Thriller DARD

i ÃM ŸöÜř Đãď
492
247
43
UPDATE-4

Aise hi samay bitta gya ab janvi didi school jane lagi thi. Maa ki maar chalti rehti thi unhe maa pukarne pe aur chachi aur janvi mujhe paresha karti rehti par dadaji ke piche. Mai ye sab dadaji ko nhi batata tha kyuki mai nhi chahta tha ki mere karan dadaji ke rishte kisise kharab ho.

Abb aggeeee.......

Aise hi din bite, mahine bite aur saal bita. Mujhe jada kuch to samaj ta nhi tha par maar ke karan maa ke pass jane se darta tha isiliye mai jadatar dadaji ke kamre me rehta tha taki kisi ke samne na jana pade aur bina wajah dhulayi na ho jaye. Jab mai maa aur papa ko janvi didi aur swara ko pyaar karte Dekh ta to mera bhi mann hota ki wo mujhe bhi pyaar aur dulhaar dihaye par aisa nhi hota .ab saima hi mere liya maa thi aur dadaji bhi bohot pyaar karte the.

Abb mai 3 saal ka ho chuka tha, abb bari aayi mere school jane ki to papa ne saaf keh diya ki unke pass kisi aur ke liye koi paise nahi hai. Dadaji pass bhi jada paise nhi the aur na hi unke naam pe jamin jayejad thi siway ek khet ke. Jaise taise unhone mera admission janvi didi ke school me karaya kyuki unka manna tha ki abb mai sirf achche se padhne likhne ke baad hi apni jindagi sudhaar sakta hu . Admission to unhone karra di par ab sawal tha ki mai jaunga kaise kyuki school harare ghar se karib 5 km dur thi to saima maa ne kuch paise de kar mujhe bus lagwa di.

Kal mere school ka pehla din tha mai bohot jada khush tha. Mai soo gaya, agli subah muhje dadaji ne uthaya. Mai jaldi se taiyar hone gaya par jab mai uniform pahenne laga tab mujhe tie bandhna nhi aa rha tha to mai dadaji ke pass jane laga tabhi janvi didi dikhi to maine socha inhi se pooch loo .

Mai : didi kya aap mujhe bataingi ki tei kaise bandhte hai? (totli awaj me)
Jaise hi didi ne mujhe uniform me dekha usne mummy ko awaj lagayi.
Janvi didi : mummmyyy.... Mummmyyyt..
Mom: kya hua beta? Kyu chilla rhi hai?
Janvi didi : Mom kya ye kutta bhi mere school me jaega?
Mom : haa beta pta nhi kyu tumhare dadaji iss manhus per paisa kharch kar rhe hai.
(Janvi phir meri taraf gusse se dekhte hue)
Janvi didi: sun kutte tu mere school to aa rha hai per mujhe didi mat kehena nahi baat krna.
Mai : par didi mai to aapka chota bhai hu na.
Janvi didi : tu aur mera bhai teri aukat to ek kutte ki bhi nhi hai.
(didi ne bhi aaj whi kaha jo aksar mummy ya chachi mujhe kehti thi)
Meri aakhen bhar aayi thi mai roote hue dadaji ke kamre me bhaga.
Dadaji ne mujhe roote dekh pucha.
Dadaji : kya hua beta kyu roo rha hai.
Phir maine dadaji ko sab roote hue bta dia. Dadaji ko bhi kaafi bura laga par mujhe sambhalne ke liye wo bole.
Dadaji : beta aukat paidaishi nhi milti use banana padta hai. Isi liye maine tumhara naam bade school me dala taki tum padh likh kar bade aadmi bano.
Mai : bada aadmi kyu dadaji? ( utsukta se)
Dadaji : beta kyuki bade aadmi ke bhut dhan sampatti hoti hai aur uske saamne sab jhukte aur uska samman karte hai.

Mai bas unhe chup chap dekh rha tha. Dadaji phir bole.
Dadaji : beta meri ek baat hamesha yaad rakhna " Is duniya mei aadmi se jada kimat paiso ki hai ".

Dadaji ki ye baat mere zehen me ghar kar gyi aur maine kaise bhi bas bada admi banne ki thani.
Khair dadaji ne phir mujhe tie bandhna sikhaya phir mai bus me baithkar school ke liye nikal gya. Kuch der me Bus school pahuch gyi, Jab mai bus se utra aur school ke gate tak pahucha tabhi mere dad ki car aayi aur usme se janvi didi utri. Mai unhe dekhte hi unki baat yaad aa gyi to mai jaldi se apni class me bhag gya jab mai class me pahucha to mujhe sirf ek jagah khali dhikhi to mai waha baith gya. Mere sath ek ladka baitha tha par mujhe usse baat karne jhijhak ho rhi thi. Mai soch hi rha tha tabhi wo bola.

