Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 69


Manisha ne Sarita ko kafi masakkat ke baad aakhirkar mana hi liya tha. Sarita ke mummy papa bhi sham ko ghar aa gaye the.


Idhar Nishchal 3 din se lagatar koshish kar raha tha lekin abhi tak Raghu uske hath nahi laga tha. Lekin Nishchal ne bhi bina Raghu ko pakde huwe chain ki sans na lene ki kasam kha li thi.


Idhar Sarita bhi ab ghar se vapas aane wali thi. Sarita ke sath Manisha bhi aane ke liye taiyar thi, kyonki use Abhishek se milna tha. Raani ji ne Manisha ko anumati de di thi.


Sarita aur Manisha apna bag pack kar rahi thi. tabhi Sarita ka phone bajne laga. Phone Unknown number se aaya tha. Sarita ne turant jaan liya ki ye Raghu hi ho sakta hai. Sarita ne call uthaya aur kaha.


Sarita- hello.

Raghu- Sarita ji. Kaisi hain aap.

Sarita- Ham thik hain. Aap kaun.

Raghu- Kya Sarita ji. Itni jaldi aap hamari aawaz bhool gayi.

Sarita- Mujhe din mein pachaso phone aate rahte hain ab main kis kis ko yaad rakhungi.

Raghu- Achha ji. To ye baat hai. chaliye ham khud hi apni pahchan karwa dete hain. Kyonki aap hamari aawaz hi nahi pahchan pa rahi hain. Ham wahi hain guldaste wale.

Sarita- Achha. Raghu ji. Ab aap har baar number badalkar phone karenge to kaise yaad rahega hamko.

Raghu- Ab kya karein ham. Hamara kaam hi kuchh aisa hai ki hamein alag alag number rakhna padta hai.

Sarita- Waise aapne aaj tak mujhe bataya nahi ki aapka aisa kya kam hai jo aapko itne number rakhne padte hain.

Raghu- Ye bhi aapko jaldi pata chal jayega. Jab aap hamse is baar milne aayengi.

Sarita- Thik hai ji. Koi kaam tha kya aapko.

Raghu- Kam to bahut important tha isiliye to aapko phone kiya hai maine.

Sarita- Bataiye. Kya kaam tha aapko.

Raghu- Aap apni duty kab join kar rahi hain.

Sarita- kal se.

Raghu- Achha. To kya ham kal mil sakte hain aapse.

Sarita- Kal subah to main Jaunpur hi pahuchungi.

Raghu- Thik hai fir. Sham ko milte hain aapse. Aap aayengi na mujhse milne.

Sarita- Kyon nahi aaungi. Ab to aapse milna hi padega.

Raghu- Ji…

Sarita- Are ab ek dost ne kaha hai milne ke liye to inkar thodi hi kar sakti hoon.

Raghu- Thik hai fir. Main dophar tak aapko phone karke location bhej deta hoon.

Sarita- Lekin Jagah wahi…….

Raghu- mujhe maloom hai. Public place hi rahegi apne milne ki jagah. Kisi coffee shop par hi milenge ham dono.

Sarita- Thik hai fir kal milte hain.


Sarita ne phone rakh diya aur man hi man sochne lagi.


Sarita- Bahut dhokha de chuke ho tum mujhe, lekin ab nahi. Jab tak mujhe pata nahi tha ki tum hi wo aadmi ho jisne us dange ko anjam diya tab tak to mujhse bachte rahe, lekin ab mujhe tumhari kartut ka pata chal chuka hai. is baar tum mujhse nahi bach sakoge Raghu.


Udhar Sarita se baat karne ke baad Raghu ke dimag mein bhi koi khichdi pak rahi thi. wo is mauke ko hath se jane nahi dena chahta tha. Isliye wah kuchh plan karne mein lag gaya.


Sarita aur Manisha ne apna sara saman pack kar liya. Sarita ne phone karke Savita ko apne aane ki khabar de di. subah ko 7 baje ki train thi Sarita ki.


Raat ko khane ke samay Savita ne Manisha aur Savita ke aane ki khabar Nishchal aur Raghav ko sunayi to dono man hi man bahut khush huwe, lekin apni Khushi ko dono ne apne andar hi samet liya.


