Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

World's Worst Criminal
297
735
93
Update Posted and Index Updated :hug:

Parh k sab apne apne reviews zarur dein :dost:

I know I know chhota hai but suspense ki wajah se update udhar hi khatm kar di :D Kal double updates dunga pakka :D


Q. 1 : Kya lagta hai dosto kon hoga woh insan jisse shaheer ki gadi takrai hai ? Aur shaheer ko shock kyu laga ?

Jo pehle sahi guess karega next update uske dm mein pohoncha diya jayega post karne se pehle :D
Well brother , tere questions ne to confuse kar diya.
Tune pucha Kon Hoga means male 🤭
Aur update Mai dekha gir gayi means lady (female)
Ab fareeha to nahi ho sakta , Sayed saira hai, kabar Mai se mujra karte huye Bahar ayi hai 🤣
 
World's Worst Criminal
297
735
93
Update Posted and Index Updated :dost:

Parh k sab apne apne reviews zarur dein :hug:
Update 6

Aliya kuch nahi kehti hai chup chap beth jaati hai. As such to usey koi kaam nahi tha so usey yaha rehne me masla nahi tha. Tabhi kashifa khala aa jaati hai Aliya k paas aur waha beth jaati hai.

"Beta tum dost ho shaheer k ?" Khala aliya se poochti hai.

"Nahi aunty me inke office me kam karti hu, kal aik ladka mere sath zabardasti kar rha tha aur sir ne mujhe bachaya tha aur ghr le aaye" Aliya usko sab kuch batati hai per usey pata nahi tha k Kashifa khala khud kon hai isliye unse poochti hai "aur aap ? Aap sir k mom hai ?"

"Mom to nahi hu per mom jaisi hi hu" Khala usey batati hai "Shaheer ko meine hi paal pos k bada kiya hai jab iske mom ki death huyi thi"

"Acha acha" Aliya kuch soch kar khala se poochti hai " Ye shaheer sir aise chirhchirhe kyu hai ? Itne rude na kisi se ziada baat karte hai theek se ? Iski kya wajah hai, meine to suna tha ye kafi chill hua karte the. Aur inki sister Fareeha kaha hai ?"

"Beta shaheer aisa nahi tha bachpan mein, but zindagi me boht kuch dekha isne isliye ye sharab ki lath lagi isko" Khala afsos jatate hue kehti hai "bas fareeha beti k iske zindagi me aane ki wajah se isne peena chorh diya tha aur khush rehne laga tha par pata nahi in dono k beech kya jhagda hua wohh chorh kar chali gayi humey"

"kaha chali gayi aap logo ne dhoondne ki koshish nahi kiya ?" Aliya hairan ho ke poochti hai.

"Mujhe to usne kaha tha jaate hue k wohh mazeed parhai aur job k liye Pakistan se bahar jaa rhi" Khala usey batati hai "Shaheer k liye khath chorha tha ab usme aisa kya likha tha k shaheer nr usey kabhi dhoondne ki koshish nahi ki ye pta nahi"

"Shadi kyu nahi karate aap sir ki ?" Aliya kehti hai "Shadi k baad to theek ho jayenge na sir"

"Beta meine baat kiya tha par is bechare ne zindagi me aik dhoka to khaya nahi hai, 10 bar dhoke khaye haj" Khala kehti hai "Saira iske sath reh kar isey dhoka deti rahi, ab uske baad isey kisi pe bharosa nahi hota to shadi kys khaak karega"

"Saira ? Saira kon thi aur ab kaha hai ?" Aliya poochti hai.

"Saira wohh ladki hai jisse shaheer ko bachpan me muhabbat huyi thi aur us waqt usne dokha diya tha" Khala usey batati hai "wohh dubara ayi thi uske zindagi me, bahar qabristan me chauthi qabar uski hi hai, meine shaheer se boht poocha k kya hua usey per shaheer ne bola k mujhe us dhokebaz k bare me baat nahi karna, waise tum itne deeply kyu pooch rhe ho uske bare me ? Pasand to nahi aa gya shaheer ?"