Ladka : hello mera naam amit hai? Tumhara naam kya hai.
Mai : hii, mera naam Reyansh hai.
Amit: kya tum mujhse doati karoge.
Mai : haa bilkul aaj se hum dost. ( totli awaj)
Amit : are ye kya tum to tutlate ho.
Mai : haa bachpan se mai aise hi bolta hu.
Amit : koi baat nhi tum dhire dhire sahi bolna sikh jaoge.
Phir teacher aagye phir padhai shuru ho gyi. Mai mann laga kar padh rha tha kyuki ab mujhe bada aadmi banna tha. Phir aise hi school khatam ho gya mai ghar wapas aa gya. Aaj mai bohot khush tha kyuki aaj maine ek dost banaya tha jiske sath mai baat kar skta tha khel sakta tha.

Aaise hi samay nikalne laga. Iss beech meri aur amit ki dosti badhti gyi .mai ab 6th class me tha aur janvi 7th me. Janvi jada baat nhi karti thi. Aur abb meri princess swara aur chachi ki beti divya bhi badi ho gyi thi wo bhi hamate sath school jati thi. Maa mujhe swara se dur rakhti thi, kabhi kabhi maa se chup ke uske sath baat kar liya karta tha. Chachi to bachpan se divya ko sikha rahi hai ki mai manhus hu mujhse dur rhe to wo to mujhse waise bhi dur rehti thi.
( aap to jante hi hai ki bachcho ki soch bachpan me kaisi hoti hai jaisa akar use do waisa wo banjati hai.)
Chacha ko mujhse bohot humdardi thi par wo papa aur chachi ke saamne kuch nhi kar sakte the. Maa to jaise bhul hi gyi thi ki unka koi beta bhi hai jise maa ki mamta ki jaroorat hai , par unki nazar me haisiyat ek kutte se bhi kam thi Yaha tak ki wo mujhe kisise beta kehkar bhi nhi milwati thi jise pata na ho ki mai kon hu. Jab koi ghar ata aur puchta ki mai kon hu to wo bolti ki " ye hamare ghar kaam karne wali naukrani ka beta hai " ye unke dil me DARD to hota tha par ye kafi had tak sach bhi tha kyuki unhone mujhe sirf janam diya tha par saima maa ne mujhe apna doodh pilaya tha jab maa ne pilane se mana kar diya tha aur unhone mujhe pal pos kar bada kiya.

Khair ab samay badal gya tha ab mai 4th me tha to mere padhai ka kharcha badh gya tha to dadaji ne bus band karwa di thi ab mai school paidal jaya karta tha. Kabhi kabhi school pohochne me late ho jata to teacher dat deti thi par teacher ko bhi pta tha ki mai paidal ata hu to jada kuch nhi bolti thi.

Jab kabhi bhi parents teacher meeting hoti to sab ke parents aate par mere sath sirf dadji aate ye dekh mujhe dukh hota kyuki janvi didi aur swara ke sath mom dad aate the par mere sath nhi. Maa baap ke pyaar ki kami ke karan kabhi kabhi dukh hota to mai akele me baith kar ro liya karta tha.

Jaise taise din kat rhe the phir ek din mai school se wapas aya tab dadaji kahi bahar gye the. Mai saima maa ke pass jakar baith gaya aur unse baat karne laga.
Mai : maa aaj school me mujhe amit ne laddo khilaya. Sach me bohot hi achchi tha. Aaj maine pehli baar khaya.
Saima : beta ek din aisa aayega mai tujhe dher sare laddo khilaungi..
( ye kehte hue saima rone lagi. Wo soch rhi thi kaise maa baap hai itne masoom aur pyaare bachche ko maa baap hote hue bhi anath ki jindagi jine ke liye majboor kar diya hai.)
Mai : maa aap roo kyu rhi hai.
Saima : kuch nhi beta meri aankh me kuch chala gya tha. Tu yaha baith mai tere liye khana lekar aati hu.
(ek baat batana chahunga maa ko lagta tha mai manhus hu isliye unhone mera khana apni rasoyi me banwane se mana kar diya tha. Is wajah se saima maa mere liye apne ghar se khana bana kar lati thi.)
Saimaa maa khana le aayi phir mai kahana khane laga.
Mai : maa apke hath ki daal bohot achi lagti hai mujhe.
Saima maa : beta har roj ek hi dal kahata hai aur roj yehi kehta hai aisa kyu?
Mai: kyuki aap isme dher sara pyaar dalti ho.
Unhone mujhe apane sine se laga liya.
( wo man me boli : dhanya ho gyi mai aisa beta mujhe mila hai. Ek garib ke ghar ki dal roti kha kar bhi roj kehta hai ki "isse tasty kuch bhi nhi ho sakta". )
Aise hi khana khatam ho gya phir mai bhar khelne chala gya. Shaam ko jab wapas aya to dekha dadaji abhi bhi nhi aaye the. Mai jaise hi apne room me jaane laga dad gate se andar aaate dikhe.kafi gusse me dikh rhe the. Wo mummy ke room me gye.
Mummy : kya hua bohot pareshan dikh rahe hai?
Dad: meri important deal cancel ho gyi.
Mummy : kyaa?
Dad : haa , mujhe pakka yakeen hai ye us manhus ke karan hua hai.
Chachi bahar khadi ye baat sun rhi thi . Tabhi aag me ghi dalne ke liye wo boli.
Cahchi : haa bhai sahab mujhe bhi yahi lagta hai ki ye zarur usi ke karan hua hai.
Dad: hai kaha wo manhus aaj koi use mujhse nhi bacha skata.
Dad bahar aaaye aur mujhe doodhne lage.

