिता को मारने नहीं देगा महोदय।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 38


Idhar Savi sab ko jaldi jaldi market chalne ke liye taiyar hone ke liye bol rahi thi. Manisha ne pahle hi Sarita ko phone karke bata diya tha ki use kitne baje mall pahuchna hai. Kuchh hi der me sab taiyar hokar mall jane ke liye nikal gaye. Jab sab log waha pahuche to Sarita waha pahle se hi maujood thi. Unhe dekhte hi Sarita ne kaha.


Sarita- Badi jaldi aa gaye aap log. main yaha aadhe ghante se khadi hui hoon. lekin aap log abhi aa rahe hain. aapko pata hai ki main kitna important kaam chhodkar aayi hoon.

Raani ji- Haan pata hai. jab dekho tab kaam kaam aur bas kaam. noukari milne ke baad to hamari koi fikar hi nahi rah gayi hai tumhe. bas kaam ki hi fikar hai tumhe.

Sarita- Ara maa aisi baat nahi hai. main to bas ye kah rahi thi ki yaha pahuchne ke baad agar mujhe phone karti tab bhi main aa jati. mujhe itni jaldi bulaya isliye main ye bol rahi hoon.

Savi- Achha. ab to aa gaye hain na. chaliye jaldi jaldi shoping kar lijiye. jyada samay nahi lagana hai na.


Savi ki baat sunkar sabhi shoping karne ke liye mall ke andar chale gaye. Manisha aur Savi ne poore mall me ghoom ghoom kar kapde, cosmatics ke saman aur ladies section me jakar kapde khareedne lagi.


Sarita ne sabke liye kuchh na kuchh khareeda. Rani ji aur Aanand ji bas unke sath ghoom rahe the. unhone apne liye kuchh nahi khareeda tha. Poori shoping khatam hone ke baad jab bill dene ki bari aayi tho savi bill ka payment karne lagi to Sarita ne kaha.


Sarita- Di aap rahne dijiye. main payment karti hoon.

Savi- Are nahi tum rahne do. main karti hoon. shoping par to main tum logo ko lekar aayi hoon na.

Manisha- Are didi. bhale hi shoping par aap lekar aayi hain. lekin kal didiya ka janamdin tha aur mere yahan janamdin ka gift jiska janamdin rahta hai wo khareed kar sabko deta hai isliye ye sari shopping didiya ki taraf se hai.

Savi- Ye to bahut ajeeb hai. matlab jiska janamdin hai uski poori khushi tohfa kharidne me hi khatam ho jayegi.


Savi ki baat sunkar sabhi hansne lage. Sarita ne payment kiya aur sabhi mall se bahar aa gaye. sham ho chuki thi, isliye sabhi shidha ghar aa gaye. ghar pahuch kar Manisha ne turant apne kapde nikal kar check karne lagi aur sabko uske bare me batane lagi. baki sabhi hall me baithkar baatcheet karne lage.


subah Manisha, Ranii ji aur Aanand ji ko ghar nikalna tha isliye wo log jaldi se khana khakar sone ke liye chale gaye. Sarita Savita ke sath baith kar baat karne lagi, lekin usne ek baat note ki ki Savita Uski baato ka thik se jawab nahi de rahi thi.


na hi us-se kuchh pooch rahi thi. jab sarita usase kuchh kahti ho haan huun kahkar tarka deti thi. thodi der baad SAvi bhi apne kamre me chali gayi. wo apna bister thik kar rahi thi tabhi Sarita bhi Savi ke kamre me aa gayi. Sarita ne Savi se kaha.


Sarita- Kya huwa hai aapko di.

Savi- Kuchh to nahi. mujhe kya hoga.

Sarita- Nahi di kuchh to baat hai. tabhi aap mujhse aise baat kar rahi hain. mujhse koi galati ho gayi hai kya.

Savi- Nahi Sarita bas aaj kuchh thik nahi lag raha hai. baki aur koi baat nahi hai.


ye sunkar Sarita ne Savi ko pakadkar bed par baithaya aur uske pairo ke paas jameen par baith gayi. usne Savi ka hanth apne hanth me le liya aur use sahlate huwe SAvi ki aankho me dekhte huwe poocha.


Sarita- Dekhiye di. main janti hoon ki koi bahut badi baat hai jiske karan aap mujhse is tarah se baat kar rahi hain. aapko pata hai ki main aapse kitna pyaar karti hoon. yaha par ek aap hi hain jise main apna kah sakti hoon.

Savi- yahi to dikkat hai Sarita. ki tum mujhe apna samajhti hi kaha ho. kahne ko to tum bol rahi ho ki main tumhari apni hoon, lekin kya sach me aisa hai.

Sarita- Aakhir baat kya hai di. aap aisi baat kyon kar rahi hain. jab tak aap mujhe bataengi nahi ki baat kya hai tab tak mujhe pata kaise chalega ki aap kis baat ko lekar aisa bartav kar rahi hain mere seth.

Savi- Tum mujhe koi baat batati ho jo main tumhe bataun. maine tumhe kitni baar kaha hai ki koi bhi baat ho kaisi bhi baat ho mujhse chhipane ki jaroorat nahi hai tumko. main tumhari har baat par tumhare sath khadi rahungi, lekin tum batati hi nahi ho ki kya ho gaya hai kya nahi .