Subah dono ko Aanand ji station chhodne ke liye gaye. Dono ne Aanand ji ke pair chukar train mein baith gayi. lagbhag 9.30 par dono Jaunpur pahuch gayi. Savita ne Raghav ko bheja tha Manisha aur Sarita ko lene ke liye. Jab Raghav dono ko lekar ghar aaya to. Savita bahut khush hui. Usne dono ko gale lagate huwe kaha.


Savi- tum dono ko dekhkar mujhe bahut Khushi ho rahi hai. tum dono fresh hokar khana khakar aaram kar lo. Main thoda kaam se bahar ja rahi hoon. Ek ghante mein aa jaungi.


Sarita ne Sir hilaya aur Manisha ke sath kamre mein chali gayi. dono fresh hokar khana khaya aur aaram karne lagi. Dophar 2 baje ke kareeb Sarita ka phone fir se baja. Kisi anjan number se phone tha. Sarita jaan gayi ki ye Raghu hi ho sakta hai. Sarita ne phone uthaya to Raghu ne use coffee shop ka address bata diya.


Sarita bhi Raghu se milne ke liye taiyar hone lagi. Usne taiyar hokar apne hand bag mein apni gun rakhi aur Amit ko phone kiye, Kyonki Jawed aur Mohit ko phone karne ka matlab tha Nishchal ko pata chal jana jo wo nahi chahti thi. Isliye usne Amit ko phone kiya tha.


Sarita- Amit Aadhe ghante ke baad tum Kaushal aur kuchh hawaldaron ke sath mujhe is address par milna. Is baare mein kisi ko bhi mat batana aur poori taiyari ke sath aana. Kisi ko bhi nahi matlab kisi ko bhi nahi.

Amit- Kya baat hai madam. Kisi mission par hain kya aap.

Sarita- Jitna kah rahi hoon utna karo. Jab waha aaoge to tumhe khud pata chal jayega. Tum abhi Kaushal ko sath lekar mere bataye huwe address ke liye nikalo.

Amit- Yes madam.


Sarita ne apna phone cut kar diya aur apna bag lekar bahar jane lagi to Savita ne pooocha.


Savi- Are Aaj to tumhe kahi nahi jana tha. Aate hi duty shuru kar di tumne.

Sarita- Nahi di. Kisi se milna tha bas 10 minute mein aa rahi hoon. Kuchh jaroori kaam tha. Plz

Savi- Achha thik hai, lekin jane se pahle Nishu ko batakar jao.

Sarita- Are di. pareshan hone ki jaroorat nahi hai. bas yahi paas mein hi ja rahi hoon. Plz Sir ko mat bataiyega. Nahi to fir se mujhse jhagda shuru kar denge.

Savi- Achha Thik hai. nahi batati usko. Lekin jaldi se jakar aana.


Sarita Raghu se milne ke liye uske bataye huwe address par nikal gayi. Raghu ne Use ek Restra mein milne ke liye gulaya tha. Thodi hi der mein Sarita waha pahuch gayi. Raghu pahle se hi bahar khada huwa uska intezar kar raha tha.


Restra mein kaafi log baithe hue the jaisa sarita chahti thi thik waisa hi public place tha wo. Raghu ne Sarita ko dekhte hi ek badi se smile di. Sarita ne bhi Ek Smile Raghu ko di. Raghu Sarita ko lekar ek corner ki chair par baith gaya aur bola.


Raghu- Mujhe laga ki aap nahi aayengi.

Sarita- Aise kaise nahi aati. Aapne itne pyaar se bulaya to aana hi pada.

Raghu- Aapki isi ada par to ham fida hain Sarita ji.

Sarita- Jiii.

Raghu- Soryy . agar aapko bura laga ho to.

Sarita- Are nahi aisa kuchh bhi nahi hai. (man mein) ye Amit kahan rah gaya hai. abhi tak aaya kyon nahi wo. Aadhe ghante to bit chuke hain. Kya main akele hi apna kam shuru kar doon. Nahi thodi der aur wait kar leti hoon.


Raghu ne ek waiter ko bulaya aur use kuchh ishara karte huwe sarita se poochha.


Raghu- Kya lena pasand karengi aap. Coffee ya cold drink.

Sarita- yaha to main aapki mehman hoon. Jo mejban ki ichha ho manga lijiye.