Aage dekhte hai kya hota haiiii.. ....
 
i ÃM ŸöÜř Đãď
492
247
43
UPDATE - 5

Dad: hai kaha wo manhus aaj koi use mujhse nhi bacha skata.
Dad bahar aaaye aur mujhe doodhne lage.

Abb agggeee.........

Mai bhi apne room me hi jaa rha tha tabhi dad ki nazar mujh par padi . dad mera naam chillate hue meri aur doude.

Dad: Reyanshh...
Mai dad ki jordar awaj sun kar darr gaya. Dad mere pass pohoche aur
Chaataakkkk..
Mai dar gya aur pucha
Mai : kkkya hhua dad.? (haklate hue)
Dad : mat le mera naam apni gandi zubaan se. Aaj teri manhusiyat ki wajah se meri ek important deal cancel ho gyi.

Aur phir isi ke sath
Chaataakkk.. Chatakkk....
3-4 thappad pad gye mujhe. Phir bhi dad ka gussa kam nahi hua toh belt nikal kar shuru ho gye. Wo bas bina ruke maare jaa rhe the. Meri aakhon se bass aasoon nikal rahe the. Maa, chachi, janvi waha khade the par koi kuch nhi bol rha tha. Meri bhi bass aassoon aur chikhe nikal rhi thi.
(Dadaji ghar par nhi the tab)
Mai : aahhhh... Nhhhiii... Papa... Maine. Kkkuch nhii kiyyaa.. Dadajiii..
Tabhi waha saima maa aagyi wo dad aur mere beech me aake boli
Saima maa : sahab ruk jaaiye bachcha hai
Kuch ho jayega.
Dad : naukar hai to apni aukat yaad rakh aur nikal yaha se nhi to tujhe bhi aaj hi naukri se nikal dunga.
Saima maa bichari majbur hokar waha se nikal gyi kyuki gareeb thi uska pura pariwar uske bharose tha kyuki uska pati iss duniya me rha nhi.
Dad tab tak mujhe belt sw marte rhe jabtak unka gussa thanda nhi ho gya. Mai tab tak behosh ho chuka tha. Mera pura sharir dukh rha tha har taraf se chamdi udhad chuki thi usme see khoon aa rha thaa.
Gussa thanda hone ke baad Dad, mom, chachi bina meri taraf dekhe apne room me chle gye . Unko jata dekh saima maa meri taraf aai jaise hi unki nazar meri taraf gyi unhone tezzi ke saath rona shuru kar diya.
Unhone bhaag kar mera sar apni godh me rakha aur badbadane lagi.
Saima maa : kitne nirdayi log hai mere bachche ki mar mar kar kya halat kar di. Bahgwaan kare inhe narak me bhi jagah na mile.
Phir saima maa mujhe uthake jaise taise mere room me le gyi aur mujhe bed pe ulta lita diya aur mere loya malham lene bazar chali gyi. Par koi aur bhi tha jo ye sab hote hue dekh rha tha aur roo rha tha ye aur koi nhi balki Swara thi.

