Thriller DARD

Thread Author
i ÃM ŸöÜř Đãď
492
247
43
UPDATE - 6

Aise hi dadaji ka antim sanskar bhi ho gya. Mai to bas dadaji ki kursi ke pass niche baitha rehta, mujhe kuch hosh hi nhi tha.

Aabb aaggeeee............

Saimaa maijhe aisi halat me dekh nhi paa rhi thi tabhi use yaad yada ji dadaji ne use ek letter diya tha aur kaha tha ki mere marne ke baad Reyansh ko de dena. Wo jaldi se dadaji ke room me gayi aur wo letter nikal kar mere pass kar mujhe diya aur boli.
Saima maa : Reyansh mere bachche aise rote nahi agar tum aise hi asoon bahaoge to upar tumhare dadaji ki atama ko taklif hogi.
Mai : mai kya karoo maa mujhe unki bohot yaad aati hai .
Saima maa : par kya aise roone se aur yaad karne se wo wapas aa jayenge?
Mai : kaash aisa hota toh mai jindagi bhar ke liye inn asoon aur "DARD" ko kabul kar leta.
Saimaa maa : aise nhi bolte beta chal asoon poch aur ye le tere dadaji kaha tha ki mai tujhe ye tab du jab wo iss duniya me na rahe aur kaha tha ki use ye akele padhne ko kehena.

Mai ye sunte hi assoon ponche aur wo letter leliya. Aur bhaag kar apne room me chala gaya. Aur room ka darwaja lock kar diya aur dadaji ki chair ke pass baith gaya aur wo letter khola.

IN LETTER
(ab mai dadaji ki taraf se bolunga)

Mera pyare pote Reyansh agar tum ye letter padh rahe ho to mai iss duniya mai nhi raha hounga. Mujhe andaza tha meri halat ka, pta tha ki ab kuch hi din ka mehman hu . Mujhe mout ka dar nhi hai mujhe dar hai ki mere jane ke bad tera kya hoga kyuki mujhe pta hai bakiyo se tere rishte sirf naam ke hai ek sirf saima hai jo tujhe samajti hai par wo bakiyo ke bich kuch bol nhi sakti isliye mai chahta hu ki ab tu khud ko badal le kyuki
" Anyay karna jitna bada paap hai usse bada paap Anyay sehna hai " .tujhe meri kasam ki aaj ke baad royega nhi. Janta hu tu bachcha hai aur mai tujhe ladakpan me Mard bana rha hu par ye zaruri hai kyuki ye duniya achche logo ko chain se jine nhi deti. Mai tujhe kuch na de saka iska afsoos mujhe marne ke baad bhi rahega par ek baat hamesha yaad rakhna ki tu ek Rajput hai aur Rajput kabhi nhi harte.
Aakir me bas ek baat kahunga ki agar tu mera pota hai to tu ek din inn sabko jinhone tujhe thukraya hai unhe aisa karara jawab dega ki wo marte dum tak yaad rakhenge.

(Letter end)

Aaj akhri baar mai roya tha, jee bhar ke roya tha par uske bad kabhi apne aasun chalak ne nhi diye.

Dadaji ke jane ke baad ab akele saima maa ke liye school ka karch uthana mushkil ho rha tha to maine ek coffee shop me part time job shuru kar di. School ka kharcha bhi nikal jata aur kuch paise bacha kar gym bhi ahuru kar di thi abb school me jab bhi koi mujhe pareshan karta to mai bhi uske pura dum laga kar marta isske karan abb wo log bhi mujhse dur rehte pta nhi kaise janvi didi ko pta chal gya ki mai coffee shop pe kam karta hu wo ek din janvi didi chachi ki beti Divya ko lekar waha pohoch gyi.

Janvi didi : waiter.. Waiter

Mai waha order lene poch gaya. Jaise hi maine janvi didi aur divya ko waha dekha mai samaj gya ye yaha meri bejjati karne aayi hai.