Sarita- Oohhhh Achhaa diii. aap abhi takk birthday wali baat ko lekar mujhse naraj hain Sorryy di. wo to bas mere dhyan se utar gaya tha.

Savi- Tumhare birthday wali baat par mujhe itna gussa nahi aaya tha, lekin jab tumhari jindagi……….. Kya tum mujhe is kabil bhi nahi samajhti ki mujhse ye baat share kar sako. agar tumhe kuchh ho jata ho.


Itna kahte kahte Savi ki aankhe chhalak aayi. dono me pata nahi kaise ye pyaar tha. koi rishta na hota huwe bhi ek aisi anjani dor ne Savita ko Sarita se bandh rakha tha ki Savita ke liye Sarita apni ho gayi thi. Savita ki aankho me aanshu dekh SArita ne uske aanshu pochhte huwe kaha.


Sarita- Bas main isiliye aapko nahi batana chahti thi. aap bahut jaldi pareshan ho jati ho. ab aap chup ho jaiye. mujhe kuchh nahi huwa. main bilkul thik hoon. Sir ne sahi samay par aakar mujhe bacha liya. ab main bilkul satark rahungi.

Savi- Ab tum waha par nahi rahogi.

Sarita- (chaukte huwe) WAha par nahi rahungi matlab. fir main kaha jaungi rahne ke liye.

Savi- Ab se tum mere sath rahogi isi ghar me.

Sarita- Are diii. uski koii jaroorat nahi hai. aap kyon pareshan ho rahi hain itna. maine 2 sipahi tainat karwa liye hain apne room ke bahar. ab darne ki koi jaroorat nahi hai.

Savi- Mujhe ab iske bare me koi baat nahi karni. main eek baar kah diya to kah diya. agar tumne meri baat nahi mani to aaj ke baad na hi tum mujhe di kahkar bulaogi aur na hi kabhi mujhse milne ki koshish karogi.

Sarita- (aankhe badi karke) Kya. ab ye kaisi jid hai aapki di.

Savi- Ye koi zid nahi hai Sarita. ye mera pyaar hai. Agar tumhe ise jid samajhna ho to samajhti raho. jab tum pyaar se nahi manogi to mujhe zid to karni padegi na. Ab is bare me koi baat nahi hogi. kal tum apna boriya bister bandhkar yaha par aa rahi ho ye final ho gaya. ab tum so jao. kal subah uncle Aunty aur Manisha ko Allahabad ke liye bhi nikalna hai.

Sarita Thik hai di. Jo aap chahengi wahi hoga.


Sarita ki baat sunkar Savita muskurane lagi. fir kuchh der Savita se baat karne ke baad Sarita apni maa ke paas sone ke liye chali gayi. Sarita ko aaj bhi bahut chain ki neend aayi.


Agle din subah Sarita ki family ko wapas lautna tha to wo sab subah jaldi jaldi taiyaari karke nashta wagairah karke Saman lekar Satation ke liye chale gaye. Sabhi ke chehre latke huwe the. Manisha bahut jyada udas thi. use dekhkar Savi ne kaha.


Savi- Manisha tum to ruk jao kuchh din.

Manisha- Rukne ke liye to main bhi soch rahi thi didi. Magar yahan par koi aisa hai jise meri Khushi bardast nahi hoti. Isliye main nahi ruk sakti.

Sarita- (gusse se) Bilkul bhi jaroorat nahi hai yahan rukne ki. Pahle padhai par dhyan lagao uske baad hi kuchh sochna.

Manisha- Dekha didi. Maine pahle hi kaha tha ki koi ek hai jise meri Khushi bardast hi nahi hoti. Meri khushiyo ke bich ka sabse bada roda yahi hai. Meri didiya.

Savi- Waise Sarita ne kuchh galat bhi nahi kaha. Padhai sabse jyada jaroori hai. ( Rani ji se Mukhatib hokar) Aunty ji aap logo se milkar bahut achha laga. Pata hi nahi chala ki do din kaise nikal gaye. Fir kabhi samay milega to jaroor aaiyega.


Ye sunkar Raani ji ne uske Sir par pyaar se hanth pherte huwe kaha.


Rani ji- Jab Sarita beti ghar se chali thi is Naukri ke liye to mujhe bas ek hi dar khaye ja raha tha ki yaha par ye kaise rahegi. Mujhe dar lagta tha. Meri beti pahli baar Allahabad Shahar se bahar Akeli hai, lekin jab usne phone par tumhare bare me bataya tha to main nishchint ho gayi thi aur tabhi se tumse milna chahti thi.

Tumse milne ke baad mujhe pata chala ki tumhare bare me Sarita ne hame jitna bataya hai, tum usase lakh guna Achhi ho. tumne meri beti ka itna achhe se dhyan rakha. Uske liye main tumhari bahut Ehsan mand hoon bitiya. Ham logo ko bhi tumse milkar bahut achha laga.

Savi- Are Aunty ji Ye aap kaisi baate kar rahi hain. Jaise Wo Manisha ki bahan hai waise wo meri bhi bahan hai. Aap Uski bilkul bhi chinta mat kijiye Aunty ji. Main uska bahut achhe se dhyan rakhungi.