Saima maa ke jaane ke baad wo chupke se kamre me aa gyi. Aur jaise hi usne mere kandhe pe hath rha mere dard ke mare chikh nikal gyi.
Mai : aaahhhhh.. Nhii... Mai ne kuch nhi kiya
Mai bad badane laga. Meri aisi halat dekh Swara ka dil roo rha tha aur apne maa baap se ghinn aa rhi thi. Wo boli
Swara : bhaiyaa apko ab koi nhi marega mai hu naa.
Swara ki awaj sun maine uss ki taraf dekha meri aakhon se aasoon nikalne lage mai bolna chah rha tha par dard ke karan meri awaj bhi nhi nikal rahi thi.usne mere aasoon ponche aur boli.
Swara : bohot dard ho rha hai kya bhaiyaa.
Mummy papa sach me bohot gande hai unhone aap ko mara. Tabhi saimaa maa aa gyi aur swara ko dekh kar boli.
Saima maa : beta aapko yaha nhi ana chahiye nhi to apko malkin daatengi aur naa hi phir reyansh ke liye achcha hoga.
Wo jana nhi chahti thi par mere bare me sunn kar chali gyi kyuki wo apne maa baap ka bartav mere sath dekh chuki thi.
Saimaa maa ne phir malham lagana shuru kiya jissee meri chikkhe nikal ne lagi par roo saima maa rhi thi. Bada hi ajeeb rishta tha unka aur mera jab sab ne aur apno ne thukra diya toh unhone apnaya aur aaj zakhm mere hai aur " DARD " unhe ho rha tha.

Unhone to har zakhm par dawa laga di par aaj zakhm sirf jism par nhi hue the aaj dad ne mere rooh par zakham kiye hai. Unhone aaj unhone meri masoomiyat ko maar dala tha.
Aaj meri jine ki ichcha hi khatam si ho gyi thi , aaj mai bas mar jana chahta tha, mai chahta tha ki ab bass hameshake liye geheri neend me chala jau. Saima maa bhi mujhe dekh kar samaj chuki thi ki ye zakhm aage chal kar nasur hone wale hai.

Dadaji bhi thodi der me aa gye saima maa ne unke jaane ke baad jo kuch hua wo sara haal keh sunaya. Phir jo dadaji dhadte hue dad ke room me pahuche aur phir karib 1 ghante tak dad aur dadaji ki behes aur jhagda hua. Phir dadji mujhe dekhne chale aaye. Mujhe dekhte hi unki aakhon me assoon aagye.
(mai tab soo rha tha)
Dadaji : maaf karde mujhe mere bachche mai kuch kar na saka, aaj mujhe khud se ghinn aa rhi hai ki maine ek aisi aulad paida ki hai jise ek masoom bachche asoon nhi dikhte, uska dard nhi dikhta.
Dadaji waise hi baith ke bohot der tak rote rhe .
Us din ke maar ke baad mai 3 din tak room se bahar nhi nikla tha.
Samay apni raftar se chalne laga. Swara ko bhi mere liye kaafi bura lagta aur uska lagav mere prati badhta hi jaa rha tha. Mujhse baat karne ke liye wo mom ki maar bhi kha leti.
School me bhi kuch ladko ko pta chal gya tha ki janvi mujhse nafrat karti hai iss liye usse impress karne ke liye wo mujhe tang kiya karte par janvi ko farak nhi padta wo muh pher kar chali jati.
Aaise hi samay bit raha tha abb mujhe dadaji , saima maa aur swara ko chod kar kisi se koi matlab nhi reh gya tha kyuki divya toh waise bhi baat nhi karti thi wo sach me mujhe naukar ki aulad samajti thi. Par mere dil me aaj bhi un sab ke liye soft corner tha. Par samay ke sath dadaji ki tabiyat unka sath chod rhi thi Ab wo jadatar bimar hi rehte the . Mera samay bhi nikal jata tha school , dadaji ki sewa phir khana pina aur sona . Aise mai 10th me pahuch gaya tha.

Phir wo din bhi aa gya jab dadaji mujhe iss narak me akela chod kar chale gaye. Mai school se wapas aa rha tabhi maine dekha ghar me logo ki bhid lagi hui thi mai adar gaya aur dekha dada ji ko safed chadar oudhaye litaya gya tha . Mai ye dekhte hi zinda laash ki tarah gir gya aur behosh ho gya. Saima maa ne mujhe sambhala aur hosh me laya. Hosh me aate hi mai dadaji ki taraf dauda aur unse lipat kar rone laga aur badbada rha tha.
Mai : ye kya ho gya dadaji, aap mujhe akele yaha kyu chod kar chale gye, ab mai kiske sahare jiyunga.
Tabhi mujhe papa ne ghasit kar dadaji se alag kiya aur bole.
Dad : aaj tu mere baap ko bhi khaa gya aur jhute aasoon baha rha hai dur hat jaa mere babuji ke pass se.
Saima maa ye sun kar mujhe waha se alag kiya par mai to jaise laash hi ban gaya tha na mujhe kuch sunayi de raha tha nahi kuch dikhayi se rha tha.
Wo mujhe jaise taise waha se le gyi. Mujhe dadaji ki arthi tak ko hath nhi lagane diya gya us din dad ke liye man se bad dua nikli thi. Aise hi dadaji ka antim sanskar bhi ho gya. Mai to bas dadaji ki kursi ke pass niche baitha rehta, mujhe kuch hosh hi nhi tha.

Aage dkhte hai kya hota hai... .......
 
Top