- 297
- 735
- 93
Yeh khala to jhut bol Raha hai. Agar saheer ko hallucinations ho Raha hai to woh BAAT to suni hogi us dohran. Psychologist ko dikhaya Hoga to woh sab wagal Chuka hai .Update 8
"Aaj aik ladke se mila tha usi k bare mein soch rha hu" Shaheer sofe ki taraf dekh k kehta hai jaha Fareeha bethi huyi thi "Usko dekh k aisa laga jaise wohh koi aur nahi mein hi hu"
"Kyu aisi kya khaas baat thi usme ?" Fareeha poochti hai.
"bachpan mein me bhi usi ki tarah tha, tanhayi pasand, khamosh, akela. Koi dost nahi tha mera. Wohh bhi bilkul waisa hi hai" Shaheer jawab deta hai.
"Ye sab meri wajah se hi hua tha na ?" Fareeha muskurati huyi kehti hai.
Shaheer iske jawab mein kuch nahi kehta bas chup chap usko dekh rha tha. Shaheer ko kuch na bolta dekh kar Fareeha dubara kehti hai.
"Bolo na chup kyu ho ? aaj nahi maaroge tana k tumne aur tumhari maa ne mujhse mera bachpan cheena tha" Fareeha dubara kehti hai.
"Nahi, ab kabhi nahi bolunga" Shaheer nam aankhein liye kehta hai "Ab kabhi tumhein tana nahi marunga, plz laut aao tum fareeha plz"
Fareeha chup thi, shaheer bed se uthta hai aur uski taraf jaane lagta hai. Shaheer jaise jaise uski taraf barh raha tha waise waise wohh hawa mein kahi ghayb ho rahi thi. Shaheer jab sofe tak pohonchta hai to Fareeha ghayab ho chuki thi kahi uske dil ko zakhmi kar ke.
Kuch time pehle tak wohh khush tha normal tha but ab phir se uske zakham hare ho gaye the. Wohh sofe pe gir jaata hai aur apne aakhri sahare ki taraf haath barhata hai jo sharab thi. Bottle kholta hai aur peg bana k pura ghatak leta hai.
4 5 peg peene k baad usko suroor charhta hai. Pehle hamesha aisa hota tha k wohh har waqt dukhi rehta tha par aaj thodi khushi milne k baad jo dukh mila tha usey uske baad wohh kuch ziada hi toot gaya tha. Aur ruk nahi raha tha 2 bottle khali kar chukka tha, itna ziada wohh pehle kabhi nahi peeta hota tha. Aisa lag rha tha wohh zinda hi nahi rehna chahta, wohh itna peena chah rha tha k jiski wajah se wohh mar jaye. Khair 3 4 bottle peene k baad usko neend aayi aur wahi pe so gya.
Agle din Aliya subah savere hi uth gayi thi aur fresh hone k baad room mein aa ke cupboard kholti hai aur usme kapde dekhne lagti hai k konse pehne. Aik do jorhe nikalti hai aur unko pehen k check karti hai. Unme se aik uspe fit aate hai. Ye wahi kapde the jinme fareeha shaheer ko sab se ziada khubsurat lagti thi. Wahi green kapde the jo shaheer ko sab se ziada pasand the.
Aliya wohh kapde pehenti hai aur nashta karne neeche aati hai. Usko ata dekh kar Khala breakfast banane ko bolti hai. Fir dono sofe pe beth k tv dekhne lagte hai. Tv dekhte dekhte Aliya ko aik baat yaad ati hai aur wohh khala se poochti hai.
"Khala raat ko shaheer sir k kamre se baat karne ki awazein aa rhi thi, aisa lag rha tha k sir k sath andar koi hai aur wohh unse baat kar rahe hai, but dusre bande ki awaz nahi aa rahi thi"
"Beta shaheer ko helucination hota hai, hum ne doctor ko dikhaya tha usey, doctor ne bataya k ye kisi k bare mein boht ziada sochne lage hai, jis ki wajah se wohh ab inko real mein dikhne laga hai, aur ye unse baat karte hai, aksar aisa hota hai, shayad kal bhi wahi ho raha hoga"
"Kisko yaad kar rahe the ? Saira ko ?" Aliya hairan ho ke poochti hai.
"Nahi, Fareeha ko"
"Fareeha kon ? Sir ki behan ?"
"G haan wahi"
"Unko kyu yaad karte hai sir ? Ziada close the kya dono bhai behan ?" Aliya poochti hai.
"Ye to ab wahi dono jane, kyunke yaha to rehte nahi the dono" Khala jawab deti hai.
Dono baatein hi kar rahe the k unko shaheer dikhta hai jo seerhiyo se neeche aa raha tha. Usko dekh k dono chup ho jaate hai. Aur shaheer ki nazar Aliya pe parhti hai. Aur kuch time k liye usko dekhta hi reh jata hai. Iski wajah Fareeha k kapde the jo usne pehne hue the. Usko Aliya mein Fareeha dikhne laga tha aur wohh kho sa gya tha.