"Arey nahi khala me kisi aur ko pasand karti hu aur usi se shadi karna chahti hu" Aliya sharmate hur kehti hai " Sir k bare me aise hi tashveesh thi to poocha meine"

Ye log aise hi gappey laga rhe the dusri taraf shaheer aik old house jata hai aur waha kafi dair beth k manager se baatein kar ke waha rehne walo k bare me janne k baad donate karta hai kuch paise. Fir udhar hi se kisi orphanage ka poochta hai, to wohh manager unhi k orphanage ka address deta hai.

Shaheer waha jaane ka sochta hai aur bahar aa ke gadi start karta hai aur waha jaate hue usey khayal aata hai k waha bache honge to unke khelne k liye saman lena chahiye. Fir ladko k liye cricket bat ball aur kit aur football waghera boht ziada taadad me leta hai aur girls k liye bhi boht se batminton aur bhi baqi cheezein leta hai. Aur fir orphanage ki taraf nikal jata hai.

Waha pohonch k gadi park karta hai aur khud andar jaa kr waha k manager se milta hai. Aur usko batata hai k wohh paise aur kuch cheezein bacho k liye donate karna chahta hai.

"Sir paise waghera yaha pe donate kar dena" manager shaheer se kehya hai "baki jo cheezein aap laye ho wohh aap khud bacho me baantoge to wohh boht khush honge aur aap ko bhi khushi milegi"

Shaheer haan kehta hai aur fir wohh manager apne staff ko bol k sare cheezein baahr nikalwata hai aur fir sab andsr jaate hai. Kafi bada orphanage tha, andar hostels the boys k alag girls k alag. Fir cricket aur football ka aik bada ground tha. Abhi bacho k khelne ka time tha to sare bache wahi pe khel rhe the.

Ladkio k jo saman the wohh staff khud le jaate hai unke hostel ki taraf kyunke waha males allowed nahi the. Shaheer manager aur baki staffs k sath mil k saman le k ground ki taraf jata hai. Waha pohonch k manager unko apne paas bulata hai aur shaheer unme se saman baantne lagta hai. Sab boht khush the shaheer ko thanks bol k koi usey hug karta to chhote bache uske gaal pe kiss kar ke jaa rhe the.

Shaheer ko pehli baar itni khushi mil rhi thi kuch kar ke. Wohh soch rha tha k durrani ne sach hi bola tha boht sukoon hai is kaam mein. Khair kuch hi dair me sab me saman baant leta hai shaheer. Kisi ko ball to kisi ko bat, kisi ko football kisi ko cricket kit kisi ko football kit deta hai is tarah kar ke sare bacho me samn baant k ground k paas bench pe beth jata hai. Manager chala jata hai apne office.

Bache boht khush the apne cheezo k sath aur aik dusre ko dikha rhe the. Fir sab teams bana k cricket khelne lagte hai. Shaheer unko ghaur se dekh rha tha. Tabhi usey door betha hua aik ladka dikhta hai, jiske paas koi saman nahi tha matlab wohh cheexein baantte time waha nahi aya tha. Shaheer ko ajeeb lagta k sab khel rhe hai usko chorh kar.

Shaheer chalte hue uske paas jata hai wohh ground k dusri taraf aik pathar k uper bethr waha khel rhe bacho ko dekh rha tha. Shayad uska bhi dil kar rha tha khelne ka but koi khila nahi rha tha usey. Shaheer uske paas jaa ke beth jata hai. Wohh ladka 10 12 saal ka tha.

"Beta kya naam hai tumhara ? " Shaheer usse poochta hai "tum waha nahi aaye cheezein lene kyu ?"

" Uncle Hashir naam hai mera" wohh ladka thoda udaas ho kar kehta hai " mere dost nahi koi kuch le kar bhi kya karta, kiske sath khelta ?"

"kyu dost kyu nahi hai ?" shaheer hairan ho ke poochta hai.