Aanand ji- Wo bilkul sahi bol rahi hain bitiya. Tum wakai me bahut achhi ho. bhagwan tumhare jaisi beti har maa baap ko de. Achha bitiya. Ab ham chalte hain train bhi aa gayi hai.


Train bhi Platform par aa kar lag chuki thi aur chalne ke liye taiyar thi. Sarita ne apne maa-baap ke pair chukar aashirvad liya. Usne Manisha ko gale laga liya to Manisha Subukane lagi. Sarita ne use chup karaya.


Savi ne Bhi Raani ji aur Aanand ji ke pair chukar unhe pranam kiya aur Manisha ko gale lagakar fir se aane ke liye kaha. Uske baad Sabhi train me baith gaye. Kuchh hi der me train plateform chhodne lagi. Manisha train ke darwaze ke paas aakar khadi ho gayi aur Sarita aur Savi ko bye bolne lagi.


Un dono ko bye bolkar jaise hi wo mudi. Uski najar door khade huwe Raghav par padi. Wo bye ke ishare me hanth hilate huwe hanf raha tha. Aisa lagta tha ki jaise wo daudkar aaya ho. Manisha ke chehre par Raghav ko dekhkar ek muskan aa gayi aur usne bhi hanth ke ishare se Raghav ko bye kaha.


Fir Manisha ne apne dono hanth se apne kan pakadkar maafi ka ishara kiya. Jise dekhkar Raghav ke chehre par muskan aa gayi aur usne Use uski mafi kabool karne ka ishara kar diya. Dhire Dhire Train platform chhod chuki thi. Sabhi Allahabad ke liye rawana ho gaye the.


Raghav, Sarita aur Savi ke chehre par mayushi saaf dekhi ja sakti thi. Sarita Wahi se Direct PS ke liye nikal gayi. Raghav Aur Savii ghar ke liye nikal gaye.



*******

Ek Sunsan jagah par baithkar Raghu apne Vishwashpatra aadmiyo ke sath Sarita ko Raste se hatane ke liye vichar vimarsh kar raha tha. Raghu ne apne aadmiyo se kaha.


Raghu- Maine jaisa tum logo ko bataya hai thik waisa hi hona chahiye.

Aadmi- Jii bhaai aap fikar mat kijiye sab kuchh plaan ke mutabik hoga.

Raghu- Pata to hai na ki kya karna hai.

Aadmi- Haan bhai pata hai ki hame kya karna hai. Aap bilkul bhi fikar mat kariye.

Raghu- Agar koi bhi galti ki tum sab ne to tum log samajh sakte ho ki main tum logo ka kya haal karunga.

Aadmi- Koi galti nahi hogi bhaai.

Raghu- Thik hai fir niklo yaha se aur apne plaan ko anjam do.

Aadmi- Thik hai bhaai.


Itna kahkar wo Aadmi apne gantavya ki taraf chala gaya aur Raghu apne do tin aadmiyo ke sath nikal gaya.


******

Sarita PS me baithkar apna kaam kar rahi thi ki tabhi Janhavi Uske kabin me aati hai aur bolti hai


Janhavi- Madam, Abhi Ek phone aaya tha. Kisi ladki ki aawaz thi. wo kafi ghabraai hui lag rahi thi. Use hamari madad ki jaroorat hai.

Sarita-(chaunkate huwe) Kya. Mujhe turant uska Address do aur mohit, Amit aur Kaushal ko jaldi bhejo mere paas. Hame abhi nikalna hai usko bachane ke liye.

Jahhavi- Ji madam, Abhi bhejti hoon.

Kuchh hi der me Amit aur Mohit Sarita ke samne khade the. Sarita dono ko Sath lekar Ladki dwara diye huwe pate par jane ke liye nikalne ko hoti hai to Mohit ne Sarita se kaha.


Mohit- Madam . Ham waha par nahin Jayenge.

Sarita- Kyon Nahin jayenge wahan Par.

Mohit- Kyonki DSP sir ne aapko kahin bahar jane ke liye mana kiya hai.

Sarita - (thoda Gusse mein) Wahan par ek ladki ki jaan khatre mein padi hai aur Aapko DSP sir ke order ki padi hui hai. Aap Apni naukri karte hain ya unki Chamchagiri.

Mohit- Aapko Jo samajhna ho Samajh lijiye, lekin DSP sir ka yahi Order hai aur waise bhi jis jagah ka pata bataya hai us ladki ne wo jagah thik nahi hai. Ye kisi ka trap bhi to ho sakta jai Madam.

Sarita - (gusse me) Aap kitne bujdil hai Mohit ji. Apna farz nibhane se katra rahe hain aap. agar ye sach mein trap n hokar Hakikat hua to. Nahi main ye roka nahi ke sakti. Hame is ladki ko bachana hai. Ye mera PS hai aur mujhe kya karna hai ye achhi tarah se pata hai. Ab apni bakwas band karo aur chalo mere sath.


Zariye ki dant sunkar Mohit kuchh kah na saka aur sarita ke sath PS se bahar nikal gaya. Jo pata ladki ne Janhavi ko diya tha wo Shahar se thoda hatkar tha aur lagbhag sunsan tha. Wahan Gadiyon ki Aawajahi na ke barabar thi aur Road ke dono taraf badi badi jheel jhankhad the.