Raghu ne waither ki taraf dekhkar kuchh ishara kiya. Waiter bhi uska ishara samajhkar waha se chala gaya. Lagbhag 10 minute bit gaye. Raghu ne Manager ko bulaya aur kaha.


Raghu- Manager. Kya yahi tumhare yaha ki vyavastha hai. 10 minute beet gaye hain lekin abhi tak hamara order nahi aaya.

Manager- Sorry Sir. Main dekhta hoon.

Sarita- (man mein) Ye amit kaha rah gaya hai. ye abhi tak aaya kyon nahi. 1 ghante ka samay hone wala hai. Amit ko to main baad mein dekhungi pahle main ise to dekh lu. Main ye mauka hath se jane nahi dena chahti. Pata nahi aisa mauka fir mile ya na mile. Mujhe kuchh karna hi padega.


Yahi sab sochkar Sarita ne apne bag mein hath dala aur bag mein hi gun load karke gun bahar nikal liya aur Raghu ke upar taan diya aur kaha.


Sarita- Ab jo bhi khana pina karna hai wo police station mein chalkar khana pina. Ab tum ham logo ko bhi mauka do ki ham tumhari achhi tarah khatirdari kar sakein. Chupchap aapne hath upar karo aur chalo yaha se. nahi to bheja uda dungi.


Ye dekhkar Raghu hansne laga aur Sarita ki taraf badhne laga.


Idhar Manisha jab neend se jagi to usne dekha ki Sarita uske paas nahi hai. to wah apni aankh malte huwe bahar aayi aur Savita se poochha.


Manisha- Didi. Didiya kahin gayi hain kya.

Savi- Haan kisi kaam se gayi hai. boli thi ki 10 minute mein aa jaungi, lekin abhi tak nahi aayi. Tum jakar apna huliya thik karo. Pahle apna hath munh dho lo fir aao.

Manisha- Wo didiya nahi dikh rahi thi to wahi poochne chali aayi. Ja rahi hoon bathroom main.


Ye kahkar Manisha apne kamre mein jane lagi to Raghav uske samne aakar khada ho gaya. Jab wo kinare se nikalkar jane lagi to Raghav ne uska hath pakad liya aur kheechkar apne paas karte huwe ek hanth uski kamar par rakh diya. Manisha ka poora sharir jhanjhana gaya. Manisha ekdam hadbadati hui boli.


Manisha- yeee. Yee kyaa kaar rahe hoo.


Raghav ne uske chehre par aaye balo ko apni ungaliyon mein fansakar uske kan ke pichhe karte huwe uske chehre ke kareeb apna munh lekar jate huwe kaha.


Raghav- Bahut khoobsurat lag rahi ho tum.

Manisha- di.dii. hain yahaaa. Yee.. ky..kyaa karr re… rahe ho. Chhodoo mujheee.


Manisha ne Raghav ko apni badi badi aankho se ghurte huwe kaha. Jiske karan Raghav ne uski kamar se apna hath hata-te huwe kaha.


Raghav- Lo chhod diya.


Raghav ke chhodte hi Manisha Waha se bhag gayi aur apne kamre mein pahuch kar darwaza band karke apne bed par baith gayi aur apni dhadkano ko kaboo karne ki koshish karne lagi. Jo Raghav ke chhune se badh gayi thi. wo apni sanse durust karte huwe badbadai.


Manisha- Kya pagal aadmi hai. Jagah bhi nahi dekhta aur jab chahe shuru ho jata hai. Agar didi ne dekh liya hota to pata nahi kya sochti. Agar aage se isne kuchh karne ki koshish ki to ise achha sabak sikhaungi. Duffer Idiets.


Manisha ke dil ki dhadkar abhi bhi tezi se chal rahi thi. kuchh Raghav ki harkato ki wajah se aur kuchh daudkar aane ki wajah se.


Idhar Raghu Sarita ko dekhkar hans raha tha. Sarita ko uski is harkat par gussa aa raha tha. Wo gusse se boli.


Sarita- Tujhe jitna bhi hansna hai yahi hans le, kyonki police station mein tera wo hal karungi ki tu hansne ke kabil nahi rahega.