Divya : ek garib order likh.. Ek Cappuccino Aur ek latte.
Janvi didi : aur ha ye ganda table poch.
Mai bina kuch bole chala gya aur wapas aake order serve kiya. Phir mai dusre order lene chala gya. Wo cooffe pee chuke the phir mai bill leke waha gya. Unhone paise diye , mai bache hue paise wapas de hi rha tha ki wo bole.
Janvi : are waiter keep the change.
Divya : haa waise bhi hamare yaha garibo me dan karte rehte hain infact humne to wk garib ghar me bhi pal rakha hai.
Mai : janvi didi aur divya itna bhi niche naa giro ki khud ki nazron me hi uth na sako.
Mai uski baat samajh gya. Mujhse waha aur ruka nhi gaya iss liya mai chala gya. Mere dimaag me bus ek hi baat chal rhi thi ki " haa mai garib hu, par kya garib insan nhi hote ya unhe kuch mehsus nhi hota" . Ye sab richa bhi dekh rahi thi
(richa mere sath kaam coffee shop me kaam karti thi wo mujhe se 5 saal badi thi)
Wo mere paas aayi aur pucha.
Richa : kon thi ye Reyansh ? tumhe itna jalil kyu kar rahi thi aur tum sun kyu rahe the.
Mai : kya karu richa kisamat ke hatho majbur hu garib jo thehra agar kuch use bol deta toh wo owner ko bolti aur wo mujhe yaha se nikal deta?
Richa : par thi kaun wo?
Mai : wo ladki wo hai jiske ghar mai rehta hu.
Richa : matlab tumhari family .
Mai : mujhe jaise garib ki kahe ki family.
Richa : oye tu koi garib nhi hai tu to sabse aamir hai kyuki tera dil bada hai tu dil ka sabse amir hai samjha.
Mai: haa samajh gaya par aab kaam karo agar us budhhe ne dekh liya to nikal dega kaam se.

Abb life todha track par chal rhi thi agale mahine meri 10th ki board exam thi to sirf padai aur kaam hi shuru tha. Padhai me mai amit ki madat kar diya karta tha aakhir wo mera pehla aur aakhri dost tha kyuki school me janvi didi ne ye baat faila di thi ki mai manhus hu iss liye koi mujh se dosti nhi karta par amit ko iss baat se koi farak nhi pada.
Aise hi ek mahina nikal gaya. Maine board ke exam de diye aur result ka wait kar rha tha. Mujhe result ki tension nahi thi kyuki mai shuru se topper tha har subject me.
Ek din mai amit ke ghar gya tha hum baat kar rhe the.
Amit : aur ladke kaha maje kar raha hai aaj kal.
Mai : behenchod yaha kaam se fursat nhi milti aur tu maje ki baat kar rha hai.
Amit : bhai gussa kyu kar rha hai mai to aise hi puch liya.
Mai : bhai tujhe sab pata to hai mere baare me phir bhi maje aur kush rehene ki baat karta hai baar baar.
Amit : maaf karde yaar mai tera dil nhi dukhana chahta tha..
Mai : chal chod iss baat ko sale baat baat par senti kar deta hai . Chal abb mai bhi ghar jaa rha hu shaam ho gyo hai. Bye
Amit : bye.
Mai ghar aa rha tha. Tabhi mujhe ek khambe ke paas se dabi hui chikh sunayi di maine waha jakar dekha to jo ladke mujhe school me tang karte the unhone janvi didi ko pakad rakha tha muh band karke. Mai bhagte hue waha pohocha aur bina soche jis ladke ne janvi didi ko pakda tha us ke lund pe mukka de mara wo sidha chillate hue niche baith gaya aur janvi didi aake kaske mere sine se lag gyi. Wo 3 ladke the ek to gaya tha kaam se abb yani bache do. Unme se ek bola.
1 : reyansh chod de ise kyu bacha rha hai ye to tujhe waise bhi jalil karne me koi kasar nhi chodti.
Mai : abe oo randi ki aulad wo jaisi bhi hai meri behan hai.
Ye bol ke maine didi ko apne piche kiya aur pass me padi eet utha ke dhar diya uske sar pe dusra ye dekh ke dar gya aur undono ko wahi chod kar bhag gya. Phir mai didi se bas itna bola aur chal pada