Sarita jab waha par pahuchi to waha door door tak koi nahi dikh raha tha. Mohit ne MSG dwara PS se aate samay hi Nishchal ko sab kuchh bata diya tha.


Nishchal ne MSG par hi Sarita ko Waha na jane ke liye mana karne ke liye Mohit ko bol diya tha. Nishchal ko shayad kuchh shak sa hone laga tha. Waha pahuchne ke baad Sarita se Mohit ne kaha.


Mohit- Madam, Mujhe to lagta hai ki shayad hamare sath kisi na majak kiya tha. Yaha door door tak koi najar nahi aa raha hai. Chaliye Wapas chalte hain yaha se.

Sarita- (gusse se) Mohit ji. Ye kaisi baate kar rahe hain aap. Kisi ladki ki jaan par ban aayi hai aur aap ko ye Mazak lag raha hai. Chalo thoda aage chalkar dekhte hain.

Mohit- Madam, Ladki ko phone kiye 30 minute ho chuke hain agar uske sath koi anhoni honi hoti wo wo ho chuki hogi. Waise bhi yaha par koi dikh to nahi raha hai.

Sarita- Sut-up Mohit ji. Apni bakwas band kariye aap aur duty par dhyan lagaiye apna.


Itna kahkar Sarita ne kuchh aage jakar charo or dekhne lagi. Sarita ka phone lagatar baj raha tha lekin Sarita ne us par koi dhyan nahi diya. Udhar Raghu Jhadiyo ke pichhe apne do sathiyo ke sath chhupa huwa tha. Usne apne sathiyo se kaha.


Raghu- dhyan rakhna tum dono. Nishana chukna nahi chahiye kisi ka nahi to bahut bura hall karunga main tum dono ka.

Dono- Ji bhaai.


Sarita Idhar Udhar ghoom rahi thi. tabhi Use 4-5 Log dikhayi diye jo shayad juwa khel rahe the. Sarita ne Mohit ko waha ja kar Unhe pakadne ka ishara kiya to mohit ne kaha.


Mohit- Madam, Aap yaha se chaliye. DSP Sir ne Turant yaha se nikalne ke liye order diya hai aur wo kab se aapko phone kar rahe hain. Aap phone to utha lijiye unka.


Sarita Mohit dwara Nischal ka jikar karne par chidh gayi. usne Mohit se gusse me kaha.


Sarita- Mohit ji. Ye mat bhuliye ki aapki boss abhi main hoon. To aapko is samay meri baat man-ni hogi na ki kisi aur ki. Agar aap un logo ke paas jane me dar rahe hain to aap wapas PS ja sakte hain. Mujhe meri team me darpok log nahi chahiye. Aap PS jaiye main aur Amit yaha par sab sambhal lenge.


Itna kahkar Sarita Amit ke sath un Juwariyo ke paas pahuch gayi aur Dono ne Apni gun nikal kar un par taan di. Mohit bhi ab majboor ho gaya. Wo aise Sarita ko chhodkar ja nahi Sakta tha. Isliye majbooran Use Sarita ke paas jana pada.


Mohit ne bhi apni gun nikali aur Us Juwariyo ke upar taan di. Wo Sare Aadmi Raghu ke Aadmi the jise Raghu ne Samjha kar bheja tha aur bas Juwa khelne ka natak karna tha Unhe tab tak koi Action nahi lena tha jab tak Raghu ki taraf se tin goli na chal jaye.


Sarita ko dekhkar wo Sabhi bhagne ka natak karne lage to Sarita ne ek ke pairo ke paas goli maar di to Sabhi apni jagah par ruk gaye. Sarita ne Amit se kaha.


Sarita- Bharo sabko gadiyo me. Aisa case lagaungi ki aaj ke baad ye yahan aana chhod denge.


Itna kahkar Sarita ne Ek kaskar Mukka Ek Aadmi ke pet me maar diya. Wo aadmi dard se bilbilane laga. Amit aur Mohit ghasit kar Un logo ko gypsy me bharne lage.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Huum to sarita zaal me fans gayi aakar waise bhi uski harkaten bachkani hain apne dsp ka kahna na manna khud ki manmani karna aisa nai chalega usko badalna hoga
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता तो फंस गई रघु के जाल में, लेकिन बहुत जल्द रघु फंसने वाला है सरिता के जाल में।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 39


Udhar Jab Sarita ne goli chalayi to Raghu aur Uske aadmi Satark ho gaye. Usne Apne dono pantaron ko ishara kiya ready rahne ke liye. Amit aur Mohit ne Sabhi Aadmiyo ko gadi me baithaya. Gadi me baithne me un logo ne koi jaddo jahad nahi ki aur aaram se baith gaye.


Mohit ne Driving Sheet sambhali aur Amit un logo ke sath pichhe baith gaya. Sarita ne Unhe baithane ke baad idhar udhar dekhne ke baad jaise hi gadi me baithne ke liye jane lagi. Usi samay Raghu ne goli chala di. Jaise hi Raghu ne goli chalayi. Waise hi Sarita ka pair ek patthar se takaraya. Jiski wajah se Sarita ladkhada gayi aur niche ki taraf jhuk gayi.


Goli chalne ki ghanta aur Sarita ka pair pathhar se takrane ki ghanta dono ek sath hui. Sarita ke ladkhadane aur niche jhuk jane ke karan Goli Sarita ke kandhe ko halka sa chukar nikal gayi.