Raghu- maine tujhse pyaar kiya tha Sarita, lekin tumne mere pyaar ko thukra diya. Heera thik kahta tha. Tujhe kidnap karke hi mujhe tere sath shadi kar leni chahiye thi. Lekin koi baat Nahi. Jo abhi tak maine nahi kiya wo main ab karunga.

Waise bhi Tune abhi Raghu ko thik se jana hi nahi hai Ladki. Tujhe kya lagta hai ki ham bevkoof hain. Tune ye soch bhi kaise liya ki main itni aasani se teri giraft mein aa jaunga. Raghu naam hai mera Raghu. Aaj tak mujhe police ne dekha nahi tha, Hamara Screch Jaroor Us heera ki Information ki wajah se bana hai.

Tu kya samajhti hai ki main ye samajh nahi paunga ki tu mera schreach dekhte hi mujhe pahchan nahi legi. Mujhe pata tha ki too jaroor mujhe pahchan legi. Lekin tu itni badi bevkoofi karegi ye mujhe nahi pata tha.

Tumhe kya lagta hai ki tumne mujhe pakadne ke liye yaha aane ka natak kiya ye mujhe samajh nahi aayega. Tere aane se pahle hi maine yaha sara intezam kar diya hai. jara apne agal bagal aur pichhe apni najar ghumakar to dekh le.


Raghu ki baat sunkar Sarita ne apni najar charo taraf ghumayi to charo taraf kai aadmi banduk leker Sarita ki taraf nishana lagaye khade huwe the. Jo wahan par pahle baithe huwe chaai aur coffee pi rahe the. Sarita ko ab kuchh samajh nahi aa raha tha ki wo kya kare. Sarita ab ashay si ho gayi. Raghu ne aage badhkar Uski gun le li. Aur kaha.


Raghu- Tu abhi in sab mamlo mein bahut kachhi hai inspector. Tu abhi jis school mein padh rahi hai na. ham uske hedmaster rah chuke hain aur tu mujhe pakadne chali thi. lekin koi baat nahi. Jab tum hamase shadi karke Kuchh din hamare sath rahogi to tum bhi hedmastarain ban jaogi.


Sarita- Ye tum jo bhi karna ka soch rahe ho main use poora nahi hone dungi aur tum agar ye soch rahe ho ki tum bach jaoge to ye tumhari sabse badi bhool hai.

Raghu- Wo sab ham baad mein dekh lenge. Pahle tum shanti se hamare sath chalo jaha ham tumko le jana chahte hain.

Sarita- Main kahi nahi jane wali tumhare sath.

Raghu- chalenge to tumhare papa bhi hamare sath. Tumhi to wo jariya ho jiski madad se ham Heera ko lockup se bahar nikal payenge. Tum mujhe pahali najar mein hi bha gayi thi, lekin main janta tha ki tum itni aasani se mere kareeb nahi aaogi.

Tumhare kareeb main isiliye aaya ki tumhe apni chikni chupdi bato mein fansakar tumse shadi kar lunga. Fir dhadalle se apna karobar karunga. Mujhe koi rokne wala nahi hoga. Lekin tu to badi sanskari nikali. Khair koi nahi ab hamari baat man-ne ke alave tere paas koi chara nahi hai.

tujhe Ab sAri jindagi meri aurat bankar mere paas rahna hai. Teri hi madad se to main heera ko tum logon ke changul se bahar nikaal paunga. Ab ek patni hone ke nate tum mere liye itna to karogi hi. Batao sarita karogi na mera kaam.

Sarita- Mujhe dhamki de rahe ho tum.

Raghu- Dhamki nahi de raha hoon. Tumhe samjha raha hoon. Aur agar tum logo ko meri baat samajh mein nahi aayi to ise dhamki hi samajh lena tum.


Uski baat sunkar Sarita ab apne aapko kosh rahi thi ki use itni jaldbazi nahi karni chahiye thi. Yaha Aane se pahle thoda soch vichar to karna chahiye tha. Kam se kam ek baar sir ko to batana hi chahiye the.

Haan wo thoda naraz hota. mujhe dat-te . chaar baat suna bhi dete, lekin kam se kam kisi ko pata to hota ki main abhi kaha par hoon kis haal mein hoon. Kam se kam mujhe madad karne to aa hi sakte the.


Sarita abhi apni hi soch mein gum thi ki Raghu ne aage badhkar Sarita ka hath pakad liya. Sarita ne uska hath jhatakte huwe kaha.