Mai : chalo ab ghar.
Wo bhi piche piche sar jhuka kar aa rahi thi aab unke dimag me bas mere wo shabd ghum rahe the " itna bhi niche naa giro ki khud ki nazron me hi uth na sako" aur unki aakhon se asoon ane lage. Phir hum ghar pohochne wale the to mai bola.
Mai : waise ye hua kaise.
Janvi : wo main apni friend ke yaha gyi thi aur gadi kharab ho gyi to driver ise thik karne laga to mai chalte hue aane lagi par jaise hi mai pole ke pass se gujri un ldko ne pakad liya par isse aage wo kuch karte tum waha pohoch aye aur aage tumhe pta hi hai..
Ye bolke wo chup ho gyi aur aasoo bahane lagi par ab inn asoon ka mol mujhe nhi rha tha. Phir mai bola.
Mai : thik hai par ab apna huliya sudharo aur ghar me ye baat mat batana.
Janvi didi : thik hai.

Unhone apna huliya sudhara aur hum ghar gye. Mai thodi der baad gya agar unke saath jata to ghar me bakheda khada ho jata.
Mai apne room me gya aur fresh ho kar niche baith gya kyuki mere room me koi bed ya sofa nhi tha ab mai baitha hi tha ki meri princess Swara dodte hue aai aur meri godh me baith gayi. ( tab swara aur divya 8 th me thi aur janvi 11th me) aur mere gal chumte hue boli.
Swara: bhaiya aaj kal meri yaad nhi aati kya aap mujhse baat hi nhi karte.
Ye bol ke usne muh fulla liya.
Mai : are meri princess naraj hai apbe bhaiya se. Par meri bhi to majburi thi kyuki meri exam chal rahi thi aur uake baad ghar me mummy bhi to rehti thi.
Swara : bhaiya aap tension bohot lete ho agar mummy kuch bolti to mai unhe keh deti ki mai aapse baat karne aai thi.
Mai : aur maar khati.
Swara : haa apke liye ye bhi sahi par mai apko maar khate nhi dekh sakti. Dekhna jab mai badi ho jaungi na tab aap ko iss ghar se bhaga le jaungi.

Mujhe uski baat pe khushi bhi ho rahi thi ki ye mujh se kitna pyaar karti hai aur haasi bhi aa rahi thi ki aapne bhai ko bhaga le jaegi.
Mujhe hasta dekh usne pucha.
Swara : bhai hass kyu rahe ho?
Mai : kyuki tu apne bhai ko bhaga le jana chahti hai... Ha... Hahaha..
Swara : to kya hua app mere ho aur aap pe sabse jada hak mera hai samjhe.
Ye bol usne mere gaal ko chumke bhaag gyi aur mai sar khujlata rha.

Wahi Janvi didi ke kamre me wo bed me sar dabaye roo rhi thi aur soch rahi thi.
Janvi didi ( man mai) : mai kitni galat thi ki mai use manhus samajhti thi wo toh itna achcha hai mai use jalil karne ke liye kya kya nhi kiya yha tak ke use pitwaya bhi phir bhi usne meri ijjat bachali. Mai usse kal maffi mang lungi apne har galti ke liye chahe mujhe uski maffi ke liye kuch bhi karna pade.

Ye soch te hue uske aakhon ke saamne wo sab chal raha tha jo usne mere sath kiya aur meri wo baat uski dimag me gunj rahi thi ki
"itna bhi niche naa giro ki khud ki nazron me hi uth na sako".
Wahi chachi ke room me kuch baat chal rhi thi.
Chachi : bhabhi bhaisahab kabtak us manhus ko iss ghar pe paloge ab to bauji bhi nhi rahe.
Maummy : par kya kare agar use ghar se nikal diya to samaj hamipe thukega.
Chachi : mai to kehti hue zeher de kar maar do uss mahus ko..
Mummy : nhi nhi mai kisi ki jaan nhi le sakti bhale hi mai use pyaar nhi karti par hai to wo mera beta hi.
Papa : mujhe lagta hai ki Kamya ( chachi) thik keh rahi hai agar hamne use zeher de kar maar diya to bahar ye keh sakte hai ki saanp ke katne se mar gya.
Chacha : chii.. Kitni nich sooch hai aap logo ki ek bachche ko marna chahte hai mai isme kabhi aap ka sath nhi doonga.
Papa : soch samajh ke bol chote. Agar sath nhi dena chachta to chup chap reh.
Pgir waha ye tey ho gaya ki kal mujhe zahar de kar mar diya jaaye.
Bahar darwaje par khada mai ye sab sun raha tha ( actually mai bahar jaa rha tha par dad ke room se apne naam ki awaj aati dekh mere kaan khade ho gye aur mai sunne laga)
Mai ye sun raha tha meri aakh me aasoon the oar maine unhe rok liya kyuki kasam khai thi. Mai bhi sochne laga kal dekh hi leta hu ki ye log kitna niche gir sakte hai..



Dekhte hai aagee kya hota hai.........
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
UPDATE -1

Ye baat aaj se 19 saal pehele ki hai Bangalore me ek aurat city ke sabse bde hospital me dard se chilla rhi thi uski delivery hone wali thi. Raat ke 12 baje ne me sirf 7 min baki the. Bahar us aurat ke ghar wale khade the. Kuch hi samay me us aurat ne thik 12 baje ek sundar se ladke ko janam diya. Nurse bhagti hui operation theater se bahar aai aur boli.

Nurse: mubarak ho raghuveer ji aap ko Beta hua hai.
( ji haa ye aadmi koi aur nhi mere hi Dad hai aur wo aurat meri maa.)
Dad bohot khush ho gye kyuki mai pehela beta jo tha aur unhone jeb se do 2000 ke bundle nikal ke nurse ko dediye aur bole.

Dad: jaao aur pure hospital me mithai batwado logo ko bhi to pta chalna chahiye ki Rajput khandan ka waris aa gya hai.

Nurse wo paise leke nikal gyi aur dad ne ye kahbar dadaji, chacha, aur chachi ko sunayi.
Wo sab bhi bohot khush ho gye aur sab mujhe dekhne andar aagye. Dad ki godh me 1 sal ki janvi didi bethi thi. Dad ne use chachi ki godh me de kar mujhe godh me liya aur dekhne lage meri kali aakho me. Wo thodi der ke liye kho se gye phir mera matha chuma aur bole.

Dad: dekha babuji maine aapko waris de hi diya.
Dada ji : ha, kitna sundar pota hai mera.



Didi ko kuch samaj to aa nhi rha tha par sab ko khush dekh wo bhi khush thi. Chachi kuch khas khush nhi thi kyuki abhi tak unko ladka nhi hua tha. Chacha khush the par chachi ke karan jahir nhi kar paa rhe the.
Kuch der me maa ko bhi hosh aagya aur unhone mujhe dad ke pas se lekar apne baaju me rakh kar dekhne lagi aur boli.

Mom: kitna sundar hai mera beta kisiki nazar na lage.
Dadaji : ha, bahu sach me mera pota bohot sundar hai.
Chacha : aakhir bhatija kiska hai.

Aise hi sab acha chalta rha aur agle din maa aur mujhe ghar laya gya. Kafi saare rishtedaar mujhe dekhne aur badhai dene aaye jise dekh chachi khush nhi thi.
Jab maa mujhe doodh pila rhi thi achanak thodi der me doodh ki kami ke karan doodh ki jagah khoon nikal ne laga aur maa ne mera muh nipple se hta diya jise dekh chachi ko mouka mil gya aur wo boli.

Chachi : are re ghar me aate hi apshagun kra diya manhus ne.
Dadaji : choti bahu khabardar jo mere pote ko kuch kaha to.
Chachi : maaf kar dijiye babuji galti se muh se nikal gya.
Mom : haa choti ye to mere kamjori ke karan ho tha hai.

Chahi tab to chup ho gyi par unki man me kadwahat bad gyi.


Khuch din bad dadaji ne pandit ji ko aane ka nyota diya namkaran ke liye. Sab kuch hasi khushi chal rha tha par meri zindagi ka kala din bhi aagya jab se mera aur "DARD" ka nata jud gya..........
nice start ,
 

Top