Goli lagne ke karan Sarita ke munh se ek ghiri hui cheekh nikal gayi. Uski cap uchhal kar jameen me gir padi, uske hanth se gun chhitak gayi. Uski Aankho par laga Stylise googals jameen par gir gaya aur uske baal poore khulkar uske kandhe aur chehre par bikhar gaye.


Sarita ne pahli baar jidhar radhu khada tha udhar dekha. Sarita ka uski Taraf dekhna tha ki Raghu Apni jagah par jam sa gaya.


Raghu Sarita ki sundarta me kho gaya. Sarita ke lahrate huwe geshuwon me Raghu ka Dil ulajh kar rah gaya. Wo pahli najar me hi Sarita ko apna dil de baitha tha. Usne turant Apne pantaro se kaha.


Raghu- Koi bhi goli nahi chalayega.

Panter- Lekin kya huwa bhaai. Bahut badhiya mauka hai. Aaj hi maar girate hain ise.

Raghu- Maine kaha na ki is par koi goli nahi chalayega. Apni gun niche karo tum dono. Aur jhadiyo me chip jao.


Raghu ki baat mankar uske dono pantaro ne apni gun niche kar li aur jhadiyo me chip gaye. Raghu Jhadiyon ki ont se Sarita ki sundarta niharne laga aur apna hanth apne sine par rakh liya.


Goli chalne ki aawaz se Amit aur Mohit satark ho gaye, lekin jab dono ka dhyan Sarita ki taraf gaya to Sarita Jameen par baithi hui apne hanth se apne kandhe ko pakade huwe thi. Jisme se khoon nikal raha tha. Mohit daudkar Sarita ke paas aaya aur bola.


Mohit- Madam Aap thik to hain na. aapko to goli lagi hai.

Sarita- Main thik hoon. Goli us taraf se chali hai. aap dono jakar udhar dekho.

Mohit- Bilkul nahi madam. Abhi hamko yaha se nikalna hoga. Aap ko maine pahle bhi chalne ke liye kaha tha, lekin aap ne mana kar diya.

Sarita- Main tumhari Senior hoon. Maine kaha na ki aap dono udhar jakar dekhe.

Mohit- Abhi main aapki koi baat nahi man-ne wala. Aap iske liye mujhe chahe jo saza de dijiyega, lekin abhi aapko hospital chalna hoga. Ham yaha surakshit nahi hain madam.

Sarita- Mohit ji……….

Mohit- (baat bich me katkar) Maine apko kah diya na ki main aapki koi bhi baat ab nahi man-ne wala matlab nahi man-ne wala. abhi hame yaha se nikalna hoga.


Itna kahkar Mohit ne Sarita ko pakadkar Use Age ki sheet par baithaya aur khud driving sheet par baithkar gypsy aage badha di. Aage kuchh door jane par jaise hi breaker par jypsy dhimi hui. Sabhi Aadmiyon se Gypsy se niche chhalang laga di.


Mohit ne bhi ek baar kuchh Action lene ki socha, lekin Sarita ka khayal aate hi usne apna irada badal liya. Sarita ko lekar Mohit paas ke hi ek hospital me le gaya. Jab Nurse Sarita ki Malham patti karne lagi to Mohit ne Nishchal ko phone kiya.


Nischal- Haan mohit bolo. Sab thik hai. Waha se nikale ya nahi.

Mohit- Sir. Kuchh bhi thik nahi hai. Madam ko goli lagi hai.

Nishchal- Kya. Kya kaha tumne. Maine tumse kaha tha na ki Sarita ko lekar waha se turant niklo, wo jagah thik nahi hai.

Mohit- Main kya karta Sir. Maine kitni baar madam ko kaha, lekin Madam meri baat sun-ne ke liye taiyar hi nahi thi. Mujeh hi bol diya ki main bujdil hoon. Main PS wapas chala jaun.

Nishchal- Ye ladki bhi na. na khud chain se rahti hai aur na hi doosro ko chain se rahne deti hai. Abhi kaha par ho tum. Sarita kaha hai.

Mohit- Sir. Main Abhi madam ko …………….. Hospital lekar aaya hoon. Nurse Madam ki marham patti kkar rahi han. To maine aapko phone kar liya.

Nishchal- Main Abhi pahuch raha hoon waha par.

Mohit- Nahi Sir, Madam itni serious bhi nahi hain Goli bas unke kandhe ko halka sa chukar nikali hai. Malham patti hone ke baad main madam ko PS lekar aa raha hoon. Aap wahi aa jaiye.

Nishchal- Thik hai main pahuch raha hoon PS.


Mohit ne iske baad phone rakh diya. Malham patti ho jane ke baad Mohit, Sarita aur Amit PS aa gaye.


******

Udhar Raghu apne pantaro ke sath Wapas apne Adde par chala gaya. Waha pahunchte hi Uske ek pantar ne usase kaha.


Pantar 1- Kyua huwa bhaai. Aapne mujhe goli chalane se mana kyon kiya. Ham tino ke goli chalane ke baad hi to apne bande action me aate.

Raghu- Are dekhaa nahi tumne wo kitni bahadur thi. Apne 2 sathiyo ke sath aayi thi aur bina dare hi usne un sabhi ko apni gadi me dal liya tha. kitni nidar thi wo.