Wohh hosh mein tab aya jab mulazima ne breakfast table pe rakha jiski awaz sun k wohh hosh me aya aur neeche utarne laga. Seedha table pe jaa ke beth gaya aur fir khala aur aliya ne bhi usey join kiya. Sab chup chap breakfast karte hai aur fir shaheer office k liye nikalne lagta hai to Aliya bhi uske sath hi chalti hai office k liye.
Dono sath mein office mein enter hote hai, sab hairan the unko sath dekh kar. Kyunke shaheer ko pehli bar kisi ladki k sath dekha tha. Aur Nabeela k bhi samajh me nahi aa raha tha k Aliya Shaheer k sath kya kar rhi hai. Khair shaheer seedha apne Cabin mein jata hai. Aur Aliya Nabeela k paas.
"Wah yar aaj sir k sath" Nabeela aliya ko cherhte hue kehti hai "Kahi pata to nahi liya sir ko"
"Bakwas band karo apni" Aliya thoda ghussa hote hue kehti hai "Mein 2 din se sir k ghar mein stay kar rahi thi isliye aaj unke sath ayi"
"Wah madam pataya nahi hai sir ko but 2 din se unke ghar mein" Nabeela hairangi se kehti "Chakkar kya hai waise ye ?"
Fir aliya usey shuru se batane lagti hai k kya kya hua tha. Jaise jaise aliya bata rhi thi, Nabeela k paseene chhoot rahe the. Wohh boht hairan ho gayi thi k 2 din mein kya kuch ho gaya. Bas wohh khush thi is baat se, k Aliya is safe now.
Khair uske baad sab apne apne kaamo mein lag jaate hai. Shaheer bhi aaj 5 baje tak office mein rehta hai fir waha se orphanage jata hai hashir se milne. Jaate waqt chocolates waghera le ke jata hai uske liye aur sham 6 baje tak uske sath time spent karta hai aur uske baad ghar aa jata hai.
Khair din aise hi guzar rahe the. Aise hi 1 mahina guzar jata hai. Aliya aur Nabeela bhi permanent ho gaye the office mein aur unko ab koi masla nahi tha. Shaheer bhi daily hashir se milne jaa rha tha aur kabhi kabhi 2 din me aik bar. Durrani se week me aik bar zarur baat hoti thi. Aur aaj durrani aane wala tha usse milne. Iske ilawa har dusre din shaheer ko fareeha dikhti thi, aur wohh usse baatein karta tha.
"Is bar usse jan kar rahunga k kya tha letter mein" Durrani apne samne bethe Abdul se keh rha tha "Uske baad hi hum koi qadam utha sakte hai"
"Haan ye janna zaruri hai k us letter mein likha kyat ha fareeha ne" Abdul jawab deta hai "Taa ke pata to chala wohh gayi hai aur shaheer kyu usey dhoondna nahi chah rha"
" is bar ye kam kar ke aaunga"
Sham ko Shaheer ghar k liye nikal jaata hai, Durrani bhi nikal chukka tha Tibet se. Dinner pe dono milte hai aur sath dinner karte hai. Uske baad chhat pe jaa ke beth jaate hai aur sharab ka daur shuru karte hai.
"Yar aisa kya likha tha us khath mein k tumne aaj tak Fareeha ko nahi dhoonda" Durrani aik sip lene k baad kehta hai "Tumhein nahi lagta tumhein uski khabar rakhni chahiye, kya pata wohh kisi musibat mein ho"
"Durru yar mujhe pura yaqeen hai k wohh jahan bhi hogi safe hi hogi aur usi ki khuahish thi k mein kabhi dubara usko na dhoondu" Shaheer sar jhuka k jawab deta hai "Meine apne khel k chakkar mein uske muhabbat ko samajh na saka aur na apni muhabbat ko aur kho diya usey"
"Kya mein wohh khath parh sakta hu ?" Durrani poochta hai "Agar tum bura na mano to"
Shaheer kuch nahi kehta chup chap uthta hai aur neeche chala jata hai. Durrani wahi betha peena lagta hai. Kuch dair mein Shaheer upper ata hai. Uske haath mein Fareeha ka wohh khath tha. Wohh aa ke sofe pe bethta hai aur khath durrani ki taraf barhta hai aur khud glass utha k peene lagta hai. Durrani khath parhne lagta hai.
Khala bohot Kuch chupa Raha hai Aliya se. Yeh durru aur abdul ka aur koi Kam nahi hai saheer ke problem ko bas barha Raha hai. Mai hota to do laat mar deta donoko. Bas meeting hi karte rahio idhar Sala mental patient na ban jaye saheer.
Mujhe pata hai letter Mai keya Hoga. Fareeha ne likha Hoga Saira aur saheer ka sex style Pasand nahi huya, woh Naya sex style try Karne Uk za Raha hai

Keya Yaar durru tu bhi dusro ki private letter parhne parhne lag gaya



Kuch na milega waha
Last edited: