Adultery Zindagi : ek anjana safar ( adultery + incest)

Expert Member
9,241
4,035
143
kriti-sanon-photos-images-81695.jpg
 
Expert Member
9,241
4,035
143
Update 13


Tarun ka white kapda dheere dheere laal hone lagta hai aur Chand lamho me hi uski aankho ke samne andhera sa chha jata hai aur wo besudh hokar jameen par gir padta hai.... Uski saansein bhi bahut dheemi ho chuki thi....

Aage

1 din baad

ek hospital me ek ladka pet ke Bal Leta hua tha aur uske pass ek ladki Shaadi ke jode me uske hatho ko apne hatho me liye baithi thi... Uske aankhein laal ho Gayi thi aur chehre par aanshoo ke sukhne ke nisan bane huye the Jo ye cheekh cheekh Kar Bata Kar rahe the ki wo kitna royi thi....

Tabhi waha ek lady doctor aati hai...

Doctor : madam ap yaha Kyu Hain Maine apko Mana Kiya tha na yaha aane se...

Ladki : bataiye na madam isko hosh kab aayega...

Doctor : dekhiye main koi bhagwan to hu nahi ki apko Bata saku ki inhe hosh aayega bhi ya nahi..... Maine kaha tha na ki kafi critical situation hai.... Goli inke Dil se kuch duri par haddiyo ki wajah se ruk Gayi thi warna inhe bachana namumkin ho jata... Jab Tak inhe hosh nahi aata kuch bhi kahna possible nahi hai.... Waise ap patient ki Kya lagti Hain....

Ladki : ji ye Mera chhota bhai hai... Mujhe bachane ke liye isne apni jaan khatre me daal li...

Doctor : dekhiye main apko bas itni Salah de sakti hu ki patient se abhi dur hi rahe... Jaise hi inhe hosh aata hai main apko inform Kar dungi.... Filhal ap Bahar jaiye...

Ladki : madam ye thik to ho jayega na...

Doctor : inhe aj sham ya raat tak hosh aa jayega... Uss wakt agar Sab kuch sahi Raha to thik hai warna patient comma me bhi ja sakta hai... Hamare doctor's me hath me to jitna tha unhone Kar diya ab sirf uparwale ka hi Sahara hai...

Wo ladki kuch der aur patient ko dekh Kar room se Bahar chali jati hai....

Wo ladki aur koi nahi diya thi aur bed par Leta patient Tarun tha.... Aur Jo doctor this uska naam Shruti tha Jo ki 40 saal ki thi....


Kal jab Diya ko sath lekar Tarun usko vida Karne ke liye gaadi me bithane ja Raha tha to usko ek mask lagaye huye admi ki hath me banduk dikh jati hai jisse usne Diya ki taraf goli bhi fire Kar diya tha.... Goli kafi najdik aa Gayi thi to usne Diya ko bachane ke liye khud ko goli ke samne Kar diya...

Ek hi nahi do goliya uski peeth par lagi this jisse wo wahi gir Kar behosh ho Gaya tha.... Behosh hone se pahle uski aankho ke samne bas uski bahan richa ka hi chehra tha.....

Wo mask Wala admi bhag nahi pata hai aur uski jabardast pitayi ki jati hai aur filhal wo police ki hirasat me hai....

Karan aur uske parents jaldi se usko dulhe wale gaadi me hi bitha Kar hospital liye Jate Hain... Diya bhi sath hi thi....

Karan ke parents aur dulhe ke gharwalo ne Diya ko uske sasural bhejne ki bharsak kosis ki par diya ne kisi ki na Mani aur wo Tarun ko aise haal me me chhodne ko hargiz taiyar na huyi.... Kahne ko to in dono ka apas me koi khoon ka rishta na tha par ek dusre ke liye inke Dil me beshumar pyar jarur tha.... Jo insan khud ki jaan Tak apke liye kurban Karne ko taiyar ho usse badh Kar apke liye apna aur kaun ho sakta hai....

Ye hi nahi diya Tarun ko chhod Ghar bhi nahi Gayi thi... Uska manna tha ki wo ab ghar ya sasural tab hi jayegi jab wo Tarun ko sahi salamat na dekh le....

Diya jab room se Bahar aati hai to Karan usko wahi room ke Bahar khada milta hai....

Karan : Didi ab to Meri baat maan lo aur Ghar chali jao... Main hu na uski dekhbhal ke liye...

Diya : nahi doctor ne kaha hai ki usko evening Tak hosh aa jayega... Uske baad main Ghar chali jaungi... Waise tumne uske Ghar phone Kiya Kya....

Karan : Didi uske Ghar me kisi ka number Mujhe pata nahi hai.... Kash usko thik thak se gosh aa Jaye....

Diya : pata laga ki kisne hampe hamla karwaya tha....

Karan : aur kaun ho sakta hai apki wahi nakchadhi bua ke jeth ne... Jiske bete ki sangeet wale din pitayi huyi thi... unhone apna jurm Kabul Kar liya hai aur filhal wo police ki hirasat me hai... ap chinta na karo didi main sabka chun chun kar badla lunga.... unhone apki jaan lene ki kois ki apko bachane ke chakkar me mera bhai jaisa dost iss halat main hai jab tak main uss gandi nali ke keede ko hath pao na tudwa du mujhe chain nahi aayega....

Diya : haan bhai unhe maafi milni bhi nahi chahiye....

Karan : didi main apke liye khana laya hu AP ye kha lo.... Kal se hi apne kuch khaya nahi hai.... Aise to ap kamjor ho jaogi... Agar ap hi kamjor ho jaogi to ap Tarun ki dekhbhal kaise karogi...

Diya : nahi nahi Mujhe kamjor nahi hona hai... Usne apne Bhai hone ka farz nubhaya hai... Ab Meri bari hai...

Aur fir diya jaldi jaldi Karan ka laya hua khana khane lagti hai jise dekh Karan ki aankhien bhi nam ho Gayi thi.... Kahne ko to wo Diya ka saga bhai tha par jitna pyar usne Diya aur Tarun ke beech dekha tha wo uske mukable kahi jyada tha...

Evening ko Karan aur uski Puri family hospital me hi maujud thi.... Wo log Tarun ke hosh me aane ka besabri se intjar Kar rahe the....

Tab Tak thoda Tarun ke Ghar ka bhi rukh Kar lete Hain....

Udhar Jab se Tarun ne priyanshi ko khari khoti sunayi thi tab se wo lagatar royi ja rahi thi... Ruchika ne uska ye haal dekha to usne iska Karan pucha to jawab me usne rote rote sari Kahani Bata Dali....

Priyanshi ke sapne ka sun to ruchika bhi ghabra Gayi par priyanshi ko sambhalne ke liye usne bataya ye sirf uska bura kjawab tha aur kuch nahi... Ruchika me kafi samjhane se priyanshi to maan Gayi par ruchika khud tension me aa jati hai kyunki ab Tarun ka mobile switched off Bata Raha tha....

Ruchika ne Shreya se bhi baat ki par result wahi aa Raha tha.... Shreya ne ruchika ko ye kah Kar manane ki kosis ki ki Shaadi ke Ghar me ho sakta hai wo busy hone ki wajah se phone pick na Kar pa Raha ho....

Idhar evening ko ek nurse bhagti huyi doctor shruti ke cabin me jati hai fir jaldi se wo log Tarun ke paas pahunchte Hain.... Wo log Tarun ko those der check karte Hain uske baad doctor Bahar chale Jate Hain....

Nurse : apme se inke guardian Kaun Hain... Doctor sahab ne apko cabin me bulaya hai...

Diya aur uske papa doctor ke cabin me pahunchte Hain....

Diya : good evening doctor ma'am... Ab kaisi tabiyat hai mere bhai ki....

Shruti : ji unhe hosh to aa Gaya hai par unka mind Puri tarah se respond nahi Kar Raha hai.... Ho sakta hai wo pahle kisi mental problem se gujar rhe ho ya ye jyada khoon bah Jane ki wajah se aisa hua ho kah nahi sakti.....