Pantar 2- Kyaa baat karte hain aap bhaai. Ye apne liye koi naya thode hi hai. Isase bhi bahadur bahadur police walo ko ham logo ne maza chakhaya hai. Aur aap to akele aise 10 -12 police walo par bhari padte hain to wo laundiya kya cheez thi.

Raghu- Pata nahi be. Use dekhte hi mujhe kya ho gaya tha. Doosri goli chalane ke liye hanth hi kaam nahi kiye hamara. Andar se kuchh ajeeb sa lag raha tha.


Raghu ne ye baat bahut hi bujhe man se kahi. Ye sunkar uske panter ghabra gaye. Unme se ek pantar ne Raghu se kaha.

Pantar 1- Kyaa huwa bhaai. Aapki tabiyat to thik hai na. aapko itna pasina kyon aa raha hai.

Raghu- Nahi to kuchh nahi huwa mujhe. Aaj garmi bahut hai isliye mujhe pasina aa raha hai. Waise Bhaiya ekdam sahi kah rahe the. Bahut bahadur ladki hai. Dekha nahi bina kisi dar ke unhe pakadne ke liye unke paas chali gayi.

Uski jagah koi aur ladki hoti to unke paas jane se pahle 10 baar sochti. Pahali baat to us jagah aane ki himmat hi nahi karti, lekin dekho, isko jhoothi khabar hi diye the aur ye us ladki ko bachane ke liye us jagah pahuch gayi.


Ye baat kahkar Raghu ne apne pantaro ki taraf dekha to uska ek pantar bahut gaur se Raghu ki taraf dekh raha tha. ye dekhkar Raghu ne kaha.


Raghu- Abe kya hai tum hamko aise mat dekho. Ham koi laundiya nahi hain be. Aur hamari tabiyat bhi bilkul thik hai.

Pantar 2- Mujhe to aisa nahi lagta bhaai ki aapki tabiyat thik hai. Aaj itna Achha mauka tha. door door tak koi nahi tha. waise bhi waha koi aata jata nahi tha. tino ko wahi maar dete to agle din tak kisi ko pata nahi chalta, lekin pata nahi aapko kya ho gaya tha jo aapne goli chalane se mana kar diya.

Raghu- Abe tum apna pravachan band karo pahle. Pata nahi kaise kya bole ja rahe ho. Chalo jao abhi yaha se kal kuchh sochte hain iske bare mein.


Iske baad Raghu aur uske panter waha se chale gaye.


*****

Udhar Sarita Ki Malham patti ho jane ke baad Sarita na Mohit ko ghar chalne ke liye kaha. Mohit ne Nishchal ko phone karke is baare me baat ki to Nishchal ne Mohit se Sarita ko apne ghar chhodne ke liye kaha. Mohit Sarita ko lekar Nishchal ke ghar chala gaya. Jab Savi ne Sarita ki halat dekhi to wo pareshan ho gayi aur boli.


Savi- Kya huwa tumhe Sarita. Tumhare hath me ye patti kyon bandhi hui hai.

Sarita- Kuchh nahi di- Bas thodi si chot lag gayi hai.

Savi- Tum Sach bol rahi ho na. Jyada jor se to nahi lagi chot tumko.

Mohit- Didi. Madam jhooth bol rahi hain. Madam ke kandho ko goli chhu kar nikal gayi hai. Jiske karan jhakam ho gaya to doctor ne Malham patti ki hui hai.

Savi- Kya. Ye kya kah rahe ho tum. Jab ye sab huwa to tum kya kar rahe the. Tumhe Sarita ka dhyan rakhna chahiye tha na.

Mohit- Main kya karta di. Maine ne Madam ko waha se wapas PS aane ke liye kitni baar kaha. Lekin madam man-ne ko taiyaar hi nahi thi.

Savi- Ye kya hai Sarita. Tum itni laparwah kaise ho sakti ho. Agar tumhe kuchh ho jata to.


Savi ki aankho me aanshu aa gaye ye sunkar ki Sarita ko goli lagi hai. Sarita ne kaha.


Sarita- Ye kya di. Aap kyon ro rahi hain. Mujhe kuchh nahi huwa hai. Main bilkul thik hoon.

Savi- Chalo tum ab aaram karo. Apne kamre ki chhbi do mujhe.

Sarita- Kyan di. Uski kya jaroorat hai.

Savi- kal jo maine kaha tha wo bhool gayi kya. Ab chupchap chabi do mujhe.

Sarita- Mera Hand bag to PS me hi rah gaya hai. Mera Office phone aur chabi to usi mein hai.

Savi- Mohit. Tum aisa karo. PS jakar Sarita ka hand bag le lo aur usme se Iske kamre ki chabi nikal kar Iska poora saman Mere yaha par sift karwa do.

Mohit- Thik hai didi. Ab main chalta hoon.


Itna kahkar Mohit chala gaya. Usne Sarita ko apne bagal wala karma, jo khali tha aur subah hi usko Sarita ke liye saf karwaya tha use rahne ke liye de diya. Sarita ko kamre me baithakar Savi ne use pani pine ke liye diya. Sarita ne Savi se poocha.


Sarita- Di. Raghav ji Dikhayi nahi de rahe hain. Kahan hain wo.