"dosti nhi karta mujhse koi"ye bolte bolte hashir k aankho me aansu aa gye the.

Shaheer ko uspe boht taras aata hai. Wohh usey apne gale se laga leta hai jiske baad wohh ladka zor zor se rone lagta hai. Shaheer ko us ladke me apna aks dikh rha tha, bachpan me wohh bhi aise hi tanhai pasand tha. Na uske dost the na kisi k sath khelta tha bas har waqt udaas rehta tha. Aaj us ladkr ko dekh kar uske dukh dard ka ehsaas ho rha tha usey.

"Hashir beta rou mat, aaj se me tumhara dost hu" shaheer uske aankho se aansuo ko ponchte hue kehta hai "me khelunga tumhare sath"

"Aap roz ayenge mujhse khelne ?" Wohh ladka bade masumiyat se poochta hai usse.

"Haan beta roz aaunga" shaheer muskurate hue kehta hai.

"Thank you thank you thank you so much uncle" shaheet ko hug karte hue wohh ladka khushi se jhoomte hur kehta hai.

"Per khelenge kaise ? Na bat hai na ball hai aur na hi football humare paas ?" shaheer usse kehta hai " pehle bahar jaa ke sare cheezein le ke aate hai fir khelte hai"

"Per abhi to humara lunch time hone wala hai kaise jaayenge ?" hashir poochta hai.

"Mein baat kar lunga, chalo aa jao chalte hai" shaheer usko haath se pakadh kar uthate hue kehta hai.

Fir dono manager k office ki taraf jaate hai. Hashir ne ab bhi shaheer ka hath pakda hua tha. Uska chehra chamak rha tha pura boht khush tha wohh. Shaheer manager se baat karta hai par wohh ijazat nahi deta boht samjhane k baad shaheer ka cnic le k ijazat deta hai unhein jaane ki.
Hmm 🤔 jitna mujhe pata hai Maine episode 5 take parha tha to ab time hai 6 ke 6 goli Marne ka😉
To Aliya ne history pata kar Liya, out of curiosity I guess.
Oops mujhe laga tha woh rapist hi uska finance hai lol
To bechara zinda hai pata nahi uska keya role Hoga.
Yeh khala to khane me namak ki tarha ho gaya hai.isko hatao Yaar.
To durru ka suggestions follow kar Raha hai.
Sale gin ke bhi nahi Liya.
Ab yeh Naya bacha kaha aa gaya 🤔
Kuch bhi Bina wajah nahi hota maybe that child have a role as well.
Adoption ke Bina yeh to possible nahi hai bro for orphanage rules. Check it if m wrong.🧐
 
World's Worst Criminal
297
735
93
Update 7

Lunch ka time tha to shaheer sochta hai k pehle isey le k lunch karna chahiye fir baki cheezein lene jaate hai. Aik ache se restaurant jaa ke shaheer mukhtalif dishes order karta hai hashir k liye. Jinko dekh kar wohh boht khush hota hai aur khushi khushi khane lagta hai.

Orphanage ka aik hi menu kha kha k bore ho gaya tha shayad isliye kuch ziada hi maze se kha rha tha wohh. Khane k baad uske liye ice cream order karta hai, wohh bhi khane k baad shaheer bill pay karta hai aur fir dono aik sport store jata hai. Jahan jaa ke uske liye football kit leta hai kyunke usko football pasand tha. Fir aik football leta hai aur bill pay karne lagta hai. Tab hashir kehta hai.

"Uncle aap apne liye nahi lenge kit ? Mere sath kaise khelenge ?"

"Nahi beta me inhi kapdo me khelunga" shaheer haste hue jawab deta hai.

"Nahi nahi apne liye bhi lein aap fir maza ayega khelne ka" hashir shaheer se kehta hai.

Shaheer apne size k kit dikhane ko bolta hai fir uske size k 2 3 kit nikalta hai shopkeeper aur hashir unme se chose karta hai shaheer k liye kit. Fir shaheer pay karta hai aur dono wapas orphanage ata hai.