Diya : ma'am uski condition kaisi hai... Kya ham usko Ghar le ja sakte Hain...

Shruti : jaisa ap thik samjhe par kal subeh ko hi inhe discharge karwaye to acha hai.... time to time check up ke liye hamare hospital se nurse jati rahengi jab tak wo puri tarah se thik nahi ho jate... aur ek baat apko unke sath pyar se pesh aana hai jab tak ki unka sarir puri tarah se recover nahi ho jata...

diya : ji doctor... ap chinta na kare ham uska pura khayal rakhenge...

Shruti : Jakhm bharne me ek week tak ka samay lag sakta hai.... ho sakta hai patient kabhi kabhi bachcho ke jaisa behave kare to apko ghabrana nahi hai.... unhe puri tarah se mentally thik hone me mahino lag sakte hain par agar unka ache se khyal rakha gaya to wo jald bhi recover sakte hain.... yaha se hamara kaam khatam ho jata hai aur apka kaam suru ho jata hai... bas apko unhe emotionally support karna hoga aur apko ye khyal rakhna hoga ki unhe koi mental stress ya aaghat na mile warna ye recovery time badh bhi sakta hai....

diya ke papa : thik hai doctor ham kal hi usko discharge karwayenge...

uske baad karan ke papa apni beti ke sath cabin ke bahar aa jate hain...

diya bina samay ganwaye tarun ke room jati hai.... Tarun bed par leta hua normal sa dikh raha tha.... usne sabhi ko sahi se pehchan liya....

nurse ne kuch der baad sabhi ko room se bahar nikal diya....

karan ki maa : beta ab to sab kuch thik hai main aj hi tumhare sasural me call karke tumhe sasural bhijwa deti hu....

diya : ji nahi maa uski ye halat meri wajah se hi hai... jab tak wo puri tarah se thik nahi ho jata main kahi nai jane wali....

karan ke papa : beta yekya baat huyi ham yaha hain na uski dekh bhal ke liye...

diya : papa apne sai se suna nahi kya doctor ne kaha hai ki uski mental condition abhi sahi nahi hai aur usko mental support ki jarurat hai....

k. maa : to hme uske pariwar walo ko phone karke usko unhe saunp dena chahiye...

diya : maa jaha tak main janti hu uske ghar wale hamesa uska tiraskar kiya karte hain... aisi halat me uski condition thik hone ke bjaye aur bhi bigad sakti hai....

k. papa : par beta ab tumhari shaadi ho chuki hai tum ab hamari nahi apne sasural walo ki amanat ho....

diya : main wo sab nahi janti... mujhe usko pahle thik karna hai uske baad hi main sasural jaungi... ap chinta na karo main waha baat kar lungi...

iske baad aur koi baat nahi hoti... agli subeh ko tarun ko discharge karwa kar ghar le jaya jata hai... karan usko apne room me shift karwana chahata tha par diya ne jabardasti tarun ko apne room me rakhwa diya taki wo uska sahi se khayal rakh sake...

diya ne apne pati ko phone karke apni sari majburi bata di thi.... uska pati bhi ek nek dil insan tha usne bhi diya ko manjuri de di....

Abhi Tarun ke sar me ek bandage aur peeth par kuch stiches lage huye the....

karan ne ghar ke naukaro ki help se tarun ko diya ke room me shift karwa diya... Diya ke room me double size bed laga hua tha...

diya : kaisa lag raha hai bhai...

tarun : thik hu didi bas kabhi kabhi thoda ajib si bechaini si lagi rahti hai... mera mobile kaha hai....

diya : are haan main to bhul hi gayi thi wo maine tumhara mobile tumhare bag me rakh diya tha.... ruko main usko charge me laga ke aati hu....

diya tarun ke bag ko apne room me le aati hai aur tarun ke mobile ko charging par laga deti hai....

aise hi dheere dheere 3 - 4 din beet jate hain.... diya tarun ka bade ache se khayal rakh rahi thi.... usne tarun ko uske ghar hi phone karne nahi diya tha kyunki wo nahi chahati thi ki tarun ko recover hone me jyada samay lage....

 

Top