Sarita- Hath mat lagana mujhe. Main chal rahi hoon tumhare sath.


Ye sunkar Raghu hansne laga. Sarita ne furti dikhate huwe doosri taraf se nikalne ki koshish karne lagi to Restra ke ek worker ne uska hath pakad liya. Raghu bhi tab tak aakar uske aage khada ho gaya aur bola.


Raghu- Bhagne ki koshish bhi mat karna Inspcetor Sahiba. Yaha se nikalna mumkin hi nahi asambhav bhi hai, kyonki ye Restra mera hai. haan ye alag baat hai ki chalta kisi doosre ke naam se hai.

waise tumko dekhkar lagta nahi hai ki tum itni badi bevkoof ho. hamne to socha tha ki tumhe yaha lane ke liye bahut mehnat karni padegi, lekin tum to khud hi hamare bichhaye huwe jaal mein fans gayi.


Raghu ki baat sunkar Sarita soch rahi thi ki bas ek mauka mil jaye fir batati hoon ki main kya cheez hoon. Lekin ye itna aasan bhi nahi tha. Sarita itne aadmiyon se ghiri thi ki uska nikalna muskil tha. Tabhi Sarita ka mobile bajne laga.


Sarita ne jab call receive karne ke liye mobile nikala to Raghu ne uske hath se mobile cheen liya aur switchoffi kar diya. Sarita bas apne aapko asahay mahsoos kar rahi thi aur use ghoor rahi thi. Raghu ne Sarita se kaha.


Raghu- Ab koi chalaki nahi chupchap mere pichhe aao.


Itna kahkar Raghu ne do kadam aage badhaya hi tha ki uske kano mein ek aawaz sunayi padi.



Akele Akele kahan ja rahe ho.

Hamein sath le lo jahan ja rahe ho.

akele akele akele........



Raghu ne Jab ghoomakar Aawaz ki taraf dekha to Us shakhs ne kaha.


Itni bhi kya jaldi hai Raghu.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Savi- Achha thik hai, lekin jane se pahle Nishu ko batakar jao.
nischal ne kya Sarita ko kharid ke rakha hai jo haar baat usse puchkar kare....
Yahan to nischal aur savita to Freedom chinne pe tule huye hai..
agar by chance kal ko shaadi ho gayi to Sarita ko khana khane tak ke liye bhi permission leni hogi nischal aur savita se ... :sigh:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Ye kahkar Manisha apne kamre mein jane lagi to Raghav uske samne aakar khada ho gaya. Jab wo kinare se nikalkar jane lagi to Raghav ne uska hath pakad liya aur kheechkar apne paas karte huwe ek hanth uski kamar par rakh diya. Manisha ka poora sharir jhanjhana gaya. Manisha ekdam hadbadati hui boli.Manisha- yeee. Yee kyaa kaar rahe hoo.
Raghav ne uske chehre par aaye balo ko apni ungaliyon mein fansakar uske kan ke pichhe karte huwe uske chehre ke kareeb apna munh lekar jate huwe kaha.
Raghav- Bahut khoobsurat lag rahi ho tum.
Manisha- di.dii. hain yahaaa. Yee.. ky..kyaa karr re… rahe ho. Chhodoo mujheee.
Ye to romantic story ke kirdaar ke lakshan naa hai ye to scene to kuch aur hi baat bayan kare...

Ye raghav to haramipana mein mahendra budhau se bhi sau kadam aage nikla.... sidha battamiji pe utar aaya hai.....
Iski giri huyi harakatein dekh to ek baar ke liye mahendra budhau bhi sharma jaaye... Kam se kam mahendra budhau to balatkaari nahi tha...Lekin raghav ne to sari seemaye tod di.. :D
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 69

wah kya mod aaya hai kahani mein :laugh1:

jaise ki maine kayi baar ye baat jikar ki hai is kahani ke revos pe....ki jo hona hai wo hoke hi rahega, ushe koi rok nahi sakta....