"Beta tum logo ka play time kab hota hai ?" shaheer ground ki taraf jaate hue poochta hai.

"Uncle aaj Sunday hai to sara din free hai, warna normal days me sham 4 se 6 baje tk khelne ka time hota hai"

Fir dono washroom jaate hai alag alag aur kit pehen k nikalte hai. Fir ground k aik kone pe jaa ke football khelne lagte hai. Hashir boht xiada khush tha aaj, dono kafi dair tak khelte hai aur jab thak jaate hai to bench pe aa ke beth jaate hai.

Phir hashi idhar udhar k sawal pooch rha tha shaheer se aur wohh usey bata rha tha. Isi tarah sham 6 baje tk shaheer uske sath waha bethta hai. Boht acha spent hua tha time aur usne socha tha k har weekend yehi aayega in bacho k sath time spent karne. Khair shaheer jab jaane laga tb Hashir k aankhein nam ho gaye aur wohh usse poochne laga.

"Uncle ab kab aayenge aap ?"

Shaheer uske samne bethta hai neeche aur uske haatho ko pakadh kar usse kehta hai.

"Beta mein kal sham ko aunga office se tumse milne k liye, Insha Allah ab rozana aunga tumhare sath football khelne, chalo ab chalta hu late ho rha hai, bye tc aur haan mera card lo jab bhi koi baat ho mujhe call karna fauran kisi cheez ki zaruat ho ya kuch aur"

Itna bol kar fir waha se chalta hai. Kapde already change kar chuka tha aur kit Hashir k paas hi chorh gaya tha. Bahar aake manager se apna cnic leta hai aur usko batata hai k ab wohh daily aya karega agar koi masla nahi to. Manager bhi kehta hai k koi masla nahi hai aa jaya kare.

Aaj kafi positive energy feel kar rha tha shaheer khud me. Usey boht acha lag rha tha drive karte hue bhi uske chehre pe muskaan thi. Wohh hamesha rehne wali udaasi nahi thi aaj. Shaheer gadi park kar ke haveli k andar ata hai. Khala aur Aliya bethe gappey laga rhe hai. Shaheer salam kar ke apne room jata hai seedha.

Aaj kafi time baad shaheer ne salam kiya tha aur khush bhi lag rha tha ye dekh kar khala hairan ho gyi thi aur aliya bhi hairan thi kyunke usne pehli baar shaheer ko itne ache mood me dekha tha. Khair shaheer apne kamre me jaa ke office k kaam karne lagta hai dinner tk. Fir jab aik mulazima aa ke dinner k liye bulati hai tab neeche aata hai aur aliya aur khala k sath beth k dinner karta hai.

"Aliya tum aaj yehi stay karna, kal mere sath hi office chalna fir waha se apne ghar jana" shaheer khana khate khate kehta hai.

"Wohh to theek hai par mere paas dusre kapde nahi hai sir" aliya bhi khana khate khate jawab deti hai "mein kaise aungi office?"

"Beta fareeha beti k kapde hai roon me unme se pehen lo koi kapde, isme masla kya hai" tabhi khala beech me aa ke kehti hai.

"Fir theek hai" aliya bhi kehti hai aur chup chap khana khane lagti hai.

Khana khane k baad shaheer hall mein hi beth jata hai, usey Aliya se baat karni thi. Wohh janna chahta tha k wohh akele kyu rehti hai. Uski family kaha hai. Ye janne k peeche 2 wajuhaat the, pehla to wohh uska employee thi aur dusra shaheer usko jab bhi dekhta tha to aisa lagta tha jaise isko kahi dekha hua hai ya kisi se uski shakal milti julti hai.

Khair Aliya bhi waha aa ke beth jaati hai, shaheer baat khud start karna nahi chahta tha, aur na Aliya mein himmat thi itni k wohh khud bataye. Dono ki ye problem tab hal huyi jab news channel pe ye news aya k "Kal raat kisi ne aik ladke ko buri tarah se marne k baad uske maathe pe garam sarye se "RAPIST" likh k sheher k beecho beech chowk pe chorh diya" Ye koi aur nahi Asif hi tha jisko raat ko durrani le ke gaya tha.