Savi- Wo subah hi kisi jaroori kaam se bahar chala gaya hai. Bol raha tha ki kaam jaldi khatam karke aa jayega. Ab tum jyada baat mat karo aur aaram karo. Main niche jar ahi hoon. Kisi cheez ki jaroorat ho to mujhe aawaz de dena.


Itna kahkar Savi niche chali gayi. Udhar jab Mohit PS pahucha to Nishchal Sarita ke cabin me hi baitha huwa tha. Mohit ne Nishchal ko poori kahani batayi to Nishchal aur jyada gussa ho gaya, lekin wo Apna gussa Mohit ke upar jahir nahi hone dena chahta tha. Mohit ne Nishchal se Savita ne Jo kam diya tha uska jikar kiya to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Haan. Tum aisa karo ki do-tin hawaldar ko apne sath le jao aur ek tempo hire kar lena. Uska saman jyada nahi hoga. Ek tempo me aaram se aa jayega. Meri gadi ki chabi lo aur jaldi se ye kaam nipta kar aao. Tab tak main yahi baitha hoon.


Nishchal ki baat sunkar Mohit ne Chabi li aur do hawaldaro ko apne sath lekar Sarita ke quarter par chala gaya. Raste me usne ek tampo hire kar li. Lagbhag 1 Hours me Sarita ka Saman Nishchal ke yaha sift karwane ke baad Mohit wapas PS aaya aur Nishchal se mila.


Mohit- Sir. Madam ka saman aapke yaha sift karwa diya hai.

Nischal- Very good Mohit.

Mohit- Sir aur koi kaam mere liye.

Nishchal- Abhi to nahi, lekin taiyar hamesha rahna. Kabhi bhi tumhara bulava aa sakta hai meri taraf se.

Mohit- Yes Sir. Jai Hind.

Nishchal- Jai Hind Mohit.


Us Raat Kaam ke chaakkar me Nishchal apne ghar nahi gaya. Agle din bhi din bhar wo kaam karta raha. Agle din Sarita PS nahi gayi. Poore PS me ye baat pata chal gayi thi ki Sarita ko Goli lagi hai. Sabhi ne Sarita ko phone karke uska hall chal liya.


Mohit kisi kaam se bahar gaya huwa tha. to Nishchal ne Jawed ko bolkar Sarita ko doctor ke paas ghav ki saaf safaai aur uski marham patti ke liye le jane ke liye kaha. Aaj ka poora din aise hi bit gaya.


Raat ko khana pina khane ke baad Savi ne Sarita ke sath kuchh der baat ki fir apne kamre me sone ke liye chali gayi. Sarita ko neend nahi aa rahi thi to usne apni kitabe nikal li aur padhne baith gayi. Uske hatho ka dard kal ki apeksha kam ho gaya tha.


Sarita padhai me leen thi ki tabhi use bahar kuchh khat-pat ki aawaz sunai padi. Sarita ne Use najarandaz kiya. Kuchh der baad fir se use Khat-pat ki aawaz sunai padi to wo apne kamre se bahar aayi to usne dekha ki Nishchal Apne kamre ki taraf ja raha hai.


Nishchal kabhi kabhi ghar bahut deri se aata tha apne kaam ki wajah se. wo aaj bhi ghar deri se aaya tha. Savi ne apne mulajim ko bol rakha tha ki Raat me jab Nishchal gar aaye to uska khana garam karke uske kamre me pahucha diya kare.


Sarita ne Jab dekha ki wo khat-pat ki aawaz Nishchal ke ghar aane par hui hai to wo nishchint ho gayi aur wapas apne kamre me chali gayi. Us samay raat ke 12 baj rahe the. Wo apne bed par baith kar jaise hi apni kitab uthayi. Use kisi ke kadmo ki aahat apne kamre ke darwaze ke paas sunai padi, Usne man ji man socha.


Sarita- Itni raat me ye kaun ho sakta hai . kahi hitlar to nahi hai, lekin wo to abhi mere samne apne kamre me gaya hai. Kahi koi chor wagairah to nahi. Lekin CO ke ghar me chori karne ki himmat kaun kar sakta hai. Dekhti hoon kaun hai.


Itna sochkar Sarita na apni gun nikal li, tabhi darwaze par dastak hui. Sarita ne poochha.


Sarita- kaun hai bahar.

Nishchal- Main hoon Nishchal

Sarita- Kya kaam hai jo itni raat ko pareshan kar rahe ho. Jo bhi ho subah baat karna mujhe neend aa rahi hai.

Nishchal- Darwaza khole. Kuchh important baat karni hain tumse.

Sarita- Maine kaha na jo bhi baat karni hai subah karna.

Nishchal- (gusse me) Maine kaha na mujhe abhi baat karni hai.

Sarita- Thik hai fir. Main darwaza nahi kholne wali. Khade rahiye pahredar banker darwaze par. Ab ye darwaza to kal subah hi khulega.

Nishchal- Miss Joshi. Main aakhiri baar bol raha hoon ki darwaza khol do nahi to main darwaza tod doonga.

Sarita- Tod dijiye. Aapka hi nuksan hoga. Mujhe kya.

Nishchal- Darwaza khol do. Nahi to main di ko utha doonga. Fir tum unse hi sawal jawab karna.

Sarita- Ye galat kar rahe hain aap Sir. Ham dono ke baato ke bich aap di ko kyon late hain. Ye aap bilkul bhi achha nahi kar rahe hain.

Nishchal- Is samay mujhe achha aur kharab ka pravachan mat do. Main yaha tumhara bhashan sun-ne ke liye nahi khada hoon. Darwaza kholo nahi to main di ko uthane jar aha hoon.


Itna kahkar Nishchal ne kuchh pal pratiksha ki. Lekin jab darwaza nahi khula to wo waha se jane laga. Sarita ne jab Nishchal ke kadmo ki aahat jate huwe suni Tabhi Sarita ne darwaza khol diya.


Jaise hi Sarita ne darwaza khola. Nishchal furti se Sarita ke kamre me ghus gaya aur andar se darwaza band kar liya. Ye dekhkar Sarita ek pal ke liye to dar gayi, lekin fir samanya hokar tez aawaz me boli.


Sarita- Ye kya badtamizi hai. Itni raat ko mere kamre me jabran kyo aaye hain. Dekhiye mere paas gun hai. Agar aapne kuchh ulta siddha soha bhi to main aapko goli mar doongi.

Nishchal- Badi aayi goli maar dungi kahne wali. Agar Yahi bahaduri tum kal dikhati to goli tumhe nahi un gundo ko lagi hoti. (fir Sakht aawaz me) Phone kaha hain tumhara. Jab tumhe kisi ka phone receive hi nahi karna to is dibbe ko rakhti hi kyon ho. Kaha hai tumhara phone. Main ise aaj todkar hi dam lunga.

Sarita- Ye kaisi baate kar rahe hain aap mujhse. Aapki bhasha sahi nahi hai

Nischal- Waisi hi bate kar raha hoon. Jaisi baate tumhe samajh me aati hain. Tumhe isi tarah ki bhasha samajh me aati hai na.

Sarita- Aap bahut galat kar rahe hain Sir. Kahi aur ka gussa aap mujhpar nikal rahe hain.


Mohit ne jab se bataya tha ki Sarita ko goli lagi hai tab se wo bahut pareshan tha aur Sarita par gussa bhi bahut aa raha tha. lekin Sarita ki Is baat ne aag me ghee ka kaam kiya. Nishchal ka gussa satwe aasman par pahuch gaya. Nishchal ne aage badhkar Sarita ki banh kaskar pakadte huwe kaha.


Nishchal- main kahi aur ka gussa tumpar nahi nikal raha hoon. ye Jahan ka gussa hai wahi par nikal raha hoon. maine jab tumko mana kiya tha ki us jagah se PS wapas chali jao. To tum kyon ruki thi waha par. Ek baar me koi baat tumhare bheje me ghusti nahi hai kya. Ya tumne meri koi baat na man-ne ki kasam vasam kha rakhi hai.

Sarita- (dard se kasmasati huwi) Aisa kuchh nahi hai Sir. Main apni duty kar rahi thi.

Nishchal- Achha Duty kar rahi thi. To duty ka ek usool bhi hai ki apne seniors ki baat kati nahi jati. Abhi kuchh hi din pahle tumhari jaan bachi hai. Uske baad maine tumhe kitna samjhaya ki in sab se door raho. Lekin fir bhi tumhe akal nahi aayi.

Tum janti bhi ho us jagah ke bare me kuchh ki wo jagah kitni khatarnak hai. Pahle bhi waha par department ke do-tin honhar policewalo ki berahami se hatya ho chuki hai. Meri baat kyon nahi sunti ho tum.


Nishchal ne Baat ki shuruaat to dhime shuru ki thi lekin aakhiri line bolte huwe nishchal ka gussa aur badh gaya aur usne Sarita ki banh par apni pakad aur jyada mazboot kar li. Jisase Sarita ko aur jyada dard hone laga aur wo chhutne ke liye chhatpatane lagi.


Usne dhakka dekar Nishchal ki giraft se apne aap ko chhudaya aur usase door jakar khadi ho gayi. Nischal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Ab se dhyan rakhna Kuchh bhi karne se pahle uske baare me poori inquiry karna. Jis jagah tumko jana hai us jagah ke bare me pata lagana fir waha jana. Agar tumse itna bhi na ho paya kare to mujhko phone kar lena main tumhe bata diya karunga. Agar itna bhi na kar pao to apni team ke kisi mail officer ko waha bhej diya karo. Agar itna bhi na ho paye tumse to chupchap apne cabin me baith jana. Aaya kuchh samajh me yan ahi.


Nishchal ki baat sunkar use bahut dukh huwa aur sath me Nishchal dwara bedardi se band pakadne par use bahut dard ho raha tha. uski aankho me aanshu aa gaye the. Itni Sakhti se to kabhi uske papa bhi uske sath pesh nahi aaye the. Jitni sakhti se Aaj Nishchal uske sath pesh aaya tha.


Use lag raha tha ki Hitlar ne uske upar bewajah hi gussa kiya. Sarita ki aankho se aanshu nikal kar uske galo se hote huwe niche jameen par girne lage. Uske aanshu dekhkar Nischal ko bhi ab ehsash ho gaya tha ki usne Sarita ke sath Kuchh jyada hi sakhti kar di. Isliye wo Sarita se Sorry bolkar Uske kamre se bahar nikal gaya..



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Top