To is update mein jo aage chalke jo hone wala hai usika mod diya gaya hai... :D

Sarita ki yun without any planning ke hi raghu ko giraftaar karne jaana ..
apne Ps ke nithalle kaamchor logis ko inform karke order dena ki wo log bhi aa jaaye restaurant pe raghu ko giraftaar karne...
Waqt par Amit & party ka waha pe na aana...
Raghu ki ek sathik chaal, Sarita ko kidnap karne ki koshish....
Sarita ki bebasi...
aur ant mein nischal ki entry Sarita ko bachaane ke liye...
Ye sabhi baat baatein aur mod isliye create ki gayi hai taaki Sarita jaake sidhi nischal ki jholi mein jaa gire :D matlab Sarita ke mann mein bhi uske liye kuchhhi ku ho :D
Phir der saber shaadi aur ye Sarita bani kiski bahu....
are samjha karo ... are wohi.... mahendra budhau ki bahuuu :roflol:

Lekin gaur talab baat ye hai ki Sarita ya manisha nischal ke ghar aane ke baad ek baar bhi abhishek ko milne ki ye haal chaal jaane ki koshish na ki...
Matlab kya hai iska :D
Matlab to yahi hi nikla na ki abhishek mil gaya..sabhi ne mil liya..hospital mein rone dhone ki nautanki kar liya ....Pyar apnapan dikhane ka natak ho gaya, so gaya... ab manisha aur Sarita se ye natak nahi hoti....
ab dono ki focus .... ki kaise bhi karke mahendra ki bahu bani jaaye :lol:
Baaki bhad mein jaaye bada bhai...
Udhar aanad to aanand even raani ji ne bhi abhishek ko ek tak phone karke haal chaal puchne ki jahmat nahi uthayi....
Ghor kalyug :D
Btw dekha jaaye to kuch update se kayi jagahon pe emotions aur feelings ki bhari kami dekhne ko mili hai.... :dazed:
Well let's see what happens next..
Brilliant update with awesome writing skills .... :clapping: :clapclap:
 
Member
324
1,026
93
Lag to aise hi raha hai ki Sarita madam khud hi raghu ko pakad dikhana chahti thi ki wo kitni badi police officer hai par kya sach mai usne nischal se ye sab discuss nahi kiya ya Phir nischal ko Pehle hi inform kardiya tha.
Agar nischal ko bina inform kiye hi sarita ye sab karne nikli to I think usse badi bewakoof koi nahi hai.

Waise mujhe lagta hai Naina ji batein sahi hai raghav ko lekar 😅
Ek akeli ladki ko dekh kar usey aise rokna Phir uski kamar mai hath dalna ye kahi se bhi ek ashiq ke lakshaan to na dikhre Mahi Maurya ji 😅

Overall Awesome Update
BRAVO 🙌
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Ye kahkar Manisha apne kamre mein jane lagi to Raghav uske samne aakar khada ho gaya. Jab wo kinare se nikalkar jane lagi to Raghav ne uska hath pakad liya aur kheechkar apne paas karte huwe ek hanth uski kamar par rakh diya. Manisha ka poora sharir jhanjhana gaya. Manisha ekdam hadbadati hui boli.Manisha- yeee. Yee kyaa kaar rahe hoo.
Raghav ne uske chehre par aaye balo ko apni ungaliyon mein fansakar uske kan ke pichhe karte huwe uske chehre ke kareeb apna munh lekar jate huwe kaha.
Raghav- Bahut khoobsurat lag rahi ho tum.
Manisha- di.dii. hain yahaaa. Yee.. ky..kyaa karr re… rahe ho. Chhodoo mujheee.
Raghav be like....
images-2022-02-03-T164251-402
:D
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Lag to aise hi raha hai ki Sarita madam khud hi raghu ko pakad dikhana chahti thi ki wo kitni badi police officer hai par kya sach mai usne nischal se ye sab discuss nahi kiya ya Phir nischal ko Pehle hi inform kardiya tha.
Agar nischal ko bina inform kiye hi sarita ye sab karne nikli to I think usse badi bewakoof koi nahi hai.

Waise mujhe lagta hai Naina ji batein sahi hai raghav ko lekar 😅
Ek akeli ladki ko dekh kar usey aise rokna Phir uski kamar mai hath dalna ye kahi se bhi ek ashiq ke lakshaan to na dikhre Mahi Maurya ji 😅

Overall Awesome Update
BRAVO 🙌
raghav be like ....
images-2022-02-03-T164146-037
:akshay:
 

Top