News dekhte hi shaheer k chehre pe smile aa gyi, wohh khush tha k aik rapist ka ye haal hua. News dekhne k baad Aliya shaheer ki taraf dekhti hai. Aur shaheer uski taraf dekhta hai dono ki nazrein milti hai aur Aliya dheere se "Thanks" bolti hai.

"Kuch bataogi ?" Shaheer kehta hai "Ya nahi batana ?"

"Sir Asif mera classmate tha uni mein, shuru se mujhe pasand karta tha aur usne mujhe propose bhi kiya tha" Aliya sar jhukaye hi dheere se batane lagti hai "Aur meine usey reject kiya tha, kyunke mein kisi aur ko pasand karti hu, usko saaf saaf bol bhi chuki thi mein ye baat. Fir jab hum ne aap ka office join kiya to usne bhi join kiya. Roz mujhe tang karta tha aur kal usne had paar kar di"

"Roz tang karta tha to tumne uski complain kyu nahi ki ? police mein ya fir office mein ?" Shaheer kehta hai "Aur tum akeli kyu rehti ho ? tumhari family kaha hai ?"

"Sir mujhe laga tha k ye normal baat hai, sudhar jayega wohh jab usey ignore karungi to, mujhe nahi pata tha wohh itna aage barh jayega" Aliya mayoos kun lehje mein kehti hai "Aur mein akeli nehi rehti hu, mere sath meri dost Nabeela bhi rehti hai, jo aap k hi office mein kam karti hai, wohh apne ghar gayi huyi thi weekend ki wajah se"

"Hmm chalo us ladke ko to uske kiye ki saza mil gayi ab wohh sari zindagi yaad rakhega wohh" Shaheer uthte hue kehta hai "Baki tum dekh lo agar kal office ana chaho to aa jana warna kuch din ki chhutti le lelo aur aram kar lo"

Shaheer ye bol kar waha se chala gaya apne room. Aaj uska peene ka dil nahi kar raha tha thoda bhi. Uski sab se badi wajah thi Hashir, jisse aaj wohh mila tha. Us bache mein pata nahi aisa kya tha k shaheer ko usse itna lagao ho gaya tha. Shaheer jab bhi usko dekhta usko apni bachpan yaad aati thi.

Shaheer bhi bachpan mein uske jaisa hi tha. Na uske ziada dost the na kisi se ziada baatein karta tha. Tanhayi pasand tha wohh. Bas apne nana nani k sath ziada close tha aur unke sath baatein share karta tha. Usko ehsaas tha k hashir kis dard se guzar raha hai.

Shaheer bed pe leta leta aaj k din k bare mein soch rha tha. Kafi time baad usko acha feel ho raha tha. Uske dil ko sukoon mila tha. Wohh soch rha tha k durrani ne sach kaha tha kitna sukoon hai dusro ki madad karne mein.

"Kin socho mein gum ho shaheer miya ?" Shaheer apne socho mein ghum tha k tabhi uske kaano mein Fareeha ki awaz parhi.
Durru(story character) ka Kuch pata nahi chal Raha hai, as in 1st part he said he have something special for saheer but here durru(writer) showing nothing like that.its going like normal life.maybe in future we will know.
Aliya ka story Kuch zam nahi Raha hai. Kuch zaida hi fantasy hai.
To saheer ko uska mini version mil gaya 😁
(Fortunately Maine abhi tak apna nahi dekha, hope kabhi na mile one and only title ke Liye 🤭)
I think woh picnic pe Jo uncle tha uska beti Hoga Aliya ya Saira ka bahen , badla Lene ke Liye ayi hai 😁
Yeh fareeha to bohot disturb kar Raha hai. Mujhe lagta hai real life Mai bhi use itna problem nahi kiya. To yeh bas ek hallucinations hai saheer ka. Maine Socha tha fareeha use tease kar Raha hai
 

Top